Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Thursday, February 12, 2015

ASAAN MSAIL MOBILE-31-SE-60

┈═┈◌┈═┈◉┈═┈◌┈═┈◉
�� S A W A A L = 31
◑══◑══◑══◑══◑
Mobile Ki Ghanti Bajne Dena Aur Uthaa Kar Baat Na Karna Kiya Hukm Rakhta Hai
◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑
�� J A W A A B = 31
◑══◑══◑══◑══◑
Kuchh Logo’n Ke Mobile Ki Ghanti Bajti Rehti Hai Aur Koi Parwah Nahi Karte Aur Na Poochhte Hai’n Ke Kon Hai?
Kiya Kehna Chaahta Hai?
Yeh Islami Akhlaq Ke Khilaf Hai Aur Baat Karne Waale Ki Haq-Talfi Hai,
Jaise Hadees-Pak Me Aaya Hai:
“Jo Shakhs Aap Ki Mulaqat Ko Aaye Uska Tum Par Haq Hai Ke Usse Baat Karo Aur Bila-Zarurat Mulaqat Se Inkar Na Karo”
Isee Tarah Jo Aadmi Mobile Ya Tele-Phone Par Aap Se Baat Karna Chaahta Hai Uska Haq Hai Ke Aap Usko Jawab De’n.
☞ Mufti Muhammad Ismaa’eel Burhan Puri D. B.┍┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┙
.Mustafad: [Ma'aarif-Ul-Qur'aan]

┈═┈◌┈═┈◉┈═┈◌┈═┈◉
�� S A W A A L = 32
◑══◑══◑══◑══◑
Zaid Ne Mobile Phone Se Baat Ki, Phir Baat Poori Hone Par Mobile Band Kar Diya,
Lekin Pehli Martaba Kuchh Baat Bhool Gaya Tha To Dobarah Phone Thodi Der Ba’d Ya Ek Aadh Ghante Ba’d Kiya,
Phir (Phone) Rakhne Ke Ba’d Teesri Martaba Kisi Aur Kaam Se Mobile Se Baat Ki,
To Kiya Zaid Ko Phone Karne Par Har Martaba Salam Karna Chahiye
◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑
�� J A W A A B = 32
◑══◑══◑══◑══◑
Ek Baar Mobile Me Du’aa Salam Aur Guftugoo Ke Ba’d Mobile Rakh Diya Jaaye, Phir Ek Aadh Mint Ke Ba’d Dobarah Phone Milaya Jaaye To Usee Tarah Salam Se Guftugoo Ki Ibtida Karna Masnoon Hai Jis Tarah Pehli Martaba ki Jaa Chuki Hai,
Aise Hi Jab Baar Baar Mobile Ki Zarurat Pad Jaaye To Har Baar Salam Se Guftugoo Ki Ibtida Karna Masnoon Hoga.
☞ Mufti Muhammad Ismaa’eel Burhan Puri D. B.┍┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┙
.Mustafad: [Anwaar-E-Rahmat]

┈═┈◌┈═┈◉┈═┈◌┈═┈◉
�� S A W A A L = 33
◑══◑══◑══◑══◑
Mobile Par Baat Ko Khatm Karna Ho To Kiya Salam Par Baat Ko Khatm Karna Chahiye
◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑
�� J A W A A B = 33
◑══◑══◑══◑══◑
Jab Mobile Par Du’aa Salam Ke Ba’d Guftugoo Shuru Ho Jaaye Aur Guftugoo Ke Khatm Par Mobile Rakhne Ka Waqt Aajaye To Salam Ke Saath Mobile Rakhna Masnoon Hoga.
☞ Mufti Muhammad Ismaa’eel Burhan Puri D. B.┍┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┙
.Mustafad: [Anwaar-E-Rahmat]

┈═┈◌┈═┈◉┈═┈◌┈═┈◉
�� S A W A A L = 34
◑══◑══◑══◑══◑
Mobile Par Kisi Shakhs Se Kis Waqt Baat Karna Chahiye
◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑
�� J A W A A B = 34
◑══◑══◑══◑══◑
Kisi Shakhs Ko Aise Waqt Me Mobile Par Mukhatab Karna Jo Aadatan Uske Sone Ya Doosri Zaruriyyat Me Ya Namaz Me Mash’ghool Hone Ka Waqt Ho Bila-Zarurat-E-Shdeedah (Sakht Zarurat Ke Bagher) Jaaiz Nahi,
Kiyon Ke Isme Bhi Woh Hi Eizaa-Rasaani (Takleef Ponhchana) Hai Jo Kisi Ke Ghar Me Bagher Ijazat Daakhil Hone Aur Uski Aazadi Me Khalal Daalne Se Hoti Hai.
☞ Mufti Muhammad Ismaa’eel Burhan Puri D. B.┍┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┙
.Mustafad: [Ma'aarif-Ul-Qur'aan]

