S A W A A L- 29.
==============
Kisi Aurat {femaLe} Ka Masjid mai Safaai Kaam Kaaj ya Paani Waghaira bharne Ki Khidmat Anjaam dene Ke mutaaLiq Shar'an Kya hukm hai ?
•➖•=•➖•=•➖•=•➖•=•➖•
J A W A A B- 29
==============
Agar Aurat paak ho, aur uske Masjid mai DaakhiL hone ki wajah se Fitne ka andeshah na ho to Masjid ki Khidmat Karne aur Masjid mai DaakhiL hone mai Koi Qabaahat nahei,
UmmuL Mu,amineen Hz. Safia Rz.Anha Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ke Eatikaaf ke darmiyaan Masjide Nabawee Tashreef Le gaee thien,
Hadeeth mai ①Habshee Khaatoon ka bhi Zikr miLta hai jo Masjide Nabawee mai Safaai Karne ki Sa,aadat HaasiL karti thien,
Lihaaza Aurat ke Leye Shar,ee Hudood mai rehte huye Masjid ki Khidmat karna Shar,an Jaaiz hai.
WaLLaahu Ta,aaLa AaLam.
�� KitabuL Fatawaa-4/236.
⚪ ALLaah Ta,aaLa ham Sab ki har Qisam ke Shurooro Fitan se hifaazat Farmaye, aameen.
………………………………
S A W A A L- 30.
==============
Jinnat Ko JaLa Sakte hein ya nahie ? Jab Ke wo aag se paida kiye gaye hein, Fir Kaise jaL Sakte hein ? Aur Shar'an ye AmaL AamiLeen ka kya hukm rakhta hai ?
•➖•=•➖•=•➖•=•➖•=•➖•
J A W A A B-30
=============
Agar Kisi Tadbeer Se Jinnat Peechha Na Chhore Aur Hairano Pareshaan Karta Hi Rahe To JaLaana Bhi Durust Hai,
MauLana Ashraf ALi Thanwee Rh. Ne Likhkha Hai Behtar Hai Ke Us Taaweez Mai Ye Ibarat Likhden Ke Agar Na Jaaye To JaL Jaaye,
Insaan Mittee Se Paida Huwaa Hai, Fir Bhi Mittee Ka DheLa Lagne Se Chot Lagti Hai, Zyada Chot Aur Zakhm Lagne Ki Soorat Mai Maut Bhi Ho Sakti Hai, Isi Tarah Jinnat Ko Aag Se TakLeef Pahunch Sakti Hai, Aur Aag Se JaL Bhi Sakta Hai,
WaLLaahu Ta'aaLa AaLam.
�� Fatawaa Mahmoodia-20/32.
………………………………
S A W A A L-31
=============
AajkaL Market Mai Paani Ki BotteLs 10/= Rs. Mai Aur Pouse 01/= Rs. Mai MiLta Hai, Kya Istarah Paani Ki Khareedo Farokht Karna Jaaiz Hai ?
≤≥≤≥≤≥≤≥≤≥≤≥≤≥≤≥≤≥≤≥≤≥≤≥≤≥≤≥
J A W A A B-31
≈≈≈≈≈≈≈≈≈≈≈≈≈
Jo Paani Kisi Bartan Waghaira Mai Mahfooz Kar Liya Jaaye, To Insaan Uska MaaLik Ho Jaata Hai, Lihaaza Uski Khareedo Farokht Jaaiz Hai.
ALbattah Zaati TaaLab Aur Kunwan {WeLL} Ke Zaroorat Se Zaaid Paanee Ko Bechna Aur Usse Istifaadah Karne WaaLon Se Qeemat WusooL Karna Behtar Nahie Hai.
WaLLaahu Ta'aaLa AaLam.
�� KitaabuL Fatawaa-5/200.
⚪ ALLaah Ta'aaLa Ham Sab Ko Kasbe HaLaaL Naseeb Farmaye, aameen. ………………………………
S A W A A L-32
=============
Bank Ka Pura Nizaam Sood {Intrest} Par ChaLta Hai To Aisi Soorat Mai Bank Mai Account KhuLwaane Ke Muta'aLiq Shar'an Kya Hukm Hai ?
≤≥≤≥≤≥≤≥≤≥≤≥≤≥≥≥≤≥≤≥≤≥≤≥≤≥
J A W A A B-32
≤≥≤≥≤≥≤≥≤≥≤≥≤≥
Bank Mai Fixed Account KhuLwaana Jaaiz Nahie.....Jisse Sood {Intrest} Maqsood Hota Hai, ALLbattah Rupees Ki Hifaazat Ki Niyyat Se Saving Account KhuLwaana Jaaiz hai, Jisme Sood Lena Maqsood Na Ho.
