🌸🌸🌸
.
❈ *बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम* ❈
╭•∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽•╮
*SOCIAL MEDIA ISTEMAAL*
*KARNE KE AADAAB*
╰•∽––∽–∽–∽–∽–∽–∽•╮
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ (01) Jo cheez Aap dusron ko send karte hain bhejte hain wo sab Aapke Nama e AamaaL me Likha jata hai darj hota Rehta hai isLiye Aap hamesha ye koshish karen ke hamare Nama e AamaaL me sawaab Likha jaye or Azaab waLe tamaam kaamo'n se bacha jaaye parhaiz kiya jaaye*
*⚃➠ (02) Apne awqaat ka muhaasbah karen kitne waqt social media istemaaL karte hain or kitne Awqaat quraan Shareef ki TiLawat karte hain kitna waqt deen ko seekhne or sikhane par Sarf karte hain or kitna waqt dusron kaamo'n me Sarf karte hain uske baad Apne awqaat sarf karne ka Sahi routine Tayyar karen*
*⚃➠ (03) Hamesha social media se chimte Rehna munasib nahi mehmaan ho to unka khayaaL kare waliden ke pass ho'n ya dost v ahbaab ke saath us waqt band kar dein yani sirf munasib awqaat me hi iska istemal karen*
*⚃➠ (04) Koi zaroori nahi hai jo cheez aapke paas aaye use foran Aage share kardi jaaye Nabi e Akram SaLLaLLahu ALaihi wasaLLam ne irshad farmaya Aadmi ke jhoota hone ke Liye kaafi hai ke wo har suni sunaayi baat bayan Kare isLiye sirf tehqeeq shudah cheezo'n ko hi Aage share kiya karen*
*⚃➠ (05) Koi bhi Link Shere karne se pehLe use dekhLe kahi usme koi ghaLat ya gumraahi ki baat na ho warna Agar koi aapki wajah se gunaah me mubtaLa hua uska Azaab aapko bhi milega*
*⚃➠ (06) Dusron ki gheebat biLkuL bhi na kare'n khaas kar Ulama ikraam ki dusron ka aib TaLaash karne ki bajaye Apni isLaah ki zada fikar karen isLiye ke aib TaLaash karne ke Liye zabaan sab ke pass hai*
*⚃➠ (07) Shehad ki makkhi ki misaaL bane jo khushbu'daar cheezo'n par hi beth'ti hai or Logon ko fayede ki cheez shehad deti hai aise haadsaat or waqiyaat ko share na kare'n jisse koi fayedah na ho Logo'n ko khush kare'n na ke mayoos us makkhi ki misaaL na bane jo gandgi par beth'ti hai*
*⚃➠ (08) Apne muLk or watan ke muta'alliq ghaLat baaten share na kare'n Allah RabbuL izzat ka shukr baja Laaye ke aap Apne muLk me Aazadana tor par Apne deen par AmaL kar sakte hain*
*⚃➠ (09) Logon ki izzat ke peeche na pade kisi ki jasusi na kare'n kiyu ke jo dusro'n ki izzat par haath daaLta hai Allah RabbuL izzat usko zaLeeL kar deta hai*
*⚃➠ (10) Apni whatshap ko Logon ki gheebat or buraayi ka zariya na banaaye'n yaad Rakhen ek gheebat waLi baat share karne ki wajah se Laakho'n Logo'n ka gunaah aapke sar Aajayega or aapko maLoom bhi nahi hoga*
*⚃➠ (11) Jo bhi quraani Ayat ya Hadees Aapke pass Aaye use forward karne se pehle check karLe kisi mustanad Aalim se pooch Lein kahi aisa na ho Aapke upar jhooti Hadees pheLane ka wabaaL or gunaah Aajaye*
*⚃➠ (12) Social media me shareek hona na farz hai na wajib na zaroori hai isLiye hattaL imkaan isse door Rehne ki koshish ki jaaye or jab tak waaqi koi Aham or zaroori deeni isLaah ya iLmi maqsad peshe nazar na ho to is par account na banaaye'n*
*⚃➠ (13) Social media ki Duniya me ek wasi or bahut had Na'motabar duniya hai isLiye Agar ba'waqt Zaroorat Shirkat ki jaaye to Apne maqsood tak hi munhasir Rahne ki koshish ki jaaye social media par Yaqeen kamiL kar Lena basa awqaat sakht nuqsaan ka ba'is ho sakta hai*
