Bismillahirrahmanirraheem
┄─━━◐◐◐━━─┄ ┄─━━◐◐◐━━─┄
HAPPY NEW YEAR MANANA
ISLAAM KI NAZAR ME
┄─━━━━━━━◐◐◐━━━━━━━─┄
☆→Kitaab o sunnat ke Sharee daLaiL se maLoom hota hai ke new year manana bid'at hai jo deen me new kaam ijaad kar liya gaya hai Sharyat e isLaamiya me iski koi daLeeL nahi or Nahi is Tarah ki Dawat QabooL karni jayaz hai kiyu ke isme Shareek hona or dawat QabooL karna bid'at ki taid or use Ubhaarne ka baais hai
أَمْ لَهُمْ شُرَكَٰٓؤُا۟ شَرَعُوا۟ لَهُم مِّنَ ٱلدِّينِ مَا لَمْ يَأْذَنۢ بِهِ ٱللَّهُ ۚ وَلَوْلَا كَلِمَةُ ٱلْفَصْلِ لَقُضِىَ بَيْنَهُمْ ۗ وَإِنَّ ٱلظَّٰلِمِينَ لَهُمْ عَذَابٌ أَلِيمٌ (42:21)
کیا ان لوگوں نے ایسے (اللہ کے) شریک (مقرر کر رکھے) ہیں جنہوں نے ایسے احکام دین مقرر کر دیئے ہیں جو اللہ کے فرمائے ہوئے نہیں ہیں۔ اگر فیصلے کے دن کا وعده نہ ہوتا تو (ابھی ہی) ان میں فیصلہ کردیا جاتا۔ یقیناً (ان) ﻇالموں کے لیے ہی دردناک عذاب ہے
☆→ Allah ta'aLa ne farmaya hai kiya un Logon ne Allah ke Aise Shareek muqarrar kar Rakhe hain jinhone ne aise Ahkaam deen me muqaerar kar diye hain jo Allah ta'La ke farmaye huye Nahi hain Agar fesLe ke din ka wada na hota to abhi hi unme fesLa kar diya jata yaqeenan un zalimon ke liye hi dardnaak Azaab hai
ثُمَّ جَعَلْنَٰكَ عَلَىٰ شَرِيعَةٍ مِّنَ ٱلْأَمْرِ فَٱتَّبِعْهَا وَلَا تَتَّبِعْ أَهْوَآءَ ٱلَّذِينَ لَا يَعْلَمُونَ (45:18)
پھر ہم نے آپ کو دین کی (ﻇاہر) راه پر قائم کردیا، سو آپ اسی پر لگے رہیں اور نادانوں کی خواہشوں کی پیروی میں نہ پڑیں
إِنَّهُمْ لَن يُغْنُوا۟ عَنكَ مِنَ ٱللَّهِ شَيْـًٔا ۚ وَإِنَّ ٱلظَّٰلِمِينَ بَعْضُهُمْ أَوْلِيَآءُ بَعْضٍ ۖ وَٱللَّهُ وَلِىُّ ٱلْمُتَّقِينَ (45:19)
(یاد رکھیں) کہ یہ لوگ ہرگز اللہ کے سامنے آپ کے کچھ کام نہیں آسکتے۔ (سمجھ لیں کہ) ﻇالم لوگ آپس میں ایک دوسرے کے رفیق ہوتے ہیں اور پرہیزگاروں کا کارساز اللہ تعالیٰ ہے
☆→Or Ek maqaam par irshaade bari ta'aLa hai phir hamne Aapko deen ki Raah par Qayam kar diya so Aap usi par Lage Rahe or Nadaanon ki khahishon ki pervi me na pade yaad Rakhe ye Log hargiz Allah ta'aLa ke samne Aapke kuch Kaam nahi Aasakte kiyu ke Zaalim Log Aapas me ek dusre ke Dost hote hain or Allah ta'aLa parhezgaron ka karsaaz hai
ٱتَّبِعُوا۟ مَآ أُنزِلَ إِلَيْكُم مِّن رَّبِّكُمْ وَلَا تَتَّبِعُوا۟ مِن دُونِهِۦٓ أَوْلِيَآءَ ۗ قَلِيلًا مَّا تَذَكَّرُونَ (7:3)
تم لوگ اس کا اتباع کرو جو تمہارے رب کی طرف سے آئی ہے اور اللہ تعالیٰ کو چھوڑ کر من گھڑت سرپرستوں کی اتباع مت کرو تم لوگ بہت ہی کم نصیحت پکڑتے ہو
☆→Or Allah ta'aLa ka farmaan hai Allah ta'aLa ki janib se jo tumhari Taraf naziL kiya gaya hai usi ki pervi karo or Allah ta'aLa ko chord kar man ghadat Sarparaston ki pervi mat karo tum Log Bahut hi kam naseehat pakadte ho
☆→Or Sahi hadees me RasuLLuLLah SaLLaLLahu ALaihivasaLLam ne farmaya jis kisi ne bhi koi aisa AmaL kiya jis par hamara hukm nahi hai to wo mardood hai use Imaam muslim se Sahi muslim me Rivaayat kiya hai or Ek dusri hadees me hai RasuLLuLLah SaLLaLLahu ALaihivasaLLam ka farmaan hai Sab se behatreen Allah ta'ala ki kitaab hai or Sab se behtar Rehnumaayi muhammad SaLLaLLahu ALaihivasaLLam ki hai or Sab se bure Umoor bid'aat hain or har bid'at gumraahi hai is mozu ki Ahadees bahut zada hain phir un Taqribaat ka bid'at or burayi hone ke sath sath Shariyat e isLaamiya me uski koi AsaL bhi nahi hai balke ye to yahood or nasara ke sath mushabaht hai kiyu ke ye Taqribaat wahi manate hain or phir Nabi e kareem RasuLLuLLah SaLLaLLahu ALaihivasaLLam ne Apni ummat ko uske Tariqe or Raah par chaLne se ijtanaab karne ka hukm dete hue farmaya tum Log Zaroor Apne se pehLe Logon ki pervi or itteba karoge bilkuL usi Tarah jis Tarah joota Dusre Dusre ke barabar hota hai hatta ke Agar wo ghoh ke suraakh or biL me dakhiL hoye to tum me usme dakhiL hone ki koshish karoge Sahaba Raz ne Arz kiya Ay Allah ta'aLa ke RasooL SaLLaLLahu ALaihivasaLLam usse muraad yahood or Nasara hain to Aap SaLLaLLahu ALaihivasaLLam ne farmaya or kon ise bukhaari or muslim ne Rivaayat kiya hai or kon ka matLab ye hai ke us kaLaam se mauraad or kon ho sakte hain
☆→Or Ek hadees me Aap SaLLaLLahu ALaihivasaLLam ka farmaan hai jis kisi ne bhi kisi qom se mushabaht Akhtiyaar ki to wo unhi me se hai
Fatawa isLaamiya/1/115
╔○══━┅┅┅┅┅━━─
M Babar khan
Join
Ahle deoband
91-7037363325
─━━┅┅┅┅┅━══○╝
No comments:
Post a Comment