Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Thursday, July 13, 2017

*■ Wali Allah Banane Wale A'amaal■*

⚂⚂⚂.   
     ▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁
     ✮┣ l  ﺑِﺴْـــﻢِﷲِﺍﻟـﺮَّﺣـْﻤـَﻦِﺍلرَّﺣـِﻴﻢ   ┫✮
         ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*■ Wali Allah Banane Wale A'amaal■*

┱━━━━━━━━━❀━━━━━━━━━╮
*❥Taleem- Hazrat Maulana Shah Hakeem Muhammad Akhtar Sahab Reh.❥*
      ─━━━════●■●════━━━─

❀__ Chaar A'amaal ESE hai'n , K Jo Un per Amal Karega Marne se Pehle in Sha Allah Wali Allah Ban Kar Duniya Se Jayega aur Unki Barkat se In Sha Allah Deen Ke Tamaam Ahkaam Per Amal Ki Tofeeq Ho Jayegi Kyunki Ye Ahkaam Logo'n Ko Mushkil maloom Hote hai'n nafs per Bhaari Hone ki Vajah se ,

❀_ Jo Talibe ilm Mushkil Sawal Hal kar Leta hai Usko Asaan Sawal Hal karna Mushkil Nahi hota ,Isliye Nafs Per Zor de kar Allah Ta'ala Ko Khush Karne Ke Liye Jo Ye A'amaal Karega Usko Poore Deen per Amal Karna  Asaan ho Jayega aur WO Allah Ka Wali ho Jayega,

┱━━━━━━━━━❀━━━━━━━━━╮
*❥1- Pehla Amal-Ek Mutthi Daadhi Rakhna-❥*
       ─━━━════●■●════━━━─

❀_ Bukhari Sharif ki Hadees hai _ Mushrikeen ki mukhalfat karo Daadhiyo ko badhao aur Moonchho ko kataao ,

"__ Aur Hazrat ibne Umar Raziyallahu Anhu Jab Hajj ya Umrah karte they to Apni Daadhi ko Apni mutthi mai pakad lete they Aur Jo mutthi se zyada hoti thi usko Kaat dete they ,

❀ _ Bukhari Sharif ki doosri hadees hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- Moonchho ko khoob bareek katraao aur Daadhiyo ko badaao ,

❀ _ Ek mutthi Daadhi Waajib hai ,Jis tarah Vitr ki Namaz Waajib hai ,Eidul Fitr ki Namaz Waajib hai ,Baqra Eid ki Namaz Waajib hai ,isi tarah Ek mutthi Daadhi rakhna Waajib hai ,aur Chaaro imaamo ka is per ijma'a hai ,Kisi imaam ka isme ikhtilaaf nahi ,

❀ _ Allaama Shami Reh Tehreer Farmate hai'n :-

"__ Daadhi ka Katrana Jabki WO Ek Mutthi se kam ho Jesa k baaz Ahle Magrib aur Hijde log karte hai'n Kisi Ke nazdeek jaa'iz nahi _" *( Shaami-123)*

❀ _ Hakeemul Ummat Hazrat Maulana Ashraf Ali Thaanvi Reh Bahishti Zever mai Tehreer Farmate hai'n k Daadhi ka mundwana ya ek mutthi se kam per katarwana dono haraam hai aur Daadhi Daadh se hai ,isliye Thodi ke niche se bhi ek mutthi honi chahiye aur Chehre ke teeno taraf se ek mutthi Daadhi rakhna Waajib hai,

"__ Baaz log Saamne Yani thodi ke niche se to ek mutthi rakh lete hai'n lekin Chehre ke daayi aur baayi taraf se katra dete hai'n, Khoob samajh lijiye k Daadhi teeno taraf se ek mutthi rakhna Waajib hai, Agar ek taraf se bhi ek mutthi se chaawal barabar kam Yani Zara si bhi kam hogi to esa karna haraam aur Gunaahe Kabeera hai ,

┱━━━━━━━━━❀━━━━━━━━━╮
*❥ 2- Doosra Amal - Takhne Khule Rakhna❥*
       ─━━━════●■●════━━━─

