S A W A A L- 15.
==============
ALchoL miLii huyii Adviyah {Medicines} Aur Khwab aawar GoLii {SLeeping PiLLs} Khana Shar'an Jaaiz hei Ya Nahie ?
➖=➖=➖=➖=➖=➖=➖
J A W A A B- 15
===============
Ba-waqte Zaroorat Khwab aawar GoLi {SLiping PiLLs} Khane mei Muza'eqah Nahie, Ke Ye Bhi Ek ILaaj hei, ALchoL aamez Adviyah Us Waqt Khaai Jaasakti hei Jab ALchoL Se Paak Dawaa Maujood Na ho, Ya ho to usse Sehat {heaLth} mei Taakhir Ka Andeshah ho, Ya Zyada Mehngi {Expensive} hone Ki Wajah Se Us Ke Khareedne Ki Istitaa'at Na ho.
�� Jadeed Fiqhee MasaaiL-1/326.
⚪ ALLaah Ta'aaLa har Qisam Ki Beemariyon Se hamari hifaazat Farmaye, aamiin.
……………………………
S A W A A L- 16
==============
TeLevision Par Cricket Match Dekhna Jaaiz hei Ya Nahie ?
➖=➖=➖=➖=➖=➖=➖
J A W A A B- 16
==============
TeLevisison Ke Programs Umooman Music, Fahash Tasaweer, Be-hayaai Aur Fahaashi Par Mabnee hote hein, Aise mei Kisi Jaaiz Aur Mabaah Program Ka Dekhna Bhi MahaLLe IshkaaL hei, Chejaayeke Cricket Match Dekha Jaaye, Jo Juwaa Aur Sattebaazi Jaise Gunahon Par MushtamiL hone Ke Saath Faraaize Waqtiyah Ya Kam Se Kam Waqt Se Mu'akhkhar Karne Aur Qeemti Waqt Ko Barbaad Karne Ke Mataraadif {Synonym} hei, Is Liye TV Ke aam Programs Aur Cricket Match Dekhne Se MukammaL Ehtiraaz Karna Chaahye.
DaruL Iftaa WaL-qazaa, Jamia Binoria.
⚪ ALLaah Ta'aaLa Hamei Apne Qeemti Waqt Ki Qadardaani Naseeb Farmaye.
……………………………
S A W A A L- 17
==============
Kya Huzoor SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ke Naam Ke Saath MukammaL Durood Ki Bajaaye Sirf S.A. Likhna Jaaiz hei ?
➖=➖=➖=➖=➖=➖=➖
J A W A A B- 17
==============
Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ke Naam Ke Saath Sirf A.S. Likhna Ya isitarah Ka Koi aur Mukhaffaf {Abbreviated} Lafz Likhna Jo Durood Ki Taraf Ishaara Kare BakheeLi aur KhiLaafe Adab hei, Istarah Likhne Se Durood Ka Koi Faaidah aur Sawaab haasiL Nahie hota, Is Liye Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Ke Naam Ke Saath MukammaL Durood Likhne Ka Ehtimam Karna Chaahye.
WaLLaahu Ta'aaLa AaLam.
DaruL Iftaa WaL-qazaa, Jamia Binoria.
⚪ ALLaah Ta'aaLa hamei hardam haraan hargarhi Duroode Paak Parhne ki Taufeeq Ataa Farmaye, aameen.
……………………………
S A W A A L- 18
==============
Kya Bank Ke Sood {Interest} Se Masjid Ka BaituL KhaLa {ToiLet} Banana Jaaiz hai?
➖=➖=➖=➖=➖=➖=➖
J A W A A B- 18
==============
BaituL KhaLa {ToiLet} bhi ek zaroorat hai, BaLke aisi zaroorat hai ke jisse sarfe nazar mumkin nahie, Masjid aur uski zarooriyaat mei jaaiz aur haLaaL paisa hi istimaaL karna chaahye,
Kyun ke ALLaah Ta'aaLa maaLe khabees ko qubooL nahie karte, Fuqahaa ne bhi masjid mai maaLe haraam istimaaL karne ko mana'a kiya hai. {RadduL Muh'taar-2/431}
IsLiye masjid ka baituL khaLa {ToiLet} Sood {Interest} ke paise se banana jaaiz nahie.
�� KitabuL Fatawaa-4/335, MahmuduL Fatawaa-3/62.
⚪ ALLaah Ta'aaLa hamein kasbe haLaaL naseeb farmaye, aur rizqe haraam se hamari hifaazat farmaye, aameen.
