Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Saturday, March 12, 2016

LAYAANI SE BACHNA MUKAMMAL PART

������


   BismiLLahirrahmaanirraheem
     ┄ ┅ ━══════════════━ ┅ ┄

       ╭┉─════─┉─════─┉╯  
       │ DARS-E-HADEES
       ╰┉─════─┉─════─┉┉╮
                   { PART-01}        │ 
       ┯┯─═─═─═─═─═─═───╯

⚄→LAYAANI SE BACHNA

⚄→Allah Ta' ala ne apne Rasoolﷺ Se Irshaad Farmaya: Aur Aap Mere Bandon Se Farma dijiye Ke WO Aise Baat Kaha Kare  Jo Behtar Ho ( Is Mein Kisi ki Dil Azaari Na Hoti Ho) Kyunke Shaitan Dil Azaar  Baat Ki Wajah Se Aapas Mein Lada Deta Hai Waqeyi Shaitaan Insaan Ka Khula Dushman Hai.
(Bani israil)

⚄→TARJUMA: Allah Ta'ala ne Imaan Waalon ki Ek Sifat Ye irshaad Farmayi h Ke Wo  log  Bekaar Layani Baaton Se Araz Karte Hain.]
( AL-MUMINUM)

⚄→Munafiqon ne Hazrat Ayesha ( رضي الله عنها ) Par Ek Martaba Tauhamat Lagayi,Baaz Bhole Bhale MusaLmaan Bhi suni Sunayi Is Aafwah Ka Tazkarah Karne Lage Is Par Ye Aayat Nazil hue)Allah Ta'ala Ka irshaad hai: Tum Is Waqt  Azab Ke Mustahiq Hojate Jab Ke Tum Apni Zubaanon Se Is Khabr Ko Ek Dusre se Naql  Kar Rahe the Aur Apne Mooh se Aise Baatein Keh Rahe The Jin Ki haqeeqat Ka tum Ko Bilkul Ilm Na tha Aur Tum Isko Mamooli Baat Samajh Rahe The ( ke Is Mein Koi Gunah Nahi hai) Haanlanke Wo Allah Ta'ala ke Nazdeek Badi Sakht Baat Thi. Aur Jab Tum Ne is Bohtaan Ko Suna Tha To Is Bohtaan ko Sunte Hi Yun Kyun Na kaha  Ke Hume To Aise Baat Ka Zuban Se Nikalne bhi Munasib Nahi. Allah Ki Panaah!  Ye To Bada Bohtaan Hai Musalmanon Allah Ta'ala Tumko Nasihat Karte Hain Ke Agar Tum Imaan WaaLe  Ho To Ainda  Phir Kabhi Aise Harkate Na Karna  ( Ke Bhagair  Tehqeeq Ke Galat  Khabrein  Udate Phiro. )
[  An- Noor ]

��Reference
                Muntakhab Ahadees

Next-02©ontinue,insha,Allah

                        ������
                                   
������


   BismiLLahirrahmaanirraheem
     ┄ ┅ ━══════════════━ ┅ ┄

       ╭┉─════─┉─════─┉╯  
       │ DARS-E-HADEES
       ╰┉─════─┉─════─┉┉╮
                   { PART-02}        │ 
       ┯┯─═─═─═─═─═─═───╯

⚄→LAYAANI SE BACHNA

⚄→ Allah Ta' ala Ne Imaan Waalon Ki Ek Sifat Ye Bayan Farmayi Hai:
Aur Wo Behuda Baaton Mein Shamil Nahi Hote Aur Agar Itefaqan Behuda Majlison Ke Pass Se Guzrein To Sanjeedgi Aur Sharafat Ke Sath Guzar Jaate hain.{ AL- FURQAN}

⚄→Allah ta'ala Ka Irshaad Hai:
Aur Jab Koi Behuda Baat Sunte Hain To Isse Mooh Pher Lete hai.     { AL- QASAS}

⚄→Allah ta'ala Ka Irshaad Hai: Musalmano' Agar Koi Shareer Tumhare Pass Koi Khabr Lekar Aaye ( Jis Mein Kisi Ki Shikayat Ho) To Is Khabar Ki Khoob Chaan Been Karliya karo Khahin Aisa Na Ho Ke Tum Iski Baat Par Etemaad Kar Ke Kisi Qaum Ko Nadaani Se Koi Nuqsaan Pahuncha Do Phir Tumhe Apne Kiye Par Pachtaana Padhe.
{ AL- HUJURAT}

⚄→Allah ta'ala Ka Irshaad Hai:
Insaan Jo Bhi Koi Lafz Zuban Se Nikaalta Hai To Iske Pas Ek Farishta Intezaar Mein Tayaar Baitha Hai( Jo ise Fouran Lekh Leta Hai.) [ Qaf]

��Reference
                Muntakhab Ahadees

Next-03©ontinue,insha,Allah

                        ������
                                   
������


   BismiLLahirrahmaanirraheem
     ┄ ┅ ━══════════════━ ┅ ┄

       ╭┉─════─┉─════─┉╯  
       │ DARS-E-HADEES
       ╰┉─════─┉─════─┉┉╮
                   { PART-03}        │ 
       ┯┯─═─═─═─═─═─═───╯

⚄→ Hazrat Abu Huraira  RaziyaLLahu Anhun) Riwayat Karte hai Ke Rasool Allah ﷺ
Ne Irshaad Farmaya:
Aadmi Ke Islaam KI Khoobi Aur Kamaal Ye Hai Ke Wo Fuzool Kaamon Aur Baaton
Ko chorde.
{ Tirmizi}
FAIDA: Hadees Shareef Ka Matlab Ye Hai Ke BezaruRat Baatein Na Karna Aur Fuzool Mashgalon Se Bachna Kamaal E Imaan KI Nishaani Hai Aur Aadmi Ke Islaam KI Raunaq Wa Zeenath Hai.

