Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Sunday, November 27, 2016

  *  DAADHI ZAROOR RAKHIYE  *

┌╦═══════────────┐
       │║ *ﺑِﺴْــــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ*
       └╩═══════────────┘
            
  *  DAADHI ZAROOR RAKHIYE  *

       ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞ Daure Haazir mai Daadhi Rakhne Per 100Shaheedo Ka Sawab*

          ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄

✯_ Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-

"__ Jisne meri Sunnat ko mazbooti se pakda Meri Ummat ke Ke fasaad ke waqt Tab uske liye So ( 100 ) Shaheedo ka Ajr hoga _"

       * Mishkaat _*
    
*✯_  Faayda :-*

"__ isme koi Shak nahi k Aaj Bid'at jese fasadaat chaaro taraf fail chuke Hai'n, Sunnato ko mitaane ki koshishe ki jaa rahi hai'n ,

Lihaza is Zamane mai Sunnat ko mazbooti se pakad lene per bhi Yani Sunnato per Poori tarah Amal karne per bhi Ye darja mil sakta hai ,

Aur Daadhi rakh kar Vazu mai Dadhi ke khilaal se aur hamesha Daaye taraf se ibtida karne aur Betul khala aate Jaate Waqt Duae'n padhne se bhi ye darja mil sakta hai ,
     
       ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞  Daadhi Rakhna Sunnat Nahi Waajib hai ,*

          ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄

✯,_ *Sunnat Ke mutalliq Galat Fahimi ,*

"__ Aam tor per Sunnat ka matlab ye liya jata hai k ye Waajib nahi , Ye bahut badi galat fahmi hai aur ye mugalta is vajah se lagta hai k Jab Namaz vagera mai Fara'iz aur Sunnato ko ginwaya jata hai to us waqt Sunnat se matlab " Waajib se Kam darje ka Amal " hota hai ,to is mugalte Kï vajah se log samajhte hai'n k Jab bhi aur Jaha'n bhi Sunnat ka lafz bola jayega to isse Waajib se kam darje ka Amal maan liya jata hai ,

✯,_,isse ye bhi samajh Lena chahiye k jab ye kaha jata hai k Ek Musht ke barabar Daadhi Rakhna aur jab tak Ek musht bhar se bad na jaye ,use na kaatna " Sunnat " hai to Aam tor per log iska matlab ye samajhte hai'n k ye Waajib nahi ,

✯_ Ye samajhna bilkul galat hai ,Daadhi rakhna Waajib Hai , Aap Sallallahu Alaihivasallam ne iska baar baar Hukm diya aur takeed se hukm diya hai aur Jab Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam kisi cheez ka hukm de to Wo Farz aur Waajib hota hai , Lihaza Daadhi Rakhna is vajah se to Sunnat hai k Aap Sallallahu Alaihivasallam ka tareeqa hai magar iska ye matlab hargiz nahi k ye Waajib nahi ,

✯_ Khoob samajh lijiye k chunki Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne iska Hukm diya Hai isliye ye Waajib hai ,iska katana gunaah aur Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam Kï nafarmani hai ,

  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε* ↴

* ilaahi Taqreere ,Jild -4 ,*  
      

       ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞  itteba e Sunnat Tamaam Nekiyo'n Kï KunjiHai,*

          ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄

✯_ Mufti e Aazam Hazrat Maulana Mufti Shafi Sahab Reh farmate hai'n k Allah ne Saari Nekiya'n ek makaan mai Jama kar Dï aur Uski Kunji itteba e Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam hai  ,

✯_ Ab itteba kya hai Mutab'at karo Qana'at mai Hirs mai na Pado ( Jo mil jaye us per Shukr karte hue raazi raho ) ,Rizq Kï zyada fikr na karo , Duniya ba qadre zarurat se zyada Jama na karo ,

✯_ Aaj Dil ko pakadte firte Hai'n k Khaana Hajam nahi hota magar Duniya Kï zaibo zeenat haasil karne ka Rog ho gaya ,bager furniture ke chain nahi aata ,

✯_ Aur  fizool baato fizool majliso Fizool Kaamo fizool khaano vagera garz k har fizooliyaat se bacho , Jaha'n Chaar Aadmi bethte Hai'n Geebat aur layaani baate hoti hai'n ,Ye bada Azaab lag gaya hai Qaum ke muttaqi log bhi isse nahi bachte ,

