★
★
┱✿
┋ *AHAD _AUR _VAADA*
*(EK WASEE MFHOOM)*
*┗═════════════════✿
*┱✿ Mulk Ke Qanoon Ki Pabandi Laazim hai,*
┱ Iski Misaal Ye hai k Jo koi Shakhs Jis Mulk ( Country) ka rehne wala hota hai aur Uski Shehriyat ( Citizenship ) Akhtyar karta hai to WO Amalan is baat ka Vaada karta hai k mai'n is Mulk ke Qanoon ki Pabandi karunga ,
┱ Ab agar Koi Kisi Mulk ki Shehriyat haasil karna chahta hai aur Darkhwast ( Application ) dete hue ye kahe k mai'n Aapke Mulk ki Shehriyat to chahta hu'n lekin Aapke Qanoon per Amal nahi karunga , To kya Duniya ka koi Mulk esa hai Jo Aapko Shehriyat dene ko taiyaar ho jaye ?
┱ Lihaza Jab Koi insaan kisi Mulk Ki Shehriyat akhtyar karta hai to WO Zabaan se Ya Amalan ye Muhaida ( Agreement ) karta hai Mai'n is Mulk ke Qanoon ki pabandi karunga ,
┱ Jese Hum is Mulk ke andar Paida hue hai'n to Shehriyat haasil karne ke liye Zubaani Darkhwast dene ki zarurat to pesh nahi aayi ,lekin Amalan ye Muhaida kar liya hai k hum is Mulk ke Shehri ( citizens ) hone ke naate is Mulk ke Qanoon ki Pabandi karenge ,
╙══════════╜
*┱✿ Khilaaf e Shariyat Qanoon Ki MukhalfatKare,*
┱ Albatta Musalman Ka Jo Ahad hota hai ,Chahe WO kisi Shakhs se ho Ya Kisi idaare se ho Ya Hukumat se ho , WO ek buniyaadi Ahad ka Paaband hota hai , Ye Buniyaadi Ahad WO hai Jo ek Musalman ne Kalima e Shahadat ,
*اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُهٗ*
*Ash-hadu an-laa ilaaha il-lal-laahu, wah-dahu, laa sha-reeka lahu, wa ash-hadu an-na Muḥammadan ʿabduhu wa rasooluhu.*
Padhte hue Kiya , Is Ahad ka matlab ye hai k mai'n Allah Ta'ala ko Apna Ma'abood maanta hu'n ,Lihaza Allah Ta'ala ke har Hukm ki tameel karunga , aur Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ko Allah ka sachcha Rasool maanta hu'n, Lihaza Aapke har Hukm ki ita'at karunga ,
┱ Ye sabse Pehla Ahad hai Jo insaan ne Musalman hote hi kar liya hai , Ye Ahad Tamaam Ahado per baala hai ,iske ouper koi aur Ahad nahi ho sakta hai ,
┱ Lihaza agar iske baad aap kisi se koi Ahad karte hai'n Maslan Kisi Hukumat ya Kisi idaare se ya kisi Shakhs se koi Ahad karte hai'n uska matlab ye hota hai k Jab tak Aapka Qanoon mujhe Allah ke Kisi Qanoon ke khilaaf kaam karne per majboor na kare us waqt tak Mai'n Aapki ita'at karunga , Agar Koi Qanoon esa hai Jo Mujhe Allah Ta'ala ki nafarmani per majboor karta hai to us Qanoon ki ita'at waajib nahi ,Balki us Qanoon ki mukhalfat waajib hai ,
╙══════════╜
*┱✿ Hazrat Moosa Alaihissalam aur Firo'an kaQanoon,*
┱ Iski misaal mai Hazrat Mufti Shafi Sahab Reh Moosa Alaihissalam ka Qissa sunaya karte they k Hazrat Moosa Alaihissalam Firo'an ke Mulk mai rehte they aur Nabi banne se Pehle ek Qibti ko mukka maar kar qatl kar diya tha , Jiska Waqi'a Qur'an e Kareem mai zikr kiya gaya hai aur Hazrat Moosa Alaihissalam us qatl per istigfaar kiya karte they aur farmate they mere Ouper unka ek Gunaah hai aur Maine unka ek Jurm kiya hai ,
