Jis Qadar ho Saka jis Qadar kar saka Qoum ko Raahe Haqq ki batata Raha Hukme Ya Rab Sunana mera kaam hai diL ki duniya badaLna Tera kaam hai

Breaking

Tuesday, February 10, 2015

NIFAAS KA BAYAAN

🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻

           🌻بسم الله الرحمن الرحيم🌻

               
💦💦💦💦💦💦💦💦💦💦
JO MASAIL LIKHE JYEGE USKE PADHNE KA TAREEQA
↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓↓
👉agar padhne wala mard hoto in masail ko khud na padhe ya to apni biwi ki maarifat samjhay

👉ya padhne wale ko hidayat karde ke in maslo ko khud dekhlena

👉zaruri hidayat

Kam umr ke ladke ladkiya in maslo ko na padhe
💦💦💦💦💦💦💦💦💦💦
            NIFAAS KA BAYAAN
💦💦💦💦💦💦💦💦💦💦



🌻👉bachcha peda hone ke baad age ki raah se jo khoon aata hai usko nifaas kehte hain zada se zada nifaas ke 40 din or kam se kam koi had nahi agar kisi ko ek aadh ghadi khoon aakar band ho jay to bhi nifaas hai


🌻👉 agar kisi ko bachcha peda hone baad bilkul bhi khoon na aay to bachcha peda hone ke baad phir bhi nahana wajib hai


🌻👉aadhe se zada bachcha nikal aaya lekin abhi khoon nahi nikla us waqt jo khoon aay wo bhi nifaas hai or agar adhe se kam nikla tha us waqt khoon aaya to wo istehaza hai agar hosh wa hawas baqi ho to us waqt bhi namaz padhe nahi to ghunahgar hogi agar na ho sake to ishare se padhe qaza na kare lekin agar namaz padhne se bachche ka zay ho jane ka dar ho to namaz na padhe


🌻👉kisi ka hamal gir gaya agar bachche ka ek aadha azu ban gaya ho to girne ke baad jo khoon aayga wo bhi nifaas hi hai or agar bilkul nahi bana abhi gosh hi gosh hai to wo nifaas nahi pas agar wo khoon haiz ban sake to haiz hai or agar haiz bhi na ban sake maslan 3 din se kam aay ya paki ka zamana abhi poore 15 din nahi hua to wo sab istehazahai



🌻👉agar khoon 40  din se badh gaya to agar ye pehla bachcha hi hua hai to 40 din nifaas ke hain or jitna zada aata hai wo sab istehaza hai or 40 din ke baad naha lewe or namaz padhna shuru kare khoon band hone ka intezaar na kare


🌻👉or agar ye pehla bachcha nahi hai balke isse pehle bhi ho chuka hai or iski adat maloom hai ke kitne din nifaas aata hai to jitne din nifaas ki adat ho utne din nifaas ke hain or jo isse zada hai wo sab istehaza hai


🌻👉kisi ki adat 3 din nifaas aane ki hai lekin 3 din ghuzar gay or abhi khoon band nahi hua hai to abhi na nahawe


🌻👉or agar poore 40 din par khoon band ho gaya to ye sab nifaas hai or agar 40 din se zada ho jay to faqat 3 din nifaas ke hain or baqi sab istehaza hai isliy ghusal kar dale or 10 din ki namaze qaza padhe


🌻👉agar 40 din se pehle khoon nifaas ka band ho jay to foran ghusal kar ke namaz padhni shuru kar de or agar ghusal se nuqsaan ho to tayammum kar ke namaz shuru kare hargiz koi namaz qaza na kare


🌻👉nifaas me bhi namaz bilkul maaf hai or roza maaf nahi hai balke iski qaza rakhni chahiy or roza namaz ya sohbat karne ka yahan bhi wahi masla hai jo pehle likhe ja chuke hain


🌻👉agar 6 maheene ke andar andar age piche 2 bachche ho to nifaas ki muddat pehle bachche se li jaygi agar pehla bachcha 10-ya 20  din ya phir ek ya do maheene ke baad ho to dusre bachche se nifaas ka hisaab na karege


🌻👉kal se inshaallah nifaas or haiz waghera ke ahkaam likhe jayge allah ta'ala sab ko sahi samjhne ki tofeeq ata farmay or ham sab ko pakka sachcha namazi bade deen par chalne wala bana de deen ka dayi bana de ameen


      📙Behashti zewar
        Dusra hissa p -127-128

💦💦💦💦💦💦💦💦💦💦
                    👇Join👇
            Ulama e deoband
                       Group
             Male and female

     + 91 - 7037363325

         Plz forward to all Muslim
💦💦💦💦💦💦💦💦💦💦

No comments:

Post a Comment