Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Friday, February 13, 2015

MASAIL-E-NAMAZ-1-SE-30-PART

💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
       🌹 Bismihi Ta'aala 🌹

    ⭕Namaz Ke Masail  ⭕

          ⭐ PART-1⭐

   ♦Namaz ki Farziyat-1 ♦

󾰵 Namaz baalig per farz hoti he, agar baalig hone ki alaamate zaahir ho jaye to namaz usi waqt Farz ho jati he,

👉Aur agar koi alaamat zaahir na ho to ladka, ladki 15 saal ki umar poori hone per baalig samjhe ja'enge aur jis din Solhve Saal me qadam rakhenge us din se un per namaz v Roza Farz honge,

👉 Alaamat ye he k Ladke ko ahatlaam ho jaye ya Ladki ko haiz aa jaye vagera,

🔴 Agar kisi ne baalig hone ke baad bhi Namaz v Roza me kotahi ki to ab wo tauba karke Namaz v Rozo ki qaza karna chahiye,

👉 Agar use ye yaad nahi k wo kab baalig hua tha to ladke ke liye hukm ye he k wo Terhve(13 ve)  saal  ke shuru hone se Namaz v Roza qaza kare, kyuki 12 saal ka ladka baalig ho sakta he,
Aur Ladki ke liye ye hukm he k wo 9 baras pure hone aur 10 ve saal ke shuru hone se Namaz v Roze ki qaza kare, kyuki 9 baras ki ladki baalig ho sakti he,

🔜 , 2 in sha Allah ta'aala,

📚 Aapke Masail aur unka Hal, 2/ 90
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ 🌹 Bismihi Ta'aala 🌹

      ⭕Namaz Ke Masail  ⭕

         ⭐ PART-2⭐


♦ Benamazi ko kaamil Musalman nahi keh sakte♦

👉Agar koi shakhs Allah aur Uske Rasool Sallallahu Alaihivasallam per imaan rakhta he,
Aur Namaz ka bhi qaa'il he,
Magar susti ya gaflat ki vajah se Namaz nahi padhta to Esa shakhs musalman to he lekin Kaamil musalman ise nahi kaha ja sakta k wo Namaz jese Aham aur Buniyadi Rukn ko chhodne ki vajah se Imaam Abu Hanifa Rh, Imaam Maalik Rh, Imaam Shafa'i Rh aur ek rivayat me Imaam Ahmad bin Hambal Rh ke nazdeek sakht gunahgar aur badtareen faasiq he,

🔜 , 3 in sha Allah ta'aala,

📚 Aapke Masail aur unka Hal, 2/ 90
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ 💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
       🌹 Bismihi Ta'aala 🌹

    ⭕Namaz Ke Masail  ⭕

          ⭐ PART-3⭐

   ♦Namaz ki Farziyat -2 ♦

󾰵 Kalma e Shahadat ke baad islaam ka sabse bada rukn Namaz he, Namaze panjgana Ada karne se badhkar koi neki nahi aur Namaz na padhne se bada koi gunaah nahi,

👉 Agar koi shakhs Namaz nahi padhta aur khair ke doosre kaam karta he to hum ye to nahi keh sakte k wo qubool nahi honge lekin tarke namaz ka vabaal itna bada he k ye amaal uska tadarik nahi kar  sakte,

🔴 Esa shakhs Jo Farz namaz ki ijazat nahi de uske yaha mulazmat hi jaa'iz nahi,

🔜 , 4,in sha Allah ta'aala,

📚 Aapke Masail aur unka Hal, 2/ 94
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ 💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
       🌹 Bismihi Ta'aala 🌹

    ⭕Namaz Ke Masail  ⭕

          ⭐ PART-4⭐

   ♦Namaz ki Farziyat -3 ♦

󾰵 Allah ta'aala ko Gafurur Raheem Samajh kar namaz na Ada karne wale ki saza --

👉 Allah ta'aala bila shubha Gafurur Raheem he lekin ese Gafurur Raheem ki nafarmani jab dhitai se ki jaye aur nafarmani karne wale ko sharmindgi bhi na ho to uska qahar bhi naazil ho sakta he,

👉 Musnad Ahmed, Tabrani, Majma ul zawaid, 2/21 me Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu se  rivayat he,

" Jo shakhs Namaz ka ahatmam karta he to namaz uske liye qayamat ke din noor hogi, uske ( pure imaandar hone ) ki  daleel hogi, aur qayamat ke din azaab se bachne ka zariya hogi,
Jo shakhs Namaz ka ahatmam nahi karta uske liye qayamat ke din na noor hoga, na uske( pure imaandar hone ki) koi daleel hogi, na azaab se bachne ka koi zariya hoga aur wo qayamat ke din Firaun, Hamaan aur Ubai bin Half ke saath hoga, "

👉 khulasa ye he k Shaitan ka makr aur dhoka he k gunaah kiye jao Allah Gafurur Raheem he wo bakhsh dega, Momin ki shaan ye honi chahiye k wo ahkaame ilaahi ki pabandi kare, Gunaho se bachta rahe aur fir Allah ta'aala ki rehmat v magfirat ki ummeed bhi rakhe,

🔜 ,5 in sha Allah ta'aala,

📚 Aapke Masail aur unka Hal, 2/ 94
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ 🌹 Bismihi Ta'aala 🌹

    ⭕Namaz Ke Masail  ⭕

          ⭐ PART-5⭐

   ♦Namaz ki Farziyat -4 ♦

󾰵 Namaz Farz he uska chhodna Gunahe kabira he aur Daadi rakhna wajib he aur iska: katarwana ya mundwana haraam aur gunaahe kabira he,

🔴 Namaz qaa'im karne se muraad iski tamaam shara'it v adaab ke saath khoob ikhlas v tavajjo aur khushu v khuzu ke saath ise Ada karna he,

󾰵 Namaz ke liye masrufiyat ka bahana lagv he,

🔴 Kya pehle Akhlaaq ki durustgi ho fir namaz padhni chahiye??

