❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
Aℓℓαн Sε SнαяM Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
01
▣ Pet Kï Hifazat Kijiye ▣ ◆══◆══◆══◆══◆══◆
☞ 1- Haraam Maal Se Bacho ,Qur'an Paak Ka Hukm ,
◈ Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne Allah Ta'ala se Sharm v Haya Kï doosri Badi Alamat Ye Bayan farmayi k ,Aadmi apne Pet aur Usme Jama karda cheezo Kï hifazat kare, " is Hidayat ka maqsad Haraam Kamaai se bachna v ahatyat he ,
◈ Qurane Kareem me Farmaya gaya he ,
Surah Al-Baqara, Aayat 188:
وَلَا تَأْكُلُوا أَمْوَالَكُم بَيْنَكُم بِالْبَاطِلِ وَتُدْلُوا بِهَا إِلَى الْحُكَّامِ لِتَأْكُلُوا فَرِيقًا مِّنْ أَمْوَالِ النَّاسِ بِالْإِثْمِ وَأَنتُمْ تَعْلَمُونَ
*** Aur na khao Maal ek doosre ka nahaq aur na Pahunchao unko haakimo tak ,k Kha jao koi hissa logo ke maal me se Zulm karke ( nahaq ) aur tumko maloom he ,
◈ Ek Jagah Yateemo ka Maal Khane per nakeer farmayi gayi he ,
Surah An-Nisa, Aayat 10:
إِنَّ الَّذِينَ يَأْكُلُونَ أَمْوَالَ الْيَتَامَىٰ ظُلْمًا إِنَّمَا يَأْكُلُونَ فِي بُطُونِهِمْ نَارًا وَسَيَصْلَوْنَ سَعِيرًا
*** Jo log khate he'n Maal Yateemo ka nahaq Wo log apne Peto me Aag hi bhar rahe he'n aur anqareeb dakhil honge Aag me ,
◈ Ek Jagah irshad he,
Surah An-Nisa, Aayat 29:
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا لَا تَأْكُلُوا أَمْوَالَكُم بَيْنَكُم بِالْبَاطِلِ إِلَّا أَن تَكُونَ تِجَارَةً عَن تَرَاضٍ مِّنكُمْ
****Ey imaan walo ! Na KHAO maal ek doosre ke Aapas me nahaq ,magar ye k tijarat ho Aapas Kï khushi SE ,
◈ Yahi Hukm haraam maal ka he ,Jo Maal bhi Shariyat Kï ri'ayat rakhe bager haasil kiya jayega Wo mojibe azaab hoga aur uska istemal karne wala Allah Kï Rehmat se door ho jayega ,
☆ Next - 02 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 114
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
━─━─━─━─━─━─━─ ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
━═─────────────────═━
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
Aℓℓαн Sε Sнαя๓ Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
02
▣ Pet Kï Hifazat Kijiye ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
☞ 2- Haraam Maal se Bacho - irshade Nabvi Sallallahu Alaihivasallam,-1,
◈ " Aur ( imaan Walo se Farmaya ) Ey imaan walo ! Hsmari ata karda pakiza cheezo me se khao ,Aap Sallallahu Alaihivasallam ne us Shakhs ka zikr farmaya Jo ( maslan ) lambe safar ke dauran gubaar alood aur paraganda hone Kï haalat me Apne dono haath Asmaan Kï taraf utha kar Dua maange k Ey mere Rab ! Ey mare Rab ! Lekin uska khana pina haraam ho aur Libaas haraam ho aur uski haraam se parvarish hui ho to kaha'n uski Dua qubool ho sakti he ? "
_Ref_$___Ravaah Muslim, 1/326 At-Targeeb v Tarheeb ,2/344 Mishkaat Sharif ,1/241
◈ Is Hadees se maloom hua k agarche insaan Kï zahiri haalat qabile Reham kyu na ho lekin haraam maal me mulavvis hone Kï vajah se Wo Shakhs Allah ke Reham v Karam se aur Nazre karam se Mehroom kar diya jata he ,aur uski Dua qabile qubool nahi hoti ,
◈ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ka irshad naqal farmate he'n,
" Jis Shakhs ne ek Kapda Das dirham ka kharida aur usme ek dirham haraam Kï milawat ho to Jab tak Wo Kapda uske Badan per rahega Allah Rabbul izzat uski koi Namaz qubool nahi farmayenge ,"
_Ref_$__ Ravaah Ahmad, At-Targeeb v Tarheeb ,2/346
__To be Continued...
☆ Next - 03 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 115
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
━─━─━─━─━─━─━─ ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
Talibe Dua
◉ Haqq Ka Daayi ◉
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
━═─────────────────═━
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
Aℓℓαн Sε SнαяM Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
03
▣ Pet Kï Hifazat Kijiye ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
☞ 2- Haraam Maal se Bacho -Irshade Nabvi Sallallahu Alaihivasallam,-2 ,
◈ Ek Hadees me he k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Hazrat Sa'ad bin Abi Waqaas Raziyallahu Anhu se Farmaya,
" Us zaat Kï qasam jiske qabze me Muhammad ( Sallallahu Alaihivasallam ) Kï Jaan he ,Aadmi Apne pet me haraam luqma daalta he Jiski Vajah se Chalees (40 ) Roz tak uska koi Amal Allah ke Yaha qubool nahi hota ,aur jis Shakhs ka Gosht Posht haraam se parvaan chadha ho to uske liye to Jahannam hi munasib he ,"
_Ref_$_Ravaah Tabrani ,Targeeb v Tarheeb ,6/245
◈ Hazrat Abdullah bin Abbas Raziyallahu se Rivayat he k Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne mutnaba farmaya ,
" Tum Haraam maal Jama karne wale per rashk na karo isliye k Wo us maal se Sadqa karega to qubool na hoga aur baqiya maal bhi Jahannam tak le Jane ka tosha ban jayega ,"
_Ref_$_Ravaah Haakim ,Targeeb v Tarheeb ,2/328
◈ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu Kï Rivayat he k Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Tumme se koi Aadmi Apne moonh me mitti bhar le ,ye Apne moonh me haraam maal dakhil karne se behtar he ,"
_Ref_$_Shobul imaan ,5/57
◈ Ek martaba Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam se poochha gaya k Jannat me dakhil karne wale Amaal Zyadatar konse he'n ?
To Aapne irshad farmaya k Taqwa aur Husne Akhlaq ,
Fir poochha gaya k Jahannam me le Jane wale Amaal konse he'n ?
To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya, darmiyani A'aza moonh ( jisse haraam cheez pet me pahunchti he ) aur Sharmgah ,
_Ref_$_Shobul imaan ,5/55
◈ in rivayaat se maloom ho gaya k Haraam maal ka istemal Shariyat Kï Nazar me Sakht na-pasandida he aur Akhirat me bad tareen azaab ka mojib he ,
☆ Next - 04 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 115
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
━═─────────────────═━
۞✵۞ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
Aℓℓαн Sε SнαяM Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
04
▣ Pet Kï Hifazat Kijiye ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
☞ 1- Paak Maal Ke Samraat ,
◈ Ahadeese Taiyaba me Halaal maal ke Ahatmam per Duniya v Akhirat me Shandar nateeje saamne aane ke Vaade mazkoor he'n ,
◈ Ek Rivayat me he k ek Martaba Hazrat Sa'ad bin Waqaas Raziyallahu Anhu ne Aap Sallallahu Alaihivasallam se darkhwast kiya k ,Ey Allah ke Rasool ! Mere liye Dua farma dijiye k me Mustjabud Da'awaat ho jau'n ,
Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya, Ey Sa'ad ! Apna khana tayyab ( Paak ,Halaal ) kar lo Mustjabud Da'awaat ho jaoge ,
*_ Ref _$_Targeeb ,2/345
◈ Ek Hadees me he k Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne ye khush khabri Sunayi !
" Jo Shakhs Maale Tayyab khaye aur Sunnat per Amal kare aur log uske Shar se mehfooz ho'n to Wo Jannat me jayega ,"
*_Ref_$_Shobul imaan ,5/54
◈ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu farmate he'n k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Agar tere andar Chaar Baate mojood ho to tujhe Duniya ke ( maal daulat vagera ) ke faut ( Khatm ) hone ka koi afsos na hona chahiye ,
1- Amanat Kï hifazat ,2- Sachchai ,3- Akhlaqe Hasna ,4- aur Khane me Haraam se parhez ,"
*_Ref_$ _Targeeb ,2/345
◈ Hazrat Abu Qatada Raziyallahu Anhu aur Hazrat Abu Darda Raziyallahu Anhu farmate he'n k hamara guzar ek dehati Shakhs per hua ,Usne bataya k ek martaba Aap Sallallahu Alaihivasallam ne mera haath pakad kar Kuchh nasihate'n farmayi ,Unme se ek nasihat Khaas tor per mujhe yaad reh gayi ,Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya tha ,
" Tum Jo cheez Allah ke Dar se chhor doge to Allah Ta'ala tumhe usse behtar cheez ata farmayega ,"
*_Ref_$_ Shobul imaan ,5/53
◈ Yani Aaj ba-zahir taqwe per Amal karne me Duniyavi nuqsaan Nazar aata he lekin agar hamara Yaqeen pukhta ho to Allah Ta'ala se Ummeed rakhna chahiye k Wo Hume is Taqwe ke badlehamara maqsood is tarah poora karayega k jaha se Hume vahamo gumaan bhi na hoga ,
☆ Next - 05 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 118
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
━─━─━─━─━─━─━─ ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
Aℓℓαн Sε SнαяM Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
05
▣ Pet Kï Hifazat Kijiye ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
☞ Taajiro Ko Khush Khabri ,
◈ Duniya me maal haasil karne ka sabse bada zariya tijaarat he ,Aap Sallallahu Alaihivasallam ne isi zariye maal ko sabse zyada Saaf suthra banane Kï targeeb Dï he ,Allah ke nazdeek us Taajir ka martaba bahut buland he Jo Amanat aur sachchai ka khayal rakh kar Halaal rozi kamane Kï koshish karta he ,
◈ Hadees Paak me irshad he ,
" Sachche Amanatdaar Taajir ka hashr ( qayamat me ) Hazraat Ambiya Alaihissalam, Siddiqeen ,Shohda aur Nek logo ke saath hoga ,"
*_Ref_$_Tirmizi ,1/229
◈ Maloom hua k Taajir ka sabse bada aizaaz uska Sachcha aur Amanatdar hona he ,Taajiro ko chahiye k apni kamaai khalis halaal banane ke liye har qism ke Jhoot ,fareb aur bad dayanati se bachte rahe ,isi me Nijaat he ,
◈ Hazrat Sirri Saqti Reh.farmate he'n ,Nijaat teen baato me he ,
1- Paak Giza, 2- Kaamil Parhezgari ,3- Sidha Raasta ,
*_Ref_$_ Shobul imaan ,5/60
◈ Karobaar me Haraam Kï aamzish aur sachchai aur Amanatdari me kotahi karobaar me be barkati ka bada sabab he ,Maamlaat me SHARA'I hudood Kï riayat na rakhne Kï Vajah se Badi badi ibaadato ka sawab gaarat ho jata he ,aur insaan Kï saari mehnat bekaar chali jati he ,
◈ Yusuf bin Asbaat Reh.farmate he'n k " Jab koi jawan ibaadat me mashgool ho jata he to Shaitan Apne chelo se kehta he k dekho is jawan Kï Giza kya he ?
