▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
⚀ Sн๑нαr βïvï
Ke Hบq๑๑q ⚀
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
⊙ PART -01 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
Bivi ke huqooq kushada dili se Ada kijiye.
Bivi ke saath achchhe sulook ki zindgi guzare, uske huqooq kushada dili se Ada kare.
Allah ta'ala ka irshad hai↴
" aur unke saath bhale tareeqe se zindgi guzare".
Huzoor SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ne Hajjatul Vida ke mauke per hidayat farmai↴
" Logo Suno! Aurto ke saath achchhe sulook se pesh aao kyu ki woh tumhare paas qaidiyo ki tarah hai,
Tumhe unke saath sakhti ka bartav karne ka koi haq nahi, Siva is soorat me jab unki taraf se koi khuli hui nafarmani saamne aae, agar woh esa kar bethe to fir khwab gaho me unse alahdah raho aur unhe maaro to esa na maarna k koi shadeed chot aae, aur fir jab woh tumhare kehne per chalne lage to unko khamakha sataane ke bahane na dhoondo,
Dekho suno! Tumhare kuchh huqooq tumhari biviyo per hai aur tumhari biviyo ke kuchh huqooq tumhare ouper hai, un per tumhare huqooq ye hai k tumhare bistaro ko un logo se na rundwae jinko tum napasand karte ho aur tumhare gharo me ese logo ko hargiz na ghusne de, jinka aana tumhe nagawar ho,
aur suno! Unka tum per ye haq he k tum unhe achchha khilao aur achchha pehnao, "
(yani unke khilane pilane ka esa intezam kijiye Jo zojen(biwi) ki bemisal qurbat, qalbi talluq aur jazba e rafaqat ki shayane Shan ho)
Reference:
��Madani mashra��.
(pαʀт ⇨02)
Nεxт тimε insнα αllααн
━═─────────────────═━
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
⚀ Sн๑нαr βïพï
Ke Hบq๑๑q ⚀
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
⊙ PART -02 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
Jaha tak ho sake Bivi se Khush guman rahe.
Agar usme Shakl o soorat, adaat, akhlaq ya saliqa aur hunar ke atbaar se koi kam bhi ho to Sabr ke saath usko bardasht kijiye aur uski khubiyo per nigah rakhte hue darguzar, iesaar aur maslihat se kaam lijiye,
Allah ta'aala ka irshad he.
فَإِن كَرِهْتُمُوهُنَّ فَعَسَىٰ أَن تَكْرَهُوا شَيْئًا وَيَجْعَلَ اللَّهُ فِيهِ خَيْرًا كَثِيرًا
" Fir agar wo tumhe (kisi wajah) se
na-pasand ho to ho sakta he k ek cheez tumhe pasand magar khuda ne usme tumhare liye bhalai rakh di ho.
Reference:
Surah An-nisa
ayat.19.
Huzoor SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ka Irsaad Hai.
Koi momin apni momina bivi se nafrat na kare, agar bivi me koi Aadat usko napasand ho to ho sakta he k doosri khaslat ( khubi) usko pasand aa jaye.
Reference:
Muslim Sharif.
Main Reference:
��Madani Mashra��
(pαʀт ⇨03 )
Nεxт тimε insнα αllααн
━═─────────────────═━
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
⚀ Sн๑нαr βïพï
Ke Hบq๑๑q ⚀
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
⊙ PART -03 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
Bivi ke saath Darguzar aur Karam ki Ravish akhtyar Kijiye
Bivi ke saath afu, darguzar v karam ki ravish akhtyar kare, Bivi ki nadaanio aur sharkashio se Chashmposhi kijiye,
Allah Ta'ala ka irshad he.
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا إِنَّ مِنْ أَزْوَاجِكُمْ وَأَوْلَادِكُمْ عَدُوًّا لَّكُمْ فَاحْذَرُوهُمْ وَإِن تَعْفُوا وَتَصْفَحُوا وَتَغْفِرُوا فَإِنَّ اللَّهَ غَفُورٌ رَّحِيمٌ
" Momino tumhari baaz bivio'n or baaz aulad tumhare dushman hai'n, so unse bachte raho aur agar tum afu
( darguzar) va karam aur chashmposhi se kaam lo to yaqeen rakho ki Khuda bahut hi zyada Raham karne wala he,"
Reference:
Surah At-Taghabun,
Ayat 18.
