Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Saturday, January 7, 2017

* _ HALAAL RIZQ KI TALAB _*



    ★

┱✿
  ┋ *HALAAL. RIZQ. KI TALAB _*

┗═════════════════✿

*┱✿ Halaal Rizq Ki Talab Aham Fariza hai,*

┱ Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k , Rizqe Halaal ko Talab karna Deen ke avvaleen Faraiz ke baad doosre darje ka Fariza hai _"

*ReF✿┅ Kanzul Ummaal , Jild 4 ,Hadees no 19231*

┱ Is Hadees mai Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne ek aham usool bayan farmaya hai k Halaal Rizq ko Talab karna Deen ke Avvaleen faraiz ke baad doosre darje ka Fariza hai,

┱   Yani Deen ke avvaleen faraiz to WO hai'n Jo Arkane islam kehlate hai'n aur Jo har Musalman jaanta hai k ye cheeze Deen mai farz hai ,Maslan Namaz Padhna,Zakaat ada karna ,Roza rakhna ,Hajj karna vagera , Ye Sab Deen ke avvaleen faraiz hai'n,  

┱ Aap Sallallahu Alaihivasallam farmate hai'n k in Deeni faraiz ke baad doosre darje ka Fariza Halaal Rizq ko Talab karna aur Halaal Rizq ko haasil karne ki koshish karna hai , ye ek mukhtasar Si Taleem hai lekin isme bade azeem uloom bayan kiye farmaye gaye hai'n, agar Aadmi is hadees mai gor kare to Deen ki ata karne ke liye isme bada samaan hai ,
    
    

╨─────────────────────❥

*┱✿ Halaal Rizq Ki Talab Deen Ka Hissa Hai,*

┱ Hadees se Pehli baat to ye maloom hui k Hum aur Aap Halaal Rizq Ki Talab mai Jo kuchh bhi koshish karte hai'n ,Chahe WO Tijarat ho ,Kaashtkaari ho ,mulazmat ho ,chahe mazdoori ho , ye Sab kaam Deen ke hi hisse hai'n aur na sirf ye k ye kaam jaa'iz aur mubaah hai'n balki inko Fariza qaraar diya gaya hai ,

┱ Lihaza agar koi Shakhs ye kaam na kare ,Halaal Rizq ki Talab na kare balki haath per haath dhara ghar per beth jaye to WO Fariza ke tark karne ka gunahgaar hoga , isliye k usne ek farz aur waajib kaam ko chhod rakha hai ,

┱ Kyunki Shariyat ka mutalba hai k insaan sust ho kar aur bekaar ho kar na beth jaye aur kisi Doosre ke aage haath na phelaye , Allah Ta'ala ke Siva kisi doosre ke saamne haath phelane ki nobat na aaye ,aur un cheezo se bachne ka raasta Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne ye irshad farmaya k Aadmi apni wus'at aur koshish ke Mutabiq Rizq Halaal Talab karta rahe taki kisi doosre ke saamne haath phelane ki nobat na aaye ,

┱ Kyunki jis tarah Allah Ta'ala ne apne Huqooq hamare ouper waajib farmaye hai'n usi tarah kuchh Huqooq hamare ouper hamare Nafs se Mutalliq aur hamari zaat se Mutalliq aur hamare ghar walo se Mutalliq bhi waajib farmaye hai'n aur Halaal Rizq ki Talab ke bager ye Huqooq ada nahi ho sakte , isliye in Huqooq ki adaygi ke liye ye zaroori hai k Aadmi Halaal Rizq Talab kare ,
   ╨─────────────────────❥

*┱✿ Islam mai "Rahbaniyat" nahi ,*

┱ Isaa'i mazhab mai Rahbaniyat ka jo tareeqa akhtyar kiya gaya tha k Allah Ta'ala ke qurb aur Allah Ta'ala ki raza haasil karne ka raasta aur tareeqa ye hai k insaan Apne Duniyavi karobaar ko chhod kar apne nafs aur zaat ke mutalbe ko khatm kare aur Jangal mai jaa kar beth jaye aur waha per Allah Allah kiya kare ,bas iske alawa Allah ka qurb haasil karne ka koi raasta nahi tha ,

