🌼🌼﴾﷽﴿ 🌼🌼
╓━════◐ ◑════━╖
ISLAMI
MUASHARA
╙━════◐ ◑════━╜
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧
₣ITNA NO: 3
ZINA (વ્યભિચાર)
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧
ALLah Ta'aLa irshad farmaate hein:
“ tum zina ke qarib bhi mat jaao, biLa shub'ha wo badi be hayaai ki baat he or bura raasta he ” (sure bani isra'eeL: 32)
Is aayate karima me zina or bad kaari ke haraam hone ki do wajhein bataai gayi hein:
❶ ye be hayaai ka kaam he.
❷ bura raasta he yani esa bura kaam he ke tamaam mazaahib is ke haraam hone par muttafiq hein.
🔜
┄─━━━━━━━ ▣ ▣ ▣ ━━━━━━━─┄
® HaYaa or Pak Damani ßy Shaikh ZuLfiqaar Ahmed naqshbandi: 82
Shari'ate IsLamiyya me zina biLkuL haraam qaraar diya gaya he. Shirk or QatL ke bad akbaruL kabaa'ir (yani kabira gunaaho me bhi bada gunaah) samjha gaya he.
Aaj muashare me jitne qatL or jhagdo ke waqiaat pesh aa rahe hein un me aksar waqiaat ka sabab zina ya us ke asbab yani chherchhar or nazar bazi he. Isi Liye shari'at ne ise tamam jaraaim se sakht qaraar diya or is ki saza bhi tamam jaraim ki saza ke muqabLe me sakht rakhi he.
🔜
┄─━━━━━━━ ▣ ▣ ▣ ━━━━━━━─┄
® ₣. ₹ahimiyya: 2/266
❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈
ZINA KE BARE ME AHAADIS ME WA'EEDEIN
❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈
❶ RasuLuLLah SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ne irshad farmaya:
Sato aasmaan or sato zaminein shadi shuda zinaakar par La'nat karti hein or Jahannam me ese Logo ki sharmgaah se esi sakht badbu pheLegi ke Jahannam waLe bhi pareshan ho jaaenge. Aag ke azab ke sath un ki ruswaai bhi hoti rahegi. [attargib wattarhib: 4/314]
🔜
┄─━━━━━━━ ▣ ▣ ▣ ━━━━━━━─┄
® ₣. ₹ahimiyya: 2/266
❷ HazraT Abu Huraira Radiyallahu Anhu Rasulullah Sallalahu Alayhi Wasallam se riwayat karte hein ke Rasulullah Sallalahu Alayhi Wasallam ne irshad farmaya:
“ Zina karne waLa zina karne ke waqt mu'min nahi rehta, Chori karnewaLa cori karne ke waqt mumin nahi rehta, SharaB pine wala sharab pine ke waqt mumin nahi rehta. ” «mishkat: 17»
✾ mumin na rehne ka matLab ye he ke us waqt us se imaan ke noor ko nikal liya jata he.
🔜
┄─━━━━━━━ ▣ ▣ ▣ ━━━━━━━─┄
® ₣. ₹ahimiyya: 2/266
❸ Ek tawiL Riwayat jis me Rasulullah Sallalahu Alayhi Wasallam ko khawab me Aakhirat ke kuchh manaazir dikhaae jane ka tazkira he us me he ke Rasulullah Sallalahu Alayhi Wasallam ne irshad farmaya:
“muj ko farishte aage le gaye to dekha ke ek qaum he jin ka badan bahu phoola huwa he or pakhane ki badbu ki tarah un se badbu phoot rahi he to mene puchha ye kon Log hein ? Farishte ne kaha ye ZINA karne wale mard or artein hein. ” «attargib wattarhib: 4/311»
🔜
┄─━━━━━━━ ▣ ▣ ▣ ━━━━━━━─┄
® ₣. ₹ahimiyya: 2/267
❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈
✾✾ ZINA KE NUQSANAAT ✾✾
❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈
Buraai ka anjaam hamesha bura hi hota he balke buraai jitni badi hogi anjaam utnaa hi bura hoga.
Zina karne waLa chunke bahut hi bade Gunaah ka irtikaab karta he Lihaza use bahut hi zyaada nuqsanaat ka samna karna parta he.
Zina se hone waLe nuqsanaat ko ham 4 hisso me taqsim kar sakte hein.
❶ Ma'ashi Nuqsanaat yani rozi roti or kaam dhande or karobari line hone wale nuqsanaat.
❷ Muasharati Nuqsanaat yani khandaan or samaaj me paida hone waLe nuqsanaat.
❸ Tab'ee Nuqsanaat yani insaan ki tabi'at me paida hone waLe nuqsanaat.
❹ Deeni Nuqsanaat yani deeni bato me hone waLe nuqsanaat.
🔜
┄─━━━━━━━ ▣ ▣ ▣ ━━━━━━━─┄
® HaYa or PaakDamani ßy Shaikh ZuLfiqaar Ahmed Naqshbandi DamaT Barakatuhum: 269
❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈
✾✾ ZINA KE NUQSANAAT ✾✾
❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈
❶ MA'ASHI NUQSANAAT
❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈
❶ Be BarkaTi
Zina ke irtikab ki wajah se zani ko barkaTo se mahroom kar diya jata he. Jab ke Taqwe ki wajah se barkaTo ke darwaze khoL diye jate hein. ALLah ka farmaan he:
“ Agar ye basti wale imaan le aaein or parhezgari ikhtiyar karein to ham un par zamin or aasmaan ki barkaaT ko khol denge ” «sure a'araaf: 94»
Be barkati matLab ye he maaL pani ki tarah beh jata he, maaldar hone ke bawajood maqrooz hote hein. MaaL aata nazar aata he jata nazar nahi aata.