�� KitaabuL Fatawaa-5/330.
⚪ ALLaah Ta'aaLa Ham Sab Ko apni Razamandi Se Nawaaze, Aameen.
………………………………
S A W A A L-33
=============
Bank Mai MuLazimat {Job} Karna Shar'an Kaisa Hai ? Jab Ke Bank Ka Sara Nizaam {System} Sood {Intrest} Par ChaL Raha Hota Hai.
•≤≥•≤≥•≤≥•≤≥•≤≥•≤≥•≤≥•≤≥•≤≥•≤≥•
J A W A A B-33
•=•==•==•==•==•=•
Bank Ka Saara Nizaam Aur Kaarobar Sood {Intrest} Par Mabnee Hai, Aur Soodi Kaarobaar Haraam Hai,
RasooLuLLah SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ne Sood Lene WaaLe, Sood Dene WaaLe, Likhne WaaLe, Uske Gawah {Witness} Aur Uska Waastah Banne WaaLe Sab Par Laanat Farmaee Hai {Abu Dawood}.
Is Liye Ke Ye Tamaam Log Soodi Kaarobar Mai Ta'aawun {HeLp} Kar Rahe Hein,
Bank Ke Wo MuLazimeen Jo Hisaab Kitaab, Lain Dain, Ka Kaam Karte Hein Sab Is Giroh Mai DaakhiL Hein, Aur Maa'siyat Mai Barahe Raast Mu'aawin Hein, Is Liye Ye MuLaazimat Shar'an Jaaiz Nahie Hai.
�� KitaabuL Fatawaa-5/392.
⚪ ALLaah Ta'aaLa Ham Sab Ki Kasbe Haraam Se Hifaazat Farmaye, Aameen.
………………………………
S A W A A L-34
=============
Kya Kisii AaLim Ko MauLana Kehna Durust Hai ? Kyun Ke Surah Baqrah Ki Aakhree Aayat Mai 'MauLana' Ka Lafz ALLaah Ta'aaLa Ke Liye IstimaaL Huwaa Hai.
๏≤≥๏≤≥๏≤≥๏≤≥๏≤≥๏≤≥๏≤≥๏≤≥๏
J A W A A B-34
๏▼๏▼๏▼๏▼๏▼๏▼๏
MauLana Ka Ma'ana {Meaning} Hai 'Hamare MauLa'
Ye Lafz {Word} MukhtaLif Meanings Mai IstimaaL Hotaa Hai, MasaLan MaaLik, Aaqa, Nigraan, {Supervision} Sarparast,{Care Taker} Dost Waghairah,
ALLaah Ta'aaLa Ke Liye MauLana Ka Lafz MaaLik Ke Ma'ana Mai IstimaaL Huwaa Hai, Agar Kisii AaLim Ko Dost Aur Nigraan Ke Ma'ana Mai Ehtiraaman MauLana Kaha Jaaye To Us mai Haraj Nahie,
Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ne UmratuL Qazaa Ke Mauqe Se Hz Zaid Bin Haarsa Rz.Anhu Ko {Anta Akhuna Wa MauLana} Tum Hamaare Bhai Aur MauLa Ho Kaha Tha,{Bukhaarii}
Isii Tarah Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ne Khud Apne Liye Bhi MauLa Ka Lafz IstimaaL Kiya Hai, Aur Hz. ALee Rz.Anhu Ke Liye Bhii Ke Mai Jiska NauLa Hun, ALee Bhii Uske MauLa Hein, "Man Kuntu MauLahu Fa-ALee MauLahu" {Ibne Maajah} IsLiye MauLana Kehne Mai Koi Haraj Nahie.
�� KitaabuL Fatawaa-1/445.
⚪ ALLaah Ta'aaLa Hamare Liye Aap Ke Paak Aur Muqaddas Tareeqe Par ChaLna Aasaan Farmaye,. Aameen
S A W A A L-35
=============
Kya Larkiyon Ko Hafiza-e-qur'aan Banana Durust Hai ?
☆≤≥☆≤≥☆≤≥☆≤≥☆≤≥☆≤≥☆≤≥☆
J A W A A B-35
=============
Hifze Qur'aane Paak Par Jo Ajro Sawaab ManqooL Hai, Wo Larkiyon Ke Liye Bhi Hai, Aur Larkon Ke Liye Bhi, Fir TakmeeLe Hifz Ke Baad Qur'aan Ki TaaLeem Larke Ke Bhi De Sakte Hein, Aur Larkiyan Bhi, Is Liye Larkiyon Ko Hafiza Banana Faaide Se KhaaLii Nahie, Baaz Sahabiyaate RasooL Bhi Hafiza Thien, Is Liye Larkiyon Ko Hafiza Banana Durust Hai.
