Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Wednesday, December 14, 2016

✿ ​JANNAT-KI-RAAHAI'N PART 01 SE 50​  ✿


🎗✨⚡⚵

.                                   
        
         ❈ ​बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम​ ❈

╭•∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽•╮
┆  ✿ ​JANNAT-KI-RAAHAI'N​  ✿
╰•∽–∽–∽–∽–∽–∽•╮
       

                   ​PART-- ①​

        ┅┅━━═۞═━━┅

         ☞ ​Jannat Ke Darwaze​
     
          
⚃ ➠ Jo Log Apne Rab Kï Nafarmani se bachte thai ,Unhai'n giroh dar giroh Jannat Kï taraf le jaya jayega ,Yaha'n tak k Jab Wo waha'n pahunchenge aur uske darwaze pehle hi khole ja chuke honge to uske muntazimeen unse kahenge ,
" Salam ho Tum par ,Tum bahut achchhe rahe ,ab isme hamesha hamesha ke liye dakhil ho jao ,"

*_ Wo kahenge :- Khuda ka Shukr hai ,Jisne hamare Vaade ko sachcha kar dikhaya aur Hukmo is sarzameen ka vaaris bana diya ,hum Jannat me Jaha'n chahe rahe'n ,"

​Ref-$​__ Az- Zumar :73-74
        
⚃ ➠ Waha'n Hameshgi ke bagaat honge Jinme Wo khud bhi Dakhil honge aur unke Aabaav wajdaad, Biviyo'n aur Aulaad me se Jo Nek kirdaar honge ,Wo bhi jagah payenge ,Farishte har darwaze se unke istaqbaal ke Liye aayenge aur unse kahenge ,

*_ "Tum par Salaamti hai ,Tumne Duniya mai Jis tarah Sabr se Kaam liya ,uski badolat Aaj tum iske Mustahiq hue ho ,Pas kya hi Khoob hai ye Akhirat ka Ghar ,"
     
​Ref-$​__ Ar- Ra'ad ,23
     
⚃ ➠ Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ka farman hai ,Jannat mai Aath (8) darwaze hai'n ,unme se ek darwaze ka Naam " Rayaan"hai Jaha'n se sirf Rozedaar Dakhil honge ,

​Ref-$​__Sahih Bukhari ,3257       

⚃ ➠ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya , Jannat Ke ek kinaare se doosre kinaare tak ka faasla Chalees (40) saal Kï musafat ke barabar hai aur yaqinan ek din aayega k Jannat Logo ke hujoom se bhari hogi ,"

​Ref-$​__  Sahih Muslim ,7361 

📚 Jannat Kï Raahai'n ,27-28

   ╟❥ ​Next-02 Soon in Sha Allaah​  

•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
  
 
                   ​PART--②​
        ┅┅━━═۞═━━┅

☞ ​Ahle Jannat Kis Shaan se Jannat me Dakhil honge ?​
     
⚃ ➠ Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne iski vazahat in alfaaz me farmayi hai ,

*_ Sabse Pehla giroh Jo jannat me Dakhil hoga ,Unke Chehre Chodhvi Raat ke Chaand Kï tarah chamak rahe honge aur uske baad Jo log Jannat me jayenge unke Chehre Falak ke sabse zyada Roshan Sitaare Kï tarah chamak rahe honge ,
        
⚃ ➠Jannat Ke Bashindo ko na Peshab Kï Haajat hogi na pakhane Kï ,Na Wo thookenge aur na hi Naam nitharenge ,
     
⚃ ➠Unki Kanghiya'n Sone Kï hongi aur Unka pasina ese hoga jese Kastoori hai aur unki Angethiyo me aud sulag raha hoga ,
        
⚃ ➠ Unki Biviya'n moti moti Aankho wali Hoore'n hongi ,
        
⚃ ➠ Sabke Adaat v Khasail ek jese honge ,Apne Baap Aadam Alaihissalam Kï soorat per honge ,Saath (60) haath qad hoga ,
      

.   📚 Sahih Bukhari, 3327 Sahih Muslim, 7078

   ╟❥ ​Next-03 Soon in Sha Allaah​   
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
 

                   *PART--❸ *
        ┅┅━━═۞═━━┅

☞ ​Sabse Adna Darja Ke Jannati Kï Badshahat Kitni Azeem hogi ?​
     
⚃ ➠ Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam bayan Farmate he'n,
" Moosa Alaihissalam ne Apne Rab se Sawal kiya k Sabse adna darje ka Jannati Kon hoga ?

Farmaya :- Wo Aadmi k ahle Jannat ke Jannat me Dakhil hone ke baad use laya jayega aur usse kaha jayega k Jao jannat me Dakhil ho jao ,

Wo kahega :- Ey mere Rab ! Log apni jagah Sambhal chuke aur Tamaam jagah bhar chuki ,ab ye Kaise mumkin he ?

Usko kaha jayega : - Kya Tu is par Razi hai k Tujhe Duniya Kï badshahat jesi ek badshahat mil jaye ,

Wo Kahega :- Ey mere Rab ! Mai'n Razi hu'n ,

ALLAAH Farmayenge :- Tere liye Duniya Kï ek badshahat aur itni hi aur ,itni hi aur ,itni hi aur ,aur us jesi ek aur ,Jab Paanchvi dafa ALLAAH farmayenge ,tere liye Duniya Kï ye Paanch Badshahate aur uska Das Guna mazeed aur tere Liye Wo sab kuchh Jo tera Dil chahega aur Jisse Teri Aankh Lutf andoz hogi ,

Wo kahega :- Ey mere Rab Mai'n Razi hu'n,
     
⚃ ➠Fir Moosa Alaihissalam ne Puchha :- Ey mere Rab ! Sabse bartar Darje ka Jannati Kon hoga ?

ALLAAH ne farmaya :- Ye Wo log hai'n jinko Maine khud chuna aur unke Sharf v Azmat Kï Maine apne haath se Aab yaari Kï aur us par muhare tasdeeq sabt kar Dï ,Jo kuchh unke liye taiyaar hai ,Wo Aaj tak kisi Aankh ne dekha nahi ,Koi kaan isse Saam'a Nawaz nahi hua aur na koi Dil uska tasavvur tak kar sakta hai ,

*_ Fir Aankho Kï Thandak ka Jo samaan humne unke liye taiyaar kar rakha hai ,Kisi Zi nafs ko uski khabar nahi ,

​Ref-$​_ Sahih Muslim, 464     

⚃ ➠ Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya:- Sabse Kam darje ka Jannati Wo hoga k ALLAAH Ta'ala uska Chehra Jahannam se fer kar Jannat Kï taraf kar dega aur usko ek Saaya daar darakht dikhayega ,use dekh kar Wo Aadmi kahega ,Ey mere Rab ! Mujhe is darakht ke qareeb kar de taki Mai'n iske saaye tale ho jau'n ,

*_ iske baad mukammal Hadees hai ,Jisme us Shakhs ke Jannat me Dakhil hone aur uski Aarzuo'n ka tazkirah hai ,Aakhir me ye alfaz hai'n,:-

*_Jab uski Tamaam Aarzue'n khatm ho jayengi to ALLAAH Ta'ala farmayege :- Tujhe ye sab kuchh aur iska Das Guna mazeed diya jata hai ,

*_Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya:- fir jab Wo Apne ghar Jannat  me Dakhil ho jayega to Do moti moti Aankho wali Hoore'n Biviya'n ban kar uske paas aayengi aur kahengi ,Allaah ka Shukr hai Jisne Tujhe hamare liye paida kiya aur Hume Tumhare liye paida kiya ,Wo Shakhs ye sab kuchh dekh kar kahega ,Allah ne kisi ko itna zyada nahi diya Jitna mujhko diya hai ,

​Ref-$​_ Sahih Muslim ,363

⚃ ➠ Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya:- Sabse kam darje ke Jannati ko Jannat me ye maqaam MILEGA k ek hazaar Khaadim uske aage pichhe honge aur har khaadim ka kaam ek doosre se mukhtalif hoga ,iske baad Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Qur'an Kï Ye Aayat Padhi ,

"Jab unhe'n dekho to samjho k Moti hai'n Jo bikher diye gaye hai'n, "

​Ref-$​_Targeeb v Tarheeb ,3705   

   ╟❥ ​Next-04 Soon in Sha Allaah​   
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
 

                   *PART--❹ *
        ┅┅━━═۞═━━┅

☞  ​Ahle Jannat Ke Darjaat mai Tafawut​
     
⚃ ➠ Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka farman hai k ,
" Jannati Log darjaat mai tafawut Kï vajah se Jannat ke Kamro mai ek doosre ko is tarah dekh rahe honge Jis tarah tum Mashriq v Magrib ke ufaq par door kisi chamakte hue sitaare ka nazara karte ho ,
        
⚃ ➠ Logo ne arz kiya ,Ey Allah ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam! Ye darje to Ambiya ke honge ,Doosro ko nahi milenge ,

*_ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya, Kyu nahi ,Us zaat Kï qasam jiske haath mai meri jaan hai ! Ye darjaat un Tamaam logo ko milenge Jo Allaah par imaan laye aur Unke Paigambaro ko sachcha jaana ,"
   

.   📚 Sahih Bukhari ,6555,6556 Sahih Muslim, 7073

   ╟❥ ​Next-05 Soon in Sha Allaah​   
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
  
 
                   *PART--❺ *
        ┅┅━━═۞═━━┅

☞  ​Jannat Kï imaraat, Uski Mitti aur Bajri​
     
⚃ ➠ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu bayan Farmate he'n k Humne kaha , Ey Allah ke Rasool Sallallahu Sallallahu Alaihivasallam ! Hume Jannat ke mutalliq bataye'n k uski imaarte'n Kaisi hongi ?