⚄→Hazrat Sahel Bin
Saad  RaziyaLLahu Anhu. Se RiwaYat Hai Ke Rasool Allah ﷺ
Ne Irshaad Farmaya: Jo Shakhs Mujhe Apne Dono Jabdaon Aur Dono Taangon Ke Darmaiyan WaaLe Azaa KI Zimmedari De de ( KE Wo Zuban Aur Shramgah Ko ghalat Istemal Nahi Karega) To mai iske Liye Jannat KI Zimmedari Leta hoon.
{ Bukhari}

��Reference
                Muntakhab Ahadees

Next-04©ontinue,insha,Allah 

                       ������
                     
������


   BismiLLahirrahmaanirraheem
     ┄ ┅ ━══════════════━ ┅ ┄

       ╭┉─════─┉─════─┉╯  
       │ DARS-E-HADEES
       ╰┉─════─┉─════─┉┉╮
                   { PART-04}        │ 
       ┯┯─═─═─═─═─═─═───╯
→ LAYAANI SE BACHNA

⚄→ Hazrat Haris Bin Hasham RaziyaLLahu
Anhu. Se RiWayat Hai Ke Inhone Rasool Alla (ﷺ)   Se Arz Kiya:
Mujhe Koi Aisi Cheez BataDein Jise  Mai MazBooti Se Pakde Rahoon.  Aapﷺ   Ne Apni Zuban Mubarak KI Taraf Ishaara karke Farmaya: Isko Apne  Qaboo Mein Rakho.

⚄→ Hazrat Abu Juhaifa RaziyaLLahu Anhu  Se RiWayat Hai Ke RaSool Allahﷺ  Ne Sahaba Se Poocha:
Allah Ta'ala Ke Nazdeek Sabse Pasandida
AMAL Kaunsa hai ? Sab Khamoosh Rahe Kisi Ne Jawab Na Diya To Aap ﷺ  Ne Irshaad Farmaya: SabSe Pasandida  AmaL Zuban KI Hifazat Karna Hai.

⚄→Hazrat Anas Bin MALIK RaziyaLLahu Anhu Se RiWayat Hai Ke  Rasool Allahﷺ   Ne Irshaad Farmaya:
Banda jab Tak Apni Zuban KI Hifazat Na Karle Imaan KI Haqeeqat Ko Haasil Nai Kar Sakta.
{ TIBRANI, MAJMA. AL- ZAWA`ID

��Reference
                Muntakhab Ahadees

Next-05©ontinue,insha,Allah 
 
                        ������
                           
������


   BismiLLahirrahmaanirraheem
     ┄ ┅ ━══════════════━ ┅ ┄

       ╭┉─════─┉─════─┉╯ 
       │ DARS-E-HADEES
       ╰┉─════─┉─════─┉┉╮
                   { PART-05}        │
       ┯┯─═─═─═─═─═─═───╯

→ LAYAANI SE BACHNA

⚄→ Hazrat Uqba Bin Aamir RaziyaLLahu Anhu, FarmaTe Hain
Ke Maine ArZ Kiya:
Rasoolullaallah صل اللہ علیہ وسلم !  Nijaat Haasil Karne Ka Kya Tareeqa Hai.??
Aap صل اللہ علیہ وسلم  Ne Irshaad Farmaya:
Apni Zuban Ko Qaboo Mein Rakho, Apne Ghar Mein Raho, (Fuzool baher Na Phiro) Aur Apne Gunahon Par Roya Karo.
        
        
FAIDA:→ Apni Zuban Ko Qaboo Mein Rakhne Ka Matlab Ye Hai Ke Iska Ghalat Istemal Na Ho Masalan Geebat Karna,Bila Zarurat Bolna, baghair ehtiyat Ke har Qism ki baatein karna, Behayayi ki baatein karna, Ladayi Jhagda Karna ,gaali dena,insaan ya janwar Par laanat kaRna‚ Shair Wa Shayari mein Har waqt Lage Rahna,mazaaq udaana,raaz zaahir karna, jhoota waada karna, jhooti qasam khana, do rang ki baatein karna, bila wajha Kisi ki tareef karna aur bila wajha sawalat karna..

��Reference
                Muntakhab Ahadees

Next-06©ontinue,insha,Allah   

                       ������
������


   BismiLLahirrahmaanirraheem
     ┄ ┅ ━══════════════━ ┅ ┄

       ╭┉─════─┉─════─┉╯ 
       │ DARS-E-HADEES
       ╰┉─════─┉─════─┉┉╮
                   { PART-06}        │
       ┯┯─═─═─═─═─═─═───╯

→ LAYAANI SE BACHNA

⚄→ Hazrat abu hurera rz.anhu se riwayat hai ke RASOOLULLAAH صل اللہ علیہ وسلم ne irahad farmaya:
Jisko ALLah ta'ala ne in azaa ki buraiyon se bacha liya jo dono jabdon aur tangon ke darmiyan hai(yani zabaan aur sharmgaah) to woh jannat me dakhil hoga.

⚄→Hazrat abu saeed khudri rz.anhu se riwayat hai ke ek shakhs Rasool صل اللہ علیہ وسلم ke pas aye aur arz kiya ya Rasoolullaah: mujhe wasiyyat farma dijiye‚
Ap صل اللہ علیہ وسلم ne chand wasiyyaten farmai jinme se ek ye hai ke apni zabaan ko siwaye khair ke har qisam ki baaton se mehfooz rakho isse tum shaitaan par qabu pa loge.

��Reference
                Muntakhab Ahadees

Next-07©ontinue,insha,Allah   

                       ������
������


   BismiLLahirrahmaanirraheem
     ┄ ┅ ━══════════════━ ┅ ┄

       ╭┉─════─┉─════─┉╯ 
       │ DARS-E-HADEES
       ╰┉─════─┉─════─┉┉╮
                   { PART-07}        │
       ┯┯─═─═─═─═─═─═───╯

→ LAYAANI SE BACHNA

⚄→ Hazrat Abu Sayeed Khudri RaziaLLahu Anhu Se Riwayat Hai Ke  RASOOL ALLAAH صل اللہ علیہ وسلم Ne IrShaad Farmaya: Insaan Jab Subah Karta hai To Iske Jism ke Tamaam Azaa Zuban Se nihayaat Aajizi Ke  Saath Kehte Hai Ke Tu Hamare Bare Mein Allah Ta'ala Se Dar, kyunke Hamara Muamla Tere Hi Saath Juda Hua Hai. Agar to Seedhi Rahegi To Hum bhi Seedhe Rahenge Aur Agar To Tedhi Hogayi To Hum Bhi Tedhe HojaNge(Aur phir Iski Saza Bhi Bhugatni Padengi)

⚄→ Hazrat Abu Huraira rz Se Riwayat Hai Ke
RASOOL ALLAH صل اللہ علیہ وسلم  Se Poocha gaya Ke Kis Amal ki Wajah Se Log Jannat Mein Zyada Dhakil Honge?  Irshaad Farmaya: Taqwa (Allah Ta'ala Ka dar ). Aur Achche Akhlaaq Aur Aap صل اللہ علیہ وسلم  Se Poocha Gaya Ke Kis Amal Ki Wajah Se Log Jahanum Mein Zyda Jaayenge? Irshaad Farmaya: Mooh Aur Sharmgah (Ka Ghalat IStemal).