┈═┈◌┈═┈◉┈═┈◌┈═┈◉
�� S A W A A L = 35
◑══◑══◑══◑══◑
Mobile Par Saamne Wale Se Lambi Guftugoo Karna Kaisa Hai
◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑
�� J A W A A B = 35
◑══◑══◑══◑══◑
Mobile Par Agar Koi Taweel (Lambi) Baat Karna Chahe To Pehle Mukhatab Se Daryaft Kar Liya Jaaye Ke:
Aap Ko Zarasi Fursat Ho To Me Apni Baat Arz Karun,
Kiyon Ke Aksar Aisa Hota Hai Ke Mobile Ki Ghanti Bajne Par Aadmi Tab’an Majboor Hota Hai Ke Foran Ma’loom Kare Ke Kon Kiya Kehna Chaahta Hai?
Aur Is Zarurat Se Woh Kisi Bhi Haal Me Aur Zaruri Kaam Me Ho To Us (Zaroori Kaam) Ko Chhod Kar Mobile Uthata Hai.
Ab Koi Be-Raham Aadmi Us Waqt Lambi Baat Karne Lage To Sakht Takleef Mahsoos Hoti Hai.
☞ Mufti Muhammad Ismaa’eel Burhan Puri D. B.┍┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┙
.Mustafad: [Ma'aarif-Ul-Qur'aan]

┈═┈◌┈═┈◉┈═┈◌┈═┈◉
�� S A W A A L = 36
◑══◑══◑══◑══◑
↳ Agar Ek Hi Company Ke Do Mobile Do Alag Alag Aadmiyo’n Ke Paas Ho’n Aur Yeh Dono’n Apne Ek Hi Company Ke Mobile Se Jitni Der Chaahe Baat Kar Sakte Ho’n,
To Aisi Soorat Me Yeh Dono’n Kitni Der Tak Baat Kar Sakte Hai’n ?
Aaya Ba-Qadr-E-Zarurat Par Iktifa Kare’n Ya Zarurat Se Zaaid Be-Jaa Guftugoo Bhi Kar Sakte Hai’n ??
◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑
�� J A W A A B = 36
◑══◑══◑══◑══◑
↳ Jab Company Ne Yeh Suhoolat De Rakh’khi Hai Ke Uske Mobile Se Jitni Der Tak Chaahe’n Baate’n Kar Sakte Hai’n To Shar’an Mu’aamlae Ke Etibaar Se Baate’n Karne Me Waqt Ki Koi Tahdeed (Hadd Bandi) Nahi Ki Jaayegi,
Al-Battah Gup-Shup Aur Bila-Zarurat Jhak-Baazi Kisi Bhi Haal Me Durust Nahi, Khawah (Chaahe) Mobile Par Ho Ya Mobile Ke Bagher.
☞ Mufti Muhammad Salman Mansoor Puri D. B.┍┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┙
.Mustafad: [Bukhari Shareef]

┈═┈◌┈═┈◉┈═┈◌┈═┈◉
�� S A W A A L = 37
◑══◑══◑══◑══◑
↳ Mobile Ke Zariye Qabristan Me Baat Cheet Karna Kiya Hukm Rakhta Hai
◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑
�� J A W A A B = 37
◑══◑══◑══◑══◑
↳ Mobile Ke Zariye Qabristan Me Zaruri Baat Cheet Ki Jaa Sakti Hai.
☞ Mufti Ahmad Khanpuri D. B.

┈═┈◌┈═┈◉┈═┈◌┈═┈◉
�� S A W A A L = 38
◑══◑══◑══◑══◑
↳ Bahut Se Log Masjid Mei’n Namaz Padhne Ke Liye Aate Hei’n To Bait-Ul-Khalaa [ ToiLet ] Ka Rukh Karte Hai’n Aur Unki Jeb Mei’n Mobile Hota Hai,
Aur Kabhi Bait-Ul-Khalaa Mei’n Mobile Ki Bell Bajne Par Yeh Bait-Ul-Khalaa Me Baitha Huwa Shakhs Mobile Par Baat Shuru Kar Deta Hai.
To Pakhana Ya Paishab Karte Huwe Bait-Ul-Khalaa Me Mobile Par Baat Karna Kaisa Hai
◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑
�� J A W A A B = 38
◑══◑══◑══◑══◑
↳ Bait-Ul-Khalaa Mei’n Baithe Huwe Bait-Ul-Khalaa Ke Muta’alliq Zaroori Baato’n (Masalan Andar Paani Nahi Hai To Kisi Se Paani Talab Karne Ke Liye Baat Ki, Ya Baahir Se Kisi Ne Darwazah Band Kar Diya To Uske Khulwane Ke Liye Baat Ki) Ke Alaawah Baat Karna Makrooh (Khilaf-E-Aula) Hai Chaahe Mobile Ke Zariye Ho Ya Bila Mobile Ke,
Isliye Ke Hadees-E-Pak Me Farmaya Gaya Hai Ke “Aisa Shakhs Jo Pakhana Ya Paishab Karte Huwe Baat Kare Us Par ALLAH TA’AALA Ghussah Hota Hai”..
☞ Mufti Muhammad Ismaa’eel Burhan Puri D. B.┍┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┙
.Mustafad: [Abu Dawood]

