Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Friday, August 4, 2017

SAWAAL JAWAAB 701 SE 800


Sawal 701-800
SAWAL # 701

Ahle Makkah Me Kon Sahabi Sab Se Zayadah Itar ( Khushbu) Lagate The ?
1. Hazrat Mus’ab Bin Umair R.D.
2. Hazrat Abdul Rahman Bin Auf R.D.
3. Hazrat Usman Bin Affan R.D.
4. Hazrat Abdullah Ibne Masood R.D.

Sahih Jawab # 1. Hazrat Mus’Ab Bin Umair R.D.

Usdul Gabah.

SAWAL # 702

Makkah Me Sab Se Pehle Kis Sahabi Ne Apne Ghar Me Masjid Banayi Thi ?
1. Hazrat Abu Bakr Siddiq R.D.
2. Hazrat Ammar Bin Yasir R.D.
3. Hazrat Talha Bin Ubaidullah R.D.
4. Hazrat Abdullah Ibne Masood R.D.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Ammar Bin Yasir R.D.

Usdul Gabah

SAWAL # 703

Gazwah E Khandaq K Mauqah Par Rasulullah Sallallahu Alayhi Wasallam Kis Sahabi K Ashaar Ko Kasrat Se Padh Rahe The ?
1. Hazrat Hassan Bin Sabit R.D.
2. Hazrat Ka’ab Bin Malik R.D
3. Hazrat Abdullah Bin Rawaha R.D.
4. Kisi K Nahi. Khud Aap Ki Zuban Mubarak Par Ashaar Jaari Ho Gae The.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Abdullah Ibne Rawaha R.D.

Bukhari Sharif

SAWAL # 704

Hazrat Umar R.D. Ne Sab Se Pehle Jail Khana Banwaya To Kis K Makan Ko Kharid Kar Banwaya Tha ?
1. Hazrat Safwan Bin Umaiyyah R.D.
2. Hazrat Abu Sufiyan R.D.
3. Hazrat Ikramah Bin Abi Jahal R.D.
4. Hazrat Amr Bin Aas R.D

Sahih Jawab # 1. Hazrat Safwan Bin Umaiyyah R.D.

Bukhari Sharif

SAWAL # 705

Kis Sahabi Ne Sab Se Pehle Apne Daanto Par Sone K Taar Bandhwae The ?
1. Hazrat Baraa Bin Aazib R.D.
2. Hazrat Zubair Bin Awwam R.D.
3. Hazrat Usman Bin Affan R.D.
4. Hazrat Abdul Rahman Bin Auf R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Usman Bin Affan R.D.

Khulafa E Rashidin

SAWAL # 706

Sahaba Me Sab Se Kam Batchit Karne Wale Sahabi Kon The?
1. Hazrat Abu Zar Gifari R.D
2. Hazrat Salman Farsi R.D.
3. Hazrat Ammar Bin Yasir R.D.
4. Hazrat Suhaib Roomi R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Ammar Bin Yasir R.D.

Siyar Aalam Un Nubala

SAWAL # 707

Sab Se Pehle 1 Qabar Me Kin 2 Sahabi Ko Dafan Kiya Gaya?
1. Hazrat Ubaidah Bin Haris R.D. & Hazrat Harisah Bin Suraqah R.D.
2. Hazrat Mus’Ab Bin Umair R.D. & Hazrat Hamza R.D.
3. Hazrat Hamza R.D. & Hazrat Abdullah Bin Jahash R.D.
4. Hazrat Ziyad Bin Sakan R.D. & Hazrat Amr Bin Jumuh R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Hamza R.D & Hazrat Abdullah Ibne Jahash R.D.

Tarikh E Tabri

SAWAL # 708

Kis Sahabi Ka Inteqal Untni Par Safar Ki Halat Me Hi Ho Gaya Tha ?
1. Hazrat Adi Bin Haatim R.D.
2. Hazrat Utbah Bin Gazwan R.D.
3. Hazrat Samurah Bin Jundub R.D.
4. Hazrat Aqra Bin Habis R.D.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Utbah Bin Gazwan R.D.

