Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Tuesday, December 1, 2015

✦ M A A M L A A T ✦

★☆★
   ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
   βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

  ✦ SAAL GIRAH -BIRTHDAY  ✦
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏ 
       ▦══─────────────══▦

               ⊙  PART – 01 ⊙

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

★ Saalgirah manane ki Rasm Angrezo ki ijaad he aur gair sharai, najaa’iz he,

★ Saalgirah manana najaa’iz he isliye is fizool kaam me shirkat bhi fizool he,

★ Tohfa dena ek achchhi baat he lekin Saalgirah ki bina per dena Bid’at he,

★ Agar koi Saalgirah me dawat de to samjhaish ke saath inkaar karna behtar he,

⇨ inkaar karna ajeeb lagta he kyuki dilo dimag me angreziyat ras bas gayi he, islam aur islami tehzeeb nikal chuki he,

★ isi tarah naye saal ki aamad ki khushi manayi jati he, ye bhi angrezo ki rasm he, musalman jahalat ki vajah se manate hai,

Aapke masail aur unka Hal,,
      Jild-8, Safa-127
,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                        
                         ————
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
★☆★
   ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
   βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

.     ✦ A K H L A A Q I Y A T  ✦
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏ 
       ▦══─────────────══▦

               ⊙  PART – 01 ⊙

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

★ Apne Musalman bhai ko Neki ka hukm karna aur Buarai chhorne ki Targeeb Dena farz he, lekin Narmi, khush akhlaqi aur Mohabbat Shart he,

★ Gussa Haraam he, aur Gaaliya bakna Allah ki Nazar se gira deta he,

★Jis per kisi ne Ahsaan kiya ho wo Ahsaan karne wale ko ” Jazakallah ” keh de,

★ Bad akhlaaq Namazi aur Ba-Akhlaq be-namazi do no ki aapas me koi nisbat nahi,

→ Do no hi sahi raaste per nahi, do no ne deen ka ek ek hissa chhod rakha he, isliye do no naqis hai,

★ Kisi ke bare me shak aur Badgumani jaa’iz nahi,

★ Jis kaam ke bare me shak ho k jaa’iz he ya na-jaa’iz to use na kare,

★ Geebat karna, Kisi ka mazaak udana, Kisi ki Tahqeer karna, kisi ko ladana, Jhoot bolna, Jhooti kasam khana Kabira Gunah hai,

★ Jo Gunah elaaniya kiya jata ho unko bayan karna Geebat nahi,

★ Jab kisi se Geebat ho jaye to foran maafi maang le ya uske liye duae khair kar de,

★ Qibla rukh paav karna be adabi he aur peshab karna gunaah he,

★ Logo ka raasta band karna kabira Gunaah he,

★ Islaah ki niyat se gunahgar Shakhs se dosti jaa’iz he,

★ Gunahgar Aadmi ke saath dostana tallukaat na rakha jaye, lekin ek musalman ke Jo huqooq he, maslan Salam dua rakhna,bimaar pursi,namaze janaza vagera ko adaa kiya jaye,

Aapke masail aur unka Hal,,
      Jild-8, Safa-101
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                        
                     ————
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
★☆★20-10-2015
   ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
   βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

       ✦  M A A M L A A T ✦
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏ 
       ▦══─────────────══▦

                   ⊙  PART – 01 ⊙

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

▣  Sarkaari , Daftari  Samaan  Ka  Niji  Istemaal  Karna ▣

★ Sarkaari Samaan ko ghar le Jana durust nahi ,illa ye k Sarkaar ki taraf se ijazat ho ,

★ Usool ye he k Sarkaari cheezo ko unhi maqasid ke liye istemal kiya ja sakta he ,jiski Sarkaar ki taraf se ijazat he ,

→ Maslan agar Sarkaar ki taraf se niji ( personal ) kaamo ke liye stationary ya Motor Gaadi ko istemal ki ijazat nahi to iska istemal galat aur laayaq e muwakhza he ,

Aapke Masail aur Unka Hal ,,
Jild ,8 – Safa no. 149

       
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★21-10-2015
   ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
   βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

          ✦  M A A M L A A T ✦
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏ 
       ▦══─────────────══▦

                   ⊙  PART – 02 ⊙

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

▣  Choodiyo’n Ka karobaar Karna  ▣

★ Choodiyo’n ( Bungles) ko farokht ( sell ) karna to jaa’iz he ,lekin Na-mahram Aurto’n ko Choodiyo’n pehnana jaa’iz nahi,

