S A W A A L- 01
=============
Kya Jaadu Karne Se Aadmii Andha aur Na-mard ho jaata hei....?
Aur Use Khatm Karne Ke Leye AmaLiyaat Ke Zariye iLaaj Karwaaya Jaa Sakta hei.....?
Kya istarah iLaaj Karne Se Shirk Ka Khtra Laahiq hota hei...?
➖=➖=➖=➖=➖=➖=➖
J A W A A B- 01
=============
Jaadu { Magic} Se Insaan Ko Nuqsaan Pahunch Sakta hei, Binaai { Vision } Mardangi { SexuaL Power } Khatm ho Saktii hei.
Lekin Istarah Kii Baaten Zyadatar Beemarii Kii Wajah Se Pesh Aatii hein...... Is Liye Aise Waaqiwaat mei Doctor Se Rujooa Karna Chaahye.
Fir Bhii Agar GhaaLib Guman { Most LikeLy } ho Ke Jaadu hii hei, Aur Muttaqee, Parhezgaar Aur Muatabar AamiL Aisa Batata ho........to Aise AamiL Se ILaaj Karane mei Koi haraj Nahie Jo Qur'aanii Aayaat Aur Hadeethe Paak Ki Duaaon Se ILaaj Karta ho......Aur Mushrikaana Tareeqa Ikhtiyar Na Karta ho.
�� Kitab-uL-fatawaa-1/372.
……………………………………
S A W A A L- 02
=============
AajkaL FLats Ke Farokht {SeLLing} Kii Ye Soorat har Jaga aam ho Gayii hei Ke PehLe Pure Project Ka Naqsha Bana Liya jaata hei, Aur Taameer Shuroo hone Se PehLe hii Zyadatar FLats Farokht {SeLL} Kar Diye Jaate hei, Kya Istarah FLats Farokht {SeLL} Karna Jaaiz hei ?
➖=➖=➖=➖=➖=➖=➖=➖
J A W A A B- 02
=============
Jab Tak Ek Cheez Wajood mei Na Aajaye Us Ko Bechna Durust Nahei,
Lekin Isse Ek Soorat Mustasna {Excepted} hei, Jis Ko "Istisna'a" Kehte hei.....Yaanii Aisii Cheez Jin Ko Order Par Tayyar Karne Ka Riwaaj ho, Jaise Joota {Shoes} Waghairah.
AajkaL FLats Usii Andaaz Par Banaaye Jaate hein, FLats Ke Naqshe, Us Ki Makaaniyat {Views} Taameerii Me'ayaar {QauLity} Aur Poori TafseeLaat {DetaiL} PehLe Waazeh {CLear} Kardii Jaatii hei, MahaLLe Wuqooa {Location} Dekhne Kii Bhii Gunjaaish hotii hei, Aur FLates Kis ManziL {FLoor} Par hoga Ye Bhi CLear Kar Diya Jaata hei, Jis Kii Wajah Se Niza'a {Dispute} Ka Andeshah Khatm Ya Bahut Kam ho Jaata hei,
Is Liye Jo Log FLats Taameer Kar Ke Bechte hein, Un Ke Liye Istarah Bechne Kii Gunjaaish hei.
�� KitaabuL Fatawaa-5/273.
⚪ ALLaah Ta'aaLa Jahaane IsLam Ko Dusmanon Kii Reshaadawaniyon Se hifaazat Farmaye, aamiin.
……………………………………
S A W A A L- 03
=============
Wo Gaon {ViLLage} Jo Shahar Se Qareeb ho Aur Gaon Tak Azaane Jumaa Kii Aawaaz Jaatii ho to Us Gaon {ViLLage} WaaLon Par Namaze Jumaa Waajib hei ?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
J A W A A B- 03
=============
Gaon WaaLon Par Namaze Jumaa Waajib Nahie,
Agarche Wo Gaon Shahar {City} Se Qareeb ho, Aur Azane Jumaa Kii Aawaaz Pahunchtii ho.
ALLaah Ta'aaLa AaLame IsLaam Ko har Qisam Ke Shurooro Fitan Se Mehfooz Rakhkhe........aamiin.
�� Fatawaa DaruL ULoom-VoL-5/60.
……………………………………
S A W A A L- 04
=============
Ghar mei Tasweer {Photo} Rakhna Ya Latkana Na-jaaiz hei, Isitarah Jis Ghar mei Tasweer {Photo} ho...Wahan Rahmat Ke Farishte Nahie Aate.