❀_ Takhne khule rakhna Yani Pajama ,Shalwaar vagera se Takhno ko na Dhaanpna , Mardo ko Takhne Dhaanpna haraam aur Kabeera gunaah hai , Bukhari Sharif ki Hadees hai ,

"_izaar se ( pajama ,Lungi ,Shalwar ,kurta ,Amaama ,Chaadar vagera se ) Takhno ka Jo hissa chhupega dozakh mai jayega _," *( Bukhari, 2/861)*

❀_Ek Sahabi ne Huzoor Sallallahu Alaihivasallam se arz kiya k  meri pindliya'n sookh gayi hai'n , matlab ye tha k kya is Bimari ki vajah se mai'n takhne dhaanp sakta hu'n ,Lekin Aap Sallallahu Alaihivasallam ne unko takhne chhupane ki ijazat nahi di aur farmaya ,

"_ Allah Ta'ala rakhne chhupane wale se muhabbat nahi karte ,
*( Fatahul Baari - 10/264)*
      
❀_ Dosto'n ! Zara gor kare k Takhne chhupa kar Allah Ta'ala ki muhabbat se Mehroon ho Jana kaha'n ki Aqalmandi hai ,Allah aur Uske Rasool Sallallahu Alaihivasallam ki Muhabbat ke liye sirf Zubani daave kaafi nahi hai'n, Muhabbat to Mehboob ki ita'at per majboor karti hai ,

┱━━━━━━━━━❀━━━━━━━━━╮
*❥ Aurto'n Ke Liye Do Amal- 1- Shara'i Parda ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─

❀_ Mardo ke Do A'amaal ( Daadhi rakhna aur Takhne Khule rakhna) hai'n ,unke bajaye Aurte'n Do A'amaal ka Ahatmam kare to in Sha Allah Ta'ala Allah ki Waliyya ban Jayengi ,

❀_ 1- Shara'i Parda __ Aaj kal Aurte'n ek gunaah mai aam tor per mubtila hai'n aur WO hai Shara'i Parda na karna , Khaandaan ke Na-Mahramo se Parde ka ahatmam nahi , Aurte'n ghar se Bahar jati hai'n to Burqa Pehan kar jati hai lekin Na-mahram rishtedaro se Parda nahi karti ,Halanki unse Parda Karna bhi Shariyat ka hukm hai balki unse Parde ka ahatmam zyada zaroori hai Kyunki unse waasta zyada padta hai ,Lihaza Khandaan ke Na-mahramo se Parde ka zyada ahatmam ki zarurat hai ,

❀_ Aurto'n ke liye Na-mahram rishtedar -- Khaalu ,Foofa ,Chachazaad Bhai, Tayazaad Bhai ,FufiZaad Bhai ,KhalaZaad Bhai ,MamuZaad Bhai ,Behnoyi , Shohar ke Tamaam Mard Rishtedar alawa Sasur __Ye Sab Na-mahram hai'n ,

❀_ Aurto'n ko chahiye k Dever aur Jeth se Parde ka khaas Ahatmam kare, Ek Aurat ne Huzoor Sallallahu Alaihivasallam se puchha k Kya hum Dever ( Shohar ke Bhai ) se Parda kare ? Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Dever to Maut hai maut ,( Yani Jis tarah maut zindgi ko khatm kar deti hai usi tarah Dever se Parda na karna Deen ko tabaah kar dega ,),

❀_ Shara'i Parde ka ye matlab nahi k Kamre mai Kundi laga kar kamre mai band ho kar beth jaye ,Balki agar ghar chhota hai to achchhi tarah ghoonghat nikaal kar ,k chehra bilkul nazar na aaye aur Chaadar se badan Chhipa kar ghar ka kaam kaaj karti rahe ,

*___ Lekin ghar mai koi nahi hai to Na-mahram ke saath Tanhayi jaa'iz nahi aur bina zarurat Na-mahram se baat na kare ,Agar zaroori baat karni ho to Parde se Awaaz Zara bhaari kar ke keh de ,

❀__ Aur ek DastarKhwan per Na-mahramo ke saath Khaana na khaaye Ya to Apne Shohar ke saath khaaye ya Aurte'n ek saath khaaye aur Mard ek Saath khaaye ,

