Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Thursday, August 31, 2017

( BIWI KE LIYE BEES SUNHERE USOOL )

🍁🍁🍁
.                                  
       
         ❈ *बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम* ❈

╭•∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽•╮
                    *BIWI KE LIYE*
           *BEES SUNHERE USOOL*       
╰•∽––∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽•╮
       
                       *PART-01*
            ┅┅━━═۞═━━┅

*⚃➠(01) KHANE KO ZIKR OR FIKR KE SATH BANAAYEN*

*⚃➠ Ghar me Aurte jo khana banati hain wo ghar ke afraad ke jismo me jata hai or jismo ki giza banta hai Agar khana banane me taharat ka khayaaL na kiya or gafLat ke sath pakaya to ye khana jismo me ja kar noor ke bajaye zuLmat paida karega Nek Biviya'n khana banate zuban se allah ka zikr karti hain, sahabiyaat ki bhi ye aadat thi, baz sahabiyaat to tannoor par Roti sekte sekte 3 pare padh liya karti thi Aurtein is ka tajurba kar ke dekh Lein ke bachcho ko ba wuzu zikr ke sath khiLayengi to bachcho me farmabardari ka jazba badh jaayega or shohar ko ba wuzu zikr ke sath khana pesh karengi to shohar ke diL me muhabbat me izafah hoga*

                       *PART-02*
            ┅┅━━═۞═━━┅

*⚃➠(02) KAAM KO WAQT PAR SAMETNE KI AADAT DALEIN*

*⚃➠ Dusri Aham baat ye hai ke har kaam ko apne waqt par samet ne ki aadat dalein, aaj ka kaam kal par na daLein kaL kaL karte hue jab bahut kaam jama ho jate hein to ek bhi kaam ho nahi pata Aaj museebat ye hai ke ghar me Aurtein kaam ko ibadat samajh kar nahi museebat samajh kar karti hein, ghar ke kaam me pasina bahana mushaqqat uthana aisa hi hai jese isha ke wuzu se fajr padhne ka ajr pana Is Liye biwi ko chahye ke ghar ke kamo ko khushi se qabooL kare or ye soche ke in kamo ki wajah se Allah RabbuL izzat mujse razi hoga Ek hadis me hai ke nek aurat wo he jis ka diL Allah RabbuL izzat ki yaad me ho or us ke hath kamo me masruf ho*

                       *PART-03*
            ┅┅━━═۞═━━┅

*⚃➠(03) GHAR KO SAAF SUTHRA OR PAAK RAKHEIN*

*⚃➠ Kuch Auraton ki Tabiyat me susti hoti hai ghar me saari cheezein pheLi padi Rehti hein, be'tarteeb Rakhi hoti hein, ye Allah RabbuL izzat ko na pasand hai Aurat is niyyat se ghar ko saaf suthra or paak rakhe ke Allah RabbuL izzat Razi honge paaki Aadha Imaan hai ghar me paaki or Napaaki ka bahut Zada khayaaL Rakhen isme Susti biLkuL na barte Ghar me sab Samaan be'tarteeb hoga Saaf suthra nahi hoga usme Aapka hi Apna Nuqsan hai bimaariyan peda hoti hain or janwar bhi peda ho jaate hain macchar waghaira jinke kaatne se bukhaar to saaf suthra rehne se bimaariyon se bhi hifazat hogi in sha Allah ta'ala*
       
                       *PART-04*
            ┅┅━━═۞═━━┅

*⚃➠ (04) SUNI SUNAYI BAAT AAGE NA CHALAAYEN*

*⚃➠ Bahut si Aurto'n me ye alAadat hoti hai ke adhoori baat shohar ko pohcha deti hain phir apni ghaLati ko chhupane ke liye kayi jhoot us me miLati hain Ye bahut buri Aadat hai or khatarnaak gunaah hai hadees me hai ke Aadmi ke jhoote hone ke liye ye kafi hai ke har suni baat ko bayan kar de, kabhi Aurat apne shohar ke khandaan ke Raaz dusro ko, kabhi khud ke ghar waLo ko bata deti hai, ye bhi khatarnaak gunaah hai or bahut se fitno ki jad hai is se bachna bhi zaruri hai*

