��������������������
�� Bismihi Ta'aala ��
⭕Namaz Ke Masail ⭕
⭐ PART-31⭐
♦ Jama'at Ki Safbandi -1♦
�� Saf ki daayi Janib afzal he, Hadees me he k,
" Allah ta'aala aur uske farishte rehmat bhejte he'n safo ki daayi Janib,"
�� Mishkaat, 98,
�� Lekin agar daayi taraf Aadmi zyada ho to baayi taraf khade hona zaruri he taki dono janib ka tawazun barabar rahe,
��Agar pehli saf me Jagah ho to pichhli safo se falangte hue aage badhna jaa'iz he lekin agar gunzaish nahi to logo ki gardano se falangna aur do Aadmiyo ke darmiyan zabardasti ghusna jaa'iz nahi, Hadees me iski mumanat aayi he aur ese shakhs per narazgi ka izhaar farmaya he,
�� Safo me Kandhe se kandha milana zaruri he kyuki agar esa na kiya jaye to darmiyan me faasla rahega aur ye makrooh he, aur Takhne ke barabar Takhna rakhna zaruri he inka aapas me milaana zaruri nahi,
��Jo Bachche bilkul kam umar ho'n unko to masjid me laana hi jaa'iz nahi, Nabalig bachcho ke bare me asal hukm ye he k unki alag saf baalig mardo ki saf se pichhe ho,
�� Agar Bachche ikaththe hokar udham machate ho ya bada majma hone ki vajah se unke gum ho Jane ka andesha ho to unko bado ki saf me khada karna chahiye taki unki vajah se bado ki namaz me khalal na aaye, aur ye hukm bhi un bachcho ka he Jo Namaz aur Vaju ki tameez rakhte ho varna zyada chhote Bachcho ko masjid me laana jaa'iz nahi,
�� , 32 in sha Allah ta'aala,
�� Aapke Masail aur unka Hal, 2/218
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
�� Talibe Dua,,,
�� Ulama e deoband
��������������������
��������������������
�� Bismihi Ta'aala ��
⭕Namaz Ke Masail ⭕
⭐ PART-32⭐
♦ Jama'at Ki Safbandi-2♦
�� Hayya Alassalah tak Bethe rehna jaa'iz he aur iske baad takheer nahi karna chahiye, lekin afzal ye he k pehle safo ko durust kiya jaye fir aqaamat ho,
�� Hayya Alassalah tak Bethe rehne per israar karna aur usko farz ya wajib ka darja de dena gulu fiddeen he, Aap Sallallahu alaihivasallam ke naam naami per angunthe choomna aur usko deen ki baat samajhna Bid'at he,
�� Hayya Alassalah per uthna aur qadqamatissalah per imaam ka namaz shuru kar dena mustahab likha he lekin fuqha ne safbandi ko zaruri qaraar dete hue takheer ko sahi kaha he kyuki safo ko sidha rakhne ki shadeed takeed aayi he,
�� Mustahab us fa'al ko kehte he Jiske chhodne wale ko malamat na ki jaye, Magar ahle Bid'at ne is fa'al ko apna sha'aar bana liya he aur amalan isko farz v wajib ka darja de rakha he, iske chhodne walo per na sirf malamat ki jati he balki unke khilaf ishtehar bazi bhi ki jati he,
➡ Mustahab me jab esa gulu kiya Jane lage to uska tark ( chhodna ) zaruri ho jata he,
�� , 33 in sha Allah ta'aala,
�� Aapke Masail aur unka Hal, 2/201
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
�� Talibe Dua,,,
�� Ulama e deoband
�������������������� ��������������������
�� Bismihi Ta'aala ��
⭕Namaz Ke Masail ⭕
⭐ PART-33⭐
♦ Namaz Bajama'at♦
�� Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya, k Jama'at ki namaz akele se 27 darja zyada hoti he, ( fazilat ke etbaar se)
�� Ravaah Maalik, Bukhari v Muslim,
�� Ba jama'at Namaz ka sawab 25 ya 27 guna tak hota he, aur JO Namaz miswaak karke padhi jati he uska sawab 70 guna he, Jama'at ke saath miswaak karke Namaz padhne per ye ( 27×70) 1890 tak pahunch jata he,
�� Masjid me doosri jama'at karna makrooh he, Jagah badal kar kisi doosre hisse me aqamat ke bager Jama'at ho to jaa'iz he,
�� Agar muqtadi akela ho to imaam ke barabar dahini taraf zara sa pichhe hokar khada ho,
��Jo jama'at azaan ke bager hui wo sunnat ke mutabiq nahi hui isliye uska etbaar nahi, baad me aane wale azaan aur aqamat ke saath jama'at kar sakte he'n,
�� Fatawa Aalamgiri, 1/54
�� Zuhar aur Isha ki namaz me nifl ki niyat se doosri jama'at me shareek ho sakta he, Fazar, Asar aur Magrib me nahi,
��Apni Bivi aur Mahram aurat ke saath jama'at jaa'iz he, Aurat barabar khadi na ho balki alag saf me pichhe khadi hona chahiye,
�� Iqtida ke sahi hone ke liye ye shart he k Muqtadi imaam se aage na bade, Jo muqtadi imaam se aage hua uski iqtida sahi nahi aur uski Namaz nahi hogi,
��Jama'at jitni zyada ho utni hi Afzal he, Aur Afzal hone ka matlab ye he k uska sawab bhi zyada he,
�� , 34, in sha Allah ta'aala,
�� Aapke Masail aur unka Hal, 2/220
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
�� Talibe Dua,,,
�� Ulama e deoband
�������������������� ��������������������
�� Bismihi Ta'aala ��
⭕Namaz Ke Masail ⭕
⭐ PART-34⭐
♦ Ghar Per Namaz Padhna♦
�� Namaz to ghar me ho jati he magar Farz namaz ke liye Masjid me Jana zaruri he aur bager uzr ke Masjid me na aane walo ke liye sakht wa'iyd aayi he, Sahaba ikraam ese shakhs ko munafiq samajhte the Jo Namaz ba jama'at ki pabandi nahi karta tha,
��Bager kisi sahi uzr ke Masjidwar Jama'at ki namaz chhodne ki aadat gunaahe kabeera he,
�� Jama'at me shareek hona baaz Aaimma ke nazdeek Farz he, Baaz ke nazdeek Wajib aur baaz ke nazdeek esi sunnate Mokada he Jo wajib ke qareeb he,
�� " Mene iraada kiya k lakdiya jama karne ka hukm du, fir Namaz ki Azaan ka hukm du, Fir kisi shakhs ko hukm du k wo imamat kare, aur khud un logo ke gharo ke paas jau Jo Namaz me haajir nahi hote, Pas un per unke gharo ko aag laga du, "
�� Mishkaat, 95 bahawala, Bukhari v Muslim,
�� " Jisne Moazin ki azaan suni usko masjid me aane se koi uzr, khof ya marz maana nahi tha, iske bavjood wo nahi aaya to usne Jo Namaz ghar per padi wo qubool nahi ki ja'egi, "