Usdul Gabah

SAWAL # 709

Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Hijrat K Bad Madinah Munawwarah Me Jaha Sab Se Pehle Jumah Padha Tha Wo Bani Saalim Ka Muhalla Tha Or Waha Bad Me Masjid E Bani Saalim Banayi Gayi To Us Masjid Ka Sab Se Pehla Imam Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Kis Ko Muqarrar Kiya ?
1. Hazrat Ubadah Bin Saamit R.D.
2. Hazrat Mus’ab Bin Umair R.D.
3. Hazrat Muaaz Bin Jabal R.D.
4. Hazrat Itban Bin Malik R.D.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Itban Bin Malik R.D.

Usdul Gabah

SAWAL # 710

Wo Konse Sahabi Hai Jo Nabi E Rahamat Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Khidmat Me Hazir The Un Ki Munchhe Bahot Badi Thi To Aaqa Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Un Ki Munchh Par Miswak Rakh Kar Talwar Se Durust Kar Diya Tha?
Sahih Jawab : Hazrat Mugirah Bin Shuabah R.D.

Abu Dawood

SAWAL # 711

Shab E Bara’at Me Haq Ta’ala ………………….. Qabilah Ki Bakriyo K Baalo K Barabar Logon Ko Jahannam Se Aazad Farmate Hai ?
1. Qabilah E Banu Bakr
2. Qabilah E Banu Sa’ad
3. Qabilah E Banu Kalb
4. Qabilah E Banu Khuzaimah

Sahih Jawab # 3. Qabilah E Banu Kalb

Ibne Majah

SAWAL # 712

Kis Sahabi Ne Apne Gunaho Ki Bakhshish K Wa’Ade Par Islam Qubul Kiya Tha?
1. Hazrat Abu Sufiyan R.D.
2. Hazrat Amr Bin Aas R.D.
3. Hazrat Khalid Bin Valid R.D.
4. Hazrat Safwan Bin Umaiyyah R.D.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Amr Bin Aas R.D.

Maarif Ul Hadis
Seerat Ul Mustafa

SAWAL # 713

Niche Diye Hue Options Me Se Konsa Mazmoon Soorah Baqarah Me Nahi Hai?
1. Sood Par Allah Or Rasul K Sath Jang Ka Elan.
2. Qatl Par Qisas Ka Hukm.
3. Chori Par Hath Katne Ka Hukm.
4. Sharab Or Juwe Me Bada Gunah Hone Ka Elan.

Sahih Jawab # 3. Chori Par Hath Katne Ka Hukm

SAWAL # 714

Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Konsi Zawjah K Pass Gosht Tha Or Us Me Se Boo Aane Lagi To Unho Ne Sadqah Karne Ka Iradah Kiya To Aap Ne Farmaya K Aisi Chiz Kyu Sadqah Karti Ho Jo Khud K Liye Pasand Nahi Karti.
Wo Zawjah Kon Thi ?

1. Hazrat Zainab Binte Jahash R.D.
2. Hazrat Hafsa R.D.
3. Hazrat Umme Salma R.D.
4. Hazrat Aaysha R.D.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Aaysha R.D.

Fazail E Sadqat

SAWAL # 715

Masjide Quba Ki Tamir K Waqt Kis Sahabi K Chahre Se Rasulullah Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Mitti Saaf Farmayi Thi ?
1. Hazrat Abu Bakr Siddiq R.D.
2. Hazrat Bilal Habshi R.D.
3. Hazrat Ammar Bin Yasir R.D.
4. Hazrat Ali Bin Abi Talib R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Ammar Bin Yasir R.D.

Usdul Gabah.

SAWAL # 716

Hajjatul Vida’a ke Mauqah par Aaqa Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Jin Kankriyon Se Rami Ki Thi Wo Kankriyaa Chun Kar Lane Ka Sharf Kis Sahabi Ko Hasil Huwa ?
1. Hazrat Abdullah Ibne Abbas R.D.
2. Hazrat Anas Bin Malik R.D.
3. Hazrat Bilal Habshi R.D.
4. Hazrat Usamah Bin Zaid R.D.

Sahih Jawab :

Nasai Sharif Ki Rivayat Me Hazrat Abdullah Ibne Abbas R.D. Ka Zikr Hai.

Hazrat Shaikh Abdul Haq Muhaddis Dahelwi R.A. Ne Madarij Un Nubuwwah Me Or Hazrat Shaikh Zakraiyah R.A. Ne Fazail E Hajj Me Hazrar Fazl Bin Abbas R.D Ka Naam Likha Hai.

