Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Monday, September 25, 2017

Tohfa e Khawateen fazaiL e quraan v zikruLLah


🍃🌸🍃

✰══❖═══✰══❖═══
                       ﺑِﺴْــــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ  
═══❖══✰═══❖══✰

       🥀 *TOHFA-E-KHAWATEEN* 🥀

    *⊙ Faza'il e Qur'an v Zikrullaah*⊙
     ┗═════════════════✿

*┱✿ Qur'an Padhna aur Padhana _,*

┱ Hazrat Usman Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Tumme se sabse behtar WO hai Jo Qur'an Seekhe aur Sikhaye _,"

*📁 Mishkaat- 1/183 Ba hawala Bukhari,*

┱ Hazrat Abdullah bin Abbaas Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k meri Ummat ke Shareef log WO hai'n Jo Qur'an ke haamileen hai'n aur Raat ko bedaar rehne wale hai'n _,"

*📁 Mishkaat- 1/110 Bahyqi v Shobul imaan _,*

*┱ Tashreeh_,* _ in dono hadeeso mai Qur'an e Kareem ke padhne padhane aur uski taleem v tarveej mai lagne ki Fazilat bayan farmayi hai, Duniya mai karodo Aadmi baste hai'n Chhota bada aur achcha bura aur Shareef v gair Shareef hone ke bahut se maiyaar hai'n, is bare mai logo ki mukhtalif raay hai ,

┱ Koi Daulatmand Aadmi ko bada samajhta hai koi Sadar aur Wazeer ko Shareef jaanta hai ,Koi achchhe bangle mai rehne wale ko achcha jaanta hai, Koi badi Firm aur Motor Car vagera ke Maalik hone ko badaai ka maiyaar yaqeen karta hai , Khuda Ta'ala ke sachche Rasool Sallallahu Alaihivasallam ne in saare khayalaato ko galat qaraar diya aur Sharafat ka maiyaar Qur'an Majeed mai Mashgool hona bataya aur Jo iski taleem mai lage Uske bare mai farmaya k WO sabse behtar Aadmi hai ,
   ┗═════════════════✿

*┱✿ Qur'an Padhne Ka Ajro Sawab ,*

┱ Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Rasoole Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Jo Shakhs Allah Ta'ala ki kitaab Se ek Harf padhe to Uske liye us Harf ke badle ek neki milegi aur har neki Das nekiyo'n ( ki ) barabar ( likhi jati ) hai , 

┱( Fir Farmaya ) mai'n nahi kehta k الم ek harf hai balki mai'n kehta hu'n k Alif ek harf hai aur Laam ek hai aur Meem ek harf hai ,

*📁 Tirmizi Sharif,*

"__ Agar Kisi ne Lafz الْحَمْدُ Kaha to Uske kehne se Pachaas nekiya'n mil jayegi kyunki isme Paanch harf hai ,

┱ Qur'an e Kareem ki Tilawat aur Allah ka zikr Zubaan per jaari rakhne sw bahut munafe haasil hote hai'n, Ek martaba Sarware Aalam Sallallahu Alaihivasallam ne Hazrat Abuzar Raziyallahu Anhu ko Chand Wasiyate farmayi Jinme se ek ye hai k Tum Tilawate Qur'an aur Zikrullaah ko Apne ouper laazim kar lo Kyunki isse Asmaan mai tumhara tazkira hoga aur zameen mai tumhare liye Noor hoga _,"

*📁Mishkaat- 2/415_,*
              
    ┗═════════════════✿

*┱✿ Qur'an E Majeed Allah Ki Kitaab,*

┱ Qur'an E Majeed Allah Ta'ala ki kitaab hai , isme Ahkaam hai'n , Ma'aruf v Haqa'iq hai'n, Akhlaaq v Adaab hai'n, isne Duniya v Aakhirat ki kaamyabi ke A'amaal bataye hai'n , Ye inqlaabe Aalam ke asbaab aur Aqwaam ke zero zabar hone ki taraf rehbari karta hai,  

┱ Qur'an E Kareem Ki barkate be inteha hai , Khuda e Paak ki rehmato ka sarchashma hai Ni'amato v Daulat ka khazana hai , iski talimaat per Amal karna Duniya v Aakhirat ki Sar bulandi aur sarfarazi ka zariya hai , iske alfaz bhi bahut Mubarak hai'n ,

┱ Ye Sabse bade Badshah ka Kalaam hai ,Khaaliq v Maalik ka payaam hai Jo usne Apne Bando aur Bandiyo'n ke liye bheja hai, iske alfaz bahut ba barkat hai , iski Tilawat karne wala Aakhirat ke be inteha Ajro Samraat ka mustahiq hota hi hai ,Duniyavi Zindgi mai bhi Rehmat v Barkat aur izzat v Nusrat isse humkinaar hoti hai aur Ye Sukoone Qalb aur khushaali ki Zindgi guzaarta hai ,
              
