Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Thursday, February 12, 2015

AWLAD KI PARWARISH

  ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
       вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
           ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                                             
        ⚀ αบℓα∂ αบr บรкï ραrναrïรн
                 Kε ïรℓα๓ï αα∂ααв    ⚀
        ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                 ⊙ PART -01 ⊙
                ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
1- Aulad ko khuda ka inaam samjho.
 Aulad ko khuda ka inaam samjhte hue unki paidaish per khushiya manaye or khuda ka shukr Ada kare unki khairo barkat ki dua kare.
2- Aulad na ho to khuda se Saleh aulad  maange.
 Aulad sirf khuda hee se Dua maange, baaz log shirk me mubtila ho jate hai or gairullah ke daro ki thokre khate firte hai Ye bahut badi jahalat he.
3- Aulad ki paidaish ko bojh na samjho.
 Tangi ya bimari ki wajah se kabhi apni aulad ko bojh na samjhe.
4- Aulad ko kabhi Jaaya na Karo,
 Paida hone se pehle ya paida hone ke baad  aulad ko Jaaya karna badtareen sangdili, bhayanak zulm, intehai buzdili or do no jahaa ki barbadi he.
5- Viladat wali aurat ke paas Allah ka kalaam padkar dam kare.
Ese waqt me fuzool kaamo se bache or  Aaytal kursi, Surah Araaf ki 2 aayaat ( 55-56), Surah Falaq or Surah Naas padkar dam kare.
       Reference:
                  ��Madani Mashra��
                      Safa no.51.
     (pαʀт ⇨02)
            Nεxт  тimε  insнα  αllααн
    ━═─────────────────═━

      вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
           ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                                             
    ⚀ αบℓα∂ αบr บรкï ραrναrïรн
                 Kε ïรℓα๓ï αα∂ααв    ⚀
     ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                 ⊙ PART -02 ⊙
6- No- molood (new born baby) ke Daaye kaan me Azaan or Baaye kaan me Aqamat kahe.
7- No-molood (new born baby) ke liye kisi Marde-Saleh,Allah wale se Tehneek karwaye or Dua karwaye,Khajoor wagera ko chabakar khoob naram karke bachche ke taalu me lagane ko Tehneek kehte hai.
8- Bachche ke liye behtar naam tajveez kare.
 Huzoor  SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ka irshad he,↴
khuda ko tumhare naamo me se Abdullah or Abdur-rahman sabse jyada pasand he or Aap SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ne bhi farmaya ke Ambiya ALayhis saLLam ke naamo per naam rakho.
       Reference:Muslim Sharif.
 Huzoor  SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ne farmaya↴
mere naamo per naam rakho, meri kunniyat per nahi.
       Reference:Muslim Sharif.
9- Bachche ka galat naam rakha he to tabdeel karke achchha naam rakho.
 Huzoor  SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam jab kisi ka galat naam sunte to use badal diya karte the.
10- Bachche ka Aqeeka (saatve din ) Karo or Balo ke barabar sona ya chandi khairat Karo,
 Huzoor  SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ka irshad he.↴
Saatve roz bachche ka naam tajveez kiya jaye or uske baal utarwakar uski taraf se aqeeka kiya jaye.
       Reference:Tirmizi Sharif.
 Saatve din khatna bhi karwa dijiye, lekin kisi wajah se na karwaye to saat saal ki umar ke andar andar jaroor khatna karaye, khatna islami sha'aar he.
      Main Reference:
                  ��Madani Mashra��
                            Safa no.52.
     (pαʀт ⇨03)
            Nεxт  тimε  insнα  αllααн
    ━═─────────────────═━

▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
       вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
           ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                                             
    ⚀ αบℓα∂ αบr บรкï ραrναrïรн
                 Kε ïรℓα๓ï αα∂ααв    ⚀
     ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                 ⊙ PART -03 ⊙
11- Bachcha jab bolne lage to sabse pehle Kalma sikhao.
 Huzoor  SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ka irshad he.↴
Jab tumhari aulad bolne lage to usko
" La ilaha illallah" sikhao.
jab doodh ke daant (teeth) gir jaye to namaz ka hukm Karo.
       Reference:ibne Sunni.
Ek hadees me ye bhi he ke Huzoor  SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ke khandan me jab kisi bachche ki zaban khul jati tu Aap SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam usko Surah Farqan ki doosri aayat sikhate the.
12- Maa bachche ko apna doodh bhi pilaye.
 Maa ka farz he k wo bachcho ko apne doodh ke ek ek katre ke saath toheed, Huzoor  SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ka ishq, Deen ki mohabbat uske qalb (heart) or rooh me basane ki koshish kare.
13- Bachcho ko darane se parhez kare.
ibtedai umar ka ye dar saari zindgi jehno dimag per chhaya rehta he or ese bachche bil umoom zindgi me koi bada kaarnama anjaam dene ke layak nahi rehte.
14- Bachcho ko baat baat per jhidakne se sakht parhez kare.
 Aulad ko baat baat per daantna, jhidakna, unki kotahiyo per bejaar hona, nafrat ka izhar karne ki bajaye mohabbat, hikmat  ke saath unki tarbiyat karne ki koshish kare, or apne tarje amal se bachcho ke jehan per ye khof beharhal galib rakhe ke unki koi khilafe shara'a baat aap hargiz bardast na karenge.
15- Aulad ke saath hamesha narmi ka bartao kare.
unke saath shafkat, mohabbat, narmi ka mamla kare, hasbe jaroorat wa haisiyat unki jaruriyat poori karke unko khush rakhe, or itaat, farmabardari ke jazbaat ubhare.
      Main Reference:
                  ��Madani Mashra��
                            Safa no.57.
     (pαʀт ⇨04)
            Nεxт  тimε  insнα  αllααн
    ━═─────────────────═━


  ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
       вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
           ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                                             
    ⚀ αบℓα∂ αบr บรкï ραrναrïรн
                 Kε ïรℓα๓ï αα∂ααв    ⚀
     ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                 ⊙ PART -04 ⊙
16- Aulad ko pakiza taleem or tarbiyat se mujayyan kare.
 Ye aapki deeni zimmedari bhi he.aulad ke saath azeem ahsan bhi or apni zaat ke saath sabse badi bhalai bhi.
Huzoor  SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ka irshad he.↴
Baap apni aulad ko Jo kuchh de sakta he usme sabse behtar atiya [Gift] aulad ki achchhi taleem or tarbiyat he.
       Reference:Tirmizi Sharif.
17- Bachcho ko 7 saal ke hone per namaz sikhao or 10 saal ke ho jaye to namaz me kotahi karne per munasib saza bhi  do.
18- Bachcho ke 10 saal ka hone per unke bistar alag alag kardo.
19- Hamesha bachcho ki taharat, nazasat, pakizgi ka khayal rakho.
20-Doosro ke samne bachcho ke Aib bayan na Karo.
 kisi ke samne unhe sharminda karne se bhi parhej karo.
21- Bachcho ke samne bachcho ki islaah se mayusi ka izhar na Karo.
 balki unki himmat,hosla badaye,khud aitmad (self confidence) paida Karo, unki mamuli achchhai ki bhi dil kholkar tareef Karo.
22- Bachcho ko Deeni kisse or Quran khush alhani se padkar sunate raho,
 Bachcho ko Nabiyo, Saleheen, Sahaba ikram, Buzurgane deen ke kisse sunakar unme deeni jazbaat paida Karo.
23- Garibo ko sadqa khairat apne bachcho ke haath se bhi dilao.
Bachcho me sakhawat ka jazba.garibo se hamdardi paida karne ke liye kabhi kabhi unke haatho se sadqa khairat karwana chahiye.apne ghar me apne Behan Bhaiyo me aapas me khane ki cheejo ko bhi baatkar khane ki aadat dalna chahiye.
      Main Reference:
                  ��Madani Mashra��
                            Safa no.61.
     (pαʀт ⇨05)
            Nεxт  тimε  insнα  αllααн
    ━═─────────────────═━

    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
       вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
           ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                                             
    ⚀ αบℓα∂ αบr บรкï ραrναrïรн
                 Kε ïรℓα๓ï αα∂ααв    ⚀
     ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                 ⊙ PART -05 ⊙
24-Bachcho ki beja zid poori na Karo,
balki hikmat ke saath unki ye Aadat chhudane ki koshish kare, kabhi kabhi munasib sakhti bhi kare, Beja laad pyar se unko ziddi or khudsar na banaye.
25- Bachcho ko apne haath se kaam karne ki aadat dalo.
26- Bachcho me baham ladai hone per apne bachcho ki beja himayat na Karo.
27- Aulad ke mabeen hamesha barabari ka sulook Karo.
28- Bachcho ke samne hamesha amali namoona pesh Karo.
Aapki zindgi bachcho ke liye ek hamwaqti khush muallim he, jisse bachche har waqt padte - seekhte rehte hai, bachcho ke samne kabhi mazaak me bhi jhoot na bole.
29- Ladki paida hone per bhi ladko ki tarah khushi manaye.
30- Ladkiyo ki tarbiyat or parvarish intehai khush dili se Karo.
31- Ladke or Ladkiyo ke mabeen eska mohabbat ka izhar Karo.
32- Jaaydad me ladkiyo ko mukarrah hissa khush dili se do.
Ye khuda ka farz karda hissa he, isme kami besi karne ka kisi ko koi ikhtiyar nahi.ladki ka hissa dene me heele karna ya Shadi me Jahez dekar ya waqt be waqt kuchh dekar mutmain ho Jana itaate sha'ar momin ka kaam nahi.esa karna khayanat bhi he or khuda ki deen ki toheen bhi.
33- Mazkoora (jitne ouper bayan ho chuke 1-32) amali tadbeero ke saath Aulad ke haqq me duae bhi karte rahe or tavakko rakhe ke walden ke dil ki gehrai se nikli dua jaaya nahi hoti he.
      Main Reference:
                  ��Madani Mashra��
                            Safa no.57.
�� ALHAMDULILLAH  Khatm  hue.
    ━═─────────────────═━

No comments:

Post a Comment