✧
✧
✧
▂▂▂
▍BismiLLahirrahmaanirraheem
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
EID MILAADUN NABI KI HAQIQAT ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
[PART01]
▔▔▔▔▔▔▔
HAMARI NAZAR NAHI HAMARE FATAWA PAR ALLAH MAAF KAARE.
┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
Jo Bhai Huzoor SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ki Milad Bade Zor Shor Se Manate Hain, Unko.chahiye ke wo Ahmed Raza Khan Aala Hazrat Rehmatullahi ALayh Ke Fatawe ko padhe..
AHMAD RAZA KHAN Rehmatullahi ALayh KA QAUL KYA THA MILAD UN NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM PAR…
★→1. Aala Hazrat Ahmed Raza Khan Rehmatullahi ALayh Likhte Hain
”Nabi-e-Pak SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ki Tareek-E-Paidaish 8 Rabi ul Awwal Hai Aur
Yaum-E-Wafat 12 Rabbi Ul Awwal Hai..”
★→ ʀєғєʀєηcє →Fatawa Rizwiya Lil Ahmad Raza Khan Barelwi Jild 26 Safa-412,413.
•─━━━━━══════━━━━━─•
★→ 2. Ahmad Raza Khan Rehmatullahi ALayh Likhte Hain
”Allah Ke Nabi Ki Tareekh E Paidaish 8 Rabbi Ul Awwal Hai Jo Hazrat Abdullah Ibn Abbas Raz, Jabir Bin Satum Raz,Ibne huzam, hamidi, Zehbi Rahimahullah
sab ka ijma bataya hai.”
★→ ʀєғєʀєηcє →Nutqul Hilal Ahmad Raza Khan Safa 6 Aur Safa12,13, Sunni Rizwi Kutab Khana,Faisalabad.
•─━━━━━══════━━━━━─•
★→ 3.Ahmed raza khan Rehmatullahi ALayh ke Nazdeek MILAD Manana Aur Hooqah pina Dono Par Ek Jaisa Fatawa Hai..
Ahmad Raza Khan Likhte Hain-”milad mubha hai.”
★→ ʀєғєʀєηcє →Ala min wa ala : Safa-221)
★→ Hooqah pina mubha hai..
★→ ʀєғєʀєηcє →Ahkam-E-Shariyat Safa 257)
★→ Yani koi huqa piye ya milad karee Dono Barabar huye Aur Humari(sunni barelvi) ki fiqah ki mustanad kitab BAHAR-E-SHARIYAT main yeh baat likhi huali hai Ke Masjid me mubha baaton ka
karna mana Hai..
★→ʀєғєʀєηcє→BAHAR-E-SHARIYAT, Baab-Masjid Ke Addab.
•─━━━━━══════━━━━━─•
★→ Ahmed Raza Kehta hai-”Mera Deen o Mazhab Jo Meri Kutub se Zahir hai Uspar Mazbooti se Qaim Rehna Har Farz se Aham Farz Hai.
★→ ʀєғєʀєηcє→ Wasaya Shareef,Safa 10, Publisher-Hasni Baraili.
★→ AHMAD RAZA KHAN REHMATULLAHI ALAYH KE FATAWE KO NA MANNA YE KAISE UNSE MOHABBAT AUR AQEEDAT HAI.
Next-02©ontinue in sha Allah,
▂▂▂
▍▍ ✧Hαq βααт✧
▍▍ ✧Lαgтï нαï кα∂พï✧
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
▂▂▂
▍▍ ✧Ahle deoband Group✧
▍▍ ✧91 -7037363325✧
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✧
✧
✧
▂▂▂
▍BismiLLahirrahmaanirraheem
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
EID MILAADUN NABI KI HAQIQAT ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
[PART02]
▔▔▔▔▔▔▔
EID-MILAAD-KAB-SE-SHURU
┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
IRAQ ke sheher MOSUL ka ilaaqa IRBIL ka Badshah,
"MALIK MUZAFFAR ABU SAYEED" ne sabse pehle,
[Nabi(SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam) ki WAFAAT ke "614 saal BAAD",
Mutabik 625 Hijri Me]
'Eid Milad ki BIDDAT' ko AIJAAD diya.
Is se Pehle, Zamana is BIDDAT se paak tha.
