बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZAIBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 01
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Chand Usool ---- Rules,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿ Zeb v zinat, bnaao singhar ek fitri cheez hai, fitrat ke inhi taqazo ke peshe nazar agar kaha jaye k aurto k liye khasa lazma hai to beja na hoga...
✿ Shariate mutahera ne fitri taqazo k peshe nazar na sirf zeb v zinat ki ijazat di balke baaz surto mein tarke zeb v zinat per malamat bhi ki hai
✿Irashade rabbani:
قُلْ مَنْ حَرَّمَ زِينَةَ اللَّهِ الَّتِي أَخْرَجَ لِعِبَادِهِ
" Aap inse Keh dijiye k Kisne Allah ki Zeenat ko Haraam kar diya Jise Allah ne apne Bando ke liye nikaal tha ,"
Al- A'araaf ,32
✿ Aurto'n ke Banaav Singhaar ka irshad bhi farmaya ,,
أَوَمَن يُنَشَّأُ فِي الْحِلْيَةِ وَهُوَ فِي الْخِصَامِ غَيْرُ مُبِينٍ
" kya wo jo zewro mein paali jati hai aur bahas v hujjat mein apna muddaA puri tarha wazeh bhi ni kr skti"
Az- Zukhraf ,18
✿ Zeb v zinat ke asbaab ki talash ko bator niyamat v ahsaan zikr fermaya:
وَهُوَ الَّذِي سَخَّرَ الْبَحْرَ لِتَأْكُلُوا مِنْهُ لَحْمًا طَرِيًّا وَتَسْتَخْرِجُوا مِنْهُ حِلْيَةً تَلْبَسُونَهَا وَتَرَى الْفُلْكَ مَوَاخِرَ فِيهِ وَلِتَبْتَغُوا مِن فَضْلِهِ وَلَعَلَّكُمْ تَشْكُرُونَ
⇰" Wahi he jisne Tumhare liye Samundar ko musakhkhar kar rakha he taki usse Taro taza Gosht lekar khao aur usse Zinat ki Cheeze nikaalo Jinhe tum pehna karte ho ,
An- Nahal ,14
✿
وَمِمَّا يُوقِدُونَ عَلَيْهِ فِي النَّارِ ابْتِغَاءَ حِلْيَةٍ أَوْ مَتَاعٍ زَبَدٌ مِّثْلُهُ
⇛Aur aisa hi jhaag in dhatuo per bhi uthta hai jinhe zewr au r bartan vaghaira banane ke liye log pighlaya krte hai."
Ar- Ra'ad ,17
Next -02 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zaibo Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 13
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZAIBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 02
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Chand Usool ,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿ Zeb v zinat ko pasand karne, iski targheeb dene ke saath saath shariyat mutahera ne iski hudood bhi muqarrar ki hai or muqarrar hudood se aage badhne per pabandi lagadi,
✦ Example:_ khawind( husband) ke alawa ajnabi v gair mahram ke liye banaav singhar se mana farmaya-
"Nabi kareem sallallahu ta'ala alahi wa sallam ka irshade girami hai:
" Apne Shohar ke alawa doosro ke liye zeb v zinat karne wali qayamat ke din aisi tariki mein hogi k waha roshni ki koi surat bhi na hogi"
Tirmizi 1/220
✿ Shohar ki isteta'at or taqat se zyada ka mutaleba karne ko achchhi nigah se nahi dekha:_
يَا أَيُّهَا النَّبِيُّ قُل لِّأَزْوَاجِكَ إِن كُنتُنَّ تُرِدْنَ الْحَيَاةَ الدُّنْيَا وَزِينَتَهَا فَتَعَالَيْنَ أُمَتِّعْكُنَّ وَأُسَرِّحْكُنَّ سَرَاحًا جَمِيلًا
"Ey nabi ! ( Sallallahu Alaihivasallam) Apni Biviyo'n se kaho agar tum duniya or iski zinat chahti ho to aao mein tumhe kuch de dila kar bhale tareeqe se rukhsat kru"....
Al-ahzab ,28
Next -03 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zaibo Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 15
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZAIBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 03
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Chand Usool ,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿ Sare Aam (freely) bahar ghoone firne se mana kiya ,or gharo mein jam kr baithne ko pasand kiya:_..
وَقَرْنَ فِي بُيُوتِكُنَّ وَلَا تَبَرَّجْنَ تَبَرُّجَ الْجَاهِلِيَّةِ الْأُولَىٰ
" Apne gharo mein tik kar raho or sabiq dore jahiliyat ki si saj dhaj na dikhati firo..."
Al-ahzab ,33
✿ Agr bina bar zaroorat bahar nikalna pade to iski kaifiyat bhi bayan Farmayi ::-
يَا أَيُّهَا النَّبِيُّ قُل لِّأَزْوَاجِكَ وَبَنَاتِكَ وَنِسَاءِ الْمُؤْمِنِينَ يُدْنِينَ عَلَيْهِنَّ مِن جَلَابِيبِهِنَّ ذَٰلِكَ أَدْنَىٰ أَن يُعْرَفْنَ فَلَا يُؤْذَيْنَ
"Ey Nabi !( Sallallahu Alaihivasallam ) Apni Biviyo'n or Betiyo'n or Ahle imaan ki Aurto'n se keh do k apne ouper Apni chadaro ke pallu latka liya kare ye zyada munasib tariqa hai take wo pehchan li jaye or na satayi jaye"
Al- Ahzab ,59
✿ Raste mein chalne ki kaifiyat or tareeqa bhi bataya k raaste k darmiyan na chale_
✿ "Hazrat abu Saeed Ansari apne walid se riwayat karte hai k Rasulullah ta'ala alaihi wassallam masjid se bahar khade the, raaste mein Mard v Aurte'n ikhatte ( sath) jane lage to aap Sallallahu alaihi vasallam ne Aurto'n se fermaya:::
"Peechhe raho tumhare liye Darmiyan mein chalna munasib nahi balke Raaste ke kinaro per chalo,,,"
,⇛ iske bad Aurte'n diwaro se chimat kar (lag kar) chalti thi, yahan tak k Basa avqaat unke kapde diwaro mein atak jate"
Abu Daoud ,2/328, ,imdadiyah ,
Next -04 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zaibo Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 16
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZAIBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 04
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Chand Usool ,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿ Ajnabi v ghair maharam se bila zaroorat bat karne se mana frmaya, agr koi zaroorat pesh aa jaye tab shariat k daire ( parde) mein bat krne ki ijazat di,
ِّ وَإِذَا سَأَلْتُمُوهُنَّ مَتَاعًا فَاسْأَلُوهُنَّ مِن وَرَاءِ حِجَابٍ ذَٰلِكُمْ أَطْهَرُ لِقُلُوبِكُمْ وَقُلُوبِهِنَّ
"Nabi ( Sallallahu Alaihivasallam) ki biviyo'n se agar tumhe kuch mangna hai to parde k peeche se manga kare, ye tumhare or inke dilon ki pakeezgi ke liye zyada munasib tareeqA hai.".
Al-ahzab ,53
✿ Parde ki halat mein Baat cheet k dauran bhi guftagu k aise andaz se mana farmaya jo baa'ise fitna angez ho:_
فَلَا تَخْضَعْنَ بِالْقَوْلِ فَيَطْمَعَ الَّذِي فِي قَلْبِهِ مَرَضٌ وَقُلْنَ قَوْلًا مَّعْرُوفًا
"Dabi zaban se baat na kiya karo k dil ki kharabi ka mubtila koi shakhs lalach mein pad jaye,,,balke saaf suthri bat karo"
Al-ahzab ,32
✿ Budhape (old age) ki Vajha se nikah se mayoos Aurto'n ko agarche kuchh rukhsat di or inka hukm in Aurto'n se qadre narm rakha...jinhe Nikah ki umeed ho lekin iske bavjood in boodhi Aurto'n ke haq mein bhi baqi Aurto'n ki tarah parde vaghaira ko pasand deedgi ki Nigaah se dekha or inke haq mein behtar bataya:_
وَالْقَوَاعِدُ مِنَ النِّسَاءِ اللَّاتِي لَا يَرْجُونَ نِكَاحًا فَلَيْسَ عَلَيْهِنَّ جُنَاحٌ أَن يَضَعْنَ ثِيَابَهُنَّ غَيْرَ مُتَبَرِّجَاتٍ بِزِينَةٍ وَأَن يَسْتَعْفِفْنَ خَيْرٌ لَّهُنَّ وَاللَّهُ سَمِيعٌ عَلِيمٌ
"Aur jo Aurte'n jawani se guzri baithi ho, Nikah ki umeed war na ho,,,wo agar apni chadre utaar de to in per koi Gunaah nahi ba sharte ke zinat ki numaish karne wali na ho...ta ham wo bhi hayadari hi barte to inke haq mein achchha hai or Allah sab kuch sunta or jaanta hai,",...
An- Noor ,60
Next -05 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zaibo Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 17
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZAIBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 05
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Chand Usool ,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿ Apne gharo mein rehte hue bhi siwaye mahram ke ghair mahram Rishtedaro se perde ka hukm diya or unke samne banao singhar se mana farmaya:_
َّ وَلَا يُبْدِينَ زِينَتَهُنَّ إِلَّا لِبُعُولَتِهِنَّ أَوْ آبَائِهِنَّ أَوْ آبَاءِ بُعُولَتِهِنَّ أَوْ أَبْنَائِهِنَّ أَوْ أَبْنَاءِ بُعُولَتِهِنَّ أَوْ إِخْوَانِهِنَّ أَوْ بَنِي إِخْوَانِهِنَّ أَوْ بَنِي أَخَوَاتِهِنَّ
"Aur apna banao singhar na zahir kare magr in logo k samne. :shohar, baap, shoharo ke baap, Apne beto, shoharo k bete, bhai, bhaiyo ke bete,, behno k bete...."
An- Noor ,31
✿ Taraqqi yafta zamane mein insan ne jahan or chizon mein taraqqi ki wahi zeb v zinat,,,banao singhar ki ashya or tariqo ko bhi yaksar tabdeel kr k rakh diya or aisi cheeze or tareeqe ejad kiye k guzishta zamano mein inka wajood tak na tha,,,
✿ ,sirf isi per iktifa nahi kiya balke baaz aisi cheezo ko bhi banao singhar ka lazmi hissa qaraar diya jo shariyat ki nazar mein mayub v na pasandeeda hai,,,dar haqiqat ye wada shaitani:__
وَلَأُضِلَّنَّهُمْ وَلَأُمَنِّيَنَّهُمْ وَلَآمُرَنَّهُمْ فَلَيُبَتِّكُنَّ آذَانَ الْأَنْعَامِ وَلَآمُرَنَّهُمْ فَلَيُغَيِّرُنَّ خَلْقَ اللَّهِ
" Me inhe behkaunga aur Aarzuo'n me uljhaunga aur inhe Hukm dunga k Jaanwaro ke kaano ko faadenge aur Hukm dunga k Khudaai saakht me Raddo badal karenge ,,,
An- Nisa ,119
✿ aurte chunke zeb v zeenat k shaidai hai,,zeb v zinat k maamle mein is baat ko jawaz banate hue k,
⇛"shariat ne shohr ke liye banao singhar ki ijazat di hai",
Maghrib se musta'ar har naye fashion ko ikhtiyar karne ki koshish karti hai,,,qatae nazar iske k Shar'an iski gunzaish hai ya nahi?????
