Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Monday, September 25, 2017

SHAHADAT E HUSAIN RAZIYALLAHU ANHU PART 01 SE MUKAMMAL

🍀🎋                                      
     *◑Bismillahirrahmanirraheem◐*
         ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
    *◐ SHAHADAT-E-HUSAIN RD  ◐*
     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬

                    *◐ PART-01 ◐*

*☞ MUHARRAM UL HARAAM- FAZAIL O MASAIL*

*✬ MUHARRAM KI HAQEEQAT*

Sabse pehle baat yahan se chalti hai ke ye Mahina muazzam v mohatram hai ya Manhoos?? Baaz log ise manhoos samajhte hai'n aur vajah iski ye hai ke inke nazdeek shahadat bahut buri aur manhoos cheez hai aur chunki Hazrat Husain Rd. Ki shahadat isme hui hai isliye isme koi takreeb aur khushi ka kaam shadi, nikah vagerah nahi karte  iske bar-aks musalmano  ke yaha ye mahina mohatram, muazzam aur fazilat wala hai  Moharram ke ma'ani hi mohatram, muazzam aur muqaddas ke , Aam tor per ye khayaaL kiya jata hai ke is mahine ko isliye fazilat miLi ke  Hazrat Husain Rd ki shahadat is me hui, ye ghalat hai, is mahine ki fazilat islaam se bhi pehle se hai Bani israa'il ko Hazrat Musa Alayhissalam ke saath Fir'on se isi din me nijaat hui, is niyamat ke Adaaye  shukr ke tor per is din ke Roza ka hukm hua, aur bhi bahut si fazilat ki cheezen isme hui hai'n, Albatta yun kahenge ke Hazrat Husain Rd ki shahadat me ziyada fazilat isliye hui ke aise fazilat wale maah me waqa'i hui,  Jab se ye sabit hua ke ye mahina aur din afzal hai to is me nek kaam bahut zyada karne chahiye, Nikah vagerah , Khushi ki taqribaat bhi isme zyada karni chahiye, isse shadi me barkat hogi Lekin ye badi baat isliye ke bahut Dino se ye ghalat baate koot koot kar dil me bhari hui he, 100 saal ka Raam bhara hua jaldi se nahi nikalta, wo nikalte hi nikalta hai*

*✬ (01)   9 OR 10 MUHARRAM KA ROZA*

*☞ Sahi Bukhari me Hazrat Ibne Abbas Rd se Rivayat hai ke Janabe Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam Madina: Tayyaba me tashrif Laye to yahood ko dekha ke wo is din ko roza rakha karte hain, Aap sallallahu alaihivasallam  ne farmaya," Tum roza kyu rakhte ho? " kehne lage, ye bahut accha din hai is din me Haq Ta'aala ne bani israa'il ko unke dushman Firon se nijaat di thi, isliye Hazrat Musa Alayhissalam ne is din ka roza rakha, ye sunkar Aap sallallahu alaihivasallam  ne irshad farmaya, ke hum banisbat tumhare Hazrat Musa Alayhissalam  ki muvafqat ke zyada haqdaar hai'n, Fir Asp sallallahu alaihivasallam  ne khud bhi roza rakha aur Sahaba ikram Rd ko bhi is din Roza ka hukm diya,  Sahi Muslim me Hazrat Abu Haraira Rd se Rivayat he ke Ramzaan ke baad afzal roza Muharram ka hai, aur Farz namaz ke baad afzal namaz tahajjud ki namaz hai  Huzur Aqdas Sallallahu Alayhivasallam ki hayaat taiyaba me jab bhi Ashura ka din aata Aap sallallahu alaihivasallam  Roza rakhte lekin wafaat se pehle Jo Ashura ka din aaya to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Ashura ka roza rakha aur saath hi ye bhi irshad farmaya k 10 Muharram ko hum bhi roza rakhte hai'n aur Yahood bhi roza rakhte hai'n, jiski vajah se unke saath halki mushabhat paida ho jati hai, isliye agar me Aa'inda saal zinda raha to sirf Ashura ka roza nahi rakhunga baLki uske saath ek roza aur mila'unga, 9 Muharram ka roza bhi rakhunga taki Yahoodiyo'n ke saath mushabhat khatm ho jaye, Lekin agle saal Ashura ka din Aane se pehle Huzur Aqdas sallallahu alaihivasallam  ka visaal ho gaya aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ko is per amal ka moqa nahi mila, lekin chunki Aap Sallallahu Alaihivasallam ne ye baat irshad farma di thi isliye Sahaba ikram Rd ne Ashura ke roze me is baat ka ahatmam kiya aur 9 ya 11 Muharram ka ek roza aur mila kar rakha, aur isko mustahab qaraar diya aur tanha Ashura ka roza rakhne ko Huzur SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam  ke irshad ki roshni me makrooh tanzihi aur khilafe awla qaraar diya,*

*☞  RasooL e  Akram Sallallahu Alyhivasallam ke is irshad me hume ek sabaq aur miLa ke gair muslimo'n ke saath Adna mushabahat bhi Huzur SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam  ne pasand nahi farmayi haLanke wo mushabahat kisi bure aur najaa'iz kaam me nahi thi baLke ek ibadat me mushabahat thi ke is din Jo ibadat wo kar rahe hai'n, usi din hum bhi wahi ibadat kar rahe hai'n, Lekin Aap Sallallahu Alaihivasallam ne isko bhi pasand nahi farmaya, -kyu? isliye ke Allah ta'ala ne musalmano ko deen ata farmaya hai wo saare Deeno se mumtaaz hai Jab ibadat, bandagi aur neki ke kaam me bhi Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne mushabahat pasand nahi farmayi to aur kaamo me musalman agar unki mushabahat Akhtiyaar kare to kitni buri baat hogi, agar ye mushabahat jaan boojh kar is maqsad se Akhtiyaar ki jaye ke un jesa nazar Aaou'n to ye Gunahe Kabeera hai*

 
*✬ (02)  10 MUHARRAM ME PESH AANE WALE AHAM WAQIYAT*

*☞ 1- Hazrat Aadam Alaihissalam ki toba ki MaqbooLiyat,*

*☞ 2- Firon se Hazrat Moosa Alaihissalam.aur unki qaum ki nijaat,*

*☞ 3- Kashti e Nooh Alaihissalam isi din Jodi pahaad par thehri,*

*☞ 4- Hazrat Yunus Alaihissalam isi din MachhLi ke pet se bahar aaye*

*☞ 5- Hazrat Yusuf Alaihissalam ka Kunve se nikalna,*

*☞ 6- Hazrat Isa Alaihissalam ki wiladat aur Aasmano par uthaya Jana,*

*☞ 7- Hazrat Daoud Alaihissalam ki toba,*

*☞ 8- Hazrat Ibrahim Alaihissalam ki wiladat,*

*☞ 9- Haztat Ya'aqoob Alaihissalam ki binaayi ka lotna,*

*☞ 10- isi din Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki AgLi pichhLi Laghzishe Haq Ta'aala ne maaf kar di,*

*☞  Ye 10 Waqiyaat Sharah Bukhari me hai'n, iske alawa baaz kutub me aur bade bade waqiyaat ko shumar kiya hai Jo Ashura ke din hue, chand ye hai'n -*

*☞ 1- Hazrat Aadam Alaihissalam ka nabuwat ke liye muntkhab hona,*

*☞ 2- Hazrat Idrees Alaihissalam ka Aasmano ki taraf uthaya Jana,*

*☞ 3- Haq Ta'aala ka Hazrat Ibrahim Alaihissalam ko khalifa banana,*

*☞ 4- Huzur Akram Sallallahu Alaihivasallam ka Hazrat Khadija Radiyallahu anha se Nikah bhi isi din hua,*

*☞ 5- isi din Qayamat Qayam  hogi,*

*☞ 6- is din me Sayyadna Hazrat Husain Radiyallahu anhu ki shahadat ka waqiyaa pesh aaya,*

*✬  AHAL O AYAAL PAR VUS'AT*

*☞  Imaam Behki Rh ne Hadees bayaan farmayi hai ke Janabe Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya, Jo Shakhsh Ashura ke din AhaL o AyaaL par vus'at karega Allah ta'ala saare saal farakh Rozi ataa farmata hai Hadees ke Raavi Hazrat Sufiyan bin Ayniyah Rd farmate hain ke humne Tajurba kiya hai isko durust paya hai magar isko zaroori na samjhe Or na had se ziyada  Ahtamam kare aur jab Ahal o Ayaal par vus'at kare to ghareeb hamsaya ke yaha bhi bhejo*

*✬ MUHARRAM AUR ASHURA KE DIN NAJAA'IZ KAAM*

*☞ ( 01)- Maatam, Noha, karna aur Sog Manana*

*☞ Maahe Muharram ko baaz Log manhoos Mahina  samajhte hain haLanke ( jesa pehle guzar chuka) ye Mahina Mubarak hai bade bade Azeem waqiyaat is maah me pesh aaye hain, Kayi Log is maah me khususan Ashura ke din Maatam karte hain, aur gham ka izhar karte hain, ye gunah hai, islaam hume sabr aur istqamat ki taleem deta hai, zor zor se Rona peetna, kapde faadna, chhatiyo ko peetna, islami talimaat se koso door hai Islaam ka hukm ye hai ke kisi ke marne se 3 din ke baad gham ka izhar na Karo aur na hi sog manao, sirf Aurat apne shohar ke marne ke baad 4 maah 10 din sog manaye, Shohar ke alawa kisi aur ka chahe wo baap ho, bhai ho ya beta 3 din se zyada sog manana jaa'iz nahi  Sahi Bukhari ki hadees he ke Ummul Momineen Hazrat Umme Habiba Raziyallahu anha ko apne walid ki wafaat ki khabar pahunchi to 3 din ke baad khushbu mangayi aur chehre ko lagayi aur farmaya- Ke mujhe iski zaroorat nahi thi ( kyuki budi ho chuki thi aur khawind yani Huzur Sallallahu Alaihivasallam ki wafaat ho chuki thi) lekin mene baap ka sog khatm karne ke liye khushbu lagayi kyu ke mene Huzur Sallallahu Alaihivasallam se suna ke kisi musalman aurat ke liye 3 din se zyada sog manana jaa'iz nahi, is Hadees Mubarak se maloom hua ke 3 din se zyada sog Manana jaa'iz nahi, baaz log Sayyadna Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ka Sog manate hain, Muharram me acche kapde nahi pehante, bivi ke qareeb nahi jate, charpaiyon ko Ulta kar dete hain vagera vagera, halanke Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ki shahadat ko taqriban 1400 saal se bhi zyada ho chuke, ye na-waqfiyat ki baate hain, Allah ta'ala hum sabko hidayat par rakhe,Or tamaam baton par AmaL karne ki tofeeq ata farmaye Aameen ya rabbul AaLameen,*

*✬  (02) - ISAALE SAWAB KE LIYE KHANA PAKANA*

*☞ Muharram ke mahine me biL khusoos 9 vi, 10 vi aur 11 vi Tareekh me khana paka kar Hazrat Husain Radiyallahu Anhu ki Rooh ko isaale sawab karte hain, Isaale sawab ka sabse afzal tareeqa ye hai ke apni haisiyat ke mutabiq Naqad Raqam kisi khair ke kaam me Laga de ya kisi mohtaz miskeen ko de de, ye tareeqa isliye afzal hai ke isse miskeen apni har hajat poori kar sakega aur aaj use koi zaroorat nahi to kal ki zaroorat ke liye rakh sakta hai, ye Surat dikhawe se bhi paak hai  Hadees Paak me makhfi( secret) sadqa  dene wale ki ye fazilat warid hui hai ke aise Shakhsh ko Allah ta'ala baroze qayamat arsh ke saaye me jagah inayat farmaenge jabke koi aur saaya na hoga aur shadeed garmi se log paseeno me gharq ho Rahe honge, Fazilat ke lihaaz se doosre darje par ye Surat hai ke miskeen ki haajat ke mutabiq sadqa diya jaye yani uski zaroorat ko dekh kar use poora kiya jaye, Ye isaale sawab ki sahi suraten hain,*

*✬ (03) -10 VI MUHARRAM KI CHHUTTI*

*☞ Kayi log 10 vi Muharram ki chutti karna zaroori samajhte hain aur isko Sayyadna Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ki shahadat ka sog samajhte hain, halanke 3 din ke baad sog manana jaaiz nahi hai aur shariyat ne kisi bhi din  kaam kaaj karne se mana nahi kiya, Namaze juma aur Namaze eid ke baad bhi apna karobaar kar sakte hain,*

*☞   (04)- QABRO KI LEEPA POTI*

*☞  Qabro ki Leepa Poti jaa'iz hai Lekin is kaam ke liye sirf maahe muharram ko muqarrar karna durust nahi, Jab bhi moqa ho Leepa poti kara sakte hain, Qabro'n ki ziyarat sawab hai kyu ke inko dekhne se maut yaad aati hai magar is kaam ke liye 10 Muharram ko muqarrar karte hai'n aur saal me sirf isi din qabristan jate hai'n aur aage pichhe kabhi bhool kar bhi nahi jate, ye sahi nahi hai kuch log Ashura ke din qabro'n per sabz chadiya'n rakhte hai'n aur ye samajhte hain ke isse murde ka Azaab taL jata hai, is amal ke iltzam me bahut kharabiya hain maslan gair Laazim ko Laazim samjha jata hai baaz log Azaab taL jane ko Laazmi khayaaL karte hai'n aur ye sahi nahi,*

*☞ (05)  QABRO KI ZIYARAT KE MASAIL,*

*☞  Qabro ke paas se Guzre to AssaLaamu Alaikum  warahmatuLLahi wabarakatuh   ya AhLaL quboor " keh Lena chahiye, Qabristan Jane ke liye koi din or koi khaas waqt ki taleem nahi di gayi, jab chahe ja sakte hain, lekin Qabristan Jane ka maqsad isaale sawab or ibrat hasil karna ho Shabe Baraat or Jume ke din qabristan Jana sabit hai  Buzurgo ke mazaraat per Jana jaa'iz hai lekin Mannat mangna, ya meLe  bharana, chadar chadana, Bakra zibah karna, Chadhava chadhana najaa'iz or haraam hain*

*☞ (06)  QABRISTAN ME DUA OR FATIHA KA TAREEQA,*
               
*☞ Sabse pehle Salam karna, phir jis qadar mumkin ho unke liye Dua, Astaghfaar kare or Qurane Kareem padh kar isaale sawab kare,  Baaz rivayaat me Surah fatiha, Surah Yaseen,Surah Tabarakallazi, Surah ZiLzaaL, Surah Takasur, Surah IkhLaas, Ayatal kursi  ki fazilate aayi hai Qabar ki taraf moonh kar ke Dua na kare, Fatawa Aalamgeeri me (safa 350,jild 5) me likha hai ke Qabar per Fatiha, isaale sawab ke liye Dua manage to Qabar ki taraf Rukh na kare baLke Qabar ki taraf pusht kare or QibLe ki taraf moonh kar ke Dua manage Qabar par buLand awaz se Qurane Kareem padna makrooh hai, Ahista padh sakte hain Qabristan me Aurto'n  ke Jane me ikhtilaf hai,, sahi ye hai ke jawaan Aurte'n hargiz na jaye, Budhi ( old ) Aurte'n ja sakti hain Lekin waha koi khilafe shara koi kaam na kare to gunza'ish hai*

*📂Aapke masail aur unka Hal,Jild-3*
 

*☞ (07)  -MAJALIS E SHAHADAT*

*☞  Yaume Ashura ko yaume Shahadat Sayyadna Hazrat Husain Raziyallahu Anhu gumaan karna bhi Ahkaame Maatam o Noha girya o zaari or beqarari karna aur ghar ghar MajLise shahadat me shahadat nama ya wafaat nama bayan karna, khaaskar asaL Rivayaat ke khilaf, Ye haraam hai Hadees Paak me Aap Sallallahu Alaihivasallam ne marsiyo ( wafaat nama ) se mana farmaya hai aur khilafe rivayat bayan karna  sab avbaab me haraam hai*

*⚄→ (08) - SABEEL LAGANA, SHARBAT KHICHDA, TAQSEEM KARNA*

*☞ Taqseeme sharbat, khichda, jisme Riya, dikhave ka khaas dakhaL hai, aur har gani ( Rich) aur faqeer ko iska Lena aur isko tabarruk jaanna aur Jo na Le usko bura samajhna, us per Laan taan karna,Doodh, sharbat ki  SabeeL Lagana aur uske liye chanda karna aur na dene wale ko bura kehna, khaas kar in Dino me karna  agar jaan boojh kar sawab ki niyat se karta hai to ye Bid'at zaLaLa hai aur kisi aur Sadqaat ka Lena gani ( rich), ko makrooh hai aur Sayyad ko haraam hai aur na Lene wale ko Laan taan karna Fasq hai Faqat Wallahu Aalam*

*☞ (09) - MUHARRAM ME SHAADI NA KARNA*

*☞ Muharram, Safar aur Shaban me shadi na karna is Aqeede per mabni hai ke ye mahine Manhoos hain, isLasm is nazariye ka qaa'iL nahi, Muharram me Sayyadna Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ki shahadat hui hai magar isse ye Laazim nahi aata ke is mahine me Aqd Nikaah mamnu'a ho gaya, warna har mahine me kisi na kisi shakhsiyat ka visaaL hua hai, Jo Hazrat Husain Raziyallahu Anhu se bhi buzurgtar the, isse ye Laazim Aayga ke saaL ke 12 mahino me kisi me bhi Nikaah na kiya jaye, phir shahadat ke mahine ko Sog  nahusat ka mahina samajhna bhi ghaLat hai,*

