Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Friday, January 22, 2016

[MUHABBAT- E -RASOOL SALLALLAHU ALAIHIVASALLAM 41 SE MUKAMMAL]

❁✦❃21-01-2016
★         ╓━════◐◐◑════━╖
           بسم الله الرحمن الرحيم
              ╙━════◐◐◑════━╜

MUHABBAT- E -RASOOL
.❉ Sallallahu Alaihivasallam❉

               ⚄ PART- 41 ⚄

֏☞ , Ummul Momineen Umme Habiba  Raziyallahu Anha aur Muhabbat v Azmat e Rasool Sallallahu Alaihivasallam,

            ▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩

✪ Ummul momineen Umme Habiba Raziyallahu Anha ke Walid Abu Sufiyan ( Raziyallahu Anhu) Suleh Hudebiya ke zamane me Madina pahunche to apni Beti se milne Aaye ,Qareeb pade Bistar per bethne lage to Umme Habiba Raziyallahu Anha ne jaldi se Bistar ko lapet liya ,

⇰ Abu Sufiyan ne kaha ," Beti Mehman ke aane per Bistar bichhate he'n Bistar lapet te nahi he ,"

Umme Habiba Raziyallahu Anha ne Kaha , '"Abba Jaan ! Ye Bistar Allah Ta'ala ke pyare aur paak Mehboob Sallallahu Alaihivasallam ka he ,Jabki Aap mushrik hone ki Vajah se napaak he'n ,Lihaza is Bistar per nahi beth sakte,

⇨ ( Abu Sufiyan us waqt tak islam nahi laye the ,)

⇨ Abu Sufiyan  ko bada ranj hua magar Umme Habiba Raziyallahu Anha ke Dil me Jo Muhabbat aur Azmat Allah ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ki thi uske saamne khooni Rishte ki koi haisiyat nahi thi ,

✪ Qurban Jaiye unke is pyare Amal per k Baap ka talluq chhoot ta he to chhoot jaye ,Magar Mehboob Sallallahu Alaihivasallam ka Daaman haath se na chhootne paye ,

                .      ✿_ﷺ_✿
            ✿صلى الله على محمدﷺ ✿
        .   ✿ﷺﷺﷺﷺﷺﷺﷺ✿

⇲ Next- 42  in sha Allah ta'aala,

Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Se Sachchi Muhabbat aur Uski Alamaat , 42

          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
       
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
❁✦❃
❁✦❃22-01-2016
★         ╓━════◐◐◑════━╖
           بسم الله الرحمن الرحيم
              ╙━════◐◐◑════━╜

MUHABBAT- E -RASOOL
.❉ Sallallahu Alaihivasallam❉

               ⚄ PART- 42 ⚄

֏☞ , Mujhe na dekh Bhejne Wale ko Dekh ,

            ▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩

✪ Ek Sahabi Hazrat Rabiya Aslami Raziyallahu Anhu nihayat gareeb nojawan the ,Ek martaba Tazkira chhida k inhe koi apni Beti ka Rishta dene ko taiyaar nahi he ,Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne Ansar ek  Qabile ki nishandehi ki k unke paas jakar Rishta maango ,

⇰Wo Sahabi Raziyallahu Anhu gaye aur bataya k me Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ke mashware se haazir hua hu'n taki mera Nikaah aapki Beti se kar diya jaye ,

⇨ Baap ne kaha ,Bahut achchha hum ladki se maloom kar le'n ,

⇨ Jab ladki se puchha gaya to kehne lagi ,
" Abu Jaan  ! Ye mat dekho k Kon aaya he ,balki ye dekho k bhejne wala kon he ,"

Chunache foran Nikaah kar diya gaya ,

                .      ✿_ﷺ_✿
            ✿صلى الله على محمدﷺ ✿
        .   ✿ﷺﷺﷺﷺﷺﷺﷺ✿

⇲ Next- 43  in sha Allah ta'aala,

Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Sfe Sachchi Muhabbat aur Uski Alamaat , 40

       •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
❁✦❃
❁✦❃23-01-2016
★         ╓━════◐◐◑════━╖
           بسم الله الرحمن الرحيم
              ╙━════◐◐◑════━╜

MUHABBAT- E -RASOOL
.❉ Sallallahu Alaihivasallam❉

               ⚄ PART- 43 ⚄

֏☞ , Hazrat Saad Raziyallahu Anhu ka Waqya Khoobsurat Andaz me ,

            ▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩

Ek Banda Saad nami Aap ( S.A) ka Ashaab tha ,
Rang Kala tha aur Naqad me nayaab tha ,

Ek din Dariya e Rehmat Aa gaya YU Josh me ,
Saad ko Bethe bithaye le liya Agosh me ,

Saad Tune Apni Shadi Aaj tak ki ya nahi ,
Saad Bole Rishta kale ko koi deta nahi ,

Bad shakal bad rang hona isme mera chara kya ,
Mene Wo rang paya Jo mere Rab ne diya ,

Kale gore ka khayal aate hi Jazba aa gaya ,
Josh me aa kar usi Dam Aap( SA) ne farma diya ,

Saad mene aaj tera Aqd usse kar diya ,
Apne Chacha ko jakar ye khabar jaldi bata ,

Saad ne sun kar Nabi ki Guftgu ,parvaaz ki ,
Apne Chacha ke darwaze per Awaaz di ,

Sun kar ye awaaz Wo jaldi bahar aa gaye ,
Saad ki sun kar Guftgu bahut ghabra gaye ,

Bole k tu rang ka kala he aur muflis gareeb,
Me tujhe ladki du apni ye kaha tera naseeb ,

Saad bole apni marzi se to me aaya nahi ,
Mustufa ( SA) ne bheja tha aur jata hu wahi ,

Ladki unki Sun rahi thi Saad ke saare jawab ,
Boli Abu Khair to he kyu tha gusse ka khitab ,

Baap bola Saad Habshi mere dar aaya tha ,
Aur tujhse Shadi ka paigaam mujh tak laya tha ,

Rang ka he kala aur muflis v mohtaaj bhi ,
Meri izzat aur daulat ki na rakhi laaj bhi ,

Chaand si Beti use de du ye to mumkin nahi ,
Wo do kodi ka bane damaad ho sakta nahi ,

Ladki Boli khud payame Aqd lekar aaya tha ,
Ya kisi ne bheja tha banke qaasid aaya tha ,

Baap bola Khud SE me aaya nahi kehta tha Wo ,
Sarware Konen ne bheja he mujhko Beti do ,

Sunkar bas is baat ko ladki to Wo chilla uthi ,
Kya gazab ki baat Abba tumne aaj usse kahi ,

Kab me kehti hu k Uske Rang kale ko dekh ,
Me to kehti hu k uske bhejne wale ko dekh ,

Mene mana Kala he Wo husn me maand he ,
Bheje wala to lekin Chodhvi ka Chaand he ,

Teri Beti uske kale Rang per masroor he ,
Kali kamli wale ki Marzi mujhe manzoor he ,

                .      ✿_ﷺ_✿
            ✿صلى الله على محمدﷺ ✿
        .   ✿ﷺﷺﷺﷺﷺﷺﷺ✿

⇲ Next- 44  in sha Allah ta'aala,

Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Se Sachchi Muhabbat aur Uski Alamaat , 41

          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
       

For daily updates visit , •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
❁✦❃.