✿ Lihaza zaroorat is baat ki thi k zeb v zinat se mutalliq islami taleemat v ahkam ko yakja kiya jaye taki jaa'iz v na jaa'iz tareeqo se Aali Vajah alkamaal aagahi ho-....
✦ Rab bana taqabbal minna innaka antas sami ul aleem✦
Next -06 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zaibo Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 18
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 06
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Libaas Se Zaibo Zeenat,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿. Zebo zinat ki cheezo mein libaas ko badi ahmiyat haasil hai , umda aur saaf libaas Sahibe libaas ke Aa'la zoq ki alamat kehlata hai,
✿ Irshade Rab bani he , --
يَا بَنِي آدَمَ خُذُوا زِينَتَكُمْ عِندَ كُلِّ مَسْجِدٍ
"Ey Bani aadam ! ibaadat ke mauqe per apni zinat se Aarasta raho,"
Al- A'araaf ,31
⇨ Aayate mazkura mein libaas ko bhi zinat me shumar kiya gaya,
Libas k silsile mein aisa koi tay nahi k khaas ye libaas pahenna sunnat se warid he,-
✿ Allama ibne taymiya rahmatullahi fermate hain":_
" Nabi kareem Sallallahu Alaihivasallam ya sahaba v sahabiyaat se kisi aise libaas ka taAyun ko bhi zaabta qaraar nahi diya ja sakta k yahi libaas pehanna laazim hai aur iske alawa doosra libaas haraam hai,,
⇰Dar asal libaas ke maqasid makaan ke maqasid ki tarha hai,,,aurte'n is baat ki paband hai k wo aisa libaas pehne jisme mukammal parda ho,,
⇰Jab mard v aurat har do ka libaas mukhtalif hoga to jis libaas mein parda poshi zyada ho wo Aurto'n ka aur iske bar khilaf Mardo ka libaas hoga"
Majmu'a tul Fatawa ,22/90-92
Next -07©ontinue in sha Allah
Khwateen ki Zaibo Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 18
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 07
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Libaas Ke Mutalliq Chand Usool,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿. Libaas esa ho jo sar se le kar paoon (foot) tak tamaam jism ko dhak de, kyunki Satar dhanpne ke ba qadar Libaas pehan na wajib hai,
✿ Irshade rab bani he ,
يَا بَنِي آدَمَ قَدْ أَنزَلْنَا عَلَيْكُمْ لِبَاسًا يُوَارِي سَوْآتِكُمْ وَرِيشًا وَلِبَاسُ التَّقْوَىٰ ذَٰلِكَ خَيْرٌ ذَٰلِكَ مِنْ آيَاتِ اللَّهِ لَعَلَّهُمْ يَذَّكَّرُونَ
Surah Al- Araaf :26
⇨ "Ey Aulaad e Aadam ! humne tum per libaas naazil kiya k Tumhare jism ke qabile sharm hisso ko dhanke aur Tumhare jism ki hifazat aur Zeenat ka zariya bhi ho aur behtreen Libaas taqwa ka libaas hai..
ye Allah ki nishaniyo me se ek nishani hai,""
✿ Allama ibne Aabideen rahmatullahi farmate hain:_"
"itna libaas pehan na Farz hai jo satar ko dhanp de""
Radul Mukhtar, 2/351
✿ Aurto'n ka poora Badan Satar he ,lihaza Mukammal Badan ko dhanpna zaroori he,
Next -08 ©ontinue in
Allah,,
Khwateen ki Zaibo Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 18
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 08
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Libaas itna Halka aur Bareek na ho k Jism Andar se Nazar Aaye ,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿. Hazrat Aayesha Raziyallahu Anha farmati hai:_
↬"Asma bint Abu Bakar Raziyallahu Anha Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke paas tashreef layi, aur unhone Bariee Libaas zebo tan kiya hua tha, to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne inse moonn mod liya"_
✿"Hazrat Alqama bin Abi Alqama Raziyallahu Anha Apni Waalda se Rivayat karti hai k":_
↬"Hazrat Hafsa bint Abdur Rahman Amma Ayesha Raziyallahu Anha ke paas tashreef layi unhone bareek dopatta odha hua tha,
↬Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne ise phada aur inhe mota dupatta pehnaya""....
Mishkaat, 377 ,Qadimi
✿ "Hazrat Dahiya bin khalifa farmate hain:_
⇰Nabi Akram Sallallahu Alaihivasallam ke paas ek martaba qibti kapde Aaye To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne usme se ek Qibti Kapda mujhko ata kiya aur farmaya k ,
↬isko phaad kar do tukde kar lena ,inme se ek ka kurta bana lena aur doosra Apni Ahliya ko de dena wo iska duppatta bana legi,
⇨ Fir jab mein wapas hone laga to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya:_
↬"Apni Bivi ko hidayat kar dena k qibti kapde ke neeche ek aur kapda laga le taki is kapde ke bareek hone ki vajah se iska bal aur jism nazar na aaye,"
Mishkaat, 376
Next -09 ©ontinue in
Allah,,
Khwateen ki Zaibo Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 19
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 09
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Libaas itna Tang aur Chust na jisse Jism ki Haiyat aur Ubhaar Maloom na ho ,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿. "Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ka irshade girami hai":_
↬Dozakhiyon ke do giroh ese hai jinhe meine nahi dekha,
↬ Ek giroh to un logo ka hai jinke haatho mein gaay ki dum ( Cow ki punchh ) ki manind kode honge, jisse wo logo ko na-haq marenge
↬aur Doosra giroh un Aurto'n ka hai jo ba- zahir kapde pehne hue hongi,magar haqiqat mein nangi hongi, wo Mardo ko apni taraf maa'il karengi aur khud Marrdo ki taraf maa'il hongi,
↬ inke sar bakhti uont ke Kohaan ki tarah hilte honge,,,aisi Aurte'n na to Jannat mein Dakhil hongi aur na Jannat ki bu payengi,,, halanki Jannat ki bu itni itni door se aati hai,"_
Sahih Muslim, 2/205,Qadimi
Next -10 ©ontinue in
Allah,,
Khwateen ki Zaibo Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 20
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 10
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Aurto'n ko Mardo'n Jesa Libaas Pehanna,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿.Aurto'n ko Mardo jaisa Libaas pehanna aur Mardo ki waza qata akhtyar karna Haram hai, Lihaza Libaas aisa na ho jo Mardo ke Libaas ke mushabe ho,":
✿" Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu Rivayat karte hai k Janabe Nabi Akram Sallallahu Alaihivasallam ne us Mard per laanat farmayi hai jo zanana Libaas pehne
↬ isi Tarah us Aurat per bhi Laanat farmayi jo Mardana Libaas pehne"-"...
Abu Daowd ,2/212 ,imdadiya
Next -11 ©ontinue in
Allah,,
Khwateen ki Zaibo Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 20
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 11
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Kaafir aur Faasiq Aurto'n ka Fashion na ho ,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿. """Hazrat Abdullah bin Amro bin al Aas farmate hain,":_
↬Rasulullah Sallallahu ne mujhe zard rang ke kapde pehne hue dekha to farmaya,
↬":_ye kuffar k kapde hai, inhe mat pehno,"
Sahih Muslim ,2/193
☞ Fakhr v takabbur aur dikhave se Perhez kiya jaye,"
✿ ,"Janab Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne fermaya,
↬" :jo Shakhs Apni izzat talbi aur Badai ke izhaar ki garz se Aala v Nafees Libaas pehne, Allah Rabaul izzat use Qayamat ke Din zillat v hiqarat ka Libaas pehnayega,"
Musnad Ahmad ,2/221
Next -12 ©ontinue in
Allah,,
Khwateen ki Zaibo Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 26
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 12
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ " Bareek Libaas ,( Shifon ,Nylon ),
✿ Bareek Libaas Pehanna Sare Aam fahashi phelane ke asbaab hai, isse bacna laazim hai,
⇰Irshade Rabbani hai,:
إِنَّ الَّذِينَ يُحِبُّونَ أَن تَشِيعَ الْفَاحِشَةُ فِي الَّذِينَ آمَنُوا لَهُمْ عَذَابٌ أَلِيمٌ فِي الدُّنْيَا وَالْآخِرَةِ وَاللَّهُ يَعْلَمُ وَأَنتُمْ لَا تَعْلَمُونَ
" Beshak jo log Momineen mein be- hayaai Felane ko Pasand karte hai, inke liye Duniya v Akhirat mein Dardnaak Azaab hoga aur Allah inhe khoob jaanta hai, tum nahi jaante,"
Surah An- Noor ,19
✿",Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha farmati hai,:_
↬EK martaba Hazrat Asma bint Abu Bakar Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat me gayi aur unhone Bareek kapde pehan rakhe the to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne inse chehramubarak fer liya aur farmaya,:_
↬Ey Asma ! jab Aurat Baaliga ho jaye to uske liye durust nahi k uske un aaza ke alawa kuch aur hissa Badan ka nzr aaye,
↬Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Apne chehre ki taraf ishara kiya,"
Abu Daowd ,2/213, imdadiya
✿ Agar Bareek Libaas pehanna hi ho to iske neeche kuch aur pehan liya jaye take jism ki haalat v haiyat maloom na ho,
↬" Hazrat ibne Umer Raziyallahu Anhu farmate hai k Janabe Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ke paas hula (umda poshak) aur Shami kapda aaya to Aapne mujhe hula diya aur Usama ko kapda diya,
↬ Mein apna hula pehan kar haazir hua to Aapne Usama se puchha k tumne Apna kapda kya kiya??
↬Usama ne kaha,":_
↬ Maine Apni Ahliya ko de diya-
↬To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya:_
↬" Use kaho k iske neeche koi mota kapda pehan le take uske jism ke aaza aur haddiyao ka hajm Mardo ke Samne zaahir na ho,"
Next -13 ©ontinue in
Allah,,
Khwateen ki Zaibo Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 27
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
26-12-2015
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 13
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Bareek Libaas aur Science,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿ Hakeemm Tariq Mehmood Chughtai likhte hain.:_
↬"Aurto'n ke Bareek Libaas se jaha'n Sharm v Haya, hijaab v Wafa khatm ho jati hai, waha'n iske kuch nuqsanaat bhi waqe hue hai,""
☞ Doctor Led Beter ki warning-
↬( Mazkora doctor ruhaniyat ka bahut bada muhaqiq hai,)
Led Beter ke mutabiq jis Libaas se naswani jism ki jhalak nazar aaye, us jism se mein ne galeez aur naswari Lehro ko nikalte hue dekha hai,
Ba hawala Tasavvurate Islam ,
☞ Altra Voilet ke Nuqsanaat (disadvantages):_
✿ Suraj mein mojood Altra Violet rays- Sakht garmi mein jild aur jism ke liye bahot nuqsaan-dah hoti hai,
Agar Libaas mota ho to ye shuae'n Libaas se Baher hi ruk jati hain aur agr Libaas Bareek ho to ye shuae'n Jild ko bhot zyada nuqsaan pahunchati hai,."
