Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Sunday, February 8, 2015

HAIZ OR ISTEHAZA KA BAYAAN

🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻

       
            🌻 بسم الله الرحمن الرحيم🌻

               
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻
JO MASAIL LIKHE JYEGE USKE PADHNE KA TAREEQA
↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓
🌻👉agar padhne wala mard hoto in masail ko khud na padhe ya to apni biwi ki maarifat samjhay

🌻👉ya padhne wale ko hidayat karde ke in maslo ko khud dekhlena

🌻👉zaruri hidayat

🌻👉Note-Kam umr ke ladke ladkiya in maslo ko na padhe
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻
HAIZ OR ISTAHAZA KA BYAN
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻


🌻👉jo har maheene age ki raah se mamauli khoon aata hai usko haiz kehte hain


🌻👉kam se kam haiz ki muddat 3 din 3 raat hai or zada se zada 10 din 10 raat hai



🌻👉kisi ko 3 raat se kam khoon aaya wo haiz nahi istehaza hai kisi bimaari ki wajah se aisa ho gaya hai



🌻👉or agar 10 din se zada khoon  aaya hai jo jitne din zada aaya hai wo bhi istehaza hai



🌻👉agar 3 din ho gaye lekin 3 raate nahi hui jese jume se khoon aaya or itwaar ki sham ke waqt baad maghrib band ho gaya tabbhi ye haiz nahi balke istehaza hai agar 3 din ya 3 raat se zara bhi kam ho to wo haiz nahi jese jume ko suraj nikalte waqt khoon aaya or do shamba yani itwaar ko suraj nikalne se zara pehle band ho gaya to wo haiz nahi balke istehaza hai


🌻👉haiz ki muddat ke andar surkh zard sabz khaki matyala siyah jo rang aawe sab haiz hai jab tak guddi safed na dikhlayi de or jab bilkul safed rahe jesi rakhi gayi thi to ab haiz se paak hai


🌻👉9 years saal se pehle or 55 years saal ke baad kisi ko haiz nahi aata isliy 9 year saal ki choti ladki ko khoon aay wo haiz nahi hai balke istehaza hai



🌻👉or agar 55 years saal ke baad kuch nikle to agar khoon khoob surkh ya siyah ho to haiz hai or agar zard ya sabza ya khaki rang ho to haiz nahi hai balke istehaza hai



🌻👉albatta agar is aurat ko is umar se pehle bhi zard ya sabz ya khaki rang aata ho to 55 saal ke bad bhi ye rang haiz hi samjha jayga or agar adat ke khilaf aisa hua hai to haiz nahi balke istehaza hai matlab ke pehle zard ya siyah khaki rang nahi aata tha 55 saal ke bad aaya to haiz nahi istehaza hai agar pehle bhi aata tha to haiz hai


🌻👉kisi ko hamesha 3 din ya 4 din khoon ata tha phir kisi maheene me zada aagaya lekin 10 din se zada nahi aaya to wo sab haiz hi hai


🌻👉or agar 10 din se bhi zada badh gaya to jitne din pehle se adat ke hain utna to haiz hai baqi sab istehaza hai



🌻👉iski misaal ye hai ke kisi ko hamesha 3 din haiz aane ki adat hai lekin kisi maheene me 9 din ya 10 din raat khoon aaya to sab haiz hai



🌻👉or agar 10 din raat se ek lamha bhi zada khoon aaya to wahi 3 din haiz ke hain or baqi dino ka sab istehaza hai in dino ki namaze qaza padhna wajib hai


🌻👉ek aurat hai jiski koi adat muqarrar nahi hai kabhi 4 din khoon aata hai kabhi 7 din or kabhi 10 din isi tarah badalta rehta hai to ye sab haiz hai


🌻👉aisi aurat ko agar kabhi 10 din raat se zada khoon ay to dekho ke isse pehle maheene me kitne din haiz aaya tha bas itne hi din haiz ke hoge baqi sab istehaza hai