*✬ 2- MUNKIRAAT-E-MUHARRAM*

*☞ (01) - Sayyadna Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ko imaam kehne ki Kya Haisiyat hai  Imaam ka lafz ahle haqq ke yaha bhi istemal hota hai aur Shiya ke yaha bhi,  Ahle haq ke yaha iske ma'ani Peshwa, Rehbar, aur Muqtada ke hain  Ahle Tashee'a ( Shiya Log) ke yaha imaam Aalimul gaib aur masoom ke hote hain, unke yaha imaam ka darja Nabiyo'n se bhi bada hota hai  Zahir hai is lafz ( imaam) ke istemal me hum to wahi matLab maLhooz Rakhte hai'n Jo ahLe haqq ke yaha hai, is Aytabaar se tamaam Sahaba ikram, Taba'ien, Awliya Allah aur Ulama imaam hain, isliye imaam Abu Bakar, imaam Umar, imaam Usman, imaam Ali, imaam Abu Haraira Raziyallahu Anhum kehna chahiye  Rasulullah Sallahu Alaihivasallam ne farmaya " Mere sab Sahaba sitaaro'n ki manind hai'n, " Yani sab ke sab imaam hai'n, jiski chaho iqteda kar Lo, har sitaare me Roshni hai jisse chaho Roshni haasiL kar Lo, is maa'ani me saare Sahaba ikram Raziyallahu Anhum imaam hai'n, Sochne ki baat ye hai ke log imaam Abu Bakar nahi kehte, imaam Umar nahi kehte, imaam Hasan aur imaam Husain hi kehte hai'n, MaLoom hua ke ye asar musalmano me kahi gair se aaya hai Shiyao'n ka asar musalmano me sarahat kar gaya, Agar ahle haqq Ulama me se kisi ne in Hazraat ko imaam kaha hai to unhone iske sahi maa'ani ( Peshwa, Rehbar aur muqtada) me imaam kaha hai magar isse mughaalta zaroor hota he isliye isse ahatraaz zaroori hai*

*☞ (02) -ALAIHISSALAM KA ITLAAQ*

*☞ aise hi Sayyadna Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ko Alaihissalam bhi wahi Log kehte hai'n Jo unhe Ambiya Alaihissalam ka darja dete hai'n, isse bhi ahatraaz Laazim hai Jis tarah Raziyallahu Ta'aala anhu ke Dua'e kalimaat Likhe aur kahe jaate hain, aise hi Dua'e kalimaat Hazraate Hasnain Raziyallahu anhum ke saath bhi likhe aur kahe jaye*  

*☞ (03) - MUSALMANO KE NAAMO ME AHLE TASHEE'A KA ASAR*

*☞  Musalmano ke naamo me bhi Shiyao'n ka asar paya jata hai maslan asal naam ke saath jis tarah mahaz tabarruk ke liye Muhammad. aur  Ahmed milaane ka dastoor hai isi tarah Ali, Hasan, Husain milaya jata hai Siddiq Farooq, Usman aur ya kisi aur Sahabi Ka naam bator tabarruk asal naam ke saath milane ka dastoor nahi Nisbate ghuLaami bhi Hazrat Ali, Hazrat Hasan, Hazrat Husain Raziyallahu Anhum ki taraf to ki  jati hai magar aur kisi Sahabi ki taraf nahi ki jati, Aurto'n me bhi Kaneez Fatima ka naam to paaya jata he magar Kaneez Khatija, Kaneez Aaisha aur digar Azwaaz e Mutahraat aur Kaneez Zainab, Kaneez Kalsum( Sahab zadiyo'n) Raziyallahu Anhuma kahi sunayi nahi deti, Isse bhi badh kar Altaf Husain, Fazal Husain aur Faizul Hasan jese Shirkiya naam bhi musalmano me bakasrat paye jate hai'n,*

 
*☞ (04) - TAAZOYA KA JULOOS AUR MAATAM KI MAJLIS DEKHNA*

*☞ In Dino musalmano me kaseer Tadaad maatam ki majlis aur Taaziya ke juloos ka nazara karne ke liye jama ho jati hai, inme kayi gunaah hain,  Pehla gunaah ye hai ke isme dushmanane Sahaba Raziyallahu Anhum aur dushmanane Quraan ke saath mushabhat hai Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ka irshad hai Jisne kisi qaum se mushabhat ki, wo usi me shumar hoga, " Holi ke din ek buzurg ja rahe the unhone mazaak ke tor par ek Gadhe par paan ki peek daaL kar farmaya ke tujh par koi rang nahi phenk raha, Le tujhe me rang deta hu,, marne ke baad is par giraft hui ke tum hoLi kheLte the aur Azaab me giraftar hue Doosra gunaah ye hai ke isse un dushmanane islaam ki Ronaq badti hai dushmano ki ronaq badana bahut bada gunaah hai  Teesra gunaah ye he ke jis tarah ibaadat ko dekhna ibaadat hai usi tarah gunaah ko dekhna bhi gunaah hai  Chotha gunaah ye hai ke is maqaam par Allah ta'ala ka ghazab naziL ho raha hota hai, aisi ghazab wali jagah jana bahut bada gunaah hai*

*☞ Ek baar Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Or Sahaba ikraam Raziyallahu Anhum ka guzar aisi bastiyo'n ke khandraat par hua jin par azaab aaya tha Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne apne sar Mubarak par chaadar daaL Li Or sawari ko bahut tez chaalakar us maqaam se jaLdi se guzar gaye, Jab Sayyadul Avvaleen val Aakhireen Rehmatul Aalameen Sallallahu Alaihivasallam ghazab  azaab wali jagah se bachne ka ahatmam farmate the to awaam ka kya hashr hoga, sochna chahiye ke agar Allah ta'ala ke dushmano ke kartooton se us waqt koi azaab Aa gaya to kya sirf nazara karne ke liye jama hone wale musalman is azaab se bach jayenge Hargiz nahi,  balke azaabe akhirat me bhi ye log unke saath honge, Allah ta'aala mustahiqe azaab banane wali bad Amaaliyo'n se bachne ki tofeeq ata farmaye, ye bhi khayal rahe ke jis tarah Mubarak Dino me ibaadat ka zyada sawab h!ai isi tarah ma'asiyat par zyada azaab hai Allah ta'ala sabko deen ki sahi faham aur kaamiL itteba'a ki niyamat ata farmaye, Ameen ya Rabbul Alameen,*

*✬ 3- FAZAILE AHLE BAIT NABVI SALLALLAHU ALAIHIVASALLAM*

*☞  (01) - AHLE BAIT KI AVVALEEN MiSDAAQ AZWAAJ E MUTAHIRAAT HAIN*

*☞ Ye ek haqeeqat hai jisme kisi shak o Shuba ki gunza'ish nahi ke Ahle Bait ka Lafz Qurane Kareem me azwaaj e mutaharaat ke liye hi istemal hua hai Surah Al-Ahzab, Verse 33:me Azwaaj e Mutaharaat ko kuch khaas hidayat dene ke baad farmaya gaya,*

*إِنَّمَا يُرِيدُ اللَّهُ لِيُذْهِبَ عَنكُمُ الرِّجْسَ أَهْلَ الْبَيْتِ وَيُطَهِّرَكُمْ تَطْهِيرًا*

*☞ Jiska matlab ye hai ke,   humare paighambar ki biviyo'n tum ko Jo ye khaas hidayate di gayi hain inse Allah ta'ala ka maqsad tumko zahmat o mashaqqat me mubtila karna nahi hai baLke Allah ta'ala ka iraada in hidayaat se ye hai ke tumko har qism ki Zaahiri baatini burayi or gandgi se paak saaf kar diya jaye,"  Jo shakhs Arbi zuban ki kuch bhi waaqfiyat rakhta hai usko Surah Al-Ahzab ka ye pura Ruku padne ke baad is me koi shak Shuba nahi hoga ke yahan Ahle Bait ka lafz Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki Azwaaje mutaharaat ke liye istemal hua hai  Lekin ye kesi ajeeb baat hai ke Quraan par imaan rakhne wale hum musalmano ka haal aaj ye hai ke Ahle Bait ka Lafz sunkar humara zahan azwaaj mutaharaat ki taraf bilkul nahi jaata baLke Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Shahabzadi Hazrat Fatima Zohra Raziyallahu Anha Or unke Shohar Hazrat Ali Murtuza Raziyallahu Anhu aur dono ki zurriyat ( Hazraat Hasnain Raziyallahu Anhum) hi ki taraf jati hai,*

 

*☞ → (02) - AHLE BAIT AUR HUZUR SALLALLAHU ALAIHIVASALLAM KI DUA* 

*☞ isme koi shak Shuba ki gunzaish nahi ke Ahle Bait ka lafz Quran paak me Azwaaj e Mutaharaat( Aap Sallallahu Alaihivasallam ki paak Biviyo) ke liye istemal hua he aur wohi iske avvaleen misdaaq hai'n,  Albatta Hadees Paak se ye baat saabit he ke jab Surah AL-AHZAB ki ye aayat ( aayat no.33) naziL hui  to Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne apni Sahabzadi Hazrat Fatima Raziyallahi Anha, unke do no Sahabzado'n (Hazrat Hasan aur  Hazrat Husain Raziyallahu Anhum) aur unke saath unke Shohar Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ko ek chaadar me apne saath lekar Dua farmaiyi  Ay  Allah !  Ye bhi mere Ahle Bait hai'n, inse bhi har tarah ki burayi aur gandgi ko door farma de aur inko mukammal tor per paak saaf farma de,"  Bila shubha Huzur e Sallallahu Alaihivasallam ki ye dua qubool hui aur ye Hazraat bhi Ahle Bait me shamiL ho gaye,  Algharaz baat ye he ke Azwaaj e Mutaharaat( Aap Sallallahu Alaihivasallam ki paak Biviya'n)  Ahle Bait me se nahi hain baLke is lafz ki misdaaq sirf Aap Sallallahu Alaihivasallam ki ek beti, ek damaad aur do nawase hain, na to zuban ke Lihaaz se durust hai aur na Quraan Hadees se sabit hai baLke ek khaas firqe ke fankaro ki saazish ke natije me is ghalti ne ummat me urfe Aam ki haisiyat Akhtyar kar li, aur hamari saada diLi, bholepan ki vajah se is tarah ki bahut si doosri ghalat  baato ki tarah isko bhi qabooLe Aam hasil ho gaya, jesa ke arz kiya ja chuka he k halat ye ho gayi ke " Ahle Bait" ka lafz sunkar humare acche padhe likhe ka bhi zehan azwaaj e mutaharaat ki taraf nahi jaata Jo Quran Majeed ki Ayat se is lafz ki avvaleen misdaaq hai'n,*

  *Wallahu Muvaffiqu va Huval Musta'aani*

*☞ → (03)  AZWAAJ MUTAHARAAT RAZIYALLAHU ANHUMA*

*☞ Jesa ke Hadees Sharif ki mustanad Rivayat se maLoom hota he ke RasooLuLLah Sallallahu Alaihivasallam ki Azwaaj Mutaharaat Jo mankuha bivi ki haisiyat se aapke saath thodi ya ziyada muddat rahi wo kul 11 hain, inke isme girami ye hai'n,*
               
*☞ 1- Hazrat Khadija Rd bint Khuveld,*

*☞ 2- Hazrat Sauda Rd bint Zama'a,*

*☞ 3- Hazrat Aaisha Rd bint Abu Bakar Rd,*

*☞ 4- Hazrat Hafsha Rd bint Umar bin Khattab Rd,*

*☞ 5- Hazrat Zainab Rd bint Khuzema,*

*☞ 6- Hazrat Umme Salma Rd bint Abi Ummyya,*

*☞ 7- Hazrat Zainab Rd bint Jahash,*

*☞ 8- Hazrat Juveriya Rd bint Haris bin Abi Zaraar,*

*☞ 9- Haztat Umme Habiba Rd bint Abu Sufiyan Rd,*

*☞ 10- Hazrat Safiya Rd bint Hayi bin Akhtab,*

*☞ 11- Hazrat Memuna Rd bint Haris,*

*☞ inme se Hazrat Khadija aur Hazrat Zainab bint Khuzema Raziyallahu Anhuma ki wafaat Huzur Sallallahu Alaihivasallam ki hayaat me hui,  Baaz Rivayaat se maLoom hota he k in 11 ke alawa Banu Qureza me se Hazrat Rihana Sham'un ke muta'alliq maloom hota hai ke jab Yahood  Banu Qurez ki gaddari ki vajah se Huzur Sallallahu Alaihivasallam ne unke khilaf karrwayi ki aur unki baqaya ko giraftaar kiya gaya to unme Hazrat Rihana bhi thi, baaz kehte hain ke inhone islaam qubool kar liya to inko azaad karke Huzur Sallallahu Alaihivasallam apne nikah me le liya, lekin baaz Rivayaat me inko Huzur Sallallahu Alaihivasallam ki mankul bivi ka sharf hasil nahi hua, balki ek baandi ki haisiyat se aapke saath rahi, aur Huzur Sallallahu Alaihivasallam ki hayaat me hi hajjatul Vida ke baad  wafaat payi,*

         *Wallahu Aalam*

 

*☞  (04) - SARWARE DO AALAM MUHAMMAD SALLALLAHU ALAIHIVASALLAM KI AWLAAD MUBARAK -1*

*☞ Huzur Sallallahu Alaihivasallam ki AaLaad ke bare me aqwaal mukhtalif hain, sabse zyada motbar aur mustnad qoL ye he ke 3 Sahabzade Hazrat Qasim, Hazrat Abdullah( inko Tayyab aur Tahir ke naam se bhi pukara jata tha)  aur Hazrat Ibrahim aur 4 Sahabzadiya Hazrat Zenab,Hazrat Ruqayya,  Hazrat Umme Qulsoom,aur Hazrat Fatima Raziyallahu Anhuma thi,  Hazrat Qasim Aapki Awlaad me sabse pehle Hazrat Qasim paida hue aur sirf 2 saal hayaat rahe,  be'ashat nabvi se pehle hi inteqal kar gaye, Aap Sallallahu Alaihivasallam ki kunniyat Abu Qasim inhi se intsaab thi,  Hazrat Zainab Raziyallahu anha Aap Sallallahu Alaihivasallam ki sahabzadiyo me sabse badi hai'n, be'asat se 10 saal pehle paida hui aur islaam Layi, Badar ke baad hijrat ki, khalazad bhai Hazrat Abul Aas bin Rabi'a se nikah hua, aur 8 hijri me inteqal hua, Ek sahabzade Hazrat Ali aur ek sahabzadi Hazrat Umama Raziyallahu Anha apni yaadgar chhordi,Hazrat Fatima Raziyallahu Anha ke inteqal ke baad Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne Hazrat Umama Raziyallahu Anha se nikaah kiya aur jab Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ki shahadat hui to Aapne Mugira bin Nofil ko vasiyat ki ke tum Umama se nikaah kar Lena,*

 
*☞ (05) - ABU LAHAB OR USKE BETON KI BADBAKHTI*

*☞ Hazrat Ruqaiya Raziyallahu Anha aur Hazrat Umme Kulsoom Raziyallahu Anha dono Sahabzadiya'n Abu Lahab ke beto se mansoob thi, Hazrat Ruqayya Rd Utba se aur Hazrat Umme Kulsoom Rd Uraiba se faqat nikaah hua tha, Rukhsati nahi hui thi, Jab " Tabbat yada Abi Lahab" naziL hui to do no beto'n ne baap ke hukm se dono Sahabzadiyo'n ko taLaaq de di,*

*☞ (06) - HAZRAT RUQAYYA RAZIYALLAHU ANHA*

*☞ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Hazrat Ruqayya Rd ka nikaah Hazrat Usman Raziyallahu Anhu se kiya, Hazrat Usman Rd ne jab Habsha ki hijrat ki to Hazrat Ruqayya Rd bhi aapke saath thi, waha'n inke ek bachcha paida hua jinka naam Abdullah rakha gaya, Jo 6 saal zinda reh kar inteqal kar gaya, Jis waqt Aap Sallallahu Alaihivasallam gazwa e badar ke liye rawana hue to Hazrat Ruqaiya Rd bimaar thi is vajah se Hazrat Usman Rd Gazwa e badar me shareek na ho sake, unki zimaardari me rahe,  Jis Din Hazrat Zaid Rd bin Haris islaam ki Fatah ( Badar Fatah ) ki khabar Lekar Madina Munavvara aaye, Hazrat Ruqaiya Rd ne inteqal farmaya, us waqt unki umar 20 saal thi,*
 

*☞ (07) - HAZRAT UMME KULSOOM RAZIYALLAHU ANHA*

*☞  Hazrat Ruqayya Raziyallahu Anha ki wafaat ke baad maahe Rabiul Avval 2 hijri me Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke nikaah me aayi, 6 saal Hazrat Usman Rd ke saath rahi aur koi awlaad nahi hui, maahe Shaban 9 hijri me inteqal kiya,*

*☞ (08) -HAZRAT USMAN RAZIYALLAHU KI AZMAT*

*☞ Hazrat Umme Kulsum Rd ka inteqal ho gaya to Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne ye irshad farmaya ke agar meri 10 betiya'n bhi hoti to ek ke baad ek digar Usman ki zojiyaat me deta rehta,*

*⚄→ (09) - HAZRAT IBRAHIM RAZIYALLAHU ANHU*

*☞ Hazrat ibrahim Rd Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Aakhri awlaad hain Jo Hazrat Maariya Qibtiya ke badan se zilhijja 8 hijri me paida hue, taqariban 15-16 Maah aap zinda rahe, 10 hijri me inteqal hua,*

