🥀🥀🥀
.
❈ *बिस्मिल्लाहिर्रहमानिर्रहीम* ❈
*BEWAQOOF BIVIYO'N KI*
*50 NISHANIYA'N**
*PART-01*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠(01) SHOHAR KE RISHTEDAARO'N SE NAFRAT KARNA*
*⚃➠Ek JahiL Bivi hamesha Apne shohar ke Rishtedaaro'n se nafrat Karti hai or unke Saath ghuL miL Kar Rehne ki bajaaye ek munasib faasLah barqaraar Rakhne ki koshish Karti hai shohar ke maa baap or Behan Bhai ke Saath Kabhi khush diLi se pesh Nahi Aati or mamooLi baato'n par SusraaLiyo'n se Lad jhagad Kar Ghar me Tanao ki kefiyat peda Kar Leti hai*
*⚃➠(02) SHOHAR KO AHMIYAT NA DENA*
*⚃➠ jahiL Bivi ki ek nishaani ye bhi hai wo Kabhi shohar ko Ahmiyat Nahi deti jiska wo haqdaar hai aisi aksar biviya'n shohar ko bas paisa kamane ki Masheen Samajhti Hain or shohar ki bajaaye uski Aamdani par Zadah Tavajjoh markooz Rakhti Hain shohar ko behre soorat Bivi ki ek munasib or be'gharz Tavajjoh darkaar Hoti hai jisse Laparwaahi FaasLao'n ko janam deti hai*
*⚃➠ (03) GHAR PE TAVAJJOH NA DENA*
*⚃➠ jahaLat ki ek nishaani Ghar par tavajjoh na dena bhi hai aisi Bivi ghareLu maamLaat se Laparwaah si Nazar Aati hai hatta ke Ghar me Zaroori kaam kaaj or Aham maamLaat bhi Jo ek Aurat hi ki tavajjoh ke mutazi hote Hain Adhoore pan Ka shikaar Nazar Aate Hain aisi khatoon Ka Ghar Safaayi v suthraayi se Aari Nazar Aata hai ye mahoL Aahista Aahista Ghar ke Afraad ke Ravvayo'n me bhi Rach bas jaata hai or meyaare zindagi ko zawaaL Ka shikaar Bana deta hai*
*⚃➠ (04) BACCHO PAR TAVAJJOH NA DENA*
*⚃➠ Ek Laparwaah mijaaz ki hamiL Bivi Ghar ke Saath Saath baccho ke maamLaat me bhi be'tavajjohi Baratti hai wo na to khud zindagi ke dastoor v tor tareeq ko Ahmiyat deti hai or na hi baccho ko uska dars deti Nazar Aati hai aise MahoL me paLne waLe bacche Kabhi bhi zindagi ke Sahi Iqdaar se Aagah Nahi ho paate kiyu ke beharhaaL bacche ki pehLi darsgaah maah ki god Hoti hai baccho ke maamLaat me is farz se kotaahi Miya Bivi ke darniyaan shikve v shikayato'n ki diwaar khadi Kar deti Hai*
*⚃➠ (05) WAQT KI PABANDI NA KARNA*
*⚃➠ JahiL Bivi ko waqt ki Ahmiyat Ka koi idraak Nahi hota Uske bacche school or shohar office hamesha Late jaate Hain Nashata lunch or dinner waghaira ke koi Awqaat muqarar Nahi hote aisi khatooon ke ghareLu kaam kaaj Afra Tafri ke shikaar Rehte Hain munasib Time management Adam mojoodgi Ghar ke Afraad ke mijaaz me chid chide'pan ko janam deti hai or ghar Ka pur'sakoon mahoL bad'nazmi ki Nazar Ho jaata hai*
*⚃➠ (06) SHOHAR SE BAD'ZUBAANI*
