★
★
*BismiLLaH'irrehmaaN'irraheeM*
⚵ *SHARAAB HARAAM HAI* ⚵
╥────────────────────❥
✾─❥ Ek Momin ke Liye Qur'an Kareem ka itna Farmaan Kï Sharaab mai Bada Gunaah hai ,Sharaab se Ahatyaat ke liye Kaafi hai ,
✾─❥Kyunki Har Gunaah Chhota ho ya Bada uska mansha Haq Ta'ala Kï na-farmani hai ,aur Har Na-Farmani sababe naraazi hai , Fir ek Momin Allah Ta'ala Kï naraazgi ko kab gawara kar sakta hai,
✾─❥
يَبْتَغُونَ فَضْلًا مِّنَ اللَّهِ وَرِضْوَانًا
*ReF-* Surah Al-Fath, Aayat 29:
*_Haq Ta'ala irshad farmate hai k Ashaabe Rasool Sallallahu Alaihivasallam Har waqt hamare Fazal ko aur Hamari Khushnoodi ko dhoondhte rehte hai'n k Hum konsa esa Amal akhtyar kare k hamara Parwardigaar e Haqeeqi hum se Khush ho jaye ,
╥────────────────────❥
✾─❥ Sharaab Ke mutalliq Fir Ye Aayaat nazilfarmayi gayi :--
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا إِنَّمَا الْخَمْرُ وَالْمَيْسِرُ وَالْأَنصَابُ وَالْأَزْلَامُ رِجْسٌ مِّنْ عَمَلِ الشَّيْطَانِ فَاجْتَنِبُوهُ لَعَلَّكُمْ تُفْلِحُونَ
إِنَّمَا يُرِيدُ الشَّيْطَانُ أَن يُوقِعَ بَيْنَكُمُ الْعَدَاوَةَ وَالْبَغْضَاءَ فِي الْخَمْرِ وَالْمَيْسِرِ وَيَصُدَّكُمْ عَن ذِكْرِ اللَّهِ وَعَنِ الصَّلَاةِ فَهَلْ أَنتُم مُّنتَهُونَ
*ReF -* Surah Al-Maeda, Aayaat 90-91:
✾─❥ *Tarjuma :--*
*_ Ey imaan walo ! Baat Yahi hai k Sharaab aur Juwa aur But vagera aur qur'a ke Teer ,Ye Sab gandi baate Shaitaani Kaam hai'n ,
Isliye isse bilkul alag raho taki Tum ko falaah ( Kaamyabi ) ho ,
Shaitaan to Yu chahta hai k Sharaab aur Juwe ke zariye tumhare Aapas mai adaawat aur Bugz daal de
Aur Allah Ta'ala Kï yaad se aur Namaz se tumko door rakhe , isliye ab bhi baaz aaoge ,
╥────────────────────❥
✾─❥ in Aayaat ( Surah Al- Maeda ,90-91 ) SeSharaab Ke mutalliq ye baate Saabit hoti hai'n :-
✾─❥ *1-*
* ......... إِنَّمَا الْخَمْرُ وَالْمَيْسِرُ وَالْأَنصَابُ وَالْأَزْلَامُ
"__Haq Ta'ala Apne Momin Bando ko ittela farma rahe hai'n k Tum Kaafiro Ka tareeqa mat apnao ,Ye Sharaab aur Juwa aur But aur Qur'a Ke Teer gandi Baate aur Shaitani Amal hai'n,
✾─❥ Sharaab ko Juwa aur But aur Qur'a Ke Teer ke saath zikr farma kar ye bata diya k Sharaab esi buri cheez hai k Juwa aur But Parasti aur Qur'a ke Teer Jesi buri Baato mai Sabse pehli cheez hai , Sharaab ko sabse buri farma kar iski zyada gandgi per ishara farma diya ,
✾─❥ Musalmano ! Gor se karo k Sharaab ko Haq Ta'ala ne But parasti ke saath zikr farmaya taki nafrat paida ho k Ye Kaam Kufr se qareeb hai , Kyunki Sharaab Namaz se Jo k Islaam ka sabse Azeem Amal aur Alaamate imaan hai ,Sharaab usse Rok deti hai , Jab is tarah imaan se door hua to Kufr se qurb hua ,
