Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Saturday, June 25, 2016

▣ Eid Ki Namaz- ▣


❁    вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
    •–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•

           ▣   Eid Ki Namaz-  ▣

                PART NUMBER
                           01   
            ◆══◆══◆══◆══◆══◆

           ☞ Eid Ki Namaz-1     
                   
◈ Shawwal ke Mahine ki pehli tareekh ko Eidul Fitr aur Zilhijja ki Dasvi tareekh ko Eidul Azha kehte he’n, Ye dono din islaam me Eid aur khushi ke din he’n, aur in dono Dino me bator Shukr 2-2 raka’at Namaz padhna waajib he,

⇨ Namaze Juma ke wajoob aur Sahat ke liye Jo sharayat Juma ke baab me zikr ki ja chuki he’n wahi sab Eiden ki Namaz me bhi he’n, Sivaye khutba ke k Juma ki Namaz me khutba Shart he aur Namaz se pehle padha jata he,

*_Jabki Eiden ki Namaz me Shart nahi sunnat he aur Namaz ke baad padha jata he, magar Eiden ke khutbe ka sunna bhi Juma ke khutbe ki tarah waajib he Yani us waqt baat cheet karna ya Namaz padhna sab na-jaa’iz he,

☆ Next - 02 , Soon in Sha Allah ☆

  ⚀•RєԲ:➻┐
                 ↳® Fiqhul ibadaat, 154

     ◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
            ━─━─━─━─━─━─━─     ◳ ◴
                       *Join*
             *Ahle deoband group* 
            *��91-7037363325*

                     
     ━═─────────────────═━
۞✵۞

❁    вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
    •–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•

          ▣   EID  KI  NAMAZ  ▣

                PART NUMBER
                           02   
  
           ◆══◆══◆══◆══◆══◆

☞ 1-Eid Ki Namaz Ka Tareeqa

  
◈ Eiden ki Namaz ka Tareeqa ye he k Dil me ye niyat kare k me 6 takbeero ke saath Eid ki 2 raka’at waajib Namaz padhta hu’n,

⇨ Niyat ke alfaz Zaban se kehna zaruri nahi, Dil me iraada kar Lena kaafi he,

◈ Niyat karke Haath baandh le aur Sana ” Subhan kallahumma ….” Aakhir tak padh kar 3 martaba ” Allahu Akbar ” Kahe, har martaba Takbeer Tehrima ki tarah dono haath kaano tak uthaye, aur Takbeer ke baad haath latka de ( chhod de ),

◈ Imaam do takbeero ke darmiyan itni der tak thehre jisme 3 martaba ” Subhanallah ” kaha ja sake,

→Teesri takbeer ke baad haath baandh le, aur imaam ” A’uzubillah …” aur ” Bismillah …” padh kar ” Surah Fatiha ” aur koi Soorat padh kar ruku v Sajda karke khada ho,

◈ Doosri raka’at me Surah Fatiha, soorat padh le, Uske baad 3 takbeere is tarah kahe k har martaba haath kaano tak uthaye aur Chothi takbeer me haath na uthaye takbeer kehte hue sidha Ruku me chala jaye, Sajda vagera Namaz ko Aakhir tak mukammal karke salaam fer de,

◈ Namaz ke baad khutba padhe, ( Muqtadi khoob dhyan se sune ),

☆ Next - 03 , Soon in Sha Allah ☆

  ⚀•RєԲ:➻┐
                Fiqhul ibadaat, 154
     ◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
            ━─━─━─━─━─━─━─

                      *Join*
             *Ahle deoband group* 
            *��91-7037363325*

                     
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
۞✵۞

❁    вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
    •–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•

          ▣   EID  KI  NAMAZ  ▣

                PART NUMBER
                           03   
  
           ◆══◆══◆══◆══◆══◆

☞  Namaz e Eid ke liye Shahar se Bahar Jana Sunnat He ,

◈  Eidgaah Shahar se bahar Sunnat Mokada he, kyuki Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Eiden ki Namaz hamesha bahar hi Ada farmate the, balki mazoor logo ko saath le Jane ka ahatmam farmate the, Sirf ek martaba Barish ki Vajah se bahar tashreef na le ja sake,

® Ravah Abu Daoud,

⇨ isliye asal hukm yahi he k Eid ke liye Shahar se bahar ek jagah ijtima e Azeem ho, isme shokate islam ka muzahrah bhi he,

◈ Agar Shahar ke gunjaan abaadi ki Vajah se bahar nikalna mushkil ho, ya intezami mushkilaat ho to Shahar ke andar kisi bade maidaan me ba-waqte zarurat Masjid me Ada karna bila karahat durust he,

◈  Lekin Jaha tak ho sake laazim he k har Mohalle me chhote chhote ijtimaat ki bajaye ek mukaam per bade ijtimaa ki koshish ki jaye, ( Yani kisi badi jagah per Eiden ada ki jaye),

® Ahsanul fatawa, 4/129

☆ Next - 04 , Soon in Sha Allah ☆

  ⚀•RєԲ:➻┐
               ↳ Fiqhul ibadaat, 155

     ◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
            ━─━─━─━─━─━─━─     ◳