*❥═┄ ʀεғεʀεηcε* ↴

* Majalise Mufti e Aazam*
  
       ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞  Sunnat Ka Mazaaq Halaakat Ka Zariya Hai ,*

          ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄

✯__Sunnat Per Amal Sa'adat ,Fakhr Kï Alaamat hai aur Sunnat ka mazaaq badi Halaakat hai ,Jo baaz awqaat Kufr tak pahuncha deti hai ,

✯__Hazrat Salma bin Ukwa Raziyallahu Anhu Rivayat karte hai'n ( Jiska mafhoom hai ) k ek Shakhs Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke saamne Baaye haath se khana khaa raha tha , Ahle Arab mai Baaye haath se khana aam baat thi aur Log Kasrat se Baaye haath se khaate they ,

✯__Jab Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne dekha k Wo Shakhs Baaye haath se khana kha raha hai to Aapne usko tambeeh farmate hue farmaya k Daaye haath se khaao ,

✯__Ye Hukm Aapne isliye farmaya k Allah Ta'ala Kï taraf se Hume Zindgi guzaarne ke Jo Adaab sikhaye gaye Hai'n Unme Daahini taraf ko Baayi taraf per tarjeeh haasil hai ,isliye Huzoor Sallallahu Alaihivasallam har maamle mai Daahini taraf ko Baayi taraf per tarjeeh diya karte they ,Ye Allah aur Uske Rasool Sallallahu Alaihivasallam ka bataya hua Adab hai ,chahe usko koi maane ya na maane ,Chahe kisi Kï aqal isko tasleem kare ya na kare ,

✯__ Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ka ye hukm sunkar us Shakhs ne jawab me kaha k mai Daaye haath se nahi khaa sakta aur Uske is jawab Kï vajah Takabbur tha aur Usne socha k mujhe is baat per Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne tok kar meri toheen Kï hai ,isliye mai Hukm nahi maanta ,

✯__ Jawab mai Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Aainda Tum kabhi Daaye haath se nahi khaa sakoge ,uske baad Saari Umar Wo Shakhs apna Daahina haath moonh tak nahi le ja saka ,

✯__ Sunnat sirf Unhi cheezo ka naam nahi k Aadmi Daaye haath se khaana kha le aur Daayi taraf se kapda pehan le ,balki Zindgi ke har Shobe se Sunnato ka talluq hai ,Un Sunnato mai Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke akhlaaq bhi dakhil Hai'n , Aap logo ke saath Kis tarah ka maamla farmate they , Lekin koi Sunnat esi nahi hai k jisko chhota samajh kar uski tahqeer Kï jaye ,Sunnat ka mazaaq udaana uski tahqeer karna hai ,is kaam se Kufr ka andesha hai ,

  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε* ↴

* islaahi Khutbaat ,*  
  ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞  Ek Galat Fahmi K Allah Dilo Ko Dekhta hai ,Zaahir Ko nahi _*

          ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄

✯_ Hazrat Maulana Shah Abrarul Haq Reh farmate hai'n k Kuchh Logo ko sirf itni baat zyada yaad rehti hai k Allah Ta'ala Dilo ko dekhta hai tumhari Zaahiri soorto ko nahi dekhta , Bhaiyo'n Ye baat to un logo ko kehne ka Haq hai Jinki zaahiri Soorat v Shakl ,Rasoole Paak Sallallahu Alaihivasallam Kï soorat Kï tarah ho ,Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke chehra e Anwar per Daadhi thi tumhare chehre per bhi usi tarah Daadhi ho , Tumhari Zindgi Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam aur Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum Kï Zindgi Kï tarah ho ,Tab to tumhara ye kehna mufeed hai k Allah Ta'ala Dilo ko dekhta hai Zaahir ko nahi ,

*_ Agar ESA nahi hai to fir Tumhara ye kehna khud tumhare liye Halaakat ka zariya banega ,