┱ Agarche Hazrat Moosa Alaihissalam ne ye qatl jaan boojh kar nahi kiya tha ,Balki ek mazloom ki madad farmayi thi aur ye andaza nahi tha k ek Mukka maarne se WO mar jayega , isliye ye haqeeqat mai gunaah nahi tha aur Hazrat Moosa Alaihissalam ki asmat ke munafi bhi nahi tha ,lekin Chunki Soorat Gunaah ki si thi isliye Aapne use gunaah se tabeer farmaya ,
┱ Hazrat Mufti Shafi Sahab Usmani Reh farmaya karte they k ye isliye gunaah hua k Jab Hazrat Moosa Alaihissalam unke Shehat ( Mulk ) mai reh rahe hai'n to Amalan is baat ka vaada kar rakha hai k hum Aapke Mulk ke Qanoon ki Pabandi karenge ,aur unka Qanoon ye tha k Kisi ko qatl karna jaa'iz nahi , isliye Hazrat Moosa Alaihissalam ne Jo Qatl kiya WO us Qanoon ki khilaaf varzi mai kiya ,
┱ Lihaza har Hukumat ka Shehri Chahe Hukumat Musalman ho ya Gair Muslim Hukumat ho , Amalan is baat ka Vaada karta hai k WO uske Mulk ke Qanoon ki Pabandi karega ,Jab tak WO Qanoon kisi Gunaah per majboor na kare ,
╙══════════╜
*┱✿ Veeza Lena ek Muahida hai ,*
┱ Jo Qanoon mujhe Allah Ta'ala ke Qanoon ki khilaaf varzi karne per majboor nahi kar raha hai ,Balki Koi ESA Hukm mujh per aa'id kar raha hai Jisse koi ma'asiyat aur Gunaah laazim nahi aata to us Qanoon ki pabandi Ba-Haisiyat us Mulk ke Shehri hone ke mujh per waajib hai ,
"__isme Musalman Mulk hona bhi zaroori nahi ,Balki agar Aap kisi gair Muslim Mulk ka Veeza le kar waha'n jate hai'n, To Veeza lene ka matlab ye hai k Aapne us Mulk se darkhwast ki hai k Mai'n Aapke Mulk mai aana chahta hu'n aur Aapke Mulk ke Qanoon ki pabandi karunga ,Jab tak WO Qanoon mujhe kisi Gunaah per majboor nahi karega ,
┱ Ye ek Muahida hai ,Ahad v Vaada hai , iska Nateeja ye hai k Jis Mulk mai insaan rehta hai ,Us Mulk ke Qanoon ki Pabandi bhi us per uske Ahad ki Pabandi ki vajah se laazim hogi ,
╙══════════╜
*┱✿ Is Waqt Qanoon Todne ka Rivaaz Hai ,*
┱ Aaj hamare maashre mai ye fiza aam ho gayi hai k Qanoon Todne ko hunar samjha jata hai , Qanoon ko khullam khullam toda jata hai ,aur usko badi Hoshiyari aur Chalaki samjha jata hai ,
┱ Ye Zahniyat dar haqeeqat is vajah se paida hui k jab Angrezo ki Hukumat thi , Angrezo ne Hindostaan per Zabardasti qabza kiya hua tha aur Musalmano ne uske khilaaf Azaadi ki Jung ladi , 1857 ke moqe per aur baad mai bhi uske saath ladaai ka Silsila jaari raha ,aur Angrezi Hukumat ko Musalmano ne kabhi Dilo jaan se tasleem nahi kiya ,
