Bis'mihi ta'aala
==============
S A W A A L= 81
==============
Aap SaLLaLLaahu ALayhi WasaLLam Ko Hazrat Khadeejah R.Anhaa Kya Waraqah Bin NofaL Ke Paas Legayi Thi ?
Aur Us Waqt Waraqah Bin NofaL Ne Kya Kaha ?
===============================
J A W A A B=↓
===============
Hazrat Khadeejah R.Anhaa Waapas Aane Ke Ba'ad Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ko Lekar Dobara Waraqah Bin NofaL Ke Paas Gai,
Waraqah Bin NofaL Ne Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ki Zubaani Wo Waaqiya Sunne Ke Ba'ad Kaha,
Ye Wahi Naamus { Khair Ki Khabar Laane WaaLa Farishtah ; Hazrat JibraiL} Hai, Jo Hazrat Musa A.SaLam Ke Paas Aaya Karta Tha, Kaash Me Tumhare Paighambari Ke Zamanah Me Qawi Aur Tuwaanah Hota, Jab Ke Tumhari Qaum Tum Ko Watan Se NikaaLegi, Ya Kam Az Kam Zindah Hi Hota,.....
Agar Me Zindah Raha To Aap Ki Nihaayat Zor Se Madad Karuga.
��.Seerat-e-Mustafa-1/134.
MUTAALA -E- SEERAT.
Bis'mihi ta'aala
===============
S A W A A L= 82
==============
Kya Waraqah Bin NofaL IsLaam Laaye The Ya Nahi ?
===============================
J A W A A B=↓
===============
Waraqah Bin NofaL Ne Wa'adah Zarur Kiya Tha Ke Mene Aap Ki Paighambari Ka Zamana Paaya To Aap Par Iman Launga,
Par Kuch Hi Din Guzre The Ke Unka IntiqaL Hogaya,
Is Liye Unho Ne IsLam QabuL Nahi Kiya Tha, BaL-ke Wo Nasraani Hi Hone Ki HaaLat Me IntiqaaL Huwa Tha.
��.Seerat-e-Mustafa-1/135.
.MUTAALA -E- SEERAT.
Bis'mihi ta'aal
===============
S A W A A L= 83
==============
Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Par Jab Ibtida Me Wahi Aakar Ruk Gai To Us Waqt Aap Ki Kya Kayfiyat Thi ?
===============================
J A W A A B=↓
===============
Jab Ibtida Me Wahi Ka SiL-SiLa Ruk Gaya To Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ko Is Qadar Huzn Wa MaLaaL Huwa Ke Aap Baar Baar Pahad Ki Choti Par Jaate Ke Apne Aap Ko Waha Se Giraade,
Magar Jab Bhi Aap Aisa Iradah Farmaate, Hazrat JibraiL Tashreef Laate, Aur Farmaate :
A ! Muhammad SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Aap Yaqeenan BiLa Shubah ALLah Ke RasuL-e-bar Haq Hai,
Jab Aap Ye Sunte To Aap Ke QaLb Ko Sukun Hojata.
��.Seerat-e-Mustafa-1/136.
MUTAALA -E- SEERAT.
Bis'mihi ta'aala
===============
S A W A A L= 84
==============
Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Par Jab Ibtida Me Wahi Aayi To Kya Usi Waqt TabLeeg Ka Hukm Huwa Tha Ya Nahi ?
===============================
J A W A A B=↓
===============
Jab Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Par Ibtida Me Wahi NaaziL Hui To Aap Ko TabLig Ka Hukm Nahi Tha,
BaL-ke Usme Sirf Aap Hi Ki Zaat Ke Liye Ahkam Tha.
��.Seerat-e-KhatamuL-Ambiya-34.
MUTAALA -E- SEERAT.
Bis'mihi ta'aala
===============
S A W A A L= 85
==============
Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ko TabLeeg Karne Ka Hukm Kab MiLa ?
===============================
J A W A A B=↓
===============
Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Par Ibtida Me Wahi Ka SiL SiLa Band Rehne Ke Ba'ad Jab Dobarah Wahi Shuru Hui To Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ko TabLig-e-isLam Ke Liye Hukm Huwa.