" Agar uski Giza haraam hoti he to Wo kehta he bas ise Apne hi haal per chhor do ,Ye mehnat karta rahega aur thakta rahega aur koi faayda haasil na ho sakega ,"
*_Ref_$_ Shobul imaan ,5/60
☆ Next - 06 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 120
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
━─━─━─━─━─━─━─ ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
Aℓℓαн Sε SнαяM Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
06
▣ Pet Kï Hifazat Kijiye ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
☞ Haraam Se Bachne Ka Jazba Kese Paida ho ?
◈ Maal Daulat Kï Hawas esi cheez he Jo insaan ko har soorat me maal batorne per amaada karti he ,Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Maal Kï Bhook Marne tak nahi mit ti ,aur MAAL dar ka jese jese maal badta he wese wese mazeed maal Kï khwahish badti jati he ,aur is khwahish ko poora karne me Halaal aur Haraam Kï tameez nahi karta ,Balki sirf Rupiya banane ke chakkar me pad jata he ,
◈ Aap Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he ,
" Logo per esa zamana aane wala he k Aadmi iski parvaah nahi karega k Wo Jo maal le raha he Wo Halaal he ya haraam ,"
*_Ref_$_ Ravaah Bukhari ,1/676-679
◈ Aaj bila Shubha Wo zamana aa chuka he aur har taraf isi laparvaahi ka daur he aur Jo jitna bada maaldar he Wo utna hi is kotahi me mubtila he ,Hume is kotahi ka ahsaas karna chahiye aur Akhirat Kï jawab dahi per gor karna chahiye,
◈ Aap Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he ,
" Qayamat ke Din Aadmi ke qadam apni jagah se hil nahi payenge jab tak k usse Paanch Sawal na kar liye jaye ,
1- Umar kaha'n lagayi ,
2- Jawani Kaha'n gawayi ,
3- Maal Kaha'n se kamaya ,
4- Maal kaha'n lagaya ,
5- Deen ke ilm per kaha'n tak Amal kiya ,
*_Ref_$_Ravaah Tirmizi, 2/67
☆ Next - 07 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 121
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
━─━─━─━─━─━─━─ ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
Aℓℓαн Sε SнαяM Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
07
▣ Pet Kï Hifazat Kijiye ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
☞ -Maaldaar Log Rok liye Jayenge ,
◈ Duniya me Maal Daulat ko izzat ka zariya Samjha jata he aur umuman Maal ke haasil karne aur use kharch karne me log Shariyat Kï hudood Kï Ri'ayat nahi karte ,lekin Baargahe Khudawandi me haazri ke waqt yahi maal Jannat me Takheer ka zariya ban jayega ,aur Duniya me Fuqra v Masakeen me zindgi guzaarne wale Maaldaro se pehle jannat me Apni jagah bana lenge ,
◈ Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ka irshad Aali he ,
"mai Jannat ke Darwaze per khada hua to dekha k usme dakhil hone wale Aksar masakeen he'n aur Maal v Wajahat wale log ( hisaab ke liye ) rok liye gaye he'n "
*_Ref_$_Muslim Sharif ,2/352
◈ Ab agar hisaab kitaab saaf hoga to Jaldi chhutkara mil jayega aur agar Jama aur Kharch aur Aamad v Sarf me Allah Kï Raza ka khayal na rakha gaya hoga to fir takheer hoti chali jayegi ,
◈ isliye har Shakhs per laazim he k Wo Duniya Kï zindgi hi me apna hisaab saaf karke taiyaar rakhe ,Aamad bhi Shariyat ke mutabiq ho aur kharch bhi Allah ke Hukm ke muwafiq ho ,
☆ Next - 08 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 122
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
━─━─━─━─━─━─━─ ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
Aℓℓαн Sε SнαяM Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
08
▣ Pet Kï Hifazat Kijiye ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
☞ - Haraam Aamdani Ke Zariye ---1- Sood ( Interest)
◈ Aamdani ke Haraam zaraay me sabse bad tareen zariya ,"Sood " he ,Qurane Kareem me na sirf ye k Soodi Len den se mana kiya gaya he balki Soodi karobaar me lage rehne walo se Elaan-E-Jung kiya gaya he , Ahadees Sharif me bhi Kasrat ke saath Sood Kï muman'at waarid hui he ,
◈ Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Sood ka ek Dirham jise Aadmi jaan boojhkar khaye uska wabaal aur gunaah 36 martaba moonh Kaala karne se bad tareen jurm he ,"
*_Ref_$_Ravaah Ahmad ,Targeeb, 3/5,
◈ Sayyadna Hazrat Jaabir Raziyallahu Anhu farmate he'n, Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne Sood Khane wale ,khilane wale ,Soodi maamle ko likhne wale aur uski gawahi dene walo per laanat farmayi he aur farmaya k ye sab ( gunaah me ) barabar he'n ,
*_Ref_$_Ravaah Muslim, 2/27
◈ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu Aap Sallallahu Alaihivasallam ka irshad naqal farmate he'n,
" Sood ke Sattar ( 70 ) darje he'n jinme sabse zyada halka darja esa he jese koi Shakhs apni Maa'n se ( Na'uzubillah ) moonh Kaala kare ,"
*_Ref_$_Mazahir Haq ,3/26
◈ Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam irshad farmate he'n k ,
" Meraaj Kï Raat me mera guzar esi jama'at per hua jinke Pet kamro ke manind the jinme Saanp ( lipat rahe ) the, Jo bahar se Nazar aa rahe the, mene puchha k Ey Jibraiyl ye kon log he'n ?
To Jibraiyl Alaihissalam ne jawab diya k ye Sood Khane wale log he'n ,"
*_Ref_$_Ravaah Ahmad ,Targeeb, 7/3
◈ Hazrat ibne Abbas Raziyallahu Anhu Kï Rivayat he k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" JIS kisi Basti me Badkaari aur Sood khori Aam ho jaye to Waha'n ke Basinde Apne ko Allah ke Azaab ka Mustahiq bana lete he'n ,"
*_Ref_$_Targeeb v Tarheeb ,3/6
*_Isi tarah Kï aur bhi Rivayaat ka ZAKHIRA Hadees me mojood he Jinko padh kar Sun kar kisi bhi imaan wale ko hargiz ye Jurrat na honi chahiye k Wo Apni Aamdani me Sood ka ek luqma bhi shamil kare lekin bura ho is daulat Kï hirs ka k Aaj hum Islam ka Daava karne ke bavjood Soodi karobaar se bachne ka ahatmaam nahi karte ,
☆ Next - 9 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 123
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
━─━─━─━─━─━─━─ ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
Aℓℓαн Sε SнαяM Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
09
▣ Pet Kï Hifazat Kijiye ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
☞ Bank Ka interest bhi Yaqeenan Sood he ,
◈ Kuchh Azaad khayal logo ne kaafi arse se ye galat fehmi paida kar rakhi he k Bank me raqam rakhne per Jo Zaa'id Rupiya milta he Wo to Shirkat he k Bank usi Raqam se Karobaar karta he Fir Apne Nafa me se kuchh hissa Rupiya rakhne walo ko bhi deta he ,
◈ Lihaza ( Esa ye Azaad Khayal ke log kehte he'n k ) ise sood nahi kaha jayega balki Jo Raqam Zaa'id mil rahi he Wo Shirkat ka mu'awza qaraar Dï jayegi , Halanki ye kehna bilkul bia daleel he ,
◈ Fiqha islami me Bank se jo Zaa'id Raqam milti he Wo bila Shak v Shuba " Sood " me Dakhil he jiski Hurmat ( haraam hone per ) tamaam Fuqha e islam muttafiq he'n ,
◈ Kyuki Bank se Jo bhi izafa milta he Wo mahaz muddat guzarne per milta he ,Karobaar me Shirkat ka Waha Wahamo gumaan bhi nahi hota he ,
◈ isliye ye nihayat faasid taveel he k Banko me jaari Sood ko Haraam na maan kar Khwahmkhah Shirkat me daal diya jaye ,Ye Sood khoro ke Shaitani Wasawis ( Khayalaat ) he'n jinhe Ummat baar baar Rad kar chuki he ,
☆ Next - 10 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 125
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
Aℓℓαн Sε SнαяM Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
10
▣ Pet Kï Hifazat Kijiye ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
☞ Juwa aur Satta ,
◈ Shariyat me Aamdani ke jin zaraay Kï sakhti se muma'anat aayi he unme Juwa aur Satta bhi SHAMIL he ,Qurane Kareem me Surah Maa'ida me Juwa aur Sharaab ko ek saath Zikr karke unhe gandgi aur galazat qaraar diya gaya he ,