"__Lihaza Hindostaan mai Angrezo ki Hukumat ke khilaaf Ulma Kiraam ne ye fatwa bhi diya k Qanoon todo ,Kyunki Angrezo ki Hukumat jaa'iz Hukumat nahi hai ,agarche baaz Ulma is fatwe ki mukhalfat bhi karte they ,lekin baharhaal us waqt Qanoon Todne ka ek rivaaz tha ,
┱ Lekin Angrezo ke chale Jane ke baad (Jab Mulk Azaad hua aur iska ek dastoor aur Qanoon bana ) jab tak ( mojooda ) Qanoon Hume kisi Gunaah per majboor na kare us waqt tak iski Pabandi waajib hai,
╙══════════╜
*┱✿ Traffic Ke Qanoon ki Pabandi ,*
┱ Ab Aap Traffic ke Qanoon ko hi le lijiye ,Qanoonan baaz muqamaat per gaadi khadi karna jaa'iz hai aur baaz muqamaat per gaadi khadi karna qanoonan mana hai ,Waha'n gaadi khadi karne mai Qanoon ki khilaaf varzi hai aur Ahad ki bhi khilaaf varzi hai ,
┱ Isliye k Aapne ye Ahad kiya hai k mai is Qanoon ki Pabandi karunga , Baaz Jagah per Gaadi ki Raftaar ( speed ) tay kar di jati hai k is Speed se Gaadi chala sakte hai'n ,isse zyada speed per Gaadi chalana Qanoon ki khilaaf varzi to hai saath saath Ahad ki khilaaf varzi hone ki vajah se shar'an bhi Gunaah hai ,
┱ Ya Maslan Signal band tha Magar Aap Signal Tod kar nikal gaye , Aap isko badi bahaduri samajh rahe hai'n k hum Signal tod kar nikal aaye Lekin dar haqeeqat ye bhi Gunaah hai , Gunaah isliye ki Aapne Qanoon ki khilaaf varzi ki hai ,
╙══════════╜
*┱✿ Veeze Ki Muddat Se Zyada Qiyaam Karna,*
┱ isi tarah Jab Aap Doosre kisi Mulk mai Veeza le kar jate hai'n to Goya k Aapne ye Muahida kiya hai k Veeze ki jo muddat hai us muddat tak Mai'n waha'n thehrunga ,uske baad waapas aa jaunga ,
┱ Ab agar Aap muddat guzarne ke baad waha'n waqt se zyada qiyaam kar rahe hai'n to Muahida ke khilaaf varzi kar rahe hai'n ,aur Jitne Din zyada Aap qiyaam kar rahe hai'n Vaada ki khilaaf varzi ka Gunaah aap per laazim aa raha hai ,
┱ Aaj log Yaha'n se Jane ke baad waha'n jaa kar unko is baat ki koi parwaah nahi hoti k hamare Veeze ki muddat khatm ho chuki hai , Fir zaleel v khwaar ho kar nikaale jate hai'n , Baaz Awqaat Jailo mai band kar diye jate hai'n, takleefe bhi uthaate hai'n,
┱ Is tarah Duniya ka bhi nuqsaan aur Akhirat ka bhi nuqsaan , Duniya ke andar zillat haasil ho rahi hai aur Akhirat mai Vaada Khilafi ka Gunaah ho raha hai ,
╙══════════╜
*┱✿ Zaalim Hukumat Ke Qanoon ki Pabandi bhiLaazim hai,*
┱ Baaz log aaj Kal ye daleel bhi pesh karte hai'n k Aaj Kal hamare Mulk mai Jo Hukumate hai'n WO khud Zaalim Hukumate hai'n , Rishwat khor hai , Bad unwaan hai , Mufaad parast hai , Apne faayde ki khaatir paise loot rahe hai'n , Lihaza esi Hukumat ke Qanoon ki Pabandi hum Kyu kare ?
┱ Khoob samajh lijiye ! Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne to Abu Jahal se kiye hue Muahide ka bhi ahatraam kiya tha , Kya Abu Jahal se zyada gumraah koi hoga ? Kya Abu jahal se bada kaafir koi hoga ?