*⚃➠ MamooLi Ladayi jhagdo'n me Baaz awqaat masLihatan khamoshi Akhtiyaar Kar Lena or ghaLtiyo'n ko ignore Kar dena Ghar ke mahoL par nihayat Accche asraat murattib karta hai Magar ek jahiL Bivi in tamaam khususiyaat se Na'waqif Hoti hai MamooLi baato'n par Behas v takraar or bad'zubaani par utar Aati hai iska Ravayya shohar ke Saath izzat v Ahtaraam se Aari hota hai behas v takraar bad'zubaani v bad'tehzibi Ka ye Ravvaya biL'aakhir shohar ko Ghar or Bivi se bad'diL Kar deta hai*
*⚃➠ (07) SHOHAR KI GHAR AAMAD KO AHMIYAT NA DENA*
*⚃➠ Is Article ko padhne waLi Tamaam khawateen se meri guzarish hai ke ek Lamhe ke Liye Zara ye Tasavvur kijye ke aap ek shohar Hain Jo kaam se thaka haara bhooka piyaasa Ghar Wapas Aaya hai or Aapki Bivi ne Na Aapki Aamad ko Ahmiyat Di na Aapke haatho'n me paani Ka giLaas thamaya or Na khane ko poocha to aap Kiya mehsoos karengi ek jahiL Bivi shohar ki Aamad par Aisa hi bartao Ka muzahira Karti hai*
*⚃➠ (08) DUSRI AURTON KE SAAMNE SHOHAR KI BURAAYI BAYAAN KARNA*
*⚃➠ Ek jahiL Bivi shohar ki khoobiyo'n par Kam or khaamiyo'n par Zadah Nazar Rakhti hai Na Sirf ye BaLke wo digar khawateen or Logo'n ke Samne bhi bade dukh ke Saath un khaamiyo'n Ka tazkira Karti Nazar Aati hai use is haqeeqat Ka Sha'oor hi Nahi hota ke shohar ki khaamiyo'n Ka Yun dusro'n ke Samne Bayaan Karna un khaamiyo'n ko door to Nahi Kar Sakta haa'n par Ghar ki fiza me Kuch pecheedgiya'n Zaroor peda Kar deta hai*
*⚃➠ (09) SHOHAR KE WALIDEN SE BAD'TAMIZI*
*⚃➠ Shohar ke maa baap ki izzat na Karna or unke Saath bad'tamizi se pesh Aana jahiL Bivi ki sab se Aham nishaani hai Ye Ravvaya Ghar ke MahoL ko biLkuL bigaad ke Rakh deta hai*
*⚃➠ (10) SHOHAR SE SUSRALIYO'N KI BURAAYI V SHIKAYAT BAYANA KARNA*
*⚃➠ Shohar ke Ghar waLo'n ke Saath husne saLook se pesh Aa Kar ek Accha MahoL tashkeeL dene ki banaye ek jahiL khatoon na Sirf unke Saath muqaabLe or Tanao ki kefiyat peda kiye Rakhti hai BaLke shohar se unki gheebat or shikayaat bhi bayaan Karti hai or ghar me Ladaayi v jhagde Ka Ba'is Banti hai Ghar waLo'n ke Saath chote chote tanaza'at jinse Samjhota Kar ke ek SaLiqe mand khatoon khushgawaar Ta'alluqaat ko tashkeeL deti hai ek jahiL khatoon unko Ana Ka masLah Bana Leti hai*
*⚃➠ (11) SHAKKI BIVI*
*⚃➠ Shohar ko hamesha shak ki Nazar se dekhna ek jahiL Bivi ki Aham nishani hai ye be'buniyaad Shakook v Shabahat Na Sirf zehan ko BaLke Ghar ko bhi jahannam Bana dete Hain*
*⚃➠ (12) FIZOOL KHARCH BIVI*
*⚃➠ fizooL kharchi bhi jahiL Bivi ki Nishaani me se ek hai aisi bivi shohar ki Aamdani v Ghar ke kharch me koi tanasub Nahi Rakhti or na ghair Zaroori Akhrajaat ko Cuntrol Karne ki koshish Karti hai is maamLe me musaLsaL La'parwaahi Aakhir kaar maaLi Tang'gi ko Janam deti hai*
*⚃➠ (13) NAKHRE WAALI BIVI*