*⚃➠ (14) Social media par Aane se pehle Apne diL v dimaagh ka Zaroor jayezah Le Liya kare'n ke kiya Aap is qabiL hain ke sahi tor par iska istemal kar sakte hain kahi aisa na ho Apni be'iLmi ya kam iLmi ki wajah se ya nafs parasti ki wajah se Aap duniyavi Qanoon ya Ukhravi mu'aakhze me giraftaar ho jaaye'n*
*⚃➠ (15) Facebook whatshap or Twitter jesi cheezo'n par ek se zadah Account na banaaye'n jaaye'n isLiye ke ek hi takmeeL e Zaroorat ke Liye kaafi hai nez ye company isLaam ke dushman yahood v nasara ki hain jinke har account par mukhtalif qisam ke maaLi fayede hasiL hote hain or unko wo musalman ke khiLaaf istemal me Laate hain isLiye ek se zadah account nahi banane chahiye*
*⚃➠ (16) Apne password ya naji cheezo'n ko sirf Apne tak hi mehdood Rakha jaaye dusre kisi qareebi se qareebi Shakhsh ko bhi na bataya jaaye ke isse aapke account ke zariye kisi ko ched khaani ka moqa miLe isse aapko bahut bada nuqsaan bhi ho sakta hai or na hi company ke usooLo'n ke tark ka Sabab bane*
*⚃➠ (17) Mojoodah social media ya baad me ijaad hone waLe Apps me Agar isLaam ya deen ke muta'alliq ya deeni AkhLaaq ke khiLaaf koi baat manzoor karne ko kaha jaaye to aise media par account banana hargiz darust nahi hoga*
*⚃➠ (18) Kisi bhi social media par fake id naqLi id na banaayi jaaye usme dhoka jhoot or company se khayanat jesi buraayiya'n paayi jaati hain bahut se Ladke Ladkiyo'n ke Name se id bana kar Logon ko pareshaan karte hain unko Allah RabbuL izzat se darna chahiye ke wo Allah RabbuL izzat ki takhLeeq ko thukra or jhutLa rahe hain kiya wo is cheez par Qadir nahi ke wo tumko Ladkiya'n hi bana de or yaad Rakho jab tak insaan kamiL yani mukammal momin nahi ho sakta jab tak mazaakh me bhi jhoot bolna na chord de*
*⚃➠ (19) Social media ki Duniya me jaane ke baad aisa na ho ke Aadmi Apne deeni ya duniyavi faraiz v wajibaat se ghafiL ho jaaye masLan namaaz Rozah ya digar ibadaat isi tarah waliden ki khidmat bivi baccho ke huqooq taLf ho jaaye'n Agar aisa hota hai jo phir is soorat me social media ka istemaal jayaz nahi hai*
*⚃➠ (20) Social media par jaane ke baad haraam me giraftaar hone ka Andesha na ho kiyu ke is duniya me Qadam Qadam par Namehram Khawateen ki barhana tasveer har qisam ki fiLme'n Song or darame Namehram mard Khawateen ki dostiya'n or baaz Awqaat najayaz Ta'alluqaat waghaira isi tarah ghair isLaami afkaar v nazariyaat se muta'assir hone ya deen se bezaar or iLmi v amaLi tor par nuqsaan de baaton se muta'assir ho jaane or gumraah ho jaane ka poora poora imkaan rehta hai isLiye in se parhaiz Lazim hai*
*⚃➠ (21) Ghair mufeed or ghair Zaroori baato'n me waqt zaaye na ho kiyu ke social media par is qisam ki Laghwiyaat baLke Lehwiyaat badi miqdaar me mojood hain jese mukhtalif qisam ke Games Romantic Songs comedy videos is qisam ki cheezen insaan ka waqt zaaye or barbaad karti hain or hasiL kuch bhi nahi hota*
*⚃➠ (22) Company ki taraf se Aa'id kardah qawaneen ki pabandi karna Lazim hai jin kaamo'n me company ki taraf se istafadah ki ijazat hai shari hudood me rehte hue unhi ka istemaal jayaz hoga or jinse company ne mana kiya hua hai ya har ek ko uske istemaal ki ijazat nahi hai ya uska izafi paisa Lagta hai to baghair ijazat ya qeemat ada kiye istemal darust nahi hoga*