❁✦❃24-01-2016
★         ╓━════◐◐◑════━╖
           بسم الله الرحمن الرحيم
              ╙━════◐◐◑════━╜

MUHABBAT- E -RASOOL
.❉ Sallallahu Alaihivasallam❉

               ⚄ PART- 44  ⚄

֏☞ , Elaane Hurmat per Sharaab ko Madina ki Galiyo'n me baha dena ,

            ▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩

✪ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu farmate he'n k ,me Abu Talha Raziyallahu Anhu ke ghar ek giroh ko Fateeh nami Sharaab pila raha tha, Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne ek munadi karne wale ko hukm diya k Wo elaan kare ,,
" Suno Beshak Sharaab ko haraam qaraar de diya gaya he ,"
⇰Hazrat Anas Raziyallahu Anhu ne bayan kiya ," Abu Talha Raziyallahu Anhu ne mujhse kaha ,
" Ye sharaab bahar udel do ,"

Me utha aur Sharaab ko bahar udel diya ,
( logo ke kasrat se sharaab galiyo'n me udelne ki Vajah se ) Wo galiyo'n me behne lagi ,

⇨ Sharaab ki harmat ka elaan sun kar Sachchi Muhabbat karne wale paak baaz insano ka radde Amal use galiyo'n me fekne ke Siva aur kuchh na tha aur isi bina per Sharaab galiyo'n me is tarah behne lagi jis tarah sailaab ka pani galiyo'n me behta he ,

Sahih Bukhari ,

⇨ Allahu Akbar in Paak baaz aur Muhabbat karne walo ki itteba v ita'at e Rasool Sallallahu Alaihivasallam ke kya kehne ,inhi sachche aur muqaddas logo ke Mutalliq Rabbul Aalameen ka irshad he ,
" Momino ki shan to ye he k Jab Allah Ta'ala aur uske Rasool ki taraf faisle ke liye bulaye jaye to unka jawab iske Siva kuchh nahi ho ,humne hukm suna aur hukm maana , yaqinan ese hi log he'n Jo kamyaab hue ,"

                .      ✿_ﷺ_✿
            ✿صلى الله على محمدﷺ ✿
        .   ✿ﷺﷺﷺﷺﷺﷺﷺ✿

⇲ Next- 45  in sha Allah ta'aala,

Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Se Sachchi Muhabbat aur Uski Alamaat , 60

          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
       
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
❁✦❃
❁✦❃25-01-2016
★         ╓━════◐◐◑════━╖
           بسم الله الرحمن الرحيم
              ╙━════◐◐◑════━╜

MUHABBAT- E -RASOOL
.❉ Sallallahu Alaihivasallam❉

               ⚄ PART- 45  ⚄

֏☞ ,Ek Aurat ka Aap Sallallahu Alaihivasallam se Vaiyde Sunkar Sone ke Dono Kangan Utaarna ,

            ▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩

✪ Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ki itteba karne wale sirf Sahaba kiraam hi nahi the balki Aapse Muhabbat karne wali imaandar Sahabiyaat bhi usi tarah Aapki ita'at karti thi ,

✪ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu se Rivayat he ,Unhone bayan kiya k ek Aurat Apni Beti ke Saath Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat me haazir hui ,Beti ki kalaiyo'n me sone ke do mote mote Kangan the,

⇨ Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,,

" Kya tum inki Zakaat ada karti ho ? "

Aurat ne arz kiya ," Nahi ,"

Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,

" Kya tumhe ye baat pasand he k Sone ke in do Kangano ki vajah se tumhe Jahannam ki Aag ke do Kangan pehnaye jaye ? "

⇨ Raavi ka bayan he Aurat ne Wo dono Kangan utaar kar Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat me pesh kar diye aur Arz kiya ,

" Ye dono ( Kangan ) Allah Ta'ala aur uske Rasool Sallallahu Alaihivasallam ke liye he'n ,"

✪ Allahu Akbar  ! Aurat ne Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ke irshad ki tameel me un Kangano ki Zakaat ada karne per hi iktifa na kiya balki unki milkiyat hi se Dastbardaar hote hue unhe Aap Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat me pesh kar diya k Aap Sallallahu Alaihivasallam jaha chahe Allah ki Raah me unhe kharch kar de'n ,

                .      ✿_ﷺ_✿
            ✿صلى الله على محمدﷺ ✿
        .   ✿ﷺﷺﷺﷺﷺﷺﷺ✿

⇲ Next- 46  in sha Allah ta'aala,

Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Se Sachchi Muhabbat aur Uski Alamaat , 61

          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
      
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
❁✦❃
❁✦❃26-01-2016
★         ╓━════◐◐◑════━╖
           بسم الله الرحمن الرحيم
              ╙━════◐◐◑════━╜

MUHABBAT- E -RASOOL
.❉ Sallallahu Alaihivasallam❉

               ⚄ PART- 46  ⚄

֏☞ ,  itteba e Sunnat ki Khasiyat ,

            ▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩

✪ Hazrat Haaji imdadullah Muhajir Makki Reh. Farmate he'n k itteba e Sunnat ki khasiyat ye he k isme mehbubiyat he ,aur mehbubiyat ka khassa he k Jab insaan itteba e Sunnat ka Tareeqa akhtyar karta he to Allah Ta'ala usko apni taraf kheench lete he'n,

✪ Quran Majeed me irshad he ,

Surah Ash-Shura, Aayat 13:

اللَّهُ يَجْتَبِي إِلَيْهِ مَن يَشَاءُ وَيَهْدِي إِلَيْهِ مَن يُنِيبُ

" Apni taraf kheench leta he Jisko Chahta he Hidayat deta he us Shakhs ko Jo Allah Ta'ala se Ruju kare ,"

⇨ Chunache Hazrat Haaji Reh .Farmate he'n ,k itteba e Sunnat me mehbubiyat ki khasiyat he aur iski khasiyat ka taqaza ye he k Jo Shakhs bhi itteba e Sunnat ke Raaste per Chalega Allah Ta'ala khud usko Apni taraf Kheench lega ,

⇨ Apne Aapko Sunnat ke saanche me dhaal lo goya tumhari Subeh se le kar ki Zindgi Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ki Sunnat ki pervi me basar honi chahiye ,

                .      ✿_ﷺ_✿
            ✿صلى الله على محمدﷺ ✿
        .   ✿ﷺﷺﷺﷺﷺﷺﷺ✿

⇲ Next- 47  in sha Allah ta'aala,

Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Se Sachchi Muhabbat aur Uski Alamaat , 67

          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
         •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
❁✦❃
❁✦❃27-01-2016
★         ╓━════◐◐◑════━╖
           بسم الله الرحمن الرحيم
              ╙━════◐◐◑════━╜