❷ RIZQ ME TANGI
ALLah Ta'aLa irshad farmate hein:
“ Jis shakhs ne meri yaad se munh moda us ke Liye rizq me tangi kardi jaaegi ” «sure taha: 124»
Zani chunke ahkame khudawandi se munh modta he is liye aksar us ki rozi ko tang kar diya jata he. HaLaL rizq ki kami ho jati he or HaRam kamai ka darwaza khul jata he. Kabhi biLkuL mufLis ho kar Raste par aa jate hein.
🔜
┄─━━━━━━━ ▣ ▣ ▣ ━━━━━━━─┄
® HaYa or PaakDamani ßy Shaikh ZuLfiqaar Ahmed Naqshbandi DamaT Barakatuhum: 270
❸ KAMYABI KE RASTE BAND HO JATE HEIN
Zani agar apne Gunaah se Tauba na kare to waqt ke guzarne ke sath kaamyabi ke raaste band kar diye jate hein, us ka har kaam adhura reh jata he, rukawatein pesh aati rehti hein, kai bar sode cancel ho jate hein. Sara din mehnat or mashaqqaT me guzar dene ke bawajood kaam simatte huwe nazar nahi aata.
🔜
┄─━━━━━━━ ▣ ▣ ▣ ━━━━━━━─┄
® HaYa or PaakDamani ßy Shaikh ZuLfiqaar Ahmed Naqshbandi DamaT Barakatuhum: 271
✒ Aвu ℳαнmood Usmαni
┄─ ━━━━━━━ ▣ ▣ ▣ ━━━━━━━ ─┄
❹ MASA'IB W TAKLIFEIN
Zani agar zina ka aadi ban jaae To us par masa'ib or taklifo ki barish hoTi he, aLLah irshad farmate hein:
“ JO KUCHH MUSIBATEIN TUM KO POHCHTI HEIN WO SAB TUMHARE HATHO KI KAMAAI HE ” «sure shura: 30»
HazraT Abu Bakr SiDDiq Radiyallahu Anhu jab KhaLifa munTakhaB huwe to Bay'ate aam ho jane ke bad aap ne khuTba dete huwe irshad farmaya:
“Jis Qaum me BaDkari phel jati he khuda us me musibat ko phaiLa dete hein ”