"__Lekin WO vaada Jo Hazrat Huzifa bin Yamaan Raziyallahu Anhu aur Unke Waalid ne Abu jahal se kiya tha aur Abu Jahal ne Zabardasti unse vaada liya tha ,
┱ Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k tum Chunki Abu Jahal se vaada kar chuke ho Lihaza is Vaade ki khilaaf varzi nahi hogi ,
┱ Maloom hua k Jis Shakhs se Aap Ahad kar rahe hai'n WO Chahe Kaafir hi Kyu na ho ,Chahe WO Faasiq ho ,Bad unwaan ho ,Rishwat khor ho ,lekin Jab Aapne usse Ahad kiya hai to ab us Ahad ki Pabandi Aapke zimme laazim hogi , Unke Zulm ,unke Fisq v fijoor ka Gunaah unke sar hai ,unki bad unwaniyo ka badla Allah Ta'ala unko Akhirat mai denge , Hamara Kaam ye hai k humne Jo Muahida kiya hai hum uski Pabandi kare ,
╙══════════╜
*┱✿ Sulah Hudaibiya Ki Ek Shart ,*
┱ Aapne suna hoga k Sulah Hudaibiya ke moqe per Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne mushrikeen e Makka se ek Sulah Naama life likha tha , is Sulah Naama ki ek Shart ye thi k Agar Makka Mukarrama se koi Shakhs Musalman ho kar Madina Munavvara jayega to Musalmano per us Shakhs ko waapas karna waajib hoga ,aur Agar Koi Shakhs Madina Munavvara se Makka Mukarrama aa jayega to Makka Walo per ye waajib nahi hoga k usko waapas kare ,
┱ Ye ek imtiyazi qism ki shart thi Jo mushrikeen e Makka ne rakhi thi , lekin Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne us waqt maslihat ke lihaaz se us shart ko bhi qubool kar liya tha ,
┱ isliye k Aap jaante they k in sha Allah Ta'ala Madina Munavvara se to koi Shakhs murtad ho kar Makka Mukarrama nahi jayega , is vajah se Aapne ye shart qubool ki thi , Lekin ye Shart k agar koi Shakhs Hijrat kar ke Makka Mukarrama se Madina Munavvara aayega to usko waapas Makka Mukarrama bheja jayega ,ye Shart bhi maslihatan Aap Sallallahu Alaihivasallam ne qubool farma li thi ,
╙══════════╜
*┱✿ Hazrat Abu Jundul Raziyallahu Anhu Kiiltija,*
┱ Abhi Sulah Naama likha ja raha tha aur abhi baat cheet ho rahi thi k us dauraan Hazrat Abu Jundul Raziyallahu Anhu Jo Ek Sahabi They aur Makka Mukarrama mai Musalman ho gaye they, Unka Baap kaafir tha ,Usne unke Musalman hone ki vajah se unke paanv mai bediya'n daal di thi ,aur rozana unko maarta tha,
┱ Ye bechare rozana islam ki khaatir Apne Baap ke zulmo sitam ka saamna karte they, Jab unko pata chala k Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Hudaibiya ke muqaam per tashreef laye hai'n to WO kisi tarah Un Bediyo'n ke saath Makka Mukarrama se Hudaibiya pahunch gaye ,
┱ Ab aap andaza lagaiye k WO kitni mashakkat se waha'n pahunche honge ,Jabki Hudaibiya Makka Mukarrama se 10 meel ke faasle per hai , WO kitni Mashakkat aur Takleef ke saath Paanv mai bediya'n hone ke bavjood waha'n pahunche honge ,
┱ Aa kar arz kiya k Ya Rasulallah ! Meri Zindgi Ajeeran ho chuki hai ,Baap ne mere paanv mai bediya'n daali hui hai ,WO Subeh Shaam maarta hai , Khuda ke liye mujhe is Zulm se bacha lijiye ,Mai'n Aapke paas aana chahta hu'n ,
*┱✿ Ahad Ki Pabandi ki Misaal,*