Ek Hadees paak me Huzoor SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ka irshad he.
Aurto'n ke saath achchha sulook Karo, aurat pasli se peda ki gayi he aur paslio'n me sabse zyada ouper ka hissa teda he, usko sidha karoge to toot jaegi aur agar usko chhode rakhoge to tedi hi rahegi, pas aurto'n ke saath achchha sulook Karo.
Reference:
Bukhari Sharif,
Muslim Sharif.
Main Reference:
��Madani Mashra��
(pαʀт ⇨04)
Nεxт тimε insнα αllααн
━═─────────────────═━
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
⚀ Sн๑нαr βïพï
Ke Hบq๑๑q ⚀
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
⊙ PART -04 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
Bivi ke saath Khush Akhlaqi ka Bartaav Kijiye, aur Pyar Mohabbat se Pesh aaiye.
Apni khush Akhlaqi aur naram mizaji naapne ka asal maidan gharelu zindagi he.
Huzoor SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ka irshad he.↴
Kaamil imaan wale momin woh hai Jo apne akhlaq me sabse achchhe hai,
aur tumme sabse achchhe log woh hai Jo apni bivio'n ke haq me sabse achchhe hun.
Reference:
Ibne-Maja.
Aur kharch karne me tangi na kare, apni mehnat ki kamai ghar walo per kharch karke sukoon aur Khushi mehsoos kijiye,

" Ek dinaar wo he Jo tumne khuda ki raah me kharch kiya, ek dinaar wo he Jo tumne kisi gulaam ko azaad karane me kharch kiya,ek dinaar wo he Jo tumne kisi faqeer ko sadqa me diya, aur ek dinaar wo he Jo tumne apne ghar walo per kharch kiya, inme sabse zyada ajr aur sawab us dinaar ke kharch karne ka he Jo tumne apne ghar walo per kharch kiya,"
Reference:
Muslim sharif,
Riyazul saleheen,
Jild-1, safa 172.
Reference:
��Madani Mashra��
(pαʀт ⇨05)
Nεxт тimε insнα αllααн
━═─────────────────═━
⚀
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
⚀ Sн๑нαr βïพï
Ke Hบq๑๑q ⚀
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
⊙ PART -05 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
Bivi ko Deeni Taleem dijiye,
Bivi ko deeni ahkaam aur tehzeeb sikhae, islami akhlaq se araasta kijiye, har mumkin koshish kihiye k woh ek achchhi bivi aur Khuda ki nek bandi ban sake, aur mansabi faraiz ko ba-khubi Ada kar sake,
Allah ta'ala ka irshad he.↴
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا قُوا أَنفُسَكُمْ وَأَهْلِيكُمْ نَارًا
imaan walo apne aapko aur apne ghar walo ko jahannam ki aag se bachao.
Reference:
Surah At-Tahrim
Ayat-6.
Allah ta'aala ka irshad he.↴
وَاذْكُرْنَ مَا يُتْلَىٰ فِي بُيُوتِكُنَّ مِنْ آيَاتِ اللَّهِ وَالْحِكْمَةِ
aur tumhare gharo'n me Jo Khuda ki aayate'n padi jati hai'n aur hikmat ki baate'n sunai jati hai'n unko yaad rakho.
Reference:
Surah Al-Ahzab
Ayat-34.
Allah ta'ala ka irshad he.↴
وَأْمُرْ أَهْلَكَ بِالصَّلَاةِ وَاصْطَبِرْ عَلَيْهَا
aur apne ghar walo ko namaz ki takeed kijiye aur khud bhi uske paband raho.
Reference:
Surah Taha
Ayat-132.

