Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Sunday, October 2, 2016

TABLIG RAHE NIJAAT HAI 301 SE 350


▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                    *PART-301*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. *Maqsoode Bizzaat aur Moqoofe Alayhi me Farq*

↬• Mqsoode bizzaat aur moqoofe Alayhi me farq jaanne ke liye Pehle Mehnat karni hai ,Jese Allah ke Zikr aur ilm aur ahkamaat ,ibadaat vagera me maqsoode bizzaat kya he? Wo Sirf Allah Kï Raza hai ,

★• Magar Allah Ta'ala Kï Raza in Shobo me chalne se haasil hoti hai Goya k ye Shobe maqsoode bizzaat Yani Allah Ta'ala Kï Raza haasil karne ke liye moqoof Alayhi hai'n, aur in Shobo ke liye moqoofe Alayhi Dawat hai ,isse fir ye Tamaam Shobe vajood me aate hai'n,

★• Aur Jab Deeni Shobe apne Sahi Martaba aur Haqeeqat per vajood mai aa jate hai'n to Allah Ta'ala Kï Kaamil Raza Jo maqsoode bizzaat he haasil hoti he,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★•  *302 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-302*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. *Dawat me Zauf ka Tamaam Shobo per Asar*

↬• Agar Dawat me Zauf ya nuqs hoga to iska asar Tamaam Deeni Shobo per padhega aur Shobo se iska Asar husoole Raza per aayega k kamzori ke saath ya nuqs ke saath Shobo me chalne wala Allah Ta'ala Kï Kaamil Raza haasil nahi kar sakta ,

★• iski misaal isse samajh me aati hai k Duniya me ek Phal he ek unke liye darakht he ,ek darakhto ke liye Zameen he ,

★• Maqsoode bizzaat na darakht he, na zameen ,balki Phal he , Lekin Phal ke liye moqoofe Alayhi Darakht he k Bager Darakht ke Phal ka vajood nahi hota ,go Haq Ta'ala Shanh is per qaadir hai'n magar asbaabe Duniya se insaan ko marboot kiya he aur Darakht bager zameen ke nahi paaye jate ,

★ • Lekin agar Zameen me istedaad kamzor he to iska Asar Darakht per padega aur Darakht Kï kamzori ka Asar Phal Kï Kamzori per ,

★. Isliye Maqsad har waqt hamari nigaah ke saamne aur nasbul ayn ban kar ho k Allah Ta'ala ko Kaamil Tareeqe se Raazi karne ka jazba hamare andar paida ho raha ho aur ye Yaqeen ho k Apne Awaamir ke baja laane hi se Allah Ta'ala Raazi hote hai'n,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★•  *303 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                    *PART-303*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. *Haakim Kï Azmat Hukm poora karne ka Zariya he*

↬• Ye Allah ka Zikr Awamire Khudawandi ke liye Azmat aur Waqat paida karne ke liye he aur Aamir Kï Azmat Awaamir se Pehle he ,Varna Awaamir ka poora karna mushkil ho jata he,

★• Badshah ke Ahkamaat us qadar hi logo me Jaari ho sakte he'n jis qadar k Badshah ka dabdaba ,uski Azmat aur uski Muhabbat Dilo me hogi ,

★• To ye Dawat bhi Naazuk Tareeqa rakhti he ,Apne ko Peesna padta he ,Apni haisiyat khatm kar deni padti he ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★•  *304 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-304*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. *Har imaan wala Azeem hai*

★ • Musalman ka Martaba uske Fazail ke baqadar Dil me bethta chala jaye ,Adna se Adna Musalman kitna hi gunahgar ho Lekin Allah Ta'ala per imaan laane Kï Vajah se hamari nigaaho me Azeem ho , Tabhi hum uske saath Akhlaq ka maamla kar sakte hai'n,

★. Har Musalman Kï Ziyarat apne ko mumtaaz samajhte hue k Ziyarat se Allah Ta'ala Raazi hote he'n, Barkate haasil hoti he'n ,Rehmate aati he'n aur Muhabbat badhti he ,aur Musalman Kï Muhabbat imaan ko badhaati he ,

★• Jab ek Adna darja Musalman Kï Ziyarat se ye faayda haasil hota he to Ahle ilm aur Ahle Zikr Masa'ikh Kï Ziyarat to bahut Azeem he ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★•  *305 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                    

                    *PART-305*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. *Aib Beeni se Bache*

↬• is Dawat me ek khaas cheez ye bhi he k Logo Kï Kotahiyo'n ,Galtiyo'n aur Aibo per nigaah Jane se bacha jaye ,

★• Aur agar Shaitaan waswasa daal hi de to Tauba v istigfaar se aur us Muslim se Muhabbat aur Akhlaq se milne se is Kami ko poora kiya jaye ,

★• Aur Teen Cheezo ko Kaam me Laaya Jaye :-

*1- Jab mile to usko Salaam kare ,

*2- Jab Wo Aapke Paas aaye to usko achchhi jagah bithaaye aur uska ikraam kare ,

*3- Aur Kabhi Kabhi use Hadiya de ,

★ • Tauba v istigfaar ke saath Ye Teen cheeze mo'assir hai'n ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★•  *306 in. sha Allah ta'ala*, 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-306*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. *Ahle ilm ko Apna Sar-parast Samjhe'n*

↬• is Kaam me Aam logo ko nikalne Kï Dawat zaroor Dï jaye ,Lekin Ye khayal rakhte hue k Agar ye Dawat me chalenge to mujhse behtar tareeqe se chalenge ,aur inse Deen ke failne me zyada madad milegi ,

★• Aur Ahle ilm ko Apna Sar-Parast samajh kar unki ziyarat aur unse Duao'n Ka Taalib ban kar mila jaye ,

★• Mashwara to har Fun me Uske Fun walo se liya jata hai ,Maslan kisi ko Aankh Ka Operation ke bare me Mashwara karna he to Wo har Doctor se Mashwara nahi karega ,Jo har uzv Ka thoda thoda ilaaj karte he'n ,Balki Khaas Aankh Ka ilaaj karne wale Doctor hi se Mashwara karega ,Ye to Duniyavi misaal he ,

★ • Aur Deeni misaal ye he k Agar kisi ko Masla puchhna he to use Mufti ke Paas Jana chahiye ,Har Aalim se Masala nahi puchhna chahiye ,Kyuki Mufti Masail ke Fun Ka maahir hai ,

★. Agar bager Mashwara liye koi shakhs Mashwara dene lage to uski Baat ko goar se ahatmam se suna jaye aur usko Mukhlis aur Khair khwah khayal kare Jisse Wo ye na samjhe k meri baat Kï qadar nahi Kï ,,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *307 in. sha Allah ta'ala*,
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-307*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. *Nabvi Usool Chhodne ke Nuqsaanaat*

↬• Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne Duniya me Deen ko failane ke liye kuchh buniyadi usool qaayam farmaye ,Jab tak Wo Usool poore tor per zinda rahe aur Ummat un per chalti rahi aur Kaam karti rahi ,Deen Ka har Juzv ummat ke har fard Kï taraf pahunch raha tha ,aur So fi sad (100%) Deen Duniya me fail raha tha ,

★• Kuchh Arse ke baad Daayra e islam wasee ho Jane Kï vajah se aur kasrat se Qaumo ke islam mai dakhil hone Kï vajah se Kuchh istambaati Shakle akhtyar karna zaroori hui ,

★• Lekin Wo istambaati Shakle itni ahmiyat pakad gayi k Buniyadi Usool nigaaho se ojhal hote gaye , Jiske Teen nataaij Ummat per murattab hue ,

★ • Pehla nuqsaan to ye hua k Deen poori Ummat me pahunchna band hone  laga balki sirf afraad isse mustafeed hone lage ,

★. Doosra nateeja ye aaya k har ek ne Deen Ka ek juzv apni mehnat ke liye makhsoos kar liya aur usooli tareeqe se poore Deen per uski Mehnat na rahi ,

★• Aur Teesra Nateeja ye aaya k Aapas me ilhtilafaat paida ho kar ek Shoba wale Doosre Shobe wale se takrane lage aur badzan hone large aur bajaye madadgaar banne ke muqaable per aane lage ,Jisse Deen ko bahut nuqsaan pahunchne laga ,

*_ isliye Buniyadi usoolo ko zinda karke saamne rakh kar chalna zaroori hai ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *308 in. sha Allah ta'ala*,
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-308*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. *Nabvi Tarteeb ke Buniyadi Usool-1 v 2*

↬• *1--*Sabse Pehle Huzoor Akram Sallallahu Alayhivasallam ne har Ummati ko Daayi banaya ,gareeb ho ya Ameer ,Kaashtkaar ho ya Taajir ,Har ek Deen Ka Daayi tha ,

★• Kyuki Jab So fi sad Ummat Dawat de rahi hogi to Deen So fi sad insaano me aa jayega ,Har ek Kï Dawat uske ilm ke ba qadar thi ,

★• *2-* Huzoor Akram Sallallahu Alayhivasallam ne Deen seekhne sikhane Ka asal markaz Masjid ko banaya ,Sahaba Raziyallahu Anhum Masjid me aa kar Deen seekhte the ,Jisme unke Teen tabqaat the ,

★ • Ek Tabqa Wo tha Jo Bivi Bachcho aur Duniya Kï mashgooli se Faarig tha ,Ye Ashaabe Suffa me dakhil the,

★. Doosra Tabqa Jo mamooli mashgala apni ma'asiyat ke liye karta lekin aksar waqt uska Deen ke liye faarig tha ,isme Aksar Muhaajir the,

★• Teesra Ansar Ka Wo Tabqa Jo apni Kheti Bagaat ke Kaamo aur Doosre mashagil me masroof hote ,Koi Raat ko ,Koi Din me ,Koi aadha Din ,Koi aadhi Raat seekhne me lagata tha ,

★• Islam me Naye aane wale badhte ja rahe the Yahya tak  Khulfa e Rashedeen ke Zamane me bahut se Shehar fateh ho chuke the aur qaume Islam me dakhil ho rahi thi ,Lekin Masjid se Bahar Koi imaarat Deen seekhne ke liye nahi thi ,

*_ isme khaas Raaz ye maloom hota he k Jin adaab aur Kaifiyaat ke saath Deen Masjid me liya ja sakta he Masjid se bahar lena Aadtan namumkin he ,Maslan Masjid me Duniya Kï Baato se hifazat ,Hansi mazaaq se Hifazat ,Ba Vazu rehna ,Zikr Kï kaifiyat se rehna aur Takbeere Avla se Namaz Padhne Ka Ahatmam vagera esi cheeze hai'n Jo Deen seekhne me Azmat aur Azmiyat paid a karti hai'n aur Amaal Kï Tofeeq Kï taraf Rehnumayi karti he ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *309 in. sha Allah ta'ala*,
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-309*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. *Nabvi Tarteeb ke Buniyadi Usool-3 v 4*

↬• *3-* Deen seekhne ke liye Bado ko Jo Mukallaf hai'n aur Qur'an Kareem me mukhatib me Avval qaraar diya gaya unse ye nahi kaha gaya k Tum to Tijaarat aur Khetiyo me hone Kï Vajah se Mazoor ho Apne Bachcho ko hamare pass bhej diya karo ,Ashabe Suffa unko Deen Sikhaya karenge ,Balki Bado ko ahatmam se bulaya jata ,Budha ho ya Jawaan ,Kheti wala ho ya Taajir usko Deen Seekhne per Amaada kiya ,Kyuki Deen ko  Apne ghar me ,Karobaar me ,Apne mamlaat me Bada hi naafiz kar sakta he ,Chhoto Ka kaam nahi ,aur Jannat Dozakh Ka Yaqeen Karke Bada hi Chal sakta he Chhota hi aur Awamire Khudawandi Kï Azmat Bada hi Samajh Sakta he ,