┱ Chunki Muahida ho chuka tha ,isliye Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne Hazrat Abu Jundul Raziyallahu Anhu se farmaya k Ey Abu Jundul ! Maine tumhe apne paas rakhne ki bahut koshish ki lekin Mai'n Muahida kar chuka hu'n aur is Muahida ki vajah se majboor hu'n aur mere paas iske alawa Koi chara nahi k tumhe waapas bheju ,
┱ Unhone farmaya :- Ya Rasulallah Aap mujhe darindo ke paas waapas bhejenge ,? Jo Subeh Shaam mere saath darindgi ka bartaav karte hai'n , Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k mai'n majboor hu'n, Allah tumhare liye koi raasta nikalega , Mai'n Chunki Ahad kar chuka hu'n ,is Ahad ki Pabandi karni zaroori hai,
┱ Aap andaza lagaiye ,isse zyada Ahad ki Pabandi ki koi Misaal Shayad hi Duniya mai pesh kar sake k ese Sitam Rasheeda ko waapas kar diya ,Fir Allah Ta'ala ne unki ( Abu Jundul Raziyallahu Anhu ki ) rihaai ke au asbaab paida kar diye ,
┱ Lihaza Masla ye nahi k jiske saath humne Ahad kiya hai WO Kaafir hai ,Ya faasiq hai ,Ya bad Unwan hai , Ya Rishwat khor hai, Jab Ahad kar kiya to ab uski Pabandi zaroori hai, haa'n ye zaroori hai k ese Rishwat khor Crupt Hukkaam ko hata kar unki jagah Doosre Aadil Hukmraan ko lane ki koshish Apni jagah laazim aur zaroori hai ,Lekin jaha'n tak Ahad ka talluq Hai Agar unke saath koi ahad kiya hai to us Ahad ki Pabandi zaroori hai ,
╙══════════╜
*┱✿ Abu Jundul Ko Waapas Karna hoga,*
┱ WO Shakhs jiske saath Muahida ho raha tha WO is waqt waha'n mojood tha , Us Shakhs se Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k ye Shakhs ( Abu Jundul ) bahut Sitam Rasheeda hai , Kam az Kam iski ijazat de do k isko apne saath rakh lu'n ,
┱ Us Shakhs ne kaha k agar Aap isko apne paas rakgenge to Aap sabse Pehla gaddari ke murtakab honge Kyunki Aapne Ahad kar liya hai k Jo Shakhs bhi Makka Mukarrama se Aapke paas aayega Aap usko waapas karenge ,
┱ Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k ye Shakhs mazloom hai ,iske paanv mai bediya'n padi hui hai aur abhi to Muahida mukammal bhi nahi hua hai ,is per abhi dastkhat hona baqi hai , Isliye is Shakhs ko tum chhod do , Us Shakhs ne kaha k mai'n kisi qeemat per isko nahi chhodunga ,isko waapas bhejna hoga ,
┱ Us waqt Sahaba Kiraam ke Josh v Kharosh ka ek Ajeeb Aalam tha k ek Shakhs Musalman hai , Kaafir ke haatho Zulmo Sitam ki chakki mai Pis raha hai, WO Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat mai haazir ho kar panaah chahta hai , Lekin usko panaah nahi milti ,
*┱✿ Ahad Ki Pabandi ki Misaal,*
┱ Chunki Muahida ho chuka tha ,isliye Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne Hazrat Abu Jundul Raziyallahu Anhu se farmaya k Ey Abu Jundul ! Maine tumhe apne paas rakhne ki bahut koshish ki lekin Mai'n Muahida kar chuka hu'n aur is Muahida ki vajah se majboor hu'n aur mere paas iske alawa Koi chara nahi k tumhe waapas bheju ,