��.Seerat-e-KhatamuL-Ambiya-34.
.MUTAALA -E- SEERAT.
Bis'mihi ta'aala
===============
S A W A A L= 86
==============
Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ko Jab TabLeeg Karne Ka Hukm MiLa To Kya ALaL ELaan TabLig Karne Ka Hukm MiLa Tha ?
===============================
J A W A A B=↓
===============
Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ko Jab TabLig-e-isLam Karne Ka Hukm MiLa To ALaL ELaan TabLig Karne Ki Ijaazat Nahi MiLi Thi,
Q Ke Us Waqt Dunya Me JahaaLat Wa ZaLaaLat Ki Hukumat Thi, BiL-Khusoos Arab Ka Takabbur Wa Ghuroor Aur TaqLeed-e-aabai Unhe Haq Par Kaan Lagaane Ki Hargiz Ijaazat Nahi Deti Thi,
Is Liye Ibtidaa Me Hikmat-e-iLaahiyya Ka Ye Iqtizaa Huwa Ke Ibtidaa'an Aap Ko ELaanan TabLig Wa Ishaa'at-e- IsLam Ka Hukm Na Kiya Jaaye,
Taake Ibtidaa Hi Se Log Mutanaffir Na Hojaaye.
��.Seerat-e-KhatamuL-Ambiya-34.
MUTAALA -E- SEERAT.
Bis'mihi ta'aala
===============
S A W A A L= 87
==============
Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ne Ibtidaa'an Kaise Logon Me Da'awat-e-isLam Dena Shuru Kiya Tha ?
===============================
J A W A A B=↓
===============
Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ne Ibtidaa'an Da'awat-e-isLam Apni Jaan Pehchan Ke Logon, Aur Un Shakhshon Me Shuru Ki Jin Par Aap Ko Etimaad Tha, Ya Aap Apni Firaasat Ke Zariye Jin Me Khair Wa SaLaah Ke Aasaar Dekhte The,
In Logo Me Aap Ne IsLaam Ki Da'awat Dena Shuru Kiya.
��.Seerat-e-KhatamuL-Ambiya-33.
MUTAALA -E- SEERAT.
Bis'mihi ta'aala
===============
S A W A A L= 88
==============
Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ki Ye Khufya TabLeeg Wa Da'awat Kitne SaaL ChaLti Rahi ?
===============================
J A W A A B=↓
===============
Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ki Ye Khufyaa Da'awat Wa TabLeeg-e-isLam Ka Arsaa Taqreeban Teen SaaL Ka Hai.
��.Seerat-e-Ibne-Hishaam-1/255.
.MUTAALA -E- SEERAT.
Bis'mihi ta'aala
===============
S A W A A L= 89
==============
Tamaam Logon Me Sab Se PehLe Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ke Haath Par Imaan Laane WaaLa Kon Hai ?
===============================
J A W A A B=↓
===============
Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ke Haath Par Tamam Logon Me Sab Se PehLe Imaan Laane WaaLi Hazrat Khadeejah R.Anhaa Hai.
��.Seerat-e-Mustafa-1/148.
.MUTAALA -E- SEERAT.
Bis'mihi ta'aala
===============
S A W A A L= 90
==============
Auaraton Me Sab Se PehLe Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ke Haath Par Imaan Laane WaaLa Kon Hai ?
===============================
J A W A A B=↓
===============
Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ke Haath Par Auaraton Me Sab Se PehLe Imaan Laane WaaLi Hazrat Khadeejah R.Anhaa Hai.
��.Seerat-e-Mustafa-1/150.
MUTAALA -E- SEERAT.
Bis'mihi ta'aala
===============
S A W A A L= 91
==============
Aazaad BaaLigh Mardon Me Sab Se PehLe Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ke Haath Par Imaan Laane WaaLa Kon Hai ?
===============================
J A W A A B=↓
===============
Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ke Haath Par Aazad BaaLig Mardon Me Sab Se PehLe Imaan Laane WaaLe Hazrat Abu Bakr Siddiq R.Anhu Hai.