✯_ iski misaal esi hai k Jese Koi Kabootar hai ,Uska Zaahir uska par hai aur uska baatin uska gosht ,uski haddi ,uska Poora Jism hai , Ab agar uske Par kaat diye jaye to uske Jism per to Koi asar nahi padega , Lekin kya Wo Apne Aapko Dushmano se bacha sakta hai ya nahi ? Har Shakhs is baat ko asaani se samajh sakta hai, isi tarah Shaitaan hamara Dushman hai ,usse Hifazat ke liye Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne Humko Zaahiri huliye Kï Hifazat ko Waajib qaraar diya hai , Lihaza jis tarah Zaahir Kï Hifazat na hone Kï vajah se Ek Kabootar Halaakat tak pahunch jata hai usi tarah Zaahiri huliya Kï Hifazat na hone Kï vajah se Humko bhi Shaitaan Halaakat tak Asaani pahuncha sakta hai ,

✯_Aur Dekhne mai bhi Khoob aata hai k Jin logo Kï zaahiri Soorat v Shakl Durust nahi Wo aam tor per taqwa Akhtyar nahi kar pate , Hum  ye nahi kehte k jin logo ke Zaahiri huliya Sahi hai Wo So fi sadi ( 100% ) muttaqi Hai'n balki unme se bhi baaz buraai mai mubtila ho jate hai'n magar Kam hi hote Hai'n ye ESA hai jese Kabhi Par wale Kabootar ko shikaari pakad leta hai , 

✯_ isliye Jiska Zaahiri Huliya Huzoor Sallallahu Alaihivasallam wala nahi hai Wo Chahe kitna hi bada Qari ho ,Kitna hi bada Aalim ho ,kitna hi achcha Qur'an Padhta ho usko Namaz padhane ka Haq nahi , Uski mojoodgi mai Usse kam padhe likhe lekin Ba- Shara ko imaamat ka Haq ho jata hai,

  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε* ↴

*  Khutbaat e Shariyat ,*  
       
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞  Daadhi Rakhna Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Se ishq Kï Daleel Hai,*

          ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄

✯_ Aah ! Darde Dil se kehta hu'n , Wallah Aapki Bhalaai ke liye Kehta hu'n , Aapke Ahatraam v izzat ko sar Aankho per rakhte hue kehta hu'n K Nabi Paak Sallallahu Alaihivasallam Kï Shakl bana lo ,

✯_ ibne maaja Shareef Kï hadees hai k Ro'o aur agar Rona na aaye to Rone walo Kï Shakl banalo , To maloom hua k Shakl bhi kaam de jati hai, Kam se kam Qayamat ke Din Aap ye to keh sakenge k _

*Tere Mehboob Kï Yaa Rab Shabahat Le kar Aaya Hu'n _*
*Haqeeqat isko Tu Kar de mai Soorat Le kar aaya Hu'n_*

✯_ Chaaro imaamo ka ijmaa hai k Daadhi Rakhna Waajib hai, mundana Aur katrana haraam hai,  *Ek musht Teeno taraf se Waajib hai ,is Hukm mai koi gunzaish nahi hai*

✯_ Sochiye k Agar Qabr mai Janaza Utar gaya to gaalo ko keede khaa jayenge ,Maut ke baad Zameen O makaan sab chhin jayenge , Fir Pachtane ke Siva koi kaam nahi hoga ,Lekin Wo pachhtana bhi koi kaam nahi dega,

✯_ Zara Sikhho se sabaq lijiye k Ye Kaafir ho kar Apne peshwa Kï Muhabbat mai Daadhi rakhte Hai'n , Halanki Kufr Kï vajah se Unko ye Daadhi koi faayda nahi degi ,Lekin ek Sikhh bhi esa nahi milega Jo Daadhi munda ho , Lekin Aah ! Aaj Ummate Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ko kya ho gaya k Apne Haqeeqi Paigambar Sallallahu Alaihivasallam Kï Shakl nahi banate ,aur samajhte hai'n k Daadhi se meri Shakl Kharaab maloom hogi ,

✯_ Mai Qasam khaa kar kehta hu'n k Daadhi rakhne Se Shakl Haseen hoti hai ,agar ESA na hota to Allah Ta'ala Apne paigambaro ko hukm na deta k Daadhi rakho , Allah Ta'ala ka Apne paigambaro ko Daadhi Rakhne ka hukm dena isse maloom hua k  ye daleel hai k ye ek pyari cheez hai aur isse Shakl pyari maloom hoti hai ,

