BISMIHI TA’AALA
ASRE – HAZR
( Hadeese Nabvi Sallallahu Alayhivasallam Ke Aaine Me)
PART- 01
1- Halakat Ka Khatra Kab?
Ummul Momineen Hazrat Zenab bint Zahash Rd se Rivayat he k Aap Sallallahu Alayhivasallam se daryaft kiya gaya,
” Ya Rasulullah S.A.!, kya hum esi haalat me bhi halaak ho sakte hai’n jabki hamare darmiyan nek log mavjood honge?
Farmaya, ” Haa’n ! Jab Gunaho’n ki Gandgi zyada ho jaegi, ”
Sahi Bukhari,, 2/1046
Sahi Muslim,, 2/388
, ontinue in sha Allah
•─━━━━━══════━━━━━─•
BISMIHI TA’AALA
ASRE – HAZIR

PART- 02
2- Makro Fareb ka Daur aur Na-ahlo ki Numa’indgi
Logo’n per Bahut Saal ese aaenge Jinme dhokha hi dokha hoga, us waqt Jhoote ko Sachcha samjha jaega aur Sachche ko Jhoota, Bad- diyanat ko Amanatdar tasavvur kiya jaega aur Amanatdar ko Bad-diyanat, Gire pade Na-ahal log Qaum ki taraf se numa’indgi karenge,
Arz kiya gaya,” Gire pade Na-ahal log se kya muraad he?
Farmaya, ” Wo Na-ahal aur Be-qeemat Aadmi Jo Jamhoor ke Aham Mamlaat me Raayzani kare’n,
( Abu Haraira Rd se rivayat)
Kanzul Amaal,, 14/216
Ibne maaja,, 292
, 03ontinue in sha Allah

PART- 03
– 3, Qaario’n ki Bohtaat
“Meri Ummat per ek zamana aaega jisme Qaari bahut honge, magar Faqeeh kam, ilm ka qahat ho jaega aur Fitna v Fasaad ki Kasrat, Fir uske baad ek aur zamana aaega jisme meri Ummat ke ese log bhi Quran padenge jinke Halaq se niche Quran nahi utrega ( Dil Quran ke Faham aur Aqeedat v Ahatram se Khali honge) Fir uske baad ek aur zamana aaega jisme Allah ta’ala ke saath Shareek thehrane wala Momin se daava e toheed me Hujjat baazi karega, ”
( Hazrat Abu Haraira Rd se rivayat)
Kanzul Amaal,, 14/217
, 04ontinue in sha Allah

PART- 04
4- Badkaari Aqalmandi Ka Nishan
Logo’n per ek Zamana aa’ega jisme Aadmi ko majboor kiya jaa’ega k ya to Ahmak ( Mulla) Kehlaye ya Badkaari ko Akhtyar kare, Pas Jo shakhs ye Zamana paye use chahiye k Badkaari akhtyar karne ke bajaay Nakku ( Ahmak) kehlane ko pasand kare,
( Hazrat Abu Haraira Rd se rivayat)
Kanzul Amaal,, 14/ 218
, 05ontinue in sha Allah

PART- 5
5- Insaniyat Ki Talchhat
Tumhe is tarah chhant diya ja’ega jis tarah achchhi khajure’n raddi khajuro’n se chhant li jati hai’n, Chunache Tumhare achchhe log uthte ja’enge aur Bad-tareen log baqi reh ja’enge, Us waqt ( gam se ghutkar) tumse mara ja sakta he to mar jana,
Hazrat Abu Haraira Rd se Rivayat,
Ibne maaja, 292

PART- 06
6- Mardo’n aur Aurto’n ki Awaargi
Kaash me jaan leta k mere baad meri ummat ka kya haal hoga ( aur unko kya kuchh dekhna padega),Jab unke Mard akadkar chala karenge aur unki Aurte’n ( sare bazaar) itraati firengi aur kaash me jaan leta, jab meri ummat ki do kisme ho ja’engi, ek kism to wo hogi to Allah ta’ala ke raaste me seena sipar honge, aur ek kism wo hogi Jo Gairullah hi ke liye sab kuchh karenge,
Kanzul Amaal,, 14/219
, 07ontinue in sha Allah

PART- 07
7- Qurbe Qayamat aur Ro’iyate hilaal
Qurbe Qayamat ki ek nishani ye he k chaand pehle hi dekh liya ja’ega aur pehli tareekh ke chaand ko kaha ja’ega k ye doosri tareekh ka he aur Masjido’n ko guzargah bana liya ja’ega aur nagahani maut aam ho ja’egi,
Hazrat Anas Rd se Rivayat,
Kanzul Amaal,, 14/217
, 08ontinue in sha Allah

PART- 08
8- Qayamat Ki Khaas Nishaniya’n
Qayamat ki Khaas Alamaat me se he – Badkaari, Badzubani, Qatarehmi ( ka aam ho jana), Amanatdar ko Khayanatkar,aur Khaa’in ko Amanatdar qaraar dena,
Hazrat Anas Rd se Rivayat,
Kanzul Amaal,, 14/220
, 09ontinue in sha Allah
•─━━━━━══════━━━━━─•
BISMIHI TA’AALA
ASRE – HAJIR

PART- 09
9- Kiraaye ke Gawah aur Paiso ke Halaf
Logo per esa zamana bhi aa’ega k Sachcho’n ko Jhoota aur Jhooto’n ko Sachcha kaha ja’ega, aur Khayanat Pesha logo’n ko Amanatdar aur Amanatdar logo’n ko Khayanat Pesha batlaya ja’ega,
Bager Talab ke log gawahiya’n denge aur bager halaf uthwae halaf utha’enge aur Kamine baap daada ki Aulad Duniyavi etbaar se sabse zyada khush naseeb ban ja’engi Jinka na Allah per imaan hoga na Rasool per,
Majmu-al-zawa’id,, 7/283
Jaame’a Sageer,, 5/345

PART- 10
10- Deen ke Liye Mushkilaat Ka Pesh aana
Logo’n per ek Zamana aa’ega Jisme apne Deen per Sabit Qadam rehne wale ki Misaal esi hogi jese koi Shakhs Aag ke Angaro se Mutthi bhar le,
Hazrat Anas Rd se Rivayat,
Tirmizi,, 2/50
, 11ontinue in sha Allah

PART- 11
11-Nek logo’n se Mehrumi ka Nuqsaan
Nek log ek ke baad ek Rukhsat hote ja’enge jese chhatai ke baad raddi joa ya khajure’n baki reh jati hai’n, ese Nakaara log reh ja’enge k Allah ta’ala unki koi parvaa nahi karega,
Sahi Bukhari,, 2/952
, 12ontinue in sha Allah

PART- 12
12- Jaahil Aabid aur Fasiq Qari
Aakhri zamane me be-ilm ibadatguzar aur be-amal Qari honge,
Kanzul Amaal,, 14/ 222
, 13ontinue in sha Allah

PART- 13
13- Masajid per Fakhr
Qayamat qaa’im na hogi yaha’n tak k log Masjido’n me ( bethkar ya Masajid ke bare me) fakhr karne lagenge,
Ibne maaja,,, 54
, 14ontinue in sha Allah