Magar Rozana Ghar mei Jo Akhbaar {Newspapers} aate hein, Un mei Jaandaar {Spirited} kii Tasweeren Bhie Hotii hein.....Uska Shar'ee Hukm Kya hei?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
J A W A A B- 04
=============
Ye Saheeh hei Ke Ghar mei Jaandaar {Spirited} Kii Tasweer {Photo} Rakhna aur Latkana Jaaiz Nahie,
Magar Ghar mei Akhbaar {Newspapers} Ka Lana Jaaiz hei, Koi Qabaahat Nahie.....Kyun Ke Us mei Maqsood Khabren hotii hein......Na Ke Tasweeren, Tasweeron Kii Haisiyyat Zimnee hotii hei.
Agar Koi FiLmii Magazine Jo Actors, Actress Aur ModeLs Kii Tasweeron Se Bhare huye ho, Aur Use Sirf Tasweeren Dekhne hii Ke Liye Ghar mei Laaya Jaaye To ye Kisii Surat mei Jaaiz Na hoga, Aur Aise Magazine Kii SeLLing Bhii Jaaiz Nahie.
ALLaah Ta'aaLa Hum Sab Ko AmaL kii Taufeeq Se Nawaaze, aamiin.
�� Kitaab-uL-fatawaa-5/279.
……………………………………
S A W A A L- 05
=============
AajkaL Bahut Se Dukandaar {Vendor} Khareedaaron {Customers} Ko Mutawajjeh {Attracted} Karne Ke Liye Khareedii huyii Cheez Ke Saath In'aam {Gift} Bhii Dete hein, Kya Aise In'aam {Gift} Ka Lena Jaaiz hei ?
➖=➖=➖=➖=➖=➖=➖=➖
J A W A A B- 05
==============
Agar Khareedii huyii Cheezon Ke Saath Har Khareedar Ko In'aam {Gift} Ke Taur par Koi Cheez Dijaatii hei to Us Ke Jaaiz hone mei Koi Shubah {Suspect} Nahie, Ye SeLLing Karne WaaLe Kii Taraf Se Ek Tarah Ka Izaafah {Increase} hei, Aur Fuqahaa Ne Mabee'a {SoLd} mei Izaafe Ko Jaaiz Qarar Diya hei, Aur Chunke Khareedar Ko Apne Paise Kii Cheez miL Jaatii hei, IsLiye Ye Soorat Juwe {Casino} Ke Under mei Nahie aatii.
Lekin Agar Khareedne WaaLe Ka Maqsood hii Gift Cupon HaasiL Karna Tha, Aur Usii Maqsad Ke Liye Samaan Khareed Kiya tha to Ye Soorat Jaaiz Na hogii........BaLke Ye Juwa {Casino} Ke Hukm mei hoga.
�� KitaabuL Fatawaa,VoL-5/249.
……………………………………
S A W A A L- 06
➖=➖=➖=➖=➖
Kisii Mazhabii Yaa Deenii Ijtima'a, JaLsa Waghairah Kii Videography Karna Is Niyyat Se Ke Uske Zariye Dusre Logon Tak Deen Kii Baaten Pahunchayi Jaaye Aur Deen Seekhaya Jaaye, To Kya Istarah Videography Karna Jaaiz hei ?
➖=➖=➖=➖=➖=➖=➖=➖
J A W A A B- 06
=============
Sharee'at mei Kisii Baat Ke Jaaiz hone Ke Liye 2 Cheezen Zaroorii hein,
1) Kaam Ka Maqsad Durust ho, KhiLaafe Sharee'at Na ho,
2) Us Maqsad Ke Liye Jo Zareeya Ikhtiyaar Kiya Jaaye Wo bhii Jaaiz ho, Agar Maqsad Nek ho, Lekin Agar Usko HaasiL Karne Ke Liye Ghair Shar'ee Tareeqah Ikhtiyaar Kiya Jaaye to Ye bhii Gunah hei,
MasaLan Koi Shakhs Ghareebon Ki heLp Ke Liye Dakaitii {Robbery} Kare, Beemaron Ke ILaaj Ke SiLsiLe mei Raqs {Dance} Waghairah Karke Paisa WusooL Kare.......To Goya Maqsad Nek hei, Lekin Chunke Na-Jaaiz Aur Ghair Shar'ee Tareeqah Ikhtiyaar Kiya Gaya hei, IsLiye Ye Gunah hii Ka Baais hoga Na Ke Sawaab ka,
Logon Ko Deen Kii Baaten Seekhana Aur Seekhne Sheekhane Ki Targheeb Dena Yaqeenan Nek Kaam Aur Ajro Sawaab Ka Baais hei, Lekin Iske Liye Photography Jaaiz Nahie, Shar'ee Zaroorat Ke Baghair Photo Kheenchna Aur Kheenchwana Gunahe Kabeerah hei,
Photography Ki Mazammat Par Kasrat Se Riwayaat Maujood hein, Aur Mazhabee Wa Deenii Ijtima'a Ya JaLsa Jaisii Muqaddas Aur Mubaarak Jagah mei photography to Gunah BaLaaye Gunah hei, Deen Ke Seekhne Aur Seekhane Ka Maqsad Photography Ke Baghair bhii Behtar Aur Mu'assir Tareeqe Par HaasiL Kiya Jaasakta hei.