★• *4-* Deen ko Bager ujrat seekhne Sikhane Ka nijaam qaayam farmaya aur Har Shakhs ko Apne maathat ko Deen sikhane Ka Zimmedar qaraar diya,

★• Jab Har Shakhs Apne ghar me Deen sikhayega aur Apne Bachcho ko Muallim banayega to ujrat aur muawza Ka Sawal hi nahi aayega ,is tarah bager maal ke har Shakhs Deen Ka Sikhane aur Seekhne wala ban sakta he,Jesa k Sahaba kiraam bane ,

★•Kyunki Deen insani zindgi ke liye ESA hi zaroori he Jese Jismani zindgi ke liye Hawa aur Paani ,Haq Ta'ala ne Hawa aur Paani tamaam insano ke liye muft hi rakha ,ESE hi Deen ko Seekhne aur Sikhane ko bhi bager Muawza ke rakha gaya taki har gareeb ,miskeen ,yateem ,Gaanv ke rehne wale Deen seekh sake,

★• Deen Seekhne Sikhane ke liye na chanda jama kiya gaya na usko tageeb Dï gayi , Balki unko Faaqo me Deen Seekhna padhta tha ,Jisse Deen Kï Azmat aur Ahmiyat unke Dilo me badhti thi ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *310 in. sha Allah ta'ala*,
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-310*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. *Nabvi Tarteeb Ke Buniyadi Usool- 5*

↬• Deen me Sabse pehle imaaniyaat iske baad  Akhlaqiyaat sikhaye jate the ,Jiska pata is Hadees se chalta he k Hazrat Jaafar bin Abi Taalib Raziyallahu Anhu se Jo sawalaat Shaahe Habsha ne kiye k Tumhare Nabi Sallallahu Alayhivasallam tumhe kya Taleem dete he'n ?

*_ Unhone Jo Jawabaat diye woh qabile gor he ,Kyuki ahkamaat per Amal unhi sifaato ( imaan aur Akhlaaq ) se ho sakta he ,Varna Allah Ta'ala ke ahkaamaat per Amal karna asaan nahi rehta ,

★• Aaj hamare is zamane me Deen Seekhne Sikhane Kï Tarteeb badal Jane Kï vajah se Amal karna mushkil ho raha he , Agar in Do Cheezo ( Imaan v Akhlaaq ) ko pehle sikhaya jaye taki insaan Kï imaani taaqat Akhirat ke istehzaar ke saath sahi Kaamil ho jaye ,

★• Akhlaqiyat andar aa jaye to fir Akhlaaqi Masail per bhi adawat Ka aur takraav Ka maidaan qaayam nahi hoga ,Balki Sahaba Kiram Kï tarah Juzvi ikhtilafaat ke bavjood ittefaaq v ittehaad ,ulfat v Muhabbat v ikraam baqi rahega ,

★ • in Buniyadi Usoolo ko qaayam karte hue fir istambaati Shakle, Madaris aur Khaanqaho Kï aur Bachcho Kï Taleem dene Kï bahut mufeed saabit hongi ,aur Ye Shakle bhi bahut zaroori he'n magar inki zarurat Buniyadi usoolo se kam he ,

★. Aaj Buniyadi cheeze baqi na rehne Kï vajah se imaan is Qadar kamzor ho chuke he'n k Fara'iz Ka ahatmam niflo se ghat gaya jiski vajah se Deen apni ahmiyat v Azmat ke saath aur tawakkul aur Taqwa ke saath nahi seekha ja raha ,Jiska Nateeja ye hua k Deen walo me ikhtilafaat Jis qadar adawat ko pahunche shayad Duniya walo ke bhi na pahunche ho ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *311 in. sha Allah ta'ala*,
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-311*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. *Dawat Ke Maidaan me Seekhna Sikhana*-- *imaani Sifaat*

↬• Agar hamara Seekhna Sikhana Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum Kï Tarteeb per aa jaye K Hum Dawat ke Maidaan me chalte hue seekh rahe ho aur Sikha Rahe ho to Ab bhi Deen ka Har Juzv aur Har Shoba So fisadi Ummat me Zinda ho sakta he,

*_Aur ilm v zikr Jo poore Deen Kï Maa'n he aur har fard ke liye Rooh imaani ko taqwiyat dene wala he ,Har Kachche aur Pakke ghar me ,Har Qalbe saleem me Apni Azmat ke saath dakhil ho sakta he,

★• Amaal bager sifaate imaani ke kamzor aur be jaan he ,Ye sifaat e imaani ,Taqwa ,Tawakkul ,Zuhad fidduniya ,Qana'at ,Sabr v Shukr aur Hubb hai'n,

★• Jab ye Sifaate Amaal jhalakti hai'n to Amaale Hasna vajood me aate hai'n aur Ragbat v rahbat Kï kaifiyat paida hoti chali jati he. ,aur Jab ye Sifaat Muslim ke andar paida honi band ho jati he to Amaal mushkil hote chale jate hai'n, Amaale Saleha se Yaqeen paid a hone ke bajaye Duniya Kï Cheezo se Yaqeen banta chala jata he ,fir Deen per Duniya raa'ij hoti chali jati he,

★. Duniya insaan ke Dilo dimaag per esa tasallut karti he aur qalb me esi Azmat v Muhabbat paida kar deti he k Uske muqable me fara'iz ke ada karne Kï bhi parwaah nahi karta ,

★• isliye Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ka tarze tareeq Sifaate imaani paida karne wala he aur Sifaat hi se Momin Momin ke liye aalishaan banta he aur Ameer gareeb ka gareeb Ameer ka hamdard ban jata he, Har ek ko Akhirat ka fikr badhta jata he,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *312 in. sha Allah ta'ala*,
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                    *PART-312*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. *Hamari Be Usooliya'n Rukawat Hai'n*

↬• Maafi chahna aur maaf kar dena Haq Ta'ala ko bahut Mehboob he ,Jab ye dono Sifaate Muslim ke Andar aa jati he'n to Allah Ta'ala Uske liye "Afu " aur " Kareem " ban jata he,

★• Agar logo ko ye pata chal jaye ,awaam ho ya Khawaas k is Dawat ke zariye kya chaha ja raha he aur is per kya Nateeje Murattab hote he'n to har ek is ( Dawat ke ) Maidaan me chalne ke liye apni zindgi waqf kar dene per taiyaar ho jaye ,

★• Lekin Hum na ahal apni Baat ko samjha nahi sakte aur Shaitaan aur Nafs Jo hamare Sabse Bada dushman hai'n Wo Hume Sahi Tareeqe se Dawat me chalne se Rok dete he'n,

★ • Ye Dawat Dushmano ko Dost banane wali he ,Lekin hamari baaz be usooliyo'n se Apne bhi gair ban jate hai'n,

★. Hum Baat ko samajhte nahi ,Hikmat aur Mardum shanasi ko Pesh pesh rakh kar chale to in sha Allah Ta'ala har ek Apna banta chala Jayega ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *313 in. sha Allah ta'ala*,
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-313*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. *Ikraam e Muslim Sabse Bada Hathiyaar He*

↬• Ikraam e Muslim Sabse Bada Hathiyaar he Jo Dushmano Kï gardano ko zer kar deta he, Lekin iske karne ke liye Nafs per Bada mujahida karna padta he ,

★• Muqabil Kï laanat v Himakat ko bardasht karna aur usko Aziyato per tahammul karna padta he ,Jisse Khud bhi ban Jata he aur Doosro ko bhi bana deta he,

★• "( Irshad he k ) Neki aur Badi barabar nahi he to Us cheez ke Saath Badla do Jo achchhi ho , " Ye Baat har waqt peshe Nazar rahe ,

★ • Hum kisi Musalman ko Mukhalif aur Deen ka radd karne wala na samjhe Balki Yu'n samjhe k Bahut se ahwaal Uske liye hamari Baat qubool karne me maane ( rukawat ) hai'n,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *314 in. sha Allah ta'ala*,
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-314*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. *Adm e Qubooliyat Kï Vajah*

↬• Agar Wahi Deen Kï Baat Jo usko esa Shakhs kahe Jisse Wo aqeedat aur Muhabbat rakhta he to foran Maan lega ,

★• Maloom hua k Wo Deen ka mukhalif nahi Balki hamare ahwaal Kï vajah se hum se darta he aur qubool karne me taraddud rakhta he k Kahi Wo humse Dhoka na kha jaye ,

★• Lekin har Wo Musalman Jo Kalma Padhne wala he Allah aur Uske Rasool Sallallahu Alayhivasallam Kï Baat ko Radd nahi kar sakta ,Jabki use ye Yaqeen ho jaye k Beshak ye Allah aur Uske Rasool Sallallahu Alayhivasallam hi Kï Baat he ,

★ • Magar Zamana e Haal ke tarze tarq ne logo ko Dhoke me daal diya ,Kyuki bahut se farishte Sift Zahiri logo ne Deen se bhi Duniya walo ko Dhoka diya aur Apni izzat aur Apni Duniya ko banane Kï koshish Kï ,

★. Isliye Duniya Dari hui he aur ye misaal mashoor he k Doodh ka Jala Chhaanchh ko bhi fook fook kar peeta he ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *315 in. sha Allah ta'ala*,
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-315*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. *Mehroomi Ke Asbaab*

↬• Ek Baat samajhne Kï ye he k Hum Apne Aapko Samjha hua na samjhe taki hum is Kaam ko samajhne Kï koshish karte rahe ,aur taraqqi karte rahe ,Jab Aadmi Apne aapko Kaamil samajh leta he to aage Kï taraqqi ka raasta band ho jata he aur Shaitaan usko wahi'n se gira deta he ,

★• Hazrat Maulana Muhammad ilyaas Reh. Ka ek malfooz he k Mujhe kaam karne wali per Do khatre hai'n,

*_Ek ye k Kaam na kar rahe ho aur Samjhe k Hum kaam kar rahe hai'n, Kaam to Chheh (6) Sifaat ko Apne andar laane ka naam he ,Agar ye Chheh baate hamare andar nahi aa rahi he to chahe kitne hi log hamari Baat per Labbek keh rahe ho'n to hamara Kaam nahi hua ,

★• Doosre Ye k Asbaab ke hote hue Asbaab per Nigaah na jaye ,Ye to mushkil he, magar Asbaab per nigaah Jane se Allah Ta'ala Kï madad hat jati he,

★ • Bande ko Gor karne ke baad ek Baat samajh me aayi k agar kisi Shakhs Kï nigaah apne ouper pad jati he k Mai'n Kuchh karne wala hu'n aur meri vajah se Dawat chal rahi he ,Chahe kisi ilaaqe me ya poori Duniya me ,To Allah Ta'ala se darna chahiye k Kahi'n isse mehroom na kar se aur esa hota hua dekha gaya he ,

★. Agar logo Kï nigaah kisi ek Shakhs per Jam gayi k uski vajah se ye Dawat Kï gaadi chal rahi he to Allah Ta'ala us Shakhs ko unme se uthaa lete he'n aur Ye bhi dekha gaya he,