★ Dil aur Mahol chahe kesa bhi ho ye Kaam haraam he ,

→ Agar Aurat apne size ki Choodiyo’n de jaye aur Aap us size ki Choodiyo’n bana kar ( ya Redimed) unke hawale karde to ye  jaa’iz he ,

Aapke Masail aur Unka Hal ,
Jild – 8, Safa No. 149

Next – 3 ,Soon in sha Allah,

       
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★22-10-2015
   ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
   βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

          ✦  M A A M L A A T ✦
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏ 
       ▦══─────────────══▦

                   ⊙  PART – 03 ⊙

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

▣  Darji ka Gair Shara’i Libaas Seena ▣

★ ESE Libaas ko tayyar karna jisse Mard Ya Aurat ke Aaza e Masturah ( hidden part ) ki kaifiyaat ( ounch -neech ) nazar aati ho sahi nahi he ,

★ Kaarigar per pehanne ka aur Tayyar karne ka gunaah nahi hoga lekin iaanat ( help )  karne ka gunaah hoga ,isliye behtar ye he k ESE Libaas tayyar karne se ahatraaz kiya jaye ,

★ Khaalis Resham Mardo’n ke liye haraam he ,Khaalis Resham ka kapda Mardo’n ke pehanne ke  liye seena makrooh zaroor he magar Darji ( Tailor) ki kamaai haraam nahi ,

Aapke Masail aur Unka Hal ,
Jild – 8, Safa No. 152

     Next- 4 ,soon in sha Allah,

       
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
★☆★23-10-2015
   ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
   βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

          ✦  M A A M L A A T ✦
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏ 
       ▦══─────────────══▦

                   ⊙  PART – 04 ⊙

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

▣  Latifa Goi ( Jokes Sunana ) karna ▣

★ Latifa Goi agar jaa’iz hudood me ho to gunzaish he, magar isko pesha ( Job ) banana Makrooh he ,

★ Stage Show , ( Laughter Show ) , Drama aur Naach Gana ki kamaai haraam he,

★ Esi kamaai se Hajj karna ( ya koi aur Khair ka kaam karna ) esa he jese koi Apne Badan per aur Kapdo per gandgi mal kar kisi bade ( Aadmi ) ki ziyarat ( milna ) ke liye uske ghar jaye ,

Aapke Masail aur Unka Hal ,
Jild – 8, Safa No. 155

      Next- 5 , Soon in sha Allah

       
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
★☆★24-10-2015
   ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
   βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

          ✦  M A A M L A A T ✦
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏ 
       ▦══─────────────══▦

                   ⊙  PART – 05 ⊙

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

▣  Daftari Umoor ( Office Time ) me Dayant dari ke Usool ▣

★ is Masle me usool ye he k Mahkama ( Department ) ke kanoon ke lihaaz se Daftar ki haazri ( attendance) ka ek waqt muqarrar hota he ,aur isi ki Mulazim ( Employee ) ko  Tankhwah ( salary ) di jati he ,

★ isliye muqarrah waqt se gair haaziri jaa’iz nahi, aur gair haazri ke waqt ki Tankhwah bhi halaal nahi ,

★ Lekin baaz soorto me Maslan kisi mulazim ko fori taur per ( koi kaam ki vajah se ) Jane ki achanak zaroorat pesh aa gayi ,Esi soorat me Afsar ( Officer ) se ijazat lekar Jane ki gunzaish he ,

→ Lekin Waqt se pehle Jane ka ( ya Waqt per nahi aane ka ) mamool bana Lena Kanoon ki nazar me Jurm he aur Jo Hazraat waqt se pehle Jane ( ya late aane ka ) ka mamool bana lete he’n unke liye gair haazri ke waqt ki Tankhwah halaal nahi hogi ,

Aapke Masail aur Unka Hal ,
Jild – 8, Safa No. 157

Next- 6  , Soon in sha Allah

       
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
★☆★25-10-2015
   ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
   βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

             ✦  M A A M L A A T ✦
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏ 
        ▦══─────────────══▦

                ⊙  PART – 06 ⊙

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

▣  Drawing Masteri ( Painter ) ka Kaam  ▣

★ Art drawing ( painting ) bizzaat khud to na-jaa’iz nahi ,Albatta iska sahi ya galat istemal isko jaa’iz ya na-jaa’iz bana deta he ,

★ Agar Jaandaar Tasveer banate he’n to ye na-jaa’iz he ,

★ Aur agar ESA koi Art pesh karte he’n jisme Islami usoolo ki khilaaf varji na ho to ye jaa’iz he ,