Hazrar Fazal Ka Naam Sahih Is Liye Maloom Hota Hai K Wo Jis Waqt Kankriyaa Chuni Gayi Yani Mzadalifah Se Mina Jate Waqt To Wo Aaqa K Sath Sawar The.

Mumkin Hai K Dono Ne Chuni Ho. Baaz Roz Ki Bade Bhai Hazrat Fazal R.D. Ne Or Baaz Roz Ki Chhote Bhai Hazrat Abdullah Ibne Abbas R.D Ne Or Aise Mauqah Par Nisbat Bade Ki Taraf Ki Jati Hai.

و الله اعلم بالصواب
Nasai Sharif
Madarij Un Nubuwwah
Fazail E Hajj

SAWAL # 717

Masjid E Nabvi Ki Pahli Taamir Ki Nigrani Karne Wale Sahabi Kon The?
1. Hazrat Sa’ad Bin Muaaz R.D.
2. Hazrat Abu Aiyub Ansari R.D.
3. Hazrat Zubair Bin Awwam R.D.
4. Hazrat Ammar Bin Yasir R.D.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Ammar Bin Yasir R.D.

Al Isabah

SAWAL # 718

Fath E Makkah K Deen Kis Sahabi Ne Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ko Aab E Zamzam Se Wuzu Karwaya Tha ?
1. Hazrat Ali Bin Abi Talib R.D.
2. Hazrat Abbas Bin Abdul Muttalib R.D.
3. Hazrat Abu Sufiyan R.D.
4. Hazrat Suhail Bin Amr R.D.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Abbas Bin Abdul Muttalib R.D.

Madarij Un Nubuwwah

SAWAL # 719

Gazwah E Khandaq K Mauqah Par Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Pahredari Karne Ka Sharf Kis Sahabi Ko Hasil Huwa?
1. Hazrat Zubair Bin Awwam R.D.
2. Hazrat Sa’Ad Bin Abi Waqqas R.D.
3. Hazrat Talha Bin Ubaidullah R.D.
4. Hazrat Abu Ubaidah Bin Jarrah R.D.

Sahih Jawab # 1. Hazrat Zubair Bin Awwam R.D.

Seerat Kahtim Ul Anbiya

SAWAL # 720

Konse Sahabi Apni Khubsoorati Ki Wajah Se Chehre Ko Dhank Kar Nikalte The ?
Sahih Jawab : Hazrat Zabarqan Bin Badr R.D.

Aaj Bahot So Ko Galat Fahmi Hui. Kuch Logon K Jawab Hazrat Jarir Bin Abdullah Bajali R.D. Aae Is Liye K Wo Bahot Khubsoorat The Or Is Ummat K Yusuf Unhe Kaha Gaya.

Aksar Logon K Jawab Hazrat Dahiya Kalbi R.D. Aae. Wo Bhi Khubsoorat The Or Hazrat Jibrail Alayhis Salam Un Ki Shakal Me Aate The.

Jab K Sahih Jawab Hazrat Zabarqan Bin Badr Hai. Ye Naam Bilkul Naya Hai.

Al Isabah

SAWAL # 721

Sulh E Hudaibiyah K Mauqah Par Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Kis Sahabi Ko Ek Dhaal Ata Farmayi Thi?
1. Hazrat Safwan Bin Muattal R.D.
2. Hazrat Ukkashah Bin Mihsan R.D.
3. Hazrat Salmah Bin Akwa R.D.
4. Hazrat Samurah Bin Jundub R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Salamah Bin Akwa R.D.

Usdul Gabah

SAWAL # 722

Konse Sahabi Rasulullah Sallallahu Alayhi Wasallam K Aage Aage Asaa ( Laathi – Stick ) Le Kar Chalte The ?
1. Hazrat Abdullah Ibne Masood R.D.
2. Hazrat Bilal Habshi R.D.
3. Hazrat Anas Bin Malik R.D.
4. Hazrat Zaid Bin Harisah R.D.

Sahih Jawab # 1. Hazrat Abdullah Ibne Masood R.D.

Usdul Gabah

SAWAL # 723

Rasulullah Sallallahu Alayhi Wasallam Apne Quba K Qayam K Dauran Kis Sahabi K Makan Par Waaz Kahne K Liye Tashrif Le Gae Tha ?
1. Hazrat As’ad Bin Zurarah R.D.
2. Hazrat Zakwan Bin Abde Qais R.D.
3. Hazrat Khubaib Bin Asaaf R.D.
4. Hazrat Sa’ad Bin Khaisamah R.D.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Sa’Ad Bin Khaisamah R.D.