👉 Ye khayal durust nahi balki khud akhlaaq ki durustgi ke liye namaz zaruri he,
Ye shaitan ka chakkar he wo ibaadat se rokne ke liye esi ulti sidhi baate samjhata he, aur shaitan ko pura itminan he k ye shakhs marte dam tak apne akhlaaq durust nahi kar sakega taki namaz se hamesha ke liye mehroom rahega,
👉 Sidhi baat ye he k Aadmi Namaz ki bhi pabandi kare aur saath saath akhlaaq ki bhi koshish kare,

🔴 Duniyavi garaz ke liye namaz roza karna aur kaam nikal jane ke baad chhod dena bahut galat baat he aur isse zyada galat ye he k Aadmi apni haajat aur zarurat ke waqt bhi Allah ta'aala ki taraf ruju na ho,

󾰵 Namaz ke waqt apne kaarobar me is tarah mashgool rehna k namaz fot ho jaye ya jama'at ka ahatmam na karna haraam he,

🔜 , 6 in sha Allah ta'aala,

📚 Aapke Masail aur unka Hal, 2/ 96
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥 💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
       🌹 Bismihi Ta'aala 🌹

    ⭕Namaz Ke Masail  ⭕

          ⭐ PART-6⭐

   ♦Avqaat e Namaz-1♦

🔵 Namaz sahi hone ke liye ek shart ye he k us Namaz ka waqt dakhil ho chuka ho, fir Jo Namaz waqt ke andar padhi gayi wo Ada hui aur Jo waqt nikalne ke baad padhi gayi wo qaza hui, aur Jo waqt se pehle padhi gayi wo na Ada hui, na qaza, balki sire se Namaz hui hi nahi,

🔴 Ghar per Namaz padhna Aurto'n ke alawa sirf mazoor logo ke liye jaa'iz he, bager uzr ke masjid ki jama'at ka tark karna gunaahe kabira he,

🔵 Imaam Abu Hanifa Rh ke nazdeek Namaze Fajar ese waqt me padhna afzal he k suraj nikalne se pehle ek jama'at sunnat ke mutabiq aur karayi Ja sake,

🔴 Vitr ki namaz Tahajjud ke waqt padhna durust he balki jis shakhs ko tahajjud ke waqt uthne ka pura bharosa ho uske liye tahajjud ke waqt Vitr padhna afzal he,

🔵 Vitr ki namaz subeh sadiq se pehle padh Lena zaruri he, Subeh sadiq hone ke baad vitr ki namaz qaza ho jati he,

🔜 , 7 in sha Allah ta'aala,

📚 Aapke Masail aur unka Hal, 2/ 100
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
    🌻 Talibe Dua,,,
    📝 Ulama e deoband
  📲 +91 -7037363325

💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥 💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
       🌹 Bismihi Ta'aala 🌹

    ⭕Namaz Ke Masail  ⭕

          ⭐ PART-7⭐

   ♦Avqaat e Namaz-2♦

🔴 Subeh sadiq ke baad Fajar ki sunnato ke alawa Tahajjud padhna ya koi aur nifl namaz padhna jaa'iz nahi,

👉 Qaza namaz padh sakte hai'n magar wo bhi logo ke saamne na padhe,

🔵 Namaze Fajar ke baad Suraj nikalne tak nifl namaze padhna durust nahi, Qaza namaz, sazda tilawat aur Namaze janaza jaa'iz he,

👉 Jab suraj ka kinara tulu ho jaye us waqt se lekar Suraj ki zardi khatm hone tak ka waqt ( Qariban 15-20 minutes) makrooh he, isme Farz, nifl, Sazda tilawat aur Namaze Janaza sab mana he,

👉Qurane kareem ki tilawat, zikr, tasbeeh, darood sharif is waqt bhi jaa'iz he,

🔴 Subeh sadiq hone per Sehri ka waqt khatm ho jata he aur Namaz Fajar ka waqt shuru ho jata he,

🔜 , 8 in sha Allah ta'aala,

📚 Aapke Masail aur unka Hal, 2/ 100
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
    🌻 Talibe Dua,,,
    📝 Ulama e deoband
  📲 +91 -7037363325

💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥 💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
       🌹 Bismihi Ta'aala 🌹

    ⭕Namaz Ke Masail  ⭕

          ⭐ PART-8⭐

   ♦Avqaat e Namaz -3 ♦

🔵 Zavaal ke waqt Nawafil vagera kuchh nahi padhni chahiye aur na ese waqt nawafil padhna chahiye k zawaal ka waqt darmiyan namaz me ho jaye,
:
🔴 Avqaat ke naqsho me Jo zawaal ka waqt likha hota he uska matlab ye hota he k iske baad namaz jaa'iz he,

👉 Zawaal me to zyada waqt nahi lagta lekin ahatyatan nisfunnahar se 5 minutes pehle aur 5 minutes baad namaz ko nahi padhna chahiye,

🔵 Zawaal ka waqt Din me hota he Raat ko nahi, Raat ke kisi bhi hisse me Namaz aur sazde ki muman'at nahi,

👉 Raat ke 12 baje zawaal ka tasavvur galat he, aur din me bhi 12 baje zawaal ka waqt samajhna galat he kyuki mukhtlif shehro aur mukhtlif mosamo ke lihaaz se zawaal ka waqt mukhtlif hota he aur badalta rehta he,

🔜 , 9 in sha Allah ta'aala,

📚 Aapke Masail aur unka Hal, 2/ 104
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
    🌻 Talibe Dua,,,
    📝 Ulama e deoband
  📲 +91 -7037363325

💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥 💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
       🌹 Bismihi Ta'aala 🌹

    ⭕Namaz Ke Masail  ⭕

          ⭐ PART-9⭐

   ♦Avqaat e Namaz -4♦

🔴 Asar ki namaz Hanfiya ke nazdeek misl avval ke baad asar ki namaz durust he, isliye fuqha Hanfiya Rh farmate he'n k misle saani ke baad asar ki namaz padhna mustahab he,

👉 Misle saani khatm ho jane ke baad zyada takheer isliye mustahab he k nawafil zyada padh sake,

👉 Takseer Nawafil ki garz se itni takheer ki jaye k Namaz ke baad guroob aftaab se pehle 6 meal safar paydal kiya ja sake,

📘 Ahsanul fatawa, 2/113

🔵 Guroob ke baad ufaq per Jo shurkhi rehti he ( ye waqt taqriban sava ghanta hota he, kamo besh bhi ho sakta he ) tab tak Magrib ki namaz ho sakti he,

🔴 Isha ki namaz padhe bager so Jana makrooh he aur hadees me is per bad dua aayi he,

👉 Agar Aadmi so jaye aur uth kar namaz padh le tab bhi namaz ho ja'egi,

🔜 ,10 in sha Allah ta'aala,

📚 Aapke Masail aur unka Hal, 2/ 104
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
    🌻 Talibe Dua,,,
    📝 Ulama e deoband
  📲 +91 -7037363325

💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥 💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
       🌹 Bismihi Ta'aala 🌹