 
                       *PART-05*
            ┅┅━━═۞═━━┅

*⚃➠ (05) SHOHAR KO DUAO'N KE SATH RUKHSAT KAREIN OR AANE PAR MUSKURA KAR ISTIQBAAL KAREIN*

*⚃➠ Jab bhi shohar ghar se jane Lage us ko hamesha duao'n  ke zarye wida kare, fi amaniLLah kahe, nek biwiya'n hamesha apne shoharo'n ko or bachcho ko duao ke sath Rukhsat karti hain darwaze tak ja kar wida karti hein, jab shohar Lote to chahe kitni hi masroof kyu na ho muskura kar shohar ka istiqbaaL kare, is tarah karne se shohar ki thakan utar jaayegi or shohar ke dil me muhabbat jagegi*

       
                       *PART-06*
            ┅┅━━═۞═━━┅

*⚃➠ (06) SHOHAR KE AANE SE PEHLE BIWI APNE AAP KO SAAF SUTHRA KARLE*

*⚃➠ Jab shohar ke ghar Lotne ka waqt ho to biwi ko chahiye ke Apne aap ko saaf suthra kar Lein, Aam tor par biwiyan is me kotahi karti hein kahin bahar jana ho to duLhan ki tarah sanwar kar jati hein or shohar ke samne meLi kucheLi rehti hein Nabi e kareem Sallalahu Alayhi Wasallam ka mamooL ye tha ke jab Apne sahaba e kiraam ke sath safar se Lot'te to madina se bahar qayam farmate or madina me itteLa karwa dete take biwiyan apne shoharo ke liye apne aap ko tayyar kar lein*

                       *PART-07*
            ┅┅━━═۞═━━┅

*⚃➠ (07) RISHTEDARO'N KE YAHA SILA RAHMI KI NIYYAT SE MILNE JAAYEIN*

*⚃➠ Jab bhi Rishtedaro'n ke yahan jane ka moqa aaye, shadi waghairah ya aise hi to siLa Rehmi ki niyyat se jaayein, Allah RabbuL ko siLa Rehmi bahut pasand hai Parde ka Lihaz Rakhte hue jaayein*

       
                       *PART-08*
            ┅┅━━═۞═━━┅

*⚃➠ (08) SHOHAR KO SADQA KHAIRAAT KI TARGHEEB DETI RAHEIN*

*⚃➠ Shohar ko sadqah khairat karne ko kehti Rahein is liye ke sadqe se baLaayein taL jati hein, Rizq me barkat hoti he Shohar ki ijazat se khud bhi sadqa karein or bachcho ko bhi sadqe ki aadat daLein Sadqah karne se Allah RabbuL izzat baLao v haadsaat se bhi hifazat farmata hai*

       
                       *PART-09*
            ┅┅━━═۞═━━┅

*⚃➠ (09) GHAR ME NAMAZ KE LIYE JAGAH MUQARRAR KAREIN*

*⚃➠ Ghar me namaz padhne ke Liye kisi jagah ko khas kar Lein, Agar ghar bada ho to ek kamra hi khas kar Lein, waha paki ka Ahtemam ho musaLLa ho, tasbih ho, quran ho, waha bethne ki aadat daLein*

                       *PART-10*
            ┅┅━━═۞═━━┅

*⚃➠ (10) PHONE PAR MUKHTASAR BAAT KARNE KI AADAT DALEIN*

*⚃➠ Aurato'n ko Aam tor par phone par Lambi Lambi baat karne ki Aadat hoti hai, jo zaroorat ho bas wahi matLab ki baat karein, is ke bahut fayde hein, waqt bachega, gheebat waghairah se hifazat gharelu jhagdo se bhi hifazat rahegi in sha Allah*
        
