Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Tuesday, December 1, 2015

EID MILADUN KI HAQEEQAT

✧                                        

✧     

  ▂▂▂
  ▍BismiLLahirrahmaanirraheem  
          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
            
HUMARI NAZAR NAHI HUMARE FATAWA PAR ALLAHMAAAF KAARE.
      ┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
Jo Bhai Huzoor  SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam Ki Milad Bade Zor Shor Se Manate Hain, Unko.chahiye ke wo Ahmed Raza Khan Aala Hazrat Rehmatullahi ALayh Ke Fatawe ko padhe..
AHMAD RAZA KHAN Rehmatullahi ALayh KA QAUL KYA THA MILAD UN NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM PAR…
1. Aala Hazrat Ahmed Raza Khan Rehmatullahi ALayh  Likhte Hain
”Nabi-e-Pak SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ki Tareek-E-Paidaish 8 Rabi ul Awwal Hai Aur
Yaum-E-Wafat 12 Rabbi Ul Awwal Hai..”
ʀєғєʀєηcє →Fatawa Rizwiya Lil Ahmad Raza Khan Barelwi Jild 26 Safa-412,413.
        •─━━━━━══════━━━━━─•
2. Ahmad Raza Khan Rehmatullahi ALayh Likhte Hain
”Allah Ke Nabi Ki Tareek E Paidaish 8 Rabbi Ul Awwal Hai Jo Hazrat Abdullah Ibn Abbas Raz, Jabir Bin Satum Raz,Ibne huzam, hamidi, Zehbi Rahimahullah
sab ka ijma bataya hai.”
ʀєғєʀєηcє →Nutqul Hilal Ahmad Raza Khan Safa 6 Aur Safa12,13, Sunni Rizwi Kutab Khana,Faisalabad.
        •─━━━━━══════━━━━━─•
               
3.Ahmed raza khan Rehmatullahi ALayh ke Nazdeek MILAD Manana Aur Hooqah pina Dono Par Ek Jaisa Fatawa Hai..
Ahmad Raza Khan Likhte Hain-”milad mubha hai.”
ʀєғєʀєηcє →Ala min wa ala : Safa-221)
Hooqah pina mubha hai..
ʀєғєʀєηcє →Ahkam-E-Shariyat Safa 257)
Yani koi huqa piye ya milad karee Dono Barabar huye Aur Humari(sunni barelvi) ki fiqah ki mustanad kitab BAHAR-E-SHARIYAT main yeh baat likha hua hai Ke Masjid me mubha baaton ka
karna mana Hai..
ʀєғєʀєηcє→BAHAR-E-SHARIYAT, Baab-Masjid Ke Addab.
        •─━━━━━══════━━━━━─•
Ahmed Raza Kehta hai-”Mera Deen o Mazhab Jo Meri Kutab se Zahir hai Uspar Mazbooti se Qaim Rehna Har Farz se Eehim Farz Hai.
ʀєғєʀєηcє→ Wasaya Shareef,Safa 10, Publisher-Hasni Baraili.
AHMAD RAZA KHAN REHMATULLAHI ALAYH KE FATAWE KO NA MANNA YE KAISE UNSE MOHABBAT AUR AQEEDAT HAI.
          
          ▂▂▂
          ▍▍ ✧Hαq кï βααт✧
          ▍▍ ✧Lαgтï нαï кα∂พï✧
          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✧                                        

