🍁🍁🍁
.
❈ *बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम* ❈
╭•∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽•╮
*SHOHAR BIWI KE HUQOOQ*
╰•∽––∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽•╮
*PART-01*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠(01) BIVI KE HUQOOQ KUSHADA DILI SE ADA KIJIYE*
*⚃➠ Bivi ke saath Acche suLook ki zindagi guzare, uske huqooq kushada dili se Ada kare Allah ta'ala ka irshad hai ( aur unke saath bhaLe tareeqe se zindagi guzare ) Huzoor SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ne Hajjatul Vida ke moqe per hidayat farmai " Logo Suno! Aurto'n ke saath Acche suLook se pesh aao kyu ki woh tumhare paas qaidiyo ki tarah hai, Tumhe unke saath sakhti ka bartao karne ka koi haqq nahi, Siva is soorat me jab unki taraf se koi khuli hui nafarmani Saamne aaye, agar woh aisa kar bethe to phir khwab gaho me unse ALahidah Raho aur unhe maaro to aisa na maarna ke koi shadeed chot aaye, aur phir jab woh tumhare kehne per chaLne lage to unko khamkha sataane ke bahane na dhoondo Dekho suno! Tumhare kuchh huqooq tumhari biviyo'n per hai aur tumhari biviyo'n ke kuch huqooq tumhare Uper hain, un per tumhare huqooq ye hai ke tumhare bistaro ko un Logon se na Rundwaye jinko tum Napasand karte ho aur tumhare gharo me aise logon ko hargiz na ghusne de jinka Aana tumhe nagawar ho, aur suno! Unka tum per ye haqq hai ke tum unhe Accha khilao aur accha pehnao, "( Yani unke khilane pilane ka aisa intezam kijiye Jo zojen (biwi) ki bemisal qurbat QaLbi ta'alluq aur jazba e Rafaqat ki shayane Shan ho)*
*PART-02*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (02) JAHAN TAK HO SAKE BIWI SE KHUSH GUMAN RAHE*
*⚃➠ Agar usme ShakL o soorat, Aadat, AkhLaaq ya saLiqa aur hunar ke aitbaar se koi kami bhi ho to Sabr ke saath usko bardasht kijiye aur uski khoobiyon per nigah Rakhte hue darguzar aur maslihat se kaam lijiye Allah ta'aala ka irshad he*
*فَإِن كَرِهْتُمُوهُنَّ فَعَسَىٰ أَن تَكْرَهُوا شَيْئًا وَيَجْعَلَ اللَّهُ فِيهِ خَيْرًا كَثِيرًا*
*⚃➠ phir agar wo tumhe (kisi wajah) se na-pasand ho to ho sakta hai ke ek cheez tumhe pasand magar khuda ne usme tumhare liye bhalayi Rakh di ho*
*Reference*
*Surah An-nisa*
*ayat.19*
*⚃➠ Huzoor SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ka Irsaad Hai Koi momin Apni momina bivi se nafrat na kare Agar bivi me koi Aadat usko napasand ho to ho sakta he k doosri khasLat ( khoobi) usko pasand aa jaye*
*Reference:*
*Muslim Sharif.*
*PART-03*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (03) BIWI KE SAATH DARGUZAR AUR KARAM KI RAVISH AKHTIYAR KIJIYE*
*⚃➠ Bivi ke saath darguzar v karam ki Ravish Akhtiyar kare, Bivi ki Nadaaniyo aur sharkashiyo se Chashmposhi kijiye Allah Ta'ala ka irshad hai*
*يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا إِنَّ مِنْ أَزْوَاجِكُمْ وَأَوْلَادِكُمْ عَدُوًّا لَّكُمْ فَاحْذَرُوهُمْ وَإِن تَعْفُوا وَتَصْفَحُوا وَتَغْفِرُوا فَإِنَّ اللَّهَ غَفُورٌ رَّحِيمٌ*
*⚃➠ " Momino tumhari baaz biviyo'n or baaz Aulaad tumhare dushman hai'n, so unse bachte Raho aur agar tum ( darguzar) va karam aur chashmposhi se kaam Lo to yaqeen Rakho ki Khuda bahut hi zyadah Raham karne wala hai*