*⚃➠ Hamare yaha'n Aksar biviyo'n me baat baat par moond of Kar Lene or biLa wajah Nakhre me rehne ki Aadat Paayi jaati hai aisi khatoon khud ko Sab se ALag thaLag koi Unche darje ki makhLooq Samjhti hai shohar ke Saath aise Ravayye Ka musaLsaL bartao Aahista Aahista na Sirf is Ravayye ki Ahmiyat ko ko khatm karta hai BaLke shohar ke diL me bezaari ke jazbaat bhi peda Kar deta hai*
*⚃➠ (14) SHOHAR KI HOSLAH AFZAAYI NA KARNA*
*⚃➠ Ek jahiL Bivi Kabhi bhi shohar ki Kisi kaamyaabi ya Kisi khoobi ki tareef Kar ke uski hosLah Afzaayi ki Zaroorat mehsoos Nahi Karti Hamare is mu'aashre me jaha'n ek insaan ko Qadam Qadam par Logo'n ke hosLah shikan Ravayyo'n Ka Samna Rehta hai Bivi ki Taraf se hosLah Afzaayi ke do boL shohar ke Liye badi Ahmiyat ke hamiL hote Hain*
*⚃➠ (15) KHANE ME SHOHAR KI PASAND KA KHAYAAL NA RAKHNA*
*⚃➠ Aksar awqaat shohar ki Pasand ke mutabiq khane banane Ka Ahtamaam is Rishte ko mazeed mazboot or khushgawaar Banane me Aham kirdaar Ada karta hai magar is sha'oor se Aari Bivi ko khane peene ke maamLe me shohar ki Pasand v Na'pasand Ka pata hi Nahi hota or wo pata Lagane ki koshish bhi Nahi Karti AsaL me ek jahiL khatoon ki Nazar me shohar ki Pasand v Na'pasand ki koi Ahmiyat hi Nahi hoti*
*⚃➠ (16) GHAR KA BUDGET NA BANANA*
*⚃➠ Ek jahiL khatoon Kabhi Ghar Ka budget banane ki zehmat gawarah Nahi Karti Ghar ke Akhrajaat par uska koi cuntrol Nahi hota mushkiL waqt ke Liye jama ki gayi Raqam kha kitni hi Kam kiyu na ho Aksar Kisi badi Pareshani se bacha Leti hai ye khatoon is haqeeqat Ka La'parwaah Hoti hai*
*⚃➠ (17) SHOHAR KI ZAATI ISTEMAAL KI CHEEZO'N KA KHAYAAL NA RAKHNA*
*⚃➠ Ek jahiL Bivi shohar ki zaati istemaaL ki Cheezo'n Ka Kabhi khayaaL Nahi Rakhti or Na unhe munasib Jagah par Rakhti hai jab bhi shohar ko Kisi cheez ki zaroorat hogi wo Nahi miLegi Aisa Karna Aapas me gussa or Ladayi ko Janam deta hai*
*⚃➠ (18) KAAM PAR JAANE KI TAYYAARI ME SHOHAR KI MADAD NA KARNA*
*⚃➠ muLazimat par ya Kisi bhi Aham kaam ke siLsiLe me Ghar se bahir jaate hue shohar ki tayyari me madad Karna bazahir ek Chota Sa AmaL hai Lekin is Rishte ko mazboot banane me nihayat Aham kirdaar Ada Kar Sakta hai ek jahiL Bivi is maamLe me bhi nihayat La'parwaahi Ka muzahirah Karti hai*
*⚃➠ (19) DUSRE LOGO'N KE SAMNE SHOHAR KI IZZAT NA KARNA*
*⚃➠ Ek jahiL Bivi ko shohar ki izzat v Ahtaraam Ka koi khayaaL hi Nahi hota Na Sirf Ghar me BaLke wo dusre Logo'n ke Samne bhi shohar se isi Ravvye ke Saath pesh Aati hai or shohar ke Liye Sharmindagi Ka Ba'is Banti hai Bivi Ka ye Na'munasib Ravayya is Rishte me Daraad daaLne Ka Sabab banta hai*
*⚃➠ (20) BAAR BAAR MAYEKE JAANE KI ZID KARNA*
