Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Saturday, April 11, 2015

⊙Izdwaji Zindgi is Tarah Guzare⊙

♻❇♻
            ╓━════◐◐◑════━╖
              بسم الله الرحمن الرحيم
              ╙━════◐◐◑════━╜

     💟  MADNI-MAASHRA💟


⊙Izdwaji Zindgi is Tarah Guzare⊙
     
         ☆ ★ PART- 1★☆

♻ Shohar  Bivi  Ke  Huqooq ♻

⇨1- Bivi ke huqooq kushada dili se Ada kijiye,

★ Bivi ke saath achchhe sulook ki zindgi guzare, uske huqooq kushada dili se Ada kare,
Allah ta'ala ka irshad he,

" aur unke saath bhale tareeqe se zindgi guzare,"

★ Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne Hajjatul Vida ke mauke per hidayat farmai,

" Logo Suno!  Aurto ke saath achchhe sulook se pesh aao, kyuki woh tumhare paas qaidiyo ki tarah hai, tumhe unke saath sakhti ka bartav karne ka koi haq nahi, Siva is soorat me jab unki taraf se koi khuli hui nafarmani saamne aae, agar woh esa kar bethe to fir khwab gaho me unse alahdah raho aur unhe maaro to esa na maarna k koi shadeed chot aae, aur fir jab woh tumhare kehne per chalne lage to unko khwahm khwah sataane ke bahane na dhoondo,

★ Dekho suno!  Tumhare kuchh huqooq tumhari biviyo per hai aur tumhari biviyo ke kuchh huqooq tumhare ouper hai, un per tumhare huqooq ye hai k tumhare bistaro ko un logo se na rundwae jinko tum napasand karte ho aur tumhare gharo me ese logo ko hargiz na ghusne de, jinka aana tumhe nagawar ho,

★ aur suno! Unka tum per ye haq he k tum unhe achchha khilao aur achchha pehnao, "

⇨( yani unke khilane pilane ka esa intezam kijiye Jo zojen ki bemisal qurbat, qalbi talluq aur jazba e rafaqat ki shayane Shan ho,

 Next- 2 ,🔜 in sha Allah ta'aala,

📓 Madni Maashra, 70

          Ahle deoband      
   📱 91 - 7037363325      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✳♉♻ ♻❇♻
            ╓━════◐◐◑════━╖
              بسم الله الرحمن الرحيم
              ╙━════◐◐◑════━╜

     💟  MADNI-MAASHRA💟


⊙Izdwaji Zindgi is Tarah Guzare⊙
     
     
          ☆ ★ PART- 2 ★☆

♻ Shohar  Bivi  Ke  Huqooq ♻

⇨2- Jaha tak ho sake Bivi se Khush guman rahen,

★Agar usme Shakl o soorat, adaat, akhlaq ya saliqa aur hunar ke etbaar se koi kamjori bhi ho to Sabr ke saath usko bardasht kijiye aur uski khubiyo per nigah rakhte hue darguzar, iesaar aur maslihat se kaam lijiye,

★Allah ta'aala ka irshad he,

 فَإِن كَرِهْتُمُوهُنَّ فَعَسَىٰ أَن تَكْرَهُوا شَيْئًا وَيَجْعَلَ اللَّهُ فِيهِ خَيْرًا كَثِيرًا

" Fir agar wo tumhe ( kisi vajah) se napasand ho to ho sakta he k ek cheez tumhe pasand magar khuda ne usme tumhare liye bhalai rakh di ho,"

↳® Surah An-nisa 19

★ HuZurr Akram Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he,

" Koi momin apni momina bivi se nafrat na kare, agar bivi me koi Aadat usko napasand ho to ho sakta he k doosri khaslat ( khubi) usko pasand aa jae,"
 
  ↳ ®Muslim Sharif

 Next- 3,🔜 in sha Allah ta'aala,

📓 Madni Maashra, 71

             
          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✳♉♻ ♻❇♻
            ╓━════◐◐◑════━╖
              بسم الله الرحمن الرحيم
              ╙━════◐◐◑════━╜