*Reference:*
*Surah At-Taghabun,*
*Ayat 18*
*⚃➠ Ek Hadees paak me Huzoor SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ka irshad he Aurto'n ke saath accha sulook Karo aurat pasli se peda ki gayi hai aur paslio'n me sabse ziyada Uper,ka hissa tedha hai, usko sidha karoge to toot jayegi aur agar usko chorde rakhoge to tedhi hi rahegi, pas Aurto'n ke saath Accha sulook Karo*
*Reference:*
*Bukhari Sharif,*
*Muslim Sharif.*
*PART-04*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (04) BIWI KE SAATH KHUSH AKHLAQI KA BARTAO KIJIYE, AUR PYAR MUHABBAT SE PESH AAIYE*
*⚃➠ Apni khush Akhlaqi aur Naram mijazi Naapne ka asaL medaan gharelu zindagi hai Huzoor SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ka irshad he KaamiL imaan wale momin woh hain Jo Apne AkhLaaq me sabse acche hain aur tumme sabse acche Log woh hain Jo apni bivio'n ke haqq me sabse acche hon*
*Reference:*
*Ibne-Maja.*
*⚃➠ Aur kharch karne me Tangi na kare, Apni mehnat ki kamayi ghar waLo per kharch karke sukoon aur Khushi mehsoos kijiye Huzoor SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ka irshad hai Ek dinaar wo hai Jo tumne khuda ki Raah me kharch kiya, ek dinaar wo hai Jo tumne kisi ghuLaam ko azaad karane me kharch kiya,ek dinaar wo hai Jo tumne kisi faqeer ko sadqa me diya, aur ek dinaar wo hai Jo tumne apne ghar walo per kharch kiya, inme sabse zyada ajr aur sawab us dinaar ke kharch karne ka hai Jo tumne apne ghar walo per kharch kiya,"*
*Reference:*
*Muslim sharif,*
*Riyazul saleheen,*
*Jild-1, safa 172*
*PART-05*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (05) BIWI KO DEENI TALEEM DIJIYE*
*⚃➠ Bivi ko deeni ahkaam aur tehzeeb sikhaye, islami akhlaq se Araasta kijiye, har mumkin koshish kijye ke wo ek acchi bivi aur Khuda ki nek bandi ban sake, aur mansabi faraiz ko ba-khubi Ada kar sake, Allah ta'ala ka irshad he*
*يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا قُوا أَنفُسَكُمْ وَأَهْلِيكُمْ نَارًا*
*⚃➠ imaan waLo apne aapko aur apne ghar walo ko jahannam ki aag se bachao*
*Reference:*
*Surah At-Tahrim*
*Ayat-6.*
*⚃➠ Allah ta'aala ka irshad he.↴*
*وَاذْكُرْنَ مَا يُتْلَىٰ فِي بُيُوتِكُنَّ مِنْ آيَاتِ اللَّهِ وَالْحِكْمَةِ*
*⚃➠ Aur tumhare gharo'n me Jo Khuda ki aayate'n padhi jaati hai'n aur hikmat ki baate'n sunayi jaati hai'n unko yaad rakho*
*Reference:*
*Surah Al-Ahzab*
*Ayat-34.*
*⚃➠ Allah ta'ala ka irshad he.↴*
*وَأْمُرْ أَهْلَكَ بِالصَّلَاةِ وَاصْطَبِرْ عَلَيْهَا*
*⚃➠ Aur apne ghar walo ko namaz ki takeed kijiye aur khud bhi uske paband Rahiye*
*Reference:*
*Surah Taha*
*Ayat-132.*
*⚃➠ Huzoor SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ka irshad hai Jab koi mard raat me apni bivi ko jagata hai aur wo do no milkar 2 raka'at namaz padte hai'n to shohar ka naam zikr karne walo me aur bivi ka naam zikr karne walio'n me Likh liya jata hai*
*Reference:*
*Abu-Dawood Sharif*
*⚃➠ Khalifa-e-Saani Hazrat Umar Radi Allahu Ta'ala anhu raat me khuda ki bargaah me khade hokar ibadat karte Rehte phir jab Sahar ka waqt aata to apni Rafiqa-e-hayaat (bivi) ko jagate aur kehte." utho - namaz padho” aur phir yahi aayat tiLawat farmate*