    ⭕Namaz Ke Masail  ⭕

          ⭐ PART-10⭐

     ♦Shara'it Namaz-1♦

🔵 Namaz bargahe khudavandi ki haziri he, isliye namaz ke waqt achchhe kapde pehanna chahiye, ese kapdo me namaz makrooh he jise pehan kar Aadmi aam majlis me na ja sake,

👉 Mele kuchele kapdo me namaz makrooh he,

👉 Nange sar namaz padhna, isi tarah Kandhe aur Baazu khule hone ki haalat me namaz padhna makrooh he,

👉 Bager uzr ke Aadhi aasteen wali qameez ya baniyan pehan kar namaz padhna makrooh he,

🔴 Salwaar, Pajaama, Tehband latkana gunaahe kabira he, hadees me is per bahut vaeyde aayi he,

👉 Ek hadees me he k uski namaz qubool nahi hoti,

👉 Momin ka Pajaama aadhi pindli tak hona chahiye, Takhno tak ho to koi harj nahi, lekin Jo takhno se niche ho wo dozakh me he,

🔜 ,11  in sha Allah ta'aala,

📚 Aapke Masail aur unka Hal, 2/ 174
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
    🌻 Talibe Dua,,,
   📝Ulama e deoband
  📲 +91 -7037363325

💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥 💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
       🌹 Bismihi Ta'aala 🌹

    ⭕Namaz Ke Masail  ⭕

        ⭐ PART-11⭐

     ♦Shara'it Namaz-2♦

🔵 Pajaama, Salwaar, Takhno se niche rakhne ki muma'anat sirf namaz ke saath khaas nahi, balki kisi haal me bhi takhno se niche rakhna jaa'iz nahi, aur Jo cheez namaz ke bahar mamnu ho wo namaz ke andar badarja avlaa mamnu hogi,

🔴 Tasveer wale kapdo me namaz makrooh he, ese kapdo me hargiz namaz nahi padhni chahiye,

🔵 khaal  agar mazbuh jaanwar ki ho ya uski dabagat kar li jaye to usme namaz jaa'iz he,

🔴 Napaak kapdo me bhool kar namaz padh Lena, -  👇

👉 Agar napaaki ka vazan saade 3 maashe tha ya agar najasat siyal thi to uska felaav ek rupiye ke sikke ke barabar tha to namaz ho gayi, lotane ki zarurat nahi, agar isse zyada to namaz lotana hogi,

🔵 Jis tarah chori ki cheez bechne se uske paise halaal nahi ho jate isi tarah chori ke kapdo se kapda tabdeel kar liya jaye to wo bhi halaal nahi hoga, aur chori ke kapdo me namaz makrooh he,

🔜 ,12 in sha Allah ta'aala,

📚 Aapke Masail aur unka Hal, 2/ 179
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
    🌻 Talibe Dua,,,
 
  📲 +91 -7037363325

           ➖ Group ➖
       Ulama e deoband
        Male and female
💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥 💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
       🌹 Bismihi Ta'aala 🌹

    ⭕Namaz Ke Masail  ⭕

        ⭐ PART-12⭐

   ♦Shara'it Namaz -3♦

🔵 Bilkul majboori me Napaak kapdo me Namaz padhne ki ijazat,
Chand masail -

👉 Mard ka Satar naaf se lekar ghutno tak he, Jiska chhipana Mard ke liye namaz me farz he,

👉 Agar lungi ya pajaama napaak ho gaya, magar kurta, Qameez ya koi aur kapda mojood he jisse itna satar chhipaya ja sakta he Jo ouper likha gaya he to lungi pajaama utaar kar us paak kapde se satar chhipaye aur usse namaz padhe, esi soorat me napaak lungi ya pajaama me namaz jaa'iz nahi,

👉 Aur agar baqadre Farz satar chhipane ke koi paak kapda nahi aur napaak kapde ko paak karne ki bhi koi soorat nahi to uski 3 soorate he'n -

👉1- Wo kapda ek chothai ya isse zyada paak he, is soorat me us napaak kapde me hi namaz padhna zaruri he, barhana padhne ki ijazat nahi,

👉 2- wo kapda pure ka pura napaak he is soorat me barhana namaz padhe, lekin beth kar padhe aur ruku, sazda ke bajaye ishara kare,

👉 3- Wo kapda ek chothai se kam paak he to is soorat me akhtyar he chahe kapda pehan kar namaz padhe ya kapda utaarkar beth kar ishare se Namaz padhe,

🔜 , 13 in sha Allah ta'aala,

📚 Aapke Masail aur unka Hal, 2/ 179
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
    🌻 Talibe Dua,,,
 
  📲 +91 -7037363325

           ➖ Group ➖
      Ulama e deoband
        Male and female
💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥 💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
       🌹 Bismihi Ta'aala 🌹

    ⭕Namaz Ke Masail  ⭕

          ⭐ PART-13⭐

     ♦Shara'it Namaz -4♦

🔵 Vazu namaz ke liye shart he, Bager Vazu namaz padhna sakht gunaah he, aur iska kaffara tauba astagfaar he,

🔴 Agar peshab pakhane ka taqaza shiddat se ho to namaz chhod deni chahiye, esi haalat me namaz makrooh tehrimi he aur iska lotana zaruri he,

🔵 Nakhoon badana makrooh aur khilafe fitrat he, Namaz ka hukm ye he k agar nakhoon ke andar koi esi cheez jam jaye jiski vajah se paani andar na pahunch sake to na vazu hoga aur na namaz hogi,
Aur agar nakhoon andar se bilkul saaf ho to namaz sahi he,

👉 Nakhoon badane ka rivaaj musalmano me na Jane kiski taqleed se aaya he magar ye rivaaj bahut hi qabile nafrat he,

🔴 Agar andhere ki vajah se qibla rukh galat na ho to andhere me namaz padhne me koi harj nahi, namaz ho jaa'egi,

🔵 Jalti aag agar saamne ho to uski taraf namaz padhna makrooh he,

🔜 , 14,in sha Allah ta'aala,

📚 Aapke Masail aur unka Hal, 2/ 181
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
    🌻 Talibe Dua,,,

  📲 +91 -7037363325

           ➖ Group ➖
       Ulama e deoband
        male and female
💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥 💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
       🌹 Bismihi Ta'aala 🌹

    ⭕Namaz Ke Masail  ⭕

       ⭐ PART-14⭐

     ♦Shara'it Namaz -5♦

🔴 Jo jagah lahu v la'ib ke liye makhsoos ho waha namaz makrooh he, Ayn lahu v la'ib ke waqt makrooh tehrimi varna makrooh tanzihi he,