��Reference
                Muntakhab Ahadees

Next-08©ontinue,insha,Allah   

                       ������
������


   BismiLLahirrahmaanirraheem
     ┄ ┅ ━══════════════━ ┅ ┄

       ╭┉─════─┉─════─┉╯ 
       │ DARS-E-HADEES
       ╰┉─════─┉─════─┉┉╮
                   { PART-08}        │
       ┯┯─═─═─═─═─═─═───╯

→ LAYAANI SE BACHNA

⚄ → Hazrat Baraa Bin Aazib Rz.anhuma Se Riwaayat Hai Ke Ek Dihat Ke Rehne Wale  ( Sahabi) Ne Rasool Allah (ﷺ )Ki Khidmat me Hazir Hokar Arz kiya: Ya Rasool Allah! Mujhe Aise AmaL Batadijiye Jo Mujhe Jannat Mein Dhakil Karde Rasool Allahﷺ  Ne Chand AmaaL Irshaad Farmaye :Jis Mein Ghulam Ka Aazad  Karna, qarzdaar Ko Qarz ke Bojh Se Azad Karana Aur Janwar Ke Doodh Se Faida Uthane Ke Liye Dusre Ko Dena Tha‚ Iske Alawa Dusra Kaam Bhi Batlaye Phir Irshaad Farmaye: Agar Ye Na Hosake To Apni Zuban Ko Bhali Baat Ke Alawa Bolne Se Roke Rakho.

⚄ → Hazrat Aswad Bin Asram Rz Farmate hai ke Maine Rasool Allahﷺ  Se Arz Kie Ya Rasool Allah  Mujhe Wasiyat Farmadijiye Isrshaad Farmaye: Apne Haath Ko Qaboo mein Rakho ( Ke isse Kisi ko Takleef Na Pahunche ) Mai ne Arz Kie: Agar  Mera Haath Hi Mere Qaboo Mein Na Rahe To Phir aur kya Cheez Qaboo Mein Reh Sakti Hai.
Yani Haath To Mere  Qaboo Mein Reh sakta‚ Irshaad Farmaye : Apne Zubaan Ko Qaboo Mein Rakho. MEINE ARZ KIe: Agar Meri Zubaan Bhi Qaabo Mein Na Rahe To phir Aur Kya Cheez Qaboo Mein RahSakti Hai?. Yani Zuban To Mere Qaboo Mein Rehsakti hai. Irshaad Faramaye: To phir Tum Apne Haath Ko Bhale Kaam keliye Hi Badhao Aur Apni Zuban Se Bhali Baat Hi kaho.

��Reference
                Muntakhab Ahadees

Next-09©ontinue,insha,Allah   

                       ������
������


   BismiLLahirrahmaanirraheem
     ┄ ┅ ━══════════════━ ┅ ┄

       ╭┉─════─┉─════─┉╯ 
       │ DARS-E-HADEES
       ╰┉─════─┉─════─┉┉╮
                   { PART-0 9}  │
       ┯┯─═─═─═─═─═─═───╯

→ LAYAANI SE BACHNA

⚄ → Hazrat Aslam RaziaLLahu Anhu  Farmate Hain ke Hazrat Umar  RaziaLLahu Anhu
Ki Nazar Hazrat Abu Bakar raziaLLahu Anhu par padi to (Dekha ke) wo Apni Zubaan Ko KeencH Rahe hain Hazrat Umar RaziaLLahu Anhu ne Poocha : Allah ke Rasool ke Khalifa! Aap ye kya kar Rahe Hain Irshaad Farmaya : Yehi Zuban Mujhe Halakat Ki Jagahon Mein Le Aayi Hai .
Rasool Allah ﷺ  ne Irshaad farmaaya Tha ke Jism Ka Koi Hissa Aisa Nahi hai Jo Zuban ki Badgoyi Aur Tezi Ki shikayat na karta Ho.

⚄ → Hazrat Huzefa raziaLLahu anhu Farmaate Hai Meri Zuban Mere Ghar Walon Par bahut Chalti Thi. Yani Mai Inko Bahut Bura Bhala KEHTA tha Maine Rasool Allah ﷺ  se Arz Kie: Ya Rasool Allah  Mujhe Dar hai ke Meri Zuban Mujh Ko Jahannum Mein Dhakil karengi.  Rasool Allah ﷺ  ne Irshaad farmaaya : Phir ISTAGFAAR Kahan Gaya  ( Yaani Istagfaar Kyun Nahi Karte Jisse Tumhari Zuban Ki islah Hojaye) zMai To Din Mein 100 Martaba Istagfaar Karta hoon.

[ Allah Hume kehne Sunne Se Zyda Amal Karne Wala Banaye Aameen ]

��Reference
                Muntakhab Ahadees

Next-10©ontinue,insha,Allah   

                       ������
������


   BismiLLahirrahmaanirraheem
     ┄ ┅ ━══════════════━ ┅ ┄

       ╭┉─════─┉─════─┉╯ 
       │ DARS-E-HADEES
       ╰┉─════─┉─════─┉┉╮
                   { PART-10 }        │
       ┯┯─═─═─═─═─═─═───╯

→ LAYAANI SE BACHNA

⚄ → Hazrat Adi Bin Hatim RaziaLLahu Anhu. Riwaayat Karte Hain Ke Rasool Allah ﷺ  ne Irshaad farmaaya : Aadmi Ki NekBakhti Aur BadBakhti Iske Dono Jabdaon Ke Darmiyan Hai Yani Zuban Ka sahi Istemaal NekBakhti Aur Ghalat Istemaal BadBakhti Ka Zariye hai.

⚄ → Hazart Hasan RaziaLLahu Anhu Farmate Hain Humein Ye hadees Pahunchi Hai ke Rasool Allah ﷺ ne Irshaad farmaaya : Allah Ta'ala IS Bande Par Rehem Farmaye Jo Achchi Baat Kare Aur  Duniya Wa Aakhirat Mein Iska Faida Uthaye Ya Khamosh Rahe Aur Zuban ki Lagzishon Se Bacha jaye.