┈═┈◌┈═┈◉┈═┈◌┈═┈◉
�� S A W A A L = 39
◑══◑══◑══◑══◑
↳ Zaid Ek Madrasah Mei’n Ustaaz Hai, Dauraan-E-Dars Uska MobiLe Baj Raha Hai To Kiya Woh Dars Rok Kar Uska Jawab De Sakta Hai ?
↳ Kiya Is Se Auqaat-E-Madrasah Ke Ta’haffuz Mei’n Kotahi To Nahi Hai ?
↳ Jab Ke MobiLe Ka Jawab Diye Bagher Yeh Ta’yeen (Muta’ayaan Karna) MushkiL Hai Ke Phone Zaroori Hai Ya Ghair-Zaroori.
↳ Isii Tarah Zaid Ek Hifz Ka Mudarris Hai, TaaLib-E-ILm Ka Qur’aan Sun Raha Hai, Darmiyan Mei’n MobiLe Ki Ghanti Baji, To Qur’aan Sunane WaLe TaaLib-E-ILm Ki TiLaawat Rok Kar MobiLe Ka Jawab Diya Ya Tilaawat Jaari Hai Aur Yeh Apne MobiLe Par Baat Kare ?
↳ Kiya Is Se MAN’A AN-ZIKRILLAH (ALLAH Ke Zikr Se Rokne) Waali Baat To Laazim Nahi Aaye gi
◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑
�� J A W A A B = 39
◑══◑══◑══◑══◑
↳ Mudarris Aur Teacher Ke Haq Mei’n Madrasah Ya SchooL Ke Auqaat Amaanat Hai’n, Is Liye Ke Aqd-E-Ijaarah (Mazduri Ke Mu’aamlae) Ke Zariye Unho’n Ne Apne In Auqaat Ko Madrasah Ya SchooL Ke Haath Faraukht Kar Diya Hai, Goya Woh Khud In Auqaat Ke MaaLik Nahi Hai’n,
↳ Is Ke Ba’d Madrasah Ya SchooL Ne In Un Auqaat Mei’n Jo Tadreesi Ya Ghair-Tadreesi Khidmat In Ke HawaaLe Ki Hai Us Ki In Auqaat Mei’n Anjam-Dahee Ke Liye Khud unhi Par Ei’timaad Kiya Hai,
↳ Ab Agar Woh In Auqaat Mei’n MobiLe Se Baat Cheet Kare’nge To Goya Unho’n Ne In Auqaat Ko Madrasah Ya SchooL Ki Hidaayat Ke Mutabiq Esti’maaL Karne Mei’n Un Par Kiye Gaye Ei’timaad Ki Khilaaf-Warzi Kar Ke Khayanat Ka Irtikaab Kiya Jo Durust Nahi Hai.
↳ Is Liye Un Hazraat Ko In Auqaat Mei’n Apna MobiLe Band Hi Rakhna Chahiye Taake Guftugoo Ki Naubat Na Aaye.
☞ Mufti Ahmad Khanpuri D. B
══◑══◑══◑══◑══◑══◑══◑══
↳ Aur Khas Kar Mudarriseen-E-Hifz Ko Is Ka Ziyadah Ehtimam Rakhna Chahiye, Aur Jab Bach’che Sabaq Suna Rahe Ho’n To Mudarriseen Ko MobiLe Par Ya Kisi Doosre Shakhs Se Baat Me Mash’ghooL nahi Rehna Chahiye,
↳ Is Liye Ke TiLaawat Ke Waqt Qur’aan-E-Pak Mei’n Khamosh Rehne Ka Hukm Diya Gaya Hai.
☞ Mufti Muhammad Salman Mansoor Puri D.B.
┍┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┙
.Mustafad: [Ma'aarif-Ul-Qur'aan]