🌻👉kisi ko hamesha 4 din haiz aata tha phir kisi maheene me 5 din khoon aaya uske baat dusre maheene me 15 din khoon aaya to is 15 din me se 5 din haiz ke hain or baqi 10  din istehaza hai



🌻👉pehli adat ka itbaar na karege or yahi samjhege adat badal gayi hai or 5 din ki adat ho gayi hai


🌻👉kisi ladki ko pehli baar khoon aaya to agar 10 din se kuch kam aay to sab haiz hai or agar 10 din se zada aay to poore 10 haiz ke hain baqi jitna zada ho sab istehaza hai


🌻👉kisi ladki ko pehli baar khoon aaya or kisi tarah band na hua kayi maheene tak barabar aata raha to jis din se aaya hai us din se lekar 10 din raat tak haiz hai iske baad 20 din raat istehaza hai or isi tarah barabar 10 din raat haiz or 20 din raat istehaza samjha jayga



🌻👉2 haiz ke darmiyan me paak rehne ki muddat kam se kam 15 din hai or zada se zada ki koi had nahi so agar kisi ko kisi wajah se haiz aana band ho jay to jitne maheene khoon nahi aayga paak hai


🌻👉agar kisi ko 3 din raat khoon aaya phir 15 din paak rahi phir 3 din raat khoon aaya to 3 din pehle ke or 3 din jo 15 din ke baad hai haiz ke hain or bich me 15 din paaki ka zamana hai


🌻👉agar ek ya do din khoon aaya phir 15 din paak rahi phir ek ya do din khoon aaya to bich ke 15 din to paaki ka hi zamana hai idhar ya udhar jo ek ya do din khoon aaya hai wo bhi haiz nahi balke istehaza hai


🌻👉agar ek din ya kayi din khoon aaya phir 15 din se  kam paak rahi iska kuch atebar nahi hai balke yun samjhege ke goya awwal se akhir tak barabar khoon jari raha so jitne din haiz aane ki adat ho itne din to haiz ke hain baqi sab istehaza hai



🌻👉misaal iski ye hai
Ke kisi ko har maheene 1 ya 2 ya 3 tareekh haiz aane ka mamool hai phir kisi maheene aisa hua ke pehli tareekh ko khoon aaya phir 14 din paak rahi phir ek din khoon aaya to aisa samjhege jese 16 din barabar khoon aaya hai so isme 3 din awwal ke to haiz ke hain or baqi 13 din istehaza hai



🌻👉agar 4 ya 5  ya 6 tareekh haiz ki adat thi to yahi tareekhe haiz ki hain or 3 din awwal ke or 10 din baad ke istehaza ke hain or agar iski koi adat na ho pehli bar khoon aaya hai to 10 haiz ke hain or 6 din istehaza hai hamal ke zamane me jo khoon aawe wo bhi haiz nahi balke istehaza hai chahe jitne din aay


🌻👉bachcha peda hone ke waqt bachcha nikalne se pehle jo khoon aay wo bhi istehaza hai bakle jab tak bachcha adhe se zada na nikal aay tab tak jo khoon aayga usko istehaza hi kahege


◻👉haiz or istehaza ka bayan Mashaallah poora hua kal inshaallah haiz ke ahkaam likhe jayge in sha Allahu ta'ala


🌻👉jo shadi shuda hain wo sab in maslo ko apni biwi tak pohchay or jitni lakiya female aurte hain sab maslo ko ghor se padhe or amal kare allah ta'ala ham sab ko sahi samjh or sahi raste par chalki tofeeq ata farmay Ameen


      📙Behashti zewar
        Dusra hissa p -122-123

🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻
                    👇Join👇
            Ulama e deoband
                       Group
             Male and female

    📱 + 91 - 7037363325

         Plz forward to all Muslim
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻

No comments:

Post a Comment