◈ Aur Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne Chosar ( Jo Satte me khela jata he ) ke bare me irshad farmaya, " Jisne Chosar khela usne apna haath Khinzeer ke Gosht aur uske khoon me saan liya ,"
⚀•RєԲ: Muslim Sharif, 2/240
◈ Dekhiye Satta khelne ko Aap Sallallahu Alaihivasallam ne kis qadar ghinona Amal qaraar diya he jiska koi Musalman tasavvur bhi nahi kar sakta ,
◈ Allama Aalusi Reh. Juwe Satte ke mufasid ke bare me Likhte he'n ,:-
" Aur Juwe ke mufasid ( nuqsaan ) me se ye he k ,
1- logo ka maal na-jaa'iz tareeqe per khana ,
2- Aksar Juwariyo ka Chori karna ,
3- Qatl karna
4- Bachcho aur ghar walo ka khayal na karna ,
5- Gande aur bad tareen jurmo ka irtkaab karna ,
6- Zaahiri aur Poshida Dushmani karna ,
Aur ye bilkul tajurbe Kï baat he ,inka koi Shakhs inkaar nahi kar sakta ,illa ye k Allah Ta'ala ne kisi ko sunne aur dekhne Kï salahiyat se mehroom kar diya ho ,
⚀•RєԲ: Roohul Ma'ani ,2/115
◈ Tajurbe se saabit he k JIS mashre me Juwa Satta Kï kasrat hoti he Wo mashra Jurm aur Bad Amaaliyo Kï jagah ban jata he ,isliye k muft me haraam khori Kï jab Aadat pad jati he to mehnat mazdoori karke kamana mushkil hota he ,laakho khandan is Nahusat me giraftaar ho kar tabaah v barbaad ho chuke he aur dono Jaha'n Kï ruswayi mol le chuke he'n,
☆ Next - 11 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 129
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
Aℓℓαн Sε SнαяM Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
11
▣ Pet Kï Hifazat Kijiye ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
☞ Lottery Vagera ,
◈ is daur me Juwe aur Satte Kï bahut si shakle raa'ij he'n aur Sab haraam he'n ,inme ek Lottery Kï laanat bhi he Jiske zariye khoobsurat andaz me poori Qom ka khoon choosa ja raha he ,
◈ Zara gor farmaiye ,Lottery Kï ek company Maslan Teen laakh ke Ticket bechti he aur unme se Ek Laakh Rupiya inaam me de deti he, to ye Do laakh Rupiya Jo lottery Kï company ko mila Ye kisi ka sarmaya he ,Bechare gareeb rickshaw poolero ka aur Mazdooro ka ,Jinke khoon pasine Kï kamaai sarmayadaro aur Hukumat ke khazano me simat kar chali jati he ,
◈ Aur mahaz ek bade nafe ke laalach me ye gareeb awaam khushi khushi apni mehnat Kï kamaai in khoon choose walo ke hawale kar deti he ,hamare saamne esi bahut misaale he'n k lottery ke chakkar me aa kar kitne hi log Apne GHARO ke Bartan ,Bivi ke zeveraat yaha tak k Kapde ,Makanaat tak bech dete he'n ya girvi rakh dete he'n, aur dekhte hi dekhte kangaal ho jate he'n,
◈ isi tarah Aaj Mohalle Mohalle Sceemo ke naam per sarmayakari Kï ja rahi he ,inme bhi Juwe Kï soorte'n payi jati he, Maslan Jiska naam pehli Qist ada karte hi nikal aaye Wo bahut kam qeemat me kisi Cheez ya badi Raqam ka maalik ban jata he aur baqi logo ko Apne number ka intezar karna hota he ,
◈ isi tarah patangbazi ,Kabooter bazi ,Shatranj ,Keram board Vagera jinme haar jeet per Len den Kï sharte hoti he'n ,Ye sab Shkale haraam he'n, Yaha tak k Ulma ne likha he k Bachche Jo Goliya aur gatte khelte he'n aur us per doosre se Sharte rakhte he'n ye sab Juwa Satta he ,Bachcho aur Bado ko inse bach kar Allah Ta'ala se Sharm v Haya ka taqaza poora karna chahiye,
☆ Next - 12 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 130
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
Aℓℓαн Sε SнαяM Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
12
▣ Pet Kï Hifazat Kijiye ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
☞ Insurance ,,
◈ Sood aur Juwa Kï ek taraqqi yafta soorat Wo he jise Bima Ya Insurance kaha jata he ,Bima chahe Maali ho ya Jaani ,isme Satta Kï shakl zaroor payi jati he ,
◈ Yani ye shart hoti he k agar Policy Kï muddat me maal Zaay ho gaya ya policy lene wala mar gaya to mashroot Raqam Bima company per ada karni laazim ho jayegi ,Ab maal ke Bima Kï shakl me shart na paye Jane Kï soorat me koi Raqam wapas nahi hoti ,
◈ Aur Life insurance me agar policy holder na mare to to policy poori hone ke baad saari Jama shuda Raqam stood ke saath ada Kï jati he ,is aitbaar se life insurance me Juwa bhi he aur Sood bhi ,Jabki maal ke insurance me sirf Juwa Kï Shakl payi ja rahi he ,
◈ isliye Ulma e Muhaqqiqeen ke nazdeek Life insurance Kï hurmat maali insurance ke muqable me zyada shadeed he ,
◈ Har ek Musalman ka fariza he k Wo akhtyari tor per Bima aur insurance ke maamlaat se door rahe aur Jaha'n koi Qanooni ya iztrari majboori ho to poori soorate haal bata kar Ulma se masla poochh kar Amal kare ,
◈ Nafa nuqsaan ka maalik sirf Allah he ,Jo nuqsaan Allah Kï taraf se muqaddar me he Wo insurance Kï Vajah se tal nahi sakta ,isliye Allah per bharosa karna chahiye, Uska khof Dil me bithana chahiye aur mahaz chand roza nafa ke lalach me Akhirat ke daaymi nafa per batta na Lagana chahiye ,Nijaat aur Aafiyat ka Raaste yahi he ,
☆ Next - 13 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 131
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
Aℓℓαн Sε SнαяM Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
13
▣ Pet Kï Hifazat Kijiye ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
☞ Doosro ke Maal Ya Jaaydaad per Nahaq QABZA karna ,
◈ Haraam Aamdani ke zaraaye me ye bhi he k bila kisi Haq ke kisi doosre Shakhs ke maal ya jaaydaad per qabza Jama liya jaye ,Qurane Kareem me kai jagah Aapas Kï razamandi ke bager galat tareeqe per ek doosre ka maal Khane se sakht mana kiya gaya he ,
◈ Aur Ek Hadees me Vaarid he k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Jo Aadmi balisht bhar zameen bhi zulman le le to saat Zameeno se us per Toq bana kar daala jayega ,
⚀•RєԲ:➻ Ravaah Bukhari, 1/453
◈ Is Hadees ke Mafhoom ke bare me likha he k isse Muraad ye he k Balisht bhar jagah saato zameen tak khodne ka Hukm use diya jayega to is tarah khodne Kï vajah se Wo hissa uske gale me toq ke manind maloom hoga ,,
◈ Aur ek doosri Rivayat me Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k ,Jo Shakhs Na-jaa'iz tareeqe per doosre Kï zameen ka kuchh hissa bhi daba le to uski koi bhi nifli ya wajibi ibaadat Allah Ta'ala Kï bargaah me qabile qubool na hogi ,"
⚀•RєԲ:➻ Attargeeb v Tarheeb ,3/10
◈ Ek Hadees me Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne ye hidayat farmayi ,
" Jis kisi ke paas doosre bhai ka izzat ya maal se mutalliq koi Haq ho to usse Aaj hi maaf kara le to qabl iske k Wo Din aaye k jab Deenar v Dirham na chalenge balki agar uska koi Nek Amal hoga to usse doosre ke Haq ke ba qadar le liya jayega aur agar uske paas nekiya'n na hongi to uske Bhai Kï Buraaiya'n le kar us per laad di jayegi ,"
⚀•RєԲ:➻ Ravaah Bukhari, 2/967
◈ isliye har Musalman ko Zulm aur Gazab se bach kar Allah se Sharm v Haya ka saboot dena chahiye aur Akhirat Kï bad tareen ruswayi se Apne aapko bachana chahiye,
☆ Next - 14 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 131
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
Aℓℓαн Sε SнαяM Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
14
▣ Pet Kï Hifazat Kijiye ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
☞ Rishwat Khori ,
◈ Rishwat khori yani doosro se nahaq Raqam vagera LENE ka marz esa khatarnaak aur Bad tareen he jisse na sirf Qaum Kï ma'asiyat tabaah hoti he,
◈ Jo Shakhs Rishwat Kï chahat me mubtila ho jata he to uski Nazar me na apne mazhab aur Qaum ka faayda rehta he na mulk Kï salaamti Kï ahmiyat uske saamne rehti he ,uski nigaah me to sirf Apni Jeb ka faayda aur munafa khori hi ka jazba hota he ,aur Daulat ke nashe me Wo doosre ke nuqsaan Kï parvaah nahi karta ,Uska Dil sakht ho jata he ,aur Reham ka jazba nikal jata he ,