�� Mishkaat, 96 bahawala Abu Dauwd,
��" Agar gharo me Aurte'n aur bachche na hote to me apne jawano ko hukm deta k Jo log isha ki namaz me hazir nahi hote unke gharo ko jala daale, "
�� Mishkaat, 97 bahawala Musnad Ahmad,
�� , 35 in sha Allah ta'aala,
�� Aapke Masail aur unka Hal, 2/230
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
�� Talibe Dua,,,
❄Ulama e deoband
�������������������� ��������������������
�� Bismihi Ta'aala ��
⭕Namaz Ke Masail ⭕
⭐ PART-35⭐
♦ Aurto' n ki Namaz ke Chand Masail -1♦
��Aurat ke Jawan hone ka waqt maloom ho to us waqt se Namaz Farz he, Varna Aurat per 9 saal pure hone per dasve saal se Namaz Farz samjhi ja'egi,
�� Chehra, dono haath gatto tak aur paanv takhno tak, in teen a'aza ke alawa Namaz me pura badan dhankna Aurat ke liye Namaz ke sahi hone ki shart he, iske bager Namaz nahi hogi,
��Jo kapde Ese bareek ho k unke andar se badan nazar aaye unse Namaz nahi hoti, Namaz ke liye Dupatta mota istemal karna karna chahiye,
��Namaz ke dauran agar Sar khul jaye aur 3 baar Subhanallah kehne ki miqdaar tak khula rahe to Namaz toot ja'egi, Aur agar Sar khulte hi foran dhaank liya to Namaz ho gayi,
��Khade hokar Namaz padhna Farz he aur esa libaas jisme badan na khulta ho, Agar Badan pura dhaanka hua ho to Namaz saadi me bhi ho ja'egi, magar Saadi khud na-pasandida libaas he,
��Namaz me seene per dupatta hona aur Baanho ka chhupana laazmi he,
��Namaz padhte hue agar Sajde me dupatta niche aa jaye to bhi Namaz ho jati he,
��Khwateen ke liye Azaan ka intezar karna zaruri nahi, waqt ho jane ke baad avval waqt me Namaz padhna afzal he,
�� Albatta agar waqt ka pata na chale to Azaan ka intezar kare,
�� , 36 in sha Allah ta'aala,
�� Aapke Masail aur unka Hal, 2/297
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
�� Talibe Dua,,
✒ Ulama e deoband'
��������������������
�� Bismihi Ta'aala ��
⭕Namaz Ke Masail ⭕
⭐ PART-36⭐
♦ Aurto'n ki Namaz ke Chand Masail-2♦
��Aurto'n ke liye ghar me Namaz afzal he, Chhat per agar baparda jagah ho to jaa'iz he, magar ghar me unki namaz afzal he,
�� " Aurat ka apne kamre me Namaz padhna apni ghar ki chaardwari me Namaz padhne se behtar he aur uska pichhle kamre me Namaz padhna agle kamre me Namaz padhne se behtar he, "
�� Ravaah Abu Dauwd, Mishkaat, 96
��Bivi Shohar ki iqtida me Namaz padh sakti he magar barabar khadi na ho balki pichhe khadi ho,
��Aurat Mardo ki imamat nahi kar sakti aur Aurto'n ki imaamat kare to ye makrooh he,
�� Aurto'n per Juma farz nahi he, isliye aam dino ki taraf Zuhar ki namaz padhe, Eiden bhi Aurto'n per zaruri nahi,
��Aurto'n ko khaas ayyam me Namaz padhne ki ijazat nahi,
��lekin khaas ayyam me Aurat ke liye ye behtar he k Namaz ke waqt Vazu karke musalle per beth kar kuchh zikr tasbeeh kar liya kare,
�� , 37 in sha Allah ta'aala,
�� Aapke Masail aur unka Hal, 2/300
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
�� Talibe Dua,,,
�� Ulama e deoband
�������������������� ��������������������
�� Bismihi Ta'aala ��
⭕Namaz Ke Masail ⭕
⭐ PART-37⭐
♦Aurto'n ki Namaz ki Mukammal Tashreeh-1♦
�� Aurto'n ki namaz bhi Mardo hi ki tarah he, albatta chand umoor me unke liye Mardo se alag hukm he, makhsoos masail zel he: -
➖ Qayaam ➖
��1- Aurto'n ko qayaam me dono paanv mile hue rakhne chahiye yani unme faasla na rakhe, isi tarah ruku aur Sajde me bhi takhne milaye rakhe,
��Jabki Mardo ke liye ye hukm he k qayaam me unke qadmo ke darmiyan 4 ya 5 ungliyo ka faasla rehta he,
��2-Aurto'n ko chahe sardi ka uzr ho ya na ho har haal me chaadar ya dupatta vagera ke andar hi se haath uthana chahiye, bahar nahi nikaalna chahiye,
�� Jabki Mardo ke liye hukm ye he k agar unhone chaadar oad rakhi ho to Takbire Tehrima ke waqt chaadar se bahar nikaal kar haath uthaye,
��3- Aurto'n ko sirf kaandhe tak haath uthana chahiye,
�� Jabki Mardo ko itne uthane chahiye k anguthe kaano ki lo ke barabar ho jaye balki kaano ki lo ko lag jaye,
��4- Aurto'n ko Takbire Tehrima ke baad seene per haath baandhna chahiye,
�� Jabki Mardo ko naaf ke niche,
��5- Aurte'n haath baandhte waqt sirf apni dahini hatheli baaye haath ki pusht per rakh le, halka banana aur baayi kalai ko pakadna na chahiye,
�� Jabki Mardo ke liye ye hukm he k daaye haath ke anguthe ka halka banakar baaye haath ko gatte se pakad le aur darmiyan ki 3 ungliya'n kalai per sidhi rakhe,
�� , 38 in sha Allah ta'aala,
�� Aapke Masail aur unka Hal, 2/304
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
�� Talibe Dua,,,
�� Ulama e deoband,
����������������������������������������
💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
🌹 Bismihi Ta'aala 🌹
⭕Namaz Ke Masail ⭕
⭐ PART-38⭐
♦Aurto'n ki Namaz ki Mukammal Tashreeh-2♦
➖ Ruku ➖
🔸 1- Ruku me Aurto'n ko zyada jhukna nahi chahiye, balki sirf is qadar jhuke k unke haath ghutno tak pahunch jaye,
👉 Jabki Mardo ko ye hukm he k is qadar jhuke k kamar bilmukabil sidhi ho jaye aur Sar aur Sureen barabar ho jaye,
🔸2- Aurto'n ko ruku me dono haatho ki ungliya kushada kiye bager ( balki milakar) rakhni chahiye,
👉 Jabki Mardo ke liye hukm ye he k ruku me haatho ki ungliya kushada rakhe,
🔸 3- Aurte'n ruku me hatho ko ghutno per rakhe magar zyada zor na de,aur ghutno ko pakde na rahe,
👉 Jabki Mardo ke liye hukm ye he k haatho ka ghutno per khoob zor dekar mazboot pakad kar ruku kare,