Jab koi mard raat me apni bivi ko jagata he aur wo do no milkar 2 raka'at namaz padte hai'n to shohar ka naam zikr karne walo me aur bivi ka naam zikr karne walio'n me likh liya jata he.
Reference:
Abu-Dawood Sharif.
Khalifa-e-Saani Hazrat Umar Radi Allahu Ta'ala anhu raat me khuda ki bargaah me khade hokar ibadat karte rehte fir jab Sahar ka waqt aata to apni rafiqa-e-hayaat (bivi) ko jagate aur kehte.↴
" utho - namaz pado” aur fir yahi aayat tilawat farmate.
Reference:
��Madani Mashra��
(pαʀт ⇨06)
Nεxт тimε insнα αllααн
━═─────────────────═━
⚀
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
⚀ Sн๑нαr βïพï
Ke Hบq๑๑q ⚀
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
⊙ PART -06 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
Ek se zyada biviya'n ho to sabke saath barabari ka sulook kijiye.
Huzoor SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam apni Bivio'n ke saath bartaav me barabari ka bada ahatmam farmate the.
Huzoor SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ne irshad farmaya.↴
agar kisi shakhs ki 2 biviya'n ho aur usne unke saath insaaf aur barabari ka sulook na kiya to qayamat ke roz wo shakhs is haal me aayega k uska aadha dhad gir gaya hoga.
Reference:
Tirmizi Sharif.
Bivi nihayat Khush dili se shohar ki ita'at kare, aur ita'at me sukoon wa khushi mehsoos kare.
Allah Tala ka irshad he.
فااصََّالِحاتُ قانِتاتُ
Nek biviya'n ( shohar ki ) ita'at karne wali hoti hai'n
Reference:
Surah an-nisa
Ayat 24.
Huzoor SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ka paak irshad he.↴
Koi aurat shohar ki ijazat ke bager roza na rakhe.
Reference:
Abu-Dawood
Sharif.
Do kism ke aadmi wo hai'n jinki namaze unke saro se ounchi nahi jati.
1- ek us gulam ki namaz Jo apne aaqa se faraar ho jaye, jab tak k lot na aaye,
2- aur doosra us aurat ki namaz Jo shohar ki nafarmani kare, jab tak k shohar ki nafarmani se baaz na aa jaye.
Reference:
Attargeeb wal tarheeb.
Reference:
��Madani Mashra��
(pαʀт ⇨07)
Nεxт тimε insнα αllααн
━═─────────────────═━
▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
⚀ Sн๑нαr βïพï
Ke Hบq๑๑q ⚀
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
⊙ PART -07 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
Apni Aabru aur Asmat ki Hifazat ka ahatmam kijiye,
Unn tamaam baato se aur kaamo se door rahiye jinse daaman asmat per dhabba lagne ka andesha ho, Khuda ki hidayat ka taqaza bhi he aur khush gawar zindgi ke liye bhi behad zaroori he, isliye k agar Shohar ke dil me is tarah ka koi shubha, shaq paida ho jaye to fir aurat ki koi khidmat, bhalai Shohar ko apni taraf maa'il nahi kar sakti, aur is maamle me mamooli kotahi se bhi Shohar ke dil me shaitan shubha, shaq daalne me kamyaab ho jata he,

Aurat jab paancho waqt ki namaz pad le, apni Aabru ki hifazat kar le, apne shohar ki farmabardar rahe, to woh jannat me jis darwaze se chahe daakhil ho jaye.
Reference:
Attargeeb wal tarheeb.
Reference:
��Madani Mashra��
(pαʀт ⇨08)
Nεxт тimε insнα αllααн
━═─────────────────═━
⚀
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
⚀ Sн๑нαr βïพï
Ke Hบq๑๑q ⚀
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
⊙ PART -08⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
Apne Shohar ki Rafaqat ki Qadr kijiye, is azeem niyamat per khuda ka Shukr Ada kijiye, aur Niyamat ki Dil Jaan se qadr kijiye.
Huzoor SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ka paak irshad he↴
" Nikah se behtar koi cheej mohabbat karne walo ke liye nahi payi gayi".
Reference:
Ibne maja.
