Bis’mihi ta’aala
===============
S A W A A L= 41
==============
Aap SaL LaLLahu ALaihi WasaLLam Ke Daada AbduL MuttaLib Ne IntiqaaL Ke Waqt Aap Ko Kis Ke Supurd Kiya ?
Or Kya Wasiyyat Farmaaee ?
===========================
J A W A A B= ↓
==============
Aap SaL LaLLahu ALaihi WasaLLam Ke Daada AbduL MuttaLib Ne Aap Ko Apne Baite Or Aap Ke Chacha Abu TaaLib Ke Supurd Kiya,
Or Ye Wasiyyat Farmaayi Ke KamaaLe Shafqat Or Gaayate Muhabbat Se Unki KafaaLat Or Tarbiyat Karna.
��.Seerate Mustafa-1/87.
.MUTAALA -E- SEERAT.
Bis’mihi ta’aala
===============
S A W A A L= 42
==============
Aap SaL LaLLahu ALaihi WasaLLam Ke Angushte Shahaadat Se Abu TaaLib Ki KafaaLat Me Konsa Karishma Huwa Ke Jis Ko Dekh Kar Pura Makkah Dang Reh Gaya ?
===========================
J A W A A B= ↓
=============
Ek Baar Makkah Me Qahat Pada, Logo Ne Abu TaaLib Se Darkhast Ki, Ke Aap Barish Ke Liye Duwaa Kee jiye, Abu TaaLib Ek Majmua Ke Saath, Aap SaL LaLLahu ALaihi WattasLeem Ko Lekar Haram Me Haazir Huwe, Or Aap Ki Pusht Ko Khaane Kaabah Se Laga Diya,
Aap Ne Tazarru (Aajizee) Eltijaa Karte Huwe Angushte Shahaadat (Shahaadat Ki Ungli) Se Aasmaan Ki Taraf Ishaara Farmaaya, BaadaL Ka Kahi Naamo Nishaan Nahi Tha, Eshaara Karte Hi Har Taraf Se BaadaL Umand Aaye, Or Is Qadar Baarish Huee Ke Tamaam Nadi Or NaaLe Behne Lage,
Abu TaaLib Kehne Lage,
【Aise Roshan Or Munawwar, Keh Unke Chehre Ki Barkat Se Khooda Se Baarish Maangi Jaati Hai,
Jo Yateemo Ki Panaah Or Bewaao Ka Maljaa Or Maa’awa Hai.】
��.Seerate Mustafa.-1/87.
.MUTAALA -E- SEERAT.
��Bis’mihi ta’aala��
===============
�� S A W A A L= 43
==============
Aap SaL LaLLahu ALaihi WasaLLam Ne Apne Chacha Abu TaaLib Ke Saath Sab Se PehLa Safar Kaha Ka Kiya ?
Or Us Waqt Aap Ki Umar Mubaarak Kya Thi ?
===========================
�� J A W A A B= ↓
=============
Aap SaL LaLLahu ALaihi WasaLLam Ne Apne Chacha Abu TaaLib Ke Saath Sab Se PehLe Mulke Shaam (Sirya) Ka Safar Kiya, Our Us Waqt Aap Ki Taqreeban ⑫ SaaL Ki Umar Mubaarak Thi.
��.Seerate Mustafa-1/87.
.MUTAALA -E- SEERAT.
⚪⚪⚪⚪⚪
⚪⚪⚪⚪⚪
��Bis’mihi ta’aala��
===============
�� S A W A A L= 44
==============
Aap SaL LaLLahu ALaihi WasaLLam Ke Chacha Abu TaaLib Kii Safar Me Kis Se MuLaaqat Huee ?
Or Us Ne Kya Kaha ?
===========================
�� J A W A A B= ↓
==============
Aap SaL LaLLahu ALaihi WasaLLam Ke Chacha Abu TaaLib Jab QaafLe Ke Saath Shahre Busraa Ke Maqaame Taimaae Par Muqeem The , Ke Ittifaqan Yahood Ke Ek Raahib Jinka Naam Jarjees Tha, Or Buhaira Raahib Ke Naam Se Mashhoor Tha, Aap Ke Paas Se Guzra,
Aap Ko Dekh Kar Abu TaaLib Se Khitaab Hokar Bola Ke
Ye Ladka Jo Aap Ke Saath Hai, Kon Hai?
Abu TaaLib Ne Kaha : Mera Bhatijaah Hai,
Buhairaa Ne Kaha : Ke
Kya Aap Is Par Maharbaan Hai, Aur Iski Hifaazat Karna Chaahte Hai ?
Abu TaaLib Ne Kaha : Beshak ;
Ye Sunkar Usne Khudaa Ki Qasam Khaaee Aur Kaha Ke Agar Tum Isko Shaam Legaye To Isko Yahood QataL Kar DaaLege,
Qu Ke Ye Khudaa Ka Aakhri Nabi Hai Jo Yahood Ke Deen Ko Mansookh Karega, Me Uski Seefaat Apni Aasmaani Kitaab Me Paata Hun,
Abu TaaLib Ko Ab Khatra Paidaa Huwa To
Aap SaL LaLLahu ALaihi WasaLLam Makkah Muazzamah Waapas Bhej diya.
WaLLahu Ta’aaLa AaLam.
��.Khaatamul Ambiyaan -14
Seerate Mustafa-1/90.
.MUTAALA -E- SEERAT.
