🌺🍀🌺
╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
🌸 NIKAAH 🌸
⚄ PART- 1 ⚄
⇰ Nikaah ki istlaahi Ta'areef,
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
✪ Istlaahi Shariyat me Nikaah ka maani ye he k kisi esi Aurat ko Aqd Nikaah me lana, Jisse Nikaah karne me koi shara'i muman'at na ho taki uske saath halaal tareeqe se jinsi Taskeen haasil ki ja sake,
✪ Nikaah ek esi ibaadat he Jo Abul Bashar Aadam Alayhissalam se lekar aaj tak jaari he, Jannat me bhi ye silsila jaari rahega, Neez Ambiya Alayhissalam ki bhi sunnate mustamrah he,
↳® Durre Mukhtar, 3/3
⇲ Next- 2 🔜 in sha Allah ta'aala,
↳® Izdwaji Zindgi ke Shara'i Masail aur Unka Hal, /1
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
🌺🍀🌺
🌺🍀🌺
╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
🌸 NIKAAH 🌸
⚄ PART- 2 ⚄
⇨ Nikaah Ki 'Aqsaam'- 1
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
✪ Farz :-
⇛ Kisi shakhs per Shehwat ka is qadar galba ho k agar Nikaah na kare to zarur zinakari me mubtila ho ja'ega,
→ Aur usko baqadre zarurat nafqa aur Mahar per haqeeqatan ya hikman qudrat bhi haasil he,
→ Shar'an us per Farz he k Shaadi karke apni Asmat ki hifazat kare,
↳® Durre Mukhtar, 3/6
⇲ Next- 3 🔜 in sha Allah ta'aala,
↳® Izdwaji Zindgi ke Shara'i Masail aur Unka Hal,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
🌺🍀🌺 🌺🍀🌺
╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
🌸 NIKAAH 🌸
⚄ PART- 3 ⚄
⇨ Nikaah Ki Aqsaam-2
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
✪ Wajib: -
⇛ Agar kisi per Shehwat ka galba he k Shaadi na kare to zina me mubtila hone ka khof he, lekin yaqeen nahi,
→ Aur usko bivi ke naan v nafqa per qudrat bhi haasil he,
→ Ese shakhs per Shaadi karke apni Asmat ki hifazat wajib he,
↳® Durre Mukhtar, 3/6
⇲ Next- 4 🔜 in sha Allah ta'aala,

⚄ PART- 4 ⚄
⇰ Nikaah ki Aqsaam-3
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
✪ Sunnat: -
⇛ Agar koi shakhs Nikaah ke qabil ho gaya, Naan nafqa per qudrat haasil he aur humbistari per bhi qudrat he, Nikaah se koi aur shara'i maana mojood nahi, ese shakhs ke liye Nikaah karke ba izzat zindgi guzaarna shar'an masnoon he,
→ Kyuki ye Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ka daa'imi amal he,
→ Aur Shaadi se Eraaz karne walo per Aap Sallallahu Alaihivasallam ne radd farmaya,
→ lihaza esa shakhs itteba e sunnat ki niyat se apni Asmat ki hifazat aur Saaleh aulaad ke husool ki niyat se Shaadi kare to ajro sawab ka haqdaar hoga,
↳® Durre Mukhtar, 7/3
⇲ Next- 5 🔜 in sha Allah ta'aala,
↳® Izdwaji Zindgi ke Shara'i Masail aur Unka Hal, 33
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
🌺🍀🌺 🌺🍀🌺
★ ╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
🌸 NIKAAH 🌸
⚄ PART- 5 ⚄
⇰ Nikaah ki Aqsaam-4
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
✪ Haraam: -
⇛ Agar kisi shakhs me Bivi ke huqooq adaa karne ki taaqat na ho,
→ maslan na mard he, ya naan nafqa per haqeeqatan ya hikman qaadir nahi, neez mizaaj ki sakhti vagera
→Kisi vajah se usko yaqeen he k Bivi ke huqooq adaa nahi ho sakenge,
→To ese shakhs ke liye Shaadi karna haraam he,
↳® Durre Mukhtar, 7/3
⇲ Next- 6 🔜 in sha Allah ta'aala,
↳® Izdwaji Zindgi ke Shara'i Masail aur Unka Hal, 34
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
🌺🍀🌺 🌺🍀🌺
★ ╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
🌸 NIKAAH 🌸
⚄ PART- 6 ⚄
⇰ Nikaah ki Aqsaam-5
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
✪ Makrooh Tehrimi: -
⇛ Jis shakhs ko Bivi per zulm ka yaqeen to na ho lekin galib gumaan yahi he k zulm ho ja'ega,
→To ese shakhs ke liye jab tak ada e huqooq per qudrat na ho Nikaah karna makrooh Tehrimi he,
↳ ®Durre Mukhtar, 7/3
⇲ Next- 7 🔜 in sha Allah ta'aala,
↳ ®Izdwaji Zindgi ke Shara'i Masail aur Unka Hal, 34
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
🌺🍀🌺 🌺🍀🌺
★ ╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
🌸 NIKAAH 🌸
⚄ PART- 7 ⚄
⇰ Nikaah ki Aqsaam-6
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
✪ Mubaah: -
⇛ Agar kisi shakhs ko huqooq e zojiyat ki adaaygi se qaasir hone ka andesha ho,
→ Uska yaqeen ya zani galib na ho to uske liye Shaadi karna mubaah he,
↳® Shaami, 7/3
⇲ Next- 8 🔜 in sha Allah ta'aala,

⚄ PART- 8 ⚄
⇰ Nikaah Ki Ahmiyat,
∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞≅∞
⇛ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
→" Ey Jawano ki jamaat, Tumme se Jo shakhs mujam'at aur uske lawazmaat ( Yani Bivi Bachcho ka naan nafqa aur Mahar ada karne) ki qudrat isteta'at rakhta ho,
→ Use chahiye k wo Nikaah kare,
→ Kyuki Nikaah se Nazar ki hifazat hoti he aur Sharmgah mehfooz ho jati he,
→ Aur Jo shakhs Jima'a ki lawazmaat ki isteta'at na rakhta ho use chahiye k Roze rakhe,
→ Kyuki Roze rakhna uske liye khassi karne ka faayda dega, "
↳® Bukhari, Muslim,
✪ Yani Jis tarah Khassi karne se Jinsi heyjaan khatm ho jata he usi tarah Roza rakhne se bhi jinsi heyjaan kam ho jata he,
⇛ Tashreeh: -
✪ is hadees me Nikaah ke do bade faayde bayaan hue he'n:-
⇛ 1, Haraam Jagah Nazar daalne se Aankho ki hifazat,
⇛ 2, Haraamkari ke zariye Shehwat raani se hifazat,
⇲ Next- 9 🔜 in sha Allah ta'aala,

