⚂⚂⚂
▓▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁
ﺑِﺴْــــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
▓▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▓
✿ Maahe Rajjab ✿
❀ Galat Fehmiya'n ❀
▓▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▓
▍posт ղo- 01 ▍
▔▔▔▔▔
✿●•· Rajjab Ka Chaand Dekh kar Aap Sallallahu Alaihivasallam ka Amal
➠ is poore Mahine ke bare me Jo Baat sahi Sanad ke saath Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Se Saabit he ,Wo ye he k Jab Aap Rajjab Ka Chaand dekhte to Ye Dua Farmaya karte,
➠
اَللّهُمَّ بَارِكْ لَنَا فِى رَجَبَ وَ شَعْبَانَ وَ بَلِّغْنَا رَمَضَان
"Allaahumma Baarik Lanaa Fi Rajaba wa Sh'abaana ,wa Ballignaa Ramzaan,"
✿. ──❥ Tarjuma :--
" Ey Allah ! Rajjab Sh'abaan ke Mahine me Hume Barkat ATA farma aur Hume ( Ba khaira Afiyat) Ramzanul Mubarak tak pahuncha dijiye,
➠ Goya k Pehle se hi Ramzanul Mubarak Kï Aamad ka ishtiyaaq hota tha ,Ye Dua Aapse Sahi Sanad ke saath Saabit he ,isliye ye Dua karna Sunnat he ,Aur agar kisi ne Shuru Rajjab me ye Dua na Kï ho to Wo ab ye Dua kar le ,
➠ iske alawa aur cheeze Aam Logo me mashoor ho gayi he unki Shariyat me koi Asal aur Buniyad nahi,
▓▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▓
▔▔▔▔▔
✿●•· Shabe Meraaj Kï Fazilat Saabit Nahi ,
➠ Maslan 27 Rajjab Kï Shab ke bare me mashoor ho gaya he k ye Shabe Meraaj he aur is Raat ko bhi usi tarah guzaarna chahiye Jis tarah Shabe Qadar guzaari jati he ,aur Jo Fazilat Shabe Qadar Kï he Kamo besh Shabe Meraaj Kï bhi wahi Fazilat samjhi jati he ,
➠ Aur fir is Raat me logo ne Namazo ke bhi khaas khaas tareeqe mashoor kar diye k is Raat me itni Raka'ate padhi jaye ,aur har Raka'at me fala fala khaas soorte'n padhi jaye ,
➠ Khuda Jane kya kya Tafsilaat is Namaz ke bare me logo me mashoor ho gayi ,Khoob samajh lijiye, Ye sab be Asal Baate hai'n ,Shariyat me inki koi Asal aur Koi Buniyad nahi ,
▓▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▓
▔▔▔▔▔
✿●•· Shabe Meraaj Kï Tareekh me ikhtilaaf ,
➠ Sabse Pehli Baat to ye he k 27 Rajjab ke bare me yaqeeni TOR per nahi kaha ja sakta k ye Wahi Raat he Jisme Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam Meraaj per tashreef le gaye the ,Kyuki is baab me mukhtalif rivayate'n hai'n ,
➠ Baaz rivayato se maloom hota he k Aap Sallallahu Alaihivasallam Rabiul Avval me tashreef le gaye the ,Baaz Rivayat me Rajjab ka Zikr he aur Baaz Rivayato me koi or Mahina bayan kiya gaya he ,
➠ isliye poore Yaqeen ke saath nahi kaha ja sakta k Konsi Raat sahi ma'ane me Meraaj Kï Raat thi ,Jisme Aap Sallallahu Alaihivasallam Meraaj per tashreef le gaye ,
➠ isse Aap Khud Andaza laga le k Agar Shabe Meraaj bhi Shabe Qadar Kï tarah koi makhsoos Raat hoti aur iske bare me Koi khaas Ahkaam hote ,Jis tarah Shabe Qadar ke bare me hai'n to iski Tareekh aur Mahina mehfooz rakhne ka ahatmam kiya jata ,lekin Chunki is tareekh ko Mehfooz rakhne ka ahatmam nahi kiya gaya to ab yaqeeni tor per 27 Rajjab ko Shabe Meraaj qaraardena durust nahi ,
,
▓▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▓
✿●•· Woh Raat Azeemushaan Thi ,
➠ Aur Agar bil farz ye tasleem bhi kar liya Jaye k Aap Sallallahu Alaihivasallam 27 Rajjab hi ko Meraaj ke liye tashreef le gaye the ,Jisme ye Azeemushan Waqiya pesh aaya aur Jisme Allah Ta'ala ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ko ye Maqaame Qurb ATA farmaya aur Apni Baargaah me haazri ka sharf bakhsha Aur Umnat ke liye Namaz ka Tohfa bheja ,Be Shak Woh Raat badi Azeemushan thi ,Kisi Musalman ko uski Azmat me kya Shubha ho sakta he ,?