┈═┈◌┈═┈◉┈═┈◌┈═┈◉
�� S A W A A L = 40
◑══◑══◑══◑══◑
↳ Madrasah Ke TaLaba Ka MobiLe Esti’maL Karna Kaisa Hai
◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑
�� J A W A A B = 40
◑══◑══◑══◑══◑
↳ TaLaba Ke Liye MobiLe Ka Esti’maaL Unki Yaksooi (Jo Husool-E-ILm Ke Liye Zaroori Hai Us Me) MukhiLL (KhaLaL-Andaaz) Hone Ke Saath Israaf (FuzooL-Kharchi) Bhi Hai.
Yeh To Us Waqt Hai Jab Ke Woh Ehtiyaat Ke Saath MobiLe Ka Esti’maaL Karte Ho’n.
Warnah Jaisa Ke Dastoor Hai, Bahut Saari Kharaabiyo’n Ka Baa’is Hone Ki Wajah Se Durust Nahi Hai.
☞ (Mufti Ahmad Khanpuri D. B.)

┈═┈◌┈═┈◉┈═┈◌┈═┈◉
�� S A W A A L = 41
◑══◑══◑══◑══◑
↳ Ka’nwari Ladki Ka MobiLe Esti’maL Karna Kaisa Hai
Jab Ke Woh Ghair-Mahram Se Baat Karti Rehti Hai.
◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑
�� J A W A A B = 41
◑══◑══◑══◑══◑
↳ MobiLe Ka Esti’maaL Aam Ho Jaane Ki Wajah Se Jawaan Ladke Aur Ladkiya’n Bhi BiLa-Jhijhak MobiLe Esti’maL Karne Lage Hai’n Aur Iski Wajah Se No-Jawaan NasL Mei’n Jo Kharaabiya’n Aarahi Hai’n Woh Samjh-Daar Logo’n Ki Nigaah Se Makhfi (Chhupi Huwi) Nahi.
Hadees-E-Pak Mei’n ManqooL Hai Ke Zaban Bhi Zina Karti Hai Aur Zaban Ka Zina Ghair-Mahram Aurat Se Baat Cheet Karna Hai.
MobiLe Ki Nuhoosat Se Zaban Ka Yeh Zina Bahut Hi Aam Ho Chuka Hai, Khud Daanish-Mand Hazraat Bhi Iska Esti’maaL BiLa-Zarurat Kar Ke FuzooL-Kharchi Ke Gunah Mei’n MubtaLa Hai’n, Is Se Khud Bachna Aur Apni AuLad Ko Bachana Nihayat Zaroori Hai.
☞ [Mufti Ahmad Khanpuri D. B.]

┈═┈◌┈═┈◉┈═┈◌┈═┈◉
�� S A W A A L = 42
◑══◑══◑══◑══◑
↳ MobiLe Ki Ba’z Companys (Ek CaLL) Ke Name Se Mssage Bhejti Hai’n Jis Mei’n Woh Apne Customers Ko Ek Khas Number Faraham Karti Hai’n Take Woh Us Number Par DiaLLed Kar Ke Kuchh Naye Dosto’n Se Apni Jan-Pehchan Kara Le’n, Jis Mei’n Kabhi Mardo’n Se Jan-Pehchan Hoti Hai To Kabhi Aurto’n Se,
To Kiya Kisi Ke Liye Jaaiz Hai Ke Woh Us Makh’soos Number Par DiaLLed Kar Ke Naye Dosto’n MasaLan Mardo’n Ya Aurto’n Se Apni Jan-Pehchan Karaye
◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑
�� J A W A A B = 42
◑══◑══◑══◑══◑
↳ Ajnabi Mardo’n Se BiLa-Wajah Dosti Qaaim Karna Waqt Ki Barbadi Aur La-Ya’ni (Be-Faaida) Mash’ghaLah Hai,
Aur Ajnabi Ladkiyo’n Se MobiLe Wagherah Ke Zariye Dosti Karna Shar’an Haram Hai Aur Bad-Tareen Ma’siyat Tak Poh’nchane WaaLa Hai.
☞ Mufti Muhammad Salman Mansoor Puri D. B.┍┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┙
.Mustafad: [Tahtawi AL-AL-Maraqi]

┈═┈◌┈═┈◉┈═┈◌┈═┈◉
�� S A W A A L = 43
◑══◑══◑══◑══◑
↳ Kisi Ladke ( Boy ) Ka Ajnabi Ladki ( GirL ) Se Message Ke Zariye Guftugu ( Chatting ) Karna Kaisa Hai
◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑
�� J A W A A B = 43
◑══◑══◑══◑══◑
↳ Message Par Guftugu Bhi Aamne-Saamne Guftugu Ke Maanind Hai,
Is Liye Jis Tarah Ajnabi Ladki Se BiL-Mushafaha (Aamne-Saamne) Guftugu Mana Hai, Isii Tarah Message Ke Zariye Bhi Guftugu Jaaiz Nahi.
☞ Mufti Muhammad Salman Mansoor Puri D. B.┍┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┙
.Mustafad: [Shami Zakariyya]