Ba- hawala Mishaaq ,Sunnate Nabvi aur Jadeed Science, 2/49-50
Next -14 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zaibo Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 29
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
27-12-2015
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 14
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Chust Libaas,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿ Libaas peheanne ka ASAL Maqsad satar Aurat hai aur Aurto'n ko Mukammal Badan dhanpne ka paabnd kiya gaya hai,, isiliye Aurto'n ko Hukm diya gaya k Bahar nikalte Waqt Badi chader odh le'n take inke jism ka koi hissa khula nazar na aaye,
⇨ Lihaza aisa Libaas pehanna jo jism ke Posheeda A'aza ki numaish ka baa'is bane, qillat e haya ki alamat hai, Musalman Aurat qat'an isko pasand nahi karti k Apne jism k A'aza ki numaish karati fire.
✿ Janabe Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne aisi Aurto'n ke liye bahut Sakht wa'eed Bayan farmayi, farmaya,:_
↬" Esi Aurte'n jo Kapde peheanne ke baavjood nangi hongi, doosri ko Apni Taraf aur khud doosro ki Taraf maa'il hone wali hongi, Jannat ki Boo bhi in tak nahi pahunchegi ,,,halanki Jannat ki Boo 500 saal ki musafat se maloom hogi.,"
Bidaya , Mota imaam Maalik ,
✿ " Hazrat Umar Raziyallahu Anhu Aurto'n ko qabati Kapde pehanne se mana farmate the, logo ne kaha k in kapdo se Badan jhalakta nazar nahi aata, to Aapne farmaya:_
↬" Agarche in Kapdo mein Badan jhalakta nazar nahi aata lekin jism k A'aza ki haiyat to Maloom hoti hai-"
ibne abi Shiyah ,kitabul Libaas v Zeenat ,
Next -15 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zaibo Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 30
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
28-12-2015
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 15
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Chust Libaas aur Science,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿ _Doctor Samreen Fareed Chust aur Tang Libaas ke nuqsanat Bayan karte hue likhti hai:_
↬" Mashriqi tahzeeb aur Mashre (society) ,mein Libaas hamesha dheele dhale pehne jate rahe hai khwah Mardo ke Libaas ho, Ya Aurto'n ke aur Arab aur Indonesia jaise mulko ke ho ya Japan aur Bharat jese gair muslim mulko ke,,,,Magribi tahzeeb mein Chust Libaas Fashion mein shamil hai,
↬Khususan(specially) Aurto'n ke Fashion mein, taham is tarah ke Libaas ke sehat ko hone wale nuqsanat bhi peshe nazar rehne chahiye,"...
✿ Kuch Chust Libaas ke nuqsanaat ,
⇨ 1-#_Chust aur Tang Libaas jild ke Saath musalsal ragad khata rehta hai aur isse jild per Dane aur pit nikal aati hai, in surkh surkh Dano mein sakht kharish hoti hai jo bechain rakhti hai,",,,
⇨ 2-#_"Kamar ke ird gird ka Libaas Chust ho to iska asar mede ke afa'al per padta hai aur wo Aazadana harkat nahi kar pata, isse nizame inhezaam mutassir hota hai aur iske nateeje mein pet ka Dard (stomach pain), matli (vometting), aur seene mein jalan( heart burn )ki takleef hoskti hai.,"
⇨ 3-#_",Chust kapdo se jild ke baaz Amraaz bhi laahaq ho sakte hai, in mein eczema aur (yeast ) infections bhi shamil hai,"
⇨ 4-#_,"Chust Libaas ki wajah se insani jism ki hararat (body heat) aur nami kharij nahi ho pati aur wo jald pur asar andaz hoti rehti hai,,, is mahol mein yani hararat aur nami ki mojoodgi mein fungi falti foolti hai aur parwaan chadhti hai jiski wajah se ( jock itch) jaisa jildi marz ho skta hai, ye dono ke jod ki jagah (groin) aur androoni jagaho ko mutassir karta hai,,, ye jildi amraaz aksar ethekets mein paya jata hai,
☞--- Baqi Nuqsaanat Agle hisse me ,
Next -16 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zaibo Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 31
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
29-12-2015
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 16
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ ChUST Libaas Ke Nuqsanaat -2
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿ 5-"Chust zer jaame khwah din me istemal ho ya raat ko sote waqt, jismani hararat aur nami ko jama rakhte hai, jisse khawateen me naswani uzv ka infection ho sakta hai"
✿ 6-#_"Kamar ke gird tang Libaas pehanne se ( Hiatal Hernia) ho sakta hai, ye soorate haal is tarah hoti hai k mede ko daye'n (right) baye'n (left) aur aage peeche jagah na milne ki Vajah se iska uopri hissa daya firm me ghus jata hai, daya firm pet ko seene se juda karne wala perda hai, umuman is tarah ki surate Haal me mareez ko koi alamaat mehsoos nahi hoti taahm baaz afraad ko seene me jalan ki shikayat ho sakti hai,"
✿ 7-#_",Kamar, rano ke jod ki jagho aur taango per chust Libaas ki Vajah se rage foolne ka aarza (varicose veins) ho sakta hai,"
✿ 8-#_",Masnooyi reshe ki bani hui aur naylon Vagera ke Under wear aur Chust Libaas pehanne se peshab ki nali (urine duct) ka infection ho sakta hai,,,
isliye hamesha sooti kapde k zer jaame istemal (use) karne chahiye.",
Khawateen Ki Sahat ,384,385
Next -17 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zaibo Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 33
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
30-12-2015
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 17
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Tang Libaas Ke Nuqsanaat ,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿ Hakeem Tariq Mehmood Chughtai tang Libaas ke nuqsanaat bayan karte hue likhte hai:_
↬"Aurto'n ne Baal katwaye, Mardo ne Baal badhwaye- Aaj kal ki hai aisi silaai ,
Li angdayi Taanke (stiches) toot gaye"
⇨ Islam Parde, Haya aur Waqar ka mazhab hai.
Isliye islami Libaas khula hua aur safed hota hai- lekin jab yahi Libaas tang ho to iske nuqasanaat bahut hote hai",...
✿ (Tight dress) Tang Libaas aur Physiology':
↬" ,Tight dress se local muscles murda aur Kamzor ho jate hai kyunki bahar ke muscles me jese harkat hoti hai ese hi androoni bareek bareek muscles hote hai aur unme harkat hoti hai jesa k sui agar jild ke andar chali jaye to wo in baeek muscles ki harkat ki Vajah se kaha'n kaha'n chali jati hai,
⇨ To jab tight dress zeb tan kiya jata hai to in bareek muscles ko bahut nuqsaan pahuchta hai inki harkat kam ho jati hai jisse zehni dabaav ,Aasabi tanaav aur khichaav jese amraaz paida hote hai-"
Sunnate Nabvi aur Jadeed Science, 2/236
Next -18 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zaibo Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 34
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
31-12-2015
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 18
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Saadi Pehanna
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿ Saari me kai baate is qism ki hai, jo iske Adam jawaz per dalaalat karti hai,
⇨ Exmple:_"Saari ka mukammal Badan ko na dhankna,
↬Tight aur fix hone ki Vajah se jism ke A'aza ki haiyat ka maloom hona".
✿ Saari ka istemal hindu Aurto'n ke saath khaas hona,
⇨ Albatta agar is qism ki saari ho k poore jism ko dhank de aur jism ka koi hissa khula na ho, aur na hi wo itni tang aur chust ho k jism ke ubhaar v haiyat wazeh tor per nazar aaye,,, neez us ilaaqe ki muslim Aurto'n me murawij bhi ho to iske istemal ki gunjaish hai, agar in baato me se koi bhi baat na payi jaye to iska istemal Jaa'iz nahi.
✿"",Hazrat Jaabir Raziyallahu Anhu se marvi hai.
↬"Nabi kareem Sallallahu Alaihivasallam ne isse mana farmaya k koi Shakhs baaye (left) haath se khaye aur ek pair me joota pehan kar chale aur kapde ko Badan per lapet de ya Badan per koi ek kapda lapet kar is tarha got mar kar baithe k uska satar khula hua ho."
Mirkaat ,
✿ "Rasool Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka irshad hai:_
↬" Jo Shakhs kisi qaum ki mushabhat akhtyar karega uska Shumar usi qaum me hoga.-"......
Abu Daowd ,
Next -19 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zaibo Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 34
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
01-01-2016
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 19
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Rangeen Kapde Pehanna,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿ Aurto'n ke liye Shar'an koi rang mamnu'a nahi, har rang ka Kapda pehan sakti hr ba- sharte ye k satar e Aurat ke Maqsad per pura utre, neez ek hi waqt mein mukhtalif rango ka kapda pehenna bhi jaa'iz he,
✿""",Hazrat ibne Umar Raziyallahu Anhu farmate hai ,mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se suna Aapne Aurto'n ko haalate Ahraam me dastane naqab, daras aur zafraan se maluon Kapde pehanne se mana fermaya,
⇨ Albatta haalate Ahraam ke baad jis rang ka Kapda, zewer Vagera inhe bhaye pehan sakti hai,
Abu Daowd, 1/261,imdadiya
⇨ Albatta agar kisi ilaaqe me kisi khaas rang ka kapda pehanna Mardo ya kaafir faasiq Aurto'n ke Saath makhsoos ho to us ilaaqe me usi khaas rang ka kapda pehanna Aam Aurto'n ke liye tashba ki Vajah se jaa'iz na hoga-"
Durre Mukhtar, 2/358
Next -20 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zaibo Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 36
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
02-01-2016
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~20
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀
☞ Makhsoos Moqe per aur Ayyame Aadat me Khaas Ya Rangeen Kapde Pehanna,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿: Agarche Shariyate mutahara ne Aurto'n ke liye kisi rang ko mamnu'a qaraar nahi diya lekin az khud kisi khaas Rang ka iltezam krna..
⇨Example:_Shadi me Surkh Joda pehanna, iddat me Kala Libaas pehanna Vagera aur inko is tarah laazim samajhna k na karne wale per malamat Karna ya khandani Rusoomaat ki Vajah se na chahte hue bhi kisi khaas Rang ka iltzaam Karna jaa'iz nahi,isse bachna laazim he...
✿ Ayyame iddat me Rangeen kapde pehanna:_
---Iddat me zeb v zeenat mana he, Lihaza ese kapde jinse, izhare zeenat ho iddat me pehanna mana he.....
Next -21 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zaibo Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 37
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
03-01-2016
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 21
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Mukhtaif Kapde Pehanna,-1,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
☞ Mukhtalif Naqsh v Nigar Wale Kapde:_
✿ Naqsh v Nigar Kapde ki khoobsurati me izaafa karte hai sur Shariyat e mutahara ne Aurto'n ko Daayre (circle) Shariyat mei rehte hue banaav singaar ki ijazat di hai,.