*⚃➠ (23) Aise mumaLik se social media par Rawabit rakhna Sahi nahi hai jisne hukumat ki janib se Rabta rakhna mana hai ya aise Logon se Ta'alluq rakhna jo hukumat ki nazar me mashkook ya qabiLe giraft hain kiyu unse Ta'alluq me shayad nafa to nahi Lekin nuqsaan zaroor hai*
*⚃➠ (24) Social media par jo bhi cheez daaLi jaaati hai uske Liye Zaroori hai ke wo cheez IsLaami taLimaat ki Ru se ya AkhLaaqi nuqta e nazar se deeni ya jismaani nuqsaan ka ba'is na ho jese fahish videos pictures ya cartoon waghaira najayaz fiLme'n har tarah ki jaandaar ki Tasveer AkhLaaqi soz post inki Shariyat e isLaami me koi gunjaish nahi hai*
*⚃➠ (25) Aise mawaad ya tehreer jo kisi ki diL Aazaari ka sabab ho ya Shakhshi ya ijtemayi nafrat ka ba'is ho ya nasLi v qomi firqah waranah ta'assub par mabni ho ya deeni v duniyavi or AkhLaaqi nuqta e nazar se besood ho Yani Logo'n ka isse koi fayedah na ho jese baaz hazraat bewajah khane Sabziyo'n ke pictures sirf like ke hudood ke Liye daaLte hain so is Qisam ki Laghwiyaat se parhaiz Lazim hai*
*⚃➠ (26) Jo bhi mawaad daLa jaaye iLmi tehqeeq or mustanad ho jhoot or dhoke ka isme dakhaL na ho isi tarah mukhtalif qisam ki khabro'n ko us waqt tak share na kiya jaaye jab tak ke kamiL tehqeeq na ho jaaye kiyu ke ba'raha dekha gaya hai ke koi khabar Uda di or social media par Aam hi nahi baLke chaa gayi phir tehqeeq ke baad maLoom hua ke biLkuL ghaLat khabar thi*
*⚃➠ (27) Is Waqt social media par ye baat Kasrat se Aam ho gayi hai ke Log mukhalif hadsaat me hone waLi Amwaat ki Laasho''n shuhada or buzurgo'n ki tasaveer or janaze ke photo ya video haj v umrah ki tasveere'n sirf share hi nahi karte baLke usko sawaab samjhte hain haLanke uske gunaah hone me kisi shak ki gunjaish nahi isi tarah chote bacche or bacchiyon ki tasveere'n mareezo'n or boodhe maa baap ya Rishtedaaro'n ki Tasveere'n daaL kar unke Liye dua e Khairiyat v sehat ki darkhast ki jaati hai haLanke aisa karna shar'an Najayaz or haraam hai*
*⚃➠ (28) Apne profile ya dp par Na Apni Tasveer Lagaye'n na kisi or jaandaar ki baLke phooL boote ya shar'an jayaz cheezo'n ka istemaal kare'n umuman company ki taraf se is siLsiLe me koi MutaaLbah nahi hota hai ke Apni hi Tasveer Lagayi jaaye isLiye isse bachna wajib hai*
*⚃➠ (29) Mehram mard or Aurat ka jis tarah aise hi jayaz Ta'alluq Shariyat me rawa hain social media ke zariye bhi darust hai or hudood e Shariyat me Rehte hue usse is tafadah kar sakte hain*
*⚃➠ (30) Ajnabi mard or Aurat ka Facebook ya whatshap ya kisi or cheez par baghair kisi shari uzar ke dosti karna baat cheet karna hasi mazaakh ya dostana message bhejna jayaz nahi isi tarah ek dusre ko photo bhejna ya koi bhi aisa kaam karna jisse fitne ka andesha ho shar'an darust nahi*
*⚃➠ (31) Ba'waqte Zaroorat Ajnabi mard v Khawateen kisi iLmi ya deeni ya kisi zaroori kaam ki bina par social media ke Zariye raabtah kar sakte hain Magar sirf is had tak ke jo jayaz kaam poora ho jaaye nez isme bhi agar fitne ka andesha ho to jayaz nahi hoga*