✧     
▂▂▂
▍BismiLLahirrahmaanirraheem  
          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
    EID-MILAAD-KAB-SE-SHURU
      ┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
IRAQ ke sheher MOSUL ka ilaaqa IRBIL ka Badshah,
"MALIK MUZAFFAR ABU SAYEED" ne sabse pehle,
[Nabi(SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam) ki WAFAAT ke "614 saal BAAD",
Mutabik 625 Hijri Me]
'Eid Milad ki BIDDAT' ko AIJAAD diya.
Is se Pehle, Zamana is BIDDAT se paak tha.
Malik Muzaffar,
Milad ki Mehfil Me, jis par
- 100 Ghode,
- 5,000 Bakriyon ka gosht,
- 10,000 Murgiyan,
- 30,000 Halwe ke pede
- 1,00,000 Pyaliyan,
ka Dastar-Khwaan sajaaya aur
"NAACHNE GAANE wale SOOFIYON" ko bulaya aur
Soofiya ki 'Mehfil-e-SaMaa' Munaqid ki gayi,
jisMe Soofiyon ne ZOHAR se le kar agle Din FAJR tak,
Raat bhar NAACHA, KOODA, JHOOMA aur DHOL peeta.
(jiske liye wo Mashhoor hain).
       ʀєғєʀєηcє:
                   al-Bidaayah
                         wa'l-Nihaayah.
                          Jild 13, pg 160.
                            ("Ibn Katheer")
          
          ▂▂▂
          ▍▍ ✧Hαq кï βααт✧
          ▍▍ ✧Lαgтï нαï кα∂พï✧
          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

❁                                     


         ︻︻︻︻︻︻︻︻︻
       【 βismiнi  тα'ααLα  】
         ︼︼︼︼︼︼︼︼︼

BARAWAFAT WA EID MILADUN NABI KA JASHN AUR ISKI HAQEEQAT… PART – 1 OF 8

QURAN MAFHOOM: TUMHARE LIYE RASOOLULLAH MEIN ACHA NAMOONA HAI JO ALLAH AUR QAYAMAT KI UMMEED RAKHTA HAI AUR ALLAH KO BAHUT YAD KARTA HAI. (Surah Ahzab).
HADEES MAFHOOM: MERA JO DARJA HAI WAHI RAKHO, MUJHE AISA NA BANAO JAISA ISAIYO NE HADHRAT ISA ALayhis saLLam KO BANA DIYA THA, MAIN ALLAH KA BANDA AUR USKA RASOOL HUN.
--------------------------------------------------------------------------------------
NAME MUHAMMAD SE DILO SUROOR MILTA HAI,
NIGAH-E-FIKAR TO TAZA SHAOOR MILTA HAI,
NASEEB KAISA BHI HO WASTA AHMAD KE DE KAR,
NASEEB KAISA BHI HO WASEELA MUHAMMAD KA DE KAR,
KHUDA (ALLAH) SE JO BHI MANGO ZAROOR MILTA HAI…
---------------------------------------------------------------------------------------
Nabi SAWW ki zindigi ki 3 cheeze qabile ghaur hain; 1. MILAD. 2. TAREEF. 3. SEERAT.
1. MILAD: Milad ka mana hai Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ki wiladat ka waqiya bayan karna, Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ki wiladat ki jagah ka zikr karna. YE HAMARE NAZDEEQ IBADAT HAI. Aur jise Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ki wiladat par khushi na ho hum use mardood kahte hain.
MILAD: Milad mein Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ki wiladat ke waqiye ko bayan karna hota hai naki manana, zikr karna alag bat hai aur manana alag bat hai. hum Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ki wiladat ke zikr ko apne liye Ibadat samjhte hain lekin use jashn ki tarah manane ke qayel nahi hain. Pure mulk mein Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ki wiladat ke mutalliq jo ijlas kiye jate hain hum use sahi samajhte hain aur usme shareek hote hain. Lekin jahan par fizool kharchi aur jashn manaya jaye hum uski mukhalifat karte hain aur use biddat samajhte hain. Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ki paidaish par khushi manana maghfirat ki nishani nahi hai kyunki Jab Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ki wiladat basa’adat hui, to khushiyan ABU LAHEB ne bhi manayi thi, Abu Talib ne bhi manayi thi, Abu Talib ne to Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ka umar bhar sath bhi diya lekin jab Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ne unhe kaha ki chcha jaan aap Kalma padh lo to unhone inkar kar diya aur kaha ki Muhammad SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam“Main Aag bardasht kar sakta hun lekin Aar nahi” ab unka Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ki wiladat par khushiya manana unhe jannat mein nahi le ja saka kyunki unhone Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ki bat ko nahi mana yani Seerat ko nahi mana. Quran ki kisi ayet se koi ye sabit nahi kar sakta ki Milad manana chahiye aur na he Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ki 10 lakh ahdees-e-mubarika se ye sabit kar sakta hai illa ki DAJAL se kam le.
��  Baaki  Next Time Inshaa ALLaah.
      ┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
❁                                     