➠ Ye Waqiya e Meraaj San 5 Nabvi me Pesh aaya ,Yani Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke Nabi banne ke Paanchve Saal ye Shabe Meraaj pesh aayi , Jiska matlab ye he k is Waqiye ke baad 18 Saal tak Aap Sallallahu Alaihivasallam Duniya me tashreef farma rahe lekin in 18 saal ke dauran ye kahi saabit nahi k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Shabe Meraaj ke bare me koi khaas Hukm diya ho ya isko manane ka ahatmam farmaya ho ,
➠ Ya iske bare me ye farmaya ho k is Raat me Shabe Qadar Kï tarah jaagna Zyada Ajro sawab ka baa'is he ,Na to Aapka esa koi irshad saabit he aur na Aapke Zamane me is Raat me Jaagne ka ahatmam saabit he ,na Khud Huzoor Sallallahu Alaihivasallam jaage aur na Sahaba Kiraam ko iski takeed Kï aur na Sahaba Kiraam ne Apne Tor per iska ahatmam farmaya ,
,
▓▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▓
✿●•·Uske Barabar Koi Ahmak nahi ,
➠ Fir Sarkaar e Do Aalam Sallallahu Alaihivasallam ke Duniya se tashreef le Jane ke baad 100 saal tak Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum Duniya me mojood rahe ,is poori Sadi me koi ek Waqiya ESA saabit nahi he ,Jisme Sahaba Kiraam ne 27 Rajjab ko khaas ahatmam karke manaya ho ,
➠ Jo Cheez Huzoor e Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne nahi Kï aur Jo Aapke Sahaba Kiraam ne nahi Kï ,Usko Deen ka hissa qaraar dena Ya usko Sunnat qaraar dena Ya uske saath Sunnat jesa maamla karna " Bid'at " he ,
➠ Agar koi Shakhs ye kahe k Mai'n ( Ma'azallaah ) Sahaba Kiraam se zyada jaanta hu'n k konsi Raat Zyada Fazilat wali he ,Ya koi Shakhs ye kahe k Sahaba kiraam se zyada mujhe ibaadat ka zok he ,Agar Sahaba Kiraam ne Ye Amal nahi kiya to Mai'n to isko karunga ,,,,isske barabar koi ahmak bewakoof nahi ,
➠ Lekin Jaha'n Tak Deen ka talluq he ,Haqeeqat ye he k Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ,Tabaiyn aur Taba- Tabaiyn Deen ko sabse zyada jaanne wale ,Deen ko Khoob samajhne wale ,Deen per mukammal tor per Amal karne wale the ,
➠Ab agar koi Shakhs ye kahe k Mai'n unse Zyada Deen ko jaanta hu'n Ya unse Zyada Deen ka Zok rakhta hu'n Ya unse Zyada ibaadat guzaar hu'n to Haqeeqat me Wo Shakhs Paagal he ,Wo Deen Kï faham nahi rakhta ,
▓▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▓
▔▔▔▔▔
✿●•·Is Raat me ibaadat Ka Ahatmam " Bid'at " he aur Roza Saabit Nahi,
➠ Lihaza is Raat me ibaadat ke liye khaas ahatmam karna Bid'at he ,Yu'n to har Har Raat me Allah Ta'ala jïs ibaadat Kï Tofeeq de Wo behtar he ,Aaj Kï Raat bhi Jaag le ,Kal Kï Raat bhi jaag le ,Dono me koi farq nahi aur koi numaya imtiyaz nahi hona chahiye,
➠ isi tarah 27 Rajjab ka Roza ,Baaz log fazilat wala Roza samajhte he'n, Jese k Ashura aur Arafa ka Roza fazilat wala he ,isi tarah 27 Rajjab ke Roze ko bhi fazilat wala Roza Khayal kiya jata he ,Baat te he k Ek ya Do za'ief rivayate to is bare me he'n lekin sahi Sanad se koi Rivayat saabit nahi he,