*⚃➠ (32) Whatshap ya Facebook par aisa group jisme mard v Khawateen dono shareek ho'n shareek hona behtar nahi hai mard or Khawateen ka aLag aLag group hona chahiye ke isme har Qismat ki bhaLaayi hai*
*⚃➠ (33) Ghair muslim Aurat musalman Aurat se or musalman mard ghair muslim mard se social media par shar'ee amoor or deeni mizaaj ko maLhooz rakhte hue Ta'alluq rakh sakte hain Magar Ahtiyaat Zaroori hai iLLa ye ke ghair muslim ko isLaam se muta'assir karna maqsood ho khususan jab ke muta'assir hone ke asaar nazar Aa Rahe ho'n*
*⚃➠ (34) Ajnabi Aurto'n or Ladkiyo'n ki tasaveer ya unki post se na hi koi diLchaspi Lee jaaye or na hi koi comment Likha jaaye iLLa ye ke koi aisi baat ho us par comment karne ka maqsad sirf isLaah ho*
*⚃➠ (35) Kisi bhi qisam ki gandi post ya Tehreer par beja comment na kiya jaaye baLke Sharifana andaaz me na hi us par Nazar daaLi jaaye or Na hi tawajjoh markooz ki jaaye*
*⚃➠ (36) Kisi khabar ki jab tak mukammal tehqeeq na ho jaaye us par mukhtalif qisam ke alfaaz me comment ya Raaye na di jaaye aaj kaL aksar dekhne me aata hai kisi ki wafaat ki khabar Udi ya bimaari ki khabar kisi ne daaLi or Daiya'n kaLimaat nawaaz ne waLon or Aameen kehne waLo'n ka ek bada majma us post par toot padta hai jab ke ye nihayat hi ghair munasib or beja baat hai biLa tehqeeq is qisam ke kaam na kiye jaaye*
*⚃➠ (37) Kabhi aisa hota hai ke deen e isLaam ya kisi or mazhab ya mazhab ki muqaddas shakhsiyat se muta'alliq behas chid jaati hai or us par comment par comment ki bhar maar hoti hai is siLsiLe me pehLi baat to ye hai ke jab tak uske muta'alliq behtar or darust maLumaat na ho aisi cheezo'n me hissa na Liya jaaye kiyu ke ain mumkin hai ke Aapki La'iLmi ya kam'iLmi unke Liye taqwiyat or aapki be'izzati ka ba'is ho jaye Lekin Agar aapko maLumaat hai to us par munasib or mufeed comment kar sakte hain Magar AdL ka daman haath se na jane dein aapke comment ke alfaaz muhazzib ba'mana muassir mudaLLaL ho'n Andaaz e tehreer me tanz v tehqeer ki bu na Aane dein ke yahi tehreer ka asLi husn or isLaah ka behtar tariqah hai*
*⚃➠ (38) Ba'raha aisa hota hai koi Shakhsh aisi post share kar deta hai tasveer ya koi or cheez Aam kar deta hai jo muLk or Qoum ya hukumat ke khiLaaf ho aisi cheezo'n par hargiz Radde amaL Zahir na karen ye cheez aapke liye hukumat ki janib se saza or museebat ka sabab ban sakti hai or ain mumkin hai ke hukumat se ghaddari ke iLzaam me pareshaani khadi kardi jaaye*
*⚃➠ (39) Comment box ke istemal me Apni deeni Qoumi or iLmi v mazhabi waqaar ko maLhooz Rakhen kabhi hargiz aisa comment na likhe'n jisse Log Aapke baare me bad'gumaan ho ya Aapki shakhsiyat ko dhakka Lage Apni comment ke Zariye musbit soch or khidmat e khaLq ko madde Nazar Rakhen basa awqaat ek jumLah hi aapki sar'buLandi karne or kabhi niche girane ka Sabab ban sakta hai*
*⚃➠ (40) Aisi wab site jinme sirf fahash cheezen ho'n jo sirf La'deeniyat or mazhab bezaari ke mawaad par mushtamiL ho'n unka khoLna or unse istafadah shar'an Najayaz hai isi tarah kisi ko uske muta'alliq jaankaari dena bhi haraam hai kiyu ke is Qismat ki cheezen nafs parasti par mabni hoti hain ke mane faLa'n song suna ya film dekhi tum bhi dekhna acchi hai ye gunaah ki dawat dena aapki dawat dene par agar wo gunaah karta hai to aap bhi us gunaah me barabar ke hisse'daar hain*