⚪⚪⚪⚪⚪
⚪⚪⚪⚪⚪
��Bis’mihi ta’aala��
===============
�� S A W A A L= 45
==============
Aap SaL LaLLahu ALaihi WasaLLam Sab Se PehLe Kon Si Jang Me Shareek Huwe ?
Or Us Jang Me Aap Ne QitaaL Kiya Tha Ya Nahi ?
===========================
�� J A W A A B= ↓
==============
Aap SaL LaLLahu ALaihi WasaLLam Sab Se PehLe Ma’rake (Jang) HarbuL Fijaar Me Apne Chachaao Ke Israar Se Shareek Huwe,
Ye Jang Qabilaye Qais Or Quraish Ke Darmiyaan Huee Thi, SuLah Par Khatam Huee Thi.
Par Aap Ne Usme QitaaL Nahi Farmaya Tha.
WaLLahu Ta’aaLa AaLam.
��.Seerate Mustafaa-1/93.
.MUTAALA -E- SEERAT.
��Bis’mihi ta’aala��
===============
�� S A W A A L= 46
==============
Aap SaL LaLLahu ALaihi WasaLLam Ne Us Jang Me QitaaL Qu Nahi Kiya Tha ?
Aur Us Waqt Aap Ki Umar Mubaarak Kya Thi ?
===========================
�� J A W A A B=↓
=============
Aap SaL LaLLahu ALaihi WasaLLam Ne Us Jang Me QitaaL Nahi Kiya, HaaLa Ke Aap Ladaae Ki Umar Ko Pahuch Chuke The, Apne Chachaao Ko Sirf Teer Uthaa Kar Dete The,
Aap Ke QitaaL Na Karne Ki Wujuhaat,
① Ye Jang Harbe Fijaar Thi ( Un Mahino Me Ye Jang Pesh Aayi Thi, Jin Me Jang Karna Fisq Aur Fujoor Tha,Na Jaaiz Aur Haraam Tha.
② Sab Ke Sab Kaafir The, Momin Ko QatL Wa QitaaL Aur Jang Wa JidaaL Ka Hukm Faqat Is Liye Diyaa Gayaa Hai, Keh ALLah Ka KaLimah BuLand Ho Aur Uski BoL BaaLa Ho;
ALaa EkhtiLaafiL AqwaaL Aap Ki Umar Mubaarak ⑭ Ya ⑮ Ya ⑳ Thi.
WaLLahu Ta’aaLa Aa’aLam.
��.Sesrate Mustafa-1/93.
.MUTAALA -E- SEERAT.
⚪⚪⚪⚪⚪
⚪⚪⚪⚪⚪
��Bis’mihi ta’aala��
===============
�� S A W A A L= 47
==============
Aap SaL LaLLahu ALaihi WasaLLam Ne Isii Umar Me Kon Se Muaahade (Commitment) Me Shirkat Kii, Aur Usko Aap Ne Pasand Bhi Farmaaya ?
===========================
�� J A W A A B= ↓
=============
Aap SaL LaLLahu ALaihi WasaLLam Ne HaLf-UL- FuzooL Naami Muaahadah (Co mmitment ) Me Shirkat Farmaaee,
Jis Me MazLoom Ki Himaayat Aur Nusrat Ka Ahd Kiya, Khwah MazLoom Apnaa Ho Ya Paraaya, Desi Ho Ya Pardesi, HattaL Wasaa Uski Eaanat Aur Emdaad Se Dareg Na Karege,
Isii Muaahadah (Commitment) Ko Aap Ne Pasand Farmaya Tha.
��.Seerate Mustafa-1/94/95.
.MUTAALA -E- SEERAT.
⚪⚪⚪⚪⚪
⚪⚪⚪⚪⚪
��Bis’mihi ta’aala��
===============
�� S A W A A L= 48
==============
Aap SaL LaLLahu ALaihi WasaLLam Ki Kis Husne Tadbeer Ki Wajaah Se Arab Ki Ek Badi Ladaaee Ruk Gaee Thi ?
===========================
�� J A W A A B= ↓
=============
Jab Taameere Ka’abah Ka Moka Aaya To Sab Khaandaano Ke Majmuee Ta’aawun Se Taameer Hogaee,
Lekin Hajre Aswad Ko Jab Lagaane Ka Waqt Aaya To Har Khaandan Is Sharf Ko HaasiL Karna Chaahta Tha, Isi Baat Ko Lekar Sab Khaandano Me QatL Aur QitaaL Jaisaa Hogaya,
BiL Aakhir Abu Umaiyyah Jo Sab Me Muammar The, Ye Raay Di Ke KaL Jo Shakhsh Sab Se PehLe Masjide Haraam Me DaakhiL Ho Usko Hakam (FaisaL) Banaa Diya Jaawe, Sab Ne Is Raay Ko Pasand Kiya,
Subah Ko Jab Sab Log Aaye To Kya Dekhte Hai, Ke
Aap SaL LaLLahu ALaihi WasaLLam Sab Se PehLe Masjide Haraam Me Aane WaaLe Hai,
Aap Ko Dekhte Hi Sab Ki Zubaani Be Saakhta Ye Alfaaz NikLe,
” Ye To Muhammad Ameen Hai, Ham Unko Hakam Banaane Par Raazi Hai,Ye To Muhammad Ameen Hai,
Aap SaL LaLLahu ALaihi WasaLLam Ne Ek Chaddar Mangwaaee Aur Hajare Aswad Ko Usme Rakh Kar, Farmaaya Ke Har QabiLah Ka Sardar Is Chadar Ko Thaam Le, Taake Is Sharf Se Koi QabiLah Mehroom Na Rahe, Is FesLe Ko Sab Ne Pasand Kiya, Sab Ne MiL Kar Chaadar Uthaaee , Jab Sab Ke Sab Chaadar Uthaaye Us Jagah Pahuche Jaha Is Ko Rakhna Tha, To Aap Ba Nafse Nafees Aage BaLhe, Aur Apne Daste Mubaarak Se Hajre Aswad Apni Jagah Rakh Diya,
Aap Ki Is Husne Tadbeer Se Arab Ki Ek Badi Jang Ruk Gaee Thi.