┱ Lekin Allah Ta'ala farmate hai'n k humne insaan ko paida kiya aur uske andar nafsani taqaze rakhe ,bhook ,pyaas usko lagti hai, Jism dhaanpne ke liye usko kapde ki zarurat hai , sar chhupane ke liye usko makaan ki bhi zarurat hai, ye saare taqaze humne insaan ke andar paida kiye hai'n ,ab hamara mutalba ye hai k WO in taqazo ko bhi poora kare aur iske saath saath hamare Huqooq bhi ada kare , tab WO insaan kaamil banega ,

Aur agar WO haath per haath rakh kar beth gaya to esa insaan chahe kitna hi zikr v shagal mai mashgool ho lekin esa Shakhs hamare yaha qubuliyat ka aur qurb ka muqaam haasil nahi kar sakta ,

      ╨─────────────────────❥

*┱✿ Huzoor Sallallahu Alaihivasallam aur HalaalRizq ke Tareeqe,*

┱ Dekhiye ! Jitne bhi Ambiya Alaihissalam is Duniya mai tashreef laye ,har ek se Allah Ta'ala ne kasbe Halaal ka kaam zaroor karaya aur Halaal Rizq haasil karne ke liye har Nabi ne jaddo jahad ki , Koi Nabi mazdoori karte they, koi Nabi Bada'i ka kaam karte they, koi Nabi Bakriya'n charate they, khud Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Makka Mukarrama ke pahado per ujrat per Bakriya'n charayi hai'n,

┱  Bakriya'n Aapne charayi ,mazdoori Aapne ki ,Tijarat Aapne ki , Chunache Tijarat ke silsile mai Aapne Shaam ke safar kiye Jisme Aap Hazrat Khadijatul kubra Raziyallahu Anha ka samaane Tijarat le kar Shaam tashreef le gaye ,

┱  Zara'at Aapne ki ,Madina Tayyaba se kuchh faasle per muqame zurf tha ,waha per Aap Sallallahu Alaihivasallam ne zara'at ka kaam kiya ,

┱  Lihaza Halaal kamane ke jitne tareeqe hai'n un Sab mai Aap Sallallahu Alaihivasallam ka hissa aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Sunnat mojood hai , Agar koi Shakhs mulazmat kar raha hai ya Tijarat kar raha hai to ye niyat kar le k mai Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ki itteba mai Tijarat kar raha hu'n ya Zara'at kar raha hu'n ya mulazmat kar raha hu'n , to is soorat mai ye Sab kaam Deen ka hissa ban jayenge ,
              
*                     
                  ╨─────────────────────❥

*┱✿ Momin Ki Duniya bhi Deen hai,*

┱ Hadees ne ek galat fahmi ye door kar di hai k Deen aur cheez hai aur Duniya kisi alag cheez ka naam hai ,

┱ Haqeeqat ye hai k agar insaan gor kare to ek Momin ki Duniya bhi Deen hai ,Jis kaam ko WO Duniya ka kaam samajh kar kar raha hai yani Halaal Rizq haasil karne ki fikr aur koshish ye bhi dar haqeeqat Deen hi ka hissa hai ,basharte k usko sahi tareeqe se kare aur Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ki Taleem ki itteba mai kare ,

┱ Bahar haal ek baat to ye maloom hui k halaal Rizq ki Talab bhi Deen ka hissa hai , agar ye baat zahan mai beth jaye to fir be shumar gumrahiyo ke raaste band ho jaye ,
              
  ╨─────────────────────❥

*┱✿ Baaz Sufiyo Ka Tawakkul Kar ke beth Jana,*

┱  Baaz Sufiya Kiraam ki taraf ye mansoob hai aur unse ye tarze Amal manqool hai k unhone koi pesha akhtyar nahi kiya aur Rizq ki Talab mai koi kaam nahi kiya balki Tawakkul ki zindgi is tarah guzaar di k bas apni jagah per bethe hai'n, Allah Ta'ala ne Jo kuchh gaib se bhej diya aur Us per Shukr kiya aur qana'at kar li ,agar nahi bheja to sabr kar liya ,

