★
★
┱✿
┋ *MAMLAAT.DURUST.RAKHIYE _*
┗═════════════════✿
*┱✿ Deen Ka Aham Rukn- Mamlaat Ki Safaai,*
┱ Mamlaat ki Durustgi aut Safaai Deen Ka aham Rukm hai ,yani insaan ko Mamlaat mai achchha hona chahiye, Lekin afsos ye hai k Deen ka Jitna aham hissa hai ,hum logo ne utna hi isko zindgi se khaarij kar rakha hai ,
┱ Humne Deen ko sirf chand ibadaat maslan Namaz,Roza ,Hajj ,Zakaat mai hi samjha hai , Lekin Rupiya Paisa ke Len Den ka Jo hissa hai usko humne bilkul azaad chhoda hua hai ,goya k ye Deen se iska koi talluq hi nahi ,
┱ Halanki islami Shariyat ke ahkaam ka jayza liya jaye to nazar aayega k ibadaat se Mutalliq Jo ahkaam hai'n WO sirf Ek Chothaai ( 1/4 ) hai'n aur Teen Chothaai ( 3/4 ) Ahkaam Mamlaat aur Mashrat se Mutalliq hai'n,
┗═════════════════✿
*┱✿ Mamlaat Ki Kharabi Ka Asar ibadaat Per,*
┱ Allah Ta'ala ne in Mamlaat ka ye muqaam rakha hai k agar insaan Rupiya paisa ke Mamlaat mai Halaal v Haraam ka aur jaa'iz Na-jaa'iz ka imtiyaz na rakhe to ibadaat per bhi iska asar ye hota hai k chahe WO ibadaat ada ho jaye lekin iska Ajro Sawab aur inki qubuliyat moqoof ho jati hai ,Duae'n qubool nahi hoti hai ,
┱ Ek Hadees mai Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya, Bahut se log ese hote hai'n Jo Allah Ta'ala ke saamne badi Aajizi ka muzahira kar rahe hote hai'n is haal mai k unke Baal bikhre hue hai'n, gidgida kar aur ro ro kar pukaarte hai'n k ya Allah! Mera ye maqsad poora kar dijiye ,Badi Aajizi aahozari se Duae'n kar rahe hote hai'n,
"__Lekin unka Khaana Haraam ,pina unka haraam ,Libaas unka haraam aur unka jism Haraam Aamdani se parwarish paya hua , Ese Aadmi ki Dua Dua kese qubool ho ? Ese Aadmi ki Dua qubool nahi hoti,
┗═════════════════✿
*┱✿ Mamlaat Ki Talaafi Bahut Mushkil hai,*
┱ Doosri Jitni ibadaat hai'n, agar unme kotahi ho jaye to unki talafi asaan hai , Jese Namaze Chhoot gayi to ab tauba kar lo aur apni zindgi mai qaza Namaze ada kar lo aur agar zindgi mai ada na kar sake to to wasiyat kar jao k agar mai mar jau'n to mere maal mai iska fidiya ada kar diya jaye , Allah Ta'ala ke Yaha'n talafi ho jayegi ,
┱Lekin agar Kisi doosre ka maal Na-jaa'iz tareeqe se khaa liya to uski talafi us waqt tak nahi hogi jab tak Sahibe Haq maaf na kar de , Chahe hum hazaar Tauba karte rahe ,Hazaar nifle padhte rahe ,
┱ isliye Mamlaat ka Baab bahut ahmiyat rakhta hai ,isi vajah se Hazrat Hakeemul ummat Maulaba Ashraf Ali Thanvi Reh ke Yaha'n Tasawwuf aur Tariqat ki talimaat mai Mamlaat ko sabse zyada avvaliyat haasil thi ,
"__farmaya karte they k agar mujhe Apne murideen ke bare mai ye pata chale k usne apne mamulaat ,nawafil aur wazaif poore nahi kiye to iski vajah se ranj hota hai aur us mureed se keh deta hu'n k unko poora kar lo ,Lekin agar kisi Mureed ke bare mai ye maloom ho k usne Rupiya paise ke Mamlaat mai gadbadi ki hai to mujhe usse nafrat ho jati hai,
┗═════════════════✿
*┱✿ Ek Sabaq Haasil karne Wala Waqi'a,*