�� KitaabuL Fatawaa, VoL-6/169.
……………………………………
S A W A A L- 07
=============
Tambaku {Tobacco} WaaLa Paan, Gutkha, Cigaratte Waghairah Cheezen Nosh Karna Jaaiz hei Ya Na-jaaiz ?
➖=➖=➖=➖=➖=➖=➖=➖
J A W A A B- 07
=============
Tambaku {Tobacco} WaaLa Paan, Isse Zyadah Cigaratte Aur Isse Bhii Barh Kar Gutkha Insaanii Sehat {heaLth} Ke Leye Muzir {harmfuL} hei
Is Liye In Muzir {harmfuL} Cheezon Se Bachna Zaroorii hei, Aur Inka Khaana, Chabaana, Munh mei Rakhna Aur Peena Makrooh hei,
Kyun Ke RasooLe Akram SaLLaLLaahu ALayhi WasaLLam Ne Sehat {heaLth} Ke Liye Mazarrat Rasan {harmfuL} Cheezon Se Mana'a Farmaya hei,
Aur Ab In Cheezon Ka Sehat {heaLth} Ke Liye Nuqsaandeh hona Poori Tarah Saabit ho Chuka hei................Lihaza In Khatarnak {Dangerous} Cheezon Se Parhez Karna Behtar hei. WaLLaahu Subhanahu Wa Ta'aaLa AaLam.
�� Kitaab-uL-fatawaa-6/188.
⚪ ALLaah Ta'aaLa ham Sab kii Zaahirii Aur Baatini Tamam Beemariyon Se hifazat Farmaye, aamiin.
……………………………………
S A W A A L- 08
=============
Kya Ghair MusLim Ke Haath Ka Pakwaan {Cooked} IstimaL Karna Jaaiz hei Ya Na-jaaiz ?
➖=➖=➖=➖=➖=➖=➖=➖
J A W A A B- 08
=============
IsLaam mei Tamam Insaan Bhai Bhai hein, Aur Zaat Paat Kii Bunyaad Par Koi Tafreeq Nahie, MusLim Ke Haath Ka Pakwaan Khaana Jaaiz hei, Aur Ghair MusLim Ke Haath Ka Bhii,
RasooLuLLah SaLLaahu ALayhi WasaLLam Ne Khud Ghair MusLimon Ka Pakwaan Bhii TanawuL Farmaya hei.
�� Bukhaarii, hadeeth No.-2617.
Is Liye Kisii Insaan Ke Pakwaan Se Usko Haqeer Samajhte huye Gurez Karna Qat'an Jaaiz Nahie, Aur Ye IsLaami TaaLeemat Ke BiLkuL Mughaair {Against} hei.
�� KitabuL Fatawaa-6/189.
⚪ ALLaah Ta'aaLa ham Sab Kii Rizqe haram Se hifazat Farmaye, Aur Rizqe haLaaL haasiL Karne Ki Taufeeq Ataa Kare.
……………………………………
S A W A A L- 09
=============
Beedii, Cigaratte, Gutkha Aur Tobacco WaaLe Paan Waghaira Kii Dukaan Lagana Jaaiz hei Ya Na-Jaaiz?
➖=➖=➖=➖=➖=➖=➖=➖
J A W A A B- 09
=============
Khareedo Farokht {Buy & SeLL} Ke SiLsiLe mei UsooL Ye hei Ke Jo Cheez Jaaiz ho Uska Bechna Jaaiz hei, Jo Cheez haraam ho Uska Bechna haraam, Aur Jo Makrooh ho Uska Bechna bhi Makrooh hei, Phir Uske IstimaL mei Jis Darjah Ki Karaahat hogi, Farokht Karne mei bhi Us Darjah Ki Karaahat hogi,
Cigaratte, Beedii, Gutkha Aur Tobbeco WaaLa Paan Sehat {heaLth} Ke Liye Muzir hei, Is Liye Karaahat Se KhaaLi Nahie,
WaLLahu Ta'aaLa AaLam.