┈═┈◌┈═┈◉┈═┈◌┈═┈◉
�� S A W A A L = 44
◑══◑══◑══◑══◑
↳ MobiLe Offese (Customer Care) Ko Phone Karne Par Wahaa’n Ek Aurat Phone Par Moujood Hai,
To Kiya Usse Baat Karne Mei’n Koi Haraj Hai
Jab Ke Baat Koi Aham Nahi, Us Ke Bagher Bhi Mu’aamLah HaLL Ho Jaaye Ga.
◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑
�� J A W A A B = 44
◑══◑══◑══◑══◑
↳ BiLa Kisi Zarurat Ke Ajnabi Aurat Se Baat Cheet Ki Ijazat Nahi, Lekin Agar Koi Zarurat Dar-Pesh Ho To Ajnabi Aurat Se Ba-Qadr-E-Zarurat Baat Cheet Ki Gunjaish Hai.
☞ Mufti M. Salman D. B.┍┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┙
.Mustafad: [Durr-E-Mukhtar Ma-Al-Shami]

┈═┈◌┈═┈◉┈═┈◌┈═┈◉
�� S A W A A L = 45
◑══◑══◑══◑══◑
↳ MobiLe Ke Zariye BiLa-Ijazat Kisi Ki Guftugoo Ko Tip [ Record ] Karna Kiya Hukm Rakhta Hai
◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑
�� J A W A A B = 45
◑══◑══◑══◑══◑
↳ Aam Haalat Mei’n BiLa-Ijazat MobiLe Mei’n Kisi Ki Guftugoo Tip Karna Jaaiz Nahi, Kiyon Ke Paighambar (ALaihi-IL-SaLaatu Wa-AL-Salaam) Ne Farmaya Hai Ke:
“MajLiso’n Mei’n Kahi Huwi Baat Amaanat Hai”
Aur Tip Karne Ki Wajah Se Yeh Amaanat Mahdood Na Reh Sakegi, Balke Us Ke Doosro’n Tak Poh’nchane Ka Poora Imkaan Hai.
☞ Mufti Muhammad Salman Mansoor Puri D. B.┍┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┙
.Mustafad: [Tirmizi Shareef]

┈═┈◌┈═┈◉┈═┈◌┈═┈◉
�� S A W A A L = 46
◑══◑══◑══◑══◑
↳ MobiLe Mei’n ALLAH Ya Qur’aan Ya KaLimah WaaLa WaLLpaper Rakhna Kaisa Hai
◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑
�� J A W A A B = 46
◑══◑══◑══◑══◑
↳ Ba’z Log MobiLe Ki Screen Par WaLLpaper Ki Jagah Mei’n Qur’aan-E-Pak Ki Aayat Rakhte Hai’n Jiska MatLab Yeh Hota Hai Ke Qur’aan Ki Woh Aayat 24 Ghante MobiLe Ki Screen Par Rehti Hai Aisi HaaLat Mei’n Bagher Wuzoo Ke Us MobiLe Ko Pakadna Jaaiz Nahi’n Hai.
. Mustafad: [Shami Zakariyya]
Iske ALaawah Us Aayat Ke Screen Par Hone Ke Saath Jin Logo’n Ke Phone Number Un Ke Name Ke Saath MobiLe Mei’n Mahfooz Kiye Hai’n Zarurat Ke Waqt Woh Number Name Ke Saath Screen Par Aajate Hai’n Us Waqt Us Number Aur Name Ke Neeche Aayat Ya ALLAH Ka Name Hota Hai.
Sochne Ki Baat Hai Ke Qur’aan Ki Aayat Ya ALLAH TA’AALA Ke Name Ke Upar Logo’n Ke Name Ho’n,
Aur Usmei’n Bhi Woh Name Kisi Ghair-MusLim Ka Ho Aur Haqeeqat Mei’n Woh Name Kisi Dewi Ya Dewta Mei’n Paya Jaata Ho To Woh Dewi Dewta Ka Name Qur’aan-E-Pak Ki Aayat Ya ALLAH Ke Name Ke Upar Likkha Huwa Dikhaai Deta Hai To Kiya Kisi Momin Ki Ghairat Isko Bardasht Kar Sakti Hai.
(Lihaaza Is Qur’aan-E-Pak Ki Aayat Ya Lafz-E-ALLAH WaaLe WaLLpaper Ko MobiLe Ki Screen Par Nahi’n Rakhna Chahiye).
☞ (Mufti Ahmad Khanpuri D. B.)