⚄ PART- 9 ⚄
⇰ Paak Damani ke liye Nikaah ki Barkat: -
∞≅∞≅∞≅∞
⇛ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k,
" Teen shakhs ese he'n jinki madad Allah ta'aala per ( uske vaade ke mutabiq ) wajib he: -
→1- Ek to woh makatib Jo apne badal kitaabat adaa karne ka iraada rakhta he,
→2- Woh Nikaah karne wala Jo haraamkari se bachne ki niyat rakhta he,
→3- Allah ta'aala ki Raah me Jihaad karne wala,
↳® Ravaah Tirmizi v Nasa'i v ibne maaja, Mishkaat 2/267
⇛ Faayda: -
✪ Jo shakhs mahaz paak Damani ki khatir Nikaah ka iraada rakhta ho uske paas bahut zyada maal v daulat na ho tab bhi usko pareshan na hona chahiye aur iski vajah se Shaadi me takheer nahi karna chahiye balki munasib rishta talaash karke foran rishta kare,
→ Allah ta'aala apni geybi madad se tamaam zaruriyaat ko pura farma'enge aur in sha Allah Gina ataa farma'enge,
⇲ Next- 10 🔜 in sha Allah ta'aala,
↳ ® Izdwaji Zindgi ke Shara'i Masail aur Unka Hal, 35
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
🌺🍀🌺 🌺🍀🌺
★ ╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
🌸 NIKAAH 🌸
⚄ PART- 10 ⚄
⇰ Nikaah me Takheer ki Kharabiya'n: -1
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Hakeemul Ummat Maulana Ashraf Ali Thanvi Rahmatullahi Ta'aala ne farmaya k,
→" Baalig hone ke baad Kunwari ladkiyo'n ki jaldi Shaadi na karne me bahut se mufasid aur kharabiya'n saamne aayi he'n,
→ Kahi ladkiya'n kisi ke saath bhaag gayi, agar kisi shareef khandaan me esa na bhi ho tab bhi wo ladkiya un sarparasto ko dil hi dil me kosti he'n aur chunki wo mazloom he'n lihaza unka kosna khali nahi jata,
→ ( Kyuki Hadees me aata he mazloom ki bad -dua se daro kyuki uske aur haq ta'aala Shanh ke darmiyan koi hijaab nahi )
→ Baqi agle part me -
⇲ Next- 11 🔜 in sha Allah ta'aala,
📓 Izdwaji Zindgi ke Shara'i Masail aur Unka Hal, 37
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
🌺🍀🌺 🌺🍀🌺
★ ╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
🌸 NIKAAH 🌸
⚄ PART- 11 ⚄
⇰ Nikaah me Takheer ki Kharabiya'n: -2
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
→pichhle Part ka Baqi hissa -
✪ Takheer ki vujuhaat: -
⇛ Jahez ke intezar me Nikaah me takheer,
⇛ Moq'a ka Rishta na milne ka uzr,
⇛ Laa'iqe Damaad ki zehni Tarasheeda Sifaat ,
→ ( Hasab nasab, akhlaq, husno Jamaal, Maalo daulat vagera )
⇲ Next- 12 🔜 in sha Allah ta'aala,

⚄ PART- 12 ⚄
⇰ Aulaad ki Shaadi me Takheer ka Gunaah: -
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k,
→" Jis shakhs ke yaha ladka peyda ho to use chahiye k wo uska naam achchha rakhe aur use nek adaab sikhaye ,
→ ( yani shariyat ke ahkaam aur adaab , zindgi ke islami tareeqe sikhaye taki wo duniya v akhirat me kaamyab aur sarbuland ho )
→ Fir wo baalig ho jaye to uska nikaah karade,
→ Agar ladka baalig ho ( aur Shaadi ke kharche per qudrat na rakhta ho ) aur uska baap ( uske nikaah ka kharcha bardasht karne per qudrat rakhta ho uske bavjood) uska Nikaah na kare aur fir wo ladka buraai me mubtila ho jaye to uska gunaah Baap per hoga, "
📓 Mishkaat, 2/271
⇲ Next- 13 🔜 in sha Allah ta'aala,
📓 Izdwaji Zindgi ke Shara'i Masail aur Unka Hal, 40
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
🌺🍀🌺 🌺🍀🌺
★ ╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
🌸 NIKAAH 🌸
⚄ PART- 13 ⚄
⇛ Ladki Ke Baalig hote hi Nikaah Kardo,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
→" Toraat me likha hua he k jis shakhs ki Ladki ki umar 12 saal( Baalig ) ho jaye aur woh ( Jod ka rishta milne ke bavjood ) uska Nikaah na kare,
→ Fir wo Ladki burai ( yani badkaari vagera ) me mubtila ho jaye to uska gunaah uske baap per he, "
📓 Mishkaat, 2/272
⇲ Next- 14 🔜 in sha Allah ta'aala,
📓 Izdwaji Zindgi ke Shara'i Masail aur Unka Hal, 39
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
🌺🍀🌺 🌺🍀🌺
★ ╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
🌸 NIKAAH 🌸
⚄ PART- 14 ⚄
⇛ Nikaah Ke liye Deendar Shakhs ka intkhab,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Aurat se 4 darza se Nikaah kiya jata he,
→ 1- Sharafat ki Vajah se,
→ 2- Maal ki Vajah se,
→ 3- Khoobsurti ki Vajah se,
→ 4- Deendari ki Vajah se,
Ey Mukhatib! Tumko deendar Aurat se Nikaah karna chahiye,"
📓 Mishkaat, 2/267
⇲ Next-15 🔜 in sha Allah ta'aala,

⚄ PART- 15 ⚄
⇛ Nikaah Ke liye Deendar Shakhs ka intkhab, -2
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
⇛ Faayda: -
✪ Dekha jata he k log Nikaah me zyadatar maal ko dekhte he'n aur sabse kam Deen ko,
✪ Halanki maal aur husno Jamal ki taraf tavajjoh kam honi chahiye aur uske muqable me deendari ki taraf zyada iltfaat hona chahiye,
⇛ kyunki Deen ki Vajah se aapas ka talluq achchha rehta he, isme zojen ko sukoon milta he, ek doosre ke huqooq pehchante he'n aur Ada karte he'n, Jisse dono ki Zindgi raahat v sukoon ki guzarti he,
⇲ Next-16 🔜 in sha Allah ta'aala,