*☞ (10) - HAZRAT FATIMA RAZIYALLAHU ANHA*

*☞  Hazrat Fatima Raziyallahu Anha Aap Sallallahu Alaihivasallam ki sabse chhoti beti thi, Johra aur Batool ye do aapke Laqab the, Baisat ke pehle saaL me paida hui aur ibne jozi Rh kehte he ke baisat se 5 saal pehle paida hui jab Quresh khana kaaba ki tameer kar rahe the, 2 hijri me Hazrat Ali Raziyallahu Anhu se nikaah hua, ek qol ke mutabik Hazrat Fatima Rd us waqt 15 saal sade 5 maah Hazrat Ali Rd 21 saal 5 maah, aur doosre qol ke mutabik Hazrat Fatima Rd 19 saal ded maah aur Hazrat Ali Rd 24 saal ded maah thi, Aap Sallallahu Alaihivasallam ki wafaat ke baad Ramzan 11 hijri me inteqal farmaya, Hazrat Fatima Rd Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki sabse zyada mehboob thi, baar baar Aapne farmaya k,  "Aye Fatima !  Kya tu is per raazi nahi ke tu jannat ki tamaam aurto'n ki sardaar he, " Jab aap safar me jate to sabse Aakhir me Hazrat Fatima Rd se milte aur jab safar se wapas aate to sabse pehle milte,  Hazrat Fatima Rd ki 5 awlade'n hui, 3 ladke ( Hazrat Hasan, Hazrat Husain aur Hazrat Mohsin Raziyallahu Anhum ) aur 2 ladkiya'n ( Hazrat Umme Kulsoom Rd aur Hazrat Zenab Rd) Sivae Hazrat Fatima Rd ke aur kisi sahabzadi se Aap Sallallahu Alaihivasallam ki nasal ka silsila nahi chala, Hazrat Mohsin bachpan me inteqal kar gaye, Hazrat Umme Kulsoom Rd se Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne nikaah farmaya aur Hazrat Zenab Rd ka nikaah Abdullah bin Jaafar Raziyallahu Anhu se hua,*
 
*☞ (11) - HAZRAT HUSAIN BIN ALI RAZIYALLAHU ANHU*

*☞  Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke doosre nawase aur Hazrat Ali Rd or Hazrat Fatima Rd ke chhote sahabzade Hazrat Husain Rd ki wiladat Shaban 4 hijri me hui, Aap Sallallahu Alaihivasallam ne hi inka naam Husain rakha, inko shehad chataya, inke moonh me apni zaban mubarak dakhil kar ke luaab mubarak ataa farmaya aur inka aqeeqa karne aur Baalo ke hum-vazan  chandi sadqa karne ka hukm diya, Apne bade bhai Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ki tarah Hazrat Husain Raziyallahu Anhu Huzur e Sallallahu Alaihivasallam ke mushabe the, Jab Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki wafaat hui to inki umar sirf 6 ya 7 saal thi, Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ke Aakhri zamana e khilafat me Aapne jihaad me shirkat shuru ki, Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke zamane me jab baaghiyon ne unke ghar ka muhasba kiya to Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne apne dono beto Hazrat Hasan aur Hazrat Husain  ko unke ghar ki hifazat ke liye muqarrar kar diya tha, Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ki shahadat ke baad jab Hazrat Hasan Rd ne Hazrat Muaviya Raziyallahu Anhu se sulah kar ke khilafat se dast bardari ke iraade ka izhaar kiya to Hazrat Husain Rd ne bhai ki raaye se ikhtilaf kiya lekin bade bhai ke Ahatram me unke faisle ko tasLeem kar liya,  Albatta jab Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ki wafaat ke baad jab Hazrat Muaviya Raziyallahu Anhu ne apne bete Yazeed ki khilafat ki bait li to Hazrat Husain Raziyallahu Anhu isko kisi tarah bardaast na kar sake aur Yazeed ke khalifa ban jane ke baad Jihaad ke iraade se Madina Tayyaba se Kuffa tashreef Le gaye aur Karbala ka waqiya pesh aaya, Aap waha'n 10 Muharram, 61 hijri ko shaheed kar diye gaye,*

        *Raziyallahu Anhu va Arzah*

*☞ (12) - HAZRAATE HASNAIN RAZIYALLAHU. KE FAZAIL*  

*☞ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke nawase aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ke Sahabi hone ka sharf hi kya kam he phir Aap Sallallahu Alaihivasallam ko Hazraate Hasnain Raz.se bahut mohabbat thi, Shafqat o muhabbat ka ye aaLam tha ke ye dono bhai bachpan me namaz ki haalat me Aap Sallallahu Alaihivasallam ki kamar mubarak per Chadh jate, kabhi kabhi dono taango ke beech me se guzarte rehte aur Aap Sallallahu Alaihivasallam namaz me bhi unka khayal rakhte, jab tak wo kamar per chadhe rehte Aap Sallallahu Alaihivasallam  sajde se sar na uthate, Aap Sallallahu Alaihivasallam aksar inhe god me lete, kabhi kandho per sawaar karte, unka bosa lete, unko sunghte aur farmate, " Tum Allah ki ataa ki hui khushbu ho*

          *📂 ( Jama'a Tirmizi)*

*☞  Sahi Bukhari me Hazrat Abi bin Saabit Raz.se rivayat he ke Rasoolullah Sallallahu Alaihivasallam Hazrat Hasan Raz. Ko apne kaandhe per sawaar kiye hue the aur ye dua farma rahe the, " Ay. Allah,  ye mujhe mehboob hain aap bhi inhe apna mehboob bana Lijye,*

        *📂( Sahi Bukhari,, 1/530)*

*☞ Imaam Tirmizi Reh. ne Hazrat Usama bin zaid Raziyallahu Anhu ki hadees zikr ki he ke me kisi zaroorat se Aap Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat me haazir hua, Aap ghar ke bahar is haal me tashreef Laye ke Aap Sallallahu Alaihivasallam dono god me kuchh rakhe hue the, aur chaadar odhe hue the, me jab apne kaam se farig ho gaya to arz kiya, ye kya he to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne chaadar hata di, mene dekha ek janib Hazrat Hasan aur doosri janib Hazrat Husain hain, aur farmaya, " Ay. Allah me in dono se muhabbat karta hu, aap bhi inse muhabbat farmaye'n aur Jo inse muhabbat kare usko bhi tu apna mehboob banaaLe, "  Ek baar Aap Sallallahu Alaihivasallam khutba de rahe the, dono nawase aa gaye, Aapne khutba rok kar dono ko utha liya aur apne paas bethaya phir baqi khutba pura kiya,  Hazrat Hasan Raz. aur Hazrat Husain Raz .dono bhai bahut ibadat guzaar the, dono ne baar baar Madina Tayyaba se Makka Mukarrama tak paidal safar kar ke hajj kiye hai'n, Allah ke raaste me kasrat se maal kharch karte the, Jaddo jehad or sakhawat maa'n baap aur nana jaan se virasat me mili thi,*

       *📂( Maarful Hadees)*

*☞ Aap Sallallahu Alaihivasallam ko apne tamaam ahle Bait me Hazraate Hasnain Raz sabse zyada mehboob the Hazrat Anas Raz Rivayaat karte hain Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam farmate the ke ahle Bait me mujhko Hasan aur Husain sabse zyada mehboob hai'n,
  
          *📂( Tirmizi Sharif )*

*☞ Aap khuda se apne in mehboobo se muhabbat karne ko dua farmate the, Hazrat Abu Haraira Raz. Rivayaat karte hain ke ek martaba me Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke saath bazaar se lota to Aap Hazrat Fatima Raz.ke ghar tashreef le gaye aur puchha bachche kaha'n hain?  Thodi der me dono doondhte hue aaye aur Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam  se chimat gaye, Aapne farmaya, khudara me inko mehboob rakhta hu isliye tu bhi inhe mehboob rakh aur inke mehboob rakhne wale ko bhi mehboob rakh,*
   
           *📂( Muslim Sharif )*

*☞ Ek martaba Aap Sallallahu Alaihivasallam Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ko kandhe per lekar nikle, ek shakhs ne dekhkar kaha, " kiya Sahabzade kya achchhi sawari he, " Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya," Sawaar bhi to kitna achchha he, "*
     
        *📂( Tirmizi Sharif)*

*☞ Nabuwat ki haisiyat ko chhodkar jahan tak Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki bashri haisiyat ka ta'alluq he Hazrat Hasan Raz aur Hazrat Husain Raz.ki zaat goya zaate muhammadi ka juz thi,*

*☞ Hazrat 'Ali Raz.bin Murrah Rivayat karte hai'n ke Rasoolullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya ke Husain mujhse he aur me Husain se hu'n, Jo shakhs Husain ko dost rakhta he, khuda usko dost rakhta he,*

*☞ Hazraate Hasnain Raz.ko Aap Sallallahu Alaihivasallam apne jannat ke gul khandan farmate the, Ibne Umar Raziyallahu Anhu Rivayaat karte hai'n ke Rasoolullah Sallallahu Alaihivasallam farmate the, ke Hasan aur Husain mere jannat ke do phool hai'n,*
  
           *📂( Bukhari Sharif)*

*☞ Hazraate Hasnain Raz.nojawanane jannat ke sardaar hai'n,Hazrat Huzaifa Raziyallahu Anhu farmate hai'n, Ek martaba mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke saath maghrib aur isha ki namaz padhi, isha ki namaz ke baad Aap Sallallahu Alaihivasallam tashreef le chale, me bhi pichhe ho liya, meri awaaz sunkar Aapne farmaya, kon?, Huzaifa, Mene arz kiya,  jee, Farmaya, khuda tumhari aur tumhari maa'n ki maghfirat kare, tumhari koi zarurat he? Dekho abhi ye farishta nazil hua he, Jo isse pehle kabhi na aaya tha, isko khuda ne ijazat di he ke wo mujhe salaam kahe aur mujhe basharat de ke Fatima jannat ki Aurto'n ki aur Hasan aur Husain Jannat ke nojawano ke sardaar hai'n,*

             *📂( Tirmizi Sharif)*

*☞ in mushtarak fazail ke alawa Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ke kuchh imtiyazi fazail alag hain Jo unhe Hazrat Husain Raziyallahu Anhu se mumtaz karte hain, in fazail me sabse badi faziLat ye he k, Huzur Sallallahu Alaihivasallam ne inke muta'alliq pesheen goyi farmayi thi ke " mera ye beta sayyad he, khuda iske zariye se muslamano ke do bade giroho me suLah karayega,  Hazrat Amire Muaviya Raziyallahu Anhu se suLah ke waqt Hazrat Hasan Raz.ne is pesheen goyi ki Amali tasdeeq farmayi Ek moqe per farmaya ke" Hasan ( raz) ko mera hiLm ataa hua he,"*

          *📂Ser- al-Sahaba,*

*☞ Hazrat Husain Raziyallahu anhu ne us jang me bhi shirkat farmayi thi jisne 15 hijri ko Kustuntuniya par hamLa kiya tha, is hamle me Yazeed bin Muaviya bhi the,

*📂( Al-bidayata v al-nihayata),*

*☞ Hazrat Husain bin Ali Raziyallahu Anhu inthayi mutavaza the, Ek martaba ghode per sawaar guzar rahe the Gurba ki ek Jama'at nazar aayi Jo zameen per beth kar roti ke tukde kha rahi thi, Aapne unko salaam kiya, un logo'n ne kaha," Farzande Rasool !  Hamare saath khana tanavul farmaye "Aap raz. ghode se utre aur unke saath bethkar khane me shareek ho gaye,Aapne is moqe per Surah Nahal ki ye aayat tilawat farmai, " innallahu La yuhibbul mustakabireen, "  Allah takabbur karne walo ko pasand nahi farmata he,  Farigh hone ke baad farmaya, Bhaiyo'n aapne mujhe dawat di mene qabool kiya, ab aap sab meri dawat qabool kijiye, un logo'n ne bhi dawat qabool ki aur Aapke ghar aaye, Sab aakar bethe to Aapne farmaya," Rubaab Laana Jo bhi bacha hua mehfooz rakha he,*

                    *📂Al- Johar,*

*✬ 4-SHAHADAT KE FAZAIL O AQSAAM*

*⚄→(01) -SHAHADAT KE FAZAIL*

*☞ Huzur Akram Sallallahu Alaihivasallam ne hamdo sana ke baad irshad farmaya, " Beshak sachcha kaLaam Allah ki kitaab he, sabse mazboot kada taqwa he, sabse behtar miLLat Hazrat Ibrahim Alaihissalam ki miLLat he, sabse behtar tareeqa Muhammad( Sallallahu Alaihivasallam) ka he, sabse ashraf kaLaam Allah ka zikr he, sabse behtar qissa Quran he, Tamaam kaamo me sabse behtar wo he jisko azmiyat se Ada kiya jaye aur badtareen kaam  wo he Jo naye naye ijaad kiye jayen, sabse behtar tor tareeqa Ambiya Alaihissalam ka tor tareeqa  he , sabse ashraf maut shahadat aur unka qatL he,*

          *📂Hayatussahaba,*

*☞  is hadees me farmaya gaya ke shaheed ka qatL hona sabse ashraf maut he, ashraf ke ma'ani sabse zyada buzurgi wali, sabse zyada Laaiqe azmat,  Qurane Kareem me Hazraate Shuhada ka darja teesra bayaan farmaya he jesa ke irshad he, aur jisne kaha maan liya Allah ka aur Rasulullah ka to ye log honge Nabiyo'n ke saath aur Siddiqeen ke saath aur Shuhada ke saath aur Aala darje ke nek logon ke saath aur bahut hi umda hain ye sab Hazraat Rafeeq hone ke aitbaar se ( inse zyada umda Rafeeq kisi ko mayassar aa sakte hain ?)*

              *📂Surah An-Nisa,*

*☞ Qurane Kareem ne pehla darja Allah ke Nabiyo'n ka bayan farmaya, doosra Siddiqeen ka teesra Shuhda ka chotha Saleheen yani Aala darje ke nek logon ka jinko ham Awliya Allah kehte hai'n,  Hum jese gunahgaar musalman Jo Allah ta'ala ki aur uske Rasool Huzur Akram Sallallahu Alaihivasallam ki ita'at kare aur ita'at ki koshish karte rahe, Allah ta'ala aise logon ko khush khabri de raha he ke Qayamat ke din unka hashr nabiyo'n, siddiqeen shuhada aur saleheen ke saath hoga aur ye bahut achchhe saathi hain, Ye Allah ta'ala ka fazal he jisko Allah ta'ala naseeb farma de,  Allah ta'ala hum sabko naseeb farma de,(Ameen ya rabbul alameen)*

*☞  (02) -SHAHADAT KI MAUT KA DARJA*

*☞  Huzur Sallallahu Alaihivasallam ko Allah ta'ala ne nabuwat Ata farmayi aur Shuhada Aapke jooto'n ki khaak hain, Aap Sallallahu Alaihivasallam tamam Ambiya Alaihissalam ke sardaar hain, iske bavajood Aap Sallallahu Alaihivasallam irshad farmate the ke, Mera jee chahta he ke me Allah ke raaste me qatL ho jaun phir zinda kiya jaun, phir qatL ho jaun phir zinda kiya jaun phir qatL ho jaun phir zinda kiya jau'n ( ye siLsiLa chaLta hi rahe),*

           *📂Mishkaat Sharif,*

*⚄→ (03) - SHAHEED ZINDA HAIN*

*☞  Qurane Kareem me irshad he, aur Jo Allah ki Raah me qatL ho jate hain unko murda na kaho baLke wo zinda hain, magar unki zindagi ka tum sha'ur nahi Rakhte,*

         *📂(Surah Al-Bakra)*

*☞  Aur doosri jagah irshad farmaya, Balke wo zinda hain aur unke Rab ke paas unko Rizq diya jata he,*

         *📂( Surah Aale imraan)*

*☞ Sahi Bukhari ke hawaLe se mishkat me hadees he, Allah ta'ala ke arshe Aazam ke saath qundliyan Latki hui hain or wo shuhada ka musqar he, wo shuhada ke Rehne ki jagah he aur sabz parindo ki shakL me Allah ta'ala unko sawaariya'n Ata farmate hain or unki Roohe'n in sabz parindo me jannat ke andar parvaaz karti hain aur jahan chahti hain khati peeti hai'n,*

          *📂Mishkaat Sharif,*
                 
*☞ Ye qayamat se pehLe ka qissa he, qayamat ke din unke saath Jo maamLa hoga wo to Allah ta'ala hi jaante hain Subhanallah !