★• Kyuki ye Dono baate Asbaab per aitmaad karne Kï he ,halanki Allah Ta'ala hi kar rahe he'n, Kabhi Asbaab ke Parde e ,Kabhi bager Asbaab ke ,Har waqt nigaah aur Dil ka Rukh Allah Ta'ala hi Kï taraf rehna chahiye,

*_ Aur ye bhi dekha gaya he k agar kisi Deen Kï cheez ka istakhfaaf kiya gaya to istakhfaaf karne wala bade khatre me aa jata he aur Yaha'n tak k baaz martaba ESE Amaal karne lagta he ya esi baate kehne lagta he Jo Uske imaan per sakht zad daalti he ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *316 in. sha Allah ta'ala*,
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-316*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… ..   *Aitraaz se Bacha Jaye*

↬• Kisi per Aitraaz karna is Dawat ( Tablig ) ke khilaaf he ,Bade Hazrat Ji Reh. Ka maqoola hai

*_ *," Aitraaz Haraam he aur islaah farz hai "*,

★• Aitraaz fasaad Kï taraf le jata he aur Dilo me Adawat paida karta he ,aur islaah Huzn aur ( Ummat ke ) Gam Kï taraf le jati he ,Aaj Ummat ke Haal per Huzn aur ( Ummat ke ) Gam ko badhana chahiye ,Jo hamare Andar se nikal gayi ,

★• Aitraaz Kï Shaklo se Hifazat karni chahiye ,Jo Roz ba Roz hamare Andar paida ho rahi he ,

★ • Aitrazaat hi Kï Vajah se Aaj Ummat Tukde Tukde hoti Ja rahi he ,Agar har Shakhs Ummat ka Gam khane wala aur ek ek Shakhs per Raham khane wala ban jaye to ye Dawat chalegi ,

★. Balki is Dawat me to yaha'n tak chalna he k doosro ko aitrazaat ka jawab bhi nahi dena he ,Na Tehreer se aur Na Takreer se aur Na Kana'atan na Sarahatan ,isse bhi Aitraaz ka Darwaza khulta he ,Balki Aitraaz karne wale ka ikraam karke usko qareeb kiya jaye ,aur Apne se manoos banaya Jaye fir uske baad Aitraaz khud rafa dafa ho jayega ,aur Baat samajhne me asaani hogi ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *317 in. sha Allah ta'ala*,
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-317*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… ..  *Hikmat aur Tawazo*

↬• is Dawat me Hikmat Seekhni padti he ,Jo faham me muiyn v madadgaar hoti he ,

★• Asal to Hikmat Allah Ta'ala Kï Ataa he ,Jisko bhi de de ,Lekin iska Talluq Seekhne se bhi he ,Sirf ataayi nahi ,Jese Kitaab seekhi jati he, Hikmat bhi Seekhi jati he,

★• Magar ye Hikmat usko aati he Jiske andar Sifaat Qudsiya Paida ho jaye ,aur Sifaate Shehwaniya magloob ho jaye ,

★ • Lihaza Hikmat ke zariye Logo ke quloob ko Haq ke liye inshraah karane me Haq Ta'ala Kï taraf se Dua ke zariye Madad Kï jaye ,Varna Alfaze Hikmat munafik Kï Zubaan per bhi aa jate hai'n,

★. Is Dawat me Jis qadar tawazo aur inksaari badti rahegi ,Apna Jahal khulta rahega ,aur Jahal ke Baad ilm ka darwaza khulta rahega ,Kyuki isse Dawat talabe Saadiq paida hoti he aur Talab hi har cheez ka darwaza kholti he ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *318 in. sha Allah ta'ala*,
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-318*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. *Bado Kï Sohbat aur Mashwara*

↬• Jo Apne ko Buzurgo Kï nigrani me nahi chalata he ,Shaitaan unko behka deta he, ESE hi Logo se Duniya me Sabse bade Fitne utthe hai'n,

★• Huzoore Paak Sallallahu Alayhivasallam Allah Ta'ala Kï Nigrani me chalte the aur Hazrat Jibraiyl Alaihissalam aur Apne Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum se Mashwara karte the, Jesa Qurane Paak me Hukm he ,

★• Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum Huzoore Paak Sallallahu Alayhivasallam Kï nigraani me chalte the, isi tarah Baad me aane wale Apne se Pehle walo Kï nigraani me chalne wale the,Jisse Ummat ek Doosre se Judi hui thi aur Hidayat yafta thi,

★ • Ab Jabse humne Bado Kï nigraani aur Mashwara ko chhoda he us waqt se bikhar gaye aur Gumrahi ke Raaste per chal pade ,Har Shakhs apni Raay ko sahi samajhne laga Jo ek bahut Bada Khatra he ,

★. Shaitaan ne apni Raay ko sahi samjha to Khuda ka Hukm bhi na Maan saka ,

★• Ye kehna k Humne Az khud Maulana ilyaas Sahab Reh. Se faize Sohbat ke zariye aur unka Kalaam ba-raahe raast sunne ke zariye Saare Usool Seekh liye aur ab Hum kisi ke Mashware ke mohtaaj nahi ,,,Badi nadaani he aur Bade khatre Kï cheez he ,ESA Shakhs na Kabhi Ummat ko Jod sakta he na Jud sakta he,

*_ *is Dawat me Do hi Bade Kaam hai'n, Ek Haq per Jodna aur Doosra Judna*

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *319 in. sha Allah ta'ala*,
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-319*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. *6 Number aur Kaam*

↬• Ye 6 number chahe Mansoos minal Qur'an v Hadees Qata'yi na ho lekin Mustanabat minal Qur'an v Hadees is darje per hai'n k koi Ummat ka Sahi ilm v Yaqeen wala inkaar nahi kar sakta aur in per Aitraaz Kï gunjaaish nahi rakhta,

★• Raha Tareeqa e kaar to iski Jo Shakl isme akhtyar Kï gayi he ,Jese Gasht ,Taleem ke Halke lagana aur Nikalna aur Nikaalna isme gor karne se Do baate maloom hogi ,

*_ Ek ye k Dilo ka Rukh Allah Ta'ala Kï aur Akhirat Kï taraf badalta he Ya nahi ye to Tajurba se ye sabke saamne ye Baat aa gayi k is nizaam me Shaamil hone wale ka Rukh Allah Ta'ala apni taraf badal dete he'n,

*_ Doosre is Tareeqa e Kaar se Tawazo ,Muhabbat aur Sifaate Hameeda paida hoti he ,

★• Lekin Ye tab hi he jabki Khalisan Allah Ta'ala ke liye aur Usool ke mutabiq nikla jaye ,aur Koi garaz darmiyan me na aaye aur nikalne ke baad Apne waqto ko sahi tareeqe se Ameer Kï itaa'at me guzaara jaye,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *320 in. sha Allah ta'ala*,
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                    *PART-320*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. *imtehaan Taraqqi ka Zariya Hai*

↬• Kabhi Kabhi Haq Ta'ala is Kaam ke Karne Walo per ibtla v imtehaan Kï shakl bhi laate hai'n, Jo Kaam karne walo ke liye Madad aur Nusrat ka Darwaza kholne ke liye hoti he, Kabhi bager imtihaan aur ibtla ke Gaibi nusrat nahi aati ,Aayate Qurani aur Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ke tamaam ibtla aur imtehaan wale Maidaan is per dalaalat kar rahe he'n ,

★• Isse Akhlaq me taraqqi hoti he ,Asbaab se Yaqeen hatta he ,Hikmat ke Parde khulte hai'n, Baseerat badti he ,Gaibi Nizaam samajh me aata hai ,aur Allah Ta'ala Kï badi Hikmate iske andar hoti hai'n, Jinko hamari Aqal nahi samajhti ,

★• Lekin apni Kamzori aur Be basi Kï vajah se Duae'n aur Aaho zaari is darje karte rehna chahiye k be saakhta Zubaan se nikle " Allah Ta'ala Kï madad kab aayegi "Sirf Takleef se nahi balki be chaini aur be qaraari ke saath zubaane be akhtyar ho kar ye alfaaz kehne lage ,is per " Khabardaar Allah Kï madad qareeb he " Vajood me aayega ,

★ • Jab imtehanaat khatm ho jate hai'n to khatre Kï ghaantiya'n Shuru ho jati he'n aur Yaqeen ghatne lagta he,

★. Huzoore Paak Sallallahu Alayhivasallam ka 23 saala daur imtehaan v ibtlaahi me guzra ,ESE hi Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu Kï khilafat ka zamana bhi ,Khilafate Farooqi me Wo imtehaan v ibtla khatm ho gaya aur har tarah Kï asaani aur sahuliyat ka daur shuru ho gaya ,Jiski vajah se Zara sambhalna pada ,

★• is tarah se humne Maulana ilyaas Sahab Reh. Ka zamana Kuchh Suna ,Kuchh dekha ,Wo bhi Kisi qadar ibtla v imtehanaat ka maloom hota tha ,Badzani karne wale aksar ,Yaha tak k Ulma bhi mayoosi dilate the ,Ya is kaam per ishkalaat karte the aur bahut se aitrazaat karte the,

★• Jama'ato ka na to istaqbaal tha na khane Kï Dawat balki Apni masjido me unka theharna bhi nagawaar samajhte the ,Paidal chalna ,Chane chabaana ,Patte khana aur is per bhi Baat sunne ke liye kisi ka taiyaar na hona ,Bada imtihaan tha ,

★• Lekin ab daure Farooqi Kï tarah istaqbaal he ,Lekin is zamane me badi badi Kamaaiyo ko chhod kar nikalna bhi koi mamooli haisiyat nahi rakhta ,us waqt faarig zyada the ,is waqt mashgool zyada ,Ye bhi ek qurbani he ,

★•Us waqt Kaam kam tha ,Lihaza Zikr aur Tahajjud ke liye waqt faarig hota tha aur ab kaam zyada ,Jamaato Kï mashgooli ,Tashkeel ,Hidayaat ,Rawangi vagera Avqaat ko is qadar ghair gaye k Zikr ka poora karna bhi mushkil aur Raat ka Tahajjud padhna bhi ,Ye ek Fitri cheez he, isse Na-ummeed hone Kï koi vajah nahi ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *321 in. sha Allah ta'ala*,
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-321*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. *Kaam Ka Failaav hi Gehraav Ka zariya Hai*

↬• Aaj Ek Fiqra Zubaano per aa raha hai k Kaam me Failaav Kï bajaye Gehraav Paida karo ,,,Bande ko Ye Fiqra Shaitaan ka Waswasa maloom hota hai ,Kyunki Ye na Khulfa e Rashedeen ke zamane me Kiya gaya aur na Tabaiyn aur Taba Tabaiyn ke Zamane me K Failaav ko Rok kar Gehraai me lago ,

★• Varna Dawat ka mizaaj to ye he k Failaav ke saath hi Gehraai Kï Jis qadar Koshish Apne liye ho sake karni chahiye Kyuki Failaav ko Rok kar Gehraai me lagne hi se Dawat khatm ho jati hai ,

★• Duniya walo ne bhi Apne Karobaar me iski koshish nahi Kï ,balki Apni Cheezo ko Failaane me koshish badhti hi chali ja rahi hai aur Gehraav unka kam hota chala jata hai,