*PART-06*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (06) EK SE ZIYADA BIVIYA'N HO TO SABKE SAATH BARABARI KA SALOOK KIJIYE*
*⚃➠ Huzoor SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam apni Bivio'n ke saath bartaao me barabari ka bada Ahatmam farmate the Huzoor SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ne irshad farmaya agar kisi shakhs ki 2 biviya'n ho aur usne unke saath insaaf aur barabari ka sulook na kiya to qayamat ke roz wo Shakhsh is haal me aayega ke uska Aadha dhad gir gaya hoga*
*Reference:*
*Tirmizi Sharif.*
*⚃➠ Bivi nihayat Khush diLi se shohar ki ita'at kare, aur ita'at me sukoon wa khushi mehsoos kare Allah Tala ka irshad he.*
*فااصََّالِحاتُ قانِتاتُ*
*⚃➠ Nek biviya'n ( shohar ki ) ita'at karne wali hoti hai'n*
*Reference:*
*Surah an-nisa Ayat 24.*
*⚃➠ Huzoor SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ka paak irshad he Koi aurat shohar ki ijazat ke bager roza na rakhe*
*Reference:*
*Abu-Dawood Sharif*
*⚃➠ Do Qism ke Aadmi wo hai'n jinki namaze unke saro se unchi nahi jati (01) - ek us gulam ki namaz Jo apne Aaqa se faraar ho jaye, jab tak ke Lot na aaye, (02) - aur doosra us aurat ki namaz Jo shohar ki nafarmani kare, jab tak k shohar ki nafarmani se baaz na aa jaye.*
*Reference:*
*Attargeeb wal tarheeb*
*PART-07*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (07) APNI AABARU AUR ASMAT KI HIFAZAT KA AHATMAM KIJIYE*
*⚃➠ Un tamaam baato se aur kaamo se door Rahiye jinse daaman asmat per dhabba Lagne ka Andesha ho, Khuda ki hidayat ka taqaza bhi hai aur khush gawar zindagi ke Liye bhi behad zaroori hai, isliye ke agar Shohar ke dil me is tarah ka koi shuba, shaq paida ho jaye to phir aurat ki koi khidmat, bhaLayi Shohar ko apni taraf maa'iL nahi kar sakti, aur is maamLe me mamooLi kotahi se bhi Shohar ke dil me shaitan shubaa, shaq daalne me kamyaab ho jata hai Huzoor SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ka paak irshad he Aurat jab paancho waqt ki namaz padh Le, apni Aabru ki hifazat kar Le, apne shohar ki farmabardar Rahe, to woh jannat me jis darwaze se chahe daakhiL ho jaye*
*Reference:*
*Attargeeb wal tarheeb*
*PART-08*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (08) APNE SHOHAR KI RAFAQAT KI QADAR KIJIYE*
*⚃➠ Is Azeem niyamat per khuda ka Shukr Ada kijiye, aur Niyamat ki Dil Jaan se qadar kijiye Huzoor SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ka paak irshad he Nikah se behtar koi cheez muhabbat karne waLo ke Liye nahi payi gayi*
*Reference:*
*Ibne majah*
*⚃➠ Ummul Momineen Hazrat Safiya Radi Allahu Ta'ala anha Ko Huzoor SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam se be inteha muhabbat thi Chunache Jab Huzoor SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam bimar hue, to intehayi hasrat se boLi Kaash Huzoor SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ke bajaye me bimar ho jaati Doosri Ummul Momineen ko is izhare muhabbat per ta'ajjub se unki taraf dekha to Huzoor SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ne farmaya Dikhawa nahi hai baLke sach keh rahi hai*