┱ Hazrat Thaanvi Reh ke Ek Mureed they Jinko Aapne khilafat bhi ata farma di thi aur unko Bayt aur talqeen karne ki ijazat de di thi ,Ek martaba Wo Rail se safar kar ke Hazrat ki khidmat mai haazir hue unke saath unka Bachcha bhi tha ,
┱ Unhone aa kar Salam kiya aur mulaqaat ki aur Bachche ki bhi milwaya k Hazrat ye mera Bachcha hai iske liye Dua farma dijiye , Hazrat ne Dua farmayi aur fir wese hi poochh liya k is Bachche ki Umar kya hai ? Unhone jawab diya k Hazrat iski Umar 13 saal hai , Hazrat ne poochha k Aapne Rail Gadi ka safar kiya hai to is Bachche ka Aadha ( half ) Ticket liya tha ya Poora Ticket liya tha ,? Unhone jawab diya k Hazrat Aadha Ticket liya tha ,
"__Hazrat ne farmaya k :- Aapne Aadha Ticket kese liya jabki 12 saal se zyada Umar ke Bachche ka to poora ticket lagta hai , Maloom hota hai k Aapko Tasawwuf aur Tariqat ki hawa bhi nahi lagi ,Aapko abhi tak is baat ka ahsaas aur idraak nahi k Bachche ko Jo safar Aapne karaya ye Haraam karaya ,
Jab Qanoon ye hai k 12 saal se zyada Umar ke Bachche ka poora ticket lagta hai aur Aapne Aadha ticket liya to iska matlab ye hai k Aapne Railway ke Aadhe ticket ke paise gasab kar liye aur Aapne chori kar li ,aur Jo Shakhs Chori aur gasab kare esa Shakhs Tasawwuf aur Tariqat mai koi muqaam nahi rakh sakta ,lihaza Aaj se Aapki khilafat aur ijazat e Bayt waapas li jati hai ,"
┱ Chunache is baat per unse khilafat salb farmali ,Halanki Apne or wazaif mai ,ibadaat mai nawafil mai ,Tahajjud v ishraaq mai ,har cheez mai bilkul Apne tareeqe per mukammal they, Lekin galti ye ki k Bachche ka ticket poora nahi liya sirf is galti ki bina per Khilafat chheen li ,
┗═════════════════✿
*┱✿Mamlaat Ki Kharabi se Zindgi Haraam,*
┱ Shariyat ke Khilaaf ek paisa bhi hamare paas na aaye ye Pehlu nazro se ojhal ho gaya hai ,Aaj kitne log is qism ke Mamlaat ke andar mubtila hai'n aur unko khayal bhi nahi aata k hum ye Mamlaat Shariyat ke khilaaf aur Na-jaa'iz kar rahe hai'n, Agar humne galat tareeqe se chand paise bacha liye to WO chand paise haraam ho gaye Aur WO haraam maal hamare doosre maal ke saath milne ke nateeje mai uske bure asraat sare maal mai fail gaye,
┱ Fir usi maal se hum khana kha rahe ,Kapde pehan rahe ,libaas banwa rahe Jiske nateeje mai hamari poori zindgi Haraam ho rahi hai aur Hume iska hosh hi nahi , Jinko Allah Ta'ala ahsaas ataa farmate hai'n unko pata lagta hai k Haraam cheez kya hoti hai,
┱ Aaj Jo hamare Dilo se gunaaho ki nafrat mit ti ja rahi hai aur Gunaah ke Gunaah hone ka ahsaas khatm ho raha hai iski ek bahut badi vajah ye hai k humare maal mai haraam maal ki milawat ho chuki hai ,
"_Fir ek to WO haraam hai Jo khula haraam hai Jisko sabhi jaante hai'n k ye haraam hai ,Jese Rishwat ka maal ,Sood ka maal ,Juwa ka maal ,Dhoke ka maal ,Chori ka maal vagera ,