┱ is bare mai ye samajh Lena chahiye k Sufiya Kiraam se is qism ka Jo tarze Amal manqool hai WO do haal se khaali nahi , Ya to WO Sufiya Kiraam ese they Jin per galaba e haal ki kaifiyat taari hui aur apne aam hosho hawaas mai nahi they ,aur Jab insaan apne hosho hawaas mai na ho to WO ahkaam e Shariyat ka mukallif nahi hota ,is vajah se agar unhone ye tarze Amal akhtyar kiya to ye unka apna makhsoos maamla tha ,Tamaam ummat ke liye ye Aam hukm nahi tha ,

┱ Ya fir un Sufiya Kiraam ka Tawakkul itna zabardast aur kaamil tha k WO is baat per raazi they k agar mahino faaqa bhi guzarta hai to Hume koi fikr nahi , Hum na to kisi ke saamne haath failayenge ,na kisi ke saamne shikwa karenge , Ye bade mazboot sifaato wale, bade A'ala darje ke maqamaat rakhte they ,inhone is per ikfa kiya k hum apne zikr v shagal mai mashgool rahenge aur faaqe ki bhi nobat aati to koi baat nahi aur unke saath koi doosre Huqooq wabasta nahi they, Na Bivi bachche they k unko khana khilana ho ,

┱ Lihaza  ye in Sufiya Kiraam ke makhsoos halaat they aur unka khaas tarze Amal tha Jo aam logo ke liye aur hum jese kamzoro ke liye qabile taqleed nahi hai ,Hamare liye Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne Sunnat ka Jo Raasta bataya WO ye hai k Rizq Halaal ki Talab doosre Deeni faraiz ke baad doosre darje ka fariza hai ,
  *                     
                  ╨─────────────────────❥

    *┱✿ Talab Halaal ki Ho ,*

┱ Rizq Talab karna Fariza us waqt hai Jab Talab Halaal ki ho , Roti, kapda aur Paisa bizzaat khud maqsood nahi hai ,ye niyat na ho k bas paisa haasil karna hai ,Chahe jis tarah bhi haasil ho , Jaa'iz tareeqe se haasil ho ya Na-jaa'iz tareeqe se haasil ho ,Halaal tareeqe se haasil ho ya Haraam tareeqe se haasil ho ,

┱  Is soorat mai ye Talab ,Talab Halaal na hui Jiski fazilat bayan ki gayi aur Jiski Fariza qaraar diya gaya hai ,Kyunki Momin ka ye Amal us waqt Deen banta hai Jab WO islami talimaat ke mutabiq haasil kare ,Agar usne Halaal haraam ki tameez hata di aur jaa'iz na-jaa'iz ka khayal zahan se mita diya to fir ek Musalman mai aur kaafir mai Rizq haasil karne ke aitbaar se koi farq na raha ,

┱ Baat to tab banegi jab WO Rizq Allah Ta'ala ke hukm ke mutabiq qaayam ki hui hudood ke andar kare , Usko ek ek paise ke bare mai fikr ho k ye paisa Halaal tareeqe se aa raha hai ya iske khilaaf aa raha hai,

┱ Agar Ye Allah ki raza ke khilaaf aa raha hai to usko Jahannam ka Angara samajh kar chhod de , Kitni hi badi se badi daulat ho ,lekin agar WO haraam tareeqe se aa rahi hai to usko laat maar de aur kisi qeemat per bhi us haraam ko apni zindgi ka hissa banane per raazi na ho ,
         
                  ╨─────────────────────❥

*┱✿ Mehnat Ki har Kamaa'i Halaal nahi hoti,*

┱ Baaz logo ne WO zariya e Maas akhtyar kar rakha hai Jo haraam hai aur Shariyat ne uski ijazat nahi di , Maslan -- Sood ( interest ) ka zariya e Maas  ( Kaam dhanda ) akhtyar kar rakha hai ,

