. ﺑِﺴْــــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤٰﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
. 鹿 *TOHFA-E-KHAWATEEN* 鹿
✰﹏﹏﹏﹏﹏﹏✰
*⊙_ T A L A A Q_ ⊙*
╨─────────────────────
*┱✿ Bila Vajah Talaaq Ka Sawal Uthane Wali Per Jannat Haraam Hai_,*
┱ Hazrat Sobaan Raziyallahu Anhu se rivayat Hai k Hazrat Rasoole Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Jo Aurat bager kisi majboori ke Apne Shohar se Talaaq Ka Sawal kare us per Jannat ki khushbu Haraam Hai _,"
* Mishkaatul Masabeh-283, Ba hawala Tirmizi vagera ,*
*┱✿ Khul'a Ka Mutalba Karne Wali Aurte'n Munafiq Hai'n_,*
┱ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat Hai k Sarkare do Jaha'n Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Shoharo se alhaidgi ( Alag hona ) chahne wali aur Khul'a Ka Mutalba Karne Wali Aurte'n nifaaq Wali Aurte'n hai'n _,"
* Mishkaatul Masabeh- 282 Ba- Hawala Nasa'i,*
┱ Allah Ta'ala ne Mardo ko Aurto'n ki taraf aur Aurto'n ko Mardo ki taraf mohtaaj banaya Hai , Fitri Tor per Shadi Byaah Karne per Majboor hai'n , Shari'at ne insaan ke Fitri taqazo ko pamaal nahi kiya balki Unki ri'ayat rakhi Hai , islam ne Zina ko haraam qaraar diya Hai isliye Nikaah Karna Shar'an Mahmood aur Mustahsin hi nahi balki Baaz halaat mai Waajib Hai ,
┱ Bahut si Aurte'n mizaaj ki tez hoti hai'n ,wo Baat Baat per Mard se ladti Hai , Jo huqooq Waajib nahi unka bhi Shohar se Mutalba karti hai'n , Shohar ki na-Shukri karti hai'n, Shohar Koi Baat kahe to Talaaq ki nobat aa jati hai, Aurto'n ke is mizaaj ke peshe Nazar Shari'at ne Aurat ki Talaaq dene Ka Akhtyar nahi diya , Varna ek ek din mai Kai Kai baar Talaaq Diya karti , Nikaah Talaaq dene ke liye nahi hota , Zindagi bhar Saath nibhane ke liye hota Hai , Mard agar Talaaq de de to Talaaq ho jati hai lekin Talaaq dena islam ke mizaaj ke khilaf Hai ,
╨─────────────────────
*┱✿ Talaaq Bugz Ki Cheez Hai_,*
┱ Ek Hadees mai aaya Hai k "Halaal cheezo mai Allah Ta'ala ke nazdeek Sabse zyada Bugz aur Nafrat ki Cheez Talaaq Hai _," ( Abu Daowd ) ,Jab Nibhana islam Ka mizaaj thehra to Aurat ki taraf se Talaaq Ka Sawal Uthana sarasar gair islami fayl Hai , isliye ye irshad farmaya k Talaaq ya Khul'a Ka Mutalba Karne Wali Aurte'n Munafiq hai'n ,
┱ Islam ke taqazo per na chalna aur Islam Ka daava Karna ye dogle pan ki Baat Hai , Munafiq dogla hota Hai aur andar kuchh aur zaahir kuchh karta Hai , aur Sabse bada Munafiq wo Hai Jo Dil se Munafiq ho aur Zubaan se islam Ka daava kare , Lekin Jo Shakhs islam daavedaar Hai aur Dil se bhi Deene islam ko Haq hone Ka Aqeeda rakhta Hai Lekin Amal mai imaani taqazo per poora nahi utarta use Amal ke aitbaar se Munafiq kaha gaya Hai ,
┱ Hadees Sharif mai Bahut si Khaslato ko munafqat ki khaslat batata Hai - Ek Hadees mai irshad Hai k Jisme Chaar Khaslate hongi wo Munafiq hoga aur Jisme in me se ek khaslat hogi to uske bare mai kaha jayega k usme Munafiq ki ek khaslat Hai Jab Tak use Chhod na de , Wo Chaar Khaslate ye hai'n :--
1- Jab Uske Paas Amanat rakhi Jaye to Khayanat kare ,
2- Jab Baat kare to Jhoot bole ,
3- Jab Ahad kare to uzr kare ( Yani vaada Kar ke poora na kare )
4- Jab Jhagda kare to Galtiya'n de ,
* Bukhari v Muslim _,*
╨─────────────────────
*┱✿ Talaaq Zubaan se Nikalte hi Waq'a ho jati Hai_,*
┱ _ Talaaq ke Baad Jab Gussa thanda hota Hai to Pachhtate hai'n aur Kehte hai'n k maine Talaaq ki niyat se Talaaq nahi di aur Bahut zyada Gusse mai Tha ,Ya Aurat Hamal se thi ya uski Napaaki Ka zamana Tha ,aur Ye Baat isliye zikr karte hai'n k Unke nazdeek Gusse mai ya Haalate Hamal v haiz mai Talaaq nahi hoti ,Halanki Talaaq Ka talluq Zubaan se Hai ,Jab Zubaan se Talaaq niklegi Waq'a ho jayegi ,
"__Shohar Gusse mai ho ya Razamandi mai aur Aurat Hamal se ho ya Napaaki ke ayaam mai ho ,Bahar haal Talaaq dene se Talaaq Waq'a ho jayegi ,
┱_ Talaaq wo Cheez Hai Jo Shohar ki Zubaan se Mazaaq mai bhi nikal Jane se bhi asar Kar jati hai, Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Ka irshad Hai k ," Teen cheeze Esi hai'n Jinme Asal Niyat aur Mazaaq dono barabar hai'n, Yani bila Niyat ke mazaqan Zubaan se nikaalne se bhi Kaam Kar jati hai , - 1- Nikaah , 2- Talaaq, 3- Ruju Kar Lena ( Talaaq Raj'i ke Baad ) ,
* Abu Daowd ,*
┱ Jab Talaaq de bethe aur Aurte'n Shohar ko Gussa dila Kar Talaaq le bethti hai'n to Mufti ke paas Sawal le kar aate hai'n ,aur Kehte hai'n k Miya Bivi ek doosre per Aashiq hai'n ,Bivi khudkushi Kar legi , Bachche Veeraan honge ,Molvi Sahab Koi Raasta nikaliye , Bhala bechara Molvi Mufti ke bas mai nahi k Shari'at ke qanoon ko badal de , Mufti Molvi Shari'at ke qanoon batane wale hai'n, qanoon banane wale nahi ,Qanoon to Allah Ta'ala Ka Hai ,
╨─────────────────────
*┱✿ Ruju'i Talaaq _,*
┱ Aapas Ke Nibaah Ka Koi Raasta nahi raha aur Talaaq Deni hi ho to esa Kare k Jis Zamane mai Aurat Paak ho Yani Haiz se na ho us Zamane mai Ek Talaaq Saaf Lafzo mai de de ,is tarah se ek Ruju'i Talaaq ho jayegi ,Jiska matlab ye Hai k iddat ke andar andar Ruju karne Yani Lauta lene Ka Haq rehta Hai ,