     💟  MADNI-MAASHRA💟


⊙Izdwaji Zindgi is Tarah Guzare⊙
     
         ☆ ★ PART- 3 ★☆

♻ Shohar  Bivi  Ke  Huqooq ♻


⇨03- Bivi ke saath Darguzar aur Karam ki Ravish akhtyar Kijiye ◆

★ Bivi ke saath afu, darguzar v karam ki ravish akhtyar kare, Bivi ki nadaanio aur sharkashio se Chashmposhi kijiye,


★ Allah ta'ala ka irshad he,


يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا إِنَّ مِنْ أَزْوَاجِكُمْ وَأَوْلَادِكُمْ عَدُوًّا لَّكُمْ فَاحْذَرُوهُمْ وَإِن تَعْفُوا وَتَصْفَحُوا وَتَغْفِرُوا فَإِنَّ اللَّهَ غَفُورٌ رَّحِيمٌ


" Momino tumhari baaz bivio'n or baaz aulad tumhare dushman hai'n, so unse bachte raho aur agar tum afu ( darguzar) v karam aur chashmposhi se kaam lo to yaqeen rakho ki Khuda bahut hi zyada Raham karne wala he,"

↳® Surah At Taghabun, 18

★ Ek Hadees paak me Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he,

" Aurto'n ke saath achchha sulook Karo, aurat pasli se peda ki gayi he aur paslio'n me sabse zyada ouper ka hissa teda he, usko sidha karoge to toot jaegi aur agar usko chhode rakhoge to tedi hi rahegi, pas aurto'n ke saath achchha sulook Karo,"

↳® Bukhari Sharif, Muslim Sharif

Next- 4,🔜 in sha Allah ta'aala,

📓 Madni Maashra, 72

             
          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✳♉♻ ♻❇♻
            ╓━════◐◐◑════━╖
              بسم الله الرحمن الرحيم
              ╙━════◐◐◑════━╜

     💟  MADNI-MAASHRA💟


⊙Izdwaji Zindgi is Tarah Guzare⊙
     
         ☆ ★ PART- 4 ★☆

♻ Shohar  Bivi  Ke  Huqooq ♻


⇨ 04- Bivi ke saath Khush Akhlaqi ka Bartaav Kijiye, aur Pyar Mohabbat se Pesh aaiye,◆

★ Apni khush Akhlaqi aur naram mizaji naapne ka asal maidan gharelu zindgi he,

★ Nabi Kareem Sallallahu Alayhi vasallam ka irshad he,

 " Kaamil imaan wale momin woh hai'n Jo apne akhlaq me sabse achchhe hai'n,aur tumme sabse achchhe log woh hai'n Jo apni bivio'n ke haq me sabse achchhe ho'n, "

  ↳ ®Ibne maaja,

 Next- 5,🔜 in sha Allah ta'aala,

📓 Madni Maashra, 73

             
          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✳♉♻ ♻❇♻
            ╓━════◐◐◑════━╖
              بسم الله الرحمن الرحيم
              ╙━════◐◐◑════━╜

     💟  MADNI-MAASHRA💟


⊙Izdwaji Zindgi is Tarah Guzare⊙
     
         ☆ ★ PART- 5 ★☆

♻ Shohar  Bivi  Ke  Huqooq ♻


⇨ 05 - Poori Faraakh dili se Rafiqa e hayaat ( Bivi) ki zarooriyaat poori kijiye,◆

★ Aur kharch karne me tangi na kare, apni mehnat ki kamai ghar walo per kharch karke sukoon aur masarrat mehsoos kijiye,

★ Nabi Kareem Sallallahu Alayhi vasallam ka irshad he,

" Ek dinaar wo he Jo tumne khuda ki raah me kharch kiya, ek dinaar wo he Jo tumne kisi gulaam ko azaad karane me kharch kiya,ek dinaar wo he Jo tumne kisi faqeer ko sadqa me diya, aur ek dinaar wo he Jo tumne apne ghar walo per kharch kiya,  inme sabse zyada ajr aur sawab us dinaar ke kharch karne ka he Jo tumne apne ghar walo per kharch kiya,"

↳® Riyazussaleheen,

 Next-6🔜 in sha Allah ta'aala,

📓 Madni Maashra, 73

             
          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✳♉♻ ♻❇♻
            ╓━════◐◐◑════━╖
              بسم الله الرحمن الرحيم
              ╙━════◐◐◑════━╜