*_ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya, Ek iynt sone Kï hogi aur ek iynt chaandi Kï ,Jiske darmiyan chunaai Kastoori Kï hogi ,Unki Bajri lo lo aur Yaqoot Kï hogi aur uski Mitti Zafraan Kï hogi ,Unke Baasi khushaal rahenge ,Kabhi muflis nahi ho'n ,Hamesha Hamesha Rahenge ,Kabhi maut nahi aayegi ,Na unke Libaas boshida honge aur na gafwane Shabaab Zawal pazeer hoga ,"

​Ref-$_​Targeeb v Tarheeb ,3711       

⚃ ➠ Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu ka bayan hai k ,Allah Ta'ala ne Jannat ko paida kiya ba soorat iski ek iynt Sone Kï thi aur ek iynt Chaandi Kï thi aur iski Chunaai Kastoori se Kï aur iske baad Allaah ke Hukm se Jannat Goya hui " Bila Shubha Momin Kamyaab hai "

to Farishto ne kaha ,Ey Badshaho Kï iqamat gaah tujhe Mubarak ho ,"

​Ref-$_​Targeeb ,371    

   ╟❥ ​Next-06 Soon in Sha Allaah​ 

•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
 

                   *PART--❻ *
        ┅┅━━═۞═━━┅

☞  ​Jannat Ke Kamre aur Ahle Jannat Ke Khaime'n​
     
⚃ ➠Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
" Jannat Ke Kamro Kï Kaifiyat ye hogi k unka Zaahir, Baatin se jalwagar hoga ( Dikhta hoga ) aur Baatin Zaahir se Nazara gar ( Nazar aata hoga ) ,"

*_ is par Abu Maalik Ash'ari Raziyallahu Anhu ne kaha ," Kon khush naseeb unki iqaamat guzeni ke sharf se behrah yaab honge ( Yani unme rehne wale kon khush naseeb log honge )  ?

*_ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya, Wo Shakhs Jo Umdah goi ka paikar raha ( Jiske Akhlaq achchhe honge ) aur Apna dastarkhwan logo ke liye khula rakha ,aur Raato ko qiyaam kiya Jabki log mahve khwab the ( yani soye the)  " 

​Ref-$_​Targeeb 617

⚃ ➠ Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
" Momin ko Jannat me Moti ka ek Kholdaar Khaima milega ,Jiski lambayi Saath (60) meal hogi ,Usi mai uski Biviya'n bhi hongi ,Wo sabke paas baari baari jayega  ,Lekin Wo ek doosre ko dekh nahi sakengi ,"

​Ref-$_​ Sahih Bukhari, 3243 Sahih Muslim, 7087    

   ╟❥ ​Next-07 Soon in Sha Allaah​  

•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
  
 
                   *PART--❼ *
        ┅┅━━═۞═━━┅

          ☞  ​Jannat Ke Bazaar​
     
⚃ ➠ Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,

" Jannat me ek Bazaar hoga ,Jannati Har Juma ko waha'n jayenge ,Fir baade saba ( Hawa ) chalegi jisse unke Chehre aur Kapde Khaak alood ( mitti mai ) ho jayenge ,Lekin isse unka Husn aur Khoobsoorti doguni ho jayegi ,

*_ is haal me Jab woh apni Biviyo'n ke paas waapas lotenge to unki Biviya'n unse kahengi ,Allaah Kï qasam ! Hamare baad tum aur zyada haseen aur Khoobsurat ho gaye ho ,,Woh jawab denge :- Allah Kï qasam ! Tum bhi hamare baad aur zyada haseen ho gayi ho ,"

​Ref-$_​ Sahih Muslim, 7075      

⚃ ➠ Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu bayan karte he'n k ,

" Ahle Jannat Ek Doosre se kahenge ,Chalo Bazaare Jannat Kï taraf chalte he'n ,Fir Woh Kastoori ke ek pahaad ke paas pahunchenge ,Waha'n se Palat kar Jab Woh Apni Biviyo'n ke paas pahunchenge to unse kahenge ,Tumse aisi khushbu aa rahi hai Jo isse pehle kabhi nahi thi ,

*_ To Woh jawab dengi ,Tumse bhi aisi khushbu aa rahi hai Jo Yaha'n se nikalte hue nahi thi ,"

​Ref-$_​ Targeeb ,3753    

   ╟❥ ​Next-08 Soon in Sha Allaah​  

•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
 

                   *PART--❽ *
        ┅┅━━═۞═━━┅

         ☞ ​Jannat Kï Nehre'n​,
     
⚃ ➠ Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne bayan farmaya ,

" Jannat me ek Nehar hai ,Jiske Kinaare Sone ke hai'n, Uski guzargaah Heere Jawahraat Kï aur Uski Mitti Kastoori se bhi zyada Umdah aur uska Paani Shahad se Zyada meetha aur Barf se Zyada Safed hoga ,"

​Ref-$_​ Sunan Ibne Maaja, 3498      

⚃ ➠ Aap Sallallahu Alaihivasallam ka farman hai ,

" Jannat Kï Nehre'n Kastoori ke Teelo aur Pahaado ke niche se niklengi ,"

​Ref-$_​ Sahih Targeeb, 3721
     
⚃ ➠ Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,

" Jannat me ek Samandar Paani ka hai ,Ek Doodh ka ,Ek Shahad Ka aur Ek Sharaab Ka ,fir usse mukhtalif Nehre'n Jaari hongi ,"
        
​Ref-$_​ Targeeb, 3722

   ╟❥ ​Next-09 Soon in Sha Allaah​ 

•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
  
 
                   *PART--❾ *
        ┅┅━━═۞═━━┅

        ☞ ​Jannat Ke Darakht​
     
⚃ ➠ Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,

"_ Jannat mai Ek Darakht hai ,Ek ghudsawar uske saaye mai So ( 100 ) saal tak chalega ,Lekin uski musafat tay na kar sakega ,agar iska misdaaq chahte ho to Qur'an Kï Ye Aayat Padhlo ,K ( Ahle Jannat ) door door tak faili hui chhaav aur har dam rawa paani se lutf uthayenge ,"

​Ref-$_​ Sahih Bukhari, 3253 Jamia Tirmizi, 3292
       

⚃ ➠ Ek Doosri Rivayat me hai k Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,

"_ Jannat ka Ek Darakht itna Bada hoga k intehaai tez raftaar ghode par sawaar Shakhs So ( 100 ) Saal tak uske Tale ghoda daudane ke bavjood uska faasla tay na kar sakega ,"

​Ref-$_​ Sahih Muslim, 2828 Sahih Bukhari, 6553
    

⚃ ➠ Sulem Bin Aamir bayan karte he'n k Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ke Sahaba Raziyallahu Anhum kaha karte the k Allaah Ta'ala hume A'arabiyo'n aur Unke sawalaat ke zariye nafa pahunchata hai ,Woh bayan karte he'n k ,

"_ Ek Roz ek dehaati aaya aur kehne laga ,Ey Allah ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ! Allaah Ta'ala ne jannat me ek Zarar rasaal darakht ka tazkira kiya hai aur Mai'n nahi samajhta k Jannat mai koi esa darakht bhi hoga Jo jannati ke liye takleefdah aur zarar rasaal ho ?

*_Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne puchha ,Woh konsa darakht hai ? 
Usne kaha ,Bairi ka Darakht, Jiske Kaante bade Khatarnak aur takleefdah hote he'n,

*_ Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya, Kya Allah Ta'ala ne nahi farmaya ,Esi Beriya'n Jo Be Khaar hongi ,Allah Ta'ala ne uske Kaante khatm karke har kaante Kï jagah ek Fal laga diya hai ,us Fal ke 72 Rang aur Zaayqe honge aur sab ek doosre se mukhtalif,

​Ref-$_​ Sahih Targeeb ,3742

   ╟❥ ​Next-10 Soon in Sha Allaah​ 

•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
  

                   ​PART--⑩​
        ┅┅━━═۞═━━┅

     ☞  ​Ahle Jannat Ke Khane​
     
⚃ ➠ Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,

*_Ahle Jannat Khayenge aur Piyenge Lekin na unhe'n bolo baraz Kï Haajat hogi aur na Naak nithaarne Kï ,Unka khana dakaar me tehleel ho jayega aur us dakaar mai Kastoori Kï mahak hogi ,Ahle jannat ko Tasbeeh v Takbeer ka ilhaam hoga Jis tarah nafs ko ilhaam hota hai ,"

​Ref-$_​Sahih Muslim, 7083     

⚃ ➠Hazrat Abu Umama Raziyallahu Anhu se moqoof Rivayat hai ,Woh bayan karte hai'n k ,

"_ Jannati Jab jannat ke kisi mashroob Kï khwahish karega to us mashroob ka bhara hua Jaam khud ba khud uske haath mai tham jayega ,Fir peene ke baad Wo jaam apni jagah par lot jayega ,"

​Ref-$_​ Sahih Targeeb, 3738    

⚃ ➠ Inhi se Rivayat hai k ,

"_Jab Koi jannati kisi Parinde ka Gosht Khane Kï Khwahish karega to foran us Parinde ke bhune hue Tukde uske saamne aa jayenge ,"

​Ref-$_​ Sahih Targeeb, 3741      

   ╟❥ ​Next-11 Soon in Sha Allaah​  

•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
  
 
                   ​PART--❶❷​
        ┅┅━━═۞═━━┅

☞  ​Ahle Jannat Ke Libaas aur Poshaak​,
     
⚃ ➠ Allaah Ta'ala farmate he'n,

"_ Unke liye sada bahaar Jannate hai'n, Jinke niche Nehre'n ho'n ,Waha'n Wo Sono ke Kangano se araasta kiye jayenge ,Bareek Resham aur utlus v daiba ke Sabz Kapde pehnenge aur Ounchi masnado par Takiye lagaye bethenge ,Behtreen Ajr aur A'ala darje Kï jaay qayaam ,"

​Ref-$_​ Surah Al-Kahaf ,31 
        
⚃ ➠ Aur Farmaya , Unke ouper Bareek Resham ke sabz Libaas aur utlus v Daiba ke Kapde honge aur unko Chaandi ke kangan pehnaye jayenge aur unka Rab unko nihayat Pakiza Sharaab Pilayega ,"

​Ref-$_​ Surah Ad-Dahar ,21
     
⚃ ➠ isi Baat ka tazkira Surah Hajj mai is tarah farmaya ,

"_ Wo Log Jo imaan laye aur  Nek Amaal kiye unko Allaah esi Jannato mai Dakhil Karenge Jinke niche Nehre'n beh rahi hongi ,Waha'n Wo Sone ke Kangano se araasta KIYE jayenge aur unke Libaas Resham ke honge ,"