MUHABBAT- E -RASOOL
.❉ Sallallahu Alaihivasallam❉

               ⚄ PART- 47  ⚄

֏☞ ,  Itteba e Sunnat Kuchh Mushkil Nahi ,

            ▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩

✪ itteba e Sunnat ke ye ma'ani he k Zindgi ke har kaam ko us tareeqe se anjaam dena Jo Tareeqa Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne Tajveez farmaya aur Jis per Amal karke dikhaya he ,Ye he itteba e Sunnat,

✪ Ab sawal ye paida hota he k Zindgi ke har shobe me Sunnat ki pervi ho ye bhi to bada mushkil kaam he ,Hamare Hajraat ne iska bhi Tareeqa tajveez kar diya ,Ab koi Aadmi karna hi na chahe to Wo baat alag he ,lekin Tareeqa to hamare buzurgo ne bata diya k ek hi din me aur ek hi Raat me saari sunnato ko tum Shayad kar na sabko lekin is Raaste ki taraf chalna Shuru kar do ,

⇨  Sirf zaviya nigaah badalne ki baat he ,::---

✪ Jo kaam Aap subeh se shaam tak karte he'n un kaamo ko Jo aaj bhi kar rahe he'n itteba e Sunnat ki niyat se anjaam dena shuru kar do. ,

                .      ✿_ﷺ_✿
            ✿صلى الله على محمدﷺ ✿
        .   ✿ﷺﷺﷺﷺﷺﷺﷺ✿

⇲ Next- 48  in sha Allah ta'aala,

Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Se Sachchi Muhabbat aur Uski Alamaat , 68

          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
       
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
❁✦❃
❁✦❃28-01-2016
★         ╓━════◐◐◑════━╖
           بسم الله الرحمن الرحيم
              ╙━════◐◐◑════━╜

MUHABBAT- E -RASOOL
.❉ Sallallahu Alaihivasallam❉

               ⚄ PART- 48  ⚄

֏☞ , Khana Khate waqt   itteba e Sunnat ki Niyat Kijiye,

            ▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩

✪ Chunki Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne bhi khana tanavul farmaya to khana khate waqt ye Tasavvur kar le k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam  bhi khana tanavul farmaya karte the ,

⇰Aapka Tareeqa ye tha k khane se pehle ," Bismilla hirrahman Nir Raheem ," padhte the , aur khane ke baad ye keh kar Allah ka Shukr Ada karte the ,

" Alhamdulilla hillazi at'amna va saqana va ja'alna minal muslineen ,"

✪ Khane ke waqt ye Niyat kar le k me apne nafs ka haq ada kar raha hu aur Doosra ye k jis tarah Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam khana khaaya karte the us tareeqe per khana kha raha hu ,To is tarah khane ke tareeqe me itteba e Sunnat Haasil hogi ,

                .      ✿_ﷺ_✿
            ✿صلى الله على محمدﷺ ✿
        .   ✿ﷺﷺﷺﷺﷺﷺﷺ✿

⇲ Next- 49  in sha Allah ta'aala,

Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Se Sachchi Muhabbat aur Uski Alamaat , 69

          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
       
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
❁✦❃
❁✦❃29-01-2016
★         ╓━════◐◐◑════━╖
           بسم الله الرحمن الرحيم
              ╙━════◐◐◑════━╜

MUHABBAT- E -RASOOL
.❉ Sallallahu Alaihivasallam❉

               ⚄ PART- 49  ⚄

֏☞ , Ghar Jate waqt bhi   itteba e Sunnat ki Niyat Kijiye,

            ▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩

⇨ Ghar Jate waqt itteba e Sunnat,

✪  Jab ghar jate he'n to Bivi Bachcho se yaqinan baate karte he'n, lekin Niyat ye kar le k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam jab bhi ghar aate to ghar walo se Khanda Peshani ke saath pesh aate the, Unse khush tabiyat se baate karte the,

⇨ Aap Sallallahu Alaihivasallam Raat ko Hazrat Aayesha Raziyallahu Anha ko Aurto'n ki kahani suna rahe he'n k ,

" Ey Aayesha Yaman ke Andar gyarah ( 11 ) Aurte'n thi ,unhone Aapas me ye tay kiya tha k har Aurat apne Shohar ka haal bayan karegi ,,,,,,,,"

⇨ Garz poora waqiya Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne Hazrat Aayesha Raziyallahu Anha ko sunaya Jo Bukhari Sharif me aaya he ,"

✪ Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Hazrat Aayesha Raziyallahu Anha se farma rahe he'n k bahar sahan me Habshi log neza baazi ka muzahira kar rahe he'n, tum dekhna chahti ho ,?

✪ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Hazrat Aayesha Raziyallahu Anha ko kandhe ke pichhe khada kar liya k yaha se dekh lo taki Parda bhi barqarar rahe ,

⇰Aap Sallallahu Alaihivasallam ki neza baazi me dilchaspi nahi thi lekin unki dildaari ki khatir Aapne thodi der ke baad puchha k Aayesha chale ,

↬Hazrat Aayesha ne farmaya, Nahi ya Rasulallah abhi aur dekhungi ,

⇰Aap Sallallahu Alaihivasallam aur khade hue aur farmaya ,
"ke Tumme Sabse behtar Wo log he'n Jo apni Aurto'n  saath Achchha Sulook kare ,aur me Apni Aurto'n ke saath sabse Achchha Sulook karne wala hu'n ,"

                .      ✿_ﷺ_✿
            ✿صلى الله على محمدﷺ ✿
        .   ✿ﷺﷺﷺﷺﷺﷺﷺ✿

⇲ Next- 50  in sha Allah ta'aala,

Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Se Sachchi Muhabbat aur Uski Alamaat , 70

          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
         •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
❁✦❃
❁✦❃30-02-2016
★         ╓━════◐◐◑════━╖
           بسم الله الرحمن الرحيم
              ╙━════◐◐◑════━╜

MUHABBAT- E -RASOOL
.❉ Sallallahu Alaihivasallam❉

               ⚄ PART- 50  ⚄

֏☞ , Har Kaam me itteba e Sunnat ki Niyat kar le ,

            ▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩

✪ Apne Ghar walo se Hansi mazaaq bhi kare to. dil me ye Niyat Kare k Huzoor Sallallahu bhi ghar walo se khush tabiyat raha karte the, lihaza mai itteba e Sunnat ki khaatir ye kaam kar raha hu'n ,

✪ Aap bhi Bachcho ke saath khelte he'n aur jab ghar jate he'n to Bachcha Achchha lagta he aur Aap god me utha lete he'n ,magar hum  ye sab gaflat ke Aalam me karte he'n,

⇨ Ab ghar jao to ye Tasavvur kar lo k Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Bachcho ke saath safqat farmaya karte the ,

⇨ Hadees me aata he k Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam Khutba de rahe he'n, Aap Sallallahu Alaihivasallam ne dekha k Hasan Raziyallahu Anhu aur Husen Raziyallahu Anhu ludhakhte hue Masjid ke Andar aa rahe he'n,