⚄ PART- 16 ⚄
⇛ Nek Saleh Aurat ki Sifaat -1,

→"Momin Allah ta'ala ke Taqwe ( Khofe Khuda ) ke baad Jo sabse behtar cheez apne liye muntakhab karta he
→ wo Nek bakht khoobsurat Bivi he,
→ Khususi Bivi ki khoobsurti ye he k agar (Shohar ) usko koi hukm deta he to wo uski tameel karti he,
→ Jab Shohar uski taraf dekhta he to wo ( apne husn aur pakiza seerat se ) uska dil khush karti he,
→ Jab wo usko qasam deta he to wo us qasam ko pura karti he,
( yani apni khwahish per Shohar ki khwahish ko muqaddam rakhti he )
→ Aur Shohar ki gair mojoodgi ki surat me apni Asmat aur Shohar ke maal ki hifazat karti he, "
📓 Mishkaat, 2/268
⇲ Next- 17 🔜 in sha Allah ta'aala,
📓 Izdwaji Zindgi ke Shara'i Masail aur Unka Hal, 41
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
🌺🍀🌺
🌺🍀🌺
★ ╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
🌸 NIKAAH 🌸
⚄ PART- 17 ⚄
⇛ Nek Saleh Aurat ki Sifaat, -2
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Faayda ✪
⇛ is Hadees me ( Jo part 16 me guzri ) Nek Saleh Aurat ki Sifaat ka bayaan hua he, :-
★ 1- Shohar ki ita'at karne wali,
★ 2- Khidmat karke Shohar ka Dil khush karne wali,
★ 3- Apni khwahish per Shohar ki khwahish ko muqaddam rakhne wali,
★ 4- Apni Asmat v Paakdamani ki hifazat aur uska khayal rakhne wali,
★ 5- Shohar ke Maal ki hifazat karne wali,
⇲ Next- 18 🔜 in sha Allah ta'aala,

⚄ PART- 18 ⚄
⇛ Nikaah sahi hone ki shart,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Majlise Aqd me ladka aur ladki se 2 shara'i gawaho'n ki mojoodgi me baqa'ada iyjaab v qubool karwaya jaye,
✪ Ladki se kaha jaye k
" Aapka Nikaah Fala'n bin Fala'n se kar diya,
Kya aapki taraf se ijazat he ?
✪ Wo ( ladki ) ijazat de de to uske baad Ladke se kaha jaye k
" Fala'n bint Fala'n ko itne Mahar ki eyvaz aapke Nikaah me de diya,
Kya aapne qubool kiya?
✪ Wo ( ladka ) jawab me kahe k
" Haa'n mene qubool kiya "
⇛ in shara'it ki tafseel agle part me in sha Allah,
⇲ Next- 19 🔜 in sha Allah ta'aala,
📓 Izdwaji Zindgi ke Shara'i Masail aur Unka Hal, 42
➖ Only Broadcast ➖
✿ ✒ TALIBE DUA
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
🌺🍀🌺
🌺🍀🌺
★ ╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
🌸 NIKAAH 🌸
⚄ PART- 19 ⚄
⇛ Eyjaab v Qubool aur uske sahi hone ki Shara'it,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Nikaah Eyjaab v Qubool ke zariye mun'aqd hota he,
✪ Ye Eyjaab v Qubool dono maazi ( past ) ke lafz ke saath hona chahiye,
( Yani esa lafz jisse ye samjha jaye k Nikaah ho chuka he )
⇛ Jese kisi ne gawaho'n ki mojoodgi me kaha k mene apni Ladki ka Nikaah tumhare saath kar diya,
aur usne Jawab me kaha k mene qubool kiya,
✪ Ya dono me se ek Lafz maazi ( past ) ka ho,
⇛ Jese kisi ne kaha k apni Fala ladki ka Nikaah mere saath kar do
to doosre ne Jawab me kaha k mene kar diya,
Tab bhi Nikaah ho gaya,
📓 Ba Hawala-Hidaya, 2/325
⇲ Next- 20 🔜 in sha Allah ta'aala,

✿
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
🌺🍀🌺
🌺🍀🌺
★ ╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
🌸 NIKAAH 🌸
⚄ PART- 20 ⚄
⇛ Gawaho'n Ki Mojoodgi me Nikaah hona,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Nikaah mun'aqd hone ke liye ye bhi zaruri he k. Kam se kam 2 mardo ke ya 1 mard aur 2 aurto'n ke saamne Nikaah kiya jaye,
✪ Wo Tamaam gawaah ek hi majlis me dono ( Ladka aur Ladki ) ke Eyjaab v Qubool apne kaano se sune, Nikaah ke maamle ko dekhe aur unko maloom ho k ye Eyjaab v Qubool karne wale aapas me Nikaah kar rahe he'n, koi hansi mazaaq nahi ho raha,
📓 Ba- Hawala Durre Mukhtar, 3/21
⇲ Next- 21 🔜 in sha Allah ta'aala,

⚄ PART- 21 ⚄
⇛ Nikaah ki ijazat ke waqt Gawaah banana,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Ladki agar majlise Aqd me mojood na ho balki ghar me ho to esi surat me umuman ladki ke Walid, Chacha ya Mamu vagera koi mehram rishtedar ijazat lete he'n,
Fir majlise Aqd me Nikaah padhane wale ko wo ijazat muntkil ki jati he,
✪ Ladki se ijazat Talab karte waqt gawaho'n ka mojood hona mustahab he, zaruri nahi,
⇛ Albatta Nikaah padhate waqt 2 gawaho'n ki mojoodgi zaruri he, Jo Eyjaab v Qubool ke alfaz ko sune aur samjhe,
📓 Ba- Hawala Durre Mukhtar,
⇲ Next- 22 🔜 in sha Allah ta'aala,
📓 Izdwaji Zindgi ke Shara'i Masail aur Unka Hal, 43
➖ Only Broadcast ➖
✿
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
🌺🍀🌺
🌺🍀🌺
★ ╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
🌸 NIKAAH 🌸
⚄ PART- 22 ⚄
⇛ Adle Badle ki Shadi,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Adle Badle ki Shadi ki Asli Shaql to ye he k koi shakhs apni Behan ya Beti ka Nikaah doosre ke saath is shart per karde k woh apni Behan ya Beti us pehle shakhs ke Nikaah me de,
Alag se koi Mahar vagera muqarrar na kiya jaye balki mahaz ek Ladki ko doosri Ladki ka evaz aur Mahar qaraar de diya jaye,
👆
⇛ Esa Karna Shar'an Makrooh Tehrimi aur na-jaa'iz he,
⇛ Agar kisi ne esa Kar liya to har ek ke zimme apni Bivi ka Mahar misl laazim hoga,
📓 Ba- Hawala, Mishkaat, 2/271,
Durre Mukhtar, 3/106
⇲ Next- 23 🔜 in sha Allah ta'aala,