┱ Ek Talaaq Ruju'i dene ke Baad Fir chahe to Ruju Kar le aur Ruju ke liye Aurat ki Razamandi bhi zaruri nahi Hai , Aurat chahe na chahe Mard Ruju Kar Sakta Hai , Zubaan se Sirf ye Keh dene se k *"Maine Apni Bivi ko Lauta liya ,"* isse Ruju Sahi ho jata hai, Agar Do Gawaho ke saamne esa kahe to behtar Hai taki Ruju karne na karne ke bare mai ikhtilaf ho Jaye to Gawaho ke zariye Ruju Ka saboot Diya ja sake ,
"__ Agar Kisi ne Talaaq e Ruju'i ke baad iddat ke andar Koi esa Kaam Kar liya Jo Miya Bivi ke darmiyan hota Hai to is tarah bhi Ruju ho jayega , isko Ruju bil Fayl kehte hai'n aur Zubaan se Lauta lene ko Ruju bil qaul kehte hai'n ,
┱ Agar kisi ne Talaaq e Ruju'i dene ke Baad iddat ke andar Ruju nahi Kiya to yahi Ruju'i Talaaq Talaaq e Baa'in ho jayegi , Ab Ruju Ka Haq nahi rehta , Haa'n agar dono fir Miya Bivi banna chahte hai'n to Aapas ki Razamandi se dobara Nikaah Kar sakte hai'n,
"__ Chahiye to yahi k zarurat ke andar Sirf ek Talaaq se kaam chalaya Jaye ,Agar Talaaq ke Baad Pachhtawa ho to iddat ke andar Ruju karne Ka Haq baqi hone ki vajah se Shohar Ruju Kar sakega aur Agar Jaldi Hosh na aaya aur iddat guzar gayi to Aapas mai dobara Nikaah ho sakega ,
┱_ *Shari'at ki Asaani _,* _ Shari'at ne kitni Asaani rakhi Hai , Avval to Talaaq dene hi se Mana farmaya fir agar Talaaq dena zaruri ho to Aurat ki paaki ke Zamane mai Ek Talaaq de ,isse Gussa thanda hone aur sochne samajhne Ka khoob achchhi tarah moqa Mil Jata Hai ,Agar kisi ne Saaf Lafzo mai Ek Saath Do Talaaq de di to bhi Ruju'i hogi ,aur agar gair haamla Aurat ko paaki ke Zamane mai Ek Talaaq Saaf Lafzo mai di aur Ruju na kiya aur uske baad Jo paaki Ka zamana aaye usme ek Talaaq aur de di to wo Doosri Talaaq bhi Ruju'i hogi aur iska hukm bhi wo hoga Jo Pehli Talaaq Ka Tha ,
"__ Fir agar Teesri baar Teesri paaki ke Zamane mai Ek aur Talaaq de di to Talaaq e Muglazah hogi ,iddate Talaaq Teen Haiz Hai aur Haiz na aata ho ( Bachpan ya Budhape ki vajah se) to iddat Teen maah Hai aur Haamla ho to Hamal Khatm hone per iddat Khatm hogi ,iddat ke andar andar Jo Talaaqe Shohar dega Waq'a hoti rehegi ,
╨─────────────────────
*┱✿ Ek Waqt Mai Teen Talaaq _,*
┱ Log Apni Jaan per bhi Zyadti karte hai'n k ek Saath Teen Talaaq ki Teeno Goliya'n Chhod dete hai'n , Shari'at Talaaq hi ki mukhalif Hai fir wo ek Saath teeno Talaaq dene ki kese ijazat de sakti Hai ,fir bhi agar Koi Shakhs ek Saath Teen Talaaq de hi de to Teeno Talaaqe Waq'a ho jati hai ,
┱ Isi tarah agar Koi Shakhs iddat guzarne se pehle mukhalif Awqaat mai teen Talaaqe de de ya har paaki ke Zamane mai Ek Talaaq diya Kare to is tarah se Teen Talaaqe Waq'a ho jati hai ,
"__ Teen Talaaqo ke Baad Ruju Ka Haq nahi rehta ,balki Aapas ki Razamandi se dobara Nikaah bhi nahi ho Sakta , Teen Talaaq pane wali Aurar Talaaq dene wale Shohar ke Nikaah mai dobara Usi soorat mai ja sakti Hai k iddat guzaar Kar kisi doosre Musalman se uska Nikaah ho ,Fir wo usse Miya Bivi Wala Kaam karne ke Baad Talaaq de de ya Mar Jaye ,iske baad iddat guzaar Kar pehle Shohar se Nikaah ho Sakta Hai , isko " Halala " kehte hai'n,
*┱ Teen Talaaq ke bare mai Chaaro Imaamo Ka Mazhab_,*___ Baaz log ye samajhte hai'n k Ek Saath Teen Talaaqe dene se ek hi Talaaq maani jati hai aur Ruju Ka Haq baqi rehta Hai aur ise Hazrat imaam Shafa'i Reh. Ka mazhab batate hai'n ,Ye bilkul Galat Hai , Chaaro Imaamo Ka mazhab ye Hai k ek majlis mai Teen Talaaqe de ya Alag Alag Kar ke har paaki ke Zamane mai Ek Talaaq de ,Bahar haal Teeno Talaaqe Waq'a ho jati hai aur Ruju Ka Haq Khatm ho jata hai aur iske baad bager Halala ke Aapas mai dono Ka Nikaah nahi ho Sakta _,"
*┱ Faayda_,* _ Ek ya do Ruju'i Talaaq de Kar agar iddat ke andar Ruju Ka liya to is tarah se Bivi bana Kar rakhna to Jaa'iz ho jayega Magar Talaaq Khatm na hogi Kyunki agar Kabhi ek ke Baad do Talaaqe aur de di ya do ke Baad ek Talaaq aur de di to Pehli Talaaq hisaab mai lag Kar Teeno Talaaqe mil Kar Muglazah Talaaq ho jayegi aur Jo Teen Talaaqo Ka hukm Hai Wahi laagu ho jayega , Khoob Samajh Lena chahiye, Wallahu Aalam ,
╨─────────────────────
*┱✿ Teen Talaaq Ke Baad Halaala Ke Bager Dobara Nikaah nahi ho Sakta,*
┱ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha se rivayat Hai k Rifa'a Qurazi
Ki ( Saabqa ) Bivi Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ke Paas aayi aur Arz Kiya - Mai'n ( Pehle )Rifa'a ke paas thi ( Yani Unke Nikaah mai thi ) unhone mujhe Pakki Talaaq de di ( Yani Teen Talaaqe de kar juda Kar di ,Unki iddat guzarne ke Baad) Maine Abdur Rahman bin Zuber Raziyallahu Anhu se Nikaah kiya ( Unko izdewazi huqooq ada karne ke qabil nahi paya ) Unke paas esi Cheez Hai Jese Kapde Ka pallu ,
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne mazkura Khatoon ki Baat sun Kar farmaya- Kya tum ye chahti ho k ( usse Talaaq le kar iddat guzarne ke Baad ) Rifa'a se dobara Nikaah Kar lu ?