Usdul Gabah

SAWAL # 724

Hijrat Ke Waqt Kis Sahabi Ne Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam K Hukm Se Logon Se Khitab Kiya Tha?
1. Hazrat Abu Bakr Siddiq R.D.
2. Hazrat Sabit Bin Qais R.D.
3. Hazrat Sa’ad Bin Ubadah R.D.
4. Hazrat Abu Aiyub Ansari R.D.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Sabit Bin Qais R.D.

Usdul Gabah

SAWAL # 725

Hajjatul Vida K Mauqah Par Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Untni Par Beth Kar Khutba Diya To Kis Sahabi Ne Kapda Taan Kar Aap Par Saaya Kiya Tha ?
1. Hazrat Abu Bakr Siddiq R.D.
2. Hazrat Bilal Habshi R.D.
3. Hazrat Abdullah Ibne Masood R.D.
4. In Me Se Koi Nahi.

Sahih Jawab # 4. In Me Se Koi Nahi.
Wo Sahabi Hazrat Usamah Bin Zaid R.D. Hai

Usdul Gabah

SAWAL # 726

Konse Sahabi Madinah Munawwarah Me Police K Faraeez Anjam Dete The?
1. Hazrat Sa’ad Bin Abi Waqqas R.D.
2. Hazrat Sa’ad Bin Muaaz R.D.
3. Hazrat Sa’ad Bin Ubadah R.D.
4. Hazrat Sa’ad Bin Rabee R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Sa’ad Bin Ubadah R.D.

Usdul Gabah

SAWAL # 727

Hazrat Umar R.D Ne Tarawih Ka Imam Kin 2 Sahabi Ko Muqarrar Kiya Tha?
1. Hazrat Ubai Bin Ka’ab R.D. & Hazrat Abdullah Ibne Masood R.D.
2. Hazrat Ubai Bin Ka’ab R.D. & Hazrat Muaaz Bin Jabal R.D.
3. Hazrat Ubai Bin Ka’ab R.D. & Hazrat Abu Musa Ashari R.D.
4. Hazrat Ubai Bin Ka’ab R.D. & Hazrat Tamim Daari R.D.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Ubai Bin Ka’ab R.D. & Hazrat Tamim Daari R.D.

Al Isabah

SAWAL # 728

Hazrat Ali R.D. Jab Nikah Se Pahle Apni Ziraa Bechne K Liye Nikle To Kis Sahabi Ne Kharidi Thi ?
1. Hazrat Abu Bakr Siddiq R.D.
2. Hazrat Abdul Rahman Bin Auf R.D.
3. Hazrat Sa’ad Bin Abi Waqqas R.D
4. Hazrat Usman Bin Affan R.D.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Usman Bin Affan R.D.

Al Durrul Mandood

SAWAL # 729

Sadis Ul Islam Kis Sahabi Ko Kaha Jata Hai.
1. Hazrat Khabbab Bin Aratt R.D.
2. Hazrat Usman Bin Affan R.D.
3. Hazrat Abu Zar Gifari R.D.
4. Hazrat Miqdad R.D.

Sahih Jawab # 1. Hazrat Khabbab Bin Aratt R.D.

Waise Sadis Ul Islam Ka Matlab Chhate No Par Islam Lane Wale. Ab Is Me Mukhtalif Aqwal Hai.
Ek Qaul Hazrat Usman Bin Affan R.D. Ka Hai Or Aam Taur Par Hazrat Abdullah Ibne Masood R.D. Ka Naam Likha Hai.

Siyar E Sahaba Me Sadis Ul Islam Ka Laqab Hazrat Khabbab Bin Aratt R.D. K Liye Istemal Kiya Gaya Hai.
Wallahu Aalam.