❺ QAHAT SAALI
Agar kisi aabadi me zinakari aam ho jaae to us ke ijtimaai bad asaraat zahir hote hein. Chunanche ek riwayat me he:
“Jab kisi qaum me zina phail parta he to use qahaT saali ki musibat me mubtala kar diya jata he ” «musnade ahmed, mishkat»
Kahin barish band ho jati he, kahi zyada barish ho jati he. Agar paidawaar ho bhi jaae to us me bimariyaa nikal parti he or fasal ghat jati he jis se menhgaai barh jati he. Phoolo me khushbu nahi rehti, phalo me maza nahi rehta.
✦Ab zara gaur karLo hamare zamane ki paidawar, phool or phalo me.
🔜
┄─━━━━━━━ ▣ ▣ ▣ ━━━━━━━─┄
® HaYa or PaakDamani ßy Shaikh ZuLfiqaar Ahmed Naqshbandi DamaT Barakatuhum: 272
❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈
✾✾ ZINA KE NUQSANAAT ✾✾
❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈
❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈
❷ ℳUASHARATI NUQSANAAT YANI KHANDAAN OR SAMAAJ ME PAIDA HONE WALE NUQSANAAT
❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈
❶ Awam se wahshaT
Zani ke diL me aam Logo ki wahshaT (dar) paida ho jati he, zani ka Logo se maiL meLap bahuT kam ho jata he, use Tanhaai bechain karTi he or mehfiLo me bethne ko diL nahi karTa. Zani Logo se door rehne ki koshish karTa he.
🔜
┄─━━━━━━━ ▣ ▣ ▣ ━━━━━━━─┄
® HaYa or PaakDamani ßy Shaikh ZuLfiqaar Ahmed Naqshbandi DamaT Barakatuhum: 273
✒ Aвu ℳαнmood Usmαni
┄─ ━━━━━━━ ▣ ▣ ▣ ━━━━━━━ ─┄
❷ AABAAD GHAR BARBAAD
Zina ki wajah se aksar aabad ghar barbaaD ho jaTe hein, zina karne waLe mard ke Liye apni biwi me kashish nahi rehTi, zina karne waLi auraT apne shauhar or ghar par tawajjuh nahi deti, naTija ye nikalTa he ke hansTa kheLTa Ghar ujad jata he.

❸ ZILLAT OR RUSWAAI
ZinakaaR apne haTho se apni izzaT miTTi me miLa DeTa he. Na khaliq ki nigaah me qadar rehTi he na makhlooq ki nigaah me. Shadishuda aadmi agar zina karTa he to us ki awLaaD hi us ki izzaT nahi karTi.
🔜
┄─━━━━━━━ ▣ ▣ ▣ ━━━━━━━─┄
® HaYa or PaakDamani ßy Shaikh ZuLfiqaar Ahmed Naqshbandi DamaT Barakatuhum: 274
❹ NASAB PAR DHABBA
Zina ke naTije me agar bachcha paida ho gaya to sirf zina karne waLo ki nahi balke pure khandaan ki izzaT miTTi me miL jaTi he. NasaB daagdaar ho jata he. Badnaami se bachne ke liye aksar hamaL gira diya jata he, is tarah auraT pehLe zaniya to thi hi ab zaLima or qatila ban jati he. QayamaT ke din bachcha girebaan pakdega ke muje kyu qaTL kiya ???
🔜
┄─━━━━━━━ ▣ ▣ ▣ ━━━━━━━─┄
® HaYa or PaakDamani ßy Shaikh ZuLfiqaar Ahmed Naqshbandi DamaT Barakatuhum: 275
❺ RISHTE NATE KHATM HO JATE HEIN
Jab rishtedaro ko paTa chaL jata he zina ke bare me, raaz ke khuL jane ki wajah se ta'alluqaT khatm ho jate hein, is surat me zina karne wale par zina ke sath sath “QATA RAHMI” ka bhi gunaah aa jata he. Kabhi kabhaar zawjaain ke darmyaan judaai ka sabab zina huwa karta he.
🔜
┄─━━━━━━━ ▣ ▣ ▣ ━━━━━━━─┄
® HaYa or PaakDamani ßy Shaikh ZuLfiqaar Ahmed Naqshbandi DamaT Barakatuhum: 276
❻ QATL OR FASAD
Zina ki wajah se aksar do gharo me ya do khandano me fitna khada ho jata he, or baat qat tak pohch jati he.
◆ kabhi zina karne wali aurat ko us ke ghar wale hi qatl kar dete he.
◆kabhi mard ko aurat ke ghar wale qatl kar dete hein.
◆kabhi aurat apne aashiq se mil kar shohar ko qatl kar deti he.
◆kabhi badnaami ke dar se zina karne wale mard or aurat khudkashi kar lete hein.