Malik Muzaffar,
Milad ki Mehfil Me, jis par
- 100 Ghode,
- 5,000 Bakriyon ka gosht,
- 10,000 Murgiyan,
- 30,000 Halwe ke pede
- 1,00,000 Pyaliyan,
ka Dastar-Khwaan sajaaya aur
"NAACHNE GAANE wale SOOFIYON" ko bulaya aur
Soofiya ki 'Mehfil-e-SaMaa' Munaqid ki gayi,
jisMe Soofiyon ne ZOHAR se le kar agle Din FAJR tak,
Raat bhar NAACHA, KOODA, JHOOMA aur DHOL peeta.
(jiske liye wo Mashhoor hain).
ʀєғєʀєηcє:
al-Bidaayah
wa'l-Nihaayah.
Jild 13, pg 160.
("Ibn Katheer")
Next-03©ontinue in sha Allah,
▂▂▂
▍▍ ✧Hαq βααт✧
▍▍ ✧Lαgтï нαï кα∂พï✧
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
▂▂▂
▍▍ ✧Ahle deoband Group✧
▍▍ ✧91 -7037363325✧
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✧
✧
✧
▂▂▂
▍BismiLLahirrahmaanirraheem
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
EID MILAADUN NABI KI HAQIQAT ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
[PART03]
▔▔▔▔▔▔▔
BARELWIYON KE MILAD UN NABI KE MUTALIQ DALAIL AUR UNKA RADD.. ┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
★→ DALIL NO-1
Quran Se Dalil- “Allah ke fazal Aur rehmat par khushian manao” (Surah: Yunus Ayat:58)
★→ AL-JAWAAB
Agar Iss Ayat Ki Tafseer Kuch Aur Paye Jaye Toh Barelwiyo Ki Qiyas Batil Hoge… Aye dekhte hain iss ayat ki tafsir Jamhoor mufassireen kya karte Hain…
★→ Iss ayat mein fazal se murad ISLAAM hai Aur Rehmat se murad QURAN hai..
(Zad ul mesar Lil Ibn Jauzi Jild 1,Safa 31,Durre Mansoor Lil Suyuti jild 4, Safa 368, Tafseer Tabri Jild 7, Safa 161,Fathul Qadeer Lil Shaukani Jild 2, Safa 56,Tafseer Jalalain Safa 175, Tafseer Ibn Kaseer Jild 2,Safa 382, Tafseer Raazi Jild 9,Safa 124)
★→ Yeh Tafseer Barelwi Alim Ne Bhi Ki Hai Naeemuddin Muradabadi Apni Kitab Khazainul Irfan Safa 387 Pe…
★→ Chunanche Yeh Dalil Sirre Se Barelwiyon Ki Banti He Nahi Agar Tafseer Ke Lehaz Se Dekha Jaye Toh Aur Tafseer E Quran Hujjat Hoti Hai Yeh Baat Barelwi Logo Ko Bhi Pata Hai Magar Yaha Woh Pesh Karda Ayat Ki Tafseer Pesh Kyu Nahi Karte!!!
★→ DALEEL NO-2
Jab Aaqa (pr durood o salam) Hijrat Kar Ke MADINA Sharif Aaye,Toh Logon Ney Khoob Jashan Manaya
Nojawan Ladke Apni Chatton Par Charh Kar Aur Gulam, Khuddam Raasto Me Phirte The.. Aur Nara’Aey Risalat Lagate Aur Kehte YA RASOLALLAH…
(Sahih Muslim Jild 2,Safa 419)
★→ AL-JAWAB
Awwal Toh Yeh Ke Yeh Hijrat Ka Jashan Tha Na Ke Wilayat Ka Jo Barelwion Ne Apna Dalil Banaya Hua He…
★→ Duja Yeh Ke Aisi Dalil Hai Hi Nahi Aap S.A.W Ne Ya Sahaba Ne Milad Ka Huqam Diya He Nahi Hai..
★→ Bidat Har woh Naya kam hai, jisko deen samajh kar Aur lazim jante huye
kiya jaye jo nabi-e-pak Aur sahaba se sabit na ho woh Bidat hai..
(Fathul Baari Sharh Sahih Bukhari 5/321, Sahih Bukhari 1/371,Tafseer
Ibne Kasir 4/156)
★→ DALEEL NO-3
Huzoor Alehissalam Har Peer (Monday) ko Roza Rakh kar Apna Milad Manate The..