PART- 14
14- Do Jahannami Giroh
Hazrat Abu Haraira Radiyallahu Anhu Huzur Akram Sallallahu Alaihivasallam ka irshad naqal karte hai’n k,
” Do Jahannami giroh ese hai’n jinko mene nahi dekha ( baad me paida honge)
Ek woh giroh jinke haatho me bell ki dum jese kode honge wo in kodo ke saath logo’n ko ( nahaq) maarenge,
Doosre wo Aurte’n Jo ( kehne ko to) libaas pehne hongi lekin ( chunki libaas bahut bareek ya satar ke liye nakaafi hoga, isliye woh dar haqeeqat barhana hongi, logo’n ko apne jism ki numa’ish aur libaas ki zeba’ish se apni taraf maa’il karengi aur khud bhi Mardo’n se ikhtlaat ki taraf maa’il hongi, unke sar ( feshan ki vajah se) bakhti ount ke kohaan jese honge, ye Aurte’n na to jannat hi me dakhil hongi, na jannat ki khushbu hi inko naseeb hogi, halanki jannat ki khushbu door door se aa rahi hogi, ”
Sahi Muslim,, 2/205
,15 ontinue in sha Allah

PART- 15
15- Aalam-e-islaam ki Past- Haali aur Uske Asbaab
Hazrat Sauban Raziyallahu Anhu se Rivayat he k Rasoolullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” wo waqt qareeb aata he jabki tamaam kaafir qaume tumhe mitane ke liye ( milkar )sazishe karengi aur ek doosre ko is tarah bula’engi jese dastarkhwan per khana khane wale (lazeez ) khane ki taraf ek doosre ko bulate hai’n, ”
Kisi ne arz kiya, ” Ya Rasoolullah ! Kya hamari qillate tadaad ki vajah se hamara ye haal hoga,”
Farmaya, -” Nahi, balki tum us waqt tadaad me bahut honge, albatta tum sailaab ke jhaag ki tarah nakaara honge, yaqeenan Allah ta’ala tumhare dushmano ke dilo se tumhara raub aur dabdaba nikaal dega aur tumhare dilo me buzdili daal dega, ”
Kisi ne arz kiya,” Ya Rasoolullah ! Buzdili se kya muraad he?”
Farmaya, -” Duniya ki muhabbat aur maut se nafrat, ”
Abu Dauod,, 590
, 16ontinue in sha Allah

PART- 16
16- Na- Khalf aur Na-layaq Ummati
Hazrat ibne Masoud Raziyallahu Anhu farmate hai’n, Rasoolullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Mujhse pehle jis Nabi ko bhi Allah ta’ala ne uski ummat me mab’ous farmaya, uski ummat me kuchh mukhlis aur kuchh khaas rufqaa zaroor hue Jo uske hukm ki pervi karte, fir unke baad ese na-khalf paida hote Jo kehte kuchh aur karte kuchh aur, Jo kuchh unko hukm diya gaya tha uske khilaf amal karte ( isi tarah is ummat me bhi ese na-khalf paida honge Jo islaam ka naam to lenge lekin unka amal uske khilaf hoga ) pas Jo shakhs ( ba sharte qudrat) haath se unke khilaf Jihaad karega wo momin he aur Jo zuban se unke khilaf Jihaad karega wo bhi momin he aur Jo unke khilaf dil se Jihaad karega ( k unki bad amaalio’n ko kam se kam dil se hi bura samjhe) wo bhi momin he, aur iske baad to raa’i ke daane ke barabar bhi imaan nahi rehta, ”
Sahi Muslim,, 1/52
, 17ontinue in sha Allah

PART- 17
17- Dajjali Fitna aur Naye Naye Nazariyaat
Hazrat Abu Haraira Radiyallahu Anhu se marvi he k Nabi Akram Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Akhri zamane me bahut se jhoote Makkar log honge Jo tumhare saamne ( islaam ke naam se) naye naye Nazariyaat aur nayi nayi baate pesh karenge Jo na kabhi tumne suni hogi aur na tumhare baap daada ne, unse bachna ! unse bachna! Kahi we tumhe gumraah na kar de aur fitne me na daal de,’
Sahi Muslim,, 1/10
, 18ontinue in sha Allah

PART- 18
18- Ulma e Su ka Fitna
Hazrat Ali Karamullahu Vajhu farmate hai’n k Rasoolullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
” Anqareeb ek Zamana aata he jisme islaam ka sirf naam baqi reh ja’ega aur Quran ke sirf alfaz baqi reh ja’enge, unki masjide badi ba-ronaq hongi magar rushd v hidayat se khali aur viraan, unke (naam nihaad) ulema asmaan ki nili chhat ke niche basne wali tamaam makhlooq se badtar honge, Fitna unke yaha’n se niklega aur unhi me lautega ( yani wohi fitno’n ke baani bhi honge aur wohi markaz v mahoor bhi),
Mishkaat Sharif,, 38
, 19ontinue in sha Allah

PART- 19
19- Ahle Haq ka Gair Munqat’a Silsila
Haztat Muaviyah Raziyallahu Anhu farmate hai’n k mene Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam se suna he k Aap Sallallahu Alaihivasallam farmate the k,
” Meri ummat me ek Jama’at hamesha Allah ta’ala ke hukm per qaa’im rahegi, unhe koi nuqsaan nahi pahuncha sakega, na unki madad se daste-kash hone wale, na unki mukhalfat karne wale, Yaha’n tak k Allah ta’ala ka vaada ( qayamat) aa jaa’ega aur wo himayate haq per qaa’im honge, ”
Mishkaat Sharif,, 583
, 20ontinue in sha Allah

PART- 20
20- Ahle Haq aur Ulema e Su ke Darmiyan Faasla
Hazrat Anas Raziyallahu Anhu Huzur Sallallahu Alaihivasallam se Rivayat karte hai’n k, Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
” Ulema ikraam Allah ke Bando per Rasulo’n ke ameen aur hifazate Deen ke zimmedar hai’n, basharte k woh iqtedaar se ghul mil jae’n aur dini taqazo’n ko pashe pusht daalte hue duniya me na ghus pade,
Lekin jab woh hukmraan se shero shakar ho gaye aur duniya me ghus gaye to unhone ( ulemao’n ne) Rasulo’n se Khayanat ki,
fir unse bacho aur unse alag raho, ”
Kanzul Amaal,,, 10/ 204
, 21,ontinue in sha Allah

PART- 21
21-Aur Zamana Budha ho Ja’ega
Hazrat Abu Musa Raziyallahu Anhu Huzur Sallallahu Alaihivasallam ka irshad naqal karte hai’n k,
” Qayamat qaa’im na hogi yaha’n tak k Allah ki kitaab ( per amal karne) ko aar thehraya ja’ega aur islaam ajnabi ho ja’ega yaha’n tak k logo’n ke darmiyan keena parvari aam ho ja’egi aur yaha’n tak k ilm utha liya ja’ega aur zamana budha ho ja’ega, insaan ki umar kam ho ja’egi, maah v saal aur galla v samraat me ( be barkati aur) kami runuma hogi, naqabile aitmaad logo’n ko ameen aur amanatdaar logo’n ko naqabile aitmaad samjha ja’ega, fasaad aur qatl aam hoga aur yaha’n tak k ounchi ounchi imaarto per fakhr kiya ja’ega aur yaha’n tak k saahibe aulaad aurte’n gamzada hongi aur be-aulaad khush hongi, aur zulm, hasad, lalach ka daur hoga, log halaak honge, jhoot ki bohtaat hogi aur sachchai kam, yaha’n tak k logo’n ke darmiyan baat baat me naza aur ikhtilaf hoga, khwahishat ki pervi ki ja’egi, atkal, pechida faisle honge, Barish ki kasrat ke bavjood galle aur fal kam honge, ilm ke sote khushk hote ja’enge aur jahalat ka sailab uth ja’ega, aulaad gam v gusse ka mojib hogi aur mosame sard me garmi hogi aur yaha’n tak k badkaari elaaniya hone lagegi, zameen ki tanabe kheench di ja’engi, khateeb aur muqarrar jhoot bakenge, hatta k mera haq ( mansabe tashri’a) meri ummat ke badtareen logo’n ke liye tajveez karenge, pas jisne inki tasdeeq ki aur unki tehqeeqat per raazi hua use jannat ki khushbu bhi naseeb nahi hogi, ”
Kanzul Amaal,, 14/ 245
, 22ontinue in sha Allah