🔵 Tasveer saamne ho to namaz makrooh he,dukaan me tasveer wala maal is tarah rakha jaye k tasveere pichhle rukh ho jaye to karahat jati rahegi,

🔴 Ghar me TV rakhna jaa'iz nahi, lekin jab aap namaz padh rahe he'n us waqt TV band he to us kamre me aapki namaz bila karahat sahi he aur agar TV chal raha he to esi jagah per namaz padhna makrooh he,

🔵 Gair Muslim ke ghar ke khali Farsh per namaz padhne me koi harj nahi,

👉Zameen khusk hone ke baad Namaz ke liye paak ho jati he aur agar jagah paak ho to waha namaz padh sakte hai'n, aur agar paak kapda bichha liya jaye to aur bhi achchha he,

🔴 Shar'an kirayadaar ke jimme maalik ke mutalbe per makaan khali Kar dena laazim he aur khali na karne ki soorat me woh gaasib he aur gasab ki zameen me namaz qubool nahi hoti,

🔵 Qabristaan me namaz makrooh he lekin agar waha masjid ho k waha namaz padhne wale ke saamne qabre na ho to namaz bila karahat jaa'iz he,

🔜 , 15 in sha Allah ta'aala,

📚 Aapke Masail aur unka Hal, 2/ 185
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
    🌻 Talibe Dua,,,
 
  📲 +91 -7037363325

           ➖ Group ➖
      Ulama e deobnad
        Male and female
💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥 💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
       🌹 Bismihi Ta'aala 🌹

     ⭕Namaz Ke Masail  ⭕

         ⭐ PART-15⭐


♦ Namaz  Ke  Fara'iz ♦

🔵 Namaz ke 14 Farz he'n, Jinme Chand ese he'n Jinka Namaz se pehle hona zaruri he aur unko Namaz ke kharji Fara'iz bhi kehte he aur shara'ite Namaz bhi kaha jata he, Aur chand Faraiz ese he'n Jo dakhile Namaz he'n, Sabki fehrist ye he,

🔸1- Badan ka paak hona,

🔸 2- Kapdo ka paak hona,

🔸 3- Satar ya Mardo ko naaf se ghutno tak aur Aurto'n ko chehra aur hatheliyo aur qadmo ke alawa Badan ko dhaankna,

🔸 4- Namaz ki jagah ka paak hona,

🔸 5- Namaz ka waqt hona,

🔸 6- Qibla ki taraf rukh karna,

🔸 7- Namaz ki niyat karna,

🔸 8- Takbeere tehrima,

🔸 9- Qayaam yani khada hona,

🔸 10- Qiraat yani ek badi aayat ya teen chhoti aayate ya ek chhoti surat padhna,

🔸 11- Ruku karna,

🔸 12- Sajda karna,

🔸 13- Qaada akhira,

🔸 14- Apne iraade se Namaz khatm karna,

➡ Faraiz ka hukm ye he k koi farz qasdan chhod diya ya bhool kar, dono soorto me Namaz na hogi, dobara padhna laazim hoga,

  📗 Sharah Al Bidaya, 1/92

🔜 ,16  in sha Allah ta'aala,

📚 Fiqahul ibaad,, 114
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
    🌻 Talibe Dua,,,
    📝 Ulama e deoband
  📲 +91 -7037363325

💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥 💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
       🌹 Bismihi Ta'aala 🌹

     ⭕Namaz Ke Masail  ⭕

         ⭐ PART-16⭐


♦ Namaz  Ke  Wajibaat ♦

🔵 Namaz me ye wajibaat he'n -

🔸 1- Alhamd ( surah Fatiha) puri padhna,

🔸 2- uske saath koi surat milana,

🔸 3- Farzo ki pehli do raka'ato me qiraat karna,

🔸 4- Alhamd ( surah Fatiha) ko surat se pehle padhna,

🔸 5- Ruku karke sidha khada hona,

🔸 6- Dono sajdo ke darmiyan sidha hokar bethna,

🔸 7- Pehla qaada karna,

🔸 8- Attahiyaat padhna,

🔸 9- Lafze Salaam se Namaz khatm karna,

🔸 10- Imaam ke liye magrib v isha ki pehli do raka'ato me aur fajar v Juma v Eiden aur Taraveeh ki sabhi raka'ato me qiraat buland awaaz se padhna,

🔸 11- Vitr me Duae qunoot padhna,

🔸 12- Eiden me 6 zaa'id takbire kehna,

➡ Wajibaat me se agar koi wajib bhool kar chhot jaye to sajda sahu karna wajib hoga, Agar qasdan ( jaan boojhkar) kisi wajib ko chhod diya to dobara Namaz padhna wajib he sajda sahu se bhi kaam na chalega,

    📗 Durre Mukhtar, 1/470

🔜 ,17  in sha Allah ta'aala,

📚 Fiqahul ibaad,, 115
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
    🌻 Talibe Dua,,,
    📝 Ulama e deoband

💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥 💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
       🌹 Bismihi Ta'aala 🌹

     ⭕Namaz Ke Masail  ⭕

         ⭐ PART-17⭐


  ♦ Mufasidaate Namaz ♦

🔵 in cheezo se Namaz Faasid ho jati he:-

🔸 1- Baat karna thodi ho ya zyada, qasdan ho ya bhool kar,

🔸 2- Salaam karna ya Salaam ka jawab Dena,

🔸 3- Chheenkne wale ke jawab me Yarahmakallah kehna,

🔸 4- Ranj ki khabar sunkar inna lillah pura ya thoda sa padhna ya achchhi khabar sunkar Alhamdulillah kehna ya azeeb cheez sunkar Subhanallah kehna,

🔸 5- Dukh Takleef ki vajah se Aah!  Oh! Ya Uff! Kehna,

🔸 6- Quran Sharif dekh kar padhna,

🔸 7- Alhamd ( surah Fatiha) ya surat me esi galti karna jisse Namaz Faasid ho jati he, ( Tafseel ulema ikraam se puchhe)

🔸 8- Amale kaseer maslan esa kaam karna jise dekhne wala ye samjhe k ye shakhs Namaz nahi padh raha he ya maslan dono haatho se koi kaam karna,

🔸 9- Qasdan ya bhool kar kuchh khana pina,

🔸 10- Qibla se seena fir Jana,

🔸 11- Dard ya musibat ki vajah se is tarah rona k awaaz me harf nikal jaye,

🔸 12- Ruku v Sajda wali Namaz me awaaz ke saath hansna,

   📗 Durre Mukhtar, 1/643

🔜 , 18 in sha Allah ta'aala,

📚 Fiqahul ibaad,, 116
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
    🌻 Talibe Dua,,,
 