Aap Sallallahu Alaihivasallam ne mimbar se niche utar kar unko god me utha liya ,Kyuki Aapko Bachcho ke saath bahut Muhabbat thi ,

⇨ Aaj ye soche k mai Ye kaam Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ki Sunnat ki itteba me kar raha hu'n ,To ye Amal itteba e Sunnat ke saanche me dhal jayega ,

                .      ✿_ﷺ_✿
            ✿صلى الله على محمدﷺ ✿
        .   ✿ﷺﷺﷺﷺﷺﷺﷺ✿

⇲ Next- 51  in sha Allah ta'aala,

Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Se Sachchi Muhabbat aur Uski Alamaat , 70

          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
         •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
❁✦❃
❁✦❃31-01-2016
★         ╓━════◐◐◑════━╖
           بسم الله الرحمن الرحيم
              ╙━════◐◐◑════━╜

MUHABBAT- E -RASOOL
.❉ Sallallahu Alaihivasallam❉

               ⚄ PART- 51  ⚄

֏☞ ,  Itteba e Sunnat Kuchh Ki Ahmiyat Hazrat Mujaddid Alfisani Rahmatullah Ki Nazar me ,

            ▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩

✪ Hazrat Mujaddid Alfisani Rahmatullah farmate he'n k Allah Ta'ala ne mujhe ilme Zahir ata farmaya ,Yani ye ilme Hadees Tafseel ke saath hasil kar chuka to khayal aaya k Sufiya kiraam Jo uloom liye bethe he'n unko bhi dekhna chahiye k ye kya uloom he ,

✪ Sufiya Kiraam ke Jo Silsile he'n Wo saare mene Haasil kiye aur Jo tareeqe unhone bataye he'n sab per Amal kiya ,Yaha tak k Allah Ta'ala ne iske natije me mujhe esa maqaam ataa farmaya k mai Aapko kya batau ,log kahenge ye khud numai kar raha he ,

⇨ Lekin ye Haqeeqat he k Allah ne mujhe is maqaam tak pahunchaya k khud Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne apne daste Mubarak se mujhe Khul'at pehnaya ,

AUR farmaya k mai isse bhi aage us maqaam tak pahuncha k agar mai iski tafseel bayan karu to Fuqha kahenge k ye kaafir ho gaya aur Sufiya kahenge k ye Zindeeq ho gaya ,lekin Wo maqamaat mene apni Aankho se dekhe ,Un saare maqamaat ko Haasil karne ke baad mai ek esi Dua karta hu'n in sha Allah Jo is Dua per Aameen kahega uski bhi Nijaat ho jayegi ,

⇨. Dua Ye he ,

" Ey Allah ! Mujhe itteba e Sunnat ki Zindgi ataa farma aur Usi per mujhe Maut ataa farma aur itteba e Sunnat hi ke haal me mera Hashr farma ,,,Aameen,, "

✪ Yaad rakhiye ! Log Jo kuchh Karamaat v ilhaam vagera Bayan karte he'n koi Haqeeqat nahi rakhte ,Jo kuchh maqaam aur Martaba he Wo itteba e Sunnat hi ka he , Buniyadi Baat itteba e Sunnat ki fikr paida karna he ,

                .      ✿_ﷺ_✿
            ✿صلى الله على محمدﷺ ✿
        .   ✿ﷺﷺﷺﷺﷺﷺﷺ✿

⇲ Next- 52  in sha Allah ta'aala,

Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Se Sachchi Muhabbat aur Uski Alamaat , 71

          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
         •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
❁✦❃
❁✦❃01-02-2016
★         ╓━════◐◐◑════━╖
           بسم الله الرحمن الرحيم
              ╙━════◐◐◑════━╜

MUHABBAT- E -RASOOL
.❉ Sallallahu Alaihivasallam❉

               ⚄ PART- 52  ⚄

֏☞ ,  Ye Kaam Sochne Ka nahi Karne Ka he ,

            ▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩

✪ Hazrat Thanvi Reh. Farmate he'n k Ahliya ke itteba e Sunnat ka ahatmam dekhne ke baad mene ye kaam kiya k Apni Zindgi ka Jaayza liya ,Saare Kaam Chhor kar Teen din is kaam me sarf kiye k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ki Sunnato ka jaayza liya k Konsi Sunnat per Amal Karta hu'n aur Konsi Sunnat per Amal nahi karta aur Jis per nahi karta us per Amal shuru karu ,

⇰Farmate he'n Alhamdulillah Teen Din ki mehnat ke baad Raahe Amal saaf ho gayi aur iske baad mene ye tay kar liya k baqi Sunnato per Amal karunga ,

⇨ Lihaza ye kaam Sochne ka nahi karne ka he ,Allah Ta'ala Aapko bhi aur Mujhe bhi is tareeqa kaar per Amal karne ki Tofeeq ataa farmaye , ( Aameen )

⇨ Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam se Muhabbat ka Samra ,::---

✪ Ye to maloom he k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam hamari Muhabbat ke mohtaaj nahi he'n ,Hum Nakaara log Aap Sallallahu Alaihivasallam se Muhabbat kare na kare ,isse Aapki izzat v Azmat aur raf'at v Buzurgi me na kuchh izafa hoga aur na kami waqe hogi ,Wo to Kaaynaat ke Khaaliq ,Maalik ,Raazi aur Nizaam chalane wale Allah Ta'ala ke Habeeb he'n ,

⇨ isi per bas nahi balki unka maqaam v martaba to Rab Zuljilaal ke yaha itna Azeem aur Buland he k Jo unki itteba kare woh use bhi apna Mehboob bana leta he aur Uske Gunaah maaf farma deta he ,

✪ Maula e Kareem Khud irshad farmate he'n, " Agar tum Waqai Allah Ta'ala se Muhabbat karte ho to meri pervi karo ,Agar Tumne ESA KIYA to Allah Ta'ala tumse Muhabbat karega aur Tumhari Khatao'n ko bakhsh Sega ,Wo bada bakhshne wala Meharban he ,"

⇨ Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam se Muhabbat ka Faayda Muhabbat karne wale ko hi Haasil hota he ,Wo Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Muhabbat ki Vajah se Duniya v Akhirat me sarfaraaz v Sarbuland hota he ,

                .      ✿_ﷺ_✿
            ✿صلى الله على محمدﷺ ✿
        .   ✿ﷺﷺﷺﷺﷺﷺﷺ✿

⇲ Next- 53 in sha Allah ta'aala,

Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Se Sachchi Muhabbat aur Uski Alamaat , 71

          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
       
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
❁✦❃
❁✦❃02-02-2016
★         ╓━════◐◐◑════━╖
           بسم الله الرحمن الرحيم
              ╙━════◐◐◑════━╜

MUHABBAT- E -RASOOL
.❉ Sallallahu Alaihivasallam❉

               ⚄ PART- 53  ⚄

֏☞ ,  Hazrat Maulana Qasim Sahab Nanotvi Reh. Aur Unki Muhabbat -1 ,

            ▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩

✪ Hazrat Maulana Qasim Sahab Nanotvi Reh. Jab Hajj ki Sa'adat Haasil karne ke liye tashreef le gaye ,Faragat ke baad Jab Madina Munavvara ki Taraf ravaangi hui to Kai meal door hi Gumbade Khizra per Nazar padhte hi Apne Joote utaar liye ,Halanki Waha se Rassta Nukile daar pattharo ke tukdo se bhara tha magar Aapke Zameer ne ye gawara na kiya k Dayare Habeeb me Joota pehan kar chala jaye ,Na maloom kis maqaam per Huzoor ﷺ per noor ke aqdaam pade ho aur meri kya majaal k me Joota pehan kar is maqaam per chalu ,

✪ Ek Martaba Hazrat Maulana Rasheed Ahmad Sahab Gangoi Reh . ne Hazireen majlis se farmaya k Maulana Qasim Sahab Nanotvi Reh. Ko gulaab se zyada Muhabbat thi ,Jaante bhi ho kyu thi ?