🔸 4 - Ruku me Aurto'n ko apni kohniya apne pehlu se mili hui rakhe yani simti hui ruku kare,
👉 Jabki Mardo ko ye hukm he k kohniyo ko pehluo se alag rakhe,
🔜 , 39 in sha Allah ta'aala,
📚 Aapke Masail aur unka Hal, 2/305
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🌻 Talibe Dua,,,
📝 Ulama e deoband
💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥 💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
🌹 Bismihi Ta'aala 🌹
⭕Namaz Ke Masail ⭕
⭐ PART-39⭐
♦Aurto'n ki Namaz ki Mukammal Tashreeh-3♦
➖ Sajda ➖
🔸 1- Sajde me Aurto'n ko kohniya zameen per bichhi hui rakhni chahiye, Jabki Mardo ko kohniya zameen per bichhana makrooh he,
🔸 2- Aurto'n ko sajde me dono payr ungliyo ke bal khade nahi rakhne chahiye balki dono payr dahini taraf nikaal kar kulho per bethe aur khoob simatkar aur dab kar sajda kare, Sureen uthaye hue na rakhe,
👉 Jabki Mardo ko hukm ye he k Sajde me dono paanv ungliyo ke bal khade rakhe aur sureen uthaye rakhe,
🔸3- Sajde me Aurto'n ka Pet raano se mila hua hona chahiye aur baazu pehluo se mile hue hone chahiye, garz ye k khoob simatkar sajda kare,
👉 Jabki Mardo ka Pet raano se aur baazu pehluo se alag rehne chahiye,
🔜 , 40 in sha Allah ta'aala,
📚 Aapke Masail aur unka Hal, 2/305
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🌻 Talibe Dua,,,
📝 Ulama e deoband
💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥 💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
🌹 Bismihi Ta'aala 🌹
⭕Namaz Ke Masail ⭕
⭐ PART-40⭐
♦Aurto'n ki Namaz ki Mukammal Tashreeh-4♦
➖ Qa'adah ➖
🔸1- Attahiyaat me bethte waqt Aurto'n ko dono payr dahini taraf nikaal kar baayi sureen per bethna chahiye, yani sureen zameen per rahe, payr na rakhe,
👉 Jabki Mardo ke liye ye hukm he k qaa'ada me apna dahina paanv khada rakhe aur baaya paanv bichhakar us per Beth jaye,
🔸 2- Aurte'n qa'ada me haatho ki ungliya mili hui rakhe, Jabki Mard ungliyo ko apne haal per chhod de, na khuli rakhe na milaye,
🔜 , 41 in sha Allah ta'aala,
📚 Aapke Masail aur unka Hal, 2/306
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🌻 Talibe Dua,,,
📝 Ulama e deoband
💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥 💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
🌹 Bismihi Ta'aala 🌹
⭕Namaz Ke Masail ⭕
⭐ PART-41⭐
♦Aurto'n ki Namaz ke Digar Masail -1♦
🔸1- Jab koi baat Namaz me pesh aaye, maslan Namaz padhte hue koi aage se guzre aur use rokna maqsood ho to Aurat taali bajaye jiska tareeqa ye he k daaye haath ki ungliyo ki pusht baaye haath ki hatheli per maare,
👉 Jabki Mardo ko esi zarurat ke liye "Subhanallah "kehne ka hukm he , magar Aurte'n " Subhanallah" na kahe balki Jo tareeqa bataya gaya uske mutabiq taali bajaye,
🔸 2- Aurat Mardo ki imaamat na kare,
🔸 3- Aurte'n agar jama'at karaye to Jo Aurat imaam ho aage badhkar khadi na ho balki saf ke beech me khadi ho,
👉 Aurto'n ki tanha jama'at makrooh he,
🔸 4- Fitna v fasaad ki vajah se Aurto'n ka masjid me hazir hona makrooh he,
🔸 5- Aurte'n agar jama'at me shareek ho to Mardo aur Bachcho se pichhli saf per khadi ho,
🔜 , 42 in sha Allah ta'aala,
📚 Aapke Masail aur unka Hal, 2/306
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🌻 Talibe Dua,,
✏ Ulama e deoband
💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥 💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
🌹 Bismihi Ta'aala 🌹
⭕Namaz Ke Masail ⭕
⭐ PART-42⭐
♦Aurto'n ki Namaz ke Digar Masail-2♦
🔸 6- Aurat per Juma Farz nahi, lekin agar juma ki namaz me shareeq ho jaye to uska juma Ada ho ja'ega aur zuhar ki namaz saaqit ho ja'egi,
🔸 7- Aurto'n ke zimme Eiden ki namaz wajib nahi,
🔸 8- Aurto'n per ayyame tashreeq yani farz Namazo ke baad ki takbeerate tashreeq wajib nahi, albatta agar koi Aurat jama'at me shareek hui to imaam ki pervi me us per bhi wajib he magar buland awaaz se na kahe kyuki uski awaaz bhi satar he,
🔸 9- Aurto'n ko Fajar ki Namaz jaldi andhere me padhna mustahab he, aur tamaam Namaze avval waqt me Ada karna mustahab he,
🔸10- Aurto'n ko Namaz me buland awaaz se qiraat karne ki ijazat nahi,
🔸 11- Aurat azaan nahi de sakti,
🔸 12- Aurat masjid me a'atkaaf na kare balki apne ghar me us jagah Jo Namaz ke liye makhsoos ho a'atkaaf kare, aur agar ghar me koi jagah Namaz ke liye makhsoos nahi to a'atkaaf ke liye kisi jagah ko muqarrar kar le,
🔜 , 43 in sha Allah ta'aala,
📚 Aapke Masail aur unka Hal, 2/306
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🌻 Talibe Dua,,,
📝 Ulama e deoband
💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥 💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
🌹 Bismihi Ta'aala 🌹
⭕Namaz Ke Masail ⭕
⭐ PART-43⭐
♦Khwateen ke Tareeqa e Namaz ka Saboot Ahadees se-1 ♦
🔸Khwateen ka Tareeqa e Namaz Mardo se juda hone hona bahut si ahadees Mubarak aur aasaar sahaba v tabaiyn se sabit he, aur fuqha ke charo Aaimma bhi is per mutafiq he'n, Tafseel ye he: -
🔸 1- Hazrat ibne Umar Raziyallahu se puchha gaya k khwateen Huzur Sallallahu Alaihivasallam ke ahad mubarak me kis tarah Namaz padha karti thi, to unhone farmaya k pehle chaar zanu hokar bethti thi fir unhe hukm diya gaya k khoob simatkar Namaz adaa kare,
👉 Jamia Al Masanyd, 1/400
🔸2- Hazrar Waa'il bin Hajr Raziyallahu Anhu farmate he'n k mujhe Huzur Akram Sallallahu Alaihivasallam ne Namaz ka Tareeqa sikhlaya to farmaya k,