◈ isi bina per Rishwat Kï Shariyat me sakht mazammat waarid hui he ,Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Rishwat lene wale aur ( bila zarurat) Rishwat dene wale per Allah Kï laanat he ,"
⚀•RєԲ:➻ Attargeeb v Tarheeb ,2/125
◈ Aur doosri Hadees me irshad farmaya,
" Rishwat lene wala aur ( ba khushi bila zarurat ) Rishwat dene wala dono Jahannam me jayenge ,"
⚀•RєԲ:➻Ravaah Tabrani ,Targeeb 3/125
◈ Ek Hadees me Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Rishwat lene aur dene wale ke saath us Shakhs per bhi laanat bheji he Jo Rishwat ke liye darmiyan me dalali karta he ,
◈ in sakht tareen Vaiedo se Rishwat ke bhayanak anjaam ka badi asaani se andaza lagaya ja sakta he, Rishwat esa nasoor he jiska fasaad Akhirat me hi nahi balki Duniya me bhi iske bhayanak nateeje logo se chhipe nahi he ,
*__Rishwat lene wale ke liye Rishwat ka paisa kisi bhi soorat me Halaal nahi he ,Albatta Baaz khaas soorto me jab k apna Haq zaay ho raha ho ya shadeed nuqsaan ka andesha ho to Fuqha ne zarurat an Rishwat dene Kï ijazat di he ,( Lekin Rishwat Lena har haal me haraam he )_
☆ Next - 15 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 133
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
Aℓℓαн Sε SнαяM Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
15
▣ Pet Kï Hifazat Kijiye ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
☞ Na-jaa'iz Zakheera Andazi ( Jama Khori )
◈ Shariyat ne awaam ko nuqsaan pahuncha kar cheezo ko Jama karke zyada kamane se bhi mana Farmaya he ,Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne is Amal se sakhti se mana farmaya he ,
◈ Ek Hadees me irshad farmaya, " Jo Shakhs galla vagera Jama kare Wo galat kaar he ,""
⚀•RєԲ:➻ Muslim, 1/2
◈ Aur ek Rivayat me he k ," Jama khor Aadmi bura he k Allah Ta'ala cheezo ki qeemate sasti kare to use gam hota he aur jab mehngayi ho to use khushi hoti he ,"
⚀•RєԲ:➻ Targeeb v Tarheeb,2/364
◈ Hazrat Umar Raziyallahu Anhu se Rivayat he k maine Aap Sallallahu Alaihivasallam ko ye kehte hue suna he ,
" Jo Shakhs Musalmano per unka galla vagera ROK kar rakhe ,Allah Ta'ala use Kodh ke marz aur tangdasti me mubtila karega ,"
⚀•RєԲ:➻ Targeeb v Tarheeb ,2/363
◈ Jama khori Kï muma'anat us waqt he Jabki uski vajah se Shehar walo aur Awaam ko nuqsaan ho ,isme Wo tamaam cheeze shamil he'n Jinse logo ko nuqsaan pahunch sakta he ,Galla ,Kapde ,Rozmarra Kï zaroori Cheeze ,
◈ Haa'n agar Jama karne se Kisi nuqsaan ka andesha na ho to fir khareed kar stocks rakhne me koi harj nahi ,isi tarah jab bazaar me us cheez Kï koi kami na ho ,agar koi Shakhs shuru fasal me koi cheez zyada miqdaar me khareed kar RAKH le k akheer fasal me qeemat bad Jane per bech dega ye bhi mana nahi he ,isliye k uske is Amal Kï vajah se qeemat nahi badegi ,
☆ Next - 16 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 135
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
Aℓℓαн Sε SнαяM Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
16
▣ Pet Kï Hifazat Kijiye ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
☞ Madaris Aur Milli idaaro Kï Raqam me ahatyaat ,
◈ Pet ko Jahannam Kï Aag se bachane Ke liye ye bhi laazim he k Jo log Kisi ese idaare se wabasta ho jisme Qaum ka Rupiya khaas masarif me sarf ke liye Jama hota he ,uski amanato me Wo nahaq tasrruf na kare aur is bare me intehayi mohtaat rawayya apnaye ,
◈ Qurane Kareem me Yateem ke maal Khane ko " pet me aag bharne " se tabeer kiya gaya he aur Ulma likhte he'n k Sabhi Avqaaf vagera ke ahkamaat bhi yateem ke maal Ki tarah he'n ,yani Qaumi aur Milli idaaro ke Muntazim yaha tak k Ameerul momineen bhi islami Hukumat ke khazano ka maalik nahi he ,balki us per islami hidayaat ke mutabiq har fund ka Rupiya usi ke masraf me sarf karna zaroori he ,aur bila zarurat sarf karne per ya gair Mustahiq per kharch karne per usse indallaah muwakhza ( poochh tachh ) hoga ,
◈ Afsos he k Aaj is sailsile me sakht laparwahi aur kotahi Aam hoti ja rahi he ,Kuchh idaare to ese he'n jinhone Zabardasti Apne ko " Aamile Hukumat" ke darje me rakh kar Zakaat Kï Raqam bila dareg manmane masarif me kharch karne ke raaste nikaal liye he ,aur badi tadaad ESE idaaro Kï he jinme agarche " Aamile Hukumat " ka unwan to nahi he lekin Zakaat Kï Raqam me zarurat bila zarurat " Tamleek ka Heela " apnaya ja raha he ,aur ye Raqam Jo khaalis Fuqra ka Haq he use Tameer ,Ziyafat aur Madarse ke buland v baala tarruf ke qeemti aur Khush numa literaturo me kharch kiya Jane laga he ,
◈ Madarse me Taleemi maiyaar chahe kahi tak ho lekin iska tarruf itna zordaar chhapwaya jata he mano poore ilaaqe ka Darul uloom yahi he ,
◈ isi tarah bahut se ese mamooli makatib jinme tankhwah ke alawa kharch ka koi qabile zikr mahal nahi he aur Waha nadaar talba Kï Rihaaish aur ta'aam ka bhi intezam nahi he ,unme mahaz tameeraat aur mushahiraat per Zakaat Kï Raqam bila dareg kharch Kï ja rahi he ,
☆ Next - 17 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 138
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
Aℓℓαн Sε SнαяM Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
17
▣ Pet Kï Hifazat Kijiye ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
☞ Heela aur Tamleek Sirf Majboori me Jaa'iz he ,
◈ Aur " Heela Tamleek " Jo ek intehayi majboori Kï cheez thi use hi Asal qanoon ke darje me rakh diya gaya he ,isliye achchhi tarah samajh lena chahiye k Tamleek ke Heele Kï ijazat sirf usi waqt he Jabki Madarsa ya idaare me filwaqt masraf mojood aur zarurat itni sakht ho k agar Heela na kiya jaye to Waha Deeni zarurat Kisi bhi Darje me anjaam na Dï ja sake ,
◈ Yaad rahe ! K har maktab ko ek dam Darul Uloom banana hamare zimme nahi he ,balki Jitne kharche ka ba asaani intezam jaa'iz aur Shara'i tareeqe se ho sake utne hi darje per idaare ko rakha jaye ,aur Rafta rafta taraqqi di jaye ,
◈ Aaj be ahatyatiyo k bada sabab ye he k har idaara pehli fursat me ounche plan aur mansoobe banata he aur Jab un mansoobo Kï takmeel ke liye ataaya nahi mil paate to Zakaat ke Maal ko Halaal karne ke Raaste apnata he ,aur bila zarurat Heela Akhtyar karta he ,Halanki ye kitni Mehroomi Kï baat he k Aadmi doosro ke faayde ke unwaan se khud apni Akhirat kharab kare ,
""" Wallahu Aalam """
☆ Next - 18 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 139
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
Aℓℓαн Sε SнαяM Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
18
▣ Pet Kï Hifazat Kijiye ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
☞ Hazrat Maulana Binnori Reh. Ka Tarje Amal ,
◈ inhi be ahatyatiyo Kï vajah se aaj awaam v khwaas Madaris aur Deeni idaaro ko Shak Kï nigaah se dekhne lage he'n ,Jabki zimeedaraan taqwe per mukammal rahe to unke aitmaad ko thays kabhi nahi pahunch sakti ,is SILSILE me Rehnumayi ke liye Aalime Rabbani imamul Hadees Hazrat Maulana Muhammad Yusuf Binnori Reh. Ka Amal pesh he ,
◈ Hazrat Sekh Noorullahu marqadhu ne apne Madarse ( Jami'a islamiya Binnori Town Karachi ) ke liye Mushkil tar raasta Akhtyar kiya aur ESE usool banaye Jo pehle padhne ,Sunne aur dekhne me nahi aaye the ,
◈ Aapne sabse aham usool ye Akhtyar farmaya k Madarsa ko haasil hone wali Aamdani ko Do Mado me taqseem Farmaya, Ek mad Zakaat v Sadqaat Kï aur Doosri atyaat Kï ,Zakaat fund Kï Raqam sirf Talba ke akhrajaat khurdnosh aur waza'if ke liye khaas kar Dï gayi ,is Fund ko Madarse Kï Tameer ,Kitaabo Kï khareed aur Ustaado Kï tankhwah per mutlaq kharch nahi kiya jata tha ,
◈ Atyaat ke fund se Ustaado Kï tankhwah aur digar wajibaat Kï adaygi Kï jati thi ,Sabko Maloom he k Aksar Maaldar log Zakaat Kï beshtar Raqam Madaris ko dete he'n aur Atiyaat Kï taraf kam tavajjoh dete he'n, is tarah Deeni Madaris ke paas Zakaat ke Fund me khaasi Raqam Jama ho jati he ,lekin Atiyaat ka Fund Aksar qillat ka shikaar rehta he ,