  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε* ↴

* Muwa'iz Darde Muhabbat ,Jild -4,*  
       
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞ Qur'an e Paak se Daadhi Rakhne Ka Hukm,*

          ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄

✯_ Baaz Log kehte hai'n k Chunki Daadhi Rakhne Ka Hukm Qur'an majeed mai mojood nahi hai varna hum zaroor rakhte , Hazrat Hakeemul Ummat Thanvi Reh ka is silsile mai jawab ye hai k Dalaa'il Chaar Hai'n :-- Qur'an, Hadees , Ijmaa ,Fiqha ,inme se kisi ek se jawab de diya gaya to samjho chaaro mai se jawab aa gaya , Jab Daadhi Rakhne ka hukm Hadees se saabit ho gaya to samajh lo Qur'an e Paak se saabit ho gaya,

✯_ " Ey mere Maa'n Jaaye meri Daadhi aur mera sar na pakad _"

*Ref-$_ Surah Taaha ,  Aayat 94*

"_ Ye Aayat Aqzaun nas ka darja rakhti hai  jisse  Tamaam Ambiya Alaihissalam Kï shakl Mubarak ka naqsha kheench kar bata diya k Allah Ta'ala ke Nek Bando aur Ambiya Alaihissalam ne Daadhi Mubarak rakhi hui thi ,

✯_Hazrat Haroon Alaihissalam Kï ghani Daadhi mubarak ye bata rahi hai k Aapne Daadhi rakhi hui thi aur Ek Ambiya Alaihissalam ke mutalliq bhi ye saabit nahi k kisi ne Daadhi Mubarak katwayi ho ,balki Hadees Paak Kï das fitrato Se ye pata chalta hai k Sab Ambiya Alaihissalam hamesha Daadhi Mubarak ke saath rahe ,

✯_ Jab Ambiya Alaihissalam ne Daadhi Mubarak ko apne chehro ke saath chimtaye rakha to iska koi na koi maqaam zaroor hai , Aqalmand aur Muhabbat karne walo ke liye Kya itna kaafi nahi k Daadhi Mubarak ke waqaar ko samjhe ,

✯_, " Aap ( logo se ) farma dijiye k Agar Tum Haq Ta'ala se Muhabbat rakhte ho to tum log meri itteba karo , Khuda tumse Muhabbat karne lagega aur Tumhare Sab gunaaho ko maaf farma dega ,"

*Ref-$_ Surah Aale Imraan ,Aayat 31*

"__ is Aayat me Khuda se Muhabbat ka maiyaar itteba e Muhammad Sallallahu Alaihivasallam hai , Tamaam Logo ko Aap Sallallahu Alaihivasallam ke naqshe qadam per chalne aur itteba ka hukm diya hai, aur Musalmano per itteba sirf Muhammad Sallallahu Alaihivasallam Kï Waajib hai na k kisi or Kï ,

✯_ " Tum logo ke liye Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ka ek Umda namoona mojood hai ,"

*Ref-$_ Surah Al Ahzaab , Aayat 21*

  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε* ↴

* Ma'arful Qur'an  ,*  
       
       ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞  Kaafiro Ka Tareeqa Akhtyar Karne Walo Ka Thikaana Jahannam Hai,*

          ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄

✯_ *Fitrate ilaahi Kï takhleeq mai Raddo Badal nahi ho sakta ,*

"_Allah Jalshanh ka irshad hai :- " Yahi Fitrate ilaahi hai Jis per usne logo ko paida kiya , Allah Kï Khalqat mai koi raddo badal nahi ho sakta ,isliye sidha Deen yahi hai ,lekin aksar log nahi jaante ," ( Surah Ar Room ,30)

✯_ Shah Wali Allah Dehalvi Reh farmate hai'n :- Daadhi ko kaatna majoosiyo ka tareeqa hai aur isme Allah Kï takhleeq ko badalna hai ,"

✯_Allah Jalshanh ka irshad hai , "Ey imaan walo ! Dakhil ho jao islam mai poore poore aur Shaitaan ke qadmo per na chalo ,be shak Wo tumhara khula Dushman hai ," ( Surah Al Baqrah ,318 )