⚄ → Hazrat Abdullah Bin Amri RaziaLLahu Anhu Se riwaayat hai ke Rasool Allah ﷺ  ne Irshaad farmaaya : Jo Chup raha Wo Nijaat Pagaya.
FAIDA: ( MATLAB YE HAI KE JIS SHAKHS NE BURI AUR FUZOOL BAATON SE ZUBAAN KO ROKE RAKHA IS DUNIYA WO AAKHIRAT KI BAHUTSI AFATON, MUSIBATON AUR NUQSANAAT SE NIJAAT MILA GAYEE KYUNKE AAM TAUR PAR INSAAN JIN AFATON MEIN MUBTELA HOTA HAI IN MEIN SE AKSAR KA ZARIYA ZUBAN HI HOTI HAI.)

��Reference
                Muntakhab Ahadees

Next-11©ontinue,insha,Allah   
                       ������
������


   BismiLLahirrahmaanirraheem
     ┄ ┅ ━══════════════━ ┅ ┄

       ╭┉─════─┉─════─┉╯ 
       │ DARS-E-HADEES
       ╰┉─════─┉─════─┉┉╮
                   { PART-11 }        │
       ┯┯─═─═─═─═─═─═───╯

→ LAYAANI SE BACHNA

⚄ → Hazrat Imran Bin hattan RaziaLLahu Anhu se Riwaayat Hai Ke Mai Hazrat Abu Zar RaziaLLahu Anhu Ki Khidmat Mein Hazir Huaa to Maine Inko Masjid  Mein Is Halat Mein DEKHA Ke Ek Kaali Kamli Lapaite Hue Akele baithe Hain.
Mai ne Arz Kie : Abu Zar!  Ye Tanhayi aur Yeksoi kaisi hai Yani AApne Bilkul Akele Aur Sabse Alag Thalag Rehna kyu Ikhtiyaar Farmaya hai? Ino Ne Jawab Diya Ke Maine Rasool Allahﷺ Ko Ye Irshaad Farmate Suna ke: Bure saathi ke saath Baithne Se Akele Rehna Acha Hai Aur Ache saathi Ke Sath Baithna Tanhayi Se Behtar Hai. Aur Kisko Ache Baatein Batana Khamoshi Se Behtar Hai Aur Bure Baaton se Behtar Khamosh rehna hai..

��Reference
                Muntakhab Ahadees

Next- 12 ©ontinue,insha,Allah   
������
������


   BismiLLahirrahmaanirraheem
     ┄ ┅ ━══════════════━ ┅ ┄

       ╭┉─════─┉─════─┉╯ 
       │ DARS-E-HADEES
       ╰┉─════─┉─════─┉┉╮
                   { PART-12}        │
       ┯┯─═─═─═─═─═─═───╯

→ LAYAANI SE BACHNA

⚄ →Hazrat abuzar rz.anhu farmate hain ke me Rasoolullaah صل اللہ علیہ وسلم ki khidmat me hazir hua aur arz kiya: ya Rasoolullaah! Mujhe wasiyyat farmadijiye.
Ap صل اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ziyada waqt khamosh raha karo (ke bilazarurat koi baat na ho) ye baat shaitaan ko door karti hai aur Deen ke kamon me madadgar hoti hai.

⚄ →Hazrat abuzar rz.anhu farmate hain mene arz kiya: mujhe kuch aur wasiyyat farmaiyye‚ Ap صل اللہ علیہ وسلم ne irshad farmaya: ziyada hansne se bachte rehna kyunki ye adat dil ko murda kardeti hai aur chehre ke noor ko khatm kardeti hai.

��Reference
                Muntakhab Ahadees

Next-13©ontinue,insha,Allah   

                       ������
������


   BismiLLahirrahmaanirraheem
     ┄ ┅ ━══════════════━ ┅ ┄

       ╭┉─════─┉─════─┉╯ 
       │ DARS-E-HADEES
       ╰┉─════─┉─════─┉┉╮
                   { PART-13}        │
       ┯┯─═─═─═─═─═─═───╯

→ LAYAANI SE BACHNA.

⚄ →  Hazrat Anas RaziaLLahu Anhu Riwaayat se Hai Ke Rasool Allah ﷺ ki Hazrat Abu Zar RaziaLLahu Anhu Se Mulaqat Hui. Aap ( ﷺ  ) Ne Irshaad Farmaya :
Abu Zar Kya Mai Tumhein Aise Do Khaslatein Na Batadoon Jin par AmaL Karna Bahut Asaan Hai Aur AmaaL Ke Tarazu Mein Dusre AmaL Ki Ye Nisbat Zyada Bhai Hain. Abu Zar RaziaLLahu Anhu Ne Arz Kie :  Ya Rasool Allah Zaroor Batla Dijiye.
Aap (ﷺ  )  Ne Irshaad farmaaya : AchchE Akhlaaq Aur Zyada Khamosh Rehne ki Aadat Banalo. Qasam Hai Is Zaat Ki Jiske Qabze Mein MOHAMMAD ki Jaan Hai Tamaam Mukhluqat Ke AmaaL Mein Ye Do Amalon Jaise Achche Koi Nai.
[ BAIHAQI ]

��Reference
                Muntakhab Ahadees

Next-14©ontinue,insha,Allah   

                       ������
������


   BismiLLahirrahmaanirraheem
     ┄ ┅ ━══════════════━ ┅ ┄

       ╭┉─════─┉─════─┉╯ 
       │ DARS-E-HADEES
       ╰┉─════─┉─════─┉┉╮
                   { PART-14}        │
       ┯┯─═─═─═─═─═─═───╯

→ LAYAANI SE BACHNA.

⚄ →  Hazrat Muaz Bin Jabal RaziaLLahu Anhu Se riwaayat hai ke Maine Rasool Allah ﷺ se Poocha:
Jo Baat Bhi Hum Karte Hain Kya Ye Sab Hamaare AmaaL Naame Mein Likhi Jati Hain (Aur kya in par Bhi Pakad Hogi.)?
Rasool Allah( ﷺ ) Ne Irshaad farmaaya :
Tujh ko Teri Maa Roye!  ( Ache Tarah jaanlo ke) Logon Ko Naak Ke Bal Dozαkh Mein Giraane Wali unki Zuban Hi Ki Buri Baatein Hongi. Aur Jab Tak Tum Khamosh Rahoge (Zuban Ki Aafat se) Bache Rahoge Aur Jab Koi Baat Karoge To Tumhamare Liye Ajar Ya Gunah Likha Jayega.

