Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Thursday, May 5, 2016

MADNI MASHRA MUKHTALIF ADAAB


★☆★
   ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁

        βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
     ✦ ISTANJE KE MUTALLIQ ADAAB ✦
     

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

⇨ Farmaya Khatmunnabiyyin Sallallahu Alaihivasallam ne k-

◈ 1- Jab pakhana jao to peshab ke mukam ko Dahine haath se na chhuo,

® Tirmizi Sharif:

◈ 2- aur istanja dahine haath se saaf na Karo,

® Tirmizi Sharif:

◈ 3- Bada istanja 3 pattharo ( ya 3 dhelo) se karo, iske baad paani se dho lo,

® Abu Daowd Sharif:

◈ 4-Jab pakhana jao to Qibla rukh hokar aur Qibla ki taraf ko pusht karke na betho,

® Bukhari Sharif:

◈ 5- Jab peshab karne ka iraada Karo to iske liye ( munasib) jagah talash karo,

→( maslan parde ka dhyan rakho aur Hawa ke rukh per na betho),

® Abu Daowd Sharif:

◈ 7- Thehre hue paani me, Jo jaari na ho, peshab na Karo,

→( jese Talaab, hoaj vagera)

® Bukhari Sharif:

◈ 7- Gusalkhane me peshab na Karo kyuki aksar waswase isse paida hote hai,

® Abu Daowd Sharif:

◈ 8- Pakhana karte hue aapas me baate na Karo,

® Musnad Ahmed:

◈ 9- Kisi surakh ( hole)me peshab na Karo,

® Abu Daowd Sharif:

◈ 10- Paani ke ( nadi, nahar)ghanto per raasto me aur Saaya ki jagaho per( jaha log uthte bethte ho) pakhana na Karo,

→( isse logo ko takleef bhi hoti he aur adab v tehjeeb ke bhi khilaf he)

® Abu Daowd Sharif:

◈ 11- Bismillah kehkar pakhane me dakhil ho, kyuki Bismillah Jinnaat ki aankho aur insaan ki sharm ki jagaho ke darmiyan aad he,

® Tirmizi Sharif:

◈ 12- Leedh aur haddiyo se istanja na Karo,

® Tirmizi Sharif:

◈ 13- Jab pakhana Jana ho to joota pehan kar aur sar ko ( topi vagera se) dhaank kar jao aur jate waqt ye Dua pado,

” Allahumma inni aa’uzubika min’al khubusi val khabais”

® Bukhari Sharif:

◈ 14- aur jab pakhane se bahar aao to ye Dua pado,

” Alhamdulilla hillazi azhaba annil aza va afaani ”

® ibne maaja:

Madni Mashra:::::
 Safa 39,,,,,
       ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
◆ Chappal Pehanne Ke Adaab ◆
        

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

◈ 1- Sunnat ki niyat se chappal pehanna,
   
®Tirmizi

◈ 2- Pehanne se pehle Jooto ko jhadna,

® Sharahe sharatul islam

◈ 3- Bethkar joote pehanna,

→( agar khade hokar girne ka andesha ho to)
   
® Tirmizi

◈ 4- Joote pehanne me Dahine ( right) per se or nikalne me Baaye ( left) per se shuru karna,
  
®Muslim

◈ 5- Do no jooto ko pehan kar chalna (yani ek joote ko pehan kar na chale )
   
® Muslim

◈ 6- Jitna mumkin ho utna joote ke saath hi chalna,
  
® Muslim

◈ 7- Jooto ko saaf rakhna 
    
® Tirmizi

◈  8- Yaksaa joote pehanna ( yani ajod bajod na pehne )

 
®Muslim

◈ 9- Jooto me gulu se kaam na Lena,
( bahut zyada pur takalluf joote na pehne )
 
® uswa e rasool e akram sallallahu alaihivasallam ,

◈ 10-  Ese joote jin per Allah aur Rasool ka naam ho na pehne,

◈ 11- Jooto me mushrikeen ki mushahbat akhtyar na karna,

®Ahmad

◈ 12- Mardo’n  ka janana aur Aurto ka mardana joote na pehanna,
   
® Bukhari

◈ 13- Joote Baaye haath se uthana,
®uswa e rasool e akram sallallahu alaihivasallam ,