⚄ PART- 23 ⚄
⇛ Adle Badle ki Shadi Ki Kharabiya'n,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Adle Badle ki Shadi me agar dono taraf ki ladkiyo ke liye Mahar muqarrar bhi ho to agarche ye Nikaah haqeeqat ke lihaaz se sahi hoga
Fir bhi esi Shadiyo me amuman dekha gaya he k dono khandano ke ta'alluqaat kharab ho jate he'n,
✪ Agar ek taraf ki ladki ki apne shohar se kuchh anban ho jaye to iska asar foran doosri taraf ki ladki per padta he, Chahe unki zindgi sahi guzar rahi ho,
⇛ Esa ek Waq'a nahi balki dasiyo waq'aat he'n jinka mushahida hota rehta he,
⇛ isliye mera musalmano ko yahi mashwara he k Adle Badle ki Shadi ka maamla na kare, Chahe we Mahar adaa kare tab bhi, koshish kare k Adla Badla na ho,
⇲ Next- 24 🔜 in sha Allah ta'aala,
📓 Izdwaji Zindgi ke Shara'i Masail aur Unka Hal, 44
➖ Only Broadcast ➖
✿
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
🌺🍀🌺
🌺🍀🌺
★ ╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
🌸 NIKAAH 🌸
⚄ PART- 24 ⚄
⇛ Kafu ( Barabari ) me Nikaah karna,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Shariyat Muhammad Sallallahu Alaihivasallam me Nikaah ka maqsad ta-hayaat Miya Bivi ki haysiyat se ek saath zindgi guzaarna aur nasle insani badhana he,
✪ Iske liye zaruri he k zojen me muhabbat aur dono ke mizaaj me muwafqat ho,
⇛ Isi vajah se Shari'at mutahara ne hukm diya he k Nikaah me Kafu ( Barabari ) ka lihaaz rakha jaye,

" Aurto'n ka Nikaah Kafu me hi Karo, Unki shadi unke wali ki mojoodgi me hi Karo aur unka Mahar das dirham se kam muqarrar na Karo,
📓 Bayhqi,
⇲ Next- 25 🔜 in sha Allah ta'aala,

⚄ PART- 25 ⚄
⇛ Kafu ( Barabari) me Nikaah karna, -2
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
⇛ Barabari aksar 5 Baato me dekhi jati he,-
1- Nasab, 2 - Islaam, 3- Deendari, 4- Maaldari, 5- Pesha,
✪ 1- Nasab me Barabari ✪
⇛ Nasab me barabari ye he k Shekh, Sayyad, Pathan, Mughal, Ansari, sab ek doosre ke barabar he'n,
→ Yani agarche Sayyad ka martaba auro se badkar he lekin agar Sayyad ladki ki Shekh ke yaha'n Shadi hui to ye na kahenge k barabari na hui,
📓 Sharah Bidaya, 2/300
⇲ Next- 26 🔜 in sha Allah ta'aala,

⚄ PART- 26 ⚄
⇛ Kafu ( Barabari ) me Nikaah Karna-3,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ 2- Musalman Hone me Barabari ✪
⇛ Jo sakhsh khud musalman ho gaya aur uska Baap kaafir tha, us Aurat ke barabar nahi Jo khud bhi musalman he aur uska Baap bhi musalman,
⇛ Aur Jo sakhsh khud musalman he aur uska Baap bhi musalman he lekin uska Dada musalman nahi, wo us Aurat ke barabar ka nahi jiska Dada bhi musalman he,
⇛ Jiske Baap Dada dono musalman ho lekin pardada musalman na ho to wo shakhs us Aurat ke barabar samjha jaega jiski kai pushte musalman ho,
★ Khulasa ye he k Dada tak musalman hone me barabari ka etbaar he, Uske baad Pardada aur Nigaddada me barabari zaruri nahi,
📓 Aalamgiri, 1/301,310
⇲ Next- 27 🔜 in sha Allah ta'aala,

TypeNoteFile.txt - 27-
🌺🍀🌺
★ ╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
🌸 NIKAAH 🌸
⚄ PART- 27 ⚄
⇛ Kafu ( Barabari ) me Nikaah karna-4
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ 3- Deendari me Barabari,
⇛ Deendari me barabari ka matlab ye he k esa shakhs Jo Deen ka paband nahi, Luchcha, Sharabi aur Badkaar ho, Nek bakht paarsa deendar Aurat ke barabar nahi samjha jaega,
📓 Fatawa Aalamgeeri, 1/310
⇲ Next- 28 🔜 in sha Allah ta'aala,

TypeNoteFile.txt - 28-
🌺🍀🌺
★ ╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
🌸 NIKAAH 🌸
⚄ PART- 28 ⚄
⇛ Kafu ( Barabari )me Nikaah karna -5,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ 4- Maal me Barabari,
⇛ Maal me barabari ke ma'ani ye he k bilkul muflis mohtaaj maaldar Aurat ke barabar ka nahi he,
⇛ Aur agar wo bilkul muflis nahi balki jitna mahar pehli raat ko dene ka dastoor he utna mahar de sakta he aur nafqa bhi to apne mel aur barabar ka he agarche saara mahar na de sake
aur ye zaruri nahi k jitne maaldar ladki wale ho wo bhi utna hi maaldar ho ya uske qareeb qareeb maaldar ho,
📓 Fatawa Aalamgiri, 2/299
⇲ Next- 29 🔜 in sha Allah ta'aala,
📓 Izdwaji Zindgi ke Shara'i Masail aur Unka Hal, 47
➖ Only Broadcast ➖
✿
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
🌺🍀🌺
TypeNoteFile.txt - 29-
🌺🍀🌺
★ ╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
🌸 NIKAAH 🌸
⚄ PART- 29 ⚄
⇛ Kafu ( Barabari ) me Nikaah karna- 6,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Pesha me Barabari ✪
⇛ Pesha me barabari ye he k Jolahe, Darjiyo'n ke mel aur Jod ke he'n,
isi tarah Dhobi vagera bhi Darji ke barabar ke nahi
📓 Sharah Tanveer, 1/190
⇛ Deewana Pagal Aadmi hoshiyar aur samajhdar Aurat ke mel ka nahi he,
📓 Ba- Hawala Durre Mukhtar, 2/531
⇲ Next- 30 🔜 in sha Allah ta'aala,

