Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Saturday, April 30, 2016

MAUT KI TAYYARI 161 SE 200

✿ ⚀✿

    ┌╦════════════────────┐
    │║Bismillahirrahmanirraheem
    └╩════════════────────┘

       ┌╦═══════────────┐
       │║MAUT KI TAYYARI
       └╩═══════────────┘

               ⊙ PART -161⊙
           ┄─━━━━□□□━━━━─┄

✿●•·ZINDAGI KI QADAR

✿●•·Nek Log is  zindagi ke waqt ko yun samjhte hain jese Allah RabbuL izzat ne hamare haath me heere or moti diye hue hain or un heero or motiyon ko hamne badi Ahtiyaat ke saath kharch karna hai wo Apne waqt ko Zaye nahi karte wo fazooL baten nahi karte wo idhar udhar ki gheebat na karte or na sunte wo kisi ko Takleef nahi pohchate wo Apni zabaan or diL o dimaagh Aankh or kaano ko gunaah se bachate hain unko Allah RabbuL izzat ki yaad se fursat nahi hoti Allah RabbuL izzat ka ye farmaan har waqt unke Samne Rehta hai jo koi bhi nek AmaL kare mard ho ya Aurat or wo imaan waLa ho to unko Allah RabbuL izzat pakeeza zindagi Ata farmaayenge ye Allah RabbuL izzat ki Rehmaten hain ke wo Apne nek bandon ko aisi zindagi Ata farma dete hain ke unko duniya me bhi izzaten milti hain or Aakhirat me bhi izzat afzaayi ki jayegi

     (pαʀт ⇨162)

            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

┃ 
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
                Maut ki tayyari
                          Az
                Hazrat moLana
                Peer Zulfiqar Ahmad
                Naqshbandi DB
            ┄─━━━━□□□━━━━─┄                      
       ▁▂▃▄━━─╯✍╰─━━▄▃▂▁
           M.Babar Rashidi
             AhLe deoband
       ╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯

           
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿

    ┌╦════════════────────┐
    │║Bismillahirrahmanirraheem
    └╩════════════────────┘

       ┌╦═══════────────┐
       │║MAUT KI TAYYARI
       └╩═══════────────┘

               ⊙ PART -162⊙
           ┄─━━━━□□□━━━━─┄

✿●•· 5 CHEEZON KI QADAR

✿●•·Isliye Nabi e Akram SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam ne irshad farmaya ke 5 cheezon ko 5 cheezon se pehle ghaneemat samjhLo or unki  Qadar karLo ye na ho ke wo niyamaten chin jayen or phir haath maLne pade

✿●•·(01)Jawaani ki Qabar karo budhape se pehLe

✿●•· (02) Sehat ki Qabar karo bimaari se pehle

✿●•· (03) khush'haaLi ki Qabar karo tangdasti se pehle

✿●•· (04) Zindagi ki Qabar karo maut se PehLe

✿●•· (05) Or faraghat ki Qadar karo mash'ghuliyat se pehle

✿●•·Mere Dosto ye so feesad Sacchi baat hai ke jo in 5 niyamato ki Qabar unki Mojoodgi me Nahi karta to phir use uske muqabiL ki 5 Aafaton ka Samna karna padta hai isliye Aaj se hi ye iraada karLen ke un 5 niyamato ko Allah RabbuL izzat ki Raza ke husooL ke liye istemal karna hai or yaad Rakhen jo Aadmi in 5 niyamato ko Allah RabbuL izzat ki Raza ke liye istemal karta hai wo haqeeqi ma'no me AqaLmand hai ye bhi yaad Rakhe ke jahiL ki zindagi or AaqiL ki maut par Duniya Aansu bahati  hai

     (pαʀт ⇨163)

            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

┃ 
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
                Maut ki tayyari
                          Az
                Hazrat moLana
                Peer Zulfiqar Ahmad
                Naqshbandi DB
            ┄─━━━━□□□━━━━─┄                      
       ▁▂▃▄━━─╯✍╰─━━▄▃▂▁
           M.Babar Rashidi
             AhLe deoband
       ╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯

           
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿

    ┌╦════════════────────┐
    │║Bismillahirrahmanirraheem
    └╩════════════────────┘

       ┌╦═══════────────┐
       │║MAUT KI TAYYARI
       └╩═══════────────┘

               ⊙ PART -163⊙
           ┄─━━━━□□□━━━━─┄

✿●•·ROZ E MEHSHAR KIS KI BAADSHAAHI HOGI?

✿●•·Mere Dosto Aaj to ham Apni  marzi  ki  zindagi  guzaar Rahe hain neki  ki  baaten ek kaan  se  sun  kar  dusre kaan  se nikaaL  dete hain Allah RabbuL izzat  ke hukmo  ki  parwaah  nahi  karte Magar  ye nahi  dekhte ke  ham Apne parwardigaar ko apni  bad'aamaliyon se  Naraaz  kar  Rahe hote hain

✿●•·BiL Aakhir hame Allah RabbuL izzat  ke huzoor  me pesh hona hai Roz e mehshar to baadshaah or Faqeer ek honge kisi  ko dam marne ki jurrat nahi hogi

✿●•· Nabi e Akram SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam ne ek martaba khutba dete hue irshad farmaya Qayamat ke din Allah RabbuL izzat Sato Aasmaano ko Lapet denge phir  unko  apne dahne haath me pakad kar  farmayenge ke me baadshaah hun kahan hai jabir Log kahan hai takabbur karne waLe ye sun  kar Sahaba Kiraam Raz ki kiya haLat hui kehte hain usse unki Aankhen beh padi or unke  diL  dar gaye

     (pαʀт ⇨164)

            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

┃ 
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
                Maut ki tayyari
                          Az
                Hazrat moLana
                Peer Zulfiqar Ahmad
                Naqshbandi DB
            ┄─━━━━□□□━━━━─┄                      
       ▁▂▃▄━━─╯✍╰─━━▄▃▂▁
           M.Babar Rashidi
             AhLe deoband
       ╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯

           
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿

    ┌╦════════════────────┐
    │║Bismillahirrahmanirraheem
    └╩════════════────────┘

       ┌╦═══════────────┐
       │║MAUT KI TAYYARI
       └╩═══════────────┘

               ⊙ PART -164⊙
           ┄─━━━━□□□━━━━─┄

✿●•· ROZ E MEHSHAR KIS KI BAADSHAAHI HOGI?

✿●•·Ek Rivayat me Aaya hai ke Roz e mehshar Allah RabbuL izzat ek nojawan ko khada farmayenge uski nekiyan or gunaah-e-kabira barabar honge Allah RabbuL izzat usse farmayenge Aye mere bande Tere pass Agar ek neki  or hoti to ham apni  Rehmat se tujhe jannat me bhej dete wo nojawan kahega ya Allah mujhe ijazat dijye me Apne Azeez o Aqarib se ek neki Le Aata hun use ijazat de di jayegi us nojawan ke dil me Apne Rishtedaaro ke bare me bada maan hoga wo sochega ke mere Rishtedaar duniya me meri har Museebat me kaam Aate the or me unke kaam  Aata tha Zaroor mujhe  ek neki de denge

✿●•·BHAI SE MAYOOSI

✿●•· Chunache wo Sabse pehle Apne bhai ke pass jayega or usse kahega mere bhai ham duniya me ikatthe Rehte the hamari khushi ek thi hamari ghami ek thi ham ek Dusre ke dast o baazu ban kar Rehte the Aapko kisi cheez ki Zaroorat hoti to me poori kar deta tha or mujhe kisi cheez ki Zaroorat hoti to Aap poori kar dete the Aaj mujhe ek neki ki Zaroorat hai Aap mujhe ek neki de dijiye magar bhai kahega janaab Aaj ke din me Tumhaari madad nahi kar sakta kiya maLoom ke meri nekiyan kam Reh jayen or mujhe pareshani ka Samna karna pade or wo Ek neki dene se inkaar kar dega wo bhai se mayoos ho kar baap  ke pass jayega

✿●•· Baqi in sha Allah ta'ala Agle part me

     (pαʀт ⇨165)

            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

┃ 
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
                Maut ki tayyari
                          Az
                Hazrat moLana
                Peer Zulfiqar Ahmad
                Naqshbandi DB
            ┄─━━━━□□□━━━━─┄                      
       ▁▂▃▄━━─╯✍╰─━━▄▃▂▁
           M.Babar Rashidi
             AhLe deoband
       ╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯

           
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿

    ┌╦════════════────────┐
    │║Bismillahirrahmanirraheem
    └╩════════════────────┘

       ┌╦═══════────────┐
       │║MAUT KI TAYYARI
       └╩═══════────────┘

               ⊙ PART -165⊙
           ┄─━━━━□□□━━━━─┄

✿●•·BAAP SE MAYOOSI

✿●•· Ye nojawan apne abbu  ke pass ja kar kahega Abbu jaan me aapka beta hun aapka noore nazar hun Aapka Lakhte jigar hun mujhe ek neki ki Zaroorat hai aap mujhe Ata kar dijiye magar baap neki dene se inkaar kar dega wo baar baar kahega Abbu jaan duniya me koi mushkiL pesh Aati thi to me aapke hi pass ata tha Abbu aap mere Sar ka saya the mera Sahara the mujhe nuqsaan hota tha to me aapke hi samne Aakar diL khoL deta tha or Aap meri har mumkin madad karte the Aap to mujhe duniya me tasalli dete the or Aap kehte the beta me tere saath hun Abbu aaj  bhi  mushkiL ghadi mujh par Aa pohchi hai Aap mujhe sirf ek neki de den Magar baap bhi neki dene se inkaar kar dega usse bete ki mayoosi or badh jayegi 

✿●•· Baqi in sha Allah ta'ala Agle part me

     (pαʀт ⇨166)