��.Seeratunnabi-1/183.
.MUTAALA -E- SEERAT.
⚪⚪⚪⚪⚪
⚪⚪⚪⚪⚪
��Bis’mihi ta’aala��
===============
�� S A W A A L= 49
==============
Ebtidaa E AaLam Se Lekar Ab Tak Taameere Ka’abah Kitni Bar Huwa ?
Kab Kab Huwa ?
Aur Kis Ne Kiya ?
===========================
�� J A W A A B= ↓
==============
Ebtidaa E AaLam Se Lekar Ab Tak ⑤ Martabah Khaane Ka’abaah Ki Taameer Huee,
{1} Hazrat Aadam Safi UL ALLah Ne Kii.
{2} Hazrat Ibrahim KhaLeeLu ALLAh Ne Kii.
{3} AhLe Quraish Ne Kii.
Aap Ki Be’sat Ke 5 SaaL PehLe.
{4} Hazrat AbduLLah Bin Zubair Ne Apne Zamaane KhiLaafat Me Kii.
{5} Hajjaj Bin Yusuf Ne Apne Zamaane KhiLaafat Me Kii.
��.Seerate Mustafa-1/113-116.
.MUTAALA -E- SEERAT.
⚪⚪⚪⚪⚪
⚪⚪⚪⚪⚪
��Bis’mihi ta’aala��
===============
�� S A W A A L= 50
==============
Aap SaL LaLLahu ALaihi WasaLLam
Ko Ameen Ka Khitaab Kis Wajah Se MiLa ?
Aur Kis Ne Diya ?
===========================
�� J A W A A B= ↓
==============
Aap SaL LaLLahu ALaihi WasaLLam Apni Qaum Me Is Shaan Se Jawaan Huwe Ke Aap Apni Qaaum Me Is Shaan Se Jawaan Huwe Ke Aap Apni Qaum Me Sab Se Zyadah Baa Muruwwat ,Sab Se Zyadah Khaleeq, Sab Se Zyadah Apne Ham Saayo Ke Khabar Giraa, Sab Se Zyada HaLeem Wa Burd Baar, Aur Sab Se Zyadah Sachche Aur Amaanat Daar The,
Isi Wajah Se Aap Ki Qaum Ne Aap Ka Naam Ameen Rakha.
��.Seerate Mustafa-1/95.
.MUTAALA -E- SEERAT.
________________
⚪⚪⚪⚪⚪
⚪⚪⚪⚪⚪
��Bis’mihi ta’aala��
===============
�� S A W A A L= 51
==============
Kya Aap SaL LaLLahu ALaihi WasaLLam Ne Apni Jawaani Me Bakariya Charaae Thee ?
===========================
�� J A W A A B= ↓
=============
Aap SaL LaLLahu ALaihi WasaLLam Ne Jawaan Hone Ke Baad Bhi Maqaame Ajyaad Me Apne Ghar WaaLo Ki Bakariya (Gaots) Charaai Thii.
��.Seerate Mustafa-1/98.
.MUTAALA -E- SEERAT.
⚪⚪⚪⚪⚪
⚪⚪⚪⚪⚪
��Bis’mihi ta’aala��
===============
�� S A W A A L= 52
==============
Aap SaLLaLLaahu ALaihi WasaLLam Ne Doosri Martaba Shaam (Sirya) Ka Safar Kab Kiya ?
Aap Ne Kis Garz Se Kiya ?
Aap Ki Kis Se MuLaaqat Huee ?
===========================
�� J A W A A B= ↓
==============
Aap SaLLaLlahu ALaihi WasaLLam Ne Apni 25 SaaL Ki Umar Me Ba garze Tijaarat Dusri Martaba MuLke Shaam (Sirya) Ka Safar Kiya,
Jahan Nastura Naami Raahib Se MuLaaqat Huee Thii.
��.Seerate Mustafa-1/99.
.MUTAALA -E- SEERAT.
⚪⚪⚪⚪⚪
⚪⚪⚪⚪⚪
��Bis’mihi ta’aala��
===============
�� S A W A A L= 53
==============
Aap SaLLaLLaahu ALaihi WasaLLam Kis Ka Saamaane Tijaarat Lekar Shaam (Sirya) Gaye The ?
Aap Ke Saath Kon Tha?
===========================
�� J A W A A B= ↓
==============
Aap SaLLaLLahu ALaihi WasaLLam Hazrate Khadeeja R.anhaa Ka Saamaane Tijaarat Unke GuLaam Muyasara Ke Saath Lekar Gaye The.
��.Seerate Mustafa-1/100.
.MUTAALA -E- SEERAT.