*Reference:*
*Al- aslabah*
*PART-09*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (09) SHOHAR KI IJAZAT KE BAGER GHAR SE BAHIR NA JAYE*
*⚃➠ Khuda per imaan Rakhne wali aurat ke liye ye jaa'iz nahi ke wo apne shohar ke ghar me kisi aise Shakhsh ko aane ki ijazat de jiska Aana shohar ko nagawaar ho aur wo ghar se aisi soorat me niklLe jabki uska nikalna shohar ko nagawaar ho aur shohar ke maamLe me kisi doosre ka kehna na maane,*
*Reference:*
*Attargeeb wal tarheeb.*
*⚃➠ Yani shohar ke maamle me shohar ki marzi aur ishare per hi amal kijiye aur uske khilaf hargiz doosre ke mashwaro'n ko na Apnaye, Hamesha apne qauL v Amal aur Andaz wa Atvaar se shohar ko khush rakhne ki koshish kijiye, Kamyaab azdwaji zindagi ka raaz bhi yahi he, aur khuda ki Raza aur Jannat ke husooL ka Raasta bhi yahi he Huzoor SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ka paak irshad hai Jis aurat ne bhi is haal me inteqaal kiya ke uska shohar usse raazi aur khush tha to woh jannat me dakhiL hogi.*
*Reference*
*Tirmizi Sharif.*
*⚃➠ Ek hadees paak me Huzoor SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ka irshad hai Jab koi Aadmi apni bivi ko jinsi zaroorat ke Liye buLaye aur woh na aaye aur is bina per shohar raat bhar usse khafa rahe to aisi aurat per subeh tak Farishte Laanat karte hai'n.*
*Reference:*
*Bukhari Sharif*
*PART-10*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (10) SHOHAR KA AHSAAN MAAN KAR USKI SHUKR GUZAAR RAHIYE*
*⚃➠ Aapka sabse bada mohsin aapka shohar hi hai Jo har tarah aapko khush Rakhne me Laga rehta hai Aapki har zaroorat ko poora karta hai aur aapko Aaraam pahuncha kar Araam mehsoos karta he Hazrat Asmaa Radi Allahu Ta'ala anha Farmati hai'n ke Huzoor SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ne irshad farmaya Tum per jinka ahsaan he unki nashukri se bacho tumme ki ek apne maa'n baap ke yaha'n kaafi dino tak bin biyahi bethi rehti hai'n, phir Khuda unko Shohar ata farmata hai Phir Khuda usko Aulaad se nawaazta he (in tamaam ahsaanat ke bavjood) agar kabhi kisi baat per Shohar se khafa hoti he to keh uthti he ke mene to tumhari taraf se koi bhalai dekhi hi nahi*
*Reference*
*Al-Adab Al-Mufarrad*
*⚃➠ Nashukr aur Ahsaan faramosh Bivi ko tambeeh karte hue Huzoor SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ne irahad farmaya Khuda Qayamat ke roz us Aurat ki taraf nazar uthakar bhi na dekhega Jo Shohar ki nashukr guzaar hogi, hala'nki Aurat kisi waqt bhi Shohar se be niyaaz nahi ho sakti*
*Reference*
*Nasai sharif*
*╟❥ ALHAMDULLAH MUKAMMAL*
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
💕 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*💕
︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶
Ĺ
⌈﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂⌉
▏ ✍🏻 *RAAH-E-HAQQ* ▏.
http://apkemasailorunkahal.blogspot.com/?m=1
*https://www.facebook.com/babar.khansr.1
👆🏻👆🏻 *Visit for all Msgs*
⌊﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁⌋
🍁🍁🍁
No comments:
Post a Comment