➠ Hazrat Farooqe Aazam Raziyallahu Anhu ke zamane me Baaz log 27 Rajjab ko Roza rakhne lage ,Jab Aapko pata chala k 27 Rajjab ka Khaas ahatmam karke log Roza rakh rahe he'n to chunki inke Yaha'n Deen se Zara idhar ya udhar hona mumkin nahi tha ,
*_ Foran ghar se NIKAL pade aur ek ek Shakhs ko JAA kar Zabardasti farmate k Tum mere ssaamne khana khao ,aur is baat ka saboot do k Tumhara Roza nahi he ,
➠ Ba-qayda ahatmam karke logo ko khana khilaya taki logo ko ye khayal na ho k Aaj ka Roza Zyada fazilat wala he ,Balki jese aur dino me nifli Roze rakhe ja sakte he'n Usi tarah is Din ka nifli Roza rakha ja sakta he ,Dono me koi farq nahi ,
*_ Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne ye ahatmam isliye farmaya k " Bid'at " ka sadbaab na ( Yani koi nayi baat shuru na ho jaye ) ho aur Deen ke andar apni taraf se zyadti na ho ,
▓▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▓
✿●•·Deen " itteba " ka Naam he ,
➠ Baaz log jo ye khayal karte he'n k agar humne is Raat me jaag kar ibaadat kar li aur Din me Roza rakh liya to konsa Gunaah kar liya ? Kya hume Chori Kï Ya Sharab pi li ,Ya Daaka daala ,Humne ibaadat hi to Kï he aur Din ka Roza rakh liya to konsa kharabi ka kaam kiya ?
➠ Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne ( Roza tudwa kar ) ye batla diya k Kharabi ye hui k is Din ke andar Roza rakhna Allah Ta'ala ne nahi bataya ( Allah ka hukm nahi he ) Aur khud sakhta ahatmam iltizaam hi Asal Kharabi he ,
➠ Saare Deen ka Khulasa " itteba " he k hamara Hukm maano ,Na Roza rakhne me kuchh rakha he ,na aftaar karne me kuchh rakha he ,Na Namaz padhne me kuchh rakha he ,Jab hum kahe k Namaz padho to Namaz padhna ibaadat he ,aur Jab hum kahe k Namaz na padho to Namaz na padhna ibaadat he ,Jab hum kahe k Roza rakho to Roza rakhna ibaadat he air Jab hum kahe Roza na rakho to Roza na rakhna ibaadat he , agar is waqt Roza rakhoge to Deen ke khilaf hoga ,
➠ Deen ka saara Daromadaar itteba per he ,Agar Allah Ta'ala ye Haqeeqat Dil me utaar de to saari "Bid'ato'n " Kï khud sakhta iltezamaat Kï Jade kat jaye ,
➠ Ab Agar koi Shakhs is Roze ka zyada ahatmam kare to Wo Shakhs Deen me apni taraf se Zyadti kar raha he aur Deen ko Apni taraf se gadh raha he ,Lihaza is nuqte Nazar se ( is Din ) Roza rakhna jaa'iz Nahi ,
➠ Haa'n agar koi Shakhs Aam dino Kï tarah is Din bhi Roza rakhna chahe to rakh le iski muma'anat nahi lekin is Din ki zyada fazilat samajh kar ,mustahab ya Zyada ajro sawab wala samajh kar Din ka Roza rakhna ya is Raat jaagna durust nahi balki " Bid'at " he ,
▓▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▓
✿●•· Koondo Kï Haqeeqat,
➠ Aaj kal Mashre me Farz Waajib ke darje me Jo cheez fail gayi he Wo Koonde he'n ,Agar kisi ne Koonde nahi kiye to Wo Musalman hi nahi ,Namaz padhe ya na padhe ,Roza rakhe ya na rakhe ,Gunaaaho se bache ya na bache lekin Koonde Zaroor kare aur agar koi na kare ya karne walo ko mana kare to us per laanat aur malamat Kï jati he ,