Unhone arz Kiya- Ji Haa'n , Mai'n yahi chahti hu'n ,
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya - nahi ( esa nahi ho Sakta , Rifa'a ke Nikaah mai Jane Ka Koi Raasta nahi ) Jab Tak Tum is Doosre Shohar se thodi lazzat haasil na Kar lo aur wo tumse thodi lazzat haasil na Kar le _,"
* Al Masabeh- 284 Ba hawala Bukhari v Muslim,*
*┱ Tashreeh_,* _ Teen Talaaqo ke Baad Aapas mai bager Halala ke dobara Nikaah bhi nahi Sakta , Lihaza Mard ko chahiye k kisi Musalman Aurat se Nikaah Kar le Jisse Nibaah ho sake aur Aurat kisi doosre Musalman Mard se nikaah Kar le Jiske Saath guzara ho sake ,
┱ Jab Teen Talaaq Milne wali Aurat ne iddat guzarne ke Baad kisi doosre Mard se Nikaah Kar liya aur Shohar ne Miya Bivi Wala Kaam bhi Kar liya fir Talaaq de di ya wafaat pa gaya to iddat guzaar Kar pehle Shohar se dobara Nikaah ho Sakta Hai ,
┱ Agar doosre Shohar se Sirf Nikaah ho Jaye aur Nikaah Kar ke Talaaq de de ya Mar Jaye to Pehle Shohar ke liye Halaal na hogi , Halaal hone ki ye Shart Hai k Doosra Shohar us Aurat se Miya Bivi Wala khaas Kaam bhi Kar le uske baad Talaaq de ya wafaat pa Jaye aur iddat bhi guzar Jaye ,
╨─────────────────────
*┱✿ Halaala Mai Shart Ya Mu'ahida Jaa'iz Nahi_,*
┱ Halaala Ye matlab Qata'i nahi Hai k Aurat ya Mard ko targeeb di ja rahi Hai k kisi Musalman se Khwahi na Khwahi zaroor us Aurat Ka Nikaah Kiya Jaye ,Fir usse Talaaq li Jaye Taki Pehle Shohar se Nikaah Kar le ,
┱ _ Amuman esa hota Hai k Jab Koi Shakhs Teen Talaaqe de kar Pachhtata Hai aur Mufti se maloom karne per pata chalta Hai k dobara Nikaah karne Ka bhi Koi Raasta nahi raha , Sivaye iske k kisi doosre Mard se us Aurat Ka Nikaah ho aur Halaala ki Sab Soorte poori ho to Aurat se Zid karta Hai k tu Fala Mard se Nikaah Kar le, Halanki ab wo pehle Shohar ki marzi ki paband nahi rahi , Wo Jis Musalman Mard se chahe Nikaah kare aur Jitne Mahar per Kare Usko Akhtyar Hai balki agar usne kisi Mard se Nikaah Kar liya aur usne Talaaq de di ya Mar gaya tab bhi Aurat ko Majboor nahi Kiya ja sakta k pehle Shohar se Nikaah Kar le ,
┱_ Bil farz Agar Aurat is Baat per raazi ho Jaye k iddat guzarne ke Baad kisi aur Shakhs se Nikaah Kar le fir Halaala ki Sharte poori karne ke Baad Pehle Shohar se Nikaah karne Ka izhaar Kar de Tab bhi ye Jaa'iz nahi Hai k Kisi Shakhs se ye Mu'ahida Kiya Jaye k Tum is Aurat se Nikaah Kar lo aur Halaala ki Sharte poori kar ke Talaaq de dena Taki Pehle Shohar se Nikaah ho sake ,Esa Maamla aur Mu'ahida Shar'an Mamnu Hai ,
Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu se rivayat Hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne Laanat farmayi Hai " Muhallil " per aur " Muhallal " per ,
*( Mishkaat Sharif)*
"_ "Muhallil " wo Shakhs Hai Jo Halaal Kar ke de Yani Jo is Shart ko manzoor Kar ke Nikaah kar le k Halaala Ke Baad Talaaq de dega , Aur " MuhallalLahu " Wo Hai Jisne Teen Talaaqe di thi ,Yani Pehla Shohar Jo ye Shart laga Kar kisi se Apni Talaaq shuda Bivi Ka Nikaah karata Hai k tum isko ek do raat rakh Kar Chhod Dena ,
┱ _Dekhiye dono per Laanat farmayi Hai, isliye Halaala ki Shart per Nikaah Karna aur karana Gunaah Hai , Lekin is tarah Shart laga Kar Kisi ne Nikaah Kara Diya aur Halaala ki Sharte poori ho gayi to Pehle Shohar ke liye Halaal ho jayegi Yani wo usse Nikaah Kar sakega Jo Aurat ki marzi se hoga ,
╨─────────────────────
*┱✿ Khula'a Karne Ka Tareeqa _,*
┱ Hazrat Abdullah bin Abbaas Raziyallahu Anhu se rivayat Hai k Saabit bin Qais Raziyallahu Anhu ki Bivi ( Jamila Ya Habeeba ) Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ke Paas aayi aur Arz Kiya k - Ya Rasulallah ! Saabit bin Qais Raziyallahu Anhu Jo mere Shohar hai'n Mujhe Unki aadat v Khaslat aur Deendari ke bare mai Koi naraazgi nahi Hai,
( Kyunki wo Deendaar bhi hai'n aur Akhlaaq bhi Achchhe hai'n ,is Sab ke bavjood Meri Tabiyat Ka unse Jod nahi khata aur Unke Saath rehne ko ji nahi chahta ,is Soorat mai agar Mai'n Unke Saath rahu to Unke Huqooq zaaya hone Ka Andesha Hai ,Ek Achchhe Aadmi ke Saath rahu aur Wo akhrajaat bardasht Kare aur uske huqooq ki na ho ye na-Shukri ki Baat Hai )
Lekin Mai'n Musalman Hote hue na-Shukri ko na pasand karti hu'n ,( Lihaza Meri aur Unki Judaai ho Jaye to behtar Hai )
┱ _ Ye Sun Kar Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya- Kya ( Talaaq Ke Badle ) Tum uska Bagicha waapas Kar dogi ? ( Jo usne Mahar mai Diya Hai )
Jawab mai Unhone kaha k - Haa'n Mai'n waapas kar dungi ,
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne ye sun kar Hazrat Saabit bin Qais Raziyallahu Anhu se farmaya k Tum Baagicha qubool Kar lo ( aur iske evaz ) isko Talaaq de do _,"
* Mishkaatul Masabeh- 283 Ba hawala Bukhari*
┱ Islami Talimaat ka Asal Rukh ye Hai k Nikaah Ka Maamla aur Mu'ahida Umar bhar me Liye ho ,Isko todne aur Khatm Karne ki kabhi nobat hi na aaye ,Kyunki Judaai Ka Asar Sirf Fareeqeen hi per nahi Padta balki iski vajah se nasal v Aulaad ki tabaahi v barbaadi hoti Hai aur Baaz Awqaat khandano mai fasaad Tak ki nobat aati Hai ,
┱ Isliye Jo Asbaab aur vajah is maamle ko todne Ka sabab ban sakte hai'n islami Talimaat ne un tamaam Asbaabo ko Raaste se hatane Ka poora intezam kiya Hai ,
┱ Lekin baaz Awqaat Esi Soorte bhi pesh aati hai'n k islaah ki tamaam koshishe nakaam ho jati hai aur mil kar rehna azaab ban Jata Hai, Esi haalat mai Talluq Ka Khatm Kar Dena hi Raahat aur salaamti Ka baa'is hota Hai , isliye Shari'at ne doosre mazhabo ki tarah ye bhi nahi Kiya k Rishta har haal mai toota hi rahe , iske Liye Talaaq aur Fiskh Nikaah Ka qanoon banaya ,