⇨Lihaza is Daayre me rehte hue har qism ke Naqsh v Nigar wale kapde -
Wo kapde jin per motiyo'n aur Shisho ka kaam kiya gaya ho ,
⇨ Chandi ke taar wale kapde pahenna jaa'iz hai,.
☞ Qeemti aur Mehnge Kapde pehanna:_
✿ Allah rabbul izzat ne agar wus'at di to iska izhaar Karna jaa'iz hai, ba-sharte k naam v namood aur shohrat Maqsood na ho, ....
Next -22 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zaibo Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 38
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
04-01-2016
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 22
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Mukhtaif Kapde Pehanna,-2,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
☞ Aam Aadat se Zyada khule Kapde pehanna:_
✿ khule aur Kushada Kapde chust Libaas ki ba nisbat zyada jachte aur bhale Maloom hote hai, aur Maqsad Libaas Satar e Aurat bhi in kapdo me zyada hota hai,
⇨Lekin kapdo ko Aam Aadat se zyada kushada aur khula silwana israaf se khaali nahi, neez zyada khule kapdo me tashbiha bil fisaaq bhi paya jata hai, Lihaza Aam Aadat se badh kar kushada Libaas pehanna Jaa'iz nahi.
☞ Ghar ke Andar Mardana Libaas:_
✿ Agar inka istemal Ghar hi me ho to zaroorat ke waqt jaa'iz hai, bila zaroorat ghar me bhi jaa'iz nahi.
✿ "Ibne Sireen Rahmatullah farmate hai:_
↬Sahaba v Tabaiyn Mardo ke tor tareeqo ko Aurto'n ke liye aur Aurto'n ke tor tareeqe Mardo ke liye Pasand nahi karte the"
ibne Abi Shiyah Kitabul libaas v Zeenat ,5/205
⇨ Ghar se bahar bhi shadeed zaroorat ke waqt istemal ki gunjaish hai,
Next -23 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 38
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
05-01-2016
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 23
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Reshmi Libaas aur Saada Libaas,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
☞ Reshmi Libaas pehan na:_
✿ "Reshmi Libaas Mardo ke liye jaa'iz nahi, Aurto'n ke liye iska istemal bila shubha jaa'iz hai,,
✿ Janabe Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne Resham aur sone ke Mutalliq irshad farmaya:_
"Ye meri Ummat ke Mardo per Haraam aur Aurto'n ke liye Halaal hai,"
Ibne Maaja ,Kitabullibaas ,257
☞ Saada Libaas Pehanna :_
✿ Libaas me jitni saadgi ho utna hi behtar hai, Fashion ki Duniya ke taiyar karda Libaaso'n me jaha'n Sharai qabahatein ( Kharabiya ) mojood hai wahi inke nuqsanaat bhi kaafi hai.
Next -24 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zaibo Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 40
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
06-01-2016
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 24
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Sooti Libaas,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿ Hakeem Tariq Mehmood mazkora bala unwan k tahat likhte hai..
.
""Aap Sallallahu Alaihivasallam ka Libaas sooti tha,,
Rehbre zindagi
-⇨-Fitrat e qaa'im aur insaan fir fira kar wapas fitrat ki taraf hi lot raha hai
⇨ Masnooi (artificial) Libaas pehan ne se kya nuqsaanaat hote hai aur sunnat ke Mutabiq Libaas peheanne ke kya fawaid hai? ye ek mustaqil mozu hai.
✿ Agra khuda na khwasta kisi ko aag lag jaye to sooti Libaas se zyada nuqsan nahi pahunch ta.
⇨ Ye garmi ko bardasht karta hai, garm tareen ilaaqo me iske bager garmi ka ilaaj qatai nahi hai.
✿ Jis Badan per sooti Libaas hoga wo Badan bahut kam jildi amraz ( Skin Diseases ) ka shikar hoga, kyunki polyester aur masnooi nayloni dhage se taiyar shuda Libaas jism ki ragad se garm tareen ( Hotest ) ho jata hai aur iski hararat jism ki hararat se badh kar jildi amraaz ka baa'is banti hai.
✿ sooti Libaas jism ki hararat ko mutwazan ( natural ) rakhta hai. jisse jildi ( Skin ) aur nafsiyati amraaz se bachaav hota hai.
✿ polister ke Libaas se do khatarnak amraaz paida ho rahe hai.
⇨ Ek Aurto'n me lekuriya aur Mardo me Jinsi amraz (sexual disease)....khud gor kare, wazahat nahi karenge,
Next -25 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zaibo Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 42
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
07-01-2016
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 25
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Mota Libaas,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿: " ,Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam Mota Libaas Zebo tan farmate the "
Mamoolate nabvi,
⇨ Tamaam Sahaba kiraam Rizwanullahi alaihim Ajmaeen aur Auliya kiraam ka zindgi bhar Mota Libaas Zebo tan karne ka mamool raha he
✿ Sciencie Research ke Baad ka Result...
.
↬Doctor Luther M.K ke tajrubaat-
⇨ Doctor Luther Germani ke mashhoor mahir sartan (cancer specialist )hai.
Unka kehna hai k jabse awaam aur insaniyat ne Mota Libaas pehenna chhora hai, Us waqt se wo in amraaz ka shikaar hogayi hai:-
✧ Jildi sartan..(skin cancer)
✧ Jild ke gudood ka sertan(skin glands cancer)
✧ Aurto'n mein seene ka cancer(chest cancer)
✧ Tissues ka sertan(tissues cancer)
✧ Harmonze ka sertan (harmones cancer)
✧ Jildi kharish (allergic kera matitis)
✧ Exzeema.(eczema)
✧ Allergy
☞Lekin mere Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ka sirf ek tareeqa is tehqeeq per galib or haavi hai....
✿ Rangat mein tabdeeli✧
⇨ "Hamare khoon (blood)
mein ek mada melanin hota hai, jisse hamare jism ka Rang tabai haalat per rehta hai,.Lekin jab kisi ki jild per Dhoop ki tamazat aur mausam ki tabdeeli asar andaz hoti hai to jild ki haalat tabdeel ho jati hai aur esa sirf us waqt hota hai jab bareek aur patla sa Libaas Zebo tan kiya jaye".
Sunnate Nabvi aur Jadeed Science, 1/147-149
Next -26 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zaibo Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 42
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
08-01-2016
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 26
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Clufdaar Libaas,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿ Clufdaar Cotton aur Jadeed Science
⇨" Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne sooti Libaas Zebo tan farmaya, Sooti Libaas ki afadiyat pehle guzar chuki hai, Lekin fashion ki Duniya ne is Libaas ki afadiyat ko bigad diya hai, aur matlooba fawaid se khali kar diya hai.....
✿ Cluf lage Libaas jism ke liye kis had tak mufeed hai pehle kuch cluf ka zikr...
..
✧ #:_ye darasal starch makayi ya gndum ka meda hota hai, jisko pani mein ubaal kar aur pakaa kar fir pani mein ghol kar kapdo per lagaya jata hai.
✧ #:_kyunki clufdaar Libaas akad jata hai, Lihaza jism ko Akda kar mutakabbir bana deta hai ,aur nafsiyaat ke mutabiq takabbur asaab aur Dimaag ka ghun hai..aur insaan be shumar asaabi amraaz ka shikar ho jata hai....
✧ #:_cluf daar Libaas se jild per ragad pahonchti hai, jild ragad bardasht nahi kar sakti,, jisse tarah tarah ke jildi amraaz janam pate hai....
✧ #:_clufdaar Libaas se hava ka guzar na hone ki Vajah se paseena khushk nahi hota,,, mazeed ye k kapda paseena jazb nahi karta .....
✧ #:_paseene ki Vajah se starch ya cluf ka mawad badan ko lagta rehta hai or jild per chipakta rehta hai,,, jisse jildi masaam band hokar (fungi) Fafund ka khatra laahiq hota hai,
Sunnate Nabvi aur Jadeed Science, 1/320
Next -27 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zaibo Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 44
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
09-01-2016
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 27
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Aurto'n ko Aadhi Aasteen wali aur Kaalar wali Qameez pehanna,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
☞ Aurto'n ka Aadhi Aasteen wali qameez pehan na ,
✿ Chunki is haiyat me mukammal Badan nahi dhakta isliye ise pehanna jaa'iz nahi hai-
✿ "Bukhari"me Hazrat Hinda Raziyallahu Anha ka amal manqool hai k inki Aasteene khuli hoti thi..
⇨ Lihaza wo Apni Aasteeno me batan laga ke apni ungliyon me daal deti thi, taki waeide nabvi Sallallahu Alaihivasallam me dakhil na hojaye...
Fatahul Baari ,1/373.
☞ Colar wali Qameez pehan na,
✿ Colar wali Qameez me Mardo ke Libaas ki mushabhat payi jati he , jo k mamnoo'a he, Lihaza isse ahatraaz Laazim he,
✿ "Hazrat Abu Umama Raziyallahu Anhu farmate hai:_
↬Janabe Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya:_
↬Chaar qism ke logo per Duniya v Aakhirat me laanat ki jati he aur Farishte Aameen kehte hai ,un me se ye bhi hai..
⇨ 1_WO Shakhs jise Allah ne Mard banaya aur Wo Aurto'n ki mushabhat aur chal chalan ke zariye Apne ko Aurat banata he,
⇨ 2_Esi Aurat jise Allah ne Aurat banaya aur Wo Mardo ki mushabhat karkr Mard banna chahti he,
Targeeb v Tarheeb ,3/76
Next -28 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zaibo Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 45
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
10-01-2016
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 28
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Aurto'n ko Lamba Kurta aur Mardana Jacket pehanna,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• ☞ Sirf Lamba kurta pehan na,
✿ Agar kurte ki waza is qism ki ho k isme koi be- pardgi na ho aur Aurat bhi Satar ka khayal rakhe to agarche uski gunjaish he, Lekin Aurto'n ko is tarah ke kapde me rehna munasib nahi ,
⇨ Kyunki jis tarah Satar e Aurat Shalwar me mumkin he , is tarah Sirf lambe kurte se Haasil nahi hota.
☞ Mardana Jacket Pehan na,
✿ Libaas se mutalliq usool me ye baat guzri k har wo libaas jo Mardo ke saath khaas ho, Aurto'n ke liye ise pehanna jaa'iz nahi,
⇨ "Nabi kareem Sallallahu Alaihivasallam ne un Aurto'n per laanat farmayi jo libaas vagera me Mardo ki mushabhat akhtiyar karti hai",..
✿ "Hazrat ibne Abbas Raziyallahu Anhu se marvi hai:_
↬ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne un Aurto'n per laanat farmayi jo Mardo ki mushabhat akhtiyar karti hai aur un Mardo per bhi laanat farmayi jo Aurto'n ki mushabhat akhtiyar karte hai,".