      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✦ CHHEEK AUR JAMHAI KE ADAAB ✦
            
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══☆

▣ Farmaya Khatmunnabiyyin Sallallahu Alaihivasallam ne k

◈ 1- Jab tumme se kisi chheek aaye to chahiye k “Alhamdulillah” keh le,

◈ 2- Aur Jawab me uska saathi ” Ya rahmakallah” kahe,

◈ 3- Aur chheekne wala ” Yahdi kumullahu va yuslihu va lakum ” kahe,
    
® ( Bukhari sharif)

◈ 4- Hamare pyare Rasool Sallallahu Alaihivasallam ko jab chheek aati thi to haath ya kapde se chehra Mubarak dhaank lete the or chheek ki awaaz buland na hone dete the,
 
®  ( Tirmizi sharif)

◈ 5- Aur farmaya Hujoore Akram Sallallahu Alaihivasallam ne k jab tumhe Jamhai aaye to moonh per haath rakh kar rok lo kyuki Jamhai ke sabab moonh khul Jane se shaitan dakhil ho jata he,
   
®( Abu Dauod Sharif)

◈ 6- Aur ek hadees me he k jamhai aaye to ” Haa!!!!! ” ki awaaz na nikalo, isse shaitan hansta he,
    
®( Abu Dauod Sharif)

Madni Mashra,,,,,
 Safa no, 37
        ⊙══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰

▣ Aurto,n’  aur Ladkiyo’n  ke liye Makhsoos islami Taleem ▣

◈ 1- Mardo’n  se alag hokar chale,

◈ 2- Raasto ke darmiyan se na guzre balki kinaro per chale,

◈ 3- Chandi ke zever se kaam chalana behtar he,

◈ 4- Jo Aurat Shaan ( badai) jaahir karne ke liye sona ka zever pehegi to azaab hoga,

® Abu Daowd Sharif:

◈ 5- Aurto’n  ko apne haath me mehndi lagate rehna chahiye,

® Abu Daowd Sharif:

◈ 6- Farmaya Rasoolullah Sallallahu Alaihivasallam ne k  Aurato’n  ki khushbu esi ho jiska rang jaahir ho aur khushbu na aaye,

→ ( yani bahut mamuli khushbu ho),

® Tirmizi Sharif:

◈7- Bareek kapde na pehno,

◈ 8- Agar dupatta bareek ho to uske niche mota kapda laga lo,

® Abu Daowd Sharif:

◈ 9- Bajne wala zever na pehno,

® Abu DaoWd Sharif:

◈ 10- Jo Aurte’no  mardo’n  ki shakl v surat akhtyar kare un per Allah ki laanat he,

® Abu DaoWd Sharif:
Madni Mashra,,,,,,
 Safa no,  37-38,,,,
       ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
       ✦ KHANE PINE KE ADAAB ✦
      

✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
▣ Farmaya Rehmate Kaynaat, Fakhre Mojudaat, Ahmade Mujtaba Muhammad Mustufa Sallallahu Alaihivasallm ne k –

◈ 1- Khane ki Barkat he khane se pehle or khane ke baad vuju karna ( yani haath dhona, kulli karna)

⇨  Khane se pehle haath dho lijiye, taharat or najafat ka takaza he k khane me padne wale haatho ki taraf se tabiyat mutmain ho,
      
®( Tirmizi sharif)

◈ 2- Bismillah padkar khao,
     
®( Bukhari, Muslim sharif)  

⇨  Hadees ki dua
 
” Bismillahi va’ ala barakatillah”

padkar khana shuru kijiye, aur agar bhool jaye to yaad aane per

” Bismillahi avvalhu va akhirhu ”

keh lijiye, yaad rakhe jis khane per khuda ka naam nahi liya jata usko shaitan apne liye jayaz kar leta he,

◈ 3- Daaye haath se khao,
    
® ( Bukhari sharif)

◈ 4- Hamesha sidhe haath se khao, Jaroorat padne per Baaye haath se bhi madad le sakte hai,

◈ 5- Apne saamne se khao ( yani bartan ke charo taraf haath na maro, apni taraf se khao)
  