✯_ Daadhi ka islam mai bahut bada muqaam hai Jo k Waajib ka darja rakhti hai , Qur'an e Paak Kï is aayat ne bataya k Daadhi mundane ya ek musht se kam rakhne wale poore islam mai dakhil nahi Hai'n , Apne aapko islam mai poora poora dakhil karna hai to fir Daadhi Mubarak rakhna zaroori hai,

✯_Allah Jalshanh ka irshad hai ,

"_ Aur Jo Shakhs sidhi raah maloom ho Jane ke baad bhi Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Kï mukhalfat kare aur momino Kï raah chhod kar ( Kaafiro Kï raah ) akhtyar kare to fir hum use ferenge jidhar wo firna chahe ,fir pahunchayenge hum use Jahannam mai aur bahut hi bura thikaana hai Wo Jahannam _" ( Surah Nisaa ,17 )

✯_,is aayat mai Do cheezo ko Jurme Azeem hona aur Jahannam mai dakhil hone ka Sabab bayan Farmaya hai , Ek mukhalfat e Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam aur Doosra jis kaam per Sab Musalman Muttafiq ho usko chhod kar uske khilaaf koi raasta Akhtyar karna , Jis tarah Qur'an v Sunnat per Amal karna Waajib hota hai usi tarah Ummat ka ittefaaq jis cheez per ho jaye us per Amal karna Waajib hai ,

"__Aur ek musht Daadhi Rakhne per ummat ka ittefaaq hai, koi bhi iska mukhalif nahi ,Lihaza miqdaar ke mutabiq Daadhi na Rakhne mai Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Kï mukhalfat bhi hai aur Musalmano ke raaste ko chhod kar gairo ka Tareeqa apnana bhi hai Jiska Anjaam Qur'an Kï Aayat Kï roshni mai Jahannam hai ,

  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε* ↴

* Khulasa az Ma'arful Qur'an,*  
       
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞ Hadees Mubarak se Daadhi Ka Saboot :- 1, Daadhi Mudwana Fitrat Ke khilaaf hai* 

          ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄

✯_ Daadhi kaatna islaam aur Deen to kya balki insaniyat ke bhi khilaaf hai , Yahi vajah hai k isko fitrat mai Shumaar kiya gaya hai ,

"__ Ummul Momineen Sayyada Ayesha Raziyallahu Anha farmati hai'n :- Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Das cheeze fitrat se hai'n, unme Do ye hai'n moonchho ka kaatna aur Daadhi ka badhana ,"

*Ref-$_* Sahih Muslim ,

✯_ Lafze fitrat ke Do maani Ulma se mashoor hai ,ek ye k isse muraad Deen hai aur doosra Wo tareeqa Jo Sab Ambiya Alaihissalam ka hai Jinke itteba ka hukm hua hai ,

*Ref-$_* Fatahul Baari ,

✯_ is Hadees se Daadhi Kï Shaan aur Azmat maloom hui ,Kyunki Jab Wo Deen hai to bager Daadhi ke insaan Be-Deen samjha jayega aur Tamaam Ambiya Alaihissalam Kï Sunnat hai to fir bager Daadhi ke rehna Sab Ambiya Alaihissalam Kï Sunnat ki khilaaf varzi hui aur Jama Shariyato ke saath bagawat thehri ,

   ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞  Islam mai Daadhi ke Safed Baalo Kï Ahmiyat,*

          ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄

✯_ Allah Ta'ala ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ne jaha'n Daadhi Rakhne ka hukm diya hai Waha'n Daadhi Ke safed baalo ko ukhaadne se mana farmaya hai , Jesa k irshade Nabvi hai ,

"__ Safed Baalo ko na ukhaado ,Kyunki Jiske islam  mai safed Baal hue Wo Qayamat ko uske liye Noor hoga ,"

*Ref-$_* Sahih Al Jami'a,7463

✯_ Ab ye safed Baal chahe Sar mai ho ya Daadhi mai ho ,Jesa k Anas Raziyallahu Anhu ne saaf Alfaaz kahe hai'n k ,