            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

┃ 
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
                Maut ki tayyari
                          Az
                Hazrat moLana
                Peer Zulfiqar Ahmad
                Naqshbandi DB
            ┄─━━━━□□□━━━━─┄                      
       ▁▂▃▄━━─╯✍╰─━━▄▃▂▁
           M.Babar Rashidi
             AhLe deoband
       ╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯

           
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿

    ┌╦════════════────────┐
    │║Bismillahirrahmanirraheem
    └╩════════════────────┘

       ┌╦═══════────────┐
       │║MAUT KI TAYYARI
       └╩═══════────────┘

               ⊙ PART -166⊙
           ┄─━━━━□□□━━━━─┄

✿●•·BEHAN SE MAYOOSI

✿●•· Phir wo apni behan ke pass jayega kahega meri Behan me tera bhai hun to Duniya me mujhe apna veer kehti thi tu kehti thi Aye mere veer me Tere liye sab kuch Qurbaan kar dungi tu mujh par waari waari jaati thi me Tera hi bhai hun mere pass Ek neki ki kami hai Aapke pass nekiyan bahut Zada hain mujhe ek neki de dijiye magar behan bhi neki dene se inkaar kar degi

✿●•· Baqi in sha Allah ta'ala Agle part me

     (pαʀт ⇨167)

            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

┃ 
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
                Maut ki tayyari
                          Az
                Hazrat moLana
                Peer Zulfiqar Ahmad
                Naqshbandi DB
            ┄─━━━━□□□━━━━─┄                      
       ▁▂▃▄━━─╯✍╰─━━▄▃▂▁
           M.Babar Rashidi
             AhLe deoband
       ╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯

           
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿

    ┌╦════════════────────┐
    │║Bismillahirrahmanirraheem
    └╩════════════────────┘

       ┌╦═══════────────┐
       │║MAUT KI TAYYARI
       └╩═══════────────┘

               ⊙ PART -167⊙
           ┄─━━━━□□□━━━━─┄

✿●•·BIVI SE MAYOOSI

✿●•· Wo nojawan  apni Bivi ke pass jayega uske dil  me bada yaqeen hoga ke Bivi  to zaroor  neki  de degi ye badi nekiyan karti  thi Namazen padhti thi me susti  karta tha wo Bivi  se ja kar kahega dekho mene duniya me Tumhaari chahaton ko poora kiya tumhara Zara sa ishara hota tha to me Apna maal kharch kar deta tha jo kapda chahti to siLva diya karta tha jo ghar chahti to mene khareed kar diya jese Sajana chahti thi mene sajaya me Duniya me Tumhaari takleef ko Apni  takleef  samjhta tha ham Dono ek dusre ke sukh dukh ke saathi the Aaj aisa waqt hai ke Aapke pass nekiyan zada hain mere pass ek neki ki kami hai Lihaza tu mujhe ek neki de de jab wo neki mange'ga to Bivi bhi ek neki dene  se inkaar kar degi

✿●•· Baqi in sha Allah ta'ala Agle part me

     (pαʀт ⇨168)

            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

┃ 
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
                Maut ki tayyari
                          Az
                Hazrat moLana
                Peer Zulfiqar Ahmad
                Naqshbandi DB
            ┄─━━━━□□□━━━━─┄                      
       ▁▂▃▄━━─╯✍╰─━━▄▃▂▁
           M.Babar Rashidi
             AhLe deoband
       ╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯

           
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿

    ┌╦════════════────────┐
    │║Bismillahirrahmanirraheem
    └╩════════════────────┘

       ┌╦═══════────────┐
       │║MAUT KI TAYYARI
       └╩═══════────────┘

               ⊙ PART -168⊙
           ┄─━━━━□□□━━━━─┄

✿●•·MAA'N SE MAYOOSI

✿●•·Phir  uske diL me pakka  Yaqeen hoga ke ek hasti aisi hai jo duniya me bhi mere liye Raheem o kareem thi me uske pass jata hun Chunache wo Apni maa ke pass Aakar kahega Ammi jaan me aapka beta hun aapka noore nazar hun Aapka Lakhte jigar hun mujhe ek neki ki Zaroorat hai Agar na miLi to mujhe jahannam me phenk diya jayega Ammi jaan mujhe ek neki de dijiye magar maa usko ek neki dene se inkaar kar degi

✿●•· Ye Royega cheenkhega chiLLayega or kahega Ammi jaan Aaj aapka beta aapke Samne faryaadi ban kar khada hai Apke Samne daman pheLaye khada hai Aapse ek neki ki bheek mang  Raha hai Ammi jaan Apne bete par Taras khayen Apne bete par Reham Kijiye Apne bete ka khayal Kijiye Ammi jaan duniya me to Aap mujhe dhoop me khada nahi dekh sakti thi Aaj me jahannam me daaL diya jaunga Aap mujhe ek neki de dijiye magar Ammi jaan phir bhi Neki nahi degi or anjaan ban kar inkaar kar degi

✿●•· Ye hai Duniya ke Rishton ki Haqeeqat jinke  Liye ham apna Sab  kuch Qurbaan  kar  dete hain mere  Dosto  Aakhirat  me koi  kisi  ke kaam nahi  Aayega  siwaye  uske  nek AamaaL  ke wahan to nek AamaaL ka sikka chaLega mere  Doston  Apni  Aakhirat  ki  fikar  karo  ye duniya  to guzar  rahi hai Guzar jayegi is  duniya  se kuch kama kar Le  jao take  wahan Aaram se Reh  sako  Allah RabbuL izzat  tamaam  ummate Muslima ko Sahi Raste par chaLne ki Tofeeq Ata farmaye Aameen ya Rab

     (pαʀт ⇨169)

            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

┃ 
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
                Maut ki tayyari
                          Az
                Hazrat moLana
                Peer Zulfiqar Ahmad
                Naqshbandi DB
            ┄─━━━━□□□━━━━─┄                      
       ▁▂▃▄━━─╯✍╰─━━▄▃▂▁
           M.Babar Rashidi
             AhLe deoband
       ╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯

           
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿

    ┌╦════════════────────┐
    │║Bismillahirrahmanirraheem
    └╩════════════────────┘

       ┌╦═══════────────┐
       │║MAUT KI TAYYARI
       └╩═══════────────┘

               ⊙ PART -169⊙
           ┄─━━━━□□□━━━━─┄

✿●•·PHIR PACHTAYEGA

✿●•·Jab  Ammi  bhi inkaar  kar  degi  to  usko bada Afsos hoga bada gham hoga or gham ki wajah se Apni ungliyon ko chabana shuru kar dega or chabate chabate Apne baazu ko kohaniyon tak chaba jayega or kahega Aye kaash mujhe pata hota ke Aakhirat me unme se koi mere kaam nahi Aayega Aye kaash me RasooL ke Raste par chaLa hota Aye kaash meri badbakhti mene faLan ko apna dost na banaya hota wo pareshan hoga magar usko us waqt koi neki dene waLa nahi hoga kiyu ke Rabbe kareem ne duniya hi me paighaam bheja tha farmaya wo aisa din hoga ke na bhai kaam Aayega na maa kaam Aayegi na baap kaam Aayega na bivi kaam Aayegi or Nahi AwLaad kaam Aayegi

     (pαʀт ⇨170)

            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

┃ 
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
                Maut ki tayyari
                          Az
                Hazrat moLana
                Peer Zulfiqar Ahmad
                Naqshbandi DB
            ┄─━━━━□□□━━━━─┄                      
       ▁▂▃▄━━─╯✍╰─━━▄▃▂▁
           M.Babar Rashidi
             AhLe deoband
       ╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯

           
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿

    ┌╦════════════────────┐
    │║Bismillahirrahmanirraheem
    └╩════════════────────┘

       ┌╦═══════────────┐
       │║MAUT KI TAYYARI
       └╩═══════────────┘

               ⊙ PART -170⊙
           ┄─━━━━□□□━━━━─┄

✿●•·JAHANNAM SE KHALASI KA NAYA HURBA

✿●•·Quraan  Shareef kehta hai ke insaan  ki Apni  haLat us din ye hogi ke kaash Mere badLe Sari duniya ke insaano ko Jahannam me daaL diya jaye or mujhe  bacha liya jaye

✿●•· Magar hargiz nahi Allah RabbuL izzat ne pehle hi keh diya tha koi kisi ka bojh nahi uthayega

✿●•· Aaj jo gunaaho ki ghathdiya ikatthi  kar  Rahe hain Apne  sar  par khud uthaani padegi

✿●•· Aye insaan Aaj  teri  ye haLat hai ke Zara bojh apne  Sar  par  nahi utha sakta Magar pahadon jese wazni gunaaho ko toone Sar pe uthaya hua hai Agar isi  tarah  apne  gunaaho ko Duniya  se Le  kar  chaLe  gaye to  Aakhirat  me wo  hashr  hoga ke aisa hashr kisi ne  dekha nahi

✿●•· Parwardigaar e AaLam farmaate hain phir me aisa Azaab dunga ke jahaan  waLon me se koi aisa Azaab de Nahi sakta

     (pαʀт ⇨171)

            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

┃ 
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
                Maut ki tayyari
                          Az
                Hazrat moLana
                Peer Zulfiqar Ahmad
                Naqshbandi DB
            ┄─━━━━□□□━━━━─┄                      
       ▁▂▃▄━━─╯✍╰─━━▄▃▂▁
           M.Babar Rashidi
             AhLe deoband
       ╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯

           
✿ ⚀✿

✿ ⚀✿

    ┌╦════════════────────┐
    │║Bismillahirrahmanirraheem
    └╩════════════────────┘