​Ref-$_​ Surah Al-Hajj ,23
        
⚃ ➠ Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,

"_ Jo Shakhs jannat mai Dakhil ho gaya Wo Hamesha khush haal Zindgi mai hoga ,Kabhi mohtaaj nahi hoga ,Na uska Libaas boshida hoga aur na uski jawani dhalegi ,"

​Ref-$_​ Sahih Muslim, 7085
        
⚃ ➠ Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,

"_ Sabse Pehla giroh Jo jannat mai Dakhil hoga ,Unke Chehre chohdhvi Raat ke Chaand Kï tarah chamak rahe honge ,neez farmaya, har Jannati ke liye do Hoore'n moti Aankho wali uski Biviya'n hongi ,Har Bivi Sattar Jodo se araasta hogi ,Uski Pindli ka gooda uske Jodo aur Gosht ke ware Nazar aayega Aur Jannat mai koi Shakhs bhi Bivi ke bager nahi hoga ,"

​Ref-$_​ Musnad Ahmad ,2/507 Sahih Targeeb, 3745
    

   ╟❥ ​Next-12 Soon in Sha Allaah​  

•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•

                   ​PART-- ①②​
        ┅┅━━═۞═━━┅

☞ ​Ahle Jannat Kï Masahriya'n aur Takhat​
     
          
⚃➠ Hazrar Abdullah bin Masoud Raziyallahu,,,,, Allah Ta'ala ke Farman "Jannati ESE Farsho per Takiya lagaye hue honge Jinke Astar dabeez Resham ke honge ," ( Surah Ar -Rahman :54) Kï Tafseer me farmate hai'n k Jab Unke Astar itne Haseen v Jameel honge to fir unke Abrah ka kya Kamaal hoga ,"
        
​Ref-$_​ Mustadrak Hakim ,2/516 ,Sahih Targeeb ,3746

⚃➠ Allah Ta'ala farmate hai'n,, " Ahle Jannat Sone Kï taaro se bane hue takhato per ek Doosre ke saamne Takiye Lagaye Bethe honge ,"

​Ref-$_​ Surah Al-Waqi'a- 15-16

*_ Aur farmaya " Ye Waha'n Takhato per Takiye lagaye bethe honge ,na waha'n Aaftaab Kï garmi dekhenge na jaado Kï sardi ,"

​Ref-$_​ Surah Ad- Dahar :13    

⚃➠ Aur farmaya , "Uske andar Buland Masahriya'n aur Masnade hongi ,"
        
​Ref-$_​Surah Al- Gashiya :13
   

   ╟❥ ​Next-13 Soon in Sha Allaah​   
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
 

                   ​PART-- ❶ ❸​
        ┅┅━━═۞═━━┅

      ☞. ​Ahle Jannat Kï Biviya'n​
     
          
⚃➠ Allah Ta'ala farmate hai'n,
" Hum un Biviyo'n ko Khaas Tor per Naye Sire se paida karenge aur Hum aur Hum unhe'n Kunwariya'n bana denge ,Woh khawind Kï Hum umar aur Use Muhabbat karne waliya'n hongi ,"

​Ref-$_​Surah Al- Waqi'a :35-38      
     
⚃➠imaam ibne kaseer Reh. Is Aayat ke zaman me farmate hai'n,
" Yani Allah Ta'ala unhe'n ek dafa fir naye sire se paida farmayega ,Jabki Wo Beva Aur Budhi ho chuki hongi ,Woh Bevgi ke baad fir se Kunwariya'n ho jayengi ,Sheeri kalaam hone Kï vajah se Apne khawindo ko intehaai Mehboob hongi aur Baaz ne kaha k Wo badi naazo nakhre wali hongi aur baaz ne isse Wo Aurte'n muraad li hai'n Jo Apne Shoharo Kï achchhi tarah dekh bhaal karne wali hongi ,Matalba ye hai k ye tamaam khoobiya'n unme ek waqt Jama hongi ,"

​Ref-$_​ Mafhoom Tafseer Qur'an ul Azeem ,4/292   

     
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ne Ahle Jannat Kï Aurto'n Kï Sifaat Bayan karte hue farmaya ,
" Agar Koi jannati Aurat Jannat se Aameen Kï taraf Jalwa gar ho to Zameen v Asmaan ka Khala Khushbu se Bhar jaye aur Roshni se munawwar ho jaye aur uske Sar ka Dupatta Duniya v Mafeeha se zyada behtar hai,"

​Ref-$_​Sahih Bukhari ,2796
        
     
⚃➠ Aur Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ne Jannati Aurato'n ke Husno Jamaal ka tazkira karte hue farmaya,
" Har Jannati ko Do moti Aankho wali Hoore'n bator Biviya'n ataa Kï jayengi ,Har Bivi Kapdo ke Sattar Jode Zebo tan kiye hogi ,Usko Pindli ke andar ka goods uske Kapdo aur gosht ke ware is tarah Saaf nazar aa raha hoga ,Jis tarah Saaf saffaaf sheeshe ke gilaas me Sharaab nazar aa rahi hoti hai ,"
        
​Ref-$_​ Sahih Targeeb ,3745

   ╟❥ ​Next-14 Soon in Sha Allaah​   
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
 

                   ​PART-- ①④​
        ┅┅━━═۞═━━┅

☞  ​Jannat mai Hoore'n Khush Haal Nagme Gaayengi​
     
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ka farmaan hai ,
" Ahle Jannat Kï Biviya'n Apne Shoharo ke saamne nihayat Khush alhaani se gaayengi aur Unki awaaz is qadar khoobsurat hogi k Kabhi kisi Kaan ne nahi suna hoga ,"

​Ref-$_​ Mafhoom Hadees Sahih Targeeb ,374
        
⚃➠Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se moqoof rivayat hai ,Wo Bayan karte hai'n k ,
" Jannat me Jannat jitni lambi Nahar hogi ,Uske dono kinaaro per khoobsurat Kunwari Ladkiya'n aamne saamne Kataar banaye khadi hongi ,Wo nihayat Khush awaaz mai gaayengi ,Jannat ke Baashinde unhe'n sunenge ,Hatta k Wo samjhenge k isse bad kar Jannat mai Lazzat ka koi aur Samaan nahi hai ,"

Humne Kaha ," Ey Abu Huraira Raziyallahu Anhu Wo Gaana kya Hoga ?

Kaha ," Agar Allah ne chaha to Wo Tasbeeh v Tamheed aur Taqdees aur Rabbul izzat Kï Sana hogi ,"

​Ref-$_​ Sahih Targeeb ,3751    

   ╟❥ ​Next-15 Soon in Sha Allaah​   
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
 

                   *PART-- ①⑤ *
        ┅┅━━═۞═━━┅

☞ ​Ahle Jannat Kï Quwwat e Mardi​
     
⚃➠ Allah Ta'ala Farmate hai'n,
" Aaj Jitne Log maze karne me mashgool hai'n Us Din jannati aur Unki Biviya'n ghane saayo me honge ,Masnado per Takiye lagaye hue, Har qism Kï lazeez cheeze Khane Pine ko Unke liye waha mojood hongi ,"

​Ref-$_​ Surah Yaseen ,55-56
        
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ne Jannat mai Momino Kï quwwate Mardi Ka Tazkira karte hue farmaya ,

" Bila Shubha Jannat mai har Shakhs ko Khaane ,pine , Shehwat aur Jima'a mai So ( 100 ) mardo Kï quwwat ataa Kï jayegi ,"
     
​Ref-$_​ Sahih ibne Hibaan ,16/443

   ╟❥ ​Next-16 Soon in Sha Allaah​   
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
  
  
                   *PART-- ①⑥ *
        ┅┅━━═۞═━━┅

☞ ​Ahle Jannat ke Ghode aur Sawariya'n​,
     
⚃➠ Suleiman bin Buraida Apne Baap se Bayan karte hai'n k Ek Shakhs ne Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam se Puchha ,

Ey Allah ke Rasool Sallallahu Alayhivasallam ! Kya Jannat mai Ghode honge ?

Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya,
" Agar Allah ne tujhe Jannat mai dakhil kar diya ,fir agar tum ye khwahish karoge k Mai'n sirf Yaqoot ke Ghode per Sawaar ho kar Jannat mai jaha'n chaahu Parwaaz karu ,To yaqeenan tumhari ye Khwahish poori hogi ,"

Fir ek Doosre Shakhs ne Sawal kiya k ,
Ey Allah ke Rasool Sallallahu Alayhivasallam ! Jannat mai Oount bhi honge ?

To Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ne usko Wo jawab nahi diya Jo uske saathi ko diya tha ,balki Aap Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya ,

" Agar Allah ne Tujhe Jannat mai dakhil kar diya, To tujhe waha har Wo cheez mayassar hogi Jo Tera Dil chahega aur Jisse Teri Aankh lazzat yaab hogi ,"

​Ref-$_​Tirmizi ,2543 Sahih Targeeb ,3756 
        
⚃➠ Abu Ayyub Raziyallahu Anhu ka Bayan hai k Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ke Paas ek Dehaati aaya aur Kehne laga ,

Ey Allah ke Rasool Sallallahu Alayhivasallam ! Mujhe Ghoda bahut pasand hai ,Kya Jannat mai Ghode honge ?