��.Seerat-e-Mustafa-1/150.
MUTAALA -E- SEERAT.
Bis'mihi ta'aala
===============
S A W A A L= 92
==============
Aazaad Naa-BaaLigh Bachchon Me Sab Se PehLe Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ke Haath Par Imaan Laane WaaLa Kon Hai ?
===============================
J A W A A B=↓
===============
Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ke Haath Par Aazad Naa-BaaLig Bachchon Me Sab Se PehLe Imaan Laane WaaLe Hazrat ALi R.Anhu Hai.
��.Seerat-e-Mustafa-1/150.
MUTAALA -E- SEERAT.
Bis'mihi ta'aala
===============
S A W A A L= 93
==============
GhuLaamon Me Sab Se PehLe Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ke Haath Par Imaan Laane WaaLa Kon Hai ?
===============================
J A W A A B=↓
===============
Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ke Haath Par GhuLamon Me Sab Se PehLe Imaan Laane WaaLe Hazrat Zaid Bin Haarisah R.Anhu Hai.
��.Seerat-e-Mustafa-1/150.
MUTAALA -E- SEERAT.
Bis'mihi ta'aala
===============
S A W A A L= 94
==============
Wo Shakhsh Jo BiLa Jhijak Aur Ghaur-o-fikr Ke Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ke Da'awat Dete Hi Imaan Laane WaaLa Kon Hai ?
===============================
J A W A A B=↓
===============
Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ke Da'awat Dete Hi BiLa Jhijak Aur Ghaur-o-fikr Ke Imaan Laane WaaLe Hazrat Abu Bakr Siddiq R.Anhu Hai.
��.Seerat-e-Mustafa-1/149.
MUTAALA -E- SEERAT.
Bis'mihi ta'aala
===============
S A W A A L= 95
==============
Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Aur Sahaba Ki Chhoti Si Jama'at Khufya TabLigh Ke Zamane Me Ebaadat Ke Liye Kaha Jama Hote The?
===============================
J A W A A B=↓
===============
Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Aur Sahaba Ebtidaa Me Apne Har Kisi Se Chhup Kar Apne Etibaar Se Ebaadat Karte The,
Lekin Fir Jab MusaLmano Ki Jama'at Kuch Taqriban 30 Afraad Se Barhi To,
Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ne Sab Ke Ebaadat Karne Ke Liye DAAR-E-ARQAM Ko Taiy Kiya, Lihaza Uske Baad Sabhi Log Usme Jama Hote The, Aur Ebaadat Karte The.
��.Seerat-e-Mustafa-1/165.
��.Seerat-e-KhatamuL Anmbiyaa-35.
MUTAALA -E- SEERAT.
S A W A A L= 96
==============
Ye Daar-e-Arqam Kya Tha ?
===============================
J A W A A B=↓
===============
Ye Hazrat Arqam R.Anhu Ka Makan Tha, Jo Kohe Safa Par Bana Huwa Tha.
��.Seerat-e-Mustafa-1/165.
MUTAALA -E- SEERAT.
Bis'mihi ta'aala
===============
S A W A A L= 97
==============
Daar-e-Arqam Me Kab Tak Jama Hote Rahe ?
===============================
J A W A A B=↓
===============
Hazrat Umar R.Anhu Ke IsLam Laane Tak Usi Me Jama Huwa Karte The,
Lekin Hazrat Umar R.Anhu Ke IsLam Laane Ke Ba'ad Jaha Chaahte Jama Hojaate The.
��.Seerat-e-Mustafa-1/165.
MUTAALA -E- SEERAT.
Bis'mihi ta'aala
===============
S A W A A L= 98
==============
Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ko ALaL ELaan Da'awat-o-TabLigh Karne Ka Hukm Kab MiLa ?