         ︻︻︻︻︻︻︻︻︻
       【 βismiнi  тα'ααLα  】
         ︼︼︼︼︼︼︼︼︼

BARAWAFAT WA EID MILADUN NABI KE JASHN ISLAM MEIN KYA HAI AUR ISKI HAQEEQAT… PART – 2 OF 8

QURAN MAFHOOM: HUMNE APKO NAHI BHEJA MAGAR TAMAM INSANSIYAT PAR REHMAT BANAKAR. (Surah Al-Anbiya)
2. TAREEF: Iska mana hai Nabi SAWW ne puri zindigi mein jitney kam kiye uski tareef karna ya Nabi SAWW ki shakhsiyat ki tareef karna aur usko bayan karna.
TAREEF: Ek bat hai Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ki tareef karna, hum iske bhi qayel hain aur BIHAMDILILLAH, apne Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ki Muhabbat aur aqeedat mein unki tareef bayan karte hain. Lekin asal maqsad tareef bayan karna nahi balki unki batayi hui hidayat par amal karna hai. kyunki Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ki tareef duniya mein beshumar insan hain jinhone apni zabano se ki, apne qalam ki siyahi se ki aur apni tasneefat mein ki lekin unka Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ki is tareef ko bayan karna unhe Jannat mein na le ja saka kyunki unhone Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ki tareef to ki lekin bat nahi mani. Main unme se kuch logo ke nam bhi de deta hun taki kisi ko ishkal na ho.
1. Alphonse de LaMartaine.
2. George Bernard Shaw
3. Michael H. Hart
4. Edward Gibbon
5. Simon Oakley
6. Thomas Carlyle
7. James Gavin, (U.S. Army General)
8. M.H. Hyndman
9. Sir William Muir
10. Philip K. Hitti
11. Mohan Das Karam Chand Gandhi
12. John Austin
13. John William Draper, M.D., L.L.D.
14. Arthur Glyn Leonard
15. James Michener
16. Annie Besant
17. W.C. Taylor
18. Reverend Bosworth Smith
19. Dr. Gustav Weil
20. Charles Stuart Mills
21. Stanley Lane-Poole
22. J.M. Rodwell
23. W. Montgomery Watt
24. D. G. Hogarth
25. Washington Irving
Ye hain kuch naam jinke bare mein maine khud padha hai aur in hastiyon ne Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ki tareef mein bahut kuch kaha lekin inmein se ek bhi Jannat ka haqdar nahi ban saka illa ki agar kisi ne Islam qubool kar liya ho. Agar koi dekhna chahta hai to wo dekh bhi sakta hai… “SAYING ABOUT PROPHET MUHAMMAD (SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam)…  jahan se aap search karna chahe dekh le.

��  Baaki  Next Time Inshaa ALLaah.

      ┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
❁                                     


         ︻︻︻︻︻︻︻︻︻
       【 βismiнi  тα'ααLα  】
         ︼︼︼︼︼︼︼︼︼

BARAWAFAT WA EID MILADUN NABI KE JASHN ISLAM MEIN KYA HAI AUR ISKI HAQEEQAT… PART – 3 OF 8

QURAN MAFHOOM: AUR HUMNE APKO BHEJA HAI TO SIRF SAB LOGO KO KHUSHKHABRI AUR DAR SUNANE KE LIYE. (Surah Saba)
3. SEERAT: Seerat ka mana wo hai jo kam Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ne kiye aur unka hukm diya jo sunnat kahlaye aur Quran mein ALLAH TA'ALA ne farmaya jiska mafhoom hai, ye tumhare liye Uswa-e-Hasana hain yani behtareen namoona hai tum apni zindigiyan inhi ke nakshe qadam par ghuzaro.
SEERAT: Ye Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ki zindigi ka wo hissa hai jis par amal kiye bina kisi ko Jannat mil nahi sakti. Seerat ka matlab ye hai, Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ne farmaya jiska mafhoom hai “Meri Sunat par Amal karo aur Khulafa-e-Rashideen ki sunnaton par amal karo jo hidayat yafta hain”. Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam duniya ke liye rehmat bana kar bheje gaye aur unhone wo rehmat apni 23 sal ki mukhtasar si barkaton wali zindigi mein aisi bati ki unke 23 sal ke bad kamobesh 1,44,000 Sahaba Radi Allahu Ta'ala anhuma. ki wo jamat bana di jisne sari duniya mein Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ki seerat ko apna kar aur amal kar numaya kiya aur sari duniya ke samne Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ka tarruf is andaz mein karaya ki sunne wale ke zehen mein Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ki azmat baithti chali gayi aur log joonk dar joonk Islam mein ate chale gaye.
Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ne humein tehzeeb aur tamaddun ki wo shahrah dikhayi ki jis par chalkar koi bhi insan ba-asani Jannat mein ja sakta hai, Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ne humein zindigi ke tamam pahluwo par kis tarah chalna hai bataya, rehna kis tarah hai, chalna kis tarah hai, dekhna kis tarah hai, khana kis tarah hai, safar kis tarah karna hai, zindigi mein chhoti chhoti cheeze batayi, illa ki Baitul Khala mein kis tarah jana hai aur kis tarah baithna hai ye tak ki ummat ko bata diya, Duniya ke kisi leader ne ya kisi imam ne ya kisi rehbar ne kisi qaum ki is tarah rehnumayi nahi farmayi hogi jis tarah Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ne apni ummat ki har tarah se har shobe mein rahnumayi farmayi. Lekin aaj khud ko Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ka ashiq kahne wale unhi ki wafat par Charagha karte hain aur khushiyan manate phir rahe hain.

��  Baaki  Next Time Inshaa ALLaah.

      ┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
❁                                     


         ︻︻︻︻︻︻︻︻︻
       【 βismiнi  тα'ααLα  】
         ︼︼︼︼︼︼︼︼︼

BARAWAFAT WA EID MILADUN NABI KE JASHN ISLAM MEIN KYA HAI AUR ISKI HAQEEQAT… PART – 4 OF 8

Aaj ummat ne Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ki seerat ko chhod kar sirf ek din pakad liya hai aur bas sari muhabbat aur aqeedat apni jahilana harkato aur baton ke zariye sari duniya ko dikhate phirte hain, khud ko Isaiyo aur yahoodiyo se zyada gira diya ki dekhne wala bata nahi sakta ki ye Musalman hai ya Kafir. Khusoosan is jahilana harkaton mein Barr-e-sagheer Hind, Pak, Bangladesh sabse age hain, Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ki wafat ke din ko jashn mein tabdeel kar diya aur besuri awazo se nare lagane mein magan rehne ko ishq-e-Nabi kahte hain, hind mein kayi jagah juloos bhi uthte hain unme dekhiye to aksariyat aisi hoti hai jo shakal se he musalman nahi lagte, uske bad bade bade speaker aur sound laga kar nachte gate aur shirkiya kalimat ka wird karte hue Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ki wafat ke din shor ghul karte hain aur jashn manate hain. Hatho mein Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ke nam ke jhande hote hain aur ankhe chajjo par latki hui Maa Behno aur betiyon par hoti hai, koi shakhs aisa nahi dikhta jiski nazre niche dekh rahi ho ya samne he dekh rahi ho, har shakhs bas shikar dhoonda karta hai, aur hum apni maa behno ko kya kahe, agar koi inhe dekhe to ye chupti bhi nahi hain balki hasi aur thahake se uski ghaleez nazro ko welcome kahti hain. Pura pura din juloos nikalta hai hazaro ki bheed hoti hai aur namaze…? Ye kya hota hai…? kya Musalman ko namaz bhi padhni chahiye..? hain…? Ye to ajeeb bat kar di bhai, hum to yahan nachne koodne aye they, tum to namaz ke liye kah rahe ho, ye kam nahi ho payega, abhi jume ko to padhi hai… ab kya phir se padhe..? Ye hal hai UMMAT ka aaj, bs juloos uthwa lo aur nare lagwa lo… Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ka nam ane par JHOOM jate hain aur Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ki sunnat ke nam se GHOOM jate hain, nare lagte hain “Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ka daman nai chhodenge” hum to kahte hain pahle pakad he lo sahi se chhdne ki bat to bad mein hai, shaklo se Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ki sunnat gayeb hai, kapdo yahoodiyat aur isaiyat jhalak rahi hoti hai, sar hamesha ki tarah nanga aur jism aise thirakta hai mano kisi ne current dauda diya ho… Khair bahut kuch hai kahne ke liye, ALLAH humein kahne sunne se zyada amal ki taufeeq ata farmaye.
Aameen.