Siyar E Sahaba

SAWAL # 730

Wo Konse Nabi Haik Jab Apne Rab K Samne Ibadat K Liye Khade Hote To Un K Seene Se Aisi Awaz Aati Jo Haandi Me Se Aati Hai ?
Sahih Jawab :

3. Hazrat Nabi E Akram Sallallahu Alayhi Wasallam
2. Hazrat Ibrahim Alayhis Salam

Ihya Ul Uloom

SAWAL # 731

Gazwah E Uhad K Mauqah Par Kis Sahabi Ko Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Apne Qadmo Se Tek Laga Kar Bitha Diya Or Wo Isi Halat Me Shaheed Ho Gae ?
1. Hazrat Sa’ad Bin Rabee R.D.
2. Hazrat Ziyad Bin Sakan R.D.
3. Hazrat Amr Bin Jumuh R.D.
4. Hazrat Abdullah Bin Jahash R.D.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Ziyad Bin Sakan R.D.

Usdul Gabah

SAWAL # 732

Jab Ye Aayat Nazil Hui
اليوم اكملت لكم دينكم و اتممت عليكم نعمتى و رضيت لكم الإسلام دينا
To Yahud K Baaz Ulama Ne Ek Sahabi…………………………. Se Sawal Kiya K Tumhari Kitab Me Ek Aayat Hai Agar Wo Ham Par Nazil Hoti To Ham Us Deen Ko Eid Ka Deen Manaate.

1. Hazrat Abdullah Bin Salam R.D.
2. Hazrat Abu Bakr Siddiq R.D.
3. Hazrat Umar Ibne Khattab R.D.
4. Hazrat Abdullah Ibne Masood R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Umar Ibne Khattab R.D.

Fazail E Hajj

SAWAL # 733

Wo Konse Sahabi Hai Jab Islam Laae To Un K Valid Ko Deen E Islam Se Bahot Chid Thi. Ek Martaba Un K Valid Bimar Hue To Kaha Agar Me Bimari Se Achha Ho Gaya To Makkah Me Us Khuda Ki Ibadat Nahi Hone Dunga Jis Ka Muhammad ( Sallallahu Alayhi Wasallam) Hukm Karte Hai. To In Sahabi Ne Dua Ki Ya Allah Mere Baap Ko Bimari Se Uthne K Qabil Hi Na Bana. Bas Un Ka Baap Usi Bimari Me Mar Gaya.
1. Hazrat Ayash Bin Abi Rabeeah R.D.
2. Hazrat Khunais Bin Hizafah R.D.
3. Hazrat Amr Bin Abasah R.D.
4. Hazrat Khalid Bin Saeed Bin Aas R.D.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Khalid Bin Saeed Bin Aas R.D.

Seerat Ul Mustafa

SAWAL # 734

Ek Martaba Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ja Rahe The To Aap Ne Ek Shaksh Ko Dekha Jo Uqbah Bin Abi Mueet K Bakriya Chara Rahe The To Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Un Se Dudh Talab Kiya. Us Shaksh Ne Jawab Diya Me Amin Hoo To Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya K Koi Be Dudh Bakri Laao. Us Ne Pesh Ki To Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Us K Than Par Apna Hath Mubarak Rakha Or Dudh Nikala Or Sab Ko Pilaya Or Fir Farmaya K Be Dudh Wali Ho Ja To Wapas Waisi Hi Ho Gayi Ye Dekh Kar Wo Shaksh Imaan Le Aae.
Ab Batlaiye K Wo Shaksh Kon The ?

1. Hazrat Abdullah Ibne Masood R.D.
2. Hazrat Talha Bin Ubaidullah R.D.
3. Hazrat Usman Bin Mazoon R.D.
4. Hazrat Abdullah Bin Jahash R.D.

Sahih Jawab # 1. Hazrat Abdullah Ibne Masood R.D.

Seerat Ul Mustafa

SAWAL # 735

Aaysha To Bholi Or Kam Umr Ladki Hai. Aata Khula Rakh Kar So Jati Hai Or Bakri Ka Bachha Aa Kar Kha Jata Hai Or Use Khabar Bhi Nahi Hoti.
Ummul Muminin Hazrat Aaysha R.D K Tohmat K Waqeah Me Ye Jumle Kis Ne Kahe The ?

1. Hazrat Usamah Bin Zaid R.D.
2. Hazrat Ali Bin Abi Talib R.D.
3. Hazrat Barirah R.D.
4. Hazrat Zainab Binte Jahash R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Barirah R.D

Seerat Ul Mustafa

SAWAL # 736

Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Hazrat Zaid Bin Harisah R.D. Ko Beta Banaya Or Log Unhe Zaid Bin Muhammad Se Pukarne Lage To Is Par Quran Ne Aayat Nazil Farmayi K Aise Bachho Ko Un K Haqiqi Bap Se Hi Pukaro.
Ab Batlaiye K Ye Aayat Or Hukm Kis Soorah Me Hai?