┱_ Talaaq Ka Akhtyar to Sirf Mard ko Diya Jisme aadtan Fikro tadabbur aur Tahammul Ka maadda Aurat se zyada hota Hai ,Lekin Aurat ko bilkul is Haq se mehroom nahi rakha k wo Shohar ke zulm v Sitam sehne per Majboor ho ,balki usko ye Haq Diya k Apne Shohar ko kisi vajah se itna na pasand karti ho k uske Saath kisi qeemat per bhi Nibaah Karna mumkin na ho to iska behtreen tareeqa to yahi Hai k Wo Shohar ko samjha bujha kar Talaaq dene per amaada Kar le , Esi Soorat mai Shohar ko bhi chahiye k Jab Wo Nikaah ke riahte ko khushgawari ke Saath nibhta na dekhe aur ab ye Mehsoos kare aur ye meahsoos Kare k ab Rishta dono ke liye naqabile bardasht bojh ke Siva kuchh nahi raha to wo Sharafat ke Saath Apni Bivi ko Ek Talaaq de kar Chhod de Taki iddat guzarne ke Baad wo jaha chahe Nikaah kar sake ,
┱_ Lekin agar Shohar is Baat per raazi na ho to Aurat ko ye Akhtyar Diya gaya Hai k Wo Shohar ko kuchh maali mu'awza Pesh Kar ke usse Talaaq haasil kar le , Umuman is garz ke liye Aurat Mahar maaf kar deti Hai aur Shohar use qubool Kar ke Aurat ko azaad Kar deta Hai ,iske Liye Shari'at e islami mai Jo Khaas tareeqa muqarrar Hai use Khula'a kaha Jata Hai ,Nikaah aur Doosre Shara'i mamlaat ki tarah Khul'aa bhi ijaab v qubool ke zariye Anjaam paya Jata Hai , Lekin agar zyadti Mard ki taraf se ho to Fuqha Ka is per ittefaaq Hai k Shohar ke liye Mu'awza Lena Jaa'iz nahi , use chahiye k Mu'awza ke bager Aurat ko Talaaq de de ,Esi Soorat mai agar Mard Mu'awza Lega to gunahgaar hoga ,
┱_ Agar Koi Aurat Maal ke badle mai Talaaq maange to Shohar per Waajib nahi k uski Baat qubool kare , Yaha ye Baat qabile zikr Hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne Hazrat Saabit bin Qais Raziyallahu Anhu ko Baag qubool Kar ke Ek Talaaq dene ko farmaya , Maal ke badle Jo Talaaq di Jaye wo Baa'in hoti Hai ,Chahe ek ho ya do ho , Shara'i Lafzo mai Baa'in Talaaq Ke Baad agar Fir Aapas mai Sulah ho Jaye to Aapas mai dobara Nikaah Kar sakte hai'n, Teen Talaaq dene ke Baad Halaala ke bager dobara Nikaah bhi nahi ho Sakta ,isliye Teen Talaaq se Mana farmaya aur Maal le kar Talaaq di Jaye to Wo Ruju'i isliye nahi hoti k agar Shohar Ruju Kar lega to Aurat ki Jaan na chhotegi aur uska Maal zaaya jayega ,
"__ Yaha ye Baat bhi qabile tavajjoh Hai k Jab Hazrat Saabit bin Qais Raziyallahu Anhu ki Bivi ne Apni napasandi Ka izhaar kiya to Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne Unki naqawari ke peshe Nazar Nikaah Fiskh nahi farmaya balki Shohar ko Mahar mai Diya hua Baagicha waapas dila kar Talaaq dilaye ,
╨─────────────────────
*┱✿ _Chand Aham Masa'il ,*
*┱ Masla-1* _ Jab Aurat ne Shohar se kaha k Jo mera Mahar Waajib hai uske badle Meri Jaan Chhod de ya is qadar Rupiye ke badle mujhe Chhod de , Fir iske Jawab mai Mard ne Usi majlis mai Keh Diya k " Maine Chhod di ," to isse ek Baa'in Talaaq Waq'a ho gayi aur Mard ko Ruju Ka Haq nahi raha ,
"__Mard Aurat Ka Sawal Jawab dono ek hi Majlis mai hone chahiye , Agar Aurat ne Apni Baat Kahi aur Mard ke jawab dene se pehle dono mai se koi Waha'n se uth gaya to Baat Khatm ho gayi ,Ab agar Mard Kahe k Talaaq deta hu'n to Talaaq ho jayegi Magar Aurat per kuchh ( Dena ) Waajib nahi hoga ,Aur Qanoon Talaaq Ke mutabiq Saaf Lafzo mai ek ya do Talaaq dega to Ruju Ka Haq hoga aur Teen Talaaqe dega to Muglazah Talaaq ho jayegi, Ye Tafseel is Soorat mai Hai jabki Aurat ne pehle peshkash ki ho ,
*┱_ Masla-2* _ Aur agar Mard ne Baat kehne mai Pesh qadmi ki aur usne kaha k Maine tujhse itni raqam per ya Mahar ki evaz Khula'a kiya aur Aurat ne kaha k Maine qubool kiya to Khula'a ho gaya , Jo Talaaqe Baa'in ke hukm mai hoga ,
"__Agar Aurat ne Usi jagah jawab nahi Diya aur Waha se uth khadi Hui iske baad manzoori di ya qubool hi nahi Kiya Maslan bilkul khamosh reh gayi Ya Mard ki pesh kash ko radd Kar diya to isse Koi Talaaq nahi hogi ,Aur agar Mard ki pesh Kash ke Baad Aurat Apni jagah bethi rahi aur Mard Apni Baat Keh Kar chalta bana aur Aurat ne uske uth Jane ke Baad qubool kiya tab bhi Khula'a ho gaya ,
*┱-Masla-3*_ Jab Mard ne kaha k Maine tujhse Khula'a kiya ,Aurat ne kaha k Maine qubool kiya, Rupiya Paisa ya Mahar ki waapsi Ka ya baqiya Mahar ko evaz mai lagane Ka Koi zikr na hua tab bhi Jo Maali Haq Mard Ka Aurat per Hai ya Aurat Ka Maali Haq Mard per ho Sab maaf ho gaya ,
"__Albatta agar Aurat poora Mahar pa chuki Hai to is Soorat mai uska waapas Karna Waajib nahi ,Albatta iddat Khatm hone ke Tak Naan Nafqa aur Rehne ka Makaan Aurat ke liye Dena Shohar per Laazim hoga , Haa'n agar Aurat ne is Sakhawat se kaam liya k Jaan chhudane ke liye ye bhi Keh Diya k Mujhse Khula'a Kar le Roti Kapda bhi iddat ke Dino mai tujhse na lungi ,to wo maaf ho gaya ,
*┱ Masla-4 _* Agar Mahaz Raqam ki evaz Khula'a kiya ,Maslan Yu kaha k Hazaaro Rupiye ke evaz mai Khula'a karta hu'n aur Aurat ne qubool kiya to ye Hazaaro Rupiye Aurat per Waajib ho gaye , Chahe isse pehle Apna Mahar let chuki ho ya abhi vasool Karna baqi ho , Agar abhi Mahar na liya ho wo na milega Kyunki Khula'a ki vajah se maaf ho gaya aur Aurat per Laazim hoga k Shohar ko Tay Shuda Hazaar Rupiye ada kare ,
*__Wallahu Aalam __,*
*┱ Masla -5_*_Aurat ne kaha k Mujhe Talaaq de,Mard ne Jawab mai kaha k Tu Apna Mahar vagera Sab haq maaf Kar de to Talaaq de du , is per Aurat ne kaha k Achchha maaf kiya , ya likh Kar de diya ,Fir Shohar ne Talaaq nahi di ,To kuchh maaf nahi hoga , Agar Shohar isi majlis mai Talaaq de to Aurat Ka maaf Karna motbar hoga Varna wo Apna Haq vasool Kar sakegi ,
*┱ Masla-6_* Agar Mard ne zabardasti maar peet Kar Aurat ko Khula'a Karne per Majboor Kar diya aur uski Zubaan se Khula'a karne Ka lafz kehalwa liya ya likhe hue Khula'a Naame per Angutha lagwa liya ya Dastkhat karwa liye aur kaha k Khula'a karta hu'n, To isse Talaaq Waq'a ho jayegi Lekin Aurat per Maal Waajib nahi hoga ,Aur na Uska Koi Haq maaf hi hoga, Agar Mahar baqi Hai to Shohar per uska ada Karna Waajib rahega,
*┱ Masla -7_* Agar kisi Shohar ne Aurat ki jaanib se Kaagaz likh liya k Maine Mahar ya Apne digar huqooq ke evaz mai Talaaq Lena manzoor Kar liya aur use dikhaye bager kuchh aur Baat samjha Kar Dastkhat karwa liye ya Angutha lagwa liya to kuchh maaf nahi hoga ,