PART- 22
22- Duniya ke Liye Deen Faroshi
Hazrat Abu Haraira Raziyallahu Anhu se Rivayat he k Rasoolullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
” in tareek fitno ki aamad se pehle pehle nek Amaal kar lo Jo andheri raat ki tai ba tai tareekiyo ke misl honge, Aadmi subeh ko momin hoga aur Shaam ko kaafir, ya Shaam ko momin hoga aur Subeh ko kaafir, Duniya ke chand Tako ke badle apna Deen bechta firega, ”
Sahi Muslim,, 1/75
, 23ontinue in sha Allah

PART- 23
1
Hazrat Abu Haraira Raziyallahu Anhu se Rivayat he k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam bayaan farma rahe the, achanak ek Araabi aaya aur arz kiya, ( Ya Rasoolullah) Qayamat kab hogi?
Farnaya, -Jab amanat uth ja’egi,
Araabi ne kaha, – amanat uth jane ki soorat kya hogi?
Farmaya, – Jab akhtyaraat na-ahlo ke supurd ho ja’enge to Qayamat ka intezar Karo, ”
Sahi Bukhari,,, 1/14
, 24ontinue in sha Allah ta'aala

PART- 24
24-Hamjins Parasti ka Rujhaan
Hazrat Anas Raziyallahu Anhu Aap Sallallahu Alaihivasallam ka irshad naqal karte hai’n, k
” Jab meri ummat 5 cheezo ko halaal Samajhne lagegi to un per tabahi nazil hogi,
Jab unme bahami laan taan aam ho jaye,
Mard reshmi libaas pehne lage,
Gaane bajaane aur naachne wali aurate’n rakhne lage,
Sharabe peene lage,
Aur mard mardo’n se aur Aurte’n aurto’n se jins taskeen per kifayat karne lage,
Kanzul Amaal,, 14/226
, 25ontinue in sha Allah

PART- 25
25- Naach Gaane ki Mehfile, Bandaro aur Khinziro ka Majma
Hazrat Anas Raziyallahu Anhu Aap Sallallahu Alaihivasallam se Rivayat karte hai’n k Akhri zamane me meri ummat ke kuchh log bandar aur khinzeer ki shakal me masakh ho ja’enge,
Sahaba ikram Rd ne arz kiya, Ya Rasoolullah! Kya wo toheed v risalat ka iqraar karte honge?
Farmaya, Haa’n, wo (baraye naam ) namaz, roza aur hajj bhi karenge,
Sahaba ikram Rd ne arz kiya, Ya Rasoolullah! Fir unka ye haal kyu hoga,
Farmaya, wo alaate mosiqi, raqasa aurto’n aur tabla aur Sarangi vagera ke rasiya honge aur sharabe piya karenge, ( bilakhir) wo raat bhar masrufe lahu v la’ab rahenge aur subeh hogi to bandar aur khinzeero ki shakal me mashkh ho chuke honge,
Fatahul Baari,, 10/94
, 26ontinue in sha Allah

PART- 26
26- Haraam cheezo me Khana saaz Taveele’n
Hazrat Huzaifa Raziyallahu Anhu Huzur Sallallahu Alaihivasallam se Rivayat karte hai’n k,
” Jab ye ummat Sharaab ko mashrub ke naam se, Sood ko munafe ke naam se aur Rishwat ko tohfe ke naam se halaal karegi aur maale zakaat se tijarat karne lagegi to ye unki halakat ka waqt hoga gunaho me zyadti aur tarakki ke sabab, ”
Kanzul Amaal,, 14/226
, 27ontinue in sha Allah

PART- 27
27- Badkaari aur Be hayai ka Naam Shaqafat aur Funune Lateefa
Abdurrahman bin Ganam Ash’ari Raziyallahu Anhu farmate hai’n k mujhse Abu Aamir ya Abu Malik Ash’ari Raziyallahu anhu ne bayan kiya, bakhuda unhone galat bayani nahi ki, k unhone Huzur Sallallahu Alaihivasallam ko ye Farmate hue suna k,
” Yaqeenan meri ummat k kuchh log ese bhi honge Jo Zina, Resham, Sharaab aur Alaate mosiqi ko ( khushnuma tabeero se) halaal kar lenge, waha’n unke maveshi char kar aaya karenge, unke paas koi haajatmand apni zarurat lekar aa’ega wo ( azrahe hiqarat) kahenge ” kal aana, ”
Pas Allah ta’ala un per raato raat azaab nazil karega aur pahaad ko un per gira dega aur doosre logo’n ko ( Jo haraam cheezo me khushnuma taveele karenge) Qayamat tak ke liye Bandar aur khinzeer bana dega, ”
Sahi Bukhari,,, 2/83
, 28ontinue in sha Allah

PART- 28
28- Behayai ka Anjaam
Hazrat ibne Umar Raziyallahu Anhu se Rivayat he k Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Allah jab kisi bande ki halakat Ka faisla farmate hai’n to ( sabse pehle) usse sharm v hayaa chheen lete hai’n aur jab usse hayaa jati rahi to tum ( uski behayai ki vajah se) use shadeed mabgooz aur qabile nafrat paoge aur jab unki ye haalat ho jaye to usse amanat ( bhi) chheen li jati he aur jab usse amanat chhin jaye to tum ( uski baddiyanti ki vajah se) use nira kha’in aur dhokhebaz paoge aur jab uski haalat yaha tak pahunch jaye to usse rehmat bhi chheen li jati he aur jab rehmat chhin jaye to tum use ( be rehami ki vajah se) mardood v mal’oun paoge aur jab wo is maqaam per pahunch jaye to usse islaam ka patta nikaal liya jata he ( aur use islaam se aar aane lagti he), ”
IBNE MAAJA,, 294
29, ontinue in sha Allah

PART- 29
29- Ikhtilaaf v Intshaar
Hazrat Abdullah ibne Masoud Raziyallahu Anhu se marvi he k Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
” Beshak is ummat ka Avval hissa behatreen logo’n ka he aur pichhla hissa badtareen logo’n ka hoga, jinke darmiyan bahami ikhtilaf v intshaar kaar farma hoga, pas Jo shakhs Allah ta’ala per aur akhirat ke din per imaan rakhta ho uski maut is haalat per aani chahiye k wo logo’n se wahi sulook karta ho jise wo apne liye pasand karta he,”
Kanzul Amaal,, 14/223

PART- 30
30- Teen Jurm aur Teen Sazae’n
Hazrat Abu Haraira Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he k,
” Jab meri ummat duniya ko badi cheez samajhne lagegi to islaam ki haibat v waq’at uske quloob se nikal ja’egi aur jab amr bil ma’aruf aur nahi anil munkar chhod bethegi to vahi ki barakaat se mehroom ho ja’egi, aur jab aapas me gaali galoch akhtyar karegi to Allah Jalshanh ki nigaah se gir ja’egi, ”
Durre Mansoor,, 2/302
,31 ontinue in sha Allah

PART- 31
31- Esi Zindgi se Maut Behtar
Hazrat Abu Haraira Raziyallahu anhu se Rivayat he k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jab tumhare Haakim nek aur pasandida ho’n, tumhare maaldar kushada dil aur sakhi ho’n, aur tumhare maamlaat bahami ( khair khwahana) mashvare se Tai ho’n to tumhare liye zameen ki pusht uske pet se behtar he, ( yani marne se jeena behtar he),
Aur jab tumhare Haakim shareer ho’n, tumhare maaldar bakheel ho’n aur tumhare maamlaat Aurto’n ke supurd ho’n ( k begamaat Jo faisla kare wafadaar nokar ki tarah tum usko nafiz karne lago) to tumhare liye zameen ka pet uski pusht se behtar he ( yani esi zindgi se Mar Jana behtar he,),
Jaam’a Tirmizi,, 2/51
, 32ontinue in sha Allah