TypeNoteFile.txt - 30-
🌺🍀🌺
★ ╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
🌸 NIKAAH 🌸
⚄ PART- 30 ⚄
⇛ Jin Aurto'n se Nikaah Haraam he -1
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Hurmat Ke 6 Buniyadi Usool ✪
⇛ Konsi Aurat kiske liye haraam he iski tafsili qawaneen ki buniyad 6 cheezo per he,
★ 1- Nasbi Qarabat,
→ ( Baap aur Maa ka talluq )
★ 2- Raza'at,
→( Doodh ka Rishta )
★ 3- Musahrat,
→ ( Sasural ka Rishta )
★ 4- Mankuhatul gair,
→ ( Yani Aurat ka kisi doosre Mard ke nikaah me Ya iddat me hona )
★ 5- Jima'a Baynul Ukhteen,
→( yani kisi Mard ke Nikaah me pehle kisi esi Aurat ka hona jiske hote hue. doosri Aurat ka Nikaah me laana shar'an mamnu'a he )
★ 6- Shariyat ki taraf se Mard ke liye Jo tadaad muqarrar he , usse zyada Nikaah karna-
→ maslan Azaad Mard ke Nikaah me 4 bivio'n ke hote hue Paanchvi Aurat se Nikaah karna,
⇲ Next- 31 🔜 in sha Allah ta'aala,
📓 Izdwaji Zindgi ke Shara'i Masail aur Unka Hal, 48
➖ Only Broadcast ➖
✿
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
🌺🍀🌺
TypeNoteFile.txt - 31-
🌺🍀🌺
★ ╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
🌸 NIKAAH 🌸
⚄ PART- 31 ⚄
⇛ Jin Aurto'n se Nikaah Haraam he-2
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Hurmat Ki Ayaate Quran ✪
⇨ Tum per haraam ki gayi he'n,
→ tumhari Maa'en - Tumhari Betiya'n aur Tumhari Behne aur Tumhari Fufiya'n aur Tumhari Khala'en aur Bhatijiya'n aur Bhanjiya'n
→ aur Tumhari wo Maa'en jinhone tumhe Doodh pilaya aur Tumhari wo Behne Jo Dhoodh pine ki Vajah se Behne hui,
✪ Tumhari Bivio'n ki Maa'en aur Tumhari Bivio'n ki Betiya'n Jo ki ( Aadtan ) tumhari parvarish me rehti he'n, un Biviyo'n se ho jinse tumne Sohbat ki ho,
→Aur agar tumne un Biviyo'n se Sohbat nahi ki ho to tum per koi gunaah nahi,
✪ Aur Tumhare un Beto ki Biviya'n Jo ki tumhari Nasl se ho
✪ Aur ye k Tum do Behno ko ek saath ( Nikaah me ) rakho lekin Jo pehle ho chuka Allah ta'ala bade bakhshne wale aur bade Rehmat wale he'n,
✪ Aur wo Aurte'n Jo ki Shohar wali he'n Magar Jo ki tumhari mamlook ho jae'n,
✪ Allah ta'ala ne in tamaam ahkaam ko tum per Farz kar diya,
✪ Aur in Aurto'n ke Siva aur tamaam Aurte'n tum per halaal ki gayi he'n,
📓 Tarjuma -
Bayanul Quran, Surah An-Nisa 23-24
⇲ Next- 32 🔜 in sha Allah ta'aala,
📓 Izdwaji Zindgi ke Shara'i Masail aur Unka Hal, 49
➖ Only Broadcast ➖
✿
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
🌺🍀🌺 🌺🍀🌺
★ ╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
🌸 NIKAAH 🌸
⚄ PART- 32 ⚄
⇛ Jin Aurto'n se Nikaah Haraam he-3,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Khulasa ✪
✪ Baap ki Mankuha, Maa, Bivi ki Maa, Dadi, Pardadi, Nani, Parnani se Nikaah Haraam he,
✪ Beti, Poti, Parpoti, Navasi, Parnavasi, se Nikaah Haraam he,
→ Soteli ladki Jo doosre Shohar se ho aur Bivi apne saath layi ho agar uski Maa se humbistari hui to haraam ho gayi varna nahi,
✪ Haqeeqi Behan, Maa shareeq, Baap shareeq, Doodh shareeq se Nikaah Haraam he,
✪ Baap ki aur Maa ki Behne, ( Fufiya'n aur Khalae'n ) se Nikaah Haraam he,
✪ Bhatijiya'n ( Baap shareeq, Maa shareeq, Doodh shareeq teeno tarah ke Bhaiyo'n ki Betiya'n ) se Nikaah Haraam he,
✪ Bhanjiya'n ( Teeno tarah ki Behno ki Betiyo'n ) se Nikaah Haraam he,
✪ Bete ki Bivi, (Pote, Parpote, Navase, parnavase ki Biviya'n ) se Nikaah Haraam he,
✪ Do Behno ko ek saath Nikaah me rakhna Haraam he ,
✪ Jab tak koi Aurat kisi shakhs ke Nikaah me he Doosra shakhs usse Nikaah nahi kar sakta,
⇲ Next- 33 🔜 in sha Allah ta'aala,
📓 Izdwaji Zindgi ke Shara'i Masail aur Unka Hal, 50
➖ Only Broadcast ➖
✿ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
🌺🍀🌺 🌺🍀🌺
★ ╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
🌸 NIKAAH 🌸
⚄ PART- 33 ⚄
⇛ Woh Aurte'n Jinse Nikaah Halaal he,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Jin Aurto'n ka Pehle Zikr hua, Jinse Nikaah Haraam he, unke alawa doosri Aurte'n tumhare liye Halaal he,
✪ Maslan Chacha ki ladki, Khala ki ladki, Mamu ki ladki, Mamu v Chacha ki Biviya'n unki wafaat ya Talaaq dene ke baad, Moonh Bole bete ki Bivi jab wo talaaq de de ya wafaat pa jaye,
⇛ Ba-Sharte k ye Mazkoora Aqsaam kisi Rishte se Mehram na ho,
✪ Bivi ki wafaat ke baad uski Behan se Nikaah Halaal he,
⇲ Next- 34 🔜 in sha Allah ta'aala,