Aap Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya,
" Agar Tujhe Jannat mil gayi to tujhe Yaqoot ka ek Ghoda ataa kiya Jayega ,Jiske Do par honge ,Tu us per Sawaar hoga ,Fir Wo tujhko le kar Parwaaz karega Jaha'n Tu chaahega ,"

​Ref-$_​Tirmizi ,2533
    

   ╟❥ ​Next-17 Soon in Sha Allaah​   
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
 

                   *PART-- ①⑦ *
        ┅┅━━═۞═━━┅

☞ ​Jannat Kï Afzal Tareen Niyamat -- Allah Ta'ala ka Didaar​,
     
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya,

" Jab Jannati Jannat mai dakhil ho chukenge to Allah Ta'ala Unhe'n ( mukhatib kar ke ) farmayenge ,
Mazeed Kisi cheez Kï Zarurat ho to bataao ,

To Jannati Jawab denge ,Kya tune Surkh Ru nahi kar diya ? Kya Tune hume Jahannam se Nijaat de kar Jannat ataa nahi kar di ,? ( Ab bhala Kisi cheez Kï Zarurat Baqi reh gayi ) ,

Fir Parda uthega aur Jannati Allah Tabarak wa Ta's ko Apne saamne dekhenge aur usse Zyada Mehboob koi aur Niyamat unke nazdeek nahi hogi ,

Is per Aap Sallallahu Alayhivasallam ne Quran Kï ye Aayat tilawat farmayi ,  
   
                 لِّلَّذِينَ أَحْسَنُوا الْحُسْنَىٰ وَزِيَادَةٌ

            (Surah Yunus :: 26)

_Jin logo ne Bhalaai Kï Raah akhtyar Kï ,Unke liye achchha Badla hai aur Mazeed bad kar bhi ......"

​Ref-$_​ Sahih Muslim ,448

   ╟❥ ​Next-18 Soon in Sha Allaah​   
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
 

                   ​PART-- ①⑧​
        ┅┅━━═۞═━━┅

☞  ​Toheed Kï Fazilat aur Usse mitne Wale Gunaah​
     
⚃➠Allah Ta'ala ka farman hai ,
" Jo Log imaan laaye aur Apne imaan ko zulm se ,Yani Shirk se aalooda nahi kiya ,Unke liye Aman aur Yahi Log Raahe Raast per hai'n ,

​Ref-$_​ Surah Al An'aam :72
        
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya,

" Jis Shakhs ne ye gawahi di k Allah ke alawa koi m'abood nahi ,Wo yakta hai ,Uska koi Shareek nahi aur Beshak Muhammad Sallallahu Alayhivasallam Uske Bande aur Rasool hai'n,

Aur Bila Shubha Isaa Alaihissalam Allah ke Bande ,Uski Bandi ke Bete ,aur Uske Kalme ka zahoor Jo usne Mariyam per alqa kiya tha ,Neez  ek Rooh hai Jo uski Jaanib se bheji gayi ,

Neez Ye gawahi de k Jannat aur Dozakh barhaq hai'n, Ese Shakhs ko Allah Ta'ala Jannat mai dakhil karega aur Jannat ke Aatho darwazo mai se Jis darwaze se wo chahega dakhil ho jayega ,"

​Ref-$_​ Sahih Muslim, 139 Sahih Bukhari 3435
     
⚃➠Hazrat Utbaan Raziyallahu Anhu Bayan karte he'n k Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya,

" Allah Ta'ala ne us Shakhs per Jahannam Haraam kar di hai Jisne Khuloos e Dil se Mahaz Allah Kï Raza Kï Khaatir ye Keh diya k Allah ke alawa Koi zaat ibaadat ke laa'iq nahi hai ,"

​Ref-$_​ Sahih Bukhari ,425 Sahih Muslim, 141 
        
⚃➠Hadeese Qudsi hai ,Allah Farmate hai'n,

" Ey Aadam ke Bete ! Agar Tu rooe Zameen ke barabar bhi Gunaah le kar mere paas aaye ,Lekin Teri mulaqaat Mujhse is Haal mai ho k Tune mere saath kisi ko Shareek na kiya ho To Mai'n Rooe zameen ke barabar Apni magfirat Tujh ko ataa kar dunga ,"

​Ref-$_​ Sahih Sunnan Tirmizi ,2805      

   ╟❥ ​Next-19 Soon in Sha Allaah​   
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
 

                   ​PART-- ❶ ❾​
        ┅┅━━═۞═━━┅

☞ ​Do Shakhs ,Makkhi Kï Vajah se Ek Jannat mai aur Doosra  Jahannam mai !​
     
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ka Bayan hai k ,

" Makkhi Kï vajah se Ek Shakhs Jannat mai chala gaya aur Makkhi Kï vajah se hi ek Shakhs Jahannam me chala gaya, "

Logo ne kaha ,Ey Allah ke Rasool Sallallahu Alayhivasallam ! Ye kaise ?

Aap Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya,
" Do Shakhs ek Qaum ke paas se guzre ,Us Qaum ka ek But ( Statue) tha aur Koi cheez Chadhava chadhaye bager Koi Shakhs waha'n se guzar nahi sakta tha ,Unhone unme se ek Shakhs ko kaha ,Chalo koi cheez Chadhawa chadhaao ,

Usne kaha ,mere paas koi cheez nahi hai Jo Mai'n chadhawa chadhaau ,

Unhone kaha ,Niyaaz to deni hi padegi chahe ek Makkhi hi de de ,

Usne Ek Makkhi bator Niyaaz pesh kar Dï ,to unhone uska Raasta chhod diya ,Lekin us ek Makkhi Kï vajah se Wo Shakhs Jahannam me chala gaya,
        
➠Jab Unhone Doosre Shakhs se But ( Statue ) ke naam per Niyaaz pesh karne ko kaha to Usne inkaar kar diya aur kaha ,
" Mai'n Allah ke alawa kisi ke naam per koi chadhawa nahi chadha sakta ," 
Unhone uski gardan udaa di ,To ye Shakhs jannat me dakhil ho gaya ,,,,,

​Ref-$_​ Kitaabuz Zuhadul ibne Ubai Aasim ,1/16
     
⚃➠ Ye Anjaam hai us Shakhs ka Jisne Gairullah ke naam per surf ek Makkhi Niyaaz chadhayi thi to bataiye un logo ka anjaam kitna bhayanak hoga Jo Buto aur Qabro per Gaayo ,Ounto ,Sons chaandi aur Dego ke chadhawe chadhate hai'n,
       

   ╟❥ ​Next-20 Soon in Sha Allaah​   
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
 

                   ​PART-- ⑳​
        ┅┅━━═۞═━━┅

☞ ​Wo Dua Jo Har Qism Ke Shirk ko Khatm Kar deti Hai​,
     
⚃➠ Aap Sallallahu Alayhivasallam ne Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ko Mukhatib kar ke farmaya,

" Us zaat Kï Qasam Jiske haath mai Meri Jaan hai ! Shirk ka ahsaas Chyunti ( ant ) Kï harkat se bhi zyada makhfi hai , Kya Mai'n Tunhe esi Cheez na bataau'n Jiske Karne se har qism ka Shirk tujhse Khatm ho jaye ,"

Aur fir farmaya," Tum ye Dua Padho ____

​​Allaahumma inni A'uzubika an Ushrika bika va Anaa A'alamu Vastagfiruka limaa laa A'alamu​​

*​Ey Allah ! Mai'n Tujhse Panaah maangta hu'n k Mai'n Deedah danishta tere saath kisi ko shareek thehraau'n aur agar laa ilmi me Kabhi ESA ho jaye to Uski Mai'n tujhse Bakhshish Talab karta hu'n​"
       

​Ref-$_​Al Adabul Mufarridul Bukhari ,1/250 Sahih ul Baani ,716
     

   ╟❥ ​Next-21 Soon in Sha Allaah​   
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
 

                   ​PART-- ❷ ❶​
        ┅┅━━═۞═━━┅

☞ ​Waalden Ke Saath Husne Sulook Kï Ahmiyat v Zarurat​,
     
⚃➠ Farmane ilaahi hai ,

" Aur Allah Kï ibaadat karo aur Kisi cheez ko uske saath Shareek na thehraao aur Waalden ke saath Husne Sulook se Pesh aao ,"

​Ref-$_​ Surah An-Nisa ,36
        
⚃➠ Aur Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya,

" Barbaad ho Wo Shakhs, Zaleel v Ruswa ho Wo Shakhs !

Kisi ne kaha ,- Kaun ? Ey Allah ke Rasool Sallallahu Alayhivasallam !

Aap Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya,
"Jisne Apne Waalden ko Budhaape Kï haalat mai paaya ,Dono ko ya unme se ek ko ,Fir bhi Wo Jannat mai dakhil na ho saka ,"

​Ref-$_​ Sahih Muslim, 6457
     
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam Ka Farmaan hai ,

" Koi Beta Apne Waalid ke ahsanaat ka Badla nahi Chuka Sakta ,

Haa'n Ek Soorat hai k Uska Baap Gulaam ho aur Wo usko Khareed kar Azaad kar de ,"
        
​Ref-$_​ Sahih Muslim ,3778

   ╟❥ ​Next-22 Soon in Sha Allaah​   
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
 

                   ​PART-- ② ②​
        ┅┅━━═۞═━━┅

☞ ​Silah Rahmi Kï Zarurat v Ahmiyat​
     
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya,

" Allah Ta'ala ne Kaynaat ko paida kiya ,Jab faarig ho gaya ,Raham ( Rishtedari ) ne Khade ho kar kaha ;

_Ye Us Shakhs ka Maqaam hai Jo qata Rahmi ( Rishte todne ) se Tujh se Panah maange ?

Allah Ta'ala ne farmaya,
Kya Tu is Baat per Raazi nahi k Mai'n usse Ta'alluq jodu Jo Tujhse Ta'alluq Jode ,aur Usse Ta'alluq Tod lu Jo Tujhse Ta'alluq Tode ,

Rishtedari ne kaha ,
Kyu nahi  !