                        *Join*
             *Ahle deoband group* 
            *��91-7037363325*

                     
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
۞✵۞

❁    вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
    •–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•

          ▣   *EID  KI  NAMAZ*  ▣

                PART NUMBER
                            04   
  
           ◆══◆══◆══◆══◆══◆

          *☞Mutafarrik Masail* ,

◈ Eid ki namaz wajib he aur Takbeerat bhi wajib hai,

◈ Eid ki namaz me agar muqtadi der se aaya aur zaa’id Takbeerat nikal gayi to, Qiraat shuru ho ya nahi muqtadi Takbeere tehrima kehkar zaa’id Takbeerat bhi kehle,

◈ Agar imam ruku me ja chuka ho aur ye guman ho k takbeerat kehkar imam ke saath ruku me shamil ho sakta he to Takbeere tehrima ke baad khade khade 3 Takbeerat bhi kehkar ruku me chala jaye,

◈ Agar ye guman ho k Takbeerat kahunga to imam Ruku se uth jayega to Takbeere tehrima kehkar ruku me chala jaye aur ruku me ruku ki Tasbeehat ( Subhana Rabbi yal azeem ) ke bajaye bina haath uthaye Takbeerat kehle,

⇨Aur agar takbeere poori na ho aur imaam ruku se uth jaye to Takbeere chhod de, imaam ki pervi kare,

◈ Agar raka’at hi nikal gayi to jab imam salam ferle, apni raka’at poori kare to pehle Qiraat kare, fir takbeerat kahe, aur ruku ki takbeer kehkar ruku me jaye,

◈ Eid ki namaz me agar imam galti kare aur galti esi ho jisse namaz fasid nahi hoti to namaz lotane ki zaroorat nahi,

⇨ Fuqha ne likha he Eid ki namaz me agar majma zyada ho to sajda Sahu na kiya jaye,

◈ Eid ka khutba sunnat he, khutba namaz ke baad hota he,

◈ Dua baaz hazraat namaz ke baad karte hai aur baaz khutbe ke baad, do no ki gunza’ish he,

◈ Eid ke din gale milna sunnat nahi, ye mahaz logo ki banayi hui ek Rasm he, isko deen ki baat samajhna aur na karne wale ko malamat karna ‘Bid’at ‘ he,

Gair Muslimo se Eid milna ” Haraam ” he,
Eid milna dosti ki alamat he aur Allah ke dushman se Dosti haraam he, kyuki Dushman ka Dost bhi Dushman hota he,

◈ Eid ki namaz ki qaza nahi aur na hi iska fidya he, sirf astagfar kare,

◈ zilhijja ki 9 tareekh ki subeh se 13 tareekh ki Asar tak har Farz Namaz ke baad har Balig, Aaqil mard aur Aurat per takbeere Tashreeq wajib he, Halki buland awaz se ye Takbeerat padhe,

⇨ ” Allahu Akbar Allahu Akbar
        La ilaaha illallahu
              vallahu Akbar
               Allahu Akbar
            valillahil hamd, ”

◈ Eid ke Din Eidi ki Rasm ka rivaaz he, ye sunnat to nahi lekin khushi ke izhaar ke liye esa kiya jata he to koi harj nahi,

☆ Next - 05 , Soon in Sha Allah ☆

  ⚀•RєԲ:➻┐
 
      Aapke Masail aur unka Hal, Jild -4 ,
     ◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
            ━─━─━─━─━─━─━─  

                        *Join*
             *Ahle deoband group* 
            *��91-7037363325*

                     
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
۞✵۞

❁    вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
    •–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•

          ▣   EID  KI  NAMAZ  ▣

                PART NUMBER
                           0 5 
  
           ◆══◆══◆══◆══◆══◆

*☞Eidayn Ki Namaz ke Baad Masafa Makrooh hone Ki Had*                
                 

◈ Eiden ki Namaz ke baad musafa karna makrooh he, Bid’at he, Kyuki Eiden ki Namaz ke foran baad khade hokar musafa aur mu’aanqa ( gale milna ) karna Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam aur Sahaba kiraam Raziyallahu Alaihim Ajmayin se saabit nahi he,

⇨ Lekin karahat sirf Eidgaah tak ke liye he, Uske baad agar kisi se mulaqaat ho jaye aur mulaqaat ke waqt musafa kare ya kisi door se aane wale se ek arsa ke baad mulaqaat ho jaye, Ab Eiden ke din unse mulaqaat per musafa ya mu’aanqa kare to isko makrooh ya Bid’at nahi kaha jayega,
Kyuki ye musafa ya mu’aanqa Eid ki Vajah se nahi he balki aam mulaqaat ka musafa he aur aam mulaqaat ke waqt musafa door se aane walo se mu’aanqa shar’an saabit he,

®Ahsanul fatawa, 9/354 Ba- Hawala Durre Mukhtar, 1/381

*☆ ALHAMDULILLAH Mukammal Hue ☆*

  ⚀•RєԲ:➻┐
                 ↳® Fiqhul ibadaat

     ◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
            ━─━─━─━─━─━─━─ 

                        *Join*
             *Ahle deoband group* 
            *��91-7037363325*

                     
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
۞✵۞

No comments:

Post a Comment