Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Tuesday, December 23, 2014

WALIDAIN SE HUSNE SALOOK

πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²
 Walida ke sath husne suluk se jannat milti he
πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²

❋ Hz Aaisha rd se riwayat he ke Rasulullah Sallalahu Alayhi Wasallam ne farmaya me {khawab me} jannat me dakhil huwa,  mene waha kisi ki qira'at ki aawaz suni,  mene puchha ye kon he ? To {farishto ne} jawab diya ye harisa ibne noman he. Rasulullah Sallalahu Alayhi Wasallam ne farmaya {sahaba se} tum bhi isi tarah husne suluk kiya karo. Hz harisa ibne noman apni walida ke sath bahut zyada husne suluk karne wale the.
                                                       

® β„³ishkat: 419

πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²
 ❋ Walid ko razi kar lo allah razi ho jaaega ❋ Walid ko naraz mat karo warna Allah naraz ho jaaega. ❋
πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²

❈ Hz abdullah ibne amr rd se riwayat he ke Rasulullah Sallalahu Alayhi Wasallam ne farmaya: Allah ki Razamandi Walid ki razamandi me he or Allah ki narazgi Walid ki narazgi me he.

® ₮irmizi: 2/12

πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²
 ❋ WALIDAIN AWLAAD KI JANNAT BHI JAHANNAM BHI ❊
πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²

❈ Hz abu umama rd se riwayat he ke ek shakhs ne puchha ya rasulullah ! Walidain ka awlaad par kya haq he ?

Rasulullah Sallalahu Alayhi Wasallam ne farmaya: wo dono teri jannat he or jahannam.

Hadis ka matlab ye he tu in dono ke zarye jannat bhi kama sakta he or jahannam bhi.
                                                         ® β„³ishkaat: 421

πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²
 ❋ WALIDAIN KI KHIDMAT JIHAAD SE AFZAL HE ❋
πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²

❈ Hz abdullah ibne amr rd se riwayat he ke ek shakhs Rasulullah Sallalahu Alayhi Wasallam ki khidmat me aae or jihaad me jane ki ijazat mangi to Aap Sallalahu Alayhi Wasallam ne puchha: kya tumhare walidain zinda hein ? Unhone kaha ji haan. Aap Sallalahu Alayhi Wasallam ne irshad farmaya: Jaao un hi ki khidmat me mujahda «mehnat» karo.

Ek riwayat me he ke Aap Sallalahu Alayhi Wasallam ne us shakhs se farmaya:  jaao apne walidain ke pass or un ke sath husne suluk karo.
                                                       

® β„³ishkaat: 331


πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²
 ❋ WALIDAIN KI TARAF SHAFQAT OR MUHABBAT KI NAZRON SE DEKHNA ❋
πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²

❀ Hz. Abdullah ibne abbas rd se riwayat he ke Rasulullah Sallalahu Alayhi Wasallam ne farmaya: ₣armabardar awlaad apne walidain ki janib shafqat or muhabbat ki nazron se dekhe to har martaba dekhne par ek maqbool hajj ka sawab likh diya jata he.

Sahaba ne puchha: ya rasulullah! Agar che so «100» martaba dekhe ?

Rasulullah Sallalahu Alayhi Wasallam ne irshad farmaya : haan ! Allah Jalla jalalahu to isse bhi bade or pakiza hein {yani allah ke liye 100 hajj ka sawab dena mushkil nahi he}.
                                                         ® β„³ishkaat: 421

πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²
                   πŸ‘‡JoinπŸ‘‡
           ULama e deoband
                      Group
             Male and female
       πŸ“±+91-7037363325

      Plz forward to all Muslim
πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²πŸ”²

No comments:

Post a Comment