Abu Daowd, 2/212
⇨ Lihaza Mardana jacket ka istemal Karna jaa'iz nahi,
Next -29 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zaibo Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 48
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
10-01-2016
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 29
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Aurto'n ko Salwaar Pehanna,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿ Libaas ka Asal maqsad satar e Aurat hai aur ye maqsad jis Libaas se haasil ho wo pasandeeda Libaas keh layega,,
⇨ Shalwar me Satar e Aurat ba-nisbat Doosri cheezo ke zyada hai, Lihaza Shalwar ka pehanna na sirf jaa'iz hai balki mustahsan hai-
✿ ",Hazrat Ali Raziyallahu Anhu farmate hai,:_
↬ Ek Barish wale din mein Nabi Akram Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat me baqee me betha tha, waha'n se ek Aurat ka guzar huva jo Gadhe per sawaar thi aur uske saath Khachchar v Gadhe kiraye per dene wala shakhs bhi tha, wo gir padi to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne moonh mod liya (kahi'n satar khul na gaya ho aur us per nigaah na pad jaye ) to Sahaba kiraam ne arz kiya,
Ya RasoolAllah ! usne shalwar pehan rakhi hai,
To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya":_
↬"Ey Allah ! meri Ummat ki in Aurto'n ki Magfirat farma ( jo satar ka lihaaz karti hai aur ) shalwar pehanti hai".
Majmua Az Zawaid ,2/803
☞ Faayda:_
✿ Shalwar beth kar pehan na behtr hai.
Next -30 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zaibo Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 49
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
11-01-2016
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 30
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Aurto'n ko Salwaar Takhno Se Ouper. Pehanna,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
☞ Shalwar takhno se Ouper rakhna,
✿ Baavjood ye k Shariyat e mutahara ne Mardo ko Takhne dhakne se mana farmaya aur Hukm diya k Shalwar Takhno se ouper rakhe, Aurto'n ko Takhne chupane ka paband kiya-
Lihaza Shariyat e mutahara ke hukm ki khilaf warzi Mardo ka takhne dhakna aur Aurto'n ka Takhne khule rakhna Musalmani tareeqa nahi.,
✿",Hazrat ibne Umer Raziyallahu Anhu farmate hai k Nabi kareem Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya:-
" Jo az rahe Takabbur Apne Libaas ko takhno se niche rakhega Allah Rabaul izzat qayamat ke Din us per Rehmat ki nazar nahi karenge,"..
↬.Hazrat Umme Salma ne arz kiya:_,Aurte'n Apne Libaas ka kya kare?
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya:_
↬Aurte'n ek balisht niche latka le,"
is per Umme Salma ne farmaya-
↬is soorat mein unke pair khule rahenge,
To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,-
↬haath bhar aur niche latka le isse zyada na latkaye,"...
☞ Takhne khule rakhne ke sciency nuqsanaat ,
✿ Hakeem Tariq Mehmood Chughtayi iski sciency hikmat bayan karte hue likhte hai, ,
⇨,Tahir Muneer Sahab foam ka karobar karte hai, Achchhe padhe likhe Sahab hai, farmane lage:
Me America ke safar per tha waha'n ek Health Center dekha,
Mere dost ne kaha yaha'n chalo Aapko mazedaar cheeze'n dikhata hu, hum saath mein is center me pahunche, bahut bada center tha, iske mukhtalif shobe the,hum firte firate shobe Libaas me pahunche to ek jagah likha hua tha,
↬"Shalwar ko takhno se ouper latkao" is se takhno ke waram , jigar ke androoni waram aur pagal pan se bach jaoge,
Mein chonk pada, mene pucha k ye center muslamano ka hai??
↬Unhone kaha k nahi ye Eisaiyo ka tehqiqati idaara hai aur yaha'n sehat ke mukhtalif unwanaat per tehqeeq karte hai, jinme baaz islami ahkamaat bhi zere bahas aate hai,,
↬agr Shalwar takhno se niche hogi to baaz aham sheryane ( Arteries ) aur wreede esi hoti hai jinko hawa aur pani ki ashad zaroorat hoti hai, aur agar wo dhaki rahe to jism k Andar kuch tabdiliya'n (changes) aati hai,
⇨ Tahir Muneer Sahab ke mutabiq --waha'n mein is center ke mutalliqeen se mila to unhone Ajeeb v gareeb inqishafaat kiye, inka kehna hai k :_
↬"Aurte'n agar khule paaincho wali Shalwar latkayengi to inke Andar niswani harmonez ki kami ya zyadati ho jayegi, iski Vajah se wo androoni waram ,kamar ke dard, Aasabi kamzori aur khichaav ka mustaqil shikaar rahengi...
↬Tahir Sahab farmane lage, jab mene ye kaifiyat khana daar Aurto'n me dekhi to waqai jinhone sunnat se airaz kiya hua tha, unki haalat bilkul wesi hi thi
Sunnate Nabvi aur Jadeed Science, 1/156
Next 31 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zaibo Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 53
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 31
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Dastane aur Jurabe Pehan na aur Seena Band Bandhna,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
☞ Dastane aur Jurabe Pehanna,
✿ Bahar jane ke liye Dastane aur jurabe pehanna koi zaroori nahi, Albatta agar koi iska bhi ahatmam kare to behtar hai.
↬Ba-sharte k wo khud jazeb nazar na ho aur iska istemal sirf Parde ki niyat se kiya jaye. isme imtiyazi aur numaya nazar aane ka pehlu na paya jaye,
☞ Seena Band ( Breezier ) Bandhna,:_
✿ Seena Band (Breezier) ka istemal aagr pistano ki hifazat ke liye ho to jaa'iz hai, isi tarah apne Shohar ke liye istemal karna jaa'iz hai,
⇨ Lekin agar Breezier ka maqsad zeenat v gair Mehram aur har kisi na kisi ko mutawajjah ( attract )Karna ho to iska istemal jaa'iz nahi,.
↬ Neez wo Breezier jinki banawat aur saakht hi is qism ki ho k unse Seene ka ubhaar aur Zyada Maloom hota hai, unka istemal bhi jaa'iz nahi , kyunki Seena un mawaze ( Khaas ) Zeenat me se hai Jinka izhaar sivaye Shohar ke kisi ke saamne jaa'iz nahi.
Next -32©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 57
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
14-01-2016
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 32
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Aurto'n ko Sireen Pehanna, Pad istemal karna aur Burqa Pehanna,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
☞ Sireen pehanna ,
✿ Zahiri zeb v zeenat ka izhar sirf Shohar, Mahram aur Musalman Aurto'n ke saamne jaa'iz hai, Batini zeb v zeenat ka izhaar siwaye Shohar ke kisi ke saamne jaa'iz nahi,
⇨ Magrib se must'aar ese haya soz v fitna wali Fashion ki islam me qata'an gunjaish nahi ,Esa Fashion jo gairat v haya ke naam per dhabba ho taqaza e insaniyat ke khilaf hai ,Lihaza ese Libaas se ijtenaab ( ignore ) Zaroori hai,
☞ Pad istemal Karna,
✿ Aurto'n ke liye makhsoos ayyam me Pad Vagera istemal Karna mustahab hai..
☞ Burqa pehanna,
✿ Burqa ya Badi chadar pahenne ka Maqsad ajnabi logo v Gair Mahram ki Nigaaho se mehfooz rehna aur is baat ki ittela hai k Aurat Parda daar hai.
⇨ Aur ye Maqsad jis cheez se Haasil ho Shar'an usko mustahsan aur pasandeeda kaha jayega aur jis Burqe ya Chadar se ye Maqsad Haasil na ho balki Apni chamak aur Shoqi ki Vajah se wo Burqa ya Chadar mazeed jazib nazar ho to iska istemal na- jaa'iz hai,-
✿ Mashoor Mufassir Allama Aalusi Rahmatullahi ese Burqo pe tabsira karte hue farmate hai:-
↬ "jis Zeenat ke izhaar se Aurto'n ko mana kiya gaya isme wo mukhtalif rango wala reshmi Burqa bhi dakhil hai jis per sone ya chandi ke naqsh v nigaar hote hai aur jab Aurte'n inhe pehan kar bahar nikalti hai to Aankhen pathra jati hai, Shohar aur digar mahram ka inhe is haal me bahar nikal kar ajnabiyo me chalne ki ijazat dena qillat e haya per mubni hai,".
Roohul Ma'ani ,
✿ Haasil Kalam ye hai ke parde ke liye esa Burqa ya Chadar istemal ki jaye jo jazib nazar na ho , Esa Burqa ya chadar jo Boodhi Aurto'n ko bhi jazeb nazar bana de hargiz jaa'iz nahi,
☞ Sahabiyaat ka Parda ,
✿ Sahabiyat ke parde ki kaifyat Hazrat Umme Salma Raziyallahu Anha ki hadees se maloom hoti hai:_
⇨ Farmati hai jab ye Aayat nazil hui"Aurte'n Apne ouper Apni chadre latka liya kare " to Ansar ki Aurte'n is haalat me nikalti thi goya inke saro per kaale kawwe ( Crow ) hai, siyaah chadro ki Vajah se."
Abu Daowd ,2/212
Next -33 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zaibo Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 66
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
16-01-2016
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 33
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Science aur Breezier ,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈• .
☞ Science aur Breezier.....
✿ Tibbi Lihaaz se breezier ke fawa'id v nuqsanaat per Roshni daalte hue Hakeem Tariq Mehmood Chugtai likhte hai;_
↬"Fashion ki Duniya ne zamane ke atwaar badal kar logo ke mizaaj badal diye hai,
↬Husne Aurat ke liye Pistano ko bahut Ahmiyat Haasil hai, Pistano ko tahaffuz aur Husn faraham karne ke liye Fashion ne breezier ka istemal Karna seekha hai,
✿ Huzoor e Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ke zamane me iska istemal nahi tha, Lekin ab iska istemal har Khatoon ki zaroorat hai.
⇨ Bande ne Hozri ke Mahereen se mulaqaat ki aur breezier ke materials ka ba-gor muta'ala kiya to is natije per pahuncha.
✧ 1___Foam..........Breezier me foam ki teh isko ubhar daar aur naram banane ke liye hoti hai, foam jildi gudood ko khas tor per rogni glands ko Bahut mutassir karta hai, is foam ki teh ki Vajah se hawa ka dakhila band hokar ghat jate hai, chunki pistaan bahut hisas or zod v asar hote hai isliye ye thodi sakhti bhi bardasht nahi kar sakte......
✧ 2 .Polyester ya Nilon ka kapda....tamaam breezier me istemal hone wala kapda polyester ya Nilon ka hota hai jo na to paseena jazb karta hai aur na hawa ko dakhil ya kharij hone deta hai............
✧.3 .Shikanja.......kyunki breezier ka maqsad pistano ko dhalakne se bachana hai isliye is andaz se banaya jata hai k ye pistano ko kheench kar rakhe....breezier bizaat khud ek shikanja numa chadhawa ban kar beshumar amraaz ( Bimariyo'n ) ki Vajah ban jata hai iski sakhti ko mazeed sakht karne ke liye iske tasme jalti per tel ka kaam karte hai....