❸ TAB'EE NUQSANAAT YANI TABI'AT ME HINE WALE NUQSANAAT
❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈
❶ SUKUNE DIL SE MAHRUMI
Zani agarche kitni kamyabi se gunaah kyu na kare, kisi ko pata chalne na de, use rokne wala koi na ho, magar zina ke bure asaraaT me se ye he ke sukun looT jata he. Us ke diL par ajeeB si pareshani hawi ho jaTi he, mehfiL me betha hoga lekin khayalaaT ki dunya khoya hoga. Na din me sukun na raaT me.
🔜
┄─━━━━━━━ ▣ ▣ ▣ ━━━━━━━─┄
® HaYa or PaakDamani ßy Shaikh ZuLfiqaar Ahmed Naqshbandi DamaT Barakatuhum: 277
❷ AQAL ME FASAAD
Zani agar TauBa nahi karTa to us ki soch normal nahi rehTi, wo apne jurm ko chhupane ke Liye aam ma'muL se hat kar kaam karega. Gharwalo ki koi parwah nahi hogi, nafa or nuqsaan ko sochne ki salahiyyaT se mahrum ho jata he, yahi haaL zina karne waLi aurat ka hoTa he.
🔜
┄─━━━━━━━ ▣ ▣ ▣ ━━━━━━━─┄
® HaYa or PaakDamani ßy Shaikh ZuLfiqaar Ahmed Naqshbandi DamaT Barakatuhum: 278
❸ DIL OR BADAN KAMZOR HO JATA HE
Zani ke diL me ek anjaan sa khauf paida ho jata he jis ki wajah se buzdily paida ho jati he. Ayyashi ki wajah se badan bhi kamzor ho jata he, rato ko nind na aane ki wajah se jismani sihhaT girna shuru ho jaTi he.
❹ CHEHRA BE NOOR HO JATA HE
Zani ke chehre par zuLmaT ke asaraaT saaf dikhaai dete hein, chehre ki masumiyaT khatm ho jati he. Chehre se hamesha nahusat tapakti rehti he.
🔜
┄─━━━━━━━ ▣ ▣ ▣ ━━━━━━━─┄
® HaYa or PaakDamani ßy Shaikh ZuLfiqaar Ahmed Naqshbandi DamaT Barakatuhum: 279
❺ UMAR GHAT JATI HE
Zani ki zinDagi se barkaT khaTm ho jaTi he. Kabhi to zindagi hi khaTm ho jati he or kabhi bimariyo ki wajah se umar ka fayda khaTm ho jata he.
❻ MAUT KI KASRAT
Mishkat me riwayaT he ke kisi qaum me zina aam ho jata he to amwaaT ki kasraT ho jati he. Ek or riwayaT me he jab kisi basTi zina or sood zahir hota he [yani failta he] to aLLah us ki haLakaT ka eLaan kar dete hein.

❼ TA'OON [PLEG] KA FAILNA
Rasulullah Sallalahu Alayhi Wasallam ne ek Lambi hadis me 5 gunaah or us ke bure asaraat ginwaae, us me farmaya jis qaum me zina kari faiL jati he to aLLah us qaum ko Ta'oon me mubtaLa kar dete hein.
❽ KHATARNAAK BIMARIYO KA FAIL JANA
Zina ki wajah se intihaai muhLik bimaariya fail jati he jese “AIDS” wagera. Ibne maja ki riwayat me he ke Rasulullah Sallalahu Alayhi Wasallam ne irshad farmaya jo qaum fahhashi or behayaai me mubtala hoti he to allah use muhlik bimariyo me mubtala kar dete hein.
🔜
┄─━━━━━━━ ▣ ▣ ▣ ━━━━━━━─┄
® HaYa or PaakDamani ßy Shaikh ZuLfiqaar Ahmed Naqshbandi DamaT Barakatuhum: 281
┄─ ━━━━━━━ ▣ ▣ ▣ ━━━━━━━ ─┄
❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈
✾✾ ZINA KE NUQSANAAT ✾✾
❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈
❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈
❹ DEENI NUQSANAAT
❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈
❶ BURAAI KA EHSAS KHATM
Zina ka ek azim nuqsaan ye he ke zani ke diL se aahisTa aahisTa buraai ka ehsas khaTm ho jata he, Gair mahram ke sath behayaai wala mazaq karna, paigam bhejna, tanhaai me waqt guzarna use bura nahi LagTa. Apne na jaaiz ta'alluqaT ki tafsiL dosto ke samne fakhr se bayan karte hein. Ek hadis me he ke har gunaah ke liye muaafi he siwaae un logo ki jo gunaah ko zahir karne waLe hein.
🔜
┄─━━━━━━━ ▣ ▣ ▣ ━━━━━━━─┄
® HaYa or PaakDamani ßy Shaikh ZuLfiqaar Ahmed Naqshbandi DamaT Barakatuhum: 282
❷ GUNAAHO KI KASRAT
Zina ke bad asaraaT me se ek ye bhi he ke Zani par gunaaho ka darwaza khool jata he, ek gunaah dusre gunaah par majboor kar deta he.. jese
① apne gunaah ko chhupane ke liye jhoot bolna
② jhooti qasmein khana
③ mel melap ke waqt namazein chhoot jana ya qaza ho jana
④ gusle janabat jaLdi na karna
⑤ kabhi zina kar ne ke liye miya biwi ke darmyan judai daLna
⑥ zina aksar sharab ko sath lata he.