PART- 32
32- Halaal aur Haraam ki Tameez uth jane ka Daur
Hazrat Abu Haraira Raziyallahu anhu Huzur Sallallahu ka irshad naqal karte hai’n, k
” logo’n per ek Zamana esa aa’ega jisme aadmi ko ( khudraai aur hirs ki bina per) ye parwah nahi hogi k Jo kuchh wo leta he aaya ye halaal he ya haraam, ”
Sahi Bukhari,, 1/276
, 33ontinue in sha Allah

PART- 33
33- Soodkhori ke Sailab ka Daur
Hazrat Abu Haraira Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Rasoolullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
” Yaqeenan logo’n per esa daur bhi aa’ega jabki koi shakhs bhi sood se mehfooz nahi rahega, chunache agar kisi ne barahe raast sood na bhi khaya tab bhi sood ka bukhar ya gubaar( yani asar) to use bahar surat pahunch kar hi rahega ( go is surat me barahe raast sood khori ka mujrim na ho lekin pakeeza maal ki barkat se mehroom raha),”
Mishkaat Sharif,, 245
, 34ontinue in sha Allah

PART- 34
34- Arbabe iqtdaar ki Galat rosh ke Khilaf Jihaad ke 3 Darje
Hazrat Umar Raziyallahu Anhu farmate hai’n, Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
” Akhri zamane me meri ummat ko arbabe iqtdaar ki Janib se ( deen ke maamle me) bahut si dushwariya pesh aa’engi, un( ke bavaal) se sirf 3 qism ke log mehfooz rahenge,
Avval – wo shakhs jisne Allah ke deen ko theek theek pahunchaya, fir uski khatir dil, zubaan aur haath ( teeno ) se jihaad kiya ye shakhs to ( apni teeno) pesh qadmiyo ki vajah se sabse aage nikal gaya,
Dom- wo shakhs jisne Allah ke deen ko pahunchaya fir ( zubaan se) uski tasdeeq bhi ki ( yani barmala elaan kiya)
Som- wo shakhs jisne Allah ke deen ko pahunchaya to sahi magar khamosh raha, kisi ko amale khair karte dekha to usse muhabbat ki aur kisi ko batil per amal karte dekha to usse dil me bugz rakha, pas ye shakhs apni muhabbat v adawat ko poshida rakhne ke bavjood bhi nijaat ka mustahiq hoga,
Mishkaat Sharif,, 438
, 35,ontinue in sha Allah

PART- 35
34 – Duae Qubool na hone ka Daur
Hazrat Huzefa Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
” Us zaat ki qasam jiske qabze me meri jaan he, tumhe neki ka hukm karna hoga aur burai se rokna hoga varna kuchh ba’ied nahi k Allah ta’aala tum per koi azaab nazil farmae fir tum Allah se us azaab ke talne ki duae karoge to qubool na hogi, ”
Jama’a Tirmizi,, 2/39
, 36ontinue in sha Allah

PART- 36
36- Jahirdari aur Chaplusi ka Daur
Hazrat Mu’aaz bin Jabal Raziyallahu Anhu Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka irshad girami naqal karte hai’n k,
” Akhri zamane me esi qaume’n hongi Jo ouper se khair sugali ka muzahira karengi aur andar se ek doosre ki dushman hongi, ”
Arz kiya gaya,” ya Rasulullah! Esa kyo hoga? ”
Farmaya -” ek doosre se ( shadeed nafrat rakhne ke bavjood sirf) khof aur lalach ki vajah se ( bazahir dosti ka muzahira karenge ),”
Mishkaat Sharif,,, 435
, 37ontinue in sha Allah

PART- 37
37- Maali Fitno ka Daur
Hazrat Ka’ab bin Ayaaz Raziyallahu Anhu farmate hai’n k mene Rasule Aqdas Sallallahu Alaihivasallam se suna he k har ummat ke liye ek fitna he aur meri ummat ka khaas fitna maal he, ”
Mishkaat Sharif,, 443
Jama’a Tirmizi,, 2/57
, 38ontinue in sha Allah

PART- 38
38- Aurat aur Tijarat
Hazrat ibne Masoud Raziyallahu Anhu Huzur Aqdas Sallallahu Alaihivasallam se rivayat karte hai’n k,
“Qayamat se pehle khaas khaas logo ko salaam kehna, tizarat ka yaha’n tak fel Jana k aurte’n mardo ke saath tizarat me shareek aur madadgar hongi, Rishtedaro se qata’a tallauqi, qalam ka toofan barpa hona, jhooti gawahi ka aam hona aur sachchi gawahi ko chhipana, ”
Durre Mansoor,, 6/55
, 39ontinue in sha Allah

PART- 39
39- Buland bala imaarto’n ka Daur
Hazrat ibne Masoud Raziyallahu Anhu farmate hai’n k mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se khud suna he k,
“Qayamat ki nishaniyo me se ye bhi he k Aadmi masjid se guzar ja’ega magar do raka’at namaz nahi padega aur ye k Aadmi sirf apni jaan pehchan ke logo ko salaam kahega aur ye k ek mamooli bachcha bhi bude aadmi ko mahaz uski tangdasti ki vajah se latadega aur ye k Jo log kabhi nange bhookhe bakriya’n charaya karte the wahi ounchi ounchi imaarto’n me deenge maarenge, ”
DURRE MANSOOR,,, 2/55
, 40ontinue in sha Allah

PART- 40
40- Ummat ke Zawaal ki Alamate
Hazrat Mu’aaz bin Anas Raziyallahu Anhu Rasule Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ka irshad naqal karte hai’n k,
” Ye ummat shari’at per qaa’im rahegi jab tak unme 3 cheeje Zahir na ho,
Jab tak k inme ilm ( aur ulema) ko na utha liya jaye,
aur inme na-jaa’iz aulaad ki kasrat na ho jaye,
Aur laanat baaz log paida na ho jaye,
Sahaba Raziyallahu Anhum ne arz kiya, ” laanat baazo se kya muraad he,?
Farmaya, – ” Akhir zamane me ese log honge Jo mulaqaat ke waqt salaam ke bajaye laanat aur gaali galoch ka tabaadla karenge”
DURRE MANSOOR,, 6/55
, 41ontinue in sha Allah

PART- 41
41- Arab ki Tabahi
Hazrat Talha bin Maalik Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
Qurbe qayamat ki ek alaamat Arab ki Tabahi bhi he,”
Durre Mansoor,,, 6/55
, 42ontinue in sha Allah

PART- 42
42- Akhri zamane ka Sabse bada Fitna
Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ka irshad naqal karte hai’n k,
” is ummat me khaas no’iyat ke 4 fitne honge unme akhri aur sabse bada fitna Raag v Rang aur Gaana Bajana hoga, ”
Durre Mansoor,,, 6/56
, 43ontinue in sha Allah

PART- 43
43- Husne Qiraat ke Muqable Ka Fitna
Hazrat Huzefa Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Huzur Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
” Tum Quran ko Arab ke lab v lahja aur awaaz me pada Karo, behuda nagmo ki tarah padne aur yahood v nasaara ki tarze qiraat se bacho, mere baad kuchh log aa’enge Jo Quran ko mosiqi aur noha ki tarah gaa gaa kar pada karenge ( Quran unki zuban hi zuban per hoga) halq se bhi niche nahi utrega, unke dil bhi fitna me mubtla honge aur logo’n ke dil bhi jinko inki nagma aara’i pasand aa’egi, ”
Mishkaat Sharif,, 191
, 44ontinue in sha Allah