®( Tirmizi, Bukhari sharif)

◈ 6- Baaye haath se hargiz na khaye, na piye kyuki baaye haath se shaitan khata peeta he,
 
®  ( Muslim sharif)

◈ 7- Jo shakhs kisi bartan me khana khaye fir use saaf kare to uske liye bartan astagfaar karta he,

.  ® ibne maaja
     
◈ 8- Jab tumhare haath se lukma gir jaye to( tinka vagera) lag jaye to usko hatakar lukma kha lo aur shaitan ke liye mat chhodo, jab khane se farig ho jao to haath dhone se pehle apni ungliya chaat lo, tumhe maloom nahi khane ke konse hisse me barkat he,
     
® ( Muslim sharif)

◈ 9- Bartan ke darmiyan se na khao balki kinaro se khao kyuki darmiyan me barkat najil hoti he,
   
® ( Tirmizi sharif)

◈ 10- Plate me apni taraf ke kinare se khaye, doosre ki taraf se na khaye,

◈ 11- Aapas me ek saath milkar khaya karo aur Allah ka naam lekar khao kyuki usme tumhare liye barkat he,
   
®( Abu Dauod Sharif)

◈ 12- Jab khana khane lago to joote utaardo, isse tumhare kadmo ko araam milega,

◈ 13- Paani ko oount ki tarah ek saans me mat piyo balki 2-3 saans me piyo,

◈ 14- Aur jab peene lago to

” Bismillah ”

kaho aur jab peekar moonh se bartan hatao to

” Alhamdulillah”

kaho,
    
® ( Tirmizi sharif)

◈ 15- Dastar khwan uthane se pehle na utho,

◈ 16- Agar kisi doosre shakhs ke saath khana kha rahe ho to jab tak wo khata rahe, apna haath na roko agarche pet bhar chuka ho taki use sharmindgi na ho, agar khana chhodna bhi ho to uzr kar do,
   
® ( ibne maaja)

◈ 17- Mashkije me moonh lagakar mat piyo,
    
® ( Bukhari sharif)

⇨ Lota, ghada, surahi, botal vagera ko moonh lagakar peena bhi isi muma’anat me dakhil he, aur aajkal ke mashrubaat ( Pepsi, ya sharbat vagera) bhi isi muma’anat me dakhil he, Gilaas me daal kar piye,

◈ 18- Bartan me na saans lo, na fook maro,
  
® ( Tirmizi sharif)

◈ 19- Khane peene ki cheezo per fook na maro, andar se aane wala saans ganda aur zehreela hota he,

◈ 20 – Khade hokar mat piyo,
    
® ( Tirmizi sharif)

◈ 21- Bartan me fati tooti jagah moonh na lagakar piyo,
    
          ® Abu Daowd

◈ 22- Jalta ubalta khana jisse haath moonh jale aur zaban jale, uske khane se mana farmaya he aur farmaya he k ese khane ko thodi der dhaank kar rakh diya jaye, jab uski wo hararat khatm ho jaye tab usko khane ka iraada kare,

→Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya, esa karna barkat ka bahut bada zariya he aur ye baat sahi he, iska tajurba hota rehta he,

◈ 23- Khane ke liye Tek lagakar na bethe, khaksaari ke saath ukdu bethe ya do jaanu hokar bethe ya ek ghanta bichhakar aur ek khada karke bethe,
    
        ® Bukhari sharif,

◈ 24- Hamare pyare Rasool Sallallahu Alaihivasallam Tek lagakar nahi khate the,
   
       ® Bukhari sharif ,

◈ 25- Teen ungliyo se khaye aur Zarurat  ho to chhungli chhodkar char ungliyo se kaam le aur ungliya jado tak saanne se parhez kare,

◈ 26- Niwala na zyada bada le aur na zyada chhota aur ek  niwala nigalne ke baad hi doosra niwala le,

◈ 27- Roti se hargiz ungliya saaf na kare ye badi be adabi aur rizq ki toheen he,

◈ 28- Rotiyo ko jhaadne aur fatkaarne se bhi parhez kare,

◈ 29- Khane me bhi aib na nikale, pasand ho to khaye, pasand na ho to chhod de, Aap Sallallahu Alaihivasallam ne kabhi kisi khane me aib nahi lagaya, dil ko bhaya to kha liya, pasand na aaya to chhod diya,
   
