BiѕmiLLαHirrαHmαNirrαHeeM
❖═══▩★★★۩ ۩★★★▩═══❖
ROOHANI TADABEER
❖═══▩■■۩PART'51۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.3 ↴ ↴
★ AAJIZI WA INKISARI★
★☆☆☆☆☆☆★
۩KHALEEFAYE WAQT KI TAWAZA۩
┣━─• Sayyidna Siddeeqe Akbar rz.anhu waqt ke khaleefa bhi the aur apne ghar me bakri ka dudh bhi nikalte the aur agar baazar se koi chiz khareedte the to apne sar par utha kar late the. Isko apni shan ke khilaaf nahi samajhte the‚ isliye ke inki Tabiyat ke andar tawaza thi‚ sayyidna ALi rz.anhu bhi apne zamanae khilaafat me apna saaman sar par utha kar ghar laya karte the.
┣━─• Subhan ALLah ye waqt ke khailfa lekin inme zara bhi takabbur nahi‚ apna kaam khud karte the aur hum aaj ke maamuli insaano ka ye haal hai ke zara me hi takabbur ajata hai aur chote chote kaam ko apni shaan ke khilaaf samjhte hai.
ALLah hum sabki takabbur jesi bimariyon se hifazat farmaye Aameen
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'52۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.3 ↴ ↴
★ AAJIZI WA INKISARI★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ SAYYIDNA UMAR BIN KHITAAB RZ.ANHU KI AAJIZI ۩
┣━─• Sayyidna Umar bin Khitaab rz.anhu ne apne apko kese mitaya??
Ek martaba Jihaad se Maale Ghaneemat aya‚ Qedi bhi aye‚ Aapne dekha to khush hue. Iske baad logon se kaha: zara Mimmbar ke Qareeb hojao‚ log Mimbar ke Qareeb hogaye fir Aapne logon ki taraf mutawajjah hokar apne aap ko kaha: "UMAR! TU WAHI TO HAI JISKI MAA KHUSHK GOSHT CHABAYA KARTI THI" Arab me ye ghurbat ki Alaamat hoti thi ke jinko khaane ka kuch wafir hissa na hota tha to wo bhook ki shiddat ki wajah se khushk gosht chabaya karte the.
┣━─•Ye baat keh kar Hazrat Umar rz.anhu Mimbar se niche utar gaye‚ Sahabaye kiraam rz.anhum hairaan hue ke hame Ameerul mu'mineen ne ikathha kiya tha to kya yahi kuch kehna tha....
BAQI NEXT PART ME
IN SHA ALLAH
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'53۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.3 ↴ ↴
★ AAJIZI WA INKISARI★
★☆☆☆☆☆☆★
┣━─• Ye baat keh kar Hazrat Umar rz.anhu Mimbar se niche utar gaye‚ Sahabaye kiraam rz.anhum hairaan hue ke hame Ameerul mu'mineen ne ikathha kiya tha to kya yahi kuch kehna tha. Baad me unhone Hazrat umar rz.anhu se pucha "Hazrat! Aapne itne logon ko ikathha bhi kiya ke baat suno aur koi khas bat bhi nahi ki bas yahi kaha ke umar! Tu us maa ka beta hai jo khushk ghosht chabaya karti thi‚ Aakhir kya wajah hai??
Hazrat umar rz.anhu ne jawab diya‚ jab qedi aye aur maale ghanimat bhi aya to mere dil me ye khayal aya ke Umar! ALLah ne tujhe kya hi shaan di hai ke tere zamane me islaam ko fatuhaat ho rahi hain.
┣━─• maine mehsoos kiya ke mere nafs ke andar kahin ajab peda na hojaye‚ mene iska ye ilaaj tajweeZ kiya ke saare logon ko bula kar ek aesi baat keh di jisne mere andar se khudpasandi ko khatm karke rakhdiya..
Subhan ALLah"!
•★ wo apne nafs ko yun pamaal karte the. Idhar nafs ke azdaha ne sar uthane ki koshish ki udhar unhone uske sar par chot lagai‚ bas zara si bat par nafs ko Dawa pila dete the..
To malum hua ke wo hazraat apne nafs par har waqt nigah rakha karte the.•★♥♥
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'54۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.3 ↴ ↴
★ AAJIZI WA INKISARI★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ HAZRAT UMAR RZ.ANHU KE FAZAIL۩
┣━─• sayyidna Hazrat Umar rz.anhu ibne khitaab ne Sarkare Do Aalam صل اللہ علیہ وسلم ki zabane mubarak se basharten pain. ALLah ta'ala ne apko kya hi shaan ata farmai thi ke kai martaba inki soch Wahi ILahi ke mutabiq nikli. Ye to nahi keh sakte ke inki soch par wahi iLahi utri balke ye keh sakte hain ke kai martaba inki soch Wahi iLahi ke bilkul mutabiq nikli.
┣━─• In ke bare me Nabi صل اللہ علیہ وسلم ne farmaya:
"AGAR MERE BAAD KOI NABI ANA HOTA TO WO UMAR RZ.ANHU HOTA."
Farmaya‚ "UMAR RZ.ANHU KI ZABAN PAR HAQQ BOLTA HAI."
Farmaya‚ "UMAR RZ.ANHU JIS RAASTE SE GUZAR JATA‚ SHAITAAN US RASTE KO BHI CHHOD DETA."
Subhan ALLah
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'55۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.3 ↴ ↴
★ AAJIZI WA INKISARI★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ HAZRAT UMAR RZ.ANHU KI AJIZAANA DUA۩
┣━─• Jinke bare me zabane Nabuwwat صل اللہ علیہ وسلم se itne fazail bayan karwaye gaye‚ wo Tahajjud ke auqaat me Parwardigare Aalam ke samne apni raazo niyaz ki baten karte hue apne dil ki kefiyaat kese kholte the. Us waqt parwardigaar aalam ke samne hath fela kar aesi dua mangte the jo mere aur apke liye roshni ka meenar hai‚
┣━─• ALLah rabbul izzat ki bargaah me arz karte the'
"AYE ALLAH! MUJHE APNI NIGAAH ME CHHOTA BANA DE AUR MAKHLUQ KI NAZAR ME BADA BANA DE‚ ISLIYE KE JAB KOI MAKHLOOQ KI NAZAR ME BADA HOGA TO USKE LIYE DAWAT WA IRSHAAD KA DARWAZA KHUL JAYEGA AUR AGAR LOG HI KISI KO HAQEER SAMJHENGE TO WOH DEENI FAYEDA BHI NAHI UTHA PAYENGE"
Apne isliye bhi ye dua mangi ke nafs kahin foolne na paye. Yahi Tasauwwuf hai.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'56۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.3 ↴ ↴
★ AAJIZI WA INKISARI★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ HAZRAT UMAR RZ.ANHU KI AJIZI KA EK AUR WAQIYA ۩
┣━─•ALLah ta'ala ne Hazrat umar rz.anhu ko itne buland maqamaat naseeb farmaye the‚ iske bawajood apne baare me itne mohtat the ke ek martaba hazrat huzefa rz.anhu se pucha: Huzefa mujhe ye to pata hai ke tumhe Nabi صل اللہ علیہ وسلم ne munaafiqeen ke naam bata diye the. Me apse munafiqeen ke naam to nahi puchta‚ bas itni bat puchta hu ke kahi Umar rz.anhu ka naam to munafiqeen me shamil nahi hai?
Agar ham hote to kehte hm to muraade mustafa hain hamare liye to mehboobe khuda duayen mangte the. Dekhiye to sahi ke jinhe mang kar liya gaya wo parwardigaar ke huzoor istarah jhukte the aur apne aap par itne mohtaat rehte the ke fir bhi puchte the ke kahi Umar rz.anhu ka naam to inme shamil nahi.
┣━─•kya hmne aesi nazar apni zaat par dali hai?? Nahi balke hamari to gardane tani rehti hain‚ aankhen khuli rehti hain‚ hamari nigahen dusron ke chehro par padti hai‚ hme dusron ke aeb to nazar ate hai magar apni halat nazar nahi ati. Kaash! Ye ankhen band hoti‚ ye gardane jhuk jati‚ aur ye nigahen apne seene par padtin ke mere apne andar kya aeb chupe hue hain.