Ek Sahab ne arz kiya k Hazrat ek Zaief Hadees me aaya he k Gulaab Janabe Rasulullah ﷺ ko ke Arqe Mubarak se bana hua he ,

Farmaya k haa'n , Hadees Zaief he magar he to Hadees ,

⇨ Kya ye ishq v Muhabbat ki ma'araaj nahi ? K gulaab ko Aap Hazrat ﷺ se ek talluq he ,isliye Hazrat ko Gulaab sabse zyada Mehboob he , Hadees ki Sahat aur Zof se is waqt bahas nahi ,batlana Sirf ye he k Hazrat Nanotvi Reh. Ko Huzoor ﷺ se kis qadar Aqeedat v Muhabbat thi ,

                .      ✿_ﷺ_✿
            ✿صلى الله على محمدﷺ ✿
        .   ✿ﷺﷺﷺﷺﷺﷺﷺ✿

⇲ Next- 54  in sha Allah ta'aala,

Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Se Sachchi Muhabbat aur Uski Alamaat , 74

          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
         •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
❁✦❃
❁✦❃03-02-2016
★         ╓━════◐◐◑════━╖
           بسم الله الرحمن الرحيم
              ╙━════◐◐◑════━╜

MUHABBAT- E -RASOOL
.❉ Sallallahu Alaihivasallam❉

               ⚄ PART- 54  ⚄

֏☞ ,  Hazrat Maulana Qasim Sahab Nanotvi Reh. Aur unki Muhabbat -2 ,

            ▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩

✪ Hazrat Nanotvi Reh. Ko Rasulullah ﷺ ke saath Qalbi talluq kitna tha aur Aap ﷺ ke naam Mubarak ki unke Dil me kis qadar Azmat thi ,iska andaza Kijiye k Janabe Rasulullah ﷺ ka Mubarak isme giraami Sun kar larza badan me pad jata tha aur Chehra ka rang mutagayyar ho jata tha aur ek Ajeeb haalat numaya hoti thi Jo kisi ke  bayan me nahi aa sakti ,

✪ Hazrat Nanotvi Reh. Rasulullah ﷺ per Darood v Salaam ki khud bhi kasrat farmate the aur Apne Muataqqadeen v Mutavalleen ko bhi iski nasihat v Vasiyat farmate the,

⇨ Ek jagah likhte he'n k Darood Sharif ki jitni Kasrat ho sake utni behtar he ,

✪  Ek Aadmi Aapki khidmat me aaya ,Usne sabz Rang ka Joota pesh kiya to Hazrat ne joota to le liya lekin ghar me rakh diya ,kisi ne baad me puchha ,

Hazrat Fala ne Aapko bahut Achchha joota diya tha ,ilaaqe me aksar log pehan te he'n ,Khoobsurat bhi bana hua tha ,

Farmaya - Maine Joota le to liya tha k uski dil joi ho jaye magar Pehan isliye nahi k Dil me socha k mere Aaqa Rasulullah ﷺ ke Roza e Aqdas ka Rang Sabz he ,ab me apne paanv me is Rang ka joota kese pehnu ,

✪ Aap Jab Haram Sharif tashreef le gaye to ek Aadmi ne dekha k Aap nange paanv Madina ki galiyo'n me chal rahe he'n aur Paanv ke Andar se khoob rishta chala ja raha he ,

Kisi ne puchha Hazrat Joota pehan lete ,

Farmaya - Pehan to leta lekin jab Maine socha k is dayaar me Aaqa Rasulullah ﷺ chala karte the ,To mere Dil ne gawara na kiya k Qasim iske ouper Jooto ke saath chalta fire ,

⇨ Allahu Akbar ! Kese Diwane aur Parvane the Rasulullah ﷺ ke ,

                .      ✿_ﷺ_✿
            ✿صلى الله على محمدﷺ ✿
        .   ✿ﷺﷺﷺﷺﷺﷺﷺ✿

⇲ Next- 55  in sha Allah ta'aala,

Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Se Sachchi Muhabbat aur Uski Alamaat , 75

          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
       
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
❁✦❃
❁✦❃04-02-2016
★         ╓━════◐◐◑════━╖
           بسم الله الرحمن الرحيم
              ╙━════◐◐◑════━╜

MUHABBAT- E -RASOOL
.❉ Sallallahu Alaihivasallam❉

               ⚄ PART- 55  ⚄

֏☞ , Hazrat Maulana Rasheed Ahmad Gangohi Reh. Aur unki Muhabbat,-1 ,

            ▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩

✪ Hazrat Maulana Rasheed Ahmad Gangohi Reh. Faqeeh e Waqt the, Ek Aadmi Hajj se wapas aaya aur waha se Kuchh Kapda laya ,Usne Wo Kapda Hazrat ki khidmat me pesh kiya ,

⇰Hazrat ne Jab use liya to use chooma aur Apne Sar ke ouper rakh liya ,jese badi izzat wali koi cheez ho ,Talba ( Students)  bethe hue the unhone arz kiya,

Hazrat ! Ye to fala Mulk ka bana hua Kapda he ,Madina ke log Khareed kar aage farokht karte he'n ,

Farmaya - mai Tasleem karta hu'n k ye Madina ka bana hua nahi he ,magar mai to is liye iski izzat karta hu'n k use Madine ki hawa lagi hui he ,

✪ Hazrat Gangohi Reh. Ka Sunnate Mustafa ke saath ishq is darje Kaamil tha k Aapko Arbi Mahino ke naam chhor kar Angrezi Mahino ke naamo ka istemal bhi gira'n guzarta tha ,

⇨ Maulana Muhammad Ismail Sahab Hazrat ki khidmat me ek Martaba tashreef farma the k Kisi Shakhs ne puchha k Aap Gawaliyar Kab jaoge ?