        ® Bukhari sharif

◈ 30- khane ke darmiyan thatha maarne aur bahut zyada baat karne se parhez kare,

◈ 31- Bila zaroorat khane ko na soonghe, ye buri aadat he, khane ke darmiyan baar baar is tarah moonh na khole k chabta hua khana nazar aaye aur na baar baar moonh me ungli daal kar daanto me se kuchh nikale, isse dastarkhwan per bethne walo ko ghin aati he,

◈ 32- Khana bhi bethkar khaye aur paani bhi bethkar piye, albatta agar zaroorat padne per fal ( fruits) vagera khade hokar kha sakte hai aur zaroorat padne per  paani bhi pi sakte hai,

◈ 33- Plate me Jo kuchh reh jaye agar shorba he to pi lo, varna ungli se chatkar plate saaf kar le,

◈ 34- Paani 3 saans me thehar thehar kar piye, isse paani bhi zaroorat ke mutabik piya jata he aur asoodgi bhi ho jati he aur ek bargi poore bartan ka paani pet me udelne se kabhi kabhi takleef bhi ho jati he,

◈ 35- Fal ( fruits) vagera kha rahe ho to ek saath 2-2 adad ya 2-2 kashe na uthaye,

◈ 36- lote ki toti ya surahi ya isi tarah ki doosri cheezo se paani na piye, ese bartan me paani lekar piye jisme peete waqt paani nazar aaye taki koi gandgi ya mujir cheez pet me na jaye,

◈ 37- Khane se farig hokar ye dua pade, –

” Alhamdulilla hillazi atamna va sakana va ja alna minal muslimeen, ”

→Tarjuma- Hamdo sana us khuda ke liye jisne hume khilaya or jisne hume pilaya or jisne hume musalman banaya, ”
   
  ® ( Abu Dauwd Sharif)

◈ 38- Jiski dawat ki gayi or usne qubool na ki to usne Allah ta’ala ki aur uske rasool sallallahu alaihivasallam ki nafarmani ki,
   
  ® ( Abu Dauwd Sharif)

◈ 39- Aur Jo shakhs bager dawat ke ( khane ke liye) dakhil ho gaya wo chor bankar andar gaya or lutera bankar nikla,
      
    ®( Abu Dauwd Sharif)

◈ 40- Jab koi kisi ka salam laye to yu jawab de,

” va’ alaika va alaihissalam “,
  
   ® ( Abu Dauwd Sharif)

◈ 41- Mareej ki ayadat ki takmeel ye he k uski peshani per haath rakh diya jaye, tumhare aapas ke salam ki takmeel ye he k musafa kiya jaye,
    
   ® ( Tirmizi sharif).

◈ 42- Jab do musalman mulakaat ke waqt aapas me musafa kare to juda hone se pehle unki bakhsish kar di jati he,
  
   ®  ( Tirmizi sharif)

Madni Mashra,,,,, safa 36
         ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
             ✦ MAJLIS   KE   ADAAB ✦
           
       ▦══─────────────══▦
              
  ▣ Majlis ke Mutallik islami Adaab ▣

★ Farmaya Muallime insaniyat Sarware Qaynaat Sallallahu Alaihivasallam ne,
         
◈ 1- Majlise Amanat hai, yani majlis me Jo baate sune unka doosri jagah nakal karna amanatdari ke khilaf he aur gunah he,
   
        ® Abu Dauod Sharif

◈ 2- Kisi ko uski jagah se uthakar khud na betha jaye aur bethne wale ko chahiye k aane wale ko jagah dene ke liye majlis kushada kar le,
    
         ® Bukhari sharif

◈ 3- Jab majlis me 3 Aadmi ho to ek ko chhod kar Aahista se 2 aapas me baate na kare kyuki isse teesre ko ranj hoga,
   
         ® Bukhari sharif

◈ 4- Kisi shakhsh ke liye halaal nahi k 2 shakhso ke darmiyan bager unki ijazat ke beth jaye,
    