       ┌╦═══════────────┐
       │║MAUT KI TAYYARI
       └╩═══════────────┘

               ⊙ PART -171⊙
           ┄─━━━━□□□━━━━─┄

✿●•·JAHANNAM KI BHOOK OR PIYAAS KA ILAAJ

✿●•·Jahannam me ek Aadmi  bhook ki wajah se farishton  se kahega ke mujhe  kuch khaane ke liye  dijiye farishta usko  Le kar Ang'garon ke ek pahaad  par  chadh  jayega or upar se dhakka de dega wo Ang'garon par girta hua niche  Aayega Zakhm usko takleef de Rahe honge jism jaL Raha hoga yahan tak ke niche waadi tak Aagirega niche uth kar khada  hoga jism me takleef hogi dard hoga bhook hogi piyaas hogi or wo farishte se faryaad karega ke mujhe kuch to khaane ke liye  de do to Farishta Zaq'qoom ka ek poda le Aayega jisme kaante honge kadwahat hogi wo use khane  ke liye dega use itni  bhook  Lagi  hongi  ke wo use khana shuru  kar dega hatta ke uska zehar uske kaante uski kadwahat uske poore jism me pheL jayenge takleef or zada ho jayegi wo mannat samaja'at  karega mujhe  paani La kar de do

     (pαʀт ⇨172)

            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

┃ 
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
                Maut ki tayyari
                          Az
                Hazrat moLana
                Peer Zulfiqar Ahmad
                Naqshbandi DB
            ┄─━━━━□□□━━━━─┄                      
       ▁▂▃▄━━─╯✍╰─━━▄▃▂▁
           M.Babar Rashidi
             AhLe deoband
       ╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯

           
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿

    ┌╦════════════────────┐
    │║Bismillahirrahmanirraheem
    └╩════════════────────┘

       ┌╦═══════────────┐
       │║MAUT KI TAYYARI
       └╩═══════────────┘

               ⊙ PART -172⊙
           ┄─━━━━□□□━━━━─┄

✿●•·JAHANNAM KI BHOOK OR PIYAAS KA ILAAJ

✿●•·Farishta ek piyaLa Le kar Aayega jisme UbLi  hui koi cheez hogi wo paani  nahi hoga kuch or hoga Quraan Shareef se poochiye jahannamiyon ko kiya piLaya jayega Quran Shareef keh Raha hai jahannamiyon ke zakhmo se jo khoon girega or peep giregi Allah RabbuL izzat usko jama kar denge or jab peene ke liye koi jahannami paani mangega to farishte khoon or peep ka piyaLa bhar kar Layenge or usko peene ke kiye de denge Magar us Aadmi ko piyaas itni hogi ke piyaaLe ko muh ke Laga kar peena shuru kar dega

✿●•· Aye mashrubaat peene  waLon Aye duniya ke Zayeqedaar paani  peene waLon Aye duniya ki Acchi ghizaayen khane waLon socho to sahi ke Agar jahannam me chaLe gaye to wahan kiya khaoge kiya pioge Aaj to peep kisi jagah par padi ho to insaan se bu  soongi  nahi jaati or wahan peep peeni  padegi wo Aadmi wahi peep peeta rahega wo itni garam hogi ke uski Aanten kat jatengi or wo biL Aakhir jism se bahar nikaL Aayengi phir Allah RabbuL izzat unhe thik kar denge phir usko dubara bhook Lagegi farishta usko Ang'garon ke pahad par le jayega yahi manzar Hamesha chaLta Rahega Allah RabbuL izzat  ham sab ki jahannam se hifazat farmaye  or hame jannat ul firdos me AaLa se aaLa Maqaam Ata farmaye Aameen ya Rab

     (pαʀт ⇨173)

            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

┃ 
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
                Maut ki tayyari
                          Az
                Hazrat moLana
                Peer Zulfiqar Ahmad
                Naqshbandi DB
            ┄─━━━━□□□━━━━─┄                      
       ▁▂▃▄━━─╯✍╰─━━▄▃▂▁
           M.Babar Rashidi
             AhLe deoband
       ╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯

           
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿

    ┌╦════════════────────┐
    │║Bismillahirrahmanirraheem
    └╩════════════────────┘

       ┌╦═══════────────┐
       │║MAUT KI TAYYARI
       └╩═══════────────┘

               ⊙ PART -173⊙
           ┄─━━━━□□□━━━━─┄

✿●•·JAHANNAMIYON KI AWAAZEN KUTTO'N JESI

✿●•·Ek Rivayat me Aaya hai ke jahannami jahannam me ek hazaar saaL tak Rote Rahenge Hatta ke unki Aawazen kutton ke bhonkne jesi Aawazen ban jayengi Magar Allah RabbuL izzat ko phir  bhi  Taras nahi Aayega

✿●•· Aye Dost Aaj teri Aankh ka ek Aansu Allah RabbuL izzat ki Rehmat ko kheench sakta hai tu do Aansu bahayega Allah RabbuL izzat Tere gunaah ko dho kar Rakh denge Agar Aaj is duniya me nahi Royega to phir jahannam me hazaaron saaL Ro Ro kar bhoonkne waLe kutton jesi Aawazen ban jayengi Magar Allah RabbuL izzat ko phir  bhi  Reham nahi Aayega

     (pαʀт ⇨174)

            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

┃ 
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
                Maut ki tayyari
                          Az
                Hazrat moLana
                Peer Zulfiqar Ahmad
                Naqshbandi DB
            ┄─━━━━□□□━━━━─┄                      
       ▁▂▃▄━━─╯✍╰─━━▄▃▂▁
           M.Babar Rashidi
             AhLe deoband
       ╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯

           
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿

    ┌╦════════════────────┐
    │║Bismillahirrahmanirraheem
    └╩════════════────────┘

       ┌╦═══════────────┐
       │║MAUT KI TAYYARI
       └╩═══════────────┘

               ⊙ PART -174⊙
           ┄─━━━━□□□━━━━─┄

✿●•·JAHANNAM KI EK GHAAR KA MANZAR

✿●•·Hazrat abduL Aadir jeLaani Rm ne likha hai ke jahannam me kuch ghaar  bane honge jinme bicchu honge ek Aadmi ko farishta pakad kar un bicchu'on wali ghaar me Le jayega wo us ghaar ka darwaza khoL kar us Aadmi ko andar dhakeL dega or darwaze ko band  kar dega kitaabon me likha hai ke wo bicchu us Aadmi ke jism par aise juth dodenge jis Tarah Shehad ke chatte par makkhiyan bethi hoti hain itne bicchu ek waqt me uske jism par kaantenge Ye Royega chiLLayega faryaad karega magar wahan to koi faryaad sunne waLa nahi hoga koi Aane waLa nahi hoga AkeLa hoga

✿●•· Aaj ek makkhi kaat'ti  hai shor  machana shuru  kar  deta hai kaL  itne  bicchu kaatenge magar  us waqt  ye takleef  hazaar saaL tak bardasht karni pad jayegi sochne ki baat hai ke Aaj to insaan mamooli Lazzaton ki khaatir mamooli nafs parasti ki khatir Aakhirat ke hamesha hamesha ke Azaab ko gaLe  Laga Le to phir  isse zada badbakhti or kiya hogi

     (pαʀт ⇨175)

            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

┃ 
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
                Maut ki tayyari
                          Az
                Hazrat moLana
                Peer Zulfiqar Ahmad
                Naqshbandi DB
            ┄─━━━━□□□━━━━─┄                      
       ▁▂▃▄━━─╯✍╰─━━▄▃▂▁
           M.Babar Rashidi
             AhLe deoband
       ╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯

           
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿

    ┌╦════════════────────┐
    │║Bismillahirrahmanirraheem
    └╩════════════────────┘

       ┌╦═══════────────┐
       │║MAUT KI TAYYARI
       └╩═══════────────┘

               ⊙ PART -175⊙
           ┄─━━━━□□□━━━━─┄

✿●•·FARISHTON KE SAATH JAHANNAMIYON KI GUFTAGU 

✿●•·Quraan Shareef me Aata hai ke  jahannami kahenge ke Aye Allah RabbuL izzat hame maut  de de wo pareshan  ho  kar  ye mutaaLba karenge magar  unse kaha jayega tum ek maut  nahi kayin maut  mango Magar  Aaj  tumhe  maut  nahi Aayegi tum isi Tarah jahannam ke andar Allah RabbuL izzat ki naraazgi me Rahoge or tumhe  isi  tarah  Saza di jayegi ke duniya me tumne baat  hi  nahi  suni thi farishte  bhi hairaan ho kar poochenge kiya tumhare pass koi darane waLa nahi Aaya tha jo tumhe jahannam ki baaten khoL khoL kar sunata or jahannam se darata wo kahenge ke hamare pass Darane  waLa Aaya tha magar hamne usko jhutLaya hamne kaha ke tu jhoota hai aise hi baate bata hai ham Aakhirat me jayenge to dekha jayega or wo ye kahenge ke Agar ham un baaton ko tavajjoh se sunte hamare pass AqaL hoti ham jahannam waLon me se na hote

     (pαʀт ⇨176)

            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

┃ 
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
                Maut ki tayyari
                          Az
                Hazrat moLana
                Peer Zulfiqar Ahmad
                Naqshbandi DB
            ┄─━━━━□□□━━━━─┄                      
       ▁▂▃▄━━─╯✍╰─━━▄▃▂▁
           M.Babar Rashidi
             AhLe deoband
       ╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯

           
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿

    ┌╦════════════────────┐
    │║Bismillahirrahmanirraheem
    └╩════════════────────┘