┱Lekin Haraam ki doosri qism WO haraam hai Jiske haraam hone ka Hume ahsaas hi nahi hai ,Halanki WO bhi haraam hai aur WO haraam cheez hamare karobaar mai mil rahi hai , ( iski tafseel agle parts mai hongi insha Allah)
┗═════════════════✿
*┱✿ Milkiyat Mutaiyan Honi Chahiye,*
┱ Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam Ki Taleem ye hai k Mamlaat chahe Bhaiyo'n ke darmiyan ho ,ya Baap Bete ke darmiyan ho ,ya Shohar Bivi ke darmiyan ho , Wo Mamlaat bilkul saaf aur begubaar hona chahiye,
┱ Aur Milkiyat Aapas mai Mutaiyan honi chahiye k Konsi cheez Baap ki Milkiyat hai aur Konsi cheez Bete ki Milkiyat hai, Konsi cheez Shohar ki Milk mai hai aur Konsi cheez Bivi ki Milkiyat hai, Konsi cheez ek Bhai ki hai aur Konsi cheez doosre Bhai ki hai , Ye saari baate waaze aur saaf saaf honi chahiye, Ye Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ki Taleem hai,
┱ Chunache ek Hadees mai Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k __Bhaiyo'n ki tarah raho ,Lekin Aapas mai Mamlaat Ajnabiyo ki tarah karo ,
┱ Maslan agar Qarz yani Udhaar ka Len Den kiya ja raha hai to usko likh lo k ye Qarz ka Maamla hai ,mitne din ke baad iski waapsi hogi ,Vagera .
┗═════════════════✿
*┱✿ Baap Beto ke Shaamil Karobaar ,*
┱ Aaj hamara Mashra is baat se bhara hua hai k koi baat saaf hi nahi ,agar Baap Beto ke darmiyan Karobaar hai to Wo Karobaar wese hi chal raha hai , iski koi wazahat nahi hoti k Bete Baap ke saath Jo Kaam kar rahe hai'n WO Shareek ( Partner ) ki haisiyat se kar rahe hai'n ya Mulazim ( Servant ) ki haisiyat se kar rahe hai'n, Ya wese hi Baap ki muft madad kar rahe hai'n,
"__ iska kuchh ata pata nahi magar Tijarat ho rahi hai ,Mile qayam ho rahi hai, Dukaane badhti ja rahi hai ,Maal aur Jaydaad badhta ja raha hai, Lekin ye pata nahi K kiska kitna hissa hai ,agar inse kaha bhi jaye k Apne Mamlaat ko saaf karo to Jawab diya jata hai k ye to gairat ki baat hai ,Bhaiyo'n mai iski kya zarurat hai , Baap Beto mai iski kya zarurat hai ,
┱iska nateeja ye hota hai k Jab Shadiya'n ho jati hai aur Bachche ho jate hai'n aur Shadi mai kisi ne zyada kharch kar liya aur kisi ne kam kharch kiya , Ya ek Bhai ne makaan bana liya aur doosre ne abhi tak makaan nahi banaya , Bas ab Dil mai Shikayate aur ek doosre ki taraf se Keena paida hona Shuru ho gaya , Aapas mai jhagde Shuru ho gaye k fala ne zyada rakh liya aur mujhe kam mila ,
┱ Aur agar is dauraan Baap ka inteqal ho jaye to uske baad Bhaiyo'n ke darmiyan Jo ladaai aur jhagde hote hai'n unke hal ka koi raasta nahi hota ,
┗═════════════════✿
*┱✿ Baap Ke inteqaal per Miraas ki taqseem Foran kare,*
┱ Jab Baap ka inteqaal ho jaye to Shariyat ka hukm ye hai k foran Miraas ki taqseem karo ,Miraas Taqseem karne mai takheer karna haraam hai,
┱ Lekin Aaj kal ye hota hai k Baap ke inteqaal per Miraas ki taqseem nahi hoti aur Jo Bada Beta hota hai WO Karobaar per qaabiz ho jata hai, aur Betiya'n khamosh bethi rehti hai'n ,Unko kuchh pata nahi hota k hamara kya Haq hai aur kya nahi ?
