Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Thursday, September 21, 2017

WALIDEIN KE HUQOOQ AWLAAD KE ZIMME

🍁🍁🍁
.                                   
        
         ❈ *बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम* ❈

╭•∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽•╮
            *WALIDEIN  KE HUQOOQ*
              *AWLAAD KE ZIMME*     
╰•∽––∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽•╮
        
                       *PART-01*
            ┅┅━━═۞═━━┅

*⚃➠ Hazrat Maulana Abrarul haqq sab hardoyi Rm ke ifadaat me hai ke awlaad ke zimme walidain ke 14 huqooq hein.  7 huqooq zindagi ke hein or 7 maut ke baad ke*

          *ZINDAGI KE 7 HUQUQ*

*❶ Un ka adab or Ahteram karna*

*❷ Un se Ulfat or diLi muhabbat rakhna*

*❸ Un ki farma bardari karna*

*❹ Un ke kaam kaj kar dena*

*❺ Un ko har tarah se Aaram pohchana or poori koshish karna ke kisi bhi qism ki takleef na ho*

*❻ Un ki zaroorato ko pura karna*

*❼ baar baar un se mulaqaat karna*

       *MAUT KE BAD KE 7 HUQUQ*

*❶  Un ke liye magfiraat ki dua karte rehna*

*❷ TiLaawat, zikro azkaar, nafLi sadqaat or digar nek kamo ka sawab bakhashna*

*❸  Walidain ke doston or rishtedaron ka walidain ki maut ke bad wesa hi adab v Ahteraam karna jesa walidain ki zindagi me karte the*

*❹ Walidain ke rishtedaro or dosto ki madad karna*

*❺  Walidain ne apni zindagi me kisi se qarz {udhar} le rakha ho or marne se pehle adaa na kiya ho to use adaa karna. Miras taqsim karne se pehle wariso par zaroori hai ke mayyit ke qarz ko adaa kare chahe pura maal istemaal ho jaaye*

*✾ Isi tarah agar walidain me se kisi ke pass kisi aadmi ne koi cheez amanat rakhi ho to use bhi wapas kar dein.  Isi tarah agar walidain me se kisi ne kisi aadmi se koi cheez mang kar li ho istemal kar ne ke liye to use bhi wapas kar dein*

*❻  Walidain ne marne se pehle koi jaaiz wasiyyat ki ho to use poora karna. Albatta wasiyyat ke poora karne me 3 bato ka khayaaL rakhna zaroori hai*

*① wasiyyat jaayaz ho.  Na'jayaz kaam ki wasiyyat ko poora nahi kiya jaayega*

*② Agar wasiyyat ko poora karne me mayyit ka maal kharch hota ho to ab wo wasiyyat sirf 1/3 maal hi se poori ki jaayegi*

*③ kisi waris ke liye koi maLi wasiyyat ki ho to wo tamam warasdaro [jin me ek bhi waris na balig na ho] ki ijazat ke bagher poori nahi ki jaayegi*

*❼  hafte ya mahine me kabhi kabhi un ki qabr ki ziyarat ki jaaye*

*╟❥  ALHAMDULLAH MUKAMMAL*
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄• 
                                     
💕 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*💕
     ︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶
Ĺ
        ⌈﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂⌉
       ▏  ✍🏻  *RAAH-E-HAQQ*     ▏.    
 
http://apkemasailorunkahal.blogspot.com/?m=1

*https://www.facebook.com/babar.khansr.1
👆🏻👆🏻 *Visit for all Msgs*

      ⌊﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁⌋

🍁🍁🍁

No comments:

Post a Comment