➠ Khuda Jane ye Koonde kaha'n se nikal aaye ,Qur'an Hadees me ,Sahaba Kiraam se ,Tabaiyn se Ya Taba-tabaiyn aur Buzurgane Deen se ,Kahi se iski koi Asal saabit nahi aur isko itna zaroori samjha jata he k Ghar me Deen ka koi doosta kaam ho na ho lekin Koonde Zaroor hona ho ,
➠ iski Vajah ye he k isme Zara maza aur lazzat aati he ,aur hamari Qaum lazzat aur Maze Kï bhooki he ,Koi Mela Thela ,Koi Maze ka samaan ,Pooriya'n pak rahi he ,Halwe pak rahe he'n ,idhar se udhar ja rahi he ,idhar se idhar aa rahi he ,To chunki ye bada maze ka kaam he is waaste Shaitaan ne isme mashgool kar diya k Namaz padho na padho Wo koi zaroori nahi ,Magar ye kaam Zaroor hona chahiye ,,,
*___ Astagfirullah ..............,
▓▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▓
✿●•·Ye Ummat Khurafaat me Kho gayi ,
➠ Bhai in cheezo ne hamari Ummat ko Khurafaat me mubtila kar diya, Is qism Kï cheezo ko laazmi samajh liya gaya aur Haqeeqi cheezo ko pase pusht daal diya gaya ,is bare me Rafta rafta apne Bhaiyo'n ko samjhane Kï zarurat he ,
➠ isliye k bahut Se log sirf na-waqfiyat anjaane Kï vajah se karte he'n, un becharo ko iske bare me pata nahi Wo samajhte he'n k jis tarah Eidul Azha ke moqe per Qurbani hoti he aur Gosht idhar Se udhar jata he Ye bhi Qurbani Kï tarah zaroori cheez hogi ,
➠ Isliye Logo ko Pyaar Muhabbat se samjhaya jaye aur esi taqribaat ( programs) me khud Shareek hone se parhez kiya jaye ,
✿●•· Khulasa ,,
➠ Khulasa ye he k Rajjab ka Mahina Ramzan ka muqadma he isliye Ramzan ke liye Pehle se Apbe aapko Taiyaar karne Kï zarurat he ,isliye Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Teen mahine pehle se Dua farma rahe he'n aur logo ko tavajjoh dila rahe he'n k is Mubarak Mahine ke liye Apne aapko Taiyaar kar lo ,
➠ Aur apna nizamul Avqaat esa banane Kï fikr karo k Jab ye Mubarak Mahina aaye to iska Zyada se Zyada Waqt Allah Ta'ala Kï ibaadat me guzre ,
*__Allah Ta'ala apni Rehmat se iski faham ata farmaye aur Sahi Tor per Amal Kï Tofeeq atafarmaye ,,Aameen...
╟❥ Alhamdulillah.............,
▓▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▓
✿. ReF-┐Islaahi Khutbaat ,1
(Maulana Mufti Taqi Usmani DB )
▓▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▓
▉﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍▉
▔▔▔▔▔
✿●•·Koondo Ke Mutalliq Shara'i Hukm ,
➠ Hazrat Sayyadul Sadqaat Jaafar Sadiq Rehmatullah Khandane Nabuwat ke Chashme Charaag he'n ,Akabireene Ummat me Aapka buland maqaam he ,Aapki Wiladat 8 Ramzan 80 Hijri aur doosri Rivayat me 17 Rabiul Avval 83 Hijri aur Visaal 15 Shawwal 148 Hijri ko ( Kama fil Bidayah v Nihayah )
➠ Lihaza is Masle me tehqeeq ye he k 22 Rajjab bil ittefaaq na yome wiladat he, na yome Visaal , Agar Hazrta Mosoof se esi hi Aqeedat v Muhabbat he to Khana Paka kar Miskeen v mustahiqeen ko Khilaya jaye ,Qur'an Sharif padh kar isaale sawab kar diya jaye ,Lekin Koondo ko khaas andaz v Sharayat ke saath bharna aur Khana khilana qat'an islam me ek nayi cheez paida karna ya Shamil karna he ,