Aaj is baat ki shadeed kami hai.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'57۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.3 ↴ ↴
★ AAJIZI WA INKISARI★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ IMAAME AZAM ABU HANEEFA RH.ALAIH KI AJIZI۩
┣━─• Imame azam abu haneefa rh.alaih ke zamane me 2 Aalim the. Ek ka naam zar'a Qaas tha aur dusre ka name Umar bin zar tha ye chunki muamir the isliye imame azam rh.alaih ki walida mohtarma inse masla daryaft karke mutmain hojati thin. Agar inhe koi masla puchna hota to wo imame azam rh.alaih ko farmati k mujhe inke paass le jao‚ me inse masla puchna chahti hu. Chunaanche imam sahab oontni nikalte apni walidah ko oontni par bithate aur khud oontni ki nakel pakad kar pedal chalte. Jab chal rahe hote the to log dekh kar heraan hote ke ye kon hai‚ jiski sawari ki nakel nomaan(imame azam rh.alaih) pakad kar ja rahe hai. Chunke hazrat us waqt ustaad ban chuke the aur kaseer tadad me inke shagird bhi the.
┣━─• jab in dono rh.alaih me se kisi ek ke ghar pahuchte aur darwaze par dastak dete to wo bahar ate. Imaam sahab rh. Inko farmate ke meri walida sahiba tashreef lai hain aur ye aapse koi masla puchna chahti hain. Jab walida saheba masla puchtin to kai martaba indono ko us masle ka jawab nahi ata tha to wo imam sahab rh. Se puchte ke iska jawab kya hai......(continue)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'58۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.3 ↴ ↴
★ AAJIZI WA INKISARI★
★☆☆☆☆☆☆★
┣━─• jab walida saheba koi masla puchtin to kai martaba un dono ko us masle jawab nahi ata tha to wo imam sahab rh. Se puchte the ke iska jAwab kya hai. Imam sahab Rh. Aahista si awaz me inko us masle ka jawab khud bata dete the aur wo log unchi awaz me unki walida ko jawab suna dete the. Ab walidah inki zabaan se sunti to mutmain hojati. Sari umar yahi hota raha aur imame azam rh.alaih ne apni walidah ko ye bhi na kaha ke ammi! Jo masla ap unse puchne
Ke liye jayengi wo uska jawab mujhse puch kar batayenge.
┣━─•Darasal imama sahab ne walaidah ke adab ka khayal rakha aur unke dil ke sukoon ko muqaddam rakha. Unki yahi tawaza thi jisne inko IMAME AZAM bana diya‚ ALLah ta'ala ne inko itni izzat di ke door SAHAABA rz.anhum me inka fatwa chalta tha. 120 hijri me MUSNAD AHMED irshad par beth chuke the aur us waqt sahabae kiraam duniya me kahi kahi mojud the.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'59۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.3 ↴ ↴
★ AAJIZI WA INKISARI★
★☆☆☆☆☆☆★
۩AAJIZI AUR FAQEER KA LAFZ۩
┣━─• Hamare mashaayekh ne "MAI" ke lafz ko itna napasand kiya ke aam baat cheet me bhi "MAI" ka lafz istemal nahi farmate the. Faqeer ka lafz istemaal farmate the ya Ajiz ka lafz istemal farma lete the. Bhai ham to waqai ajiz hain‚ Aajiz ka lafz mujhe achha lagta hai‚ Faqeer ka lafz bhi achha lagta hai. Faqeer ka to isliye ke parwardigaar hame keh rahe hain↓
(ALLAAH GHANI HAIN AUR TUM FAQEER HO).
isliye hame to apne aap ko faqeer hi kehelwana chahiye.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'60۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.3 ↴ ↴
★ AAJIZI WA INKISARI★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ LAFE "AAJIZ" KI TEHQEEQ ۩
┣━─• Aur Aajiz ka lafz isliye istemaal karna chahiye ke farmaya:
"AQALMAND HAI WO JO JANCH LE APNE APNE NAFS KO AUR USKE LIYE AMAL KARE JO KE MOT KE BAAD HAI."
Aur fir aage farmaya ke: "AJIZ WO HAI JISNE APNI KHWAHISHAAT KI ITTEBA KI."
Agar Hadees ke in alfaaz ko samne rakhen to Aajiz ka lafz hamare upar bilkul fit aata hai.
┣━─• Mashaayekh apne liye Aajiz ka lafz isliye istemaal nahi farmate ke inke andar ajizi hoti hai aur wo apni Aajizi ka izhaar karrahe hote hain balke Farmane Rasoolullaah صل اللہ علیہ وسلم inki nazar me hota hai. Wo apne apko khwahishaat ka banda samajhte hain. Khwahishat ka ghulam samajhte hain isliye Aajiz ka lafz istemaal karrahe hote hain.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'61۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.3 ↴ ↴
★ AAJIZI WA INKISARI★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ BAKRI KA ANJAAM ۩
┣━─• khwaja Fazal ALi Qureshi rh.alaih bahot saada baten farmte the. Badon ki baten bhi badi hoti hain. Ek bat irshad farmai: faqeeron! Bakri mai mai karti hai kabhi dekha hai ke ALLah ta'ala fir bakri ka hashar kya karte hain??
Gale par churi chalti hai‚ haddiyan todi jati hain‚ botiyan bana di jati hain‚ aag par chadha di jati hain‚ 32 daanton me chabai jati hain. Ye to uske jism ka muamla hoga aur baqi kya bacha? Uski aanten bach gain. Farmaya ke in aanton ko logon ne khushk kiya aur kapaas dhunne ke liye istemal kiya jisme se 'mai mai' ki awaz nikalti thi ab jab isko hilate hain to isme se 'to to' ki awaz nikalti hai.
┣━─• ye pehle waqton me hota tha magar aj to rooyi dhunne ke liye mashine achuki hain. Pehle waqton me ek tar hoti thi isko jab hilate the to isme se "to to" ki awaz nikalti thi. To farmaya‚ faqeeron! Dekho ye bakri "mai mai" karti thi‚ parwardigar ne iske sath aesa muamla kiya ke bilaakhir isme se "to to" ki awaz nikli‚
★Logon! Khud hi "to to" ka lafz nikal lo aesa na ho ke tumhare sath bhi bakri jesa muamla kardiya jaye.★
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'62۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.3 ↴ ↴
★ AAJIZI WA INKISARI★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ HAZRAT ABDULLAH BIN MUBARAK RH.ALAIH KI GOSHA NASHEENI ۩
┣━─• Hazrat Abdullah bin mubarak rh.alaih ek muhaddis guzre hain‚ kufr ki halat me unki badi shaan hoti thi. Unke pass logon ka hujoom hota tha‚ islaam Qubool karne ke baad fir halaat aese aaye ke wo maru chale gaye aur wahan par ek jagha par gumnaam rehne lage‚ wahin Namaz‚ Roza aur Tilawat me Mashghool hogaye. Wahan logon ko unka ta'arruf hi nahi tha. Hazrat hamesha apne is zamane ko yaad karte the aur farmate the ke wo zamana bada achha tha na koi milne wala tha‚ na koi majma hota tha aur na koi Wah Wah karne wale hote the. Bas me tha aur mera Parwardigar tha.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'63۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.3 ↴ ↴
★ AAJIZI WA INKISARI★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ TAWAZA KI NISHANIYAN۩
┣━─• ulma ne tawaza ki 3 nishaniyan batai hain.
1- tawaza ki pehli nishani ye hai ke wo apne badon se kisi kaam me baghawat na kare. Agar bade koi bat kehden to us par aameen keh de Aur jo badon ki bat radd karde ye uske takabbur ki alamat hai. Halanki hadees pak me aya hai: "BARKAT BADON KE SATH REHNE ME HAI."
2- Dusri nishani ye hai ke choton se haqarat se pesh na aye balke izzat ke sath pesh aye. Wo ghulam nahin hain balke Deen ki khatir muhabbat aur aqeedat rakhne wale log hain.
3- teesri nishani ye hai ke insan shohrat se ijtenab kare uske apne dil me ye bat ho ke mujhe shohrat nahi chahiye....
(continue in next part
in sha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'64۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.3 ↴ ↴
★ AAJIZI WA INKISARI★
★☆☆☆☆☆☆★
┣━─•Fawaid annoor me hai ke ek martaba Hazrat khwaja nizamuddeen aoliya rh.alaih se unke ek khalifa ne pucha: Hazrat! Maine dekha hai ke kuch log apni zindagi me bhot mashhoor hote hain unka bada naam aur charcha hota hai aur jese hi wo marte hain logon ki yad daasht se unka naam hi nikal jata hai aur unko koi yad hi nahi karta.
•aur kuch logon ko mene dekha hai ke wo zindagi me to itne mashhoor nahi hote lekin jese hi unki wafat hoti hai unka naam aesa mashhoor hota hai ke logon ke dilon me unki mohabbat ajati hai aur use bada yad karte hain. Iski kya wajah hai??