"Ey Waa'il bin Hajr! Jab tum Namaz shuru karo to haath kaano tak uthao aur Aurat apne haath chhatiyo'n tak uthaye, "
👉 Majma Azzawaid, 2/103
🔸3- Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam do Auto'n ke paas se guzare Jo Namaz padh rahi thi, Aap Sallallahu Alaihivasallam ne unko dekhkar farmaya k jab tum sajda Karo to apne jism ke baaz hisso ko zameen se chimta do isliye k isme Aurat Mard ke manind nahi, "
👉 Sunan Al Bayhqi, 2/223 bahawala Abu Dauwd, 3/19
➖ Baqi angle part me ➖
🔜 , 44 in sha Allah ta'aala,
📚 Fiqahul ibaadaat, 125
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🌻 Talibe Dua,,,
📝 Ulama e deoband,,
💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥 💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
🌹 Bismihi Ta'aala 🌹
⭕Namaz Ke Masail ⭕
⭐ PART-44⭐
♦Khwateen ke Tareeqa e Namaz ka Saboot Ahadees se-2 ♦
🔸4- Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu farmate he'n k Huzur Akram Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he k,
" Namaz ke doraan jab Aurat bethe to apni ek raan ko doosri raan per rakhe aur jab sajdaa me jaye to apne pet ko apni dono raano se milale is tarah k isse zyada satar ho sake aur Allah ta'aala uski taraf dekhte he'n aur farishto se farmate he'n k Ey Farishto! Tum gawah raho mene is Aurat ki bakhshish kar di,"
🔸 5- Huzur Akram Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he (k agar Namaz ke doraan koi esa amr pesh aa jaye Jo Namaz se kharij ho to ) Mardo ke liye hukm ye he k wo Tasbeeh kahe aur Aurte'n sirf taali bajaye,
👉 Tirmizi, 85, Muslim Sharif, 1/81
🔸6- Imaam Bukhri ke ustaad Abu Bakar bin Abi Shyba farmate he'n k mene Hazrat Ataa se suna k unse Aurat ke bare me puchha gaya k woh Namaz me haath kese uthaye to unhone farmaya k apni chhatiyo tak,
Aur farmaya Namaz me apne haatho ko is tarah na uthaye jis tarah Mard uthate he'n aur unhone is baat ko jab ishare se batlaya to apne haatho ko kaafi past kiya aur un dono ko achchhi tarah milaya aur farmaya k namaz me Aurat ka Tareeqa Mardo ki tarah nahi,
👉 Musnnif ibne Abi Shyba,
🔸7-Hazrat Ali Raziyallahu Anhu se rivayat he k farmaya,
" Jab Aurat sajdaa kare to sureen ke bal bethe aur apni raano ko milale, "
👉 Bayhqi, 2/223
🔸8- Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu se Aurat ki namaz se mutalliq puchha gaya to farmaya, k
" ( sab aaza ko ) milale aur sureen ke bal Bethe,"
🔜 , 45 in sha Allah ta'aala,
📚 Fiqahul ibaadaat, 127
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🌻 Talibe dua,
✏ Ulama e deoband
💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥 💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
🌹 Bismihi Ta'aala🌹
⭕ Namaz Ke Masail ⭕
⭐ PART- 45⭐
♦ Khwateen ke Tareeqa e Namaz ka Saboot -3♦
🔸Dar Haqeeqat Sahih Baat Yehi Hai Ke Mard-O-Aurat Ki Namaz Me Kuch Farq Hai Aur Mard-O-Aurat Ko Waisi Namaz Parhni Chahiye Jaisa Ke Unko Shari’at Me Bataya Gaya Hai. . Farq Ko Waazeh Karne Waali Rivaayaat:
🔸Jaleel ul Qadr Tabii Yazeed Bin Habeeb (Rah.) Se Rivayat Hai Ke Rasoolullah (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) ka 2 Aurto par Guzar Huwa Jo Namaz Padh Rahi Thi , Aap SAW ne Farmaya : Jab Tum Sajda Karo Toh Jism ka Kuch Hissa Zameen se Chipka Diyaa Karo , Kyunke Aurat Is Masle me Mard ki Tarah Nahi hai.
📓Marasil e Abu Dawud : 8
🔸 Hazrat Ali (Raz.) Ne Farmate hai ke Jab Aurat Sajda Kare Toh Samet Jaaye aur Apni Raano ko Milaale.
📓Musannaf Ibn Abi Shaiba : 504/2 ,Sunan e Kubra , Musannaf Abdur Razzak
🔸Muhaddis e Kabeer Alama Zafer Ahmed Usmani Rh. Farmaate Hai:Yeh Riwayat Hasan Darje ki Hai.
📓A’aa Al Sunan : 182/2
🔸Hazrat Umm Darda Rdh. Apne Kaandho Tak Uthaati Thi.
📓Juz e Rafedain : Safa 66 , Musannaf Ibn Abi Shaiba
🔸Fuqaha wa Muhaddiseen Rehmaullah ke Nazdeek Is Riwayat ki rooshni me Aurat ke Liye Kaandho tak Haat Utaana Behtar Kyunke isme Satar aur Parda Zyada Paaya Jaata hai aur Muslim Shareef ki Hadees ki bunyaad par mardo ke liye kaano tak haat utaana sunnat hai. .
🔸 Hazrat Ibn Umar Rdh. Farmaate hai ke : Rasoolullah SAW ke Mubarak Zamaane me Aurto ko Hukum Diya Gaya ke Wo (Namaz me) Sareen ke Bal Zameen par Baithe(Mardo ki Tarah Pairo par Na Baithe).
📓Jaami Al Saaneed : 400/1
👉Yeh hadees imam e azam abu hanifa rh. ki musnad me saheeh sanad ke saat hai aur musaaneed imam e azam ummat ke nazdeek qaabil e aaitemaad hai.
👉Tafseel ke Liye Dekhiye A’aalaa ul Sunan
🔸 Ibne Umar (Raz.) Se Marfooan Naqal Kiya Gaya Hai Ke Aurat Jab Sajdah Kare To Apne Peit Ko Raano Se Chipka Le.
📓Ibne A’adi
🔸Jaleel ul Qadr Tabii Hazrat Ata’ (Rah.) Farmate Hain: Rukoo’ Karte Waqt Aurat Sukad Kar Rahe, Apne Hatho’n Ko Dauran Rukoo’ Peit Tak Uthaaye Rakhe Jitna Ho Sakta Hai Apne Badan Ke Aizaa Ko Ek Doosre Se Chimtaaye Rakhe Aur Jab Sajdah Kare To Apne Hath Peit Se Mila Kar Rakhe. [Musannaf Abdur Razzaq] . Inke Alawah Mujahid, Hasan Basri, Qatadah, Ibrahim Naqa’i Waghera Jaleelo Qadar Taba’een Rehmaullah Se Bhi Mardo’n Aur Aurto’n Ki Namaz Me Farq Bataane Wali Rivayat Naqal Ki Gayi Hain. . In Rivaayaat Se Saaf Waazeh Hua Ke Mard-O-Aurat Ki Namaz Me Kuch Farq Hai Aur Aurto’n Ko Namaz Ke Dauraan e Satar Aur Pardah Ka Ahtemaam Karte Hue Simat Kar Namaz Ke Arkaan Bajaa Laane Chahiye. Aurto’n Ki Namaz Ka Tareeqah Batlaane Wali In Mazkoorah Baala Rivaayaat Par Chand Tarah Ke Aaitrazaat Karte Hain. Lekin Usool Hadis Ki Roshni Me Wo Aaiterazaat Durust Nahi Hain. .