"__ Albatta agar Shohar ne kaha k Maine Talaaq de di ya Khula'a kiya Hai , to Talaaq Waq'a ho jayegi, Agar Shohar ne Court mai Kaagaz pesh Kar ke Duniya wale Haakimo ke Yaha maafi Ka faisla karwa liya to wo motbar nahi hoga Aur Qayamat ke Din Jab Roze Jaza ke waqt jab Allah Ta'ala ke saamne peshi hogi to us Maal ke badle Nekiya'n deni hogi ya Aurat ke gunaah Apne sar per lene honge ,
┱ Ye Sab Tafsilaat humne ye batane ke liye likhi hai'n k Khula'a dono ke darmiyan Tay hone Wala Maamla Hai , Koi ek Fareeq khud se faisla nahi kar Sakta ,
╨─────────────────────
*┱✿ Aaj Ke Daur Ke Judge Ke Gair Shara'i Faisle - Khula'a aur Nikaah Fiskh ke bare mai,( ZaroorPadhiye)*
┱ - Aaj ke Zamane mai Hukkaam ( Judge ) ne ye Tareeqa Akhtyar Kar rakha hai k jaha'n Aurat ne Court mai arzi lagayi ,istegasa kiya Nikaah Fiskh karne Ka faisla de diya aur iska Naam Khula'a rakh diya, Ye Sarasar gair Shara'i tareeqa Hai ,
"__Baaz martaba Shohar Tak Samman pahunchta bhi nahi ya Wo Adalat mai haazir hota Hai aur Bivi ko Bivi ki tarah Adaygi ke huqooq ke Saath rakhna chahta Hai fir bhi Baaz Judge Nikaah Fiskh Ka faisla de dete hai'n ,aur Aurat ki napasandi hi ko Khula'a Ka Haq istemal karne ki daleel bana Kar Judaai Ka faisla dete hai'n ,Ye Tareeqa Duniya ke Hukaamo ke qanoon se chahe Jod khata ho Magar Shari'at ke bilkul khilaf Hai, Ye na to Shara'i Khula'a Hai ( Kyunki faisla Mard ki marzi ke bager Diya Jata Hai ) aur na is tarah Fiskh Kar dene se Nikaah Fiskh hota Hai , Aur ese Faisle ke Baad doosre Mard se Nikaah Karna Durust nahi hota , *( Khoob Samajh lijiye )*
┱ Baaz Halaat mai Muslim Haakim ko Nikaah Fiskh Kar dene Ka Haq Hai ,Magar makhsoos Asbaab aur Makhsoos Tareeqe ke bager Nikaah Fiskh Kar dene se Nikaah Fiskh nahi ho Sakta ,
*┱_ Wo Asbaab Jinki Vajah se Nikaah Fiskh Karne Ka Akhtyar Hai, Wo ye hai'n --*
1- Shohar ka Pagal hona ,
2- Muta'anat hona Yani Jo Naan Nafqa na de ,
3- Na Mard hona ,
4- Gumshuda hona ,Jiski Maut aur Hayaat Ka pata na ho ,
5- Gair Mafqood hona ya Gaayab hona Yani Jiski Zindagi Ka ilm to Hai Magar pata nahi k kaha'n Hai ,
"__ in Asbaab ki buniyad per Makhsoos Sharto aur Hudood v Quyood ke Saath Muslim Haakim Nikaah Fiskh Kar Sakta Hai Jo Kitaab " Al Hilatun Naajzah " mai likhi Hai , Yaad rahe k Kaafir Judge ( Qadyani ,Isaai vagera ) ke Fiskh Karne se Nikaah Fiskh na hoga , Agarche Asbaab v Shara'it Ka lihaaz karte hue Fiskh Kare ,
*Wallahu Aalam _,*
╨─────────────────────
*┱✿ Iddate Talaaq aur Iddate Wafaat_*
┱ _Rivayat Hai k Sahabiya Subi'a Raziyallahu Anha Ke Batan se Unki Shohar ki wafaat ke Chand Din ke baad Bachcha paida ho gaya ,Wo Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat mai haazir Hui aur ( Chunki Wiladat hone ki vajah se iddat Khatm ho chuki thi) isliye unhone kisi doosre Mard se Nikaah ki ijazat chaahi , Chunache Aap Sallallahu Alaihivasallam ne ijazat de di aur unhone Nikaah Kar liya _,*
* Mishkaatul Masabeh-288 Ba hawala Bukhari,*
┱_ Jab Koi Mard Apni Bivi ko Talaaq de de ya Mar Jaye to Aurat per iddat guzaarna Laazim Hota Hai, Yani Shari'at ke usool ke mutabiq makhsoos v muqarrar ayyaam guzar Jane Tak kisi doosre Mard se Nikaah karne ki ijazat nahi hoti aur iske alawa bhi iddat ke dauran kuchh aur Pabandiya'n aa'id ( Lagu ) ho jati hai ,
┱_ Jab Kisi Aurat ko Talaaq ho Jaye to dekha jayega k ye Shohar ke yaha'n gayi Hai ya nahi gayi Hai ,Agar Shohar ke yaha'n nahi gayi Yani Miya Bivi mai yakjaa'i nahi Hui aur Sirf Nikaah ke Baad Talaaq ho gayi to Esi Aurat per Koi iddat Laazim nahi ,Jesa k Qur'an e Paak mai ishara Hai --
"__ Ey imaan Walo Jab Musalman Aurto'n se Nikaah Karo Fir Tum unko qabl ( pehle ) haath lagane ke Talaaq de do to Tumhare liye un per Koi iddat nahi Jisko tum shumaar karne Lago to unko kuchh mata'a de do aur khoobi ke Saath unko rukhsat Kar do _," *( Tarjuma- Surah Al Ahzaab)*
┱_ Aur Nikaah ke Baad Miya Bivi mai yakjaa'i ho chuki Hai to dekha jayega k Aurat ko Hamal Hai ya nahi , Agar Aurat ko Hamal ho to uski iddat Waz'a Hamal per hogi Yani jab tak Bachcha Paida na ho Jaye us Waqt Tak iddat mai rahegi, Chahe ek Din Baad Bachcha Ho jaye ,Chahe Mahine lag Jaye ya Saal ya isse bhi zyada lag Jaye , (Yaad rahe Shari'at mai iddat ki muddat zyada se zyada do saal Hai ) ,
"_Aur agar Hamal na ho to uski iddat ye Hai k Teen Maahwari guzar Jaye ,iske Liye Koi muddat muqarrar nahi Hai , Jitne Din mai Teen Haiz guzre utne Din iddat Hai , *- iddat Ka madaar Hamal hone ki Soorat mai Waz'a Hamal per aur Hamal na hone ki Soorat mai Teen Haiz guzar jane per Hai ,*
*┱ Masla_* Agar Kisi Ko esi Haalat mai Talaaq Hui k use ab Tak Haiz nahi aaya ya zyada Umar hone ki vajah se Haiz aana band ho gaya to uski iddat Teen Maah Hai ,Ye Teen Maah Chaand Ke Hisaab se Shumaar honge , Qur'an e Paak mai Surah Baqrah aur Surah Talaaq mai Masla Bayan farmaya Hai,
┱_ Ab rahi Wo Aurat Jiska Shohar wafaat pa chuka ho uski iddat mai ye Tafseel Hai k agar wo Hamal se hai to jab bhi Waz'a Hamal ho Jaye us Waqt uski iddat khatm ho jayegi ,Agarche Shohar ki wafaat ke do Chaar hi guzre ho ,ya isse bhi Kam Waqt guzra ho , Aur agar Hamal ki muddat bad Jaye to uske baqadar iddat ke ayyaam bad jayenge aur agar ye iddat Hamal se nahi Hai to uski iddat Chaand ke aitbaar se Chaar Mahine Das Din Hai ,Haiz aata ho ya na aata ho ,
*┱_ Masla_* Jis Aurat Ka Nikaah usoole Shari'at ke mutabiq kisi Musalman Haakim ne Fiskh kiya ho us per bhi iddat Laazim Hai ,aur use bhi Iddate Poori karni hogi ,
_Jis Aurat ne Shohar se Khula'a kar li ho use bhi Iddate Talaaq guzaarni hogi ,
*┱ Masla_* Jis Aurat ko Talaaq de di gayi ho uske iddat ke Zamane Ka naan Nafqa aur Rehne ka Ghar Talaaq dene wale Shohar ke Zimme Hai basharte k Aurat Shohar ke diye hue us Ghar mai iddat guzaare Jisme Talaaq se pehle rehti thi ,Agar Maa'n Baap ke Ghar chali Jaye to Shohar per ayyaame iddat Ka naan Nafqa waajib nahi hoga ,Yaad rahe Shohar hi ke Ghar per guzaarna laazim Hai , Jaha'n rehte hue Talaaq Hui aur Talaaqe Baa'in ya Muglazah ho to Shohar se Parda kar ke rahe ,