❸ TAUBA KI TAUFIQ CHHIN LI JATI HE
Zina Karne WaLe mard or aurat apne bure kaam ko bura nahi samajTe. Jab gunah ko gunah nahi samjhein to tauba kese hogi ? Kabhi kabhar is haram kaam ko aakhri martaba ki niyyat se karte hein, lekin fir moka milte hi kar bethte hein, is tarah tauba me takhir hoti rehti he. Fir achanak ruswai ho jati he ya hamesha ki judaai.
🔜
┄─━━━━━━━ ▣ ▣ ▣ ━━━━━━━─┄
® HaYa or PaakDamani ßy Shaikh ZuLfiqaar Ahmed Naqshbandi DamaT Barakatuhum: 283
❹ GAIRAT KHATM
Zani ke diL se gairate imani khatm ho jaTi he. Zaniya AuraT apni beti ko gaLaT rasTe par chaLta dekhti he to rokne ki himmaT apne andar nahi paTi. Zani mard apni biwi, bahan beti ko behayaai or gaLat kamo me mubtala dekh kar rok nahi sakTa. Kabhi musaLmaan kisi gair ladki se zina me mubTaLa hota he or wo gair muslim ladki isLam ke khiLaf jo kuchh bole us se is musaLmaan zani ko koi farq nahi hoTa.

❺ DIL ME SAKHTI
Zina kari ki wajah se diL me sakhti paida ho jaTi he. NasihaT ki baTo ka diL par asar hi nahi hoTa. Khaufe khuda se diL khali hota he. Maut, Qabr, AakhiraT, Jahannam wagera ka koi dar baqi nahi rehTa.
🔜
┄─━━━━━━━ ▣ ▣ ▣ ━━━━━━━─┄
® HaYa or PaakDamani ßy Shaikh ZuLfiqaar Ahmed Naqshbandi DamaT Barakatuhum: 284
❻ TA'AAT [NEK KAMO] SE MAHRUMI
Zina ki nahusaT zani ko ruhani tor par maflooj kar deti he. Us ke diL me nek a'amaL ki taraf ragbat paida nahi hoti. Us ki haLaT bimar ki tarah hoti he jis ke Liye chalna dushwar hota he isi tarah zani ke liye bhag bhag kar nek a'amaL karna mushkiL hoTa he. Ibadato ki Lazzat se mahrumi ho jati he.

❼ ALLAH SE VAHSHAT
Zani ko allah se vahshat mahsoos hone LagTi he, na yaade iLahi me diL LagTa he naTiLawaTe Qur'an me na zikr me. MusaLLe par bethna dushwar ho jata he, masjid me hazri mushkiL ho jati he. Dil me ye badgumani paida ho jati he ke meri duaein qabuL nahi hoti.