       ┌╦═══════────────┐
       │║MAUT KI TAYYARI
       └╩═══════────────┘

               ⊙ PART -176⊙
           ┄─━━━━□□□━━━━─┄

✿●•·JAHANNAMIYON KI DO NISHAANIYAN

✿●•·MaLoom hua ke jahannamiyon ki do khaas nishaniyan Quraan Shareef bata raha hai ke wo hidayat ki baat ko tavajjoh se nahi sunte or Agar sun bhi Lete hain to phir sochte nahi ke hame AmaL karna hai is baat ko dimaagh me jagah nahi dete Quraan Shareef ke ye do Alfaaz  bade Aham hain Aye kaash ke Agar ham sunte or ham us par dhiyaan dete to ham jahannam waLon me se na hote

✿●•· Ab batayen Aaj ham neki ki baaton ko sunte to hain magar un par kitna AmaL karte hain faqat sunne se kaam nahi chaLega sunna ek amaL hai uske baad us par amaL karna dusra qadam hai isliye jo kuch ham sune us par amaL karen isliye Nabi e Akram SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam ne Sahaba Kiraam Raz se is baat par baitLi thi ke tum jo kuch sunoge us par amaL karoge Aye Allah RabbuL izzat hamne jo kuch suna hamne uski ita'at ki

     (pαʀт ⇨177)

            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

┃ 
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
                Maut ki tayyari
                          Az
                Hazrat moLana
                Peer Zulfiqar Ahmad
                Naqshbandi DB
            ┄─━━━━□□□━━━━─┄                      
       ▁▂▃▄━━─╯✍╰─━━▄▃▂▁
           M.Babar Rashidi
             AhLe deoband
       ╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯

           
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿

    ┌╦════════════────────┐
    │║Bismillahirrahmanirraheem
    └╩════════════────────┘

       ┌╦═══════────────┐
       │║MAUT KI TAYYARI
       └╩═══════────────┘

               ⊙ PART -177⊙
           ┄─━━━━□□□━━━━─┄

✿●•·AAKHIRAT ME NEK AAMAAL KI AHMIYAT

✿●•·Aaj do chaar Acche kapde pehan kar ham soch Lete hain ke Shayad ham duniya ke itne Acche Log hain ke Qayamat ke din hamari Acchi personality Shakhshiyat dekh kar Hame maaf kar diya jayega haLanke  wahan par Zahiri ShakL o soorat ko koi nahi dekhega wahan to bade bade husn waLon ki mitti paLeed ho Rahi hogi kiya tum Qabar ko Nahi dekhte kese kese husn waLon ko mitti kharab ho  Rahi hoti hai wahan par to Sab barabar kar diye jayenge wahan to Sirf  nek AamaaL ka sikka chaLega

     (pαʀт ⇨178)

            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

┃ 
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
                Maut ki tayyari
                          Az
                Hazrat moLana
                Peer Zulfiqar Ahmad
                Naqshbandi DB
            ┄─━━━━□□□━━━━─┄                      
       ▁▂▃▄━━─╯✍╰─━━▄▃▂▁
           M.Babar Rashidi
             AhLe deoband
       ╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯

           
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿

    ┌╦════════════────────┐
    │║Bismillahirrahmanirraheem
    └╩════════════────────┘

       ┌╦═══════────────┐
       │║MAUT KI TAYYARI
       └╩═══════────────┘

               ⊙ PART -178⊙
           ┄─━━━━□□□━━━━─┄

✿●•·HAZRAT MALIK BIN DINAAR RM KI TOBA KA WAQIYA

✿●•·Hazrat malik bin dinaar Rm se kisi ne unki  toba ka waqiya poocha Aapne farmaya ke me ek sipaahi tha or mujhe Sharaab ki Aadat padi  hui thi ek martaba mene ek baandi khareedi wo bahut haseen o jameeL thi mujhe  usse Bahut  muhabbat thi usse ek Ladki peda hui wo Ladki  mujhse  bahut  muhabbat karti or me bhi use bahut pyaar deta tha jab wo chaLne  Lagi to Aksar mere pass hi Rehti thi uski Ek Ajeeb si Aadat ban gayi ke jab me Sharaab ka giLaas muh se Lagane Lagta to wo mere haath se cheen kar kapdo par Sharab gira deti me use muhabbat ki wajah se danta bhi na tha jab wo 2 saaL ki ho gayi to wo fot ho gayi us par mujhe  Sakht sadma hua

✿●•· Ek martaba 15 shaabaan ki Raat thi me Sharaab pee kar mast ho gaya isha ki Namaz ka bhi hosh na Raha Hatta ke usi haaL me neend  Aagayi mene khaab me dekha Roz e mehshar barpa hai Log qabro  se nikaal kar medan e hashr ki taraf jaa Rahe hain me bhi unhi Logon ke saath Jaa raha hun mene Apne peeche se Awaaz suni mene peeche mud kar dekha to ek black Rang ka bada Ajdaha mere peeche bhaag Raha tha me bahut khof Zada ho kar bhaag khada hua wo bhi mere peeche bhaagne Laga usi doraan mene dekha ke ek nafees libaas pehne hue ek boodhe miya mere saamne hain Salam o jawaab ke baad mene unse kaha ke khuda ke waste mujhe us baLa se bacha Lijiye wo kehne Lage  mujhme to itni Himmat  nahi hai ke me use pakad sakun Albatta bhaagta Reh ho sakta hai ke Aage chaL kar Teri madad ka koi Sabab ban jaye me bhaagta  Raha Aakhir kaar ek teeLe par chadh gaya to wahan mujhe  jahannam ki dehakti hui Aag Nazar Aayi itne khof ke munazir ke bavajood Ajdehe ke khof ki wajah se  me bhaagta hi chaLa gaya Qareeb tha ke me jahannam me ja girta ke ek Awaaz sunayi di ke peeche hat tu jahannami Logon me se nahi hai

✿●•· Baqi waqiya in sha Allah ta'ala Agle part me

     (pαʀт ⇨179)

            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

┃ 
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
                Maut ki tayyari
                          Az
                Hazrat moLana
                Peer Zulfiqar Ahmad
                Naqshbandi DB
            ┄─━━━━□□□━━━━─┄                      
       ▁▂▃▄━━─╯✍╰─━━▄▃▂▁
           M.Babar Rashidi
             AhLe deoband
       ╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯

           
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿

    ┌╦════════════────────┐
    │║Bismillahirrahmanirraheem
    └╩════════════────────┘

       ┌╦═══════────────┐
       │║MAUT KI TAYYARI
       └╩═══════────────┘

               ⊙ PART -179⊙
           ┄─━━━━□□□━━━━─┄

✿●•·HAZRAT MALIK BIN DINAAR RM KI TOBA KA WAQIYA

✿●•·Me peeche ko do'da wo Saanp bhi mere peeche do'da kiya dekhta hun ke wahin boodhe miya phir saamne hain mene unse phir iLteja ki ke mujhe us Ajdahe se bachayen boodhe miya rone Lage or kehne Lage ke uske muqabLe me ' me bahut kamzor or natawan hun tu aisa kar ke Samne waali dusri pahadi par chad ja wahan par Musalmaano ki kuch Amanate Rakhi hain ho sakta hai Teri bhi koi Amanat wahan mojood ho jis ki madad se tu is Ajdahe se chutkara HasiL karLe me us Pahaadi par chadh  gaya wo Saanp bhi mere peeche peeche chaLa Aaya wahan kiya dekhta hun ke ek goL pahad Hai us  par Bahut  khid'kiyan hain jin par parde hain har khidki ke dono darwaze sone ke hain jo yaqoot or motiyon se muzayyan hain har kiwaad par Reshmi parda hai jab me upar chadha to farishte ne kaha ke kiwaad khoL kar or parde hata kar bahar nikaL Aao Shayad tumme se koi Amanat is Museebat Zada Shakhsh ki madad kar sake jab kiwaad khuLe or parde Uthe to usme se chamakte chehron waLe Bahut Se bacche nikLe us Doraan Ajdaha mere Bahut Qareeb Aagaya bacche cheekhne Lage ke jaLdi jaLdi Sab nikaL Aao us par bahut se bacche nikaL Aaye Achanak meri Nazar Apni us 2 SaaLa bacchi par pad gayi jo mar  gayi thi wo mujhe dekh  kar Rone Lagi or usne kaha khuda ki Qasam Ye to mere Abba hain phir wo ek noor ke paLde par chadh gayi phir Apne bayen Haath se mujhe SabhaLa diya or Dayan haath jese hi saanp ki Taraf badhaya to wo Saanp peeche bhaagne Laga mujhe bitha kar wo meri god me beth gayi or meri daadhi par haath pherne Lagi or kehne Lagi kiya Musalmaano ke liye is baat ka waqt Abhi nahi Aaya ke unke diL Allah RabbuL izzat ke zikr ke Liye or us haqq baat ke waste jo un par naziL hui jhuk jayen

✿●•· Baqi waqiya in sha Allah ta'ala Agle part me

     (pαʀт ⇨180)

            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

┃ 
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
                Maut ki tayyari
                          Az
                Hazrat moLana
                Peer Zulfiqar Ahmad
                Naqshbandi DB
            ┄─━━━━□□□━━━━─┄                      
       ▁▂▃▄━━─╯✍╰─━━▄▃▂▁
           M.Babar Rashidi
             AhLe deoband
       ╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯

           
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿

    ┌╦════════════────────┐
    │║Bismillahirrahmanirraheem
    └╩════════════────────┘