1. Soorah E Ahzab
2. Soorah E Noor
3. Soorah E Baqarah
4. Soorah E An’aam

Sahih Jawab # 1. Soorah E Ahzab

Maarif Ul Hadis

SAWAL # 737

Sakhawat Or Fayyazi To In K Gharaane Ka Khassa Hai.
Ye Jumle Aaqa Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Kis Sahabi Ki Shan Me Farmae The ?

1. Hazrat Usman Bin Affan R.D.
2. Hazrat Qais Bin Sa’ad Bin Ubadah R.D.
3. Hazrat Abdul Rahman Bin Auf R.D.
4. Hazrat Anas Bin Malik R.D.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Qais Bin Sa’ad Bin Ubadah R.D.

Al Isabah

SAWAL # 738

Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Ek Muhajir Ko Ek Ansari Ka Bhai Banaya Tha.
Ab Batlaiye K Niche Diye Hue Options Me Se Konsa Sahih Hai ?

1. Hazrat Ammar Bin Yasir R.D & Hazrat Ubadah Bin Samit R.D.
2. Hazrat Bilal Habshi R.D. & Hazrat Huzifah Bin Yaman R.D.
3. Hazrat Zaid Bin Harisah R.D. & Hazrat Usaid Bin Huzair R.D.
4. Hazrat Salman Farsi R.D. & Hazrat Abu Aiyub Ansari R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Zaid Bin Harisah R.D. & Hazrat Usaid Bin Huzair R.D.

In K Alawah Baqi Tamam Options Galat Hai.

Siyar E Sahaba

SAWAL # 739

Ek Sahabi Huzur E Aqdas Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Khidmat Me Makkah Mukarramah Me Aae Or Ek Mahina Tak Un Ka Khana Zamzam K Siva Kuch Nahi Tha. Wo Kahte Hai K Zamzam Pi Pi Kar Mota Tazah Ho Gaya Tha.
Wo Sahabi Kon The ?

1. Hazrat Suhaib Roomi R.D.
2. Hazrat Abu Musa Ashari R.D.
3. Hazrat Abu Zar Gifari R.D.
4. Hazrat Bilal Habshi R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Abu Zar Gifari R.D

Musannaf Ibne Abi Shaibah

SAWAL # 740

Qaisar E Room Ne Hazrat Amir Muaviyah R.D. K Pass 2 Aadmi Bheje The Jin Me Ek Bahot Lamba Or Dusra Bada Pahelwan Tha. Hazrat Amir Muaviyah R.D. Ne
A. Lambe K Muqablah Me Ek Sahabi Ko Pesh Kiya Jin Ki Izar Jab Qaisar K Pesh Kiye Hue Lambe Ko Pahnayai To Us K Gale Me Pahonchi. To Ye Sahabi Kon The?

B. Pahelwan K Muqablah Me Ek Shaksh Ko Pesh Kiya Unho Ne Qaisar K Pesh Kiye Hue Pahlewan Se Kaha Mujhe Hila Kar Bata To Wo Pahlewan In Ko Hila Bhi Na Saka. Fir Kaha Us Se Achha Beth. Wo Betha To Inho Ne Use Ungli Par Uchak Liya. To Ye Kon Shaksh The ?

Sahih Jawab

A. Hazrat Qais Bin Sa’ad Bin Ubadah R.D.
B. Hazrat Muhammad Bin Hanfiyah R.D. ( Ibne Ali Bin Abi Talib R.D.)

Hadis K Islahi Mazamin / 7

SAWAL # 741

Hazrat Zaid Bin Harisah R.D. Ko Bachpan Me Kharid Kar Hazrat Khadija R.D. K Supurd Karne Wale Sahabi Kon The?
1. Hazrat Hakim Bin Hizam R.D.
2. Hazrat Zubair Bin Awwam R.D.
3. Hazrat Abbas Bin Abdul Muttalib R.D.
4. Hazrat Hamza Bin Abdul Muttalib R.D.

Sahih Jawab # 1. Hazrat Hakim Bin Hizam R.D.