❽ ALLAH KI RAHMAT SE MAYUSI
Zani ke diL par esi tariki or zuLmaT chha jaTi he ke wo zara zara si baat par allah ki rahmat se mayus ho jata he.
❾ ALLAH KI GAIRAT KA MUSTAHIQ
Bukhari me he ke Rasulullah Sallalahu Alayhi Wasallam ne irshad farmaya:
“ ay ummate Muhammad !! Khuda ki qasam is baat par allah se barh kar kisi ko gairat nahi aati ke koi mard ya auraT zina kare. ”
🔜
┄─━━━━━━━ ▣ ▣ ▣ ━━━━━━━─┄
® HaYa or PaakDamani ßy Shaikh ZuLfiqaar Ahmed Naqshbandi DamaT Barakatuhum: 287
10 IMAN DOOR HO JATA HE ZINA KE WAQT
ℳishkaT me riwayat he ke Rasulullah Sallalahu Alayhi Wasallam ne irshad farmaya jab banda zina karTa he to iman us se nikaL jata he or us ke sar par saye ki tarah hota he, jab banda us bure amal se farig ho jata he to iman lot aata he.
❶❶ SHIRK KE BAD SAB SE BADA GUNAH
Hafiz Ibne Kasir Rahmatullahi Alayhi ne apni tafsir me ek riwayat naqL ki he ke
“Shirk ke bad us se bada koi gunah nahi ke koi shakhs apne nutfe ese raham me rakhe jo us ke liye haLaL na ho. ”

❈❈❈❈❈ZINA KA ILAAJ❈❈❈❈❈
❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈❈
◆ Jis Tarah insaan ko bhook or pyaas ka taqaza paida hota he isi tarah jab insaan baLig ho jata he to shahwaT ka jinsi taqaza paida hota he. Is Taqaze ko insaan kuchh arse ke liye rok to sakta he magar pura kiye bager reh nahi sakTa.
◆ ALLah Ta'aLa ne mard or auraT ke liye shahwat ka iLaaj “ NIKAH ” bataya he. Chunanche “nikah” ko qudraT ki nishani qarar diya.
“ or [allah] ki qudrat ki nishaniyo me se he ke tumhare liye tumhi me se jore ko paida kiya take tum un se sukun hasiL karo ” «sure rum: 21»
🔜
┄─━━━━━━━ ▣ ▣ ▣ ━━━━━━━─┄
® HaYa or PaakDamani ßy Shaikh ZuLfiqaar Ahmed Naqshbandi DamaT Barakatuhum: 310
◆ HazraT Anas Radiyallahu Anhu se riwayat he ke Rasulullah Sallalahu Alayhi Wasallam ne irshad farmaya:
“JAB BANDE NE NIKAH KAR LIYA TO USNE AADHE DEEN KO PURA KAR LIYA, AB BAQI AADHE DEEN KE BARE ME ALLAH SE DARTA RAHE ” «ℳishkaaT: 3096»

“ JO SHAKHS ALLAH TA'ALA SE PAAK SAAF HO KAR MILNA CHAHE USE CHAHYE KE SHARIF AURAT SE NIKAH KAR LE ” «ℳishkaaT: 3094»

❃ ShahwaT ko Qabu me rakhne ke Liye 4 kaam
Qur'an ka mutalea karne se pata chaLta he ke shahwaT ko Qabu me karne ke liye 4 kaam bahuT mufeed hein.
❶ BADNAZRI SE MUKAMMAL PARHEZ
Badnazri se insaan ke andar shahwaT ki aag bharakti he. Nazar pakiza na ho to shahwaT ki aag bharakne se rokna na mumkin he.
🔜
┄─━━━━━━━ ▣ ▣ ▣ ━━━━━━━─┄
® HaYa or PaakDamani ßy Shaikh ZuLfiqaar Ahmed Naqshbandi DamaT Barakatuhum: 316

❷ FASIQ LOGO SE PARHEZ
ShahwaT ko qabu me rakhne ka dusra tariqa ye he ke apne aap ko fasiq fajir logo ki sohbat se khoob bachaein. Fasiq logo ki batein kabhi insan ko naag ki tarah dans leti hein jis se insaan ki ruhani maut ho jati he.
Bura dost shaytaan se bhi zyada khatarnaak hota he. Shaytaan to sirf gunaah ke waswase dalta he jab ke bura dost hath pakar kar gunah karwa deta he. Be shumar naujawan ese milenge jo khud to pakiza zindagi guzar rahe the fasiq dost ki wajah se zina ke murtakib huwe.