*⚃➠ (41) Mehfooz mawaad chori karna ya dusre ka mawaad Apne naam se wab site par daaLna ya Facebook whatshap pe share karna jayaz nahi isi tarah kisi ke Naam se ghaLat mawaad daaLna shar'an haraam hai*
*⚃➠ (42) Aisa mawaad ya kitaabe'n ya game ya koi bhi cheez jis par pabandi ( band ) ho ya hukumat ki nazar me mashkook ya qanoonan mamnu ho use dawnLoad karna qat'an Najayaz hai kiyu ke kaL kiya khabar wo cheez Aapki zindagi ke liye wabaaL ban jaye*
*⚃➠ (43) Har wo cheez jo isLaami ya AkhLaaqi nuqta e nazar se mana ya Napasandidah ho jese fiLme'n Gaane Dance barhana tasveer behoodgi par mushtamiL cheezen dawnLoad karna jayaz nahi isse bachna aise hi Lazim hai jese digar haraam cheezo'n se bachna wajib hai*
*⚃➠ (44) Neki ki targheeb dene waLa bhi neki karne waLe ki tarah hai Agar aap kisi ko deeni baat koi accha amaL send karte hain or samne waLa us par AmaL pera hota hai to aapko bhi uska sawaab miLega isi tarah agar aap ghaLat cheez share karte hain or koi us par AmaL pera hota hai uska gunaah aapko bhi miLega isLiye hamesha deeni mawaad hi share kare'n*
*⚃➠ (45) Ek sawaaL ye peda hota hai ke kiya Shohar or Bivi ko ya waliden Apne kamsin baccho ko social media ke istemal se Rok sakte hain to is siLsiLe me arz hai ke awLaad Khawateen or kamsin baccho ko khud is baLa se door rehna chahiye Lekin Agar wo istemal kar Rahe ho'n or Shohar or Bivi ke AkhLaaq bigadne ya uski Asmat v izzat ke siLsiLe me qawi Andesha ho to wo mana kar sakta hai isi tarah waliden ko bhi Apne baccho ko iske istemal se Rokne ka shar'an Akhtiyaar hai*
*⚃➠ (46) Aaj Agar ham ghor karen miya bivi ki zindagiyo'n me 80 feesad jhagde social media ke istemal ki wajah se hain shohar mana karta hai or Bivi manti nahi hai or baat jagdo'n se Lekar ALag hone tak Aajati hai ye bahut badi ghaLti hai Agar Shohar mana kar raha hai to maan jana chahiye Agar Shohar khud is cheez me mu'Lavvis hai to usko bachna chahiye or social media ka Sahi istemal karna chahiye ghaLat istemal se parhaiz karna chahiye*
*⚃➠ (47) Aaj kaL bahiri muLko'n me phone karne or paise bachane ke Liye ya kisi or zaroorat ki wajah se video calling ki jaati hai is siLsiLe me video calling ke zariye se jo cheez nazar aati hai wo tasveer ke hukm me nahi hai baLke wo saaya ya aks ke hukm me hai uski misaaL aisi hi hai jese Aaine me kisi ki soorat nazar Aayi kiyu ke isme kisi bhi qisam ka Sabaat or Thehrao nahi hota yahi wajah hai Agar samne waLa Shakhsh camera se hat jaaye ya dusri taraf camera ko kar de to uske andar uski tasver or aks baaqi nahi rehta baLke uske hat jane se foran ghayab ho jata hai isLiye iska hukm tasveer ka nahi hoga or jab iska hukm tasveer ka nahi to uska istemal jayaz hoga or ye goya aisa hi hai jese Do Log Aamne samne beth kar baat cheet kar rahe ho'n video calling ke siLsiLe me ye baat bhi maLhooz rahe ke jis taraf Aamne samne ghair mehram se guftagu baghair kisi uzar ya zaroorat ke jayaz nahi isi tarah video calling ki soorat me bhi jayaz nahi hoga isi tarah ye bhi Zaroori hai ke samne waLe se baat karte hue wo is haal me na ho ke uska satar nazar Aaye in umoor ki Riayat karte hue video calling karna jayaz or darust hai*