┣━─•Khwajah nizamuddeen rh.alaih ne iska jawab dete hue irshad farmaya:
" jo shakhs duniya me ye chahega ke mujhe pehchana jaye‚ meri ta'areef ki jaye‚ mujhe bada samjha jaye. Wo shakhs jese hi marega ALLah ta'ala uske naam ko mita denge aur jo shakhs duniya me apne apko mitayega‚ apne ap ko chhota samjhega aur apne andar tawaza peda karega‚ jese hi wo marega ALLah ta'ala logon ke dilon me uski mohabbat dal denge."
(Continue in next part
In sha ALLah)
® reference:
( QALBI SAFAI KE LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'65۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.3 ↴ ↴
★ AAJIZI WA INKISARI★
★☆☆☆☆☆☆★
┣━─• imam shafai rh.alaih farmate the ke tawaza ki wajah se ALLah ta'ala logon ke dilon me us Bande ki muhabbat ka beej dal dete hain. Agar koi is baat par naaz kare ke mere mutaalliqeen ya mureedeen bahut zada hain to yad rakhen ke shaitan se zada to kisi ke bhi mureed nahi hain agar kasrat ko dekhna hai to shaitaan sabse bada peer hai. Asal to ye hai ke insan apne apko ALLah rabbul izzat ki nematon ka mohtaj samjhe.
┣━─•reh gai shohrat... wo to filmy adakaron‚ khiladiyon aur madariyon ko bhi hasil hoti hai wo bhi bade mashhoor hote hain. Lekin hame to ALLah rabbul izzat ki nazar me izzat matloob hai isliye hame chahiye ke ham dusron se Wah Wah ki tawaqqa na rakhen. Asal Qubuliyat ye hai ke insaan ULma me pehle maqbul ho aur fir awam ki taraf uski Qubooliyat jaye. Baaz log awam me bade maqbool hote hain lekin ULma me nahi hote hain‚ is Qubuliyat ki koi hesiyat nahi hai.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'66۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.3 ↴ ↴
★ AAJIZI WA INKISARI★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ MOLANA MOHAMMAD QASIM NANOTVI RH.ALAIH KA EK SABAQ AMOZ WAQEYA۩
┣━─• Hazrat molana mohammad Qasim nanotvi rh.alaih Deene islam ki wakalat karne ke liye shahjahan pur tashreef lejate the. Wahan isai bhi ate the aur Hindu bhi. Wahan sab log apne apne mazahib ke bare me Taqreer karte the.
┣━─• Ek martaba Hazrat Nanotvi rh.alaih wahan taqreer karne ke liye ghar se rawana hue. Wahan ke log HaZrat ke istaqbal ke liye tayari karrahe the lekin Hazrat rh.alaih train par gaye aur us shaher se pehle wale station par utar gaye kyunke unhen khayal aya ke hosakta hai ke log istaqbal ke liye ikatthe hokar ayen aur me istaqbal ke qabil nahi hun. Chunanche aapne baaqi 9-10 kilo meetar ka safar pedal tay karliya‚ jab HaZrat rh.alaih shaher me pohche to wahan ek saraye me Hazrat rh.alaih ne ek kamra le liya aur wahan theher gaye aur socha ke me kal majma me pahoch jaunga....
(Continue in next par
In sha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'67۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.3 ↴ ↴
★ AAJIZI WA INKISARI★
★☆☆☆☆☆☆★
┣━─• wo log unka istaqbal karne ke liye station par pohche lekin jab train station par pohchi to Hazrat rh.alaih ko na paa kar pareshan hogaye. Station par koi banda bhi aesa nahi tha jo Hazrat ke baare me batata‚ bilaakhir kisi ne kaha ke hosakta hai ke Hazrat kahin shaher me na aye hue hon. Shaher se bhi Hazrat rh.alaih ka koi pata na chal saka‚ ek Aadmi ne kaha ke mai zara saraye se pata karta hun.
┣━─• chunanche jab usne wahan jakar musafiron ke naamon ki fehrist dekhi to wahan khursheed Hasan ka naam tha. Usne pehchan liya ke ye Hazrat hi honge‚ chunanche usne hotel wale se pucha ke yahan is kamre me kon hai?? Usne kaha ke ek Molana hain wo halke fulke aur Duble patle se hain‚ usne kaha han bas wahi hain.
┣━─• jab kamre me gaya to wahan Hazrat tashreef farma the‚ usne kaha Hazrat! Ham to apke istaqbal ke liye station par gaye the. Farmane lage me isiliye to wahan aya nahi ke me istaqbal ke qabil nahi hun‚ kuch der baten hoti rahin uske bad Hazrat rh.alaih ne ek aesi ajeeb bat kahi jo sone ki roshnai se likhne ke Qabil hai.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'68۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.3 ↴ ↴
★ AAJIZI WA INKISARI★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ MOLANA HUSAIN ALI RH.ALAIH KI AJIZI۩
┣━─• miyanwali ke ilaqe "waan bhichran" me ek buzurg guzre hain unka naam molana Husain Ali rh.alaih ths. Wo bade hi saada Aadmi the. Unki sadgi ko dekh kar log samajhte the ke shayad ye koi dehati banda hai. Ek martaba multaan me ek jalsa me bayan hona tha us jalse me ameere shariat Hazrat molana Ata'ulaah shaah Bukhari rh.alaih Ko bhi dawat di gayi thi. Hazrat shaah sahab rh.alaih ki wajah se majma bhot zada tha‚ masla ye bana ke jalsa shuru hone ka waqt qareeb tha aur Hazrat abhi pohche bhi nahi the‚ log talash me nikal khade hue ke kya hua‚ hamne Hazrat ka istaqbaal karna tha lekin wo abhi pohche hi nahi. Talash karte hue ek masjid me gaye to dekha ke Hazrat masjid me namaz padh rahe the. Pucha' Hazrat! Aap kahan se aye hamne to apka istaqbal karna tha. Farmaya mai isiliye saadgi ke sath agaya hun ke mai istaqbaal ke qabil nahi hun...
(Continue in next part
In sha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'69۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.3 ↴ ↴
★ AAJIZI WA INKISARI★
★☆☆☆☆☆☆★
┣━─• jab Hazrat bayan ke liye bethe to irshad farmaya: (aye logon misalen bayan ki jati hain‚ pas unhe ghor se suno)
Hazrat rh.alaih ne aese darde Dil se ye ayat padhi ke majma ke har bande ke dil me Toheed ka maza agaya baad me Hazrat Ata'ullaah shah bukari rh.alaih ne apni poori taqreer isi ayat par ki ke farmaya ke dekho ALLah wale ek choti si ayat padhte hain aur majma ke dilon ko tadpa kar rakh dete hain.
★Subhan ALLah! Tabiyat me tawazo dekho aur aage Faiz dekho.★
┣━─• "me ne 2 lafz padh liye hain‚ jiski wajah se duniya pehchan gai warna Qasim pne apko aese mitata ke kisi ko pata hi na chalta." ALLah ta'ala ne inko isi tawaza ki wajah se aesi izzat se nawaza ke jahan ilm ka naam ayega wahan Qasim nanotwi rh.alaih ka naama zarur ayega. Isi liye ye dua sikhai gai.
"ALLAAHUMMAJ ALNEE FEE AINEE SAGHEERAW WAFEE A'YUNINNAASI KABEERA."
اللھم جعلنی فی صغیرا وفی اعین الناس کبیرا.
(Aye ALLah! Mujhe apni nigah me chhota banade aur logon ki nigah me bada bana de.)
★yani log bada samjhen‚ jab log bada samjhenge to Deen ki bat bhi sunenge aur us bat par amal bhi karenge. Yahi tawaza hai ke insan apni nazar me chhota ho aur logon ki nazar me bada ho.★
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'70۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.3 ↴ ↴
★ AAJIZI WA INKISARI★
★☆☆☆☆☆☆★
۩LOGON SE TAREEF KI TAWAQQA NA RAKHEN۩
┣━─• kisi ne ek Buzurg se pucha: Hazrat! Me to apni tareef ki tawaqqa nahi rakhta magar log tareef karte hain. Famaya; agar tumhare dil me tawaqqa nahi hoti aur log tareef karte hain to ALLah ta'ala ne tumhe jo ajr Akhirat me dena hai‚ uska muqadma hai jo duniya me ALLah ta'ala de dete hain.
Sayyada Ayesha siddeeqa rz.anha ne farmaya: "MAN TALABA MUHAAMIDANNAASI BIMUA'SILLAAHU AADU HAAMIDAHU LAHUU ZAAMAN"
من طلب محامد الناس بمعاصی اللہ عاد حامدہ لہ ذاما.