           ➖ GROUP➖
      ULAMA E DEOBAND
      MALE AND FEMALE
      📱91-7037363325
💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥 💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
       🌹 Bismihi Ta'aala 🌹

      ⭕Namaz Ke Masail  ⭕

        ⭐ PART-18⭐


♦ Namaz  ki  Sunnate♦

🔵 Ye cheeze Namaz me Sunnat he'n: -

🔸 1- Takbeere Tehrima ke waqt dono haath uthana,

👉  Aurat kaandhe tak uthaegi aur Mard kaan ki lo tak,

🔸 2- Mardo ko naaf ke niche aur Aurto'n ko seene per haath baandhna,

🔸 3- Sana yani " Subhanakallahumma .."akheer tak  padhna,

🔸4- " A'auzubillah .." puri padhna,

🔸 5- Bismillah ..puri padhna,

🔸 6- Ruku aur Sajde ko jaate waqt balki har ek rukn se doosre rukn me muntqil hote waqt" Allah Akbar "kehna,

🔸 7- Ruku se uthte hue " Sami' allahuliman hamida "aur " Rabbana lakal hamd " kehna,

🔸8- Ruku me " Subhana rabbiyal azeem " kam se kam 3 martaba padhna,

🔸 9- Sajde me " Subhana rabbiyal a'ala " kam se kam 3 martaba padhna,

🔸 10- Dono sajdo ke darmiyan aur Attahiyat ke liye Mardo ko Baaye Paanv per bethna aur Daahina paanv khada karna, aur Aurto 'n ko dono paanv sidhi taraf nikaal kar dhad ke Baaye hisse per bethna,

🔸 11- Darood Shareef padhna,

🔸 12- Darood Shareef ke baad Dua padhna,

🔸 13- Salaam ke waqt Daayi -Baayi taraf moonh ferna,

🔸 14- Salaam ferne me Farishto, Muqtadiyo, Jinnato Jo haajir ho unki niyat karna, aur agar jama'at se Namaz padh raha he to muqtadi agar imaam ke pichhe ho to dono salaamo me  imaam ki niyat kare, aur agar imaam Daayi Baayi jaanib he to jis taraf imaam ho us taraf ke salaam me imaam ki niyat kare,

  📗 Durre Mukhtar, 1/473

🔜 , 19 in sha Allah ta'aala,

📚 Fiqahul ibaad,, 117
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
    🌻 Talibe Dua,,,
    📝 Ulama e deoband
        📱91-7037363325
💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥 💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
       🌹 Bismihi Ta'aala 🌹

     ⭕Namaz Ke Masail  ⭕

          ⭐ PART-19⭐


  ♦ Namaz  ke  Mustahabaat♦

🔵 Namaz me ye cheeze Mustahab he'n: -

🔸 1- Jaha tak mumkin ho khansi ko rokna,

🔸 2- Jamaa'i aaye to moonh band karna,

🔸 3- Khade hone ki haalat me Sajde ki jagah, Ruku me qadmo per aur Sajde me naak per aur Bethe hue goad me aur Salaam ke waqt kaande per nazar rakhna,

🔸 4- Ruku v Sajde me munfarid ( Jo akele namaz padh raha ho) ko 3 martaba se zyada tasbihaat kehna,

🔸 5- Har raka'at me khade hokar Surah Fatiha se pehle aur Surah Fatiha ke baad Soorat shuru karne se pehle" Bismillah .." puri padhna,

🔸 6- Surah Fatiha ki har aayat per waqfa karna,

➡ Namaz ki kisi sunnat ko chhodna makrooh he aur Mustahabaat per amal na karne se ajr me kami hoti he,

  📗 Durre Mukhtar, 1/477

🔜 , 20 in sha Allah ta'aala,

📚 Fiqahul ibaad,, 119
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
    🌻 Talibe Dua,,,
    📝 Ulama e deoband
      📱91-7037363325
💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥 💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
       🌹 Bismihi Ta'aala 🌹

     ⭕Namaz Ke Masail  ⭕

         ⭐ PART-20⭐


  ♦ Makroohaat e Namaz ♦

🔵 Ye cheeze Namaz me makrooh he: -

🔸 1- Kokh per haath rakhna,

🔸 2- Kapda sametna,

🔸 3- Jism ya kapde se khelna,

🔸 4- Ungliya chatkhana ya ek haath ki ungliya doosre haath me dakhil karna,

🔸 5- Daaye Baaye gardan modna,

🔸 6- Angdaai Lena yani Namaz me susti utaarna,

🔸 7- Kutte ki tarah bethna, yani dono janu ouper karke dono haath zameen per tek kar sureen ke bal bethna,

🔸 8- Chaadar vagera ko latkana,

🔸 9- Bager uzr ke chaar janu yani aalti paalti maarkar bethna,

🔸 10- Tasveer wali jagah Namaz padhna,

🔸 11- Tasveer wale kapdo me Namaz padhna,

🔸 12- Peshab Pakhana ya bhookh ka taqaza hote hue Namaz padhna,
🔸 13- Aankhe'n band karke Namaz padhna, ( albatta yaksui ke liye esa karna makrooh nahi ),

   📗 Hidaya,, 1/141, Shami, 1/638

🔜 , 21 in sha Allah ta'aala,

📚 Fiqahul ibaad,, 119
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
    🌻 Talibe Dua,,,
    📝 Ulama e deoband
         📱91-7037363325
💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥

💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
       🌹 Bismihi Ta'aala 🌹

    ⭕Namaz Ke Masail  ⭕

         ⭐ PART-21

            ♦ Niyat ♦

🔴 Namaze Juma me Farz aur Sunnat dono me Farze Juma aur Sunnate Juma ki hi niyat ki jati he,

🔵 Niyat dil ka fayl he agar dil me iraada zuhar ki namaz padhne ka tha magar galti se Zuhar ki jagah Asr ka waqt zuban se nikal gaya to bhi namaz sahi ho gayi,

🔴 Niyat ke alfaaz dil ko mutavajjah karne ke liye zubaan se Ada kiye jate hai'n,-