◈ Hazrat ke Madarse me kai moqe ESE bhi aaye k gair Zakaat ka fund khali he ,ek dafa Haaji Muhammad Yaqoob Sahab Hazrat Kï khidmat me haazir hue aur arz kiya k Mudarriseen Kï Tankhwah ke liye Atiyaat ke fund me Raqam nahi he ,agar aap ijazat de to Zakaat fund se qarz le kar Ustaado Kï tankhwah de Dï jaye aur jab Atiyaat ke fund me Raqam aaye to Zakaat ka qarza waapas kar diya jayega ,
◈ Hazrat Sekh ne badi SAKHTI se mana farmaya k mai Ustaado Kï Asaaish Kï khatir khud ko Jahannam ka iydhan nahi banana chahta ,Unhe Sabr ke saath Allah Ta'ala Kï taraf se Atiyaat ke fund me bheji Jane wali Raqam ka Intezar karna chahiye, aur agar Sabr na kar sake to unhe is baat ka Akhtyar he k Wo Madarsa Chhod kar Kisi jagah tashreef le jaye ,
◈ Maulana Binnori Reh .ne jis Madarsa ke liye ye usool banaye the Wo Aaj nihayat maiyaari aur ba Faiz Madarsa he ,Aur saath hi har qism ke maaddi wasa'il se bhi malamaal he ,Ashabe Khair is Madarse ka taawun karna Apne liye Sa'adat samajhte he'n ,
*__Gor farmaiye kya esi doosri misaale qaayam nahi Kï ja sakti ? Waqiya ye he k agar hum Allah se Sharm v Haya ka Haq ada karne wale ban jaye to hamari har mushkil asaan ho sakti he ,Allah Ta'ala Hume Tofeeq de aur Hamari Madad farmaye ,Aameen ,
☆ Next - 19 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 139
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
Aℓℓαн Sε SнαяM Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
19
▣ Pet Kï Hifazat Kijiye ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
☞ Commissions Per Chanda ,
◈ Maali Be ahatyatiyo ka aalam ye he k Aaj Kuchh Deeni idaaro me be khof v khatar Commission per Chanda ka rivaaj pad gaya he ,Halanki Daure Haazir ke sabhi Ulma v Muftiyaan is tarah commission lene ko Na-jaa'iz qaraar dete he'n aur Kutube Fatawa me is silsile me Daleel ke saath mufassil fatawe shaay bhi ho chuke he'n, Magar Khofe khuda Kï kami ne Shara'i ahkaam ko pashe pusht daal rakha he aur Chande ko ek achchha khaasa karobaar bana liya he ,
◈ Commission per Chande ke haraam hone Kï muta'addid Vajah he'n ,
* 1- Avval ye k ye Esa ijarah he jisme shuru me koi ujrat Maloom nahi he ,isliye k na Jane kitna chanda ho aur ho sakta he bilkul bhi na ho ,aur Vasool karne wale ko kuchh bhi haath na aaye ,
◈ 2- Ye Chande Kï Aamdani khud Vasool karne wale ke Amal ka natija he aur isi Natije me se ujrat mutaiyyan Kï ja rahi he ,is tarah ujrat ka mutaiyyan karna Na-jaa'iz he ,
◈ 3- ijarah Kï Sahat ke liye Khud chanda Vasool karne wale ka qaadir hona shart he aur Yaha'n chande ka Amal Vasool karne wale Kï qudrat se bahar he yani Jab tak Chanda dene Wala Rupiya nahi dega ye lene per qaadir nahi he ,Aur Aadmi jis cheez per qaadir nahi usko ujrat kese bana sakta he ,
⚀•RєԲ:➻ Ahsanul Fatawa, 7/276 Fatawa Mehmudiya ,4/274
◈ Haa'n agar Safeer Tankhwah daar ho ( Salary leta ho ) aur Uski ek Tankhwah mutaiyyan ho Yani chahe Chanda ho ya na ho use Apni mehnat ka sila bahar haal milega to usko Tankhwah Lena Jaa'iz he ,Kyuki Yaha'n iski ujrat ka talluq Chande Kï Raqam se nahi balki logo se mulaqaat aur is maqsas ke liye Safar vagera karne se he ,Jisme Kaam aur Ujrat dono mutaiyyan he ,aur ese Tankhwah daar Safeer ko agar koi idaara imdadi fund se ( Jisme Zakaat Sadqaat ki Raqam shamil na ho ) inaami raqam de to uske liye lene Kï bhi gunzaish he ,Ye commission me shamil nahi he ,
◈ Bahar haal Deeni idaaro ke Zimmedaro ko sabse zyada Shariyat ke ahkaam ka KHAYAL rakhna chahiye, aur har qism Kï be ahatyatiyo Se bachne Kï koshish karni chahiye, taki unka waqaar barqaraar rahe aur Deeni khidmaat me barkat ka zahoor ho ,
☆ Next - 20 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 141
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
Aℓℓαн Sε SнαяM Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
20
▣ Pet Kï Hifazat Kijiye ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
☞ Ujrat Per Taraveeh Vagera,
◈ Allah Ta'ala se Sharm v Haya ka taqaza ye bhi he k Aadmi kisi bhi Deeni ibaadat ko Duniya ke haasil karne ke liye maqsood na banaye aur mamooli Duniyavi nafe ke laalach me Akhirat ka nafa qurban na kare ,
◈ Aaj kal Ramzanul Mubarak me Taraveeh Sunane ke badle me Badi Aamdani ka rujhaan bhi badhta chala ja raha he ,isliye bade bade Shehro me achchhi achchhi jagah talash Kï jati he ,Qurane Kareem esi cheez nahi he use chand kodiyo ke badle farokht kar diya jaye ,Mahaz Qur'an Kareem Kï Tilawat per ujrat muqarrar karna Qur'an Kareem Kï khuli hui toheen aur naqadri he ,aur iske liye Jo Farzi taveelaat v heele apnaye jate he'n Wo bhi na-qabile tavajjoh he'n ,
◈ Bahut Se log Huffaaz Kï maali pareshani ka zikr karte he'n k khatm per Uski Madad ho jati he ,to sawal ye he k Wo pehle se hi pareshan tha to khatm se pehle uski madad kyu nahi Kï gayi ?Kisi gareeb Kï madad karna kabhi bhi mana nahi he ,mana to ye he k usko Qur'an Kareem Kï ujrat khilayi jaye ,
◈ Baaz log ye bahana dhoondhte he'n k agar ujrat na di jaye to Masjid me Khatme Qur'an ka rivaaj khatm ho jayega ,Halanki khatme Qur'an koi esa Shara'i Waajib ya laazim nahi he k jiske liye Na-jaa'iz maamle ka irtkaab kiya jaye , Fir ye Daava bhi galat he k isse khatme Qur'an ka silsila band ho jayega ,isliye k Ummat me Alhamdulillah ese Huffaaz Kï kami nahi he Jo khud Apne Qur'an Kï hifazat ke liye Masjid talash karne Kï fikr me na rehte ho ,
◈ Agar Dene dilane ka rivaaj bilkul hi khatm ho jaye to khud ba khud Huffaaz ke Dil se tama laalach khatm ho jayega ,isiliye Shaami me naqal kiya gaya he k ,
" Ujrat per Tilawat ke zariye isaale sawab karane per ujrat lene wala aur dene wala dono gunahgar he'n ,"
( Shaami Zakariya ,9/77)
*_Kyuki dene wale ke iraade Se hi lene wale ko hosla milta he ,agar is maamle me dene wale Shariyat per Amal karte hue dene se mana kar de to lene walo ko mutalba ka hosla hi nahi ho sakta ,
▣ Agar Mukhlis Hafiz Na mile ▣
◈ bilfarz agar kisi jagah bager liye padhane wala mukhlis Hafiz na mile to Fatwa ye he k Waha ke logo ko Kiraayedaar Hafiz se poora Qur'an Sunne ke bajaye " Alam Tara Kayf " se Taraveeh padh leni chahiye,
( Dekhiye imdadul Fatawa ,1/484)
☆ Next - 21 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 142
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
Aℓℓαн Sε SнαяM Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
21
▣ Sharmgah Kï Hifazat Kijiye ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
☞ Zina Sabse Zyada khatare Kï Cheez,
◈ Allah Ta'ala se Sharm v Haya ka aham taqaza aur Apne Badan ko Jahannam Kï Holnaak Aag Se bachane ka muqtaza ye bhi he k insaan apni Sharmgah Kï Na-jaa'iz aur Haraam jagah se poori tarah hifazat kare ,
◈ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya, " Ey Arab me badkaaro ! Ey Arab ke badkaaro ! Mujhe tumhare bare me sabse zyada Dar aur Khatra Zina aur Poshida Shehwat se he ,"
⚀•RєԲ:➻ Ravaah Tabrani ,Targeeb v Tarheeb 3/186
*__Yani ye ek esi Nahusat he jisse mashrati nizaam tabaah aur barbaad ho jata he aur ghar ghar me fitna fasaad aur khoon kharaba Kï nobat aa jati he ,Isliye isse har mumkin bachna aur iske tamaam raasto ko band karna zaroori he ,
◈ Usman bin Abul Aas Raziyallahu Anhu Rivayat karte he'n k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Aadhi Raat ke waqt Asmaan ke darwaze Khol diye jate he'n aur munadi awaaz lagata he k Kya koi pukaarne wala he Jiski Dua qubool Kï jaye ? Kya koi Saa'il he jise nawaza jaye ? Kya koi pareshan haal gamzada he Jiski pareshani door Kï jaye ?