*☞  (04) -HAZRAT UMAR RAZIYALLAHU ANHU KI SHAHADAT KI DUA*

*☞ Hazrat Umar Raziyallahu anhu dua  farmate the," ya Allah Shahadat ki maut naseeb farma aur apne Rasool Sallallahu Alaihivasallam ke shehar me maut naseeb farma Phir farmate, ke Umar 2 baate  ikatthi kese ho sakti hain, shahadat ki maut bhi maangte ho aur Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke shehar me bhi maangte ho, Jihaad to bahar hota he, Madina me bethkar kese shahadat mil jayegi Khud hi sawal karte aur khud hi jawab farmate the ke " agar Allah RabbuL izzat  chahe to dono ko jama kar sakta he Aur haqeeqat me Allah ne dono ko jama kar ke dikha diya, aur Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ki dua qubooL farmaLi,

*☞ (05) -HUSOOL E SHAHADAT KA WAZEEFA*

*☞ Hadees Sharif me aata he Jo shakhs Rozana 25 martaba ye dua pada kare Allahumma BaarikLi fil mauti wa feeima Ba'adaL maut ", " Ay  Allah !  Mujhe maut me barkat ataa farma aur maut ke baad Jo hota he usme bhi barkat ataa farma "Hazrat Ayesha Raziyallahi Anha ne Huzur e Sallallahu Alaihivasallam se daryaft kiya k koi shakhs bagair shahadat ke bhi shaheedo'n ke saath ho sakta he? Huzur e Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya ke Jo Shakhsh din raat me 20 martaba maut ko yaad kare wo ho sakta he, "Ek hadees me he ke Jo shakhs 25 martaba" Allahumma barikli fil mauti wa fima Ba'adal maut," pade wo shahadat ke darje me ho sakta he,*

              *📂Mirqaat,, 5/ 270*

*✬         5-SHAHEED E KARBALA*

*☞ (01) -WAQIYA SHAHEED E KARBALA*

Sayyadna Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ka waqiya e shahadat na sirf isLami tareekh ka ek aham waqiya he balke poori duniya ki tareekh me bhi isko ek khaas imtiyaz hasiL he,  isme ek taraf zulm o zor aur sangdiLi o behayayi o fahash kashi ke aise hoLnaak or hairat Angaiz waqiyaat hai ke insaan ko unka tasavvur bhi dushwar he, aur doosri taraf Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke chashm e charag aur unke 70-72 muta'alliqeen ki chhoti si jama'at jinki nazeer tareekh me milna mushkiL he or in dono me aane wali nasLo ke liye hazaro ibrate'n aur hikmate poshida hain,*

*⚄→ (02) - KHILAFAT E ISLAMIYA PER EK HADSA AZIMIYA*

Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ki shahadat se fitno ka ek gair munqata silsila shuru ho jata he, isme munafiqeen ki shazish, bhoLe bhaLe musaLmano ke jazbaat se kheLne ke waqiyaat pesh aate hain, MusaLmano ki aapas me talware chaLti hain, musalman bhi wo Jo khairul khaLaiq ba'adaL ambiya kehLane ke MustahiQ hain, khilafat ka silsila jab Ameer Muaviya Raziyallahu Anhu per pahunchta he to khilafate Rashida ka rang nahi rehta mulkiyat ki surat paida ho jati he, Ameer Muaviya Raz.ko mashwara diya jata he ke zamana sakht fitno ka he, Aap apne baad ke liye koi aisa intezam kare'n ke musalmano me phir taLware na nikLe or khilafate islamiya para para hone se bach jaye, Halaat ke aitbaar se yaha'n tak koi gair shara'i namaqool baat bhi na thi,  Lekin iske saath hi Aapke bete Yazeed ka naam Aapke baad khilafat ke liye pesh kiya jata he, Kuffa ke 40 khushamad pasand Log aate hai'n ya bheje jate hain ke Ameer Muaviya Raz.se iski darkhwast kare'n ke Aapke baad Aapke bete Yazeed se koi qabiL or muLki siyasat ka maahir nazar nahi aata, isliye bete  khilafat ki jaye, Hazrat Muaviya Raz.ko shuru me kuchh ta'amul bhi hota he to Aapne makhsoos logo se mashwara kiya, unme ikhtilaf hota he, koi muwafiqat me raaye deta he aur koi mukhalfat me, Yazeed ka fasq o fajoor bhi us waqt khula nahi tha, biL Aakhir bete Yazeed ka qasd kiya jata he aur islaam par ye pehla haadsa azeem he ke khilafate nabuwat mulkiyat me muntaqiL ho jati he,*

*☞  (03) - ISLAAM PAR BAIT OR YAZEED KA WAQIYA*

Shaam o Iraaq me maLoom nahi kis tarah khushamad pasand Logo ne Yazeed ke Liye bait ka charcha kiya or ye shohrat di gayi ke Shaam o Iraaq, Kuffa o Basra wagaira Yazeed ki bait par mut'tafiq ho gaye, Ab Hijaaz ki taraf Rukh kiya gaya, Hazrat Muaviya Raziyallahu Anhu ki taraf se Ameere Makka o Madina ko is kaam ke Liye mamoor kiya gaya,*

Madina ka AamiL Marvaan tha, usne khutba diya aur logo se kaha ke Amirul Momineen Muaviya Raz.Hazrat Abu Bakar Raziyallahu Anhu, Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ki sunnat ke mutabiq ye chahte hain ke apne baad ke Liye Yazeed ki khiLafat par Bait Li jaye, " Hazrat Abdurrahman bin Abi Bakar Raziyallahu Anhu khade hue or kaha, Ye gaLat he,  Ye Hazrat Abu Bakar or Hazrat Umar Raz.ki sunnat nahi baLke Kisra or Qaisar ki sunnat he, Abu Bakar or Umar RaziyaLLahu Anhu ne khilafat apni awLaad me muntqiL nahi ki or na hi apne qunba o Rishte me ki, "*

Hijaaz ke Aam musaLmano ki nazre'n AhLe bait par khususan Hazrat Husain Raziyallahu Anhu par Lagi hui thi, jinko Hazrat Muaviya Raziyallahu Anhu ke baad khilafat ke mustahiq samajhte the, Wo isme Hazrat Husain Raz.Hazrat Abdullah bin Umar Raz.Hazrat Abdurrahman bin Abi Bakar Raz.Hazrat Abdullah bin Zubair Raz.Hazrat Abdullah bin Abbas Raz.ki Raaye ke muntazir the, ke ye kya karte hai'n,*

in Hazraat ke saamne avval to kitaab o sunnat ka ye usooL tha ke khiLafate isLamiya khiLafate nabuwat he, isme virasat ka koi kaam nahi ke baap ke baad beta khaLifa ho, baLke zaruri he ke azaadana intkhaab se khaLifa ka taqarrur kiya jaye,*

Doosre Yazeed ke zaati haLaat bhi iski ijazat nahi dete the k usko tamaam mumaLik isLamiya ka khaLifa maan Liya jaye, in Hazraat ne is saazish ki mukhaLfat ki or unme se aksar Aakhir dam tak mukhaLfat par hi rahe, isi haq goyi or himayate haq ke nateejo me Makka o Madina me, Kuffa o KarbaLa me qatLe Aam ke waqiyaat pesh aaye,*

*☞  (04) -HAZRAT MUAVIYA RAZIYALLAHU ANHU MADINE ME*

Hazrat Muaviya Raziyallahi Anhu ne khud 51 hijri me Hijaaz ka safar kiya, Madina Tayyaba Tashreef Laye, in sab hazraat se Naram o garam guftgu hui, sabne khuLe tor par mukhaLfat ki,*

*☞ (05) -UMMUL MOMINEEN HAZRAT AAISHA RAZIYALLAHU ANHA SE SHIKAYAT OR UNKI NASIHAT*

Ameer Muaviya Raziyallahu Anhu  Hazrat Aaisha Raziyallahu Anha ke paas tashreef Le gaye aur unse ye shikayat ki ke ye Hazraat meri mukhaLfat karte hain, Hazrat Aaisha Raz.ne nasihat ki ke mene suna he aap unpar jabar karte hain or qatL ki dhamki dete hain, Aapko hargiz aisa nahi karna chahiye, Hazrat Muaviya Raz. ne farmaya ke ye gaLat he, ye Hazraat mere nazdeek wajibuL Ahatraam hain, me kabhi aisa nahi kar sakta, Lekin baat ye he ke Shaam or Iraaq or Aam isLami shehro ke bashinde Yazeed ki bait par mutfiq ho chuke hain, Baite ki khiLafat mukammaL ho chuki he, Ab ye chand Hazraat mukhaLfat kar rahe hain, Ab aap hi batLaiye ke musaLmano ka kaLma ek Shakhsh par mut'tafiq ho chuka he or bait mukammaL ho chuki he, kya me is bait ko mukammaL hone ke baad tod dun Hazrat Aaisha Raz. ne farmaya, ye to aapki Raaye he aap jaane, Lekin me ye kehti hun ke in Hazraat par tashaddud na kijiye, Ahatraam  ke saath inse guftgu kijiye, Hazrat Muaviya Raz. ne inse vaada kiya ke me aisa hi karunga,*

                 *📂Ibne Kaseer*,

Hazrat Husain Raziyallahu Anhu,  Hazrat Abdullah bin Zubair Raz Hazrat Muaviya Raz ke qayaam e Madina ke zamane me ye mehsoos karte the ke hame majboor kiya jayega, isLiye ma'a ahaL o ayaaL Makka Mukarrama pahunch gaye, Hazrat Abdullah bin Umar Raz.aur Hazrat Abdurrahman bin Abi Bakar Raz. hajj ke Liye Makka Mukarrama tashreef Le gaye,*

*☞  (06) -HAZRAT ABDULLAH BIN UMAR RAZIYALLAHU ANHU KA KHUTBA*

Aapse pehLe bhi khuLafa the aur unke bhi awLaad thi, Aapka beta kuch unke beto se behtar nahi, magar unhone apne beto ke Liye wo Raay qayim nahi ki Jo Aap apne bete ke Liye kar rahe hain baLke unhone musaLmano ke ijtamayi faayde ko saamne Rakha, Aap mujhe tafreeq miLLat se darate hain, so Aap yaad Rakhe ke me firkabeen musaLemeen ka sabab hargiz nahi banunga, MusaLmano ka ek fard hun agar sab musaLman kisi raaye per pad gaye to me bhi unme shamiL rahunga,"*

iske baad Hazrat Abdurrahman bin Abi Bakar Raz. se is maamLe me guftugu farmayi, unhone shiddat se inkaar kiya ke me kabhi isko qubooL nahi karunga, phir Hazrat Abdullah bin Zubair Raz.ko buLakar khitab kiya unhone bhi wesa hi jawab diya,*

*☞ (07) -IJTMAYI TOR PAR HAZRAT MUAVIYA RAZIYALLAHU ANHU KO SAHI MASHWARA*

iske baad Hazrat Husain Raziyallahu anhu aur Hazrat Abdullah bin Zubair Raziyallahu anhu ne khud jakar Hazrat Muaviya Raz.se miLe aur unse kaha ke Aapke Liye ye kisi tarah bhi munasib nahi ke Aap apne bete Yazeed ke Liye bait per israar kare, Hum Aapke saamne 3 surate rakhte hai'n, Jo Aapke peshruo ki sunnat he,*

1- Aap wo kaam kare'n Jo Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne kiya ke apne baad kisi ko mutayyan nahi farmaya baLke musaLmano ki Aam Raaye par chhord diya,*

2-ya wo kaam karen Jo Hazrat Abu Bakar Raziyallahu Anhu ne kiya ke ek aise shakhs ka naam pesh kiya jo na to unke khandan ka he, na unka koi qareebi Rishtedar he or uski ahliyat per bhi sab musaLman mutfiq hain,*

3- Ya wo Surat akhtyar karen Jo Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne ki ke apne baad ka maamLa 6 aadmiyo par chhord diya, Iske siva hum koi chothi surar nahi samajhte, na qubooL karne ke liye tayaar hain, Magar Hazrat Muaviya Raz.ko is par israar raha ke ab to Yazeed ke haath par Bait mukammaL ho chuki he aur iski mukhaLfat aap logo ko jaayiz nahi,*
 
*☞ (08) -HAZRAT MUAVIYA RAZIYALLAHU ANHU KI WAFAAT OR YAZEED KO NASIHAT*

Wafaat se pehLe Hazrat Muaviya Raz.ne Yazeed ko kuch vasiyate farmayi, inme ek ye bhi thi ke mera Andaza ye he ke ahLe Iraaq Hazrat Husain Raz.ko tumhare khiLaf Amaada karenge, Agar aisa ho or muqabLe me tum kamyaab ho jao to unse darguzar karna aur unki qarabate RasooLuLLah ka pura Ahtraam karna, unka sab musaLmano par bada haq he,*

*☞ (09)  YAZEED KA KHAT WALEED KE NAAM*

Yazeed ne takhte khiLafat par Aate hi waali Madina WaLeed bin Utba bin Abi Sufiyan ko khat likha ke Hazrat Husain Raz, Hazrat Abdullah bin Umar Raz.aur Hazrat Abdullah bin Zubair Raz.ko baite khiLafat par majboor kare aur unhe is maamLe me mohLat na de,*

WaLeed ne Marvaan bin Hakam ke mashvare se usi waqt in Hazraat ko buLawa bheja, to Hazrat Husain Raz. apni zakawat se poori baat samajh gaye ke lagta he Ameer Muaviya Raz. ka inteqal ho gaya he or ye log chahte hain ke inteqal ki khabar mashoor hone se pehle hume Yazeed ki bait per majboor karenge,*

Hazrat Husain Raziyallahu Anhu Waleed ke paas pohche  to usne Yazeed ka khat saamne rakh diya, Hazrat Husain Raz. ne Hazrat Muaviya Raz.ke inteqal per izhare afsos kiya aur bait ke mutalliq farmaya ke mere jese aadmi ke liye ye munasib nahi ke khalwat me poshida tor per Bait kar lun, munasib ye he ke Aap sabko jama karen aur sabke saamne baite khilafat ka maamLa rakhe, Waleed ne isko qubool kiya aur Hazrat Husain Raz. ko wapsi ki ijazat de di,*

*☞ (10) - HAZRAT HUSAIN RAZ. AUR HAZRAT ZUBAIR RAZ. MAKKA CHALE GAYE*

Hazrat Abdullah bin Zubair Raz. apne bhai Jaafar Raz.ko saath lekar Raato raat Madina chhord kar nikal gaye, Hazrat Husain Raz. ne bhi yahi surat akhtiyar ki aur apni awlaad, muta'alliqeen ko lekar Madina se nikal gaye aur Makka Mukarrama pahunch kar panah Li,*

Yazeed ko jab ye pata chala to usne Waleed ko hatakar Amr bin Sa'ad ko Ameer Madina bana diya aur uski police  ka afsar Hazrat Abdullah bin Zubair Raz.ke bhai Amru bin Zubair ko banaya kyu ki use maloom tha ke dono bhaiyo me shadeed ikhtilaf he, Ye in Hazraat ki giraftari ke liye 2 hazaar jawano ko Lekar Makka Rawana hua aur Makka se bahar qayaam kar ke apne bhai Abdullah bin Zubair Raz. ke paas giraftari ke liye Aadmi bheje ke unhe Yazeed ka hukm he, me munasib nahi samajhta ke Makka Mukarrama ke andar qitaal ho, Hazrat Abdullah bin Zubair Raz. ne apne chand nojawano ko muqabLe ke liye bhej diya jinhone unko shikast di aur Amru bin Sa'ad ne Ibne Alqama ke ghar me panah Li,*

*☞ (11) - AHLE KUFFA KE KHUTOOT*

idhar jab Ahle kuffa ko Hazrat Muaviya Raziyallahu anhu ki Wafaat ki khabar miLi or ye ke Hazrat Husain Raziyallahu Anhu or Hazrat Abdullah bin Zubair Raziyallahu anhu wagaira ne baite Yazeed se inkaar kar diya to kuch Shiya SuLeman bin Sard khazayi ke makaan par jama hue or Hazrat Husain Raz. Ko khat likha ke hum bhi Yazeed ke haath par Bait per tayyar nahi, Aap foran kuffa Aa jaye, Hum sab aapke haath par Bait karenge,*

iske 2 Roz baad isi mazmoon ka khat likha or doosre khutoot Hazrat Husain Raz. ke paas bejhe or chand vafood bhi pohche, Hazrat Husain Raz. vafood or khatoot se mutassir hue magar hikmat or danishmandi se ye kiya ke bajaye khud Jane ke apne chachazad bhai Hazrat Muslim bin Aqeel ko kuffa Rawana kiya taki halaat ki tehqeeq ho Muslim bin Aqeel kuffa pahunch kar Mukhtar ke ghar muqeem hue, chand roz ke qayaam se ye andaza laga liya ke yahan ke Aam musalman Hazrat Husain Raz.ki bait ke liye bechen hain, Aapne ye dekhkar Hazrat Husain Raz.ke liye baite khilafat shuru kar di, Chand roz me hi sirf Kuffa se 18 hazaar musalmano ne Hazrat Husain Raz.ke liye bait kar Li, or ye silsila chalta raha, Jab Muslim bin Aqeel ko ye itminan ho gaya ke Hazrat Husain Raz.tashreef Layenge to beshak pura Iraaq unki bait ko Aa jayega, unhone Hazrat Husain Raz.ko Kuffa Aane ki dawat de di,*

*☞      (12) -HALAAT ME INQLAAB*

Magar ye khat likhe Jane ke baad Kuffa se kisi ne ek khat Yazeed ko bhej diya jisme Muslim bin Aqeel ke aane or Hazrat Husain Raz.ke liye bait Lene ka waqiya zikr kiya gaya, Yazeed ne ek farman nikaal kar Kuffa ka Ameer Abdullah bin Ziyaad ko mukarrar kiya aur khat likha ke Muslim bin Aqeel ko giraftaar kare or qatL kare ya Kuffa se nikaal de,*

*☞ (13)  HAZRAT HUSAIN RAZIYALLAHU ANHU KA KHAT AHLE BASRA KE NAAM*

idhar Hazrat Husain Raz.ka ek khat ahle Basra ke naam pahuncha jiska mazmoon ye tha,*

Aap log dekh rahe hai'n ke Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki sunnat mit rahi he or bid'at pheLayi ja rahi he, me tumhe dawat deta hu ke kitabullah or sunnate Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki hifazat Karo aur uske ahkaam ki tanfeez ke liye koshish Karo,  Lekin Jo shakhs khat lekar aaya tha, usko ibne Ziyaad ke saamne pesh kar diya gaya, Ibne Ziyaad ne us qasid ko qatL kar diya or tamaam ahle Basra ko jama kar ke kaha, " Jo shakhs meri mukhalfat kare me uske liye azaabe aLeem hu aur Jo muwafqat kare uske liye Rahat hu, " iske baad Yazeed ka hukm pakar Kuffa ke liye rawana ho gaya,*

*☞ (14) -IBNE ZIYAAD KUFFA ME*

Kuffa ke Log Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ki Aamad ke muntzir the or unme se bahut se Log unhe pehchante bhi nahi the, Jab ibne Ziyaad kuffa pohcha to un logon ne yahi samjha ke Hazrat Husain Raz.hain, wo jis majLis se guzarta ye kehkar istaqbaL karte the, Marhaba ya ibne RasooLuLLah Ibne Ziyaad ye manzar khamoshi se dekhta or diL me kudhta tha ke Kuffa Par Hazrat Husain Raz. ka poora tasaLLut ho chuka he, AgLe Roz subeh ibne Ziyaad ne AhLe kuffa ko jama karke ek taqreer ki*

*☞ (15) - MUSLIM BIN AQEEL RAZIYALLAHU ANHU KE TA'ASSURAT*

Muslim bin AqeeL Raz. ne  jab ibne Ziyaad ke Aane ki khabar suni to unhe khatra hua or unhone Mukhtar bin Abi Ubed ka ghar chhodkar Hani bin Urva ke makaan per  panah Li, Ittefaqan Haani bin Urva bimar hue or ibne Ziyaad unki bimari ki khabar pakar Ayadat ke Liye unke ghar pohcha,Us waqt Umar bin Abed SaLvi ne kaha ke moqa ganimat he ke is waqt dushman ( Ibne Ziyaad) tumhare qaabu me he, qatL karado, Lekin Haani bin Urva ne kaha ke ye sharafat ke khiLaf he ke me usko apne ghar me qatL karu*