┱ Unhone farmaya :- Ya Rasulallah Aap mujhe darindo ke paas waapas bhejenge ,? Jo Subeh Shaam mere saath darindgi ka bartaav karte hai'n , Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k mai'n majboor hu'n, Allah tumhare liye koi raasta nikalega , Mai'n Chunki Ahad kar chuka hu'n ,is Ahad ki Pabandi karni zaroori hai,
┱ Aap andaza lagaiye ,isse zyada Ahad ki Pabandi ki koi Misaal Shayad hi Duniya mai pesh kar sake k ese Sitam Rasheeda ko waapas kar diya ,Fir Allah Ta'ala ne unki ( Abu Jundul Raziyallahu Anhu ki ) rihaai ke au asbaab paida kar diye ,
┱ Lihaza Masla ye nahi k jiske saath humne Ahad kiya hai WO Kaafir hai ,Ya faasiq hai ,Ya bad Unwan hai , Ya Rishwat khor hai, Jab Ahad kar kiya to ab uski Pabandi zaroori hai, haa'n ye zaroori hai k ese Rishwat khor Crupt Hukkaam ko hata kar unki jagah Doosre Aadil Hukmraan ko lane ki koshish Apni jagah laazim aur zaroori hai ,Lekin jaha'n tak Ahad ka talluq Hai Agar unke saath koi ahad kiya hai to us Ahad ki Pabandi zaroori hai ,
╙══════════╜
*┱✿ Qur'an v Hadees mai Ahad ,*
┱ Ahad ka lihaaz rakhna Yani Momin ka kaam ye hai k WO Jo Ahad ya Vaada kar leta hai WO Usko poora karta hai , poora lihaaz rakhta hai , Usko Khilaaf varzi nahi karta ,Qur'an e Kareem mai bahut si Ayaat mai Allah Ta'ala ne " Vaada " aur "Ahad " ki paasdaari ka hukm diya hai ,
┱ *( Surah Bani israiyl :34 )* mai Allah Ta'ala ne irshad farmaya :- ( Tarjuma ) Jo Ahad karo usko poora karo Kyunki is Ahad ke bare mai tumse Akhirat mai sawal hoga , k Tumne fala Vada Kiya tha Usko poora kiya ya nahi ?
┱ Doosri Jagah *( Surah Maa'ida , 1)*Mai Allah Ta'ala ne irshad farmaya :- ( Taruma ) Ey imaan walo ! tum Aapas mai kisi ke saath ahad v paimaan baandh lo to usko poora karo , Bahar Haal Qur'an e Kareem mai jagah jagah iski takeed aayi hai ,aur ye bhi Musalman ke Musalman hone ki alaamat qaraar di gayi hai k Musalman kabhi vaada khilafi nahi karta ,Jo vaada karta hai usko poora karta hai ,aur Vaade ko poora na karna Munafiq ki alaamat qaraar di gayi hai ,
┱ Bukhari Shareef ki ek Hadees mai Rivayat hai k Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ka irshad hai k , Munafiq ki teen Alaamat Hai'n , Jab Baat kare to Jhoot bole ,Jab Vaada kare to Vaade ki Khilaaf varzi kare aur Jab Uske paas koi Amaanat rakhwayi Jaye to usme khayanat kare ,
╙══════════╜
*┱✿ Vaada Karne Se Pehle Soch Lo ,Uzr Ki Soorat mai ittela De,*
┱ Aadmi Vaada karne she Pehle 100 martaba soch le k mai'n is Vaade ko poora kar sakunga ya nahi , Vaada Karne mai jaldi karne Ki zarurat nahi ,Lekin Jab Soch samajh kar mashwara kar ke tamaam nataa'ij ko saamne rakhne ke baad jab ek Vaada kar liya to Ab Musalman ka kaam ye hai k us Vaade per qaa'im rahe ,
┱ Sirf ek Soorat hai Jo Shari'at ne jaa'iz qaraar di hai ,WO ye hai k kisi kaam ko karne ka Vaada kiya tha magar koi Haqeeqi Uzr pesh aa gaya aur Uzr Ki haalat mai doosre Aadmi ko bata dena k Maine Aapse Vaada kiya tha lekin mujhe Kuchh Uzr pesh aa gaya hai jiski vajah she Ye Vaada poora nahi kar paunga ,