Pas koi Dua maangne wala Musalman baqi nahi bachta magar ye k Allah Ta'ala uski Dua qubool farmata he sivaye Apni Sharmgah ko badkaari me lagane wali zaaniya aur Zalimana Tax vasool karne wale ( k unki Dua ESE Maqbool waqt me bhi qubool nahi hoti ,)"
⚀•RєԲ:➻ Ravaah Tabrani v Ahmad ,Targeeb v Tarheeb ,3/186
◈ Ek Rivayat me Aap Sallallahu Alaihivasallam ka irshad naqal kiya he k ,
"Saato Asmaan aur Saato Zameen Budhe zinakaar per laanat karti he aur Badkaar Aurato Kï sgarmgaho Kï badbu Se khud Jahannami bhi aziyat me honge ,"
⚀•RєԲ:➻ Attargeeb v Tarheeb ,3/190
◈ Hazrat Memuna Raziyallahu Anhuma Aap Sallallahu Alaihivasallam ka irshad naqal karti he'n k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Meri UMMAT us waqt tak barabar khair me rahegi jab tak k unme Haraam Aulaad Kï Kasrat na ho aur Jab unme Haraam Aulaad Kï kasrat ho jayegi to anqareeb Allah Ta'ala unhe umoomi Azaab me mubtila kar dega ,"
⚀•RєԲ:➻ Musnad Ahmad, 6/333
◈ Hazrat Ibne Umar Raziyallahu Anhu Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam se naqal karte he'n k ,
" Jab Zinakaari Kï kasrat ho jaye to Faqr v Mohtaajgi Aam ho jayegi ,"
⚀•RєԲ:➻ Fauzul Qadeer ,4/182
*__ Aur Doosri Hadees me Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Jab bhi kisi Qaum me bar sare aam be hayaai aur badkaari Kï kasrat hogi to unme taoun aur esi Bimariya fel jayegi Jo unse pehle logo me payi jati thi ,"
⚀•RєԲ:➻ Attargeeb v Tarheeb ,3/118
☆ Next - 22 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 146
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
Aℓℓαн Sε SнαяM Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
22
▣ Sharmgah Kï Hifazat Kijiye ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
☞ Ham Jinsi Kï Laanat,
◈ Aaj ka be Haya Mashra Sharm v Haya chhor kar insaan hone ke bavjood Apne aapko Jaanwaro Kï saf me khada kar chuka he ,Hum Jinsi yani Mardo ka Mardo se aur Aurto'n ka Aurto'n se Khwahish poori karne ka Amal Wo Manhoos v Bad tareen Jurm he Jiska Duniya me sabse pehle Qaume Loot ne irtkaab kiya Jiski Vajah se us Qaum ko Duniya esa bhayanak azaab diya gaya Jiski Nazeer Duniya Kï tareekh me nahi milti ,Unki Bastiyo ko ulat kar Pattharo se sangsaar kiya gaya aur Jis jagah Ye azaab aaya Waha " Bahare Murdaar " naam se esi Jheel ban gayi Jisme Aaj tak bhi koi Jaandaar cheez Zinda nahi rehti ,
⚀•RєԲ:➻ Ma'arful Quran ,
◈ is manhoos Amal Kï Shariyat me nihayat sakht mazammat waarid hui he ,Ek Hadees me Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" un bad tareen cheezo me Jinka mujhe apni ummat per sabse zyada khatra he Qaume Loot ka Amal he ,"
⚀•RєԲ:➻ Shobul imaan ,4/354
◈ Ek Rivayat me he k Jab Do Mard esa kaam kare to dono ko Qatl kar diya jaye ,Yani un per zina Kï had jaari Kï jaye ,Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu se marvi he k unhone ese Shakhs Kï saza ke bare me farmaya k use Shehar Kï sabse ounchi imaarat se gira kar pattharo se sangsaar kiya gaya,
⚀•RєԲ:➻ Shobul imaan ,4/355
◈ Hammaad bin Ibrahim kehte he'n k agar kisi Shakhs ko Do martaba sangsaar karna munasib hota to Qaume loot ka Amal karne wale ko Do martaba sangsaar kiya jata ,"
⚀•RєԲ:➻ Hawala Baala ,4/357
◈ Hazrat Mujahid Farmate he'n k agar ye manhoos Amal karne wala Shakhs Asmaan v Zameen ke har qatre se bhi Naha le fir bhi ( batini tor per ) napaak hi rahega ,"
⚀•RєԲ:➻ Shobul imaan ,4/359
☆ Next - 23 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 152
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
Aℓℓαн Sε SнαяM Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
23
▣ Sharmgah Kï Hifazat Kijiye ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
☞ Khoobsurat Ladko ke Saath Uthna Bethna Mojibe Fitna He ,
◈ Humjinsi se bachne ke liye Wo Tamaam darwaze band karne zaroori he Jo is manhoos Amal tak pahunchate he'n,Khoobsurat Nav Umar Bachcho ke saath tanhaai se bachne Kï har mumkin koshish Kï jaye ,Baaz Tabaiyn ka qaul he k Derndar aur ibaadat guzaar nojawano ke liye faad Khane wale Darinde se bhi bada dushman aur nuqsaan dah amr Wo ladka he Jo uske paas aata jata he ,
◈ Hasan bin Zakwan Reh. Keht he'n k Maaldaro ke Bachcho ke saath Zyada uthaa betha na karo ,Isliye k inki Soorte'n Aurto'n Kï tarah hoti he'n aur inka fitna Kunwari Aurto'n se Zyada sangeen he ,"
⚀•RєԲ:➻ Shobul imaan ,2/358
◈ Abdullah bin Mubarak Reh . farmate he'n k ek martaba Hazrat Sufiyan Suri Reh. Hamaam me Dakhil hue to ek Khoobsurat ladka bhi aa gaya ,to Aapne farmaya k ise baahar nikalo kyuki Aurat ke saath to ek Shaitan hota he aur Ladko ke saath Das ( 10 ) Shaitan hote he'n ,
⚀•RєԲ:➻ Shobul imaan ,4/320
◈ Isi bina per Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ka Hukm he k Jab Bachche Samajhdar ho jaye to un sabke Bistar alag kar dena chahiye taki ibtida hi se buri aadato se mehfooz ho jaye , Bachcho per Nazar rakhna chahiye k Wo zyada waqt bilkhusoos tanhaai me bade logo ke saath na guzaare ,agar bahut se Bachche ek kamre me rehte ho to har ek ka Bistar aur lihaaf alag hona chahiye,
◈ in tamaam tafsilaat se Maloom ho gaya k Sirf apni mankuha Bivi se hi Shehwat poori karne Kï ijazat he ,iske alawa Qaza e Shehwat ka koi bhi Tareeqa Shariyat me hargiz jaa'iz nahi he , Aur Parde vagera ke aur Ajnabi Aurto'n Mardo se Mel jol Kï muma'anat ke Jo bhi ahkaam he'n unka maqsad sirf yahi he k Mashre se galat tareeqe per qaza e Shehwat ka rivaaj khatm ho ,
◈ Jo Shakhs in baato ko saamne RAKH kar Apni Sharmgah Kï hifazat karega aur Apni JAWANI ko in fahaish se bacha lega to Allah Ta'ala use iska badla Jannat Kï soorat me ata farmayega ,in Sha Allah,
☆ Next - 24 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 154
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
Aℓℓαн Sε SнαяM Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
24
▣ Sharmgah Kï Hifazat Kijiye ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
☞ Sharmgah Kï Hifazat per in'aam ,
◈ Ek martaba Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Jo mujhse Chhe ( 6 ) baato Kï Zamanat le le mai uske liye Jannat Kï Zamanat leta hu'n ,
Sahaba ne arz kiya, Ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam Wo Chhe ( 6 ) baate kya he ?
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
Jo jab baat kare to sach kahe ,Jab Vaada kare to poora kare ,Jab Amanat le to ada kare ,Jo Apni nigaah nichi rakhe ,Jo Apni Sharmgah Kï hifazat kare aur Jo Apne haath ya apni zaat ko ( doosro ko aziyat dene Se ) role rakhe ,"
⚀•RєԲ: Shobul imaan ,4/365
◈ Ibne Abbaas Raziyallahu Anhu Farmate he'n k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Ey Quresh ke Jawano !Apni Sharmgaho ko mehfooz rakho aur Zina na karo Achchhi tarah samajh lo k Jo Shakhs apni Sharmgah ko mehfooz rakh le uske liye jannat he ,"
⚀•RєԲ: Shobul imaan ,4/365
◈ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se manqool he k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
Jo Shakhs us cheez ko mehfooz kar le Jo uske Do jabdo ke darmiyan he ( Yani zaban ) aur us cheez ko mehfooz kar le Jo do payro ke darmiyan he ( yani Sharmgah) Wo Jannat me Dakhil ho gaya ,"
◈ Ek Rivayat me Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Saat ese khush naseeb logo ka zikr farmaya he Jinhe maidane Mehshar me Arshe Khudawandi ke saaye me betha diya jayega ,unme se ek Wo Shakhs bhi he jiske bare me Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Esa Shakhs jise koi izzatdaar aur Khoobsurat Aurat badkaari ke liye bulaye aur Wo keh de k mujhe Allah se dar lag raha he ,"
⚀•RєԲ: Muslim Sharif, 1/331
☆ Next - 25 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 155
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
Aℓℓαн Sε SнαяM Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
25
▣ Sharmgah Kï Hifazat Kijiye ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
☞ Zina Se Bachne Kï Ek Umdah Tadbeer ,
◈ Hazrat Abu Umama Raziyallahu Anhu farmate he'n k Ek Nojawan ne Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ke paas aa kar arz kiya k ,
"Ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ! Kya Aap mujhe zina Kï ijazat de sakte he'n?
*_Uski ye Jurrat sunkar majlis me Bethe log shor machane lage ,aur kehne lage k ise uthao ,ise uthao ( ye kya bak raha he ) ,Magar Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k nahi ise bethe rehne do aur mujhse qareeb karo ,Jab Wo qareeb ho gaya to Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne puchha ,
" Kya ye kaam Tum apni Maa'n ke saath achchha samajhte ho ?
Usne kaha ,nahi Mai Aap per qurban ,
*_ To Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya, isi tarah( doosre ) log bhi ise Apni Maa'n ke saath achchha nahi samajhte ,
◈ Fir Aap Sallallahu Alaihivasallam ne puchha k agar koi tumhari Beti ke saath esa kare to kya tumhe achchha lagega ?
To usne kaha hargiz nahi ya Rasulallah !
*_ Aapne irshad farmaya, isi tarah ( doosre) log bhi apni Beti ke saath ise achchha nahi samajhte ,
◈ Fir Aapne uski Behan ,Fufi aur khala vagera ka zikr karke isi tarah samjhaya to uski samajh me aa gaya ,aur usne arz kiya,
Ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam! Mere liye Aap Dua farmaiye ,
To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne uske Sar per haath RAKH kar ye Dua ke kalimaat irshad farmaye ,
" Ey Allah iske gunaah maaf farma ,iska Dil paak farma aur iski Sharmgah Kï hifazat FARMA ,
*_ Raavi farmate he'n k iske baad us nojawan ka ye haal ho gaya tha k uski nigaah kisi bad Amal Kï taraf uthti hi na thi ,
⚀•RєԲ:➻ Shobul imaan ,4/362
◈ is waqiye me Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne badkaari Se bachne Kï ek esi umdah tadbeer ummat ko batlayi he k Jo bhi burayi karne wala ek lamhe ke liye bhi is bare me soch le to Wo Apne galat iraade Se baaz aa sakta he ,Kyuki zaahir he k jis Aurat se badkaari ka iraada hoga Wo kisi Kï Behan ,Beti ya Maa'n Zaroor hogi aur Jis tarah Aadmi khud Apni Maa'n Behno ke saath ye Jurm gawara nahi karta ,use sochna chahiye k doosre log bhi ise kyu kar gawara karenge ?
