▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✦KHWATEEN KE FIQHI MASAIL✦
▦══─────────────══▦
⊙ TAYAMMUM ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ Tayammum Karne Ka Tareeqa,
ⓢ Taymmum karne ka kya Tareeqa he??
★• Tayammum karne ka tariqa ye he k, Dil me yu’n iraada kare k me paak hone ke liye ya Namaz padhne ke liye Tayammum karti hu’n,
★•Fir do no haath paak zameen per maare aur jhaad de’n, aur moonh ko mal le’n,
Fir doosri martaba zameen per do no haath maare, fir jhaad de’n, aur do no haath kohniyo’n samet male’n,
Choodiyo’n, Kangan vagera ka darmiyan achchhi tarah male’n,
★•Agar is guman me nakhun barabar bhi koi jagah chhot gayi to Tayammum nahi hoga,
★• Anguthi, Chhalle utaar de’n taki koi jagah chhot na jaye, ungliyo’n me khilal kar le’n, Jab ye do no cheeeze’n kar le’n to Tayammum ho gaya,
Bahishti Zever,, 1/ 68
•─━━━━━══════━━━━━─•
☞ Tayammum Kï ijazat Kab ?
ⓢ Tayaamum Kï ijazat Kïn soorto me he ?
★• Tayammum ki ijazat sirf 2 soorato’n me he,
*_1- ek ye k paani ke istemal per qudrat na ho, Jo shakhs bimaar ho aur vazu ya gusl se jaan ki halakat Ka ya bimari ke bad Jane ka andesha ho ya khud gusl ya vazu karne se mazoor ho aur koi doosra aadmi gusl ya vazu karane wala mojood na ho to esa shakhs Tayammum kar sakta he,
*_2- doosra agar paani ek meal door ho, ya kunva( well) to he magar kunve se paani nikaalne ki koi Surat nahi ya paani per koi darinda betha ho ya dushman ka kabza ho,
★• Jo shakhs paani ka istemal kar sakta ho uska Tayammum jaa’iz nahi, na uski namaz hi hogi,
Aapke masail aur unka Hal,, 2/63
•─━━━━━══════━━━━━─•
☞ -Vazu aur Gusl ka Tayammum
ⓢ Kya vazu aur gusl ka Tayammum ek he??
★• Jis tarah vazu ki jagah Tayammum durust he, usi tarah gusl ki jagah bhi majboori ke waqt Tayammum durust he,
★• ESE hi Jo Aurat haiz v nifaas se paak hui ho majboori ke waqt usko bhi Tayammum durust he, Vazu aur Gusl ke Tayammum se koi farq nahi, do no ka ek hi tareeqa he,
Bahishti Zever,, 1/69
•─━━━━━══════━━━━━─•
☞ Paani Nuqsaan kare to Tayammum ka Hukm,
ⓢ Bimari ki vajah se paani nuqsaan kare to Tayammum karna durust he ya nahi ??
★• Agar bimari ki vajah se paani nuqsaan karta ho k agar vazu ya gusl karegi to bimar pad jaa’egi ya dayr se achchhi hogi, tab bhi Tayammum durust he,
★• Lekin agar thanda paani nuqsaan karta ho aur garam paani nuqsaan nahi kare to garam paani se gusl karna wajib he, albatta agar esi jagah he k garam paani nahi mil sakta to Tayammum karna durust he,
Bahishti Zever,, 1/67
•─━━━━━══════━━━━━─•
☞ Gusl Nuqsan kare to Tayammum ka Hukm,
ⓢ Agar Gusl nuqsan kare aur vazu nuqsan na kare to kya gusl ki jagah Tayammum kar sakte hai’n??
★• Agar gusl karna nuqsaan karta ho aur vazu nuqsan na karta ho to gusl ki jagah Tayammum kare,
★• fir agar Tayammume gusl ke baad vazu toot jaye to vazu ke liye Tayammum na kare balki Vazu ki jagah vazu karna chahiye ,
★• Aur agar Tayammume gusl se pehle koi baat todne wali bhi payi gayi aur fir gusl ka Tayammum kiya ho to yahi Tayammum gusl aur vazu do no ke liye kaafi he,
Bahishti Zever,, 1/68
•─━━━━━══════━━━━━─•
☞ Bachche ke Marz ke Khatre ke waqt Maa’n ka Tayammum karna ,
ⓢ Ek Aurat apne bachche ko doodh pilati he Jo pakhana peshab aksar Maa’n ke kapdo per karta he aur Maa’n ke musalsal gusl karne ki vajah se bachcha bimar ho ja’ega ya Maa’n khud bimar ho ja’egi ya nahati nahi he to is vajah se kya usko Quran padna jaa’iz hoga??
★• Agar baar baar gusl se us Maa’n ko apne bachche ki bimari ka khof ho to Tayammum karke namaz pad liya kare,
*_ fir dhoop ke waqt ya garam paani se gusl karke un namazo ka fir iaadah kar liya kare aur Tayammum ke baad quran sharif ki Tilawat bhi durust he,
Fatawa Darul Uloom Deoband,, 1/240
⊙ Talibe Dua,
ⓖ Ahle deoband Group ,
━═─────────────────═━
★☆★
No comments:
Post a Comment