┱Maslan Farz kare k Aapne Kisi se Vaada kar liya k mai'n kal Tumhare ghar aaunga aur iraada bhi tha k kal uske ghar jayenge ,Lekin baad mai Tum Bimaar ho gaye ya ghar mai koi bimaar ho gaya aur Aapka uski dekh bhaal ke liye uske paas rehna zaroori hai aur Ab Jana mumkin nahi ,
┱ To ye ek Uzr hai aur Uzr Ki Soorat mai agar koi Vaada poora nahi kare to Shari'at mai iski gunzaish hai ,aur Allah Ta'ala usko maaf farma dete hai'n , Alabatta is Soorat mai is baat Ki koshish karni chahiye k Saamne wale ko ittela de di jaye taki WO uljhan aur pareshani mai mubtila na ho ,
*┗═════════════════✿
*┱✿ Ek Sahabi Ka Waqi'a ,*
┱ Hadees Shareef mai hai k Ek martaba Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ke saamne ek Sahabi kisi Bachche ko apne paas bulana chahte they aur WO Bachcha unke paas nahi aa raha tha , Un Sahabi ne us Bachche ko targeeb dene ke liye ye keh diya k Aao Beta hamare paas hum tumhe ek cheez denge ,
┱ Jab Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne unke ye alfaz sune to Aapne un Sahabi se puchha k Ye bataao tumhara waqai is Bachche ko cheez dene ka iraada tha ya wese hi behlane ke liye Aapne usse ye keh diya tha ? Un Sahabi ne arz Kiya Ya Rasulallah ! Mere Paas ek Khajoor thi aur mera iraada tha k Jab WO aayega to usko Khajoor de dunga ,
┱ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k agar waqai tumhara Khajoor dene ka iraada tha tab to theek hai Lekin agar Tumhare Dil mai usko kuchh dene ka iraada nahi tha balki mahaz usko Apne paas bulane ke liye usko ye keh diya k Hum tumhe ek cheez denge to ye tumhari taraf se Vaada Khilafi hogi ,
┱ Aur Bachcho ke saath Vaada khilafi karne mai dohra nuqsaan hai ,Ek to ye k Vaada Khilafi gunaah hai aur Doosra nuqsaan ye hai k Pehle Din se hi Bachche ke zahan mai Aap ye baat daal rahe hai'n k Vaada kar ke mukar Jana koi kharabi Ki baat nahi hai , Aapne Vaada Khilafi ka beej Bachche ke zahan mai bo diya ,Ab agar WO Bachcha Aainda kabhi Vaada Khilafi karega to us Vaada Khilafi ke gunaah mai Aap bhi hisse daar honge ,isliye k Aapke tarze Amal ne hi use Vaada Khilaf banaya ,
"__Isliye Bachcho ke saath is baat ka khaas ahatmam rakhna chahiye k ya to Bachcho se Vaada karo mat ,agar karo to usko poora karo taki Bachche ko ye Ahsaas ho k jab koi Vaada kiya jata hai to usko poora kiya jata hai ,
┗═════════════════✿
*┱✿ Bachche Ke Akhlaq Bigaadne mai Aap Mujrim Hai'n,*
┱ Hamare Mashre mai is maamle ke andar gaflat aur be ahatyati bahut aam hai k Bachcho ko Taleem dilane ke liye to achchhe se achchhe school mai dakhila kara dete hai'n lekin Ghar ka Mahol esa banaya hua hai k Jisme us Bachche ka mizaaj ,Akhlaq, Kirdaar kharaab ho rahe hai'n,
┱ Maslan Aap ghar se nahi bahar ja rahe hai'n aur Bachcha zid kar raha hai k mai'n bhi Aapke Saath jaunga , Ab Aapne us Bachche se Jaan chhudane ki khaatir Koi Vaada kar liya k mai'n Tumhare liye ek cheez le kar aata hu'n , Ye keh kar Aap chale gaye ,Aapne us Bachche ko behla diya ,