FAIDA :→   TUJH KO TERI MAA ROYE" ARBI MUHAWARA KE MUTABIQ PYAAR KA  KALIMA HAI  BADDUWA NAHI HAI.

⚄ →Hazrat Abdullah RaziaLLahu Anhu Farmaate hain ke Maine Rasool Allah ﷺ Ko ye Irshaad Farmate Hue  Suna: Insaan ki Aksar Galtiyaan Iski Zubaan se Hote Hai.
[ TIBRANI,MAJMA AL _ ZAWA' ID ]

��Reference
                Muntakhab Ahadees

Next-15©ontinue,insha,Allah

                        ������
������


   BismiLLahirrahmaanirraheem
     ┄ ┅ ━══════════════━ ┅ ┄

       ╭┉─════─┉─════─┉╯ 
       │ DARS-E-HADEES
       ╰┉─════─┉─════─┉┉╮
                   { PART-15}        │
       ┯┯─═─═─═─═─═─═───╯

→ LAYAANI SE BACHNA

⚄ →Hazrat Abulhakam gifaariya ki sahabzaadi ki baandi rz.anhuma farmati hain ke mene Rasoolullah صل اللہ علیہ وسلم ko ye irshad farmate hue suna hai: Ek shakhs jannat ke itne qareeb hojata hai ke uske aur jannat ke darmiyaan ek hath ka fasla reh jata hai‚ fir koi aese bol boldeta hai ke jannat se isse bhi zada dur hojata hai‚ jitna (madeena se yaman ka sheher) san'aa door hai.

⚄ →Hazrat bilaal bun haris muzani rz.anhu farmate hain hain ke mene Rasoolullaah صل اللہ علیہ وسلم ko ye irshad farmate hue suna: Tumme se koi shakhs Allah ta'ala ko khush karne wali aesi baat keh deta hai jisko wo bhot zada ahem nahi samajhta lekin us bat ki wajah se Allah ta'ala qayamat tak ke liye usae raazi hone ka fesla farma dete hain.
Aur tumme se koi shakhs Allah ta'ala ko naraz karne wali aesi bat kehdeta hai jisko wo zada ahem nahi samajhta lekin us bat ki wajah se Allah ta'ala Qayamat tak ke liye usse naraz hone ka fesla farma dete hain.

��Reference
                Muntakhab Ahadees

Next-16©ontinue,insha,Allah   

                       ������
������


   BismiLLahirrahmaanirraheem
     ┄ ┅ ━══════════════━ ┅ ┄

       ╭┉─════─┉─════─┉╯ 
       │ DARS-E-HADEES
       ╰┉─════─┉─════─┉┉╮
                { PART-16 }        │
       ┯┯─═─═─═─═─═─═───╯

   → LAYAANI SE BACHNA.

⚄ → Hazrat Abu Sayeed Khudri RaziaLLahu Anhu Riwaayat Karte Hai ke Rasool Allah  (ﷺ ) Ne Irshaad farmaaya :
Aadmi Srif Logon Ko Hasane Keliye Koi Aisa Baat Kehdeta Hai Jis Mien Koi Harj Nahi Samajta Lekin Iske Wajah Se Jahanum Mein Zameen Aasmaan Ke Darmaiyan Faasle se Bhi Zyada Gehrayi Mein Pohunch Jaata hai.

⚄ → Hazrat Abu Huraira RaziaLLahu Anhu Riwaayat Karte Hai Ke Rasool Allah ﷺ ne Irshaad farmaaya :
Banda Allah Ta'ala Ki Razamandi Ki koi Aise Baat Kehdeta Hai Jisko Wo Ahem bhi Nai Samajta Lekin iske Wajha  Se Allah Ta'ala Iske Darjaat Buland Farmadete Hain Aur Banda Allah Ta'ala Ki Naraazgi Ki koi Aise Baat Kehdeta Jiski wo Parwah Bhi  Nahi Karta Lekin  Iske Wajha Se Wo Jahanum Mein Gir Jata hai

⚄ → Hazrat Abu Huraira RaziaLLahu Anhu Riwaayat Karte Hain Ke Rasool Allah ﷺ ne Irshaad farmaaya :

Banda Kabhi Besoche Samaje Koi Aisi baat Kehdeta Hai Jiske Wajhe Se Mashriq Maghrib Ke Darmiyani Faasle Se Bhi Zyada Door Dozαkh Mein Ja Girta Hai.

[ ALLAH HAMARE ZUBAN KE HIFAZAT FARMAYE AAMEEN]

��Reference
                Muntakhab Ahadees

Next-17 ©ontinue,insha,Allah   

                       ������
������


   BismiLLahirrahmaanirraheem
     ┄ ┅ ━══════════════━ ┅ ┄

       ╭┉─════─┉─════─┉╯ 
       │ DARS-E-HADEES
       ╰┉─════─┉─════─┉┉╮
                 { PART-17}        │
       ┯┯─═─═─═─═─═─═───╯

→ LAYAANI SE BACHNA.

⚄ →Hazrat Abu Huraira RaziaLLahu Anhu Riwaayat Karte Hai ke Rasool Allah ( ﷺ ) Ne Irshaad farmaaya :
Insaan Koi Baat Kehdeta Hai Aur Iske Kehne Mein Harj Nahi Samajta Lekin Iske Wajah Se Jahanum Mein SATTAR Saal Ki Musafat ke Barabar  ( Neeche ) Girjata Hai.

⚄ → Hazrat Amro Bin Aas RaziaLLahu Anhu Farmate Hain ke Maine Rasool Allah ( ﷺ ) Ko Irshaad Farmate Hue Suna :
Mujhe Mukhtasar Baat karne ka Hukm Diye gaya Hai Kyuki Mukhtasar Baat karna hi Behtar Hai. 

⚄ → Hazrat Abu Huraira RaziaLLahu Anhu Riwaayat Hain ke RasoolAllah ( ﷺ ) Ne Irshaad farmaaya :
Jo Allah Ta'ala Par Aur Aakhirat Ke Din Par Imaan Rakhta ho Usko Chahiye Ke Khair Ki Baat kahe Ya Khamosh Rahe.