⚪⚪⚪⚪⚪
⚪⚪⚪⚪⚪⚪
��Bis’mihi ta’aala��
===============
�� S A W A A L= 54
==============
Aap SaLLaLLaahu ALaihi WasaLLam Se Nikaah Karne Ki Ragbat Hazrate Khadeejah R.anhaa Ko Q Huwi ?
================================
�� J A W A A B= ↓
===============
Hazrat Khadeejah R.Anhaa Ne Aap SaLLaLLahu ALaihi WasaLLam Ke Tamaam HaLaate Safar, Raahib Ka Maqoola, Aur Farishton Ka Aap Par Saaya Karna Waraqh Bin Nofal Se Jaakar Bayan Kiya,
Unho Ne Kaha Khadeejah Agar Ye Waaqiyaat Sachche Hai To Yaqeenan Yahi Is Ummat Ke Nabi Muhammad Hai, Aur Unka Zamana Bhi Qareeb Hai,
In Waqeeyaat Ko Sunkar Hazrat Khadeejah Ke DiL Me Aap SaLLaLLahu ALaihi WasaLLam Se Nikaah Karne Ki Ragbat Paida Huee.
��.Seerate Mustafa-1/111.
.MUTAALA -E- SEERAT.
____________________M.Ibrahim.
01/03/2014.
⚪⚪⚪⚪⚪⚪
⚪⚪⚪⚪⚪⚪
��Bis’mihi ta’aala��
===============
�� S A W A A L= 55
==============
Aap SaLLaLLaahu ALayhi WasaLLam Se Nikaah Karne Ke Liye Hazrat Khadeejah R.anhaa Ne Kab Paighaam Bheja ?
================================
�� J A W A A B= ↓
===============
Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Jab Shaam (Sirya) Se Waapas Aaye To Us Ke Do Mahina Aur 25 Din Ke Baad Hazrat Khadeejah R.Anhaa Ne Nikaah Ka Paighaam Bheja Tha.
��.Seerat-E-Mustafa-1/111.
.MUTAALA -E- SEERAT.
��Bis’mihi ta’aala��
===============
�� S A W A A L= 56
==============
Aap SaLLaLLaahu ALayhi WasaLLam Se Jab Hazrat Khadeejah R.Anhaa Ne Nikaah Kiya Tab Aap Ki Aur Hazrat Khadeeja Ki Umr (Age) Kya Thi ?
================================
�� J A W A A B= ↓
===============
Aap SaLLaLLahu ALaiyhi WasaLLam Ne Jab Hazrat Khadeejah R.Anhaa Se Nikaah Kiya Tab Aap Ki Umare Mubaarak 25 SaaLa Thi, Aur Hazrat Khadeejah R.Anhaa Ki Umar Sharifa 40 SaaLa Thi.
��.Seerat-E-Mustafa-1/112.
.MUTAALA -E- SEERAT.
⚪⚪⚪⚪⚪⚪
⚪⚪⚪⚪⚪⚪
��Bis’mihi ta’aala��
===============
�� S A W A A L= 57
==============
Aap SaLLaLLaahu ALayhi WasaLLam Ne Mahar Me Hazrat Khadeejah R.Anhaa Ko Kya Diya ?
Aur Kitnaa Diya ?
================================
�� J A W A A B= ↓
================
Hazrat Khadeejah R.Anhaa Ki Mahar Me MukhtaLif AqwaaL Hai,
【¹】 20 oont.
【²】 500 Dirham.
【³】 400 Dirham.
��.Seerat-E-Mustafa-1 / 112.
��.Asahhussiyar- 11.
.MUTAALA -E- SEERAT.
_______________________M.Ibrahim.
04/03/2014.
⚪⚪⚪⚪⚪⚪
⚪⚪⚪⚪⚪⚪
��Bis’mihi ta’aala��
===============
�� S A W A A L= 58
==============
Aap SaLLaLLaahu ALayhi WasaLLam Ko Ummi Q Kaha Jaata Hai ?
================================
�� J A W A A B= ↓
===============
Ummi Aise Shakhsh Ko Kaha Jaata Hai, Jo Likhne Parhne Se Waaqif Na Ho,
Chunke Huzur SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Me Ye Baat Thi,
Is Wajah Se Huzur Ka Laqab Ummi Bhi Hogaya Tha.
��.Taareekh-E-IsLam- 1 / 23.
.MUTAALA -E- SEERAT.
⚪⚪⚪⚪⚪⚪
⚪⚪⚪⚪⚪⚪
��Bis’mihi ta’aala��
===============
�� S A W A A L= 59
==============
Aap SaLLaLLaahu ALayhi WasaLLam Ummi Q Rehe ?
Aur Usme ALLah Ta’aaL Ki Kya Hikmat Thi ?
================================
�� J A W A A B=↓
===============
Arab Me Likhne Parhne Ka Charcha Hi Nahi Tha, Makkah Ke Itne Bade Shahar Me KuL 5 Ya 7 Aadami Likhna Parhna Jaante The,
Huzur SaLLaLLahu ALaiyhi WasaLLam Ki Tarbiyat Karne WaaLe Wafaat Paate Rahe, Aap Ne Yateemanah Parwarish Paai.
【UMMI RAKHNE KI HIKMATE】
{1} Tamam Dunya Ko Adab Aur Tahzeeb Sikhaane WaaLe Huzur Ho, Huzur Ka Ustaad Sirf Khuda Ho, Koi Insaan Na Ho, Ke Wo Ye Keh Sake Ke Mera Sikhaya Huwa Hai.