┱ Yaha'n tak k isi haalat mai das bees saal guzar gaye aur fir isi dauraan kisi aur ka bhi inteqaal ho gaya ya kisi Bhai ne us Karobaar mai apna paisa mila diya ,fir saal ha saal guzarne ke baad jab unki Aulaad badi hoti hai to ab jhagde khade ho gaye aur Jhagde ese waqt mai khade hue k ab dor uljhi hui hai ,
┱Jab Jhagda inteha ki had tak pahunche to ab Mufti Sahab ke paas chale aa rahe hai'n k ab aap Masla hal kare ,mufti Sahab bechare ese waqt mai kya kare ,ab us waqt ye maloom karna mushkil hota hai k Jis waqt Karobaar ke andar Shirkat thi aur Bete apne Baap ke saath mil kar Karobaar kar rahe they us waqt Bete kis haisiyat se kaam kar rahe they ? Shareek they ya Mulazim ya muft ????????
┗═════════════════✿
*┱✿ Shamil Makaan Ki Tameer mai Hissedaro ka Hissa,*
┱ Maslan Ek makaan ban raha hai, Tameer ke dauraan kuchh paisa Baap ne lagaya ,kuchh Paisa ek Bete ne aur Kuchh doosre Bete ne laga diya ,Kuchh Teesre ne laga diye ,
"__Lekin ye pata nahi k kon kis hisaab se Kis tarah se Kis garz se paisa laga raha hai aur ye bhi pata nahi k Jo paisa tum laga rahe ho ye bator Qarz de rahe ho aur usko waapas loge ya Makaan Mao hissedaar ban rahe ho Ya bator imdaad tawun kar rahe ho ,iska kuchh pata nahi ,
┱ Ab Makaan taiyaar ho gaya aur isme rehna Shuru kar diya ,Ab jab Baap ka inteqaal hua ya Aapas mai doosre masail paida hue to an makaan per jhagde khade ho Gaye ,Ab mufti Sahab ke paas chale aa rahe fala'n Bhai ye kehta hai k mera itna hissa hai mujhe itna hissa milna chahiye, Doosra kehta hai mujhe itna milna chahiye,
┱ Jab inse poochha jata hai k Bhai jab Makaan ban raha tha tab Jo paisa lagaya us waqt tumhari Niyat kya thi ? Kya bator Qarz diye they ya tum makaan mai hissedaar banna chahte they ? Ya Baap ki madad karna chahte they, Us waqt kya Niyat thi , To jawab milta hai k humne to paisa dete waqt ye kuchh socha hi nahi tha , Ab dor ulajhi hui hai ,
┱ Ye sab isliye hua k Mamlaat ke bare mai Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ki Taleem per Amal nahi kiya , Nifle ho rahi hai ,Tahajjud ki namaz bhi ho rahi hai, lekin Mamlaat mai Sab ulta sulta ho raha hai , kisi cheez ka kuchh pata nahi ,
"__Ye Sab Kaam Haraam ho raha hai, Jab ye maloom nahi k mera Haq kitna hai aur Doosre ka Haq kitna hai to is soorat mai Jo kuchh tum isme se khaa rahe ho uske Halaal hone mai bhi Shubha hai ,Jaa'iz nahi ,
┗═════════════════✿
*┱✿ Doosre Ki Cheez istemal mai Lana ,*
┱ isi tarah Doosre ki Cheez istemal karna haraam hai , Maslan Koi Dost hai ya Bhai hai ,Uski cheez uski ijazat ke bager istemal kar li to ye jaa'iz nahi hai balki Haraam hai ,
┱ Albatta agar Aapko ye yaqeen hai k uski cheez istemal karne se WO khush hoga aur khushi se iski ijazat de dega , Tab to istemal karna jaa'iz hai ,
┱ Lekin jaha'n Zara bhi iski ijazat mai Shak ho ,chahe WO Haqeeqi Bhai ho ya Chacha ka Beta ya Apne hi Baap ki cheez istemal kar raha ho ,Jab tak is baat ka itminaan na ho k khush dili se WO ijazat de dega ,us waqt tak uska istemal jaa'iz nahi hai ,
┱ Hadees mai hai k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Kisi Musalman ka maal tumhare liye Halaal nahi jab tak WO khush dili se na de ,
( Kanzul Ummal, 397 )
"__Hadees mai ijazat ka Lafz istemal nahi farmaya balki Khush dili ka Lafz istemal farmaya , Matlab ye hai k Sirf ijazat kaafi nahi balki is tarah ijazat de k uska Dil khush ho ,Tab to WO cheez Halaal hai ,Agar Aap Doosre ki cheez istemal kar rahe hai'n lekin Aapko uski khush Dili ka yaqeen nahi hai to Aapke liye WO cheez istemal karna jaa'iz nahi. ,
┗═════════════════✿
*┱✿ ESA Chanda Halaal Nahi,*
┱ Hakimul Ummat Hazrat Thaanvi Reh .Madarso ke Chande aur Anjumano ke chande ke bare mai farmaya karte they k ye Chande is tarah Vasool karna k Doosra Shakhs dabaav ke tahat chanda de de ,ESA chanda Halaal nahi.