��Reference
                Muntakhab Ahadees

Next-18©ontinue,insha,Allah   

                       ������
������


   BismiLLahirrahmaanirraheem
     ┄ ┅ ━══════════════━ ┅ ┄

       ╭┉─════─┉─════─┉╯ 
       │ DARS-E-HADEES
       ╰┉─════─┉─════─┉┉╮
                   { PART-18 }        │
       ┯┯─═─═─═─═─═─═───╯

→ LAYAANI SE BACHNA.

⚄ → Rasool Allah  (ﷺ) Ki Zouja Mohtarama Hazrat Umme Habeeba RaziaLLahu Anha Farmati Hain Ke Rasool Allah (ﷺ ) Ne Irshaad farmaaya : 
Naiki Ka Hukm Karne Ya Burayi Se Rokne Ya Allah Ta'ala Ka Zikr karne Ke Alawa Insaan Ki Tamaam Baatein Is Par Wabaal Hain Yani Pakad Ka Zariye Hain.

⚄ → Hazrat Abdullah Bin Umar RaziaLLahu Anhu Se riwaayat hai ke Rasool Allah (ﷺ ) Ne Irshaad farmaaya :
Allah Ta'ala Ke Zikr Ke alawa Zyada Baatein na Kiya karo. Kyunke Isse Dil Mein  Sakhti (Aur Behisi ) Paida Hoti hai Aur Logon Mein Allah Ta'ala Se Zyada Door Wo Aadmi Hai Jiske Dil Sakht Ho.

⚄ → Hazrat Ammaar RaziaLLahu Anhu Riwaayat Karte Hai ke Rasool Allah ( ﷺ ) Ne Irshaad farmaaya : 
Duniya Mein jis Shakhs ke Do Rukh Ho ( Yani Munafiq  Ki Tarah Mukhtalif Logon Se Mukhtalif Qisam Ki Baatin Kare ) To QayaMat Ke Din Iske Mooh Mein Aag Ki Do Zubanein Hongi.
[ Allahu Akbar ]

��Reference
                Muntakhab Ahadees

Next-19©ontinue,insha,Allah   

                       ������
������


   BismiLLahirrahmaanirraheem
     ┄ ┅ ━══════════════━ ┅ ┄

       ╭┉─════─┉─════─┉╯ 
       │ DARS-E-HADEES
       ╰┉─════─┉─════─┉┉╮
                   { PART-19 }        │
       ┯┯─═─═─═─═─═─═───╯

→ LAYAANI SE BACHNA.

⚄ →  Hazrat Mu'az RaziaLLahu Anhu Ne Arz Kiya: Ya Rasool Allah Mujhe Aise AmaL Batadijiye Jo Mujhe Jannat Mein Dhakil Karde Aap (ﷺ) Ne Irshaad farmaaya :
Allah Ta'ala Par Imaan Lao Aur Bhali Baat kaho, Tumhare Liye Ajar Likha Jayenga Aur Buri Baat Na Kaho Tumhare  Liye Gunah Likha Jayega.

⚄ →Hazrat Muawiya Bin Heeda RaziaLLahu Anhu Farmate Hain ke Maine Rasool Allah (ﷺ ) Ko Irshaad Farmate Hue Suna :
Is Shakhs keliye Barbaadi  Hai Jo Logon ko Hasane Keliye jhoot Bole. Is keliye Tabahi hai, Is Ke Liye Tabahi Hai..

⚄ →Hazrat Abdullah Bin Umer RaziaLLahu Anhu Se riwaayat hai ke Rasool Allah (ﷺ ) Ne Irshaad farmaaya :
Jab Banda Jhoot Bolta Hai to fariste iske Jhooti Ki Badbu Ki Wajha Se Ek Meel Door Chala Jata Hai.
[ TIRMIZI ]

��Reference
                Muntakhab Ahadees

Next-20©ontinue,insha,Allah
������


   BismiLLahirrahmaanirraheem
     ┄ ┅ ━══════════════━ ┅ ┄

       ╭┉─════─┉─════─┉╯ 
       │ DARS-E-HADEES
       ╰┉─════─┉─════─┉┉╮
                   { PART-20 }        │
       ┯┯─═─═─═─═─═─═───╯

→ LAYAANI SE BACHNA.

⚄ →  Hazrat Sufiyan Bin
Aseed Hazrami RaziaLLahu Anhu Farmate Hain ke Maine Rasool Allah ( ﷺ ) Ko Irshaad Farmate Hue Suna :
Ye Bahut badi Khayanat
Hai Ke Tum Apne Bhai Se Koi Jhooti Baat Bayan Karo Halanke Wo Tumhari Is Baat Ko Sachcha Samjhta Ho.

FAIDA :→ Matlab Ye hai ke Jhoot Agarcha Bahut Sangeen Gunah Hai Lekin Baaz Surtaon Mein iske Sangeeni aur Bhi Zyda Badh Jati Hai. In Mein Se Ek Surat Ye Bhi Hai Ke Ek Shakhsh Tum Par Poora Etemaad Kare Aur Tum Iske Etemaad Se Najayaz Faida Utha kar Isse jhoot Bolo Aur Dhoka do.

⚄ → Hazrat Abu Umama RaziaLLahu Anhu Riwaayat Karte Hai ke Rasool Allah ( ﷺ ) Ne Irshaad farmaaya :
Momin Mein paidaishi Tour Par khasLatein Ho Sakti Hai. ( Khuwah Ache Ho Ya buri ) Albatta Khayanat Aur Jhoot Ki ( BURI) Aadat Nahi ho Sakti.

��Reference
                Muntakhab Ahadees

Next-21 ©ontinue,insha,Allah   

                       ������
������


   BismiLLahirrahmaanirraheem
     ┄ ┅ ━══════════════━ ┅ ┄

       ╭┉─════─┉─════─┉╯ 
       │ DARS-E-HADEES
       ╰┉─════─┉─════─┉┉╮
                   { PART-21 }        │
       ┯┯─═─═─═─═─═─═───╯

→ LAYAANI SE BACHNA

⚄ → Hazrat Safwaan Bin Sulaim RaziaLLahu Anhu Farmate Hain ke RasoolAllah (ﷺ ) Se Poocha Gaya: Kya Momin Buzdil Ho sakta Hai?
Aap ﷺ  Ne Irshaad farmaaya :  Ho Sakta Hai.
Phir Poocha Gaya : Kya BakheeL Ho Sakta Hai?
Aap ﷺ  ne Irshaad farmaaya :  Ho Sakta hai.
Phir Poocha Gaya: Kya Jhoota Ho sakta hai?
Aap  ﷺ  Ne Irshaad Farmaaya: Jhoota nahi Ho sakta.