✧.4 .Breezier or Breast Cancer..Doctor khalida Usmani Cancer specialist Lahore ne inkshaf kiya hai k mere paas pistano ke cancer me mubtila aksar mareez Aurte'n aisi hai jinko sirf breezier ki Vajah se Cancer hua aur jab is amr ,ki tehqeeq ki gayi to maloom hua k inke Cancer ki vajah breezier ka istemal hai.
↳ Baqi hissa Agle part me ,,,,,,,,
Next -34©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zeenat Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 58
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
18-01-2016
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 34
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Bareek Dupatta ,Scarf ,Sar per Rumaal Bandhna aur Nange Sar rehna,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
☞ Bareek Duppata odhna-
✿ Bareek Duppata odhna jaa'iz nahi,,,,
⇨ Hazrat Alqama bin Abu Alqama apni walda se rivayat karte hai k:",
" Hazrat Hafsa bint Abdur Rahman Amma Ayesha ke paas tashreef layi unhone Bareek Duppata odha hua tha, Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne ise phada aur unhe mota Duppata pehnaya-,"
↳ ₢ Mishkaat, 377
☞ Ghar me Nange Sar Rehna-
✿ Shareef v Deen dar gharano me ise Bahut ma'ayub samjha jata hai, neez isme Be -pardgi aur Aazadi ki Raah bhi khulti hai aur Mahram ke saamne seene ka ubhar bhi Zahir hota hai , Lihaza is se ijtenab kiya jaye,
☞ Scarf pehanna:-
✿ Agar Sharai Parde ki riayat karte hue scarf ka istemal kiya jaye to isme koi qabahat nahi , Lekin agar isi ko Parde ka mutbadal khayal karke pehan liya jaye aur baqi Badan ke Parde se gaflat aur la-parwahi barti jaye to ye kisi tarah jaa'iz nhi.
☞ Sir per Rumaal Bandhna-;-
✿ Ba- zahir isme koi harj nahi k mahaz zeenat hai.
⇨ "Hazrat Ameena binte Abi Najaar farmati hai,
↬Azwaje Mutahraat Surkh v Zard Rang ki pattiya'n lekar Apne Saro ke nichle hisse me bandhti thi,"
↳ ₢ ittehaaf ,3/394
Next -35 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 62
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
19-01-2016
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 35
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Pars Latkana aur Mushrik v Faasiq Aurto'n ke Saamne izhaare Zeenat
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
☞ Pars Latkana:-
✿ Aurto'n ke liye bila zaroorat bahar nikalna jaa'iz hi nahi, aur zarooratan bahar nikalne ke bhi usool v zaabte hai....
✿ irashade Rabbani hai:-
وَقَرْنَ فِي بُيُوتِكُنَّ وَلَا تَبَرَّجْنَ تَبَرُّجَ الْجَاهِلِيَّةِ الْأُولَىٰ
↬" Aur apne gharo me qaraar se raho ( yani bager zaruri haajat ke ghar se bahar na niklo ) aur qadeem jahiliyat ke zamane ki tarah apne banav ka Izhaar na karo,"
↳ ₢ Surah Al-ahzab:33
⇨ Agar waqai zaroorat ho to bahar nikalne me Shar'an koi harj nahi, Albatta ese umoor v harkat se bilkul ijtenab kiya jaye jo fitne ka baa'is ho,
↬Lihaza Pars Latka kar bahar nikalna aur mazeed ye k Pars ko bhi naqsh v nigaar se aarasta Karna jaa'iz nahi, Agar koi cheez le kar jani ho to iske or bhi kai tareeqe hai.....
☞.Mushrik v Faasiq Aurto'n ke Saamne izhare Zeenat ,
✿ Zebo Zeenat ka izhaar jis tarah Ajnabiyo'n ke saamne jaa'iz nahi isi tarah Faasiq v Mushrik Aurto'n ke saamne bhi jaa'iz nhi....
✿ Allama Abdul Hayi Lakhnawi Rahmatullah farmate hai:-:
↬",Nek v Paak Daman Aurat ko chahiye k Faasiq Aurto'n ki nigaho se bache varna wo iske avsaaf baqi Mardo ke saamne Bayan krengi, Lihaza inke saamne Apni chaadre aur duppate na utaare- isi tarah Mushrik v kitaabi Aurto'n ke saamne bhi zeenat ka izhaar na kare,"
↳₢ Fatawa Lakhnawi ,417
Next -36 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 64
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
20-01-2016
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 36
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Atar aur Khushbu daar Powder lagana ,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
☞ Atar lagana ,:-
✿,Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne be -hayai aur fitne se rokne ke liye Aurto'n ko har us kaam se mana farmaya jo baa'ise fitne ho,,
✿ isliye Aurto'n aur Mardo ki khushbu me farq kiya aur fermaya:"
↬,,Mardo ke liye wo Atar munasib hai jiski khushbu numaya aur makhfi ho, Jabki Aurto'n ke liye wo Atar munasib hai jiska rang numaya aur khushbu makhfi hai,"
↳ ₢ Nasaai ,2/281
⇨,,,Jo Aurat bhi Atar laga kar logo ke paas se guzre, taki log uski khushbu se mahzooz ho, to wo zaniya hai,"
↳ ₢ Nasaai ,2/282
✿ Lihaza Aurto'n ka khushbu daar Atar aur aisa make up istemal kar ke bahar nikalna jisme khushbu payi jaye, farmane Nabvi ki sarasar khilaaf varzi hai..
⇨ Albatta agar koi Aurat Apne ghar me Mahram ke saamne khushbu daar Atar Vagera istemal kare to iski gunjaish hai.",,,,"
☞ Khushbu dar Talcum Powder Vagera istemal karna ,:-
✿ Aurto'n ke liye qatan jaa'iz nahi k bahar niklte waqt Khushbu dar powder istemal kare ya aisa sabun istemal kare jiski khushbu baqi rahe...ghar me rehte hue inhe istemal karna jaa'iz hai.
Next -37 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 66
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
21-01-2016
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 37
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Balo se Zebo Zeenat,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿ Zeenat fitratan aurto ko khwahish hoti hai k wo Haseen se Haseentar Nazar aaye, is Maqsad ke liye basa avqaat wo aise tareeqe bhi ikhtyar karti hai jo Shar'an mamnoo'a hote hai,
✿ Baal khoobsurti me Aham kirdaar ada karte hai, isiliye banaav singaar me Baalo ko zyada ahmiyat di jati hai, Fitrat ke usoolo ke peshe Nazar Shariyat e mutahara ne jo Ahkaam diye wo fitri Husne jamaal ko doguna kar dete hai...
⇨ Example ::-
✿•Aurto'n ko ghane or lambe Baalo se nawaza to Mardo ko vafra ( kaano tak ) lama ( kaano ki lo tak ) or jama ( kandho tak ) Baal rakhne ki ijazat di....
⇨Mardo ko Dadhi se zeenat bakhshi to Aurto'n ke chehre ko bager Baalo ke Husn v jamaal se muzayyan farmaya.
⇨•Mardo ke seene ko Baalo se ba- raub banaya to Aurto'n ki chhatiyo ko bager Baalo ke hi jazib nazari se nawaza ,.
⇨•Zaa'id Baalo ke mutalliq Mard Aurat har ek ko ek laiha Amal diya k har hafte inki safaayi kare varna har 15 din ke baad aur Aakhri gunjaish 40 din rakhi k inme ek dafa zaroor in zaa'id Baalo ko saaf kiya jaye, isme jism ki nazafat ke alawa bhi kai masalihat v hikmate hai...
✿ Al garz agar qudrat ke in zareen usoolo ke Peshe Nazar rakha jaye to banawati Husn ki zara bhi Zaroorat nahi rehti, Fir bhi shariyate mutahara ne Aurto'n ki khwahish ka ahtraam karte huve Husn v jamaal ke liye mazeed sahooliyat di hai,,
✿ Agar Shariyat ki hudood me rehte hue inse faayda haasil kiya jaye to na sirf jaa'iz balki ek pasandeeda cheez hai.
Next -38 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 67
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
22-01-2016
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 38
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Vig lagana ,Baalo ki Pevand kaari ,aur Baalo ko Rangna ,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
☞ Vig lagana ::--
✿ Vig agar masnuyi ( Artificial) ya gair insaani Baalo ki ho to ise istemal karna jaa'iz hai ba-sharte k dhoka dene ki garz se istemal na ki jaye,
⇨ Baalo ki Pevand Kaari ::--
↬ Baalo ki pevand kaari me bhi yahi usool hai k agar insaani Baalo se pevand kaari ki jaye to jaa'iz nhi, insaani Baalo ke alawa janwaro ke Baalo ya masnuyi ( Artificial ) Baal ho to jaa'iz hai.
☞ Baalo ko Mukhtalif Rango se Rangna ,::---
✿ Zebo Zeenat ka aisa pehlu jo Shar'an mamnoo na ho akhtyar Karna jaa'iz hai aur Baalo ko mukhtalif Rango se rangna Shar'an mamnoo nahi , Lihaza iski ijazat hai, ba-sharte k ye fail Kaafiro aur Faasiqo ki naqal karna na ho, Agar unki mushabhat aur naqal ki garz se kya to na-jaa'iz qaraar payega , Albatta siyah Baalo me Brown ya doosre mukhtalif shade istemal Karna naqal se khali nhi, Lihaza isse parhez kiya jaye,
✿,Gunbasta bin Saeed farmate hai:
" Baal kapdo ki tarah hai, jis Rang se Rangna chaho rango,,"
↳ ₢ Umdatul Qari 79/22
Next -39 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 69
ⓖ Haqq Ka Daayi,
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
23-01-2016
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 39
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞Baalo ko Rangne ke Nuqsanaat,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
☞ Baalo ko Rangne ke Nuqsanaat per Jadeed sciencei tehqeeqat
↬",Aksar nojawano ko ye shoq hota hai k unke Baal bhoore ya sunehri hojaye- is silsile mein wo mukhtalif tube istemal karte hai,
✿ Khizab,wasma, Mehndi bhi baaz log istemal karte hai is silsile me hydrogen bhi lagayi jati hai , jisse Baal waqti tor per sunehri or khubsurat ho jate hai ,
↬Lekin in sab Rango ka bil Aakhir result ye nikalta hai k Baal girne shuru ho jate hai.
⇨ Aam si soch ki bat hai k wo chemical jo Baalo ka colour change karde wo Baalo ko kab zinda chhodega ,,
✿ Aksar Mumalik me Baalo ko tarah tarah se Rangne ka riwaaz din ba din tezi se badh raha hai, Baalo ko fashion ke liye ranga jaye ya kisi majboori ki Vajah se, dono soorto mein inhe nuqsaan pahunchta hai aur ye Amal Baalo ki jado ko kamzor kar deta hai, kyunki jitne khizaab ya lagane wale lotion milte hai, in sab me tez kimiyavi ajza ( Chemicals) shamil hote hai, jinse rafta rafta Baalo ki qudrati chamak khatm hoti hai, jade'n kamzor hoti hai,aur Baal girna shuru ho jate hai,
✿ Jo khwateen mahaz numaishi tor per Baalo ko Rangti ho wo jald ya to apne Baalo se hi haath dho beth ti hai ya inki qudrati chamak mand pad kar wo waqt se pehle hi safed hona shuru ho jate hai,
⇨Yahi nahi balke baaz kimiyavi ajza jild ( Skin ) me jazb ho kar tarah tarah ke Dard paida karte hai.