PART- 44
44- Azaabe ilaahi ke Asbaab
Hazrat Imraan bin Hasain Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
” is ummat me zameen me dhansne, shaqle bigadne aur aasman se patthar barasne ka azaab naazil hoga, ”
Kisi Sahabi ne arz kiya,” Ya Rasulullah ! Esa kab hoga?
Farmaya, ” Jab gaane wale aur naachne wali Aurate’n aur gaane bajane ka samaan zahir ho ja’ega aur sharabe uda’i ja’engi, ”
Tirmizi Sharif,, 2/44
, 45ontinue in sha Allah

PART- 45
45- Fitna aur Fasaad ka Daur
Hazrat Abu Musa Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
” Tumhare baad esa daur hoga jisme ilm utha liya ja’ega aur Fitna v Fasaad aam hoga, ”
Sahaba ne arz kiya,” Ya Rasulullah ! Fitna v Fasaad se kya muraad he?
Farmaya – Qatl, ”
Tirmizi Sharif,, 2/43
, 46ontinue in sha Allah

PART- 46
46- Fitne ke Daur me Ibadat ka Ajr v Sawab
Hazrat Ma’aqal bin Yasaar Raziyallahu Anhu Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ka irshad naqal karte hai’n k,
” Fitna v Fasaad ke zamane me ibadat karna esa he jese meri taraf hijrat karke aana, ”
Sahi Muslim, 2/405
Tirmizi Sharif, 2/43
Musnad Ahmed, 5/20
, 47ontinue in sha Allah

PART- 47
47- Khair se Behrah logo ki Bheed
Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Huzur Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
” Qayamat qaa’im nahi hogi yaha’n tak k Allah ta’aala apne maqbool bando ko zameen walo se chheen lega fir zameen per khair se behrah log reh ja’enge Jo na kisi neki ko neki samjhenge na kisi burai ko burai, ”
Durre Mansoor,, 6/55
, 48ontinue in sha Allah

PART- 48
48- Taraqqi Pasandana Thaat Baat
Hazrat ibne Umar Raziyallahu Anhu Aap Sallallahu Alaihivasallam ka irshad naqal karte hai’n k,
” is ummat ke aakhir me ese log honge Jo thaat se zeen posho per beth kar masjido ke darwazo tak pahuncha karenge, inki begamaat libaas pehanne ke bavjood barhana hongi, inke saro per laagar bakhti ount ke kohaan ki tarah baal honge, un per laanat Karo kyuki wo maloun hai’n,
agar tumhare baad koi aur ummat hoti to tum unki gulami karte jis tarah pehli ummato ki aurte’n tumhari londiya’n bani,
Durre Mansoor,, 6/55
, 49ontinue in sha Allah

PART- 49
49- Khuda ki Laanat v Gazab me Subeh Shaam
Hazrat Abu Haraira Raziyallahu Anhu farmate hai’n k mene Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam se suna he k,
” Agar tumhari zindgi taveel hui to ba’ied nahi k tum ese logo ko dekho jinki subeh v shaam Allah ke gazab v laanat me basar hogi, unke haath me bel ki dum jese kode honge ”
Durre Mansoor,,, 6/55
, 50ontinue in sha Allah

PART- 50
50- Halaat me Din ba Din Shiddat
Hazrat Abu Umama Raziyallahu Anhu farmate hai’n k mene Rasulullah Sallahu Alaihivasallam se suna he k,
“halaat me din ba din shiddat paida hoti ja’egi, maal me barabar izafa hota ja’ega aur qayamat sirf badtareen logo per qaa’im hogi ( nek log ek ke baad ek utha liye ja’enge)
Durre Mansoor,,, 6/55
, 51ontinue in sha Allah

PART- 51
51- Kya Esa bhi Hoga?
Musa bin Abi isa Madni Rehmatullah se rivayat he k Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
” Us waqt tumhara kya hoga jab tumhare jawaan bakaar ho ja’enge aur tumhari ladkiya’n aur aurte’n tamaam hudood falaang ja’engi,
Sahaba Raz.ne arz kiya,” Ya Rasulullah ! Kya esa bhi hoga,?
Farmaya – Haa’n, aur isse bhi badkar us waqt tumhara kya haal hoga jab na tum bhalai ka hukm karoge na burai se mana karoge,
Sahaba Raz.ne arz kiya- Ya Rasulullah ! Kya esa bhi hoga?
Farmaya – Haa’n aur isse bhi badtar us waqt tum per kya guzregi jab tum burai ko bhalai aur bhalai ko burai samajhne lago,
Kitabul Raqa’iq laa bin Mubarak,,, 484
, 52ontinue in sha Allah

PART- 52
52- Aurto’n ki Farmabardari
Hazrat Abu Haraira Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Jab maal ganimat ko daulat, Amanat ko ganimat aur zakaat ko tawaan samjha jaa’ega, Duniya kamane ke liye ilm hasil kiya jaye, Mard apni Bivi ki farmabardari kare aur apni maa’n ki nafarmani, apne dost ko qareeb kare aur apne Baap ko door aur Masjido me awaaze buland hone lage, Qabile ka badkaar unka Sardaar ban bethe aur zaleel aadmi qaum ka qaa’id ( chodhri) ban jaye, Aadmi ki izzat mahaj uske zulm se bachne ke liye ki jaye, Gaane wali aaurte’n aur gaane bajane ka samaan aam ho jaye, Sharabe pi jane lage aur pichhle log pehlo ko laan taan se yaad kare’n, us waqt surkh aandhi, zalzala, zameen me dhans Jane, shakle bigad jane, aasman se patthar barasne aur tarah tarah ke lagatar azaabo ka intezar karo jis tarah kisi bosida haar ka dhaga toot jane se motiyo ka taata bandh jata he,
JAMA’A TIRMIZI,, 2/44
, 53ontinue in sha Allah

PART- 53
53- Zakaat Ko Tax Qaraar Diya Ja’ega
Hazrat Ali Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshaad farmaya,
” Jab meri ummat 15 kaam karne lagegi us waqt us per masa’ib ka pahaad toot padega,
Arz kiya gaya- Ya Rasulullah ! Wo 15 kaam kya he’n?
Farmaya – Jab ganimat daulat ban jaye, amanat ko ganimat ki tarah loota jane lage, zakaat ko tavaan aur tax samjha jaye, mard apni bivi ka kaha maane aur maa’n se badsuluki kare, dost se wafadari aur baap se bewafai barte, masjido me awaaze buland hone lage, sabse kameena aadmi qaum ka numa’inda kehlaye, aadmi ki izzat uske shar se bachne ke liye ki jaye, sharabnoshi aam ho jaye, reshmi libaas pehna jaye, gaane wali aaurte’n aur gaane bajane ka samaan rakha jaye aur ummat ka pichla hissa pehlo ko bura bhala kehne lage, us waqt surkh aandhi,zameen ke dhansne ya shaklo ke bigadne ka intezar karna chahiye, ”
Tirmizi Sharif,,, 2/44
, 54ontinue in sha Allah

PART- 54
54- Masajid ki Behurmati
Hazrat Hasan Rehmatulah Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ka irshad naqal karte hai’n k,
Logo per ek zamana aaega jabki log masjido me bethkar duniya ki baate kiya karenge , tum unke paas na bethna, Allah ta’aala ko ese logo ki koi zarurat nahi,
Mishkaat Sharif,, 71
, 55ontinue in sha Allah