*⚃➠ Ghar par tavajjoh dene or use Sawaarne ki banaye ye khatoon Aaye din mayeke jaane ki zid Karti hai Ghar ko Uski mojoodgi ki kis had tak Zaroorat hai wo is baat Ka idraak Karne ki Zaroorat hi mehsoos Nahi Karti Bivi ki Ghar se ghair mojoodgi ek had se badh jaaye to shohar ke Ander Ghar se Adam dilchaspi ke Anasir ko Janam deti hai or biL'aakhir Ghar ek makaan ban Kar Reh jaata hai*
*⚃➠ (21) FIZOOL MASHAGHIL ME APNA WAQT ZAAYE KARNA*
*⚃➠ Ek jahiL Bivi ki Aham Nishaani ye bhi hai ke Wo apna bahut sa waqt fizooL kaamo'n ki nazar Kar deti hai masLan Der tak mobile chaLana ya leptop v computer me waqt zaaye karna aisi khatoon ke aksar kaam Adhoore pade Nazar Aate Hain baccho v Ghar ki Safaayi suthraayi or kitchen ke maamLaat me bhi Laparwaahi Ka ghaLba Nazar Aata hai*
*⚃➠ (22) SHOHAR KE AATE HI MOOND OF KAR LENA*
*⚃➠ Ghar Ka mahoL ya digar maamLaat Agar Bivi ki marzi v Pasand ke mutabiq na ho to Apni Samjhdaari or husne tadbeer se MasaiL ko haL Karne ki koshish karne ki bajaye ek jahiL khatoon gussa v naraazgi Ka Apna wateer Bana Leti hai Shohar ki Ghar waapsi par bhi uska moond of hi rehta hai ye Ravayya Ghar ke mahoL me bezaari ki kefiyaat ko Janam deta hai or shohar ke Liye zehni karb Ka Ba'is ban jaata hai*
*⚃➠ (23) FIZOOL QISAM KI FARMAISH KARNA*
*⚃➠ Asar Biviya'n shoharo'n se Rozana new farmaish Karti Rehti Hain Hamare mu'aashre me jaha'n Asar gharano me Zaroorato'n ke Liye bhi jagah Kam pad jaati hai had se zadah khahisho'n Ka wajood ek Zimmedaar shohar ke Ander Ahsaas e kamtari ke jazbaat ko Deta hai*
*⚃➠ (24) GHARELU MAHOL PUR'SAKOON RAKHNE KI KOSHISH NA KARNA*
*⚃➠ Ek jahiL Bivi Kabhi ghar ke mahoL me behatri Lane or use pur'sakoon banane ki Zaroorat hi mehsoos Nahi Karti aisi khatoon Ka Baccho'n par cuntrol bahut kam hota hai hatta ke shohar ke Aaraam ke awqaat Ghar par mehmano'n ki Aamad or aise hi digar maamLaat me wo baccho ki cheenkh v pukaar Ladayi jhagdo'n shor v ghuL ko cuntrol Karne ki koshish Nahi Karti ghar ke mahoL ko pur'sakoon banane me Adam dilchaspi ya Nakaami Aahista Aahista Baccho'n ki nafsiyaat ko bigaad ki Taraf maiL Kar deti hai*
*⚃➠ (25) SHOHAR SE USKE GHAR WAALO'N KI SHIKAYAT KARNA*
*⚃➠ Shohar se Uske maa baap Behan Bhai or diger Ghar waLo'n ki jhooti sacchi shikayat Karna ek jahiL Bivi Ka Rozana Ka kaam hai uska ye Ravyya Kabhi Ghar Ka MahoL darust hone Nahi deta or tamaam Ghar waLo'n ki Zindagi se Chen v sakoon Cheen ke Rakh deta hai*
*⚃➠ (26) SHOHAR KO KAM AAMDANI KE TAANE DENA*