👉Aaiterazaat Ki Tafseel Ke Liye Dekhei’n: Nafa-e-sul , Daleel-E-Namaz; Masnoon Namaz; Allah Ta’la Ki Pasandeedah Namaz Aur Majmua Rasaa’il Wa Maqaalaat: Jild Duwam
🔸Hazrat Wa’iL bin Hujar r.a Farmate hain ke Mujhe ALLah ke RasooL a.s ne Namaz ka Tariqa Sikhlaya to unse Farmaya ke Mard Namaz Shuru kare to Kano tak hath uthaye aur Aurat apne hath Chatiyon ( Seene ) tak uthaye…
📓 Maujam Tabrani 19/22 , MajmauL Zawaid 103/2
🔸Hazrat Ibn Juraij r.a Farmate hain ke Maine Hazrat Ata r.a se poocha ke Takbeer ( Tehreema ) ke waqt kya Aurat bhi apne hathon se isi Tarah Ishara kare jaise Mard karte hain ? To unhone Farmaya nahi , Aurat Mardon ki Tarah Hath na uthaye…Inhone jab Ishare se is bat ko bataya to Hathon ko Kafi Past kiya aur un dono ko Achche tariqe se milaya aur Farmaya ke Namaz me Auraton ka tariqa Mardon ki tarah nahi hai….
📓 Musannif Ibn Abi Shaiba 239/1 , Musannif Abdur Razzaq 137/3
🔸Hazrat Ata r.a Farmate hain ke ” Aurat Apne Qayam me Hathon ko Jitna Suker Sakti ho itna Sukere “
📓 Musannif Abdur Razzaq 137/2
🔸 Hazrat Ibn Nujaim r.a NaqaL karte hain : ” Aurat Apne Dayen Hath ki HatheLi Bayen Hath ki pusht par Seene ke Upar rakhe “…
📓( 339/1 اﻟﺮاﺋﻖ اﻟﺒﺤﺮ )
🔸Ek Jagah Farmaya : ” Kyonki ye Aurat KeLiye Zyada Parde Ka Sabab hai , Lihaza Iske Haq me yahi Behtar hoga “
📓 ( 303/1 اﻟﺮاﺋﻖ اﻟﺒﺤﺮ )
📓 Hazrat Aini r.a Bhi Aurat KeLiye Seene par Hath Bandhne ki hi Bat NaqaL karte hain…
📓 210 ﮬﺪاﯾہ ﺷﺮح ﻓﯽ اﻟﺒﻨﺎﻳ
🔸Austaaz Ul Ulama’a Hazrat Moulana Abdul Hayi Lakhnavi Rehmahullah Tehreer Farmatay Hain: دﯾﻨﻌﻠﯿﺎﻟﺼﺪر اﻋﻠﯿﺎﻧﺎﻟﺴﻨﺔﻟﻬﻨﻮﺿﻌﺎﻟﯽ واﻣﺎﻓﯿﺤﻘﺎﻟﻨﺴﺎءﻓﺎﺗﻔﻘﻮ
📓[ALSI’AAYA PAGE 156 JILD 2] ..
🔸Aurto'n Kay Muta’lliq Sub Ka ittefaaq Hay k in Kay Liye Sunnat Seenay Per Hath Rakhna Hay .. Mulla Ali Qari Rahmtullahi Farmate Hai Aurato Ka Sine Pe Hanth Rahkhne Pe Fuqaha Ka ittefaq Hai Q Ke Aurat Ki Halat Ka Daro Madar Parda Pe Hai
📓 Fatah Bab Anaya Jild 1 Safa 243 Sunan Assalah …
Next, 46 in sha Allah ta'aala,
➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🌻 Talibe Dua,
📝 Ulama e deoband,,
📱+91-7037363325
💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
Bismihi Ta’aala
Namaz Ke Masail
PART 46
♦ Khwateen ke Tareeqa e Namaz ka Saboot -4♦
Mazkura ahadees shareef, Aasaare sahaba ikraam v Tabaiyn aur charo mazahib Fiqha Haq ke Hazraat Fuqha ikraam ki ibaraat se Jo Aurto ‘n ki namaz ka masnoon tareeqa namaz me zyada se zyada parda aur Jism sametkar ek doosre se milane ka hukm he aur ye tareeqa Huzur Akram Sallallahu Alaihivasallam ke ahad Mubarak se aaj tak is ummat me mutafiq alaih aur Amalan mutawatar he, Aaj tak kisi Sahabi ya Tabai ya Digar Fuqha e ummat ka koi esa fatwa nazar nahi aaya jisme Aurto’n ki namaz ko Mardo ki namaz ke mutabiq qaraar ho,
♦Ahle Hadees Aalim Ka Fatwa♦
Ahle hadees ulma bhi mazkura ahadees ke mutabiq fatwa diya karte he’n, chunache Molana Abdul Jabbar bin Abdullah Gaznavi Ahle hadees ke ek mashoor Aalim guzre he’n wo bhi apne fatwe me wo hadees Jo humne kanzul Aamaal aur Bayhqi ke hawale se naqal ki he uske bare me farmate he’n,
“Aur isi per ta’amul ahle sunnat v mazahib arbia vagera chala aa raha he,”
Neez iske baad mukhtlif qutub mazahib Arabia ke hawala naqal karne ke baad aakhir me natiza farmate he’n k,
” Garz ye k Aurto’n ka inzmaam ( ikattha hokar ) aur inkhfaz ( simatkar ) namaz padhna, ahadees v ta’amul jamhur ahle ilm az mazhab Arabia vagera hum se saabit he aur iska munkir qutub ahadees aur ta’amul ahle ilm se bekhabar he, ”
Fatawa Gaznaviya, 27-28, Fatawa Ulma Ahle Hadees , 3/140
, 47 in sha Allah ta’aala,
Fiqahul ibaadaat, 130,
💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
🌹 Bismihi Ta'aala 🌹
⭕Namaz Ke Masail ⭕
⭐ PART-4⃣7⃣⭐
♦ Sajdaa Sahu -1♦
🔸 Namaz ke wajibaat me se koi wajib bhoole se chhot jaye ya faraiz me se kisi farz me takheer ya takraar ho to esi soorat me Namaz ke akheer me tashahud mukammal karne ke baad daayi taraf salaam fer kar 2 sajde kiye jaye, iske baad dobara tashahud, darood Shreef v Dua padhkar salaam fer diya jaye, in dono sajdo ko sajdaa Sahu kaha jata he, isse Namaz me galti ka tadaruk hota he,
📗 Hidaya, 1/164
🔸Masbooq ne imaam ke saath salaam fer diya,
👉 Agar masbooq ( jiski kuchh raka'at chhot gayi ho aur baad me jamaat me shareeq hua ho) ne bhool se imaam ke saath salaam fer diya, salaam ke baad yaad aane per baqiya raka'at puri kar li to is per Sajdaa Sahu lazim he,
📗 Durre Mukhtar, 1/696
🔸 Qa'ada avla me kitni zyadti se Sajdaa Sahu lazim hoga?