(Sahih Muslim Jild 2,Safa 819,Hd.no-1162)
★→ AL-JAWAB
Balke Yeh Hadees Adhori naqal ki
gayi hai Isse aage ye bhi hai Ke
“Aur iss din mujpar quran naziL
hua”
Chunanche Quran NaziL Hone ki Wajah Se Allah Ke Rasool Ne Roza Rakha Tha…
Lehaza Barelwiyon Ko Bhi Chaiye Ke Har Hafta Peer Ke Hi Din Roza Rakhe Jaise Aap S.A.W Rakhte The Na Ke 12 Rabbiul Awwal Ke Din Ko Maksoos Tehraana Aur Us din Toh Barelwi Hazrat Khub Masti Karte Hain!!!
Next-04©ontinue in sha Allah,
▂▂▂
▍▍ ✧Hαq βααт✧
▍▍ ✧Lαgтï нαï кα∂พï✧
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
▂▂▂
▍▍ ✧Ahle deoband Group✧
▍▍ ✧91 -7037363325✧
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✧
✧
✧
▂▂▂
▍BismiLLahirrahmaanirraheem
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
EID MILAADUN NABI KI HAQIQAT ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
[PART04]
▔▔▔▔▔▔▔
BARELWIYON KE MILAD UN NABI KE MUTALIQ DALAIL AUR UNKA RADD.. ┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
★→DALIL NO-4
Huzoor Alehissalam Ne Apni Wiladat ki Khushi me Bakra Zibha Frmaya.
(Al Haawi Lil Fatawa Jild 1, Safa 196)
★→ AL-JAWAB
Yeh Hadees Zaef Hai, Munqate He Jo Imam Suyuti Ne Kaha He Iss Kitab Me…
Dusra Yeh Amal Mustaqil Allah Ke Rasool S.A.W Ka Amal He Jo Rasul S.A.W Par Maksoos He Jaise Nabion Par Tahajjud Ki Namaaz Farz Hai(Muwatta Imam Malik)
Issi Tarah Hamare Rasool S.A.W Ne 11 Shaadiya Ki Hain,
Issi Tarah Rasool S.A.W Sokar Uthte Toh Wazu Na Karte Hain…
★→ Chunanche Agar Yeh Amal Rasool S.A.W Ne Ki Hai Toh Yeh Maqsoos Amal Hai Unke Liye Lihaza Ummation Ko Kyu Kare Jiska Huqam He Rasool S.A.W Ne Nahi Di…Aur Yeh Zibah Karne Ka Qaul Sahi He Toh Mujhe Bataye Ki Kis Sahabi E Rasool Ne Milad Ke Din Bakra Zibah Kiya??
★→ DALIL NO-5
Abu Lahab Jab Mara Toh Kisine
Khuwab Me Dekh Ke Pocha Tum Kis Halat Me Ho?Abu Lahab Ne Kaha Tumhare Baad Koi Bhalai Nahi Payi Lekin Har Peer Ko Uss Ungli Se Pani Diya Jata Hai Jisse Mene Bhateejeh(Rasool S.A.W) Ki Pedaish ki Khushi Me
Sowebia(Kaniz) Ko Azad Kya Tha”
(Sahih Bukhari Kitabul Janaiz)
★→ Lihaza Jab Kafir Nabi S.A.W Ke Paidaish Ke Din Ke Neek Amal Me Bhalai Pa Sakta Hai Toh Musalman Kyu Nahi….
★→ AL-JAWAB
Yeh Hadees Quran Ke Khilaff Hai Kyuki Allah Farmate Hain”Tabbat yada abi lahab” Yani Abu Lahab ke hath toot Gaye..
(Sura Lahab)
Ab Agar Abu Lahab Ke Hath He Akhirat Me Toot Chuka Hai Toh Ab Wo Pani Kese Pi Sakta Hai Apni Ungli Se!!!
★→ Dusra Jawab Yeh Hoga Ke Yeh Hadees Me Eid Miladun Nabi Mananeka Suboot Nahi Na He Huqam Hai…
★→ Agar Itna Hi Zidd He Iss Hadees Par Amal Karne ko Toh Peer Ke Din Barelwiyon Ek Gulam Azaad Kardiya Karo…
Teesra Yeh Ke Ahadees Bayaan Karne Wale Hazrat Ibn Abbas Raz Hai Jinhone Yeh Khuwab Dekha Tha Aur Yeh Haal Tab Ka Tha Jab Woh Musalman Na Huwe The..