┱ Ab agar unse kaha jaye k ye to na-jaa'iz aur haraam hai ,is tareeqe se paisa nahi kamana chahiye ,To jawab ye diya jata hai k hum to apni mehnat ka khaa rahe hai'n ,apni mehnat laga rahe hai'n, Apna waqt kharch kar rahe hai'n,

┱ Khoob samajh lijiye k Yaha'n har Mehnat jaa'iz nahi hoti ,balki wo mehnat jaa'iz hoti hai Jo Allah Ta'ala ke bataye hue tareeqe ke mutabiq ho , agar us tareeqe ke khilaaf insaan chahe hazaar mehnate kar le lekin uske zariye Jo paisa kamayega WO Halaal ka nahi hoga balki haraam hoga , Kehne ko to ek "Tawa'if " bhi mehnat se kama rahi hai , Chor Daku bhi mehnat kar rahe hai'n ,

┱ Lihaza meri Aamdani Halaal honi chahiye , is tarah Aamdani ke Jo tareeqe haraam hai'n unko ye keh kar Halaal karne ki koshish karna k ye hamari mehnat ki kamaai hai ,Shar'an iski koi gunzaish nahi hai ,
              
  ╨─────────────────────❥

*┱✿ Ye Rozgaar Halaal hai Ya Haraam ?

┱ Lihaaza Jab bhi Rozgaar ka koi zariya saamne aaye  to pehle ye dekho k ye tareeqa jaa'iz hai ya nahi ? Shariyat ne isko Halaal qaraar diya hai ya Haraam ?

┱ Agar Shariyat ne Haraam qaraar diya hai to fir us Aamdani ke zariye se chahe kitna hi Duniya ka Faayda haasil ho raha ho ,insaan usko chhod de aur us zariye ko akhtyar kare Jo Allah ko raazi karne wala ho ,chahe usme Aamdani aur munafa kam hi Kyu na ho _",
               
                  ╨─────────────────────❥

*┱✿ Bank Ki Naukri Karne Wala Kya kare ?*

┱ Bahut se log Bank ki mulazmat ke andar mubtila hai'n aur Bank ke andar bahut saara karobaar Sood ( interest) per rehta hai , Ab Jo Shakhs waha'n Mulazim hai agar WO Sood ke Karobaar mai unke saath madadgaar ban raha hai to ye Mulazmat ( Service ) Na-jaa'iz aur Haraam hai ,

┱  Chunache Ulma Kiraam farmate hai'n k agar koi Shakhs Bank ki esi mulazmat mai mubtila ho aur baad mai Allah Ta'ala usko Hidayat de aur usko Bank ki Naukri chhodne ki fikr ho jaye to usko chahiye k koi Jaa'iz Naukri talash kare aur Jab doosri Naukri mil jaye to is bank ki Naukri ko chhod de ,

┱ Lekin Jaa'iz Naukri is tarah talash kare k Jis tarah ek Be-Rozgaar Aadmi talash karta hai ,Ye na ho k Be-fikri ke saath Bank ki Na-jaa'iz Naukri mai laga hua hai aur Zahan mai ye betha rakha hai k Jab doosri Naukri mil jayegi to isko chhod dunga , Balki is tarah talash kare jis tarah ek Be-rozgaar Aadmi talash karta hai , aur Jab doosri Naukri mil jaye ,chahe usme Aamdani kam hi ho , to mojooda Naukri ko chhod de ,

*┱✿ Halaal Rizq mai Barkat Hai ,*

┱ Allah Ta'ala ne Halaal Rozi ke andar Jo Barkat rakhi hai WO Haraam ke andar nahi rakhi , Haraam ki bahut badi raqam se WO Faayda haasil nahi hota Jo Halaal ki thodi si raqam mai haasil ho jata hai ,

┱ Huzoor Sallallahu Alaihivasallam har Wazu ke baad ye Dua farmaya karte they :-

*اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِي ذَنْبِي وَوَسِّعْ لِي فِي دَارِي وَبَارِكْ لِي فِي رِزْقِي*