*⚃➠ (48) Ek Aham baat ye hai ke social media ke zariye cricket ya or digar games dekhna ya kisi apps ke zariye ye games kheLna is siLsiLe me arz ye hai ke Logon ke Tajurbaat se maLoom hota hai ke in cheezo'n me siwaaye waqt zaaye ke or koi cheez hasiL nahi hoti isLiye is tarah ke games ka shumaar Lehwiyaat or Layani cheezo'n me hoga isko kheLna or dekhna nihayat Na'munasib or Nasha'ista baat hogi*
*⚃➠ (49) Chori ki wifi ya net se social media ka istemaal jayaz nahi hai kiyu ke kisi ki cheez baghair uski ijazat ke istemal karna jayaz nahi hai Lihaza isse bachna chahiye haa'n Agar kisi ne ijazat de Rakhi ho to baat Alag hai*
*⚃➠ (50) Mere Azeezo'n or bhaiyo'n Aaj se ham sab Ahad kare'n ham social media ko uske Aadaab ki Riayat rakhte hue istemal karenge deen ke Liye istemal karenge ghaLat istemal kar ke Aakhirat me isko Apni pakad ka zariya nahi banayenge Allah RabbuL izzat tamaam baaton par AmaL ki tofeeq Ata farmaaye Aameen ya RabbuL AaLameen*
*╟❥ ALHAMDULILLAH MUKAMMAL*
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
🌸 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd* 🌸
︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶
⌈﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂⌉
✍🏻 *RAAH-E-HAQQ*
www.raahehaqq.blogspot.in/?m=1
www.youtube.com/RaahehaqqMedia
👆🏻👆🏻 *Visit for all Msgs*
⌊﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁⌋
🌸🌸🌸
Social media ke Istemal ke Aadab ke images kaha milenge... Koyi link ho toh bhejiye... +91 9030230805
ReplyDeleteMujhe whatshap pe connect Kar lijyega 7037363325
DeleteComment ka koyi jawab hi nahi mila..!!
ReplyDeleteCertain dissertation web sites over the internet courses currently have evidently unveiled while in the web-site. social media
ReplyDeleteWow, What an Outstanding post. I found this too much informatics. It is what I was seeking for. I would like to recommend you that please keep sharing such type of info.If possible, Thanks. SMM PANEL IN INDIA
ReplyDeleteThere are several dissertation websites online because you purchase apparently with their known inside web site. Cheap SMM Panel in India
ReplyDeleteAn interesting dialogue is price comment. I feel that it is best to write more on this matter, it may not be a taboo topic however usually individuals are not enough to talk on such topics. To the next. Cheers. زيادة لايكات انستقرام
ReplyDeleteCool you inscribe, the info is really salubrious further fascinating, I'll give you a connect to my scene. explanation
ReplyDeletethanks this is good blog.
ReplyDeletesmm provider
Amazing
ReplyDeleteWhat is Instagram panel?
ReplyDeleteView your Instagram feed in a panel within Google Chrome. View your Instagram feed in a panel within Google Chrome. This extension adds a panel to your Google Chrome™ that displays an optimised view of your Instagram feed! You may need to enable the panel flags in Chrome before the panel will work for you.
Best smm panel
dumped Facebook almost two years ago and I haven't missed it. People tend to be right assholes when they are hidden behind a keyboard. smm panel
ReplyDeleteok onto
ReplyDelete