{2} Jis Tarah Parwarish Ke SiL SiLe Me Huzur Ko Maa-Baap Ke Ehsaan Se Aazad Rakhkha Gaya, Isi Tarah TaaLeem Wa Ruhaani Tarbiyat Ke SiL SiLe Me Bhi Kisi Ka Ehsaan Huzoor Par Naho.
{3} Ye Bhi KhayaaL Na Kiya Jaa Sake Ke FuLaan Shakhsh Huzur Ka Ustaad Tha, To Huzur Se Zyadah AaLim Hoga. ma’aazaLLah.
{4} Jab Nabiye Kareem SaLLaLLahu ALaiyhi WasaLLam Par Quraan Paak NaaziL Ho To Koi Ye Waham Bhi Na Kar Sake Ke Huzur Ka Banaya Huwa Hoga.
{5} Jab Huzur SaLLaLLahu ALaiyhi WasaLLam Dunyaa Ko AqaL Mandi, Daanai, Tahzeeb, Aur Adab Ki TaaLeem Farmaaye To Koi Ye Na KhayaL Kar Sake Ke PehLe Ki Kitaabe Dekh Kar Aap Is Qisam Ki TaaLimaat De Rahe Hai.
��.Taarikh-E-IsLaam-1/23.
.MUTAALA -E- SEERAT.
⚪⚪⚪⚪⚪⚪
⚪⚪⚪⚪⚪⚪
��Bis’mihi ta’aala��
===============
�� S A W A A L= 60
==============
Aap SaLLaLLaahu ALayhi WasaLLam Ka Hazrat Khadeejah R.Anhaa Se Nikaah Huwa, To Nikah Ka Khtbaa Kis Ne Pada ?
================================
�� J A W A A B= ↓
===============
Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ke Hazrat Khadeejah R.Anhaa Se Nikah Ke Waqt Khutbaa
③ Shakhshon Ke KaLaam Ka Majmuaa Tha,
①………Hazrat Khwaajah Abu TaaLib.
②………Waraqh Bin NofaL.
③………Waraqah Umar Bin Asad.
��.Asahhussiyar-10 – 11.
.MUTAALA -E- SEERAT.
�� S A W A A L= 61
==============
Aap SaLLaLLaahu ALayhi WasaLLam Ko Hazrat Khadeejah R.Anhaa Se Kitni AwLaad Thi ?
Unke Naam Bataao ?
================================
�� J A W A A B= ↓
===============
Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ko Hazrat Khadeejah R.Anhaa Se KuL ⑥ AwLaad Huee,
② Saahab Zaade The,
④ Saahab Zaadiyah Thi.
①……HAZRAT QAASIM.
②……HAZRAT TAAHIR. (ABDULLAH).
③……HAZRAT ZAINAB.
④……HAZRAT UMME. KULSOOM.
⑤……HAZRAT RUQAIYYAH.
⑥……HAZRAT FAATIMAH.
��.KhaatamuL Ambiyaa-18.
.MUTAALA -E- SEERAT.
_____________________M.Ibrahim.
08/03/2014.
⚪⚪⚪⚪⚪⚪
⚪⚪⚪⚪⚪⚪
��Bis’mihi ta’aala��
===============
�� S A W A A L= 62
==============
Aap SaLLaLLaahu ALayhi WasaLLam Ne Hazrat Khadeejah R.Anhaa Ki Hayaati Me Dusri Kisi Aurat Se Nikah Kiya Ya Nahi ?
================================
�� J A W A A B= ↓
===============
Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ne Hazrat Khadeejah R.Anhaa Ke Rehte Huwe Kisi Aur Aurat Se Nikah Nahi Kiya.
��.Asahhussiyar-569.
.MUTAALA -E- SEERAT.
⚪⚪⚪⚪⚪⚪
⚪⚪⚪⚪⚪⚪
��Bis’mihi ta’aala��
===============
�� S A W A A L= 63
==============
Aap SaLLaLLaahu ALayhi WasaLLam Ke Nikah Me Hazrat Khadeejah R.Anhaa Kitne SaaL Rahi ?
Kitni Umar Me IntiqaaL Huwa ?

===============================
�� J A W A A B= ↓
================
Aap SaLLaLLahu ALaiyhi WasaLLam Ke Nikah Me Hazrat Khadeejah R.Anhaa 40 SaaL Rahi,
Hazrat Khadeejah R.Anhaa Ka 65 SaaL Ki Umar Me IntiqaaL Huwa,
Aap Ki Umare Mubaarakah 50 SaaL Thi.
��.Asahhussiyar-569.
.MUTAALA -E- SEERAT.
��Bis’mihi ta’aala��
===============
S A W A A L= 64
==============
Aap SaLLaLLaahu ALayhi WasaLLam Ki Hazrat Khadeejah R.Anhaa Ke ALaawa Kisi Aur Biwee Se Koi AwLaad Thi Ya Nahi ?
Agar Hai To Kis Se Thi Aur Uska Naam Kya Hai ?
===============================
J A W A A B= ↓
================
Aap SaLLaLLahu ALaiyhi WasaLLam Ki Hazrat Khadeejah R.Anhaa Ke ALaawa Kisi Aur Biwee Se Koi AwLaad Nahi Thi,
Sirf Ek Aap Ki Baandi Hazrat Maariyah Qibtiya Se Ek Farzand ( Boy ) Tha, Jis Ka Naam Ibrahim Tha.