*Allahummagfirli Zanbi wa Wassi'ali fi daari waBaarik li fi rizqi ,*

Ey Allah ,Mere gunaah ki magfirat farma aur mere ghar mai wus'at farma aur mere Rizq mai Barkat ata farma ,"

┱ Aaj kal log Barkat ki qadro qeemat ko nahi jaante balki rupiya paise ki ginti ko jaante hai , Ye dekh kar khush ho jate hai'n k Hamara Bank Balance bahut zyada ho gaya ,lekin is Rupiya Paisa se kya Faayda haasil hua ,unse kitni raahat mili ,kitna sukoon mila ,iska hisaab nahi karte ,

┱ Laakho ka Bank Balance hai lekin Sukoon nahi ,raahat nahi , Bataiye Laakho ka Bank balance kis kaam ka ? Aur agar paisa thoda hi hai lekin Allah Ta'ala ne raahat aur sukoon ata farmaya hua hai to dar haqeeqat "Barkat " hai aur ye Barkat WO cheez hai Jo Bazaar se khareed kar nahi layi ja sakti ,Laakho karodo kharch kar ke bhi haasil nahi ki ja sakti ,balki ye sirf Allah Ta'ala ki dain aur uski ata hai ,

┱ Allah Ta'ala jisko ataa farma de usi ko ye Barkat naseeb hoti hai, doosre ko naseeb nahi hoti aur ye Barkat Halaal Rizq mai hoti hai Haraam maal ke andar ye Barkat nahi hoti ,chahe WO Haraam maal kitna hi zyada haasil ho jaye ,

┱ Isliye insaan Jo kama raha hai WO iski fikr kare k ye Luqma Jo mere andar aur mere Bivi Bachcho ke halaq mai ja raha hai aur ye paisa Jo mere paas aa raha hai ,ye Allah ki raza ke mutabiq hai ya nahi ? Shariyat ke ahkaam ke mutabiq hai ya nahi ? Har insaan apne andar ye fikr paida kare ,

                  ╨─────────────────────❥

*┱✿ Tankhwah ( Salary ) ka Ye hissa Haraam ho gaya,*

┱ Baaz Haraam maal WO hai'n Jinka ilm Sab ko hai ,Jese Sab jaante hai k Sood ( interest)  Haraam hai ,Rishwat Lena Haraam hai Vagera ,Lekin hamari zindgi mai inke alawa aur bhi bahut si Aamdaniya'n is tarah dakhil ho gayi hai'n K Hume unke bare mai ye ahsaas bhi nahi k ye Aamdani Haraam hai ,

┱ Jese Aapne kisi jagah per Jaa'iz aur Shariyat ke mutabiq  Mulazmat ( service ) akhtyar kar rakhi hai ,lekin Mulazmat ka Jo waqt tay ho chuka hai us waqt mai Aap Kami kar rahe hai'n aur Poora waqt nahi de rahe hai'n balki dandi maar rahe hai'n,

┱ Jese Ek Shakhs ki 8 ghante ki Duty hai magar WO usme se ek ghanta chori chhupe doosre kaamo mai zaay kar deta hai , ( Late jata hai ya Jaldi aata hai ) ,iska Natija ye hoga k Mahine ke khatm per Jo tankhwah ( salary ) usko milegi uska aathva hissa haraam ho gaya , WO Aathva hissa Halaal Rizq nahi raha balki WO ek hissa ( ek ghante )  ka Rizq Haraam ho gaya , Lekin hume iska ahsaas hi nahi k ye Haraam maal hamari Aamdani mai shamil ho raha hai ,,
                              
                  ╨─────────────────────❥

*┱✿ Ye Be Barkati Kyu na ho ?*

┱ Aaj hum log Jo Be Barkati ki vajah se Pareshan hai'n aur har Shakhs Pareshani ka Rona ro raha hai , Jo Lakhpati hai WO bhi ro raha hai aur Jo Karodpati hai WO bhi ro raha hai,