⚄ PART- 34 ⚄
⇛ Muta'addid Bivio'n me Musawat,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Agar ek se zyada Bivio'n me Musawat ( Barabari ) aur Adal ( insaaf ) per Qudrat na ho to ek hi Bivi per iktfa kiya jaye,
✪ Ek se zyada Nikaah karna usi soorat me jaa'iz aur munasib he jabki Shari'at ke mutabik sab Bivio'n me barabari kar sake aur sabke huqooq ka lihaaz rakh sake, agar is per Qudrat na ho to ek hi Bivi rakhi jaye,
⇲ Next- 35 🔜 in sha Allah ta'aala,
📓 Izdwaji Zindgi ke Shara'i Masail aur Unka Hal, 66
➖ Only Broadcast ➖
✿
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
🌺🍀🌺 🌺🍀🌺
★ ╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
🌸 NIKAAH 🌸
⚄ PART- 35 ⚄
⇛ Bivio'n me Musawat na karna Bada Gunaah he,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Agarche Qurane kareem ne 4 Aurto'n tak Nikaah me rakhne ki ijazat di he aur is had ke andar Jo Nikaah kiye jaenge wo sahi aur jaa'iz honge, lekin muta'addid Biviya'n hone ki soorat me unme Adal aur Musawat qaa'im rakhna wajib he aur iske khilaf karna gunaahe azeem he,
✪ Rasoole Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne sab Bivio'n ke darmiyan puri Musawat v Adal ki sakht takeed farmayi he , aur iske khilaf karne per sakht wa'iede sunayi he'n aur khud apne Amal ke zariye bhi isko wazeh farmaya he,
⇛ Balki Rasoole Kareem Sallallahu Alaihivasallam to un maamlaat me bhi musawat farmate the jinme musawat laazim nahi,
⇲ Next- 36 🔜 in sha Allah ta'aala,
📓 Izdwaji Zindgi ke Shara'i Masail aur Unka Hal, 67
➖ Only Broadcast ➖
✿
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
🌺🍀🌺 🌺🍀🌺
★ ╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
🌸 NIKAAH 🌸
⚄ PART- 36 ⚄
⇛ Musawat qaa'im na Karne per Wai'ed,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Ek Hadees me Nabi kareem Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k,
" Jis shakhs ke Nikaah me do Aurte'n ho aur unke huqooq me barabari aur insaaf na kar sake to wo qayamat me is tarah uthaya jaega k uska ek pehlu gira hua hoga,
📓 Mishkaat, 278
⇛ Albatta ye musawat un umooro me zaruri he jo insaan ke akhtyar me he, maslan nafaqa me barabari, Shab- bashi me barabari,
Raha wo Amr Jo insaan ke akhtyar me nahi, maslan -qalb ( heart ) ka milaan kisi ki taraf zyada ho jaye, to is gair akhtyari maamle me us per koi muwakhza nahi, basharte k iska asar akhtyari maamlaat per na pade,
⇛ Rasoole Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne khud bhi akhtyari maamlaat me puri Musawat qaa'im farmane ke saath haq ta'aala ki baargah me arz kiya,
" Ya Allah! Ye meri barabari wali taqseem he un cheezo me Jo mere akhtyar me he, Ab wo cheez Jo aapke qabze me he mere akhtyar me nahi he, us per mujhse muwakhza na karna,
⇲ Next- 37 🔜 in sha Allah ta'aala,

⚄ PART- 37 ⚄
⇛ Hurmate Muta'a,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Muta'a makhsoos waqt ke liye kiya Jane wala aqd he, isme na husoole aulaad maqsood hota he , na ghar basaana, na uffat na asmat aur isliye jis Aurat se muta'a kiya jaye he uako fareeqe mukhalif Zoja e Vaarisha bhi qaraar nahi deta aur isko azwaaje maroofa ki ginti me bhi shumar nahi karta aur chiki maqsad mahaz shehwat puri Karna he isliye Mard Aurat aarzi tor per naye naye jode talash karte rehte he'n, Jab ye soorat he to Muta'a uffat v asmat ka zamin nahi balki dushman he,
⇛ Hadees,
✪ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasoole Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne Gazwa e Khaybar ke moqe per Aurto'n se Muta'a karne aur paaltu gadhe ( donkey) ka gosht khane se mana farmaya he,
📓 Muslim, 1/ 452
✪ Hazrat ibne Abbas Raziyallahu Anhu se rivayat he k Muta'a avval zamane me mashru tha, Yaha tak k Aayate kareema ( ila ala azwajahum av malakat Aymanahum ) nazil hui to wo ( Muta'a ) mansookh ho gaya,
Iske baad Hazrat ibne Abbas Raziyallahu anhu ne farmaya k Zoja e Shari'a aur Mamlook e Shari'a ke alawa har tarah ki sharmgah se istmuta'a haraam he,
📓 Tirmizi,
⇲ Next- 38 🔜 in sha Allah ta'aala,
📓 Izdwaji Zindgi ke Shara'i Masail aur Unka Hal, 72
➖ Only Broadcast ➖
✿
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
🌺🍀🌺 🌺🍀🌺
★ ╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
🌸 NIKAAH 🌸
⚄ PART- 38 ⚄
⇛ Nikaah Mo'aqat ka Haraam hona,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Nikaah Muta'a ki tarah Nikaah Mo'aqat bhi Haraam aur Batil he,
✪ Nikaah Mo'aqat ye he k ek muqarrar muddat ke liye Nikaah kiya jaye, aur in dono me farq ye he k Muta'a me lafze muta'a bola jata he aur Nikaah Mo'aqat lafze Nikaah se hota he,
📓 Fatawa Aalamgeer, 1/282
⇲ Next- 39 🔜 in sha Allah ta'aala,
📓 Izdwaji Zindgi ke Shara'i Masail aur Unka Hal, 73
➖ Only Broadcast ➖
✿
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
🌺🍀🌺 🌺🍀🌺
★ ╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
🌸 NIKAAH 🌸
⚄ PART- 39 ⚄
⇛ Bivi Ka Doodh pina Haraam He,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Bivi ka doodh pina Shohar ke liye haraam he lekin agar kisi ne pi liya he ( Jaan bujhkar ya bila jaan bujhkar) to us per laazim he k isse tauba kare, Halanki isse Nikaah per asar nahi padega, Nikaah ba -
dastoor qaa'im rahega,
📓 Ba- Hawala Durre Mukhtar, 3/211
✪ Agar Bivi ke Pistaan me doodh na ho to Pistaan moonh me Lena jaa'iz he, isme koi gunaah nahi, Halanki doodh moonh me aane ka andesha bhi ho to isse bachna chahiye,
📓 Ba- Hawala Durre Mukhtar, 3/325
⇲ Next- 40 🔜 in sha Allah ta'aala,
📓 Izdwaji Zindgi ke Shara'i Masail aur Unka Hal, 74
➖ Only Broadcast ➖
✿
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
🌺🍀🌺 🌺🍀🌺
★ ╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
🌸 NIKAAH 🌸
⚄ PART- 40 ⚄
⇛ Zina Haraam he,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Zinakari Shar'an v Aqlan bada kabih fayl ( kaam ) he, isliye shari'at mutahara ne isko sakht haraam qaraar diya he, Balki boso kinaar, bad nazri, be pardgi vagera Jo zina ke asbaab he'n unko bhi haraam qaraar diya he,
✪
وَلَا تَقْرَبُوا الزِّنَا إِنَّهُ كَانَ فَاحِشَةً وَسَاءَ سَبِيلًا
✪ Tarjuma :-
Zinakari ke qareeb bhi mat fatko bila Shubha wo badi behayai ( ki baat) he aur buri raah he,
📓 Surah Bani israiyl, 32
⇲ Next- 41 🔜 in sha Allah ta'aala,
📓 Izdwaji Zindgi ke Shara'i Masail aur Unka Hal, 75
➖ Only Broadcast ➖
✿
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
🌺🍀🌺🌺🍀🌺
★ ╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
🌸 NIKAAH 🌸
⚄ PART- 41 ⚄
⇛ Mazina ( Zinakaari ) se Nikaah,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Agar kisi ladki se ye haraam kaam ( zina ) sarzad hua to Shariyat ka hukm ye he k usko Haakime waqt kode ki saza de aur dono tauba bhi kare,
✪ Agar islami hukumat na hone ki Vajah se ya mulk me ye Qanoon nafiz na ho ya Qanoon nafiz he aur kode ki saza de di, Baad me aapas me dono shadi karna chahe to shar'an iski ijazat he, balki agar zina ki Vajah se hamal bhi thehar gaya ho tab bhi zaani ke liye haalate hamal me bhi apni mazina se Nikaah karna jaa'iz he,
✪ Doosre ki mazina se bhi haalate hamal me Nikaah jaa'iz he lekin vaza'a hamal tak humbistari jaa'iz nahi,
⇛ Jabki apni mazina se Nikaah ki soorat me vaza'a hamal se pehle bhi humbistari jaa'iz he,
📓 Ba- Hawala Durre Mukhtar, 3/48
⇲ Next- 42 🔜 in sha Allah ta'aala,