��.KhaatamuL Ambiyaa-18.
.MUTAALA -E- SEERAT.
��Bis’mihi ta’aala��
===============
S A W A A L= 65
==============
Aap SaLLaLLaahu ALayhi WasaLLam Ki Muzakkar {MaLe} AwLaad Ki NasaL ChaLi Ya Nahi ?
===============================
J A W A A B= ↓
================
Aap SaLLaLLahu ALaiyhi WasaLLam Ki Muzakkar {MaLe} AwLaad Me Se Kisi Se Bhi NasaL Nahi ChaLi,
BaLke Teeno Beton Ka Bachpan Hi Me IntiqaaL Hogaya Tha,
【1】 Hazrat Qaasim Itne Bade Huye Ke Sawari Par Chad Sakte The.
【2】 Hazrat AbduLLah Bachpan Hi Me IntiqaL Hogaya.
【3】 Hazrat Ibrahim Bachpan Hi Me IntiqaL Hogaya.
��.AsahhuSsiyar-12.
MUTAALA -E- SEERAT.
��Bis’mihi ta’aala��
===============
�� S A W A A L= 66
==============
Aap SaLLaLLaahu ALayhi WasaLLam Ki Chaaron ④ Saahab Zaadiyon Ka Nikah Kis Kis Se Huwa ?
===============================
�� J A W A A B= ↓
================
Aap SaL LaLLahu ALayhi WasaLLam Ki KuL ④ Saahab Zaadiyan Thi,
¹…Hazrat Zainab R.Anhaa,
²…Hazrat Ruqaiyyah R.Anhaa,
³…Hazrat Umme KuLsoom R.Anhaa,
⁴…Hazrat Faatemah R.Anhaa,
①…Hazrat Zainab R.anhaa Ka Nikah AbeeL Aas Bin Rabeea Se Huwa Tha.
②…Hazrat Ruqaiyyah R.Anhaa,
③…Hazrat Umme KuLsoom R.Anhaa,
In Donon Ka Nikah PehLe Aap SaLLaLLahu ALaiyhi WasaLLam Ke Chacha Abu Lahab Ke Do Larke Utbaah Aur Utaybaah Se Huwa Tha, Lekin Jab Surah Tabbat Yadaa Abi Lahab NaaziL Hui To Un Donon Ne Aap Ki Dono Betiyon Ko TaLaaq Dedi,
Fr Aap Ne Yake Baa Digare Apni In Dono Betiyon Ka Nikah
Hazrat Usmaan R.Anhaa Se Karwaa Diya Tha.
④…Hazrat Faatemah R.Anhaa Ka Nikah Hazrat ALi R.Anhu Se Huwa Tha.
WaLLahu Ta’aaLa AaLam.
��.AsahhuSsiyar-12.
��.KhaatamuLAmbiyaan-18.
.MUTAALA -E- SEERAT.
��Bis’mihi ta’aala��
===============
S A W A A L= 67
==============
Aap SaLLaLLaahu ALayhi WasaLLam Ki Chaaron ④ Saahab Zaadiyon Me Se Kis Saahab Zaadi Se NasaL ChaLi Thi ?

①…Hazrat Zainab R.anhaa Ko Ek Larka Huwa, Jis Ka Naam AbduLLah Tha, Par Uska Bachpan Hi Me IntiqaaL Hogaya Tha.
②…Hazrat Ruqaiyyah R.Anhaa Ko Ek Larka Huwa Jis Ka Bachpan Hi Me IntiqaaL Ho gaya Tha.
③…Hazrat Umme KuLsoom R.Anhaa Ko Koi AwLaad Nahi Huee.
④…Hazrat Faatemah R.Anhaa Se Do Saahab Zaadah Paida Huwe,
Ha.Imam Husain R.Anhu,
Ha.Imam Hasan R.Anhu,
Aur Aap SaL LaLLahu ALaiyhi WasaLLam Ki NasaL Dukhtari AwLaad Se ChaLi Hai,
Lekin Betiyon Me Bhi Sirf Hazrat Faatemah R.Anhaa Se ChaLi Hai.
WaLLahu Ta’aaLa AaLam.
��.AsahhuSsiyar-12.
��.KhaatamuLAmbiyaan-19.
.MUTAALA -E- SEERAT.
��Bis’mihi ta’aala��
===============
S A W A A L= 68
==============
Aap SaLLaLLaahu ALayhi WasaLLam Ne Hazrat Fatemah R.Anhaa Ko Jahez Me Kya Kya Diya Tha ?
===============================
J A W A A B=↓
===============
Aap SaL LaLLahu ALaiyhi WasaLLam Ne Apni Chahiti Beti Hazrat Fatemah R.Anhaa Ko Jahez Me,
¹……Ek Chaadar,
²……Ek Takiya Jis Me Khajoor Ke Darakht Ka Gooda Bhara Huwa Tha,
³……Ek Chamde Ka Gadda,
⁴……Ek Baan Ki Chaar Paai,
⁵……Ek ChhaagaL,
⁶……Do Mitti Ke Ghadhe,
⁷……Do Mashkize, Aur
⁸……Ek Chakki.
��KhaatamuLAmbiyaa-19.
.MUTAALA -E- SEERAT.
��Bis’mihi ta’aala��
===============
S A W A A L=69
==============
Aap SaLLaLLaahu ALayhi WasaLLam Ki Tamam Azwaaje Mutahharaat Kitni Thi ?