"__ Agar Aurat Ayyaame iddat Ka naan Nafqa maaf Kar de to maaf ho jayega ,
*┱ Masla_* Jis Aurat Ka Shohar wafaat pa Jaye us Aurat ke liye Shohar ke Maal mai miraas to Hai Lekin iddat Ka naan Nafqa nahi Aur agar Mahar Vasool na hua ho aur Maaf bhi nahi kiya ho to Hissa e Miraas se Pehle Mahar Vasool karegi ,
*┱ Masla_* Agar Kisi Aurat se is Shart per Nikaah kiya Tha k Mahar na milega ya Nikaah ke Waqt Mahar Ka Koi tazkira na hua ho Fir Miya Bivi Wali Yakjaa'i hone se pehle Talaaq de di to Shohar per Laazim Hai k us Aurat ko Chaar Kapdo Ka ek Joda Apni haisiyat ke mutabiq de , Kapde ye hai'n - Ek Kurta ,Ek Pajaama ya Salwaar ,Ek Dupatta aur Ek badi Chaadar Jisme sar se Paanv Tak lipat sake ,Aur Agar Mahar muqarrar kiye bager Nikaah karne ke Baad Shohar ko Miya Bivi Wali Tanhaai bhi haasil ho gayi ya Wo Mar gaya to Mahare Misl Dena hoga ,Yani itna Mahar hoga Jitna us Aurat ke Maayke ki us jesi Aurto'n Ka Mahar hua karta Hai ,
*┱ Masla_* Jab Kisi Aurat ko Talaaq ho Jaye ya Shohar wafaat pa Jaye uski iddat Usi Waqt se Shuru ho jati Hai ,agar iddat guzarne ke Baad Aurat ko Talaaq ya Shohar ki Maut Ka pata Chala to Shar'an iddat guzar gayi ,mazeed iddat guzaarne ki zarurat nahi ,
*┱ Masla_* Agar kisi esi Aurat ko Talaaq Hui jise Haiz aana Shuru nahi hua Tha uski vajah se Mahino ke Hisaab se iddat guzaarne lagi ,Fir Teen Maah guzarne see pehle Haiz aa gaya to ab uski iddat Teen Haiz hogi ,Mahine Ka hisaab khatm ho jayega ,Jab teen Haiz poore ho Jaye us Waqt iddat khatm hogi ,
*┱ Masla_* Haiz ke Zamane mai Talaaq Dena Jaa'iz nahi Hai Magar Kisi Shari'at Ka Khayal na kiya aur Haiz ke Zamane mai Talaaq de di to Talaaq Waq'a ho jayegi aur uski iddat bhi Teen Haiz hogi aur ye Teen Haiz us Haiz ke alawa honge Jisme usne Di Hai Yani Jis Haiz mai use Talaaq di gayi wo Haiz iddat mai shumaar nahi hoga ,
*┱ Masla_* Kisi ne Apni Bimari ke Zamane mai Talaaqe Baa'in de di aur Talaaq ki iddat abhi poori nahi hone payi thi k wo Mar gaya to dekha ye jayega k Talaaq ki iddat ki muddat zyada Hai ya Maut ki iddat ki muddat zyada Hai,Jis iddat mai zyada din lagenge wo iddat poori kare aur agar Bimari Talaaq Ruju'i di Hai aur abhi Iddate Ki na guzri thi k Shohar Mar gaya to us Aurat per wafaat ki iddat Laazim Hai ,
*Wallahu Aalam __,*
╨─────────────────────
*┱✿ Iddat Ke Ayyaam Mai Sog Karna Bhi Waajib Hai-*
┱ _ Hazrat Umme Salma Raziyallahu Anha se rivayat Hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Jis Aurat Ka Shohar wafaat pa gaya wo ( iddat guzarne Tak ) asfar se ranga hua aur khushbu wali mitti see ranga hua Kapda na pehne aur Zever bhi na pehne aur Khizaab bhi na lagaye aur Surma na lagaye ,"
* Mishkaatul Masabeh-289 Ba hawala Abu Daowd v Nasa'i,*
*┱ Tashreeh _,* Jab Aurat ko Talaaq ho Jaye ya uska Shohar wafaat pa Jaye to iddat khatm hone Tak usko Usi Ghar mai rehna zaruri hai Jisme Shohar ke Nikaah mai Hote hue Aakhir Waqt Tak raha karti thi, us Ghar ko Chhod kar doosre Ghar mai Jana Jaa'iz nahi Hai ,Bahut si Aurte'n Shohar ki Maut Hote hi ya Talaaq Hote hi Maayke chali jati hai'n ,Ye Khilafe Shara'a Hai aur gunaah Hai , Na uska Jana Jaa'iz Hai ,na Sasural walo ko usko nikaalna Durust Hai ,
┱ Albatta Jo Aurat Beva ho gayi ho aur uske Naan Nafqe Ka Koi intezam na ho to kisi hagah Kaam kaaj Kar ke rozi haasil karne ke liye Ghar se Bahar ja sakti Hai Lekin Suraj chhipne se pehle pehle Usi Ghar mai aa Jaye Jisme Shohar ke Saath rehti thi,
┱ Iddat ke dauran kisi ek hi kamre ya kothri mai bethe rehna zaruri nahi Hai ,na ye Koi Masla Hai ,Jesa k Aurte'n samajhti hai'n ( balki Ghar mai rehte hue Poore Ghar mai chale fire is per kuchh pabandi nahi Hai ),
┱ _ Jis Aurat ko Ruju'i Talaaq mili ho iddat ke Dino mai usko bhi Ghar se nikalna Durust nahi Hai ,Wo bhi Shohar ke Ghar mai iddat guzaare , Jo Aurat iddat mai ho ghar se nikalne ki pabandi ke Saath us per Sog karne ki pabandi bhi aa'id ki gayi hai , Zaibo Zeenat ,Banaav singaar tark karne ko Sog kehte hai'n ,
┱_ Chunki iddat ke Zamane mai kisi doosre se Nikaah karna Durust nahi aur Banaav singaar ki zarurat Shohar ke Liye hoti Hai,isliye iddat ke Zamane mai Sog karne Ka hukm Diya gaya, Jiska matlab ye Hai k Aurat esa libaas aur esa Banaav singaar rang dhang Akhtyar na kare Jisse uski taraf Mardo ki Tabiyat ragib ho , Lihaza iddat guzarne wali Aurat ke liye Laazim Hai k Bhadakdaar Kapda na pehne ,Khushbu na lagaye , Khushbu wale Kapde na pehne , Zever istemal na kare ,Baareek daanto ki kanghi se Baal na suljhaye aur Sar mai Tel na daale aur Surma na lagaye ,Sar dhona ,Gusl karna Durust Hai Lekin Khushbu daar Sabun vagera istemal na kare , Jis Aurat per Sog Waajib Hai use paan Khana ,Phool pehanna ,Mehndi lagana ,Hont aur Nakhoon per surkhi lagana Durust nahi Hai ,
*┱_ Masla_* Sog Karna Hukme Shara'i Hai ,Shohar ke Marne ya Talaaq v Khula'a ke zariye isse chhutkara haasil hone se Agar Aurat ko Khushi bhi Hui ho tab bhi Sog Karna Waajib hai ,
*┱ Masla_,* Agar Court ke zariye Nikaah Fiskh Kar Diya ho ( aur Wo Shara'i usool ke mutabiq fiskh ho gaya ho ) to Esi Aurat per bhi iddat aur Sog Waajib Hai ,
*┱ Masla_,* Agar Na-baalig Ladki ko Talaaq mil gayi ya uska Shohar Mar gaya to us per Sog Waajib nahi Hai ,
*┱ Masla_,* Jis Aurat ko Talaaq Baa'in ya Talaaqe Muglazah mili ho us per ye bhi Waajib Hai k Zamana e iddat mai Talaaq dene wale Shohar ke Ghar per rehte hue usse Parda Kare aur Jisko Talaaqe Ruju'i mili ho wo zebo Zeenat se rahe ,Sog na kare ,
╨─────────────────────
*┱✿ Zamana E Jahiliyat Mai ( islam se Pehle ) iddat Kese Guzari Jati Thi,*
┱ _ Hazrat Umme Salma Raziyallahu Anha ka Bayan Hai k Ek Sahabi Khatoon Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat mai haazir Hui aur Arz Kiya k Ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam Meri Ladki Ka Shohar faut ho gaya hai aur uski Aankho mai takleef hai ,Kya hum uski Aankho mai Surma laga sakte hai'n ?
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya- nahi !