(jo gunahon ke zariye logon se tareef chahta hai‚ ALLah ta'ala logon ke dilon me uski nafrat ko bhar dete hain.)
┣━─•kisi ne Faqeeh AbuLLais smarQandi rh.alaih se pucha Hazrat! Ikhlas kise kehte hain?? Farmaya' kya tum ne kabhi bakriyon ke charwahe ko dekha hai. Arz kiya' Hazrat! Dekha hai. Farmaya: jab wo bakriyon ke darmiyan me khada hokar namaz padhta hai to kya uske Dil me tawaqqa hoti hai ke bakriyan meri tareef karengi?? Kaha ji nahi uske dil me to koi tawaqqa hi nahi hoti ke bakriyan meri tareef karengi. Farmaya: jis tarah charwaha bakriyon ke darmiyan beth kar ibadat karta hai aur wo bakriyon se Be tam'a hota hai isi tarah momin logon ke darmiyan beth kar ALLah ki ibadat karta hai mgar inse tareef ke bare me Be tam'a hota hai‚ qk wo janta hai ke logon ki khushnudi makdi ke jale ki tarah hoti hai.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'71۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.3 ↴ ↴
★ AAJIZI WA INKISARI★
★☆☆☆☆☆☆★
۩QARI MUHAMMD TAYYAB RH.ALAIH KI AJIZI۩
┣━─• ek martaba Hazrat murshide Aalam rh.alaih ki mulaqat Qari muhammad tayyab sahab rh.alaih se hui‚ Hazrat Qari sahab bahot bade AaLim the‚ shaklo soorat ke aetebar se bhi bahot hi khoobsurat‚ nafees aur nazuk badan the. Hamare Hazrat rh.alaih ne unko haram me dekha unka chehra chamak raha tha Hazrat murshide Aalam rh.alaih unko dekh kar hairan hue. Hazrat rh.alaih farmate hain ke mene milne ke bad pucha: Hazrat! Aapne ye chehra kese banaya?? Jese hi mene ye sawal pucha Qari sahab foran kehne lage;
"Ye mene nahi banaya balke mere shaikh ne banaya hai."
★Dekhen; unhone is achhai ki nisbat apni taraf nahi ki balke apne shaikh ki taraf ki. Ye tawaza hai aur agar apni taraf nisbat kare ke mene kiya‚ ye mera tajurba hai‚ me itna samajhdar hun to bas fir insaan khatre me hota hai.★
(Continue in next part
In sha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'72۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.3 ↴ ↴
★ AAJIZI WA INKISARI★
★☆☆☆☆☆☆★
┣━─• ek bachhe ko Baap ne padne ke liye bheja. Jab wo wapas aya to bap ne pucha' Beta! Aj ustaz ne kya sabaq padaya? Bachhe ne kaha' ji ustaz ne padaya ke "ALi(ا)f khaali hoti hai." Hamare zamane me aese hi padaya karte the ke ALif(ا) khali‚ Baa(ب) ke niche ek nuqta‚ Taa(ت) ke upar 2 nuqte. Huroof ki pehchan karwane ke liye isi tarah padate the. To bachhe ne kaha ustad ne padhaya ke Alif(ا) khali hota hai. Waqai jo Alif ki tarah ban ke rehta hai wo faiz se khali rehta hai aur jo jhukta hai ALLah rabbul izzat us par rehmat farma dete hain. Ap Zara ghor karen ke alif khadi khadi nazar ati hai aur Baa leti leti nazar ati hai lekin Baa ko wasli kehte hain‚ wasli ka matlab ye hai ke ye ek dusre ke sath jod deti hai. Maaloom hua ke jiske andar jhukao hota hai ALLah ta'ala bhi use bandon ko ALLah ke sath jodne ke liye Qubool farma kar uske faiz ko jari farma dete hain.
♥ALLah ta'ala hame tawaza wali nemat farmade hame takabbur se bachne ki tofeeq ata farma de. Aameen♥
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'73۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.3 ↴ ↴
★ AAJIZI WA INKISARI★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ABDAAL KA MAQAAM KESE MILA۩
┣━─• Hazrat Baayazeed Bastami rh.alaih abdaal ke maqam par kese fayez hue?? Farmaya ke ek martaba ahle sheher ne kaha ke kaafi din hue hain barish nahi hui‚ lagta hai ke sheher me aesa koi gunahgar hai ke jiske gunahon ki wajah se ALLah ta'ala ne rehmat ki barish ko roka hua hai. Farmaya ke abhi wo baten kar hi rahe the ke me ne dil me socha ke Bayazeed ab tumhe is sheher me rehne ka koi haq nahi‚ tum hi wo gunahgar ho jiski wajah se ALLah ta'ala ne apni rehmaton ko roka hua hai. Mai apne apko pure ahle sheher me se sabse kamtar smajh kar sheher se bahar nikal gaya. Mere malik ne meri ajizi ko qubool karke mujhe Abdaal ka maqaam ata fama diya.
♥subhan ALLah♥
★Dekha' ham hote to kehte ke mere siwa sab gunahgaar hain. Sachhi bat yahi hai ke jo apne ko kamtar samjhte hain ALLah ta'ala unhi ko bartar bana liya karte hain.★
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'74۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.3 ↴ ↴
★ AAJIZI WA INKISARI★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ JAHANNAM KI AAG HARAM HOGAI ۩
┣━─• Hazrat Bayazeed bastami rh.alaih ke Daur me ek admi fot hua‚ kisi ko khwab me nazar aya‚ usne pucha achha sunaiye kya muamla bana?? Kaha ke ALLah ta'ala ne meri bakhshish kardi. Usne pucha nekiyan qubool hogain?? Kehne laga nahi' ek chhota sa amal qubool hogaya. Usne kaha ke batao to sahi wo konsa amal hai' kehne laga ek martab Hazrat Bayazeed Bastami rh.alaih ja rahe the me unko pehchanta janta nahi tha kisi ne mujhse kaha ke dekho ALLah ta'ala ka ek wali jaraha hai mene unko ALLah ka wali samajh kar dekha tha. Rabbe kareem ne farmaya ke tum ne mere ek pyare ko mera pyara samajh kar dekha tha‚ us nigah ke badle hamne tum par jahannam ki Haraam kardi.
★jab apne ap ko itna kam tar samjha to ALLah ta'ala ne wo maqam ata farmaya ke unke chehre par koi mohabbat ki nazar dalta tha to ALLah ta'ala unke gunahon ki bhi maghfirat farma diya karte the.★
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'75۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.3 ↴ ↴
★ AAJIZI WA INKISARI★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ KHWAJA FAZAL ALI QURESHI RH.ALAIH KI TAWAZA ۩
┣━─• ye bat Dil ke kano se suniyega. Hazrat khwaja fazal ali Qureshi rh.alaih ek martaba mehfil me tashreef laye aur farmane lage‚ Faqeeron! Log mutawajjah hogaye ke Hazrat kuch kehna chahte hain. Fir farmaya' faqeeron! Aur fir chup ho gaye‚ sochte rahe‚ baat shuru hi nahi ki aur soch kar kehne lage ek dafa mere pet ke andar bahot reeh peda hogai aur wo nikalti nahi thi pet me shiddat ka dard hua' hatta ke me to zameen par lot pot hone lag gaya. Mujhe to Din me taare nazar ane lag gaye.
┣━─• log heran hue ke peer sahab logon ko mutawajja karke kya Qissa suna rahe hain. Bhala koi sunata hai kisiko ke mere pet me reeh peda hogai aur nikalti nahi thi aur dard ki wajah se me lot pot hone laggaya. Hazrat maze maze se waqiya suna rahe the farmane lage ke meri to ye halat thi lagta tha ke shayad meri jaan hi nikal jaye. Itne me mere jism se reeh kharij hui aur ALLah ta'ala ne mujhe sukoon ata farmadiya.....
(Continue in next part
In sha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'76۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.3 ↴ ↴
★ AAJIZI WA INKISARI★
★☆☆☆☆☆☆★
┣━─• Log heran the' fir farmane lage faqeeron! Jo admi jism se gandi hawa ke nikalne ka mohtaj ho kya wo kabhi koi bada bol bol sakta hai. Logon ne kaha Hazrat! Wo to nahi bol sakta. Farmaya' acha me tumhe ek bat batata hu" ab wo bat batai jo ibteda me batana chahte the. Farmaya mujhe aaj rat khwab me Nabi Akram صل اللہ علیہ وسلم ki ziyarat naseeb hui aur Aap صل اللہ علیہ وسلم ne irshad farmaya: Fazal Ali Qureshi! Tune muttabae sunnat logon ki aesi jama'at tayar ki hai ke is waqt poori duniya me kahin bhi aesi jama'at mojud nahi hai.