┈═┈◌┈═┈◉┈═┈◌┈═┈◉
�� S A W A A L = 47
◑══◑══◑══◑══◑
↳ MobiLe Ki Screen Par Jaandar Ki Tasweer Ya Kisi Aurat Ki Tasweer Rakhna Kaisa Hai
◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑
�� J A W A A B = 47
◑══◑══◑══◑══◑
↳ Iska Haraam Hona Zaahir Hai (Ya’ni Screen Par Jaandar Ya Aurat Ki Tasweer Rakhna Haraam Hai).
☞ (Mufti Ahmad Khanpuri D. B.)

┈═┈◌┈═┈◉┈═┈◌┈═┈◉
�� S A W A A L = 48
◑══◑══◑══◑══◑
↳ MobiLe Mei’n Is Tareeqe Par Kisi Shakhs Ki Tasweer Feat Karna Ke Phone Aate Hi Bajaaye Number Ke Us Shakhs Ki Tasweer Aaye, Kaisa Hai
◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑
�� J A W A A B = 48
◑══◑══◑══◑══◑
↳ MobiLe Mei’n Is Tarah Tasweer Feat Karna Ke Phone Aate Hi Bajaaye Number Ke Us Shakhs Ki Tasweer Aaye Durust Nahi Hai.
☞ Mufti Muhammad Salman Mansoor Puri D. B.┍┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┙
.Mustafad: [Shami Zakariyya]

┈═┈◌┈═┈◉┈═┈◌┈═┈◉
�� S A W A A L = 49
◑══◑══◑══◑══◑
↳ MobiLe Ke Zariye Kisi Jaandar Ki Tasweer Lena Shar’an Kaisa Hai?
Aur Mazeed Yeh Ke Usko Apne MobiLe Mei’n Mahfooz Karna Kiya Hukm Rakhta Hai ?
Aur Jaandar Ki Tasweer Ko Mahfooz Kar Ke Haalat-E-Namaz Mei’n Apne Paas Rakhne Se Uski Namaz Ho Jaayegi Ya Nahi’n ?
◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑
�� J A W A A B = 49
◑══◑══◑══◑══◑
↳ MobiLe Ke Zariye Tasweer Kheenchna Aur Mahfooz Karna Aksar ULama Ke Nazdeek Na-Jaaiz Hai,
Lekin Chunke Yeh Tasaweer MobiLe Mei’n Is Tarah Mahfooz Hoti Hai’n Ke Programe KhoLe Bagher Woh Nazar Nahi’n Aati’n, Aur Agar Unhe’n Screen Par Zaahir Kiya Jaaye To Woh Bahut Chhoti Aur Basa-Auqat Ghair-Waazeh Hoti Hai’n Aur MobiLe Ke Jeb Wagherah Mei’n Hone Ki Wajah Se Dhaki Huwi Rehti Hai’n Is Liye Aise MobiLe Ko Rakhne Ke Ba-Wujood Namaz Durust Ho Jaayegi.
☞ Mufti Muhammad Salman Mansoor Puri D. B.┍┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┙
.Mustafad: [Shami Zakariyya]

┈═┈◌┈═┈◉┈═┈◌┈═┈◉
�� S A W A A L = 50
◑══◑══◑══◑══◑
↳ Kisi Shakhs Ka Doosre Ko Uski TaLab Par Ya Uske TaLab Kiye Bagher Hi Jaandar Ki Tasweer WaaLe Messages Ka Bhejna Kaisa Hai
◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑
�� J A W A A B = 50
◑══◑══◑══◑══◑
↳ Jaandaro’n Ki Tasweer WaaLe Messages Bhejna Na-Jaaiz Hai.
☞ Mufti Muhammad Salman Puri D. B.┍┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┙
.Mustafad: [Shami Zakariyya]

┈═┈◌┈═┈◉┈═┈◌┈═┈◉
�� S A W A A L = 51
◑══◑══◑══◑══◑
↳ Kisi Shakhs Ka Doosre Ko Uski TaLab Par Ya Uske TaLab Kiye Bagher Hi Ghair-Jaandar Ki Tasweer WaaLe Messages Ka Bhejna Kaisa Hai
◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑
�� J A W A A B = 51
◑══◑══◑══◑══◑
↳ Ghair-Jaandaro’n Ki Tasweer WaaLe Messages Bhejna Jaaiz Hai.
☞ (Mufti Muhammad Ismaa’eeL Burhan Pauri D. B.)