┱ Maslan Aapne Aam majme mai Chanda Lena Shuru kar diya, is majme mai ek Aadmi Sharma Sharmi mai ye soch kar chanda de raha hai k itne saare log chanda de rahe hai'n aur mai chanda na dunga to meri naak kat jayegi ,aur Dil ke andar chanda dene ki khwahish nahi thi ,To ye chanda khush Dili ke bager diya gaya , Ye chanda lene wale ke liye Halaal nahi ,
┗═════════════════✿
*┱✿ Masjide Nabvi Ke Liye Zameen Muft Qubool nahi Ki ,*
┱ Jab Huzoore Aqdas sallallahu alaihivasallam hijrat kar ke Madina Munavvara tashreef laye to Aapke peshe nazar sabse pehla kaam ye tha k Yaha'n per koi masjid banayi Jaye ,
┱ wo Masjide Nabvi Jisme ek Namaz ka sawab Pachaas Hazaar Namazo ke barabar hai , Chunache ek jagah Aapko pasand aa gayi jo khaali padi Hui thi , Aapne us jagah ke bare me maloom kiya to pata chala k ye Banu Najaar ke logo Ki jagah hai , Jab Banu Najaar ke logo KO pata chala k Aap Sallallahu Alaihivasallam us jagah per Masjid banana chahte hai'n to unhone aa kar arz kiya k Ya Rasulullah ! Ye to hamari badi khush qismati Ki baat hai k hamari jagah per masjid banayi Jaye, hum ye jagah masjid ke liye muft dete hai'n ,
┱ Aapne farmaya k nahi ,mai muft nahi lunga ,Tum iski qeemat batao ,qeemat ke zariye lunga ,
┱ Halanki Ba zahir ye maloom ho raha tha k wo log Apni sa'adat aur Khush nasibi samajh kar ye chah rahe they k unki jagah masjid e Nabvi Ki tameer mai istemal ho Jaye , Lekin iske bavjood Aapne muft Lena gawara nahi kiya,
"___ Ulma Kiraam ne is Hadees Ki Sharah mai likha hai k wese to Banu najaar ke log khushi se ye zameen de rahe they to iska Lena jaa'iz tha ,lekin Aap Sallallahu Alaihivasallam ne is baat KO pasand nahi farmaya k zameen muft li Jaye , Varna Aainda ke liye logo ke saamne he nazeer ban Jayegi k Mssjid Banani ho to Masjid ke liye zameen qeemat de kar khareedne Ki bajaye muft apni zameen de , isliye zameen KO muft qubool nahi kiya taki he baat waaze rahe k Ye durust nahi k Masjid Ki tameer Ki khaatir doosro per dabaav daala Jaye ,ya doosro Ki milkiyat per nazar rakhi Jaye , Mamlaat saaf rahe kisi qism Ki koi uljhan barqarar na ho,
┗═════════════════✿
*┱✿ Azwaaje Mutaharaat se Barabari Ka maamla,*
┱ Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ki Azwaaje Mutaharaat Jo Haqeeqat mai Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Shareeke Hayaat banne ki wahi mustahiq thi aur Allah Ta'ala ne unke Dilo se Duniya ki Muhabbat nikaali hui thi aur Akhirat ki muhabbat unke Dilo mai bhari hui thi ,
"__Lekin Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ka Maamla ye tha k Saal ke Shuru mai Apni Tamaam Azwaaje Mutaharaat ka Saal bhar ka Kharch ikattha de diya karte they aur unse farma dete k ye tumhara nafqa hai tum Jo chaho karo ,