*Allah Hifazat Farmaye _*
╥────────────────────❥
✾─❥ *2-*
ُ *......رِجْسٌ_*
Sharaab ko Haq Ta'ala ne رِجْسٌ Farmaya hai ,Yani Sharaab Gandi cheez hai,
✾─❥ *3-*
*"........... مِّنْ عَمَلِ الشَّيْطَانِ _*
"__Sharaab Shaitani Amal hai ,
✾─❥Musalmano ! Gor karo k hum Momin hone ka daava karte hai'n ,Jiska matlab ye hai k Haq Ta'ala Kï Wahdaniyat aur Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Kï Risaalat per hamara imaan hai aur Allah Ta'ala jis cheez ko Shaitani Amal farma rahe hai'n, Usko hum Jaa'iz karne Kï koshishe kar rahe hai'n,
✾─❥. *Daava ita'at ka aur Amal Bagawat ka,* Allah Ta'ala ne Sharaab ko Shaitani Amal farma kar ye bata diya k Jis tarah Shaitaan Khuda Kï Na-farmani aur Sarkashi se mardood hua hai , Sharaab ke andar bhi Yahi khasiyat hai ,
*__Yani Sharaab Pine se tumhare andar tugyani aur bagawat v Nafarmani ka maadda paida hoga aur Anjaam e kaar musalsal na farmaniyo Kï nahusat se Shaitaan Kï tarah mardood ho Jane ka andesha hai ,
*___Allah Hamari Hifazat Farmaye ,_*
╥────────────────────❥
✾─❥ *4-*
*......... فَاجْتَنِبُوهُ_*
*__ So isse alag raho ,*
✾─❥ Musalmano ! Allah Ta'ala farma rahe hai'n k Sharaab se alag raho ,Aur Sharaab se Sakht parhez ka hukm saabit ho raha hai ,
✾─❥ Ab har Musalman gor kar sakta hai k Sharaab se alag rehne ka saaf hukm ho raha hai isse kya koi aur mafhoom ho sakta hai ?
"__ Jesa k Kuchh Nadaan Log ye samajhte hai'n k Sharaab Noshi Kï Wo miqdaar Haraam hai Jo Naaha Paida karti hai ,,,"
✾─❥ Aayaate Qur'aniya mai Kaha se iska saboot mojood hai , Kya wahi ilaahi ( Allah Ke Hukm ) ke muqable mai Apni Raay ko istemal karne ka Haq kisko haasil hai ,,
*___Allah Hifazat farmaye __*
╥────────────────────❥
✾─❥ *5:-*
*ُ لَعَلَّكُمْ تُفْلِحُونَ*
*Taki Tumko Falah ho ,*
✾─❥ Musalmano ! Haq Ta'ala farma rahe hai'n k tumhari Falah ( Kaamyabi ) isi mai hai k Tum Sharaab se alag raho ,Uske Qareeb bhi na jao aur Hum Aaj Apni Kaamyabi aur Taraqqi ka raaz Sharaab Noshi mai samjhe hue hai'n ,
✾─❥ Musalmano ! Yaqeen kar lo k Jab tak islaami mashra na akhtyar kiya jayega ,Hume kabhi Falah haasil nahi ho sakti ,
✾─❥Haq Ta'ala Apni Rahmat se Tamaam Mulko ke Hukraano ko Tofeeq ata farmaye k Tamaam Sharaab Khano ko bilkul Khatm kar diya jaye ,
╥────────────────────❥
✾─❥ *6 :-*
Surah Al-Maeda, Verse 91:
*إِنَّمَا يُرِيدُ الشَّيْطَانُ أَن يُوقِعَ بَيْنَكُمُ الْعَدَاوَةَ وَالْبَغْضَاءَ فِي الْخَمْرِ وَالْمَيْسِرِ*
✾─❥ Shaitaan Sharaab ke zariye Tumhare aapas mai Adawat aur Bugz paida karta hai aur Tamaam zamane ke Aqal walo ko is per ittefaaq hai k Kis Qaum ko bager Aapas ki muhabbat aur ittehaad ke sarbulandi aur Kaamrani mayassar nahi ho sakti ,
✾─❥ isliye Hume chahiye k Apne girebaan e fikr mai Sar daal kar Apne Zameer ko Zara bedaar kar ke gor kare k Hum Kis moonh se Qaum Kï Khair Khwahi ka daava karte hai'n ,
✾─❥ Jabki Qur'an Sharaab Noshi ko na ittefaaqi ka Sabab ,vajah qaraar deta hai , Hamari zabaan se to hum Raat din ittehaad ittehaad ka shor machaye hue hai'n aur ittehaad mai Khalal daalne wali musibat Yani Sharaab Noshi ( Ya Doosre Nashe ko Jisme Aaj Qaum doobi hui hai ) Ko khatm karne Kï awaaz uthaane Kï bajaye isko jaa'iz karne Kï tadbeere sochne mai mashgool hai'n ,
✾─❥ *Ey Allah ! Hamare ouper Haq waaze farma aur Baatil se Door rehne Kï Tofeeq naseeb farma , Aameen_*
╥────────────────────❥
✾─❥ *7 :-*
*...وَيَصُدَّكُمْ عَن ذِكْرِ اللَّهِ وَعَنِ الصَّلَاةِ ..*
__*Shaitaan Sharaab ke Zariye Tumko Allah Ta'ala Kï Yaad se aur Namaz se baaz rakhna chahta hai,*
✾─❥ Musalmano ! Gor karo k Qur'an kya Paigaam de raha hai, Kya Tumhe ye pasand hai k Tum Apne Parwardigaar e Haqeeqi Kï Yaad se gaafil kar diye jao aur Tum Namaz se rok diye jao , Koi Musalman isko hargiz pasand nahi kar sakta ,
✾─❥ Fir Sharaab Noshi ko hum kyu gale laga rahe hai'n aur Sharaab Khano per pabandi ke liye kyu Khade nahi ho rahe hai'n ,
✾─❥iski vajah Yahi hai k Humko Apne Allah Ta'ala Kï yaad se aur Namaz se Wo lagaav nahi hai Jesa k hona chahiye , Varna ye mumkin nahi k Jo cheez Humko khuda Kï yaad se aur Namaz se rok de use hum tark na kare ,
╥────────────────────❥
✾─❥ *8:-*
Surah Al-Maeda, Verse 91:
*_ ....فَهَلْ أَنتُم مُّنتَهُونَ.*
*__So Ab Bhi Baaz Aaoge__*
✾─❥ Qur'an ka ye unwan Sharaab se Baaz rehne ( door rehne ) ki Taleem dene mai Esa hai jese Ek Shafeeq Ustaad Apne Shagird ko aur Ek Shafeeq Baap Apni Aulaad ko de raha hai ,
*__Jabki Wo Ustaad aur Wo Baap poori tarah se Pehle hi Sharaab Kï buri Aadat aur Uske nuqsanaat per tambeeh kar chuka hai, Fir uske baad keh raha hai k Ab to Baaz aa jao ,Ab to samajh mai aa gaya hoga,
✾─❥Har Musalman gor kar sakta hai k Qur'an Kï in Tamaam Aayato se Sharaab ka halaal hona saabit hota hai ya Haraam hona ?
✾─❥Kya kabhi kisi Halaal aur Jaa'iz cheez se bhi Alag rehne ya door rehne Kï hidayat Dï jati hai ?