┱ Rona is baat ka k Sahab Kharch poora nahi hota aur Masail hal nahi hote , Dar haqeeqat ye Be Barkati isliye hai k Halaal v Haraam ki tameez aur uski Fikr uth gayi hai ,

┱ Bas chand makhsoos cheezo ke bare mai to ye zahan mai betha liya k ye haraam hai ,isse to kisi na kisi tarah se bachne ki koshish karte hai'n lekin Jo mukhtalif raasto se Haraam paisa  hamari Aamdani mai dakhil ho raha hai unki fikr nahi ,
              
┱  Lihaza har waqt ye dekho k Jo kaam mai kar raha hu'n ye Haq hai ya na-haq hai , Agar insaan is fikr ke saath zindgi guzare k Na-jaa'iz koi paisa uske maal ke andar shamil na ho to yaqeen rakhiye k agar saari Umar nawafil na padhe aur na zikr tasbeeh na ki ,lekin apne Aapko Haraam se bacha ka qabr tak le gaya in Sha Allah seedha Jannat mai jayega ,

┱  Aur agar Haraam ki fikr nahi ki magar Tahajjud ki Namaz bhi padh raha hai, ishraaq ki Namaz bhi padh raha hai ,Zikr v tasbeeh kar raha hai to ye nawafil aur ye zikr insaan ko Haraam maal ke azaab se nahi bacha sakenge , Allah Ta'ala apne fazal se har Musalman ki hifazat farmaye , Aameen, 
                    
                  ╨─────────────────────❥

*┱✿ Haraam Maal Halaal Maal ko bhi Tabaah Kar deta hai,*

┱ Lihaza Humme se har Shakhs apna Jaayza le k Jo paisa uske paas aa raha hai aur Jo kaam Wo kar raha hai unme kahi haraam maal Kï aamzish to nahi hai , Na Jane kitne hi kaam ese hai'n jinke zariye danista tor per aur gair shaoori tor per hamare halaal maal mai haraam maal Kï aamzish ho jati hai,

"__Aur buzurgo ka maqula hai k Jab Kabhi Kisi halaal maal ke saath haraam maal lag jata hai to Wo Haraam maal ko bhi tabaah kar ke chhodta hai , Yani us Haraam maal ke shamil hone se natije mai halaal maal Kï Barkat uska sukoon aur raahat tabaah ho jata hai ,

"__isliye har Shakhs iski fikr kare k aur har Shakhs Apne ek ek Amal  ka jaayza le Aur Apni Aamdani ka jaayza le k hamare halaal maal mai kahi koi haraam maal to shamil nahi ho raha hai , Allah Ta'ala hum sabko iski fikr Kï tofeeq ataa farmaye ,Aameen,
                             
                  ╨─────────────────────❥

*┱✿ Rizq Kï Talab Maqsoode Zindgi nahi ,*

┱ Hadees se Teesri baat ye maloom hui k Jaha'n ek taraf halaal rizq Kï ahmiyat batayi gayi k halaal Kï talab Deen ka hissa hai , Wahi Hume Hadees ne Rizq Halaal Kï talab ka darja bhi bata diya k Kitna darja aur kitni ahmiyat hai ,

┱ Aaj Ki Duniya mai Maas ko ,Ma'asiyat ko aur Rupiya paisa kamane ko Apni zindgi ka Asli maqsad qaraar de rakha hai ,Aaj hamari saari daud dhoop isi ke gird ghoom rahi hai k Paisa kis tarah haasil ho ,kis tarah paiso mai izaafa kiya jaye aur kis tarah apni ma'asiyat ko taraqqi di jaye ,Aur isi ko humne Apni zindgi Kï Akhri manzil qaraar de rakha hai ,