Aur Unke Naam Kya The ?
===============================
J A W A A B=↓
===============
Aap SaL LaLLahu ALaiyhi WasaLLam Ki KuL Azwaaje Mutahharaat ⑪ Thi Jin Ke Naam Ye Hai,⇢⇒⇨↠⇒
⇩
1……Hazrat Khadeejah R.anhaa,
2……Hazrat Saudah Binte Zam’aah R.anhaa,
3……Hazrat Aaishah R.Anhaa,
4……Hazrat Hafasah R.Anhaa,
5……Hazrat Zainab Binte Khuzaimah R.Anhaa,
6……Hazrat Umme SaLamah R.Anhaa,
7……Hazrat Zainab Binte Jahash R.Anhaa,
8……Hazrat Juwairiyah R.Anhaa,
9……Hazrat Umme Habibah R.Anhaa,
10……Hazrat Safiyyah R.Anhaa,
11……Hazrat Maimunah R.Anhaa.
��KhaatamuLAmbiyaa-21.
MUTAALA -E- SEERAT.
��Bis’mihi ta’aala��
===============
S A W A A L= 70
==============
Aap SaLLaLLaahu ALayhi WasaLLam Ki Hayaati Me Kitni Azwaaje Mutahharaat Ka IntiqaaL Hogaya Tha ?
Aur Unke Naam Kya The ?
===============================
J A W A A B=↓
===============
Aap SaL LaLLahu ALaiyhi WasaLLam Ki Hayaati Me Do Azwaaje Mutahharaat Ka IntiqaaL Ho Gaya Tha,
Jin Ke Naam Ye Hai,
⇩
¹……Hazrat Khadeejah R.anhaa,
²……Hazrat Zainab Binte Khuzaimah R.Anhaa,
��KhaatamuLAmbiyaa-21.
MUTAALA -E- SEERAT.
��Bis’mihi ta’aala��
===============
�� S A W A A L= 71

�� S A W A A L= 72
==============
Aap SaLLaLLaahu ALayhi WasaLLam Ke Pehre Daar Kon Kon The ?
===============================
�� J A W A A B=↓
===============
Aap SaL LaLLahu ALaiyhi WasaLLam Ki Pehre Daari Karne WaaLe Taqreeban 8 The,
Jin Ke Naam Ye Hai,
⇩
¹……Hazrat Sa’ad Bin Muaaz R.anhu,
²……Hazrat Zakwan Bin Abde Qais R.Anhu,
³……Hazrat Muhammad Bin SaLamah Ansaari R.Anhu,
⁴……Hazrat Zuber R.Anhu,
⁵……Hazrat UBBAD BIN BISH'R R.Anhu,
⁶……Hazrat Sa’ad Bin Abi Waqqas R.Anhu,
⁷……Hazrat Abu Ayyub R.Anhu,
⁸……Hazrat BiLaL R.Anhu.
��KhaatamuLAmbiyaa-31.
.MUTAALA -E- SEERAT.
��Bis’mihi ta’aala��
===============
S A W A A L= 73
==============
Aap SaLLaLLaahu ALayhi WasaLLam Ki Ye Pehre Daari Hamesha Jaari Rahi Ya Us Ko Khatam Kar Diya Gaya ?
===============================
J A W A A B=↓
===============
Aap SaL LaLLahu ALaiyhi WasaLLam Ki Pehre Daari Ko Jab Parah No.6, Surah Maaidah, Aayat No.67 {Aur ALLah Ta’aaLa Logon Se Aap Ki Hifaazat Farmaayege} NaaziL Hui To Khatam Kar Diya Gaya.
��.ShamaaiL-E-Kubraa-/387
��.KhaatamuLAmbiyaa-31.
.MUTAALA -E- SEERAT.
��Bis’mihi ta’aala��
===============
S A W A A L= 74
==============
Aap SaLLaLLaahu ALayhi WasaLLam Nabawwut MiLne Se PehLe Kis Jaga KhaLwat Ikhtiyaar Karne Jaate The ?
===============================
J A W A A B=↓
===============
Aap SaL LaLLahu ALaiyhi WasaLLam Nabawwut MiLne Se PehLe Ghaar-E-Hiraa Me KhaLwat Ikhtiyaar Karne Jaate The.
��.Seerat-E-Mustafaa-1/130.
.MUTAALA -E- SEERAT.
��Bis’mihi ta’aala��
===============
S A W A A L= 75
==============
Aap SaLLaLLaahu ALayhi WasaLLam Ko Zaahiri Taur Par Nabawwut Kab Ataa Hui ?
===============================
J A W A A B=↓
===============
Aap SaL LaLLahu ALaiyhi WasaLLam Ki Umar Shareef 40 SaaL Aur Ek Din Ki Hui To Aap Ko Zaahiri Taur Par Nabawwut Ke Saath Mumtaaz Wa Musharraf Farmaya Gaya,
Jis Ki Taarikh {Date} Bhi WLadat Hi Ki Tarah Maah-E-RabiuL AwwalL Ba-Roz Do Shanbah {Monday} Hai,
Is Ke ALaawa Aur Bhi AqwaaL Hai.
WaLLahu Ta’aaLa AaLam.
��.KhaatamuL Ambiyaa-33.
.MUTAALA -E- SEERAT.
S A W A A L= 76
==============
Aap SaLLaLLaahu ALayhi WasaLLam Ko Jab Zaahiri Taur Par Nabawwut Ataa Hui To Aap Kaha The?