PART- 55
55-Jaahil Mufti
Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
“Allah ta’aala ilm ko is tarah nahi uthayega k logo ke seene se nikaal le, balki ulema ko ek ek karke uthata rahega yaha’n tak k jab koi aalim nahi rahega to log jahilo ko peshva bana lenge, unse masail puchhenge woh jaane bujhe bager fatwa denge, woh khud bhi gumrah honge aur doosro ko bhi gumrah karenge, ”
Mishkaat Sharif kitabul uloom, 33
, 56ontinue in sha Allah

PART- 56
56-Ulma aur Hukkam
Hazrat ibne Abbas Raziyallahu anhu farmate hai’n k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
” meri ummat me ek jama’at hogi Jo deen ka qanoon khoob hasil karegi aur Quran bhi padegi, fir woh kahenge Ao hum in haakimo ke paas jakar unki duniya me hissa lagaye aur apna deen unse alag rakhe lekin esa nahi ho sakta jese k kaante dar darakht se sivae kaanto ke aur kuchh hasil nahi ho sakta isi tarah in hukkam ke paas jakar bhi gunaho ke Siva kuchh nahi milega,
Ibne Maaja,, 22
, 57ontinue in sha Allah

PART- 57
57-Deen ki Baato ko Ulat Diya Jaega
Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha farmati hai’n k mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se suna he k,
” Deen ki sabse pehli cheez Jo bartan ki tarah ulti ja’egi wo sharaab he,
Arz kiya gaya,- Ya Rasulullah! Ye kese hoga jabki Allah ta’aala ne iski hurmat ko saaf saaf bayaan farma diya he,
Farmaya – Koi aur naam rakhkar use halaal kar lenge, ”
Mishkaat Sharif,, 460
, 58ontinue in sha Allah

PART- 58
58-Tabahi ki Asal Buniyad
Hazrat Amru bin Auf Raziyallahu Anhu Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ka irshad naqal karte hai’n k,
” Khuda ki qasam mujhe tumhare mutalliq Faqr v Faaqa ka khatra nahi, balki dar is baat ka he k duniya tum per is tarah fela di ja’egi jis tarah tumse pehli ummato per felayi gayi, Fir tum ek doosre per is per hirs karne lago jis tarah pehli ummato ne hirs ki, fir woh tumko bhi isi tarah halaak kar daale jis tarah usne pehlo ko halaak kar diya,”
Mishkaat Sharif,, 440
, 59ontinue in sha Allah

PART- 59
59-Yahood v Nasara ki Naqqali
Hazrat Abu Saied Raziyallahu Anhu se rivayat he k Huzur Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
” Tum bhi theek pehli ummato ke naqsh qadam per chal kar rahoge hattaki agar wo goh ke surakh me ghuse to tum bhi usi me ghus kar rahoge,
Arz kiya gaya,- Ya Rasulullah! Pehli ummato se muraad Yahood v Nasara hai’n?
Farmaya, – aur kon?
Mishkaat Sharif,, 458
Ek aur rivayat me he k agar unme kisi ne apni maa’n se elaaniya badkari ki hogi to meri ummat me bhi is qism ke log honge, ( Mazallah)
, 60ontinue in sha Allah

PART- 60
60-Andha dhund Qatl
Hazrat Abu Haraira Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Us Zaat ki qasam jiske qabzae qudrat me meri jaan he Duniya khatm nahi hogi yaha’n tak k logo per esa daur na aa jaye jis me na qaatil ko ye bahas hogi k usne kyu qatl kiya, na maqtool ko ye khabar hogi k wo kis jurm me qatl kiya gaya,”
Arz kiya gaya, – Esa kyo hoga?
Farmaya – Fasaad aam hoga, qaatil v maqtool dono jahannam me ja’enge, ”
Mishkaat Sharif,, 462
, 61ontinue in sha Allah

PART- 61
61- Bad se Badtar Daur
Zuber bin Adi Rehmatullah farmate hai’n k humne Hazrat Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu se ki khidmat me un masa’ib ki shikayat ki Jo hijjaj ki taraf se pesh aa rahe the, Unhone sunkar farmaya,
” Sabr Karo tum per Jo daur bhi aa’ega uske baad ka Daur usse bhi badtar hoga, yaha tak k tum apne rab se ja milo, mene tumhare Nabi Sallallahu Alaihivasallam se yahi suna he,”
Mishkaat Sharif,, 463
, 62ontinue in sha Allah

PART- 62
62-Tabaah Kun Gunaho per Jurrat
Hazrat Anas aur Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhuma farmaya karte the k,
” Tum log baaz amaal karte ho Jo tumhari nazar me to Baal se bhi bareek ( yani mamuli) hote hai’n lekin hum unhe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke zamane me” Tabaah kun” shumar kiya karte the,”
Mishkaat Sharif,, 458
, 63ontinue in sha Allah

PART- 63
63- Lagataar Fitne
Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu farmate he’n k hum ek safar me Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ke saath the, humne ek manzil per padaav kiya, humme se Baez Kheme laga rahe the, baaz reerandazi ki mashq kar rahe the, Achanak Aap Sallallahu Alaihivasallam ke mmozzin ne elaan kiya k namaz taiyar he, me Huzur Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat me hazir hua to Aap khutbe me irshad farma rahe the,
Logo mujhse pehle Jo Nabi bhi guzra he uska farz tha k apni ummat ko woh cheeze batae jise woh unke liye behtar samajhta he, aur un cheezo se darae jinko unke liye bura samajhta he,
Suno! is ummat ki aafiyat pehle hisse me he aur ummat ke pichhle hisse ko ese masa’ib aur fitno se do char hona padega Jo ek doosre se bad chadkar honge, ek fitna aaega pas momin ye samjhega k ye mujhe halaak kar dega, fir woh jata rahega aur doosra teesra fitna aata rahega aur momin ko har fitne se yahi khatra hoga k ye use tabaah v barbaad kar dega,
Pas jo sakhsh ye chahta ho k use dozakh se nijaat mile aur wo jannat me dakhil ho.,uski maut is haalat me aani chahiye k woh Allah per aur akhirat ke din per imaan rakhta ho aur logo se wahi maamla barte Jo apne liye pasand karta he aur jis sakhsh ne kisi imaam ki bait kar li aur use ahad v Pemaan de diya fir use jaha tak mumkin ho uski farmabardari karna chahiye,”
Sahi Muslim,, 2/126
, 64ontinue in sha Allah
•─━━━━━══════━━━━━─•
BISMIHI TA’AALA
ASRE – HAZIIR

PART- 64
64- Khuda ki Zameen Tang ho Jaegi
Hazrat Abu Haraira Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,”
” Akhri zamane me meri ummat per unke haakimo ki janib se ese masa’ib toot padenge k un per khuda ki zameen tang ho jaegi, us waqt Allah ta’aala meri aulaad se ek shakhs ( Mehndi Alaihissalam) ko khada karenge Jo zameen ko adl v insaaf se usi tarah bhar denge jis tarah wo pehle zulm v sitam se bhari hui hogi, unse zameen wale bhi raazi honge aur aasmaan wale bhi, unke zamane me zameen apni tamaam pedawaar ugal degi aur aasmaan se khoob barish hogi, woh unme 7 ya 8 ya 9 saal rahenge,
Tirmizi Sharif,, 2/46
, 65ontinue in sha Allah

PART- 65
65- Fitna zada Quloob
Hazrat Huzefa Raziyallahu Anhu farmate hai’n k mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se khud suna he, Aap Sallallahu Alaihivasallam farmate the k,
” Fitne dilo me usi tarah ek ke baad digar dar aaenge jis tarah chatai me ek ke baad digar ek tinka dar aata he, chunache jis dil ne in fitno ko qubool kar liya aur we isme puri tarah rach bas gaye us per ( har fitne ki evaz ) ek syaah nuqta lagta jaaega, yaha’n tak k dilo ki 2 qisme ho jaengi,
Ek sange mar mar jesa safed k use rehti duniya tak koi fitna nuqsaan nahi dega,
Aur doosra khaktari rang ka syaah ulte koze ( ghade)ki tarah k khair ki koi baat usme nahi tikegi, ye bajuz us khwahishat ke Jo Jo usme rach bas gayi he’n, na kisi neki ko neki samjhega na kisi burai ko burai ( uske nazdeek neki aur badi ka maiyar bas apni khwahish hogi), ”
Sahi Muslim,, 1/82
, 66ontinue in sha Allah