===============================
J A W A A B=↓
===============
Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ko Nabuwwat Ataa Hone Ke 3 SaaL Ba'ad ALaL ELaan Da'awat-o-TabLigh Ka Hukm Huwa,
Baari Ta'aaLa Ki Taraf Se Hukm Huwa,
【Jis Baat Ka Aap Ko Hukm Diya Gaya Hai, Uska Saaf Saaf ELaan Kar Dijiye, Aur Mushrikeen Ki Parwa Na Kijiye,{Sura-e-hijr 94}
Aur Sab Se PehLe Apne Qareebi Rishtedaaron Ko Kufr Aur Shirk Se Daraaye, Aur Jo Iman Laa Kar Aap Ki Ittibaa Kare Uske Saath Narmi Aur Shafqat Ka MuaamaLah Farmaaye,{Sura-e-shuaraa214}
Aur Aap Ye ELaan Karde Ke Me Waazeh Tor Par Daraane WaaLa Hu,{Sura-e-hijr 89}
��.Seerat-e-Mustafa-1/165.
MUTAALA -E- SEERAT.
Bis'mihi ta'aala
===============
S A W A A L= 99
==============
Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ne Sab Se PehLe ALaL ELaan Da'awat-e-isLam Kaha Aur Kaise Di ?
===============================
J A W A A B=↓
===============
Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ne Kohe Safa Par Chad Kar QabaaiL-e-Quraish Ko Naam Ba Naam Pukar Kar BuLaaya, Jab Sab Jama Hogaye,
To Aap Ne Farmaya : Agar Me Tum Logo Ko Khabar Du Ke Is Pahar Ke Pichhe, Ek Lashkar Hai Jo Tum Par HamLa Karne WaaLa Hai, To Kya Tum Meri Tasdeeq Karoge,
Sab Ne Ek Zubaan Hokar Kaha Ke, Beshak Hamne To Aap Se Siwaay Sachchaai Ke Kuch Suna Hi Nahi,
Aur Dekha Hi Nahi,
Tab Aap Ne Farmaya : Ke Me Tum Ko Ek Sakht Azaab Se Daraata Hu,
Aur Jaha Tak Mujhe MaaLum Hai Dunya Me Koi Insan Apni Qaum Ke Liye Is Tohfa Se Behtar Tohfaa Lekar Nahi Aaya, Jo Me Tumhare Liye Laaya Hu,Me Tumhare Liye Deen Dunyaa Ki FaLaah Lekar Aaya Hu,
Aur Khuda Wand-e-Aa'aLam Ne Farmaya Hai Ke Me Tumhe Us Ki Taraf Da'awat Du, Khuda Ki Qasam Agar Me Tamam Dunya Ke Saamne Jhuth BoLta Tab Bhi Tumhare Samne Na BoLta, Aur Agar Saari Dunya Ko Dhoka Deta Tab Bhi Tumhe Dhoka Na Deta, Us Zaat-e-Quddus Ki Qasam Jo Ek Hai Aur Uska Koi Saheem Aur Shareek Nahi, Me Tumahari Taraf Khususan Aur Tamam AaLam Ki Taraf Umuman Khuda Ta'aaLa Ka RasuL Aur Paighambar Hu.
Abu Lahab Ne Kaha Ke Tuf Ho Tujh Par Kya Isi Liye Tune Hame Jama Kiya Tha, Aur Sab Bikhar Gaye.
��.Seerat-e-Mustafa-1/166.
��.KhatamuL anmbiyaa-36
.MUTAALA -E- SEERAT.
Bis'mihi ta'aala
===============
S A W A A L= 100
==============
Kya Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ka AhLe Makkah Ne Shuru Hi Se MukhaLafat Karna Shuru Kardiya Tha ?
===============================
J A W A A B=↓
===============
AhLe Makkah Ne Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ki Shuru Se MukhaaLafat Nahi Ki Thi,
BaL-ke Jab Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ne Unke Buton Aur But Paraston Ki Haqiqat KhoLna Shuru Kiya, Aur Kufr Shirk Se Rokna Shuru Kiya Tab AhLe Makkah Ne Aap SaLLaLLahu aLayhi hi wasalam ki mukhaLafat karna shuru kya
Seerat e mustafa /1/168
Seeratunnabi /1/256

No comments:
Post a Comment