❀__ isi tarah Chhote Bachcho ko Nokar rakh liya aur Jab WO Jawab ho jata hai to Samajhti hai'n k isse kya Parda ,Isko to Maine hagaya mutaya hai , ..Khoob samajh lijiye k usse Parda Waajib hai ,Bachpan ke Ahkaam aur hai'n , Bade hone ke baad Jab Apni Aulaad ke liye Ahkaam badal Jate hai'n to Nokar to Na-mahram hai ,Usse Parda na karna Sakht gunaah hai ,

❀__ isi tarah Aaj kal ek Bimari ye bhi fail gayi hai k Ye to mera moonh bola Bhai hai ,ye mera moonh bola Beta hai ........moonh bolne se koi Bhai ho jata hai na Beta ho jata hai, Unse Parda Waajib hai , 

┱━━━━━━━━━❀━━━━━━━━━╮
*❥  Aurto'n ke Liye Do A'amaal-2- Shohar Ke Huqooq Ka Khayal Rakhna ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─

❀__ Aurto'n ke Liye Allah Ki Waliyya banane Wala Doosra Khaas Amal Shohar ke huqooq ka Khayal rakhna hai , is Amal ki Barkat se in sha Allah Ta'ala qurbe Azeem ata hoga ,

❀_ Allah Ta'ala ne Shohar ka bada Haq rakha hai, Usko azmat aur buzurgi di hai , Shohar ko Khush Rakhna bahut badi ibaadat hai aur Usko naraaz karna bahut gunaah hai ,

❀__ Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya - Jo Aurat Paancho Waqt ki namaz padhti rahe ,Ramzan ke roze rakhe aur Apni Aabroo ko bachaye rahe Yani Paak Daaman rahe aur Apne Shohar ki taabedaari v farmabardaari karti rahe to Usko akhtyar hai k jis darwaze se chahe jannat mai chali jaye Yani Jannat ke 8 darwazo mai jis darwaze se uska Ji chahe jannat mai dakhil ho jaye ,

❀__ Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ka irshad hai k Jis Aurat ki maut is haalat mai aaye k uska Shohar usse Raazi hai to WO Jannati hai ,

❀__ Aur Farmaya k agar mai'n Khuda ke Siva kisi aur ko Sajda karne ke liye kehta to Aurat ko hukm deta k Apne Shohar ko Sajda kare ,( Chunki Allah Ta'ala ke Siva kisi ko Sajda karna jaa'iz nahi isliye Aurat ko bhi jaa'iz nahi k Shohar ko Sajda kare )

❀ Aur Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Jab Shohar Apni Bivi ko bulaye to foran uske paas aaye ,Hattaki agar chulhe per khana pakane mai masroof ho tab bhi chali aaye ,

❀ _Aur Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ka irshad hai k Shohar ke bulane per uski Bivi agar uske paas letne ke liya nahi aayi aur WO isi tarah gusse mai leta raha to tamaam farishte Subeh tak us Aurat per laanat karte rehte hai'n, Aur agar koi Shara'i aur Tibbi uzr hai to Shohar ko bata de ,maslan Ayyaame haiz hai ye Shara'i uzr hai ya agar Bimar hai to uzr kar de ,

❀ _Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Duniya mai Jab koi Aurat Apne Shohar ko sataati hai to Jo Hoor Jannat mai usko Milne wali hai Kehti hai k tera naas ho isko mat sata ,Ye to tere paas chand dino ke liye mehmaan hai ye to tujhko chhod kar hamare paas chala aayega ,

❀ _Aur Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ka irshad hai k Teen tarah ke Aadmi hai'n ese hai'n Jinki na namaz qubool hoti hai aur na koi neki ,unme se ek WO Aurat hai Jiska Shohar usse na-khush ho  ,

❀ _Kisi ne puchha Ya Rasulullah Sabse achchhi Aurat kon hai ? Aapne farmaya k WO Aurat k uska Shohar jab uski taraf dekhe to Khush kar de ,WO jab Kuchh kahe to uska kehna maane aur Apni jaan v maal mai Kuchh uske khilaf na kare ,