⚄ → Hazrat Anas Bin Malik RaziaLLahu Anhu  Se Riwaayat hai ke Nabi Kareem ﷺ  Ne Irshaad farmaaya : Tum Loog Apne Bare Mein Mujhe Che (6) Cheezon Ki Zamanat Dedo Mai Tumhare  Liye Jannat Ki Zimmedari Leta hoon.
(1)JAB TUM MEIN SE KOI BOLE TO JHOOT NA BOLE .
(2) JAB WADA KARE YO WADA KHILAAFI NA KARE.
(3) JAB KISI KE PASS AMANAT RAKHI JAYE TO KHAYANAT NA KARE.
(4) APNE NIGAAHON KO NEECHI RAKHO YANI JIN CHEEZON KO DEKHNE SE MANA KIE GAYA HAI UNPAR NAZAR NA PADHE.
(5)APNE HAATHON KO NAHAQ MAARNE WAGHAIRA SE ROKE RAKHO.
(6) APNI SHARMGAH KI HIFAZAT KARO.

[ ABU YALA, MAJMA AL _ ZAWA ' ID ]

��Reference
                Muntakhab Ahadees

Next-22©ontinue,insha,Allah   

                       ������
������


   BismiLLahirrahmaanirraheem
     ┄ ┅ ━══════════════━ ┅ ┄

       ╭┉─════─┉─════─┉╯ 
       │ DARS-E-HADEES
       ╰┉─════─┉─════─┉┉╮
                   { PART-22 }        │
       ┯┯─═─═─═─═─═─═───╯

→ LAYAANI SE BACHNA

⚄ → Hazrat Abdullah RaziaLLahu Anhu Riwaayat Karte Hai ke Rasool Allah ( ﷺ ) Ne Irshaad farmaaya : 
BilaShuba Sach Bolna Naiki Ke Raaste Par DaaL Deta Hai Aur Naiki Jannat Tak Pahuncha Deti hai. Aadmi Sach Bolta Rehta Hai Yahan Tak Ki ise Allah Ta'ala Ka Yahan SIDDIQ  ( Bahut Sachcha ) Likh Diya jata hai. Aur BilaShuba Jhoot Burayi Ke Raaste Par DaaL Deta Hai Aur Burayi Isko Dozαkh Tak Pohonacha Deti Hai Aadmi Jhoot Bolta Rehta Hai Yahan Tak Ki Allah Ta'ala Ke Yahan Ise KAZAAB  ( Bahut Jhoota ) Likh Diya Jata Hai.

⚄ → Hazrat Hafs Bin Asim RaziaLLahu Anhu Riwaayat Karte Hai ke Rasool Allah( ﷺ ) Ne Irshaad farmaaya : Aadmi Ke Jhoota Hone Keliye Yehi Kafi Hai ke WO Jo Kuch Sune Ise ( Baghair Tehqeeq) ke Bayan Karde

FAIDA :→ Matlab Ye Hai Ke Kisi suni Sunayi Baat Ko Baghair Tehqeeq Ke bayan Karna Bhi Ek Darje Ka jhoot Hai Jiski Wajah Se Logon Ka Is Aadmi Par Se Etemaad Uth Jata hai.

⚄ → Hazrat  Abu Huraira RaziaLLahu Anhu Riwaayat Karte Hai ke Nabi Kareem ﷺ Ne Irshaad farmaaya :  Aadmi ke Gunahgar Hone keliye Yahi Kaafi Hai Ke  WO Har Sune Sunayi Baat Ko Baghair Tehqeeq Ka Bayan  Kare.

��Reference
                Muntakhab Ahadees

Next-23 ©ontinue,insha,Allah  
                       ������
������


   BismiLLahirrahmaanirraheem
     ┄ ┅ ━══════════════━ ┅ ┄

       ╭┉─════─┉─════─┉╯ 
       │ DARS-E-HADEES
       ╰┉─════─┉─════─┉┉╮
                { PART-23 }        │
       ┯┯─═─═─═─═─═─═───╯

→ LAYAANI SE BACHNA

⚄ → Hazrat Abdur Rehman Bin Abu Bakkar RaziaLLahu Anhu Farmate Hain ke RasoolAllah (ﷺ ) Ke Samne Ek Shakhsh Ne Dusre Aadmi Ki Tareef Ki ( Aur Jiski Tareef ki JaRahi Thi Wo Bhi Wahan Moujood Tha) Rasool Allah (ﷺ ) Ne Irshaad farmaaya :
Afsos Hai tum Par Tu ne To Apne Bhai Ki Gardan Tot Di. Aap (ﷺ ) Ne Ye Baat Teen Martaba Irshaad Farmaye  (Phir Farmaya Ke) Agar Tum Mein Se Koi Shakhsh Kisi ki Tareef Karna Zaroori Samjhe Aur Isko Yaqeen Bhi Ho Ke Wo Achcha Aadmi Hai Phir bhi Yun Kahe Ke Falha  Aadmi Ko Mai Achcha Samajhta Hoon, Allah Ta'ala Hi iska Hisaab Lene Wale Hain ( Aur Wohi Isko Haqeeqat Mein Janne Wale Hain Ke Achcha Hai Ya Bura) Mai To Allah Ta'ala Ke Saamne Kisi Ki Tareef Yaqeen Ke Sath Nahi Karta..