➠ Kissa Ajeeba ya Koondo Kï kitaab me Jo Waqiya tehreer kiya gaya he Wo qata'i tor per Jhoota ,be Buniyad aur be Asal he ,isi tarah Hazrat Rahmatullah Kï taraf se ye Vaada Kï "22 Rajjab ko Koonde karo aur mere waseele se Muraad talab karo ,Muraad poori na ho to Qayamat me tumhara haath aur mera Daaman hoga ," Bila Shak v Shubha Aap per bohtaan aur Tohmat he ,
➠ Musalmano ke Paas Allah Kï kitaab Qur'an Majeed aur Aap Sallallahu Alaihivasallam Kï Sunnate Qaa'ima bhi mojood he ,Saari Duniya ke Musalman Aap Sallallahu Alaihivasallam ke Ahsanaat ka badla nahi chuka sakte ,Aapne Pyari ummat ke Masaa'ib v Mushkilaat ko Hal karne ke liye is qism ke Koonde bharne Kï tajveez kisi Nabi ne nahi Kï to Wali kis tarah tajveez kar sakta he ,
➠Allah Ta'ala Qur'an Kareem me farmate he'n, " Agar Tumko Allah Ta'ala koi takleef pahunchaye to sivaye uske koi rad nahi kar sakta aur agar Tumko koi faayda pahunchaye to har baat per qaadir he ,"
( Al- An'aam )
➠Allah Ta'ala ke Hukm ke bager koi kisi Kï takleef door nahi kar sakta ,Haajat Rawai nahi kar sakta ,Gairullah Kï Nazar karna Shirk he , Jis Tarah iske karne wala gunahgar he usi tarah Shirkat karne wala bhi Bid'ati aur Gunahgar he ,
➠ Har Musalman 5 Waqt Namaz me Kai kai baar ," iyyaka na'abudu wa iyyaka nasta'iyn " padhta he ,Jiska matlab he k hum Sirf Teri hi ibaadat karte he'n aur Tujh hi se madad maangte he'n ,Koonde ke Amal Se Namaz Kï Rooh baatil ho gayi aur Allah Ta'ala ke saamne Jo ikraar baar baar karterahe usme Jhoote ho gaye ,
,
▓▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▓
▉﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍▉
✿●•·Amirul Momineen Hazrat Muaviya Raziyallahu Anhu,
➠ 22 Rajjab ,60 Hijri ko Amirul Momineen imaamul muttaqeen ,Mukarram Kaatibe Wahih Hazrat Muaviya bin Abu Sufiyan Raziyallahu Anhu ne 50 saal islaam aur Musalmano Kï khidmat karne ke baad wafaat payi thi ,
➠ Rawafiz jis tarah Amirul Momineen Hazrat Umar Raziyallahu Anhu Kï Shahadat Kï KHUSHI me unke majoosi qaatil Abu lolo Fyroz ko Baba Shuja'a keh kar Eid manate he'n isi tarah Hazrat Ameere Muaviya Raziyallahu Anhu Kï wafaat Kï khushi me 22 Rajjab ko ye taqreeb manate he'n ,
➠ Lekin pardaposhi ke liye ek Rivayat ghad kar Hazrat Jaafar bin Muhammad Reh .Kï taraf mansoob kar di he taki Raaz faas hone se reh jaye aur Dushmanane Muaviya Raz.chupke se ek doosre ke ghar beth kar sheerni kha le aur is tarah apni khushi ek doosre per Zahir kare ,Unke is pur fareb kaam se Hazrat Jaafar Sadiq Reh. Kï niyaaz Kï Dawat me kai saada toham parast aur kamzor aqeede wale Musalman bhi LA ilmi Kï vajah se Shreek ho jate he'n,
✿●•· Khabardaar ___is gumrahi se bachna har Musalman per Farz he ,Kyuki ye ek Sahabi e Rasool Sallallahu Alaihivasallam aur KaatibeWahih ke Dushmano Kï taqreeb he ,
▓▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▓
✿. ReF-┐Maahe Rajjab Ke Koonde ,
(Hazrat Maulana Hakeem Anees Ahmad SiddiqiReh. )
▓▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▓
No comments:
Post a Comment