Do ya Teen baar yahi Sawal v jawab hua , Aap Sallallahu Alaihivasallam ne har baar yahi farmaya nahi laga sakte , iske baad Rahmate Aalam Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k -
( Shari'at e islam mai ) ye iddat aur Sog ke Chaar Maah aur Das Din hai'n. ( Iski pabandi mushkil maloom ho rahi Hai ) Halanki Jahiliyat ke Zamane mai Jab kisi Aurat ka Shohar Mar Jata To Poore ek saal iddat guzaarti thi aur ek saal khatm ho Kar jab Doosra saal lagta Tha to ( Ount vagera ki ) mengniya'n fenkti thi _,"
* Mishkaatul Masabeh-288 Ba hawala Bukhari v Muslim,*
*┱ Tashreeh_,* _Islam se pehle Zamana e Jahiliyat mai Mukhtalif ilaaqo aur qaumo mai Shohar ke Mar Jane per uski Beva per tarah tarah ke ahkaam aa'id kiye Jate they ,Hinduo mai to ye qanoon Tha k Beva ko Apne murda Shohar ke Saath zinda jal Jana padhta Tha ,isko Sati hona kehte they ,aur Arab mai ye Tareeqa Tha k Jab Aurat Ka Shohar Mar Jata Tha to ek saal usko ghutna hota Tha, Jiski Tafseel Sunan Abu Daowd mai is tarah Hai ,
┱ _ Jab kisi Aurat ka Shohar Mar Jata Tha to saal bhar ke liye ek Chhoti si Kothri mai dakhil ho jati thi aur badtareen Kapde pehan leti thi ,aur Saal guzarne Tak na Khushbu lagati thi na aur Koi Cheez ( Safaai suthraai ki ) Apne Badan se chhuwati thi, Jab saal khatm ho jata to koi chhar paya( Jaanwar) Gadha ,Bakri ya Parinda uske paas laya Jata Tha Jisse wo Apni Sharm ki jagah ko ragadti thi ,( Ye Kaam Totke ke Tor per karti thi aur isko musibat door karne Ka zariya samjha Jata Tha)
┱ Chunki saal bhar Tak badhaali mai Reh Kar uske Badan mai Zehreele asraat paida ho Jate they,isliye jis Jaanwar se wo Apne Jism ka makhsoos hissa ragadti thi aksar Mar Jata Tha, iske baad ( Kothri se ) nikalti aur usko Ount vagera ki mengniya'n di jati thi Wo un mengniyo'n ko aage pichhe fenkti thi, isse logo ko maloom ho jata Tha k uski iddat guzar gayi hai aur isse ye faal Lena bhi maqsood Tha k musibat fenk di , Jesa k ye mengniya'n fenki ja rahi Hai , iske baad Apni marzi ke mutabiq Khushbu vagera istemal karti thi ,
* Sunan Abu Daowd,*
┱_ Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne Jahiliyat ki ye Pabandiya'n Yaad dila Kar farmaya k islam ne Sirf Chaar Maah Das Din ki iddat aur Sog rakha hai, Jahiliyat ki kesi kesi musibato se tumhari Jaan chhudayi Hai , Fir bhi islam ke qanoon ki paasdari se bachne Ka Raasta nikaalna chahte hai'n ,
┱_ is Hadees se maloom hua k Aankh mai takleef hone ke bavjood Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne iddat wali ko Sog mai Surma lagane ki ijazat nahi di , Hadees ki Sharah likhne wale Ulmao ne bataya Hai k esa maloom hota Hai k us Aurat Ka ilaaj surme ke bager ho Sakta Tha ,aur Surma Bator Zeenat ke lagana chahti thi, isliye Mana farmaya , Kyunki Umme Salma Raziyallahu Anha ka Fatwa Hai ( Jo Sog wali Hadees ki Raavi hai'n ) k Sog wali Aurat ilaaj ki majboori se Raat ko Surma laga sakti Hai ,
╨─────────────────────
*┱✿ Beva Ho Jaye to Doosra Nikaah Kar le , isko Ayb Samajhna Jahalat hai_,*
┱ _ Doosre Mazhabo mai ye ayb ya bura samjha Jata Hai k Shohar ki Maut ke baad Aurat kisi doosre Mard se Shaadi Kare , Har Waqt Ka jalaapa aur Saas Nando ke taane usko ba izzat Zindagi guzarne nahi dete they ,
┱_ Mazhabi qanoon aur Qaumi rivaajo ke mutabiq Bewa hi poori Zindagi guzaarna laazim Tha , Chahe Na-baalig Ladki Bewa ho Jaye aur Chunki Shohar ki Arthi ke Saath chalna Mazhabi Masla Tha aur Sab Nafrat aur hiqarat Ka bartaav karte they ,isliye Chahe na chahe Shohar ki Arthi ke Mai kood padti thi aur zinda jal Jane Nafrat ki Zindagi se behtar samajhti thi,
┱_ Lekin islam ne na Sirf ijazat di balki targeeb di aur mustahab v mustahsan balki Bahut se Halaat mai Waajib qaraar diya k iddat guzarne ke Baad Aurat doosre Mard se Nikaah Kar le, Wo Mar Jaye to teesra Shohar Kar le ,Wo bhi Mar Jaye to chothe Mard ki joziyat mai aa Jaye, Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne is per Amal Kar ke dikhaya , Aap Sallallahu Alaihivasallam ki aksar Biviya'n Bewa thi Jinke pehle Shohar faut ho chuke they , Unme Baaz wo thi Jo Aap Sallallahu Alaihivasallam se pehle Do Shoharo ke Nikaah mai Reh chuki thi ,
┱_ Aaj Kal bhi Bahut si qaumo mai ( Halanki inme kuchh Musalman bhi kehlati hai'n ) Bewa ki Doosri Shaadi ko ayb ya bura samjha Jata Hai aur Jo Bewa ho jaye Zindagi bhar yu'n hi bager Shohar bethi rehti hai'n , Khuda ki panaah Allah ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ne Jo Kaam Kiya ho use ayb samjhna Bahut badi Jahalat Hai , isse imaan salb ho jane Ka khatra Hai , Jin logo ke ese khayalaat hai'n wo tauba Kare , Islam ne Aurat ko bada martaba dilaya aur usko aizaaz v ikraam se nawaza Hai , Pasti se nikaal Kar usko bulandi ataa ki Hai Lekin Afsos Hai k Aurte'n ab bhi islam ke ahkaam ( Jo Rehmat Hai ) ko Chhod kar Jahiliyat ki taraf daud rahi hai'n ,
╨─────────────────────
╨─────────────────────
*┱✿ Shohar Ke alawa Kisi Ki Maut Per Sog Karna _,*
┱ _ Hazrat Abu Salma Raziyallahu Anhu ki Sahabzadi Hazrat Zenab Raziyallahu Anha ne Bayan farmaya k Jab Ummul Momineen Hazrat Umme Habeeba Raziyallahu Anha ko ( Unke Walid ) Hazrat Abu Sufiyaan Raziyallahu Anhu ki Maut ki khabar pahunchi to unhone Teesre Din Khushbu mangayi Jo zard rang ki thi aur Apni Baanho aur rukhsaro per mali aur farmaya k--
"_ mujhe iski zarurat na thi ( Lekin is dar se kahi teen din se zyada Sog karne waliyo mai shumaar na ho jaau'n Maine Khushbu lagayi ) Maine Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ko farmate hue Suna Hai k Esi Aurat ke liye Jo Allah per aur Akhirat ke din per imaan rakhti ho ye Halaal nahi hai k ( Kisi Mayyat Per ) Teen Din Teen Raat se zyada Sog kare Sivaye Shohar ke k us ( ki Maut ho Jane ) per Chaar Maah Das Din Sog Kare __,"
*🗂 Sahih Muslim - 1/487 ,*
*┱ _Tashreeh _* _ Jis Kapde se Mardo ko kashish hoti ho usko na pehne aur Khushbu,Surma ,Mehndi aur Zaibo Zeenat ki Doosri cheeze tark karne ko Sog kehte hai'n , Kya Shohar ke alawa Kisi ki Maut per Sog karne ki gunzaish Hai ? Agar gunzaish Hai to Kitne Din Sog kiya ja sakta Hai ? Iska Jawab is Hadees mai Diya gaya Hai k Shohar ke alawa doosre kisi azeez qareeb ( Beta ,Baap ,Bhai vagera ) ki Maut per bhi Aurat ko Sog karne ki ijazat Hai Lekin Sirf Teen Din Teen Raat Tak Sog Kar sakti Hai, isse zyada Sog Karna Halaal nahi Hai ,
┱_ Aaj Kal ek badi musibat Hai k Amal karne ke liye Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ke A'amaal v Aqwaal ko saamne nahi rakha Jata balki Rivaaj aur Tabiyat ke taqazo per chalte hai'n, Shohar ki Maut per Sog karne ke liye kaha Jata To usko bura maanti Hai ,balki iddat ke Zamane mai Ghar mai rehne ki Shara'i pabandi ki bhi khilaf varzi karti hai'n aur Khud se sog karne per aaye to Shohar ke alawa Kisi doosre Rishtedar ki Maut per Hafto Mahino Sog Kar leti hai'n , Deeni Ahkaam ko pashe pusht daalne Ka ye mizaaj Bahut bura Hai , iski vajah se gunaho mai izafa hota hi Chala Jata Hai,