┈═┈◌┈═┈◉┈═┈◌┈═┈◉
�� S A W A A L = 52
◑══◑══◑══◑══◑
↳ Kisi Shakhs Ka Apne MobiLe Se Doosre Ke MobiLe Mei’n BLuetooth Ya Infrared Ke Zariye FiLm Ya Gaana Bhejna Kaisa Hai
◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑
�� J A W A A B = 52
◑══◑══◑══◑══◑
↳ Ek MobiLe Se Doosre MobiLe Mei’n FiLm Ya Gaana Bhejna Shar’an Na-Jaaiz Aur Sakht Gunah Hai.
☞ Mufti Muhammad Salman Mansoor Puri D. B.┍┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┙
.Mustafad: [Shami Zakariyya]

┈═┈◌┈═┈◉┈═┈◌┈═┈◉
�� S A W A A L = 53
◑══◑══◑══◑══◑
↳ Kisi Shakhs Ka Apne MobiLe Mei’n Qur’aan-O-Hadees Ya Du’aay-E-Maasurah Ko Tahreeri ShakaL Mei’n Mahfooz Karna Kaisa Hai?
Aur Usko Lekar Istinja Wa Bait-UL-Khala Aur Deegar Maqamat-E-Najisah Wa Khabeesah (Gandi Aur Napak Jagho’n) Jaise Raqs (Nach) Ke Adde Aur FiLm Threter Wagherah Me Jaana Kiya Hukm Rakhta Hai
◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑
�� J A W A A B = 53
◑══◑══◑══◑══◑
↳ MobiLe Mei’n Qur’aan-O-Hadees Aur Du’aay-E-Maasurah Wagherah Mahfooz Karne Mei’n Koi Haraj Nahi,
AL-Battah Agar Unhe’n KhoL Kar ChaLaya Jaa Raha Ho To Us HaaLat Mei’n Bait-UL-KhaLa Aur Istinja Wagherah Mei’n Us MobiLe Ko Lekar Jaana Sakht Be-Adabi Shumar Hoga,
Ta-Ham MobiLe Agar Band Hai Ya Programe Band Hai Jis Mei’n Aayat Wagherah Mahfooz Hai’n To Band Hone Ki HaaLat Mei’n MobiLe Ko Istinja Wagherah Mei’n Le Jaana Mana Nahi.
☞ Mufti Muhammad SaLman Mansoor Puri D. B.┍┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┙
.Mustafad: [Shami Zakariyya]

┈═┈◌┈═┈◉┈═┈◌┈═┈◉
�� S A W A A L = 54
◑══◑══◑══◑══◑
↳ Screen Par Lafz-E-ALLAH Ya Aayat Ya Hadees Ya KaLimah Likhe Huwe MobiLe Ko Lekar Bait-UL-KhaLa Mei’n Jaana Shar’an Kaisa Hai
◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑
�� J A W A A B = 54
◑══◑══◑══◑══◑
↳ Jab Screen Par Lafz-E-ALLAH Ya Aayat-E-Qur’aani Ya Hadees Ya KaLimah Likha Huwa Ho To Aise MobiLe Ko Jeb Mei’n Is Tarah Lekar Bait-UL-KhaLa Mei’n Jaana Ke Woh Tahreer Andar Chhupi Huwi Ho Is Ki Ijazat Hai Aur Andar Jaane Ke Ba’d Bhi Usko Jeb Se NikaaLa Na Jaaye.
Warnah (Bait-UL-KhaLa Mei’n Le Jaana) Durust Nahi Hai.
☞ (Mufti Ahmad Khanpuri D. B.)

┈═┈◌┈═┈◉┈═┈◌┈═┈◉
�� S A W A A L = 55
◑══◑══◑══◑══◑
↳ Bagher Wuzoo Ke Apne MobiLe Ka Chhoona Jis Mei’n Qur’aan-E-Kareem Ya A’hadees-E-Shareefah Wagherah Ko ChaLaya Jaa Raha Ho Kiya Hukm Rakhta Hai
◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑
�� J A W A A B = 55
◑══◑══◑══◑══◑
↳ Agar MobiLe Ki Screen Par Qur’aan Ya A’hadees-E-Shareefah Ke Huroof Dikhai De Rahe Ho’n To Un Huroof Par BiLa-Wuzoo Haath Rakhna Durust Nahi,
Lekin Agar Yeh Programe Band Ho To Aise MobiLe Ko BiLa-Wuzoo Chhoona Mana Nahi.
☞ Mufti Muhammad SaLman Mansoor Puri D. B.┍┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┙
.Mustafad: [Shami Zakariyya]

┈═┈◌┈═┈◉┈═┈◌┈═┈◉
�� S A W A A L = 56
◑══◑══◑══◑══◑
↳ MobiLe Ki Screen Par Qur’aani Aayat Hai, To Kiya BiLa-Wuzoo Us Screen Ko Chhoo Sakte Hai’n
◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑
�� J A W A A B = 56
◑══◑══◑══◑══◑
↳ Jis Screen Par Qur’aani Aayat Numaya’n (Zahir) Ho To Us Screen Ko BiLa-Wuzoo Chhoona Ehtiyaat Ke KhiLaf Hai.
☞ Mufti Muhammad SaLman Mansoor Puri D. B.┍┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┙
.Mustafad: [Shami Zakariyya]