*⚃➠ Shohar ki Aamdani Agar Kam ho to aksar Biviya'n shohar ki hosLah Afzaayi Karne or Aamdani ke mutabiq budget tarteeb dene ki bajaye shohar ko Kam Aamdani ke Taane dena shuru Kar deti Hain ek jahiL Bivi ko Kabhi is baat Ka Ahsaas Nahi hota ke uska ye Tarze AmaL Aamdani Nahi badha Sakta hai ALbattah diLo'n or zehno'n me faasLe'n Zaroor badha Sakta hai*
*⚃➠ (27) SHOHAR KE MEHMAANO'N KI AAMAD PAR MOOND KHARAAB KAR LENA*
*⚃➠ Ek jahiL Bivi ko shohar ke mehmaano'n ya Rishtedaaro'n ki Aamad Na Sirf Na'gawaar guzarti hai BaLke wo unki Aamad par ba'qayedah moond of Kar Leti hai or chid chidepan Ka muzahirah Karti hai Hamare mu'aashre me jaha'n Afraad e Khana Rassiyo'n ki Tarah Aapas me Jud Kar khandaan ke nizaam Ka jaaL bunte Hain us ek Rassi Ka khichao baaz awqaat khandaani nizaam ke poore jaaL me Tanao ki soorate haaL peda Kar deta hai*
*⚃➠ (28) SHOHAR KE AYBO'N KI PARDAH POSHI NA KARNA*
*⚃➠ Har insaan ki zaat me khoobiyo'n ke Saath Saath Kuch aib bhi paaye'n jaate Hain Hamara Mu'aashrati nizaam Apni behtar Nashu v numa ke Liye Miya bivi Dono ek dusre ke Liye tahammuL v bardasht or ek dusre ki khaamiyo'n or buraiyo'n ko chupane or unka dusre Logon ke Samne charcha Na Karne Ka Taqazah karta hai taake khandaani nizaam ki ye Gaadi Darust patri par gaamzan Rahe Lekin Hamare yaha'n biviyo'n Ka ek jahiL tabqah Aisa bhi paaya jaata hai Jo Hamare mu'aashre ki in suheri baato'n or Naseehato'n ko Kabhi khatir me Nahi Laata*
*⚃➠ (29) SHOHAR KI BAAT KO TAVAJJOH SE NA SUNNA*
*⚃➠ Ek jahiL Bivi me ye Aham khaasiyat bhi paayi jaati hai ke Wo Kabhi shohar ki baat ko tavajjoh se Nahi sunti bazahir wo ye zahir Karti hai ke poori tavajjoh ke Saath sun Rahi hai Magar uska dhiyaan kahi'n or hota hai Ye Ravyya Kabhi Zehni Ham Aahangi peda hone Nahi deta*
*⚃➠ (30) SHOHAR KI TAREEF NA KARNA*
*⚃➠ Insaan dusron se Khaas tor par Apne Qaribi Logo'n se Apni Tareef sunne Ka muta'manni hota hai ek Bivi ki Taraf se shohar ki Kisi Acchayi ya khoobi ke Liye kahe Gaye Tareef ke chand kaLimaat is Rishte ki mazbooti ke Liye nihayat Aham ho sakte Hain Magar ek Laparwaah Qisam ki Bivi Kabhi is Zaroorat ki Taraf dhiyaan hi Nahi deti or me to kehta Hun Tareef ek aisi cheez hai Jo dushman ko bhi Apna Bana deti hai*
*⚃➠ (31) HAR WAQT KARCH KI TANG'GI KA RONA : RONA*
*⚃➠ Aksar bivi'yan ek maqooL meyaare Zindagi ke mayassar hote hue bhi Na Sirf shohar ke Samne BaLke dusre Logo'n ke Samne bhi maaLi Tang'gi Ka Rona Roti Rehti Hain be'itminani or na'shukri Ka ye Ravyya Raftah Rastah Ghar ke mahoL me Ahsaas e mehroomi Ka unsur ShamiL Kar deta hai*
*⚃➠ (32) CHOTI CHOTI BAATO'N PAR BEHAS KARNA*
*⚃➠ Ek JahiL Bivi choti choti baato'n par Behas shuru Kar deti hai or biL'aakhir nobat Ladaayi v jhagde tak pohuch jaati hai ye Ravyya shohar ke mijaaz me bezaari or chid chidapan peda Kar deta hai*
