🍁🍁🍁
.
❈ *बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम* ❈
╭•∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽•╮
*BIVI KI TEEN BUNIYADI*
*ZAROORATEN*
╰•∽––∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽•╮
*PART-01*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ Shoharo ko ye baat Acchi tarah Zehan nasheen kar Leni chahiye ke duniya ki har Aurat ko apni Azdawaji zindagi me 3 cheezo ki bunyadi zaroorat hoti hai goya wo 3 cheezo ki taLabgar hoti hai*
*❶ TAHAFFUZ [ PROTECTION ]*
*⚃➠ Biwi apne ghar baar ko chor kar shohar ke pass Aayi hai use hifazat chahiye Apni jaan ki, apni izzat ki, apne imaan ki Hifazat ke bare do cheezein zaroori hain*
*⚃➠ ① shohar us ko aisi jagah Rakhe jaha wo apne bachcho ke sath hifazat se Reh sake, Agar asi jagah rakha hai jahan hifazat nahi to wo ghar Aabad nahi ho sakta*
*⚃➠ ② shohar ko chahiye ke biwi ko tamam khoobiyo'n or khamiyo'n ke sath Apna le, biwi ko ye tasaLLi de ke tum meri khatir yaha Aayi ho, ab tumhare nafa nuqsan ka zimmedar me hu, ye nahi ke agar Acchi baat ho to thik warna ukhar kar phenk diyaa shohar ko chahiye ke Biwi ko aisi muhabbat de ke wo ye samajh le mera shohar meri Acchayi ko bhi qabool karega or Agar kotahi ho gayi to use bhi qabool kar lega or meri isLah karega mujhe ukhad kar phenk nahi dega Shohar ko jab biwi yun mehsoos karne lage ke ye mera sahara hai or meri zindagi ka saya hai, Allah RabbuL izzat ne mujhe ek aasman ki chhat di or ek shohar ki chhat di, ab mujhe fikar ki zaroorat nahi ke mera Aainda kya hoga to biwi ke dimag se anjana khof ( fear of unkhown ) nikal jata hai or wo pur sukun ho jati hai*
*PART-02*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ ❷ TAWAJJUH [ATTENTION]*
*⚃➠ Biwi ki dusri Aham or bunyadi zaroorat ye hoti hai ke use miya ki tawajjoh chahiye, yani shohar biwi ko waqt de, us ke sath waqt guzare, us ki zaroorat mehsoos kare, us ka haal pooche, ye na ho ke shohar apne karobar me aisa masroof ho ke biwi bimar hai to kayi kayi din tak khairyat poochne ki fursat na miLe, jab biwi ko ye mahsoos hoga ke shohar meri taraf tawajjoh nahi karta to wo ghar kabhi Aabaad na hoga*
*PART-03*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ ❸ HONSLA AFZAAYI [APPRECITATION]*
*⚃➠ Bivi chahti hai ke jab me shohar ke kehne ke mutabiq har kam karti hu to mere Acche kam par mujhe shabashi miLni chahiye, tareef honi chahiye, meri qadar honi chahiye, jab shohar biwi ki is baat ki parwah na kare or Anjaan ban jaaye to bivi ko sukoon kaha se milega ? Shohar khana kha to Leta hai Lekin khane ki or biwi ki tareef nahi karta ya kam se kam aise kaLimaat bhi nahi Kehta jis se bivi ko tasaLLi ho to bivi ka diL toot jata hai Har insaan chahta hai ke us ke Acche kam ko Accha kaha jaaye, agar koi Accha na kahe to diL toot jata hai, is liye ke ye ek fitri taqaza hai Shohar ko chahiye ke biwi ki in teeno bunyadi zarooraton ko pura kar ne me pichhe na Rahe zaroor pura kare. Magar deen ka iLm na hone ki wajah se shohar ki taraf se kotahiyaan hoti hain*
*╟❥ ALHAMDULLAH MUKAMMAL*
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
💕 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*💕
︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶
Ĺ
⌈﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂⌉
▏ ✍🏻 *RAAH-E-HAQQ* ▏.
http://apkemasailorunkahal.blogspot.com/?m=1
*https://www.facebook.com/babar.khansr.1
👆🏻👆🏻 *Visit for all Msgs*
⌊﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁⌋
🍁🍁🍁
No comments:
Post a Comment