��  Baaki  Next Time Inshaa ALLaah.

      ┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
❁                                     


         ︻︻︻︻︻︻︻︻︻
       【 βismiнi  тα'ααLα  】
         ︼︼︼︼︼︼︼︼︼

BARAWAFAT WA EID MILADUN NABI KE JASHN ISLAM MEIN KYA HAI AUR ISKI HAQEEQAT… PART – 5 OF 8

Is jashn-e-biddat aur sajawat ki haqeeqat isi bat se samajh mein aa jani chahiye ki ye din Barawafat ke nam se mashoor hai na ki Barawiladat. Ab Wafat ke din jo khushiya manaye use pagal he kahenge aur agar wo wafat kisi Nabi ki ho to aur bat hai, balki ye to Imamul Ambiya, Sarware Qainat, Sayyadul Mursaleen, Khataman Nabiyyeen, Nabiul Awwaleen wal Akhareen, Muhammad-e-Arabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ki wafat ka din hai, phir is din jashn ka maqsad mere aaj tak nahi samajh aya. Rabiul Awwal ki 12 tareekh ko ummat ka ijma wa muttafaqa faisla hai ki ye Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ki wafat ka din hai, ye wo din hai jis din Madinatul Munawwarah mein kohram macha hua tha, Hazrat Abu Bakr Siddique Radi Allahu Ta'ala anhu. par gham ka pahad toot pada tha, Hazrat Umar Radi Allahu Ta'ala anhu. sadme ki wajah se gumsum ho gaye they, Usman aur Ali Radi Allahu Ta'ala anhuma. ka ajeeb hal tha, Amma Ayesha Radi Allahu Ta'ala anha. aur Hazrat Fatima Radi Allahu Ta'ala anha. ro rahi thi, Hazrat Bilal Radi Allahu Ta'ala anhu. ne to Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ki wafat ke bad madina he chhod diya tha wo Misr jakar abad ho gaye the lekin aaj ke musalmano ko shayed ye bat nahi pata ya phir beghairti aur isaiyat aur yahoodiyat ka shikanja hai ki wo apne he Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ki wafat ke din par khushiya mana rahe hain, sajawat aur jhandiya laga rahe hain, sari sari rat udham ho raha hai, hasi mazak aur ajeeb jahilana tarze amal pesh kiya ja raha hai.
Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ki wiladat mein to bahut ikhtilaf hai, Kisi ne 2 Rabiul Awwal likha hai, kisi ne 6 Rabiul Awwal likha hai, kisi ne 8 Rabiul Awwal likha hai, kisi ne 9 Rabiul Awwal likha hai aur kisi ne 11 Rabiul Awwal likha aur ek qaul 12 Rabiul Awwal ka bhi hai lekin ye sabse zyada zaeef hai aur aqal ke khilaf bhi hai. lekin Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam jis din paida hue, unki wiladat hui wo din PEER (Monday) ka tha ye ummat ki mutafaqqa raye hai. Ab to MASHAALLAH science aur technology ka daur hai Agar aap theek Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ki wiladat wale saal mein Rabiul Awwal mein Peer ka dekhe to ye din 9 tareekh yani 9 Rabiul Awwal ko aya tha, naki kisi aur tareekh ko. Lihaza is tarah se ye pakka ho gaya ki Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ki wiladat basa’adat ka din 9 Rabiul Awwal ko he pada tha phir 12 ko jashn ka kya matlab..? Nawase ki shahadat ke din ko manhoos aur gham ka din kahne wale 12 Rabiul Awwal Barawafat ke din to Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ka wisal hua phir kis munh se jashn manaya jata hai…?