┱ Ab WO Azwaaje Mutaharaat bhi Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ki Paak Biviya'n thi ,Unke Yaha'n har waqt sadqa khairaat ka silsila jaari rehta tha , Chunache baqadre zarurat apne paas rakhti ,baqi Sab khairaat kar deti thi , Lekin Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne ye misaal qaayam farmayi k poore saal ka nafqa ikattha de diya ,
┱ Allah Ta'ala ne Aap Sallallahu Alaihivasallam se pabandi uthayi thi k Apni Azwaaje Mutaharaat mai barabari kare ,balki Aapko ye akhtyar de diya tha k Jisko chahe zyada de aur Jisko chahe kam de , is akhtyar ke nateeje mai Aapke zimme Azwaaje Mutaharaat ke darmiyan barabari karna Aapke zimme farz nahi raha tha , Jabki ummat ke tamaam logo ke liye Apni Biviyo'n ke darmiyan barabari ka maamla karna farz hai ,
┱ Lekin Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne saari Umar is akhtyar aur ijazat per Amal nahi farmaya balki har cheez mai barabari farmayi ,aur unki Milkiyat ko waaze aur numaya farmaya tha ,aur unke Huqooq poori tarah zindgi bhar adaa farmaye ,
┗═════════════════✿
*┱✿ Dukandaar se Zabardasti Paise kam kara kar Koi Cheez Khareedna Halaal nahi ,*
┱ Aaj Kal rivaaj hai k zabardasti paise kam karaye jate hai'n, Maslan ek Aadmi doosre ko bilkul hi majboor kar de aur WO usko dafa karne ki garz se chahe nuqsaan hi ho ye keh kar maal de deta hai to mai samajhta hu'n k WO cheez Aapke liye Halaal bhi nahi hogi ,
┱ Isliye k Aapne to usse zabardasti kam karaya hai , Daam Kam karane ke liye zyada israar karna Aur zyada pichhe padna Momin ki shaan nahi ,
┱__ Imasm Abu Hanifa Reh ne imaam Abu yusuf Reh ko wasiyat farmayi k ahle ilm ko chahiye k Wo doosro se zyada de ,
"__,Farz kare k Kisi sawari ka kiraya hai to doosre log jitna dete hai'n usse kuchh zyada de taki qadaro qeemat qaayam rahe ,Ye Sab Deen ki baate hai'n, Ye akhlaaqe nabvi hai'n Jinko haasil karne ki fikr karni chahiye k Aadmi apne aam Mamlaat mai narmi ka bartaav kare , Agar paise nahi hai to mat khareedo lekin zabardasti karna , ladna jhagadna ye Momin ki Shaiwah nahi hai ,
┗═════════════════✿
*┱✿ Qarz Dene ka islami Usool,*
┱ islami usool ye hai k Jab koi Shakhs tumse paise maang raha hai aur tum usko paise de rahe ho to ek baat tay kar lo k Jo paise tum de rahe ho usse maqsad uski madad karna hai ya uske nafe mai shareek hona hai ,
┱Agar madad karna hai to madad to usko kehte hai'n k ya to wese hi sadqa kar diya agar sadqa nahi karte to Jitna qarz diya utna hi le lo ,isse zyada paisa vasool karna jaa'iz nahi aur ye koi madad nahi hui ,
┱ Aur agar maqsad uske nafe mai shareek hona hai to nuqsaan mai bhi shareek hona padega ,ye Shirkat aur muzarbat ka qa'ada hai ,
"_ Zyada Lena Sood hai , Sarmaya daar ko nafa ho tab bhi Sood hai ,Ye Sood Lena zulm hai ,
┗═════════════════✿
*┱✿ Jhagde se Parhez,*
┱ Ladaai Jhagda Allah Ta'ala ko sakht napasand hai ,Qur'an Kareem mai jhagdalu Aadmi ki bahut mazammat ki gayi hai , aur Hilm ,Burdbaari aur jhagde se door rehne walo ko Allah Ta'ala pasand farmate hai'n aur ESE Shakhs ko Ajro Sawab se nawazte hai'n ,