Unhone jawab diya k July ki fala Tareekh ko ,

Hazrat Gangohi Reh. ne tajjub se irshad farmaya k aur Maah tareekh nahi he Jo Angrezi Mahino ka istemal kiya jaye ,

✪  Ek Shakhs Aapki khidmat me aaya aur kehne laga k mera naam mere waliden ne Kaale rakha tha ,logo ne Muhammad Kaale kehna shuru kar diya ,Ab isi naam se Maroof hu'n ,Mera Ji chahta he k Koi mere naam ko Sahi kahe ,

Aapne farmaya k Tumhara naam ko sahi kehna bahut asaan he ,

Usne puchha - k kis tarah ,?

Farmaya - "_Har dam Naam Muhammad _ﷺ_ Kaale ,""

                .      ✿_ﷺ_✿
            ✿صلى الله على محمدﷺ ✿
        .   ✿ﷺﷺﷺﷺﷺﷺﷺ✿

⇲ Next- 56  in sha Allah ta'aala,

Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Se Sachchi Muhabbat aur Uski Alamaat , 78

          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
      
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
❁✦❃
❁✦❃05-02-2016
★         ╓━════◐◐◑════━╖
           بسم الله الرحمن الرحيم
              ╙━════◐◐◑════━╜

MUHABBAT- E -RASOOL
.❉ Sallallahu Alaihivasallam❉

               ⚄ PART- 56  ⚄

֏☞ ,  Hazrat Maulana Rasheed Ahmad Gangohi Reh. Aur Unki Muhabbat,-2 ,

            ▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩

✪ Ek Martaba Waaz ke dauran farmaya, mai Aapko kehta hu k Haq Ta'ala ne hi mujhe Wo yaqeen ataa farmaya tha k Ladko ke saath khela karta tha aur Juma ka waqt aa jata to Khel chhor kar Jata aur Ladko se keh deta k Maine apne Mamu se suna he k Rasulullah _ﷺ_ ne farmaya he k Teen Juma ko chhorne se Aadmi munafiq likha jata he ,Logo ko kehta hu'n k Aakhir musalman he'n ,Khuda aur Rasool per Yaqeen he ,Fir ese gaafil kyu he'n  ?

⇰Jis farmane Rasulullah _ﷺ_per log bade ho kar gaflat barat te he'n gor farmaye k Hazrat Gangohi Reh. Bachpan me kitna khayal farmate the, aur kesa pukhta yaqeen Janabe Nabi Kareem  _ﷺ_ ke  Qaul per rakhte the,

⇨ Ye Haqeeqat he k jise Haq ta'ala apna banana chahe bachpan hi se uske asaar waaze hona shuru ho jate he,'n ,Yahi haal Hazrat ka tha aur isi ka Asar tha k Hazrat apne Khuddam v Mutavalleen ko itteba e Sunnat ki bahut takeed farmate the,

⇨ Ek khat me tehreer farmate he'n k ,Sabko mahaz Fazal Haq Ta'ala ko Jaan na chahiye aur Apne per Shukr aur Nadamat laazim he aur Ummeedvar  Rehmat e haq Ta'ala ka rehna chahiye aur itteba e Sunnat ka bahut bahut khayal rahe ,

✪ Ek aur Maqaam per likhte he'n k ,itteba e Sunnat ka khayal har haal me peshe nazar rahe k iske barabar koi Amr Duniya me Raza e Haq Ta'ala ke waste nahi , isse zyada kya likhu is dastoor e Amal SE behtar koi aur Dastoor e Amal nahi paya ,

⇨ Hazrat Shekhul Hadees Maulana Zakariya Reh .farmate he'n k Hazrat Gangohi Reh. Ke Vasiyat naame me bahut zor se likha he k Apni Aal Aulaad sab Dosto k takeed karta hu k itteba e Sunnat ko bahut Zaroori jaan kar Shara ke muwafiq Amal kare ,Thodi  mukhalfat ko bhi apna sakht dushman jaane ,

                .      ✿_ﷺ_✿
            ✿صلى الله على محمدﷺ ✿
        .   ✿ﷺﷺﷺﷺﷺﷺﷺ✿

⇲ Next- 57  in sha Allah ta'aala,

Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Se Sachchi Muhabbat aur Uski Alamaat , 78

          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
         •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
❁✦❃

❁✦❃06-02-2016
★         ╓━════◐◐◑════━╖
           بسم الله الرحمن الرحيم
              ╙━════◐◐◑════━╜

�� MUHABBAT- E -RASOOL ��
.❉ Sallallahu Alaihivasallam❉

               ⚄ PART- 57  ⚄

֏☞ ,  Shekhul Islam Maulana Husain Ahmad Madni Reh. Aur unki Muhabbat,- 1,

            ▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩

✪ Qari Miya"n Sahab Mudarris Madarsa Fateh puri Dehli likhte he'n k ,--

"_Tahajjud me Avval Do Raka'at mukhtasar  padhta aur Uske baad Do raka'at taveel Jinme ded do paare qiraar farmate ,Tahajjud ki qiraat qadre jahar se ada farmate Paas betha hua Aadmi gor se sune to poori qiraat sun sake ,

Qiraat karte waqt is qadar khushu itna girya ,Seena Mubarak se ese kholte hue garam saans ,janabe Rasulullah _ﷺ_ ki Namaz ki kaifiyat Ahadees me zikr ki gayi he ,

⇰Aap _ﷺ_Namaz esi padha karte the k Aap _ﷺ_ke Andar se Rone ki Rone ki Vajah se haandi ke josh maarne ki awaaz ki tarah se awaaz aati thi , "

✪ Wo manzar k Maine Apni Aankho SE dekha aur Kaano se Suna ,Tahajjud ki Namaz se Faarig ho kar Pehle Dua maangte fir musalle per Astagfaar karne ke liye beth jate , Tasbeeh haath me hoti ,Jeb me se Rumaal nikaal kar aage rakh lete ,Ugaal daan qareeb rakh liya karte ,us waqt Rone ka Jo manzar baar baar dekhne me aaya, Musalsal Aankho se Aansuo'n ki ladiya'n jaari Rumaal SE saaf karte jate ,aur Astagfaar Jhoom jhoom kar padhte jate ,

⇨ Kabhi kabhi kalmaat padhte ,Baaz Avqaat isi kurbo becheni ke Aalam me faarsi ya Urdu ka koi Sher padha karte , Fajar ki NAMAZ tak yahi mamool rehta ,

✪  Mufti Mehndi Hasan Sahab Tehreer farmate he'n k ,

"_ibaadat e khudavandi ka ye Zoq k Shadeed Marzi ki haalat me bhi Fajar me Tawale mufassal hi padha karte the ,

Sunnat ke ese Shaidai the k kamaak ko pahunche hue the ,Jin umoor ko Adna talluq bhi Rasulullah _ﷺ_se ho un per Amal karte the,

⇨ Duniya ko hairat hogi k Darul uloom ke Chaman me Keekar ka darakht lagwaya ,Logo ko khayal hua k is darakht se kya faayda ? Na isme fal na fool ,na khushnumai na Zeenat, fir kyu lagwaya ?