KitaabuL Fatawaa-5/201.
⚪ ALLaah Ta'aaLa ham Sab Ko Kasbe HaLaaL Naseeb Farmaye, aamiin.
……………………………………
S A W A A L- 10
=============
AeropLane mei Gosht {Meat} Aur Mashroobat {Drinks} Ke Baare mei Ye MaaLum Karna MushkiL hei Ke Ye haLaaL hei Ya haraam ?............Aisii Soorat mei Kya Karna Chahye ?
➖=➖=➖=➖=➖=➖=➖=➖
J A W A A B- 10
==============
Mashroobat Ke Baare mei haLaaL Aur haraam Ka MaLoom Karna Isqadar Dushwaar Nahie, Lekin Gosht {Meat} Ke Baare mei Dushwaarii ho Saktii hei, Aisii Soorat mei UsooL Ye hei Ke Agar Mu'atabar Khabar Dene WaaLa Koi Shakhs Maujood Na ho to Qareenah Se FaisaLa Kiya Jaaye..........Aur Qareena Ye hei Ke Agar Kisii MusLim MuLk Se AeropLane Kii Udaan ho to GhaaLib Gumaan Ye hei Ke Wo Gosht {Meat} Zabeehah Ka hoga, Aur Ghair MusLim MuLk Se AeropLane Uda ho to GhaaLib Gumaan Us Ke haraam hone Ka hei, Lihaaza Is Kii Raushnee mei FaisLa Kiya Jasakta hei,
Lekin BaharhaaL Ehtiyaat Is mei hei Ke AeropLane Aur Train mei Vegiterian Khane Ka Ehtimaam Kiya Jaaye, Aur Non Vegiterian Se Ijtinaab Kiya Jaaye.
WaLLahu Ta'aaLa AaLam.
�� KitaabuL Fatawaa-6/188.
⚪ ALLaah Ta'aaLa ham Sab Ki haraam khuree Se hifaazat farmaye, aamiin.
➖=➖=➖=➖=➖=➖=➖=➖
……………………………………
S A W A A L- 11
=============
IsLaam mei Tijaratii Cheezon Par Munafa Kii Miqdaar Aur had Kya hei ?
➖=➖=➖=➖=➖=➖=➖
J A W A A B- 11
=============
Sharee'at mei Munafa {Profit} Ki Koi had Muqarrar Nahie Kii Gayii hei, Aur Usko Fitree Utaar Charaao {Market VoLatiLity}Par Rakhkha Gaya hei,
ALbattah RasooLe Kareem SaLLaLLahu ALayhi WasaLam Ne Tijarat {Trade} Ke Ahkaam mei Is Baat Ko MaLhooz Rakhkha hei Ke TaLab Aur Rasad mei Tawaazun {BaLance}Qaaim Rahe, Taake Qeemat mei Bhii Tawaazun {BaLance} Baqee Rahe,
ALbattah Kisii Cheez Par Itna Zyadah Munafa {Profit} Lena, Jo Ghabane Faahish Ke Daaire {Under} mei Aata ho to Karaahat Se KhaaLii Nahie,
Ghabane Faahish Se Itna Munafa {Profit} Muraad hei Ke Jo Saaman Kii Qeemat Muqarrar Karne WaaLon Ke Daaira-e-Takhmeen Se Bhii Zayadah ho, Yaanii Ek Cheez Market mei 10 Se 15 Rs.mei MiLtee hei, Lekin Koi Shakhs 15 Rs. Se Bhii Zyadah WasooL KarLe to Ye Soorat Ghabane Faahish hei, Aur Isko Fuqahaa Ne Na-pasand Qarar Diya he.
�� KitaabuL Fatawaa-5/221.
⚪ ALLaah Ta'aaLa ham Sab Ko IsLaami UsooLon Par Tijarat Karne Kii Taufeeq Ataa Farmaye, aamiin.
➖=➖=➖=➖=➖=➖=➖
……………………………………
S A W A A L- 12
=============
Qur'aani Ayaat Aur Ahaadeese Nabwiyyah Ke AppLication InstaL Karne Ya pdf Kii Soorat mei DownLoad Karne Ya msg Ke Lihaaz Se Seve Karne Ke Baad Mitaane {DeLete} Ke MutaaLiq Shar'ee Etibaar Se Kya hukm hei ?