👉Agar qa'ada aula me attahiyat ke baad Darood Shareef bhool se shuru kar di aur " Allahumma Salli alaa muhammadinv va alaa aali muhammadin,,,,,,, ki daal tak pahunchne se pehle pehle yaad aa gaya aur khada ho gaya to Sajdaa Sahu wajib nahi aur agar daal tak padh liya to Sajdaa Sahu wajib he,
📗 Ahsanul Fatawa, 4/30, ba hawal - Shaami
🔜 , 48 in sha Allah ta'aala,
📚 Fiqahul ibaadaat, 131
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
🌹 Bismihi Ta'aala 🌹
⭕Namaz Ke Masail ⭕
⭐ PART-4⃣8⃣⭐
♦ Sajdaa Sahu -2 ♦
🔸Surah Fatiha ka Takraar,
👉 Agar kisi ne bhoole se Surah Fatiha ka baaz hissa yani " Maliki yavmiddeen " ki 'Ya' tak muqarrar padh li to us per Sajdaa Sahu lazim he,
📗 Ahsanul Fatawa, 4/31 ba hawala -Durre Mukhtar,
🔸Vitr ki Teesri Raka'at me Surat Milana bhool gaya,
👉 Agar Vitr ki teesri raka'at me Surat milana bhool gaya ya Duae qunoot bhool gaya, ruku karke Sajda kar liya to Aakhir me Sajdaa Sahu karna wajib he,
📗 Durre Mukhtar, 1/427
🔸 Bhool kar pehli raka'at ke baad Beth gaya,
👉 Agar ek raka'at ke baad bhool kar Beth gaya aur Attahiyat shuru kar di to agar " Ayyuhan nabiyyu " me ایھا ke ھا(ha) tak padh liya fir yaad aaya ya uske baad yaad aaya to khade hokar baqiya Namaz mukammal karke Akheer me Sajdaa Sahu kare, agar "ایھا" ke ھا tak pahunchne se pehle yaad aa gaya aur khade hokar Namaz mukammal kar li to Sajdaa Sahu wajib na hoga, "
📗 Tafseel fi Ahsanul Fatawa 4/34
🔸Teen Sajde kar liye,
👉 Agar ek raka'at me bhool kar 3 sajde kar liye to Sajdaa Sahu wajib he,
📗 Ganiyatul mustamla, 1/430
🔸 Qa'ada Avla bhool gaya,
👉 Agar qa'ada Avla per bethna yaad na raha bhool kar khade hone laga to yaad aa gaya ab agar ghutne sidhe ho gaye to qa'ada ki taraf lotna jaa'iz nahi lekin ba vajah jahalat ghutne sidhe hone ke baad lot aaya aur tashahud padh li tab bhi Sajdaa Sahu se Namaz adaa ho ja'egi, "
📗 Shaami, 1/697
🔜 , 49 in sha Allah ta'aala,
📚 Fiqahul ibaadaat, 132
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
🌹 Bismihi Ta'aala 🌹
⭕Namaz Ke Masail ⭕
⭐ PART-4⃣9⃣⭐
♦ Sajdaa Sahu-3♦
🔸Sajdaa Sahu bhool gaya,
👉 Agar kisi per Sajdaa Sahu wajib tha lekin sajdaa karna bhool gaya aur salaam fer diya to agar abhi Masjid se nahi nikla, kisi se koi baat nahi ki to foran Sajdaa Sahu kar le, iske baad attahiyaat, darood Shareef, Dua padh kar salaam fer de, agar masjid se bahar nikal gaya ya kisi se baat kar li to Namaz dohrana wajib he,
📗 Durre Mukhtar, 1/704
🔸 Imaam aur Muqtadi ka Sajdaa Sahu,
👉 Agar Namaz me imaam per Sajdaa Sahu lazim ho to imaam ke saath muqtadiyo per Sajdaa Sahu karna wajib he, aur agar Muqtadi se koi sahu ho jaye to uski vajah se na muqtadi per Sajdaa Sahu he na imaam per,
Masbooq se baqi Namaz me sahu ho jaye to us per Sajdaa Sahu lazim hoga,
📗 Hidaya,, 1/165
🔸Kai baar galti ka hukm,
👉 Agar Namaz me kai baar sahu ho jaye to aakhir me ek hi baar Sajdaa Sahu wajib he,
📗 Aalamgeer, 1/83
🔸 Tashhud se ek lafz bhi chhot gaya to Sajdaa Sahu wajib he,
👉 Tashahud ( attahiyaat) pura wajib he isme se ek lafz bhi reh gaya to Sajdaa Sahu wajib he,
📗 Durre Mukhtar, 1/434
🔜 , 50 in sha Allah ta'aala,
📚 Fiqahul ibaadaat, 133
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
🌹 Bismihi Ta'aala 🌹
⭕Namaz Ke Masail ⭕
⭐ PART-5⃣0⃣⭐
♦ Bimaar Ki Namaz -1♦
🔸Baaz Deendar Namazi log bimari ke Dino me Namaz me gaflat karte he'n, Ya to padte hi nahi ya bahut baddili se padte he'n Ya ye khayal karte he'n k jab Theek ho ja'enge Qaza pad lenge,
👉 Ye baat bhi soch Lena chahiye k agar isi bimari ki haalat me maut aa gayi to un Namazo ka kya hoga?