*☞ (16) - AHLE HAQQ ME OR AHLE BAATIL ME FARQ*

Muslim bin AqeeL Raz.se bhi kaha gaya ke is faazir ko qatL kar den phir Aap mutmain hokar kasre imarat par bethe, magar unhone ye munasib nahi samajhta,*

*☞ Yahan ye baat qabiLe ghor he ke Muslim bin AqeeL Raz.ko apni maut saamne nazar Aa rahi he or na sirf apni baLke poore khandaan AhLe bait ki maut bhi or iske saath ek sahi isLami maqsad ki nakaami bhi dekh rahe hain, or jis Shakhsh ke haatho ye sab kuch hone waLa he wo is tarah unke saamne he ke bethe bethe usko qatL kar sakte hain magar Ahle haq khususan Ahle bait ka johare sharafat or taqaza itteba e sunnat dekhne or yaad rakhne ke qaabiL he ke is waqt bhi unka haath nahi utha, yahi Ahle haqq ki aLaamat he ke apni har harkat o sukoon or har qadam par sabse pehle ye dekhte hain ke Allah ta'aala aur uske RasooLuLLah ke nazdeek hamara ye qadam sahi he ya nahi,*

*☞ (17) - HAANI BIN URVA PER TASHADDUD O MAAR PEET*

Jab ibne Ziyaad ko Haani ke bare me pata chala ke Muslim bin AqeeL Raz.ko panah di he to unko buLwakar Muslim bin AqeeL ko hawaLe karwane ko kaha, varna tumhe bhi qatL kar denge or unse shadeed maar peet ki gayi,*

idhar shehar me mashhoor ho gaya ke Haani bin Urva ko qatL kar diya gaya, jab ye khabar Umar bin Hijaaj ko pahunchi to wo qabiLa e mujajij ke bahut se jawano ko Lekar moqe par pohunch gaye or ibne Ziyaad ke makaan ka muhasba kar Liya, Ibne Ziyaad ne Qazi shareeh ko kaha ke Aap bahar jaakar Logo ko bataye ke Haani bin Urva sahi saalim he, qatal nahi kiye gaye, me khud unko dekh kar aaya hu, Unki baat sunkar Umar bin Hijaaj ko itminaan ho gaya or jawano ko wapas Lota diya,*

*☞ (18) - MUSLIM BIN AQEEL RAZIYALLAHU ANHU  KI BEBASI*

idhar Haani bin Urva ke qatL ki khabar Muslim bin AqeeL Raz.ko miLi to wo bhi muqabLe ke Liye tayaar hokar nikLe or jin 18 hazaar musLmano ne unke haath par Bait ki thi unko jama kiya or is Lashkar ne ibne Ziyaad ke kasr ka muhasra kar Liya, ibne Ziyaad ke saath kasr me sirf 30 sipahi the or kuch khandaan ke sadaat the, ibne Ziyaad ne inme se chand aise Logo ko muntakhab kiya jinka asar o rasookh unke qaba'iL par tha Jo Muslim bin AqeeL Raz.ke saath shamiL the, inko kaha gaya ke tum bahar jaakar apne apne haLqa e asar ke Logo ko Muslim bin AqeeL ka saath dene se Roko, maaL hukumat ka LaLach dekar ya hukumat ki saza ka khof diLakar jis tarah bhi mumkin ho inko Muslim bin Aqeel se juda kar do Idhar sadaat Shiya ko hukm diya ke tum Log kasr ki chat par chadh kar Logo ko is bagawat se Roko, Jab logo ne sadaat Shiya ki zubani baate suni to aLag hona shuru ho gaye, Aurte'n apne beto, bhaiyo, shoharo ko wapas Le Jane ke Liye Aane Lagi, yahan tak ke Muslim bin AqeeL Raz.ke saath sirf 30 log Reh gaye or jab wahan se wapas hue to dekha ke ek Aadmi bhi unke saath nahi tha,to unhe ek Aurat ne apne ghar me panah di, us waqt ibne Ziyaad apne kasr se utar kar masjid me aaya aur police ke afsar ko hukm diya ke shehar ke tamaam gaLi kooncho ke darwazo par pehra Laga do koi bahar na ja sake or sab gharo ki TaLaashiLo,*

idhar jab Aurat ke Ladko ko taLashi ka pata chaLa to unhone khud Muslim bin AqeeL Raz.ki khabar de di aur 70 sipahiyon ne unhe gher Liya,unhone sabka muqabLa kiya, is muqabLe me zakhmi ho gaye Lekin unke bas me na aaye, Log chat par Chad kar un par patthar barsane Lage, or ghar me Aag Laga di,*

*☞ (19) - MUSLIM BIN AQEEL RAZIYALLAHU ANHU KI GIRAFTARI*

Muhammad bin Asaas ne pukaar kar kaha ke me Aapko Aman deta hu, apni jaan haLakat me na daLo Muslim bin Aqeel Raz.tane tanha 70 sipahiyo ka muqabLa karte hue zakhmo se choor choor hokar thak kar ek diwar ke sahare tik gaye, or unki aankho se aansu beh nikLe, farmaya Me apni jaan ke Liye nahi Rota hu baLke Husain Raz.or Aale Husain ki jaano ke Liye Ro raha hun, Jo meri tehreer par Anqareeb kuffa pohunchne waLe hain, kam se kam meri ek baat maanLo ke ek Aadmi Husain Raz.ke paas foran Rawana kar do Jo unko meri haaLat ki itteLa kar ke ye kahe ke Aap Raaste se hi Lot jaye, kuffa waLo ke khutoot se dhokha na khaye, ye wahi Log hain jinki bewafayi se pareshan hokar Aapke waLid apni maut ki tamanna kiya karte the," Muhammad bin Asas ne vaada kiya or vaade ke mutabiq ek aadmi khat dekar  Hazrat Husain Raz.ko Rokne ke liye Rawana kar diya, Jis waqt ye qaasid unke paas pohuncha us waqt Hazrat Husain Raz.makaame ZiyaLa tak pohunch chuke the, khat padkar Aapne farmaya, Jo cheez ho chuki he wo hokar Rahegi, hum sirf Allah ta'aala se apni jaano ka sawaab chahte hain or ummat ke fasaad ki faryaad karte hain,"*

*☞  (20) - MUSLIM BIN AQEEL RAZIYALLAHU KI SHAHADAT OR WASIYYAT*

Muslim bin AqeeL Raz.pehLe hi samajhte the ke Muhammad bin Asas ka Aman dena koi cheez nahi, ibne Ziyaad mujhe qatL karega, Unhone kaha ke mujhe vasiyat karne ki mohLat do, ibne Ziyaad ne mohLat de di, or unhone Amr bin Saad se kaha ke mere or aapke darmiyan qarabat hai or me is qarabat ka vaasta dekar kehta hun ke mujhe tumse ek kaam he, Jo Raaz he wo me tanhayi me bata sakta hun,*

ALehda hokar Muslim bin AqeeL Raz.ne kaha ke kaam ye he ke mere zimme 700 dirham qarz he Jo mene kuffa me faLa Aadmi se Liye the wo meri taraf se Ada kar do, doosra kaam ye he ke Husain Raz.ke pass ek aadmi bhej kar unko Raaste se wapas kar do, Amr bin Sa'ad ne ibne Ziyaad se vasiyat poori karne ki ijazat chahi to usne kaha, beshak Ameen Aadmi kabhi khayanat nahi karta, tum inka qarz Ada kar sakte ho baqi raha Husain Raz.ka maamLa so agar wo hamare muqabLe ke liye na aaye to hum bhi unke muqabLe ke Liye nahi jayenge, or wo aaye to hum bhi muqabLa karenge,*

*☞  (21) - MUSLIM BIN AQEEL RAZIYALLAHU ANHU OR IBNE ZIYAAD KA MAMLA*

Ibne Ziyaad ne kaha, Aye Muslim! Tune bada zuLm kiya ke musalmano ka Nazam ek kaLma tha, sab ek imaam ke taabe the, tumne aakar inme tafarruqa daaLa or Logo ko apne Ameer ke khiLaf bagawat par aamada kiya, "Muslim bin AqeeL Raz.ne farmaya, ke maamLa ye nahi he balke is shehar kuffa ke Logo ne khutoot likhe ke tumhare baap ne inke nek or shareef Logo ko qatL kar diya, unka khoon nahaq bahaya or yaha ke awaam par kisra o qaisar jesi hukumat karni chahi, isliye hum majboor hue ke adaL qayam karne or kitaab sunnat ke ahkaam nafiz karne ki taraf Logo ko bulaye or samjhaye, " is par ibne Ziyaad or zyada bigad gaya, uske hukm ke muwafiq unko shaheed kar ke niche daaL diya gaya, ( inna lillahi va inna ilayhi raajioun )*

Hazrat Muslim bin AqeeL Raziyallahu anhu ko qatL karne ke baad Haani bin Urva ko bazaar me Leja kar qatL kiya gaya, Ibne Ziyaad ne in dono ke sar kaat kar Yazeed ke paas bhej diye,Yazeed ne shukriya ka khat Likha ke mujhe ye khabar miLi he ke Husain Raz. Iraaq ke qareeb pohunch gaye hain, isliye jasoos Saare shehar me feLa do or jis par zara bhi Husain Raz.ki taa'id ka shub37 ho usko qaid kar Lo magar Siva uske Jo tumse muqabLa kare kisi ko qatL na Karo,*

*☞  (22) - HAZRAT HUSAIN RAZIYALLAHU ANHU KA KUFFA JANE KA AZM*

Hazrat Husain Raz ke pass Ahle Kuffa ke 150 khutoot or bahut se vafood pehle pohunch chuke the, phir Muslim bin Aqeel Raz.ne 18 hazaar muslmano ki bait ki khabar ke saath unhe kuffa aane ki dawat de di thi, to Hazrat Husain Raz.ne kuffa Jane ka azm kar liya, lekin jab ye baat mashhoor hui to bajuz Abdullah bin Zubair Raz.ke or kisi ne bhi kuffa Jane ka mashwara nahi diya, bahut se hazraat aapki khidmat me hazir hue or Ahle Kuffa o Iraaq ke vaado, baito par bharosa na karne ka or waha Jane me bada khatra hone ka mashwara diya,*

*☞ (23) - HAZRAT ABDULLAH IBNE ABBAS RAZIYALLAHU ANHU KA MASHWARAH*

Ibne Abbas Raz.ko jab Hazrat Husain Raz.ke iraade ki khabar hui to tashreef Laye or farmaya, " Bhai me isse aapko khuda ki panah me deta hun, Khuda ke liye Aap mujhe ye bataye ke Aap kisi aisi qaum ke liye ja rahe hain jinhone apne Uper musallat hone wale Ameer ko qatL kar diya or wo log apne shehar par qaabiz ho chuke hai'n or apne dushmano ko nikaal chuke hain to beshak aapko unke bulawe par foran chale Jana chahiye, " Hazrat Husain Raz.ne iske jawab me farmaya, " Achchha me Allah se istkhara karta hun, phir Jo kuch samajh me aayega amal karunga,*

Doosre roz ibne Abbas Raz.phir tashreef laye aur farmaya, " bhai me sabr karna chahta hun magar sabr nahi hota, mujhe aapke is qadam se halakat ka sakht khatra he, Ahle Iraaq bewafa ahad shikan log hai'n, Aap unke paas na jaye, Aap ahle hijaaj ke  Muslim Rehnuma or sardaar hain or agar ahle Iraaq aapse mazeed taqaza kare to aap unko likho ke pehle Ameer o Hukkam ko apne shehar se nikaal do fir mujhe bulao, mere bhai agar aap Jana hi te kar chuke hain to khuda ke liye aurto'n or bachcho ko saath na Le jaye, mujhe khof he ke kahi aap isi tarah apni aurto'n or bachcho ke saamne qatL kiye jaye jis tarah Hazrat Usman Raz.qatL kiye gaye,"*

*☞ (24) - HAZRAT HUSAIN RAZIYALLAHU KI KUFFA RAWANGI*

Hazrat Husain Raz. apne nazdeek ek deeni zarurat samajhkar khuda ke liye azm kar chuke the, Mashwara dene walo ne unko khatraat se Aagah kiya magar maqsad ki ahmiyat ne unko khatraat ka muqabla karne ke liye majboor kar diya, or Zilhijja 60 ki 3 ya 8 tareekh ko aap Rawana ho gaye us waqt Yazeed ki taraf se Makka ka hakim Amr bin Sa'ad bin Aas muqarrar tha, usko unki Rawangi ki khabar mili to chand Aadmi Raaste par unko Rokne ke liye bheje Lekin Hazrat Husain Raz.ne waapsi se inkaar farmaya aur Aage badh gaye,*

*☞  (25) - FAROOQ SHAIR SE MULAQAAT*

Raaste me Farzooq Sha'ir Iraaq ki taraf se Aata hua mila, Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ne usse poocha, ahle Iraaq ko tumne kis haal me chhorda, Farzooq ne jawab diya'" Ahle Iraaq ke quloob to aapke saath haim magar unki talware bani umaiya ke saath haim or taqdeer Aasman se naazil hoti he or Allah ta'aala Jo chahta he karta he Hazrat Husain Raz.ne farmaya, tum sach kehte ho, Allah hi ke haath me tamaam kaam hain wo Jo chahta he karta hai or hamara rab har roz ek nayi shaan me hai Agar taqdeer e ilaahi hamari muraad ke muwafiq hui to hum Allah ka shukr karenge aur shukr karne me bhi unhi ki i'aanat talab karte hain ke adaye shukr ki tofeeq de or agar taqdeer e ilaahi hamari muraad me haa'il ho gayi to wo shakhs khata par nahi jiski niyat haq ki himayat ho aur jisse dil me khof e khuda ho,*

*☞ (26) - HAZRAT HUSAIN RAZIYALLAHU ANHU KA KHWAB OR AZM KI VAJAH*

Hazrat Abdullah bin Jaafar Raz.ne jab Hazrat Husain Raz.ki rawangi ki khabar suni to apne beto ko khat dekar tezi se rawana kiya ke unhe raaste me hi rok do, ye khat likhkar pehle Abdullah bin Jaafar Raz.Yazeed ki taraf se wali e Makka Amr bin Sa'ad ke paas tashreef le gaye aur unse vaada e tehreer likhwaya ke wapas aa jaye to unke saath Makka me achchha salook kiya jayega,*

Jab ye khat Hazrat Husain Raz.ke pass pohuncha to us waqt aapne apne azm ki ek or vajah bayaan ki mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko khwab me dekha or mujhe Aap Sallallahu Alaihivasallam ki taraf se ye hukm diya gaya he, me is hukm ki baja aawri ki taraf ja raha hun, chahe mujh par kuch bhi guzar jaye Unhone puchha ke khwab kya he? Farmaya ke Aaj tak mene wo khwab kisi se bayan nahi kiya he, na karunga yaha tak ke me apne parvardigar se ja milu*

*☞  (27) - KUFFA WALO KE NAAM HAZRAT HUSAIN RAZIYALLAHU ANHU KA KHAT*

Hazrat Husain Raz.jab makaame Haajir par pohunche to ahle Kuffa ke naam ek khat likh kar Hazrat Qais ke haath rawana kiya, khat me apne aane ki itteLa or jis kaam ke liye unko ahle Kuffa ne bulaya tha usme poori koshish karne ki hidayat thi,*

Hazrat Qais jab ye khat lekar Qaadsiya tak pohunche to waha unko giraftar kar ke Ibne Ziyaad ke paas bhej diya gaya, Ibne Ziyaad ne unko hukm diya ke kasre imarat ki chat se ( m'aazallah) Hazrat Husain Raz.par Sab o Shitam or Laan taan kare, magar Qais ne buland awaaz se Hazrat Husain Raz.ke aane ka maqsad ko bayaan kar diya, isse naraaz hokar ibne Ziyaad ne unko kasr ki bulandi se phek dene ka hukm diya aur Hazrat Qais shaheed kar diye gaye,*

*☞  (28)  MUSLIM BIN AQEEL RAZIYALLAHU ANHU KE QATL KI KHABAR PAKAR HAZRAT HUSAIN RAZIYALLAHU ANHU KA SATHIYO SE MASHWARAH*

Raaste me ek padaao par achanak Abdullah bin Mati'a se mulaqaat hui unhone bhi kaha," Aye ibne Rasulullah !  Me aapko Allah ka or izzate islam ka vaasta dekar kehta hu ke Aap is iraade se Ruk jaye, Aap agar banu umayya se unki iqtadaar ko lena chahenge to wo Aapko qatL kar denge, Aap aisa hargiz na kare, Aap kuffa na jaye, " magar Hazrat Husain Raz.ne apna iraada nahi badla*

Maqaame Sa'albiya me pohunch kar Aapko Muslim bin Aqeel Raz.ke qatL ki khabar mili Jo Muhammad bin As'as ke bheje hue qasid ne di, ye khabar sunkar Aapke baaz saathiyo ne bhi aapse wapas Laut Jane ka israar kiya, magar Banu AqeeL josh me Aa gaye or kehne lage ke hum Muslim bin Aqeel Raz.ka badLa Lenge ya unki tarah jaan de denge, Baaz saathiyo ki ye Raay thi ke Aap Muslim bin Aqeel Raz.nahi hain, Aapki shaan kuch aur he, Hume ummeed he jab Ahle Kuffa Aapko dekhenge to Aapke saath ho jaayenge, Yaha'n tak ke phir aage badhna te kar ke safar kiya gaya aur Maqaame Ziyala pohunch kar padaao dala, Yaha'n ye khabar mili ke Aapke Razayi bhai Abdullah ibne laqeet jinko Raaste se Muslim bin Aqeel Raz.ki taraf bheja gaya tha unko bhi qatL kar diya gaya, is khabar ke baad Hazrat Husain Raz.ne apne saathiyo ko jama karke farmaya, " Ahle Kuffa ne hume dhokha diya he, Ab jiska ji chahe wapas ho jaye,me kisi ki zimmedari apne sar lena nahi chahta " is AyeLaan ke baad Raaste se saath hone wale log sab chal diye aur ab Hazrat Husain Raz.ke saath sirf wahi log reh gaye Jo Makka se unke saath the,*