WaLLaahu Ta'aaLa AaLam.
�� KitabuL Fatawaa-1/422.
⚪ ALLaah Ta'aaLa Hamein Qur'aan Ke Ahkaam Par ChaLne Ki Taufeeq Ataa Farmaye, Aameen
………………………………
S A W A A L-36
=============
AajkaL Kuchh Log Magnetic NeckLace BLood Pressure Ko ControL Mai Rakhne Ke Liye GaLe Mai Pahente Hein, Shar'an Mardon Ke Liye Iske IstimaaL Ka Kya Hukm Hai ?
☆≈≈≈☆≈≈≈☆≈≈≈☆≈≈≈☆≈≈≈☆
J A W A A B-36
=============
Mardon {MaLe} Ko NeckLace Pahenne Mai Aurton {FemaLe} Se Mushabihat Hai, Aur Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ne Aurton Kii Mushabihat Se Manaa Farmaya Hai. {Abu Dawood-4031}
Agar Magnetic BeLt Haath Mai Bandh Liya Jaaye To Usse Bhii BLood Pressure ControL Karne Mai Madad {HeLp} MiLtii Hai, Goyaa Magnetic NeckLace Ka BadaL Maujood Hai, IsLiye Mardon Ke Liye Uska IstimaaL Karna Durust Nahie.
�� KitaabuL Fatawaa-6/211.
⚪ ALLaah Ta'aaLa Ham Sab Kii Zahiree Aur Baatinee Tamam Bimaariyon Se Hifaazat Farmaye, Aameen.
………………………………
S A W A A L-37
☆≈≈☆≈≈☆≈≈☆
Kuchh Log Ta'azeem Ke Taur Par Qabron Par Sajdah Karte Hein, Kya IsLaam Mai Iskii Ijaazat Hai ? Kya Sahaabah Rz.Anhum Ke Zamane Mai Aisa Koi AmaL Raha Hai ?
≪≫☆≪≫☆≪≫☆≪≫☆≪≫
J A W A A B-37
=============
RasooLuLLah SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Se Baaz Sahaabah Rz.Anhum Ne Sajdah Kii Ijaazat Chaahii, Aur Zaahir Hai Ke Unhon Ne Ye Ijaazat Sajda-e-taazeemii Ke Liye Hii Mangii Hogii, Kyun Ke Ye Tasawwur Bhii Nahie Kiya jasakta Ke Sahaabah Ne GhairuLLaah Ke Liye Sajdah Karne Kii Ijaazat Chaahii Ho,
Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ne Sahabah Ko Ijaazat Nahie Dii,
Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ne Irshaad Farmaya Ke Mai ALLaah Ta'aaLa Ke ALawaa Kisii Aur Ko Sajdah Karne Kii Ijaazat Detaa To Beewiyon Ko Ijaazat Detaa Ke Apne Shoharon Ko Sajdah Kaen. {Abu Dawood-2140}
Is Liye Qabron Ke Samne Sajdah Karna Jaaiz Nahie, Sajda-e-ibadat To Kufr Hai Hii, Baaz Fuqahaa Ne Sajda-e-taazeem Ko Bhii Kufr Qaraar Diya Hai, Sajda-e-taazeem Bhi Haraam Hai, Aur Ispar Tamaam Aimma-e-mujtahideen Aur SaLafe SaaLiheen Ka Ittifaaq Hai,
Buzurgaane Deen Se Aqeedat Aur Muhabbat Ke Izhaar Ka Tareeqa Ye Hai Ke Un Kii TaLeemaat Par AmaL Kiya Jaaye, Aur Unke Haq Mai BuLandiye Darajaat Ki Duaa Ki Jaaye.
�� KitaabuL Fatawaa-1332.
………………………………
S A W A A L-38
☆≈≈☆≈≈☆≈≈☆
Dawate WaLeema Ka Wo Khaana Jo Bach Gayaa Ho, Use Farokht Karna Jaaiz Hai ?
≪≫☆≪≫☆≪≫☆≪≫☆≪≫
J A W A A B-38
•==•==•==•==•==•
Daawate WaLeema Mai Jo Khaana Banaaya Jaata Hai, Wo MiLkiyat Mai Shumaar Kiya Jaata Hai, Aur MaLik Ko Apnii MiLkiyat Mai Har Tarah Se Tasarruf Ka Haq HaasiL Hai, Lihaaza Dawate WaLeema Ke Bache Huye Khane Ko Farokht Karna Jaaiz Hai,
WaLLaahu Ta'aaLa AaLm.
�� KitaabuL Fatawaa-4/423.

No comments:
Post a Comment