Allah Ta'ala ne farmaya,
Tujhse ye vaada poora hoga ,

*_Fir Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya ,

" Agar Tum chaho to iski taa'iyd  mai Ye Aayate Qur'ani padh lo ,

_" Aur Kiya Tum logo se iske Siva koi aur tawaqqo Kï ja sakti hai k agar Tum ulte moonh fir gaye to zameen mai fir fasaad barpa karoge aur aapas me ek Doosre ke gale kaatoge ,Ye Wo log hai'n Jin per Allah Ta'ala ne laanat Kï aur Unko andha aur behra bana diya ,"
( Surah Muhammad : 32,33)

​Ref-$_​ Sahih Bukhari ,7502 Sahih Muslim, 6465    
   
⚃➠ Aur Aap Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya ,

" Qata Rahmi ( Rishte todne wala ) karne wala Jannat mai dakhil nahi hoga ,"

​Ref-$_​Sahih Muslim ,6468
     
⚃➠ Aur Aap Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya,

" Jo Shakhs ye Chahe k uska rizq faraag ho jaye aur usko Umar me Barkat daal di jaye to Use chahiye k Wo Silah Rahmi Kare ,"

​Ref-$_​ Sahih Bukhari ,2067 Sahih Muslim, 6471 
        
⚃➠ Aur Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se moqoof rivayat hai k ,

" Do Amal ese Hai'n Jinka Anjaam Allah Ta'ala Duniya hi me dikha dete he'n, Ek Sarkashi aur Bagawat aur Doosri Qata Rahmi ,"

​Ref-$_​Al Adabul Mufarrid ,1/305

   ╟❥ ​Next-23 Soon in Sha Allaah​   
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
 

                   ​PART-- ②③​
        ┅┅━━═۞═━━┅

☞ ​Wo Amal Jisse Har Mard V Aurat Ko Ek Neki Milti hai !​
     
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ka farmaan hai ,

" Jo Shakhs Momin Mardo v Aurto'n Ke Liye Allah se Bakhshish ka Talabgaar ho to Allah Ta'ala uske liye Har Momin Mard v Aurat ke aivaz ek Neki likh dete Hai'n, "

​Ref-$_​ Sahih Bukhari ,6026 
        
⚃➠ Kya hi achcha ho k insaan Khud Apne liye ,Apne Waalden ke liye aur Digar Momin Mardo v Aurto'n ke liye Allah Ta'ala se Bakhshish ka talabgaar ho ,Chunache Allah Ta'ala ne Nooh Alaihissalam Kï Dua ke zaman mai Hume yahi Taleem di hai ,

       رَّبِّ اغْفِرْ لِي وَلِوَالِدَيَّ وَلِمَن دَخَلَ بَيْتِيَ مُؤْمِنًا وَلِلْمُؤْمِنِينَ وَالْمُؤْمِنَاتِ
   

➠ Ey mere Parvar digaar ! Tu mujhe aur Mere Maa'n Baap aur Jo bhi imaandaar ho kar mere ghar me aaye ,neez tamaam Momin Mardo aur Tamaam Momin Aurto'n ko bakhsh de _"

​Ref-$_​Surah Nooh : 28 
        
⚃➠ Aur isi ka Zikr Allah Ta'ala ne Ibrahim Alaihissalam Kï Dua ke zaman me Kiya hai ,

         رَبَّنَا اغْفِرْ لِي وَلِوَالِدَيَّ وَلِلْمُؤْمِنِينَ يَوْمَ يَقُومُ الْحِسَابُ
      
➠ Ey Hamare Rab  ! Mujhe ,Mere Waalden aur Tamaam Momino ko Roze Qayamat maaf farma dena ,"

​Ref-$_​Surah Ibrahim ,41
      

   ╟❥ ​Next-24 Soon in Sha Allaah​   
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•

                   ​PART-- ②④​
        ┅┅━━═۞═━━┅

☞ ​Wo Amal Jis Per Farishta Aameen Kehta Hai​,
     
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam Ka farmaan hai,

" Agar Koi Shakhs apne Musalman Bhai Kï adm mojoodgi me uske liye Dua karta hai to Allah Ta'ala uski Dua qubool karte he'n, aur Jab bhi Wo apne Bhai ke liye Bhalaai Kï Dua karta hai Apni duty per khada Farishta " Allah Tujhe bhi Wahi ataa farmaye " Kehte hue Aameen kehta hai ,"

​Ref-$_​Sahih Muslim ,866 
        
⚃➠ Baaz Aslaaf ne is Hadees Kï Sharah me farmaya hai ,

" Jab Hum chahte Hai'n k Hamari Dua qubool ho to Hum apne Bhaiyo'n ke liye Unki gair  mojoodgi me Dua kiya kare ,,
     
Maslan  Koi kehta hai ," Ey Allah mujhe bhi ataa farma aur mere falaa Bhai ko bhi ataa farma ,"
       

   ╟❥ ​Next-25 Soon in Sha Allaah​   
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
 

                   *PART-- ❷ ❺ *
        ┅┅━━═۞═━━┅

☞.  ​Jo Shakhs Jahannam se Azaadi Ka Khwahishmand Ho​ ,
     
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam Ka Farmaan hai,
        
➠ Jo Aadmi Subeh Ke Waqt Ye Dua Kare ,
     
​  _​Allhumma inni Asbahtu Ushhiduka Wa Ushhidu Hamalata Arshika Wa Malaaikataka Wa J'mia Khalqika Annaka Antallaahu  Laa ilaaha illaa anta wahdaka laa Shareeka Laka Wa Anna Muhammadan abduka wa Rasooluka ,*_

        
⚃➠ Tarjuma :---

*_ Ey Allah ! Mai'n Subeh kar raha hu aur Tujhe Hamileene Arsh ,Digar Farishto aur saari kaaynaat ko gawah bana kar kehta hu k beshak Tu hi Allah he ,Tere alawa Koi mabood nahi ,Tu yakta he ,Tera Koi Shareek nahi aur Yaqeenan Muhammad Sallallahu Alayhivasallam tere Bande aur Rasool Hai'n, "    
    
⚃➠ To Allah Ta'ala use us din ke Chothe Hisse ke liye Jahannam ki Aag se mehfooz kar dete Hai'n aur Agar Wo 4 dafa ye kalimaat padhta hai to Allah Ta'ala us poore Din ke liye use Jahannam Kï Aag se Mehfooz kar deta hai ,"
      
​Ref-$_​ Abu Daowd ,4407

   ╟❥ ​Next-26 Soon in Sha Allaah​   
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
 

                   *PART-- ②⑥ *
        ┅┅━━═۞═━━┅

           ☞  ​Allah Ka Zikr​
     
⚃➠ Allah Ta'ala ka irshad hai ,

*_............aur Kasrat se Allah ka Zikr karne wale Mard aur Aurte'n Unke liye Allah Ta'ala ne Magfirat aur Ajre Azeem ka Samaan taiyaar kar rakha hai ,"

​​Ref-$​​Al - Ahzaab :35
        
⚃➠Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ka farmaan hai,

*_Ibne Aadam ka koi esa Amal nahi hai Jo Allah ke Zikr se badh kar Azaabe ilaahi se Nijaat dene wala ho ,"

​​Ref-$​​Tabrani , 
    

   ╟❥ ​Next-27 Soon in Sha Allaah​   
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
 

                   *PART-- ②⑦ *
        ┅┅━━═۞═━━┅

☞  ​Shafqat v Meharbani Kï fazilat​,
     
⚃➠ Raham karne Walo per Rahman bhi Raham karta hai ,Tum Ahle Zameen per Raham karo ,Aasmaan wala Arshe bari se Tum per Maharbaan hoga,

​​Ref-$​​ Tirmizi ,1847
        
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ne Ahle Jannat Kï Khabar dete hue Teen Shakhso ka tazkira kiya hai , Unme se Ek Shakhs Kï in alfaaz mai nishandahi farmayi ,

*_ Woh Aadmi Jo Mushfiq v Maharbaan aur Har Musalman aur Rishtedaar ke liye Naram Dil hai ,"

​​Ref-$​​ Sahih Muslim, 7146
    

   ╟❥ ​Next-28 Soon in Sha Allaah​   
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
  
 
                   *PART-- ②⑧ *
        ┅┅━━═۞═━━┅

☞ ​Woh Shakhs Jisko Allah Ta'ala Roze Qayamat Zaroor Raazi karega ,​
     
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam Ka farmaan hai k,

*__Woh Musalman Banda Jo Subeh v Shaam Teen teen Martaba ye kehta hai

​Razeetu billaahi Rabbanv wa bil islaami deenanv Wa bi muhammadi nabiyyaa​
        
(➠Tarjuma :-- Mai Allah Ta'ala ke Rab hone aur islaam ke Deen hone aur Muhammad Sallallahu Alayhivasallam ke Nabi hone per Raazi hu'n )
     
To Allah Ta'ala per ye laazim hai k Woh Roze Qayamat us Muslim Bande ko apni Razamandi se bahrah war farmayega ,"
        
​​Ref-$​​ Musnad Ahmad, 18199

   ╟❥ ​Next-29 Soon in Sha Allaah​   
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
  
                   *PART-- ②⑨ *
        ┅┅━━═۞═━━┅

☞ ​​Masakeen aur Kamzor Musalmano Kï Fazilat​
     
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ka farmaan hai,

" Tum maashre Ke kamzor logo Kï vajah se madad kiye aur Rizq diye jate ho ,"

​Ref_$​- Sahih Bukhari ,2681
        
⚃➠Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ne mazeed farmaya ,:-

" Bahut se ese log Jo gardo gubaar se ate hue Hai'n Aur unhe'n darwazo se dhakke de kar nikaal diya jata hai, lekin woh Allah Ta'ala per Qasam khaa le'n to Allah Unki Qasam poori kar deta hai, "

​​Ref​$-​Sahih Muslim ,7119
     
⚃➠Aur Farmaya ,:-

" Kya mai tumhe ahle jannat ke bare me na batau'n ? Suno har wo Zaief aur naa tawa'n Shakhs ,agar Wo Allah per Qasam daal de to Allah usko zaroor poora kar de,

" ( iske baad farmaya) ,kya mai'n tumhe na batau'n k Jahannami kaun log Hai'n ? Suno , Har Wo Shakhs Jahannami hai Jo Sakht khoo ,Bad zaban aur mutakabbir v Sarkash hai ,"
    
​​Ref​$-​ Sahih Bukhari ,4918 ,Sahih Muslim, 7118

   ╟❥ ​Next-30 Soon in Sha Allaah​   
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
  

                   ​PART--  30​
        ┅┅━━═۞═━━┅

☞ ​​Ek Laakh Nekiya'n aur Jannat mai Ghar​
     
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya :-

" Jo Aadmi Bazaar mai dakhil hote waqt ye Dua Padhe:-

لا الهَ اِلَّا اللّهُ وَحْدَهُ لا شَرِيْكَ لَهْ، لَهُ الْمُلْكُ وَ لَهُ الْحَمْدُ يُحْى وَ يُمِيْتُ وَ هُوَحَىُّ لَّا يَمُوْتُ بِيَدِهِ الْخَيْرُ ط وَهُوَ عَلى كُلِّ شَئ ٍ قَدِيْرٌ ط

Laa ilaha illallaahoo Wahdahoo Laa Shareekalahoo Lahul Mulku Walahul Hamdu Yuhee Wa Yumeetu Wa Huwa Haiy Yul La Yamootu Biyadihil Khair. Wa huwa Ala Kulli Shai in Qadeer.