👉 Zuban se Namaz ki niyat ke alfaaz kehna na Quran v hadees se sabit he aur na Aaimma muqtadeen se, isliye asal niyat Dil hi ki he,
 Magar logo per vasawis v khayalaat aur afkaar ka galba rehta he, jiski vajah se niyat ke waqt Dil mutavajjah nahi hota, Dil ko mutavajjah karne ke liye mutakhireen ne fatwa diya he k niyat ke alfaaz zubaan se bhi Ada kar lena behtar he, taki zubaan ke saath Dil bhi mutavajjah ho jaye,

🔵 Namaz ba-jama'at me iqtda e imaam ki niyat  yani me akela namaz nahi padh raha imaam ke saath padh raha hu, aur imaam ko bhi imaamat ki niyat yani me akela namaz nahi padh raha balki logo ko namaz padha raha hu'n,

🔴 Niyat ki galti sazda sahu se durust nahi hoti, agar dil me dhyan hi nahi tha to namaz ki niyat baandh kar namaz naye sire se shuru kare,

🔵 Vitr ki namaz ki niyat me waqte isha kehne ki zarurat nahi, albatta ye niyat karna zaruri he k me aaj ke vitr padh raha hu'n,

🔴 Niyat ke liye namaz ka Tai kar Lena kaafi he Raka'ato ki tadaad ginne ki zarurat nahi,

🔵 Niyat ke alfaaz chahe kisi bhi zubaan me kahe ( arbi, urdu vagera) jaa'iz he,

🔜 , 22 in sha Allah ta'aala,

📚 Aapke Masail aur unka Hal, 2/ 186
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
    🌻 Talibe Dua,,,
    📝 Ulama e deoband
   
💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥 💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
       🌹 Bismihi Ta'aala 🌹

     ⭕Namaz Ke Masail  ⭕

          ⭐ PART-22⭐

         ♦ Qibla Rukh ♦

🔴 Qibla se mamooli fark ho to namaz ho jaa'egi aur agar 25 digri ya isse zyada ho to namaz nahi hogi,

🔵 Agar musafir ko Qibla maloom na ho to pehle kisi se daryaft kare, agar waha koi batane wala na ho to khud soche, gor fikr karne ke baad jis taraf tabiyat ka rujhaan ho k Qibla is taraf hoga, usi taraf namaz padh le,

🔴 Nabina Aadmi ke liye zaruri he k wo doosre se apne qibla rukh ko sahi kara liya kare,

👉agar usne bager: puchhe khud hi kisi bhi taraf rukh kar liya aur wo rukh qibla nahi tha to namaz nahi hogi,

👉 aur agar namaz ke dauran wo qibla rukh se hat jaye to namaz ke andar hi usko qibla ki taraf kar diya jaye,

🔵 Qibla rukh bethkar wazaif padhna, Duae karna to bahut achchhi baat he magar Qibla avval yani Betul Muqaddas ki taraf moonh karke bethna ya us taraf sazda karna galat he kyuki wo ab qibla nahi raha mansookh ho chuka he,

🔵 Jis Janamaaz per Roza e Rasool ki tasveer ya koi naqso nigaar bani ho esi janamaaz ko fuqha ne khilafe aula likha he taki khayal naqso nigaar ki taraf na jaye,

🔴 Halaal janwaro ki dabagat shuda khaal ki janamaaz paak he us per namaz Ada ki ja sakti he,

🔵 Kiraaye ki chhadar, Dariyo ka paak hona maloom nahi hota isliye in per kapda bichhaye bager namaz nahi padhni chahiye,

🔴 Haram sharif me namaz padhte hue namazi ka rukh ayn Betullah ki taraf hona shart he,

🔜 ,23 in sha Allah ta'aala,

📚 Aapke Masail aur unka Hal, 2/ 190
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
    🌻 Talibe Dua,,,
    📝 Ulama e deoband

   

💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
       🌹 Bismihi Ta'aala 🌹

      ⭕Namaz Ke Masail  ⭕

         ⭐ PART-23⭐

♦ Namaz Ada karne ka Tareeqa -1♦

🔵 Qayaam ki haalat me nazar sazde ki jagah honi chahiye, Ruku me qadmo per, sazde me naak ki niple per, qa'ada me raano per aur Salaam kehte hue daaye aur baaye kandhe per,

🔴 Namaz me dono paanvo ki aydiyo ke  darmiyan faasla qareeb 4 angusht mustahab he,

🔵 Takbire tehrima Farz he baqi Takbire sunnat he'n,

🔴 Takbire tehrima ke waqt haath uthane ki 3 rivayaat he'n,
 Ek Kandho ke barabar, Doosri kaano ke barabar aur Teesra sar ke barabar,

👉 Teeno rivayaat me koi ta'aruz nahi, haatho ka niche ka hissa kandho tak, angutha kaano ki lo tak, aur anguliya sar tak ho, Angutho ko kaano ki lo se mas karna,

👉 Durre Mukhtar me Takbeer kehte waqt hatheliyo ka rukh qibla rukh hona behtar he,

🔜 ,24, in sha Allah ta'aala,

📚 Aapke Masail aur unka Hal, 2/ 190
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
    🌻 Talibe Dua,,,
    📝 Ulama e deoband
 
💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥 💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
       🌹 Bismihi Ta'aala 🌹

     ⭕Namaz Ke Masail  ⭕

          ⭐ PART-24⭐

♦ Namaz Ada karne ka Tareeqa -2♦

🔵 Takbire tehrima ki fazilat us shakhs ke liye he Jo imaam ki tehrima ke waqt mojood ho,

👉 baaz ne isme zyada wusat paida karte hue kaha he k Jo shakhs qiraat shuru hone se pehle shareek ho jaye usko bhi ye fazilat hasil ho ja'egi,

👉 Aur baaz ne mazeed wusat dete hue kaha k Jo qiraat khatm hone se pehle shareek ho jaye usko bhi ye fazilat he,

🔴 Namaz me haath baandhna Sunnat se saabit he,

🔵 Rafa yaden Takbire tehrima ke liye bila ittefaq sunnat he, iske alawa doosre mawaq'a per rafa yaden na karna behtar he,

👉 Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se tarke rafa yaden bhi saabit he, Imaam Abu Hanifa Rh aur bahut se Aaimma e deen ne isi ko akhtyar kiya he, Jo Hazraat rafa yaden ke qaa'il he'n wo bhi isko mustahab aur afzal hi farmate he'n, farz aur wajib nahi kehte, isliye ye kehna k rafa yaden ke bager namaz nahi hoti khalis jahalat he,

🔴 Ruku me sar aur kamar ek seedh me aur taange aur ghutne ek seedh me hona chahiye,