……………………………
S A W A A L- 19
==============
Akhbaraat {News papers} mai aaye din ahLe iLm ki Tasaaveer {Photos} aati rehti hai, jisse Log hujjat pakarte hai, to kya istrah Logon ka hujjat pakarna aur akhbaraat mai Tasaaveer ka chhapna jaaiz hai ?
➖=➖=➖=➖=➖=➖=➖
J A A E A A B- 19
===============
Is tarah aakhbaraat mai ahLe iLm ki tasaaweer chhapne se jawaaz par istidLaaL nahie kiya jasakta, Kyun ke shar'ee masaaiL ka suboot adiLLa-e-arba'a {Char daLaaiL} se hota hai.
Yahan ye baat bhi Tahqeeq taLab hai ke jin Logon ki tasaaweer {Potos} News papers mai print ki jaati hai unko tasweer chhapne ke bare mai jankaari bhi hai.....? Aur agar jankaari hai to wo isko jaaiz bhi kehte hai......? Ye Saheeh maaLum nahie hota, baLke wo bhi
na-jaaiz hi kehte honge, BiLfarz agar jaaiz bhi kehde tab bhi jaaiz nahi.
�� Fatawaa Mahmoodia- 5/208.
⚪ ALLaah Ta'aaLa hamen na-jaaiz umoor se mukammaL taur par bachne ki taufeeq ataa farmaye, aameen.
……………………………
S A W A A L- 20
==============
Aabe Zamzam nihayat mutabarrak paani hai, usse be-wuzoo shakhs ka namaz ke Liye wuzoo karna aur junoobi shakhs ka ghusL karna jaaiz hai ?
➖=➖=➖=➖=➖=➖=➖
J A W A A B- 20
==============
Jo shakhs ba-wuzoo aur paak ho, Wo agar barkat ke Liye aabe Zamzam se wuzoo aur ghusL kare to jaaiz hai, Isitarah kisi paak kapre ko barkat ke Liye aabe Zamzam se bhigona bhi jaaiz hai,
Lekin be-wuzoo shakhs ka aabe Zamzam se wuzoo karna, Ya kisi junoobi shakhs ka ghusL karna makrooh hai,
Zaroorat ke waqt {jab ke dusra paani na miLe} aabe Zamzam se wuzoo karna to jaaiz hai, Magar gusLe janaabat har haaL mai makrooh hai,
Isitarah agar badan ya kapre par najaasat Lagi ho usko aabe Zamzam se dhona bhi makrooh hai, BaLke baaz jaga haraam hai, Yahi hukm aabe Zamzam se istinjaa karne ka hai,
KhuLasah ye ke aabe Zamzam intihaai mutabarrak paani hai, Us ka adab aur ehtiraam zaroori hai, Us ka peena mujibe khairo barkat hai, aur chehra, sar, badan par daLna bhi maujibe barkat hai, Lekin najaasat zaaiL karne ke Liye istimaaL karna kisi soorat mai jaaiz nahie.
WaLLaahu Ta'aaLa aaLam.
�� Aap ke masaaiL aur unka haL, voL-2.
⚪ ALLaah Ta'aaL hamein aabe Zamzam ki khairo barkat se mustafeez hone ki bharpur taufeeq ataa kare, aameen.
……………………………
S A W A A L- 21
=============
Patang baazi aur uske mutaaLiqa samaan ki tijaarat karne ka shar'ee Lihaaz se kya hukm hai ?
•➖•=•➖•=•➖•=•➖•=•➖•
J A W A A B- 21
=============
Patang baazi ke bahut nuqsanaat hei, Jis ki wajah se patang urana jaaiz nahie,
Chunanche Mufti Rasheed Ahmad sb. Ludhiyanwi Rh. Farmate hein :
Patang Urana jaaiz nahie, kyun ke usme bahut nuqsanaat hein,
Hz. Abu hurairah Rz,Anhu farmate hein ke RasooLuLLah SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ne ek shakhs ko dekha ke wo ek Kabootar ke peeche daura chaLa ja raha hai to aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ne farmaya :
"Shaitanun Yatbeu Shaitaanah"
Ek Shaitaan dusre Shaitaan ke peechhe chaLa ja raha hai, {Abu Dawood-2/194.}
Kabootar baazi mai inhimaak ki wajah se umoore deeniyyah aur dunwiyyah se ghafLat ka mufsidah patang baazi mai bhi paaya jataa hai, Lihaaza ye wa'eed usko bhi shaamiL hai,
Is patang baazi mai har shakhs ki niyyat aur koshish dusre ki patang kaatne aur nuqsaan pahunchane ki hoti hai, haLan ke musLman ko nuqsaan pahunchana haraam hai, aur is haraam kam ki niyyat se donon yaani kaatne waaLa aur katwaane waaLa Gunehgaar hote hein,
Beja maaL kharch karna tabzeer aur haraam hai, Qur'aane paak mai aise Logon ko Shaitaan ke bhai qarar diya hai,
Ab raha patang ke mutaaLiqah saaman ki tijarat ka hukm to ye tijarat "ii'aanatun aLaL maasiyah" {Gunah par madad karna} ki binaa par Na-jaaiz hai.