*☞ (29)  IBNE ZIYAAD KI TARAF SE HAR BIN YAZEED EK HAZAAR KA LASHKAR LEKAR POHUNCHA*

Raaste me dopehar ke waqt door se ghudsawar foj nazar aayi, ye dekh kar Hazrat Husain Raz.or unke saathiyo ne ek pahaad ke nazdeek pohunch kar muhaaz jung banane me masroof hi the ke Har bin Yazeed ki foj muqable par aa gayi, Hazrat Husain Raz.ne apne saathiyo se farmaya, khoob paani peekar aur ghodo ko pilakar sairaab ho jao,*

Yaha'n Namaze zohar ka waqt aa gaya or sab namaz ke liye jama ho gaye, Hazrat Husain Raz.ne fareeq muqabil ko sunane ke liye ek taqreer farmayi, Taqreer sunkar  sab khamosh rahe, Hazrat Husain Raz.ne namaz ke liye aqaamat kehne ka hukm diya or Har bin Yazeed se farmaya, Tum apne lashkar ke saath alag namaz padhoge ya humare saath, " Har bin Yazeed ne kaha, ke nahi hum sab Aapke pichhe namaz padenge, Hazrat Husain Raz.ne namaz zohar padhayi or apni jagah tashreef le gaye, phir namaze Asar bhi Aapne padhayi aur sab shareek hue, Asar ke baad Aapne ek khutba diya,jisme apne aane ka maqsad bayaan kiya, Har bin Yazeed ne kaha ke hume khutoot aur vafood ki koi khabar nahi,, Aapne 2 theLe Jo khutoot se bhare hue the or un logo ke saamne udeL diye, Har bin Yazeed ne kaha k beharhal hum in khutoot ke likhne wale nahi hain, Hume ameer ki taraf se ye hukm mila he ke hum Aapko us waqt tak na chhorde jab tak ibne Ziyaad ke paas kuffa na pohuncha de Hazrat Husain Raz.ne jawab diya, isse to maut behtar he,*

*☞  (30) -HAR BIN YAZEED KA AITRAA*

Har bin Yazeed ne Hazrat Husain Raz.se kaha ke mujhe aapke qitaal ka hukm nahi diya gaya he balke me aapse us waqt tak juda na houn jab tak aapko kuffa na pahuncha dun, isliye Aap aisa kar sakte hain ke koi aisa Raasta akhtiyar kare Jo na kuffa pohunchaye na Madina, Yaha tak k me ibne Ziyaad ko khat likhu aur Aap bhi Yazeed ko ya ibne Ziyaad ko likhe, Shayad Allah ta'aala mere liye koi aisa mukhlis paida kar de ke me aapke muqable aur aapki iza se bach jau, Isliye Hazrat Husain Raz.ne Azeeb aur Qadsiya ke Raaste se baayi janib chalna shuru kar diya aur Har bin Yazeed bhi Lashkar ke saath chalta raha, is dauran Hazrat Husain Raz.ne teesra khutba diya, Har bin Yazeed kuch to pehle se ahle bait ka ahatram dil me rakhta tha kuch Aapke khutbo se mutassir ho raha tha,*

*☞ (31) - TIRMAH BIN ADI kA MASHWARAH*

Isi haal me 4 aadmi kuffa se Hazrat Husain Raz.ke madadgaar pohunche jinka sardar Tirmah bin Adi tha, Har bin Yazeed ne chaha ke unhe giraftar kare ya kuffa wapas kar de,  magar Hazrat Husain Raz.ne farmaya ke ye mere madadgaar aur Rafeeq hain, inki aisi hi hifazat karunga jesi apni jaan ki, Har bin Yazeed ne unko ijazat de di,*

Hazrat Husain Raz.ne in logo se kuffa ka haal daryaft kiya, unhone bataya ke, Kuffa ke bade bade sardaro ko badi badi Rishwate de di gayi hain, ab wo sab aapke mukhalif hai'n, albatta awaam ke quloob aapke saath hai'n magar iske bavjood jab muqabla hoga to talwaare unki bhi aapke muqable par aayengi, me dekhta hu'n aapke saath to koi quvvat aur jama'at nahi, me kuffa se nikalne se pehle itna bada Lashkar dekh chuka hu'n Jo isse pehle meri aankh ne na dekha tha,me aapko khuda ki qasam deta hu'n Aap ek balisht bhi unki taraf na badhe, Aap mere saath chale, Aapko apne pahada aaja me thehraunga Jo nihayat mehfooz qiLa jesa he, phir aaja aur salmi dono pahadi qabile ke log aapki madad ko aa jaayenge, Is waqt agar aapki Raay muqable ki hi he to me aapke liye 20 hazaar bahadur sipahiyo ka jamma leta hu'n, Hazrat Husain Raz.ne farmaya, Allah ta'aala aapki qaum ko jaza e khair de, magar hamare aur Har bin Yazeed ke darmiyan ek baat Te ho chuki he, ab uske paband hai'n aur hume kuch pata nahi ke humare saath kya hone wala he," Tirmah bin Adi Rukhsat ho gaye aur apne saath samaane rasad lekar dobara aane ka vaada kar gaye, aur phir aaye bhi magar Raaste me Hazrat Husain Raz.ki Shahadat ki ghalat khabar sunkar lot gaye,*

*☞ (32) - HAZRAT HUSAIN RAZIYALLAHU ANHU KA KHWAB*

Nasr bani Muqatal par pohunch kar aapko zara ganudgi hui to " inna lillah" kehte hue bedaar hue, Aapke Sahabzade Ali Akbar Raz.ne suna to ghabrakar saamne aaye, poocha Abba jaan kya baat he Aapne farmaya, mene khwab me dekha koi ghudsawar mere pass aaya aur usne kaha ke kuch log chal rahe hain aur unki maut unke saath chal rahi he, isse me samjha ke ye hamari maut ki khabar he, Sahabzade ne arz kiya, Kya hum haq per nahi he Farmaya - Qasam us zaat ki jiski taraf sab bandgane khuda ka ruju'a he bila shuba hum haq per hai'n, Arz kiya - phir hume kya dar he jab ke hum haq par mar rahe  hain, Hazrat Husain Raz.ne unhe shabashi di, farmaya - Allah ta'aala tumko jaza e khair ataa kare tumne apne baap ko sahi haq ada kiya,*

*☞  33- ASHABE HUSAIN RAZIYALLAHU ANHU KA IRAADA E QITAAL AUR HAZRAT HUSAIN RAZIYALLAHU ANHU KA JAWAB KE ME QITAAL NAHI KARUNGA*

*☞ Maqaame Nenvi per ek sawaar Har bin Yazeed ke liye ek khat lekar aaya jisme likha tha ke Jis waqt tumhe mera ye khat mile tum Husain ( raz.) Per maidan tang kar do aur unko aise khule maidan ki taraf le jao jaha paani na ho, aur mene qasid ko hukm diya he ke jab tak mere is hukm ki tameel na kar do tumhare saath rahega, " Har bin Yazeed ne ye khat Hazrat Husain Raz.ko bhi suna diya ke is waqt mere sar per jasoos musallat hain, me is waqt koi maslihat nahi kar sakta,*

*☞ Us waqt Zubair bin Alqeen Raz.ne arz kiya ke har aane wali ghadi ek mushkilaat me ijaafa kar rahi he, aur hamare liye is lashkar se qitaal karna asaan he banisbat uske Jo iske baad aayega, Hazrat Husain Raz.ne farmaya me qitaal me pehal nahi karna chahta, Zubair Raz.ne kaha ke Aap qitaal me pahal na kare balke hume us basti me le jayen Jo hifazat ki jagah ho aur dariya e faraat ke kinare per ho, is per agar ye log hume waha Jane se roke to hum qitaal kare, Aapne pochha ye konsi jagah he? Kaha gaya, Aqar he, Aapne farmaya me Aqar se panah maangta hu'n,*

*⚄→ 34- AMR BIN SA'AD' KA LASHKAR AUR PAANI BAND KARNE KA HUKM*

*☞ Ibne Ziyaad ne Amr bin Sa'ad ko majhboor kar ke foj ke saath muqable ke liye bhej diya Amr bin Sa'ad ne aakar Hazrat Husain Raz.se Kuffa aane ki vajah poochhi, Aapne saara qissa bayaan kiya aur farmaya, agar ab bhi unki Raay badal gayi he to me wapas Jane ke liye tayyaar hu'n, Amr bin Sa'ad ne ibne Ziyaad ko is mazmoon ka khat likha ke Husain Raz wapas Jane ko tayaar hai'n, Ibne Ziyaad ne jawab diya ke Husain Raz ke saamne sirf ek baat Rakho ke Yazeed ke haath per Bait kare, Jab wo aisa kare to phir hum ghor karenge ke unke saath kya maamla kiya jaye, aur Amr bin Sa'ad ko hukm diya ke un per paani band kar do aur paani band kar diya gaya, ye waaq'aa Shahadat se 3 din pehle ka he, yaha tak ke jab ye sab hazraat piyas se pareshan ho gaye to Hazrat Husain Raz.ne apne bhai Abbas bin Ali Raz.ko 30 pyado ke saath paani lene bheja, Paani lane per Amr bin Sa'ad ki foj se muqabla bhi hua, magar 20 mashke paani bhar laye, iske baad Amr bin Sa'ad ke paas baat cheet ka paigham bheja*

*☞ 35- HAZRAT  HUSAIN RAZIYALLAHU ANHU  KA IRSHAD KE 3 BAATO ME SE KOI EK AKHTIYAAR KARLO*

*☞ Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ne farmaya ke humare bare me Aap 3 surato me se koi akhtyar kar Lo,*

*☞ 1- me jahan se aaya hu'n wahi wapas lot jaun,*

*☞ 2- ya me Yazeed ke paas pohunch jaun aur khud usse apna maamLa Te kar lun*

*☞ 3- ya mujhe musalmano ki kisi sarhad per pohuncha do Jo haal waha ke Aam logo ka hoga me usi me basar kar lun ( Baaz Ulama ne Aakhri 2 surato ka inkaar kiya hai Amr bin Sa'ad ne ye sunkar phir ibne Ziyaad ke paas khat Likha ke Allah ta'aala ne jung ki Aag bujha di aur musalmano ka kalma muttafiq kar diya, mujhe Hazrat Husain Raz.ne 3 surato ka akhtiyaar diya he aur Zaahir he inme aapka maqsad poora hota he aur ummat ki isme salaah o falaah he,*

*☞  36  IBNE ZIYAAD KA SHARTIN KO QABOOL KARNA AUR SHIMAR KA INKAAR*

*☞ Ibne Ziyaad bhi Amr bin Sa'ad ke is khat se mutassir hua aur kaha ke ye khat ek aise aadmi ka he Jo Ameer ki ita'at bhi chahta he aur apni qaum ki aafiyat ka bhi khwahishmand he, humne ise qubool kar liya,*

*☞ Shimar Ziljoshan ne kaha ke kya Aap Husain( raz.) Ko mohlat dena chahte hai'n ke quwwat hasiL kar ke fir tumhare muqable per aaye, wo agar aaj tumhare haath se nikal gaye to fir kabhi un per qaabu na pa sakoge, Aap unhe majboor kare ke wo aapke paas aaye fir chahe aap saza de ya maaf kare, Ibne Ziyaad ne Shimar ki raay qubool kar ke Amr bin Sa'ad ko isi mazmoon ka khat khud Shimar ke haath bheja aur ye hidayat di ke agar Amr bin Sa'ad hukm ki tameel foran na kare to use qatl kar diya jaye aur uski jagah tum khud lashkar ke Ameer ho, Shimar ko rawana hone se pehle khayal aaya ke Hazrat Husain Raz.ke saathiyo me uske phupizaad bhai bhi hai'n, ibne Ziyaad se unke liye amaan liya aur rawana ho gaya,*

*☞ 9 Muharram ki tareekh ko jab Shimar khat lekar pohuncha to Amr bin Sa'ad sab samajh gaya ke ye sab surat Shimar ki vajah se pesh aayi he, kaha ke tumne bada zulm kiya, musalmano ka kalma muttafiq ho raha tha usko khatm karke qatl o qitaal ka bazaar garm kar diya, jab Hazrat Husain Raz.ko ye pegaam pohunchaya gaya to Aapne isko qubool karne se inkaar kar diya ke is zillat se maut behtar he,*

*⚄→37) HAZRAT HUSAIN RAZIYALLAHU ANHU KA HUZUR SALLALLAHU ALAIHIVASALLAM KO KHWAB ME DEKHNA*

*☞ Hazrat Husain Raziyallahu Anhu apne kheme me bethe the ke isi haalat me kuch oungh aakar aankh band ho gayi ke ek awaaz ke saath bedaar hue, Aapki hamshira Hazrat Zenab Raz.dodi aayi to farmaya ke mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko khwab me dekha farmaya ke ab hamare paas aane wale ho, Hamshira ye sunkar rone lagi, Hazrat Husain Raz.ne unhe tasalli di, isi haalat me Shimar lashkar lekar saamne aa gaya aur bila mohlat qitaal ka Aylaan sunaya, Hazrat Husain Raz.ne ek raat ki mohlat maangi ke me aaj ki raat vasiyat aur namaz aur dua o astagfaar kar saku, Shimar ne mashwara karke mohlat de di,*

*☞ 38- HAZRAT HUSAIN RAZIYALLAHU ANHU KI TAQREER*

*☞ Hazrat Husain Raz.ne apne ahle bait aur ashaab ko jama kiya aur ek khutba diya jisme Hamd v sana, Darood v Salaam ke baad farmaya ke, " Me samajhta hu'n kal hamara akhri din he, me aap sabko khushi se ijazat deta hu'n k sab is raat ki tareeki me mutfarriq ho jao aur jaha panah mile chale jao aur mere ahle bait me se ek ek ka haath pakad lo aur mukhtalif ilaako me fel jao, kyuki dushman mera talabgar he, wo mujhe pa'ega to doosro ki taraf iltfaat na karega,  Ye taqreer sunkar Aapke bhai, aulaad,  bhaiyo ki  aulad, aur Abdullah bin Jaafar Raz.ki aulad, Banu Aqeel sab ek awaaz hokar bole, " wallah hum hargiz na ja'enge, hume Allah ta'aala aapke baad baaqi na rakhe,*

*☞ 39- AHLE BAIT KO VASIYAT*

*☞ Hazrat Husain Raz. ne apni hamshira Hazrat Zenab Raz.aur ahle bait ko vasiyat ki, me tumhe khuda ki qasam deta hu'n k tum meri shahadat per tum na kapde faadna, aur seena kubi vagera hargiz na karna, awaaz se rone aur chillane se bachna, " ye vasiyat karke Aap aur tamaam ashaab Shabe Tahajjud aur Dua v Astagfaar me mashgool ho gaye, Ye ashura ki raat thi aur subeh ko Yome Ashra aur roze Juma tha,*

*☞  → 39 - HAR BIN YAZEED HAZRAT HUSAIN RAZIYALLAHU ANHU KE SAATH*

*☞ Subeh namaz se farigh hote hi Amr bin Sa'ad Lashkar Lekar saamne aa gaya, Hazrat Husain Raz.ke saath us waqt 72 ashaab the, 30 sawaar the aur 40 pyade the, Aapne bhi muqable ke liye safbandi farmayi,Amr bin Sa'ad ne apne lashkar ko 4 hisso me taqseem kar ke har hisse ka ek Ameer banaya tha, unme ek hisse ka Ameer Har bin Yazeed tha, ( Jo sabse pehle ek hazar ka lashkar lekar bheja gaya tha, aur Hazrat Husain Raz.ke saath saath chal raha tha, aur unke khutbo se mutassir ho chuka tha, uske dil ahle bait athaar ki muhabbat ka jazba bedaar ho chuka tha,) Apna ghoda dodakar Hazrat Husain Raz.ke lashkar me aa mila aur arz kiya, mujhe andaza nahi tha ke ye log aapke khilaf is had tak pohunch jayenge, agar me jaanta to hargiz aapko na rokta, ab meri saza yahi he ke me aapke saath qitaal karta hua apni jaan de du, " aur aisa hi hua,*

*⚄→40 DONO LASHKARO KA MUQABLA AUR HAZRAT HUSAIN RAZIYALLAHU ANHU  KA KHITAAB*

*☞ Hazrat Husain Raz.ghode per sawaar hue aur aage badkar ba awaaz buland farmaya," logo meri baat suno, zaldi na Karo, taki me haq nasihat kar du Jo mere Zimme he aur taki me apne yaha aane ki vajah bata du, phir agar tum mera uzr qubool Karo aur meri baat ko sachcha jano aur mere saath insaaf Karo to isme tumhari falaah o sa'aadat he aur phir tumhare liye mere qitaal ka koi raasta nahi, aur agar mera uzr qubool na Karo to tum sab mil kar muqarrar Karo apna kaam aur jama karlo apne shareeko ko ke na rahe tumko apne kaam me shubha, phir kar guzro mere saath aur mujhe mohlat na do,( Ye wahi alfaaz hai'n Jo Hazrat Nooh Alaihissalam ne apni qaum se kahe the)*

*☞ Hazrat Husain Raz.ke ye alfaaz behno aur aurto'n ke kaano me pade to Zabt na kar saki, rone ki awaaze buland ho gayi, Hazrat Husain Raz.ne apne bhai Abbas Raz.ko bheja ke inko nasihat kar ke khamosh karaye, aur us waqt farmaya, Allah ta'aala ibne Abbas per raham farmaye, unhone sahi kaha tha ke aurto'n ko saath na le jao*