                       *PART-11*
            ┅┅━━═۞═━━┅

*⚃➠ (11) AHAM BATEIN NOTE KARNE KI AADAT DALEIN*

*⚃➠ Aurto me ye cheez bahut kam hoti hai kayi Aham batein jo shohar ko batani hoti hain wo moqe par yaad nahi aati kayi aham kaam jo shohar karne ko keh kar gaya wo bhool jati hain, is wajah se bhi ghar me jhagde shuru ho jate hein. Apni yaad dasht par bharosa na kare bLke Likh liya karen*
        
                       *PART-12*
            ┅┅━━═۞═━━┅

*⚃➠ (12) ZAROORAT KI CHEEZO'N KO SAMBHAAL KAR RAKHEIN*

*⚃➠ Aisi cheezein jis ki hangami tor par zaroorat padti hai un ko ghar me munasib jagah par rakhein take zaroorat ke moqe par fori tor par miL jaaye, jese dawayi, chabi, jawelary wagairra. Kabhi shaitaan aisi cheezo ko bhi ghar me jhagde ka bahana bana Leta hai*

                       *PART-13*
            ┅┅━━═۞═━━┅

*⚃➠ (13)  KOI AISA KAAM NA KARE JIS KI WAJAH SE SHOHAR KI NAZRO SE GIR JAAYEN*

*⚃➠  Biwi ko chahiye ke apne shohar ke Mijaz ko pehchan kar ghar ke mahoL ko achhchha Rakhe, koi bhi aisa kaam na kare ke jis ki wajah se shohar ki nazro se gir jaaye, shohar ke sath Sacchayi wali zindagi guzare, shohar ko shak ka moqa na de, or yaad rakhe ke  biwi ko poori zindagi shohar ke sath guzarni hai, shohar ka maqam or koi nahi Le sakta  gir kar insaan dubara wahi maqam hasiL nahi kar sakta  jitni mehnat kisi khaami ko chupane ke liye karni padti hai us se Aadhi mehnat se wo khaami door kar sakte hein baat ko badaLna ya chupana bhi jhoot hi hai*
        
                       *PART-14*
            ┅┅━━═۞═━━┅

*⚃➠ (14) BACHCHO KE BARE ME SHOHAR SE MASHWARA KARTI RAHEIN*

*⚃➠ Bachcho ki taLeem v tarbiyat ke bare me shohar se mashwara kare, bachcho ko deeni or dunyavi dono tarah ki taLeem diLaayen, aLbatta deeni taLeem ka khoob Ahtimam kare dunyavi taLeem ke bare me tahqeeq kar Lewe ke kis school ki taLeem munasib hai Aaj kaL Schoolo me dekha hai Subah ke waqt bacche pooja karte hain haath jodte hain or sabhi musaLman bacche bhi aisa karte hain bachpan hi se unki zehniyat ko kharaab kar diya jata hai iska khaas khayaaL Rakhen*

                       *PART-15*
            ┅┅━━═۞═━━┅

*⚃➠ (15) SHOHAR KI ZAROORAT POORI KARNE ME TAAL MATOL NA KARE*

*⚃➠ Biwi ko chahiye ke shohar ki zaroorat [khwahish] poori karne me taL matoL se kam na Le, choti moti takleef ka khayaaL na kare baLke ye ajar ka kaam hai Biwi ka Apne shohar ki zaroorat ko poora na karna bahut khatarnaak jurm hai, is se shohar ke Liye gunah ka Rasta khuL jata hai*

*⚃➠ Ek Riwayat me hai ke nabi Sallalahu Alayhi Wasallam ne farmaya ke agar biwi sawari par sawar ho chuki ho or shohar use apni zarurat ke Liye bulaye to biwi ko chahiye ke pehle shohar ki zarurat puri kare jab biwi shohar ki zarurat poori kar ke gusal karti hai to pani ke har qatre ke badLe us ke gunah muaf kar diye jate hein qurbe qayamat ki ALaamato me se ye hai ke biwi sehatmand hone ke ba wajood shohar ki zaroorat ko pura karne ke tal matol karegi*