❀ _Aur Shohar ka ek Haq ye hai k uske paas hote hue bager uski ijazat ke Nifl roze na rakhe na Nifl Namaze padhe , Aur ek Haq uska ye hai k Shohar ke Saamne Meli Kucheli aur Soorat Bigaad kar na rahe balki banaav singaar se raha kare ,aur Shohar ka ek Haq ye bhi hai k uski ijazat ke bager ghar se Bahar kahi na jaye na Rishtedar ke ghar na gair ke ghar ,

┱━━━━━━━━━❀━━━━━━━━━╮
*❥ Teesra Amal - Nigaho'n Ki  Hifazat Karna ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─

❀_ Is maamle mai Aaj kal aam gaflat hai ,Bad-nazri ko log gunaah hi nahi samajhte Halanki Nigaho'n ki hifazat ka hukm Allah Ta'ala ne Qur'an e Paak mai farmaya hai , *" Ey Nabi ! Aap imaan walo se Keh dijiye k Apni baaz nigaho'n ki hifazat kare ,"*

❀_ Yani Na-mahram Ladkiyo'n aur Aurto'n ko na dekhe ,isi tarah bager Daadhi moonchho wale ladko ko na dekhe ya Daadhi moonchh aa bhi gayi ho lekin unki taraf Dil ka milaan hota hai to unki taraf dekhna bhi haraam hai ,garz iska maiyaar ye hai k Jin Shaklo ki taraf dekhne se nafs ko haraam maza aaye esi Shaklo ki taraf dekhna haraam hai ,

❀_ Hifazate Nazar itni Aham cheez hai k Allah Ta'ala ne Qur'an e Paak mai Aurto'n ko alag hukm diya k Aurte'n bhi apni nigaho'n ki hifazat kare , Jabki Namaz Roza aur doosre Ahkaam mai Aurto'n ko alag se hukm nahi diya gaya balki Mardo ko hukm diya gaya aur Aurte'n unke taabe hone ki haisiyat se un Ahkaam mai Shamil Hai'n ,

❀_  "Bukhari Sharif ki hadees hai k Aankho ka zina nazar baazi hai ,"   Nazar baaz aur Zinakaar Allah ki Wilayat ka khwab bhi nahi dekh sakta Jab tak k is burayi se sachchi tauba na kare ,

❀_  Mishkaat Sharif ki hadees hai -- "..Allah Ta'ala laanat farmaye Bad-nazri karne wale per aur Jo khud ko Bad-nazri ke liye pesh kare _,"

❀_ Pas Bad-nazri karne wale aur Bad-nazri ke liye khud ko pesh karne wale dono per Allah ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ne laanat ki bad-dua farmayi hai ,Buzurgo ki bad-dua se darne wale Sayyadul Ambiya Sallallahu Alaihivasallam ki Bad-Dua se dare k Aap Sallallahu Alaihivasallam ki gulami ke sadqe hi mai buzurgi milti hai , Lihaza agar kisi Haseen per nazar pad jaye to foran hata lo ,ek lamha bhi usko us per na rukne do ,

❀_ Allah se itni  doori kisi gunaah mai nahi hoti jitni is Bad-nazri ke gunaah mai hoti hai , Dil ka rukh Jo 90 Digri Allah Ki taraf tha Bad-nazri se 180 digri ho jata hai ,aur Goya Allah ki taraf Peeth aur Us Haseen ki taraf rukh ho gaya ,Ab agar Namaz bhi padh raha hai to WO Haseen Saamne hai ,Tilawat bhi kar raha hai to WO Haseen Saamne hai, Tanhaai mai hai to us Haseen ka dhyan hai ,

❀__ Bajaye Allah ke ab har waqt us Haseen ki yaad Dil mai hai , Dil ki esi Tabahi kisi aur gunaah se nahi hoti, Baaz logo ka khaatma bhi kharaab ho gaya ,

❀__ Kanzul Ummaal (5/328)ki Hadees hai - Nazar iblees ke teero mai se ek teer hai zehar mai bujha hua ,Jisne mere khof se usko tark kiya uske badle mai usko esa imaan doonga Jiski mithaas ko WO Apne Dil mai paa lega _,"