"_ is baat ko bhi makrooh khayal kiya jata tha k Koi Shakhs apne Sar ya Daadhi se ek bhi Safed Baal ukhade ,"

*Ref-$_* Muslim ,2341

✯_Aur hatta k Jo Shakhs Apni Daadhi ke Safed Baalo ko ukhaad ta hai, Umar Raziyallahu Anhu aur Abu Ya'ali ( Jo k madeena Tayyaba ke Qazi they ) ne iski gawahi v Shahadat qubool nahi Kï ,

"__Safed Baalo wale ( Budhe ) Musalman Kï izzat v ikraam karna ye Allah Ta'ala Kï tazeem karna hai ,"

*Ref-$_* Sunan Abu Daowd,

✯_ *Note :-* sar aur Daadhi ke safed Baalo ko mehndi se agar ranga jaye to ye Masnoon hai ,

✯_,Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu bayan karte hai'n k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Yahoodi aur isaa'i rangte nahi isliye tum unki mukhalfat karo ,"

*Ref-$_* Sahih Bukhari ,

✯_  Maqsad ye hai k Daadhi aur Sar ke Safed Baalo ko zardi ya surkhi ke saath rang diya jaye , *Lekin Siyaah ( Black ) rang se roka Jaye,*

*__ Hazrat Jaabir Raziyallahu Anhu bayan karte hai'n k Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ke Waalid Abu Qahafa ko Fateh Makka ke Din laya gaya ,unka Sar aur unki Daadhi sagama booti Kï tarah safed thi , is per Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k iske safed Baalo ko tabdeel karo ( Yani rang do ) albatta siyaah rang se bacho _"

*Ref-$_* Sahih Muslim ,

       ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞ Moonchho ko Past karne Aur Daadhi ko badhane Ka Hukm ,*

          ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄

✯_  , Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne hukm farmaya k moonchhe kataayi jaye aur Daadhi badhayi jaye ,

*Ref-$_* Tirmizi ,

✯_ Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Jo Shakhs moonchhe na kataye Wo humme se nahi ,

✯_iski Sharah mai Allama Qari Reh farmate hai'n k is Hadees se Zaahir hai k Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke farmane ka matlab is sunnat ke chhod ne wale ko darana ya khof dilana hai  k uski maut millate islaam per na hogi ,

*Ref-$_* Mirqaat ,

✯_Gor karna chahiye k jab moonchhe na katane per itni khofnaak waieyd hai k uski maut millate islaam per na hogi to uske doosre hisse Daadhi na rakhne per bhi yahi waieyd hogi , Kyunki dono ek hi hadees Paak ke jumle hai'n ,

✯_ Allama Thanvi Reh ne bhi fatawa imdadiya mai bayan farmaya hai k Shamail Tirmizi mai hai k hazrat Mugira bin Shoba Raziyallahu Anhu Rivayat karte hai'n k Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne hazrat Bilaal Raziyallahu Anhu Kï badi moonchhe taraash Dï ,

  *
       ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞ Daadhi Mard Ka Husn Hai aur Daadhi na rakhna Aurto'n se Mushabhat hai,*

          ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄

✯_Jaha'n Tak khoobsurati ka talluq hai to Asal baat ye hai k Daadhi hi Mard Kïwa khoobsurti hai ,Husno Jamaal aur Wajahat Kï Alaamat hai,

✯_Haafiz ibne Qayyim Reh. farmate hai'n k Daadhi Mard Kï zeenat hai aur Uska Waqaar aur Ta'azeem hai ,"

✯_Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam se Zyada Khoobsurat Kaun ho sakta hai ? Beshak Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam se Zyada Khoobsurat na koi paida hua hai aur na koi hoga aur Sahih Muslim Kï Rivayat hai k Muhammad Sallallahu Alaihivasallam Kï Mubarak bahut ghani thi _,

✯_Daadhi agar badsoorti ka baa'is hoti to Allah Ta'ala ise Mard ke chehre per hargiz na ugaata , Allah Ta'ala ka irshad hai :-

"__Beshak humne insaan ko Khoobsurat tareen saanche mai dhaala hai _"

*Ref-$_* At Teen ,4/95

✯_Allah Ta'ala ne Mard aur Aurat mai Jo imtiyazaat rakhe Hai'n unme se ek IMTIYAZ aur farq Daadhi hai , Daadhi ke Kaatne se Khoobsurati nahi balki Aurto'n se mushabhat Paida hoti hai ,Jo islam mai Na-Jaa'iz hai ,balki mardaangi ke khilaaf hai ,

       ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞  Duniya Ke Sabse Haseen Shskhs Ki Daadhi ,*

          ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄

✯_Jababe Muhammad Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se badh kar Kaynaat mai koi bhi Khoobsurat nahi tha,aur na hoga , Kya Aapke Chehra Mubarak per Daadhi thi ya Nahi ?