⚄ PART- 42 ⚄
⇛ Mazina ki Beti se Nikaah jaa'iz nahi,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Jis Aurat se zina kiya ho ya na-jaa'iz tor per Boso kinaar kiya ho , Uski ladki se Nikaah Haraam aur Baatil he, Chahe ladki zani ke nutfe se ho ya na ho, Ab agar zani shakhs mazina ki ladki Bivi ke tor per rakhta he to zani hi kehlaega,
⇛ Aulad agar payda ho to wo bhi haraami nasal hogi, Aziz o aqarib aur digar ba-asar logo per laazim hoga k ese badkaar shakhs se maashrati boycott kare,
📓 Ba- Hawala Durre Mukhtar, 3/32
⇲ Next- 43 🔜 in sha Allah ta'aala,

⚄ PART- 43 ⚄
⇛ Mazina ki Maa se Nikaah Haraam he,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Jis Aurat se zina kiya ho ya na-jaa'iz Boso kinaar hua ho, uski Maa se Nikaah karna haraam he,
⇛ Kyuki zina ki Vajah se Hurmate Musahrat saabit hoti he Yani zani ke liye Mazina ki Beti, Nawasi vagera aur Mazina ki Maa, Nani vagera aur Mazina ke liye zani ka Baap ya Beta sabse Nikaah Haraam ho jata he,
📓 Hindiya, 1/275
⇲ Next- 44 🔜 in sha Allah ta'aala,
📓 Izdwaji Zindgi ke Shara'i Masail aur Unka Hal, 77
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
🌺🍀🌺 🌺🍀🌺
★ ╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
🌸 NIKAAH 🌸
⚄ PART- 44 ⚄
⇛ Ahle Kitaab (Eysai Yahudi ) Aurat se Nikaah Ka Hukm, -1
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Jo Eysai ya Yahudi Allah ta'ala ke vajood ke qaa'il ho aur Asmaani kitaabo me kisi ek Kitaab Toraat, Inzeel, Zaboor vagera ko maanta ho, Kisi Pegambar per Eymaan ka Daavedar ho, Esi Aurat se fi nafsa Nikaah jaa'iz he,
Ba-sharte k Nikaah Shara'i tareeqe per 2 gawaho ke saamne ho aur wo Aurat Paak daaman ho,
✪
ْ وَالْمُحْصَنَاتُ مِنَ الْمُؤْمِنَاتِ وَالْمُحْصَنَاتُ مِنَ الَّذِينَ أُوتُوا الْكِتَابَ مِن قَبْلِكُمْ إِذَا آتَيْتُمُوهُنَّ أُجُورَهُنَّ مُحْصِنِينَ غَيْرَ مُسَافِحِينَ وَلَا مُتَّخِذِي أَخْدَانٍَ
⇛ Yani tumhare liye Musalman paak daaman Aurat se Nikaah halaal he isi tarah Ahle kitaab ki Afeef aur Paak daaman Aurato'n se bhi Nikaah halaal he,
📓 Tarjuma-Ahkamul Quran, Surah Ma'eda, 5
⇲ Next- 45 🔜 in sha Allah ta'aala,

⚄ PART- 45 ⚄
⇛ Ahle kitaab ( Eysai, Yahudi ) Aurat se Nikaah Ka Hukm, -2
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Hazrat Mufti Shafi Sahab Rh. Tehreer farmate he'n k,
" Jamhoor Sahaba ikraam Raziyallahu Anhum v Taba'yn Rh. Ke nazdeek agarche Quran kareem ke mutabiq Ahle kitaab ( Eysai, Yahood vagera) ki Aurto'n se Nikaah fi nafsa halaal he
lekin unse Nikaah karne per Jo doosre mufasid aur kharabiya'n apne liye aur apni Aulad ke liye balki puri Ummat e Muslima ke liye Tajurbe ke mutabiq laazmi tor per payda hongi,
⇛ Unki ( Sahaba ikraam Raziyallahu Anhum aur Taba'yn Rh ki ) bina per Ahle kitaab ki Aurto'n se Nikaah ko wo bhi Makrooh samajhte the, "
📓 Maarful Quran,
⇲ Next- 46 🔜 in sha Allah ta'aala,