"__ Dosto Amal kar ke dekhiye Dil esi mithaas payega Jiske aage Hafte Aqleem ki saltanat Nigaho'n se gir jaye ,Halawate imaan jis Dil mai dakhil hoti hai fir Kabhi nahi nikalti ,aur uske husne khaatme ki basharat hai ,Hifazate nazar Husne khaatme ki bhi zamanat hai ,

❀__ Dosto Aaj kal ye husne khaatme ki daulat  Airports per ,station per taqseem ho rahi hai ,in muqamaat per Nigaho'n kko bachaye aur Dil mai imaan ki halawat ko paida kare aur husne khaatme ki zamanat le lo ,

┱━━━━━━━━━❀━━━━━━━━━╮
*❥ 4- Chotha Amal - Dil Ki Hifazat ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─

❀_ Nazar Ki Hifazat ke saath hi Dil ki Hifazat bhi Zaroori hai ,Baaz log Nigahe'n Chashmi (Aankho ) ki to Hifazat kar lete Hai'n Lekin Nigahe'n Qalbi ( Dil ) ki Hifazat nahi karte ,aur Dil mai Haseen Shaklo ka Khayal la kar haraam maza lete hai'n, Khoob samajh lijiye k ye haraam hai,

❀_ Allah Ta'ala irshad farmate hai'n :- Allah Ta'ala tumhari Aankho ki choriyo'n ko aur Tumhare Dilo ke raazo ko khoob Jaante Hai'n ,

❀_ Maazi ( Past ) ke gunaho ke khayalaat ka aana bura nahi , Khayalaat ka Laana bura hai ,khayal aa Jane ke baad isme mashgool ho Jana ya Purane gunaho ko yaad kar ke uske maze Lena ya Aa'inda gunaho ki planning banana ya Haseeno ka khayal Dil mai Lana ye Sab haraam hai  aur Allah Ta'ala ki narazgi ka sabab hai ,

❀_ Dilo mai gande khayalaat pakane ka ek bada  nuqsaan ye bhi hai isse gunaah ke Taqaze aur Shadeed ho Jate hai'n Jisse A'aza e Jism ke gunaah mai mubtila hone ka Zyada andesha hai , Allah Ta'ala Hifazat farmaye aur un haraam kaamo se bachaye taki gunaho se bachna asaan ho jaye ,

┱━━━━━━━━━❀━━━━━━━━━╮
*❥ Imaan Per Tofeeq Ke Liye Chaar Tadbihaat ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─

❀__ Zikr Kiye hue ( Jo Part 1 se 11 tak guzar Chuke ) Chaar Haraam Kaamo se Hifazat ke liye Chaar Tasbihaat ki Pabandi kare , Jinke Padhne se Rooh mai taaqat aayegi aur Gunaho se bachna asaan ho jayega ,

❀_ 1- Ek Tasbeeh Yani 100 martaba "Laa ilaaha illallaah " Padhe ,

"__ Mishkaat Sharif ki Hadees hai k " Laa ilaaha illallaah " mai aur Allah Ta'ala mai koi Parda nahi hai ,

"_Muhammadur Rasoolullaah ( Sallallahu Alaihivasallam ) " Keh Kar Kalme ko Poora Kare , "

❀_ 2-Ek Tasbeeh Yani 100 martaba " Allah Allah " Padhe ,

"_ Pehle Allah per Jalla Jalalaluhu Keh le , Muhabbat se Allah ka naam le ,

❀_  3- Ek Tasbeeh Yani 100 martaba istigfaar ki Padhe ,

"_ Rabbigfir War ham Wa Anta Khayrur Rahimeen ," ( Ey Allah ! Hamare gunaho ko bakhsh dijiye aur Hum per Raham kijiye ,Kyunki Aap Sabse Zyada Raham Karne wale hai'n ) ,

❀_ 4- Ek Tasbeeh Yani 100 martaba Darood Sharif Padhe,

"__ Darood Sharif padhte hue ye soche k mai'n Roza e Mubarak mai muwajha Sharif ke saamne hu'n aur Asmaan se Huzoor Sallallahu Alaihivasallam per Rahmat ki baarish ho rahi hai Uske Kuchh chheente mujh per bhi pad rahe hai'n ,