╥────────────────────❥
✾─❥ Tirmizi Shareef mai Rivayat hai k Yani فَهَلْ أَنتُم مُّنتَهُونَ ko ( So ab bhi baaz Aaoge ) Jab Hazraate Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ne suna to Sunte hi Arz kiya " Hum baaz aaye ,"
✾─❥ Aur Bukhari Shareef mai ye bhi Rivayat hai k us waqt Jitni Sharaab Mojood thi Sab Kï Sab faink Dï aur Jin Bartano mai Sharaab piya karte they Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne un Bartano mai Sharbat rakhne ko bhi mana farma diya , Taki Sharaab se Dilo mai sakht nafrat paida ho jaye ,
✾─❥ Bahut se Nadaan log ye kehte hai'n k Qur'an Shareef mai Sharaab ke mutalliq lafze Haraam mojood nahi hai ,Halanki Jab Sharaab ke mutalliq Qur'an mai :-
*1- Napaak hona ,*
*2- Shaitaani Amal hona ,*
*3- Gunaah e Kabeera ( Bada Gunaah ) hona*,
*4- But Parasti ke saath Zikr hona*
*5 -Sharaab se Bachne ,door rehne ,baaz aane ka Hukm* ho chuka hai
To ab Lafze Haraam Kï talash mahaz ek Shaitani dhokha aur nafsaani bahane bazi hai ,
✾─❥ Aqale Saleem (Aqal walo) ke liye aur Tabiyate Saleem walo ke liye mumaniyat ke itne unwanaat Kaafi hai'n ,
✾─❥ *Allah Samajh Ata kare*
╥────────────────────❥
✾─❥ Haq Ta'ala Shanhu ne Surah Al-Araf, Aayat 33 mai irshad farmaya :-
*قُلْ إِنَّمَا حَرَّمَ رَبِّيَ الْفَوَاحِشَ مَا ظَهَرَ مِنْهَا وَمَا بَطَنَ وَالْإِثْمَ وَالْبَغْيَ بِغَيْرِ الْحَقِّ*
*___Aap Farma dijiye k albatta mere rab ne sirf Haraam kiya hai Tamaam Fahash Baato ko unme Jo elaniya hai'n Wo bhi aur Jo poshida hai'n Wo bhi aur har gunaah Kï baat ko aur Na-Haq kisi per zulm karne ko ,
✾─❥ Ab gor Kijiye Yaha Sharaab Jese bade bade gunaaho Kï Hurmat Saabit hai to fir nafsaani daleele pesh karna aur heela bahane baazi karna sakht khatarnaak gunaah hai Yani ye is qadar sakht gustakhi aur nafarmani hai Jisse Kufr hone ka khof hai ,
✾─❥ Kyunki ye Aqeede ka masla hai aur Jiska inkaar Kufr hai , *Lihaza Sharaab peena ,Pilana ,Pilane mai madadgaar banna ,Khareedna ,Bechna sakht Haraam hai,*
✾─❥ Musalmano ! Aaj Jo log Sharaab ko halaal banane Kï koshish kar rahe hai Wo samajh le k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne Saade Terah so saal Pehle is kaam Kï peshangoi farma Dï thi ,
*__ Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ka farmaan hai k ,Anqareeb meri Ummat mai esi Qaum paida hogi jo zina ,resham ,Sharaab aur Juwa ko halaal samjhegi ,"
*ReF-┐* Sahih Bukhari ,
✾─❥ isliye bahut darne ka maqaam hai ,Allah Ta'ala Hamari Aqalo ko tamaam Gunaaho se mehfooz farmaye aur Hume Sahi faham ata farmaye ,
╟❥ *Alhamdulillah MukammalHua*
╨─────────────────────❥
★
╨─────────────────────❥
*ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
*ReF-┐*
*Qur'an e Paak mai Sharab Ke*
*Haraam Hone Ka Saboot,*
No comments:
Post a Comment