┱ Kalamullah ki Ajeeb Shaan hai iske Padhne se kabhi seeri nahi hoti aur barso padhte raho kabhi purana maloom nahi hota , Yani Tilawat karne wale ki tabiyat ka lagaav is buniyaad per khatm nahi hota k baar baar ek hi cheez ko padh raha hai balki Baat ye hai k jitni baar padhte hai'n nayi cheez maloom hoti hai, 
┗═════════════════✿

*┱✿ Aakhri Manzil Per _,*

┱ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Qayamat Ke Roz Qur'an wale se Kaha jayega k Padhta ja aur ( Jannat Ke darjaat mai ) chadta ja Kyunki Teri Manzil us Aayat ke Paas hai Jisko Tu sabse Aakhir mai Padhe ,

*📁 Mishkaat- ,*

"__( Yani Chadte chadte jaha'n Teri Qir'aat khatm hogi Wahi Teri Manzil hai ,Lihaza Jisko jitna Qur'an Sharif Yaad hoga utna hi usko buland darja milega )

*┱✿ Veeraan Ghar _,*

┱ Hazrat Abdullah bin Abbaas Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Jis Shakhs ke Dil mai Qur'an ka Kuchh hissa ( bhi ) nahi WO Veeraan Ghar ki tarah se hai _,

*📁 Tirmizi _,*

"__ Maloom hua k Dil ek imaarat hai Jiski Aabaadi Qur'an Sharif se hai ,
              
*┱✿ Qabile Rashk _,*

┱ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Rashk sirf Do Aadmiyo per hai ,Ek WO Jisko khuda ne Qur'an diya So Woh isme Raat Din laga rehta hai , Namazo mai padhta hai Tilawat karta hai Us per Amal karta hai , Doosre Woh Jisko khuda ne maal diya so woh usme se Raat Din Raza e ilaahi mai kharch karta rehta hai ,

*📁 Bukhari _,*
     ┗═════════════════✿

*┱✿ Aurto'n ko Surah Baqrah Ki Aakhri Do Aayate yaad Karne ka Hukm _,*

┱ Hazrat Jubair bin Nufair Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Allah Ta'ala ne esi Do Aayato per Surah Baqrah khatm farmayi hai Jo Allah ne mujhe Apne khazane se di hai Jo Uske arsh ke niche hai , Lihaza Tum in Aayato ko seekho aur Apni Aurto'n ko sikhlao ( taki WO bhi Tilawat kare aur inke seekhne sikhane ki zarurat isliye hai ) k ye ( zariya e ) Rahmat hai'n aur ( Allah ki ) nazdeeki haasil hone ka sabab hai aur sarapa Dua hai _,"

*📁 Mishkaat- 189 Ba hawala Daarmi ,*

┱ In Aayato ko yaad kare aur baar baar padhe aur khususiyat ke saath sote waqt zaroor padha kare ,  Mard ho ya Aurat ho Aakhirat ki daud dhoop mai Sab yaksa hai'n ,Jo jitna karega ajr payega ,  
                   ┗═════════════════✿

*┱✿ Surah Baqrah aur A'ale imraan Ki Fazilat _,*

┱ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se  rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Apne gharo ko qabre na banao ,

( Yani gharo mai zikr v Tilawat ka ahatmam rakho aur zikr v Tilawat se khaali rakh kar gharo ko qabristan na banao k Jese waha'n zikr v Tilawat ki fiza nahi hai ESE hi ghar bhi isse khaali ho jaye aur zinda log murdo ke mushabe ban jaye ) 

"___Fir farmaya k Beshak Shaitaan us ghar se bhaagta hai Jisme Surah Baqrah padhi jati hai ,

*📁 Muslim Sharif _,*

┱ Hazrat Abu Umaama Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Qur'an Padha karo , Kyunki WO Qayamat ke Din Apne logo ke liye ( Jo ise padhte padhate hai'n aur iski Tilawat ka zoq rakhte hai'n ) Sifarishi ban kar aayega ,

"__ Fir farmaya k Roshan Soorte'n padho ( yani ) Surah Baqrah aur A'ale imraan kyunki ye dono Qayamat ke din do Sa'abaano ki tarah aayengi aur ( Apne logo ko bakhshwane aur darje buland karane ke liye khuda e Paak ke Huzoor mai ) Khoob zordaar sifarish karegi ,

"__ Fir farmaya k Surah Baqrah ko padho kyunki iska haasil kar Lena baa'ise barkat hai aur iska chhod dena baa'ise hasrat hai aur ye baatil walo ke bas ki nahi ,