PART- 66
66- Insani libaas me Shaitan
Hazrat Huzefa Raziyallahu Anhu farmate hai’n k log Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se khair ki baate puchha karte the aur me Aap Sallallahu Alaihivasallam se shar ke bare me tehqeeq kiya karta tha k kahi’n esa na ho k wo mujhe lailmi ki vajah se pahunch jae,
Farmate hai’n, mene (ek dafa )arz kiya – Ya Rasulullah ! Hum jahiliyat aur shar me fanse hue the, Haq ta’aala Shanhu ne ( aapki badolat) hamare pass ye khair bhej di, ( yani islaam), to kya is khair ke baad bhi koi shar hoga?
Farmaya – Haa’n,
mene kaha – aur us shar ke baad koi khair hogi?
Farmaya – Haa’n, magar usme kadurat hogi,
Mene kaha – Kadurat kya hogi?
Farmaya – kuchh log honge Jo meri sunnat ke bajaye doosri cheezo ki talqeen karenge, unme nek v bad ki aamijish hogi,
Mene kaha- achchha us khair ke baad bhi koi shar hoga?
Farmaya – Haa’n, Jahannam ke darwazo per bulane wale honge Jo unki dawat per labbek kahega, use jahannam me jhonk denge,
Mene kaha- Ya Rasulullah! Zara unka haal to bayaan farmae’n,
Farmaya – wo hamari hi qaum se honge aur hamari hi zuban bolenge ( yani islam ke muddai honge aur islami istlahaat ko matlab barari ke liye istemal karenge ),
Mene arz kiya- agar ye bura waqt mujh per aa jaye to Aap mujhe kya hidayat farmate hai’n?
Farmaya – Musalmano ki jama’at aur unke imaam se chimte rehna,
Mene kaha- agar us waqt na musalman ki jama’at ho na imaam to fir?
Farmaya – fir in tamaam firqo’n se alag raho chahe tumhe kisi darakht ki jad me jagah banana pade, hattaki isi haalat me tumhari maut aa jaye,”
Mishkaat Sharif,, 461
Bukhari Sharif, 2/1049
Aur ek rivayat me he k,
” Mere baad kuchh muqtda aur hukkaam honge Jo na meri seerat per chalenge, na meri sunnat ko apnaenge, unme kuchh ese log khade honge jinke quloob insani jism me shayateen ke quloob honge,
Hazrat Huzefa Raz. Farmate hai’n, mene arz kiya,- Ya Rasulullah! Agar ye bura waqt mujh per aa jaye to mujhe kya karna chahiye?
Farmaya – ( Jaa’iz umoor me ) Ameer ki sama’a v taa’at baja lana chahe wo teri kamar per kode maare aur Tera maal loot le tab bhi sama’a v taa’at baja lana, ”
Mishkaat al Masabih,,462
, 67ontinue in sha Allah

PART- 67
67- Dilo se Amanat nikal Jaegi
Hazrat Huzefa Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne do baate batlayi, ek to mene aankho se dekh li aur doosri ka muntzir hun,
Pehli baat Aapne ye batlayi k Amanat ( noore imaan) logo ke dilo ki gehraiyo me utra, iske baad unhone Quran seekha, fir sunnat ka ilm hasil kiya ( iska mushahidah to mene khud kar liya ),
Doosri baat Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Amanat ke uth Jane ke bare me farmai, Farmaya k aadmi ek dafa soyega to amanat ka kuchh hissa uske dil se nikaal liya ja’ega, chunache til ke nishan ki tarah uska nishan reh ja’ega, fir dobara soyega to amanat ka baqiya hissa bhi qabz kar liya ja’ega, uska nishan aabla ki tarah reh ja’ega, jese tum apne paanv per aag ka angara khincho to aabla ubhra hua nazar aaega, magar uske andar kuchh nahi hota, aur din bhar log kharido farokht karenge lekin ek bhi aadmi mushkil se esa nahi mil sakega Jo amanat Ada karta ho, chunache ( dayanat ka is qadar qahat hoga) k ye kaha ja’ega k fala qabile me ek aadmi amanat daar he aur ( bad mazaqi ka ye haal hoga) k ek aadmi ke mutalliq ye kaha ja’ega, wah wa! Kitna aqalmand aadmi he, kitna zinda dil he, kitna bahadur he ( weh esa he, wesa he) halaki us banda e khuda ke dil me raai ke daane ke barabar bhi to imaan nahi hoga, ”
Mishkaat Sharif,, 461
Bukhari Sharif,, 2/1050
, 68ontinue in sha Allah

PART- 68
68- Bad Aamali Ke Nata’ij
Hazrat Ziyaad bin Lubed Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne kisi holnaak cheez ka tazkraah farmaya aur farmaya k ye us waqt hoga jab ilm jata rahega,
Mene arz kiya,- Ya Rasulullah ! aur ilm kese jata rahega,?jabki hum khud Quran padte he’n aur apne bachcho ko padate he’n, hamari aulad apni aulaad ko padayegi aur ta qayamat ye silsila jari rahega?
Farmaya – Ziyaad ! Teri maa’n tujhe gam paye ( yani tu mar jae) me to tujhe Madina ke faqih tar logo me se samajhta tha,(magar ta’ajjub he k tum to itni si baat ko bhi nahi samajh pae, akhir tumhe ilm ke uth Jane per ta’ajjub kyu hone laga ), Kya ye yahood o nasaara toraat v injeel nahi padte? Lekin inki kisi baat per bhi to amal nahi karte ( isi bad amali ke nateeje me ye ummat bhi vahi ki barakaat kho bethegi, pas be maani qatl v qitaal reh ja’ega), ”
Mishkaat ul Masabih,, 38
, 69ontinue in sha Allah

PART- 69
69-Ikhtilaf ki Nahusat
ibne Ishaq se rivayat he k Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ne Saqifa bani Saa’ida wale din ) ye bhi farmaya tha k ye baat to kisi tarah jaa’iz nahi k musalmano ke do Ameer ho’n, kyuki jab bhi esa hoga, musalmano ke tamaam kaamo aur tamaam hukmo me ikhtilaf paida ho ja’ega aur unka mel bikhar ja’ega aur unka aapas me jhagda ho ja’ega aur fir sunnat chhoot ja’egi aur bid’at gaalib aa ja’egi aur bada fitna jaahir ho ja’ega aur koi bhi use theek na kar sakega, ”
Hayatussahaba, 2/1
Baihqi, 8/145
, 70ontinue in sha Allah