┣━─• Nabi Akram صل اللہ علیہ وسلم se Basharat kya mili!!! Magar batane se pehle mamla hi saaf kardiya ke kahin ajab aur takabbur ki baat hi na aye.
★Dekha hamare mashaikh ka ye tareeqa raha hai. ALLah rabbul izzat ke yahan itni maqbooliyat ke ALLah ke mehboob صل اللہ علیہ وسلم bata rahe hain ke Fazal ali Qureshi rh.alaih! Jese muttabae sunnat logon ki jama'at tune tayar ki aesi jama'at is waqt duniya me mojud nahi. magar ajizi aesi ke isko batane se pehle apne bare me aesi bat karte hain take nafs ke andar koi ajab aur takabbur peda na hojaye.★
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'77۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.3 ↴ ↴
★ AAJIZI WA INKISARI★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ TASNA'A SE BACHNE KI FIKAR۩
┣━─•Ek martaba Hazrat Qureshi rh.alaih india me Darul uloom Deoband tashreef le gaye. Safar ki wajah se unke jism me thakawat ke aasar the‚ kapdon par mitti bhi pad gai thi. Chunanche Hazrat Siddeeqi rh.alaih ne arz kiya' Hazrat! Abhi log ap se mulaqat ke liye ayenge‚ Talaba bhi ayenge‚ unme apka bayan bhi hoga‚ isliye aap se darkhwast hai ke unke aane se pehle pehel aap kapde tabdeel farma len. Hazrat ne farmaya: "tu mujhe tasna sikhata hai"??
Agar Hazrat rh.alaih yun baat karte ke Hazrat! Safar ki wajah se aap ki tabiyat me thakawat hai‚ kapde maile hain aap zara naha lijiye aur saaf kapde pehen lijiye aap ki tabiyat bahaal hojayegi to Hazrat ye kaam kar lete.....
(Continue in next part
In sha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'78۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.3 ↴ ↴
★ AAJIZI WA INKISARI★
★☆☆☆☆☆☆★
┣━─• choonke unhone ye kaha ke asaatza aur talaba ne ana hai isliye aap kapde badal lijiye‚ Isliye Hazrat ne taalte hue jawab diya ke tu mujhe tasna'a sikhata hai. Chunanche Hazrat usi tarah bethe rahe‚ usi halat me sabse mulaqat ki. Jab sab log mulaqat karke apne kamron me chale gaye to Hazrat Qureshi rh.alaih ne farmaya' kahlifa sahab Lao apki bat bhi maan leta hun‚ mujhe kapde tabdeel karwado. Chunanche us waqt Hazrat ne naha kar kapde tabdeel karliye.
♥andaza lagaiye ke ek chota sa amal tha magar wo bhi ALLah ki raza ke liye karna to gawara tha magar makhlooq ke liye karna gawara nahi tha.♥
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'79۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.3 ↴ ↴
★ AAJIZI WA INKISARI★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ HAZRAT MOLANA ABDUL GHAFOOR RH.ALAIH KI AJIZI KA WAQIYA ۩
┣━─• Hazrat khwaja fazal Ali Qureshi ki khanqah miskeen pur shareef me dur daraz se Saliqeen akar qayaam karte the aur Tazkiye nafs aur Tasfiya Qalb ki mehnat karte the. Aam tor par ye Hazraat jab fajir ke waqt Qazaye hajat ke liye basti se bahar weerane me jate to wapsi ke waqt kuch khushk lakdiyan bhi utha kar laate. Hazrat molana Abdul ghafoor madni rh.alaih ki adat shareefa thi ke lakdiyon ka bahot bada gathra sar par utha kar late. Maqami log itna bada gathra dekhkar heran hote aur apas me tanzo mazah karte.
┣━─• ye bat kisi Zariye se Hazrat Qureshi rh.alaih ko pahochi to Hazrat rh.alaih ne Hazrat molana Abdul Ghafoor madni rh.alaih ko bula kar farmaya' Molana! Ap itna bada gathra sar par na laya karen bas thodi si lakdiyan bhi le ayenge to kaare khair me shirkat ho jayegi. Hazrat molana Abdul ghafoor madni rh.alaih ne arz kiya‚ Hazrat mujhe isme koi mashaqqat nahi uthani padti‚ mai apne shoq se le ata hun.
┣━─• Hazrat Qureshi rh.alaih ne farmaya molana! Yahan ke maqami log jahil hain ye log apki Qadar nahi jante lehaza apke bare me ulti seedhi baat karte hain‚ Hazrat molana madni rh.alaih ne pucha Hazrat! Akhir kya baten karte hain? Farmaya ke molana! Jab aap itna bada gathra sar par laa rahe hote hain to ye log aapki taraf ishara karke kehte hain Dekho peer Qureshi ne khurasaan se gadha mangwaya hai. Hazrat molana abdul Ghafoor madni rh.alaih ne foran kaha Hazrat! Ye log mujhe pehchante hain isiliye gadha kehte hain.
❤subhan Allah!! Tawaza ka kya aalam tha.❤
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'80۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.3 ↴ ↴
★ AAJIZI WA INKISARI★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ JO DIL SE JHUKA MAKHLOOQ JHUKI ۩
┣━─• hamne dekha hai ke in ALLah walon ke pass bade bade log ate hain aur Dast basta khade hote hain‚ ye muamla isliye hota hai ke ALLah wale ALLah ta'ala ke samne Dilo jaan se jhuk jate hain aur fir makhlooqe khuda unke saamne Bichti jati hai. Jis tarah paani unchai se nichai ki taraf aata hai isi tarah jo banda nicha hokar dikha deta hai to fir Rahmate ilaahi bhi uski taraf tezi se aati hai aur us mitne wale shakhs ko ALLah ta'ala buland farmadete hain.
Hadees mubaraka hai ke: (jo shakhs ALLah ta'ala ke liye tawaza ikhtiyar karta hai‚ ALLah ta'ala use bulandi ata farma dete hain.)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'81۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.4 ↴ ↴
★ZOHAD AUR ISTIGHNAA★
★ KI ZINDAGI GUZARIYE ★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ ZOHAD KA LAGHWI WA ISTELAAHI MA'ANA ۩
┣━─• Nabi صل اللہ علیہ وسلم ne farmaya:
"Aur zohad mera pesha hai."
Ahle lughat ke nazdeek zohad "adme raghbat" ko kehte hain. Jab kisi chiz me insaan ki raghbat na rahe to goya wo us chiz se zahid hogaya. Jese Qafile walon ko Hazrat yusuf alaihissalaam ke rakhne me chandaan dilchaspi nahi thi. Qur'aan majeed me hai ke: "AUR WO THE ISSE BEZAAR"
Chunanche unhone Hazrat yusuf alaihissalaam ko chand khote sikkon ke badle me aone pone bech diya to is Beraghbat hone ki kefiyat ko zohad kehte hain. Isi tarah wo chhoti si chiz jo Qabile iltefaat na ho us ke liye bhi ye lafz istemaal hota hai.
Istelaahi shari'ah me Duniya aur iske maalo maal se beraghbat hona zohad kehlata hai.
۩ HURFAA KA MATLAB ۩
┣━─• Hurfa us kaam ko kehte hai Jiske zariye insaan amdani hasil karta hai. Nabi صل اللہ علیہ وسلم ne zohad ko apna pesha irshad farmaya‚ farmaya: "ZOHAD MERA PESHA HAI." yaani me apni zarurton ko itna kam karleta hun ke yahi mera pesha ban gaya hai.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'82۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.4 ↴ ↴
★ZOHAD AUR ISTIGHNAA★
★ KI ZINDAGI GUZARIYE ★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ ZOHADE SHARIYAT‚ ZOHDE TAREEQAT‚AUR ZOHDE HAQEEQAT ۩
┣━─• imaam Ahmed bin Hambal rh.alaih se kisi ne pucha‚ Hazrat! Zohad kise kehte hain? Farmaya: zohad ke mukhtalif darjaat hain. Ek hai Awaamunnas ka zohad‚ wo ye ke insaan ALLah ki khatir haraam ko chhod de. Fir farmaya ke jo zarurt-zindagi se zaid chizen hain un se be raghbat hojana‚ khawas ka zohad hai. Aur wo chizen jo insan ki tawajjah ALLah se hata kar apni taraf karti hain‚ agarche khilafe sharah nahi unko chhod dena khawas ka zohad hai.