👉 Beth kar namaz padhne wala ruku me itna jhuke k sar ghutno ke barabar aa jaye,

🔜 , 25,in sha Allah ta'aala,

📚 Aapke Masail aur unka Hal, 2/ 194


➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
    🌻 Talibe Dua,,,
    📝 Ulama e deoband
   
        Forward to all Muslim
💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥 💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
       🌹 Bismihi Ta'aala 🌹

     ⭕Namaz Ke Masail  ⭕

          ⭐ PART-25⭐

♦ Namaz Ada karne ka Tareeqa -3♦

🔵 Sazde me peshani aur naak lagana dono zaruri he, sirf peshani lagana naak na lagana makrooh tehrimi he aur esi namaz ka lotana wajib he,

🔴 Namaz ka sazda zameen per karne per qudrat na ho to sazda ka ishara Kar lena kaafi he, koi cheez aage rakh kar us per sazda karna zaruri nahi,

🔵 Sazde ki haalat me kohniya itni zyada nahi felana chahiye k jisse doosro ko takleef ho,

🔴 Imaam Abu Hanifa Rh ke nazdeek Aurat ko zameen se chipak kar sazda karne ka hukm he,
🔵 Namaz me ruku ke baad itminaan ke saath sidha khada hona aur dono sajdo ke darmiyan itminaan se bethna ( rukn to nahi magar ) wajib he, iska ahatmam zarur karna chahiye,

👉 aur imaam ko bhi laazim he k namaz is tarah padhaye k muqtadi qoma aur jalsa itminaan se kar sake,

🔵 Qa'ada me dono haath Raano per rakhe, ungliya'n qibla ki taraf is tarah rakhe k ungliyo'n ke sire ghutno ke qareeb tak pahunch jaye, magar ghutno ko pakde nahi varna ungliyo'n ka rukh qibla ki taraf nahi rahega,

🔜 , 26 in sha Allah ta'aala,

📚 Aapke Masail aur unka Hal, 2/ 167
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
    🌻 Talibe Dua,,,
    📝 Ulama e deoband

💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥 💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
       🌹 Bismihi Ta'aala 🌹

     ⭕Namaz Ke Masail  ⭕

         ⭐ PART-26⭐


♦ Namaz ada karne ka Tareeqa-4♦

🔴 Attahiyaat me tashahud ke waqt sidhe haath ki shahadat ki ungli uthai jati he,

👉 Tashahud me angusht shahadat ke saath ishara karna sunnat he, ishare ka Tareeqa ye he k, " Ashhadu Allailaha illallah " kehte hue " La" per ungli uthaye aur " illallah " per gira de,

👉 Shahadat ke baad ungliyo'n ka halqa salaam tak baqi rakh jaye aur shahadat ki ungli salaam tak badastoor alag rahe, shahadat ke baad ungliyo'n ko felaya na jaye, balki mutthi salaam tak badastoor band rehni chahiye,

👉 Fiqhi kitaabo me iski vajah ye likhi he k ungli uthane se ishara gairullah se uluhiyat ki nafi ki taraf he, aur ungli rakhne se ishara haq ta'aala Shanh ke liye uluhiyat ke asbaat ki taraf he,

🔵 Attahiyaat dono qa'ado me padhna wajib he agar pehle qa'ade me muqtadi ki attahiyaat puri nahi hui aur imaam teesri raka'at ke liye khada ho gaya to muqtadi imaam ki pervi na kare balki apna tashahud ( attahiyaat) puri karke khada ho,

👉 isi tarah akhri qa'ade me muqtadi ka tashahud pura nahi hua tha k imaam ne salaam fer diya to muqtadi imaam ke saath salaam na fere balki apna tashahud pura karke salaam fere,

👉 Agar koi shakhs pehle qa'ade me aakar jama'at me shareek hua aur usne attahiyaat shuru ki thi k imaam khada ho gaya to ye shakhs imaam ke saath khada na ho balki attahiyaat puri padh kar khada ho,

👉 Agar koi shakhs akhri qa'ade me shareek hua abhi attahiyaat puri nahi ki thi k imaam ne salaam fer diya to ye shakhs foran khada na ho jaye balki attahiyaat puri karke khada ho,

🔜 , 27 in sha Allah ta'aala,

📚 Aapke Masail aur unka Hal, 2/ 167
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
    🌻 Talibe Dua,,,
    📝Ulama e deoband

💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
       🌹 Bismihi Ta'aala 🌹

     ⭕Namaz Ke Masail  ⭕

         ⭐ PART-27⭐

♦ Namaz me Darood Shareef ki kya haysiyat he ❓♦

🔸 Qurane Kareem ne ummat ko Do baato ka alag alag hukm farmaya he, Ek salaat aur doosri Salaam,

👉 Salaam ke hukm ki tameel to Attahiyaat me " Assalamu alayka Ayyuhan nabiyu wa rahmatullahi wa barakatuh" padhne se ho jati he magar Salaat ke hukm ki tameel kin alfaz me ki jaye?  Ye baat Sahaba ikraam Raziyallahu anhum ne Aap Sallallahu Alaihivasallam se daryaft ki aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ne iske Jawab me "Darood Ibrahim" ke alfaaz taleem farmaye,

🔸 Ek aur Hadees me Hazrat Fuzala bin Ubed Raziyallahu anhu se marvi he k Rasulullah Sallallahu alaihivasallam ne ek shakhs ke suna k apni namaz me Dua kar raha he, Usne na Allah ta'aala ki tamheed v Sana ki aur na Aap Sallallahu Alaihivasallam per Darood bheja,

Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
" is shakhs ne jaldbazi ki "
Fir use bulakar farmaya,
" Jab tumme se koi shakhs Namaz padhe to Dua se pehle Allah ta'aala ki Sana bayaan kare, Fir Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam per Darood bheje fir Hamd v Sana ke baad Dua kare, "

  📓 Abu Dauwd, 1/208

🔸Aap Sallallahu Alaihivasallam ke zamane se Aaj tak ummat ka ye ta'amul chala aata he k Aakhri qa'ade me Attahiyaat ke baad Darood Shareef padha jata he, aur fir Dua ki jati he fir Namaz ka salaam fera jata he,

🔸 Imaam Shafai Rh ke nazdeek Aakhri qa'ade me Darood Shareef Farz he, aur Digar Akabir ke nazdeek Sunnat he,

🔸 Lekin ummat me iska koi bhi qaa'il nahi k Aakhri qa'ade me Darood Shareef na padha jaye, wese bhi Dua se pehle Allah ta'aala ki hamd v Sana karma fir Aap Sallallahu Alaihivasallam per Darood bhejna Dua ke Aadaab me se he, Aur ye qubooliyat ka qavi zariya he, To Namaz ke Aakhir me Dua se pehle Darood Shareef padhna is qayde ke tahat aayega,