*☞ Hamd o Sana ke baad farmaya," Aye logo tum mera nasab dekho me kon hu'n, phir apne dilo me ghor Karo ke kya ye tumhare liye jaa'iz he ke tum mujhe qatl Karo Kya me tumhare Nabi Sallallahu Alaihivasallam ki Sahabzadi ka beta nahi hu'n? Kya me us baap ka beta nahi hu'n Jo Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ka chachazad bhai wasi ul momineen  tha,? Kya Sayyadul Shohda  Hazrat Hamza Raz.mere baap ke chacha nahi? Kya Jaafar Tayaar mere chacha nahi?Kya tumhe ye hadees mashoor nahi pohunchi ke Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne mujhe aur mere bhai Hasan ko Sayyada Shabab Ahlal Jannat aur apni aankho ki thandak farmaya?Agar tumhe meri baat ka yaqeen nahi to tumhare andar aise log mojood hai'n jinse iski tasdeek ho sakti he,Kya ye cheeze tumhare liye mera khoon bahane se Rokne ke liye kafi nahi he, Mujhe batao ke mene kisi ko qatl kiya he ke jiske qasaas me mujhe qatl kar rahe ho, ya mene kisi ka maal loota he ya kisi ko zakhm diya he,"*

*☞ iske baad Hazrat Husain Raz.ne kuffa ke bade sardar logo ka naam lekar pukara," A Sheesh bin Rabi, A Hijaz bin Zahra,  A Qais bin Ashas, A  Zaid bin Haris kya tum logo ne mujhe bulane ke liye khutoot nahi likhe?Ye sab log mukar gaye ke humne nahi likhe,Hazrat Husain Raz.ne farmaya, mere pass tumhare khutoot mojood hai'n,iske baad farmaya," A  logo agar tum mera aana pasand nahi karte to mujhe chhord do, me kisi aisi zameen me chala jaunga jaha mujhe aman mile, "Qais bin Ashas ne kaha ke Aap apne chachazad bhai ibne Ziyaad ke hukm per kyu nahi utar aate, wo phir aapke bhai hai'n Aapke saath bura sulook nahi karenge,Hazrat Husain Raz. ne farmaya," Muslim bin Aqeel Raz.ke qatl ke baad bhi tumhari yahi Raay he? Wallah me isko kabhi qubool nahi karunga,*

*☞ iske baad Hazrat Zubair bin Alqeen  Raz. ne nasihat ki ke apni is harkat se baaz aa jao Zalimo ab bhi hosh me aao, Fatma Raz.ka beta Sumaiya ke bete ( ibne Ziyaad) se zyada muhabbat o ikraam ka mustahiq he, "iske baad Har bin Yazeed ne bhi khitab kiya*

*☞  41- SHIMAR KA PEHLA TEER*

*☞ Jab guftgu taveel hone lagi to Shimar ne pehla teer chala diya, Jab Har bin Yazeed ne khitaab kiya to un per bhi teer pheke gaye, iske baad teerandazi ka silsila shuru ho gaya, dushmano ke bhi kaafi aadmi maare gaye, Hazrat Husain Raz.ke Rafqaa bhi baaz shaheed ho gaye, Ghamasan ki jung hui, ghode chhord kar pyade Aa gaye, Ab dushmano ne khemo me aag lagana shuru kar diya,*

*☞ 42- GHAMSHAAN ME NAMAZE ZOHAR KA WAQT*

*☞  Hazrat Husain Raz.ke aksar ashaab shaheed ho chuke the aur dushmano ke daste Hazrat Husain Raz.ke qareeb pohunch chuke the ,Abu Shamama Sa'adi ne arz kiya ke meri jaan aap per qurbaan ho me chahta hu ke aapke saamne qatl kiya jau, lekin dil ye chahta he ke Zohar ka waqt ho chuka he, ye namaz ada karke parvardigar ke saamne jau,*

*☞ Hazrat Husain Raz.ne awaaz buLand kar ke farmaya, Jung multavi karo yaha tak ke ham namaz pad le aisi ghamasaan jung me kon sunta aur Abu Shamama isi haalat me shaheed ho gaye, unke baad Hazrat Husain Raz.ne apne chand ashaab ke saath namaze Zohar salatul khof ke mutabiq Ada ki, Namaz ke baad phir qitaal shuru hua, Har koi chahta tha ke me Hazrat Husain Raz.ke saamne pehle shaheed ho jau, isliye har Shakhsh nihayat shiddat o shuja'at se muqabla kar raha tha,Hazrat Husain Raz.ke bade sahabzade Hazrat Ali Akbar Raz.ye sher padte hue aage bade, ( Tarjuma )" Me Husain bin Ali Raz.ka beta hu'n, Qasam he Rabbul bait ki hum Rasool Sallallahu Alaihivasallam ke qareebtar hai'n, "Kambakht Murrah bin Munqaz ne unko neza maar kar gira diya aur unki laash ke tukde tukde kar diye,Amr bin Sa'ad ne Hazrat Qasim bin Hasan Raz.ke sar per talwaar maari, Hazrat Husain Raz.ne doondh kar unko sambhala, aur Amr per talwaar se hamla kiya jisse kohni se uska haath kat gaya, Aapne apne bhatije ki laash ko uthaya aur apne bete aur doosre ahle bait ki laasho ke paas lita diya,*

*☞ Hazrat Husain Raz.taqreeban tanha beyaar o madadgar reh gaye lekin unki taraf badhne ki kisi ko himmat na thi, Hazrat Husain Raz.ke qatl aur uske gunah ko apne sar koi lena nahi chahta tha, yaha tak ke qabila kundah ka ek shaqi ul qaLb Malik bin Naseer Aage badha aur Hazrat Husain Raz.ke sar per talwaar se hamla kiya, Aap shadeed zakhmi ho gaye, apne chote bete Abdullah Raz.ko bulaya aur apni god me betha liya, Bani Asad ke ek badnaseeb ne unko bhi teer maar kar shaheed kar diya, Hazrat Husain Raz.ne us masoom bachche ka khoon lekar zameen per bikher diya aur dua ki, " Ya Allah ! Tu hi in zalimo se humara inteqam le,*

*☞  43- HAZRAT HUSAIN RAZIYALLAHU ANHU KI  SHAHADAT*

*☞ Us waqt aapki pyaas had tak pohunch chuki thi, Aap paani pine ke liye dariya e faraat ke qareeb tashreef le gaye Zalim Husen bin Nameer ne aapke moonh par nishana kar ke Teer pheka Jo aapko laga aur dahan Mubarak se khoon jaari ho gaya,inna lillahi va inna ilayhi raajioun,*

*☞  Shimar 10 Aadmiyo ko Lekar Hazrat Husain Raz.ki taraf bada, Shadeed pyaas aur zakhmo ke bavjood aap unka dilerana muqabLa kar rahe the aur jis taraf Aap badhte ye bhagte nazar aate,Shimar ne jab ye dekha ke Hazrat Husain Raz.ke qatl karne se har Shakhsh bachna chahta he to awaaz di ke sab ek saath hamla Karo, is per bahut se badnaseeb aage badhe, nezo aur talwaro se ek saath hamla kiya aur ye ibne Rasulullah, khaire khalkullah fil arz zalimo ka dilerana muqabla karte hue shaheed ho gaye,inna lillahi va inna ilayhi raajioun,*

*☞ Shimar ne khola bin Yazeed se kaha ke inka sar kaat lo, magar uska haath kaanp gaya, phir Shaqi badbakht Sannan Bin Anas ne kaam anjaam diya, Aapki Laash ko dekha to 33 zakhm nezo ke, 34 zakhm talwaro ke the,"Fa raziyallahu anhum va arzah varzuqna hubba va hab min vaalidah, "Hazrat Husain Raz.aur ahle bait ke qatl se farigh hokar ye zalim Hazrat Ali Asgar zenul Abideen Raz.ki taraf mutavajjah hue, Shimar ne unko bhi qatl karna chaha, Hameed bin Muslim ne kaha," Tum bachche ko qatl karte ho jab ke wo mareez bhi he, " To Shimar ne unhe chord diya,Amr bin Sa'ad ne kaha ke aurto ke khemo ke paas koi na jaye aur is mareez bachche ko koi na chede,*

*☞ ibne Ziyaad ka hukm tha ke qatl ke baad laash ko ghodo,n ki taapo se Ronda jaye, un zalimo ne ye bhi kar daLa,*

*☞  WAQIYA E KARBALA KA RANJ O ALAM*

*☞ Har kalma go chahe shiya ho ya sunni ho is dahshatnaak aur dard angez waqiye se be inteha ranj o alam he, koi nahi Jo Hazrat Husain Raz.ki mazlumiyat se magmoom na ho, Taqriban 1374 saal guzarne ke bavjood is waqiye ko koi bhooL nahi paya iski yaad taaza apne seeno me Rehti he,*

*☞ IZHARE GHAM KE TAREEQE ME FARQ*

*☞ Ahle sunnat wal jama'at is dardnaak waqiye ko apne seene me rakhne ke bavajood ek bahadur sahibe waqaar insaan ki tarah sanjeedgi ko haath se jaane nahi dete, Jabki iske khilaf Shiya logo ne is ranj o alam ka izhaar karne ke liye Sunnat se moonh mod liya aur 10 ve muharram ko izhaare gham ka wo tareeqa akhtiyaar kar liya Jo naja'iz aur haraam he, jinse musalmano ke Aqa'id faasid hote hai'n, Shiya logo ke kamzor tabiyat ke rehnuma apne faayde ki khatir haqq ko chhupate hai'n aur akhirat ke nata'iz ko nazar andaaz karte hai'n,*

*☞ Afsos ye he ke aaj bahut se hamare Sunni bhai bhi inki pervi kar rahe aur apni akhirat kharab kar rahe,*

*☞ TAAZIYADAARI KE MUTALLIQ ULAMA AHLE SUNNAT KA FAISAL*

*☞ Hazrat  Shah Abdul Aziz Rh.Muhaddis Dehlvi Fatawa Azizi matbua muztabai, Safa 74 per likhte hai'n,*

*☞ Taaziyadari Bid'at he aur Bid'ate Shiya hai aur Bid'ate Shiya isme shamil hone walo ko khuda ki laanat me giraftaar kar deti he,aur uske faraiz aur nawafil bhi baargahe iLahi me maqbool nahi hote,*

*☞ Marsiya khwani ki majlis me ziyarat aur giryazari ki niyat se jana bhi jaa'iz nahi kyu ke waha'n koi ziyarat nahi he jinke vaaste koi Aadmi jaye aur Taaziya lakdiyo ki jo banai gayi hain ye ziyarat ke qaabil nahi balke mitaane ke qaabil hai*

*📂( Fatawa Azizi matbua muztabai, Safa 73,)*

*☞ Taaziye ke Taboot ki ziyarat karna aur us per Fatiha padhna aur Marsiya padna aur Kitaab sunna aur fariyaad karna aur rona, seena peetna, Imaam Husain Raziyallahu Anhu ke maatam me apne aapko zakhmi karna ye sab cheeze Shar'an najaa'iz he,( Fatawa Azizi matbua muztabai, safa 155)*

*☞ Hum Musalmano ka farz he ke Taaziye ke juLoos me Shirkat se parhez kare'n aur apne ahal o ayaal ko bhi bachaye, Har musalman ko is Bid'at o Jahalat se rokna hum sabka farz he, Allah Tamaam Ahle imaan ko Haq ki Samajh Ataa farmaye Aameen ya RabbuL AaLameen*

*☞  FATAWA MEHMUDIYA*

*⚄→ TAAZIYA AUR ALAM*

⚄→ Maahe muharram me Taaziya ma'a Alam ke nikaalna aur uske saath marsiya padhna, Juloos ke saath Shareeq hona aur Chadhawa chadhana aur nazre husain ki Sabeel lagana, uska peena aur pilana aur usko sawab samajhna, Ye sab afaal Bid'at aur Najaa'iz hai'n aur Rawafiz ka sha'ar he, inme shirkat bhi najaa'iz he,

📂Fatawa Mehmudiya,, 2/44

*⚄→ TAAZIYE KE SAAMNE LAATHI CHALANA AUR KHEL TAMASHA*

⚄→ Muharram ke mahine me Taaziyo ke juloos ke saamne laathiya chalana aur doosre khel tamashe Jo khele jate hai'n, Shar'an be asal aur najaa'iz hain, Ye Rawafiz ka tareeqa he, Hazrat Ali Raziyallahu Anhu se sabit nahi,

*📂 Fatawa Mehmudiya,, 2/45*

*⚄→ TAAZIYE KI MANNAT*

⚄→ Taaziye ki mannat durust nahi, Jin bado ne iski mannat maan kar banana shuru kiya wo ghaLti per the aur is fail ki vajah se gunahgar hue aur Aapko iska itteba karna jaa'iz nahi, Taaziye vagera hargiz na banaye, qat'an tark kar dijiye,

⚄→ Ye aqeeda rakhna ke Taaziya nahi banayenge  to koi nuqsaan jaani maali pohunchega, aise aqaa'id se imaan saalim nahi rehta

⚄→ Taaziye banana aur us per nazar niyaaz chadhana, usse mannat maanna haraam o shirk he, Sadqa khairat Jo kuch karna ho shari'at ke mutabiq mahaz khuda ke liye kar diya jaye, Taaziye per chadhane aur usse mannat maanne aur gairullah ke naam per khana khilane se wo khana bhi najaa'iz ho jata he, iska sawab nahi hota balke gunah hota he,

*📂 Fatawa Mehmudiya,, 2/46*

*⚄→ ISAALE SAWAB AUR ISLAAM KE KHILAAF AF'AAL*

⚄→ Ayyame muharram me majlise muaqad karna, imaamo ke naam ka khichda pakana, Sharbat pilana, apni awlaad ko imaamo ka faqeer banana( faqiri pehnana),ye sab afaal taalime islaam ke khilaf hain aur Allah ta'aala aur uske Sachche Rasool Sallallahu Alaihivasallam ki naraazgi ka sabab hain in  Sabse toba laazim he

⚄→ isaale sawaab ke liye kuch khana ghareeb miskeen  ko khila kar, ya naqad dekar, ya Qurane paak padkar ya koi ibadat karke murdo ko sawaab pohunchana baghair kisi tareekh o haiyat ke iltzaam ke shar'an durust he,

*📂 Fatawa Mehmudiya,, 2/46*

*⚄→ PANJTAN PAK KA MISDAAQ*

⚄→ Huzur Sallallahu Alaihivasallam, Hazrat Ali, Hazrat Fatima, Hazrat Hasan aur Hazrat Husain Raziyallahu Anhum ko shamil kar ke Panjatan Paak kehna,  Agar Panjatan Paak ka ye matlab he ke in sabka maqaam o darja muttahid he to ye ghalat hai

*📂 Fatawa Mehmudiya,, 2/47*

*☞   44- HAZRAT HUSAIN RAZIYALLAHU ANHU AUR UNKE RAFQA KE SAR MUBARAK IBNE ZIYAAD KE BARABAR ME*

⚄→ Jung ke khatme per maqtuleen ki shumar ki gayi to Hazrat Husain Raziyallahu anhu ke ashaab me 72 Hazraat shaheed hue aur Amr bin Sa'ad ke lashkar ke 88 sipahi maare gaye, Hazrat Husain Raz.aur unke Rafqa ko 2 din baad dafan kiya gaya,

⚄→ Khola bin Yazeed aur Hameed bin Muslim in Hazraat ke saro ko lekar kuffa rawana hue aur ibne Ziyaad ke saamne pesh kiya, ibne Ziyaad ne sabko jama kar ke saro ko saamne rakha aur ek chhadi se Hazrat Husain Raz.ke dahan Mubarak ko choone laga, Zaid bin Arqam Raziyallahu Anhu se raha nahi gaya aur bol uthe, ke chadi ko in mubarak honto se hata le, qasam hai us zaat ki jiske Siva koi ma'abood  nahi ke mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko dekha he ke in honto ka bosa dete the, ye kehkar Ro pade,Ibne Ziyaad ne kaha ke tum agar boodhe na hote to me tumhari bhi gardan uda deta, Hazrat Zaid bin Arqam Raz.ye kehte hue bahar aa gaye ke,Aye qaume Arab tumne Sayyadunnisa Fatma ke bete ko qatl kar diya aur Marjana ke bete ko apna Ameer bana liya, wo tumhare achchhe logo ko qatl karega aur shariro ko ghulam banayega, tumhe kya hua Jo is zillat per raazi ho gaye,

*⚄→ 45- BAQIYA AHLE BAIT KUFFA ME*

⚄→ Amr bin Sa'ad 2 roz baad baaqi ahle bait ko lekar kuffa pohuncha, aur sabko ibne Ziyaad ke saamne pesh kiya, ibne Ziyaad ne Hazrat  Ali Asghar Raz.ko bhi qatl karne ka iraada kiya to Hazrat Ali Asghar Raz. ne kaha ke mere baad in aurto'n ka kon kafeel hoga?Idhar Hazrat Zenab Raz.unki phupi unko lipat gayi aur kehne lagi,"Aye ibne Ziyaad kya abhi tak humare khoon se Teri pyaas nahi bujhi, me tujhe khuda ki qasam deti hu'n, inko qatl kare to humko bhi inke saath qatl kar de, "Ali Asghar Raz. ne farmaya,, Aye ibne Ziyaad agar tere aur in aurto'n ke darmiyan koi qarabat ( rishtedari) he to inke saath kisi saleh muttaqi musalman ko bhejna, Jo islam ki taleem ke mutabiq inki rafaqat kare, "Ye sunkar ibne Ziyaad ne kaha,- Achchha is ladke ko chhord do ke ye khud apni aurto'n ke saath jaye,

⚄→ iske baad ibne Ziyaad ne ek namaz ke baad khutba diya jisme Hazrat Husain Raz.,Hazrat Ali Raz. Per sab o shitam kiya, us majme me ek naabina Sahabi Abdullah bin Afeef Azdi Raz.the, wo khade ho gaye aur kaha," Aye ibne Ziyaad tu kazaab bin kazaab he, tum Ambiya ki awlaad ko qatl karte ho aur Siddiqeen si baate banate ho, "Ibne Ziyaad ne unhe giraftar karna chaha lekin unke qabile ke log khade ho gaye to unko chhord diya