*_ Allah ke alawa koi mabood nahi ,Wo yakta hai ,uska Koi Shareek nahi ,usi ke Liye Badshahat hai aur Wahi sab tareefo ke layaq hai ,Wahi zinda karta hai aur maarta hai ,Wo hamesha se zinda hai ,Use maut nahi aayegi ,Usi ke haath mai Sab Bhalaai hai aur Wo har cheez per qaadir hai ," 
        
➠To Allah Ta'ala uske liye Ek Laakh Nekiya'n likh dete he'n aur uski ek Laakh buraiya'n mita dete he'n aur uske liye ek Laakh darjaat Buland kar dete he'n,

​​Ref​$-​ Sahih Sunan Tirmizi, 2726
     
⚃➠Aur Aap Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya,:-

" Jo Shakhs Bazaar mai ye Dua Padhe :-

*_

لا الهَ اِلَّا اللّهُ وَحْدَهُ لا شَرِيْكَ لَهْ، لَهُ الْمُلْكُ وَ لَهُ الْحَمْدُ يُحْى وَ يُمِيْتُ وَ هُوَحَىُّ لَّا يَمُوْتُ بِيَدِهِ الْخَيْرُ ط وَهُوَ عَلى كُلِّ شَئ ٍ قَدِيْرٌ ط

Laa ilaha illallaahoo Wahdahoo Laa Shareekalahoo Lahul Mulku Walahul Hamdu Yuhee Wa Yumeetu Wa Huwa Haiy Yul La Yamootu Biyadihil Khair. Wa huwa Ala Kulli Shai in Qadeer.

*_ Allah ke alawa koi mabood nahi ,Wo yakta hai ,uska Koi Shareek nahi ,usi ke Liye Badshahat hai aur Wahi sab tareefo ke layaq hai ,Wahi zinda karta hai aur maarta hai ,Wo hamesha se zinda hai ,Use maut nahi aayegi ,Usi ke haath mai Sab Bhalaai hai aur Wo har cheez per qaadir hai ,"

*_ To Allah Ta'ala uske liye ek Laakh Nekiya'n likh dete Hai'n aur uski ek Laakh Buraiya'n mita dete Hai'n aur Jannat mai ek Ghar uske liye tameer kar dete Hai'n, "      

​​Ref​$-​Sahih Sunan Tirmizi, 2726       

   ╟❥ ​Next-31 Soon in Sha Allaah​   
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
  
                                     

                   *PART-- ③ ① *
        ┅┅━━═۞═━━┅

☞ ​Salaam Ko Aam Karne Kï Fazilat​_,
     
⚃➠Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya:-

" Allah Ke Yaha'n Sabse bartar Wo Shakhs hai Jo Salaam mai Pahal kare ,"

​Ref_$-​ Sunan Abu Dauwd 4328
        
⚃➠Aur farmaya,:-

" Us zaat Kï Qasam Jiske haath mai meri Jaan hai ! Tum us Waqt tak jannat mai dakhil nahi ho sakte Jab tak k imaandaar na ban Jao aur Tum imaandaar nahi ho sakte jab tak k ek Doosre se Muhabbat na karo ,

Kya mai Tumhe esa Amal na batau'n Jisko karne se Tum baa ham Muhabbat karne lago ?( Wo ye hai ) Baa ham Salaam aam karo ,,"

​​Ref​$_​ Sahih Muslim ,193 
     
⚃➠Aap Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya :-

" Ey logo ! Salaam ko Aam karo ,Apna dastarkhwan khula rakho ,Silah Rahmi karo ,Qiyaam karo Jabki log so rahe ho ,Tum salaamti ke saath jannat mai dakhil ho jaoge ,"

​​Ref​$-​ Sunan Ibne maaja ,1097
       

   ╟❥ ​Next-32 Soon in Sha Allaah​   
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
  
 
                   *PART-- ③ ② *
        ┅┅━━═۞═━━┅

☞ ​Allah Ke Deen Kï Khaatir Logo ke Saath ta'awun Ka Sawaab​_
     
⚃➠ Kisi tangdast aur maqrooz ke saath Husne maamla karna ,use mohlat dena ,uska qarz maaf karna aur uski Kotahiyo'n ko nazar andaaz karna husoole jannat ka sabab hai ,
        
⚃➠Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ka farmaan hai,:-

" Jis Shakhs ke Liye ye Baat baaise masarrat ho k Allah Ta'ala use Roze Qayamat Kï takleefo se Nijaat de de aur use apne Arsh ka Saaya Naseeb farmaye to use chahiye k Wo tangdast ke saath ri'ayat ka maamla kare ,"

​​Ref​$-​Tabrani ,5/32 
     
⚃➠ Aur Sahih Muslim Kï rivayat mai hai k ,

" Jo Shakhs Roze Qayamat Kï takleefo se khalasi chahe Use chahiye k Tang dasto Kï tang dasti ko door karne mai unke saath Ta'awun kare aur maqrooz tang dast ka qarz maaf kare ,"

​Ref_$-​ Sahih Muslim, 3976
        
⚃➠ Aap Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya,:

" Sabse pehle Jo Shakhs Roze Qayamat Arshe ilaahi tale jaaguze hoga ,Wo Aadmi hai Jo tang dast ko koi cheez haath lagne tak mohlat de de ,Ya Wo itna qarz us per sadqa kar de jitne ka Wo aarzumand hai aur keh de ,Jo Maal Maine tujhse Lena hai Wo Allah Kï Raza Kï Khaatir tujh per sadqa karta hu'n aur Ye keh kar qarz naama faad de ,"

​​Ref​$-​ Tabrani ,19/167

➠Aur uska ye kehna k mai qarz maaf karta hu'n ,iska matlab ye he k Wo bager ahsaan jatlaye esa kare ,Varna ahsaan jatlane se uska ye Amal Barbaad ho jayega ,
      

   ╟❥ ​Next-33 Soon in Sha Allaah​   
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
  
                                     
💕 ​ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd​💕
     ︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶

     
✨⚡⚵

.                                   
        
         ❈ ​बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम​ ❈

╭•∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽•╮
┆  ✿ ​JANNAT-KI-RAAHAI'N​  ✿
╰•∽–∽–∽–∽–∽–∽•╮
       

                   *PART-- ③ ③ *
        ┅┅━━═۞═━━┅

☞  ​​Zikr Kï Majliso Kï Fazilat​
     
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya,

" Allah Ta'ala ke baaz Farishte Raasto mai ghoomne Kï Duty per mamoor Hai'n, Unka kaam Allah ke un Bando Ko talash karna hai Jo Uska Zikr karte hai'n, Jab unhe'n koi esi qaum mil jaye Jo Allah ke Zikr mai mashgool ho ,to Wo ek doosre ko bulate hai'n k Apne maqsad Kï taraf aa Jao , Fir Woh apne Paro ke saath Aasmaane Duniya tak unko dhaanp lete hai'n, Unka Rab unse Sawal karta Hai ,_ Mere Bande kya kar rahe hai'n? Halanki Wo unke halaat Khoob jaanta he, 
        
Farishte :- Wo Teri Tasbeeh Bayan kar rahe hai'n,Waha'n Teri Azmat ke charche hai'n aur Teri Tareef mai magan hai'n,

Allah Ta'ala:- Kya unhone mujhe dekha Hai?

Farishte ;- Nahi ,Allah Kï Qasam! Unhone tujhe dekha nahi hai,

Allah Ta'ala:- Agar Wo mujhe dekh le to ?

Farishte :- Agar Wo Tujhe dekh le to aur zyada Jazba se Teri ibaadat karenge aur zyada kasrat se Teri buzurgi ka Zikr karenge aur Kasrat se Teri Tasbeeh Bayan karenge ,

Allah Ta'ala :- Wo mujhse kya maangte hai'n ?

Farishte :- Ey Allah ! Wo tujhse Jannat ka Sawal karte hai'n ,

Allah Ta'ala :- Kya unhone Jannat ko dekha hai ?

Farishte :- Nahi ! Ey hamare Rab , Unhone use dekha to nahi hai,

Allah Ta'ala :- Agar Wo dekh le to ?

Farishte :- Agar Wo use dekh le to Jannat ke Liye Unki Tadap aur Hirs badh jaye aur Wo zyada Shiddat se Jannat ke talabgaar honge ,

Allah Ta'ala :-Dekho ! Wo kis cheez se Panaah maang rahe hai'n ?

Farishte :- Allah ,Jahannam se Panaah maang rahe hai'n ,

Allah Ta'ala :- Kya unhone Jahannam ko dekha hai ?

Farishte :- Nahi Allah Kï Qasam ! Ey hamare Rab ,Unhone Jahannam ko Kabhi nahi dekha ,

Allah Ta'ala :- Agar Dekh le to ?