★→ Chautha Yeh Ke Hadees Sabit Nahi Aur Mursal He Raavi Ka Ibn Abbas Raz Se Mulakat Sabit Nahi…
★→ TAMBEEH- Eid Miladun Nabi Manana Biddat Aur Jahiliyat Hai Aur Barelwiyo Ke Imaam Ahmad Raza Khan Sahab Ne Bhi Isko Bura Aur Bekar Kaam Kaha Hai..
★→ Allah Talla Humko Haqq Samajhnevki Tofeeq Ata Farmaye Aameen ya Rabbul aalameen
Next-05©ontinue in sha Allah,
▂▂▂
▍▍ ✧Hαq βααт✧
▍▍ ✧Lαgтï нαï кα∂พï✧
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
▂▂▂
▍▍ ✧Ahle deoband Group✧
▍▍ ✧91 -7037363325✧
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✧
✧
✧
▂▂▂
▍BismiLLahirrahmaanirraheem
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
EID MILAADUN NABI KI HAQIQAT ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
[PART05]
▔▔▔▔▔▔▔
┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
BARAWAFAT V EID MILADUN NABI KA JASHN AUR ISKI HAQEEQAT
┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
★→ QURAAN MAFHOOM: TUMHARE LIYE RASOOLULLAH MEIN ACHA NAMOONA HAI JO ALLAH TA'ALA AUR QAYAMAT KI UMMEED RAKHTA HAI AUR ALLAH TA'ALA KO BAHUT YAAD KARTA HAI. (Surah Ahzab).
★→ HADEES MAFHOOM: MERA JO DARJA HAI WAHI RAKHO, MUJHE AISA NA BANAO JAISA ISAIYO NE HAZRAT ISA ALayhissaLLam KO BANA DIYA THA, MAIN ALLAH TA'ALA KA BANDA OR USKA RASOOL HUN
★→ NAME MUHAMMAD SE DILO SUROOR MILTA HAI,
★→ NIGAH-E-FIKAR TO TAZA SHAOOR MILTA HAI,
★→ NASEEB KAISA BHI HO WASTA AHMAD KE DE KAR,.
★→ NASEEB KAISA BHI HO WASEELA MUHAMMAD KA DE KAR,
★→ KHUDA (ALLAH) SE JO BHI MANGO ZAROOR MILTA HAI
★→ Nabi SAW ki zindigi ki 3 cheeze qabile ghaur hain;
★→ 1. MILAD
★→ 2. TAREEF
★→ 3. SEERAT
★→ 1MILAD: Milad ka mana hai Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ki wiladat ka waqiya bayan karna, Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ki wiladat ki jagah ka zikr karna. YE HAMARE NAZDEEQ IBADAT HAI. Aur jise Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ki wiladat par khushi na ho hum use mardood kahte hain.
★→ MILAD: Milad mein Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ki wiladat ke waqiye ko bayan karna hota hai naki manana, zikr karna aLag baat hai aur manana aLag bat hai. hum Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ki wiladat ke zikr ko apne liye Ibadat samjhte hain lekin use jashn ki tarah manane ke qayel nahi hain. Pure mulk mein Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ki wiladat ke mutalliq jo ijlas kiye jate hain hum use sahi samajhte hain aur usme shareek hote hain. Lekin jahan par fizool kharchi aur jashn manaya jaye hum uski mukhalifat karte hain aur use biddat samajhte hain. Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ki paidaish par khushi manana maghfirat ki nishani nahi hai kyunki Jab Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ki wiladat basa’adat hui, to khushiyan ABU LAHEB ne bhi manayi thi, Abu Talib ne bhi manayi thi Abu Talib ne to Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ka umar bhar sath bhi diya lekin jab Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ne unhe kaha ki chcha jaan aap Kalma padh lo to unhone inkar kar diya aur kaha ki Muhammad SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam“Main Aag bardasht kar sakta hun lekin Aar nahi” ab unka Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ki wiladat par khushiya manana unhe jannat mein nahi Le ja saka kyun ki unhone Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ki baat ko nahi mana yani Seerat ko nahi mana. Quraan ki kisi ayat se koi ye sabit nahi kar sakta ki Milad manana chahiye aur na he Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ki 10 lakh Ahdees-e-mubarika se ye sabit kar sakta hai illa ke AqaL se kaam Le
Next-06©ontinue in sha Allah,
▂▂▂
▍▍ ✧Hαq βααт✧
▍▍ ✧Lαgтï нαï кα∂พï✧
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
▂▂▂
▍▍ ✧Ahle deoband Group✧
▍▍ ✧91 -7037363325✧
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✧
✧
✧
▂▂▂
▍BismiLLahirrahmaanirraheem
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
EID MILAADUN NABI KI HAQIQAT ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
[PART06]
▔▔▔▔▔▔▔
┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
BARAWAFAT V EID MILADUN NABI KA JASHN AUR ISKI HAQEEQAT
┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
★→ QURAN MAFHOOM: HUMNE APKO NAHI BHEJA MAGAR TAMAM INSANSIYAT PAR REHMAT BANAKAR. (Surah Al-Anbiya)
★→ 2. TAREEF: Iska mana hai Nabi SAWW ne puri zindigi mein jitney kam kiye uski tareef karna ya Nabi SAWW ki shakhsiyat ki tareef karna aur usko bayan karna.