     💟  MADNI-MAASHRA💟


⊙Izdwaji Zindgi is Tarah Guzare⊙
     
         ☆ ★ PART- 6 ★☆

♻ Shohar  Bivi  Ke  Huqooq ♻


⇨6- Bivi ko Deeni Taleem dijiye, ◆

★ Bivi ko deeni ahkaam aur tehzeeb sikhae, islami akhlaq se araasta kijiye, har mumkin koshish kihiye k woh ek achchhi bivi aur Khuda ki nek bandi ban sake, aur mansabi faraiz ko ba-khubi Ada kar sake,


★ Allah ta'ala ka irshad he,

يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا قُوا أَنفُسَكُمْ وَأَهْلِيكُمْ نَارًا

" imaan walo apne aapko aur apne ghar walo ko jahannam ki aag se bachao,"َ

↳® Surah At Tahrim, 6

★Allah ta'aala ka irshad he,

وَاذْكُرْنَ مَا يُتْلَىٰ فِي بُيُوتِكُنَّ مِنْ آيَاتِ اللَّهِ وَالْحِكْمَةِ


" aur tumhare gharo'n me Jo Khuda ki aayate'n padi jati hai'n aur hikmat ki baate'n sunai jati hai'n unko yaad rakho, "

↳®Surah Al Ahzab, 34

★ Allah ta'ala ka irshad he,

وَأْمُرْ أَهْلَكَ بِالصَّلَاةِ وَاصْطَبِرْ عَلَيْهَا


" aur apne ghar walo ko namaz ki takeed kijiye aur khud bhi uske paband raho, "

↳® Surah Taha, 132

★ Nabi Kareem Sallallahu Alayhivasallam ka paak irshad he,

" Jab koi mard raat me apni bivi ko jagata he aur wo do no milkar 2 raka'at namaz padte hai'n to shohar ka naam zikr karne walo me aur bivi ka naam zikr karne walio'n me likh liya jata he,"
 
↳® Abu Dauod shrif

★ Khalifa e Saani Hazrat Umar Rd raat me khuda ki huzoor me khade ibadat karte rehte fir jab Sahar ka waqt aata to apni rafiqa e hayaat ( bivi) ko jagate aur kehte,

" utho - namaz pado, ' aur fir yahi aayat tilawat farmate,


 Next- 7,🔜 in sha Allah ta'aala,

📓 Madni Maashra, 74


       
          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✳♉♻
♻❇♻
            ╓━════◐◐◑════━╖
              بسم الله الرحمن الرحيم
              ╙━════◐◐◑════━╜

     💟  MADNI-MAASHRA💟


⊙Izdwaji Zindgi is Tarah Guzare⊙
     
         ☆ ★ PART- 7 ★☆

♻ Shohar  Bivi  Ke  Huqooq ♻


⇨ 7- Ek se zyada biviya'n ho to sabke saath barabari ka sulook kijiye, ◆


★ Nabi Kareem Sallallahu Alayhivasallam apni Bivio'n ke saath bartaav me barabari ka bada ahatmam farmate the,


★ Aap S A ne irshad farmaya,

" agar kisi shakhs ki 2 biviya'n ho aur usne unke saath insaaf aur barabari ka sulook na kiya to qayamat ke roz wo shakhs is haal me aayega k uska aadha dhad gir gaya hoga, "
 

↳  ®  Tirmizi Sharif

 Next- 8,🔜 in sha Allah ta'aala,

📓 Madni Maashra, 75

             
          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✳♉♻
♻❇♻
            ╓━════◐◐◑════━╖
              بسم الله الرحمن الرحيم
              ╙━════◐◐◑════━╜

     💟  MADNI-MAASHRA💟


⊙Izdwaji Zindgi is Tarah Guzare⊙
       
         ☆ ★ PART- 8 ★☆

♻ Shohar  Bivi  Ke  Huqooq ♻


⇨8- Bivi nihayat Khush dili se shohar ki ita'at kare, aur ita'at me sukoon v masarrat mehsoos kare, ◆