Farishte :- Agar Wo use dekh le to Jahannam se Unka Khof aur badh jaye aur Wo zyada shiddat se Jahannam se Panaah aur Jaay faraar ke khwashtgaar Ho'n ,

Allah Ta'ala:-  Farishto ! Mai Tumhe gawaah bana kar kehta hu'n k Maine unko maaf kar diya hai ,

Ek Farishta :- Ey Allah ! Fala'n Shakhs unme Shamil nahi hai, Wo to Apne Kaam se aaya tha ,

Allah Ta'ala :- Wo hum majlis the ,Lihaza Mai use bhi is Sa'adat se mehroom nahi rakhunga ,
   

.    Sahih Bukhari, 6408 ,Sahih Muslim ,6780

   ╟❥ ​Next-34 Soon in Sha Allaah​ 

•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
  
                                     
                   *PART-- ③ ④ *
        ┅┅━━═۞═━━┅

☞  ​​Deen Ka ilm Haasil karne Kï Fazilat aur Aalim Kï Fazilat​
     
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya,:-

" Jo Shakhs ilm Kï Justju mai Kisi Raah ka Musafir huva ,Allah Ta'ala uske liye Jannat Kï Raah Asaan Kar dete he'n ,"

​​Ref-$​​Muslim ,6793
        
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya:-

" Ek Aalim ko kisi Aabid per Wahi Fazilat v bartari Haasil hai Jo bartari mujhe Tumhare ek Adna Shakhs per Haasil hai, "

Fir Farmaya :- 
" Jo Shakhs logo ko Khair v Bhalaai Kï Taleem deta hai, Allah Ta'ala, Uske Farishte, neez Asmaano aur Saari Zameeno per basne wali makhlooqaat ,hattaki Chyuntiya'n apne Bilo mai aur Machhliya'n Paani ke andar uske liye Rahmat Kï Duae'n karti hai'n,"

​​Ref-$​​ Sahih Sunan Tirmizi, 2161  
    

   ╟❥ ​Next-35 Soon in Sha Allaah​  

•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
  
                   *PART-- ③ ⑤ *
        ┅┅━━═۞═━━┅

☞ ​​Nabi Kareem Sallallahu Alayhivasallam Per Darood Kï Fazilat​
     
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya,:-

" Jisne Mujh per ek Martaba Darood bheja ,Allah Ta'ala us Das (10)  Rahmate naazil farmata hai aur Usko Das ( 10 ) khatae'n maaf aur Uske Das darjaat Buland kar dete he'n ,"

​​Ref-$​​ Sahih Sunan Nasaa'i 1230
        
⚃➠Aap Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya,:-

" Jo Shakhs Subeh v Shaam Das Das Martaba mujh per Darood padhta Hai, Roze Qayamat unhe'n meri  Shafa'at Haasil hogi ,"

​​Ref-$​​ Sahih Jamia Sageer ,6357
     
⚃➠ Aap Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya,:-

" Roze Qayamat mere Sabse zyada qareeb Wo Shakhs hoga Jo mujh per Kasrat se Darood padhta Hai ,"

​​Ref-$​​Jamia Tirmizi ,446
        
⚃➠Ek Rivayat mai hai k ek Shakhs ne kaha ,
Ey Allah ke Rasool Sallallahu Alayhivasallam! Mujhe bataiye ,agar mai har waqt Aap Sallallahu Alayhivasallam per Darood padhu'n to ?

Aap Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya,:-
". Tab Allah Ta'ala Teri Duniya aur Akhirat Kï Sab zarooriyaat se Tujhe Kaafi ho jayega ,"

​​Ref-$​​ Musnad Ahmad ,5/132 Sahih Targeeb ,670
     

   ╟❥ ​Next-36 Soon in Sha Allaah​ 

•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•

                   *PART-- ③ ⑥ *

        ┅┅━━═۞═━━┅

☞ ​​Wo Shakhs Jis Per Jahannam Kï Aag Haraam Hogi,​
     
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam Kï Hadees hai ,Hazrat Utbaan Raziyallahu Anhu iske Raavi hai'n k ,

" Allah Ta'ala ne Us Shakhs per Jahannam Haraam kar di hai Jo Shakhs Allah Ta'ala Kï khushnoodi ke Liye Ye ikraar kare k Allah ke alawa koi ma'abood nahi hai ,"

​​Ref-$​​ Sahih Bukhari, 425 Sahih Muslim, 141
        
⚃➠ Aap Sallallahu Alayhivasallam ne mazeed farmaya,:-

" Kya mai Tumhe esa Shakhs na bataau Jo Jahannam Kï Aag per Haraam hai aur Jahannam Kï Aag us per Haraam hai, Har Wo Shakhs Jo apni Khasa'ile Hameediya Kï vajah se har Dil azeez hai aur naram khu hai ,"

​​Ref-$​​ Sahih Sunan Tirmizi, 2022
     
⚃➠ Mafhoom Hadees ye hai k Jahannam Kï Aag har us Shakhs per Haraam hai Jo Apne Husne Sulook aur Naram khui Kï bina per logo ke qareeb hai ,       

   ╟❥ ​Next-37 Soon in Sha Allaah​  

•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•

                   *PART-- ③ ⑦ *
        ┅┅━━═۞═━━┅

☞   ​​Zabte Nafs Aur Gusse ko Pi Jane Kï Fazilat,​
     
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya,:-

" Jis Shakhs ne Zabte Nafs se Kaam liya aur Apne Gusse ko pi gaya Jabki Wo Badla lene per qaadir tha ,Allah Ta'ala Roze Qayamat Saari Kaaynaat ke saamne use bulayega aur fir use akhtyar dega k Wo Jannat Kï moti moti Aankho wali Hooro'n mai se Jise chahe apne liye muntakhab kar le ,"

​​Ref-$​​ Sahih Sunan Tirmizi, 2026
        
⚃➠ Aur Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ne ese Aadmi ko Allah Ta'ala ka Mehboob Tareen insaan qaraar diya hai ,

*_Aap Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya,:-

" Jisne Apne Gusse per qaabu kar liya ,Allah Ta'ala uski Parda poshi farmayega aur Jisne Apne Gusse ko Pi liya Halanki Wo chahta to iska izhaar kar sakta tha ,Allah Ta'ala Roze Qayamat uske Dil ko khushi se Bhar dega ,"

​​Ref-$​​ Sahih Jamia Sageer ,176
   

   ╟❥ ​Next-38 Soon in Sha Allaah​  

•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
  

                   *PART-- ③ ⑧ *

        ┅┅━━═۞═━━┅

☞  _ ​Aaytal Kursi Kï Fazilat​_
     
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya,:-

" Jo Shakhs Har Namaz Ke Baad Aaytal Kursi Padhe ,Maut ke Siva koi cheez uske aur Jannat ke saamne haa'il nahi ,"

​Ref-$_​ Sahih Targeeb ,1595 ,Sahi Jamia Sageer ,6464

*_ ( Yani marte hi Wo Jannat mai dakhil ho jayega )

   ╟❥ ​Next-39 Soon in Sha Allaah​ 

•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
  

                   *PART-- ③ ⑨ *

        ┅┅━━═۞═━━┅

☞ ​​Jannat Kï Justju aur Jahannam se Panaah maangna, Jannat mai dakhil hone ka baa'is hai,​
     
⚃➠ Jo Shakhs Allah Ta'ala se Teen Martaba Jannat ka Sawal kare ,To Jannat Kehti hai ,:-

"Ey Allah ! Isko jannat mai dakhil kar de,"

Aur Jo Shakhs Teen Martaba Jahannam se Panaah maange to Jahannam Kehti hai,:

"Ey Allah ! Ise Jahannam se bacha le ,"

​Ref-$​​ Sahih Sunan Tirmizi, 2079
       

   ╟❥ ​Next-40 Soon in Sha Allaah​  

•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
  
                   ​PART-- 40​

        ┅┅━━═۞═━━┅

☞ ​​Qabre Khodna ,Murdo ko Gusl dena aur Unke Kafan Dafan Ka intezaam karna​
     
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya,:-

" Jisne Mayyat ko Gusl diya Fir Usko Kafan Pehnaya ,Allah Ta'ala 40 Martaba uski Bakhshish farmate hai'n

Aur Jisne Mayyat ko Kafan diya ,Allah Jannat mai use debaaj v Resham ka Libaas Pehnayega

Aur Jisne Mayyat ke Liye Qabr Khodi ,Fir use Usme Dafan kar diya To Allah Ta'ala use itna Ajr ataa farmayega ,Jitna k Us Shakhs ka Haq hai Jo Qayamat tak ke Liye kisi ko koi Rihaa'ish ( makaan ) naam kar de ,"

​_Ref-$​_ Sahih Targeeb, 3492

   ╟❥ ​Next-41 Soon in Sha Allaah​
  
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
 

                   ​PART-- ④ ①​

        ┅┅━━═۞═━━┅

☞ _​Namaze Janaza Padhne Kï Fazilat​_
     
⚃➠Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ka farmaan hai,:-

"_ Jisne Janaza Padha aur Uske saath nahi gaya ,Uske liye ek Qiraat sawab hai ,Lekin agar Wo Uske saath bhi gaya to uske liye do qiraat Sawab hai ,"

Aap Sallallahu Alayhivasallam se Poochha gaya :- Do qiraat se kya muraad hai ?