⇨ Khizaab me shamil ( Chemicals ) khopdi ki jild ( Skin ) me paye jane wale mufeed or kar Aamad jarasimo ( Bacteria ) ko halaak kar dalte hai .is tarah wo log jo khizaab lagane ki buri Aadate me mubtela hai unhe khushki aur khopdi ki khaal me mukhtalif amraaz ki shikayat bhi ho sakti hai....
✿ Steele Lopez ne khizaab me shaamil do tarah ke chemicals ka tafseeli muta'ala kiya , inme se ek p- Phenylened yamine hai jo bhoore rang k khizaab ka aham juzv hota hai, jab Baalo me paye jane wale mukhtalif jarasimo ko is murakkab ki itni miqdaar me rakha gaya jiski sifarish Baal Rangne ke liye thi to Sar ki jild aur Baalo ko faayda pahunchane wale do khaas jarasimo micro coccus lumets or stephylo cocus epidermis ki nasho v numa sust raftaar hogayi yahi jarasime sar ki jild ko fungus ( Fafoond ) or khushki paida karne wale muzir jarasime se bachaye rakhte hai,
↳ ₢ Islam Sahat aur Jadeed Science ,128
Next -40 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 70
⊙ Talibe Dua ⊙
ⓖ Haqq Ka Daayi
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
24-01-2016
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 40
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Syaah ( Black Die ) Khizaab Lagana ,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
☞ Syaah Khizaab Lagana ,
✿Siyah khizaab lagana jaa'iz nahi,,
Nabi Akram Sallallahu Alaihivasallam ka irshade girami hai.,
" Syaah Khizaab istemal karne wale jannat ki bu bhi nahi payenge.
↳ ₢ Abu Daowd ,2/ 226
☞ Badi Umar per Syaah Khizaab nahi Jachta ,
✿ Doctor Samreen Fareed likhti hai-
",safed hue Baalo ko rangne ke liye achchhe aur munasib meyar ke hair colour istemal kare, badhti Umar ke Saath jild ( Skin ) patli ho jati hai, aur is per kale rang ki die munasib nahi lagti,
Lihaza badhti Umar ke Saath brown Rang ke mukhtalif shades istemal kijiye.,
↳ ₢ Khawateen Ki Sahat ,366
Next -41 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 63
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 41
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Vig lagana ,Baalo ki Pevand kaari ,aur Baalo ko Rangna ,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
☞ Vig lagana ::--
✿ Vig agar masnuyi ( Artificial) ya gair insaani Baalo ki ho to ise istemal karna jaa'iz hai ba-sharte k dhoka dene ki garz se istemal na ki jaye,
⇨ Baalo ki Pevand Kaari ::--
↬ Baalo ki pevand kaari me bhi yahi usool hai k agar insaani Baalo se pevand kaari ki jaye to jaa'iz nhi, insaani Baalo ke alawa janwaro ke Baalo ya masnuyi ( Artificial ) Baal ho to jaa'iz hai.
☞ Baalo ko Mukhtalif Rango se Rangna ,::---
✿ Zebo Zeenat ka aisa pehlu jo Shar'an mamnoo na ho akhtyar Karna jaa'iz hai aur Baalo ko mukhtalif Rango se rangna Shar'an mamnoo nahi , Lihaza iski ijazat hai, ba-sharte k ye fail Kaafiro aur Faasiqo ki naqal karna na ho, Agar unki mushabhat aur naqal ki garz se kya to na-jaa'iz qaraar payega , Albatta siyah Baalo me Brown ya doosre mukhtalif shade istemal Karna naqal se khali nhi, Lihaza isse parhez kiya jaye,
✿,Gunbasta bin Saeed farmate hai:
" Baal kapdo ki tarah hai, jis Rang se Rangna chaho rango,,"
↳ ₢ Umdatul Qari 79/22
Next -42 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 69
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 42
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞Baalo ko Rangne ke Nuqsanaat,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
☞ Baalo ko Rangne ke Nuqsanaat per Jadeed sciencei tehqeeqat
↬",Aksar nojawano ko ye shoq hota hai k unke Baal bhoore ya sunehri hojaye- is silsile mein wo mukhtalif tube istemal karte hai,
✿ Khizab,wasma, Mehndi bhi baaz log istemal karte hai is silsile me hydrogen bhi lagayi jati hai , jisse Baal waqti tor per sunehri or khubsurat ho jate hai ,
↬Lekin in sab Rango ka bil Aakhir result ye nikalta hai k Baal girne shuru ho jate hai.
⇨ Aam si soch ki bat hai k wo chemical jo Baalo ka colour change karde wo Baalo ko kab zinda chhodega ,,
✿ Aksar Mumalik me Baalo ko tarah tarah se Rangne ka riwaaz din ba din tezi se badh raha hai, Baalo ko fashion ke liye ranga jaye ya kisi majboori ki Vajah se, dono soorto mein inhe nuqsaan pahunchta hai aur ye Amal Baalo ki jado ko kamzor kar deta hai, kyunki jitne khizaab ya lagane wale lotion milte hai, in sab me tez kimiyavi ajza ( Chemicals) shamil hote hai, jinse rafta rafta Baalo ki qudrati chamak khatm hoti hai, jade'n kamzor hoti hai,aur Baal girna shuru ho jate hai,
✿ Jo khwateen mahaz numaishi tor per Baalo ko Rangti ho wo jald ya to apne Baalo se hi haath dho beth ti hai ya inki qudrati chamak mand pad kar wo waqt se pehle hi safed hona shuru ho jate hai,
⇨Yahi nahi balke baaz kimiyavi ajza jild ( Skin ) me jazb ho kar tarah tarah ke Dard paida karte hai.
⇨ Khizaab me shamil ( Chemicals ) khopdi ki jild ( Skin ) me paye jane wale mufeed or kar Aamad jarasimo ( Bacteria ) ko halaak kar dalte hai .is tarah wo log jo khizaab lagane ki buri Aadate me mubtela hai unhe khushki aur khopdi ki khaal me mukhtalif amraaz ki shikayat bhi ho sakti hai....
✿ Steele Lopez ne khizaab me shaamil do tarah ke chemicals ka tafseeli muta'ala kiya , inme se ek p- Phenylened yamine hai jo bhoore rang k khizaab ka aham juzv hota hai, jab Baalo me paye jane wale mukhtalif jarasimo ko is murakkab ki itni miqdaar me rakha gaya jiski sifarish Baal Rangne ke liye thi to Sar ki jild aur Baalo ko faayda pahunchane wale do khaas jarasimo micro coccus lumets or stephylo cocus epidermis ki nasho v numa sust raftaar hogayi yahi jarasime sar ki jild ko fungus ( Fafoond ) or khushki paida karne wale muzir jarasime se bachaye rakhte hai,
↳ ₢ Islam Sahat aur Jadeed Science ,128
Next -43 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 70
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 43
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Syaah ( Black Die ) Khizaab Lagana ,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
☞ Syaah Khizaab Lagana ,
✿Siyah khizaab lagana jaa'iz nahi,,
Nabi Akram Sallallahu Alaihivasallam ka irshade girami hai.,
" Syaah Khizaab istemal karne wale jannat ki bu bhi nahi payenge.
↳ ₢ Abu Daowd ,2/ 226
☞ Badi Umar per Syaah Khizaab nahi Jachta ,
✿ Doctor Samreen Fareed likhti hai-
",safed hue Baalo ko rangne ke liye achchhe aur munasib meyar ke hair colour istemal kare, badhti Umar ke Saath jild ( Skin ) patli ho jati hai, aur is per kale rang ki die munasib nahi lagti,
Lihaza badhti Umar ke Saath brown Rang ke mukhtalif shades istemal kijiye.,
↳ ₢ Khawateen Ki Sahat ,366
Next -44 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 63
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 44
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Syaah ( Black Die ) Khizaab ke Nuqsanaat-,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
☞ Marz Cancer Ka Sabab ,
✿ America National institute ke science dano ki taza tareen tehqeeq ke mutabiq Baalo ko Siyah karne ke liye istemal kiye jane wale khizaab me ek juzv shamil hota he jiski Vajah se Cancer ka marz lahiq ho sakta hai...
☞ Genral accounting office ka mutaliba-
✿ Mazkura tehqeeq ke baad America ke General Accounting Office ne aise khizabo per bhi Cancer ki warnning chaspa karne ka mutalba kiya hai jese k Sigratte ki dibbiyo per Warning hoti hai...
✿Hindustan ke Maroof Doctor v Hakeem Sayyed Qudratullah Qadri Sahab likhte hai k ,
",mene ba haisiyat physician is baat ka ba-khubi muta'ala kiya hai k Siyaah khizaab ke istemal se baaz Mareezo me b had hasasiyat ( Allergy ) payi gayi hai,"....
✿ ",Aaj se Sadiyo pehle Mualij e Haqeeqi Janab Sallallahu Alaihivasallam ka irshade girami ke mutabiq senkdo tajurbaat aur barbadiyo ke baad tehqiqaate jadeed ne Syaah khizaab ko Sakht muzir balke isko khatarnaak bimari Cancer ka sabab qaraar de hi diya hai,"
↳ ₢ Sahat aur Jadeed Riserch ,Islam aur Medical Science,
☞ Khizaab se Sartaan ka Khatra ,
✿ Baalo ke Chemical wale Rang Khizaab ke bare me khayal hai ke inki Vajah se chhati aur baiza daani ke sartaan ka khatra badh jata hai,
⇨Lihaza jo Aurte'n Hamila ho, Hamila banne ki khwahish mand ho ya maa banne ke baad bacchhe ko apna doodh pila rahi ho unhe chahiye k Baalo ke Husn ke liye mukhtalif khizaab or diger Chemicals ki Cheezo ke istemal se parhez kare,
⇨Haa'n wo cheeze istemal ki ja sakti hai jo be zaroor samjhi jati hai ,,,maslan:-mehndi-
₢ Islam ,Sahat aur Jadeed Scienci tehqeeq ,128
Next -45 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 64
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 45
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Sar per Jooda Bandhna ,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿ Sar per jooda bandhna yani Baalo ko jama karke Sir ke ouper bandhna na- jaa'iz hai, chahe kisi rassi ke zariye inhe bandha jaye ya is maqsad ke liye jadeed Cheezo ka sahara liya jaye, har ek ka hukm yaksa hai,
✿ Hadees me iski muman'at aayi hai:-
",Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Rasulullah Sallallahu ne farmaya :
Meri ummat me do qism ke log hai jinhe mene pehle na dekha na baad me dekhunga ,
Ek giroh aisa hoga jiske haath me gaay ki dumo ki mannid kode honge jinse wo logo ko marenge ,
Aur doosra giroh un Aurto'n ka hai jo libaas pehanne ke bavjood nangi hongi, Mardo ki taraf mailan krengi aur unhe apni taraf maa'il karengi inke Sir aise honge jaise Bakhti oont (camel) ke kohaan...