          ® Tirmizi sharif

◈ 5- Majlis me sab log mutafarrik na bethe balki mil milkar bethe,
   
        ®  Abu Dauod Sharif

◈ 6- Jab koi musalman bhai tumhare paas aaye to jagah na hone ke bavjood uske ikraam ke liye zara sa khisak jao,
   
            ® Behaqi Sharif

◈ 7- Har cheez ka sardaar hota he aur Majliso ki sardaar wo majlis he jisme Qibla rukh betha jaye,
 
       ® Tabrani Sharif
    

      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
            ✦  SAFAR   KE  ADAAB  ✦
       
       ▦══─────────────══▦
        
★ 1-Safar jumeraat ke din shuru kijiye,

⚉★ 2-Tanha safar na kare, mumkin ho to kam se kam 3 Aadmi saath ho,

★3- Aurat hamesha Mehram ke saath safar kare,

★4- Savaari me savaar hote waqt DUA pade,

” Subhanallazi Sakhkharlana Haaza Wama kunna Lahu Mukrineen wa inna ilaa Rabbina La Munkaliboon, ”

★ 5-Raaste me doosro ki sahuliyat aur Araam ka bhi khayal rakhe,

★ 6-Safar per ravaana hote waqt aur waapsi per 2 raka’at pade,

★ 7-Raat ko kahi mehfooz makaam per qayaam kare

★ 8-Safar ki Zaroorat poori hone per jaldi waapas ho jaye
  
★ 9- Safar se waapsi per bager ittela (inform) kiye ghar na jaye,

★ 10- Safar me Paani ka bartan, namaz ke liye kapda, Qiblanuma (compaas ) saath rakhe,

★ 11- Chand Aadmi ho to kisi ko Ameer banale,

★ 12-  Kisi ko safar per Rukhsat kare to kuchh door tak unke saath jaye,

★ 13- Koi safar se wapas aaye to uska istakbaal kare ,

( musafa ya mu’anka kare )

★ 14- Safar me duao ka ahatmam kare,, musafir ki DUA jald qubool hoti he,

★ 15- Safar me kisi ka raasta tang na kare,

★16-  Safar me har ek ke saath  akhlaak ka maamla kare

★ 17- Kisi ajnabi shakhsh ka diya hua kuchh na khaye na piye,,

Madni Mashra,
—  ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
  ✦ RAASTE ME CHALNE KE ADAAB ✦
   
       ▦══─────────────══▦
       
      ▣ Raaste me Chalne ke Adaab ▣

★1- Darmiyani chal chale,

★ 2-Waqaar aur nichi nigah se chale,

★3- Khaksari ke saath dabe payr chale, akadkar na chale,

★ 4-Hamesha joote ya chappal  pehankar chale,

★ 5-Raasta chalne me tehjeeb aur waqaar ka bhi lihaaz rakhe,

★ 6-Chalte waqt apne kapdo ko sametkar chale,( kahi ulajh na jaye)

★ 7-Hamesha betakallufi se apne saathiyo ke saath chale,

★ 8-Raaste ka haqq adaa karte hue chale,

→( ek taraf, traffic ka dhyan rakhte hue, kisi ka raasta na rokte hue )

★ 9-Takleef dene wali chizo ko raaste se hataa kar chale,

★ 10-Raaste me hamesha achchhe logo ka saath pakde,

★ 11- Raaste me mard aur aurat mil jul kar na chale

★12- Aurat parde ka poora ahatmam ke saath chale,

★ 14- Aurat esa zewar pehankar na chale k chalte waqt jhankar paida ho,

★ 15- Aurte’n  khushbu lagakar na chale,

★ 16- Ghar se bahar nikalte waqt aasman ki taraf nigah uthakar dua pade,

” Bismillahi Tawakkaltu Alallahi ”

★ 17- Bazaar me chotha kalma aur galiyo me teesra kalma padte hue chale,

★ 18-  Momin bhaiyo ko salam karte hue ya salam ka jawab dete hue chale,
Madni Mashra ,

        ⊙Talibe Dua ⊙
               
      ⓖ Ahle deoband
 
      •─━━━━━══════━━━━━─•
    →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others
     ━═─────────────────═━
★☆★

No comments:

Post a Comment