★→ TAREEF: Ek bat hai Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ki tareef karna, hum iske bhi qayel hain aur BIHAMDILILLAH, apne Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ki Muhabbat aur aqeedat mein unki tareef bayan karte hain. Lekin asal maqsad tareef bayan karna nahi balki unki batayi hui hidayat par amal karna hai. kyunki Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ki tareef duniya mein beshumar insan hain jinhone apni zabano se ki, apne qalam ki siyahi se ki aur apni tasneefat mein ki lekin unka Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ki is tareef ko bayan karna unhe Jannat mein na le ja saka kyunki unhone Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ki tareef to ki lekin bat nahi mani. Main unme se kuch logo ke nam bhi de deta hun taki kisi ko ishkal na ho.
★→ 1. Alphonse de LaMartaine.
★→ 2. George Bernard Shaw
★→ 3. Michael H. Hart
★→ 4. Edward Gibbon
★→ 5. Simon Oakley
★→ 6. Thomas Carlyle
★→ 7. James Gavin, (U.S. Army General)
★→ 8. M.H. Hyndman
★→ 9. Sir William Muir
★→ 10. Philip K. Hitti
★→ 11. Mohan Das Karam Chand Gandhi
★→ 12. John Austin
★→ 13. John William Draper, M.D., L.L.D.
★→ 14. Arthur Glyn Leonard
★→ 15. James Michener
★→ 16. Annie Besant
★→ 17. W.C. Taylor
★→ 18. Reverend Bosworth Smith
★→ 19. Dr. Gustav Weil
★→ 20. Charles Stuart Mills
★→ 21. Stanley Lane-Poole
★→ 22. J.M. Rodwell
★→ 23. W. Montgomery Watt
★→ 24. D. G. Hogarth
★→ 25. Washington Irving
Ye hain kuch naam jinke bare mein maine khud padha hai aur in hastiyon ne Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ki tareef mein bahut kuch kaha lekin inmein se ek bhi Jannat ka haqdar nahi ban saka illa ki agar kisi ne Islam qubool kar liya ho. Agar koi dekhna chahta hai to wo dekh bhi sakta hai… “SAYING ABOUT PROPHET MUHAMMAD (SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam)… jahan se aap search karna chahe dekh le.
Next-07©ontinue in sha Allah,
▂▂▂
▍▍ ✧Hαq βααт✧
▍▍ ✧Lαgтï нαï кα∂พï✧
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
▂▂▂
▍▍ ✧Ahle deoband Group✧
▍▍ ✧91 -7037363325✧
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✧
✧
✧
▂▂▂
▍BismiLLahirrahmaanirraheem
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
EID MILAADUN NABI KI HAQIQAT ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
[PART07]
▔▔▔▔▔▔▔
┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
BARAWAFAT V EID MILADUN NABI KA JASHN AUR ISKI HAQEEQAT
┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
★→ QURAN MAFHOOM: AUR HUMNE APKO BHEJA HAI TO SIRF SAB LOGO KO KHUSHKHABRI AUR DAR SUNANE KE LIYE. (Surah Saba)
★→ 3. SEERAT: Seerat ka mana wo hai jo kam Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ne kiye aur unka hukm diya jo sunnat kehlaye aur Quraan mein ALLAH TA'ALA ne farmaya jiska mafhoom hai, ye tumhare liye Uswa-e-Hasana hain yani behtareen namoona hai tum apni zindigiyan inhi ke nakshe qadam par ghuzaro.