★ Ye khuda ka hukm he, Qurane Paak he,
" Nek biviya'n ( shohar ki ) ita'at karne wali hoti hai'n"

★ Nabi Kareem Sallallahu Alayhivasallam ka paak irshad he,

" Koi aurat shohar ki ijazat ke bager roza na rakhe, "
 
 ↳®Abu Dauod shrif

★" Do qism ke aadmi wo hai'n jinki namaze unke saro se ounchi nahi jati,

1- ek us gulam ki namaz Jo apne aaqa se faraar ho jaye, jab tak k lot na aaye,

2- aur doosra us aurat ki namaz Jo shohar ki nafarmani kare, jab tak k shohar ki nafarmani se baaz na aa jaye,"
 
↳ ®Attargeeb v tarheeb


 Next- 9,🔜 in sha Allah ta'aala,

📓 Madni Maashra, 75
 
             
          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✳♉♻ ♻❇♻
            ╓━════◐◐◑════━╖
              بسم الله الرحمن الرحيم
              ╙━════◐◐◑════━╜

     💟  MADNI-MAASHRA💟


⊙Izdwaji Zindgi is Tarah Guzare⊙
       
         ☆ ★ PART- 9 ★☆

♻ Shohar  Bivi  Ke  Huqooq ♻


⇨ 9- Apni Aabru aur Asmat ki Hifazat ka ahatmam kijiye, ◆

★ un tamaam baato se aur kaamo se door rahiye jinse daaman asmat per dhabba lagne ka andesha ho, Khuda ki hidayat ka taqaza bhi he aur khush gawar zindgi ke liye bhi behad zaroori he, isliye k agar Shohar ke dil me is tarah ka koi shubha, shaq paida ho jaye to fir aurat ki koi khidmat, bhalai Shohar ko apni taraf maa'il nahi kar sakti, aur is maamle me mamooli kotahi se bhi Shohar ke dil me shaitan shubha, shaq daalne me kamyaab ho jata he,


★ Nabi Kareem Sallallahu Alayhivasallam ka paak irshad he,

" Aurat jab paancho waqt ki namaz pad le, apni Aabru ki hifazat kar le, apne shohar ki farmabardar rahe, to woh jannat me jis darwaze se chahe daakhil ho jaye,"
 
↳®Attargeeb v tarheeb

Next- 10,🔜 in sha Allah ta'aala,

📓 Madni Maashra, 75
 
             
          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✳♉♻ ♻❇♻
            ╓━════◐◐◑════━╖
              بسم الله الرحمن الرحيم
              ╙━════◐◐◑════━╜

     💟  MADNI-MAASHRA💟


⊙Izdwaji Zindgi is Tarah Guzare⊙
       
         ☆ ★ PART- 10 ★☆

♻ Shohar  Bivi  Ke  Huqooq ♻


⇨ 10- Shohar ki ijazat ke bager ghar se bahar na jaye, ◆

★ Khuda per imaan rakhne wali aurat ke liye ye jaa'iz nahi k wo apne shohar ke ghar me kisi ese shakhs ko aane ki ijazat de jiska aana shohar ko nagawaar ho aur wo ghar se esi soorat me nikle jabki uska nikalna shohar ko nagawaar ho aur shohar ke maamle me kisi doosre ka kehna na maane,

  ↳ ® Attargeeb v tarheeb

★ yani shohar ke maamle me shohar ki marzi aur ishare per hi amal kijiye aur uske khilaf hargiz doosre ke mashwaro'n  ko na apnaye,


 Next- 11,🔜 in sha Allah ta'aala,

📓 Madni Maashra,76
 
             
          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✳♉♻ ♻❇♻
            ╓━════◐◐◑════━╖
              بسم الله الرحمن الرحيم
              ╙━════◐◐◑════━╜

     💟  MADNI-MAASHRA💟


⊙Izdwaji Zindgi is Tarah Guzare⊙
       
         ☆ ★ PART- 11 ★☆

♻ Shohar  Bivi  Ke  Huqooq ♻


⇨11- Hamesha apne qaul v Amal aur Andaz v Atvaar se shohar ko khush rakhne ki koshish kijiye, ◆