===============================
J A W A A B=↓
===============
Aap SaL LaLLahu ALaiyhi WasaLLam MaKKah Muazzamah Ke Qareebi Ek Pahad Hira, Us Ki Ghaar Me Tashreef Farmaa The,
Jis Ko Ghaar-E-Hira Kaha Jaata Hai.
WaLLahu Ta’aaLa AaLam.
��.Asahhussiyar-15.
.MUTAALA -E- SEERAT.
��Bis’mihi ta’aala��
===============
�� S A W A A L= 77
==============
Aap SaLLaLLaahu ALayhi WasaLLam Nabawwut MiLne Se PehLe Kis Maz’hab Par AmaL Karte The?
===============================
�� J A W A A B=↓
===============
Aap SaL LaLLahu ALaiyhi WasaLLam Nabuwwat Ataa Hone Se PehLe Mukhtaar QauL Ke Mutaabiq Apne Kashf Aur ILhaam Se Hazrat Ibrahim A.SaLam Ki Sharee’at Ke Mutaabiq AmaL Karte The.
WaLLahu Ta’aaLa AaLam.
��.Seerate Mustafaa-1/133.
.MUTAALA -E- SEERAT.
��Bis’mihi ta’aala��
===============
S A W A A L= 78
==============
Aap SaLLaLLaahu ALayhi WasaLLam Ko Nabawwut Ataa Hone Ki Kya Surat Hui ?
===============================
J A W A A B=↓
===============
Aap SaL LaLLahu ALaiyhi WasaLLam Ghaar-E-Hiraa Me Tashreef Farmaa The,
Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ne Farmaya :
Hazrat JibraiL A.SaLaam Aate Hai, Aur Us Waqt Me So Raha Tha, Aur Ek Reshmi Kapra Laaye Jis Par Kuch Likha Huwa Tha,
Unho Ne Kaha Parhye:
Me Ne Kaha : Muje Parhna Nahi Aata,
To Muje Pakar Kar Bhinchaa, Ke Mene KhayaaL Kiya Ke Ab Maut Hai, Par Unho Ne Chhor Diya,
Aur Kaha Parye :
Mene Kaha : Muje Parhna Nahi Aata,
Fir Muje Bhinchaa, Mene KhayaL Kiya Ke Ab Maut Hai, Unho Ne Chhor Diya,
Aur Kaha Parhye :
Mene Kaha : Kahan Kya Parhu?
Unho Ne Fir Bhinchaa, Me Ne KhayaL Kiya Ke Ab Maut Hai, Unho Ne Chhor Diya,
Aur Kaha Parhye :
Mene Kaha : Kya Kaha Parhu?
To Un Ho Ne Kaha :
Apne Parwar Digaar Ke Naam Se, Jis Ne Paida Kiya, Aur Insaan Ko Jame Huye Khoon Se,
Parhye Aap Ka Par War Digaar To Barhi Shaan WaaLa Hai, Jis Ne QaLam Ke Zariye TaaLim Di Insaan Ko, Un Cheezon Ki Jin Se Wo Naa Waaqif Tha,
Fir Mene Parha Aur Wo Mere Paas Se ChaLe Gaye, Me Nind Se Bedaar Huwa,
Me NikLa To Me Pahad Ke Wast Me Tha, Ke Aasman Ki Taraf Se Aawaz Aayi Ke,
Aap ALLah Ke RasooL Hai Aur Me JibraiL Hu.
WaLLahu Ta’aaLa AaLam.
��.Seeratunnabi Li Ibne Hishaam-1-238.
.MUTAALA -E- SEERAT.
��Bis’mihi ta’aala��
===============
S A W A A L= 79
==============
Aap SaLLaLLaahu ALayhi WasaLLam Ne Sab Se PehLe Ye Baat Kis Ko Bataai ?
Aur Wo Kis Ke Paas Gai ?
===============================
J A W A A B=↓
===============
Aap SaL LaLLahu ALaiyhi WasaLLam Ne Sab Se PehLe Ye Waaqiya Apni MaLikah Hazrat KhadijatuL Kubraa R.Anhaa Ko Sunaya,
Aur Wo Fori Taur Par Apne Chacha Zaad Bhai Waraqah Bin NofaL Ke Paas Gai, Aur Saara Waaqiya Sunaaya.
��.Seeratunnabi Li Ibne Hishaam-1-240.
.MUTAALA -E- SEERAT.
��Bis’mihi ta’aala��
===============
S A W A A L= 80
==============
Aap SaLLaLLaahu ALayhi WasaLLam Ke Saath Pesh Aane WaaLe Is Waaqiye Ko Sun Kar Waraqah Bin NofaL Ne Kya Kaha ?
===============================
J A W A A B=↓
===============
Waraqah Bin NofaL Ne Hazrat Khadeejah R.Anhaa Ki Zubaani Wo Waaqiya Sunne Ke Ba’ad Kaha,
A ! Khadeejah Agar Tune Muj Se Such Kaha Hai, To Ye Wahi Naamus { Khair Ki Khabar Laane WaaLa; Hazrat JibraiL} Hai, Jo Hazrat Musa A.SaLam Ke Paas Aaya Karta Tha, Wo In Ke Paas Aa Pahucha Hai, Be Shak Ye Is Ummat Ke Nabi Hai, Tum Un Se Kaho Ke Saabit Qadami Ikhtiyar Kare.

No comments:
Post a Comment