★→ SEERAT: Ye Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ki zindigi ka wo hissa hai jis par amal kiye bina kisi ko Jannat mil nahi sakti. Seerat ka matlab ye hai, Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ne farmaya jiska mafhoom hai “Meri Sunat par Amal karo aur Khulafa-e-Rashideen ki sunnaton par amal karo jo hidayat yafta hain”. Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam duniya ke liye rehmat bana kar bheje gaye aur unhone wo rehmat apni 23 sal ki mukhtasar si barkaton wali zindigi mein aisi badi ki unke 23 sal ke bad kamobesh 1,44,000 Sahaba Radi Allahu Ta'ala anhuma. ki wo jamat bana di jisne sari duniya mein Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ki seerat ko apna kar aur amal kar numaya kiya aur sari duniya ke samne Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ka tarruf is andaz mein karaya ki sunne wale ke zehen mein Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ki azmat bethti chali gayi aur log joonk dar joonk Islam mein ate chale gaye.
★→ Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ne hame tehzeeb aur tamaddun ki wo shahrah dikhayi ki jis par chalkar koi bhi insan ba-asani Jannat mein ja sakta hai, Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ne hame zindigi ke tamam pehlu par kis tarah chalna hai bataya, rehna kis tarah hai, chalna kis tarah hai, dekhna kis tarah hai, khana kis tarah hai, safar kis tarah karna hai, zindigi mein chhoti chhoti cheeze batayi, illa ki Baitul Khala mein kis tarah jana hai aur kis tarah bethna hai ye tak ki ummat ko bata diya, Duniya ke kisi leader ne ya kisi imam ne ya kisi Rehbar ne kisi qaum ki is tarah Rehnumayi nahi farmayi hogi jis tarah Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ne apni ummat ki har tarah se har shobe mein rahnumayi farmayi. Lekin aaj khud ko Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ka ashiq kahne wale unhi ki wafat par Charagha karte hain aur khushiyan manate phir Rahe hain.
Next-08©ontinue in sha Allah,
▂▂▂
▍▍ ✧Hαq βααт✧
▍▍ ✧Lαgтï нαï кα∂พï✧
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
▂▂▂
▍▍ ✧Ahle deoband Group✧
▍▍ ✧91 -7037363325✧
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✧
✧
✧
▂▂▂
▍BismiLLahirrahmaanirraheem
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
EID MILAADUN NABI KI HAQIQAT ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
[PART08]
▔▔▔▔▔▔▔
┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
BARAWAFAT V EID MILADUN NABI KA JASHN AUR ISKI HAQEEQAT
┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
★→Aaj ummat ne Nabi e akram SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ki seerat ko chhord kar sirf ek din pakad liya hai Or bas sari muhabbat Or aqeedat apni jahilana harkato Or baton ke zariye sari duniya ko dikhate phirte hain,
★→khud ko isaiyo Or yahoodiyo se zyada gira diya ki dekhne wala bata nahi sakta ki ye Musalman hai ya Kafir.
★→ Khusoosan is jahilana harkaton mein Barr-e-sagheer Hind, Pak, Bangladesh sabse age hain, Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ki wafat ke din ko jashn mein tabdeel kar diya aur besuri awazo se nare lagane mein magan rehne ko ishq-e-Nabi kahte hain, hind mein kayi jagah juloos bhi uthte hain unme dekhiye to aksariyat aisi hoti hai jo shakal se he musalman nahi lagte, uske bad bade bade speaker aur sound laga kar nachte gate aur shirkiya kalimat ka wird karte hue Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ki wafat ke din shor ghul karte hain aur jashn manate hain.
★→ Hatho mein Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ke nam ke jhande hote hain aur ankhe chajjo par Latki hui Maa Behno aur betiyon par hoti hai, koi shakhs aisa nahi dikhta jiski nazre niche dekh rahi ho ya samne he dekh rahi ho, har shakhs bas shikar dhoonda karta hai, aur hum apni maa behno ko kya kahe, agar koi inhe dekhe to ye chupti bhi nahi hain balki hasi aur thahake se uski ghaleez nazro ko welcome kahti hain.
★→ Pura pura din juloos nikalta hai hazaro ki bheed hoti hai aur namaze…? Ye kya hota hai…? kya Musalman ko namaz bhi padhni chahiye.. Ye to ajeeb bat kar di bhai, hum to yahan nachne koodne aye the, tum to namaz ke liye kah rahe ho, ye kam nahi ho payega, abhi jume ko to padhi hai… ab kya phir se padhe..?