☆ Next - 26 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 156
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
Aℓℓαн Sε SнαяM Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
26
▣ Sharmgah Kï Hifazat Kijiye ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
☞ Ye Qurbe Qayamat Kï Alaamat he ,
◈ Aaj har taraf behayaai ka sailaab aa raha he ,iske bare me Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam Pehle hi Apni ummat ko agaah kar chuke he'n taki ummat in khwahish se bachne Kï fikr kare ,
◈ Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he,
" Qayamat us waqt tak qaayam nahi hogi jab tak log jaanwaro Kï tarah raasto me ( Sare Aam ) jima'a ( sex ) karenge aur Mard Mardo se aur Aurte'n Aurto'n se apni khwahish poori karenge ,"
⚀•RєԲ: Kitabul Fitan ,390
◈ Aur ek doosri moqoof Rivayat ka mazmoon he ,
" Qayamat ese bad tareen khala'iq logo per qaayam hogi Jo na to achchhi baat ka Hukm karne wale honge Aur na buraai per ROK Tok karne wale honge ,Wo gadho Kï tarah ( Sare Aam ) Shehwat raani karenge ,Ek Aadmi kisi Aurat ka haath pakad kar tanhaai me le jayega aur usse qaza e Shehwat karke fir logo ke saamne lotega Jabki Wo use dekh kar hanste honge ,aur ye unhe dekh kar hansta honga,,
⚀•RєԲ: Kitabul Fitan ,395
◈ Yani Sharmo Haya ka bilkul janaza nikal jayega ,Zinakari laanat nahi samjhi jayegi ,aur is maamle me insaan aur jaanwaro me tameez khatm ho jayegi ,Aaj ye Nabvi Peshgoiya'n harf ba harf poori hoti Nazar aa rahi he ,Magribi Mulko ka to kehna hi kya Mashriqi iqtedar ke Muhafiz yaha tak k Muslim Mulko me bhi esi be-hayaai ab kasrat se Nazar aane lagi he ,
◈ Ab Disco DJ Dance Ke naam per ,Tehzeeb aur Khel kood ke naam per ,Television ke programs Khaas kar Zinakari Kï hi taleem v Tablig me mashgool he'n ,Jinka maqsad Yahi reh gaya k kese Mard Aurat ke darmiyan talluq Kï rukawate door Kï jaye ,
◈ Zinakari Kï ek Badi Rukawat Sharm Haya ka fitri insaan jazba tha isko to magrib tehzeeb ne bilkul Murda kar diya he ,Doosri badi Rukawat Aurat ke liye Na-jaa'iz Bachche Kï Zillat he ,is Rukawat ko door karne ke liye aaj Maane Hamal ( Garbh Nirodhak ) har jagah Aam kar Dï gayi he 'n ,Aur isqate Hamal ( Bachcha Girana ) ke intezamaat Shehar Shehar kar diye gaye he'n taki Shaitaniyat be khof be khatar parwaan chade aur Zillat v Ruswayi ke andeshe se be parwaah hokar Jaanwaro Kï tarah insaan bhi Shehwat poori karta fire ,
*__ESE Khatarnak aur Fitno ke mahol me har Musalman Kï ZIMMEDARI he k Woh gairo Kï dekha dekhi apni insaniyat aur Sharm v Haya ko daav per na lagaye ,Balki iski bharpoor hifazat kare aur Ghar ke Bachcho Bado Nojawano Kï harkat per Nazar rakhe ,aur Shaitan ke Zehreele Teero se Apne imaani mahol ko ganda aur Najis na hone de ,Iske bager Allah Ta'ala se Sharm V Haya ka Jazba POORA nahi ho sakta ,Allah Ta'ala mahaz Apne fazal v Akram se har Musalman ko Apni Sharmgah Kï Kaamil hifazat Kï Tofeeq ATA farmaye ,Aameen ,
Next - 27 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 157
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
Aℓℓαн Sε SнαяM Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
27
▣ DIL Kï Hifazat Kijiye ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
☞ Dil Kï Hifazat ,
◈ Dil insaani Jism me " Badshah " Kï haisiyat rakhta he ,Sare A'aza Dil ke taabe he'n ,Lihaza agar Dil Sahi ho to Sare A'aza sidhe Raaste per rahenge aur Dil bigad jaye to tamaam A'aza galat Raaste per chal padenge ,isi bina per Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Khabardar raho ,Badan me ek Gosht ka lothda he k agar Wo durust he to saara Badan durust rahega Aur agar Wo kharaab ho jayega to saara Badan kharab ho jayega Khabardar Wo ( Gosht ka lothda ) yahi Dil he ,"
⚀•RєԲ:➻ Bukhari Sharif, 1/13
◈ isliye zarurat he k Dil Shariyat ke taabe banaya jaye taki Digar A'aza v jawaah ( Part of body) galat aur Na-jaa'iz kaamo ke karne Se mehfooz rahe ,
◈ Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne Apne Jaanisaar Sahaba Kï esi tarbiyat farmayi k unke Quloob ( Dil ) Saaf Suthre ho gaye k Farishte bhi un per rashk karne lage aur unhe Amaale khair aur ibadaat me lazzat v halawat Kï esi adeem misaal kaifiyat naseeb hui k Aaj Ummat ka bade se bada Qutub ya Wali bhi adna darje ke Sahabi ke rutbe ko nahi pahunch sakta ,
◈ Sahaba Kï Ye azmat aur unka ye Buland martaba v maqaam darasal unke Dilo Kï safaai hi ka mazhar he ,Isi Dil Kï safaai ne unhe Sadq v ikhlaas ,Kamaale Akhlaq aur isaar v hamdardi ka Wo Aala jazba ATA kiya he k Jiski misaal insani tareekh me pesh nahi Kï ja sakti,
☆ Next - 28 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 160
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
Aℓℓαн Sε SнαяM Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
28
▣ Dï£ Kï Hifazat Kijiye ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
☞ Dil Ke Amraaz ( Bimariya'n )
◈ Dil ki roohani bimariya'n bahut Zyada he Jinka Asar insani Zindgi per padta he ,Unme se har ek sirf ek marz nahi balki Senkdo amraaz ke vajood me aane ki vajah he ,Isliye har Wo Momin Jo Allah Ta'ala se Sharm v Haya Kï Sifaat se malamaal hona chahta he us per laazim he k Wo apne Dil ko khaas tor se in Bimariyo'n se mehfooz rakhe ,
◈ 1- Duniya Kï Muhabbat,
2- Bugz v Adawat ,
3- Akhirat Se Gaflat ,
◈ Agar Dil ko in Marzo se paak kar liya jaye to in Sha Allah rohani aitbaar se Dil poori tarah Sahatyab hoga aur Poora Jisme insani ita'at Khudawandi ke jazbe Se sarsaar aur gunaho se mehfooz ho jayega ,
☞ 1- Duniya Ki Muhabbat,,
◈ Duniya Kï Muhabbat har buraai Kï Buniyad he , Maslan purani Qaumo ne Hazraat Ambiya Alaihissalam Kï Dawat ka isiliye inkaar kiya k Wo lazzato me mubtila the aur Ambiya Alaihissalam Kï Dawat qubool karne se unki lazzato v Shehwato Kï takmeel me khalal aata tha ,isliye Wo mukhalfat per utar aaye ,
◈ isi tarah Shaitan ne Hazrat Aadam Alaihissalam ko Sajde karne se isiliye inkaar kiya k Wo Aadam Alaihissalam ke vajood ko apni riyasat aur badaai me Rukawat samajhta tha ,Yahi maamla Namrood ,Firoun ,Hamaan vagera ka tha k Sab log Hubbe Jaah ( maal v Daulat ) ke nashe me bad mast hokar Ambiya Alaihissalam ke Jaani Dushman ban gaye ,
◈ Ye Duniya Kï Muhabbat bade bade Roohani Amraaz ko janam deti he, Jisme Ek Badi Bimari " Hirs v Tama " he ,
☆ Next - 29 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 161
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
Aℓℓαн Sε SнαяM Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
29
▣ Dï£ Kï Hifazat Kijiye ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
☞ Hirs ( Lalach ),
◈ Jab Aadmi per Duniya Kï Muhabbat ka nasha chadhta he to Wo Hirs ka mareez ban jata he ,Yani uske paas kitna hi maal v Daulat Jama ho jaye magar fir bhi Wo zyada ka talabgaar rehta he ,
◈ Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Agar Aadmi ko Sone se bhari hui ek poori Vaadi bhi de Dï jaye to wo doosri vaadi ka talabgaar hoga aur agar doosri de di jaye to Wo teesri ka talabgaar hoga ,
Aur Aadmi ka pet to sirf mitti hi bhar sakti he ( yani Marne ke baad is laalach ka silsila khatm hoga ) aur Jo Tauba kare to Allah Ta'ala Uski Tauba qubool farmayega ,"
⚀•RєԲ: Bukhari Sharif, 2/953
◈ Ek doosri Rivayat me Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Aadmi bada ho jata he aur uske saath Uski Do khwahishe'n bhi badhti he'n ,Ek MAAL Kï Muhabbat doosri Lambi Umar Kï Tamanna,"
⚀•RєԲ: Bukhari Sharif, 2/950
◈ Hirs ke marz ko khatm karne ke liye un ahadees ko saamne rakhna chahiye jinme Duniya Kï mazammat waarid hui he'n ,Maslan ek Rivayat me he k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Duniya Momin ke liye qaid khana he aur Kaafir ke liye Jannat he ,"
⚀•RєԲ: Muslim Sharif, 20/407
◈ Isi tarah ek aur Rivayat me Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he ,
" Jo Apni Duniya se lagaav rakhega Wo Apni Akhirat ka nuqsaan karega
Aur Jo Apni Akhirat pasand karega Wo apni Duniya ganwayega ,Lihaza fana hone wali Duniya ke muqable me baqi rehne wali Akhirat ko tarjeeh do ,"
⚀•RєԲ: Mishkaat Sharif, 2/441
◈ isi tarah Hirs ko khatm karne ke liye ye Yaqeen bhi rakhna chahiye k Allah Ta'ala ne hamara rizq pehle se hi matayyan kar diya he ,Wo Hume baharhal mil kar rahega aur hamari Maut us waqt tak nahi aa sakti jab tak k hum apne muqaddar ke har har luqme ko na hasil kar le ,
*_ Hamesha Apne se niche darje walo per Nazar rahe ,taki Shukr ka jazba bhi ATA ho ,
☆ Next - 30 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 163
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
Aℓℓαн Sε SнαяM Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
30
▣ Dï£ Kï Hifazat Kijiye ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
☞ Bukhl ( Kanjoosi ),
◈ Duniya Kï Muhabbat se Jo marz felte he'n Unme ek " Bukhl " he Jo insaan ko bahut se Amaale khair se rokne ka sabab banta he ,Bukhl MAAL Kï Muhabbat me ESA majboor ho jata he k Aqal ke taqaze aur Shara'i ahkaam ke bavjood use kharch karna bahut sakht bojh maloom hota he ,
