🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻
🌻 بسم الله الرحمن الرحيم 🌻
💦💦💦💦💦💦💦💦💦💦
JO MASAIL LIKHE JYEGE USKE PADHNE KA TAREEQA
↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓
👉agar padhne wala mard hoto in masail ko khud na padhe ya to apni biwi ki maarifat samjhay
👉ya padhne wale ko hidayat karde ke in maslo ko khud dekhlena
👉zaruri hidayat
Kam umr ke ladke ladkiya in maslo ko na padhe
💦💦💦💦💦💦💦💦💦💦
HAIZ KE AHKAAM KA BAYAN
💦💦💦💦💦💦💦💦💦💦
🌻👉haiz ke zamane me namaz padhna or roza rakhan darust nahi itna fark hai ke namaz to bilkul maaf ho jati hai paak hone ke baad bhi iski qaza wajib nahi hoti lekin roza maaf nahi hota paak hone ke baad roze ki qaza rakhni padegi
🌻👉agar farz namaz padhte huy haiz aagaya to wo namaz bhi maaf ho gayi paak hone ke baad uski qaza na padhe or agar nafil ya sunnat me haiz aagaya to qaza padhni padegi or agar aadhe roze me haiz aagaya to roza tut gaya jab paak ho qaza rakhe or agar nafil rozo me haiz aay to uski bhi qaza rakhe
🌻👉agar namaz ke akhir waqt me haiz aaya or abhi namaz nahi padhi hai tab bhi maaf hai
🌻👉haiz ke zamane me mard ke pas rehna yani sohbat karna darust nahi or sohbat ke siwa baqi sab bate darust hain
🌻👉haiz me aurat ke naaf se lekar gutne tak ka jism mard ke kisi azu se mis na ho yani mile nahi han sath khana pina letna waghera sab darust hain
🌻👉kisi ki adat 5 din ki ya 9 din ki thi so jitne din ki adat thi utne hi din khoon aaya phir band ho gaya to jab tak naha na lewe tab tak sohbat
karna darust nahi
🌻👉agar ghusal na kare to jab tak ek namaz ka waqt ghuzar jay ke ek namaz ki qaza uske zimme wajib ho jay tab sohbat darust hai isse pehle nahi
🌻👉agar adat 5 din ki thi or khoon 4 din hi aakar band ho gaya to nahan kar namaz padhna wajib hai lekin jab tak 5 din poore na ho jay tab tak sohbat karna darust nahi hai shayad phir khoon aajay
🌻👉agar poore 10 din raat haiz aaya to jab se khoon band ho jay usi waqt se sohbat karna darust hai chahe naha chuki ho ya abhi na nahayi ho
🌻👉agar 1 ya 2 din khoon aakar band ho jay to nahana wajib nahi hai wazu karke namaz padhle lekin abhi sohbt karna darust nahi
🌻👉zaruri baat
Agar 15 din guzarne se pehle khoon aajay to ab maloom hoga ke wo haiz ka zamana tha hisaab se jitne din haiz ke ho unko haiz samjhe or ab ghusal kar ke namaz padhe or agar poore 15 din bich me ghuzar gay or khoon nahi aaya to maloom hua wo istehaza tha so 1 ya 2 din khoon aane ki wajah se jo namaze nahi padhi ab unki qaza padhe
🌻👉3 din haiz aane ki adat hai par kisi maheene aisa hua ke 3 din poore ho chuke or abhi khoon band nahi hua to ghusal na kare namaz na padhe
🌻👉agar poore 10 din raat me ya usse kam me khoon band ho jay to un sab dino ki namaze maf hain qaza nahi padhni padegi or yun kahege ab aadat badal gayi isliy ye sab din haiz ke honge
🌻👉or agar 11 we din khoon aaya to ab maloom hua ke haiz ke faqat 3 hi din the sab istehaza hai pas 11we din nahale or 7 din ki namaze qaza padhe or ab namaze na chode
🌻👉agar 10 din se kam haiz aaya or aise waqt khoon band hua ke namaz ka time bilkul tang hain ke agar jaldi or bahut phurti se bhi naha lewe to nahane ke baad bilkul zara sa waqt bachega jisme sirf allah hu akbar keh kar niyat band sakti hai isse zada kuch nahi padh sakti tab bhi us waqt ki namaz wajib ho jaygi qaza padhni padegi
🌻👉 agar isse bhi kam waqt ho to namaz maaf hai qaza wajib nahi hai
🌻👉or agar poore 10 din raat haiz aaya or aise waqt khoon band hua ke bilkul zara sa bas itna waqt hai ke 1 bar allah hu akbar keh sakti hai usse zada kuch nahi keh sakti or nahane ki bhi gunjayish nahi to bhi namaz wajib ho jati hai uski qaza padhni chahiy
🌻👉 agar ramzan shareef me din ko paak hui to ab paak hone ke baad kuch khana pina nahi hai sham tak rozedaro ki tarah rehna wajib hai lekin ye din roze me shumaar nahi hoga balke uski qaza rakhni padegi
🌻👉agar raat ko paak huyi or poore 10 din raat haiz aaya hai to agar itni zara si raat baqi hai jisme ek baar allah hu akbar bhi na keh sake tab bhi subha ka roza wajib hai
🌻👉or agar 10 din se kam haiz aaya hai to agar itni raat baqi ho ke phurti se ghusal to kar legi lekin ghusal ke baad ek dafa bhi allah hu akbar nahi keh paygi to bhi subha ka roza wajib hai
🌻👉agar itni raat to thi lekin ghusal nahi kiya to roza na tode balke roze ki niyat karle or subha ko naha lewe or jo isse bhi kam raat ho yani ghusal bhi na kar sake to subha ka roza jayaz nahi hai lekin din ko kuch khana pina bhi nahi balke sare din roze daro ki tarah rahe or phir uski qaza rakhe
🌻👉jab khoon suraakh se bahar ki khal me nikal aay tab se haiz shuru hota hai is khal se chahe bahar nikle ya na nikle iska koi atebar nahi hai
🌻👉 to agar koi shuraakh ke andar rooyi waghera rakhle jisse khoon bahar na nikle to jab tak suraakh ke andar hi andar khoon rahe or bahar wali ruyi par khoon ka dhabba na aay to tab tak haiz ka hukm nahi lagayge jab khoon ka dhabba bahar wali khal me aajay ya rooyi waghera kheench kar bahar nikal le tab se haiz ka hisaab hoga
🌻👉paak aurat ne raat ko farj dakhil me guddi rakhli thi jab subha huyi to us par khoon ka dhabba dekha to jis waqt se dabba dekha hai usi waqt se haiz ka hukm lagayge
🌻👉haiz ke masail or ahkaam mashaallah poore huy kal se inshaallah istehaza or mazoor ke ahkaam ka bayan likha jayga allah ta'ala ham sab ko sahi samjh ata farmay ameen
🌻👉jo shadi shuda hain wo sab in maslo ko apni biwi tak pohchay or jitni lakiya female aurte hain sab maslo ko ghor se padhe or amal kare allah ta'ala ham sab ko sahi samjh or sahi raste par chalki tofeeq ata farmay Ameen
📙Behashti zewar
Dusra hissa p -124-125
💦💦💦💦💦💦💦💦💦💦
👇Join👇
Ulama e deoband
Group
Male and female
📱 + 91 - 7037363325
Plz forward to all Muslim

No comments:
Post a Comment