��  Baaki  Next Time Inshaa ALLaah.

      ┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
❁                                     


         ︻︻︻︻︻︻︻︻︻
       【 βismiнi  тα'ααLα  】
         ︼︼︼︼︼︼︼︼︼

BARAWAFAT WA EID MILADUN NABI KE JASHN ISLAM MEIN KYA HAI AUR ISKI HAQEEQAT… PART – 6 OF 8

HADEES MAFHOOM: YAHOOD WA NASARA KI MUKHALIFAT KARO.
Is par koi ye bhi kah sakta hai ki janab hum to sajawat 11 Rabiul Awwal ki rat mein karte hain aur Wafat 12 ki hai phir to hum theek hai..?
JAWAB: Janab bat to aapki sahi hai lekin Islami calander ke hisab se ghalat hai, kyunki Islami din ki shuruat maghrib se ho jati hai angrezon ke hisa se rat 12 baje ke bad. Jis din 11 Rabiul Awwal ho to maghrib ke bad se 12 Rabiul Awwal ka din lag jata hai, tareekh badal jaya karti hai to phir sara Jashn to maghrib bad he shuru hota hai. ab aap bataye ki kya ye sahi hai ki jis din hamare aur apke balki duniya ke liye Rehmat bana kar jise bheja gaya ho aur us rehmat ka saya hum se is duniya se uth gaya ho kya wo din kisi bhi lihaz se Jashn ke qabil hai…? kya koi ek banda mujhe mil sakta hai ki jiske ghar mein ek janaza rakha ho aur wo khushiya mana raha ho, apne ghar ki chhodiye agar pados mein bhi kisi bade ki nahi balki kisi bache ki maut ho jaye to bhi hum apne ghar mein khushiya nahi manate lekin aaj kuch logo ne Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ki wafat ke din ko jashn ka din bana diya hai, ALLAH sahi samajh ata farmaye.
Dusri bat Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ne yahood aur Nasara ki mukhalifat karne ko kaha hai, ab Isaiyon ne ek din muqarrar kar liya ki bs isi din Hazrat Isa ALayhis saLLam. ko yaad kiya jayega wo bhi jashn ki tarah lekin unki seerat koi nahi janta, akhir Isa ALayhis saLLam. kya paigham lekar aye aur unhone kya hidayat di ye isayi nahi jante wo to bs ek din garh liya aur phir shuru ho gaye jashn manane mein waise he aaj ummat ke kuch logo ne jahilana harkate karni shuru kar di hain aur Islam mein jahilaiyat ki koi jagah Nahi hai.
Jo log EID MILADUN NABI ke jashn ko sahi samajhte hain kya wo ye nahi jante ki jis din Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ne apni ummat ko tamam hidayat di wo ye nahi kah sakte the ki Abu Bakr meri wiladat par khushiyan manaya karo, Umar meri wiladat par jahndiya lagaya karo, Usman meri wiladat par sajawat kiya karo, Ali meri wiladat par nate padha karo, jabki Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ki he zindigi mein 12 Rabiul Awwal ka din 62 bar aya aur Nubuwat milne ke bad se wafat tak 22 bar aya, lekin kisi ek hadees mein ye nahi hai ki Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ne apne Ashab Radi Allahu Ta'ala anhuma. joo sache aur pakke ashiqe rasool the unse ye kaha ho ki meri wiladat par khushiyan manao, jhande lagao aur mujhe nate pak ka nazrana pesh karo.