★→ Ye hal hai UMMAT ka aaj, bs juloos uthwa lo aur nare lagwa lo… Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ka nam ane par JHOOM jate hain aur Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ki sunnat ke nam se GHOOM jate hain,
★→Nare lagte hain “Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ka daman nai chhodenge” hum to kahte hain pahle pakad hi lo sahi se chhodne ki bat to bad mein hai,
★→ shaklo se Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ki sunnat gayeb hai, kapdo yahoodiyat aur isaiyat jhalak rahi hoti hai, sar hamesha ki tarah nanga aur jism aise thirakta hai mano kisi ne current dauda diya ho… Khair bahut kuch hai kahne ke liye, ALLAH humein kahne sunne se zyada amal ki taufeeq ata farmaye.
Aameen.
Next-09©ontinue in sha Allah,
▂▂▂
▍▍ ✧Hαq βααт✧
▍▍ ✧Lαgтï нαï кα∂พï✧
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
▂▂▂
▍▍ ✧Ahle deoband Group✧
▍▍ ✧91 -7037363325✧
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✧
✧
✧
▂▂▂
▍BismiLLahirrahmaanirraheem
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
EID MILAADUN NABI KI HAQIQAT ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
[PART09]
▔▔▔▔▔▔▔
┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
BARAWAFAT V EID MILADUN NABI KA JASHN AUR ISKI HAQEEQAT
┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
★→Is jashn-e-biddat aur sajawat ki haqeeqat isi bat se samajh mein aa jani chahiye ki ye din Barawafat ke nam se mashoor hai na ki Barawiladat.
★→Ab Wafat ke din jo khushiya manaye use pagal hi kahenge aur agar wo wafat kisi Nabi ki ho to aur bat hai, balki ye to Imamul Ambiya, Sarware Qainat, Sayyadul Mursaleen, Khataman Nabiyyeen, Nabiul Awwaleen wal Akhareen, Muhammad-e-Arabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ki wafat ka din hai, phir is din jashn ka maqsad mere aaj tak nahi samajh aya.
★→ Rabiul Awwal ki 12 tareekh ko ummat ka ijma wa muttafaqa faisla hai ki ye Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ki wafat ka din hai, ye wo din hai jis din Madinatul Munawwarah mein kohram macha hua tha,
★→ Hazrat Abu Bakr Siddique Radi Allahu Ta'ala anhu. par gham ka pahad toot pada tha,
★→ Hazrat Umar Radi Allahu Ta'ala anhu. sadme ki wajah se gumsum ho gaye they,
★→Hazrat Usman aur Ali Radi Allahu Ta'ala anhuma. ka ajeeb hal tha,
★→ Amma Ayesha Radi Allahu Ta'ala anha. aur Hazrat Fatima Radi Allahu Ta'ala anha. Ro rahi thi,
★→ Hazrat Bilal Radi Allahu Ta'ala anhu. ne to Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ki wafat ke bad madina he chhod diya tha wo Misar jakar abad ho gaye the lekin aaj ke musalmano ko shayed ye bat nahi pata ya phir beghairti aur isaiyat aur yahoodiyat ka shikanja hai ki wo apne he Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ki wafat ke din par khushiya mana rahe hain,
★→ Sajawat aur jhandiya laga rahe hain, sari sari rat udham ho raha hai, hasi mazak aur ajeeb jahilana tarze amal pesh kiya ja raha hai.
Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ki wiladat mein to bahut ikhtilaf hai, Kisi ne 2 Rabiul Awwal likha hai, kisi ne 6 Rabiul Awwal likha hai, kisi ne 8 Rabiul Awwal likha hai, kisi ne 9 Rabiul Awwal likha hai aur kisi ne 11 Rabiul Awwal likha aur ek qaul 12 Rabiul Awwal ka bhi hai lekin ye sabse zyada zaeef hai aur aqal ke khilaf bhi hai. lekin Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam jis din paida hue, unki wiladat hui wo din PEER (Monday) ka tha ye ummat ki mutafaqqa Raye hai. Ab to MASHAALLAH science aur technology ka daur hai Agar aap theek Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ki wiladat wale saal mein Rabiul Awwal mein Peer ka dekhe to ye din 9 tareekh yani 9 Rabiul Awwal ko aya tha, naki kisi aur tareekh ko. Lihaza is tarah se ye pakka ho gaya ki Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ki wiladat basa’adat ka din 9 Rabiul Awwal ko hi pada tha phir 12 ko jashn ka kya matlab..?