                       *PART-16*
            ┅┅━━═۞═━━┅

*⚃➠ (16) SHOHAR KO PARESHANI KE WAQT TASALLI DEIN*

*⚃➠ Biwi ko chahiye ke jab shohar ko pareshan dekhe to tasaLLi de, ye hazrat khadija radiyallahu anha ki sunnat hai jab nabi e kareem Sallalahu Alayhi Wasallam par wahi ki ibtida hui to aap dar gaye the, Hazrat khadija radiyallahu anha ne aap ko tasaLLi de kar sambhaLa tha*

 
                       *PART-17*
            ┅┅━━═۞═━━┅

*⚃➠ (17) GALATI MAN LENE ME AZMAT HAI OR KHAMOSHI ME AAFIYAT HAI*

*⚃➠  Jab shohar Biwi ko batLaaye ke ye tumhari ghaLati hai to us ko tasLeem kar Lena chahiye, isi me izzat hoti hai shohar ne koi baat kar di to fauran jawab dene ki Aadat na daLein, shohar ko har baat ka sakht jawab dena gharo ko Ujadne ka bahut bada sabab hai*

 
                       *PART-18*
            ┅┅━━═۞═━━┅

*⚃➠ (18) APNE DIL KA GHAM SIRF ALLAH RABBUL IZZAT  KE SAMNE BAYAN KAREIN*

*⚃➠ Shikve shikayatein Logo ke samne ya shohar ke samne bayan karne ke bajaye Allah RabbuL izzat ke samne kehne ki Aadat daLein.  Matlab ye hai jab moqa miLe Lambi dua karein, dil ka gham phone par saheLiyo ko batane ki bajaaye Allah RabbuL izzat ko bataye*

                       *PART-19*
            ┅┅━━═۞═━━┅

*⚃➠ (19) SHOHAR KE RISHTEDARO KE SATH ACCHA SULOOK KAREIN*

*⚃➠ Shohar ke Rishtedaro'n se Accha suLook karna AkhLaqi fariza hai shohar jin ko Apna qaribi samajhta hai un ki izzat karein, un ki ghalatiyo ko nazar andaaz karein, ye baat bahut ajro sawab ka ba'is hai or sare jhagdo ko khatam karne wali hai*

                       *PART-20*
            ┅┅━━═۞═━━┅

*⚃➠ (20) ALLAH RABBUL IZZAT   KI NA FARMANI ME KISI KI ITAA'AT NA KAREIN*

*⚃➠ Koi Aisa kaam jis ke karne me shohar ki ya maa baap ki to itaa'at ho Rahi ho Lekin wo kaam shari'at ke khilaf ho, us me Allah RabbuL izzat ki na farmani ho to wo kaam hargiz na karein, baLke poori koshish karein ke ghar ke afraad bhi Allah RabbuL izzat ki na farmani se bach jaayein, or ye bhi koshish karein ke shohar kisi shaikh ke hath par bay'at ho jaaye, kiyun ke shaikh ki naseehat se ghar Ujadne se bach sakta hai shohar kisi ki na sune to kam se kam shaikh ki to sunega, shaikh ki naseehat se huqooq ki Adayegi ka paband banega*

  *╟❥  ALHAMDULLAH MUKAMMAL*
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄• 
                                     
💕 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*💕
     ︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶
Ĺ
        ⌈﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂⌉
       ▏  ✍🏻  *RAAH-E-HAQQ*     ▏.    
 
http://apkemasailorunkahal.blogspot.com/?m=1

*https://www.facebook.com/babar.khansr.1
👆🏻👆🏻 *Visit for all Msgs*

      ⌊﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁⌋

🍁🍁🍁

No comments:

Post a Comment