Aisi Aurte'n jannat me dakhil hongi na uski khushbu soongh sakengi, jabki uski khushbu itne faasle se aa rahi hogi,"....
↳ ₢ Sahih Muslim,2/205
✿ Mulla Ali QARI Rahmatullah iski tashreeh me farmate hai:-,
Haasil ye hai k is wa'eed me wo Aurte'n dakhil hongi jo Baalo ko lapet kar Sir per baandh leti hai, jiski Vajah se Baal bahut maloom hote hai aur iska maqsad bhi ajnabiyo ko dikhana ho,
Baqi wo khwateen jo ghar ke kaam kaaj ke doraan Baalo ka jooda bandh leti hai ya ghar me Apne Baalo ko kapde vagera ke zariye baandh leti hai aur inka ye fayl kaam kaaj ki sahulat ya shohar ko khush karna hota to ye khwateen is wa'eed ka masdaq nahi,
↳ ₢ Mirkaat ,7/ 83
Next -46 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 67
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 46
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Khizaabi Kanghi ,Paint aur Injection ka istemal ,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
☞ Khizabi Kanghi aur Paint ka istemal,
✿ Ahkame shariyat ka madaar Amal per hota hai,
⇨ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Baalo ko siyaah karne se mana farmaya hai, Lihaza jaha'n bhi ye illat payi jaye , waha'n muman'at ka hukm muttawajjah hoga,
⇨ is bina per jo hukm Khizaab ka hoga wahi hukm siyaah khizabi kanghi aur har us cheez ka hoga, jisse Baal siyaah kiye jaye....,
.✿. Faayda :-
⇨ Siyaah Khizaab kuffar ka Khizaab hai aur sabse pehle siyaah khizab Firon ne istemal kiya ,
↳ ₢ Mirkaat ,8/235
☞ Injection ke Zariye Baal Siyaah Karna ,
✿ Siyaah Khizaab se muman'at jis Vajah se ki gayi wo is surat me bhi payi jati hai, agerche haqeeqatan Khizaab ka istemal na paya jaye,,
⇨ Lihaza koi aisa tareeqa akhtyar karna jaa'iz nahi jiski Vajah se safed Baalo ko Siyaah kiya jaye,
Next -47 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 66
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 47
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Guddi per Jooda Baandhna ,Maindhiya ( Guthna ) banana na banana ,Ounchi ya Tedi maang ,Paranda Ka istemal,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
☞ Guddi per Jooda Bandhna,
✿ Guddi per Jooda Bandhna Jaa'iz balki haalate Namaz me Afzal he ,isliye k isse Baalo ke parde me Sahuliyat hoti he ,
↳ ₢ Ahsan ÚL Fatawa ,8/75
☞ Maindhiya ( Baal Guthna ) Banana,
✿ Baal Guthne me Aurto'n ko akhtyar hai jis andaz mein jitni chahe bana sakti hai, albatta isme bhi is baat ki riayat zaroori hai k fasiq v mushrikat ki naqal se bache or unki naqal na utare.
✿ Maindhiya na banana:_agar koi Aurat maindhiya na banaye balke waise hi baal khule chode to uski bhi gunjaish hai,
⇨Kyuki Maindhiya banana ya Baalo ko gundhna lazim nahi, iski ijazat us waqt hogi jab parde ki baqi sharayat payi jaye or ye bator naqqali na ho.( Yani kisi ki naqal na utari gayi ho ).
✿ Ounchi ya tedhi maang nikaalna:_
⇨Baalo ki maang nikaalne me takalluf karna or Aam tareeqe se hat kar aisa tareeqa akhtyar Karna jisme mardo ya mushrik Aurto'n ki mushabhat ( Naqal ) payi jaye Jaa'iz nahi, bina bareen ounchi ya tedhi maang nikaalna jaa'iz nhi ,,
✿:_Paranda ka istemal ,,,
⇨ Parande ka istemal bila karahat jaa'iz hai.
Next -48 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 68
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 48
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Baal Katarwana ,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
☞ Bal katrwana:_
✿ Ibtedayi islam se lekar ab tak ummat ka ta'amul Baal na katwane ka hai, Ahadees me azwaaje mutaharaat v Sahabiyaat ki mendhiyo ki tasreeh mojood hai, hajj v umre ke mauqe per Baal katarwane ki ijazat ke bawajood fuqha kiraam ne ek pore se zyada miqdaar kaatne ki ijazat nahi di or shurfa bhi Baal katarwane ko na- pasand karte hai .
⇨ Aur Zebo Zeenat ke liye kisi aise fail ko mabaah nahi kaha jayega jo ta'amul ummat ke khilaf ho, Lihaza Zebo Zeenat ki garz se Aurto'n ka Baal katarwana qat'an na- jaez hoga,
↳ ₢ Aurto'n ka Baal kaatne ka Hukm Quran v Hadees ki Roshni me ,
✿ Baal zyada lambe ho to kuchh kaatna-:-agar kisi ke Baal Bahut lambe ho or inhe sanbhalna mushkil ho jaye to is uzr ki wajha se kuchh Baal kaatne ki ijazat hai.
✿ Baal badhane ke liye kaatna,,,,-
Agar kisi ke Baal Aam aadat se chhote ho to inhe badhane ke liye Baalo ko kaatne ki zaroorat pesh aa jaye to Baalo ki nok kaatna jaa'iz hai.
✿ Baalo ki do noke nikal aaye,.
Aise Baalo ko kaatna bhi jaa'iz hai, ba-shart ye k kaatne me zyada mubaligha na kiya jaye..
✿ Baal barabar karne ke liye kaatna,:_Baal fitratan chhote bade hote hai, agar inhe barabar karne ki garz se kaata jaye to is kaatne ki had ka mutaiyan hona Bahut dushwaar hoga, laazman isme Baalo ki achhi khaasi miqdaar kat jayegi, Lihaza isse ijtenab karna hi behtar hai, Albatta Agar sirf Baalo ke siro ko trasha jaye to iski gunjaish hai.,
Next -49 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 81
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 49
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Baal Kaatne ki Mukhtalif Soorte'n,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
☞ Zulf Banana ,
✿ is maqsad ke liye Baalo ko Kaatna padhta he aur Aurto'n ke liye Baal Kaatna Jaa'iz nahi ,Lihaza Zulf nikaalne ki ijazat nahi ,
☞ Saamne Peshani per Baal Daalna.
✿ Ye Tareeqa bhi Baal katwaye bager mumkin nahi ,Lihaza ye bhi mamnoo he ,
☞ Chhoti Bachchhiyo ke Baal Kaatna ,
✿ Jo ladkiya'n baalig hone ke qareeb ho, unka Hukm baliga Aurto'n wala hai, inke alawa Chhoti bachchiyo'n ke Baal bhi bator Fashion kaatna durust nahi, Albatta Baal badhane ya garmi ki wajha se inke Baal kaatne ki gunjaish hai...
☞ Shohar ki pasand per Baal katwana:_
✿ Shariyate mutahara ne agarche Aurto'n ko shoharo ki itaat v farmabardari ka paband kiya hai ,Lekin ye pabandi sirf un umoor me hai jo Shar'an jaa'iz hai, baqi wo umoor jo Shar'an mamnoo hai un me shohar ki itaat jaa'iz nahi,
⇨ Shohar ki pasand to kya agar wo Baal kaatne ka hukm de tab bhi uski baat manna jaa'iz nhi,
↳ ₢ Ba- hawala, Musnad Ahmad, 1/131
Next -50 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 72
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
✿KHWATEEN KI ZEBO ZEENAT✿
❥ ✦❥ ✦❥✦❥ ✦❥
Part~ 50
✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿❀✿
☞ Baal Kaatne Ke Sacienci Nuqsaan,
•┈┈┈┈••✦✿✦••┈┈┈┈•
☞ Baal kaatne ke scienci Nuqsanat:_
✿ Hakeem Tariq Mehmood chugtayi is silsile me tehreer karte hai:_
"islami tarze muashrat me Aurto'n ke Sir mundwane, Baal traashwane ko sakhti se roka gaya hai,
Kyunki Aurat ke husn v haya ka talluq Baalo se Bahut zyada hai, jab yahi Baal kaat diye jate hai ,ya in Baalo ko khaas zebaish or style me banaya jata hai, jisme insaani pe iske kya asraat padte hai, mulaheza farmaye..
.
⇨ Crecent heaven field Research:_
✿America ki university ki tehqeeqat k mutabiq Baalo ka badhana khwateen ki sahat v tandurasti ke liye Bahut hi zyada zaroori hai,
Kyunki jitne Baal badhte jayenge, itni hi zyada yaddasht, quwaTe bardasht, saleeqa or besshumar bimariyo se bachaav hota jayega ,
Kyunki Aurto'n k jeenz or harmonse mein or merdo k jeenz or harmonse me zameen or aasman ka farq hai ,,
isliye mard agar Sir ke Baalo ko trashwaye ya katwayenge ye amal in ke liye Bahut hi zyada mufeed or moassir hai,
Lekin iske bar aks wo khwateen jinek Baal qudrati tor per lambe, ghane or draaz hai, wo agar Baalo ko kaatenge ya mondenge to in mein beshumar aisi bimariyan paida hoti hai, jiska tazkira bimariyo ki list mein hai, aisi Aurte'n nafsiyati bimariyo maslan( example):_depression, frustration, khud kushi ka shikar Bahut zyada hoti hai,
☞Ek sansani khez tahqeeq:_
✿ isi University ke ek professor doctor Haris ki report k mutabiq,
"meri saal ha saal ki tahqeeq jo me ne crecent university ki talbaat ( students ) per ki hai, meri tehqeeq hai wo khwateen jo apne sir ke Baalo ko mondti hai ya inhe kisi khas style mein waza karti hai ya inhe trashwati hai aisi khwateen jinsi buraiyo'n or had darja shehwat me mubtila ho jati hai ,
kyunke khwateen ke Baalo ke asrar foran jinsi harmonze per padte hai or Baalo ki nasho v numa mein khwateen k harmonze estrogen or progestron ka Bahut zyada talluq hai ,
Meine aisi khwateen ko dekha wo hamesha kisi na kisi jinsi sergarmi me masroof payi gayi,,,aisi khwateen jitna zyada bhi apni sahat v tandurasti ka khayal rakhengi, wo utna hi zyada beemar or pareshan hongi,".
Next -51 ©ontinue in sha Allah,,
Khwateen ki Zeenat Ke Sharai Ahkaam Aur Unki Scienci Hikmate'n, 63
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ρLѕ ƒoʀwαʀd to others
━═─────────────────═━
No comments:
Post a Comment