Ummul Momineen Hazrat Safiya Radi Allahu Ta'ala anha Ko Huzoor SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam se be inteha mohabbat thi Chunache Jab Huzoor SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam bimar hue, to intehai hasrat se boli Kash Huzoor SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ke bajae me bimar ho jati Doosri Ummul Momineen ko is izhare mohabbat per ta'ajjub se unki taraf dekha to Huzoor SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ne farmaya Dikhawa nahi he balki sach keh rahi he.
Reference:
Al- aslabah.
Reference:
��Madani Mashra��
(pαʀт ⇨09)
Nεxт тimε insнα αllααн
━═─────────────────═━
▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
⚀ Sн๑нαr βïพï
Ke Hบq๑๑q ⚀
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
⊙ PART -09 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
Shohar ki ijazat ke bager ghar se bahar na jaye,
Khuda per imaan rakhne wali aurat ke liye ye jaa'iz nahi k wo apne shohar ke ghar me kisi ese shakhs ko aane ki ijazat de jiska aana shohar ko nagawaar ho aur wo ghar se esi soorat me nikle jabki uska nikalna shohar ko nagawaar ho aur shohar ke maamle me kisi doosre ka kehna na maane,
Reference:
Attargeeb wal tarheeb.
yani shohar ke maamle me shohar ki marzi aur ishare per hi amal kijiye aur uske khilaf hargiz doosre ke mashwaro'n ko na apnaye,
Hamesha apne qaul wa Amal aur Andaz wa Atvaar se shohar ko khush rakhne ki koshish kijiye,
Kamyaab azdwaji zindgi ka raaz bhi yahi he, aur khuda ki raza aur Jannat ke husool ka raasta bhi yahi he,

Jis aurat ne bhi is haal me inteqaal kiya k uska shohar usse raazi aur khush tha to woh jannat me dakhil hogi.
Reference:
Tirmizi Sharif.
Ek hadees paak me Huzoor SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ka irshad he.↴
Jab koi Aadmi apni bivi ko jinsi zaroorat ke liye bulaye aur woh na aaye aur is bina per shohar raat bhar usse khafa rahe to esi aurat per subeh tak Farishte laanat karte hai'n.
Reference:
Bukhari Sharif.
Reference:
��Madani Mashra��
(pαʀт ⇨10)
Nεxт тimε insнα αllααн
━═─────────────────═━
▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
⚀ Sн๑нαr βïพï
Ke Hบq๑๑q ⚀
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
⊙ PART -10 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
Shohar ka Ahsaan maan kar uski Shukr guzaar rahiye.
Aapka sabse bada mohsin aapka shohar hi he.
Jo har tarah aapko khush rakhne me laga rehta he.
Aapki har zaroorat ko poora karta he.
aur aapko Aaraam pahuncha kar Araam mehsoos karta he.
Hazrat Asmaa Radi Allahu Ta'ala anha Farmati hai'n ke Huzoor SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ne irshad farmaya.↴
Tum per jinka ahsaan he unki nashukri se bacho, tumme ki ek apne maa'n baap ke yaha'n kaafi dino tak bin biyahi bethi rehti hai'n,
fir Khuda unko Shohar ata farmata he,
fir Khuda usko Aulaad se nawaazta he (in tamaam ahsaanat ke bavjood) agar kabhi kisi baat per Shohar se khafa hoti he to keh uthti he ke mene to tumhari taraf se koi bhalai dekhi hi nahi.
Reference:
Al-Adab Al-Mufarrad.
Nashukr aur Ahsaan faramosh Bivi ko tambeeh karte hue Huzoor SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ne irahad farmaya.↴
Khuda Qayamat ke roz us Aurat ki taraf nazar uthakar bhi na dekhega Jo Shohar ki nashukr guzaar hogi, hala'nki Aurat kisi waqt bhi Shohar se be niyaaz nahi ho sakti.
Reference:
Nasai sharif.
Reference:
��Madani Mashra��
�� ALHAMDULILLAH Khatm hue.

No comments:
Post a Comment