Maarif Ul Hadis

SAWAL # 742

Jab Huzur E Aqdas Sallallahu Alayhi Wasallam Ko Qabar Mubarak Me Rakh Diya Gaya Us Waqt Ek Sahabi Becheni Or Pareshani Me Hath Mal Rahe The K Achanak Ungli Se Un Ki Anguthi Nikal Kar Qabar Mubarak Me Gir Gayi. Hazrat Ali R.D Ne Farmaya K Utar Kar Nikal Lo. Wo Utre Or Nikali Or Aaqa K Qadam Mubarak Ko Hath Lagaya Or Logo Ne Mitti Dalna Shuru Kiya. Thodi Mitti Dali Chuki Ki Thi K Wo Bahar Nikle.
Wo Sahabi Kon The?

1. Hazrat Khuzaimah Bin Sabit R.D.
2. Hazrat Samurah Bin Jundub R.D.
3. Hazrat Mugirah Bin Sho’Bah R.D.
4. Hazrat Huzaifah Bin Yaman R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Mugirah Bin Sho’Bah R.D.

Usdul Gabah

SAWAL # 743

Kis Sahabi Ne Huzur E Aqdas Sallallahu Alayhi Wasallam Se Ahaadis Likhne Ki Ijazat Chahi To Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya K Likho. Khuda Ki Qasam Is Munh Se Haq K Siva Kuch Nahi Nikalta.
1. Hazrat Anas Bin Malik R.D.
2. Hazrat Abu Hurairah R.D.
3. Hazrat Jabir Bin Abdullah R.D.
4. Hazrat Abdullah Bin Amr Bin Aas R.D.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Abdullah Ibne Amr Bin Aas R.D.

Al Isabah

SAWAL # 744

Kis Sahabi Ne Huzur E Akram Sallallahu Alayhi Wasallam Ko Noor E Nazar Ibrahim Bin Muhammad ( Sallallahu Alayhi Wasallam ) Ki Viladat Ki Basharat Sunayi Thi?
1. Hazrat Abdullah Ibne Masood R.D.
2. Hazrat Abu Raafe R.D.
3. Hazrat Anas Bin Malik R.D.
4. Hazrat Abu Hurairah R.D.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Abu Raafe R.D.

Siyar E Sahaba

SAWAL # 745

Hazrat Usamah Bin Zaid R.D. Hazrat Ayman R.D. K Rishte Me Kya Hote Hai ?
1. Baap Sharik Bhai
2. Farzand
3. Ma Sharik Bhai
4. Kuch Rishta Nahi.

Sahih Jawab # 3. Ma Sharik Bhai

Usdul Gabah

SAWAL # 746

Kis Sahabi Ne Apne Inteqal Se Pehle Apni Awlad Se Farnaya K Mujhe Is Bat Ka Gam Hai K Mene Paidal Chal Kar Hajj Nahi Kiya.
1. Hazrat Abduulah Ibne Umar R.D.
2. Hazrat Abdullah Ibne Abbas R.D.
3. Hazrat Abdullah Ibne Masood R.D.
4. Hazrat Abdullah Ibne Zubair R.D.

Sahih Jawab # Hazrat Abdullah Ibne Abbas R.D.

Fazail E Hajj

SAWAL # 747

Wo Konse Nabi Hai Jab Unho Ne Hajj Kiya Or Safa Marwah K Darmiyan Saee Karte Hue Labbaik Kahi To Haq Ta’ala Ne Farmaya Labbaik Mere Bande. ( Me Hazir Hoo )
1. Hazrat Ibrahim Alayhis Salam
2. Hazrat Ismail Alayhis Salam
3. Hazrat Moosa Alayhis Salam
4. Hazrat Nabi E Akram Sallallahu Alayhi Wasallam

Sahih Jawab # 3 Hazrat Moosa Alayhis Salam

Fazail E Hajj

SAWAL # 748

Gazeah E Uhad K Mauqah Par Aaqa Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Hazrat Sa’ad Bin Rabee R.D. Ki Khabar Lane K Liye Kis Sahabi Ko Bheja Tha ?
1. Hazrat Zaid Bin Sabit R.D.
2. Hazrat Muhammad Bin Maslamah R.D.
3. Hazrat Ubai Bin Ka’ab R.D.
4. Hazrat Abdul Rahman Bin Auf R.D.

Sahih Jawab #
1. Hazrat Zaid Bin Sabit R.D
2. Hazrat Muhammad Bin Maslamah R.D
3. Hazrat Ubai Bin Ka’ab R.D.