★ • Ye ek qudrati nizaam hai k Jab Failaav zyada hoga tab Gehraai me Kami aayegi ,Jab Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ke Zamane me naye naye Shehar Fatah hue aur islaam chaaro taraf failaa ,us waqt Gehraai Kï kaifiyat kam ho gayi aur Logo me har cheez Kï kaifiyat ghat gayi , Qur'an Kï Aayat bhi iski taraf ishara karti hai k Gehraai Fatah Makka se pehle thi ,isme Kami aayi ,

★. Isme bahut so ka ishkaal paida ho sakta hai k Failaav ko Rok kar Gehraai me lagna Dawat ka mizaaj nahi he aur Dawat jab chalegi to Failaav zaroor hoga ,Dawat he hi Failane ke liye aur Jo Naye naye islam me aayenge ya Dawat me khade honge Unka Gehraav purano Kï tarah nahi ho sakta ,

*_ Khulfa e Rashedeen ka Daur bhi fark dikha raha hai k Jo Gehraai Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ke zamane me thi Wo Gazrat Umar Raziyallahu Anhu ke Zamane me nahi rahi aur Jo Unke zamane me thi Wo Hazrat Usman Gani Raziyallahu Anhu ke Zamane me nahi rahi ,Lekin islam Aalam me failta chala gaya,

★• Lihaza logo ko is fiqre me nahi padna chahiye,Lekin Kaam karne walo ko Mutavajjah zaroor karte rahe'n k Wo Apne andar Sifaat e Hamidiya aur Yaqeen ko badhane Kï Koshish karte hue chale ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *322 in. sha Allah ta'ala*,
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                    *PART-322*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. *Ambiya Alaihissalam Kï Siyaasat ( Politics)*

↬• Isme ( Dawat me ) ek Bahut badi cheez ye Shart hai k Zamana e Haal Kï Siyaasat me na pada jaye ,Kyuki ye Siyaasat Siyaasate Nabvi se bilkul alag hai aur bahu Baiyd hai ,

★• Jab Badar Kï taraf Jate hue Huzoore Paak Sallallahu Alayhivasallam ko Raaste hi me maloom ho gaya k Hamare muqable ke liye Quresh nikal khade hue aur Zaahir tha k Wo apni poori taaqat aur Asbaab ke saath nikle hai'n, Aur Madina Munavvara Huzoore Paak Sallallahu Alayhivasallam ke qareeb hi tha ,do hi manzil chale the To Aapne Madina munavvara se apni taaqat kyu nahi bulaayi ? Kya cheez ma'ane thi ? Kya Siyaasat thi ,isme kya Raaz tha ?

★• isi tarah tamaam tamaam gazwaat aur asfaar ek gehra sabaq aur gehri Siyaasat rakhte hai'n, Jo is zamane ke Siyaasat walo ke Dimaago per zarb lagati hai ,

★ • Gazwa e Mauta me Huzoore Paak Sallallahu Alayhivasallam ko Jung ka naqsha dikhlaya gaya aur ye bhi jaante the k Jis thodi si tadaad ko hum bhej rahe hai'n Wo Roomiyo ke muqable me bahut kam hai aur Aap Sallallahu Alayhivasallam ke paas us waqt Musalmano Kï tadaad Kuchh kam na thi ,To isme kya Raaz tha ?

★. Siyaasat Duniyavi Faayde Haasil karne ke liye Kaafir Kï bhi ho sakti hai Lekin Logo ke Dilo ka Rukh Allah Kï taraf Fairne ke liye Nabi hi Kï Siyaasat ho sakti hai ,

★• Nabi Kï Siyaasat se logo ke andar Tawakkul aur Taqwa Kï Sifaat paida hoti hai aur is Zamane Kï Siyaasat se bachna zaroori hai, is Siyaasat se to Ummat ke Tukde Tukde hote hai'n, Ye Gairo per kya Gaalib aayenge Apno ko bhi nahi Jod sakte ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *323 in. sha Allah ta'ala*,
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-323*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. *Ikhtilafaat se Door Rahe'n*

↬• Farui ikhtilafaat se bachne Kï is kaam me sakht zarurat aur Takeed Hai ,Zamane ke ikhtilafaat Ladaai aur Khoon Kharabe ka Raasta akhtyar kar chale hai'n,

★• Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum me Farui ikhtilafaat se Muhabbat aur ittefaaq v ittehaad kam nahi hota tha aur isse mukhalfat paida nahi hoti thi ,aur Aaj Mukhalfat is darje per Pahunch gayi hai'n k ek Doosre se qata talluq karne lage ,Muhabbat ke bajaye adaawat paida ho gayi ,

★• isliye is qaid ko laga kar Ummat ke ikhtilafaat aur inteshaar ko khatm kiya he, Ahle Haq ke tamaam Mazaahib is kaam ko karte rahe hai'n aur unke Ulma bhi is Usool ko pasand Kar ke is kaam Kï Pairvi farma rahe hai'n,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *324 in. sha Allah ta'ala*,
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-324*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. *Bayaan Ke Adaab*_

↬• is Kaam mai Sabse Bada khatra Bayan karne walo per hai ,

★• Wo ya to Apne Bayanaat Usool se hata dete Hai'n, Kisi Per zarb ,Kisi per Aitraaz ,Kisi Kï tanqees ,

★• Ya fir Bayanaat mai Tawazo Kï bajaye Kibr Kï Shaan Paida ho jati hai, Ye bhi hamare liye bahut khatre ki cheez hai ,Bayan ka Tareeqa Khushamadana ho -Jese Chhota Bado se koi baat keh raha ho ,

★ • Is waaste jab kisi cheez Kï Kami ko Bayan kare aur Kisi cheez ka nuqs Bayan kare to usme Lafz " Hum "istemal karna chahiye k Humse ye qusoor ho raha hai, Humme ye Kami hai ,

★. Aur Jab Tareef ka waqt aaye to Lafz " Aap " ka iatemal karna chahiye aur ye cheez sirf rasman nahi balki Aitraaz Qusoor ke Jazbe se honi chahiye, Apna qusoor aur Apni Kami auro se zyada saamne ho ,Taki Doosro ke qusoor aur Kami Kï Vajah se un per Aitraaz ya nafrat Kï shakl paida na ho Kyuki Wo bhi ikraam ke khilaaf hai ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *325 in. sha Allah ta'ala*,
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-325*

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. *Ikraam E Muslim*_

↬• ikraame Muslim ek aham number rakha gaya hai ,Asal ikraam Teen tabqaat ka hai ---

★• Ek Apne saathi ,Doosre Ulma ,aur Teesra Awaam unnaas ,,in Teeno tabqaat ka ikraam karne Kï Dil ke saath aur ikhlaas ke saath koshish karni chahiye, aur iski mashq karni chahiye,

★• Aur Wo mashq esi nahi k Jese gair Muslim quwwate karti Hai'n balki har ek Kï kisi na kisi sifte hameediya ko saamne rakh kar, K Wo Sift Allah Ta'ala ko Mehboob hai ,

★ • Kam se Kam Musalman mai agar Wo sift nazar na aaye to Kalma wala hone Kï sift zaroor milegi aur ye Sabse Badi sift hai ,Aur iska lihaaz karke ikraam karna Goya k Kalma ka hi ikraam hai aur Kalme ka ikraam Allah Ta'ala hi ka ikraam hai ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,

★• 🔜 *326 in. sha Allah ta'ala*,
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ *Hazrat Maulana Saieyd Ahmad Khan Sahab Reh*.

📃 *Tabligi Kaam Ke Aham Usool
    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
     *вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм*
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔                                                          
    *TABLIG⚵ RAAHE⚵ NIJAAT⚵ HAi*
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