👉 Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne apni bimari ke Dino me Namaz ka kis qadar khayal rakha k Aakhri marj jisme Aapka Visaal hua do Sahabi ke sahare ladkhadate hue saath aakar jama'at me shareek hue aur Ummat ke liye bhi yahi hukm he k jab tak khade hokar padhne ki taaqat ho khade hokar padhe aur jab khada hone ki taaqat na ho to bethkar padhe aur iski bhi taaqat na ho to letkar sar ke ishare se padhe,
🔜 , 51, in sha Allah ta'aala,
📚 Fiqahul ibaad,, 138
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
🌹 Bismihi Ta'aala 🌹
⭕Namaz Ke Masail ⭕
⭐ PART-5⃣1⃣⭐
♦ Bimaar ki Namaz -2 ♦
⭕ Beth kar namaz padhne ke masail ⭕
🔸Namaz kisi haal me na chhode khade hokar padhne ki taaqat ho to khada hokar Namaz padhta rahe aur jab khada na ho sake to bethkar Namaz padhe, Bethe Bethe ruku karke dono sajde kare aur ruku ke liye itna jhuke k peshani ghutno ke barabar aa jaye,
📗 Sharah Al- Tanveer, 1/791
🔸Agar khada hone ki taaqat to he lekin khade hone se sakht takleef hoti ho ya bimari bad Jane ka dar he tab bhi bethkar Namaz padhna durust he,
🔸Agar ruku Sajda karne ki qudrat na ho to ruku aur Sajde ishare se adaa kare aur Sajde ke ishare me ruku se zyada jhuke,
📗 Sharah Al- Bidaya, 1/144
🔸Sajda karne ke liye Takiya vagera koi cheez rakh Lena aur us per Sajda karna behtar nahi, Jab sajda ki qudrat na ho to sirf ishara kar liya kare Takiye ke ouper sajda karne ki zarurat nahi,
📗 Sharah Al- Tanveer, 1/793,
Bahishti Zever, 2/156
🔜 , 52, in sha Allah ta'aala,
📚 Fiqahul ibaad,, 138
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
🌹 Bismihi Ta'aala 🌹
⭕Namaz Ke Masail ⭕
⭐ PART-5⃣2⃣⭐
♦Bimaar ki Namaz-3 ♦
⭕ Let kar namaz padhne ke Masail⭕
🔸Agar bethne ki taaqat nahi rahi to pichhe koi gaav taqiya vagera lagaka is tarah let jaye k sar khoob ouncha ho jaye, balki bethne ke qareeb ho jaye aur paanv qibla ki taraf faylade,,,, agar kuchh taaqat ho to qibla ki taraf paanv na faylaye balki ghutne khade rakhe, Fir sar ke ishare se Namza padhe, aur Sajde ke ishare me ruku ki banisbat zyada jhuke,
🔸Agar gaav Taqiya se tek lagakar bhi is tarah na let sake k sar aur seena vagera ouncha rahe to qibla ki taraf paanv karke bilkul chit let jaye lekin sar ke niche koi ouncha taqiya rakh de k moonh qibla ki taraf ho jaye, aasman ki taraf na rahe, fir sar ke ishare se Namza padhe, Ruku ka ishara kam aur Sajde ka ishara zyada kare,
📗 Durre Mukhtar, 1/793
🔸Agar chit na lete balki Daayi ya Baayi karwat per qibla ki taraf moonh karke lete aur sar ke ishare se ruku Sajda kare to ye bhi jaa'iz he lekin chit letkar padhna zyada achchha he,
📗 Durre Mukhtar, 1/794
🔸Namaz shuru karne ke waqt bilkul theek tha fir jab kuchh Namaz padh chuka to Namaz hi me koi esi takleef shuru ho gayi k khada hona mushkil ho gaya to baqi namaz bethkar padhe aur ruku Sajda kar sake to kare varna sar ke ishare se kar le,
aur esa haal ho gaya ki bethne ki bhi qudrat nahi to isi tarah let kar baqi namaz puri kare
🔜 , 53 in sha Allah ta'aala,
📚 Fiqahul ibaad,, 139
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
🌹 Bismihi Ta'aala 🌹
⭕Namaz Ke Masail ⭕
⭐ PART-5⃣3⃣⭐
♦ Bimaar ki Namaz -4♦
⭕ Aankh ke Operation me Namaz ⭕
🔸 Kisi ki Aankh ka operation hua ho aur doctor ne usko hilne dulne se mana kar diya ho to let kar Namaz padhta rahe,
📗 Fatawa Hindiya, 1/87
⭕ Ruku Sajde se Aajiz ka Hukm ⭕
🔸 Jo sakhsh ruku Sajde se aajiz lekin khade hone per qaadir ho usko akhtyar he chahe khade hokar Namaz padhe ruku Sajda ishare se kare ya chahe bethkar padhe,
Lekin bethkar padhna uske liye zyada behtar he,
📗 Fatawa Hindiya, 1/87
🔜 , 54 in sha Allah ta'aala,
📚 Fiqahul ibaad,, 141
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
🌹 Bismihi Ta'aala 🌹
⭕Namaz Ke Masail ⭕
⭐ PART-5⃣4⃣⭐
♦ Bimaar ki Namaz -5♦
⭕ Ishare se bhi Namaz padhne ki Taaqat na rahe ⭕
🔸Agar sar se ishare karne ki bhi taaqat nahi rahi to Namaz na padhe, fir agar ek raat -din se zyada yahi haalat rahi to Namaz bilkul maaf ho gayi, theek hone ke baad qaza padhna bhi wajib nahi,
👉Aur agar Ek Raat-Din se zyada ye haalat nahi rahi balki ek Raat-Din me hi ishare se padhne ki taaqat aa gayi to ishare hi se unki qaza padhe,
aur ye iraada na kare k jab bilkul theek ho jaunga tab padunga, isliye k shayad bilkul hi theek hone se pehle mar jaye to gunahgar marega,
📗 Fatawa Hindiya, 1/90 bahawala- Durre Mukhtar, 1/795
🔸 isi tarah agar bilkul tandurast Aadmi behosh ho jaye to agar behoshi Ek Raat-Din se zyada nahi hui to qaza padhna wajib he,
aur ek Raat-Din se zyada ho gayi to qaza padhna wajib nahi,
🔜 , 55 in sha Allah ta'aala,
📚 Fiqahul ibaad,, 142
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
🌹 Bismihi Ta'aala 🌹
⭕Namaz Ke Masail ⭕
⭐ PART-5⃣5⃣⭐
♦ Bimaar ki Namaz -6♦
⭕ Dorane Namaz Uzr khatm ho gaya ⭕
🔸Bimari ki Vajah se bethkar Namza shuru ki aur Ruku Sajda kiya fir Namaz hi me theek ho gaya to usi Namaz ko khada hokar pura kare,
📗 Fatawa Hindiya, 1/87
🔸 Agar bimari ki Vajah se ruku Sajda ki taaqat nahi rahi isliye Sar ke ishare se ruku Sajda kiya fir jab kuchh Namaz padh chuka to ruku Sajda karne ki taaqat aa gayi to ab ye Namaz faasid ho gayi, usko pura na kare balki dobara padhe,
aur agar ishare se ruku Sajda karne se pehle tandurast ho gaya to pehli Namaz sahi he, us per bina'a jaa'iz nahi,
📗 Fatawa Hindiya, 1/87
🔜 ,56 in sha Allah ta'aala,
📚 Fiqahul ibaad,, 143
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
🌹 Bismihi Ta'aala 🌹
⭕Namaz Ke Masail ⭕
⭐ PART-5⃣6⃣⭐
♦ Bimaar ki Namaz -7♦
⭕ Jo sakhsh khud istanja na kar sake ⭕
🔸Faalij gira aur esa bimaar ho gaya k paani se istanja nahi kar sakta to kapde ya dhele se ponchh liya kare aur isi tarah Namaz padhe, agar khud tayammum na kar sake to koi doosra tayammum kara de, aur agar dhele ya kapde se ponchhne ki taaqat bhi na ho to bhi Namaz qaza na kare usi tarah Namaz padhe,
👉 Walden v olaad vagera kisi ke liye bhi uska Satar dekhna aur ponchhna durust nahi, Albatta miya bivi ek doosre ka Satar dekh sakte he'n,
📗 Fatawa Hindiya, 1/49
⭕Napaak Bistar Badalne ka Hukm ⭕