┈═┈◌┈═┈◉┈═┈◌┈═┈◉
�� S A W A A L = 57
◑══◑══◑══◑══◑
↳ MobiLe Mei’n Qur’aan BiLa-Wuzoo Likhna Kaisa Hai
◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑
�� J A W A A B = 57
◑══◑══◑══◑══◑
↳ MobiLe Mei’n Jo Qur’aan Hota Hai Woh Picture Ki ShakaL Mei’n Hota Hai.
Agar MobiLe Mei’n Aisa Programe DownLoad Kiya Gaya Ho Ke Qur’aan-E-Kareem Ko MobiLe Ke Button Se Likh Bhi Sakte Ho’n Jaisa Ke Computer Mei’n Likha Jaata Hai To Us MobiLe Ke Button Se Qur’aan-E-Kareem BiLa-Wuzoo Likhna Jaaiz Nahi Hai, Makrooh Hai.
.Mustafad

┈═┈◌┈═┈◉┈═┈◌┈═┈◉
�� S A W A A L = 58
◑══◑══◑══◑══◑
↳ Kisi Shakhs Ka Apne MobiLe Ki Screen Mei’n
ALLAH
Aur
RASOOLULLAH SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM
Ke Naam Ko Ya
Qur’aan Ki Aayato’n Ko
Ya Ka’bah Aur Madeenah Wagherah Maqamat-E-Muqaddasah Ki Tasweer Ko Rakhna Shar’an Kaisa Hai?
Aur Usko Lekar Istinja Wa Bait-UL-KhaLa Mei’n Jaana Ya Payejamah Ki Jeb Mei’n Rakhna Kaisa Hai
◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑
�� J A W A A B = 58
◑══◑══◑══◑══◑
↳ MobiLe Ki Screen Par ALLAH Aur Paighambar ALayhissaLam Ka Naam Ya Qur’aani Aayat Wagherah Likhna To Durust Hai,
Lekin Un Aayaat Wagherah Ke Zaahir Hone Ki HaaLat Mei’n Use Istinja Wagherah Mei’n Le Jaana Durust Nahi, Aisi Jagho’n Par Jaane Se PahLe MobiLe Ko Band Kar Dena Chahiye Taake In Muqaddas KaLimaat Ki Be-Adabi Na Ho,
Isee Tarah Jis MobiLe Ki Screen Par ALLAH Aur Paighambar ALayhissaLam Ka Naam Waazeh Ho Usko Payejamah Ya Pent Ki Jeb Mei’n Rakhna Be-Adabi Hai.
☞ Mufti Muhammad SaLman Mansoor Puri D. B.┍┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┙
.Mustafad: [Shami Zakariyya]

┈═┈◌┈═┈◉┈═┈◌┈═┈◉
�� S A W A A L = 59
◑══◑══◑══◑══◑
↳ MobiLe KhuLa Rakh Kar Masjid Mei’n Aana Kaisa Hai
◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑
�� J A W A A B = 59
◑══◑══◑══◑══◑
↳ Masjid Mei’n MobiLe KhuLa Rakh Kar Aana Masjid Ke Ehtiraam Ke KhiLaf Hai Kiyo’n Ke Agar Achanak MobiLe Ki Ghanti Bajni Shuru Ho Jaaye To Shor-O-GhuL Hoga Jo Ke Mamnoo Hai.
☞ Mufti Muhammad SaLman Mansoor Puri D. B.┍┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┅┙
.Mustafad: [Fatawa AaLamgeeriyah]

┈═┈◌┈═┈◉┈═┈◌┈═┈◉
�� S A W A A L = 60
◑══◑══◑══◑══◑
↳ Aksar Masjido’n Mei’n MobiLe Band Rakhne Ka E’Laan Likha Huwa Ya Latka Huwa Hota Hai, Yeh Kaisa Hai
◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑━═━◐━═━◑
�� J A W A A B = 60
◑══◑══◑══◑══◑


↳ Choo’nke MobiLe Ka Iste’maaL Ab Bahut Aam Ho Gaya Hai Aur Aksar Log Namz Ke Liye MobiLe Band Karna BhooL Jaate Hai’n To Aisi BhooL Karne WaaLo’n Ke Liye Yeh E’Laan Munasib Hai Taake Woh Masjid Mei’n DaakhiL Hote Hi MobiLe Band Kar De’n.


Muhammad babar rashidi saharanpuri

No comments:

Post a Comment