                    *PART-326*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Sathiyo'n Ka ikraam*_
↬• Jo Apne Saathiyo se be ikraami ya bad khalqi se pesh aaye to ye doosro ka kitna hi ikraam kare ,ikraam uski sift nahi banegi aur ek Rasm hi samjha jayega ,
★• Apne Saathiyo ke ikraam mai apne ghar walo aur Rishtedaro ka ikraam bhi hai ,uske baad Khwaas ,Kuffar ka bhi ikraam hai ,
★• Jab Adi bin Haatim Huzoore Paak Sallallahu Alayhivasallam ke Paas islam lane se pehle Haazir hue to Aap Sallallahu Alayhivasallam ne Apni Chaadar Paak unke liye bichha Dï ,aur Apne Sahaba Raziyallahu Anhum se Khitaab kar ke farmaya ,
" Jab Tumhare Paas kisi Qaum ka Sardaar aaye to uska ikraam karo ,,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★•  *327 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-327*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*ikraam ke Aham Usool*_
↬• Ikraam mai Chaar Cheezo ka Usooli tareeqe se lihaaz rakhna zaroori hai,, Baqi Cheeze unhi ka hissa Hai'n,
★• 1- Aziyat per Sabr ,
2- Apna Maal un per Kharch karna ,
3- Har ek ke Saath Muskurate hue Milna ,
4- Aur Maamlaat mai Narmi karna ,
★• Agar in Cheezo Kï mashq karte hue Hum ikraam seekhenge Aur Allah Ta'ala se Dil ke Saath maangenge to in Sha Allah Ye Sift Haasil hogi,
★ • Sabse ounche darjaat ikraam karne walo ke Hai'n aur Sabse badi jaazbiyat ikraam karne walo mai hai ,Dushman bhi Zair ho jate Hai'n, Paraye bhi Apne ban Jate Hai'n,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★•  *328 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-328*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Husool e ilm mai Sahaba Raziyallahu Anhum Kï Tarteeb*_
↬• ilm ka number bhi isme badi Ahmiyat rakhta hai, Ummat ko agar Tareeqa e Nabvi Sallallahu Alayhivasallam ilm ke seekhne Sikhlaane ka maloom ho jaye to So fisadi Ummat mai ilm Zinda ho jaye ,aur is Dawat mai is Tareeqe ko Zinda karna hai,
★• Hamare Zamane ka Tareeqa Khwaas ke Liye hai ,Awaam ke Liye nahi hai ,isliye ek Tabqa ilm ke buland martabo ko pahunch raha hai k Quran ke haqaa'iq aur Waqaa'iq Bayan karta hai aur Doosra Tabqa Kalme se bhi na waaqif hai aur fara'iz ko bhi nahi jaanta aur aham Aqaa'id Kï bhi khabar nahi ,
★• Agar ilm ka Wo Tareeqa Zinda ho jaye Jis per Sahaba Kiraam ne ilm liya to Dono tabqo mai ifaada aur istfaada ka talluq bhi qaayam ho jayega aur har Aadmi ke andar ba-qadre Zarurat ilm bhi aa jayega ,
★ • Chunki zamane ka rivaaj ilm ke bare mai aur uska naqsha dimaag mai doosra ban gaya hai isliye Tableeg walo per Aitraaz ye he k ye ilm Kï taraf ragbat nahi karte aur na logo ko ragbat dilate Hai'n,
★. Doosre Awamun naas ko Jinko Kalma aur Namaz tak ke seekhne Kï Zarurat hai ,Aqaaid jaanne Kï Zarurat hai, Halaal Haraam pehchanne Kï Zarurat hai, Maamlaat ke ilm  Kï Zarurat hai, Unko Quran v Hadees ke Wo haqaa'iq aur waqaa'iq Sunaye ja rahe Hai'n Jo unke liye bager pehli Cheezo ke Sahi hue zyada faayda nahi rakhte , Jis Cheez Kï Pehli Zarurat hai uska ilm muqaddam hai ,
★• Hazrat Maulana ilyaas Sahab Reh.ilm  Kï nafi nahi farmate the magar ek Tarteeb batlana chahte the taki har Shakhs apni Zarurat ka ilm lane wala ban Jaye aur Wo ilm uski Zarurat ko poora kar de ,Mahaz tafreeh Talab na bane ,Huzoor Akram Sallallahu Alayhivasallam ke Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum Jo Tareeqa e ilm rakhte the usse ilm zyada aam ho sakta hai, baqi tareeqe mufeed zaroori hai magar us darje per nahi aur Unki umoomiyat bhi kam hai,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★•  *329 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-329*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Zikrullaah Mai Sahaba Ikraam Kï Tarteeb*_
↬• ESE hi Zikr ka number bahut aham hai aur ye bhi So fisadi Ummat mai usi tareeqe se aam ho sakta hai Jo Tareeqa Nabvi Sallallahu Alayhivasallam tha ,Jis per tamaam Sahaba Raziyallahu Anhum apne Karobaar ,Bivi Bachcho, Mashagil  mai Allah ka Zikr karne wale bane ,
★• Unki Kasrate Zikr Kï Jo shakl us zamane mai thi Wo Tamaam apni zarurato mai chalte aur mashgooli mai lage hue jaari thi ,Chunki iska naqsha is zamane me baqi nahi raha isliye doosri Shakle esi vajood mai aayi Jo badi faragat ko chahti Hai'n, isme bhi Bada faayda hai lekin umoom kam hai aur har Shakhs nahi chal Sakta,
★• Hazrat Maulana Ilyaas Sahab Reh. Usi Tareeqa e Nabvi Sallallahu Alayhivasallam ke Zikr ko zinda karna chahte the taki poori Ummat mai Zikr ullaah ka rivaaj pad jaye aur Wo ilme deen ke saath bhi aur Duniyavi uloom ke saath bhi aur Apne tamaam mashgalo ke saath bhi chalta rahe ,
★ • isse ilm aur Zikr dono ke tabqo mai ulfat v Muhabbat aur ifaada v istfaada Kï raah qaayam ho jayegi ,Kyuki har Musalman dono Sifto ka Sakht mohtaaj hai,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★•  *330 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                    *PART-330*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Tamaam Amaal Kï Pabandi Zaroori Hai*_
↬• Asal to Shuru ke Do hi number Hai'n- Kalma aur Namaz ,Baqi tamaam cheeze inhi mai Sahat aur Haqeeqat Paida karne ke Liye Hai'n aur inhi ko failaane ke Liye Hai'n,
★• Sahi Dawat per chalne wala Wo hoga Jo in Saari baato ka lihaaz rakhte hue Ummat ke saath Jud kar chale aur Ummat ko Jodte hue chale aur Uska maqsad na apni Duniya banana ho na izzat v Shohrat ho ,balki Allah Ta'ala hi ke Kalme ko Buland karna aur Kufr ko Khatm karna ho ,
★• Apni Saari haisiyato ko iske liye Qurban kare ,lekin isme bhi bahut Bada khatra pesh aa jata hai k Apni Qurbaniya'n qabile Tareef v madah  nazar aane lagti hai ,aur doosro se ikraam Talab ka mutaalib ban jata hai,
★ • Halanki isme ikraam Talab karna nahi balki doosro ka ikraam karna Seekhna hai ,
★. Agar saathi ikraam na kare to Dil mai khayal na aaye k mera ikraam nahi kiya aur iski vajah se Naam mai Susti na aaye varna Shaitaan is baat per le jayega k Saara kiya karaya Zaay ho jayega ,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★•  *328 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-331*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Hubbe Jaah Se Bacha Jaye*_
↬• Kabhi Dil me ye khayal na aaye k mene Apni Umar Dawat Kï qurbaniyo'n me aur Dawat ke Taqazo per laga di,idhar fir bhi meri Qadar nahi kar rahe balki Aitraaf e qasoor  badta rahe k " Haay !Maine kuchh nahi kiya aur maloom nahi k Qayamat me mere saath kya maamla hoga aur meri ye Mehnat qubool bhi hogi ya raayga ?
★• Sahaba ikraam Rizwanullah Anhum bavjood apni sahi qurbaniyo'n ke apne andar nifaaq ka Khof rakhte the,
★• Jab tak ye Sift hamare andar paida na ho jaye us waqt tak Sirf alfaaz hi alfaaz Hai'n Haqeeqat nahi ,aur imtehaan ke moqe per Aadmi alfaaz bhool jata hai aur Dil Kï Haqeeqat saamne aa jati hai aur esa Haal ho jata hai k Tote ( parrot ) ko Saalo Kalma padhaya ,Wo har waqt aane walo ke saamne bolta raha lekin Jab Billi ne dabocha to Kalma zabaan se nikalne Kï bajaye " Taay Taay " nikalne lagi ,
★ • isliye har cheez Kï Haqeeqat ka dhyan rakhna hai ,Abhi hamara ye Lafz aur Kalma k Allah hi se hota Hai, Gair se kuchh nahi hota ,Tote ka padhana hai ,Mehnat isko apne Dil mai utaarne Kï karni hai ,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★•  *332 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-332*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Gasht Ke Adaab v Ahmiyat*_
↬• is kaam me Gasht Reed Kï Haddi hai ,Ye tamaam Ambiya Kiraam Alaihissalam Kï Nisbat hai ,Huzoore Paak Sallallahu Alayhivasallam Makka Mukarrama mai ,Taa'if mai ,Mausame Hajj ke moqe per ,Meena mai Gasht hi farmaya karte the,
★• Kabhi Tanha ,Kabhi Hazrat Abbaas Raziyallahu Anhu ke saath Halanki Wo abhi Musalman nahi hue the,Kabhi Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ke saath ,Kabhi Zaid bin Haris Raziyallahu Anhu ke saath Goya k infiraadi aur ijtimaayi dono Tareeqe se Gasht farmaya , Surah Yaseen mai Teen Aadmiyo ka Dawat dene ke Liye Jana mazkoor hai , Hazrat Moosa Alaihissalam apne Bhai hazrat Haroon Alaihissalam ke saath Dawat dene chale ,Ye bhi mazkoor hai,
★• Aaj Gasht Kï ahmiyat nikal gayi aur Wo chhoot gaya ,Sirf masjido ka Vaaz o takreer baqi reh gaya, Wo bhi ganimat hai lekin Gasht kar ke laane per Jo Baat Kï taseer hai Wo bager Gasht ke nahi ,
★ • Har ek mugaalte me pad gaya aur Yu samajh liya k Ummat itna imaan rakhti hai k hamare Halaal v Haraam ,fara'iz v waajibaat ,Huqooq v Maamlaat ke Bayan sun kar Amal per aa jayegi ,
★. Halanki imaan is Qadar kamzor ho gaya k Sun kar Amal per aana mushkil hai ,Yahi vajah hai k Kasrate Vaaz v Takreer aur Tehreer ke Ummat girti chali ja rahi hai, Taraqqi pazeer nahi ,Bad Amali Kï taraf ja rahi, Amaal Kï taraf nahi badh rahi hai,
★• isliye is Khayal ko Dil me Jama kar k imaan kamzor ho chuka he, Mojooda imaan se aana dushwaar ho gaya ,Pehle ese imaan Kï Zarurat hai ,Jo khwahishat ke khilaaf Huzoore Paak Sallallahu Alayhivasallam Kï taraf kheench le , isliye Gasht Kï bahut Zarurat hai,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★•  *333 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                    *PART-333*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Gasht Ke Adaab v Ahmiyat - 2 ( Pichhle Part se Aage)*_
↬• Gasht mai Apne liye zillat Kï mashq hai aur is Sabaq ko Seekhna aur mashq karni hai ,Doosre ikhlaas Kï Maahq hai ,Teesre Basirat Haasil karne Kï mashq hai ,Chothe Ummat ka Dard aur Gam Haasil hota hai aur Sunnate Ambiya hona to Sabse Badi cheez hai ,
★• Aur Jis qadar Jaddo Jahad isme pesh aati hai aur Kisi Amal per pesh nahi aati aur Jis Qadar Sabr v Tahammul Kï Sifaat isme Haasil hoti hai aur Kisi Amal mai nahi hoti , Agar ye zinda ho jaye to poora Deen zinda ho jayega ,