┱ Lekin Jo Vaada Aapne uske saath kiya tha WO poora nahi kiya to Ek taraf to Aap Vaada Khilafi ke mujrim bane ,Doosre ye k Us Bachche ki tarbiyat kharaab karne ke Mujrim bane ,
┱ Us Bachche ka zahan Pehle Din se hi Aapne kharaab kar diya , Lihaza Bachcho ke saath mamlaat karne mai bahut ahatyaat rakhna chahiye ,
┗═════════════════✿
*┱✿ Bachcho Ke Zariye Jhoot Bulwana,*
┱ Hamare Mashre mai ye baat bhi Bakasrat Aam hai k Ek Shakhs Aapke ghar per Aapse milne ke liye aaya ya kisi ka Phone aaya aur Bachche ne aa kar Aapko ittela ki k fala Sahab Aapse Milne aaye hai'n ya Fala Sahab ka Phone aaya hai Aapse baat karna chahte hai'n ,Ab Aapka un Sahab se Milne ka ya Baat karne ka Dil nahi chah raha hai ,isliye Aapne Bachche se keh diya k Jao unse keh do k Abbu ghar per nahi hai'n ,
┱ Ab Bachcha to ye dekh raha hai k Abba Jaan ghar per mojood hai'n lekin mujhse kehalwa rahe hai'n k Jhoot bol do k ghar per mojood nahi hai'n , Ab Aaj jab Aap usse Jhoot bulwa rahe hai'n aur Kal jab WO Jhoot to Kis moonh se Aap usko Jhoot bolne se rokoge , isliye k Aapne to khud usko Jhoot bolne ka aadi bana diya ,
┱ Jab Bachcha Jhoot bolega aur Uski Jhoot ki aadat pad jayegi to us gunaah mai Aap bhi barabar ke shareek honge aur Aapne us Bachche ki Zindgi tabaah kar di , isliye k Jo Aadmi Jhoot bolne ka aadi hota hai to Duniya mai kahi bhi us per aitmaad nahi kiya jata ,us per bharosa nahi hota ,
┱ Isliye Bachcho ke saath Mamlaat karne mai khaas tor per badi ahatyaat ki zarurat hai , Bachcho ko Sachchaai sikhayi jaye ,Unko Amanat daari sikhayi jaye , Unko Vaade ki paabandi sikhayi jaye ,
┗═════════════════✿
*┱✿ Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Ka Teen Din intezar Karna,*
┱ Rivayat mai ek waqi'a aata hai Jo Nabuwat ke ata hone se Pehle ka waqi'a hai ,Huzoore Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ka kisi Shakhs ke saath maamla hua aur Aapas mai ye tay hua k fala jagah per kal aapas mai mulaqaat karenge ,
┱ Din Jagah aur Waqt Sab tay ho gaya , Jab Muqarrar waqt aaya to Huzoor Sallallahu Alaihivasallam us jagah per pahunch gaye ,Magar WO Shakhs Jisse Vaada kiya tha WO us jagah nahi aaya , intezar karte hue kai ghnate guzar gaye , Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam wahi khade rahe ,
┱Rivayat mai aata hai k Teen Din tak Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne us Shakhs ka intezar kiya ,Sirf zarurat ke liye ghar jate fir waapas us jagah aa jate ,
┱ Teen Din baad jab WO Sahab aaye to Aapne sirf itna kaha k tumne Vaade per na aa kar mujhe takleef pahunchayi ,
┱ Sirf Vaade ko poora karne ke liye k kahi Vaade Ki Khilaf varzi na ho jaye Teen Din tak Lagataar Aap Sallallahu Alaihivasallam ne waha intezar farmaya ,
*___Aur bhi kai misaale hai'n aur Hum keh sakte hai'n k Duniya mai koi qaum esi misaal pesh nahi kar sakti , Bahar haal Momin ka kaam ka kaam ye hai k WO Ahad aur Vaade Ki paabandi kare ,
╙══════════╜
ReF✿┅╮
*📁_ Huqooqul ibaad aur Mamlaat ( Mufti Taqi Usmani DB)*
╟❥ *_Alhamdulillaah_______*
╨─────────────────────❥
No comments:
Post a Comment