��  Baaki  Next Time Inshaa ALLaah.
      ┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
❁                                     


         ︻︻︻︻︻︻︻︻︻
       【 βismiнi  тα'ααLα  】
         ︼︼︼︼︼︼︼︼︼

BARAWAFAT WA EID MILADUN NABI KE JASHN ISLAM MEIN KYA HAI AUR ISKI HAQEEQAT… PART – 7 OF 8

Koi ye bhi kah sakta hai ki us din to Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ki wafat hui thi lekin uske bad to manaya hoga to phir wo shakhs mujhe Aslaf-e-Ummat mein se kisi ek se ye sabit kar de ki usne 12 Rabiul Awwal ko kisi bhi tarah ka jashn manaya ho, balki mera challenge hai koi shakhs ye sabit nahi kar sakta.

��Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ke bad ke daur mein Miladun Nabi par Aslaf-e-Ummat ka tarz-e-amal…

�� Hazrat Abu Bakr Radi Allahu Ta'ala anhu. ke daur mein 2 martaba 12 Rabiul Awwal ka din aya.

�� Hazrat Umar Radi Allahu Ta'ala anhu. ke daur mein 10 martaba 12 Rabiul Awwal ka din aya.

�� Hazrat Usman Radi Allahu Ta'ala anhu. ke daur mein 12 martaba 12 Rabiul Awwal ka din aya.

�� Hazrat Ali Radi Allahu Ta'ala anhu. ke daur mein 7 martaba 12 Rabiul Awwal ka din aya.

�� Hazrat Ameer-e-Muawiya Radi Allahu Ta'ala anhu. ke daur mein 19 martaba 12 Rabiul Awwal ka din aya.

�� Hazrat Umar bin Abdul Azeez Rehmatullahi ALayh. ke daur mein 2 martaba 12 Rabiul Awwal ka din aya.

�� Hazrat Imam-e-Azam Abu Hanifa Rehmatullahi ALayh. ke daur mein 43 martaba 12 Rabiul Awwal ka din aya.

�� Hazrat Imam Shafayi Rehmatullahi ALayh. ke daur mein 53 martaba 12 Rabiul Awwal ka din aya.

�� Hazrat Imam Malik Rehmatullahi ALayh. ke daur mein 64 martaba 12 Rabiul Awwal ka din aya.

�� Hazrat Imam Ahmad bin Hambal Rehmatullahi ALayh. ke daur mein 40 martaba 12 Rabiul Awwal ka din aya.

�� Hazrat Imam Malik Rehmatullahi ALayh. ke daur mein 64 martaba 12 Rabiul Awwal ka din aya.

�� Hazrat Imam Bukhari Rehmatullahi ALayh. ke daur mein 38 martaba 12 Rabiul Awwal ka din aya.

�� Hazrat Imam Nasai Rehmatullahi ALayh. ke daur mein 42 martaba 12 Rabiul Awwal ka din aya.

�� Peeran-e-Peer Sheikh Abdul Qadir Jeelanui Rehmatullahi ALayh. ke daur mein 57 martaba 12 Rabiul Awwal ka din aya.

�� Khwaja Moinuddin Chishti Ajmeri Rehmatullahi ALayh. ke daur mein 51 martaba 12 Rabiul Awwal ka din aya.

�� Hazrat Khwaja Moinuddin Chishti Ajmeri Rehmatullahi ALayh. ke daur mein 51 martaba 12 Rabiul Awwal ka din aya.

�� Khwaja Bahauddin Zakariya Multani Rehmatullahi ALayh. ke daur mein 45 martaba 12 Rabiul Awwal ka din aya.

�� Khwaja Alauddin Rehmatullahi ALayh. ke daur mein 45 martaba 12 Rabiul Awwal ka din aya.

�� Baba Ganj Shakar Fareeduddin Rehmatullahi ALayh. ke daur mein 52 martaba 12 Rabiul Awwal ka din aya.

�� Sultanul Arifeen Sultan Wahid Rehmatullahi ALayh. ke daur mein 50 martaba 12 Rabiul Awwal ka din aya.