★ Kamyaab azdwaji zindgi ka raaz bhi yahi he, aur khuda ki raza aur Jannat ke husool ka raasta bhi yahi he,


★ Nabi Kareem Sallallahu Alayhivasallam ka paak irshad he,

" Jis aurat ne bhi is haal me inteqaal kiya k uska shohar usse raazi aur khush tha to woh jannat me dakhil hogi, "

   ↳® Tirmizi Sharif

★ Ek hadees paak me irshad he,

"Jab koi Aadmi apni bivi ko jinsi zaroorat ke liye bulaye aur woh na aaye aur is bina per shohar raat bhar usse khafa rahe to esi aurat per subeh tak Farishte laanat karte hai'n, "

↳  ® Bukhari Sharif
 
 Next- 12,🔜 in sha Allah ta'aala,

📓 Madni Maashra,76
 
             
          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✳♉♻ ♻❇♻
            ╓━════◐◐◑════━╖
              بسم الله الرحمن الرحيم
              ╙━════◐◐◑════━╜

     💟  MADNI-MAASHRA💟


⊙Izdwaji Zindgi is Tarah Guzare⊙
       
        ☆ ★ PART- 12 ★☆

♻ Shohar  Bivi  Ke  Huqooq ♻


⇨ 12- Apne Shohar ki Rafaqat ki Qadr kijiye, is azeem niyamat per khuda ka Shukr Ada kijiye, aur Niyamat ki Dil Jaan se qadr kijiye, ◆

★ Nabi Kareem Sallallahu Alayhivasallam ka paak irshad he,

" Nikah se behtar koi cheej mohabbat karne walo ke liye nahi payi gayi, "

↳® Ibne maaja,  

★ Ummul Momineen Hazrat Safiya Rad . Ko Aap Sallallahu Alayhivasallam se be inteha mohabbat thi, Chunache Jab Nabi Kareem S A bimar hue, to intehai hasrat se boli,

" Kash Aap S A ke bajae me bimar ho jati, "

Doosri Ummul Momineen ko is izhare mohabbat per ta'ajjub se unki taraf dekha to Aap S A ne farmaya,

" Dikhawa nahi he, balki sach keh rahi he, "

↲® Mafhoom,

 Next- 13,🔜 in sha Allah ta'aala,

📓 Madni Maashra, 77
 
         
          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✳♉♻ ♻❇♻
            ╓━════◐◐◑════━╖
              بسم الله الرحمن الرحيم
              ╙━════◐◐◑════━╜

     💟  MADNI-MAASHRA💟


⊙Izdwaji Zindgi is Tarah Guzare⊙
       
       ☆ ★ PART- 13 ★☆

♻ Shohar  Bivi  Ke  Huqooq ♻


⇨ 13- Shohar ka Ahsaan maan kar uski Shukr guzaar rahiye, ◆


★ Aapka sabse bada mohsin aapka shohar hi he, Jo har tarah aapko khush rakhne me laga rehta he, Aapki har zaroorat ko poora karta he, aur aapko Aaraam pahuncha kar Araam mehsoos karta he,

★ Hazrat Asmaa Rad. Farmati hai'n k Nabi Akram Sallallahu Alayhivasallam ne irshad farmaya,

" Tum per jinka ahsaan he unki nashukri se bacho, tumme ki ek apne maa'n baap ke yaha'n kaafi dino tak bin biyahi bethi rehti hai'n, fir Khuda unko Shohar ata farmata he, fir Khuda usko Aulaad se nawaazta he ( in tamaam ahsaanat ke bavjood) agar kabhi kisi baat per Shohar se khafa hoti he to keh uthti he k mene to tumhari taraf se koi bhalai dekhi hi nahi,

   ↳® Al Adab Al Mufarrad◆

★ Nashukr aur Ahsaan faramosh Bivi ko tambeeh karte hue Nabi Akram Sallallahu Alaihivasallam ne irahad farmaya,

" Khuda Qayamat ke roz us Aurat ki taraf nazar uthakar bhi na dekhega Jo Shohar ki nashukr guzaar hogi, hala'nki Aurat kisi waqt bhi Shohar se be niyaaz nahi ho sakti,