┱ Hazrat Abdullah bin Abbaas Raziyallahu Anhu se rivayat hai k ek martaba Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne qabeela Abdul Qais ke ek Shakhs se khitaab karte hue irshad farmaya :-
"_ Tumhare andar do khaslate esi hai'n jinko Allah Ta'ala pasand farmate hai'n, Burdbaari aur tamkanat , "
( Sahih Muslim )
┱ Chunache Agar koi Shakhs Haq per hone ke bavjood mahaz ladaai jhagde se bachne ki khaatir apna Haq chhod de ya sulah kar le ,isko Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne bahut azeem basharat di hai ,
┱ Hazrat Abu umama Raziyallahu Anhu rivayat karte hai'n k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ mai us Shakhs ko Jannat ke Kinaro par ghar dilwane ki zamanat deta hu'n Jo Jhagda chhod de, chahe WO Haq per ho _,"
( Sunan Abu Daowd )
"__Jis Shakhs ko Jannat mai pahunchane balki Jannat mai ghar dilwane ki zamanat Aap Sallallahu Alaihivasallam ne le li ho uski khush naseebi ka kya thikaana ? Allah Ta'ala ye daulat tamaam Musalmano ko ataa farmaye ,Aameen ,
┗═════════════════✿
*┱✿ Ma'af Kar Dena ,*
┱ Kisi Shakhs ko Doosre ne takleef pahunchayi hai to use Shariyat ki hudood mai reh kar Badla lene ka Haq hai ,Lekin agar WO Badla lene ke bajaye usko ma'af kar de to Allah Ta'ala ke Yaha'n iska bahut Ajro Sawab hai ,
┱ Qurane Kareem ka irshad hai k ,Aur unhe chahiye k woh ma'af kar de aur darguzar se kaam le , Kya Tum ye baat pasand nahi karte k Allah Ta'ala tumko ma'af kare ,
"__Kaun Shakhs Duniya mai esa hai jisse koi na koi galti na hui ho aur har Shakhs ye bhi chahta hai k Allah Ta'ala uski galtiyo'n ko ma'af farma de ,lihaza agar Kisi se koi galti ho jaye to ye sochna chahiye k Jis tarah mai Allah Ta'ala se ma'afi ka khwahishmand hu'n ,usi tarah mujhe bhi doosro ko ma'af kar dena chahiye , Jo Shakhs doosro ko ma'af karne ka tareeqa akhtyar kare ,in Sha Allah ummeed ye hai k Allah Ta'ala bhi uski galtiyo'n ki magfirat farmayenge ,
┱ Hazrat Abu Darda Raziyallahu Anhu rivayat farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"_ Jis kisi Shakhs ke Jism ko koi takleef pahunchayi jaye aur Woh usko ma'af kar de to Allah Ta'ala uska darja buland farma dete hai'n aur is Amal ki vajah se uska Gunaah ma'af farma dete hai'n,
┱ Ek Shakhs ka Daant kisi ne tod diya tha ,WO Shakhs Hazrat Mu'awiya Raziyallahu Anhu ke paas Badla lend ki garaz se pahuncha , Waha'n Hazrat Abu Darda Raziyallahu Anhu ne usko ye hadees sunayi , To usne Badla lene ka irada tark kar ke apne muqabil ko ma'af kar diya ,
( Jamia Tirmizi , 1412 )
┗═════════════════✿
*┱✿ Zarurat Mand Ko Qarz Dena,*
┱ Kisi zarurat mand Shakhs ko qarz dene ka bhi bahut sawab hai, Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Har Qarz sadqa hai , ( Bahyqi , Tabrani )