✯_ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu farmate hai'n k, Allah Ta'ala Ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam na zyada lambe they na bilkul chhote aur unke Sar aur Daadhi mai 20 safed Baal bhi nahi they,"

*Ref-$_* Bukhari,

✯_ Aur Anas Raziyallahu Anhu ne in Baalo Ki ginti khud bhi Ki hai aur farmate hai'n k ,Allah Ta'ala Ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam Ke Sar aur Daadhi Mubarak mai 14 safed Baal they,"

*Ref-$_* Tirmizi ,

✯_ Is Hadees se pehli baat to ye saabit Hoti hai k Aap Sallallahu Alaihivasallam Ke Daadhi Mubarak thi ,Doosri ye Saabit Hoti hai k Sahabi Raziyallahu Anhu Jinhone 10 saal khidmat Ki Unhone Daadhi aur Sar Ke safed Baal bhi shumaar kar rakhe they, Agar Daadhi ko Set kiya hota ,ya katwayi Hoti ya khat bsnwaya hota to ye Sahabi zaroor bayan farmate ,kyunki Baalo Ki ginti ko bayan kiya to ye baate bhi bayan karte ,?

✯_Ek aur Hadees Mubarak mai Daadhi Ki kaifiyat ko bayan kiya gaya hai ,

"__Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Ki Daadhi Mubarak is qadar Ghani thi k Seena Mubarak ko bhar deti thi ,

*Ref-$_* Tirmizi,

✯_, Mere Musalman Bhaiyo Zara Socho k humne jiska kalma padha hai aur Jo poori Kaynaat se Haseen tha , Unhone fitrate Allah ko apnaya aur unke baad khulfa e Rashideen aur tamaam Sahaba Kiraam  ne bhi is Sunnat ko seene se lagaya ,chunache unki bhi badi Dadhiya thi ,

"__ Hazrat Jaabir Raziyallahu Anhu sabhi Sahaba Ki haalat bayan farmate hai'n k ,Hum log yani Sahaba Kiraam hamesha Daadhi badaye rakhte they,magar Hajj ya Umrah karte to Qubza ( Ek musht bhar ) se zyada ko katwa diya karte they,"
,

  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε* ↴

* Dadhi Zaroor Rakhunga ,*  
       
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*☞  Itteba e sunnat Ko Laazim Pakde ,*

          ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄

✯_ Hazrat Mujaddid Alfisani Reh Kï Nasihat :--

"_ Sahibe Shariyat Sallallahu Alaihivasallam Kï taabedaari ko laazim pakde aur Duniya Kï zaibo zeenat Kï taraf tavajjoh na kare aur iske hone ya na hone Kï parvaah na kare ,

✯_Kyuki Duniya Duniya Haq Ta'ala Jal Shanhu Kï Dushman aur Na-pasandida hai , Allah Ta'ala ke nazdeek iski kuchh qadar nahi hai ,

✯_isliye munasib hai k Bando ke nazdeek iska khatm ho Jana iske vajood se behtar hai , iski Bewafaai aur Jald Door ho Jane ka qissa mashoor hai ,balki mushahide mai aa chuka hai,

✯_isliye Guzishta Murdo se Duniya wale ibrat haasil kare ,

  *❥═┄ ʀεғεʀεηcε* ↴

      * Maktoob , 1/ 74,*  
      

              *
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫

*✿ Daadhi Mundana 24 Ghante Ka Gunaah hai ,Masnoon Zindgi Guzariye ,Sachche Aashiqe Rasool Baniye , Daadhi mundana Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ka Dil Dukhana hai ,✿*

    *→ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others*
     ┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
✨⚡

No comments:

Post a Comment