★• Maulana ilyaas Sahab Reh. Ka ek malfooz hai k Hum is kaam se 2 baate chahte Hai'n ,
*_1- Avval ye k Poori Ummat Jama'ate ban ban kar Gaanv Gaanv ,Shahar Shahar ,Mulk Mulk ,Aqleem Aqleem Huzoore Paak Sallallahu Alayhivasallam Kï Cheezo ko le kar firne Kï Sunnat ko zinda kar ke paaydaar kar de ,
*_ 2- Aur doosri cheez ye k Har Musalman ka Dili Jazba ye ban jaye k mera Kaam is Duniya mai Allah ke Raaste mai Jaan dene ke Siva aur Kuchh nahi ,
★ • Aur Sahi Usoolo ,Sahi niyat aur Sahi Jazbe ke saath Gasht kiya jaye to insaano me Deen is tarah failta chala jaye jese baarish ke zariye zameen per Sabza ,Galle ,Fal Fool khilte chale jate Hai'n,
★. Aur ye Gasht tamaam Kaamo ke saath, Mashgooliyo ke saath chahe Deeni ho ya Duniyavi ,Ahlo ayaal rakhte hue har Shakhs kar sakta he Jese Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum karte the ,Agar ye Gasht zinda ho jaye to Deen zinda ho jayega ,Apne andar bhi aur Doosro ke andar bhi ,
★• Tarke layani zaroori hai varna isse Deen Kï Ronaq jati hai aur Ye bhi bahut Dushwaar ban jata hai, Allah Ta'ala Hume Tofeeq ataa farmaye aur Hamare liye asaani farmaye , ( Aameen)
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★•  *334 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-334*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Daayi Kï 8 Sifaat*_
↬• Daayi mai Ye Aath Sifaate Hona chahiye ,,,
★• 1-Ummat ke saath Muhabbat ka hona ,
★• 2-  Apni islaah Kï Niyat se Dawat dena ,
★ • 3- Jaan v Maal v Waqt Kï Qurbani ka Jazba hona ,
★. 4- Takabbur aur Badaai Kï bajaye Aajizi v inksaari ka hona ,
★• 5- Kaamyabi Milne per Allah Kï madad samajhna ,
★• 6- Logo ke na maanne per Na- Ummeed na hona ,
★• 7- Logo ke Takleef dene per Sabr karna ,
★• 8- Har nek Amal ke Aakhir mai istigfaar karte rehna ,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★•  *335 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                    *PART-335*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*isteqamat Ke 17 Asbaab -( 1se 10 )*_
↬• Dawat mai isteqamat Ke 17 Asbaab Hazrat Maulana Saieyd Ahmad Khan Sahab ne Tehreer farmaye ,:----
★• 1- Jo is Kaam ko Dil ke saath Karega Wo Jamega ,
★• 2- Jo Rozana Dawat dega uske jazbaat bante rahenge ,Jo Dawat nahi dega uske Jazbaat toot te rahenge ,
★ • 3- Jo maahol mai rahega Wo Jamega ,Jo Maahol se katega Wo Dawat se kat jayega ,
★. 4- Jo is kaam mai Rukhna Daalega Wo katega ,
★• 5- Ameer Kï itaa'at aur Mashwaro ka paaband rehne wala Jamega ,
★•  6- Jo Kisi ke Aib dekhega wo is kaam se katega ,Jo Achchhaiyo ko dekhega Wo jamega ,
★•  7- Jo Tawazo akhtyar karega Wo Jamega ,Jo Takabbur ke saath chalega Wo nahi jam sakta ,
★• 8- Baaz Gunaah ESE hote Hai'n Jinki vajah se Kaam se mehroom ho jata hai,--
*_ Geebat ,Agraaz ,Tanqeed ,Bad- nazri ,Shehwat ,,,,,
★•  9- Jo mazahib tavajjah  istigfaar karta rahega Wo Jamega ,
★• 10- Jo Doosro Kï Galtiyo'n ko Apne ouper lega Wo Jamega ,Jo Apni galti doosro per daalega Wo nahi jam sakta,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★•  *336 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                    *PART-336*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*isteqamat Ke 17 Asbaab -( 11se 17 )*_
↬• Dawat mai isteqamat Ke 17 Asbaab Hazrat Maulana Saieyd Ahmad Khan Sahab ne Tehreer farmaye ,:----
★• 11- ,Jo Huzoor Sallallahu Alayhivasallam ke saath Munaafqat karega Nafa nahi utha sakega ,hatta k imaan bhi Naseeb na hoga ,
★• 12- Jo Doosro Kï Galat baat Kï taaveel kar ke Achchhe Ma'ani matlab Kï taraf le jayega Wo jamega ,Jo har baat ka ulta matlab lega Wo nahi jamega ,
★ •  13-Jo Aadmi Allah Ta'ala se darte hue aur maangte hue chalega Wo Jamega ,Jamne ko maangna padega varna hil jayega ,
*_ Huzoor Sallallahu Alayhivasallam bhi , isteqamat Kï Dua maangte the ,Hazrat Ibrahim Alaihissalam ne bhi Dua maangi ," Ey Allah ! Mujhe But Parasto Kï But Parasti se bacha ," Halanki unse But Parasti ka imkaan bhi na tha ,Unhone maanga to hum kya cheez Hai'n,
★. 14- Jo ikhlaas se Qurbani dega ,Allah Ta'ala use har haalat me jamayega ,Ese moqo per jab logo ke qadam ukhad rahe honge ,Allah Ta'ala a'ala darje Kï Raza Naseeb farmayega ,
★• 15- Jo Ye kahega k meri vajah se Kaam ho raha hai, Wo Mehroom ho jayega ,Jiske mutalliq log ye samjhenge k iski vajah se kaam ho raha hai, Allah Ta'ala use uthaa lenge ,
★•  16- Hazrat Ji Reh. Farmaya karte the Jo naqal per ukhdega Wo Asal per kese jamega ,Hum to naqal karne wale Hai'n ,
★•  17- Jo Poori Ummat ke Gam le kar chalega Uske Dil Kï kaifiyat ko Allah poore Aalam per daalenge  ,
*_Saaf si Baat hai k Koi bhi kaam Sahi Usoolo ke mutabiq karne per hi Sahi nateeja deta hai, Tableegi kaam ke Usool Jaanne Ke Liye hamare paas isse behtar koi Zariya nahi k Baani e Jama'at Hazrat Maulana ilyaas Sahab Reh ke qareebi logo se kaam ke Usool seekhe ,*
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★•  *337 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-337*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈… *Sifaat v Kamalaat aur khususi imtiyaz*
↬• Hazrat Khwaja Nizamuddin Avliya Reh. Ko Jab unke Sekh v murshid  Hazrat Khwaja Fariduddin Ganj Shakar Reh. ne khilafat ata farmayi to Zabane Mubarak se ye alfaz bhi irshad farmaye the ,
★• " Allah Ta'ala ne tumko ilm v aqal v ishq Kï daulat ata ki he aur Jo in Sifaat ka jaam'a ho Wo Masha'ikh Kï khilafat Kï zimmedariya'n khoob ada kar sakta he ,Tum ek Saaya daar darakht honge jiske saaye me Allah Kï Makhlooq Araam payegi ,istedaad Kï taraqqi ke liye mujahida karte rehna ,"
★• Dar Haqeeqat Maulana Muhammad Yusuf Sahab Reh. Ka bhi yahi haal tha ,Khuda ne Aapko ilm v  aqal Kï Daulat bhi ata farmayi thi aur ishq ,dardo soz Kï niyamat se bhi nawaza tha ,
★ • Maulana Sayyad Abul Hasan Madni Khud apne tassuraat ka izhaar karte he'n ,__
"...... imaan bil gaib ki taaqat, Dawat ke shagaf aur inhimaak aur taseer Kï wus'ate quwat Maine us daur me Maulana Muhammad Yusuf Sahab Reh. Ka koi hamsar aur muqabil nahi dekha ,Yu'n to unki Shakhsiyat me bahut se ese Kamalaat paye jate the Jinme unka paaya bahut buland tha ,Unki imaani quwat v Jurraat ,Unki Namaz v Dua ,Sahaba Kiraam Kï Zindgi se unki gehri waqfiyat aur unke halaat ka istehzar ,itteba e Sunnat ka ahatmam, Fahame Qur'an aur waqyaate AMBIYA Alaihissalam se Azeem nataa'iz ka istakhraaj ,Dawat v Tasneef ke mutzaad v mashagil ko Jama karne Kï quwat aur Akhir me unki gair mamooli maqbuliyat v Mehboobiyat ,
*_Ye sab unki Zindgi ke Wo pehlu aur numaya Sifaat hai'n Jinke mutalliq bahut kuchh likha ja sakta he, Aur jiske lafz lafz Kï tasdeeq Wo sab log karenge Jinko unki khidmat me kuchh din rehne Kï Sa'adat ya kisi Safar me rafaqat ka sarf haasil hua hai aur Unki tadaad hazaaro Kï hai ,"
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★•  *338 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-338*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. *Deeni Dawat me  inhimaak*
↬• Hazrat Maulana ilyaas Sahab Reh. Ke intiqal ke baad Maulana Muhammad Yusuf Sahab Reh. Per sabse zyada Jo kaifiyat taari hui Wo Deeni Dawat me inhimaak Kï thi ,
★• Jis Dawat ke liye Hazrat Maulana ilyaas Sahab ne jaan de Dï aur unki Zindgi me Maulana Muhammad Yusuf Sahab Reh ilmi mashgooli Kï khaatir is Dawat me Khatir khwah waqt na de sake, ab Wo Dawat Hazrat ke Dil Kï Awaaz ban gayi ,ab Woh Dawat me itne mashgool ho gaye k iske alawa koi aur cheez Yaad na rahi ,Unki Shab v Roz aur saare Avqaat bas Dawate Deen me ghir kar reh gaye ,
★• Araam v Raahat ya Ghar me Sukoon v tamanat se ek ghadi guzaarne ka bhi waqt nahi milta tha ,Tabligi Dawat se itna ishq ho gaya tha k iske alawa na kisi Kï baat ko Sunna gawara karte the na kisi aur mashgale ko pasand karte the,
★ • Hazrat ki Pehli Ahliya Mohatrama Hazrat Shekhul Hadees Madzillahu Kï sabse badi Sahabzadi thi ,Hazrat Maulana ilyaas Reh ke inteqal ke baad aleel ho gayi aur unki alalat rafta rafta shiddat akhtyar karti gayi aur Akhri naazuk shakl akhtyar kar gayi ,
*_ Lekin Maulana Yusuf Sahab ko kaam me itna zyada inhimaak ho chuka tha k unka zahan v dimaag is kaam ke alawa aur kisi taraf nahi chalta tha aur agar chalta tha to waqt me itni gunzaish na hoti k woh timaardari kar sake ,
★. Maulana Manzoor Sahab Naumani Kï Ahliya Muhatrama ne ek baar Jaa kar Hazrat Kï Ahliya Mohatranma se is be tavajjohi aur be iltifaati Kï vajah daryaft Kï to Unhone jawab diya ,:--
*_ Wo Din Raat Deen Kï Fikr me aur Deen ke kaam me lage rehte he'n unko apna hosh bhi nahi he ,Maine khud hi unse keh diya k Aap meri fikr bilkul na kare ,Dava, Ilaaj ho hi raha he ,Agar Allah ne Jannat me Jama farma diya to waha'n itminan se rehne ka moqa milega ,"
★• isme koi shak nahi k jab kisi ko cheez se ishq ho jata he to Duniya Kï har cheez qurbaan kar dene ko taiyaar ho jata he ,Yaha'n tak k apne Tan Man ka hosh tak nahi rakhta ,Hazrat ka yahi haal tha ,Deeni kaam se unko ishq ho gaya tha, unki majlis me sivae Jama'ato Kï aamado raft ,Avqaat ka mutalba karne ,Jama'ato Kï tashkeel aur us per muzakra ke aur kuchh na hota ,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★•  *339 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-339*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. *iztiraab v Beqarari*
↬• iztiraab aur beqarari ne Hazrat Kï Zindgi ke sare gosho ko ghee rakha tha ,Unki zaban khulti to Deeni Dawat aur Musalmano Kï bad-haali aur kaam Kï zarurat par khulti ,Unki Aankhe un afraad ko talash karti Jo apna azeez waqt Deen ke liye dene aaye ho ,Isi fikr me sote aur isi fikr me jaagte the ,Aur mehman aata to yahi fikr paata ,Aksar bechen ho kar farmate ," Haay Allah mai Kya karu ?"