┱ Balki Baaz Ahadees se maloom hota hai k Kisi zarurat mand ko Qarz dene ka sawab sadqe se bhi zyada hai , ( Targeeb )
┱ Galiban iski vajah ye hai k Qarz umuman itni raqam di jati hai Jiske sadqa karne ki niyat nahi hoti aur WO ese Shakhs ko diya jata hai Jo zarurat mand hota hai, Lekin Logo se maangta nahi , Lihaza uski zarurat ko poora karne mai Ajro Sawab bhi zyada hai ,
┗═════════════════✿
*┱✿ Tangdast Qarzdaar Ko Mohlat dena,*
┱ Kisi tangdast qarzdaar ko qarze ki adaygi mai mohlat dene ki Qur'an v Hadees mai bahut fazilat aayi hai ,
┱ Qur'an e Kareem ka irshad hai :- Aur agar maqrooz tangdast ho to khush haali tak use mohlat di jaye , ( Surah Baqrah ,)
┱ Aur Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"_ Jo Shakhs kisi tangdast ko mohlat de ya uske Qarz mai kami kar de , Allah Ta'ala usko ese Din Apne Arsh ke saaye mai rakhenge Jis Din uske saaye ke alawa koi saaya nahi hoga _," ( Tirmizi )
┱ Hazrat Huzefa Raziyallahu Anhu rivayat karte hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Pichhli ummato mai se ek Shakhs ki Rooh farishto ne qabz ki ,usse puchha gaya k Kya tumne koi bhalaai ka Amal kiya hai ? Usne kaha k mai logo ko qarz diya karta tha aur apne kaarindo ko hukm diya hua tha k wo tangdast ko mohlat diya kare aur Jo Shakhs khush haal ho usse bhi chashm poshi kiya kare ,
Allah Ta'ala ne uske bare mai farishto se farmaya k tum bhi is Shakhs se chashm poshi karo _," (aur is tarah uski magfirat ho gayi )
*Bukhari v Muslim,*
┗═════════════════✿
*┱✿ Jaa'iz Sifarish Karna,*
┱ Kisi Musalman Ke liye Jaa'iz Sifarish Karna bhi bada sawab ka kaam hai , Qur'an e Kareem ka irshad hai :- Jo koi Sifarish kare usko usme se hissa milega ," Aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ka irshad hai k Sifarish karo tumhe sawab milega , ( Abu Daowd ,Nasaa'i )
┱ Achchhi Sifarish bizzaat khud ek Nek Amal hai chahe us Shakhs ka kaam us Sifarish se ban jaye ya na bane aur agar kaam ban gaya to ummeed hai in sha Allah dohra sawab milega,
┱ Lekin is baat ka khayal rakhna bahut zaroori hai k Sifarish Jaa'iz maqsad ke liye ho aur usse koi Na-jaa'iz ya Na-Haq kaam nikalwana Maqsood na ho ,Kyunki Na-jaa'iz Sifarish ka Gunaah bhi bahut bada hai , Lihaza Sifarish karne se pehle is baat ki tehqeeq kar Lena waajib hai k Jis Shakhs ki Ja rahi hai wo iska mustahiq hai aur Jis kaam ke liye ki ja rahi hai WO Jaa'iz kaam hai ,
┱ Ye baat Kabhi nahi bhoolna chahiye k Shariyat mai har cheez ke Adaab v Ahkaam hai'n aur inki ri'ayat zaroori hai , Kisi ek Musalman ko Faayda pahunchane ke liye kisi doosre Shakhs ko na-jaa'iz tangi mai daalna ya takleef mai daalna hargiz Jaa'iz nahi ,
╙══════════╜
ReF✿┅╮
*📁_ Huqooqul ibaad aur Mamlaat ( Mufti Taqi Usmani DB)*
╟❥ *Alhamdulillah*
╨─────────────────────❥
💕 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*💕
★
★
No comments:
Post a Comment