┱ Sarkare Do Aalam Sallallahu Alaihivasallam ne is Hadees mai bata diya k Rizq Halaal Kï talab fariza to hai lekin Doosre faraiz deeniya ke baad iska darja aata hai ,Ye insaan Kï zindgi ka Asal maqsad nahi hai balki ye ek zarurat hai aur is zarurat ke tahat insaan ko na sirf ye k Rizq Halaal talab Kï ijazat di gayi hai balki iski targeeb aur takeed Kï gayi hai k Tum Rizq Halaal talab karo , Lekin ye Rizq Halaal Kï talab tumhara maqsade zindgi nahi hai balki maqsoode zindgi kuchh aur hai ,aur Wo ye hai Allah Ta'ala ke saath talluq qayam karna ,Allah Ta'ala Kï bandgi Aur ibaadat karna ,Ye insaan ka Asli maqsade zindgi hai Aur Ma'asiyat ka darja iske baad aata hai ,
               
                  ╨─────────────────────❥

*┱✿ Rizq Kï Talab mai Fara'iz ko Chhodna Jaa'iz nahi,*

┱ Lihaza Jis jagah per Ma'asiyat Aur Allah Ta'ala ke aa'id kiye hue Fara'iz mai takraav ho jaye Waha'n per Allah Ta'ala ke aa'id kiye hue Fara'iz ko tarjeeh hogi,

┱__ Baaz Log is Shak mai pade hue hai'n k Talabe halaal bhi Deen ka hissa hai to itna aage bad gaye k iske natije mai Agar Namaz chhoot rahi hai to iski bhi koi parvaah nahi ,Roze chhoot rahe hai hai to unko iski parvaah nahi , Halaal Haraam ek ho raha hai to iski parvaah nahi,

┱ Agar unse kaha jaye k Namaz Padho to jawab dete hai'n k ye kaam Jo hum karKi rahe hai'n ye bhi to Deen ka ek hissa hai ,

┱ Ek Lohaar ka waqiya hai k Jab uske kaan mai Azaan Kï awaaz "Allahu Akbar " aa jati to agar us waqt apna hathoda sar se ouncha haath mai uthaya hua hota to us waqt ye gawara na karta k is hathode se ek martaba aur lohe per maar de ,balki hathode ko niche fenk deta tha Aur kehta tha k ab Azaan Kï awaaz sunne ke baad is hathode se zarb lagana mere liye durust nahi ,fir Namaz ke liye masjid Kï taraf chala jata tha ,

┱ Jis Shakhs ne inko marne ke baad khwaab mai dekha tha usne ye baate sunne ke baad kaha k bas yahi vajah hai jisne inka martaba itna buland kiya k Hazrat Abdullah bin Mubarak Reh ko bhi is per rashk aa raha hai ,
              
   ┗═════════════════✿

*┱✿ Rizq aur Namaz ke Takraav Ke Waqt Namaz ko Tarjeeh Dena,*

┱ Aapne dekha k Ek Lohaar Jo Loha kaatne ka kaam kar raha tha , Ye bhi Halaal Rizq ka fariza tha ,aur Jab Azaan Kï awaaz aayi to Wo Avvaleen Farize Kï pukaar thi , Jis waqt Dono mai takraav hua to usne Allah wale Aur Avvaleen farize ko tarjeeh Dï aur doosre farize Rizq ko chhod diya ,iski vajah se Allah Ta'ala ne buland muqaam ata farmaya,

┱  Halaal Rizq ka darja Faraize Deen ke baad hai , Ye Duniya zarurat Kï cheez to hai lekin maqsad banane Kï cheez nahi hai , Ye Duniya Dil lagane Kï cheez nahi hai k Din Raat Aadmi isi Duniya Kï fikr mai laga rahe aur iske alawa koi aur fikr aur dhyaan insaan ke Dimaag per na rahe ,

"__Allah Ta'ala Apni Rahmat se aur Apne fazal v karam se is haqeeqat ko zahan mai rakhne Kï Tofeeq ataa farmaye aur iske mutabiq zindgi guzaarne Kï Tofeeq ataa farmaye , Aameen ,
              
          ╙══════════╜

ReF✿┅╮
   
*📁_ Huqooqul ibaad aur Mamlaat ( Mufti Taqi Usmani DB)*

  ╟❥ *Alhamdulillah*        
             
                  ╨─────────────────────❥

💕 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*💕 

             

No comments:

Post a Comment