       ┌╦═══════────────┐
       │║MAUT KI TAYYARI
       └╩═══════────────┘

               ⊙ PART -180⊙
           ┄─━━━━□□□━━━━─┄

✿●•·HAZRAT MALIK BIN DINAAR RM KI TOBA KA WAQIYA

✿●•·Uski baat sun kar me Rone Laga or poocha ke tum Quraan Shareef ko jaanti ho to usne kaha kr ham sab Quraan Shareef ko tumse zada jaante hain jab mene us Ajdahe ke baare me poocha to usne bataya wo Aapke gunaah the jo Aapko jahannam me daaLne par tuLe hue the phir mene Safed libaas waLe buzurg ke bare me poocha to usne kaha ke ye Aapki nekiyan thi jo itni kamzor ho gayi hain ke us Saanp ka muqabLa na kar sakti thi mene poocha tum is pahadi par kiya karti ho to usne bataya ham sab musalmano ke bacche hain jo Qayamat tak yahan Rahenge or us waqt ham aapki Shifarish karenge uske baad meri Aankh  khuL gayi Uthne ke baad bhi Ajdahe ki dehshat mujh par Sawaar thi mene usi waqt Allah RabbuL izzat se Apne Sabiqa gunaaho ki maafi mangi or bure kaamo ko chord kar nek kaam karne Laga

✿●•· Allah RabbuL izzat ham sab ke gunaaho ko maaf farmaye or ham sab ko bhi nek kaam karne ki Tofeeq ata farmaye  Aameen ya Rab

     (pαʀт ⇨181)

            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

┃ 
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
                Maut ki tayyari
                          Az
                Hazrat moLana
                Peer Zulfiqar Ahmad
                Naqshbandi DB
            ┄─━━━━□□□━━━━─┄                      
       ▁▂▃▄━━─╯✍╰─━━▄▃▂▁
           M.Babar Rashidi
             AhLe deoband
       ╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯

           
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿

    ┌╦════════════────────┐
    │║Bismillahirrahmanirraheem
    └╩════════════────────┘

       ┌╦═══════────────┐
       │║MAUT KI TAYYARI
       └╩═══════────────┘

               ⊙ PART -181⊙
           ┄─━━━━□□□━━━━─┄

✿●•·AHSAAN KA BADLA

✿●•·Duniya me insaan jo bhi  AmaL karega wo uske Nama e AamaaL me mehfooz Rahega chahe usko bhooL  hi  kiyu  na gaya ho Agar wo  kisi  par  Ahsaan  karega to use Yaqeenan uska fayeda hoga Qayamat ke din jahannami  ek Saf me  khade  kiye jayenge unke Saamne se Allah RabbuL izzat ke ek wali  guzrege us Saf me se ek Aadmi  unke Qareeb  Aakar kahega ke Aap mere  liye  Shifarish  ki dua karden wo poochenge tu kon hai wo jahannami kahega tu mujhe  nahi jaanta mene duniya me faLan waqt tujhe paani piLaya tha wo buzurg uska haath pakad kar Allah RabbuL izzat ke Huzoor me Le jayenge or Arz  karenge Ya Allah  iska mujh par faLahn Ahsaan hai Lihaza uski magfirat farma dijye Allah RabbuL izzat us  buzurg ki dua QabooL kar ke uski magfirat farma denge Subhanallah 

     (pαʀт ⇨182)

            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

┃ 
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
                Maut ki tayyari
                          Az
                Hazrat moLana
                Peer Zulfiqar Ahmad
                Naqshbandi DB
            ┄─━━━━□□□━━━━─┄                      
       ▁▂▃▄━━─╯✍╰─━━▄▃▂▁
           M.Babar Rashidi
             AhLe deoband
       ╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯

           
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿

    ┌╦════════════────────┐
    │║Bismillahirrahmanirraheem
    └╩════════════────────┘

       ┌╦═══════────────┐
       │║MAUT KI TAYYARI
       └╩═══════────────┘

               ⊙ PART -182⊙
           ┄─━━━━□□□━━━━─┄

✿●•·JAHANNAMIYON KA LIBAAS

✿●•·Jahannamiyon ka libaas kesa hoga Aap zara sochiye to sahi ke Agar ham ek gaLi se guzar  Rahe hon or wahan ek kutta mara hua pada ho to wahan kitni  bad'bu hoti hai hame  wahan se guzarna mushkiL  ho jata hai Agar gadha mara hua pada ho to poore mehaLLe me bad'bu pheL jaati hai ek jaanwar ki Laash Agar gaL Sad jaye to kitni  bad'bu hoti hai fuqaah ne likha hai ke Agar Saari Duniya ke insaano haiwano charindon parindon machliyon hatta ke Saari Makhlooq ko Ek jagah  jama kar diya jaye or Sab ko maut de di jaye or unki Laashe gaL Sad jayen to jitni bad'bu  us  jagah  par hogi jahannami  ko jo kapde  pehnayen jayenge unki bad'bu usse bhi zada hogi

✿●•· Aye Dost  tu Aaj itni khushbuyen istemal karta hai kabhi France poison ki khushbu kabhi U, K ki faLahn khushbu soch to sahi ke kal jahannam ke andar aisi poshaak pehna denge jisme se itni  bad'bu Aarahi hogi soche to sahi ke Aag ka makaan hoga pareshani hi pareshani hogi isliye AqaLmand ko chahiye ke Aaj hi se Naseehat hasiL kare

     (pαʀт ⇨183)

            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

┃ 
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
                Maut ki tayyari
                          Az
                Hazrat moLana
                Peer Zulfiqar Ahmad
                Naqshbandi DB
            ┄─━━━━□□□━━━━─┄                      
       ▁▂▃▄━━─╯✍╰─━━▄▃▂▁
           M.Babar Rashidi
             AhLe deoband
       ╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯

           
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿

    ┌╦════════════────────┐
    │║Bismillahirrahmanirraheem
    └╩════════════────────┘

       ┌╦═══════────────┐
       │║MAUT KI TAYYARI
       └╩═══════────────┘

               ⊙ PART -183⊙
           ┄─━━━━□□□━━━━─┄

✿●•·JAHANNAMIYON KI PUKAAR

✿●•·Jahannami jahannam ki Takleefon se tang Aakar  Kahenge

✿●•· Aye hamare parwardigaar hamari badbakhti ghaLib Aagayi ham to bade Zalim the

✿●•· Aye hamare parwardigaar hame jahannam  se nikaaL Dijiye

✿●•· Aye Allah RabbuL izzat Agar  ham dubara gunaah  karne waLe bane to ham waqi Zalim honge

     (pαʀт ⇨184)

            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

┃ 
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
                Maut ki tayyari
                          Az
                Hazrat moLana
                Peer Zulfiqar Ahmad
                Naqshbandi DB
            ┄─━━━━□□□━━━━─┄                      
       ▁▂▃▄━━─╯✍╰─━━▄▃▂▁
           M.Babar Rashidi
             AhLe deoband
       ╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯

           
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿

    ┌╦════════════────────┐
    │║Bismillahirrahmanirraheem
    └╩════════════────────┘

       ┌╦═══════────────┐
       │║MAUT KI TAYYARI
       └╩═══════────────┘

               ⊙ PART -184⊙
           ┄─━━━━□□□━━━━─┄

✿●•·ALLAH RABBUL IZZAT KA GUSSA

✿●•·Magar Allah RabbuL izzat itne Naraaz honge ke farmayege Aye mardoodo'n Dafa ho jao mere Samne se hat jao or mujhse baat tak na karo duniya me kitne tumhe samjhane waLe aaye imaan waLon ne tumhe Seedha Rasta dikhana chaha magar tum unki baat sunte hi nahi the Agar ek kaan se sunte the to dusre se nikaal dete the wo tumhe deen ki Taraf buLate the tum kufr ki Rasmo ki Taraf bhaagte the tumhe to dhiyaan hi nahi Aata tha tum to imaan waLon ka mazaakh Udaya karte the Aaj tumhe Ahsaas hoga ke wahi Log duniya me sacche the

     (pαʀт ⇨185)

            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

┃ 
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
                Maut ki tayyari
                          Az
                Hazrat moLana
                Peer Zulfiqar Ahmad
                Naqshbandi DB
            ┄─━━━━□□□━━━━─┄                      
       ▁▂▃▄━━─╯✍╰─━━▄▃▂▁
           M.Babar Rashidi
             AhLe deoband
       ╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯

           
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿

    ┌╦════════════────────┐
    │║Bismillahirrahmanirraheem
    └╩════════════────────┘

       ┌╦═══════────────┐
       │║MAUT KI TAYYARI
       └╩═══════────────┘

               ⊙ PART -185⊙
           ┄─━━━━□□□━━━━─┄

✿●•·SADQE KI BARKAAT

✿●•·Huzoor e Akram SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam ne irshad farmaya Sadqa Allah RabbuL izzat ke gusse ko bhi Rokta hai or buri maut se bhi hifazat ka Sabab hai Ek or Riwayat me hai ke jahannam ki aag se bacho chahe Aadhi khajoor hi se kiyu na ho or farmaya gaya ke sadqa khatao ko bujha deta hai jese paani Aag ko ek Hadees Sharif me hai ke Qayamat ke din har Shakhsh  Apne Sadqe ke saye me hoga yani jis Qadar Aadmi ke Sadqe ki miqdaar zada hogi itna hi gehra Saya hoga us Sakht din me jisme gharmi ki itni shiddat hogi ke muh tak paseena Aaya hua hoga isliye jo Aadmi ye chahe ke Roz e mehshar Allah RabbuL izzat ki Naraazgi or jahannam ki Aag se bach jaye wo kasrat se Sadqa diya kare

     (pαʀт ⇨186)

            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

┃ 
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
                Maut ki tayyari
                          Az
                Hazrat moLana
                Peer Zulfiqar Ahmad
                Naqshbandi DB
            ┄─━━━━□□□━━━━─┄                      
       ▁▂▃▄━━─╯✍╰─━━▄▃▂▁
           M.Babar Rashidi
             AhLe deoband
       ╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯

           
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿

    ┌╦════════════────────┐
    │║Bismillahirrahmanirraheem
    └╩════════════────────┘