*⚃➠ (33) BACCHON KE SAMNE SHOHAR KE KHAMIYA'N BAYAAN KARNA*
*⚃➠ Ek baap Apne bacchon ke Liye unki Zindagi Ka pehLa Rool madel hota hai or wo baap ki khaamiyo'n ko bhi khoobi Samjh Kar Apnaate Hain to dusri taraf maa ki zaat pehLi Rehnuma Hoti hai us bacche ki Aankhen usi pehLi Rehnuma ki Nazro'n se hi duniya ko dekhti Hain bacche ke Samne shohar ki buraayi bayaan Karna ek JahiL Bivi Ka nihayat hi Ahmaqana Tarze AmaL hota hai Jo baccho'n ke diL dimaagh v zehan me be'aytamadi Ka unsur peda Kar deta hai*
*⚃➠ (34) SHOHAR KE GUSSE YA MOOND KI PARWAAH NA KARNA*
*⚃➠ Ek JahiL Bivi ko shohar ke gusse or moond ki koi parwaah Nahi Hoti BaLke wo Apni hi dager par chaLti Rehti hai or Apni zaat me mast v magan Rehti hai waqt ke Saath Saath bacche bhi yahi Tarze AmaL Apna Lete Hain or shohar ki Apni Zaat be'mana Lagne Lagti hai*
*⚃➠ (35) SHOHAR KO BINA BATAYE GAHR SE BAHIR PHIRNA*
*⚃➠ Aksar JahiL Qisam ki biviyo'n ko biLa wajah Ghar se bahir phirne ki Aadat Hoti hai jab ke Hamare muaashre ke Zada tar gharane ek Bivi se is Tarze AmaL ki ummeed Nahi Rakhte Bivi ki Ghar me Adam mojoodgi se bekhabri Na Hamare muaashrati Iqtedaar ke mutabiq hai or Na Aaj ke haLaat Ka taqazah ek JahiL Bivi ke Ye Amal ek had se bahir nikaL jaye to ghareLu zindagiyo'n me pecheedgiyo'n ko janam deta hai*
*⚃➠ (36) GHAR KI CHEEZO'N KI HIFAZAT NA KARNA*
*⚃➠ Ek JahiL Bivi ki Nazar me Ghar ki Qeemti Cheezo'n ki bhi koi Ahmiyat Nahi Hoti AsaL me use Cheezo'n ko SanbhaaL Kar rakhne ki Aadat hi Nahi Hoti Kayi'n cheeze'n jo bawaqte Zaroorat kaam de Sakti Hain Laparwahi ke Sabab Toot phoot Ka shikaar ho kar Raddi ki Nazar ho jaati Hain*
*⚃➠ (37) BACCHO'N KI TALEEM V TABIYAT SE LAPARWAHI*
*⚃➠ Baccho ke khane peene or safaayi Aaraam Ka khayaal Rakhne ke Saath Saath unki taLeem v tarbiyat or zehni nashu v Numa me ek maa Ka nihayat Aham kirdaar hota hai or yahi kirdaar Insaan ke ghareLu mahoL ko diger makhLuqaat ke ghareLu mahoL se juda karta hai Magar Aksar khawateen baccho'n ki diger Zarooriyat Ka to khayaaL Rakhti Hain Magar unki taLeem v tarbiyat me ghafLat baratti Hain or unko zindagi ke Sahi Tor v Tareeq se Aagah Karne ki koshish Nahi Karti mukhtasar ye ke baccho'n ki taLeem v tarbiyat se Laparwahi jahaLat ki Aham nishaani me se ek hai*
*⚃➠ (38) SHOHAR KE SAMNE DUSRI KHAWATEEN KE SHOHARO'N KI KAAMYABIYO'N YA ACCHAYI'YON KI TAREEF KARNA*