╨─────────────────────
*┱✿ Talaaq ho Jaye To Bachcho ki Parwarish Kon Kare,*
┱ _ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu se rivayat Hai k Ek Aurat ne arz Kiya- Ya Rasulallah ! Beshak ye Jo mera Beta hai, Mera Pet iske Liye Bartan reh chuka Hai aur Meri chhaati iske Liye Mashkiza rahi Hai ( Jisse ye doodh pita raha Hai ) aur Meri Goad iske Liye Hifazat ki jagah rahi Hai aur ab maajra ye Hai k iske Baap ne mujhe Talaaq de di Hai aur isko Mujhse alhida karna chahta Hai,
Iske jawab mai Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k - Tu iski Parwarish ki zyada mustahiq Hai Jab Tak k tu Nikaah na Kar le _,"
*🗂 Mishkaatul Masabeh - 293 Ba hawala Ahmad v Abi Daowd,*
*┱ Tashreeh_,* Allah Ta'ala ne insaano mai tawalid aur tanasul Ka Silsila Jaari rakha hai, Bachche Nadaan na samajh aur Za'ief paida Hote hai'n, Unki Parwarish Maa'n Baap ke zimme ki gayi Hai ,Wo Shara'n bhi Unki Parwarish ke mukallif hai'n aur taba'i Tor per bhi , Bachche Maa'n Baap ke saaye mai hi palte badte hai'n aur falte foolte hai'n ,
┱_ Lekin kabhi Shari'at ke mizaaj ke khilaf Miya Bivi Judaai Ka Kaam Kar bethe Yani dono mai alhaidgi ya Talaaq ho Jaye to isme Jaha'n aur Kai qism ki Takleefe saamne aati hai'n Unme Bachcho ki Parwarish Ka Masla bhi ek musibat ban Jata Hai, Shari'at ne iske bare mai bhi Hidayat di Hai aur ahkaam bataye hai'n ,
┱ _ Aulaad ki Parwarish ke liye Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne ye zaabta batlaya Hai k Bachcho ki Maa'n Parwarish ki zyada mustahiq Hai Basharte k kisi Shakhs se Nikaah na Kare, Hadees ki Sharah likhne wale Ulmao ne bataya Hai k agar Aurat bilkul kisi se Nikaah na Kare to Haq Parwarish milega aur agar kisi ese Shakhs se Nikaah Kar le Jo Bachche Ka Mahram ho Maslan Bachche Ka chacha ho tab bhi Maa'n Ka Haq Parwarish saaqit na hoga , Kyunki Bachche Ka Mahram khud usko pyaar Muhabbat se rakhega aur uske Nikaah mai Jane ke Baad Bachche ki Maa'n uski dekh bhaal mai lagegi to naye Shohar ko naqawari na hogi ,
┱_ Albatta agar Bachche ki Maa'n kisi ese Shakhs se Nikaah Kar le Jo Bachche Ka Mahram na ho to uska Haq Parwarish saaqit ho jayega , Kyunki wo Shakhs uski Parwarish mai lagne per aitraaz Karega aur ye Keh Sakta Hai k tu mere huqooq Ada nahi karti ya mere huqooq mai iski vajah se Farq aata Hai , Mumkin Hai k Wo Bachche ko tedi Nazar se dekhe aur Bachche ko daant dapat Kare aur ye bhi Mumkin Hai k Uski Pehli Bivi se jo Aulaad ho ya Usi Bivi se jo Aulaad ho Jaye uski Muhabbat ke saamne us Bachche se kisi qism ki Takleefe Mehsoos kare , in jesi Hikmato ki vajah se Maa'n Ka Haq Parwarish is Soorat mai saaqit Kar diya gaya Hai Jabki wo Bachche ke na mehram se Nikaah kare ,
┱_ Maa'n ko Jo Parwarish Ka Haq Diya Jata Hai Wo uska Haq Hai ,Agar wo Apne Haq Ka istemal na karna Chahe to usko Majboor nahi Kar sakte k zaroor Parwarish Kare , Haa'n agar Koi aur Aurat Parwarish karne wali na mile to uski Maa'n ko Majboor Kiya jayega k uski Parwarish Kare ,aur agar Maa'n ne Parwarish Ka Haq saaqit Kar diya to Shar'an Jitni muddat Parwarish karne Ka haq rakha gaya us muddat ke andar andar fir Apna Haq le sakti Hai, Yani Parwarish Ka Mutalba Kar sakti Hai ,isi tarah agar doosre Shohar se Judaai ho Jaye to fir bhi Haq Parwarish Ka Mutalba Kar sakti Hai,
╨─────────────────────
*┱✿ Bachche Ki Parwarish Ke Mutalliq Chand Aham Masa'il_,*
┱ _ 1- Jis Zamane mai Bachche ki Maa'n Talaaq Ke Baad iddat guzaar rahi Ho Usi Zamane mai Jo Bachcha uski Parwarish mai ho uske doodh pilane ki ujrat na le Albatta iddat guzarne tak Shohar per ( iddat guzarne wali hone ki vajah se ) naan Nafqa Waajib Hai,
┱ _2- Agar Talaaq Ke Baad iddat guzar gayi to Bachche ki Maa'n ko uske Baap se Doodh pilane ki ujrat talab karne Ka haq Hai aur is Soorat mai Baap ke Liye Jaa'iz nahi k wo yu'n Kahe k jab ujrat dena hi Hai to Mai'n kisi doosri Aurat se ujrat per doodh pila lunga ,( Chunki Jo Shafqat Maa'n ko ho sakti Hai Doosri Aurat ko nahi ho sakti ) , Haa'n agar Doosri Aurat Maa'n se kam ujrat per raazi ho to Maa'n ko ye Haq haasil na hoga k Bachche ko khud doodh pila de aur ujrat zyada le , Albatta Maa'n ko itna Haq Hai k doodh pilane wali Aurat ko apne paas rakhe Taki Bachche se Judaai na ho aur agar Maa'n doodh pilane per razamand ho Lekin uska doodh Bachche ke liye muzir ho to Doosri Aurat se Doodh pilwa Sakta Hai,
┱_3-- Agar Maa'n Kahe k Mai'n ise doodh nahi pilati to use Majboor nahi Kiya ja sakta Haa'n agar Bachcha kisi aur Aurat Ka doodh qubool hi na Kare to Maa'n per Waajib Hai k use doodh pilaye,
┱_4-- Jo Maa'n Badkaar ho Jiske fisq v fijoor Ka Asar Bachche per padh Sakta ho to Bachche ko jab tak samajh na aaye usko Maa'n ke paas rakha ja sakta Hai, uske Baad usse le liya jayega aur agar Koi Maa'n Esi Hai k Bachche ko Chhod kar Aksar Awqaat baahar rehti hai aur Bachche ki dekh bhaal nahi karti Jisse uske zaay hone Ka khatra hai to is Soorat mai use Haq Parwarish nahi diya jayega,
┱_5-- Agar Bachche ki Maa'n Mar Jaye ya Haq Parwarish istemal na Kare Yani parwarish ke liye inkaar Kar de ya kisi vajah se uska Haq Parwarish saaqit ho Jaye to is Soorat mai Parwarish Ka Haq Naani ko pahunchta Hai , Agar Naani na ho ya mojood to ho Lekin Parwarish se inkaar kar de to Daadi ko aur uske baad Baap Shareek Behno ko aur agar in me se Koi na ho ya Haq Parwarish istemal karne se inkaar Kare to fir Khaala ko aur uske baad Foofi ko Haq Parwarish milega ,Wo bhi na ho ya Haq Parwarish istemal na Kare to Maa'n ki Khaala ,fir Baap ki Khaala ko Haq pahunchega , Yaad rahe k Bachcha Chahe kisi ki bhi Parwarish mai rahe Bachche ka kharch Baap ke zimme honge ,
┱_6--Bachche ke rishtedaro mai agar Koi Aurat Parwarish ke liye na mile to ab Baap uski Parwarish Karne ka mustahiq hai ,Wo bhi na ho to Fir Daada ,Fir Pardaada , in me se Koi na ho to Sage Bhai ko fir Baap Shareek Bhai Jo Haq pahunchta Hai, wo bhi na ho to Jab kabhi esa waqi'a pesh aaye to Mo'atbar Aalimo se maloom kar liya Jaye ,
┱_7-- Jise Bachche ki Parwarish Ka Haq pahunchta Hai use Ladke ko Saat saal ki Umar ho Jane Tak aur Ladki ko 9 ( No ) Saal ki Umar ho Jane Tak Parwarish Ka Haq milega Yani itni muddat Tak Apne paas rakh Kar Parwarish karne Ka haq Hai,
*__Wallahu Aalam _'*
▦══─────────────══▦
ReF✿┅╮
*🗂 Tohfa E Khawateen,*
╨─────────────────────
No comments:
Post a Comment