 
*☞   46- SAR MUBARAK KO KUFFA KE BAZARO ME PHIRAYA GAYA*

⚄→ ibne Ziyaad ki shaqawat ne isi per bas nahi kiya balke hukm diya ke Hazrat Husain Raz.ke sar Mubarak ko ek Lakdi per Rakh kar kuffa ke bazaro aur gali kooncho me ghumaya jaye,, iske baad muLke shaam Yazeed ke paas bhej diya gaya, aur saath hi aurto'n aur bachcho ko bhi Rawana kar diya gaya,

⚄→ inaam ke LaLach me Har bin Qais Yazeed ke paas Fateh ki khabar lekar pohuncha aur maidane karbala ki tafseel bayaan ki, Ye haal sunkar Yazeed ki aankho se aansu beh nikLe aur kaha," Me tumse itni hi itaat chahta tha ke bager qatl kiye giraftaar kar lo, Allah ta'aala ibne Sumaiya ( ibne Ziyaad) per laanat kare, usne inko qatl Kara diya, Khuda ki qasam me waha hota to me maaf kar deta, Allah ta'aala Husain (Raz.) per raham farmaye,

⚄→ Sar Mubarak jis waqt Yazeed ke saamne rakha gaya to Yazeed ke haath me ek chhadi thi aur Hazrat Husain Raz.ke daanto per chhadi pher kar ashaar padne laga," Hamari qaum ne hamare liye insaaf na kiya to hamari khoo'n chaka'n Talwaro ne insaaf kiya, jinhone aise mardo ke sar faad diye Jo hum per sakht the aur wo ta'alluqaat qata'a karne wale zalim the,"Hazrat Abu Barza Aslami Raziyallahu Anhu bhi wahi mojood the, Aapne kaha ke,"Aye  Yazeed apni chhadi Hazrat Husain Raz.ke daanto per lagata he aur mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko dekha he ke inko bosa dete the,Aye  Yazeed qayamat ke roz tu aayega to Teri shafa'at ibne Ziyaad hi karega aur Hazrat Husain Raziyallahu Anhu aayenge to unke Shafi'a Muhammad Mustfa Sallallahu Alaihivasallam honge, "Ye kehkar Abu Barza Raz.majlis se nikal gaye, 


*☞  47- YAZEED KE GHAR MAATAM*

⚄→ Jab Yazeed ki bivi Hindah binte Abdullah ne ye suna ke Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ko qatl kar diya gaya aur unka sar Mubarak laya gaya he to wo chaadar oadh kar bahar nikal aayi aur kehne lagi, "Aye  Amirul Momineen kya ibne binte Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke saath ye maamla kiya gaya he,Usne kaha, Khuda ibne Ziyaad ko halaak kare usne jaldi ki aur qatl kar dala, Hindah sunkar ro padi,

⚄→ Aurte'n, bachche Yazeed ke saamne Laaye gaye aur sar Mubarak majlis me rakha hua tha, Hazrat Husain Raz.ki dono sahabzadiya Fatima aur Sakina Raziyallahu anhuma ki nazar apne walid maajid ke sar per padi to besakhta Rone lagi ke awaaz nikal gayi, unki awaaz sunkar Yazeed ki aurte'n bhi chilla uthi aur Yazeed ke ghar me ek maatam barpa ho gaya,

*⚄→ 48- AHLE BAIT KI MADINA WAAPSI*

⚄→ iske baad Ahle bait ko hifazat ke saath madina ki taraf rawana kar diya gaya,Hazrat Husain Raziyallahu anhu aur unke ashaab ke qatl ki khabar jab Madina pohunchi to Madina me kohraam mach gaya, Madina ke daro diwaar Ro rahe the aur jab ahle bait ke baqia nafoos Madina pohunche to Madina walo ke zakhm taza ho gaye,

*⚄→ 49- SHAHADAT KE WAQT HUZUR SALLALLAHU ALAIHIVASALLAM KO KHWAB ME DEKHA GAYA*

⚄→ Behqi ne daLaiL me basanad rivayat likhi he ke, Hazrat Abdullah bin Abbas Raziyallahu Anhu ne ek raat Huzur Sallallahu Alaihivasallam ko khwab me dekha ke dopahar ka waqt he, Aap paraganda Baal pareshan haal hai'n, Aapke haath me ek sheeshi he jisme khoon he, ibne Abbas Raz.farmate hai'n ke mene arz kiya ke isme kya he? Farmaya - Husain ka khoon he, me Allah ta'aala ke saamne pesh karunga,Hazrat ibne Abbas Raz.ne usi waqt logo ko khabar de di ke Husain Raz.shaheed ho gaye,is khwab se chand roz baad shahadat ki khabar pohunchi aur hisaab lagaya gaya to theek wahi din aur wahi waqt aapki shahadat ka tha,

⚄→ Tirmizi ne sulmi se rivayat kiya he ke wo ek roz Hazrat umme Salma Raziyallahu Anha ke paas gaye to ro rahi thi, mene puchha to farmaya, Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko khwab me is tarah dekha he ke Aapke sar Mubarak aur daadi Mubarak per mitti padi hui he,Mene puchha ke ye kya haal he?  Farmaya ke me abhi Husain ke qatl per mojood tha,

⚄→ Abu Naiem ne dalail: me Hazrat Umme Salma Raziyallahu Anha se rivayat kiya he ke Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ke qatl per mene Jinnat ko Rote dekha he,

*⚄→ 50- HAMARA AMAL KYA HONA CHAHIYE*

⚄→ Agar Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ki zaat o sifaat ka zikr aayega to hum bila shubha sar jhuka denge aur unke naqshe qadam per sar ke bal chalne ko bhi imaan o sa'adat samjhenge,Aur Yazeed aur uske qaba'ir o misaal ba uyoob saamne aayenge to hum asal haqeeqat ko samajh kar khamoshi akhtyar karne ko maqool jazba samjhenge, Ab uska maamla Allah ta'aala ke saath he humare saath nahi,

*⚄→ Hazrat Maulana Qari Taiyab Sahab Rh.* 


*✬  6- QAATILANE HAZRAT  HUSAIN RAZIYALLAHU ANHU KA IBRATNAAK ANJAAM*

⚄→ Imaam Zahri farmate hai'n ke Jo log qatLe Husain  Raz. me shamil the unme se ek bhi nahi bacha jisko Aakhirat se pehle duniya me saza na mili ho, koi qatl kiya gaya, kisi ka chehra sakht syaah ho gaya ya masakh ho gaya ya chand roz me hi muLk saltnat chin gayi aur zahir he ke ye inke amaal ki asLi saza nahi, balke uska ek namoona he Jo logo ko ibrat ke liye duniya me dikha diya gaya,

*⚄→ 1- QATILANE HUSAIN RAZIYALLAHU ANHU ANDHA HO GAYA*

⚄→ Ibne Jozi Rm.ne rivayat kiya he ke ek budha Aadmi Hazrat Husain Raz.ke qatl me shamil tha wo dafatan naabina ho gaya to logo ne sabab poocha,Usne kaha mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko khwab me dekha ke aasteen chadhaye hue hain, haath me talwar he aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ke saamne chamde ka wo farsh he jis per kisi ko qatl kiya jata he aur us per qaatilane Husain Raz.me se 10 Aadmiyo ki Laashe zibah ki hui padi hai'n, uske baad Aap Sallallahu Alaihivasallam ne mujhe daanta aur khoone Husain Raz. ki ek salai meri aankho me laga di, Subeh jab utha to me andha tha,

                  *📂 As'aaf*

*⚄→ 2- MOONH KALA HO GAYA*

⚄→ Ibne jozi Rm. ne naqal kiya he jis Shakhsh ne Hazrat Husain Raz.ke sar Mubarak ko apne ghode ki gardan me latkaya tha, uske baad use dekha gaya ke uska moonh kala taarkol ki tarah ho gaya he logo ne poocha ke tum saare Arab me khush Ru aadmi the tumhe kya hua? Usne kaha ke jis roz mene ye sar ghode ki gardan me latkaya jab zara soya to dekha do aadmi mere baazu pakadte hai'n aur mujhe ek dahakti hui aag per le jate hai'n, aur isi haalat me chand roz ke baad mar gaya,

*⚄→ 3- AAG ME JAL GAYA*

⚄→ Ibne jozi Rm.ne Sadi se naqal kiya he ke unhone ek Shakhsh ki dawat ki, majlis me ye zikr chala ke Hazrat Husain Raz.ke qatl me Jo bhi shamil hua usko duniya me bhi jald saza mil gayi, us shakhs ne kaha bilkul ghalat he me khud unke qatl me shamil tha mera kuch bhi nahi bigda,Ye Shakhsh majlis se uth kar ghar gaya, jaate hi chiraag ki batti durust karte hue uske kapdo me aag lag gayi, aur wahi jal bhun kar reh gaya, Sadi kehte hai'n ke mene khud usko subah dekha to koyla ho chuka tha,

*⚄→ 4- TEER MAARNE WALA PYAAS SE TADAP TADAP KAR MAR GAYA*

⚄→ Jis shakhs ne Hazrat Husain Raz.ko teer mara aur paani nahi peene diya us per Allah ta'aala ne aisi pyaas musallat kar di ke kisi tarah pyaas bujhti na thi paani kitna hi piya jaye, pyaas se tadapta rehta tha, Yaha tak ke uska pet fat gaya aur Mar gaya, 
 

*⚄→    5-HALAAKAT E YAZEED*  

⚄→ Shahadate Husain Raziyallahu Anhu ke baad Yazeed ko bhi ek din chen naseeb na hua, tamaam islamic mumalik me khoone shohda ka mutalba aur bagawate shuru ho gayi, Uski Zindagi uske baad 2 saal 8 maah aur ek rivayat ke me 3 saal 8 maah se zyada nahi rahi, Duniya me bhi Allah ta'aala ne usko zaleel kiya aur isi zillat ke saath halaak ho gaya,

*⚄→ 6- KUFFA PAR MUKHTAR KQ TASALLUT AUR QAATILANE HUSAIN RAZIYALLAHU ANHU KI IBRATNAAK HALAKAT*

⚄→ Qaatilane Husain Raz. Per tarah tarah ki afaat ka ek silsila to tha hi, Shahadat ke waq'a se 5 saal baad hi 66 hijri me Mukhtar ne qaatilo se qasaas lene ka iraada zahir kiya to Aam musalman uske saath ho gaye aur thode hi arse me usko ye quwwat hasil ho gayi k kuffa aur Iraaq per uska tasallut ho gaya, Usne Ayelaane aam kar diya qaatilane Husain Raz.ke Siva sabko Aman diya jata he aur qaatilo ki tafteesh aur talashi per poori quwwat laga di aur ek ek ko giraftaar kar ke qatl kiya, ek roz me 248 Aadmi is jurm me qatl kiye gaye, uske baad khaas logo ki talash aur giraftari shuru ho gayi,

⚄→ Amru bin Hijaaj pyaas aur garmi me bhaga, pyaas ki vajah se behosh hokar gir pada aur zibah kar diya gaya,

⚄→ Simar ziljoshan Jo Hazrat Husain Raz.ke bare me sabse zyada shaqi aur sakht tha usko qatl karke laash kutto ke saamne daal di gayi,

⚄→ Abdullah bin Used, Malik bin Basheer, Hamal bin Maalik ka muhasra kar ke sabko qatl kar diya, Maalik bin Basheer ke do no haath do no per kaat kar maidan me daal diya tadap tadap kar mar gaya,

⚄→ Usman bin Khalid aur Basheer bin Shamit ne Muslim bin Aqeel Raz.ke qatl me iaanat ki thi, inko qatl karke jala diya gaya,

⚄→ Amr bin Sa'ad Jo Hazrat Husain Raz. Ke muqable per lashkar ki kamaan kar raha tha, usko qatl karke uska sar Mukhtar ke saamne laaya gaya, Mukhtar ne uske bete Hafs ko bhi qatl karke kaha," Amr bin Sa'ad ka qatl to Husain Raz.ke badle me he aur Hafs ka qatl Ali bin Husain Raz.ke badle me aur haqeeqat ye he k phir bhi barabari nahi hui, agar me 3 chothai Quresh ko qatl kar du to Hazrat Husain Raz.ki ek ungli ka bhi badla nahi ho sakta,"

⚄→ Hakeem bin Tufel jisne Hazrat Husain Raz.ko teer maara tha uska badan teero se chhalni kar diya gaya, Zaid bin Rafad ko teer aur patthar barsakar maara gaya phir jala diya gaya, Salaam bin Anas jisne Sar Mubarak kaatne ka aqdaam kiya tha Kuffa se bhaag gaya, uska ghar munhadim kar diya gaya,

⚄→ Qaatilane Husain Raziyallahu Anhu ka ye ibratnaak anjaam maloom karke besakhta ye aayat zuban per aayi,Tarjuma -Azaab aisa hi hota he aur akhirat ka azaab isse bada he, kaash wo samajh lete,

⚄→ Abdullah bin Umereshi ka bayan he ke mene Kuffa ke Qasre imarat Hazrat Husain Raz.ka sar Mubarak Abdullah bin Ziyaad ke saamne ek dhaal per rakha hua dekha, phir usi Qasr me Abdullah bin Ziyaad ka sar  Mukhtar ke saamne dekha phir usi Qasr me Mukhtar ka sar kata hua Moasib bin Zubair ke saamne dekha

*⚄→  →7 HAZRAT HUSAIN RAZIYALLAHU ANHU NE KIS MAQSAD KE LIYE QURBAANI DI*

⚄→ Aap pehle padh chuke hain, Hazrat Husain Raz.ne ahle Basra ko Jo khat likha tha, jiske chand jumle ye hain," Aap log dekh rahe hain ke Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki sunnat mit rahi he, aur bida'at phelayi ja rahi he, me tumhe dawat deta hu ke kitabullah aur sunnate Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki hifazat Karo aur uske ahkaam ki tanfeez ke liye koshish Karo,"

        *📂 Kamil ibne Aseer, 4/9*

⚄→ Farzooq Sha'ir ke jawab me Jo kalamaat kuffa ke raaste me aapne irshad farmaye uske chand jumle ye hain," Agar taqdeer e ilaahi hamari muraad ke muwafiq hoti he to hum Allah RabbuL izzat  ka shukr ada karenge aur hum shukr Ada karne me bhi uski iaanat talab karte hain, ke adaye shukr ki tofeeq di aur agar taqdeer e ilaahi muraad me haa'il ho gayi to us shakhs ka koi qusoor nahi Jiski niyat haq ki himayat ho aur jiske dil me khuda ka khof ho, "

                  *📂 Ibne Aseer,*

⚄→ Maidane jung me khutbe ke ye alfaz jisme zulm o jor ke muqable ke liye mahaz Allah ke liye khade hone ka zikr he, " Maut me kisi jawan ke liye aar nahi, Jabke uski niyat khair aur musalman hokar jihaad kar raha ho, "Jab sahabzade Ali Akbar ne kaha tha, ke " Abba jaan kya hum haq per nahi hain? Aapne farmaya," Qasam he us zaat ki jiski taraf sab bandgane khuda ka Ruju he bila shubha hum haq per hai'n,

⚄→ Ahle bait ke saamne  Aapke Aakhri irshadaat ke ye jumle pade," me Allah ta'aala ka shukr Ada karta hu raahat me bhi aur museebat me bhi, Ya Allah me Aapka shukr Ada karta hu ke aapne hume sharafate nabuwat se nawaza aur hume kaan, aankh aur dil diye jisse hum aapki ayaat samjhe aur hume aapne quran sikhaya aur deen ki samajh Ataa farmayi, hume aap shukr guzaar bando me dakhil farma Lijiye, "

⚄→ in khutbaat aur kalmaat ko sunne, padhne ke baad  bhi kya kisi musalman ko ye shubha ho sakta he ke Hazrat Husain Raz ka ye jihaad aur hairat angez qurbani apni hukumat o iqtdaar ke liye thi, Bade zaalim hain wo log Jo us muqaddas hasti ki azimusshan qurbani ko unki tasrihaat ke khilaf baaz duniyavi izzat o iqtdaar ki khatir qaraar dete hain, Haqeeqat wahi he Jo shuru me likh chuka hu'n ke Hazrat Husain Raz.ki saari qurbani sirf isliye thi,

⚄→ Kitaab o sunnat ke qanoon ko sahi tor per Rivaaj de'n,

⚄→ Islam ke nizaam adal ko az sar no qaa'im kare'n,

⚄→ Islaam me khilafat e nabuwwat ke bajaye mulukiyat o Aamriyat ki bid'at ka muqabla kare'n,

⚄→ Haq ke muqable me na zor o zar ki numaish se maroub ho'n aur na jaan maal aur aulad ka khof us raaste me haa'il ho,har khof, museebat, mashaqqat me har waqt Allah ko yaad rakhe, aur isi per har haal me tawakkul aur ayetmaad ho aur badi se badi museebat me bhi uske shukr guzaar bande saabit ho'n,

⚄→ Koi he Jo jigar gosha e Rasool Sallallahu Alaihivasallam ki is pukaar ko sune aur unke mishan ko unke naqse qadam per anjaam dene ke liye tayaar ho, unke akhlaq hasna ki pervi ko apni Zindagi Ka maqsad banale,Ya Allah hum sabko apni aur apne Rasool Sallallahu Alaihivasallam aur Aapke Ashaab Raziyallahu Anhum o ahle bait athaar ki muhabbat e kaamila aur itteba e kaamil naseeb farmaye

*📂Shaheede karbala ba hawala deeni dastarkhwan,*

  *┬ALHAMDULLAH MUKAMMAL*
     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
             ★

     *ʀεғεʀεηcε:- ┬*  
 
     *📂Shahadat e husain Rd,*

  💕 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*💕
                          ✍
             *❥ Raah-e-haqq  ❥*
http://apkemasailorunkahal.blogspot.com/?m=1
    
       *👆🏻Visit for All updates,*
          ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
               
*Facebook* https://www.facebook.com/babar.khansr.1

🍀🍃🎋

No comments:

Post a Comment