�� Fatawaa Mahmoodia-16/134.
⚪ ALLaah TaaaLa Na-jaaiz aur Laghw kamon se ham sab ki hifazat farmaye, aameen.
S A W A A L-22
=============
Lucky inaami scheams ya digar inaami tickets ka khareedna aur uska karobar karna sha'ran kaisa hai ?
•➖•=•➖•=•➖•=•➖•=•➖•
J A A W A A B- 22
===============
Is quisam ki inaami scheams par juwe {Casino} ki taareef sadique aati hai, Is Liye Lucky inaami scheams ya digar kisi bhi inaami tickets ka kaarobar shar'an jaaiz nahi hai, aur usse haasiL ki gai raqam ka sadqa kardena waajib hai.
�� JaameuL Fatawaa-6/105.
⚪ ALLaah Ta'aaLa kasbe haraam se hamari hifazat farmaye, aameen.
……………………………
S A W A A L-23
=============
Kya Ghair MusLimon Ko Apne Yahan Daawat Di Jaaskti hai, Aur MusaLmanon Ke Gharon mai Unki Aamado Raft {aana jaana} Durust hai ?
•➖•=•➖•=•➖•=•➖•=•➖•
J A W A A B- 23
==============
Ghair musLimon ko daawat dena na sirf jaaiz hai, BaLke agar ye niyyat rakhkhi jaaye ke istarah wo isLaam se manoos ho sakenge, aur agar isLam qabooL na karein to kam se kam isLaam aur musaLmanon ke mutaaLiq un ka rawayyah behtar rahega.........to unko daawat dena behtar hai,
RasooLuLLah SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ko jab us baat ka hukm diya gaya ke aap quraishi ristedaaron ko isLaam ki taraf mutawajjeh karein, to aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ne banoo haashim ko jamaa farmaya aur unke Liye khane ka ehtimaam bhi farmaya,
Pas maLoom huwa ke behtar niyyat ke saath ghair musLimon ko mad'.uu kiya jaaye to ye Sunnate Nabawee hai.
Jahan tak ghair musLimon ki aamado raft ki baat hai to agar unse deenee ya dunyawee nuqsaan ka andeshah na ho aur hudoode shar'ee ki ri'aayat ke saath aamado raft ho to uski gunaaish hai.
WaLLaahu Ta'aaLa AaLam.
�� KitabuL Fatawaa-6/203.
⚪ ALLaah ham sab ko har kachche pakke ghar mai isLaam ki daawat pahunchane ki taufeeq ataa farmaye.
……………………………
S A W A A L- 24.
==============
majboori ki haaLat mai mane'a hamaL {Contraception} tabLets ke khane ke mutaaLiq shar'ee hukm kya hai ?
•➖•=•➖•=•➖•=•➖•=•➖•
J A W A A B- 24.
=============
Ma'aashee maqaasid {Economic objectives} ke tahat agar mazeed bachche paida ho gaye to unke khaane peene ka kya nazm hoga, Mane'a hamaL {Contraception} tabLets khaana jaaiz nahie, Lekin medicaL zaroorat ke tahat yaani agar Doctor ki saLaah ho ke wiLaadat {Birth} hone ki soorat mai aurat ki jaan ya sehat {heaLth} ko bahut khatrah hai, aur aurat bachche ko doodh peeLati ho aur hamaL thehrne ki soorat mai bachche ka doodh mutaassir hone ka andeshah ho to mane'a hamaL {Contraception} tabLets istimaaL ki jaasakti hai, is siLsiLe mai kisi musaLman Doctor se mashwarah karne aur fir kisi mufti ke samne poori soorate haaL rakhne ke baad faisLa karna chaahye.
WaLLahu Ta'aaLa AaLam.
�� KitabuL Fatawaa-6/238.
⚪ ALLaah Ta'aaLa na-jaaiz kaam karne se ham sab ki hifazat farmaye, aameen.
……………………………
S A W A A L- 25.
==============
Jistarah aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ka naam Lene par Durood parhna waajib hai, kya isitarah Sahaaba-e-kiraam Rz. Anhum ka naam aane par RaziyaLLaahu Anhu kehna zaroori hai ?