PART- 70
70-Na-ahlo ki Hukumat
Rafe’a Taai kehte hai’n k ek jihaad me Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu anhu ka rafeeq tha, wapsi per mene kaha, – A Abu Bakar Raziyallahu anhu mujhe koi nasihat kijiye,
Farmaya- Farz namaze theek waqt per pada Karo, apne maal ki zakaat khush dili se diya Karo, ramzan ke roze rakho …….aur betullah ka hajj kiya karo, dekho islam me hijrat badi achchhi baat he, aur hijrat me jihaad bahut khoob he aur haakim na banna !
Fir farmaya, – ye imaarat Jo aaj tumhe thandi nazar aati he, bahut jald ye fel jaegi aur zyada ho jaegi yaha’n tak k un logo ke haath lagegi Jo iske ahal nahi honge, halaki Jo shakhs haakim ban jata he uska hisaab taveeltar aur azaab sakht tar hoga, aur Jo sakhsh Ameer na bane uska hisaab nisbatan asaan aur azaab halka hoga, iski vajah ye he k Hukkam ko musalmano per zulm ka mauka nisbatan zyada milta he aur Jo sakhsh musalmano per zulm karta he wo ahade khudavandi ko todta he,
Ahle imaan Allah ke hamsaaye aur uske bande hai’n, tumme se kisi ke hamsaaye ki bakri ya ount ko aafat pahunche to saari raat pareshani me guzaarta he aur kehta he, k mere hamsaaye ki bakri, mere hamsaaye ka ount,
Pas yaqeenan Allah ta’aala is baat ka zyada haqdaar he k wo apne hamsaaye ki takleef per gazab naak ho, ”
Kanzul Amaal,, 5/752
, 71ontinue in sha Allah

PART- 71
71- Dajjali Firqa
Hazrat Huzefa Raziyallahu Anhu se rivayat he k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
” Aakhri zamane me kuchh log honge Jo kaha karenge,
” taqdeer koi cheez nahi,”
ye log agar bimaar padenge to inki ayaadat na Karo, Mar jae’n to inke janaze me shirkat na Karo, kyuki ye Dajjal ka tola he, Allah ta’aala ke jimme he k inko Dajjal se mila de, ”
Musnad, Abu Daoud, 2/58
, 72ontinue in sha Allah

PART- 72
73-Quran se Shubhaat
Hazrat Amirul Momineen Umar Raziyallahu Anhu farmate hai’n,
” Anqareeb kuchh log paida honge Jo Quran ( ki galat ta’abeer) se ( deen me) shubhat paida karke tumse jhagda karenge, unhe Sunan se pakdo, kyuki Sunnato se waqif hazraat Kitabullah ( ke sahi mafhoom) ko khoob jaante hai’n, ”
Sunan Daarami, 1/47
, 73ontinue in sha Allah

PART- 73
74- Qurani Dawat ka Daava
Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu farmate hai’n,
” Ilm ke uth jaane se pehle pehle ilm hasil kar lo,
Ilm ka uth jaana ye he k ahle ilm rukhsat ho jaaenge,
Khoob mazbooti se ilm hasil karo, tumhe kya khabar k kab iski zarurat pesh aa jaye, ya doosro ko iske ilm ki zarurat pesh aaye aur ilm se faayda uthana pade,
Anqareeb tum ese logo ko paaoge jinka daava ye hoga k woh tumhe Qurani Dawat dete hai’n halaki kitaabullah ko unhone pashe pusht daal diya hoga,
Isliye ilm per mazbooti se qaa’im raho, nayi bekaar, besood ki moshgani aur laayani baato se bacho, ( Salfe Saleheen ke) purane raaste per qaa’im raho,”
Sunan Daarami, 1/50
, 74ontinue in sha Allah

PART- 74
74-Sunnat ke Mafhoom me Mugaalta Andazi
Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu anhu ne ek shakhs ko nasihat karte hue farmaya,
” Dekho ! Tum ese zamane me ho jis me faqeeh zyada he’n aur qaari kam, is zamane me Quran ke haroof se zyada uski hudood ki nigahdaasht ki jati he, maangne wale aur dene wale zyada he’n, Khutba mukhtsar aur namaz lambi hoti he, is zamane me log amaal ko khwahishat per muqaddam rakhte hai’n,
Aur ek zamana esa aaega jisme faqeeh kam honge aur qaari zyada, Quran ke haroof ki khoob hifazat ki jaaegi magar uski hudood ko pamaal kiya jaaega, maangne walo ki bheed hogi, lekin dene wale kam honge, Taqreere badi lambi chodi karenge lekin namaz mukhtsar si padenge aur log amaal se pehle apni khwahishat ko aage rakhenge, ”
Jaamia ussalaat,116
, 75ontinue in sha Allah

PART-75
75-Deeni Masail me galat Qayaas Aarai

” Tum per har aainda saal pehle se bura aaega, meri muraad ye nahi he k pehla saal doosre saal se galle ki farawani me achchha hoga ya ek Ameer doosre Ameer se behtar hoga,
Balki meri muraad ye he k tamaam ulma, saaleheen aur faqeeh ek ek karke uthte jaenge aur tum unka badal nahi paoge,
aur ( qahatul rijaal ke zamane me) baaz ese log paida honge Jo Deeni Masail ko mahaz apni zaati qayaas aarai se hal karenge, ”
Daarami,, 1/58
, 76ontinue in sha Allah

PART- 76
76- Inkaare Sunnat
Hazrat Miqdaam bin Madikarb Raziyallahu anhu farmate hai’n k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
” Agaah raho ! Mujhe Quran bhi diya gaya aur uske saath isi tarah ki ( wajibul itaat wahi ) aur bhi ( di gayi he’n, jise sunnat kaha jata he),
Agaah raho! Koi pet bhara apne takiye per tek lagaye hue ( Jo takabbur ki alamat he) mutakabbirana ( andaz me) kahega: logo sirf is Quran hi ( per amal ) ko laazim samjho, Jo cheez tumhe isme halaal mile bas usi ko halaal samjho aur Jo isme haraam mile usi ko haraam samjho, ( Quran fehmi ke liye Sunnat se madad na lo ),
halaki ( moti baat he k ) Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ( halaal aur haraam, Jaa’iz aur Najaa’iz ka Jo faisla farmate hai’n wo bahukme ilaahi hota he, isliye Aap Sallallahu Alaihivasallam ne) jis cheez ko haraam thehraya wo bhi usi tarah ( wajibul ahatraaz) he jis tarah Allah ta’aala ki haraam thehrai hui cheez, ( magar takabbur aur gabawat ki vajah se itni moti baat ko nahi samjhega ),”
Ibne Maaja, 29
, 77ontinue in sha Allah

PART- 77
77- Deen ke maamle me Rishvat
Hazrat Mu’aaz Raziyallahu Anhu Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ka irshad naqal karte hai’n k,
” Hadiya usi waqt tak qubool kar sakte ho jab tak k wo hadiya rahe, lekin jab wo Deen ke maamle me Rishvat ban jae to use qubool na Karo magar ( esa nazar aata he k ) tum ( ummat ke aam log) use chhodoge nahi kyuki Faqr aur zarurat tumhe majboor karegi,
Agaah raho! K islaam ki chakki baharhal gardish me rahegi, isliye kitabullah jidhar chale uske saath chalo, ( use apni khwahishat ke mutabiq na dhaalo),
Agaah raho! K anqareeb kitaab aur haakim juda juda ho jaaenge, pas tum kitaabullah ko na chhodna,
Agaah raho! K anqareeb tum per ese haakim musallat honge Jo apne liye wo tajveez karenge Jo doosro ke liye tajveez nahi karenge, tum agar unki nafarmani karoge to tumhe qatl karenge aur agar farmabardari karoge to ( be deeni ke sabab) tumhe gumraah karenge,
Sahaba Raziyallahu Anhum ne arz kiya, Ya Rasulullah! ( esi Surat me) hume kya tarze amal akhtyar karna chahiye?
Farmaya, Wahi Jo Hazrat Eisa Alaihissalam ke ashaab ne kiya k unhe Aaro’n se cheera gaya, Sooli per latkaya gaya ( magar wo Deen per qaa’im rahe) aur itaate ilaahi me jaan de dena ma’asiyat ki zindgi se ( ba darjaha) behtar he, ”
Kanz 15/216,
Ravah ul tabrani kama fi majmaul zawa’id 5/237
Alhamdulillah ikhtitaam

No comments:
Post a Comment