Aapke Masail aur Unka Hal ,
Jild – 8, Safa No. 161

   Next- 7 , Soon in sha Allah

       
   
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
★☆★26-10-2015
   ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
   βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

             ✦  M A A M L A A T ✦
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏ 
        ▦══─────────────══▦

                ⊙  PART – 07 ⊙

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

▣  Kisi insaan ko di hui Taqleef ki Maafi   ▣

★ Kisi Musalman Bande ko apne Qaul ya Fayl se takleef pahunchane ke baad galti ke aitraaf ke tor per jis Bande ka qusoor kiya aur jisko Taqleef aur Sadma pahunchaya usse Maafi maangna laazim he ,varna qusoor maaf nahi hoga ,

★ Aur agar Wo Faut ho gaya ho ya usse maafi maangna mushkil ho to uske liye Duae Astagfaar karni chahiye,

★ Algaraj sirf Allah ta’ala se maafi maangne se huqooqul ibaad maaf nahi hote ,,,Haa’n Allah ta’ala us Bande ko raazi karke uske huqooq maaf karwa de unki shane kareemi he ,Magar Maaf honge Bande ke maaf karne se hi ,

Aapke Masail aur Unka Hal ,
Jild – 8, Safa No. 161

   Next- 8 , Soon in sha Allah

       
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
★☆★27-10-2015
   ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
   βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

             ✦  M A A M L A A T ✦
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏ 
        ▦══─────────────══▦

                ⊙  PART – 08 ⊙

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

▣   Chande Ki Raqam ka Gair Zaruri istemal,  ▣

★ Sadqa ,Zakaat ,Charm Qurbani ki raqam ko agar Sahi masraf per kharch nahi kiya jaye to Wo Zakaat aur Sadqaat waajiba Ada nahi hue aur Sadqa ka sawab nahi mila ,

★Kuchh Arse se Zakaat ,Sadqaat aur Charm Qurbani ki Raqam ko na ahal haatho me de diya jata he aur Wo badi be parvaahi ke saath be moqa kharch kar daalte  he’n ,Hadees Sharif me isko Alamaate Qayamat me shumaar kiya gaya he ,

★ Tauba Astagfaar ka Tareeqa ye he k Jin jin Gunaho me mubtila he unse sachche Dil ke saath Tauba kare aur Allah ta’ala se apne tamaam jaraaim ki maafi maange ,

Aapke Masail aur Unka Hal ,
Jild – 8, Safa No. 170

   Next- 9 , Soon in sha Allah

       
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
★☆★28-10-2015
   ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
   βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

             ✦  M A A M L A A T ✦
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏ 
        ▦══─────────────══▦

                ⊙  PART – 09 ⊙

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

▣   Jaali certificate ke zariye Haasil Shuda Naukri ka Shar’an Hukm  ▣

★ Jaali Card ( Certificates ) ka istemal Gunahe Kabeera he aur Bad dayanati aur Khayanat he ,

★ Jis Mansab ( Post ) per usko muqarrar kiya gaya he agar Wo us kaam ki poori Salahiyat rakhta he aur Kaam bhi poori Dayanat Daari ke saath karta he to uski Kamaai halaal he ,

★ Albatta Wo Jhoot aur Galat kaari ka murtkib he ,

★ Aur agar Wo is kaam ka Ahal nahi ya Ahal he magar kaam dayanat daari se nahi karta to Kamaai bhi halaal nahi ,

Aapke Masail aur Unka Hal ,
Jild – 10, Safa No. 161

   Next- 10 , Soon in sha Allah

       
   
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★29-10-2015
   ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
   βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

             ✦  M A A M L A A T ✦
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏ 
        ▦══─────────────══▦

                ⊙  PART – 10 ⊙

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

           ▣   Chori Karna  ▣

★  Chori karne me 2 qusoor he’n ,

Ek Allah ta’ala ka k uske hukmo ki khilaaf varji ki ,

Doosra Bande ka k uske maal ka nuqsaan kiya ,

★ Chori ki Raqam wapas kar dene se Bande ka haq to ada ho jayega ,lekin Allah ta’ala ka Jo qusoor kiya tha Wo gunaah uske zimme raha ,Jo Tauba Astagfaar se maaf hoga ,

Aapke Masail aur Unka Hal ,
Jild – 8, Safa No. 167

   Next- 11 , Soon in sha Allah

       
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
★☆★30-10-2015
   ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
   βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

             ✦  M A A M L A A T ✦
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏ 
        ▦══─────────────══▦