◈ Kanjoos Aadmi aur Sadqa khairaat karne wale Kï misaal ese do Shakhso Kï tarah he Jo Lohe Kï do Zirhe pehne hue ho Jiski ( tangi Kï ) vajah se unke dono haath unke seene aur gardan se chimat gaye ho ,
Pas Jab Sadqa dene wala Sadqa dena shuru karta he to uski Zireh khulti chali jati he ,
Aur jab Bakheel kuchh sadqe ka iraada karta he to Zireh ke sab ajra mil jate he'n aur har har jod apni jagah pakad leta he ( Jiski Vajah se Bakheel ke liye sadqe ka iraada poora karna bada mushkil ho jata he ),
⚀•RєԲ Muslim Sharif, 1/328
◈ Zaroori aur Wajibi jagah per kharch karne me Bukhl karna Qur'an Kareem me kaafiro aur Munafiqo ka Amal bataya gaya he ,Bilkhusoos Zakaat farz hone ke bavjood Zakaat na nikaalna bad tareen azaab ka mojib he ,
◈ Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Do Aadate'n Allah Ta'ala ko pasand he'n aur Do Aadate'n na-pasand he'n ,
Jo Do Aadate'n Pasand he'n Wo Sakhawat aur Khush Akhlaqi he aur Na-pasandida Aadate'n Bad khalqi aur Kanjoosi he ,Chunache Jab Allah Ta'ala kisi bande Se bhalai ka iraada farmate he'n to use logo Kï zaruriyaat poori karne ke kaam me laga dete he'n, "
⚀•RєԲ:- Shobul imaan ,7/436
☆ Next - 31 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ: ➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 166
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
Aℓℓαн Sε SнαяM Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
31
▣ Dï£ Kï Hifazat Kijiye ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
☞ Bugz v Adawat ,,,
◈ Dil ko jin bad tareen Amraaz se bachana zaroori he unme ek Bada Marz kisi se Keena aur Bugz rakhna he ,Iska Duniyavi nuqsaan to zahir he k is Bugz v Adawat Kï Vajah se maamla kaha se kaha pahunch jata he ,aur Deeni nuqsaan ye he k Jab kisi se Bugz hota he to fir us per ilzamaat lagaye jate he'n, geebate Kï jati he'n ,Sazishe rachayi jati he Goya k ek marz na Jane kitne Kitne marzo ki vajah ban jata he ,
◈ Chunache Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya he ,
" Har hafte me do baar Peer aur Jumeraat ke din ( Allah Ta'ala ke darbaar me ) logo ke Amaal naame pesh kiye jate he'n, Pas Allah Ta'ala har imaan wale Shakhs Kï magfiat farmata he ,Sivaye ese Aadmi ke Jiski doosre se Dushmani aur Bugz ho to keh diya jata he k in dono ko abhi chhod do taki ye dono Sulah kar le ,"
⚀•RєԲ: Kanzul Ummal ,3/187
◈ Aur Baaz Rivayaat me he k Sha'baan Kï Pandrhvi Shab ko magfirat Kï jati he magar Keena parvar Kï is Raat me bhi magfirat Nahi hoti ,
⚀•RєԲ: Kanzul Ummal, 3/186
◈ Isliye Shariyat e islamiya ne Bugz v Adawat ke taqazo per Amal karne se nihayat sakhti se mana kiya he ,
☆ Next - 32 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 196
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
Aℓℓαн Sε SнαяM Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
32
▣ Dï£ Kï Hifazat Kijiye ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
☞ Bol Chaal Band Karna ,
◈ Maslan Aaj jaha koi kisi nagawari Kï Baat hui Bol chaal band kar di jati he ,Khushi gami me Shirkat Se bhi Kinara kashi Akhtyar kar li jati he Yaha tak k Kahi dono ma saamna ho jaye to Har ek moonh mod kar alag Raasta apna leta he ,Ye Tareeqa sahi nahi he ,
◈ Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Kisi Shakhs ke liye Halaal nahi he k Wo Apne Bhai se teen Raato se Zyada Bol Chaal Jaan boojhkar band kare Dono is haal me mile k har ek ek doosre se airaaz karta ho ,unme behtar Wo Shakhs he Jo Salaam se ibtida kare ,"
⚀•RєԲ: Mishkaat Sharif, 2/427
◈ Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Badgumani se bachte raho ,Isliye k badgumani sabse jhooti Baat he ,aur kisi Kï toh me mat raho aur na jasoosi karo aur na bhaav badao aur na Aapas me Hasad karo aur na Bugz karo aur na peeth pichhe ek doosre Kï buraai karo ,aur sab Allah me Bande Bhai Bhai ban jao ,"
⚀•RєԲ: Mishkaat Sharif, 2/427
◈ Basa avqaat ye dekha gaya he k Do Aadmiyo me nachaaki ( Jhagda) hoti he aur unme Se ek Sulah karna chahta he ,Doosra Sulah per taiyaar nahi hota to ye dekhna chahiye k Wo Sulah per taiyaar kyu nahi ho raha he ,Agar uska koi Haq banta he JISKA Wo mutalba kar raha ho to uska Haq ada kiya jaye
Aur agar Wo Khwamkhah Sulah se inkaar karta he to ladaai aur naza ka gunaah Sulah chahne wale per na hoga balki Sirf usi Shakhs per hoga Jo Sulah se inkaar kar raha he ,
◈ Haasil ye he k har Momin ko doosre Kï taraf se Dil saaf rakhna zaroori he aur agar ittefaqan koi baat nagawari Kï pesh aa jaye to jald Se jald use door karne Kï koshish karni chahiye, is bare me kotahi aur laparwahi se bade fasaad Janam lete he'n ,aur baad me unka Sulah karna bahut mushkil ho jata he ,
☆ Next - 33 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 197
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
Aℓℓαн Sε SнαяM Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
33
▣ Dï£ Kï Hifazat Kijiye ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
☞ Gussa ,,,,
◈ Keena aur Adawat ki ibtida gusse se hoti he ,Yani jab Aadmi kisi Vajah se gusse ke taqaze per Amal nahi karta to yahi gussa Keena me tabdeel ho jata he ,Lekin zaroori he k Bugz ke is sabab ko mitane Kï koshish Kï jaye ,Avvalan to koshish kare k gussa hi na aaye ,
◈ Kyuki ye saari kharabiyo Kï Jad he aur gusse ka sabse bada sabab Takabbur aur Khudnumaai he ,Jo Shakhs Takabbur se jitna door hoga utna hi Wo gusse se bhi paak hoga ,
◈ Gussa ek fitri cheez he Lihaza agar gussa kisi baat per aa bhi jaye to Hukm ye he k uske taqaze per Amal karne ke bajaye Pehli fursat me use dafa karne Kï koshish kare ,Sabse achcha Aadmi Wo he jiska gussa jaldi jata raha he ,Jo Shakhs waqt per apne gusse per qabu paa le use sabse taqatwar Shakhs farmaya he ,
◈ Ahadees me gusse ko dafa karne ke tareeqe bataye gaye he'n ,,,
*_1- A'uzubillah ....padhe ,,
Ek Rivayat me he k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne ek Shakhs ko Sakht gusse me dekha to Aapne farmaya k ,Mai esa Kalma jaanta hu'n agar Wo padh le to uska gussa jata rahe ,,fir puchhne per farmaya, Wo Kalma " A'uzubillaahi minash Shaytaanir rajeem ," he ,
⚀•RєԲ: Targeeb v Tarheeb ,3/303
◈ 2- Vazu kare ,
Ek Rivayat me he k Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Gussa Shaytaan ke asar se hota he ,Shaytaan ko Aag Se paida kiya gaya he aur Aag Paani Se bujhayi jati he ,Lihaza kisi ko gussa aaye to Vazu kar liya kare ,"
⚀•RєԲ: Targeeb v Tarheeb ,3/304
◈ Beth Jaye ya Layt jaye ,,
" Ek Rivayat me Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,k
Jab kisi ko gussa aaye to use chahiye k agar Khada ho to beth jaye aur Bethne Se bhi gussa na jaye to layt jaye ,
⚀•RєԲ: Targeeb v Tarheeb ,3/304
*__iske alawa kisi Shakhs ko gussa aaye to saamne Se hat jaye ,Isliye k agar wahi khada raha to baat aage bad sakti he,
☆ Next - 34 , Soon in Sha Allah ☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 200
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
۞✵۞
❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
Aℓℓαн Sε SнαяM Kïjïγε
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
PART NUMBER
34
▣ Dï£ Kï Hifazat Kijiye ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
☞ TAZKIYA- E- DIL ,,,,
◈ Dil ko Har tarah Kï Akhlaqi bimariyo'n aur Roohani Bimariyo'n se Paak rakhne ke liye Tazkiya Kï Zarurat hoti he ,Jiska haasil ye he k Dil ko itna saaf suthra kar diya jaye k Wo Khud ba khud Akhlaqi aur Roohani Bimariyo'n se Nafrat karne lage aur Husne Akhlaq ka shokeen ban jaye ,
*__ Qurane Kareem me Farmaya gaya he ,
الَّذِينَ آمَنُوا وَتَطْمَئِنُّ قُلُوبُهُم بِذِكْرِ اللَّهِ أَلَا بِذِكْرِ اللَّهِ تَطْمَئِنُّ الْقُلُوبُ
⚀•RєԲ:Surah Ar-Rad, Aayat 28:
" Jo Log imaan laye aur unke Dil Allah ke Zikr se itminan pate he'n ,Sun lo Allah ke Zikr hi se Dilo ko itminan naseeb hota he ,
☞ Astagfaar Kï Kasrat Se Dil Kï safaai ,
◈ Zikre Khudawandi ke saath Khaas tor per Astagfaar Kï kasrat ko bhi Ahadees me Dil Kï safaai aur pakeezgi ka sabab bataya gaya he ,Ek Rivayat me irshad Nabvi Sallallahu Alaihivasallam he ,
" Dilo me bhi Taambe Kï tarah Zang lagta he ,Jiski safaai ka zariya Astagfaar he ,"
⚀•RєԲ: Tabrani ,506
☞ Saleheen Kï Sohbat ,
◈ Dilo Kï safaai ke liye Allah walo Kï Sohbat bhi be misaal taseer rakhti he ,A'amale Saleha ka Shoq aur BURI baato se be ragbati haasil karne ke liye Allah Ta'ala ke muqarrab Bando Kï Sohbat me Waqt Lagana aur Unke Damane Faiz Se wabasta hona bhi intehaai mossir aur mufeed zariya he ,
◈ Ramzanul Mubarak me Aitkaaf Kï ibaadat bhi isi maqsad se mashroo Kï gayi he k Aadmi ko esa mahol mile jaha reh kar Wo yaksooi ke saath ibaadat v ita'at me Waqt laga sake aur Gunaho se mehfooz reh sake ,
☆ Alhamdulillah ________☆
⚀•RєԲ:➻┐
Allah se Sharm Kijiye, 210
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
۞✵۞
No comments:
Post a Comment