*📁 Muslim Sharif _,*
                   ┗═════════════════✿

*┱✿ Aayat-ul-Kursi Ki Fazilat _,*

┱ Aayat-ul-Kursi bhi Surah Baqrah Ki ek Aayat hai Jo Teesre Paare ke Pehle Safa per hai , iske padhne ki bahut Fazilat aayi hai ,

┱ Ek Hadees mai hai k Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne Hazrat Ubai bin Ka'ab Raziyallahu Anhu se daryaft farmaya k Batao Allah ki kitaab mai Konsi Aayat sabse Zyada badi hai ?,

Hazrat Ubai bin Ka'ab Raziyallahu Anhu ne arz kiya Allah aur Rasool hi Zyada jaante hai'n ,

Aap Sallallahu Alaihivasallam ne fir yahi sawal kiya to unhone arz kiya k Sabse badi Aayat Aayat ye hai -

اللَّهُ لَا إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ الْحَيُّ الْقَيُّومُ  ...( Aakhir tak )

Ye Sun kar unki tasdeeq farmate hue Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne unke seene per haath maar farmaya - Tumko ilm Mubarak ho  ,"

*📁 Muslim Sharif _,*

┱ Baaz Ahadees mai Aayatul Kursi ko tamaam Aayate Quraniya ki sardaar farmaya , *( Hisne Haseen )*

┱ Ek Hadees mai hai k Jab Tum Raat ko Sone ke liye Apne Bistar per Jao to  Aayatul kursi

اللَّهُ لَا إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ الْحَيُّ الْقَيُّومُ  Aakhir tak 
Padh lo , Agar esa kar loge to Allah Ta'ala ki taraf se tumhare liye ouper ek nigraa'n muqarrar ho jayega ,aur tumhare qareeb Shaitaan na aayega ,

*📁Bukhari Sharif _,*
                   ┗═════════════════✿

*┱✿ Farz Namaz Ke baad Aayat-ul -Kursi _,*

┱ Farz Namaz ke baad bhi Aayatul Kursi padhni chahiye , Hazrat Ali Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Maine Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam se suna hai k Jo Shakhs har ( Farz ) Namaz ke baad Aayatul Kursi Padh le usko Jannat mai Jane ke liye Maut hi aad bani hui hai

Aur Jo Shakhs is Aayat ko Apne Bistar per let te waqt Padh le to Allah Ta'ala Uske ghar mai aur Padosi ke ghar mai aur Aas Paas ke gharo mai Aman rakhega _,"

*📁 Bayhiqi Fi Shobul Imaan _,*

┱ Shaitaan Ke Asar ,Aaseb ,Bhoot Pret se bachne ke liye Aayatul Kursi ka Padhna mujarrab hai ,
     ┗═════════════════✿

*┱✿ Surah Baqrah ki Aakhri Do Aayaat Raat Ko Padhna _,*

┱ Hazrat Abu Moosa Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Jisne Surah Baqrah ki Aakhri Do Aayaat Raat ko padh le to ye Aayaat Uske liye kaafi hongi ,( Yani Raat bhar ye Shakhs Jinno Bashar ki Shararato se mehfooz rahega , har nagawaar Cheez se uski hifazat hogi )_,"

*📁 Bukhari v Muslim _,*

┱ Hazrat Nomaan bin Basheer Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Allah Ta'ala ne Do Aayate naazil farmayi hai'n Jin per Surah Baqrah khatm ki hai Jis ghar mai teen Raat padhi jayegi to Shaitaan us ghar ke qareeb na aayega _,"

*📁Tirmizi v Daarmi _,*

┱ Ek Hadees mai hai k Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Surah Baqrah ke khatm per Jo Aayate hai'n Allah Ta'ala ne Apni Rahmat ke khazano se di hai Jo arsh ke niche hai'n ,( in me Jo Duae'n hai'n esi zabardast hai k ) unhone duniya v Aakhirat ki koi bhalaai nahi chhodi Jiska Sawal in me na kiya ho _,"

*📁 Mishkaat Sharif _,*
                   ┗═════════════════✿

*┱✿ Surah Baqrah Ki Aakhri Do Aayato Ki Fazilat _,*

┱ Surah Baqrah ki Aakhri do Aayate ke padhne ki bhi bahut Fazilat hai , Aakhri Aayat mai Duae'n hai'n Jo bahut zarurat ki Duae'n hai'n aur in Duao'n ki qubuliyat ka vaada bhi hai ,