★• Aur kabhi farmate ," Kash Duniya ka koi hissa aisa mil jata Jaha'n Islam apne Sahi Khato haal ke saath Nazar aata ,"
★• Kabhi labo per Muskurahat aa jati ,magar Dil iztiraab v bekali se choor choor hota ,maloom hota k Dil me ek Aag si lagi hai ,Maulana ke Sare Jazbaat v ahsasaat ko Jala kar raakh kar diya hai ,
★ • Baat karte karte Aasteen chada lete ,Thodi thodi dair baad Aah bharte Jo dardo Asar me doobi hoti ,Maulana us daur  me Allah Kï ek Zabardast nishani they ,Unhe dekh Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ke Sahaba Kiraam ke Dard v Fikr ko samajhna Asaan ho jata tha,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★•  *340 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-340*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. *imaan v Yaqeen-1,*
↬• Hazrat Maulana Yusuf Sahab Reh .Kï Sabse Mumtaz aur Sabse badi Sift imaan v Yaqqen aur Khuda ke Vaado par Aitmaad Kï thi ,is Aitmaad aur Yaqeen v imaan billaah ne dar Haqeeqat is Deeni Dawat me Jaan daali , Jo Log Talab se baat Ko sunte Wo Apne andar imaan v Yaqeen Kï Bijli dudti hui mehsoos karte ,
★• Hazrat is tarah Jannat aur Dozakh ka zikr farmate ,Akhirat ke aish v Raahat aur azaab v takleef ko is tarah bayan farmate k jese Sare manazir unki Aankho ke saamne ho ,Ain dalaail aur Misaaio se unki Haqeeqat ko bayan farmate k sunne walo ki nigaaho me Duniya waham v Tilasm ke Siva kuchh Nazar na aati ,Yahi Wo imaan Kï taaqat thi jisne beshumar logo ke Dilo Kï Duniya badal Dï aur lakho dil imaan ke jazbe se mamoor aur Qurbani v isaar Kï lazzat se makhmoor ho gaye ,
★• Ek baar Hazrat Kï Taqreer sun kar ek Sahab ne Chilla likha diya aur Safar per Rawana ho gaye ,Unke Waalid ka Khat aaya k Mere Ladke ko Kaha'n bhej diya ,Mai'n Budha hu'n ,Wo hota to Kamata aur meri Raahat ka samaan muhaiya karta ,,
*_ Unko ye likh kar chain na aaya to Khud Nizamuddin aaye aur Aate hi bigad gaye k mere Ladke ko bigaad diya ,Na kaam ka raha na Kaaj ka ,
★ • iske baad Maulana Kï taqreer mai beth gaye aur poori taqreer sunk ,Sunte hi mutassir ho gaye aur besaakhta khud bhi Chilla likha diya aur fir Hazrat ke payr dabane lage aur bole ," Hazrat Mujhko Shikayat thi k Aapne mere Ladke ko bigaad diya Ab to Mai'n khud bigad gaya ," Maulana ye Sun kar hansne LAGE ,
,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★•  *341  in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                    *PART-341*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. *imaan v Yaqeen-2*
↬•   Qazi Muhammad Adeel Abbaasi Apne tassuraat bayan farmate hai'n,
" Jis tarah Aaftabe Aalam taab Kï Suaao ( Sooraj Kï Roshni se ) s Aankhe chakachondh ho jati hai usi tarah Jab Mai'n Pehli martaba Hazrat Reh se do Chaar hua to Azeem buzurg insaan ke saamne mujhe hairat is baat per hui k Bachpan se Ulma ko Sunne ka Shoq raha ,Ye Anokhi baate kis kitaab me likhi thi Jo kisi ne Aaj tak bayan nahi Kï ,
★• Jab waha'n se lauta to Chand Ahbaab ne Sawal kiya k ye Hazrat Ji kaun hai'n ?/mere tassur ka ye Aalam tha k Maine Jawab diya k, Khabardaar uski taqreer sunne na Jana ,Bada Khatarnak insaan hai ,Apne saath bala Kï kashish aur jaazbiyat rakhta hai ,Bas apne saath ghaseet le jata hai aur Ek do Raahe per khada kar deta hai ,
★._ Aur Un Aankho se dikha deta hai k ye Jannat he ,Ye Jahannam he ,Jidhar Chahe Jao ,aur natija ye he k Uski baate Sunoge to Jo Halwa Parathe gaflat me hum log uda rahe hai'n Wo sab Chhoot jayega ,"
★. Meri is bad-tameezi se logo ka ishtiyaaq bada aur Jo gaya Wo Apne Dil me ek Zabardast tees aur gehra zakhm le kar aata ,Use ahsaas ho gaya k Wo  Jis Raah per chal raha he Wo kaisi holnaak aur Khud faramoshana he,
★•  Ye thi Sunnate Khatimul Ambiya Sallallahu Alaihivasallam Jo Hazrat Maulana ko ( Jinhe log Adaban Hazrat Ji kehte they,) naseeb hui thi ,Mujhe Hindustan ke behtar Ulmao masa'ikh ko DEKHNE, unki khidmat ka sarf haasil hua lekin Apni Zindgi me ESA ( Hazrat Ji jesa )  koi nahi paya Jisme A'ala darje Kï roohaniyat ho k paas bethte hi Apne A'maal saanp bichhoo ban kar kaatne lagte aur Ruju ilallaah ka jazba paida ho kar Khashiyate ilaahi taari ho jaye ,aur Apne NAFS ke nazdeek aur bad amaaliyo se tauba kar ke Raahe Mustaqeem Akhtyar karne Kï TALAB paida ho ,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★•  *342  in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                    *PART-342*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Shane Tawakkul aur Be Niyazi*_
↬• Maulana Muhammad Yusuf Sahab Reh.Kï Shane Be niyazi mai Apne masa'ikh aur Akaabir Salf ke sachche namoona they ,Unhone apne Madarse aur Apne idaare ke liye kisi Raqam ka qubool karna ya kisi Kï madad Lena gawara nahi Kï ,
★• Hazrat Maulana ilyaas Sahab Reh ke zamane se markaz mai Bada langar jaari tha ,aur ek ek waqt mai Pachaso Aadmi khana khate they ,Maulana ke inteqaal ke baad halaat badal gaye aur Kuchh arse tak Wo baat na rahi Jo pehle thi ,Lekin Wo Langar Jaari raha aur Jama'ato Kï aamado raft badhti gayi ,
★•_Maulana Yusuf Sahab Reh usi farakh dasti se mehmano aur musafiro ka ikraam farmate rahe ,aur kharch mai zarra barabar bhi Kami na Kï ,Hazrat Shekh Reh ne is faeakh dili aur farakh dasti ko dekhte hue farmaya,:
*_Molvi Yusuf ! Chacha Jaan ( Maulana ilyaas Sahab) ke zamane mai aur baat thi ,Tum apni basasat ke muwafiq halaat ka lihaaz rakhte hue Kaam Karo_"
Iske Jawab mai Maulana Yusuf Sahab Reh ne farmaya:-
"Bhai Ji ! Lene wala Badla hai ,Dene wala nahi Badla ,"
★• Ek waqt Qarz Kï Raqam bahut dino tak ada nahi ho saki ,Jiska Dukaan se Samaan aata tha ,Uske maalik ne taqaza kiya ,Us qarz Kï adaygi ke intezam ke liye Dehli ke kuchh Ba Tofeeq Log aur Hazrat Ji ke talluq rakhne wale Dosto ne Hazrat Ji  ko bataye bager 25 hazaar Kï Raqam apne paas se Jama kara Dï aur aapas me ye tay kar liya k Hazrat Ji ke ilm me ye baat bilkul nahi layi jaye aur ye Raqam markaz ke intezam mai kharch Kï Jaye ,
*_ Kisi na Kisi tarah Maulana ko iska ilm ho gaya ,Unhone un Hazraat ko bula kar Poochha aur tehqeeq ke baad irshad farmaya :-
"_Aap logo ne Jo kuchh kiya Nek niyati Se kiya lekin mere saath ye ek tarah ka Zulm hai , Jab is tarah ke intezam Aap log karenge to Fir Allah Kï madad ke qabil nahi rahenge ,Allah Kï madad ke qabil hum usi waqt rahenge Jab tak Duniya mai hamara koi sahara na ho aur Hamari nazar bas Allah ke Khazane aur uski madad per ho aur hum muztar Ho'n ,"
Iske baad Aapne Hukm diya k har ek apni apni Raqam le le ,chunache ESA hi kiya gaya ,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★•  *343 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-343*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
         ❈…… .. _*Aalami Dawat*_
↬• Maulana Deen ko kisi qila mai mahsoor nahi samajhte they ,Na Deeni Dawat ko kisi khaas muqaam ya Kisi Khaas tabqe ke liye jaante they ,Unhone Shuru hi se Aalami Dawat deni shuru kar di ,Wo bhi bade zoro Quwwat se aur Aitmaad v Yaqeen se Dawat dete ,Unke saamne koi khaas mulk na tha na koi Khaas Shoba tha ,
★• Maulana Saare Aalam ko Dawat ma Maidaan samajhte they aur har har khitte mai Daaiyo'n ko Jane aur Dawat ka kaam karne per poori tarah amaada karte they,
★• Shuru Shuru mai jab Maulana ne Logo ko Bahar nikalne Kï Dawat di ,To mukhliseen v muhabbeen aur Talluq rakhne wale ese Hazraat Jinka Deeni Dawat se gehra  talluq tha ,Khud hairat mai pad gaye k ESE Daur mai Jabki muqaami Kaam bhi poori tarah nahi ho pa raha hai, Maulana Door daraaz aur beroon Kï kese Dawat de rahe hai'n ? Aap Hazrat Maulana ilyaas Sahab Reh Kï tarah itni ounchi baat keh dete hai'n,
★ • Maulana ne farmaya:- Mujh mai aur Hazrat Ji mai ye farq hai k Hazrat Ji Reh Pahaad ki Choti per khade ho kar logo ko Choti per bulaate they aur mai Pahaad ke Daaman mai khada ho kar Logo ko Choti per Chadne Kï Dawat deta hu'n ,"
★.Maulana Kï is Aalami Dawat ka ye nateeja nikla k Hindustan v Pakistan Kï Jama'ate na sirf apne apne mulko mai balki mukhtalif mulko mai baar Jane lagi aur Mulko Kï jama'ato ne markaz Nizamuddin aana shuru kar diya ,is tarah Saari Duniya ghar aangan ho gayi aur Hudood v faaslo ka farq mit gaya ,
★• Wo Mewati Jinka Mewaat se nikalna Dushwaar tha aur Jab Hazrat Ji ilyaas Sahab Reh ne ek baar Mewatiyo ko U P mai firne Kï Dawat Dï to Un Mewatiyo ne Sakht Hairat aur Tajjub ka izhaar kiya tha aur Safar ko apne liye Dushwaar Tareen kaam samjha tha ,,,,Lekin ab Wahi Mewaati Jama'ato ko le kar Poore aitmaad v Yaqeen ke Saath America ,Japan ,Bartaniya vagera mulko mai firte rehte hai'n,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★•  *344 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-344*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Joshe Taqreer aur Zauke Dua*_
↬• Maulaana Kï taqreero mai Jo faizane ilaahi hota tha aur Jo Aamad hoti thi uske mutalliq khud Maulana farmate they,:- K Jo mai Bayan karta hu'n Uske mazameen Aksar Raat ko Khwab mai aate Hai'n ,"
★• Maulana Kï Taqreer ibtidaai daur mai mukhtasar hoti thi magar Roz ba Roz taveel aur Pur Josh hoti gayi ,Jitna Jitna zamana guzarta jata Ye Josh badhta jata tha ,Maloom hota k Seene mai ek Lava hai Jo Ubal ubal kar bahar nikal raha hai, Aakhir Umar mai to kaafi taveel ho gayi thi ,4-4 ghante tak jaari rehti ,
★• Maulana Har Khitaab ke baad Dua farmaya karte they, Dua bhi kesi ? Itni taaqatwar aur mo'assir k jiski misaal milna mushkil hai ,
★ • Dua mai Sabse Pehle Khuda Kï Sifaat Bayan farmate ,Uske baad Qur'an v Hadees Kï Duae'n Padh kar Apni Kamzori Bebasi ka izhaar farmate aur islam aur Musalmano Kï Aafiyat aur un per Rahmat v Shafqat Kï darkhwast farmate aur Fasaad ke  mitne aur Fasaad karne walo Kï hidayat ya halaakat Kï iltija karte aur ek ek ka naam le kar Khuda ke Huzoor mai arz karte ,