Tehqeeq se pata chala k Aap Hazrat _ﷺ_ ne Keekar ke darakht ke niche beth kar Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum se Bayt li thi Jo " Bayte Rizwan " ke naam se jaani  jati he , Ye darakht uski Yaadgaar he ,

                .      ✿_ﷺ_✿
            ✿صلى الله على محمدﷺ ✿
        .   ✿ﷺﷺﷺﷺﷺﷺﷺ✿

⇲ Next- 58  �� in sha Allah ta'aala,

�� Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Se Sachchi Muhabbat aur Uski Alamaat , 82

          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
       
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
❁✦❃
❁✦❃07-02-2016
★         ╓━════◐◐◑════━╖
           بسم الله الرحمن الرحيم
              ╙━════◐◐◑════━╜

�� MUHABBAT- E -RASOOL ��
.❉ Sallallahu Alaihivasallam❉

               ⚄ PART- 58  ⚄

֏☞ ,  Itteba e Sunnat Hi se Raza e Mustafa _ﷺ_,

            ▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩

✪ Islaam ke farog me  sabse zyada Ahmiyat jis cheez ko Haasil he wo Muhabbat e Rasool _ﷺ_hi he ,Wo muhabaan e Rasool _ﷺ_hi the Jo islaam ke paigam ko lekar kohe dasht me sargawa'n  fira karte the ,isi Muhabbat ka kaishma tha jisne un logo ko sailabe Baatil ke muqable me diwaare Haq bana diya tha, isi Muhabbat ka jaadu tha Jo Qaisaro Kisra jesi Azeem taqato ke Sar chad kar bola ,

⇰Ye hubbe Mustafa _ﷺ_aur ishqe Mustafa _ﷺ_hi tha jisne maidane wafa me Husain bin Ali Raziyallahu Anhu ko Sabr ,Zaid Raz. Ko istaqlaal ,Bilaal Raz. V Suheb Raz. Ko Saabit qadmi ,Khalid bin Valeed Raz. Ko Shuja'at aur Tariq bin Ziyaad ko Avlul Azmi ataa ki thi  , Ishqe Rasool _ﷺ_hi ne Arab ke Sehra Nasheeno ko Taaje Iraan aur Takhte Rom ka Maalik banaya tha ,Yahi Wo jazba tha jisne unhe zindgi ke har Maidan me kaamyabi ataa ki thi ,

✪ Lekin Ye Josh v Muhabbat aur Zoqe ishq hum logo ki tarah mahaz zabani daava nahi tha ,Aaj hum log he'n Jo sirf Zaban se ishq ke daave karte he'n aur is daave ke sile me apni Magfirat ka yaqeen khayal karte he'n, Goya k is daave se Ahkaam e ilaahi ki pabandi na Usva e Rasool _ﷺ_ka paas ,?

⇨Kya Yahi Muhabbat e Rasool _ﷺ_he k hum poori Zindgi ko lahu v lahab me guzaar de aur Deen ka khayal tak na aaye aur Apne is zabani Daave per khud ko Jannat ka haqdaar Tasavvur karne lage ,

                .      ✿_ﷺ_✿
            ✿صلى الله على محمدﷺ ✿
        .   ✿ﷺﷺﷺﷺﷺﷺﷺ✿

⇲ Next- 59  �� in sha Allah ta'aala,

�� Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Se Sachchi Muhabbat aur Uski Alamaat , 85

          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
       
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
❁✦❃
❁✦❃08-02-2016
★         ╓━════◐◐◑════━╖
           بسم الله الرحمن الرحيم
              ╙━════◐◐◑════━╜

�� MUHABBAT- E -RASOOL ��
.❉ Sallallahu Alaihivasallam❉

               ⚄ PART- 59  ⚄

    ֏☞ , Mahaz Daava Daleel nahi ,

            ▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩

✪ Mahaz Zaban se Muhabbat ka Daava Muhabbat ki daleel nahi ban sakta he ,

⇰Koi Shagird agar zaban se ye Daava kare k Wo Apne ustaad ka Farmabardaar he ,uski bahut izzat karta he ,usse bepanaah Muhabba aur Aqeedat he ,uske hukm ko jaan se zyada Azeez rakhta he ,

⇨ Lekin doosri taraf Wo na Uske diye hue sabaq ko yaad karta he ,na claas me pabandi se haazir rehta he ,School ke waqt khel tamasha me ghoomta firta he ,Kitaab padhta he na fees deta he ,To fir uska ye Daava sarasar Jhoot he ,Fareb he ,Esa Talibe ilm apne imtihaan me shartiya nakaam hoga ,

⇨ Dar asal ye ek esa Tasavvur he Jo imaan ki kamzori ki vajah se paida hota he ,Jis Tarah isaaiyat me me ye Tasavvur paida ho gaya k Hazrat Eisa Alaihissalam ne apni UMMAT ki khatir apna khoob baha diya ,aur Magfirat aur gunaah maaf  ke liye itna hi kaafi he k is Ummat me shaamil ho jaye ,

✪ Bilkul isi tarah ye Tasavvur hamare Zahan v fikr me bhi ghar kar chuka he ,Hamare Kuchh Khudgarz Naam parast Rehnuma is Tasavvur ko taqviyat de rahe he'n k Rasulullah _ﷺ_aur Buzurgane Deen se Muhabbat ka ye Naamo nihaad Daava hi hamari Magfirat ka zaamin he ,Kyuki hum Muhammad _ﷺ_ke Shaidaayi he'n ,Aashiqe Rasool _ﷺ_he'n aur Woh " Rehmate Aalam " he'n ,isliye Aap Hazrat _ﷺ_hamari Shafa'at farmayenge ,aur hamari Magfirat ho jayegi ,

                .      ✿_ﷺ_✿
            ✿صلى الله على محمدﷺ ✿
        .   ✿ﷺﷺﷺﷺﷺﷺﷺ✿

⇲ Next- 60  �� in sha Allah ta'aala,

�� Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Se Sachchi Muhabbat aur Uski Alamaat , 86

          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
       
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
❁✦❃
❁✦❃09-02-2016
★         ╓━════◐◐◑════━╖
           بسم الله الرحمن الرحيم
              ╙━════◐◐◑════━╜

�� MUHABBAT- E -RASOOL ��
.❉ Sallallahu Alaihivasallam❉

               ⚄ PART- 60  ⚄

  ֏☞ , Ahakaam e Khuda vandi - itteba e Rasool _ﷺ_he ,

            ▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩

✪ Ahkaame ilaahi ki pabandi aur itteba e Rasool  _ﷺ_ke maamle per Agar  gor kare to ye maamla hi kuchh aur he ,

Rasool e Kareem  _ﷺ_ko visaal ke waqt Jab marz ki Vajah se ifaaqa hota he aur shiddat kam hoti to  Pehle  Namaz hi ka khayal aata he , isi haalat me uth te he'n aur Masjide Nabvi me jaa kar Namaz me shareeq ho jate he'n , Aur Sahaba Kiraam apne Mehboob ke bataye hue Raaste se ek lamha ke liye bhi gaafil nahi hote ,

✪ Buzurgane Deen aur Avliya Kiraam ka bhi yahi mamool raha he ,Hazrat Muinuddin Chishti Reh .marzul maut ki shiddat se be hosh he"n ,kabhi kabhi hosh aata he ,Magar jab  Hosh aata he to Sirf do sawal karte he'n ,

Konsi Namaz ka waqt he ?