•➖•=•➖•=•➖•=•➖•=•➖•
J A W A A B- 25
==============
Huzoor Aqdas SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam Par Durood bhejne ka hukm hai, Qur'aane Majeed mai saraahatan uska zikr hai, aur hadeethen to is siLsiLe mai kasrat se waarid huee hai, Lekin Sahaabah Rz.Anhum ke baare mai istarah ki taakeed Qur'aan aur hadeeth mai manqooL nahie, baLke saLfe saaLiheen ke zamane se ehtiraam ke taur par ye Duaaiyah kaLimah ka kehna mustahab to hai, waajib nahie.
�� KitaabuL Fatawaa-6/265.
⚪ ALLaah Ta'aaLa ham sab ko Huzoor SaLLaLLahy ALayhi WasaLLam par kasrat ke saath Durood bhejne ki taufeeq ataa farmaye, aameen.
……………………………
S A W A A L- 26.
==============
AajkaL Shehron mai chhote bachchon ki saaLgirah {birthday} bade dhoom dhaam se manaai jaati hai, Cake aur Mombatti {candLe} sajakar rakhte hein, fir bachchon ko Mombatti {CandLe} bujhaane aur Cake katne ko kehte hein, kya istarah saaLgirah {birthday} manana shar'an jaaiz hai ?
•➖•=•➖•=•➖•=•➖•=•➖•
J A W A A B- 26.
=============
SaaLgirah {birthday} manana ghair shar'ee amaL hai, na RasooLuLLah SaLLaLLahu ALayhi WasaLam ne apne aur apne bachchon ki saaLgirah {birthday} manaai, na Sahaabah Rz.Anhum ne, na baad ke SaLfe SaaLiheen ne, ye maghrabee Saqaafat aur tahzeeb ki dain hai, Cake katna Mombatti jaLaana Aur bujhaana ghair qaumon ke asaraat hein, isLiye aise rasmo riwaaj se bachna Zaroori hai.
�� KitaabuL Fatawaa-285.
⚪ ALLaah Ta'aaLa ham sab ki na-jaaiz rasmo riwaaj aur khurafaat se hifazat farmaye, aameen.
……………………………
S A W A A L- 27.
==============
Daure haazir mai VakaaLat {advocacy} ka pesha {profession} ikhtiyaar karne ke mutaaLiq Shar'ee hukm kya hai ?
•➖•=•➖•=•➖•=•➖•=•➖•
J A W A A B-27
=============
Daure haazir mai VakaaLat ka pesha {profession} chunke jhoot, fareb {fraud} aur charb Lisaani {faciLe tongue} ka Zareea hota hai, aur haqqo baatiL mai koi Lihaaz baaqee nahie rehta, Lihaaza VakaaLat {advocacy} ka pesha {profession} tark kar ke aur koi haLaaL pesha ikhtiyaar karna chaahye, Haan.....agar is baat ka iLtizaam ho ke jo haq par hoga usi ki VakaaLat karega, aur khud ko uspar poora itminaan bhi ho to fir VakaaLat ka pesha jaaiz hai.
WaLLaahu Ta'aaLa AaLam.
�� Muhaqqaq Wa MudaLLaL Jadeed MasaaiL- 426.
⚪ ALLaah Ta'aaLa ham sab ko Rizqe haLaaL naseeb kare.
……………………………
S A W A A L- 28.
==============
Masjid jo ALLaah Ta'aaLa ka Ghar hai, Kisi Sahaabee ya kisi Buzurg ki taraf mansoob karke uska name rakhna Shar'an jaaiz hai ?
•➖•=•➖•=•➖•=•➖•=•➖•
J A W A A B-28.
=============
Shanakht ke Liye Masjid Ka Name Kisi Sahaabee ya Buzurg Ki taraf mansoob Kar ke rakhkha jaa Sakta hai, Ahde RisaaLat mai Madeena Shareef Ke girdo nawah Ki Masaajid Baaz Ambiyaa Ki taraf mansoob kar ke mausoom thien, Misr {Egypt} aur Shaam {Sirya} mai bhi Sahaabah Ke Name se mansoob masjidon Ka Zikr miLta hai, Jis par SaLaf ne Koi Nakeer nahie Ki hai,
ALbattah yaad rahe Ke Istarah Name rakhne mai Masjidon ki Azmat mai Koi Farq nahie parta, aur na us mai Namaz parhna Kuchh Zyada baaise Ajro Sawaab hai, BaLke wo aam Masjidon Ki tarah rehti hai.
WaLLaahu Ta,aaLa AaLam.
�� KitabuL Fatawaa-4/229.
⚪ ALLaah Ta,aaLa ham sab ko IkhLaas ki DauLat se Sarfraaz kare.

No comments:
Post a Comment