★→zohde shariyat ye hai ke asbab se nazren hata kar musbib ki taraf nazren jamao‚
★→zohde tareeqat ye hai ke apni nigahen ghair se hata kar apne ALLah par jamao‚
★→zohde haqeeqat ye hai ke insaan apni khudi yani apni "mai" ko itna mitaye ke bas ek ALLah ke siwa kuch bhi na rahe.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'83۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.4 ↴ ↴
★ZOHAD AUR ISTIGHNAA★
★ KI ZINDAGI GUZARIYE ★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ MOHTAJI KO KAM KARNE KA NUSKHA ۩
┣━─• ulama ne 2 baten likhi hain. Wo farmate hain ke mohabbate duniya insan ke liye "halaak karne wali chizon" me se hai. Aur tarke lazzate duniya insaan ke liye "nijat dilane wali chizon me" se hai. Ham sab hajat mand hain duniya ka koi bandah aesa nahi jis ke sath hajat na lagi hui ho. Kisi ke sath kam aur kisi ke sath zada. Isi liye ALLah ta'ala ne irshad faemaya: "AYE INSAANO TUM SAB FAQEER HO."
®→(فاطر:15)
┣━─• Faqeer usi ko kehte hai. Jo ghair ka mohtaj ho aur ghani usko kehte hain jo ghair ka mohtaj na ho. ALLah ta'ala ghani hain aur ham sab mohtaj hain. Ab is mohtaji ko kam karne ka ek tareeqa ye hai ke insaan apni arzuon ko kam karle jab arzuwen badh jati hain to fir insaan ke andar hirs ki bimari ajati hai aur hirs ka ilaj Qabar ki mitti ke siwa aur kuch nahi. Hadees pak me aya hai ke Harees admi ko agar ek jangal sone ka bana hua diya jaye to wo tamanna karega ke mujhe ek aur jangal bhi sone ka mil jaye. Zahir me dekhen ke pet itna chhota hai ke 2 rotiyon se bhar jata hai aur haqeeqat me dekho ke ye Qabar ki mitti ke siwa kisi chiz se bharta hi nahi.
┣━─• arbon pati banda bhi 2 rotiyan hi khata hai duniya daar log jo apne sar par zada bojh ikattha kar lete hain iska kya fayeda?? Kuch log maldar hote hain aur kuch maal ke chokidar hote hain. Maldar wo hota hai jisko ALLah ta'ala ne khub diya aur fir wo ALLah ke raste me khub kharch karta hai aur wo banda jisko maal mile aur wo usko jama kare aur fir apna bank balanc chek karta rahe wo maal dar nahi balke maal ka chokidar hota hai‚ jama ye karega aur ayyashi uski aulaad karegi aur Qayamat ke din hisaab isko dena padega.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'84۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.4 ↴ ↴
★ZOHAD AUR ISTIGHNAA★
★ KI ZINDAGI GUZARIYE ★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ JAHANNAM ME AURTON KI TADAAD ZADA KYUN?? ۩
┣━─• Hadees pak me aya hai ke jannat me aurton ki ta'adaad kam hogi aur jahannam me zada hogi. Pucha gaya ke inki ta'adad jannat me kyun kam hogi to farmaya: (INKO 2 CHIZON NE APNI TARAF KHINCH LIYA).
wo kya chizen hain farmaya: (SONA AUR ZA'AFRAAN).
In 2 chizon ki surkhi ne inko apni taraf mutawajjah kar liya hai. Aam mushahida bhi yahi hai ke wo in chizon me lag kar Akhirat se ghafil hojati hain. Aaj ki ek aam aurat ki zindagi aesi hi hai. bas usko meching ka kapda chahiye wo pura din shoping karti firegi. Wo dar dar jin dukano ke chakkar isliye lagayegi ke mujhe isse milta julta dusra kapda mil jaye.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'85۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.4 ↴ ↴
★ZOHAD AUR ISTIGHNAA★
★ KI ZINDAGI GUZARIYE ★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ ZAHIDON KI MOT KE MANAZIR ۩
┣━─• Zahido ki ek khas khubi ye hai Ke iske liye mout bahut hi aasan ho jati hai, kyunki inka dil to duniya se pehle hi kata hota hai. isliye inke liye aage jaana aasan hota hai. Misal ke tour par:
★→"Hazrat khwaja fareeduddeen ata rh.laih farmate hain ke mere pas ek budha aaya us waqt me apne itar ki dukan par betha tha‚ dukan me itar ki choti choti shishiyan pafi thin. Usne aakar un shisihyon ko bade ghor se dekha‚ me ne pucha baba ji! Aap kya dekh rahe ho? Us ne kaha me ye dekh raha hun ke tumhari jaan itni shishiyon me atki hui hai' woh inme se kaise nikle gi.
┣━─• me to jawan tha. Me ne jab uski baat suni to mujhe ghussa aagaya or me ne kehdiya jaise aapki jan niklegi waise meri bhi nikle gi.Usne kaha' acha! meri jaan to aese niklegi, woh budha wahin let gaya aur apne uper chadar lekar kehne laga:
"LAA ILAAHA ILLALLAAH MOHAMMADUR RASOOLULLAAH."
(Continue in next part
in sha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'86۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.4 ↴ ↴
★ZOHAD AUR ISTIGHNAA★
★ KI ZINDAGI GUZARIYE ★
★☆☆☆☆☆☆★
┣━─• Fir jab maine uthkar use dekha to wo faut ho chuka tha. Mere dil par usi waqt chot padi ke waqai jin logon ne mehnat ki hoti hai unko yun hi maut aati hai‚ Is waqiye ke baad hazrat khwaja Fariduddin ata Rh.Alaih ki zindagi badli aur fir wo bade buzurg bane Aur baad me unhone "Tazkiratul Awliyah" kitab likhi...
★→Hazrat suri saqti rh.alaih farmate hain ke ek martaba ham bethe hue the. Ek faqeer hamare pas akar kehne laga' yahan koi achhi jagha hai jahan insan mar sake?? Qareeb hi ek kuwan tha. Hamne kaha wo kuwen ke Qareeb achhi jagha hai. Jese hi usne hamara ye jawab suna usne wahan wuzu kiya aur 2 raka'at nafil padh kar let gaya. Hamne wahan jakar dekha to wo fot ho chuka tha.
★→Imam Ghazali rh.alaih ne ek din fajir ki namaz ke bad apne liye kafan ka kapda mangwaya‚ jab kapda laya gaya to unhone use bosa diya aur ankhon par rakha aur fir farmane lage: "Badshah ki khidmat me hazri ke liye badi khushi se tayyar hun."
Ye kehne ke bad ap Qibla rukh hokar let gaye aur is halat me unki rooh Qafse Ansri se parwaz kar gai.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'87۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.4 ↴ ↴
★ZOHAD AUR ISTIGHNAA★
★ KI ZINDAGI GUZARIYE ★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ ZAHID KE 3 IN'AMAAT ۩
┣━─• Ek Buzurg farmate the ke zahid ko ALLah ta'ala 3 inamaat farmate hain.
★→uske dil me ma'arfat ata farmate hain.
★→uski zaban se hikmat bhari baten nikalti hain.
★→uske liye mot ke waqt asani farmadete hain.
۩ ZAHID KI 2 RAKA'AT KA MAQAM ۩
┣━─• Ek Buzurg farmate the ke zahid ki 2 raka'at aam Bande ki sari se zada ajar wali ban jati hain yani dusra banda apni sari zindagi me jo amal karta hai usko wo ajar nahi milta jo zaahid bande ko 2 raka'at ada karne par ALLah ki taraf se mil jata hai.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'88۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.4 ↴ ↴
★ZOHAD AUR ISTIGHNAA★
★ KI ZINDAGI GUZARIYE ★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ ZOHAD KI MISAAL ۩
┣━─• Imam Ghazali rh.alaih ne zahid ki ek achhi misal di hai. Wo farmate hain ke ek banda Badshah ke darwaze par mulaqat ke liye hazir hona chahta hai. Uske raste me kutta betha hua hai ab wo kutta bhonkta hai aur use aage nahi jane deta. Us bande ke hath me 2 haddiyan hain wo us kutte ke samne fenk deta hai to kutta usi me mashghul ho jata hai aur uski jaan chhut jati hai‚ jiski wajah se use badshah ke darbar me hazri naseeb ho jati hai.