Kya maine Namaz ada kar li he ?

⇨ Agar ese buland paya Buzurg ke liye Ahkaam e Sharai se Rukhsat nahi to fir hum logo ke liye kese mumkin he ?

                .      ✿_ﷺ_✿
            ✿صلى الله على محمدﷺ ✿
        .   ✿ﷺﷺﷺﷺﷺﷺﷺ✿

⇲ Next- 61  �� in sha Allah ta'aala,

�� Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Se Sachchi Muhabbat aur Uski Alamaat , 86

          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
       
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
❁✦❃
❁✦❃10-02-2016
★         ╓━════◐◐◑════━╖
           بسم الله الرحمن الرحيم
              ╙━════◐◐◑════━╜

�� MUHABBAT- E -RASOOL ��
.❉ Sallallahu Alaihivasallam❉

               ⚄ PART- 61  ⚄

֏☞ ,  Muhabbat ki Bulandiya'n ,

            ▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩

✪ Daayi E Islam _ﷺ_ ne jab Paigame Haq diya to unki Awaaz per labbek kehne wale chand Gulaam ,Kuchh Nav Umar Ladke ,Kuchh Aurte'n aur Kuchh Budhe the, Ek Yateem Be sahara Shakhs Naaddi aitbaar se dekha jaye to na koi taaqat v hukumat ,na maal v daulat ,Na Raies v Ameero ki imdaad ,13 saal ki musalsal koshish v Justju ke baad ek Mukhtasar si jama'at taiyaar hui ,Wo bhi maaddi tor per itni kamzor k Makka ke Shab v Roz un per Tang the ,Magar Asal cheez ye thi k ishq ki bulandiya'n asmaan ko chhoone wali thi ,

⇰Un per Aziyato takleefo ke pahaad tode jate magar Sachchi Muhabbat karne wale the unki Zaban se Uff tak na nikalti ,

⇨ Kabhi Jalti Ret per ghasita jata to kabhi lohe ki zire pehna kar chilchilati dhoop me khade kar diye jate ,Kabhi Chataai me lapet kar dhooni di jati ,to kabhi Angaaro per Lita diya jata he ,

⇨ Unke Mehboob _ﷺ_ka bhi ye haal he k kabhi unko Quresh ke sardaar zakhmi kar dete he'n ,To kabhi unki gardan me Chaadar daal kar aithte he'n to kabhi Sajde ki haalat me unki pusht per galazat rakh dete he'n, Jo unki himayat ka dam bharta he uska Social Boycott kar diya jata he ,

✪ Fir ek waqt esa aa pahunch ta he k Aap _ﷺ_ko Raat ki tareeki me Dushman se chhup kar Apne Azeez watan ko khair Abaad kehna padta he ,Watan se Senkdo meal pahunch Jane per bhi Dusman Unka puchha nahi chhor te he'n aur Allah ki is jama'at ko mita daalne ki bharpoor koshish karte he'n ,

⇨ Lekin unhe nahi maloom k Muhabbat e Rasool _ﷺ_ki Jo chingari unke seeno me poshida thi Wo Ab Shola ban chuki he ,aur Ye Dushman apni har mumkin koshish ke bavjood is jama'at ko na mita sake , iska paigaam Suraj ki Roshni ki tarah is Aalam ko munavvar karta chala gaya ,

                .      ✿_ﷺ_✿
            ✿صلى الله على محمدﷺ ✿
        .   ✿ﷺﷺﷺﷺﷺﷺﷺ✿

⇲ Next- 62  �� in sha Allah ta'aala,

�� Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Se Sachchi Muhabbat aur Uski Alamaat , 87

          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
       
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
❁✦❃
❁✦❃11-02-2016
★         ╓━════◐◐◑════━╖
           بسم الله الرحمن الرحيم
              ╙━════◐◐◑════━╜

�� MUHABBAT- E -RASOOL ��
.❉ Sallallahu Alaihivasallam❉

               ⚄ PART- 62  ⚄

֏☞ , Maktabe ishq KE Andaaz Niraale Dekhe ,

            ▩•﹏•▩•﹏•▩•﹏•▩

✪ Aap _ﷺ_Kï takleefo ka khayal karke hi ye log Rote the ,Duniya Kï daulat aur Aisho Araam jab inki zindgi me aam hue to Wo sirf isi khayal se Rote the k Ye sab kuchh Rasulullah _ﷺ_ke zamane me mayassar na aaya ,

⇰Aap _ﷺ_ Jo Kï Roti bhi pet bhar kar na kha sake to fir hum ye umda gizae'n kyu khaye ? Rasulullah _ﷺ_ne chataai per lait kar zindgi basar Kï to hum araam dah Bistar kyu istemal kare ?

✪ Hazrat Abuzar Gaffari Raziyallahu Anhu ko ek martaba Hazrat Mu'aviya Raziyallahu Anhu ne Khane per bulaya ,Aapne Jab Dastar khwan per kai tarah Kï qism KE Khane lagte  dekhe to Foran khade ho gaye ,aur Farmaya k Rasulullah  _ﷺ_KE zamane me ek saa fi hafta Khane wala ye umda gizae'n kha kar Apne us Khaleel ko kya moonh dikhayega ,

✪ Jin Shaidao'n ne Khud ko Rasulullah _ﷺ_ke qadmo per is tarah nisaar karne ka faisla kiya ,Unke muqaddar per Rashk karte hue Hazrat Maulana Abul Kalam Azaad ne in alfaz me unko Daade Tehseen Dï he ,

⇨ Kya hi Mubarak he'n Wo Dil Jinhone Apne ishq aur Muhabbat KE liye Rabbus Samawaati Wal Ardh  KE Mehboob _ﷺ_ko chuna ,aur Kya hi Paak aur Mutahar he'n Wo Zabane jo Sayyadul Mursaleen v Rahmatul Aalameen Kï Madah v Sana me labrez hui ,,

Unhone Apne ishq v Muhabbat KE liye uski mehbubiyat ko dekha jise khud khuda be Apni chahato aur Muhabbato se mumtaz kiya ,aur Unki zabano ne uski Sana Kï ,Jiski Madah v Sana Khud khuda Kï zabaan ,Uske farishte aur Kaaynaat ki tamaam paak rooho'n aur Paak hastiyo'n Kï zaban had dam shareek hoti he'n ,"

                .      ✿_ﷺ_✿
            ✿صلى الله على محمدﷺ ✿
        .   ✿ﷺﷺﷺﷺﷺﷺﷺ✿

⇲ Alhamdulillah mukammal

�� Rasulullah Alaihivasallam Se Sachchi Muhabbat aur Uski Alamaat , 90

          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
         •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
❁✦❃

No comments:

Post a Comment