❀_ In tasbihaat ki pabandi ke saath Amal karne se in sha Allah Ta'ala Rooh mai nafs v Shaitaan se muqabla ki zabardast taaqat paida ho jayegi aur Haraam se bachna asaan ho jayega ,

❀_ Allah Ta'ala ki Dosti  ki Buniyad Taqwa hai , Allah Ta'ala ki wilayat ka Sabse A'ala muqaam taqwe per hi moqoof hai , Jo jitna bada muttaqi hai utna hi bada Allah ka Wali hai , Allah Ta'ala Amal ki Tofeeq ata farmaye aur taqwa e kaamil naseeb farmaye ,Aur mahaz apne karam se hum sabko Wilayte Siddiqiyat ki muntaha tak pahunchaye ,( Aameen )

┱━━━━━━━━━❀━━━━━━━━━╮
*❥ Do Muraaqbe.......Muhafize Wilayat ❥*
       ─━━━════●■●════━━━─

❀_ Do Muraaqbe ESE hai'n Jo agar inko karega in sha Allah Ta'ala Kibr ki Bimari se mehfooz rahega Kyunki Kibr ki Bimari itni Khatarnaak hai k Hadeese Paak mai hai k Jiske Dil mai Raai ke barabar Kibr hoga WO Jannat mai dakhil nahi ho sakta ,isi Bimari ne iblees ko mardood kiya Jab usne kaha k mai'n Hazrat Aadam Alaihissalam se behtar hu'n ,

❀__Muraaqbe ka maqsad ye hai k Allah ka Dhyan Dil mai ESA Jam jaye k Allah ki nafarmani ke A'amaal se Hifazat rahe Kyunki nafarmani ke A'amaal se Banda Allah Ka wali banne se aur Allah ka Dost banne se Mehroon ho jata hai ,

❀__1- Pehla__ Muraaqba ye hai k Jab Koi Nek Amal ho Jaye to usko Apna kamaal na samjhe ,Allah Ta'ala ki ataa samjhe ,Nek A'amaal ka ho jana Allah ka fazal ,Allah ki Tofeeq, Uski Rehmat aur Uska Kamaal hai ,Uska Ahsaan hai ,

❀__isi tarah Humse Jo Khataae'n aur Gunaah hote rehte hai'n to Allah Ta'ala farmate hai'n k Tumse Jo buraai saadir ho jaye WO tumhare nafs ki Shararat hai ,najasat hai ,Himakat hai , Allah Ta'ala ki taraf buraai ki nisbat karna Kufr hai ,isliye Jo buraai ho, khata ,gunaah ho usko apne nafs ki khata samjh kar us per naadim ho kar Allah Ta'ala se maafi maango ,

*__Yani har Neki ko Allah ki ataa aur har Buraai ko Apne nafs ki khata samjho ,Ataa per Shukr guzaar aur khata per sharmShaar rahe , Jo ataa aur Khata ke darmiyan rahega Takabbur se  mehfooz rahega ,

❀__2 -Doosra Muraaqba ye hai k Khud Ko Sabse Kamtar Samjhe aur Sabko Apne se behtar samjhe ,Chahe kitna hi gunahgaar ho ,Kyunki mumkin hai k Gunaho ke bavjood uska koi Amal Allah Ta'ala ke yaha qubool ho gaya aur Qayamat ke din usko maaf farma de ,aur mera koi Amal Allah ke yaha mabgooz ho gaya aur jisse meri tamaam nekiyo'n per Paani fir jaye aur meri pakad ho Jaye , Bas ye ahatmaal qaa'im karna kaafi hai k Apne k Jab tak imaan per khaatma nahi ho jata mai'n Tamaam insaano aur Jaanwaro se Kamtar hu'n ,

Allah Ta'ala mujhe bhi aur Aap Tamaam Hazraat ko Amal ki Tofeeq ataa kare ,( Aameen)

*____Alhamdulillaah Mukammal hua,*
      
       ╞━━•Reƒ•━━╮
            *Wali Allah Banane Wale 4 A'amaal.*
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━╯

💕 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*💕 
                    ✍
    

     ▉﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍▉

┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫

⚂⚂⚂

No comments:

Post a Comment