Tino Qaul Hai. Mumkin Hai Alag Alag Waqt Me Har Ek Ko Bheja Ho.

Seerat Ul Mustafa

SAWAL # 749

Konse Sahabi Ki Tabiat Me Mizah ( Hansi Mazak ) Zayadah Tha. Sahaba Ne Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam Se Shikayat Ki To Aap Ne Farmaya K Is Ko Chhod Do Ye Mera Khas Aadmi Hai. Ye Tabiat Se Majboor Hai Allah Or Rasul Is Se Muhabbat Karte Hai.
1. Hazrat Huzaifah Bin Yaman R.D.
2. Hazrat Baraa Bin Aazib R.D.
3. Hazrat Salmah Bin Akwaa R.D.
4. Hazrat Abdullah Bin Hizafah R.D.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Abdullah Bin Hizafah R.D.

Usdul Gabah

SAWAL # 750

Wo Konse Sahabi Hai Jo Apni Phuphi K Sath Bag Me Kjajoore Utrwa Rahe The Or Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Aamad Ki Khabar Suni To Khushi Me Narah E Takbir Buland Kiya ?
Sahih Jawab : Hazrat Abdullah Ibne Salaam R.D.

Seerat Ul Mustafa

SAWAL # 751

Gazwah E Badr Me Kis Sahabi Ko Bahtarin Raay Dene Par Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Unhe Sahib Ur Raay Farmaya Tha ?
1. Hazrat Sa’ad Bin Muaaz R.D.
2. Hazrat Miqdad Bin Aswad R.D.
3. Hazrat Habbab Bin Munzir R.D.
4. In Me Se Koi Nahi.

Agar Jawab Me Option No 4 Ho To Un Ka Naam Bhi Bataae

Sahih Jawab # 3. Hazrat Habbab Bin Munzir R.D.

Usdul Gabah

SAWAL # 752

Wo Konsi Sahabiyah Hai Jin K Makan Par Huzur E Akram Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Aaram Farmaya Aap Muskura Kar Uthe To Unho Ne Wajah Puchhi. Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya K Mene Khawab Dekha K Meri Ummat K Kuch Log Samandar Me Jang K Iradah Se Sawar Hai. Un Khatoon Ne Darkhwast Ki Mere Liye Dua Kijiye K Me Un Me Se Ho Jau. Aap Ne Dua Ki Fir Aaram Farmaya Dobarah Muskura Kar Uthe To Wajah Puchhi. Un Khatoon Ne Fir Dua Ki Darkhawast Ki To Aap Ne Farmaya K Tum Pahli Jamat Me Ho.
1. Hazrat Umme Haani R.D.
2. Hazrat Umme Sulaim R.D.
3. Hazrat Umme Atiyyah R.D.
4. Hazrat Umme Haram Bint Milhaan R.D.

Sahih Jawab # 4. Hazrat Umme Haram Bint Milhan R.D.

Abu Dawood

SAWAL # 753

Wo Konsi Sahabiyah Hai Jin Ko Zewar Ka Bada Shauq Tha. Ek Martaba Rasulullah Sallallahu Alayhi Wasallam Se Kaha Agar Taeef Fatah Ho To Mujhe Falaan Aurat Ka Zewar Dijiye Ga. To Aap Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Farmaya K Agar Khuda Ijazat Na De To Me Kya Kar Sakta Hoo.
1. Hazrat Umme Sulaim R.D.
2. Hazrat Khawlah Binte Hakim R.D.
3. Hazrat Khansa R.D.
4. Hazrat Hamna Binte Jahash R.D.

Sahih Jawab # 2. Hazrat Khawlah Bint Hakim R.D.

Al Isabah

SAWAL # 754

Wo Konsi Sahabiyah Hai K Huzur E Akram Sallallahu Alayhi Wasallam K Inteqal Ka Unhe Itna Sadma Huwa K Farmaya Tha K Ab Aasman Se Wahi Ka Silsila Band Ho Gaya.
1. Hazrat Umme Sulaim R.D.
2. Hazrat Umme Haani R.D.
3. Hazrat Umme Aiman R.D.
4. Hazrat Umme Atiyyah R.D.

Sahih Jawab # 3. Hazrat Umme Aiman R.D.

Siyar E Sahabiyaat

No comments:

Post a Comment