↳® Nasa'i,

Next- 14,🔜 in sha Allah ta'aala,

📓 Madni Maashra,78
 
             
          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✳♉♻ ♻❇♻
            ╓━════◐◐◑════━╖
              بسم الله الرحمن الرحيم
              ╙━════◐◐◑════━╜

     💟  MADNI-MAASHRA💟


⊙Izdwaji Zindgi is Tarah Guzare⊙
       
       ☆ ★ PART- 14 ★☆

♻ Shohar  Bivi  Ke  Huqooq ♻


⇨ 14- Shohar ki Khidmat karke Khushi mehsoos kijiye, ◆

★ Shohar ki khidmat karke Khushi mehsoos kijiye aur jaha tak ho sake khud takleef uthakar Shohar ko araam pahunchaye aur har tarah uski khidmat karke uska dil apne haath me lene ki koshish kijiye,

★ Hazrat Aayesha Raziyallahu Anha apne haath se Nabi kareem Sallallahu Alaihivasallam ke kapde dhoti, Sar me Tel lagati, Kangha karti, Khushbu lagati aur Yahi haal doosri Sahabiya Khawateen ka bhi tha,

★ Ek baar Nabi kareem Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Kisi insaan ke liye ye jaa'iz nahi k wo kisi doosre insaan ko Sajda kare,

Agar iski ijazat hoti to Bivi ko hukm diya jata k wo apne Shohar ko Sajda kare,

Shohar ka apni Bivi per azeem haq he, itna azeem haq k agar Shohar ka saara jism zakhmi ho aur Bivi Shohar ke zakhmi jism ko zuban se chaate tab bhi Shohar ka haq Ada nahi ho sakta,"

↳® Musnad Ahmad,

Next- 15,🔜 in sha Allah ta'aala,

📓 Madni Maashra,79
 
             
          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✳♉♻ ♻❇♻
            ╓━════◐◐◑════━╖
              بسم الله الرحمن الرحيم
              ╙━════◐◐◑════━╜

     💟  MADNI-MAASHRA💟


⊙Izdwaji Zindgi is Tarah Guzare⊙
       
       ☆ ★ PART- 15 ★☆

♻ Shohar  Bivi  Ke  Huqooq ♻


⇨ 15- Shohar ke Ghar baar aur Maal v Asbaab ki Hifazat kijiye , ◆

★ Shadi ke baad Shohar ke ghar hi ko apna ghar samjhe aur Shohar ke maal ko, Shohar ke Ghar ki ronak badane, Shohar ki izzat banane aur uske bachcho ka mustaqbil sanwaarne me hikmat aur kifayat v saliqe se kharch kijiye, Shohar ki taraqqi aur khush hali ko apni taraqqi aur khush hali samjhiye,

★ Quresh ki Aurto'n ki tareef karte hue Nabi kareem Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Quresh ki aurte'n kya hi khoob aurte'n he'n,, Bachcho per nihayat meharban he'n, aur Shohar ke Ghar baar ki inthai hifazat karne wali he'n,

   ↳® Bukhari, 5082

★ Aur Nabi kareem Sallallahu Alaihivasallam ne nek Bivi ki khubiya'n bayan karte hue farmaya,

" Momin ke liye khofe khuda ke baad sabse zyada mufeed aur Baa'ise khair niyamat Nek Bivi he,

K Jab woh usse kisi kaam ko kahe to wo khush dili se anjaam de

aur Jab woh us per nigaah daale to wo usko khush kar de

aur jab woh uske bharose per qasam kha bethe to wo uski qasam puri kar de

 aur jab woh kahi chala jaye to uske pichhe apni izzat v aabru ki hifazat kare aur Shohar ke maal v Asbaab ki nigrani me Shohar ki khair khwah aur wafadaar rahe, "

↳® ibne maaja, 1857

Next- 16 ,🔜 in sha Allah ta'aala,

📓 Madni Maashra,80
 
             
          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✳♉♻ ♻❇♻
            ╓━════◐◐◑════━╖
              بسم الله الرحمن الرحيم
              ╙━════◐◐◑════━╜