┣━─•farmate hain ke ye duniya haddi ki manind hai aur shaitan ALLah rabbul izzat ke raste me mojud kutte ki manind hai ye kutta hame uljhata hai aur hame aage badhne nahi deta‚ tum bas duniya ki haddi uske samne daldo aur duniya se beraghbat ho jao ye isi ke andar ulajh jayega aur tumhe ALLah ka Qurb naseeb ho jayega.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'89۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.4 ↴ ↴
★ZOHAD AUR ISTIGHNAA★
★ KI ZINDAGI GUZARIYE ★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ ZOHAD KE ANDAAZ ۩
┣━─• Zohad 3 tarah ka hota hai.
1- Khaifeen ka zohad:
Kuch log Jahannam ke azaab se dar kar chhod dete hain ise khaifeen ka zohad kehte hain.
2- Rajbeen ka zohad:
Baaz log Jannat ki tamanna me museebat ko chhod dete hain ta ke Jannat ke ummidwar ban jayen‚ unka ye darna rajbeen ka zohad kehlata hai.
3- Muhibbeen ka zohad:
Ye un logon ka zohad hai jo ALLah ki muhabbat me har taraf se be raghbat ho chuke hote hain.
♥"DO AALAM SE KARTI HAI BEGANA DIL KO
AJAB ZHEEZ HAI LAZZATE AASHNAAI♥"
★Abu sulemaan daaraaji rh.alaih farmate hain ke jo chiz ALLah se dur karde use tark karna zohad kehlata hai.★
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'90۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.4 ↴ ↴
★ZOHAD AUR ISTIGHNAA★
★ KI ZINDAGI GUZARIYE ★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ HAZRAT FAROOQE AAZAM RZ.ANHU ZOHDO QANA'AT KE REHBAR ۩
┣━─• Hazrat Umar Farooq rz.anhu ki guzran bahot mushkil thi. Hazrat Ali rz.anhu aur chand dusre sahabae kiraam bhi the unhone milkar mashwara kia ke Ameerul mumineen Hazrat Umar Farooq rz.anhu ko Baitul maal se bahut kam mushahra milta hai use badhana chahiye. Sabne mashwara kar liya ke itna badhana chahiye lekin sawal ye peda hua ke Ameerul mumineen ko kon bataye. Iske liye koi tayar na hua.
┣━─• mashware me tay paya ke ham Ummul mumineen Hazrat Hafsa rz.anha ko is mashwara se aagah kar dete hain aur wo apne walid mohtram ko ye bat bata dengi. Chunanche unhone sayyada Hafsa rz.anha ko apna mashwara bata diya. Ye bhi kaha ke hamare naamon ka ilm Ameerul mumineen ko na ho....
(Continue in next part
In sha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'91۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.4 ↴ ↴
★ZOHAD AUR ISTIGHNAA★
★ KI ZINDAGI GUZARIYE ★
★☆☆☆☆☆☆★
┣━─• Ummul mumineen Hafsa rz.anha ne ek martaba moqa pakar Ameerul mumineen Umar Farooq rz.anhu ko bataya ke‚ Abba jaan! Kuch hazraat ne ye socha hai ke Ap ka mushahra kuch badha dena chahiye kyunki apka waqt tangi me guzar raha hai. Hazrat umar farooq rz.anhu ne pucha ye kis kis ne mashwara kiya hai?? Unhone kaha me nka naam nahi bataungi. Ye sun kar Hazrat umar rz.anhu ne farmaya: Hafsa rz.anha! agar tu mujhe naam bata deti to me unko aesi saza deta ke unke jismon par nishan pad jate ke ye log mujhe duniya ki lazzaton ki taraf maail karna chahte hain aur farmaya: ke Hafsa! Tu mujhe bata ke tere ghar me Nabi صل اللہ علیہ وسلم ki guzaraan kesi thi? Sayyada Hafsa rz.anha ne jawab me kaha ke mere Aaqa صل اللہ علیہ وسلم ke pas pehenne ke liye ek hi joda tha. Dusra joda geru rang ka tha jo kabhi kisi lashkar ke aane par ya juma ke din pehna karte the.....
(Continue in next part
In sha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'92۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.4 ↴ ↴
★ZOHAD AUR ISTIGHNAA★
★ KI ZINDAGI GUZARIYE ★
★☆☆☆☆☆☆★
┣━─•khajur ki chhaal ka ek takiya tha‚ ek kambal tha jise sardiyon me adha upar aur adha neeche le lete the aur garmiyon me 4 teh karke niche bicha lete the. Mere ghar me kai dinon tak chulhe me aag bhi nahi jalti thi. Mene ek martaba ghee ke dabbe ki talchhat se roti ko chupud diya to Nabi صل اللہ علیہ وسلم ne khud bhi use shoq se khaya aur dusron ko bhi shoq se khilaya.
┣━─•ye sunkar Hazrat Umar Farooq rz.anhu ne farmaya' Hafsa rz.anha! Nabi صل اللہ علیہ وسلم ne ek raste par zindagi guzari. Unke bad ameerul mumineen Siddeeqe akbar rz.anhu ne bhi isi raste par zindagi guzari aur wo apne mehboob صل اللہ علیہ وسلم se mil gaye‚ agar mai bhi isi raste par chalunga to fir mai bhi unse mil sakunga. Agar mera raasta badal gaya to manzil bhi badal jayegi.
★in Hazraat ko ye haqeeqat samajh me achuki thi ke ye duniyawi zindagi khatm hone wali hai isliye wo zarurat ke baqadr duniyawi nematen hasil karte the aur lazzaton ko akhirat ke liye chhod dete the.★
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'93۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.4 ↴ ↴
★ZOHAD AUR ISTIGHNAA★
★ KI ZINDAGI GUZARIYE ★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ HAZRAT FATIMA RZ.ANHA KA ZOHDO FAAQA۩
┣━─•sayyada Fatima rz.anha ko Nabi Akram صل اللہ علیہ وسلم se bahut mohabbat thi. Ek martaba Nabi Akram صل اللہ علیہ وسلم ghar me mojud the‚ sayyada fatima tashreef lain. Aaqa صل اللہ علیہ وسلم ne aapse pucha' ke kese ain? Ap ne apne dupatte ka ek pallu khola uske andar aadhi roti thi‚ apne wo roti Nabi Akram صل اللہ علیہ وسلم ki khidmat me pesh ki aur kaha' Abba jaan! Me apke liye apni taraf se tohfa lai hun. Pucha' Fatima! Kya bat bani hai? Arz kiya‚ Aye ALLah ke Nabi صل اللہ علیہ وسلم! Ham kai dino se bhuke the. Hazrat Ali rz.anhu ne kuch kaam kiya aur aata le kar aaye. Mene rotiyan pakai‚ ek Hasan rz.anhu ne khai‚ ek Husain rz.anhu ne khai‚ ek Ali ne kha li‚ ek roti sayil ko dedi aur ek roti mere liye bachi thi. Abba jaan! Jab Me roti kha rahi thi to dil me khayal aya; Fatima! Tum bethi roti kha rahi ho‚ pata nahi ke tumhare abba Huzoor ko kuch khane ko mila ya nahi mila‚ isliye mene baqiya aadhi roti kapde me lapeti aur Aap صل اللہ علیہ وسلم ki khidmat me le aayi hun. Abba Huzoor! Me apko ye hadiya pesh karrahi hun isko Qubool farma lijiye. Nabi akram صل اللہ علیہ وسلم ne farmaya Fatima! Mujhe Qasam us zaat ki jiske Qabze me meri jaan hai‚ aj 3 din guzar gaye tere Baap ke pet me khane ka koi luqma nahi gaya.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'94۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.4 ↴ ↴
★ZOHAD AUR ISTIGHNAA★
★ KI ZINDAGI GUZARIYE ★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ HAZRAT SAALAM RH.ALAIH KI SHANE ISTIGHNA۩
┣━─• Hamare akabireen par aese aese waqiyaat pesh aaaye hain ke unhe waqt ke Badshaahon ne badi badi jaageeren pesh keen magar unhone apni zaat ke liye kabhi Qubool nahi ki. Hazrat Umar bin khattab rz.anhu ke pote Hazrat saalam rh.alaih ek martaba Harame Makka me tashreef laye. Mutaaf me apki mulaqat waqt ke Badshaah Hashaam bin Abdul malik se hui. Hasham ne salaam ke bad arz kiya' Hazrat! Koi zarurat ho to hukum farmayen ta ke mai apki koi khidmat karsakun. Apne farmaya: Hashaam' mujhe Baitulla shareef ke samne khade hokar ghairullah se haajat bayan karte hue sharm ati hai kyunki adabe ilahi ka taqaza hai ke yahan faqat usi ke samne hath felaya jaye.