                ⊙  PART – 11 ⊙

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

▣  Sharab aur Khinjeer ka khana Khilane ki Naukri Karna , ▣

★ Sharaab aur Khinjeer ka Gosht jis tarah khana Jaa’iz nahi ,usi tarah kisi ko khilana bhi jaa’iz nahi ,

★ Aur ek Musalman ke liye esi Naukri bhi jaa’iz nahi jisme koi haraam kaam karna pade ,

★ Baaz log Sharaab ,Zina ,Rishwat ,Sood aur doosre gunaho ko parvaah nahi karte to ye log bhi gunahgar he’n aur Mujrim he’n , Lekin ek Jurm ko doosre Jurm ke jawaz ke liye daleel banana sahi nahi ,

★ Ek shakhs agar zina karta he ( ya Sharaab pita he ya aur koi gunaah karta he ) to kya uske hawale se doosre shakhs ko Gunaah karna jaa’iz hoga ,?? ( Aam tor per Aaj kal log ye keh dete he k Falaa bhi to karta he ))

Aapke Masail aur Unka Hal ,
Jild – 8, Safa No. 168

   Next- 12 , Soon in sha Allah

       
    
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
★☆★31-10-2015
   ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
   βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

             ✦  M A A M L A A T ✦
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏ 
        ▦══─────────────══▦

                ⊙  PART – 12 ⊙

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

▣ Maalik Ke zariye Chhori hui Cheezo v Gumshuda Cheezo ka Hukm  ▣

★ Maalik ke zariye chhori hui cheezo ko Asal maalik tak pahunchana chahiye ,

→ Agar Maalik ka pata na ho to teen maah baad WO luqte ke hukm me he ,lihaaza Maalik ki tataf se sadqa kar de aur Niyat ye rakhe k agar Maalik aa gaya to usko qeemat de dunga ,

→ Agar Aap mustahiq he’n to khud bhi rakh sakte he’n ,

▣ Gumshuda cheez ka hukm ▣

★ Agar Maalik Milne ki tawaqqo nahi to uski ( Maalik ki )  taraf se sadqa kar dena chahiye ,

→Agar WO cheez khud rakhna chahe to uski qeemat lagwa kar utni qeemat Sadqa kar de ,

⇨ Sadqa karne ke baad agar Maalik mil jaye aur WO us Sadqe ko Jaa’iz rakhe to theek varna Sadqa Aapki taraf se hoga aur Maalik ko uski qeemat adaa karni padegi ,

Aapke Masail aur Unka Hal ,
Jild – 8, Safa No. 174

   Next- 13 , Soon in sha Allah

       
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★
★☆★01-11-2015
   ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
   βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

             ✦  M A A M L A A T ✦
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏ 
        ▦══─────────────══▦

                ⊙  PART – 13 ⊙

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

         ▣   Mutafarrik   ▣

★ Sone ki anguthi banana Jaa’iz he ,Mard ko iska pehanna haraam he ,

★ Rishwat khinzeer ki Haddi ( bone )  he ,

★ Sifarish ka muwavza bhi Rishwat he ,

★ Agar naqal karne ki vjah se ( Talibe ilm ne is coolers hip haasil ki ) ina’am haasil kiya to ye shakhs ina’am ka mustahiq nahi ,

⇨ usne dhoke se ina’am haasil kiya aur dhoke se Jo raqam haasil ki jaye WO haraam he aur haraam Rupiya kisi Deeni kaam me lgana jaa’iz nahi  ,

→ us shakhs ko chahiye k WO apne is kaam per nadamat ke saath tauba kare aur ye Raqam kisi mohtaaj ko bager niyat sadqa ke de de ,

★ Musalman ko Murtad ke paas nokri karna Jaa’iz nahi ,Doosre gair Muslims ke yaha nokri karna Jaa’iz he,

★ Apne ghar se ya Dukaan se apne Bado ki ijazat ke bager koi cheez Lena Jaa’iz nahi batakar Lena chahiye,

★ Agar kisi  per ESA Faaqa ho k Murdaar uske  liye Jaa’iz ho jaye to usko ijazat he k kisi ka maal ( ijazat ke bager bhi ) lekar apni jaan bacha le aur niyat ye kare k jab gunzaaish hogi usko waapas kar dunga ,

Aapke Masail aur Unka Hal ,
Jild – 8, Safa No. 154-to-182

☆※ Alhamdullah Mukammal Hue ※☆

       
 
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★

No comments:

Post a Comment