🔸Bimaar ka najis bistar badalne me agar use sakht takleef pahunchne ka andesha ho to usi per Namaz padh lena durust he,
📗 Fatawa Hindiya, 1/88
🔜 , 57 in sha Allah ta'aala,
📚 Fiqahul ibaad,, 144
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💢💥💢💥💢💥💢💥💢💥
🌹 Bismihi Ta'aala 🌹
⭕Namaz Ke Masail ⭕
⭐ PART-5⃣7⃣⭐
♦ Bimaar ki Namaz -8♦
⭕ Dorane Namaz Tek lagana ⭕
🔸Agar koi shakhs qiraat taveel hone ki Vajah se khade khade thak jaye aur use takleef hone lage to uske liye kisi diwaar ya darakht ya lakdi vagera ka Tek laga Lena makrooh nahi,
⭕ Bimari me Qaza Namaz ⭕
🔸Tandurasti ke zamane me kisi shakhs ki kuchh Namaze qaza ho gayi thi magar qaza padhne se pehle bimaar ho gaya, to bimaari ke zamane me jis tarah bhi Namaz padhne ki taaqat ho unki qaza padh le ye intzaar na kare k jab khade hone ki taaqat aa'egi tab padunga ya jab bethne ki aur Ruku Sajda karne ki taaqat aa'egi tab padunga, ye sab shaytani khayalaat he'n, Deendari ki baat ye he k foran padh le aur der na kare,
📗 Fatawa Hindiya, 1/88
🔜 , 58 in sha Allah ta'aala,
📚 Fiqahul ibaad,, 144
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
◆◎◎
★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
♡ Namaz Ke Masail ♡
☆ Part-58 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Kursi Per Bethkar Namaz Padhna -1✺
✯————————————
★Aajkal kursi per bethkar Namaz padhne ka ek aam rivaaj ho gaya he, Jisko bhi thodi bahut takleef ghutno me ya kamar me ho rahi ho wo sahuliyat ki khatir kursi per bethkar Namaz padhna shuru kar deta he, halanki baaz surato me kursi per bethkar Namaz padhna jaa'iz nahi,
★ isliye is Masle ki puri vazahat likhi jati he k kis qism ke Mareez ke liye kursi per Namaz padhna jaa'iz aur kiske liye nahi,
☆------------------------
◆◇◆◇◆
⇨ 1- Jin soorto me ishare se Namza padhna jaa'iz nahi, sajda karna laazim he:-
★1- Jo Mareez qayaam per qaadir nahi albatta Ruku Sajda kar sakta ho to uske liye zameen per bethkar ba-qa'ada Ruku Sajda karna Farz he,
★ 2- Jo Mareez zameen per bethkar ba-qa'ada Sajda nahi kar sakta magar Sar itna jhuka sakta ho k zameen tak zyada se zyada 2 Einto ( bricks) ke barabar taqriban Ek Baalisht ya isse kam faasla reh jaye to uske liye itni ya isse kam ounchi kisi cheez Tipaai vagera per Sajda karna laazim he, ishare se Namza nahi hogi,
↳ Next -59 in sha Allah ta'ala,
↳®Fiqhul ibadaat, 144
◆◎◎
★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
♡ Namaz Ke Masail ♡
☆ Part-59 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺Kursi per Bethakar Namaz Padna-2✺
✯——————————————
❂ 1- Jin soorto, me Kursi per bethkar Namaz Padhna Ja'iz nahi, Sajda karna laazim he ❂
◆◇◆◇◆
★3- Jo Mareez zameen per bethkar Namaz nahi padh sakta magar Kursi se utarkar zameen per Sajda kar sakta ho aur kursi per bethne ki ounchai ke barabar koi Tipaai bhi saamne nahi rakhi hui ho to ese Mareez ke liye kursi per bethkar ruku v Sajda ke liye ishara karna durust nahi, Zameen per utarkar ba-qa'ada Sajda karna zaruri he,
★4- Jo Mareez zameen per bethkar Sajda nahi kar sakta aur na itna sar jhuka sakta ho k zameen per Ek Baalisht faasla reh jaye magar Kursi per bethkar Namaz padhe to Kursi per bethne ki jagah ke barabar ounchi Tipaai vagera per Sar rakhkar Sajda kar sakta he aur Kursi aur Tipaai ka ghar me intezam ho sakta he Masjid me nahi ho sakta to masjid me kursi per ishare se Namza padhna durust nahi, ghar me Tipaai per Sajda karna laazim he,
★5- isi tarah agar kursi per bethne ki jagah ke barabar tak sar nahi jhuka sakta magar Kursi per bethne ki jagah se Ek Baalisht ya isse kam ounchai tak sar jhuka sakta he aur itni ounchi Tipaai mayassar he to us Tipaai per Sajda karna laazim he, ishare se Namza padhna sahi nahi,
⇨ Vaaze rahe k Aajkal Masajid me rakhi kursiyo ke saamne tirchhe lage hue mez (table) aam tor per Do Einto ( bricks) ki miqdaar ( taqriban ek Baalisht) se zyada ounchi hote he'n, is per agar ese shakhs ne Sajda kiya to wo ishare ke hukm me hoga aur ese shakhs ki Namaz ki sehat ke liye ishara kaafi nahi,
↳ Next -60 in sha Allah ta'ala,
↳®Fiqhul ibadaat, 144
◆◎◎
★вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм★
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
♡ Namaz Ke Masail ♡
☆ Part-6 0 ☆
✰━═━═━═━═━═━═━═━✰
✺ Kursi per Bethkar Namaz Padhna-3 ✺
✯————————————
❂ 2- Jin Soorto me ishare se Namaz Padhna Ja'iz he ❂
◆◇◆◇◆
★1- Jo Mareez zameen per bethkar Namaz padhne per qaadir ho lekin ruku v Sajda karne per qaadir nahi, Maslan - kamar me takleef he ya Aankho ka operation kiya he, Sakht takleef ya naqabile bardasht jismani nuqsan ke andeshe ki bina per zameen per baqa'ada sajda nahi kar sakta he aur na itna jhuk sakta he k zameen tak ek Baalisht ya isse kam faasla reh jaye, to woh ishare se Namza padh sakta he magar isme bhi laaziman ahatyat kare k sajde ke liye ruku se zyada jhuke,
★2- Min darja soorate haal me Mareez kursi per Namaz padhna chahta he aur itna nahi jhuk sakta he k bethne ki jagah ke barabar ounchi Tipaai ya kursi ki Seat ke se taqriban ek Baalisht ya isse kam ounchi Tipaai per Sajda kar sake to woh kursi per bethkar ishare se ruku Sajda karke Namaz padh sakta he, uske saamne Tipaai vagera rakhna zaruri nahi,
Kyuki is soorat me use ishare se Namza padhne ki ijazat he,
★ Taham agar kisi ne saamne rakhi esi Tipaai ya nisb Takht Jo kursi ki Seat se do Einto ki miqdaar taqriban ek Baalisht ya 9 inch se zyada ouncha he, per Sajda kiya to isse Namaz ki Sehat per koi asar nahi padhega,
★3- Zameen per bethkar Sajda karne per qaadir nahi lekin agar kursi per bethkar Namaz adaa karna chahe aur kursi per bethne ki jagah ke barabar usse taqriban 9 inch ounchai tak Sar jhuka sakta he lekin apne mohalle se door he aur kisi esi cheez ka intezam nahi ho sakta to is soorate haal me ye Mareez kursi per bethkar ishare se Namaz padh sakta he,
↳® Ba hawala - Durre Mukhtar, 2/684
↳ Next -61 in sha Allah ta'ala,
↳®Fiqhul ibadaat, 145
╓━═══○═✧═○═══━╖
Ahle deoband
+91 7037363325
╙━═══○═✧═○═══━╜
No comments:
Post a Comment