┣━─•Hashaam lajawb hogaya. Qudratan jab ap Haram shareef se bahar nikle to Hashaam bhi aen usi waqt bahar nikla‚ apko dekh kar fir wo Qareeb aya aur kehne laga' Hazrat! Ab farmaiye ke me apki kya khidmat kar sakta hun. Apne farmaya: Hashaam batao ne tumse kya mangun‚ Deen ya Duniya?? Hashaam janta tha ke Deen ke maidan me to apka shumar waqt ke ahem tareen buzurgon me hota hai‚ lehaza kehne laga' Hazrat ap mujhse duniya mangen. Apne foran jawab diya ke duniya to mene kabhi duniya ke banane wale se bhi nahi mangi bhala tumse kahan mangunga. Ye sunte hi Hashaam ka chehra latak gaya aur wo apna sa munh lekar reh gaya.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'95۩■■▩═══
★⚄→TADBEER NO.4 ↴ ↴
★ZOHAD AUR ISTIGHNAA★
★ KI ZINDAGI GUZARIYE ★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ TAKHTE KHILAFAT PAR BHI ZAHIDANA ZINDAGI ۩
┣━─•Hazrat Umar bin Abdul Azeez rh.alaih waqt ke khalifa the. 61-hijri me apki wafat ba-sa'adat hui. 99-hijri me jab Sulaiman bin Abdul malik ka inteqal hua‚ us waqt badal nakhwasta khilafat ko Qubool farmaya: 25/rajabul murajjab 101-hijri me sirf 39 ya 40 sal ki umar me inteqal hua‚ 2 saal 5 maah khalifa rahe. (Tarikhe millat:ص 1/650 )
┣━─•ek martaba ap apne kamre me bethe hue the. Apne apni beti ko awaz di ke beti! Mere liye pani ka pyala lao. Kafi der guzar gai magar beti na ayi. Apne fir sakhti se bulaya. Bivi ne akar pucha kya hua? Famaya: mene beti se kaha ke pani ka pyala lao‚ itni der hogai hai wo abhi tak pani ka pyala le kar nahi ayi. Kitni nafarman banti chali ja rahi hai.....
(Continue in next part
In sha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'96۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.4 ↴ ↴
★ZOHAD AUR ISTIGHNAA★
★ KI ZINDAGI GUZARIYE ★
★☆☆☆☆☆☆★
┣━─•Bivi Fatima ne kaha: apki beti nafarman nahi‚ usne jo kapda pehna hua tha (shalwar) wo fat gaya tha. Wo dusre kamre me us shalwar ko utar kar bethi see rahi hai. Usko seene aur pehne baghair wo kese asakti hai.
♥waqt ka khalifa ho aur uski beti ke pass pehenne ke liye sirf ek libas ho. Ye un hukmranon ke Ameen hone ki dalil hai. Isme shak nahi hai ke wo khazano ki kunjiyon ke malik the magar unka ghalat istemal nahi kiya karte the. Shaahi milne ke bawajud unhone faqeerana zindagi ikhtiyar ki hui thi.♥
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'97۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.4 ↴ ↴
★ZOHAD AUR ISTIGHNAA★
★ KI ZINDAGI GUZARIYE ★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ BETE GAWARNOR BAN GAYE ۩
┣━─•Hazrat umar bin Abdul Azeez rh.alaih ke 11 bete the.aap jab wafaat pane lage toh ek aadmi aap ke pass aya or usne kahaa; umar bin Abdul Aziz rah.alaih aap ne apne bachhon ke sath insaaf nahi kiya. aap ne kaha WO kaise??? usne kaha: aap se pehle Jo log hukmraan the unhone toh apni auladon ke liye itni jaydaaden banali, itne laakho dirham wa deenar chhode or apne apni aulaad ke liye kuchh bhi nahi kiya. ye sunkar aapko us waqt ghussa aya or chahere par surkhi zahir hui. aapne farmaya: mujhe zaraa uthaakar bithado. chunanche apko tek lagakar bitha diya gaya, aapne farmaya! Agar mene apni aulad ko neki sikhayi hai toh mere parwrdigar ka wa'ada hai
"وهو يتولي اصاليحين"
"Ke nek logon ka wali khud parwrdigar hota hai".....
(Continue in next part
In sha Allah)
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
BiѕmiLLαHirrαHmαNirrαHeeM
❖═══▩★★★۩ ۩★★★▩═══❖
ROOHANI TADABEER
BY
HAZRAT G PEER
ZULFIQAR AHMAD NAQSHBANDI DB
❖═══▩■■۩PART'98۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.4 ↴ ↴
★ZOHAD AUR ISTIGHNAA★
★ KI ZINDAGI GUZARIYE ★
★☆☆☆☆☆☆★
┣━─•me apne beto ko Allah ta'ala ki sarparasti me chhod kar ja raha hun. agar ye nek nahi hai toh muje bhi parwaah nahi ki unke sath duniya me kya hota hai.
┣━─•Aap to wafaat pa gaye magar imam shafai rh.alih ya isi tarah ki koi or buzurg sakhsiyat thi. woh farmate hain ke mene dekha ke pehle wale hukmaran jinhone, apni auladon ke liye laakho dirham wa dinar chode‚ unki auladon ko dekha ke wo jamiyah masjid k darvaze par bheek mang rahi thi. Or me ne umer bin abdul azeez rh.alaih ke beto ko dekha ke unke 11 bete mukhtalif ilaqon ke gawarnor bane hue the. kyoki Logo ko inse behtar banda milta koi nahi tha...
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'99۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.4 ↴ ↴
★ZOHAD AUR ISTIGHNAA★
★ KI ZINDAGI GUZARIYE ★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ POORI SALTANAT KI QEEMAT PYALA BHAR PANI KE SIWA ۩
┣━─•Ek martaba Sulaimaan bin Harab rh.alaih tashreef farma the. Waqt ka Baadshah Haroon rasheed us waqt un ke darbaar me maujud tha. Haroon rasheed ko pyas lagi, us ne apne khaadim se kaha ke mujhe paani pilao‚ khaadim ek gilaas me thanda paani lekar aaya‚ jab Baadshah ne gilaas hath me pakad liya to Sulemaan bin Harab rh.alaih Ne unhe kaha ke Baadshah salamat! Zara ruk jaaiye. Woh ruk gaya, unhone farmaya: ke aap muje ek baat bataiyye? jaise aapko abhi pyaas lagi hai, aesi aapko pyaas lagi or puri duniya me is paani ke siva kahi or paani Na ho to aap ye bataiyye ke aap ye pyale ko kitni Qeemat me kharidne par taiyyar ho jayenge?? Haaroon rasheed ne kaha‚ me to aadhi saltanat de dunga.
┣━─• fir Sulemaan bin Harab rh.alaih ne farmaya ke, agar aap ye paani peelen or ye aap ke pet me chala jaaye lekin, andar jaakar aapka peshaab band hojaye. or phir wo nikal na paye aur puri duniya me sirf ek doctor ya hakim ho jo ise nikaal sakta ho to batayye ke usko nikaalne ki fees kitni denge? Soch kar Haaroon rasheed ne kaha; baaqi aadhi saltanat bhi usi ko de dunga. woh kehne laga, Baadshah salamat! Zara ghor karna ke aapki puri saltanat paani ka ek pyaala pine or peshaab ban kar nikalne ke baraber hai.
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
❖═══▩■■۩PART'100۩■■▩═══❖
★⚄→TADBEER NO.4 ↴ ↴
★ZOHAD AUR ISTIGHNAA★
★ KI ZINDAGI GUZARIYE ★
★☆☆☆☆☆☆★
۩ ZAAHID NE HAATH HATAYE PAON BADHAYE ۩
┣━─•Ek Baadshah kahin ja rahaa tha, usne dekha ke raste me 1faqeer leta hua hai aur usne Baadshaah ki taraf paaon failaye hue hai Baadshah hairan hua ki sari duniyd meri huzuri karne wali hai or ye ajeeb aadmi hai ke phate purane kapde pehne hue hai or meri taraf paaon pasare hue soya hai, chunanche Badshah ne 1aadmi se kaha ki usko kuch paise dedo jab uske nokar ne paise aage badhaye to faqeer kehne lagaa‚ badshah salamat! Jab se mene aapki taraf se hath htaaye hai, tab se mene aapki taraf paaon phailaye hue he....
★YE HAIN ZAAHID LOG JINKE DILON ME DUNIYA KI MUHABBAT NAHI HOTI★
® reference:
( QALBI SAFAI K LIYE
ROHAANI TADABEER )
No comments:
Post a Comment