❸ NAMAZ KE ZARYE MADAD
Insaan ko chahye ke shahwat ko sabar ke zarye qabu me rakhe. Jab dekhe ke shahwat bahut zyada he to namaz parh kar allah se dua kare. Allah diL me thandaK dal denge. Aise waqt me 2 rakat saLatul hajat parh kar allah se dua kare.
Gair shadi shuda ke liye isha ki namaz ke bad ya tahajjud ke waqt 2 rakat parh kar dua karna bahut mufeed he. IffaT or pakdamani ki zindagi guzarna aasan ho jata he.
🔜
┄─━━━━━━━ ▣ ▣ ▣ ━━━━━━━─┄
® HaYa or PaakDamani ßy Shaikh ZuLfiqaar Ahmed Naqshbandi DamaT Barakatuhum: 318

❹ KASRATE ZIKR
Hamare ℳashaikh ne ƒarmaya “FIKR” ki gandagi “ZIKR” se door hoti he, Ðimag me har waqt shaytani, shahwani, naƒsani khayaLaaT ki bharmaar ko ƒikr ki gandagi kehte hein. Naujawan apne khayaLo ki dunya me khayaLi mahbooba se milaap ke tasawwur me duba rehta he.
Esi surate haal me zikr ki kasraT insaani ƒikr ko gandagi se paak kar deTi he.

✾ShahwaT ke Mufeed ILaaj✾
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
① Nikah
② Ba Wuzu rehna
③ Dua ki kasraT
④ Farig na rahein (kisi bhi kaam me mashguL rahein
⑤ Tanhaai me na rahein
⑥ Bager nind ke bistar par zyada der na letein.
⑦ Baytul khLa me zyada der na Lagaein
⑧ Fahash mazaq se bachein
⑨ Bad Nazri se bachein
[10] Qabrastan jate rahein.
🔜
┄─━━━━━━━ ▣ ▣ ▣ ━━━━━━━─┄
® HaYa or PaakDamani ßy Shaikh ZuLfiqaar Ahmed Naqshbandi DamaT Barakatuhum: 330
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
①① JaLti aag se ibrat pakrein
①② Roze ℳahshar ki ziLLati ko yaad karein
①③ Allah ke har waqT sath hone ka khayaL karein
①④ ℳahoL badLein
①⑤ Poshida Amraaz ke bare me sochein
①⑥ Zina insaan par qarz hota he, jo us ke khandaan ki kisi bhi aurat se pura kiya jata he.
🔜
┄─━━━━━━━ ▣ ▣ ▣ ━━━━━━━─┄
® HaYa or PaakDamani ßy Shaikh ZuLfiqaar Ahmed Naqshbandi DamaT Barakatuhum: 338
✾ZINA SE TAUBA✾
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
InsaaN khaTa ka putLa he. Insaan hone hi ki wajah se Gunaah kar bethTa he. JaB Ehsaas hota he To diL me ŋa∂amat hoti he ke muje esa nahi karna chahye tha. Isi ŋadamaT ka du∫ra naam “TAUBA” he.
฿anda Jab Gunaah kar raha hota he, halaanke ALLah Ta'aLa sab kuchh dekhte hein fir bhi gazabnaak nahi hote balke bande ko apni gaLati par pachhtane ka mauka dete hein.

฿ande ko chahye ke aLLah ki RahmaT se hargiz mayus na ho. Balke Qur'an ne mayusi ko kafiro ki aadaT qarar diya he.
“be shak aLLah ki rahmat se kafir hi na ummid hote hein”«sure yusuf: 87»
Lihaza agar kisi bande se barbar zina ka irtikab ho bhi gaya ho to us ke liye “TAUBA” ka darwaza khuLa he. Wo Jab Chahe apŋe ruthe huwe RAB ko mana sakta he.
🔜
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
RasuLuLLah SaLLaLahu ALayhi WasaLLam ne irshad ƒarmaya:
“Jo Shakhs maut ke waqt sans ukharne se pehLe tauba karLe to aLLah us ki Tauba qabuL ƒarma Lete hein.”
HazraT Hasaŋe ßasri RahmatuLLahi ALayhi se puchha gaya ke ye siLsiLa [tauba qabuL karne ka] kab tak jari rahega to ƒarmaya: jabtak suraj magrib se tuLu na ho jaae.
Zina karne wale ko chahye ke waqt ko ganimat samaj kar tauba kar le.
❈❈❈
🔜
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
📖 HαУα Θя PαкÐαmαni
ßγ
Sнαiкн ZuLƒiqααя
Aнmε∂ Nαqsнвαŋ∂i Ðβ
Page: 349

No comments:
Post a Comment