➖=➖=➖=➖=➖=➖=➖
J A W A A B- 12
=============
Qur'aani Ayaat Aur Ahaadeese Nabweeyyah Ke AppLication, pdf Books Aur Msg MobiLe Phone Aur Computers mei Save Karne Ke Baad DeLete Karne mei Koi Qabaahat Nahie,
Kyun Ke Jab Darodeewar Par Likhe huye Isme Baaree Ta'aaLa Ke Mitane {DeLete} Kii Ijaazat hei, Jismei Be-adabee Ka Shaaiba Bhii hei to MobiLe Phone mei Msg Waghairah Mitaane {DeLete} mei Kya haraj hei, Jismei Ye EhtimaaL Bhii Nahie,
Lihaaza Aise Msg, ApLication Aur pdf Books Mitaane {DeLete} mei Shar'an Koi Qabaahat Nahie, Is Liye BiLa Wajah Shukooko Shubhaat mei Pharne Se Ehtiraaz Karna Chaahye.
Chunanchay Durre Mukhtaar mei Mazkoor hei Ke Wo Kitaaben Jo Ghair Muntafea hein, Un mei Se ALLaah Ka, Farishton Aur RasuLon Ka Naam Mita Diya jaye.
WaLLahu Ta'aaLa AaLam.
�� By : DaruL Iftaa WaL-qazaa, Jamia Binoria.
⚪ ALLaah Ta'aaLa ham Sab Ko Ishaa'ate Deen Aur Seekhne Seekhane Ke Liye MobiLe Phone IstimaaL Karne Ke Taufeeq Ataa Farmaye,aamiin.
……………………………………
S A W A A L- 13
=============
MobiLe Phone mei Qur'aane Paak Kii TiLaawat Karna Ya Sunna Jaaiz hei ? Agar jaaiz hei to Be-wuzoo Parhna Durust hei ?
➖=➖=➖=➖=➖=➖=➖
J A W A A B- 13
=============
MobiLe Phone mei Qur'aane Paak Kii TiLaawat Karna Aur Sunna Donon Jaaiz hei, TiLaawat Karne Ki HaaLat mei Jab Ke MobiLe Phone Haath mei ho Aur UngaLyon Se Waraq {Pages} PaLat Raha ho to Ba-Wuzoo hona Zaroorii hei, ALbattah Audio FiLe Yaanii MP3 Sunne Ki Soorat mei Ba-wuzoo hona Zaroorii Nahie.
�� By : DaruL Iftaa WaL-qazaa. Jamia Binoroa.
⚪ ALLaah Ta'aaLa ham Sab Ko Zayada Se Zyada Qur'aane Paak Kii TiLaawat Kare Use Samajhne Aur Us Par AmaL Karne Ki Taufeeq Ataa Farmaye, aamiin.
……………………………………
S A W A A L- 14
==============
MobiLe Phone Ya TV Par Aayate Sajdah Sunne Se Sajdah Waajib hota hei ?
Neez TV Ya Radio Par Live Aayate Sajdah Sunne Kii Soorat mei Wujoobe Sajdah Ke MutaaLiq Shar'ee Kya hukm hei ?
➖=➖=➖=➖=➖=➖=➖
J A W A A B- 14
==============
TV Par Jo TiLaawate Qur'aan Nashra {Broadcast} Kii Jaatii he, Aam Taur Se Us Ko PehLe Se Record Kar Liya Jaata hei, Us Ke Baad Use TV Par Nashra {Broadcast} Kiya Jaata hei, Aisii Soorat mei Sunne WaaLe Par Sajda-e- tiLaawat Waajib Nahie hoga, Aur Yahii hukm MobiLe Phone Par Sunne Ka Bhii hei,
Lekin Agar Radio Ya TV Se Live TeLecast Ki Soorat mei Aayate Sajdah Sunne Par Sajda-e-tiLaawat Waajib hoga,
WaLLaahu Ta'aaLa AaLam.
�� AhsanuL Fatawaa-4/65.
⚪ ALLaah Ta'aaLa hamare Liye Qur'aan Ke Ahkamo MasaaiL Par ChaLna Aasan Farmaye, aamiin

Asslamu Alykum Warehmatullahi Wabarkatuhu
ReplyDeleteHazrat,
Mere Mamu jinka zehan kafi kamzor hogaya tha woh ghar se kahi chale gaye hen or unhe gharse jakar 1 saal ka arsa hogaya he kahi kuch pata nahi chalrha he.
kahan hen kis haal me he koi khabar nahi.
Baraye meharbani koi wazifa ya dua ayesi batayen jisse woh ghar aajayen.
JAZAKALLAH
Kya Jaadu jayaz hai ?
ReplyDeleteNo jayaz nahi
DeleteNo jayaz nahi
Delete