*⚃➠ Aksar JahiL Bivi'yo'n me shohar ke Samne dusri khawateen ke shoharo'n ki kaamyabiyo'n or khoobiyo'n Ka tazkirah Karne ki Aadat paayi jaati hai shohar se wabastah Bahut Saari ummeedein jab poori Nahi ho paati to Aksar bivi'yan shohar Ka dusro'n se mawazna Karne Ka Tarze AmaL Apna Leti Hain ke faLa'n ne Apni bivi ko ye diLaya wagherah wagherah ek jahiL Bivi ko Kabhi is baat Ka Ahsas hi Nahi hota ke uska ye Ravyya Aahista Aahista shohar ke zehan me bezaari or bad'gumani ke jazbaat peda karta hai*
*⚃➠ (39) SHOHAR KE AARAAM KA KHAYAAL NA KARNA*
*⚃➠ Ek JahiL Bivi ko Kabhi shohar ke Aaraam or uski thakawat ki parwaah Nahi Hoti Shohar Agar Aaraam Kar Raha Ho tab bhi baccho'n ke shor v sharabe ko cuntrol Karne ki koshish Nahi karti*
*⚃➠ (40) SHOHAR KE KIYE KABHI KOI TOHFAH NA KHAREEDNA*
*⚃➠ Chote chote Taha'if Rishton me khoobsoorti peda karte Hain or Ghar ke mahoL ko Khushgawaar Bana dete Hain ek Laparwah Bivi Kabhi aisi koi Zaroorat mehsoos Nahi Karti*
*⚃➠ (41) APNI SAFAAYI KA KHAYAAL NA RAKHNA*
*⚃➠ Ghar ki safaayi ke Saath Saath ek JahiL Bivi khud ki safaayi Ka bhi khayaaL Nahi Rakhti Bivi ki shakhshiyat Ghar Bahut Ahmiyat ki hamiL hoti Hai ek Bivi ki Apni Zaat se ye Laparwahi uski shakhshiyat ko daba deti hai or wo Kabhi shohar Ghar or baccho'n par musbit Asraat murattib Nahi Kar sakti*
*⚃➠ (42) MAGHROOR BIVI*
*⚃➠ Aksar biviyo'n me intehaayi darje Ka ghuroor paya jaata hai wo Apni zaat ko dusro'n se bahut hi AaLa or Azeem Samjhti Hain or shohar ke Saath bhi isi Qisam Ka saLook Rakhti Hain ghuroor ki ye diwaar Agar ek had se zadah buLand ho jaaye to ek dusre Ka wajood hi Nazar se ojhaL ho jaata hai*
*⚃➠ (43) ADAM BARDASHT KA RAVAYYA*
*⚃➠ jahiL Bivi me bardasht Ka maadah Bahut Kam hota hai wo Zara Zara si nagawaar baat par gussa ho jaati hai or is haqeeqat Ka idraak Karne ki koshish Nahi Karti ke mijaaz ke khiLaaf nagawaar baato'n ko bardasht Kar ke mushkiL haLaat ko bhi khoobsoorat mod Diya ja Sakta hai Jo Ghar ko Jannat Bana Sakta hai*
*⚃➠ (44) BAAR BAAR NARAAZ HO KAR MAYEKE JANA*
*⚃➠ Ghar ke maamlaat ko Ghar hi me haL Karne ki koshish na Karna or baat baat par naraaz ho Kar mayeke Jana jahiL Bivi ki Aham Nishaani hai haLaat chaahe Kuch bhi ho'n Lekin ek Aurat ki musaLsaL tawajjoh or koshish Ghar ko shohar or baccho'n ke Liye kis Qadar pursakoon jagah Bana Sakti hai ek JahiL khatoon ko iska idraak Nahi hota*
*⚃➠ (45) SAKHT LEHJE ME BAAT KARNA*
*⚃➠ Hamara Lehja Sunne waaLe ke diL or zehan par Hamare Lafzon se Zadah Asar daaLta hai ek JahiL Bivi ko iska Sha'oor Nahi hota or shohar se baat karte hue bhi Uske Lehje se hamesha TaLkhi hi jhaLakti hai ye Ravyya Aahista Aahista DiLo me dooriya peda Kar deta hai*
*⚃➠ (46) SHOHAR KO BEWAWOOF OR KHUD KO AQALMAND SAMJHNA*