��Reference
                Muntakhab Ahadees

Next-24©ontinue,insha,Allah   

                       ������
������


   BismiLLahirrahmaanirraheem
     ┄ ┅ ━══════════════━ ┅ ┄

       ╭┉─════─┉─════─┉╯ 
       │ DARS-E-HADEES
       ╰┉─════─┉─════─┉┉╮
                   { PART-24 }        │
       ┯┯─═─═─═─═─═─═───╯

→ LAYAANI SE BACHNA

⚄ → Hazrat Abu Huraira RaziaLLahu Anhu Farmate Hain ke Maine Rasool Allah ( ﷺ ) Ko ye Irshaad Farmate Hue Suna :
Meri Saari Ummat Ma'Afi Ke Qabil hai Siwaye Unlogaon Ke Jo Khullam khulla Gunah Karne Wale Honge.
Aur khullam khulla Gunah Mai Ye Bhi Shamil Hai Ke Aadmi Raat Mein Koi Bura Kaam Kare Aur Phir Subha Ko Bawajud Is Baat Ke ke Allah Ta'ala Ne iska Gunah Per Parda Daaldiya
(Use logo par zahir na hone diya)Wo kahe falan! Mene guzishta raat Falah Falan Ghalat Kaam KIYE Tha. Halanke Isne Raat Is Tarah Guzari thi Ke Iske Rabb Ne iski Parda Poshi Kardi Thi aur Ye Subha ko Parda Hata Raha Hai jo (Raat) Allah Ta'ala Ne Is Per DaaL Diya Tha.
[BUKHARI ]

⚄ → Hazrat Abu Huraira RaziaLLahu Anhu Riwaayat Karte Hai ke Rasool Allah ( ﷺ ) Ne Irshaad farmaaya :
Agar Koi Shakhsh Ye Kahe Ke Log Tabah HoGaye To wo Shakhsh In Mein Sabse Zyada Tabha Hone Wala Hai.
( Kyunke Ye Kehne Wala Dusron Ko Haqeer Samajne Ki Wajha Se Takkabur Ke Gunah Mein Mubtela Hai.)

��Reference
                Muntakhab Ahadees

Next-25©ontinue,insha,Allah   

                       ������
������


   BismiLLahirrahmaanirraheem
     ┄ ┅ ━══════════════━ ┅ ┄

       ╭┉─════─┉─════─┉╯ 
       │ DARS-E-HADEES
       ╰┉─════─┉─════─┉┉╮
                   { PART-25 }        │
       ┯┯─═─═─═─═─═─═───╯

→ LAYAANI SE BACHNA

⚄ → Hazrat Anas Bin Malik RaziaLLahu Anhu Farmate Hain ke Sahaba Mein Se Ek Shakhsh Ka inteqaal Hogaya To Dusre Shakhsh Ne (Marhum ko MUkhatib Kar ke) Kaha:
Tumhe Jannat Ki Bashrat Ho Aap (ﷺ ) Ne Irshaad Is Shakhs Se Irshaad Farmaya :
Ye Baat Tum kis Tarah Keh Rahe Ho JAB ke Haqeeqat -E - Haal Ka Tumhe Ilm Nahi Hai. Ho sakta Hai ke is shakhs NE koi Aisi Baat kahi Ho jo Befaida HO Ya Kisi Aisi Cheez Mein Bukhal Kiya Ho jo Diya Jane Ke Bawjood Kum Nahi hote  ( MasLan Ilm Ka Sikhna Ya koi Ceez Aariyatan Dena Ya Allah Ta'ala ki Marziyat Main Maal ka karcha Karna Ke ye Ilm Aur Maal ko Kum Nahi Karta.)

FAIDA :→ HADEES SHAREEF KA MATLAB YE HAI KE KISI KE JANNATI HONE KA HUKM LAGANA KI JURRAT NAHI KARNI CHAHIYE BALKE AMAAL SALEHA KI WAJAH SE UMEED RAKHNI CHAHIYE.

��Reference
                Muntakhab Ahadees

Next-26©ontinue,insha,Allah   

                       ������
������


   BismiLLahirrahmaanirraheem
     ┄ ┅ ━══════════════━ ┅ ┄

       ╭┉─════─┉─════─┉╯ 
       │ DARS-E-HADEES
       ╰┉─════─┉─════─┉┉╮
                   { PART-26 }        │
       ┯┯─═─═─═─═─═─═───╯

→ LAYAANI SE BACHNA

⚄ → Hazrat Hassaan Bin Atiya Rahmatullahi alaih Farmate Hain ke Hazrat Shaadab Bin Aos RaziaLLahu Anhu Ek Safar Mein The. Ek Jaga Padhao Dala Aur Apne Ghulam Se kaha Dastarkwan Lao Taake Kuch Shugul Rahe  (Hazrat Hasaan Rh.alaih Farmate Hain) Mere Liye Inki Ye Baat Ajeeb The Phir Inhone Irshaad farmaaya :
Mai Jabse Musalaman Hua Hoon Jo Baat Bhi Maine Kahi Hamesha Socha Samajh Kar Kahi ( Bus Aaj Chuk HoGaye ) Is Baat Ko Yaad na Rakhna Balke Jo Mai Tum se Kahunga Ise Yaad Rakhna. Main Rasool Allah (ﷺ ) Ko Ye Irshaad FarmateSuna ke :
Log Jab Sone Aur  Chaandi Ka khazana Jama Karne Lag Jaye Yo Tum In Kalimaat Ko Khazna Banalena Yani inhe kasrat Se Padhte Rehna:

TRAJUMA→ YA ALLAH AAP SE HAR KAAM MIEN SABIT QADMI AUR RUSHD O HIDAYAT PAR PUKHTAGI MAANGATA HOON AUR AAPKI NE'MATON KA SHUKAR ADAA KARNE KI TAUFEEQ MAANGATA HOON AUR AAPKI ACHCHI TARAH IBADAT KARNE KI TOUFEEQ MAANGATA HOON AUR AAPSE (KUFR WA SHIRK SE) PAAK DIL KA SAWAL KARTA HOON AUR AAPSE SACHCHI ZUBAN KA SAWAL KARTA HOON AUR AAPKE ILM MEIN JITNI KHAIR HAI ISE MAANGATA HOON AUR MERE JITNE GUNAHON KO AAP JANTE HAIN MAI AAPSE IN TAMAAM GUNAHON KI MAGHFIRAT CHAHTA HOON. BESHAQ AAP GHAIB KI TAMAAM BAATON KO JANNE WALE HAIN.

ALLAH TA'ALA HUM TAMAAM KO IN BAATON PAR SIDQE DIL SE AMAL KI TOUFEEQ NASEEB FARMAYE  { AMEEN YA RABB UL AALIMEEN}

( ALHAMDULILLAH MUKAMMAL)

��Reference
                Muntakhab Ahadees

                       ������

No comments:

Post a Comment