★→ Nawase ki shahadat ke din ko manhoos aur gham ka din kahne wale 12 Rabiul Awwal Barawafat ke din to Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ka wisal hua phir kis munh se jashn manaya jata hai…
Next-10©ontinue in sha Allah,
▂▂▂
▍▍ ✧Hαq βααт✧
▍▍ ✧Lαgтï нαï кα∂พï✧
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
▂▂▂
▍▍ ✧Ahle deoband Group✧
▍▍ ✧91 -7037363325✧
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✧
✧
✧
▂▂▂
▍BismiLLahirrahmaanirraheem
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
EID MILAADUN NABI KI HAQIQAT ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
[PART10]
▔▔▔▔▔▔▔
┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
BARAWAFAT V EID MILADUN NABI KA JASHN AUR ISKI HAQEEQAT
┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
★→HADEES MAFHOOM: YAHOOD WA NASARA KI MUKHALIFAT KARO.
★→ Is par koi ye bhi kah sakta hai ki janab hum to sajawat 11 Rabiul Awwal ki raat mein karte hain aur Wafat 12 ki hai phir to hum theek hai..?
★→ JAWAB: Janab bat to aapki sahi hai lekin Islami calander ke hisab se ghalat hai, kyunki Islami din ki shuruvat maghrib se ho jati hai angrezon ke hisab se rat 12 baje ke bad. Jis din 11 Rabiul Awwal ho to maghrib ke bad se 12 Rabiul Awwal ka din lag jata hai, tareekh badal jaya karti hai to phir sara Jashn to maghrib bad hi shuru hota hai. ab aap bataye ki kya ye sahi hai ki jis din hamare aur apke balki poori duniya ke liye Rehmat bana kar jise bheja gaya ho aur us rehmat ka saya hum se is duniya se uth gaya ho kya wo din kisi bhi lihaz se Jashn ke qabil hai…?
★→ kya koi ek banda mujhe mil sakta hai ki jiske ghar mein ek janaza rakha ho aur wo khushiya mana raha ho, apne ghar ki chhodiye agar pados mein bhi kisi bade ki nahi balki kisi bache ki maut ho jaye to bhi hum apne ghar mein khushiya nahi manate lekin aaj kuch logo ne Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ki wafat ke din ko jashn ka din bana diya hai Allah ta’aala sahi samajh ata farmaye.
★→ Dusri bat Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ne yahood aur Nasara ki mukhalifat karne ko kaha hai, ab Isaiyon ne ek din muqarrar kar liya ki bas isi din Hazrat Isa ALayhis saLLam. ko yaad kiya jayega wo bhi jashn ki tarah lekin unki seerat koi nahi janta, akhir Isa ALayhis saLLam. kya paigham lekar aye aur unhone kya hidayat di ye isayi nahi jante wo to bas ek din garh liya aur phir shuru ho gaye jashn manane mein waise hi aaj ummat ke kuch logo ne jahilana harkate karni shuru kar di hain aur Islam mein jahilaiyat ki koi jagah Nahi hai.
★→ Jo log EID MILADUN NABI ke jashn ko sahi samajhte hain kya wo ye nahi jante ki jis din Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ne apni ummat ko tamam hidayat di wo ye nahi kah sakte the ki Abu Bakr meri wiladat par khushiyan manaya karo, Umar meri wiladat par jahndiya lagaya karo, Usman meri wiladat par sajawat kiya karo, Ali meri wiladat par nate padha karo, jabki Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ki hi zindigi mein 12 Rabiul Awwal ka din 62 bar aya aur Nubuwat milne ke bad se wafat tak 22 bar aya, lekin kisi ek hadees mein ye nahi hai ki Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ne apne Ashab Radi Allahu Ta'ala anhuma. jo sacche aur pakke ashiqe rasool the unse ye kaha ho ki meri wiladat par khushiyan manao, jhande lagao aur mujhe nate pak ka nazrana pesh karo.
Next-11©ontinue in sha Allah,
▂▂▂
▍▍ ✧Hαq βααт✧
▍▍ ✧Lαgтï нαï кα∂พï✧
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
▂▂▂
▍▍ ✧Ahle deoband Group✧
▍▍ ✧91 -7037363325✧
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
No comments:
Post a Comment