To Aap Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya, "Unme se Chhota Uhad Pahaad ke barabar hai ,"

​Ref-$_​ Sahih Muslim, 2189

   ╟❥ ​Next-42 Soon in Sha Allaah​ 

•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•

                   *PART-- ④ ② *

        ┅┅━━═۞═━━┅

☞ ​​Us Janaze Kï Fazilat Jinme Ba-Kasrat Musalman Shareek Ho​
     
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya,:-

" Koi bhi Musalman Shakhs faut ho jaye ,Fir Chalees afraad uske Janaze mai Shareek ho Jaye ,Ba-sharte k Wo mushrik na ho'n to Allah Ta'ala uske liye Unki Sifarish ko zaroor qubool farmayega ,"

​Ref-$_​ Sahih Muslim, 2196
        
⚃➠Aap Sallallahu Alayhivasallam ne mazeed farmaya,:-

"_ Jiske Janaze mai Teen Safe ho jaye ,Yaqeenan Allah Ta'ala Uske liye Jannat Ko Waajib kar dete hai'n,"

​Ref-$_​ Jamia Tirmizi, 949
    

   ╟❥ ​Next-43 Soon in Sha Allaah​ 

•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
  
                   *PART-- ④ ③ *

        ┅┅━━═۞═━━┅

☞ ​​Khush Khalqi Jannat mai dakhil hone ka Sabab hai,​
     
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya,:-

"_ Tumme Behtreen Wo log hai'n Jinka Akhlaaq achchha hai ,"

​Ref-$_​ Sahih Muslim, 5987
        
⚃➠Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu Bayan karte hai'n k Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam se Sawal huva k Konsi cheez hai Jo Sabse zyada logo ko Jannat mai dakhil karne ka baa'is hogi ,

Aap Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya,:-
" Allah ka Taqwa aur Achchha Akhlaaq,"

Fir Aap Sallallahu Alayhivasallam se poochha gaya ,Wo konsi cheez hai Jiski Vajah se Ba-Kasrat log Jahannam mai jayenge ,

Aap Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya, Moonh aur Sharmgaah ",

​Ref-$_​ Sahih Sunan Tirmizi, 1630
     
⚃➠Aur Farmaya ,Roze Qayamat Momin ke tarazoo mai Husne Akhlaaq se zyada bhaari koi cheez nahi hogi aur Yaqeenan Allah Ta'ala bad go aur bad kalaam per naraaz hoga _"

​Ref-$_​ Sahih Sunan Tirmizi, 1628       
   

   ╟❥ ​Next-44 Soon in Sha Allaah​  

•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
 

                   ​PART-- ④ ④​

        ┅┅━━═۞═━━┅

       ☞ ​​Magfirat Ke Zariye​
     
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya ,:-
        
"_ Aman  v  Salaamti  Failaana  aur  Khush  Kalaami Magfirat  aur  Bakhshish e  ilaahi  Ke  Laazmi  Taqaaze  hai'n _"
     
​Ref-$_​ Sahih Jamia Sageer, 2232
   

   ╟❥ ​Next-4 5 Soon in Sha Allaah​ 

•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
  
                   ​PART-- ④ ⑤​

        ┅┅━━═۞═━━┅

☞ ​​Nek Niyati Per Mubni Mamooli Amal bhi Allah ke Nazdeek Buland Martaba Pa Sakta Hai​
     
⚃➠Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya,:-

"_ Logo ! Mai'n Tumhe ek Azeem baat batane wala hu'n ,isko zahan nasheen kar lo _

Duniya mai Chaar tarah ke log hote Hai'n,: -Ek Wo Banda jise Allah ne Maal v Daulat aur ilm se nawaza ,Fir usne Khofe Khuda ko apna Sha'aar banaya ,aur Silah Rahmi ke taqaze poore kiye aur Uske bare mai Allah ke Huqooq poore kiye ,Ye Shakhs Sabse Behtreen maqaam (position) per Hai,

*_Doosra Wo Banda hai Jise Allah ne Maal to nahi diya ,lekin ilm Kï daulat se behrawar kiya hai aur Ye Shakhs Niyat ka sachcha aur Khara hai aur Khuloose Niyat se Aarzoo karta hai k agar mere paas bhi Maal hota to mai bhi fala Shakhs Kï tarah kaam karta to ye Shakhs Pehle Shakhs ke Ajr se Kam nahi ,

*_Teesra Wo Banda hai Jise Allah ne Maal to diya ,Lekin ilm Kï Daulat se Apna naam aur Apni city ka Naam dono send Kijiye Mehroom rakha ,To fir usne us Maal ko bager ilm ke bejaa aur andha dhundh kharch kiya aur uske bare mai Khofe Khuda ko bilkul faramosh kar diya ,Silah Rahmi ke taqazo ko pashe pusht daal diya aur ye bhool gaya k is Maal mai Allah ka Haq bhi hai ,Ye Shakhs intehaai badtareen Anjaam se do Chaar hone wala hai ,

*_ Chotha Banda Wo hai Jise Allah ne Maal diya na ilm diya ,Wo Kehta hai :-agar mere paas bhi Maal hota to mai bhi fala Shakhs Kï tarah Kaam karta aur uski pervi karne wala yahi teesra Shakhs hai ,To uske Gunaah ka baar is badtareen haalat ke haamil Shakhs se kisi tor per bhi kam nahi hai , "

​Ref-$_​ Sahih Sunan Tirmizi, 1894
        
⚃➠ Dekhiye Ek Shakhs ne Mahaz Khuloose Dil se ek Bhalaai ke kaam Kï Niyat Kï k agar mere paas bhi Maal hota to mai use fala Shakhs Kï tarah khair ke kaam mai ,Deen ke Kaamo mai Kharch karta to Ye Shakhs Ajro sawab mai Us Shakhs ke barabar hua ,,Kitni Azeem Niyamat hai Parwardigaar e Aalam Kï !
  

   ╟❥ ​Next-46 Soon in Sha Allaah​ 

•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
  
   

                   ​PART-- ④ ⑥​

        ┅┅━━═۞═━━┅

☞ ​​Jannat mai Khajoor Ka Darakht​​,
     
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya,:-

"_Jisne Ye Dua Padhi

" ​Subhanallahil Azeemi Vabihamdih​

( Allah Kï Azeem zaat Paak hai ,Hum uski Tareef Bayan karte hai'n)

_To Jannat mai Khajoor ka ek darakht uske liye laga diya jata hai ,"

​Ref-$_​ Sahih Sunan Tirmizi, 2757
        
⚃➠Andaza Kijiye k Jo Shakhs pabandi ke saath ye Zikr karta hai ,Kitne hi darakht Honge Jinka Wo Jannat mai Maalik hoga ,Fir Allah ka fazal hamare Tasavvur se badh kar Wasee hai ,,,

*_Allah Jiske liye chahta hai ,Usse bhi doguna kar deta hai, Wo faraakh dast bhi hai aur Aleem bhi _" ( Surah Al- Baqrah :261)
    

   ╟❥ ​Next-47 Soon in Sha Allaah​  

•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
  
  

                   ​PART-- ④ ⑦​

        ┅┅━━═۞═━━┅

☞ ​​Samandar Ke Jhaag Ke Barabar Gunaaho Kï Maafi​
     
⚃➠Nabi Kareem Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya,:-

" _Jisne Ek Din mai 100 martaba

     ​Subhanallahi Wabihamdihi​
        
Padha ,Uske Gunaah agar Samandar ke Jhaag ke barabar bhi ho To maaf kar diye jate Hai'n,_"

​Ref-$_​ Sahih Bukhari, 6405, Sahih Muslim ,6783

⚃➠ Aur ek Rivayat mai alfaaz hai'n:-

"_ Jisne 100 baar

       ​Subhanallahi Wabihamdihi​

Padha ,Uske Gunaah chahe Samandar ke Jhaag ke barabar bhi ho maaf kar diye jate hai'n,"

​Ref-$_​ Sahih Sunan Tirmizi, 2758  

   ╟❥ ​Next-48 Soon in Sha Allaah​ 

•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•

                   ​PART-- ④ ⑧​

        ┅┅━━═۞═━━┅

             ☞ ​​Jannat Ka Beej​
     
⚃➠ Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ne Bayan farmaya,:-

" M'araaj Kï Raat Jab mai Ibrahim Alaihissalam Se mila to Woh mujhe kehne lage :- Ey Muhammad ( Sallallahu Alayhivasallam) ! Apni Ummat ko mera Salaam kehna aur unhe'n batana k Jannat Kï Mitti Kastoori Kï tarah Pakeeza hai ,Uska Paani meeha hai ,Wo ek Khaali Maidaan hai aur Uska Beej ​Subhanallaa, Alhamdulillah aur Laa ilaaha illallaah​ hai ,"

​Ref-$_​ Sahih Sunan Tirmizi, 2755
        
⚃➠Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam Ka farmaan hai:-

" Jisne *Subhanallah ,Alhamdulillah ,Laa ilaaha illallaah aur Allahu Akbar* Padha ,Allah Ta'ala har ek ke badle ek darakht Jannat mai uske liye laga dete hai'n ,"
     
​Ref-$_​ Tabrani ,2/235
       

   ╟❥ ​Next-49 Soon in Sha Allaah​  

•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•  
       

                   ​PART-- ④ ⑨​

        ┅┅━━═۞═━━┅

☞ ​​Jannat Ka Khazana aur Uska Darwaza​
     
⚃➠ Hazrat Abu Moosa Ash'ari Raziyallahu Anhu ka Bayan hai k Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ne mujhse kaha :-

"_ Kya mai tumhe Jannat ke Khazano mai se ek khazana na batau'n ?

Maine Kaha :- Ey Allah ke Rasool Sallallahu Alayhivasallam ! Kyu'n nahi ! Zaroor bataiye ,

To Aap Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya,:- 
" ( Padho ) ​Laahavla Wala Quwwata illaa billaahi​ ( Saari Quwwat ka Sar chashma Allah hi Kï zaat hai ),"

​Ref-$_​ Sahih Muslim ,2808 Sahih Bukhari ,3883
        
⚃➠Qais Bin Sa'ad Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ne unko Kaha ,:-

"_ Kya mai Tumhe Jannat ka ek Darwaza na batau'n ,"

Maine Kaha ,:- Kyu'n nahi !

Aap Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya,:- 
Wo hai ​Laahavla wala quwwata illaa billaahi​ ,"

​Ref-$_​ Sahih Sunan Tirmizi, 2834
    

   ╟❥ ​Next-50 Soon in Sha Allaah​
  
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•

                   ​PART-- 50.​

        ┅┅━━═۞═━━┅

☞ _​Jisko Nabi Sallallahu Alayhivasallam Haath Pakad Kar Jannat mai Bhejenge​_
     
⚃➠ Aap Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya:-

"_ Jisne Subeh ke Waqt Ye Kalmaat Padhe

​Razeetu Billaahi Rabbanv Wa Bil islaami Deenanv Wa bi Muhammadin Nabiyya​

( Mai Allah Ke Rab hone aur islaam ke Deen hone aur Muhammad Sallallahu Alayhivasallam ke Nabi hone per Raazi hu'n ,)

To mai Ye Zamanat deta hu'n k mai khud usko Haath se pakad kar Jannat mai dakhil karunga ,"

​Ref-$_​  At- Targeeb ,1/229        

   ╟❥ ​Next-51 Soon in Sha Allaah​ 

No comments:

Post a Comment