⚄ PART- 46 ⚄
⇛ Ahle kitaab ( Eysai, Yahudi ) Aurat se Nikaah Ka Hukm, -3
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Hazrat Huzefa bin Yamaan ko Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ka Khat ✪
⇛ Hazrat Huzefa bin Yamaan Raziyallahu Anhu Jab Mada'in pahunche to waha ek Yahudi Aurat se Nikaah kar liya,
Hazrat Farooqe Aazam Raziyallahu Anhu ko iski ittela mili to unko khat likha k usko talaaq de do,
Hazrat Huzefa Raziyallahu Anhu ne Jawab me likha k
" Kya wo mere liye haraam he?"
To Fir Hazrat Farooqe Aazam RaZ. ne tehreer farmaya k,
" Mene Haraam nahi kaha, lekin in logo ki Aurto'n me aam tor per Uffat v Paak daamani nahi he,
Isliye mujhe khatra he k Aap logo ke gharane me is raaste se Fahash v Badkaari dakhil na ho jaye, "
📓 Ahkamul Quran,
✪ Hazrat Muhammad bin Hasan Rh . ne is waaq'e ko ba-rivayat Imaame Aazam Hazrat Abu Hanifa Rh. is tarah naqal kiya he k,
Doosri martaba jab Hazrat Farooqe Aazam Raz. ne Hazrat Huzefa Raz. ko khat likha to uske alfaz ye the,:-
" Yani Aapko qasam deta hu'n k mera ye khat apne haath me rakhne se pehle hi usko talaaq dekar azaad kar do,
Kyuki mujhe ye khatra he k doosre musalman bhi Aapki iqtida karenge aur Ahle kitaab ki Aurto'n ko unke Husno Jamaal ki Vajah se musalman Aurto'n per tarjeeh denge, To Musalman Aurto'n ke liye isse badi musibat aur kya hogi,? "
📓 Kitabul Asaar, 56
⇲ Next- 47 🔜 in sha Allah ta'aala,
📓 Izdwaji Zindgi ke Shara'i Masail aur Unka Hal, 78
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
🌺🍀🌺 🌺🍀🌺
★ ╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
🌸 NIKAAH 🌸
⚄ PART- 47 ⚄
⇛ Ahle kitaab ( Eysai, Yahudi ) Aurat se Nikaah ka Hukm, -4
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Zahir he k in logo ( Yahood v Eysai ) ki Aurte'n musalmano per kisi tarah halaal nahi aur bil farz apne mazhab ki paaband bhi ho to unko kisi musalman gharane me jagah dena apne pure khandan ke liye deeni aur duniyavi tabahi ko Dawat dena he,
✪ Al garaz Quran v sunnat aur Asva'e Sahaba ikraam ki ru se musalmano per laazim he k Aajkal ki kitaabi Aurto'n ko Nikaah me lane se kulli parhez kare,
✪ Aakhir aayat me ye hidayat bhi kar di gayi he k Ahle kitaab ki Aurto'n ko agar rakhna hi he to baqa'ida Nikaah karke ( Unko islaam me lekar ) Bivi ki haysiyat se rakhe, unke huqooq Mahar vagera Ada kare, Unko daasta ke tor per rakhna aur khule tor per badkari karna ye sab cheeze haraam he'n,
⇲ Next- 48 🔜 in sha Allah ta'aala,
📓 Izdwaji Zindgi ke Shara'i Masail aur Unka Hal, 79
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
🌺🍀🌺 🌺🍀🌺
★ ╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
🌸 NIKAAH 🌸
⚄ PART- 48 ⚄
⇛ Hindu Aurat se Nikaah jaa'iz nahi,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Koi bhi mushrik, Butparast, Hindu, Sikh, Budhmat vagera ke maanne wali se Musalman Mard ka Nikaah Haraam he,
Jab tak wo baqa'ida tor per deen e islaam ko qubool karke musalman na ho jaye, Ek musalman ke liye unse Nikaah hargiz jaa'iz nahi,
⇛ " Aur mushrik Aurat se Nikaah mat Karo jab tak Eymaan na le aaye, "
📓Surah Al-Baqrah, 221
⇲ Next- 49 🔜 in sha Allah ta'aala,
📓 Izdwaji Zindgi ke Shara'i Masail aur Unka Hal, 80
➖ Group ➖
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
🌺🍀🌺 🌺🍀🌺
★ ╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
🌸 NIKAAH 🌸
⚄ PART- 49 ⚄
⇛ Gair Muslim Mard se Nikaah Haraam he,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Kitaabiya Aurat se Nikaah ka jawaz to baaz shara'it se saabit he Jiski Tafseel pehle guzar chuki he,
Lekin kisi Musalman Khatoon ka Nikaah Gair Muslim Mard se chahe wo Kitaabi ho ya Gair Kitaabi, Kisi haal me halaal nahi,
⇛ isliye iska khoob khayal rakhna laazim he,
📓 Ba- Hawala Hindiya, Bidaya,
⇲ Next- 50 🔜 in sha Allah ta'aala,

🌺🍀🌺 TypeNoteFile.txt - 50-
🌺🍀🌺
★ ╓━════◐◐◑════━╖
بسم الله الرحمن الرحيم
╙━════◐◐◑════━╜
🌸 NIKAAH 🌸
⚄ PART- 50 ⚄
⇛ Qaadyani Aurat se Nikaah ka Hukm,
▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩
✪ Hazrat Muhammad Mustafa Sallallahu Alaihivasallam Allah ta'ala ke Aakhri paygambar he'n, Aapke baad koi naya Nabi nahi aaega , Aap Sallallahu Alaihivasallam ke baad Jo bhi Nabuwat ka daava karega wo jhoota hoga, Ye Aqeeda rakhna tamaam musalmano per Farz he,
✪ Lihaza Mirza Gulaam Ahmad Qaadyani ka daava e nabuwat jhoota he, Is daave me usne Quran v hadees ke un tamaam saryh nusoos ka inkaar kiya jinse khatme nabuwat ke Aqeedae saabit he'n,
✪ Lihaza Mirza Gulaam Ahmad Qaadyani Murtad, Kaafir, Daayra e islam se khaarij he, Ab Jo sakhsh bhi Mirza Gulaam ko Nabi tasleem karta he wo bhi Daayra e islam se khaarij he,
⇛ isliye usse Nikaah ka Rishta qaa'im karna jaa'iz nahi, Usko ladki dena ya ese ki ladki ko apne Nikaah me laana dono haraam he,
⇲ Next- 51 🔜 in sha Allah ta'aala,

No comments:
Post a Comment