       ┌╦═══════────────┐
       │║MAUT KI TAYYARI
       └╩═══════────────┘

               ⊙ PART -186⊙
           ┄─━━━━□□□━━━━─┄

✿●•·QURAAN SHAREEF KI FARYAAD

✿●•·Aaj ham school o collage ki Dusri kitaabe to padh or Samjh Lete hain Magar Quraan Shareef ko Samjhne ke liye hamare pass waqt nahi hota hai jab ke Quraan Shareef khud pukaar pukaar kar keh Raha hai

وَلَقَدْ يَسَّرْنَا ٱلْقُرْءَانَ لِلذِّكْرِ فَهَلْ مِن مُّدَّكِرٍ  (54:17)

✿●•·Tarjuma: Hamne Quraan Shareef ko padhne ke liye Aasaan kar diya hai - hai koi use padhne waLa or Samjhne waLa

✿●•·Hadees paak me Aaya hai ke Quraan Shareef ko Qayamat ke din ek khoobsoorat nojawan ki ShakL me pesh kiya jayega or Quran Shareef jhagda karega kahega Aye Allah RabbuL izzat Aapne mujhe un Logon ke pass bheja tha me unke ghar me pada hota tha ghar ka malik Sara din beth kar TV dekha karta tha Akhbaar padha karta tha me ek Almaari me pada hota tha mere upar gard o mitti padi hoti thi ye Safayi karte hue mere upar se jhaad poonk to kar deta tha magar usne kabhi ghiLaaf nahi khoLa kabhi usne mujhe padha nahi tha usne itna Ajnabi ban kar zindagi guzaari ke mere liye fursat hi nahi miLti thi Aye Allah RabbuL izzat mera haqq mujhe diLa dijiye Allah RabbuL izzat poochenge tera haqq kiya hai wo kahega Aaj unko uske Gunaaho ki saza di jaye Chunache us Shakhsh ko undhe muh jahannam me daaL diya jayega Sochiye to Sahi ke ham Na to Quraan Shareef ka haqq poora karte hain or nahi Rehmaan ka haqq poora karte hain qayamat ke din hamara kiya banega

     (pαʀт ⇨187)

            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

┃ 
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
                Maut ki tayyari
                          Az
                Hazrat moLana
                Peer Zulfiqar Ahmad
                Naqshbandi DB
            ┄─━━━━□□□━━━━─┄                      
       ▁▂▃▄━━─╯✍╰─━━▄▃▂▁
           M.Babar Rashidi
             AhLe deoband
       ╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯

           
✿ ⚀✿

✿ ⚀✿

    ┌╦════════════────────┐
    │║Bismillahirrahmanirraheem
    └╩════════════────────┘

       ┌╦═══════────────┐
       │║MAUT KI TAYYARI
       └╩═══════────────┘

               ⊙ PART -187⊙
           ┄─━━━━□□□━━━━─┄

✿●•·ALLAH RABBUL IZZAT KI MEHMAAN NAWAAZI

✿●•·Mere Dosto  jo banda duniya me neko kaari ki zindagi guzaarenga or  phir Aakhirat me jaa kar Apne darjaat ko dekhega to wo duniya ki har cheez ko bhooL jayega use Aisi izzat miLegi ke uske baad ziLLat  nahi  hogi use Aisi shaahi miLegi jiske baad faqeeri nahi hogi aisi buLandi milegi jiske baad pasti Nahi hogi aisa pyar miLega jiske baad nafraten nahi hongi Subhanallah yahi hai kamyaab insaan jisne duniya ke chand din to mushkiL me kaat liye Namazen padhi Roze Rakhe tilawat ki parde me waqt ko guzaara neki taqwa or parhaizgaari me waqt guzara Shariyat ke mutabiq zindagi ko dhaLa Ab uske liye jannat ke darwaze khuL gaye Subhanallah ye mehmaan bhi bana to kis ka?? Apne parwardigaar ka Are har mezbaan Apni shaan ke mutabiq mezbaani karta hai Allah RabbuL izzat ne mehmaan nawazi ke liye jannat ko Saja rakha hai Subhanallah

✿●•·Jab insaan ko itni niyamaten miL jayengi to phir wo duniya me Lot kar Aana pasand nahi karega Nabi e Akram SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam ne irshad farmaya momin ki misaaL pet ke bacche ki tarah hai Jab baccha peda hota hai to Rota hai Magar Roshni dekhne ke baad Reham ne jaane ko pasand  nahi  karta isi tarah momin maut se ghabrata hai Lekin jab Apne parwardigaar ke pass pohuch jata hai to phir duniya me Lot kar Aane ko pasand  nahi karta

     (pαʀт ⇨188)

            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

��
┃ 
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
                Maut ki tayyari
                          Az
                Hazrat moLana
                Peer Zulfiqar Ahmad
                Naqshbandi DB
            ┄─━━━━□□□━━━━─┄                      
       ▁▂▃▄━━─╯✍╰─━━▄▃▂▁
           M.Babar Rashidi
             AhLe deoband
       ╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯

           
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿

    ┌╦════════════────────┐
    │║Bismillahirrahmanirraheem
    └╩════════════────────┘

       ┌╦═══════────────┐
       │║MAUT KI TAYYARI
       └╩═══════────────┘

               ⊙ PART -188⊙
           ┄─━━━━□□□━━━━─┄

✿●•·ALLAH RABBUL IZZAT KI REHMAT

✿●•·Allah RabbuL izzat ki Rehmat Bahut wasee hai Shaikh AbduL Qadir JeLaani Rm ne Apne murideen o mutavassiLeen ke Samne 16 saaL tak Allah RabbuL izzat ki Rehmat ka tazkira kiya iske baad ek din Apne dars me Aapne Azaab ka tazkira shuru kar diya Aapko foran iLhaam hua ke Aye Qadir kiya meri Rehmat khatm ho gayi hai ke tumne mere Azaab ka zikar karna shuru kar diya

✿●•·Hazrat Abu umama bahiLi Rm ke padosi ne Apne bhateeje ko maut ke Qareeb Sakht danta usne kaha Agar Aap mujhe meri maa ke Sapurd karte to wo mujhe kahan bhejti unhone kaha jannat me nojawan ne kaha Allah RabbuL izzat to maa se 70 guna ziyada Meharban hai

✿●•· Qayamat ke din ek nek Shakhsh ko Jahannam me penkne ka hukm hoga wo Apni nekiyan dhoondega use farmaya jayega Aaj me tumhe Apni Rehmat se is tarah mayoos karunga jis tarah tum duniya me Logon ko meri Rehmat se mayoos karte the

     (pαʀт ⇨189)

            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

��
┃ 
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
                Maut ki tayyari
                          Az
                Hazrat moLana
                Peer Zulfiqar Ahmad
                Naqshbandi DB
            ┄─━━━━□□□━━━━─┄                      
       ▁▂▃▄━━─╯✍╰─━━▄▃▂▁
           M.Babar Rashidi
             AhLe deoband
       ╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯

           
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿

    ┌╦════════════────────┐
    │║Bismillahirrahmanirraheem
    └╩════════════────────┘

       ┌╦═══════────────┐
       │║MAUT KI TAYYARI
       └╩═══════────────┘

               ⊙ PART -189⊙
           ┄─━━━━□□□━━━━─┄

✿●•·FIKR E MA'ASHI KE GHAM PAR AJAR

✿●•·Allah RabbuL izzat ka irshad hai Insaan par din badaL kar Aate Rehte hain kabhi khush'haaLi ke din naseeb hote hain kabhi tangdasti ka samna karna padta hai Agar khushi ke dino me insaan Allah RabbuL izzat ki Raza ke liye khoob kharch kare or tangdasti ke Ayyaam me Sabr se kaam Le to use in do soorton me ajr miLega insaan jab apni rozi ki TaLaash karta hai or gham zada hota hai to us par bhi use ajr o Sawab diya jata hai yaad rakhiye ke gunaaho me se baaz gunaaho ka kaffara Namaz  Roze  se nahi hoga  balke talb e ma'ashi ke gham se hoga

     (pαʀт ⇨190)

            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

��
┃ 
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
                Maut ki tayyari
                          Az
                Hazrat moLana
                Peer Zulfiqar Ahmad
                Naqshbandi DB
            ┄─━━━━□□□━━━━─┄                      
       ▁▂▃▄━━─╯✍╰─━━▄▃▂▁
           M.Babar Rashidi
             AhLe deoband
       ╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯

           
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿

    ┌╦════════════────────┐
    │║Bismillahirrahmanirraheem
    └╩════════════────────┘

       ┌╦═══════────────┐
       │║MAUT KI TAYYARI
       └╩═══════────────┘

               ⊙ PART -190⊙
           ┄─━━━━□□□━━━━─┄

✿●•·BILA HISAAB JANNAT ME DAAKHLA

✿●•·Nabi e Akram SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam ne irshad farmaya aye Ali Raziyallahu Anhu jo koi Rozana padhe

اللهم بارک لی فی الموت وفیما بعد الموت

✿●•· Allah humma barik'Li fiL'mauti wa feema ba'adaL maut

✿●•·Tarjumah : Aye Allah RabbuL izzat meri maut me or maut ke baad ki haLat me barkat de

✿●•·To Allah RabbuL izzat ne usko jo duniya me niyamaten di hongi unka usse hisaab na liya jayega

     (pαʀт ⇨191)

            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

��
┃ 
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
                Maut ki tayyari
                          Az
                Hazrat moLana
                Peer Zulfiqar Ahmad
                Naqshbandi DB
            ┄─━━━━□□□━━━━─┄                      
       ▁▂▃▄━━─╯✍╰─━━▄▃▂▁
           M.Babar Rashidi
             AhLe deoband
       ╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯

           
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿

    ┌╦════════════────────┐
    │║Bismillahirrahmanirraheem
    └╩════════════────────┘

       ┌╦═══════────────┐
       │║MAUT KI TAYYARI
       └╩═══════────────┘

               ⊙ PART -191⊙
           ┄─━━━━□□□━━━━─┄

✿●•·ISHQ E ILAAHI

✿●•·Ishq e iLaahi se Labrez DiLon waLe AhLuLLah jaante hain ke maut ke baad wisaaL e yaar hoga Lihaza wo maut ki khabar sun kar khush hote hain Hazrat khaja baqi biLLah Rm ko koi Aakar batata ke faLan Aadmi fot ho gaya hai to farmate Alhamdullah unki jaan chhut gayi Subhanallah Allah waLe jaante hain ke yahan ka ek ek din imtehaan ka din hai yahi wajah hai ke maut ke waqt unki Zabaan se nikaalta hai Rabbe kaba ki Qasam me kaamyaab ho gaya Subhanallah goya wo maut ke intezar me hote hain maut ek puL hai jo ek dost ko dusre dost se miLa diya karti hai ye baat bhi unke pesh e nazar Rehti hai ke maut momin ka tohfa hai unke liye maut khushi ka din hai unke liye maut SaLamati ka din hai saLaam ho mujh par jis din me peda hua or jis din me marunga or jis me dubara zinda kiya jaunga 

     (pαʀт ⇨192)

            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

��
┃ 
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
                Maut ki tayyari
                          Az
                Hazrat moLana
                Peer Zulfiqar Ahmad
                Naqshbandi DB
            ┄─━━━━□□□━━━━─┄                      
       ▁▂▃▄━━─╯✍╰─━━▄▃▂▁
           M.Babar Rashidi
             AhLe deoband
       ╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯

           
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿

    ┌╦════════════────────┐
    │║Bismillahirrahmanirraheem
    └╩════════════────────┘

       ┌╦═══════────────┐
       │║MAUT KI TAYYARI
       └╩═══════────────┘

               ⊙ PART -192⊙
           ┄─━━━━□□□━━━━─┄

✿●•·INSAAN KI ZINDAGI ME TEEN DIN KI AHMIYAT

✿●•·Teen din insaani zindagi me badi Ahmiyat ke hamiL hain ek wo din jisme wo duniya me aata hai Allah RabbuL izzat kare koi nek banda pass ho jo ghunti daaL de or Azaan o iqaamat kehde kiyu ke iske bade Asraat hote hain or ek wo din jab use duniya se jana hota hai wo din insaan ke liye badi Museebat ka din hota hai Lekin Agar neki par zindagi guzaari hogi to wo din uske liye Eid ka din ban jayega or Teesra wo din jab insaan Allah RabbuL izzat ke huzoor khada hoga

     (pαʀт ⇨193)

            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

��
┃ 
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
                Maut ki tayyari
                          Az
                Hazrat moLana
                Peer Zulfiqar Ahmad
                Naqshbandi DB
            ┄─━━━━□□□━━━━─┄                      
       ▁▂▃▄━━─╯✍╰─━━▄▃▂▁
           M.Babar Rashidi
             AhLe deoband
       ╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯

           
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿

    ┌╦════════════────────┐
    │║Bismillahirrahmanirraheem
    └╩════════════────────┘

       ┌╦═══════────────┐
       │║MAUT KI TAYYARI
       └╩═══════────────┘

               ⊙ PART -193⊙
           ┄─━━━━□□□━━━━─┄

✿●•·HAZRAT MUMSHAAD DENURI RM KA JANNAT SE INKAAR

✿●•·Hazrat mumshaad denoori Rm ek buzurg hain unki wafaat ka waqt qareeb Aaya ek Aadmi pass tha wo kehne Laga Aye Allah RabbuL izzat mumshaad ko jannat ki niyamaten naseeb farma de Hazrat ne uski taraf gusse se dekha wo kehne Laga Hazrat mujhse koi Ghalati  hui hai farmaaya han pichLe Teen saaL se jannat mere Samne pesh  ki jaa Rahi hai magar mene ek Lamha bhi Allah RabbuL izzat ki Taraf se nazar hata kar jannat ki taraf nahi dekha tum mere liye jannat ki duaye Mangte ho ji han ye wo hazraat hain jinhe har Lamha Apne parwardigaar ka mushahida naseeb hota hai

     (pαʀт ⇨194)

            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

��
┃ 
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
                Maut ki tayyari
                          Az
                Hazrat moLana
                Peer Zulfiqar Ahmad
                Naqshbandi DB
            ┄─━━━━□□□━━━━─┄                      
       ▁▂▃▄━━─╯✍╰─━━▄▃▂▁
           M.Babar Rashidi
             AhLe deoband
       ╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯

           
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿

    ┌╦════════════────────┐
    │║Bismillahirrahmanirraheem
    └╩════════════────────┘

       ┌╦═══════────────┐
       │║MAUT KI TAYYARI
       └╩═══════────────┘

               ⊙ PART -194⊙
           ┄─━━━━□□□━━━━─┄

✿●•·HAZRAT IBNE FARIZ RM KA JANNAT SE INKAAR

✿●•·Hazrat ibne fariz Rm ek buzurg guzre hain wo ek Ajeeb kamiL insaan the jab unki wafaat ka waqt qareeb Aaya to unke Samne jannat pesh  ki gayi unhone jannat se chehra mod kar dusri Taraf kar liya wo hamari tarah nahi the baLke unki Nazar Allah RabbuL izzat ki zaat par Rehti thi jab unhone Apni nighaahe dusri Taraf karLi to us waqt unhone Arbi ka bada Ajeeb She'ar padha ghor karne waLon ke liye usme bada Lutf hai

✿●•· Ke Aye Allah RabbuL izzat meri Saari Zindgi ka ajar Tere Nazdeek ye hai ke tu mujhe jannat de dega to phir mene kiya paya mene to phir Apni  Zindagi tabaah karLi Aye Allah RabbuL izzat mujhe un niyamato ki nahi baLke tere mushahide ki zaroorat hai mujhe to us paighaam ki zaroorat hai ke Teri Taraf se ye in'aam mil jaye ke mere bande Teri guzaari hui zindagi par me Raazi hun 

     (pαʀт ⇨195)

            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

��
┃ 
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
                Maut ki tayyari
                          Az
                Hazrat moLana
                Peer Zulfiqar Ahmad
                Naqshbandi DB
            ┄─━━━━□□□━━━━─┄                      
       ▁▂▃▄━━─╯✍╰─━━▄▃▂▁
           M.Babar Rashidi
             AhLe deoband
       ╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯

           
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿

    ┌╦════════════────────┐
    │║Bismillahirrahmanirraheem
    └╩════════════────────┘

       ┌╦═══════────────┐
       │║MAUT KI TAYYARI
       └╩═══════────────┘

               ⊙ PART -195⊙
           ┄─━━━━□□□━━━━─┄

✿●•·HAZRAT IBRAHIM ALAIHISSALAM KI WAFAAT KA MANZAR

✿●•· Momin maut se Nahi darta balke maut momin se darti hai

✿●•· maLakuL maut Sayyadna Hazrat Ibrahim Alaihissalam ke pass aaye Arz kiya aye Ibrahim Alaihissalam Aapko Allah RabbuL izzat ne yaad farmaya hai poocha kiya matlab arz kiya jee me Aapki Rooh Qabz karne ke liye hazir hua hun Ibrahim Alaihissalam ne farmaya kiya Aapne kisi aise dost ko dekha hai jo Apne dost ki Rooh Qabz kar Raha ho

✿●•· MaLakuL maut ne yahi baat Allah RabbuL izzat ke huzoor me pesh kardi to Allah RabbuL izzat ne uska jawaab irshad farmaya ke jaa kar Ibrahim KhaLeeLuLLah se keh do kiya aapne kisi dost ko dekha hai jo Apne dost se mulaqaat se inkaar kar Raha ho

✿●•· Sayyadna Hazrat Ibrahim Alaihissalam Samjh gaye mujhe maut Aayegi to Allah RabbuL izzat se muLaqaat naseeb ho jayegi

✿●•· Chunache kehne Lage maLakuL maut jaLdi kar jaLdi kar meri Rooh ko Qabz karLe or mujhe Allah RabbuL izzat se miLa de

     (pαʀт ⇨196)

            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

��
┃ 
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
                Maut ki tayyari
                          Az
                Hazrat moLana
                Peer Zulfiqar Ahmad
                Naqshbandi DB
            ┄─━━━━□□□━━━━─┄                      
       ▁▂▃▄━━─╯✍╰─━━▄▃▂▁
           M.Babar Rashidi
             AhLe deoband
       ╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯

           
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿

    ┌╦════════════────────┐
    │║Bismillahirrahmanirraheem
    └╩════════════────────┘

       ┌╦═══════────────┐
       │║MAUT KI TAYYARI
       └╩═══════────────┘

               ⊙ PART -196⊙
           ┄─━━━━□□□━━━━─┄

✿●•·KHUSH NASEEB KE RAAT OR DIN

✿●•· Duniya ki zindagi Aakhirat ke muqaabLe me bahut mukhtasar si hai Sayyadna Hazrat Nooh Alaihissalam jinhone 950 SaaL tableeg ki poori Zindagi to isse bhi zada thi Aapke bare me Aata hai jab Aapne is duniya se parda farmaya to Allah RabbuL izzat ne poocha Aye mere Nabi Aapne Apni Zindagi ko kesa paya Arz kiya Ya Allah yun maLoom hota tha ke ek makaan hai jiske darwaze hain me ek darwaze se dakhiL hua hun or Dusre darwaze se bahar nikaL Aaya hun 