�� Imam Ghazali Rehmatullahi ALayh. ke daur mein 43 martaba 12 Rabiul Awwal ka din aya.

�� Imam Razi Rehmatullahi ALayh. ke daur mein 41 martaba 12 Rabiul Awwal ka din aya.

�� In azeem hastiyon ke bad kuch aur bhi hain jaise Muhammad Qasim Rehmatullahi ALayh. ke daur mein bhi 12 Rabiul Awwal ka din aya.

�� Sultan Salahuddin Ayyubi Rehmatullahi ALayh. ke daur mein bhi 12 Rabiul Awwal ka din aya, Sultan Nooriddin Zangi Rehmatullahi ALayh. ke daur mein bhi 12 Rabiul Awwal ka din aya.

�� Tariq Bin Zyad Rehmatullahi ALayh. ke daur mein bhi 12 Rabiul Awwal ka din aya, Sultan Tipu Rehmatullahi ALayh. ke daur mein bhi 12 Rabiul Awwal ka din aya…

��  Baaki  Next Time Inshaa ALLaah.

      ┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄
❁                                     


         ︻︻︻︻︻︻︻︻︻
       【 βismiнi  тα'ααLα  】
         ︼︼︼︼︼︼︼︼︼

BARAWAFAT WA EID MILADUN NABI KE JASHN ISLAM MEIN KYA HAI AUR ISKI HAQEEQAT… PART – 8 OF 8

QURAN MAFHOOM: HUMNE APKO BHEJA TAKI AAP IS DEEN-E-HAQ (ISLAM) KO TAMAM ADYAN (BATIL DEEN) PAR GHALIB KAR DE.
Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ki is duniya se rukhsati ke bad se ab tak 1,00,000 se upar Sahaba Radi Allahu Ta'ala anhuma. hue, phir tabayi aur uske bad tabe tabayi, phir fuqaha, phir muhaddiseen, phir lakho wali hue, mujahid aur ghazi hue, tab se lekar ab tak balki Ahmad Raza Khan Sb. tak, lakho ulema wa mufassireen hue, Auliya Allah aur Waliallah hue lekin kisi ne bhi 12 Rabiul ki tareekh ko jashn nahi manaya, apne gharo ko nahi sajaya, sadako ko nahi sajaya, hari jahndiya aur hare jhande nahi lagaye, kyunki wo jante the ki ye Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ki wafat ka din hai phir aaj ke musalman ko ye biddat aur israf ki rah mein jane ko kisne kaha, phir kaun hai wo shakhs jisne Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ki wafat ke din ko Ummat ke nazdeeq Jashn ka din qarar dilwa diya, main tamam ummat se bila tafreeke mazhab ye sawal karta hun kya NABI SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam KI WAFAT KE DIN JASHN MANANA JAYEZ HAI…? Beshak, sawal nahi mein hoga, aur haqeeqat bhi yahi hai ki is din jashn jaisi koi bat he nahi hai. aur agar phir bhi kuch log jashn manayenge to phir AGLE SAL MAIN TAMAM MUSALMANO SE KAHTA HUN 10 MUHARRAMUL HARAM KO BHI JASHN MANAO KYUNKI YE HADHRAT HUSSAIN R.A. KO SHAHADAT MILNE KA DIN HAI aur islam mein SHAHADAT afsos nahi FAKHR hai.
ALLAH KE DUNIYA SE REHMAT (NABI SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam) KE UTHANE PAR JASHN MANAYA JATA HAI AAJ… Afsos hai aisi aqal rakhne walo par, afsos hai aise kamo mein hissa lene walo par aur afsos hai aise jahilana fizool kharchi karne walo par.
Nabi SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ki besad ka maqsad tamam deeno ko mahgloob kar ke ALLAH ki zameen par ALLAH ki hakimiyat ho aur shariyat ka nifaz ho lekin Musalmano ne apne jahil rehnumao ke kahne par is azeem ibadat se khud ko hata liya aur kafiro ka dastarkhwan ban gaye.

ALHAMDULILLAH  Khatm  hue.

┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄

No comments:

Post a Comment