┱ Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne ek Din farmaya k is waqt Aasmano ka ek darwaza khola gaya hai Jo isse Pehle kabhi nahi khola gaya tha ,is darwaze se ek Farishta naazil hua hai Jo Aaj se Pehle Zameen ki taraf kabhi naazil nahi hua ,is farishte ne Aap Sallallahu Alaihivasallam ko Salaam kiya aur Kaha - Aap Sallallahu Alaihivasallam khush khabri qubool farmaye esi do cheezo ki Jo saraapa Noor hai ,Aap Sallallahu Alaihivasallam se pehle kisi Nabi ko nahi di gayi ,

1-- Faatihatul Kitaab ( Yani Surah Alhamdo Sharif )

2- Surah Baqrah ki Aakhri Aayaat ( in dono mai Duae'n hai'n) Allah ka ye Vaada hai k in me se Dua ka Jo bhi hissa Aap Sallallahu padhenge Uske mutabiq Allah Ta'ala Aapko zaroor ataa farmayenge _,"

*📁 Muslim Sharif _,*              
     ┗═════════════════✿

*┱✿ Har Raat Ko Surah Waqi'a Padhne se Kabhi Faaqa na Hoga  ,""*

┱ Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya K ,

"__ Jo Shakhs rozana Raat ko Surah Waqi'a Padh liya kare use kabhi Faaqa na hoga ,

( Hadees Ke Raavi Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu ke saagird ka bayan hai k ) Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Apni ladkiyo'n ko Hukm de kar rozana Raat ko surah Waqi'a padhwaya karte they_,"

*📁Mishkaat -189 Ba hawala Ravaah Bayhiqi, Shobul Imaan,*

┱ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k tum Apni Aurto'n ko Surah Waqi'a Sikhao Kyunki WOh Gina( yani Maaldari dilane wali ) Soorat hai _,"

*📁Kanzul Ummaal -145_,*
     ┗═════════════════✿

*┱✿ Surah Waqi'a Padha Karo _,"*

┱ Hafiz ibne Kaseer Reh.ne Apni tafseer mai ibne Asaakar Reh.ke hawale se likha hai k Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu ke marze wafaat mai Hazrat Usman bin Affaan Raziyallahu Anhu unki bimaar pursi ke liye  tashreef le gaye aur daryaft farmaya :- Aapko kya takleef hai ?
Hazrat Abdullah Raziyallahu Anhu ne jawab diya :- Apne gunaaho ke wabaal ki takleef hai ,
Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne farmaya:- Aapki Khwahish kya hai ?
Hazrat Abdullah Raziyallahu Anhu ne farmaya :- Apne Parwardigaar ki Rahmat chahta hu'n ,

"__ Aapke liye koi tabeeb bhej du'n ? " Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne puchha ,
Tabeeb hi ne mujhe Bimaar kiya hai ,Hazrat Abdullah Raziyallahu Anhu ne jawab diya ,
To fir Akhrajaat ke liye Kuchh raqam bhijwa du'n ?, Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne farmaya,
Nahi ,iski mujhe zarurat nahi , Hazrat Abdullah Raziyallahu Anhu ne jawab diya ,
"_Ye Raqam Aapke baad Aapki Sahebzadiyo'n ke kaam aa jayegi ," Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne farmaya ,

"__ Kya Aapko meri Betiyo'n per Faqro Faaqa ka andesha hai ? Maine to unhe har Raat Surah Waqi'a ki Tilawat ki takeed kar rakhi hai Kyunki Maine Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ko ye farmate hue suna hai k Jo Shakhs har Raat surah Waqi'a Padhe use kabhi Faaqa ki musibat nahi aayegi _,"

*📁 Tafseer ibne Kaseer - 4/281_,*

┱ Aaj kal Paisa Kanane aur Maaldar banne ke liye bahut Kuchh koshish karte hai'n Lekin Allah ke Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke bataye hue nuskhe per Amal karne ka iraada nahi karte , Aaj kal hum ESE Daur se guzar rahe Hai'n k Mardo'n Aurto'n ko chhod kar chhoto ko bado ko ,Bachcho ko Budho ko Qur'an Majeed ki Tilawat karne aur Allah ka zikr karne ki fursat hi milti ,Tilawat e Kalamullah ke liye logo ki tabiyat hi amaada nahi , Mohalle ke Mohalle gaflat mai pade hue hai'n ,ikka dukka kisi ghar mai koi namazi hai , is afsosnaak mahol ki vajah se Allah ki Rehmato aur Barkato se mehroom hai'n , 

┱ Har Musalman ke liye Zaroori hai k Qur'an Padhe aur Apne Bachcho ko padhaye ,iski barkate zaahir se zaahir v baatin durust ho aur Duniya v Aakhirat ki khair naseeb ho ,
 *                     
                  ╨───────────────────── 
                   

No comments:

Post a Comment