✿●•· Iske pesh e nazar hamari 50 ya 100 SaaL ki zindagi ye bhi Lamhe do Lamhe ki baat nazar Aayegi

✿●•· Khush Naseeb hain wo Log jo is zindagi ke har har Lamhe me Allah RabbuL izzat ko yaad karte hain or Allah RabbuL izzat ke Hukum ke mutabiq zindagi guzaarte hain ye Log tangi bhi bardasht kar Lete hain tangi me Nashukri ke Alfaaz zaban par nahi Laate or  Agar unko khushi or kashaish ke haLaat naseeb ho jayen to wo us par maghroor or mutakabbir nahi hote wo Apne Awqaat ko janne waLe hote hain Apni Zaban se koi bada boL  nahi boLte

✿●•· Har waqt un Logon ki koshish maLik e haqeeqi ki Raza ka husooL hota hai ye wo unchi shaan waLe Log hain jo apni Raza ko Allah RabbuL izzat ki Raza me gum kar chuke hote hain jinki Apni pasand: pasand nahi hoti jinka apna chunao chunao nahi hota yahi wo khush naseeb Log hain jinhe  kaL  qayamat me kisi  Tarah ka koi gham na hoga

✿●•· Allah RabbuL izzat ham sab ki zindagiyon ko bhi aisa hi banade Aameen ya Rab

     (pαʀт ⇨197)

            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

��
┃ 
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
                Maut ki tayyari
                          Az
                Hazrat moLana
                Peer Zulfiqar Ahmad
                Naqshbandi DB
            ┄─━━━━□□□━━━━─┄                      
       ▁▂▃▄━━─╯✍╰─━━▄▃▂▁
           M.Babar Rashidi
             AhLe deoband
       ╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯

           
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿

    ┌╦════════════────────┐
    │║Bismillahirrahmanirraheem
    └╩════════════────────┘

       ┌╦═══════────────┐
       │║MAUT KI TAYYARI
       └╩═══════────────┘

               ⊙ PART -197⊙
           ┄─━━━━□□□━━━━─┄

✿●•·SADI HUI BAD'BUDAAR DUNIYA SE NIJAAT

✿●•· Allah waLon ki maut unke liye khushiyon ka paighaam ban kar Aati hai wo maLakuL maut ko dekh kar khush hote hain ke duniya se jaan chhut gayi Aise buzurg fot hue kuch arse ke baad kisi ko khaab me miLe usne poocha Hazrat aage ka kiya mamLa pesh Aaya farmaya tumhari Sadi hui bad'budaar duniya se nijaat mil gayi ji han wo is liye khush hote hain ke wo jis ke pass jaa rahe hain wo un duniya waLon se zada behtar hai  

     (pαʀт ⇨198)

            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

��
┃ 
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
                Maut ki tayyari
                          Az
                Hazrat moLana
                Peer Zulfiqar Ahmad
                Naqshbandi DB
            ┄─━━━━□□□━━━━─┄                      
       ▁▂▃▄━━─╯✍╰─━━▄▃▂▁
           M.Babar Rashidi
             AhLe deoband
       ╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯

           
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿

    ┌╦════════════────────┐
    │║Bismillahirrahmanirraheem
    └╩════════════────────┘

       ┌╦═══════────────┐
       │║MAUT KI TAYYARI
       └╩═══════────────┘

               ⊙ PART -198⊙
           ┄─━━━━□□□━━━━─┄

✿●•·EK BUZURG KI MAUT KA AJEEB O GHAREEB MANZAR

✿●•· Agar ham bhi mehnat karenge to maut ka din gham ka nahi baLke khushi ka din ban  jayega yahi  wajah hai ke Allah waLon ko maut  ka khof  hi nahi  hota wo maut ko taLwaar ki tarah nahi samjhte jo ke Sar par Latak Rahi ho balke unko maut Aaraam se Aajati hai

✿●•· Hazrat khaja fareeduddeen Attaar Rm ek buzurg the unki itar ki dukaan thi choti choti sheeshiyon me itara rakha hua hota tha Ek Allah waLa Aaya usne badi hairaani se idhar udhar dekhte hue Nazre uthaayi ye us waqt nojawan the zindagi me Ajeeb shaan thi mastaani zindagi thi unhone poocha bade miya kiya dekhte ho kehne Lage ke me dekh Raha hun ke itni sheeshiyon me Teri Rooh Atki hui hai tujhe maut Kese Aayegi unhone  gusse  me kaha jese tujhe maut Aayegi bade miya ne kaha Accha mujhe to phir Aise maut Aayegi bade miya wahin Let gaye kapda Upar liya kaLma padha or Allah RabbuL izzat ko pyaare ho gaye unke diL par chot Lagi Oh bade miya ne maut ke liye kitni tayyari ki hui thi ke itni Aasaani se chaLe gaye mene to tayyari nahi ki Chunache unhone sacchi toba ki nek banne ki hatta ke TazkiratuL AwLiya ke musannif ban gaye Subhanallah

     (pαʀт ⇨199)

            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

��
┃ 
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
                Maut ki tayyari
                          Az
                Hazrat moLana
                Peer Zulfiqar Ahmad
                Naqshbandi DB
            ┄─━━━━□□□━━━━─┄                      
       ▁▂▃▄━━─╯✍╰─━━▄▃▂▁
           M.Babar Rashidi
             AhLe deoband
       ╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯

           
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿

    ┌╦════════════────────┐
    │║Bismillahirrahmanirraheem
    └╩════════════────────┘

       ┌╦═══════────────┐
       │║MAUT KI TAYYARI
       └╩═══════────────┘

               ⊙ PART -199⊙
           ┄─━━━━□□□━━━━─┄

✿●•·MARNE KE LIYE ACCHI JAGAH 

✿●•· Hazrat Sari Saqti Rm farmate hain ke ham bethe the Ek Aadmi  aakar kehne Laga yahan koi Thandi Acchi  Jagah hai jahan koi mar Sake hamne kuve ki Taraf  ishara kar diya usne jaa kar kuve ke paani se ghusaL kiya NafiL padhe or So gaya kaafi der ke baad namaz ka waqt hua to ham bhi wahan pohche hamne wazu  kiya or socha isko bhi jaga den Chunache  jab  usko jagane  Lage to maLoom hua wo to Allah RabbuL izzat ko pyaara ho chuka tha

✿●•· Hazrat Zun'noon misri Rm se kisi ne inteqal ke qareeb poocha ke Hazrat kuch farmana hai koi khahish ho to bata dijiye farmaya sirf ye khwahish hai ke marne se pehle uski marifat hasiL ho jaye

✿●•· Shaikh Abu yaqoob sanusi Rm ke pass unka ek mureed Aaya or kehne Laga ke me kaL zohar ke waqt mar jaunga jab dusra din Aaya to zohar ke waqt masjid e haraam me Aaya Tawaaf kiya thodi der ke baad mar gaya unke peer o murshid ne usko ghusaL diya or dafan kar diya jab usko Qabar me Rakha gaya to usne Aankhen khoL di Shaikh ne poocha kiya marne ke baad bhi Zinda ho kehne Laga han me zinda hun or Allah RabbuL izzat ka har Aashiq Zinda hi Rehta hai

✿●•· Allah RabbuL izzat ham sabko  ko bhi apna Saccha  Aashiq banaye Aameen ya Rab

     (pαʀт ⇨200)

            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

��
┃ 
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
                Maut ki tayyari
                          Az
                Hazrat moLana
                Peer Zulfiqar Ahmad
                Naqshbandi DB
            ┄─━━━━□□□━━━━─┄                      
       ▁▂▃▄━━─╯✍╰─━━▄▃▂▁
           M.Babar Rashidi
             AhLe deoband
       ╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯

           
✿ ⚀✿
✿ ⚀✿

    ┌╦════════════────────┐
    │║Bismillahirrahmanirraheem
    └╩════════════────────┘

       ┌╦═══════────────┐
       │║MAUT KI TAYYARI
       └╩═══════────────┘

               ⊙ PART -200⊙
           ┄─━━━━□□□━━━━─┄

✿●•·IMAAM GAZAALI RM KA QABILE RASHK SAFAR E AAKHIRAT

✿●•·Imaam GhzaaLi Rm Apne waqt ke Bahut bade buzurg guzre hain makashifatuL quLoob or AhyauL ULoom unki mash'hoor Tasaneef hain wo ek martaba somwaar ke din Fajar ki Namaz se farigh hue to Apne liye kafan mangwaya usko chooma Aankho par rakha or kaha ke baadshaah ki khidmat me Haazri ke liye badi khushi se haazir hun ye keh kar Qibla rukh Let gaye or Foran Allah RabbuL izzat ko pyaare ho gaye Subhanallah jinhone maut ki tayyari ki hui hai wo yun khushi khushi Apne khaaLiq o maalik ke huzoor pesh hone ke liye tayyaar Rehte hain

✿●•·Alhamdullah Aaj maut  ki tayyari ke poore 200 part  mukammal  hue Allah RabbuL izzat AmaL karne  ki Tofeeq ata farmaye Aameen ya Rab

✿●•· Jin Hazrat ko maut  ki tayyari ke sabhi part chahiye  wo Hazrat niche link ko opan  karen

     (pαʀт ⇨201)

            Nεxт  тimε  insнα  αllααн

��
┃ 
┗━ʀєғєʀєռcє: ➻•┐
                Maut ki tayyari
                          Az
                Hazrat moLana
                Peer Zulfiqar Ahmad
                Naqshbandi DB
            ┄─━━━━□□□━━━━─┄                      
       ▁▂▃▄━━─╯✍╰─━━▄▃▂▁
           M.Babar Rashidi
             AhLe deoband
       ╰▄▃▂▁▁·•●✿●•·▁▁▂▃▄╯

           
✿ ⚀✿

No comments:

Post a Comment