★. Aankhe Aansuo'n Se behne lagti aur insaano Kï cheenkhe nikal padti ,Har sunne wala Josh v Nishat Kï kaifiyat mai doob jata aur ye Yaqeen ho jata k Sainkdo Farishte Aameen kehne walo ke Saath Aameen keh rahe hai'n ,
★•Sayyad Abul Hasan Sahab Nadvi Reh kehte Hai'n,,
*_ Jab Maulana Dua farmate to Hazireen ka ajab Haal hota ,Khaas Tor per jab Urdu mai Dua ke alfaaz ada farmate ,To Aansuo'n ka Sailaab umad aaya ,Door door se Rone walo Kï Hichkiya'n Sunne mai aati ,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★•  *345 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-345*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Juhad ,Sabr V Azmiyat-1,*_
↬• Shayad Hi esa koi waqt milta ho Jisme Hazrat  Araam karte ho ,is Raah mai unke liye Koi cheez maane na thi ,Barish ho ya Aandhi ho ,Faqro Faaqa ho ,Bimari azaari ya aur koi rukawat ,Hazrat Ji Reh chattaan Kï tarah Apne muqaam per zindgi bhar Jame rahe aur Bade se Bade haadse aur Takleef ka dat kar muqabla kiya ,
★• Sabse Pehla moqa aaya jab k Hazrat Maulana ilyaas Sahab Reh ka inteqal hua ,Ye waqt Badi Aazmaish ka tha ,Bade bade talluq wale bhi apni jagah per qaayam na reh sake aur Kaam se hat gaye ,Jo baqi they Wo apne aapko andhere mai paate ,
★• Maulana Muhammad Yusuf Sahab Reh ka agarche ye haadsa unka zaati haadsa tha aur Ghar ka haadsa tha, Shafeeq Waalid ka Saaya Sar se uth gaya tha ,aur Sirf Saya hi nahi utha tha balki ek Azeem kaam ka baare amanat ( Dawat ki Zimmedari ) sar per pada tha ,
★ • Lekin Hazrat Ji Reh ne Sabaat qadmi se Kaam liya aur Sabhi Hazraat ko fir Jama kiya aur Kaam Kï qayadat sambhali aur Apni Jaan v Maal sab kuchh nichhawar kar diya, Akaabir ne Sar Parasti Kï aur Himmat afzaai kar ke Maulana ke Dil ko mazboot kiya ,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★•  *346 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-346*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Juhad , Sabr v Azmiyat -2*_
↬• Doosra moqa Hindustan ke Batware ka hai ,Wo Daur bhi Kitna Sakht aur Aazmaish ka tha ,Bade se bade Soorma aur Mazboot Aadmi ke qadam ukhad chuke they,
★• Lekin Hazrat Ji Reh ne Hijrat se Saaf inkaar kar diya aur Aapne Bade se Bade haadse ka muqabla kiya aur Kaam kiya ,
★• Bhopal mai ijtima tha ,Un dino Hazrat Ji Reh Kï Raan per Ek bahut bada Zakhm tha  Jiska Haal ye tha k Harkat karne aur Zor se Taqreer karne se usme se Khoon jari ho jata tha ,
★ • Maulana isi Haal mai Bhopal tashreef le gaye aur Adaat ke mutabiq ijtima mai Taqreer bhi farmayi ,Zakhm Kï Takleef kafi bad gayi thi ,Bhopal se faarig hone ke baad waha se 40 -50 meal ke faasle per ek aur ijtima tay tha ,Hazrat Ji Reh waha bhi tashreef le gaye ,
★. Lekin tay ye hua k yaha Maulana Taqreer nahi farmayenge balki fala'n saathi Kï Taqreer hogi ,Magar Saathi Kï Taqreer ke baad Hazrat Ji ko ahsaas hua k Dawat Quwwat ke Saath nahi Dï ja saki ,To Apne androoni Jazbe se magloob ho kar khud Taqreer ke liye israar farmaya ,
★• Haalat ye thi k Bethne ke layaq bhi nahi they, chunache let kar Bolna shuru kiya ,idhar Zakhm Kï haalat ye thi k usme se khoon jari ho gaya ,Ek kapda laga diya jata ,Jab Wo bilkul Tar ho jata to doosra kapda badal diya jata ,is tarah kai kapde khoon se Bhar gaye aur Hazrat Ji ne Adaat ke mutabiq Taqreer farmayi ,aur Allah ke us Bande ko kuchh hosh nahi tha  kya ho raha hai,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★•  *347 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-347*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Juhad ,Sabr v Azmiyat -3,*_
↬• Ek Jalse Ke dauran Barsaat ka Mausam tha ,Pandaal basti ke bahar laga hua tha ,Hawa ka ek Jordaar Jhoka aaya aur Sare pandaal ukhad gaye ,
★• Hazrat Ji Kï Taqreer hone wali thi aur Majma sunne ke liye betaab tha ,Hazrat Ji Tashreef laye ,Khutba shuru hi kiya tha k Zor Shor se Barish shuru ho gayi ,Logo ka theharna mushkil ho gaya ,Magar Hazrat Ji apni jagah jame rahe aur logo ko pukaar pukaar kar bulate aur apne makhsoos andaz me farmate :-,
"Kaagaz ke nahi ho k gal jaoge ,Mitti ke nahi ho k pighal jaoge ,"
★• Hazrat ina'amul hasan Sahab Reh Chhatri le kar aaye to Hazrat Ji ne ROK diya aur farmaya:- k,
*_ Kya hum apne Kaamo ke liye Rozana line me khade ho kar ya Khaito me hal chalate hue bheegte nahi hai'n? Apne Liye nahi bheeg raha hu'n ,Khuda ke liye bheeg raha hu'n ,Aaj ka ye mera bheegna Kal Qayamat mai kaam dega ,"
★ • Hazrat Ji Maulana Muhammad Yusuf Sahab Reh ka Ye Sabr v istaqlaal aur Dawat ke liye Qurbani dekh kar makhlooqe Khuda dhaade maar maar kar Rone lagi aur Aapas mai kehne lage ,"" Batao Bhai is Shakhs ko kya laalach hai ,,"?
★. Aur majme ka ye Haal tha k chala aa raha tha ,Kapde baarish se tar batar they aur Aankhe Aansuo'n se tar ,,,Maulana Kï Dadi se Paani beh beh kar gir raha tha ,Ek bhi Shakhs esa na tha Jo Hazrat Ji ko is Haal mai chhod kar apne ghar Kï Raah leta ,Log Unki Taqreer humma Tan ho kar sun rahe they, Aur Rone Kï awaazo se fiza goonj rahi thi ,
★• Baarish barabar tez ho rahi thi aur Hazrat Ji is Aalam mai bhi Josh v Walwale aur Tasalsul se Taqreer farma rahe they, Kai ghanto Kï Taqreer isi tarah hoti rahi aur Majme ne Sabr v Sukoon aur Zoq v Shoq se Suni ,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★•  *348 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                    *PART-348*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Tawazo aur Khaak Saari*_
↬• Hazrat Ji ke Andar bavjood ilm v fazal aur Zuhad v Taqwa ke had darje Tawazo aur khaaksaari thi ,
★• Apne Bado ke saath bade se Bada maamla karte aur Chhoto ke saath barabar walo ka sa maamla karte ,Ahle ilm ke ilm ka aitraaf karte ,Unki Qadar karte unko apne sar per bethane ki koshish karte aur Badi izzat v ahatraam ka maamla karte ,Khususan un logo ke saath Jinka talluq Hazrat Maulana ilyaas Sahab Reh se raha ho aur Deeni Dawat se talluq raha ho ,
★• Har naye aane wale ke saath Wo jis darje ka Aadmi hota usse ouncha maamla farmate ,
★ • Hazrat Ji Reh ko Kisi Aalim se bavjood apne ilm v fazal ke istfada karne mai hijaab nahi hua ,Unhone apni Mashoor Kitaab "Hayatus Sahaba " likhni shuru Kï to usme bhi Kabhi pasho pesh nahi kiya k kisi ahle ilm ke saamne Kitaab ko pesh kare aur islaah ke taalib ho ,
★.Maulana izharul Hasan Sahab Kandhalvi Bayan karte hai'n k ,Ek baar Basti Nizamuddin mai Mehtaro ne hadtaal kar Dï ,Mehmaan Mard to Jangalo mai Jaa kar Faarig ho lete lekin Aurto'n ka masla Sakht ban gaya tha Ya un Mardo ka Jo Budhe ya Bimaar they,
*_ isse gandgi felne lagi ,Hazrat Ji ne kai din tak mehmano aur ghar walo Kï najasat uthaa kar jangal mai le ja kar fenki  magar kisi ko iski khabar na Dï ,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★•  *349 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-349*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..  _*ittehaad v Yakjahti*_
↬• Hazrat Ji Maulana Muhammad Yusuf Sahab Reh mai ek imtiyazi sift aur hazaar kamaalo ka ek kamaal ye tha k Mukhtalif maslak rakhne walo ko Jode rakhte they ,
★• Hazrat Ji ke nazdeek ikhtilaaf ne Ummat ko tabaah kar diya tha aur Ulma ko Awaam Kï nigaah mai zaleel kar diya tha ,Hazrat Ji ke nazdeek Deeni Dawat ka kaam Ummat Kï Bhalaai Kï Buniyaad tha ,isliye iski Raah mai Jo cheez bhi rukawat hoti Wo qabile mazammat thi ,
★• isliye Hazrat Ji ne Kabhi koi esa masla nahi chheda Jisse aapas ka takeaav hone ka andesha ho ,Sirf fazail per apni Dawat ko chalaya ,Masail Muftiyo aur Ulma per chhod diye , aur Ittehaad v Yakjahti ko Akhri waqt tak qaayam v jaari  rakha aur Kisi waqt bhi ikhtilaaf paida hone na diya ,
★ • Hazrat Ji Kï is Deeni Dawat ko har tabqe ne qubool kiya ,Ek hi waqt mai Darul uloom Devband ke Ulma v Talba aur Muslim University ke Professor aur Students, Sufiya v Sajjad nasheen aur Siyasi aur Angrezi logo ne is Dawat ko qubool kiya ,ek hi saath Safar kiye aur Aaj bhi ek hi Saf mai mukhtalif nazariya rakhne wale aur mukhtalif Soch wale log khade hue hai'n aur Kaandhe se kaandha milakar is Dawat ke liye safar kar rahe hai'n, Ameer ,Gareeb ,Chhote bade ka koi farq nazar na aayega ,
★. Dar Asal ye Hazrat Ji Reh ki sabse Badi sift aur Kamaal tha k Unhone saare daano ko ek hi Tasbeeh mai piro diya tha ,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★•  *350 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    *PART-350*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*itteba e Sunnat*_
↬• Hazrat Ji Kï poori Dawat v Tehreek Kï buniyaad hi itteba e Sunnat thi ,Khud Aapki zindgi Sunnat Kï pervi aur Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam Kï Muhabbat per thi ,
★• Khud Farmate :- Aaj har tabqe mai Jo har jagah Joota chal raha hai aur Masail bigadte ja rahe hai'n, Iska ilaaj sirf Hazrat Muhammad Sallallahu Alayhivasallam ke tareeqe mai hai ,Jo jitna karega ,Allah Ta'ala Kï taraf se utna payega ,"
★• Doosri jagah irshad farmaya :- Allah Ta'ala ne Hamari Duniya v Akhirat ke Masail ka hal Hazrat Muhammad Sallallahu Alayhivasallam ke tareeqe per zindgi guzaarne mai rakha hai ,Unke tareeqe Hamari zindgi mai aa jaye iske liye mehnat Kï Zarurat hai ,"
★ • Farmate :- Ek Din bachpan mai Hazrat  Maulana Muhammad ilyaas Sahab Reh ne farmaya, Yusuf tujhe mai Kutub banne ka raasta batau'n ?
Arz kiya ,Hazrat Bataiye Kutub banne ka raasta kya hai? ,
*_Farmaya ,Yusuf ! Jis jagah jis waqt Huzoor Sallallahu Alayhivasallam Kï Sunnat ke khilaaf koi Amal ho raha ho ,Uske muqable mai Sunnat ko rivaaj dene ke liye, Mehnat ,bager jagah aur waqt Kï taqeed kiye karna ,,,Ye Qutub v Abdaal banne ka Raasta hai ,

------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★•  *351 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

           

No comments:

Post a Comment