     💟  MADNI-MAASHRA💟


⊙Izdwaji Zindgi is Tarah Guzare⊙
       
       ☆ ★ PART- 16 ★☆

♻ Shohar  Bivi  Ke  Huqooq ♻


⇨ 16- Shohar ko Kamane ka aur Bivi ko Kharch karne ka Sawab milta he , ◆

★ Hazrat Aayesha Raziyallahu Anhu se rivayat he k Nabi kareem Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,

" Jab Aurat apne ( shohar) ke khane me kharch Kare aur bigaad ka tareeqa akhtyar karne wali na ho to usko kharch karne ki Vajah se sawab milega,

Aur Jo khajanchi he ( Jiske paas raqam ya maal mehfooz rehta he, agarche ye maalik nahi he magar us maal me se maalik ke hukm ke mutabiq jab Allah ki raah me kharch karega to ) usko bhi usi tarah sawab milta he ( jese maalik ko mila), "

★ Garz Ek maal se Teen shakhso ko sawab milega,

→1- Kamane wala,

→2- Uski Bivi jisne Sadqa kiya,

→3- Khajanchi aur jisne maal nikaal kar diya,

Aur ek ki Vajah se doosre ke sawab me koi kami nahi hogi yani sawab batkar nahi milega balki har ek ko apne amal ka pura sawab diya jaega,"

   ↳® Mishkaat, Bukhari, Muslim,

Next- 17,🔜 in sha Allah ta'aala,

📓 Madni Maashra, 81
 
           
          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✳♉♻ ♻❇♻
            ╓━════◐◐◑════━╖
              بسم الله الرحمن الرحيم
              ╙━════◐◐◑════━╜

     💟  MADNI-MAASHRA💟


⊙Izdwaji Zindgi is Tarah Guzare⊙
       
       ☆ ★ PART- 17 ★☆

♻ Shohar  Bivi  Ke  Huqooq ♻


⇨ 17- Safai, vagera ka bhi pura pura ahatmam kijiye , ◆

★ Safai, Saliqa aur Aara'ish v Zeba'ish ka bhi pura pura ahatmam kijiye, Ghar ko bhi saaf suthra rakhiye aur har cheez ko saliqe se saja'iye aur Saliqe se istemal kijiye,

★Saaf suthra ghar, qarine se saje hue saaf suthre kamre, gharelu kaamo me saliqa aur banaav singaar ki hui Bivi ki pakiza muskurahat se na sirf gharelu zindgi pyar muhabbat aur khairo barkat se malamaal hoti he balki ek Bivi ke liye apni aaqbat banane aur khuda ko khush karne ka bhi yahi zariya he,

★ Ek baar Begam Usman bin Mazoun Raziyallahu Anha se Hazrat Aayesha Raziyallahu Anha ki mulaqaat hui to aapne dekha k Begam Usman nihayat saada kapdo me he aur koi banaav singaar bhi nahi kiya he to Hazrat Aayesha Raziyallahu Anha ko bada tajjub hua aur unse puchha,

" Bibi ! Kya Usman kahi bahar safar per gaye hue he'n,? "

→is tajjub se andaza kijiye k Suhagino ka apne Shohar ke liye banaav singaar karna kesa pasandida kaam he,

★Ek baar ek Sahabiya Raziyallahu Anha Nabi kareem Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat me haazir hui, wo apne haatho me sone ke kangan pehne hui thi, Aap Sallallahu Alaihivasallam ne unko pehanne se mana farmaya, to kehne lagi,

" Ya Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam! Agar aurat Shohar ke liye banaav singaar na karegi to uski nazar se gir jaegi, "

↳® Nasa'i,

→Huzur Sallallahu Alaihivasallam ki muman'at aur fir baad me sukoot se pata chalta he k agarche sone ka istemal Aurto'n ke liye jaa'iz he magar chuki ye aysh pasandi aur ta'iesh tak pahunchata he, isliye sone ka istemal bator aysh pasandi aur mufakhrat ke makrooh he,

→Lekin agar Shohar ke liye banaav singaar ke liye he to jaa'iz he,

▩▩ Alhamdulillah Khatm Hue ▩▩

  📓 Madni Maashra, 82
 
             
          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✳♉♻



No comments:

Post a Comment