🔜 , 28 in sha Allah ta'aala,

📚 Aapke Masail aur unka Hal, 2/201
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
    🌻 Talibe Dua,,,
    📝 Ulama e deoband

💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥 💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
       🌹 Bismihi Ta'aala 🌹

     ⭕Namaz Ke Masail  ⭕

         ⭐ PART-28⭐


♦ Darood Shreef ke Baad Dua e Masoora Padhna♦

🔸 Aakhri qa'ade me Darood Shareef ke baad Dua masnoon he , Qurane kareem ya Ahadees shareefa me Jo Duae'n aayi he'n unko Duae Masoora kaha jata he inme se koi bhi Dua padh lene se sunnat Ada ho ja'egi,

🔸 Hadees me he k " Allahumma inni zalamtu nafsi " wali Dua Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ki darkhwast per Aap Sallallahu Alaihivasallam ne unko sikhayi thi,

🔸 Akhri qa'ade me jitni Duae'n chahe padh sakte hai'n lekin imaam ko chahiye k itna lamba na kare k muqtadi tang ho jaye,

🔸 Namaz ke liye kam se kam har musalman ko 4 soorte yaad honi chahiye, Surah Fatiha ke baad ek hi soorat har raka'at me padhna makrooh he,

🔸Dil me padhne se Namaz nahi hoti, Zubaan se alfaz adaa karna zaruri he,

👉 Ek qaul ye bhi he k halki awaaz se is tarah padhe k khud sun sake, magar doosra na sune,

👉 Aur doosra qaul ye he k Zubaan se sahi alfaz ka adaa hona shart he, Apne aapko sunai dena shart nahi,
Pehla qaul zyada mashoor he aur doosra qaul zyada laa'iq etbaar he,

🔸 Imaam ke pichhe Surah Fatiha padhna ikhtilafi masla he, Imaam Shafai Rh isko zaruri qaraar dete he'n aur Ahle hadees hazraat ka isi per Amal he,

👉Imaam Abu Hanifa Rh ke nazdeek qiraat muqtadi ka wazifa nahi balki imaam ka wazifa he, isliye Hanfiya ke nazdeek imaam ki iqtida me muqtadi ko qiraat karna jaa'iz nahi, khamosh khade rahe,


🔜 , 29 in sha Allah ta'aala,

📚 Aapke Masail aur unka Hal, 2/203
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
    🌻 Talibe Dua,,,
    📝 Ulama e deoband

💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥 💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
       🌹 Bismihi Ta'aala 🌹

     ⭕Namaz Ke Masail  ⭕

         ⭐ PART-29⭐


     ♦ Qiraat karna-1 ♦

🔸 Qurane kareem me Soorte jis tarteeb se aayi he'n usi tarteeb se Namaz me padhni chahiye, Khilafe tarteeb padhna makrooh he,

👉Aakhri chhoti soorte ya to musalsal padhi jaye ya pehli raka'at me Jo soorat padhi he uske baad ek soorat chhodkar doosri na padhi jaye balki do soorte chhodkar teesri padhi jaye,

🔸 Farz namaz me doosri raka'at ko pehli raka'at se teen aayato ki miqdaar lamba karna makrooh he, jabki dono soorato ki mutqarib ho
aur agar dono ki aayate badi chhoti ho to haroof v kalmaat ka etbaar hoga,

🔸 Nifl Namaz me baaz ne doosri raka'at ka lamba karna bila karahat jaa'iz rakha he aur baaz ne niflo me doosri raka'at ke lamba karne ko makrooh farmaya he,

🔸 Nifl ka har Dogana mustqil namaz he, isliye Nifl Namaz ki Teesri raka'at agar doosri raka'at se lambi ho jaye to koi harj nahi, Sunnate gair moakada ka bhi yahi hukm he,

🔸 Sunnate Moakada me bhi behtar ye he k baad ki raka'ato ko pehli raka'ato se lamba na kiya jaye,

🔸Imaam Abu Hanifa Rh ke nazdeek qiraat farz namaz ki do raka'ato me farz he, Aakhri do raka'ato me wajib nahi balki inme sirf Surah Fatiha ka padhna mustahab he,,

🔜 , 30 in sha Allah ta'aala,

📚 Aapke Masail aur unka Hal, 2/205
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
    🌻 Talibe Dua,,,
    📝 Ulama e deoband

💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
       🌹 Bismihi Ta'aala 🌹

     ⭕Namaz Ke Masail  ⭕

         ⭐ PART-30⭐


   ♦ Qiraat Karna -2♦

🔸 Jin (chhuti hui) Raka'ato ko aap imaam ke salaam ferne ke baad puri karenge unme aap imaam ke taabe nahi balki apni akele namaz padh rahe he'n, isliye in raka'ato me Aapko apni Qiraat ki tarteeb malhooz rakhna to zaruri he,

👉 maslan aapki 2 raka'ate reh gayi he to pehli raka'at me aapne Jo soorat padhi he doosri raka'at me uske baad wali soorat padhe isse pehle ki na padhe,

👉 Lekin imaam ki qiraat ki tarteeb ka lihaaz aapke zimme zaruri nahi pas Aap imaam ne Jo soorte padhi Aap baqiya raka'at me isse pehle ki soorat bhi padh sakte he'n aur baad ki bhi,

🔸 Chhar raka'at Sunnate Mokada ki pehli raka'at me Surah Falaq padhli to baqi raka'ato me Surah Naas padhta rahe,

👉 Vitr ki pehli raka'at me Surah Falaq padhli to doosri raka'at me Surah Naas padhe aur Teesri raka'at me bhi Surah Naas ko dobara padh liya jaye,

🔸 Masjid ke namaziyo tak awaaz pahunchana ke liye Namaz me loudspeakers ka istemal aam ahle ilm ke nazdeek  jaa'iz he, loudspeakers ki soorat me bhi mukabbir ka intezam hona chahiye taki loudspeakers kharab hone ya bijli chale Jaye to Takbeer keh sake aur namaz me khalal na ho,

👉 Masjid ke bahar ka loudspeakers Azaan ke alawa kholna jaa'iz nahi,
🔜 , 31 in sha Allah ta'aala,

📚 Aapke Masail aur unka Hal, 2/212
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

    🌻 Talibe Dua,,,
    📝 Ulama e deoband

💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥


No comments:

Post a Comment