*⚃➠ Ek JahiL Bivi khud ko duniya ki Aqalmand Tareen makhLooq Samajhti hai Ghar ke tamaaam maamlaat me wo Apni marzi or Raaye ko Ahmiyat deti hai kiyu ke shohar uski Nazar me aqaL v danish se Aari hota hai IsLiye wo shohar ki Raaye ko koi Ahmiyat hi Nahi deti*
*⚃➠ (47) SHOHAR SHER V TAFREEH PAR JAANE KI BAAT KARE TO TAAL DENA*
*⚃➠ Kabhi kabhaar Sher v Tafreeh ke Liye jaana Miya Bivi ke Rishte ko mazboot banata hai Aksar khawateen ko Ghar ke maamlaat me masroof rehne ki is Qadar Aadat Hoti hai ke Agar shohar Kabhi Sher v Tafreeh par jaane Ka Iraada Kare tab bhi wo waqt Nahi nikaaL paati is Tarah ek hi dagar par chaLti zindagi Uktahat Ka Sabab ban jaati hai*
*⚃➠ (48) SHOHAR KE MASHAGHIL ME DIL CHASPI NA LENA*
*⚃➠ Har insaan farigh awqaat me Zehni sakoon ki khatir Kuch mashaghiL Akhtiyaar karta hai ek shohar ke bhi Kuch mashaghiL hote Hain Bivi ki un mashaghiL me diL chaspi dono ke Rishte ko mazeed khoobsoorat or mazboot Bana deti hai Magar ek Laparwah bivi Kabhi un mashaghiL me diL chaspi Nahi Leti BaLke unko fizooL tasavvur Karti hai*
*⚃➠ (49) SIRF APNI BAAT MANWANE KI KOSHISH KARNA*
*⚃➠ Ek JahiL Bivi me zid or hat dhari ki khususiyat Bahut Zadah mojood Hoti hai shohar ki marzi v Raaye ki uski Nazar me koi Ahmiyat Nahi Hoti or wo har maamLe me Apni baat manwane ki koshish Karti hai Miya Bivi ke Rishte or Ghar ke mahoL par ye Ravyya intehaayi bure asraat murattib karta hai*
*⚃➠ (50) HAR BAAT ME CHID CHIDEPAN KA MUZAHIRA KARNA*
*⚃➠ Chid chidapan ek JahiL Bivi Ka Aham khaasah hai or wo baat baat par chid chidapan Ka muzahirah Kar ke Ghar ke mahoL ko Tabaah Kar Leti hai na sirf shohar BaLke Ghar ke tamaaam Afraad or khaas tor par Baccho par Uske nihayat bure asraat murattib hotel hain*
*ZAROORI BAAT*
┅┅━━═۞═━━┅
*⚃➠ Mohtaram Qarieen is article me hamne JahiL Bivi ki Kuch khususiyat ko bayaan Karne ki koshish ki hai Jin ko Agar door Kar Liya jaaye to ek Ghar waaqi jannat Ka namuna pesh Kar Sakta hai is Article ko mazeed behtar banane ke liye hame Apni Raaye se Aagah Kare'n me Aapke jawaab Ka muntazir Rahunga Muhammad Babar khan*
👆👆👆
*Next -26 Continue In Shaa Allah*
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
🌸 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd* 🌸
︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶︶
*DawnLoad Raahe haqq Application or paaye har roz new text msg*
https://drive.google.com/file/d/1lGjd-cD_hHSgGF8ECwxP9nrsl5hnf0ev/view?usp=drivesdk
⌈﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂⌉
✍🏻 *RAAH-E-HAQQ*
🥀🥀🥀
*BEWAQOOF SHOHAR KI 50 NISHANIYA'N*
http://raahehaqq.blogspot.com/2018/03/bewaqoof-shohar-ki-50-nishaniya.html
👆👆👆
No comments:
Post a Comment